• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy " Girls Hostel "

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219

~~INDEX~~

Chapter 1 ~~ " Supriya "
Chapter ~~ 2 " The Illusion "
Chapter ~~ 3 " Catatonic Schizophrenia "
Chapter ~~ 4 " A True Face "
Chapter ~~ 5 " The Antiquarian "
Chapter ~~ 6 " The Amazon "
Finale
Chapter 7 : " Book Of Hoax "

Some Comments for this story :love: (Late Add-on :sigh:)

सच में , यह पुरी स्टोरी दिमाग के परखच्चे उड़ाए जा रही है । कभी लगता है कहानी में सस्पेंस है तो कभी लगता है भ्रम जाल का ताना-बाना बुना हुआ है तो कभी लगता है जैसे कोई रूहानी ताकतें हैं तो कभी लगता है यह सिंपल स्टोरी है जिसमें आरूहि एक गम्भीर बिमारी से पीड़ित है ।

मुझे लगता है इससे बेहतरीन कहानी फिलहाल तो इस फोरम पर नहीं है । और सबसे बड़ी खासियत है आपके लिखने का स्टाइल और अंदाज । आउटस्टैंडिंग हर्षित भाई ।
thoos thoos ke khana khaya aaruhi ne jo ekdam majedar horror type scene tha ..
सही में , हर्षित भाई ! मुझे बहुत ही दया आने लगा है आरूहि पर । अगर किसी हरामखोर की वजह से उसकी हालत ऐसी हुई है तो उसे जहन्नुम का रास्ता जरूर दिखला दिजियेगा ।
WTF!!! Yahi pehla reaction nikalta hai is kahani ko poora padhne ke baad... Halanki pehle bhi maine is kahani ke kuchh 7-8 updates padhe huye the par jab is baar padhna shuru kiya to ek naya sa romanch har beet te update ke saath banta gaya... Bohot hi zyada behatreen tareeke se likhi gayi kahani hai ye, ab jis prakaar ka plot imagine kiya hai lekhak saahab ne uske baad ek nausikhiya bhi likhe to bhi kahani halki nahi ho sakti, aur yahaan jis level ka narration, aur scene specialization hame padhne ko mila hai, wo kaafi hai dikhane ke liye that this is, without a doubt,one of the finest stories available on XF... Chahe wo running stories hon ya fir completed, aur chahe future mein likhi jaane waali kahaniyan, is story ka ek alag hi sthaan bana rehne waala hai forum par... Aur iske liye writer saahab ki jitni bhi tareef ki jaaye wo kam hi hogi...

Fantasy genre ke saath shuru huyi ye kahani, kab alag - alag genres ke darshan karane lagi padhte waqt katayi pata nahi chala... Horror, Suspense, Thriller, Adventure, Romance and of course Fantasy, aur saath hi mein Erotica ke ansh bhi... Ek story mein is se zyada kis cheez ki apeksha kar sakta hai reader!? Again, one of the best stories I've ever read... Outstanding Stuff harshit1890 bhai... :bow: :bow: :bow:
Kya hi khubsurat kahani likhi hai aapne bhai... I'm just speechless, jitni bhi tareef karunga kam hi hogi... Erotica ka bhi bilkul sahi situation mein use Kiya gaya hai aur sabse important har kirdaar par lekhak ki shaandar pakad bani rahi hai... Har character ka kahani mein hona justify kiya gaya hai, kahin bhi koyi bhi character bina matlab nahi ghus aaya...

Ab dekhna ye hai ke Mehta waali meeting mein kaun kaun shaamil tha aur unka maksad kya tha? Aur Shruti is sab ki sachayi jaan bhi paayegi ya nahi? Aruhi sach mein kisi beemari ka shikaar hai ya kewal naatak kar rahi hai? At last, Ek baar ko apun ko ye bhi laga ke asal mein ye sab jo ho raha hai wo kewal Shruti ki kalpana hai... :dazed:

