• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller Gumshuda -Ruksanah Is Missing - includes adultery and incest in between (XFORUM EXCLUSIVE) COMPLETED

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,334
259
Update 5 Where Did Tariq Go?

Dsouza ne uss constable ko phone karke pucha ke Tariq kidhar gaya hai.

Constable bola,

“Are Sir yeh to ek jangal ka raasta le raha hai, kacha raasta hai main zindagi mein pehle kabhi bhi idhar nahin aya hoon. Bahot hi slow drive kar raha hai, sadak mein ghaass aur pathar, keechar, bhare hue hein mujhe bhi bike chalaane mein takliff ho rahi hai, aur mujhko wo dekh bhi raha hai rearview mirror mein, sochega ke main idhar kahan jaa raha hoon, lagta hai ab follow karna mushkil hoga sir ji!”

Dsouza: “Tum picha karna mat rokna, usske piche badhte jaana, ab to mujhe uss par ziada shak hone laga hai, kahin usski wife ki lash to nahin hein uss jangal mein kahin? Sunon keise bhi karke tum kissi parallel raaste se dekho agar ho sake to chhup chhup kar jao, aur dhire jaa raha hai to tum ruk jao, ussko aage badhne do tab baad mein jana, kar sakte ho ke nahin?”

Constable: “okay Sir haan karta hoon, abhi ruk gaya hoon…”

Dsouza: “are ruk kar mujhse phone par baat kar rahe ho aur tumne kaha wo tumko dekh raha hai nah mirror mein? To abe ullo ke pathe, ussko pata chal jaega ke tum kissi se baat kar rahe ho, ussko dikha kar baat kar rahe ho mobile par? dhat teri ki kia ghonchu log hein iss police thane mein yaar!”

Constable: “main ne uss se peeth kar liya sir!”

Dsouza: “Phir bhi ussko dikh raha hoga ke tumhare kaan se mobile laga hua hai, phone rakh! Aur kahin chhup kar baat karna mujhse, ussko nahin dikhna chahiye jab tum mujhse baat karo to samjhe?!”

Dsouza badbadaane laga khud se, “sala keisa lalloo hai ussko dikha ke mujhse phone par baat kar raha hai, jangal mein itne saare peyd hote hein ek peyd ke piche se nahin baat kar sakta tha…… magar jangal mein jaa kahan raha hai yeh Tariq?”

Dsouza ko Ruksanah ki office jaana tha tehkikaat karne magar ab sochne laga ke abhi Tariq ke baare mein jaanna ziada zaroori hai to kuch der baad phir phone kiya constable ko. Jeise ussne phone uthaya Dsouza ne kaha,

“kissi peyd ke piche chala jaa tab baat karna mujhse!”

Constable: “nahin sir abhi wo door hai, ek mod aya to main bilkool nahin dikh raha hoon usse”

Dsouza: “to sun ek kaam kar, tu ussko overtake karne ki koshish kar, tab ruk kar uss se baat karna…”

Constable: “Are Sir overtake karne ki jagah hi nahin hai yeh kacha sadak hai Sir ek gadi ki chawdaayi ki hai, ek aadmi chal kar bhi nahin jaa sakta overtake karne ke liye jagah hi nahin hai….”

Dsouza: “to tu usske car ke bilkool nazdik jaa, honk kar, ussko rok phir baat kar, kehna ke tu raasta bhatak gaya hai, uss se puchna ke wo raasta kidhar nikalta hai, uss se dosti kar, keh ke tu eise hi jangal mein ghumna pasand karta hai aur pehli baar udhar gaya hai, iss se pata chalega ke wo pehli baar udhar gaya ya uss jagah ko jaanta hai, agar jaanta hoga to tumko raah dikhayega, bataega ke udhar kia hai….. samjha tu?!”

Constable: “okay Sir aap phone mat karo ab main khud aap ko phone karunga.”

Aur Constable lag gaya kaam par. Ussne keise bhi karke apne bike Tariq ke car ke itna karib kiya usske piche ke khud Tariq ussko uss tarah se usske piche aate hue dekh kar car rok diya aur utar ke pucha,

“kia kar rahe ho bhai iss jangal mein aap bike par kahan jaa rahe ho?”

