• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Gods and Demons

just YES OR NO


  • Total voters
    318
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

Lovekillsyou

Active Member
649
2,715
124
Note- Update 177 hi 178 hain
 
Last edited:

Vipul

Well-Known Member
2,242
7,300
143
Yar poora din apke update ka intezar kero or agly din ap bol rahy ho update kal mile ga..aenda k bad yeh chutiya story perhne he nae hae..Bye
Agar yeh story itani hi bekar hain to pura din kis chij ka intezar karte hain aap ap jo bhi kaho story kafi achhi hain aur har koi story ke liye apane persional life to nahi chhod sakta na aur jay bhai time to time update dete hi hain na agar kuchh din late update dege toh isse kya hoga tab tak intezar kar lijiye na
 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,268
38,662
258
UPDATE 13

Kabir-ab tum sabhi yeh soul crystal lo. In primary soul crystals ko kafi achhe se rakhna apne paas. Jab tak tum sabhi ka soul force 500 tak nahi aata yeh primary soul crystals se ham sabhi apne apne soul force ko check kar sakte hai. Jab ham sabhi ka soul force 500 ke upar chala jayega tab hame intermediate soul crstal ki zaroorat hogi.

Kabir un soul crystals ko dete hue yeh baat sabhi ko keh raha tha.

Kabir jab un sabhi ko soul crystal de raha tha tab un 3 no commoners ke expressions kafi badal gaye the. Unke haat kaap rahe the.

Ham kaise itna expensive stuff le sakte hai?

Yeh baat un commoners mein se ek ne kahi thi. 1 primary soul crystal 1 thousand demon spirit coins mein aata hai. Un sabhi ki 2 years ki living expense bhi utani nahi hogi jitna Kabir unhe raha tha.

Haa! Ham itna expensive gift nahi le sakte.
Yeh baat dusre commoner ne kahi thi.

Tisre commoner ne bhi wahi kiya. Vo sabhi commoner student the. Umhone kabhi bhi aisa expensuve gift nahi liya tha.

Varun-yeh Kabir de raha hai toh le lo agar nahi lena chahte toh ham yeh sabhijh lenge ke tum sabhi ne hame kabhi bhi apna dost nahi mana.

Yeh baat varun ne thode deep voice mein kahi thi.

Varun bhi ek commoner tha par uske family ke paas ek prestige tha. Un 3 ne phir un crystal ko liya aur pane sir ko haa mein hilaya. Vo crystals lene ke baad unke dil mein Kabir ke liye respect aur bhi badh gayi thi.

Kabir, thanks, aaj se tum hamare boss ho. Agar aisa kuch bhi hamare liye karne layak hai toh tum sidha hame order do.
Yeh baat 3 no ne ek saath kahi thi. Unke dil mein ab Kabir ek aisa person ban gaya tha jisse ab koi bhi nikal nahi sakta tha.

Un 3 no ki baat sunkar Kabir ek face par ek smile aa gayi. Aise dost milne se ab Kabir jo bhi karne janewala tha uska kuch kaam ab halka hone wala tha in sabhi ke help ke wajah se.

Kabir-Varun tum test karo first. Same wahi karna jab ham school ke enrolment mein kar chuke hai.

Kabir ne Varun ko dekhte hue kaha.

Varun-thik hai.

Varun ne yeh kehte hue apne sir ko hilaya aur usne primary soul crystal ko apne haat mein utha liya. Usne slowly apne soul force ko us crysal mein dalne laga. Kuch der baad soul crystal shine karne laga. Aise hi uski shining badhti gayi. Us brightness ko dekhte hue pata chala raha tha ke 1-star bronze demon spiritist banne ke liye abhi bhi thoda waqt hai.

Sabhi us crystal ko dekh rahe the aur us crystal ke andar jo dots the unhe dekh kar vo bata bhi sakte the ke vo kitne hai. Har ek dot soul force ko represent karta hai.

Ravi-Varun tumne kafi fast improve kiya hai tumhari soul force toh 52 tak pohoch gayi hai.

Kabir us crystal ko dekh raha tha aur phir uske face par ek smile aa jati hai aur vo Varun se kehta hai.

Kabir-yeh toh tian lin soul sea hai saath hi iska form thundercloud form hai matalab yeh the lightning fire type hai.

Kabir apne man mein sochta hai.

Kabir-ab ismein koi shak nahi hai ke past life mein Varun ki practice speed baki sabhi se fast thi. Tian lin thundercloud form soul sea plus lightning fire type talent. Yeh toh best hai. Par agar yeh baat past life mein jaldi pata chali hoti toh uski strength 1-star gold rank se upar hoti.

Wahi Varun bhi Kabir ko kuch sochte hue dekh raha tha toh usne Kabir pucha.

Varun-yeh lightning fire type aur tian lin thundercloud kya hai ?

Kabir uske is baat par has deta hai aur aage batata hai.

Kabir-Red Orange Yellow Green Indigo Blue Purple yeh 7 type ke soul sea colours har per ke unique talents ko dikhate hai. Kuch soul sea easy rehte hai practice ke liye par kuch kafi hard hote hai. Wahi agar red soul sea ki baat kare toh vo bhi useless nahi hai.
As long as ham suitable technique ke saath practice karte hai toh red soul sea bhi kafi explosive power dikha sakta hai.

Kabir ki baat sunkar sabhi kafi achhe mood mein aa gaye the. Tabhi Kabir aage batane lag jaata hai.

Kabir jo bui soul sea talen ko ko level 3,6,9 se practice karta hai vo layman hote hai.
Sabhi Kabir ko yej baat sunkar hairan the ke jinhone Osian city ko create kiya vo sabhi layman the. Kabir aage kehta hai.

Kabir-Varun ka yellow soul sea lightning fire category se aur soul sea form tian lin thundercloud se belong karta hai toh uske liye most suitable practice lightning fire type ke technique aur inscription rahenge. Most suitable demon spirit The tian lin demon spirit hai. Agar conditions sabhi achhe rahe toh Varun ke achivements kafi extremely shocking honge. Agar vo koi different inscription practice karta hai toh uski speed kafi low rahegi.

Varun Kabir ki yeh baate sun raha tha usn kuch soch kar Kabir se kaha.

Varun- par Osian City ke lightning fire techniques incomplete hai saath hi jo recorded classics hai vo bhi ancient language mein hai….

Abhi Varun itna keh hi raha tha ke vo bich mein ruk gaya. Vo Kabir ko dekh raha tha jo uski baate smile karte hue sun raha tha.
Varun apne man mein kehta hai.

Varun-Are ha kabir toh library ke sabhi lightning fire holy scriptures ko read kar sakta hai.

Varun-tum class mein lightning and holy scriptures ke baremein baat kar rahe the. Kya tumhe koi aur bhi lightning fire technique pata hai ?

Varun ki baat sun kar kabir hasta hai aur kehta hai.

Kabir-ha pata hai mujhe.

Kabir- tumhe kisi bhi cheez ke baremein tension lene ki zaroorat nahi hai jab mein saath hu. Mere paas 69 chapters hai lightning fire techniques ke vo bhi sabhi strong hai.

Yeh keh kar kabir kuch sochne laga. Wahi baki sabhi usse dekh rahe the.

Kabir-Red thunder sky fire tactics? Nahi yeh technique kafi potent hai. Yeh kafi easily meridians ko hurt kar sakti hai jab practice karne lage tab….. phir tian tactics ? Yeh Varun ke physique ke liye suitable hai. But yeh inclusive of technique hai jise tian lin tactics ke creator ne bhi practice nahi kiya hua hai. Agar sab sahi raha toh first 9 level practice karne mein koi problem nahi hai but last ke 3 levels….

Kabir abhi soch hi raha tha ke Varun ne usse aawaz di.

Varun-Kabir….

Kabir uske aawaz dene se dhyan mein aata hai aur usse kenta hai.

Kabir- tum tian tactics learn karne wale ho. Jitna mujhe pata hai yeh top 3 lightning fire techniques mein se ek hai. Mein tumhe formula batata hu. Saath hi mein tumhe isse likh kar bhi deta hu.

Kabir Varun ko vo formula bata deta hai aur sochne lagta hai.

Kabir-Tian lin tactics ke 9 leve achieve karne bhi kafi shocking hoga rahi baat un last 3 levels ki toh ab vo Varun ki fate par hi depend karta hai.

Varun-mein ne isse apne paas record kar liya hai.

Yeh keh kar vo apne man mein usse kehne lagta hai. Jaise hi vo usse puri tarah se kehta hai uske aaspas ek energy ghumne lag jaati hai. Sabhi yeh dekh rahe the.jaldi hi Varun bhi apni aankhe khol deta hai jinhe usne band kiye hue the.