Outstanding Story & Updates Bhai & Waiting For Next...
Harshit bhai... Kayi horror stories padhi hain maine, joki poori tarah se horror genre par based hain but jis tarah ka scene aap create karte ho, taking into note ye story horror genre par based hai bhi nahi, that's phenomenal...
meghnath naam rakhne ke pichhe ki kahani bhi majedar hai 😍😍😍..
jab me TV nahi dekhta( waise tha nahi nahi ghar par ) tha bachpan me aur bas naam suna karta tha to khudko SHAKTI KAPOOR. kehta tha dosto ke bich 🤣🤣🤣..ye kissa padhke bachpan ki yaade taaza ho gayi 😍😍😍..
Slowly my interest is increasing towards the story full of adventure, fun to read, no doubt you are a great writer, thank you for writing such a beautiful story.
Have to admit, your story completely twists the thinking, sometimes it seems in the mind that it is just a disease and sometimes it seems like something supernatural. Your writing is commendable, even after writing this much there are many questions and there will be many such points which I have missed. In some scenes there was a combination of intensity as well as erotic scenes, which you have shown very well, what should I say now, now the words of praise are over understand my feelings.
harshit1890 Hats Off... enjoyed it. :applause:
but why were you making her nude everytime in front of everyone. :angry:
मुझे नहीं लगता दुनिया में कोई भी ऐसा माई का माल होगा जिसे इस कहानी की पहेली समझ में आ रही हो। गजब का दिमाग हिला रखा है आपने हर्षित भाई।
The whole incident, that Mansion one was written so beautifully that no words are sufficient to describe it! Ismein koyi doraye nahin ki maine aaj tak kisi ko bhi is tarah ka horror likhte nahi dekha hai... Haunted ko read kiya tha maine, kaafi pehle, aur main bilkul daave se keh sakta hoon, that you're the best,when it comes to generating real fear in readers, while they read the story..
Bhatt the phakk is this estory?:redface:
 
Last edited:

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
Update ~~ 96

" Jo tasveer tumne dekhi us tasveer mein koi aur nahi balki aaruhi ke dad hai... " urvashi ne shruti ko bataya to ek pal khamoshi ne wahan apna ghar bana lia. Aaruhi ko uske room mein laita diya gaya tha. Laitte sath hi vo nind ki agosh mein jaa chuki thi.

" Ye kya bol rahi hai aap aunty? Vo aaruhi ke dad kaise ho sakte hai .. photo mein to "

" Mar chuke hai.. " Urvashi ne shruti ko bich mein rokte hue kaha to shruti ko ek ke baad ek dusra jhatka laga.

" Aunty... Main kuch ... " shruti kuch keh hi nahi paa rahi thi. Uski nazar urvashi par tiki hui thi. Urvashi ne ek lambi sans chhodi, kuch soch kar uski palkon par ansu utar aye the jise usne turant hata dia.

" Aaruhi 9th class mein thi.. Kuch mahino tak aaruhi ki zindagi mein pareshani rehne ke baad, vo kush hui thi kyun ki uske dad Kapil chuttiyun se 6 mahine baad ghar laute the, vo bahut kush thi... par us din jo hua.. vo na to main samajh payi na hi koi aur vkyati jisne aaruhi ke dad ko us tarah dekha.. koi nahi janta tha ki ye sab kaise hua ... sivai aaruhi ke... uske mutabik usne sab dekha tha.. wahin baith kar.. jahan vo tumhe aaj baithi mili thi.. uske dad usi room ke bistar par the jiski tumne photo dekhi.. Aaruhi ke mutabik us din jab vo school se ghar lauti to thakne ki wajah se fresh hokar vo sidhe apne dad se milne jaa pahunchi jo shayad thakan ke chalte soo rahe the..."

Some Months in 2009

" dad ? aap soo rahe hain? " kamre ki dehleez par khade hokar aaruhi ne pucha. Awaz sun Kapil ne ankhein kholi aur bina kuch kahe aaruhi ko andar ane ka ishara kiya. Aaruhi andar ayi aur kapil ke sath bagal mein baith gayi. Kapil ne aaruhi ki hatheli ko apne hatheli mein liya aur muskura diye. Aaruhi bhi muskura di, use apne papa ka sath hamesha se hi sukun deta tha. Kal raat dher sari baatein karne ke baad bhi uska man nahi bhara tha.

" aap so rahe hain to baad mein aaun? " aaruhi ki baat par nah mein sar hilate hue aise hi jawab diya aur dono ek dusre ko dekhne lage. " dad i missed you.. " aaruhi ne kehte hue apne hath ka dabab kapil ke hathon par badha dia. Kapil ki muskan ek pal ke liye badhi hui aur fir ek dum se gayab ho gayi aur eka-ek pure chehre par pasina utar aya.

" Kya hua dad apko garmi lag rahi hai ? " aaruhi ne chehre par aye pasine ko dekhte hue kaha par kapil ne koi jawab nahi diya aur 'aarghhh' lambi lambi ahein bharne laga.

" kya hua dad... aap theek to hai.. " aaruhi ek dum se hue badlav ko dekh ghabra gayi. Uska hath kapil ke hath se jaise hi chhuta kapil ka sharir tezi se hilne laga, sharir bistar par jhatke lene laga.

" dad... dad.. ye kya ho raha hai.. dad.. " aaruhi ne kapil ke sine par hath rakha aur chehre ko pakadne ki kosish bhi kari lekin sharir ka hilna band hi nahi hua. " dad.. " aaruhi zor se chillai aur usi ke sath kapil ka sharir hilna band ho gaya. " da..d... dad.. aap theek to hai.. " mathe par hath ferte hue vo puchne lagi, uski ankhon mein ansu aa chuke the. Dar buri tarah se sharir mein daud raha tha. Kapil ki ankhein puri tarah khuli thi mano kisi ne dono taraf se khinch rakhi ho.

