• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Horror Haunted ~~ " Game Of Rings " {Trilogy End}

In this trilogy series, for the readers what will be their favourite one?

  • Total voters
    29

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
This is the story i wish to finish, with so many things left to write when things ended in XP. Due to shortage of time i couldn't able to keep up with this one. But i would love to write and finish this one, though i don't have any backup of this one and i tried a lot but couldn't get so i decided to write again. The update will not be regular but i will try my best.

Ye kahani un viewers aur readers ke liye hai jinhone is part ki pehli 2 kahani padi hai.

Part 1 - Haunted (Tujhe Pyar karun to kaise ??) (PDF LINK - https://mega.nz/file/SxNR1SgS#rDb3cJET5V3XapK2VoGsZJ_nqOKc22BqG2yVcxEX3JY)
Part 2 - Haunted ~~ Dead Evil Returns (PDF LINK - https://mega.nz/file/K9UBhCYS#_lHNwaPCUcbgCk9RkcFH3ZvykGzv1HPk2x3CvjiKhVc)

This time this one for all the old friends which i met and they are doing well in their life. Cheers, enjoy the story everyone.

PDF For This Story :

Last edited:

Indrajeet

Active Member
822
1,568
138
" ye hai amba mata ? " uske muh se bas yahi nikla. Unhe dekhte hue shreyas ne bahar khadi anshika ko ek baar dekha aur phir amba mata ko dekhte hue panditji ko, hairan pareshan jaise vo ankhon hi ankhon mein puchna cha raha tha ki ye kaise ho sakta hai. Vo uske samne ankhein khol jinda laash jaise laiti hui thi bas sansein chal rahi thi. Chehre par kafi juriyan padh chuki thi aur kamjori ke chalte vo andar dhans chuka tha, baal bilkul safeed palang par piche ki taraf padhe the.

" shreyas kya hua ? " anshika ne bahar se hi awaz lagai.

" anshika " use samajh nahi aa raha tha ki kya kahe.

" mene tumhe pehle hi kaha tha matta tumhari madad nahi kar payegi beta " pandit ne uski dasha dekh kaha.

" nahi panditji, lekin mujhe kuch sahi nahi lag raha, ye amba matta kaise ho sakta hai ye to is desh ki nahi lag rahi " man ki duvidha ko usne apne sawal mein puch hi liya.

" matlab ? " pandit ke jawab dene se pehle anshika sawal liye andar aa gayi aur jaise hi usne palang par laiti amba matta ko dekha to use shreyas ki baton ke piche ka matlab samajh aya. Pandit anshika ke vahan akar khade ho jane tak chup raha aur jaise hi vo vahan aa khadi hui tab vo bola.

" desh se kya hota hai beta bhakti ka bhav man mein hona chahie "

" nahi panditji aap samajh nahi rahe matlab vo ladka inka beta kaise ho sakta hai? " shreyas abhi bhi pareshan tha.

" kyun nahi ho sakta aur tum us ladke ke bare mein itna kyun puch rahe ho? "

" vo ladka mera bhai tha panditji " is baar hairan aur pareshan hone ki baari pandit ki thi.

" tha? "

" han.. vo " shreyas ek pal ruka aur kaise bataiye ye sochne laga " vo ab nahi raha "

" mahadev, mahadev bhagwan uski atma ko shanti de "

" panditji aap mere sawal ko shayad abhi tak samajh nahi paye hai, kya apko pakka yakken hai ki mera bhai yani vo ladka jo shilpi maa lekar gayi thi vo amba matta ka hi beta tha? " shreyas ki pareshani pandit samajh raha tha lekin jo use malum tha vo vahi bata raha tha, vo phir use wahi baat kehne wala tha lekin

" shreyas.. " anshika ki awaz sun pandit bola kuch nahi aur uske ishare ko dekhte hue usne apni nazar palang ki taraf dali jahan amba matta laiti hui thi. Aaj itne salon baad usne ek chamatkar dekha tha " mahadev, mahadev " amba mata ka hath hilte dekh pandit bola aur tabhi eka-ek unhone apni ankhein band kar li. Anshika ne shreyas ka hath pakad liya.

" hari om hari om, matta ko kya hua kahin unki sansein to nahi band ho gayi? " pandit khud se sawal karta hu aage badha aur usne unki naak ke aage apni ungli rakhi ye dekhne ke liye ki vo sans le rahi hai ya nahi aur tabhi unhone ankhein khol di aur pandit ki taraf dekhne lagi. Pandit hairat mein ankhein khole unhe ghurne laga jo kaam itne salon mein nahi hua tha vo aaj ho chuka tha. Amba matta ki nazar pandit se hote hue shreyas pas ja ruki aur vo use dekhti rahi.