Varun shock mein tha kyonki yeh kafi strong technique thi. Vo Kabir ko dekhne laga uske dil mein ab Kabir ki jagah shayad hi koi aur kabhi le paaye.

Varun-Yeh kafi strong technique hai. Sirf apne man mein bolne se hi activate ho gayi saath hi mere soul sea aur soul force ko bhi kafi increase kar diya hai. Mein isse feel bhi kar sakta hu.

Kabir bhi usse kehta hai.

Kabir-agle kuch dino mein tumhe iska formula likh kar de dunga detailed mein har ek level ke saath.

Yeh sunkar Varun kafi khush ho gaya tha vo sochta hai.

Varun-Mein ab apne clan ki fate ko change kar sakta hu. Ab yeh possible hai. Agar mein achhe se tian lin practice karu toh kuch bhi problem nahi hai.

Kabir Varun ke face par aa rahi expressions ko samjh raha tha usse pata tha ke vo kya soch raha hai.

Varun-Kabir mein tumhare gift kiye hue tian lin tactics ko hamesha yaad rakhunga. Agar abhi bhi future mein tumhe meri zaroorat pade toh mein tumhare liye kuch bhi karne ko ready hu.

Varun ne apne man mein yeh faisla kar liya tha ke agar kabir heaven ke bhi khilaf jaayega toh vo uska saath dega.

Kabir uske iss baat par ek smile deta hai aur uske kandhe par haath rakhte hue kehta hai.

Kabir-aisi baat mat karo Varun ham sabhi best friends hai aur yeh toh sirf ek technique hai bas aur kuch nahi.

Tabhi inki aisi baate sunkar Ravi thoda gussa sa ho jata hai aur kehta hai.

Ravi-agar aisi baat hai toh friends sabhi fortune ko share karte hai.

Ravi-Kabir mere paas bhi toh red soul sea hai aur kya mein bhi soul power ko practice kar sakta hu ?

Kabir-Naturally har koi isse practice kar sakta hai. Even for red soul sea wala person bhi bas usse suitable technique practice karni hogi.

Yeh sunkar Ravi ka confidence badh gaya. Usne apne haat mein jo crystal tha usse pakad liya aur apne energy ko control karte hue usmein dalne laga.

Kuch der baad sabhi us crystal ko dekh rahe the usmein bhi ek small red cloud dikh raha tha saath hi kuch dots bhi.

Ravi sabhi ko dekhne laga jo usse dekh rahe the. Kyo ki usne kafi energy use kiya tha crystal par lekin jo cloud usmein form hua tha vo kafi small tha.

Ravi-tum sabhi pathetic ho.

Abhi vo aage kuch kehta ke Kabir ne kaha.
Kabir-Yeh toh red soul sea with chaos category attribute ke saath hai aur red sun form ke saath.

Kabir ki baat sunkar Ravi ke saath saath sabhi usse dekhne lage.

Kabir-Red sun form of soul sea kafi common hai par yeh wala chaos category ko belong karta hai jo 10 thousands mein ek baar aata hai. Tum chaos spirit technique practice kyo nahi karte.

Ravi-chaos spirit technique ? Kya vo strong hai.

Kabir uske baat par hasta hai aur kehta hai.
Kabir-ha aur vo lightning fire techniques ke saath top par aati hai. Waise bhi usse intensely practice Bjarne ki zaroorat nahi hai tumhe sirf apne andar ke body's of chaos force ko achhe se nurture karna hai. Yahi tumhare liye most suitable hai. Magar tum top level achieve karte ho ya nahi yeh tum par hai.

Yeh sunkar Ravi khush tha usne haste hue Kabir se kaha.

Ravi-nahi nahi mujhe top level nahi achieve bkarna mein toh 1-star silver demon spiritist bhi ban gaya toh bhi khush hu.
Ravi ki yeh baat sunkar Kabir sochne laga.
Kabir-mujhe nahi pata ke chaos spirit technique ka creator Ravi ke level ambition ke baremein sunega toh kaise react karega. Waise bhi The Chaos force body mein accumulate hota hai. Uski practice speed bhi kafi fast hoti hai Ravi ke liye yeh impossible hai silver level tak hi khud ko maintain rakhna.

Ab un 3 commoners ki baari thi Kabir ne unhe bhi test kiya aur unhe ek suitable technique bata di. Vo lightning fire technique aur Chaos spirit technique ki taraf powerful nahi thi par normal technique se kafi powerful thi.

Kabir ab apne haat mein liye hue crystal ko dekh raha tha aur kuch soch raha tha.
Kabir- kya mein bhi apne aap ko test kar lu par mere andar toh vo white soul sea hai jsike baremein shayad hi kahi kuch information ho saath hi mere soul force ki energy kafi pure hai .yahi toh baat hai ke abhi tak mein apne soul force tak ko samajh nahi paya hu. Meri past life mein mere paas Red soul sea tha tha saath hi mein ne bohot se galat techniques ko practice kiye hue the. Par ab shayad baat alag ho lekin…..mein dekh leta hu apne energy test kar ke.

Yeh soch kar Kabir ne apne energy ko us crystal ke andar. Jaise jaise Kabir us crystal mein apni energy daal raha tha waise waise vo crystal white colour mein chamak ne laga tha.

Sabhi yeh dekh kar shock ho gaye the kyo ki unhone kabhi bhi aise colour vke soul sea ke baremein nagi suna tha yaha tak ki kisi bhi records mein iske baremein unhone padha tha toh kabir ke ke paas yeh Aisa soul sea kaise aaya.

Yaha kabir phir se apne andar kahi gum ho gaya vo apne andar ek bohot hi powerful soul sea ko feel kar raha tha aisa soul sea usne kabhi bhi feel nahi kiya tha usse bas har jagah white colour ki energy hi dikh rahi thi.
Excellent update bro
 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,268
38,662
258
UPDATE 14

Us white colour ki sirf Kabir ke andar hi nahi balki vo uske bahar bhi dikh rahi thi aisa kuch bhi bakiyon ne kabhi bhi dekha nahi tha ke tabhi kabir ke body mein se ek energy wave nikal kar har jagah failti chali gayi wahi city lord aur vi VIP jo institute mein aaye hue the vo kisi baat par charcha kar rahe the ke unhe us wave ne halka sa hit kar diya par yeh halka hit bhi un dono ko andar tak hila diya tha vo dono hi is energy ko pehle bhi feel kar chuke the kuch din pehle.

Aaj jab Kabir dhyan mein baitha tab uske andar us white energy ne usko pura apne andar le liye. Wahi bahar sabhi us energy wave ke nikalte hi behosh ho gaye the unhe kya ho raha tha is baremein zara bhi pata nahi tha. Kyo ki wave har jagah failti hui gayi thi toh uski power kafi Kam Ho gai thi par jisne bhi usse feel kiya tha uski halat kafi kharab ho gayi thi unhone kabhi bhi iatni pure aur intensified energy feel nahi ki thi yahi wajah thi un sabki halat kharab hone ki.

Yaha kabir ko malum hi nahi tha ke kitna samay chala gaya hai. Vo hke halke hosh mein aa gaya aur jab usne apne aaspar dekha tab uske sabhi friends behosh the. Us e jhat se sabhi ko uthya aur sabhi se puchne laga.

Kabir-kya hua tha yaha tum sabhi behosh kaise ho gaye?

Sabhi hosh mein aate hi usse dur ho gaye the. Unke aankho mein dar sa dikh raha tha.
Kabir-kya hua tha yaha aur tum sabhi behosh kaise ho gaye the.?

Sabhi usse shock ho kar dekh rahe the lekin phir Varun aage aa aata hai aur Kabir se puchta hai.

Varun-Yeh sab kya tha Kabir..? Tumhare paas yeh white colour ka soul sea kaise hai aur abhi jo thodi der pehle ek energy wave tumhare andar se nikali thi jisse ham sabhi behosh ho gaye the vo kya tha.?

Kabir bhi ab thoda serious ho jata hai aur sabhi ko dekhte hue kehta hai.

Kabir-Yeh toh mujhe bhi nahi pata hai ke yeh kya hai aur yek kaisi powers hai par jo bhi hai bohot hi strong hai I na ke abhi koi powerful spiritist bhi mere samne aa jaye toh usse mein hara sakta hu bina apne body ka ek bhi part hilaye par is power par abhi Mera control nahi hai jiske chalte mein ne apne parchment paper par ek spell bol diya tha jiske chalte meri yeh baat chup gayi hai aur mein chahunga ke tum sabhi bhi is baat ko chupa do mein abhi kisi ko bhi nahi batana chahta hu.