" aap kuch bol kyun nahi rahe.. dad... " gal thap-thapate hue jab aaruhi ne kapil se jawab lene ki kosish kari tab use ehsas hua ki kapil ka sharir ek dum pathar ki tarah akda hua hai. Vo abhi kuch aur sochti utne mein use awaz sunai di.

'Kaddd-kadddd' jaise koi chiz chatak rahi ho. Usne apni nazre awaz ki disha mein ghumai to paya ki vo awaz uske piche se aa rahi thi aur vo bhi kahin aur se nahi balki kapil ke peron ki taraf se. Jahan ghutne se vo per uppar sidhe uthe hue the aur dhire-dhire aaruhi ki taraf hi badh rahe the yani kapil ke per uske sine ki taraf.

" dad.. " aaruhi kapil ke pas se hatt kar deewar ke sahare aa khadi hui itne mein kapil ke per ke panjo ne uske sine ke najdeek aa chuke the. Isi ke sath jhang se lekar kamar ki hadiyun ke 'kadd-kadd' tutne ki awaz lagatar tezz hoti jaa rahi thi. Panje kapil ke chehre tak aa chuke the aur dekhte dekhte vo uske muh ke andar jaa ghusa.

" dad.... " aaruhi cheekhti hui ye dekh bardasht nahi kar paa rahi thi. Kapil ka dusra per bhi sidhe uthne laga aur fir hips ki hadiyan tuttne ke sath vo bhi uske muh ki taraf badhne laga, ek per to uske muh ke andar hi tha aur dusra bhi vo apne muh ke andar hi dalna chahta tha lekin muh mein jagah nahi thi. Kapil ki ankhein abhi bhi puri tarah se khuli thi mano vo ye sab hosh-o-awaz mein kar raha ho. Uska dusra per muh mein andar janne ki kosish mein laga hua tha lekin muh ke andar pehle hi ek panja tha, dusra dalne ke liye uske hath uthe aur tangon ke niche se apne honton ke dono hisse pe gaye aur wahan se use viprit disha mein khichne lage taki muh chauda ho jaye. Hathon mein is kadar takat lagne lagi ki maans fatne laga aur khoon ka risav shuru ho gaya.

" ahhhh dad ruk jao... please.... " aaruhi rote hue ye sab dekh rahi thi lekin kapil sunne mein nakam tha. Uske hathon ki takat lagti jaa rahi thi aur vo apne muh ko chauda karne ka pryaad kare jaa raha tha aur isi ke chalte uske jabde tutne shuru ho gaye aur khoon ki matra kahin aur jada tezi se nikalne lagi. Aaruhi ek sans rote hue rukne ko keh rahi thi lekin ruk to raha hi nahi tha. Jabda tuta aur gaal ko vo ungliyan chilti hui piche ki taraf le gayi jisne kapil ke chehre ke nichle hisse ko khatam kar dia, khoon pani ki tarah beh raha tha. Muh ab chauda ho chuka tha aur jagah patte hi panja muh ke andar jaa thusa. Ungliyun ne abhi bhi dono chhor se thama hua tha jo ab hissa gallh ko fadtta aur jabdon ko todta hua kaan tak aa pahuncha tha. Dono panje andar to ghus gaye lekin abhi bhi ruke nahi the, vo ab galle ke andar ghusne ki kosish karne lage aur isi ke sath kapil ki naak aur ankh se khoon risne laga, pehle pal to bahut kam lekin jab dono panje gale ke andar tezi se ghusne lage to khoon ankh aur naak se tezi se behne laga aur tabhi vo dono panje galle ke andar itni tezzi se ghuse ki gardan-galle ki banawat badal gayi dono side se fulh gaye aur tabhi ek jhatke se galle ke aage ka mas ka tukda 'pccchh' bahar aya jiske haddi ka ek tukda tha aur kapil ke sine par aa gira aur usi ke sath khoon ki dhara wahan se riste hue gardan par felh kar sine par jama hone laga aur dono panjo ke anguthe galle ke us ched se thoda bahar aa nikle.

" dad... aanh...dad... "

" Aaruhi zoron se cheekhte hui wahin baithi roti rahi aur hume jab vo mili tab usi halat mein thi jaise tumhe mili thi. Sadme mein thi.. aur kafi waqt tak rahi. Hum mein se kisi ko kuch samajh nahi aya ki jo sabne dekha vo ankhon ka dhoka tha ya hakikat tha. Hafton police kosish karti rahi, aaruhi se kuch sawal jawab bhi kiye lekin aaruhi ke mansik tanav ke chalte kuch hassil nahi hua. Hafte mahine beet gaye, mujhe khud ko sambhalna tha warna aaruhi is sadme se bahar nahi aa pati. Par main nahi janti thi ki aaruhi already sadme mein jaa chuki hai. 1 mahine baad jab usne kaha ki Kapil kab wapis ayenge. Main usko kuch keh hi nahi payi aur dhire-dhire samajh aya ki use jaise apne dad ki death ke bare mein kuch yaad hi nahi hai. Mene doctor ko consult kiya ..." urvashi ek pal chup hui aur shruti ko dekhne lagi mano ek taraf shruti kuch kehna cha rahi aur urvashi use keh rahi ho ki vo sahi soch rahi hai.