" harshit " pandit unke muh se vanni sun piche ho gaya. " har har mahadev amba matta " aur vo hath jod kar khada ho gaya. Shreyas ne awaz nahi suni thi kyun ki vo behad dhimi kahi gayi thi lekin use samajh aa chuka tha ki vo use hi dekh rahi hai. " harshit " is baar usne zor se kaha aur shreyas ke kano mein barabar vo naam pada.

" harshit? " shreyas hairat mein dekhne laga.

" harshit " vo bol kar uthna chahti thi lekin tabhi unki nazar anshika par gayi aur usi waqt vo ek pal ke liye besudh ho gayi mano jis chiz se vo dur bhagna chahti thi wahi unke samne aa khadi hui thi. Achanak se hi vo uth baithi aur palang ke piche ki taraf sikudne lagi. " ye nahi ho sakta, nahi ho sakta " vo bad-badane lagi. Pandit ke sath anshika aur shreyas dono hi ghabra gaye, aise halat ko dekh nidhi bhi andar aa gayi aur vo bhi drishye dekh dar gayi.

" matta kya hua apko? " pandit ne sambhalne ki kosish ki par vo nahi sambhali. " hari om hari om " vo ankhein band karke jaap karne lagi par agle pal ankh khol kar jab anshika ki taraf nazar ki to use dekh hairani mein nazar idhar udhar karte hue ek baar phir mantron ka jaap karne lagi aur apni chaddi hui sanson par kabu panne lagi.

" kaun hai aap? aur abhi apne harshit naam kyun liya? " shreyas ko jab laga ki ab vo uske sawalon ka jawab de sakti hai to usne apna sawal kiya " kaise janti hai aap shilpi maa ko? kya tha us khat mein jo aap batana chahti thi " usne agla sawal kiya to unki ankh se ansu utar aya aur vo shreyas ki taraf dekhne lagi.

" tum amba matta ko pareshan kar rahe ho vaise bhi na jane kya laye ho sath mein, jao bahar jao vo itne salon baad theek hui hai, unhe aram ki jarurat hai, vo tumhe dekh kar pareshan ho rahi hai " pandit ne shreyas ko bahar jane ka ishara kiya. Shreyas unse ladna nahi chahta tha lekin man ke sawalon ka jawab pane ke liye vo wahi khada raha is umeed mein hi jawa milega " mene kaha na bahar jao le jao apni patni ko bhi unhi ki wajah se amba matta itni ghabrai hui hai " pandit ne is baar shreyas ko bahar karne ke liye uska baju pakda par vo ruk gaya kyun ki shreyas ke puche gaye sawalon ka jawab dene ke liye amba matta bol padhi thi.

" tum harshit ki bete ho " uski baat sun shreyas hairani bhari nighaon se unhe dekhne. Mei unse kabhi nahi mila tha to kaise janti hai ye mujhe kahin shilpi maa ne to nahi bataya? par pehchana kaise? Man mein uth rahe sawalon ko vo bas pana chahta tha. Vaise bhi unka lehza alag tha, hindi ek dum saaf thi par lehza nahi.

" aap kaun hai aur itna sab kaise janti hain? "

" mei tumhare papa ko hi nahi balki us kahani ko bhi janti hun aur shayad tumne mera naam bhi suna hai lekin waqt ke bhanwar mein meri kahani ka dhayan kisi par gaya hi nahi kyun ki us raat kisi ne ye nahi socha hoga ki mere sath jo hua uska anjam ye hoga " shreyas ka dil zoron se dhadakne laga tha, vo ab bas janna chahta tha.

" mera naam Ambrosie jise pyar se tumhare papa Amb kehte the " naam sunte hi shreyas ki ankhein puri khul gayi, use laga mano kisi ne uske dil mein ek aisa sach bhar diya jise uska dil dhadakna hi band kar dega. Anshika ne bhi hairani mein muh khol liya aur uspar apna hath rakh liya.

" aap Amb yani amba matta " na jane kaise shreyas ke muh se nikla lekin ise jada hairan vo apni zindagi mein aaj tak nahi hua utna tab bhi nahi jab use malum hua tha ki vo anath nahi hai.

" Shilpi jo bacha le gayi thi vo mera hi beta tha, mene hi use diya tha aur mei janti hun ki vo ab zinda nahi hai " ek ansu phir unki ankh se utar aya.

