• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy " Girls Hostel "

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219

~~INDEX~~

Chapter 1 ~~ " Supriya "
Chapter ~~ 2 " The Illusion "
Chapter ~~ 3 " Catatonic Schizophrenia "
Chapter ~~ 4 " A True Face "
Chapter ~~ 5 " The Antiquarian "
Chapter ~~ 6 " The Amazon "
Finale
Chapter 7 : " Book Of Hoax "

Some Comments for this story :love: (Late Add-on :sigh:)

सच में , यह पुरी स्टोरी दिमाग के परखच्चे उड़ाए जा रही है । कभी लगता है कहानी में सस्पेंस है तो कभी लगता है भ्रम जाल का ताना-बाना बुना हुआ है तो कभी लगता है जैसे कोई रूहानी ताकतें हैं तो कभी लगता है यह सिंपल स्टोरी है जिसमें आरूहि एक गम्भीर बिमारी से पीड़ित है ।

मुझे लगता है इससे बेहतरीन कहानी फिलहाल तो इस फोरम पर नहीं है । और सबसे बड़ी खासियत है आपके लिखने का स्टाइल और अंदाज । आउटस्टैंडिंग हर्षित भाई ।
thoos thoos ke khana khaya aaruhi ne jo ekdam majedar horror type scene tha ..
सही में , हर्षित भाई ! मुझे बहुत ही दया आने लगा है आरूहि पर । अगर किसी हरामखोर की वजह से उसकी हालत ऐसी हुई है तो उसे जहन्नुम का रास्ता जरूर दिखला दिजियेगा ।
WTF!!! Yahi pehla reaction nikalta hai is kahani ko poora padhne ke baad... Halanki pehle bhi maine is kahani ke kuchh 7-8 updates padhe huye the par jab is baar padhna shuru kiya to ek naya sa romanch har beet te update ke saath banta gaya... Bohot hi zyada behatreen tareeke se likhi gayi kahani hai ye, ab jis prakaar ka plot imagine kiya hai lekhak saahab ne uske baad ek nausikhiya bhi likhe to bhi kahani halki nahi ho sakti, aur yahaan jis level ka narration, aur scene specialization hame padhne ko mila hai, wo kaafi hai dikhane ke liye that this is, without a doubt,one of the finest stories available on XF... Chahe wo running stories hon ya fir completed, aur chahe future mein likhi jaane waali kahaniyan, is story ka ek alag hi sthaan bana rehne waala hai forum par... Aur iske liye writer saahab ki jitni bhi tareef ki jaaye wo kam hi hogi...

Fantasy genre ke saath shuru huyi ye kahani, kab alag - alag genres ke darshan karane lagi padhte waqt katayi pata nahi chala... Horror, Suspense, Thriller, Adventure, Romance and of course Fantasy, aur saath hi mein Erotica ke ansh bhi... Ek story mein is se zyada kis cheez ki apeksha kar sakta hai reader!? Again, one of the best stories I've ever read... Outstanding Stuff harshit1890 bhai... :bow: :bow: :bow:
Kya hi khubsurat kahani likhi hai aapne bhai... I'm just speechless, jitni bhi tareef karunga kam hi hogi... Erotica ka bhi bilkul sahi situation mein use Kiya gaya hai aur sabse important har kirdaar par lekhak ki shaandar pakad bani rahi hai... Har character ka kahani mein hona justify kiya gaya hai, kahin bhi koyi bhi character bina matlab nahi ghus aaya...

Ab dekhna ye hai ke Mehta waali meeting mein kaun kaun shaamil tha aur unka maksad kya tha? Aur Shruti is sab ki sachayi jaan bhi paayegi ya nahi? Aruhi sach mein kisi beemari ka shikaar hai ya kewal naatak kar rahi hai? At last, Ek baar ko apun ko ye bhi laga ke asal mein ye sab jo ho raha hai wo kewal Shruti ki kalpana hai... :dazed:

Outstanding Story & Updates Bhai & Waiting For Next...
Harshit bhai... Kayi horror stories padhi hain maine, joki poori tarah se horror genre par based hain but jis tarah ka scene aap create karte ho, taking into note ye story horror genre par based hai bhi nahi, that's phenomenal...
meghnath naam rakhne ke pichhe ki kahani bhi majedar hai 😍😍😍..
jab me TV nahi dekhta( waise tha nahi nahi ghar par ) tha bachpan me aur bas naam suna karta tha to khudko SHAKTI KAPOOR. kehta tha dosto ke bich 🤣🤣🤣..ye kissa padhke bachpan ki yaade taaza ho gayi 😍😍😍..
Slowly my interest is increasing towards the story full of adventure, fun to read, no doubt you are a great writer, thank you for writing such a beautiful story.
Have to admit, your story completely twists the thinking, sometimes it seems in the mind that it is just a disease and sometimes it seems like something supernatural. Your writing is commendable, even after writing this much there are many questions and there will be many such points which I have missed. In some scenes there was a combination of intensity as well as erotic scenes, which you have shown very well, what should I say now, now the words of praise are over understand my feelings.
harshit1890 Hats Off... enjoyed it. :applause:
but why were you making her nude everytime in front of everyone. :angry:
मुझे नहीं लगता दुनिया में कोई भी ऐसा माई का माल होगा जिसे इस कहानी की पहेली समझ में आ रही हो। गजब का दिमाग हिला रखा है आपने हर्षित भाई।
The whole incident, that Mansion one was written so beautifully that no words are sufficient to describe it! Ismein koyi doraye nahin ki maine aaj tak kisi ko bhi is tarah ka horror likhte nahi dekha hai... Haunted ko read kiya tha maine, kaafi pehle, aur main bilkul daave se keh sakta hoon, that you're the best,when it comes to generating real fear in readers, while they read the story..
Bhatt the phakk is this estory?:redface:
 
Last edited:

Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Divine
Moderator
31,045
78,017
304
I also found incident of that day very strange but after reading what is written in the newspaper everything seemed ordinary which felt extraordinary and shocking that day, well once again through Shruti you made us to think again :sigh2:

Nandini was pushed by that shadow and since then she has been in such a condition it's also strange, Now I understand why Aarohi had called Gagan to her in the last update.