" Psychiatrist... Aaruhi ko psychiatrist ke pas le jaa chuki hun isliye dusri baar jab aaruhi ko dikhane ki baat samne ayi to main dar gayi thi ki kahin kapil ki yadein taza na ho jaye kyun ki doctor ne keh dia tha ki aaruhi ko uske dad ki death ka bahut gehra shock laga hai isliye uski memory ne us instance ko hi hata dia hai..aur main jitni kosish kar sakti hun is baat ko uske samne nahi lana hai... kabhi uske dad ki death ka jikar nahi karna hai.. Aur tabse lekar har roz meri bas yahi kosish rehti hai ki aaruhi apne dad ke bare mein baat na kare.. usko to yahi lagta hai ki kapil lambe time se border par hai aur vo ghar nahi aa rahe hai.. isliye to unki baat ane par vo naraz ho jati hai.. Main apni beti .... beti se... uske dad ke bare mein baat tak nahi kar sakti.. " urvashi apne emotion control nahi kar payi aur uski ankhon se ansu utar aye. Urvashi ko rota hua dekh, shruti ki himmat nahi ho rahi thi ki vo kuch kahe ya puche lekin use ye samajh aa gaya tha ki aaruhi kyun apne dad ke bare mein jada baat nahi karti thi. Kyun ghar mein uske dad ki tasveer nahi thi aur kyun us room ka darwaja band tha bas usi ke sath kuch sawal uske man mein dhaad-dhaad karke thokar maar rahe the. Yahi ki akhir urvashi ne jo bataya vo pura sach hai to kapil ke sath aisa kaise ho sakta hai? Kya koi us samay room mein tha jiske bare mein aaruhi ko yaad nahi aur usne aisa kiya? Kuch pal tak urvashi ke subakne ki awaz hi wahan maujud rahi aur fir usne apni naak saaf karte hue jazbaton par kabu patte hue ankhon se chalke ansuon ko hata dia.

" i am sorry aunty.. shayad meri wajah se aaj aaruhi ne.. "

" nahi beta.. " urvashi ne apna galla theek kiya " isme tumhari koi galti nahi hai.. aaruhi ... " usne soti hui aaruhi ke chehre ki taraf dekha jiske galon par rone ki wajah se failhe hue kajal ke nishan the baki pure chehre par sirf masumiyat. " Aaruhi.. ko kaise theek karun samajh hi nahi ata.. "

" Aunty.. itni badi baat aaruhi apne man mein lekar jee rahi hai.. shayad usi ki wajah se to ye sab nahi ho raha " shruti ne reh-reh kar apni baat kahi.

" Sab meri galti hai.. aaruhi ko kho na dun us wajah se mene is baat par dhayan hi nahi diya ki aaruhi ko reality se dur rakhne par kahin vo puri tarah se reality se dur hi na ho jaye.. "

" aisa nahi hai aunty.. apne jo kiya vo .. uske liye sahi tha.. waqt rehte aaj nahi to kal vo is kisse ko wapis se yaad kar hi leti aur tab bhi use itni hi takleef hoti .. "

" Kya karun shruti.. i lost my husband.. but i don't want to loose her.. " urvashi ki ankh se ansu utar aya. Shruti in mamlo mein kachi thi use samajh nahi aa raha tha ki vo kis tarah handle kare.

" Aunty.. i know ye sahi samay nahi hai.. lekin mera manna hai ki agar hume aaruhi ko sahi karna hai to har sawal ke jawab ko samne rakhna hoga.. main apse kuch puchna chahti hun " urvashi shruti ki baat sun kar ek pal use dekhti rahi aur fir usne apne ansu poche aur apne jazbaton ko halat se hataye.

" hmm.. pucho "

" Aunty jaisa apne kaha ki aaruhi ne apko bataya .. to kya usne apko bataya sach mein sab? "

" Nahi.. usne mujhe keh kar nahi bataya .. mene uski diary mein pada tha .. vo bhi tab pada jab vo already ye manti thi ki uske dad duty par hai "

" vo diary kahan hai? apne kaha tha na ki aaruhi diary likhti thi ? "

" Hmm. lekin usne us diary mein nahi likha tha.. darasal diary likhna to usne usi saal chhod diya tha ye sab usne ek dusri diary mein likha tha.."

