• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Hawas aur Badla (completed)

Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
Update 17
Natasha: Isse kya hua jo itni khush hogyi.
Akash: Aree chahe kuch bhi ho yeh khush hai yehi bahot badi baat hai.
Natasha: Haa bhai aap toh bolenge hi. Aur aapko inki har baat jo achhi lagti hai. 2 saal se inse pyaar karte hai ab toh boldijiye kahi aisa naa ho koi aur isse le jaaye.
Akash: jisne bhi iski taraf dekha usko jaan se maardunga.
Natasha: Toh jald se jald bol do bhai.
Akash: Thik hai aaj raat ghar mein jo party hai usme aaj propose kardunga.
Kajal: Bahot achha hai.
Akash: Haa but koi kuch nhi bolegaa. Surprise dunga.
Teeno: Sureee.
Ritika jab Class mein jaati hai tab Sam waha pahle se tha. Woh jaake uske bagal mein baith jaati hai aur pyaar bhari nazro se usse dekhne lagti hai aur usse thoda chipak ke baith jaati hai.
Par Sam usko ignore karne ki puri koshish karta hai.
Tabhi Natasha waha aajati hai.
Natasha: Ritika tumne kaha tha recess ke baad.
Ritika: Oo Sorry.
Sam waha se jhatt se uth jaata hai aur dusri bench pe jaake baith jaata hai par Natasha issbaar uske bagal mein jaake usse chipak ke baith jaati hai.
Ritika ko Sam ki harqat dekh hasi toh bahot aati hai par Natasha ki harqat dekh usko bahot gussa aata hai aur man mein bolti hai.
Ritika: Kamini meri pati se kaise chipak kar baithi hai aur yeh bhi mauke ka faiyda utha raha hai. Ekbaar iski narazgi durr hone do phir dikhati hu. Par abhi kya karu kaise durr karu iss kamini ko Sam se. Haa Mahi ko bolti hu ab wohi kuch karegi.
Ritika jhatt se Mahi ko call karti hai.
Mahi: Boliye Ritika ji.
Ritika: Mahi yeh kya london mein bhi ladkiyon se chipakta rehta tha.
Mahi: Nhi toh kyu.
Ritika: Toh yaha kyo chipak ke baitha hai uss kamini Natasha se.
Mahi: Kyaa uski itni himmat. Main abhi aati hu. Abhi toh class start hone mein time hai.
Ritika: Jaldi aao. Mujhse sehan nhi horaha hai. Kal hi pati bana aur aaj kisi dusre ke saath. Ek baar narazgi khatam hone do phir dikhati hu isko.
Mahi: Haa chorenge nhi.
Ritika call cut kardeti hai. Aur pichhe mudd ke Sam ko dekhti hai toh woh has has ke baate kar raha hota hai. Aur uska haath Natasha ki chut ke paas hota hai Jisse Ritika ko bahot gussa aata hai.
Tabhi Sam achanak uth khada hota hai aur dusre bench pe jaake baith jaata hai.
Natasha uske aise achanak uth jaana samaj nhi paati. Ritika ko bhi samaj nhi aata. Par jab woh Sam ki nazro ka pichha karti hai tab pata chalta hai ke kyo Sam achanak uth gaya.
Kyoki class ke andar Mahi enter kar rahi thi jisko dekhte hi Sam uth ke dusre taraf baith gaya. Mahi ko dekhte hi Ritika ke chehre mein muskurahat aajati hai.
Mahi: Kya kar rahe ho Sam.
Sam: Kuch nhi bas baitha hu. Tum yaha kaise.
Mahi: Main tumko dekhne aagayi kahi tum bhatak toh nhi rahe ho naa.
Sam: Main samjha nhi.
Mahi: Ghar mein sab samjha dungi chinta mat karo. Agar phir kabhi aisa karte dekha naa toh.
Sam: Samaj gaya. Main durr hi rahunga. Par woh mere paas aake baithi thi.
Mahi: Aur tumne mauke ka faiyda uthya rightt.
Sam ki bolti band hogyi.