Sometimes it's like we're reading someone else's story, sweat pouring from young bodies clinging to each other, Uff :hot: The village-like atmosphere has become it will not be wrong to say that Rachna and Shruti also had a lot of fun, it's a different thing that you show innocent in front of us, whether it is the characters of the story or the readers you woke up all dreams were exciting scenes. :approve:

Look, it is wrong from one point of view sometimes it happens and sometimes it is intentional if girls agree then the matter is different otherwise it is wrong and then everyone has their own thinking.

Both the updates were very good, will wait for the next part.
 

GuptAbhishek

Member
275
593
93
Bhai sahab 3 update padhkar mja aa gya Kasam se itna wait Kiya tha wo worth it Raha update or story k bare me baad me comment krunga but story sach me bahut mjedar ho chuki hai kuch kuch haunted se connection ka sa feel ho ra hai jese Khan ki ruh ne socha tha time travel k bare me may be it's not but now meko to isi soch se khusi mil ri hai ek shreyas ka Cameo or ab ye time travel. Mja tb aayega jb ye story psychological hi na reh kr supernatural horror ho

Baki keep writing keep rocking 😎
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
Update ~~ 101

' Daitye, rakshas, shaitan, asur sab ek hai lekin fir bhi alag. Sabke roop lagbhag ek jaise par vansh alag. Koi bhi akar ek jaisa nahi fir bhi ek manne janne wale vo prani jinhone jab-jab janam liya tab-tab anay havi hokar sabke uppar barsa hai. Ved-puraan mein kayi baar in sabhi ka jikar hua hai. Koi bhi Yug ho bina Kaal ke kabhi srishti ka nirman nahi hota. Kaal yani ek aisi jagah jahan par kuch aise hi jeev vaas kate hain. Meri research, soch aur knowledge yahi kehti hai ki koi ek aisa hi Kaal hamare saur-mandal mein hamare bhramand mein maujud hai jo humare liye hi bana hai. Jis Brhaman mein science dwara mana jane wale tatv jaise ki Time,Dark Matter, Energy, Blackhole, ek-se jada galaxy maujud hai usi tarah Kaal bhi hamare sath samay ke chakr mein ghum raha hai aur jis tarah hamara bhramand felta jaa raha hai usi tarah Kaal bhi apne astitv ko faila raha hai. Bharmand ka failna koi bahut asan chiz nahi hai uske piche vigyan ki bahut si chizen shamil hai aur agar usi tarah Kaal bhi apna astitv faila raha hai yani ki uske pas vo sab matter yani ki padart hai jo bhramand ke nirman ke waqt se aaj tak maujud hai jiski wajah se uska vajaud hai.

Main ye nahi janta ki main kitna sahi hun lekin Time Travel Paradox aur Kaal ke bich koi connection jarur dikhai padta hai. Dono mein kahin bhi koi paradox hua to hum insano ko uska pralay jhelna hi padega. Jis tarah Grandfather Paradox ka koi tod nahi hai usi tarah Kaal ke pas bhi kuch usi tarah ki shakti hai jiska koi tod nahi hai. Meri khoj abhi tak puri nahi hui hai, Kaal ke bare mein janne ke liye mujhe ek aise stotr ki jarurat hai jisme uska parichay uska aks maujud ho. Kuch hai jise main abhi tak khoj nahi paya hun, han lekin main uske kareeb jarur hun. '

" Ek minute.. iske aage padne se pehle mere kuch sawal hai.. " vishal ko rokte hue shruti fauran boli. " Ye Kaal kya hai? aur ye ved hume kya batane ki kosish kar raha hai " shruti ka sawal sahi tha.

"shayad humne kahani ko bich mein se pada hai.. Grandfather Paradox wali file ke alawa hume vo book padni chahie jisme unhone kaal ke bare mein likha ho " rachna ne jawab to sahi dia lekin usme kuch kami thi.

" tumne shayad dhayan se suna nahi, vedji ne saaf likha hai ki unke pas Kaal ko lekar abhi jankari ek simit mein hai lekin vo un kitabo ko padne ke bare mein batate aye hain jo mene tum logon ko di, jo mene college ki library mein rakhi usi tarah unhone bhi kai jano ko banti hogi, uska ulekh unhone kahin na kahin likha hoga.. " meghnath ke samjhane par sab samajh gaye lekin samsya wahi thi khoje to kahan se.

" khojte hai.. jada time nahi lenge " shruti ne fauran kaha aur charon kamre ko tehas nehas karne mein lag gaye. Kisi ne almari khol dali to kisi ne purana sanduk, kisi ne kitabon ka dher gira dala aur agle aath se das minute tak kamre mein khoj been ke baad teen jano ko kagaz ke teen tukde mile jise dekh sabhi ko samajh aa gaya ki Ved sharma ki pura ulekh bas unhi shabdon mein simit reh gaya hai ya fir vo apna ulekh apne sath le gaye hai.

' Hamare dharam mein jitne granth, ved maujud hai vo sirf insan ke bare mein hi nahi balki har jeev ki vakhya ko darshate hai. Lok, parlok, narak, paatal jaise shabd hum bachpan se hi sunte aye hain par kuch jagah aisi bhi hai jinke bare mein hume aaj tak nahi bataya gaya. Vo hamare bharamand mein maujud hai lekin hume malum nahi hai. Vigyan se judi har chiz, hamare vedon mein hai lekin hamari nazar kabhi unpar padi hi nahi. Ek choti bindu se bana bhramand jo aaj bhi felh raha hai usne hamara greh, hamari galaxy aur na jane kitne aniginat galaxy ko janam diya usme kuch aise gehre raaz chupe hai jiska jikar hamare vedun mein to hai lekin kabhi koi use samajh hi nahi paya tha. Shayad kudrat ne mujhe vo takat di thi ki mene un vedon aur granth ko samajh kar ye samajh paun ki hamare bich .. hum sabke bich ek aisi dunia hai jiska janam bhramand ke waqt hua aur vo sidhe hamari dunia se taluk rakhti hai. Kya hai vo dunia ? Kyun hamare vajud ke liye khatra hai? Aur kaun hai us dunia ka malik? Kaun rehta hai wahan? Mene sab kuch samjh kar logon ko batane ki kosish kari lekin sabne mera mazak banaya. Sabne mujhe.. ' paper par likhe shabad khatam ho gaye the.