Kabir ki yeh baat sunkar toh vo sab aur bhi shock ho gaye the ke agar vo apne powers par control paa leta hai toh vo kisi bhi powerful opponent ko hara sakta hai. Lekin jaisa usne kaha ke vo kisi ko bhi abhi is baremein batana nahi chahta vo uske liye ready ho gaye. Kabir agar unhe yeh kehta bhi nahi to bhi vo kisi ko bhi yeh baat nahi batane wale the. Unhe yeh pata tha ke aisi baat agar bahar kisi ko pata chal gayi toh Kabir ko kitne problem ho sakti hai.

Varun-Kabir ham koi bhi aaj jo hua hai yaha vo kisi ko bhi nahi batane wale hai. Yeh hamara wada hai tumhe.

Kabir Varun ki is baat par smile kar deta hai aur phir se niche baith kar dhyan lagane baith jata hai usse ab apne liye suitable technique practice karne ke liye dekhni thi. Waise bhi usne Divine Demon Spirit Book ke space mein centuries nikal di thi toh usse bohot se techniques ke baremein pata tha jo aaj ke time kahi kho gayi thi. Vo apne dhayan mein baith kar apne liye koun si technique suitable hai yeh dekhne lag jata hai.

Wahi city lord mansion mein city lord aur vo VIP ab apne aap ko thik kar chuke the.
City Lord-Yeh hai koun jis ham mein se koi bhi pata nahi kar paa raha hai. Itani pure energy toh kisi ke paas bhi nahi hai.

Wahi vo VIP kuch soch mein doobe hue the.
Yaha ab Kabir apne dhayan mein baitha tha.

Kabir apne man mein.

Kabir-agar mujhe apne soul sea ke baremein pata nahi hai aur aur mein koi aur bhi tactics ko use nahi karna chahta jo meri speed ko kam kar sake toh aise sirf 3 hi tactics hai jinhe mein use kar sakta hu.

1-HEAVENLY GOD TACTICS.

YEH SABHI TACTICS MEIN MOST COMPREHENSIVE AUR MOST DIFFICULT HAI PRACTICE KARNE MEIN LEKIN AGAR USSE THIK SE PRACTICE KIYA JAAYE TOH YEH SABSE POWERFUL BHI HAI.

2-BATTLE OF GODS TACTICS.

BATTLE OF GODS TACTICS MOST OVERBEARING HAI USSE BHI THIK SE MEIN NAHI KAR SAJTA HU.

3-VOID TACTICS.

VOIF TACTICS MOST SECRETIVE HAI.

Ab Kabir thik se choose nahi kar paa raha tha ke in 3 mein se kounse tactics ko chune. Aise hi thodi der sochne ke baad usne deside kar liya ke vo HEAVENLY GOD TACTICS jo use karega. Usse ab pata tha ke agar ab vo baki ke 2 mein se koi ek choose karta toh uska hi lose hota. Wahi yeh tactics use karne ke aur bhi bohot se benefits hai.

Kabir-abhi ke situation ko dekhte mujhe heavenly god tactics hi best hai. Agar achivements ko compare kare toh vo sabhi best hai. Heavenly God tactics kafi flexible hai non-attribute soul sea ki tarah. Agar mein successfully master kar lu toh mere abhi ke powers ke saath mein har taraf ke attributes ko practice kar sakta hu vo bhi immeasurable power ke saath. Mein apna khud ka PATH bana sakta hu.

Norman technique practice karne se soul sea sirf 1 hi spirit ko contain kar sakti hai jise baad mein powerful spirit se change kiya jaa sakta hai.

Heavenly God tactics practice karne se mein 7 different types ke spirits ko contain kar sakta hu. Har ek combination se powers bhi badhti jayegi.

Kabir-Toh kya hua agar meri speed bakiyon se kam rahi toh.

Yeh soch kar Kabir Heavenly God Tactics ke formula ko apne man mein bolta hai jisse uske aas paas ek energy cloak ban jata hai jo pura white tha.

Kabir ko dekh kar Varun Ravi se kehta hai.
Varun-Lagta hai kabir ne apni practice start kar di hai hame bhi ab apni apni practice start kar deni chahiye.

Wahi ka ir apne man mein.

Kabir-mujhe apne practice speed par abhi dhyan nahi dena chahiye abhi mujhe apni foundation strong kari hogi.

Sabhi ab aisa karne lage the. Har din sabhi class ke waqt library mein reh kar dhyan mein rehte the apne practice ko perfect karne ke liye. Aaj waisa hi ek din tha aaj bhi sabhi dhyan mein baithe the. Thodi der baad Kabir apni aankhe kholta hai aur ek crystal nikal kar usmein phir se apni energy ko inject karne lagta hai tabhi usse is crystal mein kuch dots dikhne lagte hai.

Yeh dekh kar Kabir khush ho jata hai.

Kabir-30 points hihihi pata nahi teacher Shital isse dekh kar kya kahegi.

Wahi same time par class bhi chal raha tha
Maithili ne yeh notice kiya tha ke pichle 3 din se kabir class nahi aaya hai.

Maithili-Aaj itne din ke liye yeh sabhi absent hai…aaj toh mere treatment ka din hai kahi kabir bhul toh nahi gaya.?

Abhi vo yahi sab soch rahi thi ke uske paas mein bathi Rati ki nazar us par girti hai.

Rati apne man mein.

Rati-Pata nahi aaj kal Maithili kis soch mein rehti hai uska class mein dhyan bhi nahi rehta. Kahi vo secretly Kabir ko pyaar toh nahi karti.

Wahi Shital bhi palat kar sabhi ko dekhti hai. Pichle kuch dino se usse Kabir aur uske friends nahi dikhe the.

Shital-Hmph! Lagta hai kahi jaa kar practice kar rahe honge. Kya Kabir ko lagta hai ke uske hard practice karne se 2 months mein uski powers 5 se 100 ho jayengi. Too bad tum ek useless trash ho kabir. Vo bhi red soul sea ke saath. Tumhe ab school quite karne ke baremein sochne chahiye. Yahi ek price hai tumhare liye mujhe ulta bolne ki.
Phir Shital sabhi ko aage batane lagti hai.

Shital-Sabhi 7 colour soul sea mein red soul sea sabse lowest grade ka hai Osia City mein. Kuch hi aise hai jinhone siver rank hasil kiya hai red soul sea ke saath. Agar koi miracle ho jaye toh bhi shayad hi red soul sea ki powers badhe. Red soul sea ki powers 600 taki hi limited hai. Uske satan aage aage difficulty badhte jaati hai aage
Yeh baat sunkar sabhi commoner students the vo shock ho gaye unhe kya bole kuch sujh nahi raha tha.

'kya sirf 600? Means maximum level mein sirf 5-start bronze rank tak ho jaa sakta hu.
Yeh baat apne aap se ek commoner student ne kahi thi. Wahi Shital aage kehti hai.'

Shital- sabhi humans ko samjhna chahiye ke vo naturally destined hote hai. Sabhi humans ko unke fate par se overcome hona hoga example….

Koi janam se hi kisi bade ghar mein aata hai aur koi commoner ke.

Shital ke is baat se sabhi commoner students ke dil ko hurts sa kiya.

Wahi Rati uske baate sunkar sochne lagi.
Rati-Osian City har waqt demon beast ke attacks ke danger mein rehti hai aur teacher Shital yaha sabhi nobility aur common students ke bich ek deewar si bana rahi hai. Lagta hai inhone abhi ke situation ko thik se nahi samjha hai.
Sabi commoner students shock mein the.

‘Agar abhi yaha Kabir hota toh isse sahi answer karta aur ham sabhi ke liye khada bhi hota.’

Yeh baat ek commoner student ne apne man mein kahi thi.

After class sabhi students class se nikal kar bahar aa gaye. Koi koi apne hostel room par gaye toh koi bahar city mein aa gaye. Har students mein Kabir aur Shital mein hue bet ki baat chal rahi thi.

Aise hi do students ek small hill par baith kar baate kar rahe the.

Student 1- Kabir keh raha tha ke vo 2 months mein apne soul power ko 5 se 100 kar dega.

Student 2-Par tumhe nahi lagta ke yeh kuch jyada hi arrogant sa ho gaya hai bolne ke liye.

Student 1- sahi kaha tumne shyad Green-Bronze soul sea wale bhi aisa kuch achieve na kar paaye. Par mein phir bhi yahi chahunga ke Kabir hi bet jeete. Mujhe vo teacher bilkul bhi pasand nahi hai.

Student 2- hai mein bhi yahi chahunga. Waise toh chances kafi slim hai lekin dekhte hai kya hota hai.