Constable ne haklaate hue bola,

“are sir ji samajh mein nahin ata kidhar jaun, aap ki car ko dekha to piche piche aane laga yeh soch kar ke aap ko raste ka pata hoga to aap ko follow karte hue main kahin pahchunga nah.”

Tariq: “to tum rasta bhatak gaye ho?”

Constable: “haan Sir ek khubsurat chidya ko follow kar raha tha wo udhte hue iss taraf aya to main iss sadak mein chala aya ussko follow karte hue phir pata nahin chidya kidhar chala gaya to door aap ki car dikhi jaate hue to aap ko follow karne laga ab pata nahin keise niklun!”

Tariq: “yeh rasta bandh hai aage, ek bada sa nadi hai, ek chataan ke upar se nadi guzarta hai, bahot khubsurat jagah hai dekhoge?”

Constable: “haan ji kyun nahin?”

Tariq:”to apne bike ko yahin chorr do mere car mein chalo mere saath.”

Constable ne wohi kiya. Bike ko ek peyd ke piche lock kiya aur car mein Tariq ke saath chala gaya. Tariq ne uss se pucha,

“kia karte ho life mein?”

Constable: “watchman hoon Sir”

Tariq: “to aaj watch nahin kar rahe ho?”

Constable ne apne dil mein kaha, ‘watch hi to kar raha hoon aap ko Sir’ phi jawaab diya,

“nahin aaj chhuti hai Sir to thoda ghum raha tha aur chidya dikh gayi!.... Sir, kitna kharaab rasta hai, car kharab ho jaegi eise kache sadak mein drive karne se, aap aksar ate ho kia idhar?”

Tariq: “5 saal baad araha hoon iss taraf, wo jagah bahot pyara hai mujhe, bachpan mein main apne baap ke saath aya tha tab se kayi baar aaya hoon, ek sukoon milta hai wahan, apni wife ke saath aya hoon do baar yahan ussko bhi yeh jagah passand hai….”

Aur koyi aadhe ghante ke slow drive ke baad wo jagah aya jisska zikr Tariq ne kiya tha. Ek bridge tha, uss bridge ke paas car roka aur ab bridge ke niche bade baade pathar the, chataan the, uss ke beech ek nadi behta hua dikh raha tha, aur bridge ke side mein kuch stairs the jiss se niche utra jaa sakta tha to Tariq niche jaane laga constable ko piche aane ka ishara karte hue.

Niche utar kar chataanon par chalte hue, nadi ko cross kiya Tarik ne aur constable ne bhi follow kiya aur wahan se upar bridge ko dekha aur car park kiye hue nazar arahe the niche se…. Tariq aguey badhta gaya jiss taraf nadi behte hue jaa rahe the to constable ne pucha ke kidhar jaa raha hai tab Tariq ne kaha,

“aaguey ek jhadna hai, hum jhadne ke upar hein abhi, jhuk kar jhadne ko dekh sahte hein aao dekhna….”

Jagah kuch khatarnaak dikh raha tha, darr sa lag raha tha. darrte hue constable aaguey badha magar usski himat nahin thi ziada aguey badh kar jhadne ko dekhne ko, ussko oochaayi se chakkar ata tha, magar Tariq chala gaya aakhri kone tak aur chataan ki uss hisse par khada hua jisske niche jhadna girr raha tha, ussi nadi ke paani uss chataan se hokar niche ke taraf girr rahe the aur uss jhadne ki girne ki khatarnaak awaaz se hi jism mein ek darr paida hota tha. wahan khada hokar Tariq ne constable ko paas aane ko kaha magar ussne mana kiya yeh kehte hue ke ussko darr lag raha hai. Aur constable ne kaha,

“Sir aur ziada aguey mat jao sir girr jaoge bahot khatarnak jagah hai, agar wo pathar jiss par khade ho tut gaya to aap niche chale jaoge sahab….”

Tariq ne kaha,

“are pata nahin kitne hazar saalon se yeh chataan eisa hai yahan keise tootega? Niche dekho paani girr girr ke ek bada sa talab jeisa ho gaya hai niche, nadi ke andar ek aur jangal hai, paani ka rang kaala dikhta hai niche ao dekho to….”