" apko kaise pata ki bhai ab zinda nahi hai ? " shreyas ne galle mein kisi tarah apne thuk ko nigla jaise use is sach par bharosa nahi ho raha ho.

" usne bataya " vo behad dhimi awaz mein boli " usne bataya " awaz pehle se jada gehra gayi aur dhimi ho gayi.
Iskiiiiii.....,......bc itna bada twist......shreyas ka bhai shaitan ka beta tha...sala dimag hi ghuma diya is sach ne to
 
chintu222

Sab Moh Maya Hai
3,171
6,204
158
:yikes::yikes::yikes::yikes::yikes::yikes::yikes::yikes::yikes::yikes::yikes:
Kya update tha bcc...itna bada twist:eek::eek:
Amba mata...yani ki Amb...Meri Amb:bawl:....toh ye hai amba mata:shocked:
Yani ki Harsh Amb ka beta tha...:shocked2:
Iska toh yahi matlab nikalta hai ki uss raat uss kamre mein Amb ke saath jo ghatiya harkat hui thi..usi ka nateeja tha vo:speechless::speechless:
Harsh ek shaitna ka beta tha:speechless:
Sach mein hila dala iss twist ne:eek1:
Aaj toh kuch hai hee nahi kehne ko:sigh:
Waiting:shocked:
 
Last edited:

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,259
189
isme itni hairani ki baat nahi....
maine toh pehle hi bata rahi thi ki yeh harshit ki friend amb hain... :smarty:
joh gehu ke shath ghun pish jane jaisa yeh bhi phansh gayi thi us kapti bhut ke kabze mein.. [edited - actually 4 in 1 bhut :D].. aur amb sath us bhut joh kiya us raat ko.. . shayad usika natiza woh bachha (harsit 2)hai... lekin kya possible hai :D
jishne bataya amb ko ki ab uska beta zinda nahi hai woh ya toh woh bhut hoga jisne harshit se leke shreyas tak sabki naak mein dam karke rakha tha ya phir yeh bhutni joh shreyas aur aniska ke piche padi hain....
Khair let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skill harshit ji :applause: :applause:
 
Last edited:

GuptAbhishek

Member
275
593
93
" ye hai amba mata ? " uske muh se bas yahi nikla. Unhe dekhte hue shreyas ne bahar khadi anshika ko ek baar dekha aur phir amba mata ko dekhte hue panditji ko, hairan pareshan jaise vo ankhon hi ankhon mein puchna cha raha tha ki ye kaise ho sakta hai. Vo uske samne ankhein khol jinda laash jaise laiti hui thi bas sansein chal rahi thi. Chehre par kafi juriyan padh chuki thi aur kamjori ke chalte vo andar dhans chuka tha, baal bilkul safeed palang par piche ki taraf padhe the.

" shreyas kya hua ? " anshika ne bahar se hi awaz lagai.

" anshika " use samajh nahi aa raha tha ki kya kahe.

" mene tumhe pehle hi kaha tha matta tumhari madad nahi kar payegi beta " pandit ne uski dasha dekh kaha.

" nahi panditji, lekin mujhe kuch sahi nahi lag raha, ye amba matta kaise ho sakta hai ye to is desh ki nahi lag rahi " man ki duvidha ko usne apne sawal mein puch hi liya.

" matlab ? " pandit ke jawab dene se pehle anshika sawal liye andar aa gayi aur jaise hi usne palang par laiti amba matta ko dekha to use shreyas ki baton ke piche ka matlab samajh aya. Pandit anshika ke vahan akar khade ho jane tak chup raha aur jaise hi vo vahan aa khadi hui tab vo bola.

" desh se kya hota hai beta bhakti ka bhav man mein hona chahie "

" nahi panditji aap samajh nahi rahe matlab vo ladka inka beta kaise ho sakta hai? " shreyas abhi bhi pareshan tha.

" kyun nahi ho sakta aur tum us ladke ke bare mein itna kyun puch rahe ho? "

" vo ladka mera bhai tha panditji " is baar hairan aur pareshan hone ki baari pandit ki thi.

" tha? "

" han.. vo " shreyas ek pal ruka aur kaise bataiye ye sochne laga " vo ab nahi raha "

" mahadev, mahadev bhagwan uski atma ko shanti de "

" panditji aap mere sawal ko shayad abhi tak samajh nahi paye hai, kya apko pakka yakken hai ki mera bhai yani vo ladka jo shilpi maa lekar gayi thi vo amba matta ka hi beta tha? " shreyas ki pareshani pandit samajh raha tha lekin jo use malum tha vo vahi bata raha tha, vo phir use wahi baat kehne wala tha lekin

" shreyas.. " anshika ki awaz sun pandit bola kuch nahi aur uske ishare ko dekhte hue usne apni nazar palang ki taraf dali jahan amba matta laiti hui thi. Aaj itne salon baad usne ek chamatkar dekha tha " mahadev, mahadev " amba mata ka hath hilte dekh pandit bola aur tabhi eka-ek unhone apni ankhein band kar li. Anshika ne shreyas ka hath pakad liya.