Mahi: Ab chup chap jaake Rishi ke bagal mein baitho. Mujhe next time nhi dikhna chahiye.
Sam: Okkk.
Mahi waha se jaate waqat Ritika ko sabse chupake aankh maardeti hai.
Ritika ki toh hasi hi nhi rukh rahi thi. Natasha Sam ke paas aake.
Natasha: Kya hua achanak aise uth kyo gaye aur Mahi achanak kyo aayi.
Sam: Woh usse kuch kaam tha isiliye aayi thi. Achha main chalta hu Rishi ke paas class start hone wala hai. Yeh bol woh jaldi se uth ke Rishi ke paas jaake baith jaata hai.
Sam ki aisi ghabrahat dekh Ritika ki toh hasi rukh hi nhi rahi thi woh bahot mushkil se khud ko control kar rahi thi.
Phir class mein teacher aate hai aur padhane lagte hai. Par Ritika ka dhyaan toh padhai ki jagah apne pati par tha. Woh usko hi dekhe jaa rahi thi. Yeh chiz Akash, Karan aur Natasha bhi notice karte hai.
Class khatam hone ke baad Akash Ritika ke paas aata hai
Akash: Ritika agar bura naa mano toh ek baat puchu.
Ritika: Bina uski taraf dekhe. Haa pucho naa.
Akash: Tum tabse Sam ko hi kyo ghure jaa rahi ho.
Ritika thoda sa sakpaka jaati hai par confidence se answer deti hai.
Ritika: Aree nhi nhi. Main kuch soch rahi thi aur mera dhyan meri soch mein tha par meri gardan uski taraf hai isiliye tumhe aisa laga hoga. Aur waise bhi main usko kyo ghurne lagi. Woh kabhi mera achha dost hua karta tha par ab ek anjan hai.
Natasha: Achha tabhi ek anjan ki kasam pe usne Raghav ko maarna chor diya.
Ritika: Ab usne kyo chora yeh toh mujhe bhi nhi pata. Shayad kabhi humari dosti thi isiliye chor diya ho.
Akash: Choro iss baatko. Aaj mere ghar mein ek party hai aur tumko aana hai hai.
Ritika: Sorry Akash mujhe thoda kaam hai main nhi aapaungi.
Akash: Please aajana. 30 mins ke liye hi sahi but please aajana. Its a request. Mere saare dost aayenge aur tum nhi aaogi toh mujhe bura lagega.
Ritika: Okk. Main aajaungi. Ab khush.
Akash: Thank You.
Phir woh log apni seat pe aajate hai. Issbaar Ritika Sam ko ghurna band kardeti hai.
Classes ke baad Ritika Mahi se milti hai aur usse Sam ka haal batati hai. Dono bahot jor jor se hasne lagti hai Ritika jo itni der se control kiye hue thi woh control uska chutt jaata hai.
Phir yeh log ghar aate hai. Sham ko Sam thoda company ke liye akele hi nikalta hai.
Ritika bhi Akash ke ghar jaane ke nikalti hai.
Party raat ki taraf ki thi. Isiliye Ritika thoda late se nikli thi. Woh apni car se jaarahi thi tabhi jungle ke bich mein uski car kharab hogyi.
Aise car ke kharab hone se woh darr jaati hai woh apna mobile dekhti hai jisme network bhi nahi aaraha tha. Tabhi waha nashe mein dhutt kuch ladke aajate hai. Jinhe dekh Ritika aur dar jaati hai.
Woh ladke Ritika ko akela dekh kar uske paas aane lagte hai.
L1: Aree kya ladki hai hai. Ekdum doodh jaise safed.
L2: Kyaa baat hai madam. Iss waqat yaha kya kar rahi ho.
L3: Aree humara hi intezaar kar rahi hogi. Chalo le chalo isse aaj isse masti karenge. Bahot din hogye chut aur gaand maare hue.
Aur isko dekh kar toh lagta hai abhi tak seal pack hai.
Woh ladke Ritika kaa haath pakad lete hai.
Ritika chillane lagti hai.
L1: Yaha pe koi nhi aane wal madam. Bekaar mein chilla rahi ho. Humare saath chalo puri raat masti karenge.