Himmat karke constable thoda sa jhaankne gaya aur dekha ke bahot niche ko 300 metres niche tak paani girr raha hai jhadne ki roop mein aur sach mein niche paani kaale rang ka hai bahot gehra hoga wo niche wala taalaab jiss mein girte hue paani jama hue hein. Jiss jagah se constable dekh raha tha ussne to 25% hi dekha. Ussko darr lag raha tha uss jagah se jaakar dekhne ko jahan sse Tariq dekh raha tha. ussne kaha,

“Sir agar maan lo kissi ne aap ko halke se dhaka diya to kia aap bach paoge? Niche girne se pehle hi aap ki maut ho jaegi… nah baba main to eisi jagah par phir kabhi nah aaun life mein!”

Tariq ne kaha,

“Tum ne to mera plan kharab kar diya, main to inn chataanon par ghanton bitata hoon, sota bhi hoon. Bahot araam milta hai yahan, ab tere vajah se mujhe wapas chalna hoga, chal nikalte hein phir.”

Donon waha se nikle, constable ne apna bike liya aur donon apne apne raaste nikle….. constable ne jaldi e Dsouza ko phone kiya

“Sir, wo uss jagah se nikal gaya wapas sheher ke taraf jaa raha hai.”

Dsouza: “tu uss se mila? Kia kiya ussne? kahan gaya tha jangal ke andar?”

Constable ne saari baatein bataaye Dsouza ko. Dsouza ne kaha,

“Tu wahin ruk bilkool nahin hillna main araha hoon mujhe uss jagah ko turant dekhna hai!”

Constable ghabra gaya aur khud se kaha, “sala mujhe uss jagah ke baare mein bolna hi nahin chahiye tha kyun bataya main ne, ab dobara usske saath wahan jana padega ofo mujhe uss darawni jagah phir se nahin jana yaar!!”

Dsouza aya, constable ne phir apni bike ko jangal mein chorra aur Dsouza ki car mein uss nadi ko dikhaane legaya. Nadi mein utarne ke baad Constable ruk gaya aur ishaare se dikhaya Dsouza ko jiss jagah par Tarik khada tha.

Dsouza uss chataan par khada hokar niche ke taraf dekhne laga, uss jagah dekhne laga jahan paani girrte hue jamah hote the, paani ka rang kaala hi dikh raha tha upar se. Dsouza ne apne jeb se doorbin nikala aur niche dekhta raha kaafi der tak…. Aur apna mobile nikala aur kahin call kiya. Constable sun raha tha aur suna Dsouza keh raha tha,

“hello yes send the helicopter squad with divers fully equipped, yes I can see three black dumping bags and I have a doubt they may contain anything, could be a dead body as well!”

Yeh sunkar Constable ke chehre ka rang badal gaya. Aur jab Dsouza ne baat end kiya to Constable dhire dhire chataan ke paas gaya aur niche dekhne ki koshish kiya aur pucha,

“usski patni ki laash hai niche kia sir?”

Dsouza: “thodi der mein pata chal jaega. Agar jawab haan hua to you will get a promotion, I promise you.”

Aur constable ne kaha,

“are tabhi to wo itne der tak niche dekh raha tha, ussko pata hai ke usski patni ki laash niche hai issi liye wo itne der tak wahan eise dekkh raha tha, dhat teri ki mere khopdi mein yeh baat kyun nahin aayi. Matlab ussi ne mara apne wife ko nah Sir, aur idhar laakar feink diya?!”

Dsouza: “bahot jald pata chal jaega, abhi divers ko niche utarne do, unn plastic bags ko baahar nikalne do tab nah pata chalega, aur agar uss mein usski wife ki laash nikle to ussko hatkadi mein tumhare haathon se pehenwaunga!

***************************************************

Koyi ek gante baad helicopter uss jhadne ke upar udh raha tha aur helicopter se commandos type kaale uniform mein divers mask pehne peeth par gas our oxygen kit baandhe, ek wire se niche uss kale paani mein utar rahe the. Jagah mushkil tha helicopter ko ziada niche jaane ke liye kyun ke khud uss jhadne mein ek aur jangal jeisa tha, bahot saare bade bade peyd vaghaira the….

Upar se Dsouza apne doorbin se niche dekh raha tha. Gotaakhor ke leader upar helicopter mein apne chief se baat kar raha tha Bluetooth ke through. Aur wo chief Dsouza se connected tha baat karte hue. Niche ke chief gotaakhor ne upar chief se kaha ke teen dumping bags hein aur teenon mein kate hue laash ke tukde hein. Yeh baat Dsouza ko uss chief ne bataya to Dsouza ne teenon bags ko upar laane ki order diye.