" hari om hari om, matta ko kya hua kahin unki sansein to nahi band ho gayi? " pandit khud se sawal karta hu aage badha aur usne unki naak ke aage apni ungli rakhi ye dekhne ke liye ki vo sans le rahi hai ya nahi aur tabhi unhone ankhein khol di aur pandit ki taraf dekhne lagi. Pandit hairat mein ankhein khole unhe ghurne laga jo kaam itne salon mein nahi hua tha vo aaj ho chuka tha. Amba matta ki nazar pandit se hote hue shreyas pas ja ruki aur vo use dekhti rahi.

" harshit " pandit unke muh se vanni sun piche ho gaya. " har har mahadev amba matta " aur vo hath jod kar khada ho gaya. Shreyas ne awaz nahi suni thi kyun ki vo behad dhimi kahi gayi thi lekin use samajh aa chuka tha ki vo use hi dekh rahi hai. " harshit " is baar usne zor se kaha aur shreyas ke kano mein barabar vo naam pada.

" harshit? " shreyas hairat mein dekhne laga.

" harshit " vo bol kar uthna chahti thi lekin tabhi unki nazar anshika par gayi aur usi waqt vo ek pal ke liye besudh ho gayi mano jis chiz se vo dur bhagna chahti thi wahi unke samne aa khadi hui thi. Achanak se hi vo uth baithi aur palang ke piche ki taraf sikudne lagi. " ye nahi ho sakta, nahi ho sakta " vo bad-badane lagi. Pandit ke sath anshika aur shreyas dono hi ghabra gaye, aise halat ko dekh nidhi bhi andar aa gayi aur vo bhi drishye dekh dar gayi.

" matta kya hua apko? " pandit ne sambhalne ki kosish ki par vo nahi sambhali. " hari om hari om " vo ankhein band karke jaap karne lagi par agle pal ankh khol kar jab anshika ki taraf nazar ki to use dekh hairani mein nazar idhar udhar karte hue ek baar phir mantron ka jaap karne lagi aur apni chaddi hui sanson par kabu panne lagi.

" kaun hai aap? aur abhi apne harshit naam kyun liya? " shreyas ko jab laga ki ab vo uske sawalon ka jawab de sakti hai to usne apna sawal kiya " kaise janti hai aap shilpi maa ko? kya tha us khat mein jo aap batana chahti thi " usne agla sawal kiya to unki ankh se ansu utar aya aur vo shreyas ki taraf dekhne lagi.

" tum amba matta ko pareshan kar rahe ho vaise bhi na jane kya laye ho sath mein, jao bahar jao vo itne salon baad theek hui hai, unhe aram ki jarurat hai, vo tumhe dekh kar pareshan ho rahi hai " pandit ne shreyas ko bahar jane ka ishara kiya. Shreyas unse ladna nahi chahta tha lekin man ke sawalon ka jawab pane ke liye vo wahi khada raha is umeed mein hi jawa milega " mene kaha na bahar jao le jao apni patni ko bhi unhi ki wajah se amba matta itni ghabrai hui hai " pandit ne is baar shreyas ko bahar karne ke liye uska baju pakda par vo ruk gaya kyun ki shreyas ke puche gaye sawalon ka jawab dene ke liye amba matta bol padhi thi.

" tum harshit ki bete ho " uski baat sun shreyas hairani bhari nighaon se unhe dekhne. Mei unse kabhi nahi mila tha to kaise janti hai ye mujhe kahin shilpi maa ne to nahi bataya? par pehchana kaise? Man mein uth rahe sawalon ko vo bas pana chahta tha. Vaise bhi unka lehza alag tha, hindi ek dum saaf thi par lehza nahi.

" aap kaun hai aur itna sab kaise janti hain? "

" mei tumhare papa ko hi nahi balki us kahani ko bhi janti hun aur shayad tumne mera naam bhi suna hai lekin waqt ke bhanwar mein meri kahani ka dhayan kisi par gaya hi nahi kyun ki us raat kisi ne ye nahi socha hoga ki mere sath jo hua uska anjam ye hoga " shreyas ka dil zoron se dhadakne laga tha, vo ab bas janna chahta tha.

