• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Hawas aur Badla (completed)

Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
Update 60
Phir Class khatam karke sab ghar aate hai aur lunch karke apne apne room mein chale jaate hai rest karne.
Raat ko dinner ke baad Sam Neha ko leke london jaata hai Vishal ke paas. Phir ghar aake Mahi aur Ritika ke saath so jaata hai.
Agle din Sam ka birthday tha isiliye Mahi aur Ritika ne bahot taiyaariyan ki thi. Unhone ek achha sa restaurant book kiya tha jaha woh dono Sam ka birthday celebrate kar sake.
Subah unhone Sam ke upar so usko kiss karke uthaya.
Dono: Good Morning husband.
Sam: Good Morning wives.
Dono: Tumko yaad hai naa aajka pura din humare saath humare tareeke se.
Sam: Bilkul yaad hai. Par aaj kuch hai kya.
Dono: Usko kiss karke. Nhi kuch nhi hai bas aise hi.
Sam: Okkk.
Dono: So aaj no college. No work.
Sam: Thikk hai.
Dono: Chalo jaldi se ready hojao. Aaj sab tumhari pasand ka nashta banaya hai.
Sam: Kyaa baat hai aaj aisa special treatment.
Dono: Tum ho hi special. Chalo ab jaldi se phir humhe mandir bhi jaana hai. Nashte se pahle.
Sam: Okk.
Phir Sam unko kiss karke fresh hone chala jaata hai. Thodi der mein woh fresh hoke aata hai toh uske kapre bahar rakhe hue the.
Sam jaldi se woh pehen ka neeche aata hai jaha Mahi aur Ritika ready thi.
Dono: Chale.
Sam: Kaha.
Dono: Aree bola naa humhe mandir jaana hai.
Sam: Thik hai chalo.
Phir yehlog Car se mandir jaate hai. Mandir mein puja kar yehlog wapas aate hai tabtak sablog uth chuke the.
Neha aur Soniya aake uske gale lag jaati hai par kuch bolti nhi.
Sam: Kya hua.
Dono: Kuch nhi. Bas aise hi dil kiya.
Ritika: Chalo jaldi se breakfast karlo.
Phir sabmilke breakfast karte hai.
Soniya: Aaj humare bhai ke liye lunch hum banayenge.
Sam: Aaj kuch hai kya jo aisa treatment mil raha hai.
Charo: Nhi kuch nhi hai bas humara man kar raha hai.
Sam ko shakk toh hota hai par woh kuch bolta nhi.
Phir breakfast karne ke baad Sam apne kamre mein chala jaata hai. Dopahar ko lunch ke baad sham ko Mahi aur Ritika usko leke Mall mein jaati hai uske liye achhe kapre leke usko leke Salon mein jaati hai. Waha usko taiyaar karwati hai phir khud taiyaar hoti hai.
Insab mein raat hojaati hai. Phir woh log ek 7 star hotel mein jaate hai jo SRM ka hi tha.
Sam: Ab toh bata do yeh sab kyo kar rahi ho tum dono.
Dono: Thoda sa aur wait karo. Sab pata chal jayega. Phir woh teeno hotel ke andar jaate hai.
Sam: Yaar tumsab subah se kuch na kuch kar rahi ho. Phir aise taiyaar karwa ke yaha hotel mein laana. Aakhir ho kya raha hai aaj.
Dono: Achha aaj kya hai tumhe sach mein nhi pata.
Sam: Nhi kya hai aaj.
Ritika: Baby thoda toh socho.
Sam: Yaar subah se soch raha hu kuch nhi pata. Aur yaha itna andhera kyo kiya hai.
Dono: Thik hai tum yaha pe bas 2 mins khade raho. And that’s an order.
Sam: Yes Ma’am.
Phir dono Sam se thoda durr jaake khadi hojaati hai.
Dono: Sam are you ready.
Sam: Bahot derr se.
Tabhi waha light jal jaati hai aur Sam jab saamne dekhta hai toh Mahi aur Ritika waha pe khadi thi.
Dono: HAPPY BIRTHDAY SAM.
Sam pahle toh bahot shock hota hai. Phir apne aap ko shant kar unke paas jaata hai.
Sam: Yeh sab kya hai.
Dono: Dono uske gale lagte hue. Tum apna birthday bhul sakte ho. Par hum nhi bhul sakte. Happy Birthday Dear Husband.
Sam: Thank You dear wife’s. Par tumdono ko pata hai naa main apna birthday nhi manata. Sirf dadaji mera birthday manate the. Unke baad maine kabhi nhi manaya.
Dono: Hum jaante hai Sam. Par ab tumne unka badla le liya hai. Isiliye ab tum apna birthday celebrate karoge. Pleaseeeeeeee.
Sam: Tum dono ke liye toh jaan haazir hai phir yeh kya hai. Jaisa tum dono chahogi waise hi hoga. Khush.
Dono: Usko kiss karte hue. Bahot khush. Chalo ab cake kaato.
Phir Sam dono ka haath pakad ke cake kaat ta hai aur unko khilata hai. Woh dono bhi usko khilati hai.
Dono: Chalo ab dance karte hai.
Phir teeno thodi der dance karke dinner karte hai.
Sam: Mahi Ritika Thank You so much.
Dono: Isme Thank You Kaisa Sam. Tum humari zindagi ho. Aur Zindagi ke muh se Thank You achha nhi lagta.
Sam unko apne seene se laga leta hai. Aur bolta hai.
Sam: Main bahot khushkismat hu jo tum dono meri zindagi mein ho.
Dono: Tum humare zindagi mein ho yeh humari khushkismati hai. Thank You for coming in our life Sam.
Kuch der aise hi gale lage rehne ke baad.
Sam: Ab ghar chale.
Dono: Hmm chalo.
Phir teeno ghar jaate hai. Jab ghar pahonchte hai toh waha pe Neha Soniya Riya Ritu jaage hue the.
Jaise hi woh teeno ghar mein enter karte hai tabhi Happy Birthday Sam bolke sab chilla uthte hai.
Neha aur Soniya bhaag ke aake Sam ke gale lag jaate hai. Happy Birthday Bhai.
Sam: Thank You didi.
Phir Riya aur Ritu aake gale lag jaate hai. Happy Birthday Bhaiya. Happy Birthday Jiju.
Sam: Thank You. Ritu tum kab aayi.
Ritu: Jiju woh Neha didi mujhe yaha leke aayi.
Sam: Achhi baat hai. Toh ab kuch din yahi rehna.
Ritu: Bilkul.
Ritika: Ritu apni didi se nhi milegi.
Ritu Didi bolke uske gale lag jaati hai. Phir Mahi ke gale lag jaati hai.
Neha: Bhai chalo dinner karlo.
Sam: Didi abhi abhi dinner kiya hai.
Soniya: Aur humne jo itne pyaar se banaya hai uska kya.
Sam: Ab aaplogo ne itne pyaar se banaya hai toh khaana toh hoga hi.
Phir Sam unka man rakhne ke liye unke saath thoda khaa leta hai. Phir apne apne kamre mein chala jaate hai.
Sam: Kaal Singhaniya ka kaam hogya.
Kaal: Yes Sir. Bas thodi der pahle hi complete hua hai.
Sam: Okk. Uski biwi ghar mein aajaye uske baad dekhenge.
Kaal: Okkk Sir.
Phir Sam Mahi aur Ritika ke saath chipak ke so jaata hai. Neha Soniya ke saath uske room mein chali jaati hai. Riya aur Ritu eksaath so jaate hai.
 
Top