" dusra lao "

" Sabne mujhe pagal, bevakuf kaha... sabko lagta hai ki mene Kaal ke bare mein apni kitab mein likh kar samjhane ki kosish kari vo sab ek man-ki ghatit kahani hai, mera pagal pan hai. Bhoot-pret atmayon ka jo sach logon ke man mein bhara hua hai asal mein vo sach nahi hai balki sach yahi hai.. Kaal hi hai vo jise hum bhoot-pret atmaye mante aye hai.. '

" aisa hi kuch shreyas bhi bol raha tha hume us raat.. ki jo vo har samay samajhta aya tha kabhi bhi waisa kuch tha hi nahi kya vo hume yahi samjhane ki kosish kar raha tha? " vishal ne padna chhod apni baat rakhi to sabhi ka dil zoron se dhadakne laga. Charon ko kuch na kahani ka koi ansh judta hua mehsus hone laga.

" aage pado " meghnath fauran bola.

' Logon ne mujhe sasta lehkak keh kar meri tauheen kar di, meri kitabein nahi biki, par mene fir bhi umeed nahi haari kyun ki main janta tha jo mene apne budhi se hassil kia hai vo sahi hai. Vo dunia hamare bich hi hai aur dhire-dhire hume nigal rahi hai. Main koi kahani nahi bech raha, main us raste nikal kar aya hun jahan par koi kadam nahi rakhta. Mene apni kitabein yun hi nahi likhi balki uska adhar mere pas hai. Mene khoji hai vo kitabein jiska sach batane ke liye mene apne shabdon mein use piroaya hai. Hamare purvaj sab chhodh kar gaye the hamare liye bas hum hi andhe bane baithe rahe aur in sab chizon ko andhvishwas mein rakhte gaye '

" Kitab? ye kaun si kitab ki baat kar raha hai jo ise mili thi aur isne uske baad apni kitabein likhi ? "shruti ne bich mein roka.

" Pata nahi kabhi koi aisa jikar unhone nahi kiya.. " meghnath fauran bola.

" Kya inka ye matlab to nahi ki jo book inhone likhi hai iska asli source koi aur raha ho aur unhone sirf uski copy ya translation ki ho... ? " vishal ne ek dum sahi point ko pakad kar apni baat kahi.

" you are right.. yahi kehna cha rahe hai vo.. vo kitab jinka source isne churaya hai.. vo yahi hona chahie.. hum dhundnte hain tum padna chalu rakho.. " shruti ne itna kaha aur vishal padne laga aur baki teeno khojne lage.

' Mana jata hai ki us jagah par per rakhne ki takat to uske pas bhi nahi hai jisne bhramand ko janam diya. Takat shabad shayad galat hai, anumati hi nahi hai. Vo jagah anjane mein ban to gayi lekin khatam na ho saki ab us jagah par sirf uska hak hai, uska kiska? Aaj tak main uska naam nahi de paya hun kyun ki main kalpana bhi nahi kar sakta vo kya hai. Mujhse log puchte hain jab mujhe itna pata hai to ye kyun nahi pata, kyun nahi pata ki us jagah ka naam kya hai? Uske andar jo hai jise mein Kaal kehta hun uska naam kya hai? Kaisa dikhta hai vo to mere pas unko dene ke liye abhi koi jawab nahi hai. Kyun ki vo jawab ek aisi jagah chupa hai jiske bare mein aaj tak mujhe malum nahi chala hai. Pichle beete salon se main us chiz ko khoj raha hun jo mujhe us jagah ke bare mein bata sake. Kyun ki.. Na to wahan koi jaa sakta hai aur na hi wahan se koi laut kar aa sakta hai. Vo apni marzi se hamari dharti par ata hai aur apni marzi se jata hai. Uske anek roop hai vo hamari har vastu mein vaas kar jata hai. Koi use pehchan nahi sakta kyun ki uska koi roop-rekha nahi, vo dikhta kaisa hai koi pehchanta nahi. Ye sab sirf usi chiz mein hai.. ' vishal ko chup hona pada kyun ki kamre mein ek shor gunj utha tha.

" Kahan mili tujhe ye.. " sanduk ke andar padi moti-moti teen granth par sabhi ki nazre thi. Vo alag isliye thi kyun ki uske cover ki parat sone jaisi chamak rahi thi jo yahan rakhi har book se alag thi. Vishal ne torch shruti ko pakdai aur meghnath ki madad se un teeno books ko bahar nikal liya.

" itni moti books kaun padega? " vishal turant bola.

" Inhe padne ki jarurat abhi nahi hai... vaise bhi vedji ne jo likha hai vo inse hi padh kar likha hoga.. "meghnath ne turant kaha, dono ki sans ukhad gayi thi bahar nikalne mein.

" ek baar khol kar to dekho kya hai isme.. " shruti ne zor diya to unhone ek baar dekhne ke liye kitab ka cover kholne ki kosish ki lekin vo khuli hi nahi.

" jaam ho gayi hai kya? " rachna tapak se boli to sab usko ghurne lage jise vo samajh gayi ki usne galat bol dia hai. " lock hogi ... yahi kehna chahti thi main "

" kaise khole ise? " vishal ne shruti ki taraf dekha.

" mujhe kya pata.. chhodo use.. tum vo akhri panna use pado.. " shruti ne turant kaha to vishal akhri bacha panna padne laga.

' Main us chiz ke bahut kareeb hun jise mere akhri bache kuch sawalon ke jawab ko main paa sakunga. Us shakti ko mehsus kar sakunga jo is bhramand ke pralay ka karran banega. Sab kuch hai mere pas bas ek chiz ki kami hai. Jab bhramand ke nirman mein Kaal ka ghar bana aur us ghar ko banane wala chuu na saka to usne uski shakti, uski jagah uska swaroop har chiz ek kitab mein piro di aur piro ka usne use hamari jagah par rakh diya is umeed mein ki ek din hum uska istemal karke usko nasht kar payenge. Yani vo chiz jo khud banane wala khatam nahi kar sakta uska jimma hum insano ke pas hai. Aur vo chiz kahin aur nahi isi dharti par kahin dafan hai. Sawal tha kahan? Salon mehnat aur kosish karne ke baad ek-ek chiz jama karne ke baad mene us chiz ko khoj to liya lekin kabhi pura nahi kar saka. Vo aaj bhi adhura hai aur main aaj bhi usko pura karne ki kosish mein hun.... '

" Bas khatam... Ye akhri panna to ise jada likha hua hi nahi hai.. bahut si baton ka matlab hai isme.. " vishal soch vichar kar raha tha.