" mera naam Ambrosie jise pyar se tumhare papa Amb kehte the " naam sunte hi shreyas ki ankhein puri khul gayi, use laga mano kisi ne uske dil mein ek aisa sach bhar diya jise uska dil dhadakna hi band kar dega. Anshika ne bhi hairani mein muh khol liya aur uspar apna hath rakh liya.

" aap Amb yani amba matta " na jane kaise shreyas ke muh se nikla lekin ise jada hairan vo apni zindagi mein aaj tak nahi hua utna tab bhi nahi jab use malum hua tha ki vo anath nahi hai.

" Shilpi jo bacha le gayi thi vo mera hi beta tha, mene hi use diya tha aur mei janti hun ki vo ab zinda nahi hai " ek ansu phir unki ankh se utar aya.

" apko kaise pata ki bhai ab zinda nahi hai ? " shreyas ne galle mein kisi tarah apne thuk ko nigla jaise use is sach par bharosa nahi ho raha ho.

" usne bataya " vo behad dhimi awaz mein boli " usne bataya " awaz pehle se jada gehra gayi aur dhimi ho gayi.
Ohhhhhhhhh bhaiiiii amb pr to kisi ka dhyan hi nahi tha jese wo kahani me ho hi na meko tk yaad nahi thi ye (wese aa jati yad kyuki mene part 2 likhna start kr diya hai)

Anshika ko dekhne se wo itna dar gayi aam aadmi to aese bhoot ko nahi pehchan sakta

Amb the angrezan wo Ambe mata kese ban gayi varanasi kese aayi wo to abroad me rehti thi na uske pass powers kese aayi ki wo Anshika ko pehchan gayi or dar gayi
(Wese ye to aage k update me bta hi doge aap)

Sb yahi predict kr rahe hai ki harsh shaitan ka beta tha (ek mint amb harshit se pyar krti thi na shayad tbi usne name harshit se harsh rakha) meko v aesa hi lag ra hai magar iss story k start me shaitan kabristan se kisi kabr se nikla ek bacha jo chalte chalte bada ho gya iss scene ka kya mtlb hai ya to harsh shaitan ka nahi hai kisi or ka bacha hoga or shaitan k bache ko maar kr dafna diya hoga uske baad shaitan amb ko preshan kr raha hoga jisse bachne k liye amb varanasi aayi ho or fir dar k mare usne Shilpi ko harsh ko de diya ho ki wo inn sb se bach jaye

(Pta nahi sahi hai ya nahi bs lga to likh diya prediction)

Waiting for next update joki bhai aapne aaj hi dene ka bola hai to de do raat ka waqt hai padhne me mja aa jayega

Baki as usual keep writing keep rocking ?
 
Great rebu bhai..aap toh ek ek point mein ghus kar dete ho rebu
:bow::bow::bow::bow::bow::bow::bow:
Kaash aapka prediction sahe ho jaaye:perfect:
 
GuptAbhishek

Member
275
593
93
Ohhhhhhhhh bhaiiiii amb pr to kisi ka dhyan hi nahi tha jese wo kahani me ho hi na meko tk yaad nahi thi ye (wese aa jati yad kyuki mene part 2 likhna start kr diya hai)

Anshika ko dekhne se wo itna dar gayi aam aadmi to aese bhoot ko nahi pehchan sakta

Amb the angrezan wo Ambe mata kese ban gayi varanasi kese aayi wo to abroad me rehti thi na uske pass powers kese aayi ki wo Anshika ko pehchan gayi or dar gayi
(Wese ye to aage k update me bta hi doge aap)

Sb yahi predict kr rahe hai ki harsh shaitan ka beta tha (ek mint amb harshit se pyar krti thi na shayad tbi usne name harshit se harsh rakha) meko v aesa hi lag ra hai magar iss story k start me shaitan kabristan se kisi kabr se nikla ek bacha jo chalte chalte bada ho gya iss scene ka kya mtlb hai ya to harsh shaitan ka nahi hai kisi or ka bacha hoga or shaitan k bache ko maar kr dafna diya hoga uske baad shaitan amb ko preshan kr raha hoga jisse bachne k liye amb varanasi aayi ho or fir dar k mare usne Shilpi ko harsh ko de diya ho ki wo inn sb se bach jaye

(Pta nahi sahi hai ya nahi bs lga to likh diya prediction)

Waiting for next update joki bhai aapne aaj hi dene ka bola hai to de do raat ka waqt hai padhne me mja aa jayega

Baki as usual keep writing keep rocking ?
Or bhai ek saal ka b connection bahut bda hai isme ek saal pehle Anshika ne wo ring pehni hogi or kind of possessed hogi fir shreyass ko sapne v ek saal pehle se hi aate the ek saal pehle shaitan kabr se nikla jagkar ek saal pehle amb urf amba Mata iss condition me aayi
 
  • Like
  • Wow
Reactions: Naina and chintu222

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
" Shilpi jo bacha le gayi thi vo mera hi beta tha, mene hi use diya tha aur mei janti hun ki vo ab zinda nahi hai " ek ansu phir unki ankh se utar aya.