" to vo diary kahan hai kya main dekh sakti hun? "

" Nahi .. "

" Kyun? i mean.. main bas.. "

" Nahi mera matlab tha ki vo diary ab kahan hai malum nahi.. mene aaruhi se chipane ke liye chupai thi lekin vo ab wahan nahi hai.. i don;t know vo kahan gayi.. "

" ajeeb baat hai.. kahin aaruhi ne to nahi? "

" keh nahi sakti.. par us din ke baad aaj tak aaruhi ne kabhi aisa kuch nahi kiya jise ye pata chale ki use apne dad ke bare mein malum hai.. "

" diary khojna jaruri hai.. kya pata usme kuch aur bhi likha ho... waise aunty vo photo us room mein kaise ayi? " shruti ke man mein badi der se chal rahi thi ye baat.

" post-martam ki li gayi photo jab police case ke sath ghar layi thi shayad unme se ek photo wahin gir gayi thi. Main us drishye ko aaj bhi yaad karti hun to sharir kanp uthta hai.. Photo fenki hi nahi gayi.. shayad is dard se bahar nahi nikal paa rahi thi ki aisa bhi ho sakta hai isliye mene use usi room mein chupa diya tha. I don't know aaruhi ne kaise dhundi.. sab meri galti hai.. mujhe use chupana hi nahi chahie tha.. fenk dena chahie tha.. " urvashi fir emotional ho chali thi. Shruti samajh gayi thi ki ye sahi samay nahi hai baat karne ka lekin ant mein jate jate usne apna akhri sawal kiya.

" Aunty, vandana.. aaruhi ki friend thi aur uski death bhi usi saal hui thi jis saal uncle ki .. aur apne kaha tha ki vo kafi pareshan thi apne dad ke ane se pehle, kya wo usi ki death ki wajah se pareshan thi? "
 
Last edited:

GuptAbhishek

Member
275
593
108
Update ~~ 96

" Jo tasveer tumne dekhi us tasveer mein koi aur nahi balki aaruhi ke dad hai... " urvashi ne shruti ko bataya to ek pal khamoshi ne wahan apna ghar bana lia. Aaruhi ko uske room mein laita diya gaya tha. Laitte sath hi vo nind ki agosh mein jaa chuki thi.

" Ye kya bol rahi hai aap aunty? Vo aaruhi ke dad kaise ho sakte hai .. photo mein to "

" Mar chuke hai.. " Urvashi ne shruti ko bich mein rokte hue kaha to shruti ko ek ke baad ek dusra jhatka laga.

" Aunty... Main kuch ... " shruti kuch keh hi nahi paa rahi thi. Uski nazar urvashi par tiki hui thi. Urvashi ne ek lambi sans chhodi, kuch soch kar uski palkon par ansu utar aye the jise usne turant hata dia.

" Aaruhi 9th class mein thi.. Kuch mahino tak aaruhi ki zindagi mein pareshani rehne ke baad, vo kush hui thi kyun ki uske dad Kapil chuttiyun se 6 mahine baad ghar laute the, vo bahut kush thi... par us din jo hua.. vo na to main samajh payi na hi koi aur vkyati jisne aaruhi ke dad ko us tarah dekha.. koi nahi janta tha ki ye sab kaise hua ... sivai aaruhi ke... uske mutabik usne sab dekha tha.. wahin baith kar.. jahan vo tumhe aaj baithi mili thi.. uske dad usi room ke bistar par the jiski tumne photo dekhi.. Aaruhi ke mutabik us din jab vo school se ghar lauti to thakne ki wajah se fresh hokar vo sidhe apne dad se milne jaa pahunchi jo shayad thakan ke chalte soo rahe the..."

Some Months in 2009

" dad ? aap soo rahe hain? " kamre ki dehleez par khade hokar aaruhi ne pucha. Awaz sun Kapil ne ankhein kholi aur bina kuch kahe aaruhi ko andar ane ka ishara kiya. Aaruhi andar ayi aur kapil ke sath bagal mein baith gayi. Kapil ne aaruhi ki hatheli ko apne hatheli mein liya aur muskura diye. Aaruhi bhi muskura di, use apne papa ka sath hamesha se hi sukun deta tha. Kal raat dher sari baatein karne ke baad bhi uska man nahi bhara tha.

" aap so rahe hain to baad mein aaun? " aaruhi ki baat par nah mein sar hilate hue aise hi jawab diya aur dono ek dusre ko dekhne lage. " dad i missed you.. " aaruhi ne kehte hue apne hath ka dabab kapil ke hathon par badha dia. Kapil ki muskan ek pal ke liye badhi hui aur fir ek dum se gayab ho gayi aur eka-ek pure chehre par pasina utar aya.

" Kya hua dad apko garmi lag rahi hai ? " aaruhi ne chehre par aye pasine ko dekhte hue kaha par kapil ne koi jawab nahi diya aur 'aarghhh' lambi lambi ahein bharne laga.

