• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Hayaan - Ek Insaan Ya Shaitaan

Hayaan-Insaan Ya shaitan Story kaisi hai..?


  • Total voters
    177

Last benchers

Well-Known Member
3,071
6,809
158
Thanks Bhai !!
Sab aap logo ke Support ka natiza hai...
Kahani puri raftar se aage badh rahi hai.
..
.jaise jaise story aage badh rhi hai.waise waise supporter v badh rhe hai...
Ye sb aap ki khud ki mehnat hai..kiw ki story bahut sari hai..but pasnd kuch hi story aati hai.. . Kuch Mai ye v story aati hai.
 
  • Like
Reactions: Hayaan

Hayaan

●Naam to Suna Hi Hoga●
6,286
13,904
144
Update..No..31 (Mega Update )

Main Abhi Garden mein Baitha hua,
IMRB se meeting ke bare mein Sonch Raha tha ki...Tabhi
Meera ki Awaaz Aayi...

Meera - Kya sonch rahe ho akele itni tension mein...??

Main - Aaj ki Meeting ke bare mein...

Meera - Didi ki baton se kuchh samajh hi nahi aa raha tha,
Aap Saaf saaf batao na ki akhir main Problem kya hai...??

Main Ek lambi Ahh bharte huye bolna shuru kiya....

Kabeer Aur Rashmi ki Tension ka mukhya Karan IMRB International Company thi...

Jiss Par Ab Db. Boss Ka Raaz chalata tha..
Kyunki Db. Boss ne Paison ke Dam par Apne Under Kaam Karne Wale Sakhs ko Company ka Chairman Elect karwa diya...

Jiska Pata Rashmi di Ko Aaj Meeting ke dauran, Chairman se milne ke baad hua...

Bas itna hi Karan nahi tha, tension to Mr. Kyle ne Paida ki,

Jo Research Usne Kabeer ko Hand-over ki thi,

Mr.Kyle ne K.M. Group Ke sath bahut Badi Jaalsazi ki...wo bhi sirf chand paison ke liye..

Usne Kuchh Sample Bacha liye the Black Market mein Bechkar Aur Paisa banane ke liye....

Mr. Kyle ne Sample IMRB ke Chairman ko Muh-mange Daam mein bench diye...

Jiska Natiza ye hua ki...
Ghum - Firakar wo Sample fir se Db.Boss ke hath aa gaye,
waise bhi uske Paas ek Pahle se hi tha,
Jiska darr kam nahi tha.. ..Jo ki ab aur badh gaya...

Pareshani Yahi khatm nahi huyi...
Jo kabhi nahi hona chahiye tha wo hua...

Pareshani ka Sabse Bada karan tha Tourist ka Gayab hona,
Wo Darasal kisi Accident ke chalte nahi Gayab ho rahe the,
Unhe Kidnap kiya Ja raha tha Db.Boss ke Kahne par...

Sabse Chhipakar Unpar Genetic Mutation ka Experiment kiya ja raha tha,
Jiska Anjam Bahut Bura hone wala tha....??

IMRB ka K.M. Group ko Meeting mein Bulane ka Main Uddeshya K.M group ki Research Ko Khareedna tha...
Jo ki Kabeer ne Mr.Kyle se khareedi thi....

Rashmi ne IMRB ka Ye Offer thukra kar chali aayi...

Jiske karan Badle mein Chairman ne Unka Bussiness aur Research Centre barbad kar dene ki Dhamki bhi di...??

Darr dhamki ka nahi tha,
Aur Na hi Dusre Weapons ka tha Kyuki Antitode to hamare paas the...

Darr to Research se tha jo Human par kiya ja raha tha Iska Parinam Bahut bhayanak hone wala tha...??

Itni Sab Pareshani batane ke baad mai uthkar Jaane laga andar...
to meera ne bola...

Meera - Aji suno na..
Kaha chal diye...Baithiye to sahi..
kuchh baat karni hai aapse..??

Kabeer - Are Maharani Sahiba ab humne kya Galti kar di...??

Meera - Bache bahut Shararti ho gaye hai..