" apko kaise pata ki bhai ab zinda nahi hai ? " shreyas ne galle mein kisi tarah apne thuk ko nigla jaise use is sach par bharosa nahi ho raha ho.

" usne bataya " vo behad dhimi awaz mein boli " usne bataya " awaz pehle se jada gehra gayi aur dhimi ho gayi.

" usne kisne ? " shreyas ne sawal kiya aur vo chup hote hue sochne laga " bhai ne? par kaise " use apne hi jawab par bevkufi lag rah thi kyun ki vo kaise bata sakta tha.

" mere bete ne "

" mene bhi wahi kaha apke bete Harsh ne jiska naam shilpi maa ne rakha tha "

" vo shilpi ne nahi balki mene rakha tha " amb ne kaha to shreyas bas use ghurta raha kyun ki uske sawalon ke jawab ke piche naye jawab mil rahe the.

" par mei uski baat nahi kar rahi " vo bolte hue ruk gayi aur shreyas ko jaise apne kano par vishwas nahi hua.

" kya kaha apne? " usne baat samjhne ke liye dubara pucha.

" mujhe usne nahi bataya balki " vo chup hui aur apna sar aage kiya " usne bataya hai mere dusre bete ne " fusfusate hue vo boli aur ye sun shreyas ke rongte khade ho gaye. Ab use aisa laga jaise dil zoron se dhadakte hue dhire-dhire band ho raha ho. Hairan Anshika bhi utni hi thi kyun ki kahani se vo bhi utni hi vakif thi lekin shreyas jada pareshan tha kyun ki jo kahani vo itne lambe waqt se khoj raha tha uske ghere mein ek baar phir shilpi aa chuki thi jisne phir kuch chupaya tha.

" apka dusra beta ? " sawal anshika ne kiya to amb uski taraf nazre modh kar use ajeeb si nazron se dekhne lagi.

" vo jisne sabke sath tumhe bhi ghera hai " baat dil-dehla dene wali thi aur itni gambhir thi ki shreyas ki ankhein choti badi hone lagi mano jaise baton ko jodh raha ho lekin abhi bhi kahani uski pakad se bahut dur thi.

" amb " shreyas ne ek pal uska naam liya aur tez-tez sansein lete hue phir bola " kya aap hume batayegi ki kahani humse kyun judi hai? "

" pani chote pandit " shreyas ki baat sunne ke baad usne itna kaha to pandit tez kadmo se bahar gaya aur ek glass mein pani lekar vapis aya. " lijeye matta " glass aage badhaya jise amb ne hath mein liya, uske hath kanp rahe the jaise jaan bahut kam bachi ho. Phir usne glass ko muh ke uppar kiya aur dhire-dhire pine lagi, uske galle se utarta pani shreyas ki bechani badha raha tha. Use amb ka pii jane wala har ghunt ek sadi jitna bada lag raha tha. Pani pikar usne glass ko wahin ek kone mein rakha aur phir muh ko apni narangi rang ki pehni sarre se pocha aur phir shreyas ki taraf dekhne lagi.

" Na jane kitne saal beet gaye us baat ko par vo din aaj bhi ankhon ke samne hai " ek pal usne apne sine par hath rakha mano usme dard ho raha ho par agle pal dakar lekar vo theek ho gayi.

" mei apke liye falh latta hun bhook lagi hogi " pandit bol kar wahan se nikal gaya. Usko jatte hue teeno ne dekha phir amb ki taraf dekhne lage.

" Bangle mei us din jo bhi mere sath hua, shayad sabke liye veham tha, mere liye. Mehsus hua tha lekin use kuch aisa hoga is baat ka andesha nahi tha kisi ko aur na hi mujhe " amb ki ankhon ki putliyan sikudti aur phir badi hone lagti. " India se jane ke baad bhi mei us raat se kabhi bahar nahi aa payi, vo raat jaise mere sath har samay wahin sone lagi thi. Mene kai baar harshit se baat karne ki kosish ki par use baat nahi hui. Mene kai emails bhi kiye lekin uska koi jawab nahi aya aur dubara india ane ki kabhi himmat nahi hui lekin kehte hain na bura waqt kabhi apse puch kar apki zindagi mein kadam nahi rakhta " amb ne gehri sans khinchi lekin bolna shuru karti use pehle pandit kuch falh plate mein rakh kar le aya.