" kya hua dad... aap theek to hai.. " aaruhi ek dum se hue badlav ko dekh ghabra gayi. Uska hath kapil ke hath se jaise hi chhuta kapil ka sharir tezi se hilne laga, sharir bistar par jhatke lene laga.

" dad... dad.. ye kya ho raha hai.. dad.. " aaruhi ne kapil ke sine par hath rakha aur chehre ko pakadne ki kosish bhi kari lekin sharir ka hilna band hi nahi hua. " dad.. " aaruhi zor se chillai aur usi ke sath kapil ka sharir hilna band ho gaya. " da..d... dad.. aap theek to hai.. " mathe par hath ferte hue vo puchne lagi, uski ankhon mein ansu aa chuke the. Dar buri tarah se sharir mein daud raha tha. Kapil ki ankhein puri tarah khuli thi mano kisi ne dono taraf se khinch rakhi ho.

" aap kuch bol kyun nahi rahe.. dad... " gal thap-thapate hue jab aaruhi ne kapil se jawab lene ki kosish kari tab use ehsas hua ki kapil ka sharir ek dum pathar ki tarah akda hua hai. Vo abhi kuch aur sochti utne mein use awaz sunai di.

'Kaddd-kadddd' jaise koi chiz chatak rahi ho. Usne apni nazre awaz ki disha mein ghumai to paya ki vo awaz uske piche se aa rahi thi aur vo bhi kahin aur se nahi balki kapil ke peron ki taraf se. Jahan ghutne se vo per uppar sidhe uthe hue the aur dhire-dhire aaruhi ki taraf hi badh rahe the yani kapil ke per uske sine ki taraf.

" dad.. " aaruhi kapil ke pas se hatt kar deewar ke sahare aa khadi hui itne mein kapil ke per ke panjo ne uske sine ke najdeek aa chuke the. Isi ke sath jhang se lekar kamar ki hadiyun ke 'kadd-kadd' tutne ki awaz lagatar tezz hoti jaa rahi thi. Panje kapil ke chehre tak aa chuke the aur dekhte dekhte vo uske muh ke andar jaa ghusa.

" dad.... " aaruhi cheekhti hui ye dekh bardasht nahi kar paa rahi thi. Kapil ka dusra per bhi sidhe uthne laga aur fir hips ki hadiyan tuttne ke sath vo bhi uske muh ki taraf badhne laga, ek per to uske muh ke andar hi tha aur dusra bhi vo apne muh ke andar hi dalna chahta tha lekin muh mein jagah nahi thi. Kapil ki ankhein abhi bhi puri tarah se khuli thi mano vo ye sab hosh-o-awaz mein kar raha ho. Uska dusra per muh mein andar janne ki kosish mein laga hua tha lekin muh ke andar pehle hi ek panja tha, dusra dalne ke liye uske hath uthe aur tangon ke niche se apne honton ke dono hisse pe gaye aur wahan se use viprit disha mein khichne lage taki muh chauda ho jaye. Hathon mein is kadar takat lagne lagi ki maans fatne laga aur khoon ka risav shuru ho gaya.

" ahhhh dad ruk jao... please.... " aaruhi rote hue ye sab dekh rahi thi lekin kapil sunne mein nakam tha. Uske hathon ki takat lagti jaa rahi thi aur vo apne muh ko chauda karne ka pryaad kare jaa raha tha aur isi ke chalte uske jabde tutne shuru ho gaye aur khoon ki matra kahin aur jada tezi se nikalne lagi. Aaruhi ek sans rote hue rukne ko keh rahi thi lekin ruk to raha hi nahi tha. Jabda tuta aur gaal ko vo ungliyan chilti hui piche ki taraf le gayi jisne kapil ke chehre ke nichle hisse ko khatam kar dia, khoon pani ki tarah beh raha tha. Muh ab chauda ho chuka tha aur jagah patte hi panja muh ke andar jaa thusa. Ungliyun ne abhi bhi dono chhor se thama hua tha jo ab hissa gallh ko fadtta aur jabdon ko todta hua kaan tak aa pahuncha tha. Dono panje andar to ghus gaye lekin abhi bhi ruke nahi the, vo ab galle ke andar ghusne ki kosish karne lage aur isi ke sath kapil ki naak aur ankh se khoon risne laga, pehle pal to bahut kam lekin jab dono panje gale ke andar tezi se ghusne lage to khoon ankh aur naak se tezi se behne laga aur tabhi vo dono panje galle ke andar itni tezzi se ghuse ki gardan-galle ki banawat badal gayi dono side se fulh gaye aur tabhi ek jhatke se galle ke aage ka mas ka tukda 'pccchh' bahar aya jiske haddi ka ek tukda tha aur kapil ke sine par aa gira aur usi ke sath khoon ki dhara wahan se riste hue gardan par felh kar sine par jama hone laga aur dono panjo ke anguthe galle ke us ched se thoda bahar aa nikle.