" tumhe nahi lagta ye kuch jada hai? Matlab bhagwan aisi jagah kyun create karenge? aur agar kar dia galti se bhi to use destroy nahi kar sakte? That makes no sense.. " shruti turant boli.

" aur hum insan hai.. hamare pas kya shakti ... ? " rachna ne uska sath dia.

" Bhagwan Ram bhi insan the... " meghnath wahin kitabo ke pas ukhdu hokar baitha tha. " Vedji ne apne lekh mein likha hai ki Ved aur granth mein vo chizen hai jo hum insano ko kahan se kahan le ja sakti hai bas hume hi un vedon ko samajh nahi ata. Agar unki baat sahi hai to jo shakti ... yahan maujud hai vo wahi hai.. "

" aur vo book jiski vedji baat kar rahe hain.. vo book shruti koi aur book nahi balki Book Of Hoax hai jise vo khoj rahe hai.. shreyas ne usi book ke bare mein hume bataya tha. Usme hi chupa hai sach.. yani shreyas aur vedji dono ki batein yahan match karti hai ... Hum ise co-incidence nahi keh sakte.. the book is real... " vishal ki baat ne sabhi man ki shankhaon ko khatam kar diya. Itna bada co-incidence nahi ho sakta ye baat shruti ache se samajh rahi thi.

" to fir ab? " rachna boli, use ab interest aa raha tha, samajh kam aa raha tha par interest pura aa raha tha.

" Hume vo book dhundni hai " vishal bola.

" Par kaise dhundenge hum? ved sharma ka kuch pata nahi.. book ke bare mein na vo jante na hum to kaise khojenge use.. sirf naam se search karne par to mil nahi jayegi na.. " shruti ki baat kadwi thi lekin sahi thi.

" tum logon ne kuch dhayan diya... " meghnath apni jagah se kahda hua.

" kya? " teeno ek sath bole.

" vo ulekh do vedji wala... nahi akhri pana.. " meghnath ne vishal se akhri pana lete hue use padna shuru kiya man hi man aur fir zor se padne laga " Salon mehnat aur kosish karne ke baad ek-ek chiz jama karne ke baad mene us chiz ko khoj to liya lekin kabhi pura nahi kar saka. Vo aaj bhi adhura hai aur main aaj bhi usko pura karne ki kosish mein hun.... "

" iska matlab samajh rahe ho? "

" nahi "

" kya matlab hai? "

" vo koi map hai... jo unke pas hai ... us book tak ka map... lekin vo adhura hai.. kyun ki unke pas book ka naam nahi tha.. hamare pas hai.. " meghnath ka jawab jin ke chirag jaisa tha, par abhi bhi vo chirag kis gufa mein rakha hai vo kisi ko nahi malum tha.

" Tumhe lagta hai ki vo yahin hoga... ? " vishal ka dil zoron se dhadak raha tha.

" koi aisi chiz ko kahan chupa kar rakhta hai... ? " meghnath ne sochne par majbur kar diya aur jab sab ki soch chali to sabhi ki nazar sidhe un books par gayi jo farsh par band padi thi.

" iski chabi? " rachna boli.

" Yahin hogi.. khojo... " shruti ne itna hi kaha aur charon fir se khojne lage. Takreeban ek ghanta charon ne ek-ek jagah aise tatoli mano yahi kaam karte ho. Unhone kuch nahi chhoda lekin chabi ka ansh tak nahi mila.

" mujhe to lagta hai vo chabi apne sath hi le gaye " rachna hanfte hue boli. Uska sharir pasine mein dub chuka tha. Pasine ki wajah se uski tshirt chipak gayi thi aur uske nipple dikhai de rahe the. Usne nazar uthai to paya ki vishal wahin dekh raha hai, vishal ko jaise hi dikha rachna ne dekh liya hai to usne nazar fer li.

" nahi nahi... vo itna bada risk nahi le sakta.. chabi jaisi chiz har jagah apne sath le jane ka risk vo nahi le sakte.. chupaya to unhone yahi hai use.. bas hume hi nahi dikh raha hai " shruti ki bhi sans fuli hui thi.

" shruti sahi keh rahi hai.. vo chabi hamare nazron ke samne hi hai.. bas hume hi.. " vishal bolte hue ruk gaya aur uska dhayan samne lage poster par gaya jispar likha tha GRANDFATHER PARADOX jise in sab ki shuruwat hui thi. Vo us poster ke pas pahuncha aur usne poster bina soche deewar par se faad dala.

" vishal ye kya kiya tumne... " shruti chillai ki tabhi koi kuch aur bolta use pehle sabhi ki nazar deewar par padi jispar ek kadha hua tha, chota sa ched. Vishal ne usme hath dala aur jab bahar nikala to uske hath mein kuch tha.

" chabi.. samne thi ankhon ke... "

" kholo jaldi.. " meghnath ke andar ek nayi urja bhar ayi thi.

Vishal ne turant book ko tatola jahan par chabi lag sake par use key hole kahin dikha hi nahi " isme koi key hole nahi hai "

" pehle nahi dekha tha kya? " shruti gusse bhare lehaze mein boli.

" hume laga lock hai to jarur key hole hoga " meghnath ne turant kaha.

" lo... ab ek aur nayi musibat " rachna ne sar pakad liya.

" damn... " vishal ne gusse mein book ke bich mein bane sone ke design par halka mukka mara to jaise uspar laga koi chupa hua button daba gaya aur vo bich mein se khul gaya jiske khulte hi uski nazron ke samne key hole aa gaya.

" mil gaya... " vishal chaunkte hue bola to sabhi ki nazre bhi us taraf mud gayi. Usne fauran chabi dali aur use ghuma diya, kitab khul gayi thi.

" baki bhi kholo pehle.. " shruti ne turant kaha. Jiske baad vishal ne dusri book mein bichon bich anguthe se press kiya to usme bhi ek awaz ke sath vo chota sa area khul gaya aur usme bhi wahi chabi lag gayi, aisa hi usne tisri kitab ke sath bhi kiya aur teeno kitab khol li gayi. Usne usi tisri kitab ko khola aur kholte hi jo sabne dekha sabhi ek dusre ke chehre dekhne lage. Kitab mein likhi bhasha kuch alag thi, kaun si koi nahi janta tha par sabse badi dikat ye thi ki is language se map dhundna kaise kar sakte hai ise.

