• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Hayaan - Ek Insaan Ya Shaitaan

Hayaan-Insaan Ya shaitan Story kaisi hai..?


  • Total voters
    177

Hayaan

●Naam to Suna Hi Hoga●
6,286
13,904
144
Abb..takk...

Eblis dhyan mein baitha...Aur gayab ho gaya Hamesha - Hamesh ke liye......

Update No. 12

Abb....Aage....

Eblis ka aisa karne ka uddesya khud ke astitva ko bachaye rakhne ke liye tha,

Kyuki Eblis ko Bhavisya ki Jhalak dikh chuki thi...bhala usse kaun si baat chhupi jo ki khud sarv-Shaktiman ki Chhaya mein rah chuka ho,

Kyuki Wo,
Eblis aur God ke beech huyi deal ko nahi tod sakta tha, Geryon ki help karke...

Agar Eblis khud ko Geryon se Alag na karta to,
Bhavisya mein Fir se Black Energy ko Tyag kar White Energy ko Apnana padta,
Khud ko fir se God ki Upaasna ke liye Badhya hona padta,

Jo ki Eblis ko kabhi gavara nahi,
jo pahle na kiya bhala wo fir kaise kar sakta hai...
Eblis ki Ladayi bilkul hatke hai...wo kisi ladta nahi...Bas ladne ke liye bahkata....

"" Eblis to Ek Vichaar hai Bahut Bure Paapon mein Lipte Huye Vichaar,.....
Aur Vichaar Kabhi Nasht nahi hote....bas badal Jate hain...""

""Kaise tod de khud ka ghamand apne bete aage,
Aur Jhuka de apna Sar Ek Insaan ke aage""


"""डर हमेशा आपको एक कैदी बना कर रखेगा,
जबकि खुले विचार आपको एक बादशाह बना कर रखेंगे!""",,Aur mai to Badshah hu Eblis muskuraya !!

×The End×




Eblis ke jaane ke baad Geryon ko Ahsas hua kyu uske Pita ne ek antim baar Gale lagaya,
aur Sar par Hath fera,

Geryon ki Aankho se Aansu bah rahe the,

""Pahli baar Ek Devil roya tha,
Pahli baar dukh ka Ahsas hua ki dard kya hota hai,...""

Jo ki usne Apne Pita ke Kho dene ke baad Mehsoos hua....

Eblis jaate - jaate Geryon se apni Tamaam Yadein, Gyan, khud se sampark ki energy, Sab kuchh le gaya,

Ab Geryon ke paas kuchh bacha to sirf uski Power thi,

Ya fir Eblis Ka diya hua Antim Margdarshan....Jispar ab Geryon ko Amal karna tha aur khud ka astitva Bachaye rakhana tha...

Geryon Saari dukh-dard ko bhoolkar Ekbaar Bahut Jorr se apni puri taqat daharra.,,, UAhhhhhhaaaa




Jisse Sampoorn Shaitan lok Tharra utha waha to jaise bhuchal aa gaya tha,



Iss daharr ki goonj sampoorn Bramhand mein gayi aur bhukamp ke jhatke mahsoos huye...

Aaj Geryon ko Apni Actual Power ka Ahsas hua ki wo kya chiz hai....

Geryon ab Shant ho gaya....aur dhyan mein baith gaya Elizabeth ko dhundhne laga.....



Geryon ke shant hote hi ekpal ke sampoorn bramhand mein Sannata chha gaya, Hawa tham si gayi,

Na koi shor...Na kisi prakar ki Harqat jo jaha tha sab usi Jagah ekdam Ruk sa gaya....

Ye ek Shanti thi ya Firr koi bhayavah toofaan aane ka sanket......




Abhi ke Liye Bas itna hi,
Bas yunhi Saath bane rahen.......
Aur Mai Sabko le Jaunga Ek nayi duniya mein..... Khwabon ke duniya !!
 
Top