" dad... aanh...dad... "

" Aaruhi zoron se cheekhte hui wahin baithi roti rahi aur hume jab vo mili tab usi halat mein thi jaise tumhe mili thi. Sadme mein thi.. aur kafi waqt tak rahi. Hum mein se kisi ko kuch samajh nahi aya ki jo sabne dekha vo ankhon ka dhoka tha ya hakikat tha. Hafton police kosish karti rahi, aaruhi se kuch sawal jawab bhi kiye lekin aaruhi ke mansik tanav ke chalte kuch hassil nahi hua. Hafte mahine beet gaye, mujhe khud ko sambhalna tha warna aaruhi is sadme se bahar nahi aa pati. Par main nahi janti thi ki aaruhi already sadme mein jaa chuki hai. 1 mahine baad jab usne kaha ki Kapil kab wapis ayenge. Main usko kuch keh hi nahi payi aur dhire-dhire samajh aya ki use jaise apne dad ki death ke bare mein kuch yaad hi nahi hai. Mene doctor ko consultant kiya ..." urvashi ek pal chup hui aur shruti ko dekhne lagi mano ek taraf shruti kuch kehna cha rahi aur urvashi use keh rahi ho ki vo sahi soch rahi hai.

" Psychiatrist... Aaruhi ko psychiatrist ke pas le jaa chuki hun isliye dusri baar jab aaurhi ko dikhane ki baat samne ayi to main dar gayi thi ki kahin kapil ki yadein taza na ho jaye kyun ki doctor ne keh dia tha ki aaruhi ko uske dad ki death ka bahut gehra shock laga hai isliye uski memory ne us instance ko hi hata dia hai..aur main jitni kosish kar sakti hun is baat ko uske samne nahi lana hai... kabhi uske dad ki death ka jikar nahi karna hai.. Aur tabse lekar har roz meri bas yahi kosish rehti hai ki aaruhi apne dad ke bare mein baat na kare.. usko to yahi lagta hai ki kapil lambe time se border par hai aur vo ghar nahi aa rahe hai.. isliye to unki baat ane par vo naraz ho jati hai.. Main apni beti .... beti se... uske dad ke bare mein baat tak nahi kar sakti.. " urvashi apne emotion control nahi kar payi aur uski ankhon se ansu utar aye. Urvashi ko rota hua dekh, shruti ki himmat nahi ho rahi thi ki vo kuch kahe ya puche lekin use ye samajh aa gaya tha ki aaruhi kyun apne dad ke bare mein jada baat nahi karti thi. Kyun ghar mein uske dad ki tasveer nahi thi aur kyun us room ka darwaja band tha bas usi ke sath kuch sawal uske man mein dhaad-dhaad karke thokar maar rahe the. Yahi ki akhir urvashi ne jo bataya vo pura sach hai to kapil ke sath aisa kaise ho sakta hai? Kya koi us samay room mein tha jiske bare mein aaruhi ko yaad nahi aur usne aisa kiya? Kuch pal tak urvashi ke subakne ki awaz hi wahan maujud rahi aur fir usne apni naak saaf karte hue jazbaton par kabu patte hue ankhon se chalke ansuon ko hata dia.

" i am sorry aunty.. shayad meri wajah se aaj aaruhi ne.. "

" nahi beta.. " urvashi ne apna galla theek kiya " isme tumhari koi galti nahi hai.. aaruhi ... " usne soti hui aaruhi ke chehre ki taraf dekha jiske galon par rone ki wajah se failhe hue kajal ke nishan the baki pure chehre par sirf masumiyat. " Aaruhi.. ko kaise theek karun samajh hi nahi ata.. "

" Aunty.. itni badi baat aaruhi apne man mein lekar jee rahi hai.. shayad usi ki wajah se to ye sab nahi ho raha " shruti ne reh-reh kar apni baat kahi.

" Sab meri galti hai.. aaruhi ko kho na dun us wajah se mene is baat par dhayan hi nahi diya ki aaruhi ko reality se dur rakhne par kahin vo puri tarah se reality se dur hi na ho jaye.. "

" aisa nahi hai aunty.. apne jo kiya vo .. uske liye sahi tha.. waqt rehte aaj nahi to kal vo is kisse ko wapis se yaad kar hi leti aur tab bhi use itni hi takleef hoti .. "

" Kya karun shruti.. i lost my husband.. but i don't want to loose her.. " urvashi ki ankh se ansu utar aya. Shruti in mamlo mein kachi thi use samajh nahi aa raha tha ki vo kis tarah handle kare.