Sabhi students mein aisi hi baate ho rahi thi. Koi Kabir ke liye bolta toh koi uske khilaf. Yaha evening mein sabhi aone practice se utha gaye aur apne ghar/hostel jaane lag gaye the.

Ravi-Mein toh aaj bohot khush hu meri progress kafi achhi hui hai aaj.

Varun-Ha vo toh dikh hi raha hai waise bhi ab khuch khane chalte hai bohot bhook bhi lagi hai. Waise kabir meri soul power 89 tak aa gayi hai. Jaldi hi mein Green-Bronze level 1 mein breakthrough kar lunga.

Kabir- yeh toh achhi baat hai. Mujhe pata tha ke tumhari progress achhi hai. Tum 2 months ke andar hi Green-Bronze level 1 tak pohoch hi jaaoge. Par shayad ab hame kuch elixirs ki zaroorat hogi. Hamari practice ko Speed up karne ke liye.

Yeh sunkar sabse jyada khush toh Ravi ho gaya tha.

Ravi-Right! Har without elixirs ke hi kafi improve ho gaye hai. Agar ham elixirs bhi saath mein le lenge toh hamari practice speed aur bhi badh jaayegi.

‘Par ham elixirs kaha le sakte hai ? Hame at least 10,000 demon spirit coins lagenge elixirs buy karne ke liye. Itani badi price ham kaha se laa sakte hai.’

Yeh baat ek commoner student ne kahi thi jo unke saath tha. Uske is baat par Varun kehta hai.

Varun-ha although ham Goats ko hunt karke 16,000 plus demon spirit currency earn kar sakte hai. Par soul crystals buy karne se hamare paas sirf 10,000 demon spirit coins hi reh gaye hai.

Abhi yaha yeh sabhi baate kar rahe the ke Kabir ki nazar library mein ek jagah jaati hai. Vo un sabhi se kehta hai.

Kabir-Alright tum sabhi 3rd floor par jaao aur training karo mujeh aaj kuch kaam hai aur ha mein kuch sochta hu ham kaise aur demon spirit currency earn kar sakte hai.
Ravi-okay par kya tum akele yeh sab manage kar paaoge ? Kya tumhe meri help chahiye ?

Kabir-Nahi mujhe abhi toh nahi chahiye kuch bhi.

Kabir apne man mein.

Kabir-Aaj raat ko mujhe Maithili ko treatment deni hai. Agar uska cold disease successfully cure kar diya mein ne toh mujhe bohot hi benefit ho sakta hai.

Ravi-Thik hai phir baad mein tum yeh mat kehna ke mein bohot piche hu tumse practice mein.

Kabir-spna dekho bas iska.

Varun-tum apne baremein socho. Tumhara practice attitude tumhe hi kahi piche na rakh de.

Ravi-tum itani baate kyo karte ho.

Baki sab in dono ki baato par has rahe the. Wahi Kabir dekh bhi raha tha.

Kabir jise dekh raha tha vo koi or nahi balki Rati thi jo kuch books ko dekh rahi thi. Usse dekh kar usse apne past life ke sabhi events yaad aate hai ke kaise vo sabhi bhaage the Osian City se. Sabhi ne mil kar har musibat ka samnaa kiya tha. Issi mein dono paas bhi aa gaye the. Par ek demon beast ke attack se usse bachane ke liye Rati bich mein aa gayi thi.

Kabir apne man mein.

Kabir-RATI YAHA PAR….

Kabir-calm down Kabir mujhe uske karib jaana hai usse daran nahi hai.

Kabir ne phir apne friends ko dekha aur kaha.

Kabir- tum Sabhi aage badhi mein ek kaam kar ke aata hu.

Sabi uske is baat ko sunkar aage badh gaye par Ravi nahi usne uske piche jakar dekha ke vo kya kar raha hai.

Ravi apne man mein.

Ravi- kaam hai bol raha tha aur dusri taraf jaa raha hai balki door toh uske opposite side hai.

Wahi ek commoner student jo unke saat tha usne Ravi ko dekha aur uske paas aa gaya usne pucha.

‘Yeh kya kar rahe ho ?’

Uske is baat par baki sab bhi waha aa gaye aur chup kar kabir ko dekhne lage. Tabhi unhe uske aage Rati dikhayi deti hai jo koi book ko apne haath mein le kar dekh rahi thi.

Kabir uske paas chalte hue pohoch gaya tha.

Ravi-mein bet lagata hu vo Kabir ki 15 minutes mein hi bhaga degi.

Varun-Mein toh bas yahi chahunga ke ke usse koi bada shock na lage.

Wahi kabir jab uske paas aa raha tha tab uski nazar Rati ke haath mein jo book thi us par gayi.

Kabir apne man mein.

Kabir-yeh toh lightning fire holy scriptures padh rahi hai.

Wahi Rati apne man mein.

Rati-Yeh sab…. Volume 2 ke baad ke sabhi contains ancient langy mein likhe gaye hai. Jo mujhe bilkul bhi samajh nahi aa rahe hai. Vo Kabir toh sab kuch yaad rakh sakta hai. Mein ham sab mein top mein se ek hu. Par phir bhi mujh mein aur Kabir mein jo gap hai vo bohot hi bada hai.

Kabir jaa kar uske paas khada ho gaya aur uske face par aane wale expression ko dekhne laga.

Kabir-uske lightning fire holy scriptures ko pakadne se aur uske face par abhi expression hai usse yahi pata chala raha hai ke vo ham dono ke gap ke baremein soch rahi hai. Mein isse achhe se janta hu.
Tabhi Kabir usse kehta hai.

Kabir-aaj classmate Rati yaha kaise aa gayi ? Kya tum bhi lightning fire holy scriptures mein intrested ho ?

Kabir ko apne itne paas dekh kar aur uske suddenly puche gaye sawal se Rati thoda piche ho gayi. Usne Kabir se kaha.

Rati- yeh book bohot hi profound hai mere liye. Mein ne iske pages ko palat kar dekha aur muje yeh pata chala ke mein isse nahi samjh sakti hu.

Wahi unki ho rahi baato ko uske friends sun bhi rahe the.

Ravi-dekh kar toh aisa lag raha hai ke Kabir ne apna chance kho diya hai usne sidhe sidhe admit kar liya ke vo lightning fire holy scriptures ko nahi read kar sakti wahi vo Kabir ke saath ek friendly gap bhi bana kar rakh rahi hai.

Kabir- lightning fire holy scriptures ancient empire language mein likhi gayi hai. Jais eke yeh ek ancient language hai isse samjhna kafi hard hai. Lekin agar tum uske kuch sayam baad ki language ke book ko read kar sako toh tumhe yeh bhi samajh mein aa jayegi.
Nice update bro
 

Rohit1988

Well-Known Member
2,199
7,161
158
Yar poora din apke update ka intezar kero or agly din ap bol rahy ho update kal mile ga..aenda k bad yeh chutiya story perhne he nae hae..Bye



Bhai ek baat kahu jab aapko intejar nahi ho raha hai to bhaarrrrr me Jao tum jese reader writer's ka motivation kharab karte ho are sabki life hoti hai ham sab chahte hai ki update Roj aaye but kuch chije bolne ki nahi samajhne ki hoti hai

Tumhe padhna hai to padho nahi to chalte bano
 
Last edited:

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,268
38,662
258
UPDATE 15

Rati-uske kuch samay baad ke kingdom ki language ?

Rati apne man mein.

Rati-agar mein sahi hu toh Dark ages se pehle 3 sets the well documented aur detailed information ke saath jo past era ke hai. Jo kabhi strongest empire the. Pehle Holy Spirit Era phir Ancient Era aur last mein The Sacred Empire Era. Kabir jis language ki baat kar raha hai vo shayad ancient era ke kuch samay baad ki hai jo us waqt ka kafi bada empire tha.

Rati-kabir kafi knowledgeable hai. Vo ab tak sabhi books ko is library mein baith kar read karta hoga.

Kabir usse sochte hue dekh kar kehta hai.
Kabir-Sirf language ka sikhna vo bhi bas book read karne ke liye vo unnecessary hai. On top of that tumhari physique lightning fire techniques ke liye unstable hai.

Rati iss baat ko sunkar chouk jaati hai usne abhi tak kisi ko nahi bataya tha ke usse kounsi technique suitable hai.

Rati-Oh? Toh phir mere liye koun si technique suitable hai ?

Kabir yeh sunkar jhat se answer karta hai.

Kabir-Blizzard category.

Ab toh Rati ko pura shock lag gaya tha yeh sunkar.

Rati apne man mein.

Rati-isse kaise pata hai iske baremein ? Meri physique ko grandfather ne test kiya tha apne hereditary secret technique se. Yeh vo technique hai jo abhi tak family ke bahar leak bhi nahi hui hai. Usse use karne ke liye bohot hi soul power ka hona zaroori hai. Yeh technique kafi jyada soul power consume karti hai.