" ab kya karein? "

" le chalte hai ise " shruti turant boli.

" tu pagal hai.. ved aya usko pata chala to hum gaye " rachna turant boli.

" usko kya pata hum aye hai.. humne li hai kitab aur waise bhi jo haal humne kamre ka kiya hai use dekhne ke baad kisi ko bhi pata chal jayega ki kamre mein koi aya tha aur jo use chahie tha vo le gaya "

" jagah choti hai.. pata lagne mein time nahi lagega ki hum hi aye the.. bus, conductor gawah hai.. hamare alawa bandhara aaj koi nahi aya... " meghnath ne turant samjhaya

" to kya chahhte ho tum.. yahan akar itna janne ke baad chhod kar chale jaye batao? " ab meghnath fans gaya vo na han bol paa raha tha aur na hi nah kar paa raha tha.

" le chalte hai dekha jayega... " vishal ne akhir faisla kar liya tha. Usne book ko ek dum se uthaya, use yaad nahi tha ki vo bhari hai aur aise nahi uthegi jiski wajah se hua ye ki book uthi halki si aur gir gayi.

" aram se.. kuch ho jayega.. hamare purvajo ki mehnat hai ye.. ise kharab nahi kar sakte.. " meghnath ne samjhaya aur book mil kar utha kar study table par laa rakha.

" itni bhari kitab ko lekar kaise jayenge.. uff.. jaldi karo.. bus ka time ho jayega... bus nikal gayi to jayenge kaise... " rachna ko tension hone lagi thi ghadi mein 6:25 jo ho gaye the.

Meghnath aur vishal dusri book uthane ke liye niche jhuke utne mein meghnath ki nazar ek kagaz ke tukde par padi. Pehle to vo use wahin utha kar side mein rakhne wala tha par jigasya purvak usne use khol diya.

" utha bhai.. kya dekh raha hai parchi mein.. " vishal dusri book ko ek taraf se utha raha tha aur jab usko dikha ki book uthawane ke liye madad nahi mili to usne nazar uppar utha kar dekha. Meghnath kuch nahi bola bas parchi khol kar uski taraf kar di. Vishal ek pal dekhta raha fir achanak se book chhod kar ek dum se sidha khada ho gaya.

" dhayan se ... " meghnath ne fir yaad dilaya par vishal ne pratikriya na dikahte hue parchi uske hath se le li.

" isme kuch bana hua hai... ye dekho " usne shruti ki taraf badha di. Parchi par ek design bana hua tha jitni badi parchi utna bada design.

" kahan se mili tujhe? " vishal ne meghnath se pucha.

" yahin se.. " meghnath ne niche ki taraf ishara kiya.

" yahan par to.. vo kitab rakhi thi.. kahin usme se to nahi giri... " vishal ne anuman lagaya aur vo study table ke pas aya aur kitab ko khol kar panne palat kar dekhne laga.

" aise to subah ho jayegi " shruti boli.

" to fir.. "

" hum dhayan se hilate hai.. kuch aur parchi hogi to gir jayegi... " meghnath ka idea istemal karke dono ne book ko thaya aur savdhani se hilane lage taki koi chota parcha-parchi andar ho to gir jaye aur hua bhi aisa hi teen aur parchi gir gayi jise rachna ne turant utha kar shruti ko thama dia. Uske baad usme se kuch nahi nikla to dono ne dusri book uthai aur wahi kiya jo pehle kiya tha, usme se char parchi nikli aur uske baad kuch nahi, dono ne do teen bar aur try kiya lekin ek hi parchi nikli. Akhri book bachi thi, usme se bhi char hi parchi nikli, dono buri tarah se hanf rahe the vakai mein kafi thaka dene wala kaam tha.

" barah parchi nikli hai teen book mein se.. aur sabme mein kuch design bana hua hai... ."

" sabko ikhata karke rakho " vishal ne shruti se kaha to usne wahi kiya. Sabhi parchiyun ko study table par rakh diya lekin kuch samajh nahi aya.

" ache se mila kar rakho.. design samajh aana chahie.. " vishal ke kehnr par shruti ne sabhi parchiun ko mila dia " dekho line se line mil gayi.. par ek minute ye design to.. "

" world map jaisa hai.. " shruti ne vishal ki baat ko pura kar dia.

" World map? puri dunia ka map ... book isi dharti par hai .. to world mein hi hogi na.. ye kaisa mazak hai... " rachna ne sahi kaha tha.

" Aise kaise ho sakta hai... " vishal khud se baat kar raha tha.

" Koi itni mehnat karke in chizon ko khojega aur fir itni savdhani se rakhega kiske liye iske liye? " meghnath ne sawal khada kiya.

" hum jarur kuch miss kar rahe hain idhar... kuch to hai.. " vishal ne ek parchi utha li aur use dhayan se dekhne laga.

" har chiz mein kuch na kuch miss hota hai.. " shruti fauran boli.

" sahi keh rahi hai shruti.. mujhe to ye sab bakwas lag raha hai.. koi natiza nahi niklega... " rachna ne bhi sath dia.

" ek minute.. ek minute... " vishal ne pehli parchi rakhi aur dusri uthai aur fir use dhayan se dekhne laga, uspar vo light dalne laga, usne tisra tukda uthaya aur fir chautha aur aisa har tukde ke sath hua.

" kya dekh rahe ho tum? " shruti ne sawal kar hi dala.

" jo miss kar rahe the wahi... ye dekho... pakdo is kagaz ko.. aur ab main light dalunga ispar dekhna dhayan se... " vishal ne waisa hi kiya usne light ke aage kagaz ka tukda rakh dia.

" kya dekhu isme kuch bhi to nahi hai.. "

" han ... abhi nahi hai.. par ab hai... " usne dusra tukra uthaya aur pehle ke uppar rakh dia aur fir light dali aur jaise hi light dali kagaz ke tukde par ek parchai ban ayi jispar likha tha 'O'

" ye kaise possible hai.. " shruti hairani mein boli.

" pata nahi.. par jisne bhi banaya hai vo jo koi bhi tha.. usne shayad apne knowledge ka bahut ache se istemal kiya hai.

" Par ye O kya hai? " rachna ne pucha.