" Aunty.. i know ye sahi samay nahi hai.. lekin mera manna hai ki agar hume aaruhi ko sahi karna hai to har sawal ke jawab ko samne rakhna hoga.. main apse kuch puchna chahti hun " urvashi shruti ki baat sun kar ek pal use dekhti rahi aur fir usne apne ansu poche aur apne jazbaton ko halat se hataye.

" hmm.. pucho "

" Aunty jaisa apne kaha ki aaruhi ne apko bataya .. to kya usne apko bataya sach mein sab? "

" Nahi.. usne mujhe keh kar nahi bataya .. mene uski diary mein pada tha .. vo bhi tab pada jab vo already ye manti thi ki uske dad duty par hai "

" vo diary kahan hai? apne kaha tha na ki aaruhi diary likhti thi ? "

" Hmm. lekin usne us diary mein nahi likha tha.. darasal diary likhna to usne usi saal chhod diya tha ye sab usne ek dusri diary mein likha tha.."

" to vo diary kahan hai kya main dekh sakti hun? "

" Nahi .. "

" Kyun? i mean.. main bas.. "

" Nahi mera matlab tha ki vo diary ab kahan hai malum nahi.. mene aaruhi se chipane ke liye chupai thi lekin vo ab wahan nahi hai.. i don;t know vo kahan gayi.. "

" ajeeb baat hai.. kahin aaruhi ne to nahi? "

" keh nahi sakti.. par us din ke baad aaj tak aaruhi ne kabhi aisa kuch nahi kiya jise ye pata chale ki use apne dad ke bare mein malum hai.. "

" diary khojna jaruri hai.. kya pata usme kuch aur bhi likha ho... waise aunty vo photo us room mein kaise ayi? " shruti ke man mein badi der se chal rahi thi ye baat.

" post-martam ki li gayi photo jab police case ke sath ghar layi thi shayad unme se ek photo wahin gir gayi thi. Main us drishye ko aaj bhi yaad karti hun to sharir kanp uthta hai.. Photo fenki hi nahi gayi.. shayad is dard se bahar nahi nikal paa rahi thi ki aisa bhi ho sakta hai isliye mene use usi room mein chupa diya tha. I don't know aaruhi ne kaise dhundi.. sab meri galti hai.. mujhe use chupana hi nahi chahie tha.. fenk dena chahie tha.. " urvashi fir emotional ho chali thi. Shruti samajh gayi thi ki ye sahi samay nahi hai baat karne ka lekin ant mein jate jate usne apna akhri sawal kiya.

" Aunty, vandana.. aaruhi ki friend thi aur uski death bhi usi saal hui thi jis saal uncle ki .. aur apne kaha tha ki vo kafi pareshan thi apne dad ke ane se pehle, kya wo usi ki death ki wajah se pareshan thi? "
Ab mja aaya story ka ye update tha kuch kuch mere taste k hisab ka story bahut hi dilchasp hoti ja ri hai mudde to bahut hai bate krne ki but in dino me kafi busy chal ra hu isliye late night update padh like kr deta hu bs jese hi time milega me comment krna start krunga and thanks harshit Bhai ye story suggest krne k liye I love it



Keep writing keep rocking 😎


Waiting for next update
 

DARK WOLFKING

Supreme
15,534
31,893
244
romanchak update ..to wo photo aaruhi ke dad ki thi aur shayad bhayanak bhi .jisme uske maut ke waqt ka manjar tha .
aruhi ke dad ka aise dardnak tarike se marna samajh nahi aaya 🤔🤔..
haddiya tootna aur pair ko gale me le lena .
aruhi ke saamne hi uske papa ki dardnak maut ho gayi .padhkar hi itna darr laga to jab saamne dekha hoga to aruhi ka haal kha hua hoga ye bayan karna mushkil hai .
par aisa kya reason tha jo aisi maut huyi kapil ki 🤔🤔.

aruhi ko kuch yaad nahi hai apne baap ke baare me ,sirf itna yaad hai ki wo border pe hai .
 

Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Divine
Moderator
31,208
78,135
304
Vandana was mentioned and Aarohi remembered her father at first I did not understand anything but then I understood that Vandana is not in this world and Aarohi's father too maybe because of this she could not stop herself. Till now we used to think that kapil is alive because there is very little mention of him in the story and today i came to know about his death don't know why i didn't like watching all this it was very scary scene, At a young age Aarohi saw all that no one should have seen and perhaps this had a deep impact on her mind, why did this happen with such a cute innocent girl :cry2:

When Aarohi's father died it was as if someone was getting Aarohi's father to do thing but who could be, On one hand mind says that or we have seen that wherever there is Aarohi, there is death, even if it is because of her and she is not even aware of it. what is happening, if in doubt whom to do. Maybe I am not able to relate the story. The death of both Vandana and Kapil in the same year is no coincidence, whenever something happens Aarohi is around, something happens which we cannot see.


Update was very emotional, you are writing very well, Thank You...
 
Top