Kabir aage kehne lagta hai.

Kabir-jaisa tumhara family background hai toh tumhare family ne tumhari physique ko test kiya hoga already par unhone shayad abhi tak tumhara soul sea ke form ko test nahi kiya hoga. Toh tumhare liye abhi jo technique choose ki hui hai vo shayad most suitable na ho.

Rati Kabir baate sunkar thodi confused ho jaati hai. Vo sochti hai.

Rati-Mere soul sea ka form? Is baremein mein ne kabhi bhi nahi suna hai.

Yaha Kabir abhi bhi apni baat kiye jaa raha tha.

Kabir-Kyu na ham kuch der ke liye ek saath time spend kare toh mein tumhari help bhi kar sakta hu. Mein tumhare soul form ki test karunga jisse mujeh tumhare nature of soul sea ke baremein bhi pata chal jaayega.

Rati-Test.

Yeh sunkar Rati sochne lagti hai.

Rati-Agar yeh test bhi waisi hi hogi jaise grandfather ne ki hai toh ismein body ka bhi touch ho sakta hai.

Usne apne sir ko naa mein hilaya aur kaha.

Rati-Nahi uski koi zaroorat nahi hai.

Kabir thoda chouk gaya yeh sunkar. Tabhi usse kuch yaad aata hai. Wahi uske sabhi friends jo chup kar unhe dekh rahe the aur unki baate sun rahe the usmein Ravi kehta hai.

Ravi-yeh bilkul bhi achhi baat nahi hai Kabir toh directly reject ho ho gaya hai.

Wahi kabir haste hue kehta hai.

Kabir-Mujhe lagta hai tumhe kuch galatfaimi hui hai. Meri testing method kafi simple hai. Usse karne ke liye sirf new unused crystal ki zaroorat hai. Tumhe bas apne energy ko soul crystal mein focus karna hai aur mein usmein hone wale form ko observed karunga bas. Isse mujhe pata chal jayega ke tumhare soul sea ka form kya hai.

Yeh baat sukar toh ab chouk ne ki baari Rati ki thi.

Rati-Hannn! Yeh toh bohot simple hai.

Vo aage sochti hai.

Rati-lagta hai main ne kabir ko galat samjh liya tha.

Tabi Kabir palat jata hai aur waha se nikalne lagta hai. Jaate jaate vo kehta hai.
Kabir-Mei kal yahi raunga toh agar tumhe lage ke tumhe apne soul sea ko test karna hai aur uske soul form ko janna hai toh mujeh same time par yahi milna.

Yeh dekh kar ke Kabir ab jaane wala hai uske sabhi friends ko shock laga. Wahi Ravi yeh dekh kar kehta hai.

Ravi-Normally agar koi banda apne crush ke saath baat khud se start karta hai toh vo hamesha yahi dekhta hai ke vo apne crush se jyada time kaise baat kare. Par yaha toh kabir ne chaal ho palat di vo khud se baat karne gaya aur ab khud hi palat kar jaa raha jaise vo dikha raha ho ke usse pana aasan nahi hai.

Tabi piche se Rati Kabir ko aawaz deti hai.

Jise sunkar Kabir ruk kar palat jata hai.

Rati-Classmate Kabir.

Kabir-kya baat hai ?

Ab toh uske friends aur bhi shock mein chale gaye the. Uske friends kehte hai.

‘oh oh oh oh kabir toh kamal ka khiladi nikla. Abhi khud nikal raha tha ke usse piche se Rati ne aawaz di. Ab vo khud usse baat karne jaanewali hai.’

Varun-Lagta hai mein ne Kabir ko kam samjha tha. Wahi unka ek commoner friend kehta hai.

‘Vo toh ab boss kehne ke liye deserve karta hai. Pehle usne Maithili ko apna friend banaya aur ab khud Rati bhi usse baat karne jaa rahi hai.’

Wahi Rati aage kehti hai.

Rati-Classmate Kabir tumhara inscription ka knowledge kafi profound hai. Kya mein tumhe kuch questions puch sakti hu.

Kabir bhi yeh sunkar khush ho jata hai.

Kabir-Okay mujhe jitna bhi malum hoga utna mein tumhe zaroor bata dunga.

Yeh sunkar Rati bhi apne storage ring se ek scroll nikalti hai aur Kabir ko dikhane lag jaati hai.

Rati-Yeh dono Green-Bronze ke Blizzard inscription scrolls hai. Yeh dono bhi scrolls activate nahi ho rahe hai. Iske drawing mein kuch issue hai shayad par mujeh kuch bhi samajh nahi aaya hai abhi tak.

Kabir bhi us drawing ko dekhne lagta hai aur kehta hai.

Kabir-Ha yeh hai ke is drawing mein kuch issues hai. Par mein yeh bhi keh sakta hu ke yeh baat professional bhi nahi samjh paaye honge. Par tum apne father se is baremein kyo nahi baat karti. Unhe zaroor pata chal jaayega.

Kabir ki yeh baat sunkar Rati ka face thoda sad ho jata hai. Yeh dikh kar kabir sochta hai.

Kabir-Are ha Rati ne apne maa ko janam ke waqt hi kho diya tha. Wahi uske father bhi City Lord hai toh unke paas bhi kafi Kam waqt hota hai. Saath hi uske grandfather bhi legendary demon spiritualist hai. Har waqt kisi na kisi khoj mein hi rehte hai city ke bahar. Dekha jaaye toh Rati kafi akeli hai.
Kuch soch kar Kabir kehta hai.

Kabir-Agar aisi baat hai toh tum mujhe school ke baad yahi mil sakti ho mein tuhari har help kar dunga.

Kabir ki yeh baat sunka Rati ne jo apna sir niche kiya tha vo usse utha kar kabir ko dekhne lag jaati hai. Kabir apni baat aage kehta hai.

Kabir-Yeh scroll Blizzard category ka Green-Bronze inscription 'Blizzard knife' ka hai. Ismein koh aur problem toh nahi hai par yeh kafi poor quality ka hai.

Rati-Poor quality ka scroll ?

Kabir-Jisne bhi yeh scroll banaya hai vo kafi smart hai. Usne pehle hi countermeasures le liye the. Agar buyer ko experience nahi hoga toh vo aise hi scrolls unhe deta hoga.
Yeh inscription ko Blizzard Spiritual Insects ke blood se likha gaya hai. Normal adult Blizzard Spiritual Insects ka blood silver gray hota hai. Magar yeh pura content of inscription ka bright silver red hai. Jiska matlab hai ke vo kisi young Blizzard Spiritual Insects ke blood se likha gaya hai. Jo strong aur bade nahi hote hai. Yahi reason hai jo yeh scroll activate nahi ho raha hai.

Rati yeh sab sun rahi thi. Vo sochti hai.

Rati-Toh yaha problem thi. Tabhi mein ne itne professionals ko bui dikha kar koi bhi yeh samjh nahi paya. Even Vice principal bhi isse nahi samajh paaye. Wahi Kabir ne bas ek baar is scroll ko dekh liya aur usne sidhe bata diya ke ismein kya problem hai. Iska knowledge kafi profound e shayad vice principal se bhi.

Yahi Kabir usse dekh raha tha toh vo aage kehne lagti hai.

Rati-Toh phir agle scrolle ko bhi dekhte hai.
Vo soch rahi thi.

Rati-Jitna socha tha Kabir utna bhi bura nahi hai shayad.

Kabir uska dusra scroll bhi dekhne lag jata hai aur kehta hai.

Kabir-Yeh bhi Blizzard category ka silver grade inscription hai but pehle wale se thoda higher class ka hai. Magar after dark ages ke jane ke baad yeh incomplete hi reh gaya. Iske wajah se vo grade mein niche aa gaya hai aur Green-Bronze inscription ban gaya.

Rati-Agar aisa hai toh mein ne iske baremein kabhi pehle kyo nahi suna ke yeh ek silver grade ka inscription hai.

Kabir-Thik hai par mein ismein abhi kuch changes karne wala hu.

Rati yeh sunkar shock hoti hai aur puchti hai.

Rati-Kaise changes ?

Vo soch rahi thi.

Rati-Mere grandfather ek legendary demon spiritualist hai jo khud se inscriptiona create karte hai. Phir bui vo khud bhi aise casually changes nahi karenge. Kabir aur vo ek bench par baith gaye the aur vo ek pen dhund raha tha vo Rati se puchta hai.

Kabir-kya tumhare paas pen hai ?

Yeh sunkar Rati usse pen deti hai. Jo kafi stylish tha.

Kabir-silver horned pen. Choice achhi hai tumhari.