" Ye O nahi hai.. balki kuch set of letters hai jo hume in pieces ke combination se khojne hai... " vishal ne iske baad ek-ek kare un barah parchiyun se barah tarah ke alag-alag letter nikal diye jo ki the..
' O,S,L,P,X,H,B,G,A,M,T,L '

" Ye 12 letters nikle hai.. ab inka kya karein? "

" Ye 12 letter koi word banayega.. hume bas vo word banana hai.. "

" hazaron lakhon word ban sakte hai ise.. hume kya pata kya banega.. hamare pas koi book thodi hai.. " rachna ne jhikte hue kaha, use ab yahan se jana tha.

" hai.. book hai.. abhi jiski baat kar rahe the.. " meghnath bola.

" matlab? " vishal aur shruti ek sath bole.

" letters dekho isme vo letter hai jo hume malum hai.. isliye to vedji kabhi us ko nahi jaan paye kyun ki vo hume malum thi aur unhe nahi.. The Book of Hoax aur in letter mein hai H , O , A , X right combination. "

" perfect... " vishal aur shruti ke chehre par muskan thi. Meghnath ne pehle hi kaha tha ki ved ke pas kuch aisa nahi hai jo unke pas hai aur ant mein wahi kaam aya.

" lekin ab kya karein.. word ban gaya ab? " rachna ka fir se wahi sawal ki aage kya.

" Ab hum ise iske sahi kram mein lgayange shayad tab hume kuch pata chale.. tum teeno ki madad lagegi.. " vishal ne itna kaha aur ek karam ke akar mein charon char parchi lekar khade ho gaye jispar roshni padhne ke baad char letter nikalne wale the jo ki ek kram mein the yani ki 'H' 'O' 'A' 'X'

Vishal ne jaise hi pehle wali parchi par light dali. Light pehli parchi se dusri.. dusri se tisri.. tisri se chauthi aur jaise hi chauthi ko paar kiya... uske piche ki deewar par jitni badi light ka akar bana tha uspar ek chitr bana aa gaya jise dekh sabhi ke muh khule ke khule reh gaye. Itna kamal ka drishye tha vo ki kisi ki ankhon ko vishwas nahi ho raha tha.

" photo le lo jaldi... " vishal ne jaise hi kaha, shruti ne mobile se us chitr ki photo le li. Jiske sath hi vishal ne parchiyun par se light hata di aur unhe wapis study table par rakh diya.

" mene yahan par map dekha tha.. " vishal ne turant kaha aur shruti ke hath se phone le liya aur zoom karke uski khinchi photo le li. Meghnath naksha le aya aur study table par khol dia. Vishal ne phone bhi map ke uppar rakh diya aur jis shape ka map phone par bana tha usi shape ko vo world map mein khojne lage. Sabhi ka dil zoron se dhadak raha tha, dhadkta bhi kyun na, vo manzil ke bahut najdeek the. Manzil mano mil hi gayi thi aur tabhi..

" Ye rahi... " vishal ne apni ungli us jagah par rakh di jiski shape map mein huba hu wahi thi jo mobile phone ke dwara li gayi photo mein thi jo us kagaz ke tukdon se nikal kar bahar ayi thi.

" THE AMAZON, BRAZIL " sabhi ki hairani mein ankhein khuli ki khuli reh gayi.
 
Last edited:

DARK WOLFKING

Supreme
15,545
31,865
244
behatareen update ..sabke sab ab jasoosi me mahir ho gaye hai .har ek cheej ko jodkar apne manjil ko haasil karne me lage huye hai .
ved ji ne jo bhi research ki hai wo sab padh daali aur 3 kitabe bhi mili jo kaafi wajandar hai .
kitabo ko padh to nahi paaye kyunki usme alag hi language hai par 12 parchiya mili jisme map hai kisi khoi huyi cheej ka jisko ved sharma dhund raha hai .
kaal ke baare me bahut saari research kar rakhi hai par uska praman nahi hai ki vedji kisiko samjha sake .
jisne anjane me kaal ka nirman kiya wo bhi usko destroy nahi kar paya .
ab ye amazon bazil me kaunsi cheej hai ,kya book of hoax 🤔.
kya ab ye charo milke waha jayenge .
jitni mehnat le rahe hai sab wo wakai shocking hi hai .
ved sharma kya amazon brazil chala gaya hai kuch dhundne ,kyunki usne hi to map banake rakha hai un kitabo me .
 

Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Divine
Moderator
31,045
78,017
304
We have heard such things many times, sometimes from friends, sometimes from family, sometimes it seems that these stories are just entertainment or sometimes it seems that it is true, we did not see it with our own eyes so it's hard to decide anything, Ved Sharma has narrated a similar story to Meghnath, Who knows what is truth and what is lie. :dazed:

The view of the village is scary as if everything has been destroyed also Meghnath gives the reason but sometimes what is seen is not. Well I thought Ved Sharma would tell us something that would ease our problems to some extent but he is not present now let's see what Shruti's team can do. :smile:

Whatever was in Ved Sharma's room, I already said that from one dimension to another or on both the dimensions at the same time and if you get entangled in that, the whole will be repeated and what Vishal Said that is also a possibility and don't know why looking at Aarohi it looks like she is involved, I said this when I gave my first detail review and you still didn't answer it. :sigh2:

Hariya Kaka in full mood back to back updates :D
 

Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Divine
Moderator
31,045
78,017
304
You are absolutely right time travel and paradox and time all three are related to each other but all three are different, I don't have deep knowledge about this but I am saying based on watching some movies and videos. Now coming to the aspect of Demons, they have their own realm and many times he comes to our realm, just like maybe Shreyas also came in our time with the help of that box, Well keeping those things aside which world is Ved Sharma talking about, there are many worlds in this infinite universe but what he wrote seemed like he was trying to focus our attention on one place but on what? :?:

A power that has no form it can be of any form and that power is unconsciously created which only man can destroy, which means I understood much or understood nothing. :?: Had Ved Sharma been present would not have been such a problem. :dazed:

The story is becoming very intense and exciting, we are moving forward adding one thing to another, now it seems that after reading that book will understand what this mystery is but their incomplete knowledge should not make any mistake from them, let's see what happens. :yes2:

It was a excellent update different pleasure to read this update, your writing is unmatched, unthinkable, Hats off! :applause:
 

Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Divine
Moderator
31,045
78,017
304

Death Kiñg

Active Member
1,366
6,932
144
Girls Hostel mein hua haadsa, Mansion mein huye haadse, Vandana Girls School ki kahani, Us factory mein huyi durghatana, Dharmshala ka haadsa aur ab Bhandara mein huyi ghatna.. Is kahani mein anekon jagah dekhne ko mila hai ki kayi logon ki mrityu ek hi jagah par huyi hai... Ye kewal ek coincidence hai athva nahi, ye to aage pata chal hi jaayega, par ek baat saaf ahi ki in sabhi haadson ka Aaruhi se kisi na kisi tareeke se juda hona, ittefaq nahi hai... Bhandara mein saalon pehle jo hua, wo shayad aaj tak koyi samajh hi nahi paaya... Itne logon ki ek saath huyi mrityu, hairaan karne waali hai...

