• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Hawas aur Badla (completed)

Vk248517

I love Fantasy and Sci-fiction story.
5,706
17,759
189
Nice updates
 
aalu

Well-Known Member
3,073
13,028
143
Update 1
Ranjit apne time ka ek successfull businessman tha. Paiso ki kabhi koi kami nhi aayi. Ek khushmizaaz insaan the. Yeh apne bete ki buri aadato se humesha pareshan rehte. Unko laga agar zimedaari milegi toh thik hojayegaa isiliye unhone apne dost ki beti se iski shaadi karwa di.

Rajesh ek number ka aiyaas kisam ka insaan hai. Isko humesha se sirf paise aur ladkiyon ka nasha hai. Naa jaane kitni ladkiyon ki zindagi kharab kar chuka hai. Iska ek khash dost tha Abhay Singh. Dono saath mein har kaam karte. Par Rajesh ke paas Abhay se jyaada daulat thi jiske wajah se woh humesha Abhay ko nichha dikhata. Jab Abhay ki shaadi hogyi toh usne saare galat kaam band kardiye. Ab woh ek shareef insaan ban gaya hai. Isiliye Ranjit ko laga tha ke Rajesh bhi sudhar jaayega.

Sangeeta se shaadi ke baad usne pahle toh kuch naa kiya. Chup chup ke aiyaasi karta. Jiska pata Ranjit ko laga toh usne socha usne Sangeeta ki zindagi barbaad kardi.

Shaadi ke 1 saal baad Sangeeta maa ban gayi usne ek ladki ko janam diya Neha. Rajesh ko isse koi matlab naa tha.

Shaadi ke 1.5 saal baad Rajesh ne Sangeeta pe atyachaar start kardiya. Roj usko maarta,beizaat karta. Par Sangeeta ne kabhi kuch na kaha. Ek din Shraab ke nashe mein usne Sangeeta se jabardasti ki jisse uski aatma ko thes pahonch gayi. Par iske kaaran woh phir se maa ban gayi. Aur issbaar usne ek Ladke ko janam diya Sameer.

Ranjit ne jab Sameer ko dekha tab usse bahot khushi hui. Neha ko dekh kar bhi hui thi. Par Sameer ke aajane se uska vansh ab aage badhta. Idher Abhay aur uski biwi Ragini ko bhi ek beti hui Ritika.

Sangeeta jab bhi Sameer ko dekhti toh usko woh raat yaad aati jab Rajesh ne uske saath jabardasti ki thi. Isiliye woh Sameer ko uske saath hui jabardasti ki nishaani maanti thi. Sameer ke 1 saal hone ke baad Sangeeta ne Rajesh ko divorce de diya. Court ne 2 bachho ko divide kardiya. Jisse Neha Sangeeta ke paas aati aur Sameer Rajesh ke paas.

Sangeeta ko Sameer se koi matlab naa tha. Usko laga tha yeh bhi apne baap ki tarah hi hoga. Isiliye woh Neha ko leke apne ghar aagayi.

Ranjit bhi dukhi tha but ek khushi thi Sameer uske paas tha.

Rajesh ne divorce ke 2nd day hi Reshma se shaadi karli jiske saath yeh roj apni hawas mitata aur shaadi bhi hawas mitane ke liye hi ki thi. Reshma ne aate ke saath saath Sameer ko torcher karna start kardiya. Usko khaana nhi deti. Choti choti baat pe marti. Aur humesha apne kamre mein hi padi rehti.

Ranjit ne ek maid ka intezaam kiya jo Sameer ka khayal rakhti. Aur usne Abhay aur Ragini ko keh ke Ritika ko Sameer ke saath khelne ke liye bula liya. Ritika aur Sameer roj ek dusre ke ghar jaake khelte rehte.

Time aise hi nikalta gaya. Rajesh aur Reshma ki ek beti hui Riya. Rajesh bhi Sameer ko maarta rehta. Apna saara gussa bina wajah Sameer pe utarta.