Rassi mein teenon bags ko baandha gaya aur upar khincha gaya, uss chataan par rakha gaya teenon bags ko.

Tab tak Panday bhi agaya tha uss chataan ke paas kuch aur thaane ke police walon ke saath.

Helicopter ka kaam pura hua to wo wapas chala gaya.

Dsouza ne apne naak par apne rumal dabaate hue Pande ko unn 3 kaale kachre wale bags mein se ek ko kholne ko kaha. Panday ne jeise pehli bag ko khola wo wahin behosh girr pada!

Dsouza ussko gaali dete hue, khud bag ko ziada khola aur ussko uss mein ek aurat ki chaati se sar tak ka hissa dikha, aur uss khubsurat jagah mein badbhu feyl gaye. Phir dusre aur teesre bag ko khola gaya, to dusre bag mein chaati se lekar taangon tak ka hissa tha, aur teesre bag mein taangein the.

Last do bags ke andar paani nahin ghusse the kyunke wo achi tarah se bandhe hue the magar pehli bag ke andar paani aur choti choti machliyan bhi mile jiss ne laash ki gosht ko noch liya tha kayi jagaon par aur hadiyan dikh rahe the, baaki ke bags mein lash ki chamri jeise dhanss gaye the aur gosht galne lage the jiss se bahot badhbhu aa rahe the.

Dsouza ne uniform dekh kar pehchaan liya ke wo Ruksanah ka hi laash tha jo pichle do mahinon se wahan para hua tha.

****************************************************

Postmortem ke liye hospital mein laash ki moaena kiya jaa raha tha aur Dsouza bhi haazir tha sabhi doctaron ke beech kyunke ussko sab ata tha, ussne pehle bhi kayi laashon ke postmortem kiye hue the.

Commisoner sahab ne Dsouza ke kehne par Tariq ko dusre police Inspector dwara giraftaar karwaya. Haath mein hatkadi, Tariq ko hospital laya gaya apni biwi ki laash ko pehchaanne ke liye, postmortem shuru hone se pehle Tariq ko Dsouza hi andar legaya, aur ruksana ke ungli se usski anguthi, usske kalaayi se usski ghadi, usski mobile, handbag sab Tariq ko dikhaya, aur tariq ne qubul kiya ke laash usski wife ki hi thi, aur koyi ho hi nahin sakta tha, magar Tariq ne sisakte hue kaha ke ussne nahin mara apni biwi ko.

Postmortem ke baad, police station mein jahan ki cell mein tariq bandh tha, Dsouza baat kar rahe the commissioner sahab ke sath.

Dsouza: “nahin Sir, yeh katal Tariq ne nahin kiya hai mujhe pakka yakeen hai.”

Commissioner: “Dsouza sahab yeh keise keh sakte ho aap? Yeh to saaf zaahir hai ke ussi ne kiya hai varna wo wahan kia karne jaata? Uss jagah ko kaun jaanta hai? Main khud aaj pehli baar uss jagah par gaya hoon mujhe to pata bhi nahin tha uss jagah ke baare mein, yeh keise wahan pahunch gaya thik jahan usski wife ki laash the?!”

Dsouza: “puch taaj ke baad pata chala ke wo bachpan se apne pita ke sath wahan jaya karta tha, aur baad mein apne wife ke saath bhi gaya hai kayi baar. Yeh pura itefaaq bhi ho sakta hai ke wo wahan pahuncha tha sukoon paane ke liye ya yun samajhiye ke ek shakti thi jo ussko wahan legaya tha, issko aap koyi bhi naam de dijiye, eisa hota hai, marne wale apnon ko apne taraf khinchta hai, Ruksanah ki rooh legaya tha Tariq ko uss jagah, iss bahane humko pata chala aur laash mili, laash ne khud humko apne taraf bulaya tha….. marne wale marne ke baad bhi ishara karta hai sahab main ne eise bahot saare cases dekhe hein….”

Commissioner: “okay to phir kia kiya jaaye tariq ke saath?”