Kabir ka haath pen lete sayam Rati ke haath se touch ho jata hai jisse vo kuch bhi react nahi karta hai par Rati thodi dar jaatj hai.

Rati-Kya isne yeh janbhuj kar kiya hai. Nahi shayad kabir ko dekh kar aisa toh nahi lag raha hai.

Wahi yaha kabir uske inscriptiona mein kuch changes karne lag jata hai. Kuch der baad vo kehta hai.

Kabir-Yeh hai complete silver grade Blizzard Inscription. Yeh 36 methods ke foundation inscriptions ke saath formulate kiya hai. Yeh ek stable structure hai.

Yaha Rati ki toh aankhe hi ghum gayi thi inscription patterns ko dekh kar.

Rati soch rahi thi.

Rati-Yeh toh pehle se twice complicated hai hai aur isne yeh itni jaldi finish bhi kar liya. Even mein bhi thik se isse samjh nahi paayi hu.

Kabir Rati ko vo paper dete hue kehta hai.

Kabir-Abhi isse strore kar do mein baad mein iske liye ek new scroll bana dunga.

Yaha uske friends bhi yeh sab dekh rahe the. Varun kehta hai.

Varun-Yeh dono actually baate kar rahe hai aur uske upar Rati Kabir se consultant kar rahi hai vo bhi inscriptiona patterns ke upar.
Uske baad dono kuch der aur baat karte hai wahi ab thodi bohot sham hone aayi thi. Kuch der baad dono ki baate khatam ho jaati hai aur Rati buiab ghar jaane lag jaati hai. Jaate hue vo Kabir se kehti hai.

Rati-Classmate Kabir thank you ke tumne mujhe itani help ki aur tum hamara promise mat bhul jana.

Yeh keh kar vo khadi ho jaati hai aur waha se chali jaati hai. Lekin jaate hue kehti hai.

Rati-Kal ham yahi milenge same time par. Bye.

Kabir bhi smile karte hue uthta hai aur usse haath hila kar bye karta hai. Kabir Rati ko jaate hue dekh raha tha aur sochta hai.

Kabir-Rati ke sath meri pehli baatchit kafi achhi rahi hai. Chalo ab mujhe bhi jana chahiye yaha se.

Abhi vo palta hi tha ke uke upar kisine piche attack kiya sur uske collar ko pakad liya.

Yeh koi aur nahi balki Aarav tha jo Rati ke piche piche aaya tha aur tabhi se uski aur Kabir ki baate sun raha tha. Abhi vo gusse mein lag raha tha.

Kabir-Aarav tum ?

Aarav-Abhi tum aur Rati kya baate kar rahe the ?

Par shayad ab Kabir ko gussa aa gaya tha usee dekh kar uski aankhe tak golden colour ki ho gayi thi. Vo Aarav se kehta hai.

Kabir-apna haath hatao Aarav varna tumhare liye yeh achh nahi hoga.

Aarav-Tum mujhe dhamki de rahe ho ? Tu hote bhi koun ho yeh kehne wale ? Toh kya hua ke tum thoda bohot inscription ke baremein jante ho. Tum Rati se dur hi rehna samjhe. Agar aisa nhi kiya toh mein mein khud tumhe sabak sikha dunga.

Kabir aur Aarav ko aise dekh kar uske Friends bhi jaha chupe the waha se baha aate hai aur un dono ki taraf badh jaate hai par vo bich raate mein hi ruk jaate hai. Kyo ki waha kuch seniors bhi the jo Aarav ke saath aaye the.

‘Tun sabhi juniors kaha jaa rahe ho ?’

Yeh baat un seniors ne puchi thi.

Yeh dekh kar Varun sochta hai.

Varun-Aarav ke followers. Dekh kar hi pata chal raha hai ke yeh Green-Bronze level ke hai.

Wahi yaha Kabir aur Aarav ke jhagde se sabhi students waha aate hai.

‘Kya ho raha hai yaha ?’

'Lagta hai Kabir aur Aarav ke bich Rati ko lekar jhagda hua hai. Dono ne almost fight hi start kar di hai.’’

'Kabir ko lag raha hai ke vo Aarav ko hara dega jo almost Green-Bronze level ke aaspas hai.

Yaha kabir ke face par ek smile thi. Kabir sochta hai.

Kabir-idiot although mein abhi apni powers ke baremein nahi janta par isse sabak sikhane ke liye mujhe iski shayad zaroorat bhi nahi hai. Mein iske saath toh abhi bhi khel sakta hu.

Kabir ne Aarav ke haath ko zor se pakad liya. Uski aankhe abhi bhi golden hi thi. Vo Aarav se kehta hai.

Kabir-Tum mujhe sabak sikhana chahte ho.? Tumhe lagta hai ke tum kuch kar sakte ho kyo ki tumhe Sacred Family ka support hai. Tum yeh soch rahe ho ke tum genius ho kyonki tumhare paas green soul sea hai.

Wahi Aarav ab apne haat par pain feel kar sakta tha. Vo apni haath ko kabir ke haath se chudane ki bohot koshish kar raha tha par vo chuda nahi paa raha tha.

Wahi Aarav sochta hai.

Aarav-Yeh kaise ho sakta hai iske paas sabse lowest level ka soul sea hai. Mein Sacred Family se belong karta hu jo is city ki sabse powerful family hai. Lagta hai yeh kisi tarah ka demonic art use kar raha hai mujh par.

Aarav ko pain mein dekhne ke baad Kabir uska haath chod deta hai. Aarav ka haath numb ho gaya tha vo abhi thik se apne haath ko hila bhi nahi paa raha tha ke uski nazar Kabir ki aankho par gayi jo golden ho gayi thi. Aarav ko aisa lag raha tha ke jo Kabir uske samne khada hai vo koi godly being hai. Wahi Kabir ke body ke aaspas ek waisa hi AURA bhi banne laga tha.

Kabir-Tum toh mere soch se bhi weak nikle Aarav. Tumhara tumhare soul power par control bohot hi pathetic hai. Tum mujhse fight karne ke liye WORTHY nahi ho.

Actually Kabir ne uske haath ke pressure points ko pakad rakha tha jiske chalte Aarav apna haath tak nahi hila paya tha.

Tabhi Aarav ke followers ki nazar Aarav par jaati hai.

‘Kya ho raha hai waha ? Dekhne se lag raha hai boss kisi musibat mein hai.’

Yeh baat ek follower soch raha tha.
Kabir-Rati ab naam bhi tumhare muu se nikalna nahi chahiye. Jo tum yeh soch rahe ho ne ke tum Rati ko paa loge yeh bhi sochna band kar do varna aisi halat kar dunga mein tumhari ke tumhe Sacred Family bhi nahi bacha paayegi.

Yeh sunkar Aarav ka gussa badh jata hai uske body ke aaspas bhi ek blue colour ka aura banne lag jata hai jisse waha khade sab dekh rahe the.

Aarav-Nahi yeh kabhi nahi ho sakta. Tum mujhe dhamki de rahe ho. Mein sacred family ka prodigy hu. Mein tumse haar jaunga.

Yeh keh kar Aarav apne soul power ko badha deta hai uska force kafi tha par uska kuch bhi asar Kabir par nahi ho raha tha vo jaha khada tha waha se hil bhi nahi raha tha.

Yaha Kabir ke friends ne Aarav ko apne Power ko release karte hue dekh liye tha aur vo Kabir ki heol karne jana chate the par Aarav ke followers abhi bhi unke raste mein the.

Yaha Aarav ne apne soul force se ek energy wave Kabir ki taraf fire kar di. Vo energy wave aa kar Kabir se takra toh rahi thi par uspar koi asar bhi nahi kar rahi thi. Kabir soch raha tha.

Kabir-Waise iska soul force utna bhi bura nahi hai par mein yeh bhi dekh sakta hu ke isne yeh elixirs le kar badhaya hai.

Aarav-Dekh rahe ho kabir yeh sunne khud se tumpar liye hai. Tumne mujhe challenge kiya.

Aarav soch raha tha.

Aarav-Yeh itne powerful so force mein nahi bach sakta hai.

Tabhi usse Kabir ki aawaz aati hai.

Kabir-Waise tumhara soul force utna bhi bura nahi hai pae mujhe yeh kuch bhi nahi kar sakta.

Yeh kehte hi Kabir apni aankhe kholta hai jisse jo soul force usse takra raha tha vo pura double force ke saath Aarav ki taraf badh jata hai jisse Aarav ka bachna aasan nahi tha. Apne soul force se takrane se Aarav weak ho jata hai aur niche baith jata hai. Usse saas lene mein bhi taklif ho rahi thi. Usse sab kuch dhundla dikh raha tha tabhi uske samne kabir chal kar aane lag jata hai. Par Aarav ki uske piche kuch dikh bhi raha tha.