" matta falh "

" inke baithne ka prabhand kijeye "

" ji " pandit phir bahar gaya aur is baar bhi teeno use bahar tak jata hua dekhte rahe aur phir amb ki taraf dekhne lage jo falh ko dekh hath jod kar unka dhanywad karne lagi. Itne mein pandit teen lakdi ke stool le aya jispar vo teeno baith gaye aur pandit amb ke charnon ke pas niche zameen par.

" Phir ek din mujhe Shilpi naam se ek email aya jisme usne mujhe harshit ke bare mein bataya aur sab kuch bataya ki wahan us jagah par aur kya-kya hua, vo padh kar mei zor-zor se rone lagi aur na jane kab tak roti rahi. Na hi mere pas himmat thi us mail ka jawab bhejni ki aur na hi mene kabhi uske baad koi mail bheja, vo pehli aur akhri baar tha jab shilpi se meri email par baat hui. Waqt badne laga ab ye akela pan us raat ke alawa harshit ke sath hue hadse ko bhi mere dimag se jod baitha tha. Mei dhire-dhire apne dimag ka abhigya uska niyantran khud se khone lagi thi. Lekin kehte hain na kuch chizen theek karne ke liye hume kai faisle lene padte hain "vo phir chup hui aur pani ke do ghunt bhar kar glass wahin rakh diya. " Mene shadi kar li ye soch kar ki meri zindagi ke us dard ko mita paungi aur wahi hua aisa laga jaise meri zindagi ke vo pal kahin kho gaye hain. Badhte waqt ke sath bure aur purani yadein aksar man ke kone mein dab jati hai lekin vo tab bahar ati hai jab use koi yaad dila de " kehte-kehte amb ke shabd gehrane lage " mene ek sath do bachon ko janam diya jinhe uppar walon ne ek jaisi hi shakal pradan ki thi, hum bahut khush the lekin jis anhoni ko mei piche chhod ayi thi uski abhi shuruwat honi baki thi " amb ne shreyas ki ankhon mein ghurte hue kaha aur jaise shreyas ko kahani ki ek kadi mil gayi.

" Vo apka dusra beta vo.. vooo " shreyas ko samajh nahi aya ki vo apni kaise puri kari.

" shaitan ka sayan tha usme " amb ne uski takleef dur kar di " wahi sayan jo us bangle mein mere sath us din tha shayad mauka khoj raha tha aur vo mene shadi karke use de diya " itni chaunkane wali baat sun ek pal ke liye man mein dar jaise andar tak baith gaya ho aur is baar vo dar shreyas ke sath anshika ne bhi mehsus kiya.

" fir kya hua? matlab apko kaise pata chala ? " anshika ne ruk-ruk kar sawal kiya.

" Harsh se pata chala " vo bol kar ruk gayi.

" bhai se ? "

" han vo aksar kehta ki sam use roz tang karta hai raat mein aur use dar bhi lagta hai uske sath lekin bhala 4 saal ke bache ki baat ko koi kaise samajh sakta hai. Mene bhi uski baat par vishwas nahi kiya aur unhi dino mere pati ki mrityu ho gayi " vo bol kar chup hui aur hath jod liya " pramthma unki atma ko shanti de " phir usne ankhein kholi.