Dsouza: “wo bekasoor hai, mujhe yakeen hai, weise abhi tak hamare paas koyi proof nahin hai ke khoon ussne kiya hai, ek bhi saboot nahin, laash mil jaane se yeh to prove nahin hota ke khoon kiss ne kiya, kissi ne ussko khoon karte hue nahin dekha hai…. Mujhe aur kuch waqt chahiye iss case ko anjaam dene mein aur main dekar rahunga aap befikr rehye, filhaal tariq ko azaad kar dete hein…. Ruksana ki body se semen mili hai kissi mard ki, she had sexual relationship before she was killed, uss se to pata chal jaega ke wo semen tariq ki hai ya kissi aur ki… aur phir mujhe kuch aur chaan bin karni baaki hai abhi…. iss mein kuch aur log involved hein jisske baare mein khud Tariq nahin jaanta.”

Commissioner: “rape hui thi kia usski?”

Dsouza: “complete forensic results abhi nahin aaye hein she was sodomised also, but consensual laga, haan thoda bahot chhina jhapti ke signs bhi dikhe hein mere khayal se ek se ziada aadmi ke saath thi marne se pehle, yeh ek aadmi ka kiya hua kaam nahin hai, her body has been cut with an electric grinder, then put into the bags, there must have been other people holding the bags and another person putting the body parts into the bags…. Khoon phukaar phukaar kar kehta hai sir…. Mujhe khoon ki traces talaash karni hai, kahan hua hai yeh murder, ek katra khoon ka to kahin gira hoga mujhe wahan tak pahunchna hai”

To be continued………..(2905 words)
 
Last edited:

Indian001

Active Member
1,102
6,330
143

Gajab bhai
Jhakaas update.
Bahut hi badhya. Shabash.
To ab dsouza ko yakeen hai k Tariq ne nahin kissi aur ne khoon kiya hai. Magar kaun?
Badhya jaega aur bhi ab kahani.
Behtareen update hai casi bhai:superb:
 
Nayan Radhee

Banned
773
5,607
123

Wow superb, fantastic.
Behtareen update bhai. Kia baat hai. Laash mil gayi magar khoon kiss ne kiya abhi nahin pata.
Kaun iss jagah ja sakta hai aur? Ruksanah ko Tariq legaya hai wahan ussne kaha. To Ruksana hi kissi ko wahan lekar gayi thi kia :hmm:
Panday behosh girr pada :lol:
Ab investigation aur bhi badhya hone wala hai. Aur jiada maja aega sab jaanne mein :yo:
Bahut badhya ja rahe hi bhai eise hi badhte chalo :claps:
 
Last edited:

Komal singh

Banned
293
2,983
123
Uff iss update ko padhke darr laga. Kissi k jism k itne tudke koyi keise kar sakta hai. Jallaad hoga koyi. Kasaayi kagin ka ussko saja jarur milni chahiye casi ji dhundo ussko
Main to samjhi husband ne hi mara par last mein dsouza ne kaha wo nahin hai to wo nahin hoga.
Agle update me dekhte hein ab kia hota hai
 
Husein Ali

Banned
510
4,753
123
Khatarnak update hai shah bhai!
Berehmi se mara gaya hai Ruksanah ko magar kyun? Kaun bata paega ab?
Body ki postmortem se pata chala ke sexual activities hue the aur male semen bhi mile hein to kaatil pahuncha asaan hoga. Great work from Dsouza. Bahot pohncha hua hai ye banda. Sab kuch pata hai usse.
Update dhamekedar tha bhai.
Tarik phir se bach gaya phir bhi mujhe uss par kuch shak ab bhi hai. Magar pata nahin ho sakta hai k main ghalat hoon.
Khair dekhte hein ab kia hota hai aage.
Bahut acha likh rahe ho aap. Shabash.
 
Savi

Banned
443
4,366
123
Behtareen update casi ji. Magar darauna tha ye update. Eise body k parts ko padhne se darr lagta hai. Main ne wo parts skip kiye. Posmortem bhi escape kiye magar sab samajh mein agaya, kuch eise samajh li jiye ke ek enkh bandh karke padha :laugh:
Bahut badhya likha hai aap ne fir bhi.
Tariq dusri baar reha hua :D
Ab forensic results ka intejar rahega aage badhne k liye. Dsouza mast kaam kar raha hai. Wo jarur kaamyab hoga asli katil ko pakarne me. :superb:
 
Top