Yeh aur kuch nahi balki Kabir ki BLOODLUST thi jo uske gussa hone ke wajah se release hi gayi thi. Kabir ne apne past life mein aise bohot se pal dekhe the jaha vo almost marne ki halat mein tha par jaise taise bach jata tha aur yeh bloodlust ab uske saath phir se aa gayi thi.

Vo Aarav ke samne aa kar khada ho jata hai. Wahi Aarav ne jab uske bloodlust ko feel kiya tha tab usne wahi moot diya tha. Vo soch raha tha.

Aarav-Yeh kaise feeling hai. Yeh human hi hai na meibe aaj tak aisi BLOODLUST kabhi bui feel nahi ki. Yeh kis demon spirit se bui powerful hai.

Kabir-Tumne toh apne pant mein hi moot diya aur tum mujhe challenge karne wale the. Mere paas itna waqt nahi hai ke mein tum jaiso se ladhta ghumu.


Yeh keh kar kabir usse collar se pakad kar library ke bahar phek deta hai.
Badhiya update Bhai
 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,268
38,662
258
UPDATE 16

Aarav udta hua library ke bahar jata hai aur uske piche jo ped hota hai usse takra jaata hai. Wahi uske followers jaise hi yeh dekhte hai vo usse uthane sabhi bahar chale jaate hai. Abhi Aarav ki halat nahi thi kuch bhi karne ki vo apne followers ke saath waha se chala jata hai.

Yaha baki sabhi students Kabir ki dekh rahe the ke usne Aarav ko aise hi utha kar phek diya.

‘Yeh mein kya dekh raha hu ? Aarav ko Kabir ne bahar phek diya. Par vo toh ham sabhi mein advance tha 1-star bronze rank ke karib.’

Yeh baat waha khade ek student ne kahi thi wahi.

‘Mujhe laga tha ke Kabir Aarav ke haato pit jaayega.’

Aise hi sabhi students waha baate karne lage the. Tabhi Kabir waqt dekhta hai aur waha se jaldi nikal jata hai usse pata tha ke Maithili uska wait kar rahi hogi.

Training ground pohochte pohochte usse raat ho jaati hai. Vo ek ped se dusre ped par jump lagata hua jaa raha tha ke vo ek jagah ruk jata hai. Usse Maithili dikh jaati hai. Vo usse ped ke upar se dekh raha tha.
Chand ki roshni mein vo kafi khubsurat dikh rahi thi. Tabhi Kabir ke Dil mein phir se wahi feelings aane lagi jo usse Maithili ko dekhne ke baad aati thi. Par vo unhe samjh nahi raha tha.

Yaha Maithili baar baar yaha waha dekh rahi thi ke Kabir kab aayega.

Abhi vo jaane hi wali thi ke Kabir ne uske samne jump laga di. Kabir ko dekh kar Maithili ke face par ek smile aa gayi.

Maithili-Mujhe laga ke tum aaj nahi aaoge.
Kabir-Aisa kabhi ho sakta hai bhala ke mein kuch kahu aur vo naa karu.

Aise hi baate karte hue vo niche baith jaate hai. Aaj Maithili ke pair par jo injury thi Kabir usse heal karne wala tha. Vo uske pair ko apne haath mein leta hai aur us injury bko dekhne lag jata hai.

Kabir-Hmm! Waise toh yeh injury almost heal ho hi gayi hai.

Maithili-Ha aur jo medicine tumne mujhe batayi thi vo bhi le rahi hu mein jiske wajah se mujhe neend bhi achhi aa rahi hai.

Abhi kabir kuch soch raha tha.

Maithili-Kya baat hai kabir kuch soch rahe ho ?

Kabir apne sir ko utha kar Maithili ko dekhne lag jata hai.

Kabir-Well ek kaam hai jismein mujhe help toh chaahiye but kaise kahu vo samajh nahi aa raha hai.

Is baat par Maithili jhat se bolti hai.
Maithili-Mein kar dungi. Agar tumhara kaam mere bas mein raha toh mein zaroor kar dungi.

Yeh sunkar Kabir usse batata hai.

Kabir-Mere paas 10,000 plus demon spirit coins hai.kya tum un sab ko lekar apne logo se keh dogi ke purple mist grass mere liye kharid do.

Maithili-Purple must grass ? 1 demon spirit coin se tum ek pura bunch buy kar sakte ho. Tumhe kitne chahiye ?

Kabir-Of course jitna jyada hogi utna hi achha hai. Mujhe jitna bhi ho sake market mein utna chahiye.

Yeh sunkar Maithili thodi shock mein thi vo soch rahi thi.

Maithili-Purple mist grass ka jitna mujhe pata hai vo jyada use nahi kiya jata toh kabir ko itani grass kyo chahiye hogi ?

Phir vo Kabir se kehti hai.

Maithili-Thik hai Kabir tum yeh mujh par chod do. 10,000 demon spirit coins mere liye itani badi amount nahi hai. Mein khud se bhi tumhare liye buy kar lungi.

Kabir abhi bhi uske injury ko heal kar raha tha vo waise hi aage kehta hai.

Kabir-Tumne mera bohot kaam aasan kar diya phir. Mein zaroor tumhe pure interest ke saath return kar dunga.

Maithili-Nahi,Nahi,Nahi! Iski koi zaroorat nahi hai. Mere liye yeh amount kuch bhi nahi hai.

Tab tak kabir ka bhi kaam ho gaya tha. Vo piche ke taraf khisak kar baith jata hai.

Uske face par ek smile thi.

Kabir-Par ham jaiso ke liye yeh bohot hi badi amount hai. Waise bhi agar kisi ne ki help ke badle agar samne wala usse kuch bhi na de sake toh vo achha bhi nahi lagta na. Chalo ab tumhare baki ke injuries ki bhi treat karna hai.

Wahi yaha institute ke instructor office mein Shital ke samne Aarav baitha hua tha.

Shital-Kya…..? Usne tumhe utha kar bahar phek diya. Tumhari strength toh already 63 par hai aur soul force 78 toh aisa kaise ho sakta hai.

Aarav-Aunt mein keh raha hu us Kabir ke paas koi demonic art hai jo vo use karta hai. Jab usne mera haath pakda tha mein apne force tak ko use nahi kar paa raha tha.
Jo hua tha us baremein sochte hi Aarav ka gussa badh jata tha. Vo soch raha tha.

Aarav-Aaj jo usne mere saath kiya hai vo mein nahi bhulne wala mein iska jawab zaroor us kabir ko dunga.

Shital-Tumhe kya lagta hai uski strength kitni hogi ?

Aarav apne sir ko niche kar ke kehta hai.
Aarav-shayad uski strength 30 ho aur uska soul force 10 lekin mein thik se keh nahi sakta.

Par jab Shital ne uski baat suni toh vo bhi Aarav par bhadak gayi.

Shital-Kya kaha tumne…..tum usse aise hi haar gaye.

Aise hi kuch aur bhi baate hui un dono mein.

Yaha bhi ab Kabir ne Maithili ke sabhi injuries ko treat kar liya tha.

Kabir-Toh kya tum apni medicine time par le rahi ho ?

Maithili-Ha aur mein vo technique bhi use kar rahi hu jo tumne abhi ke liye mujhe batayi thi. Yahi toh ek genius ki pehchan hai. Par abhi sabhi ko pata chalna baki hai par jab pata chalega tum zaroor shine karoge.

Maithili ki yeh baat sunkar Kabir has deta hai.

Kabir-Ah, thanks!

Wahi Sacred Family mansion mein ek elder ke samne ek servant baitha hua tha aur jo Kabir aur Aarav ke bich hua usse bata raha tha. Waise Sacred Family mein bohot se elder the but kuch elders ke status high the. Abhi jo elder tha vo Sacred Family ke affairs ko manage karta tha.

ELDER-Outrageous! Ek fighter practitioner class ke bachhe ne sacred family ko challenge kiya hai.

Servant-Sir uska naam hai Kabir aur vo aristocratic family se belong karta hai ek normal family hai vo.

Aise hi vo servant Kabir ke baremein sabhi baate bata deta hai.

Elder-par Young master Aarav toh ab 1-Star bronze rank tak phoch jayenge abhi right. Toh kaise vo Kabir ko match nahi kar paa rahe hai.

Us servant ne apne sir ko niche jhukaya hua tha.

Servant-Sir yeh baat mujhe bhi nahi pata chal rahi hai. Par kaha jata hai ke vo Kabir koi demonic art use kar sakta hai.