Ho sakta hai ki paani mein kuchh aisa raha ho jiske kaaran unki jaan chali gayi parantu sarkar dwara un 14 logon ko wahaan jaanch ke liye bhejne ke baad bhi kuchh khaas kaaran pata nahi chala paaya!? Paani mein aisi koyi cheez jo jaanlewa ho, apne aap to aayegi nahi, aur aisa kaisa vikrit buddhi ka insaan tha wo jisne poore gaaon ki aabadi ki jaan lene ka soch liya? Kya Ved Sharma jaan gaye the in sabhi mauton ke kaaran ko, ya abhi tak wo bhi asal wajah se anjaan hain? Kya Ved Sharma ki theory ke us “Kaal” ka hi connection tha in mauton se, basharte wo “Kaal” ek theory maatra na hokar, asliyat raha ho!

Ved Sharma un chuninda logon mein se ek hai jinhe sarkar dwara Bhandara mein huyi asamanya mauton ki tehkikat ke liye bheja gaya hai... Par lagta hai ki Ved Bhandara tak hi seemit nahi, uski jaanch ka dayra bohot vistrit hai... Naa kewal Brazil (Amazon) tak balki time travel aur dimensions tak ka concept wo laga chuka hai... Saaf pata chal raha hai ki Ved Sharma bohot samay se isi research athva jaanch mein laga hua tha, jiska nateeja kuchh na nikal saka... Kaaran, wo “Book Of Hoax” jiska naam wo nahi jaanta tha, parantu uske bina bhi jo kuchh Ved ne un panno mein, un kitaabon mein likha, wo uski kabiliyat aur samajh ko darshata hai...

Mere khayal se sabse pehle Shruti ko wo kitaab padhni chahiye jo Meghnath ne hi Library mein us tak pahunchayi thi... Chunki, Meghnath pehle bhi keh chuka hai ki Aaruhi ki haalat ka seedha sambandh hai us kitaab se, to Shruti ko pehle hi us book ko padh lena chahiye tha... Dekhte hain ab wo padhegi ya nahi, aur kya wo kitaab apni jagah par hogi bhi, ya Aaruhi use gaayab kar chuki hai..? Itni sab ghatnaon ke baad ek aur baat samajh aa gayi hai ki Meghnath bhi kuchh na kuchh chhupa raha hai, maana ki wo apne dost ki death ki jaanch karne ke liye bohot samay se in sab baaton ko khangal raha hai, par fir bhi mere hisaab se jitna wo jaanta hai, wo bohot zyada hai... Us source ka naam abhi tak usne nahin bataya hai jiske zariye wo Bhandara aur Ved Sharma tak pahunch gaya...

Bhandara mein jo kuchh hua yadi use Ved Sharma ki “Kaal” naamak theory se joda jaaye, to baaki mass – killings ka bhi sambandh is se fit baithta dikhayi padta hai... Kaal kaun hai? Asal mein hai bhi ya nahi? Koyi praani hai ya kewal ek shakti strot? Ya kewal Ved Sharma ke mann ka bhram/uski soch ki utpatti? Kaal ki duniya jo creator arthat bhagwan ki “galti” se ya anjaane mein ban gayi, ek aisi duniya hai jise ab bhagwaan bhi samaapt nahin kar sakte! Aasan nahi hai is theory ko digest karna, parantu Ved Sharma, jisne apni saari studies aur rachnao ko Vedon aur Purano se derive kiya hai, uski baat ka koyi na koyi goodh rahasya athva mantavya to hoga hi... Saaf shabdon mein, kuchh aisa bhi hai is sabmein jo abhi tak chhupa hai, ya shayad Brazil (Amazon) ki kahani khangalne par hi saamne aayega...

Jo kuchh bhi Ved ke us adbhut kamre mein hua us se kuchh badi baatein saamne aayi hain...

> Book Of Hoax! Ved Sharma ki lekhni ke un panno ke anusaar, Kaal ki duniya ko aur Kaal ko khatam karna ka zariya Book Of Hoax hai. Par kya sachmein aisa hai?
> Book Of Hoax kya hai? Kya wo Amazon mein hi rakhi gayi hai? Agar haan, to kisne rakhi? Ved Sharma ko writings ki maane to “Bhagwaan” ne us kitaab ko banaya taaki insaan uske zariye Kaal ko jaan sake aur khatam kar sake.
> Wo Map! Ved ke paas wo Map kahaan se aaya. Un chhote – chhote tukdon par gadhe gaye wo letters, jinka ek kram Hoax tha, aisi adbhut cheez ki rachna kisne ki?
> Hoax ke alawa jo baaki letters the – S,L,P,B,G,M,T,L... Inka kya matlab tha? Kya ye letters maatra ek chhalawa hain, ya fir inki apni koyi kahani hai? Kya kisi aur hi mystery ko darshate hain ye letters?
> Wo teeno books jinpar taala laga hua tha, unmei kya likha hai? Kya wo kewal wo source hain jinse Ved ne apni theory banayi ya kuchh aur bhi hai un kitaabon mein? Taala lagaya gaya tha unpar, us nakshe ke kaaran ya kitaabon mein likhi baaton ke kaaran?
> Grandfather Paradox, Time Travel aur Relativity, jaise posters ka kamre mein maujood hona seedhe taur par multi – dimensional kahani ki aur ishara karta hai, yaani ki Kaal shayad kisi aur hi dimension ki hakikat bhi ho sakta hai...