" Unke jane ke baad jaise mujhe harshit ki yaad aa gayi aur phir raat ko wahi sab batein dimag mein ghumne lagi. Ek raat aise hi mujhe nind nahi aa rahi thi to mei bachon ke kamre mein jane lagi, kamre ke bahar khade hokar mujhe laga jaise andar dono baat kar rahe hain. Mei darwaja kholti use pehle piche se kisi ne mujhe pakda. Mud kar dekha to vo harsh tha jo mere samne khada tha. Use vahan dekh kar samajh nahi aya ki jab vo bahar hai to andar sam kise baat kar raha hai, mene fauran darwaja khola, andar koi bhi nahi tha. Ye kaise ho sakta tha, mene piche ghum kar harsh ki taraf dekha to wahan ab koi nahi tha. Mene dono ko awaz lagai lekin kisi ne koi jawab nahi diya. Mujhe mere kadmo ki awaz bhi sunai dene lagi aur tabhi kamre ki khidki khul gayi aur hawaon ka rukh mere chehre par padne laga. Hawa ki wajah se mere baal udane lage, mene unhe theek kiya aur khidki ki taraf badhi aur use band kar diya. Khidki ka yun achanak khul jana sochne mein hi ajeeb lagta hai aur mei jaise hi piche mudi mere samne sam aa khada hua aur mujhe dekh chilla pada. Uski vo cheekh, vo bhayanak cheekh, vo kali moti putli jaisi ankhein mujhe aaj bhi yaad hai. EK bache ki awaz ke piche vo ek shaitan tha bahut bhayank shaitan. Mene jab apni band ankhein kholi to wahan koi bhi maujud nahi tha, mei dari sehmi kamre ke bahar jane ke liye badhi par tabhi darwaja apne aap band ho gaya. Dar jaise mere chehre par puri tarah bikhar chuka tha, mujhe aisa lagne laga jaise mei apne ghar par nahi balki usi bangle mein hun achanak piche se kisi ne mere badan ko chuha. Mei ghabrati hui piche mudi to harsh khada mujhe hi dekh raha tha. Usne mujhe kaha ki maa mujhe bacha lo vo mujhe pareshan kar raha hai, mene use pucha kaun vo lekin vo kuch nahi bol paya usne bas apni ungli se piche ki taraf ishara kiya aur jab mene wahan dekha to mere rongte khade ho gaye. Sam deewar par hath ke bal latka hua tha, uske purre chehhre par safed nishan bane hue the, honth khurdure aur chille hue the ankhein itni badi mano abhi bahar gir jayegi. Mene apne sath harsh ki bhi ankhein band kar li aur uske baad jab humne ankhein kholi to sam hume sota hua mila " amb ne apni kahani ko chote shabdon mein bayan kara aur sabhi ke chehre ki rangat kahin ud gayi. Vo aur vistar mein unke sath hui kahani ko nahi sunna chahte the, din ke ujale mein bhi dar jaise unhe khane laga tha.

" aise sirf ek bar nahi balki uske baad kai hadse hue, mei un hadson ko nazar andaz karne lekin jab mujhe ye pata chala ki mere pati ki mrityu dil ke daura padne se nahi balki use " vo phir chup hui aur usne thuk nigla " use sam ne mara tha " ye baat sun teeno hi chaunk pade. " mujhe bhi vishwas nahi hua tha lekin mujhe ek din safai ke dauran sam ke bed ke niche se kuch mila "

" kya ? " nidhi boli jo kafi der se chup thi.

" unke dil mein dale hue stent mile jo kuch waqt pehle dale gaye the. Mujhe jada der nahi lagi samjhne mein aur samajh gayi ki vo beta mera nahi hai vo shaitan ka ansh hai jisne mere jariye janam liya tha, jiske baad mein wahan nahi ruk payi aur india aa gayi " amb ke batane ke anusar vo shaitan amb ka beta sam tha lekin kahani abhi bhi kahin se khoi si hai, kuch adhura pan hai. Agar sam shaitan tha to amb harsh ko lekar shilpi maa se kaise mili aur kya shilpi maa ko in sab ke bare mein pata tha agar pata tha to kisi ko bataya kyun nahi? aur agar sam ke andar hi shaitan ka vaas hai to sam hai kahan? Shreyas ko abhi bhi uska aur sam ka koi bhi judav nazar nahi aa raha tha bas jo chehra vo khoj raha tha ki kaun hai vo use mil chuka tha.

" agar aap vapis ayi to sam kahan hai? Kya apne us shatian ko aise hi chhod diya aur agar chhod diya to usne apko kuch kyun nahi kiya? usne bhai ko khojne ki kosish kyun nahi ki aur sabse badi baat ki vo itne salon baad hi kyun vapis aya hai aur kaise aya mene to un shaitani ruh ka namo-nishan mita diya tha " shreyas ek hi sans mein apni baat keh gaya.

" tum abhi tak nahi samjhe, nahi samjhe " vo thoda aage khiski " sam ... vo .. " uski ankhein ghumne lagi aur vo behad dhimi awaz mein boli " vo zinda nahi hai " Shreyas aise piche hua jaise sach mein koi shaitan uski taraf badh raha tha.

" k.. .....kk...kyaa.. " atakte hue uske muh se bas itna hi nikla

" use mene khud apne hathon se mara hai " amb ne apni baat puri ki aur anshika ki taraf dekhte hue vo piche hokar baith gayi.
 
Top