Elder-Hump! Phir bhi ek fighter practitioner class ka student ho kar bhi kitna powerful ho sakta hai.

Servant-Sir toh mein yeh matter household head ko bata du.

Elder-Nahi. Iski zaroorat nahi hai mein isse sambhal lunga. Waise yeh wahi hai na jisne hamare inscription ko copy kaha hai. Agar aisa hai toh mein yeh letter tumhe de raha hu abhi ke abhi ***** ke paas jao aur usse yeh de do baki sab vo sambhal lega.

Par in dono ki baate koi aur bhi sun raha tha.

Yaha City Lord Mansion mein Rati vo sabhi pattern papers le kar baithi thi.

Rati soch rahi thi.

Rati-Yeh sabhi patterns Kabir ko kaha mile honge.

Tabhi uske kamre mein uski aunty aati hai.
Aunty-kya hua Rati tumne mujhe bulaya.

Rati-Aunty aap inscription master hai na kya aap is Inscription ki origin bata sakte hai.

Aunty-Yeh toh….. chilling wind snow precipitation ki hai but usse bohot strong hai. Mein ne yeh pehle kabhi nahi dekha hai. Iska ratio kafi well proper hai. Kya tumhe koi inscription master mil gaya hai.
Yaha training ground par.

Maithili-Waise Kabir tumne Sacred Family ko offend kiya hai. Tumhe ab kafi careful rehna hoga. Sacred family kafi despicable hai. Meri winged Dragon Family niche aane lagi jab vo usne trap mein phas gayi aur ab hamari 80% property usne control mein hai. Ab hame unke saath dena hoga.

Kabir-Ah, tumhe ab tension lene ki zaroorat nahi hai. Mein ne pehle hi sab soch ke rakh liya hai. Sacred Family ek fame seeking family hai. Vo abhi kuch nahi karegi.

Kabi soch raha tha.

Kabir-Waise bhi jab tak vo kuch karne jayenge mein ne sab kuch set kar liya hoga.
Kabir-Jab tum ghar jaaogi tan ek unuse crystal lo aur apna aptitude test kar lena.

Maithili-Toh mere paas abhi hai unuse crystal.. lo

Kabir-ohh tumhare paas hai. Mujhe dene ki zaroorat nahi hai apne soul force ko unmein inject karo.

Maithili-Thik hai.

Yeh keh kar maithili ne apne soul force ko inject karne lagi. Kuch der baad vo crystal kafi chamak ne laga.

Kabir-ohh yeh kafi bright hai.

Tabhi Kabir ki nazar crystal ke andar bane hue shape par gayi.

Kabir-Tumhara soul force 83 hai aur soul attribute wind lightning type aur soul form winged dragon hai.

Maithili-Soul form ? Wind lightning type ? Winged Dragon form ? Yeh sab kya hai.

Kabir-Eh….means tumhare liye most suitable technique wind lightning type ki hai.

Kabir phir uske liye koi suitable technique dhundne laga tha. Usse pata tha ke agar vo Maithili ko help karega toh uska hi benefit hai.

Kabir-Winged Dragon soul realm ke saath koi bhi technique ki training bohot hi fast rahegi. Agar technique attribute same raha toh speed aur bhi fast ho jayegi. Mujhe sochne do koi technique hai mere paas shayad jab mein apne past life mein kuch ruins mein tha tab mujhe mili thi.

Kabir-Ek technique hai mere paas wind lightning cultivation ki. Mein vo tumhe deta hu. Yeh tum jo avhi practice kar rahi ho usse bhi strong hai.

Yeh keh kar vo Maithili ko vo technique bata deta hai jise sunkar hi uspar kafi strong asar ho jata hai. Vo sochti hai.
Maithili-Agar mein apne soul force ko is formula ke according redirect karu toh….so STRONG.

Maithili-Kabir.

Kabir-Yeh wind lightning ki winged dragon technique hai. Yeh tumhare liye most suitable technique hai.

Maithili-Thank you kabir mein yeh baat kabhi bhi nahi bhulungi. Tumne mujhe kafi strong technique di hai.

Kabir-Iske liye thanks mat kaho yeh toh bas ek technique hai aur kuch nahi. Waise bhi ab tumhara artic disease ab almost cure ho gaya hai tum ab practice kar sakti ho.

Maithili aone sir ko hila kar practice start kar deti hai. Ab almost sun rise bhi hone aaya tha.

Kabir-wow yeh green light. Soul force 100 ke kafi close hai.

Kuch der baar kabir waha se nikal jata hai. Yaha Maithili abhi bhi dhyan mein hi thi uske aaspar ek energy ka aura ban gaya tha.

Kuch der baar vo apni aankhe kholi hai.

Maithili-almost broke through karliya hai maine.

Vo uth kar khadi hui aur yaha waha dekhne lagi par usse Kabir kahi bhi nahi dikha. Yeh dekh kar vo bhi apne ghar ke liye nikal gayi.
Aise hi kuch din nikal jaate hai. Kabir bhi apni training mein busy sa ho gaya tha. Ek raat vo phir se city ke piche wale jungle mein gaya. Aaj vo us jungle ke dusre side par gaya aur waha se yaha waha dekhne lag gaya.

Abhi vo yaha waha dekh hi raha tha ke usse jungle ke bich se koi guzarte hue dikha.

Pehle toh usse shaq hua ke yeh uska vehem ho sakta hai par usse sure karna tha is liye usse jaha halchal dikhi thi waha par chala gaya.

Abhi vo kuch aage badha hi tha ke usse koi saamne jaate hue dikh gaya.

Kabir ne apne knife ko bulaya jisse vo uske haath mein jhat se aa gaya.

Kabir-Ruk jaao koun ho tum aur is jungle mein kya kar rahe ho.

Kabir ke is sawal par vo samne wala ruk gaya uske haath mein bhi sword thi. Us shaks ne apni pakad sword par badha di.
Yeh dekhte hi kabir samajh gaya ke yeh kuch nahi bolega.

Abhi vo kuch sochta ke vo shaks jhatse piche palat gaya aur usne kabir par apne sword se attack kar diya. Apne upar attack hota dekh kabir ne bhi apne knife se uske sword ke attack ko rok diya.

Paas hone ki wajah se Kabir ne ek punch uske chest par mara par us shaks ko dekhne se lag raha tha ke jyada pharak nahi pada hua tha. Vo shaks Kabir ke punch se piche sarak gaya. Us shaks ne ek red armour pehna hua tha jo Kabir ke punch marne se chamak ne lag gaya tha.

Yeh dekhne ke baad Kabir ab us shaks ko ek bhi chance nahi dena chahta tha. Uske lagatar 12 attacks kiye apne knife se us shaks par. Lekin vo shaks bhi kafi powerful lag raha tha usne bhi dekhte hi dekhte kuch attacks Dodge kar diye par kuch usse lage bhi. Yaha par ab Kabir ne apne palm se ek energy force us par choda jisse vo shaks bach nahi paya aur piche ki taraf khisak gaya.

Armour hone ke baad bhi us shaks ke internal organ tak injured ho gaye the. Vo shaks apne ghutno par baith gaya aur apne muu se khoon ki ulti karne laga. Vo shaks Kabir ko dekh raha tha jo usse kuch dur khada tha.

Kabir bhi usse dekh raha tha aur usse dekh ne se hi pata chala raha tha ke usse is fight mein maza aa raha hai.

Shaks-Kounse rank ke fighter ho tum ?

Kabir bhi abhi kuch nahi keh Raha tha balki abhi jo usne palm attack kiya tha usmein usne apni sari energy laga di thi. Uska haath tak numb ho gaya tha. Par ab kabir is khel ko khatam karna chahta tha kyo ki unke fight se hone wali aawaze guards tak pohoch gayi hongi aur vo kabhi kbhi yaha aa sakte the.

Kabir ne dekha ke vo shaks uth raha hai toh usne ek aur palm attack kiya jo pehle wale se kafi strong tha. Apne taraf itna strong attack aate dekh vo shaks bhi thoda ghabra gaya par usne bhi ek bada attack apne sword se us aane wale attack par kiya. Jaise hi dono attack ek dusre se takraye waha par ek bohot hi bada blast hua jiske chapet mein kabir aur vo shaks dono aa gaye.


Sab jaga dhool udi hui thi. Aaspas ke sabhi ped ukhad gaye the. Kabir kaise toh uth jata hai usse bhi laga hua tha par usne khade hote hi apne samne dekha jaha ab vo shaks nahi tha. Vo abhi usse dhundne hi wala tha ke Kabir ko guards ke aane ki aahat Hui. Vo chupke se waha se nikal gaya aur apne hostel ke room mein aa kar so gaya.
Nice update bro
 
Status
Not open for further replies.
Top