Ek din Ranjit kisi kaam se bahar gaya tha jab woh wapas aaya tab dekha Sameer ke haath mein chott lagi hai aur khoon nikal raha hai aur woh ro raha hai. Ranjit ne Reshma ko bulaya jo apne kamre mein phone pe baate karrahi thi.

Ranjit- Kya tumhe sunayi nhi deta Sameer kabse ro raha hai. Aur usko chott lagi hai.

Reshma- Main apne kamre mein phone pe baate kar rahi thi shayad isiliye sunayi nhi diya. Aap tension naa lo main abhi dekhti hu.

Yeh bol Reshma Sameer ko room mein le gayi. Jaha usko dawaayi lagane ke bahane usko maarti aur uski chott pe daba deti. Jisse Sameer aur rone lagta. Yeh sab Ranjit chupke dekhta hai.

Ranjit- Mere jaane ke baad yeh haiwaan Sameer ko jaan se maar denge. Mujhe kuch karna hi hoga.

Usne apna phone nikala aur apne dost ke bete ko jisse usne apna beta maana hai usko call lagaya.

Thodi der mein woh ghar aata hai.

Ranjit- Ashok tumhe maine yaha ek jaruri kaam se bulaya hai.

Ashok- Kahiye na uncle kya kaam hai. Main woh kaam jarur pura karunga.

Ranjit- Tumhe meri jo yeh property hai usko Sameer ke naam karni hai. Aur woh secret property bhi. Kyoki ab Sameer hi mera badla le paayega. Rajesh se toh mujhe ab koi bhi umeed nhi hai. Kal agar mujhe kuch hogya toh yeh haiwaan uss bachhe ko maar denge.

Ashok- Thik hai uncle main kardunga.

Ranjit- Tum abhi uss secret property aur badle ke baare mein kisi ko kuch mat batana sahi time aane pe tum khud Sameer se milke usse sab batana aur abhi ke liye yeh property usko naam karo. Aur aisa rule banao ke agar kisi bhi tarah Sameer ko kuch hota hai toh saari property trust ke paas jayegi aur agar Sameer ne apni marzi se kisi ko diya toh alag baat hai.

Ashok: Thik hai uncle main dekh lunga.

Phir Ashok waha se chala jaata hai.
Majboor baap bete kee aaiyashio ko sudharne ke liye vivah karwaya lekin natija ulat usne ek aur zindagi barbad kar dee.
Sangeeta ke saath bura kiya rajesh ne, ussi zyadti ka natija sameer. Lekin ek maa kaise us aulad se nafrat kar shakti hain jisko usne 9 mahine paal posh ke janm diya hain.

1 saal ke bachhe ka bhavishya koi kaise bata shakta hain, wo toh kachhi mitti hain jis rang mein rangoge ussi aanurop dhal jayega, lekin sangeeta nafrat mein andhi thee, apne pati ke nafrat uss bachhe se nikala, aur koi bhi court 1 saal ke bachhe ko kaise uski maa se alag kar shakta hain, ek navjaat bachhe ko har surtehaal mein uski maa ko saunpa jata hain. Yeh samajh se pare hain.

Maa-baap ke nafrat ka natija us bachhe ne chukaya, jo jyadtiya uski maa ne sahi usse kahee jyada us masoom ko sehne ko mila, kya kabhi palat ke dekhne ko man nahin kiya itne saal mein, kaisi maa hain.

Ekmatra humdard uska dada, apne baad bhi uska intejam karta chala gaya, lekin us bachhe ko un haiwano se kaun bachaye, usse toh na property se matlab hogi us umra mein, toh sehne ke liye chhor diya.

Khair rajesh kya jawab deta hai jab usse maloom hoga kee uske aaiyashio ka sadhan ussse chhin jayega.
 
Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244

Dekhte hai aage kya hota hai
 
Top