Ritika: Choro mujhe.
L2: Aree tumhe kaise chorr de. Tumhe chor denge toh humare lund ko kaun shant karega.
Tabhi L2 ke sir mein bear ki bottle foot jaati hai.
Sab koi achanak hue iss humle se shock hojaate hai. Woh pichhe mudd ke dekhte hai waha Sam khada tha. Jo company se wapas ghar jaa raha tha.
Ritika: Sam. Mujhe bachao Sam.
Sam kuch nhi bolta bas unn ladko ko maarta rehta hai. Tab tak maarta hai jab tak behosh naa hojaaye.
Sam jab Ritika ke paas jaata hai toh Ritika uske seene se lag jaati hai.
Ritika: Thank you Sam. Thank You so much. Aaj agar tum time pe naa aate toh main kisi ko muh dikhane ke layak nhi rehti.
Sam: Chup karo. Aur ghar chalo.
Woh Ritika ko leke chup chaap apni car mein baith jaata hai. Pure Raaste woh koi baat nhi karte. Sam Ritika ko ghar drop kar deta hai. Aur waha se bina kuch bole chala jaata hai.
Ritika jab ghar mein enter karti hai tab uska phone bajta hai jisme Akash ka call tha.
Ritika: Hello.
Akash: Ritika kaha ho yaar. Kabse wait kar raha hu.
Ritika: Sorry Akash main nhi aa sakti. Meri car bich raaste mein kharab hogyi thi.
Akash: Kyaa. Abhi kaha ho tum bolo main aata hu tumhe lene.
Ritika: Nhi Tumhe aane ki jarurat nhi mera ek friend wahi se aaraha tha usne mujhe ghar drop kardiya hai. Isiliye abhi main ghar pe hi hu. Sorry.
Akash: Koi baat nhi. Kal college mein baat kar lenge.
Ritika: Haa okk byee.
Phir Call cut hojaata hai. Ritika apne kamre aake change karti hai aur Sam ke baare mein hi sochne lagti hai.
Ritika: Maine kabhi sapne mein bhi nahi socha tha mere uss behaviour ke baad bhi tum mujhe itna pyaar karoge. Pyaar toh main tumhe tab bhi karti thi par kya karu agar main uss waqat tumhara proposal accept karti toh tumhari jaan ko khatra hota. Ab main tumhe yeh kaise batau tumhare khud ke papa ne mujhe dhamki di thi ke agar maine tumhara proposal accept kiya toh woh tumko jaan se maar denge.
Main kaise apne pyaar ko aise marne deti. Isiliye maine ussdin woh sab kiyaa jisse tum bhale hi mujhe galat samjho par tumhari jaan bach jayegi. Maine socha tha tumse baad mein milke sab sach bataungi par tum toh apni Riti se naraj hoke yaha se chale gaye. Par ab mujhe koi majbur nhi kar sakta. Kyoki mujhe pata hai ab tumhe maarna koi aasan kaam nhi. Par main kaise tumhe yeh batau ke main bhi tumse utna hi pyaar karti hu jitna ke tum infact usse jyaada karti hu. Aur ab toh humhare bich ek aur rishta ban gaya hai. Pata nhi aur kitne din yeh duri sehni padegi.
Idher Sam apni powers se yeh sab kuch sunn leta hai jisse uski aankhe gusse se laal hojaati hai.
Sam: Rajesh Sharma tune mujhe dukh diya main kuch nhi bola mujhe rulaya main kuch nhi bola par tune meri Riti ko dukh diya usko rulaya. Ab teri zindagi ko main nark bana dunga. Tu maut ke liye tadpega par tujhe maut nhi milegi. I promise. Kaal uss MLA aur uske bete ki location kaha hai.
Kaal: Sir woh iss waqt apne ek godown mein hai jaha uska nakli medicine ka stock rakha hua hai.
Sam: Aaj usko uske kiye ki saza milegi.
Ritika Sam ke khayalo mein so jaati hai aur Sam nikal padhta hai apne kaam mein.
 
Top