Ab hamein Sambhal jana chahiye...
Main - Kyu Aisa kya ho gaya.. Jo sambhal jane ki baat karti ho..

Fir Meera ne Mujhe Condum Condum wali baat batayi....

Kabeer - Mera to hanste hanste pet gool gaya..
Main bola, Jaan tum bhi na Bewajah naraaz hoti ho..

Ab bache samajhdar ho gaye hai wo sab Jante samajhte hain..
Ab iska matlab ye to nahi ki Hum Pyaar karna hi chhod de..

Hum to Aapke Aashiq hai..Jaan de denge lekin Pyaar karna nahi bhool sakte....

Wo to bas tumse Masti kar rahe hai Agar tum aise hi bhagogi to wo aur satayenge...
Ek din wo bhi bade honge Unki bhi Shadi hogi tab tum Chhedna ....

Meera - Dhatt teri ki,
Aap to bachon se bhi jyada bache ho...

Waise sach kaha Hamare bache bade ho rahe hai...
Next 2 days baad dono ka Birthday bhi hai....

Khushi ke Pal kitni jaldi beet jaata hai pata hi nahi chalta...
Mujhe to aaj bhi unki Badmashiyan Sharartein Yaad hai..

Kitni Naajon se Pala hai unhein...
Kitne bure aur achhe daur se guzre hai..hum sab..

Kabeer - Ha mujhe bhi Sab Yaad hai.....Har ek pal...Har wo Lamha...achha ho Ya bura...

Short Flashback...
Baat tab ki Jub Hayaan 8 Saal ka hua tab Anaya 8.5 saal ki thi..
Ab dono Achhe khase Samajhne ki Age ke ho gaye the..
lekin Shararate koot koot kar bhadi padi thi..
Kuchh chhoti-Moti Anhoni to Hayaan ke sath Aksar hoti Rahti thi..

Hayaan ko Kaale Saaye dikhte the..Jo Raat mein Use sone nahi dete the..Jabtak ki Anaya ko sath na litaya jaye,

Dono ko ek dusre ka hath pakad kar sulane se Hayaan ki Saari problem khatm ho jati thi..

Hayaan ko akele mein chhodna matlab Kisi bure samay aane ki Aahat hoti thi...
Lekin humne Jaan boojhakar ek galti kardi..
Halanki Jyada kuchh to nahi hua, Lekin jitna hua kaafi tha...

Ek Raat Yunhi Hayaan khelte - Khelte dusre kamre mein So gaya,
Sabne use wahin sone diya ki Ab to sab thik hai bada bhi ho gaya hai..samajhkar

Hayaan ki nind 11.30 bje Uske Paaltu Dog ke Bhaukne se khuli..
jo ki Bistar ke paas window ki taraf dekhkar bhaunk raha tha...

Hayaan ne uthkar pets ko apni Goad mein le liya aur Shant karane laga...puchkarne laga..

Dog ki bhaukne ki awaaz sunkar Meera bhi Hayaan ke Darwaaze ke paas aayi to use Hayaan pet ko Pyaar se Sahlata hua dikha...
Msera bhi use Pyaar se dekhne lagi...Tabhi

Tabhi achanak light chali gayi aur kamre mein andhera Fail gaya...

Meera kamre mein Jaane ko huyi thi ki Hayaan ki Aankhe Andhere mein Chamakne lagi.. aankhon se Lal roshni nikal rahi thi..

Halki si Roshni mein Hayaan ka chehra Bahut hi Bhayanak aur Darawna nazar aa raha tha...

Ab Meera ki himmat nahi ho rahi thi Andar Kamre mein Kadam Rakhne ki...

Dari Sahmi aankhe faade bs andar ki oor nihaar rahi thi...

Darr tab aur badh gaya Jub Hayaan ne Dog ki gardan ko apne danto mein daba liya..

Dog ki bas ki ki ki ki awaaz nikal rahi thi aur kuchh der mein usne dam tod diya...

Dog ki body bilkul sookh chuki thi...
aisa lag raha tha uska Saara khoon choos liya gaya ho..
Hayaan ne body ko window se Bahar fenk diya...
Ye Sab nazara dekhakar Meera wahi girkar behosh ho gayi...