Btw. Shreyas saahab ne jab kahani mein darshan diye the, tab usne concept bataya tha us ghatna ka jo Aaruhi ke saath Mansion mein ghati! Uske mutabik Aaruhi ka Present,Past aur Future overlap ho gaya tha aur Aaruhi ne apne hi ateet/bhavishya ko Mansion ke baahar dekh liya tha... Time Travel aur Relativity ke ye posters usi kahani se jude dikhayi padte hain. Sahi maayno mein Ved Sharma ki theory bohot kuchh mel khaati hai un baaton se jo Shreyas tukdon mein batakar gaya tha... Baharhal, aapne ek reply mein bataya tha ki Shreyas Haunted ke emd mein Devil ki duniya mein kaid hokar reh gaya tha (abhi bhi nahi padha maine baaki dono parts ko :sigh:)... Ye Kaal aur us Devil ki duniya ka bhi koyi sambandh hai kya? :huh:

Khair, Bhandara ki ye trip vyarth nahi gayi in logon ki, ye to pakka hai... Par jo kuchh jaana inhone uska use kar paayenge ya nahi? Amazon ka rahasya kya hai ye kaise jaanenge ye log? I don't think ab Brazil gaman kar lenge ye sab, possible hi nahi lagta, par kya wahaan jaane ki zarurat bhi hai? Amazon athva Brazil mein hi hai Book Of Hoax ya us jungle ke zariye kahin aur hi sanket kar gaya wo naksha? Ved Sharma kahaan hai abhi? Ye bhi ek bada sawaal hai... Sabhi 14 log gaayab the, kya kisi khoj athva investigation ke liye gaye huye the, ya fir tapak gaye wo sabhi? Ab dekhna ye hai ki is saari jaankari ko kaise istemal mein laayegi ye detectives ki tukdi!

Idhar Aaruhi football bhi khelti dikhayi di wo bhi ek dum professional tareeke se... Pehle bhi ek baar laga tha ki wo football khelti thi, jab shayad wo Aakash/Vishal ko dekh rahi thi football khelte huye... Shruti se baat bhi huyi thi uski us samay is baare mein, shayad!? Parantu Gagan ko apne saath kaahe lekar gayi hai Aaruhi? Itihaas gawah hai ki jab – jab koyi purush Aaruhi ke nazdeek raha hai uska ticket kata hai, kahani se bhi aur sansaar se bhi... Kahin agla number Gagan ka hi to nahi, achha hi hoga, Manpreet ko bhi oopar jaakar dekh lega fir! :D

Sabhi updates bohot hi khubsurat the bhai! Samajh to ghanta kuchh nahi aaya :D par fir bhi maza aaya padhkar :D... Jab tak kadiyan judengi nahi tab tak kuchh samajh aana waise hi mushkil hai... But I think is Bhandara yaatra se shuruaat ho gayi hai sabhi sawaalon ke jawaab milne ki... Btw. jitni detailings maujood thi in updates mein, us se pata chalta hai ki kitni bareeki se likha hai aapne... Waise bhi jis tarah ye kahani badh rahi hai, saaf pata chal raha hai ki kitna dimaag lagaya hoga lekhak ne is plot par!

Outstanding Updates Bhai & Waiting For Next...
 
9,380
39,528
218
आरोही का गगन को बुलाना उस वक्त भी मुझे अखड़ा था। ताज्जुब की बात है अपने बेस्ट फ्रैंड को एक बार भी जाने के लिए कहा नही और गगन को लेकर प्रैक्टिस करने चली गई।

भंडारा जाते समय बस मे जो कुछ हुआ वैसा होता ही रहता है और न भी हो तो कुछ लोग मौका बना भी लेते है। रचना की शाम तो सच मे रंगीन हो गई। श्रुति का भी दिन बन ही जाता अगर विशाल भाई उसके पीछे खड़े रहता।
जबरदस्त इरोटिका लिखा आपने बस मे चल रही घटनाओं को।

भुत प्रेत से होते हुए कहानी ने Time travel..Paradox...Black hole..Time...Speed..Galaxy etc के दरवाजे पर दस्तक दे दिया। साइंस का यह ऐसा सब्जेक्ट है जिसके बारे मे एक्सपर्ट की अलग अलग थ्योरी है। काफी कम्प्लिकेटेड सब्जेक्ट है यह।
जहां एक तरफ बस का सीन दर्शा कर रीडर्स के सेक्सुअल फीलिंग्स को प्रभावित किया आपने वहीं साइंस सब्जेक्ट और कमरे मे हो रही गतिविधियों को दर्शा कर हमारे रोंगटे खड़े कर दिए।
एक रचना ही थी जिसकी वजह से उस वक्त भी हास्य का माहौल बना हुआ था। बहुत ही जबरदस्त लिखा आपने हर्षित भाई।
एक एक घटनाचक्र को क्या ही बारीकी से प्रस्तुत किया आपने। एक बार फिर से निशब्द कर दिया।

विशाल की वजह से ही वेद शर्मा साहब की पहेली सुलझ पाई थी। चाबी उसने ढूंढा..बुक्स का लाॅक उसने ढूंढा...किताब के अंदर रखी हुई पर्चियों को उसने ढूंढा..पर्चियों के रहस्य का अर्थ वो समझा...H.O.A.X. और The Amazon Brazil जैसी छुपी हुई शब्दों को भी वही खोज निकाला।
अब पता नही यह उसके टैलेंट की वजह से हुआ या कोई इसमे भी राज छुपा हुआ है।

मुझे लगता है भंडारा का काम समाप्त हो गया होगा। भंडारा से याद आया , वहां की कहानी भी काफी विचित्र और खौफनाक से भरा हुआ है। क्या उस गांव का किस्सा भी इस कहानी से जुड़ा हुआ है ?
खैर , इन्हे तत्काल ही वहा से निकलना चाहिए। आखिरी बस चली गई तो पुरी रात उन्हे डर के साये मे रहना होगा।......और इस बार विशाल को श्रुति के साथ ही बस के अंदर खड़ा रखिएगा। रचना जैसी चरम सुख की प्राप्ति शायद उसे भी प्राप्त हो जाए ! बल्कि हो सके तो विशाल को श्रुति और रचना के बीच सैंडविच बना दीजिएगा ! :laughing:

सभी अपडेट बहुत बहुत अच्छे थे हर्षित भाई।
Outstanding & Amazing & brilliant &
जगमग जगमग।
 
Top