Idhar Kabeer,
Meera ke wapas aane mein der lagte dekha to wo bhi uthkar chal diya...

Room ke bahar use Meera behosh mili
aur Hayaan bed par Ulta leta hua pada tha....

Kabeer meera ko uthakar dusre kamre mein le gaya...aur Pani ke chhinte markar hosh mein laya...
Meera uthte hi darr ke mare Kabeer ke seene lag gayi...

Jub kuchh der baad khud ko samhal liya to.. Kabeer ko poori baat batayi...ki kya hua tha abhi kuchh der pahle..

Jise sunkar Kabeer ko bhi tagda jhatka laga...
Kabeer aur Meera turant uthkar Hayaan ke kamre mein bhage..

Hayaan ke muh mein khoon laga tha..
Meera ne Kapde se Muh saaf kiya.
aur chehra dhula..
Lekin Hayaan behosh hi raha..
Paani padne par bhi aankhein nahi kholi..

Kabeer ne Hayaan ko uthakar Anaya ke paas lita diya...
aur khud bhi dono unke agal bagal let gaye...

Ye sonchkar ki Ab Guruji hi iska Upay batayenge....

Agli Subah Sab normal tha,
jaisa daily routine mein hota tha..
Bas Hayaan bara bar apne Pets ke baare mein poochh raha tha..

Jiske jawab mein Kabeer ne ye kaha ki Raat mein Door khula raha gaya aur wo bhag gaya..

Hayaan ko kuchh bhi yaad nahi tha Raat ko huyi ghatna ke baare mein...

Guruji se milne par iska upay puchha,
Sadanan ji ne sono ki help ki....???

FlashBack End

Meera kabeer ko Uski Sonch se bahar nikalti hai...
Meera - Kya hua kaha khoye huye ho itni ser se.
Aaj bara bar kahi na kahi gum ho jate ho,
Sab thik to hai na..

Main - Ha sab thik hai..
Ab mujhe Guru ji se milna chahiye ek baar fir...
wahi hamari Pareshaniyon ko door karenge...

Sabhi Pareshaniyon ko kinare Rakh Kabeer ko Sabse Pahle Bete Hayaan ki Problem ka Hal khojna Sahi laga...
Kabeer Gadi lekar nikal gaya AadiGuru Maharaj se milne...

Kabeer dupehar ko hi Guruji ke Ashram pahuncha aur Hayaan ke saath beeti sabhi baton se avagat karaya

Kabeer - Kya meri Bhent AadiGuru Maharaj se ho sakti hai...??

Sadanan ji - MahashivaRatri ke do din baad hi Guruvar kahi chale gaye the..
aur ab tak unki koi khabar nahi...
Kintu unhone kaha tha ki uchit Samay aane par wo Tumhari Madad karne aayenge..

Kintu mujhe kuchh jaruri bate bata gaye hai..
Sayad ab wakt aa gaya hai Hayaan ki Sikhsha aur Gyaan ka...

ab uski Shaktiyan Jagrit ho rahi tabhi ye anhoni ho Rahi hai...??

Guruvar ke Kathan anusar Ab mujhe Hayaan ka margdarshan karna hoga Guruvar ke aane takk...

Kabeer - Jaisa Aapko uchit lage...!!

Sadanan ji, Kabeer ke sath aakar uske hi Ganv Aa gaye...
Kabeer ke ghar ke andar hi Garden ke Paas wala kamra Guruji ko de diya gaya...

Sadanan ji
Hayaan aur Anaya ko Dharm, Neeti, Shashtra aur Jeevan ka margdarshan karane lage....

Aaj Kabeer aur Meera ka ghar Roshni aur Phoolon se Jagmaga raha tha....
Ghar ki sajavat dekhte ban rahi thi...
Aisa lag raha tha ki Jaise baraat aane wali ho.....????


Aaj ke liye Bas itna hi...
....
....

Likes, Comment, Vote aur Reviews ka Rakhna Dhyan.....Aapka Dost Hayaan !!

Thanks Guys !!
For your Fantastic Support !!



 
Top