• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)

PkPasi

New Member
92
218
48
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SCHOOL ME NITS DUBEY SIR KE SAWAL JAWAB SE BACH JAATA HAI, DUSRI TARAF SANVY KI INTENSE COMBAT TRAINING ME DIMPLE USKI MADAD KARTI HAI WAHIN TEESRI TARAF UTTARAKHAND KE ALAG ALAG CITIES ME G.O.D BUM DHAMAKE KARTA HAI.

AB AAGE:-

CHAPTER 1

(ETIOLOGY OF BEING GALATH)

DATE-26TH JANUARY

UPDATE-89

CITY-DEHRADUN

PLACE-SIRIUS

DHAMM...DHAMM...DHAMM...DHAMM...

1,2,3,4,5,6,7,8...

march past ke baad double drums hit hote hi KADAMTAAL ke final 8 steps hote hi ek lay ke saath sabhi students ke pair tham chuke the...

rashtradwaj joko aaj SIRIUS ke parade ground ke beecho beech upar lehra tha,uske theek saamne apni chaati taane SAM boys ke commander position me khada tha...

theek ussi ki tarah uske daayen taraf DIMPLE joki aaj girls commander thi, khadi thi...

un dono ke hi piche SIRIUS ke saare boys aur girls savdhaan mudra me khade national flag ke dusri taraf bane stage ko dekh rahe the jahan is waqt PRINCI ke saath lagbhagh sabhi faculty members moujud the...

gantantra diwas ke is mouke par waise toh har saal SIRIUS me UTTARAKHAND ka koi na koi naami vyakti mukhya atithi ke roop me aata tha par kyunki kuch dino pehle hi SIRIUS ne apne history ka sabse bada sports event kiya tha, isiliye is baar unhone apne republic day ke program ko thoda personal rakha tha...

invitation par sirf parents hi bulaye the PRINCI ne aur lagbhagh saare hi students ke parents aaye bhi the aaj...

par kyunki independence day aur republic day hi aise do din hote hain jinme outsiders ko bhi premises me enter karne ki permission hoti hai isiliye is waqt parents ke saath saath ground pura hi local people se bhara hua tha...

ab bhala kaun hoga aisa jo SIRIUS jaise lavish school ko andar se dekhna aur yahan ke famous marchpast ko witness nahi karna chahega...!!!

upar se marchpast ke baad SIRIUS ke chuninda students har saal ki hi tarah is baar bhi patriotic songs ke upar dance aur singing bhi karne waale the jisse dekhne ke liye bheed kuch zyada hi taadad me yahan ikaatha ho chuki thi...

khair,KADAMTAAL rookte hi PRINCI stage ke centre ki taraf badh gayi...

PRINCI-with that, we conclude the first segment of this year's republic day celebration...

but celebration ka asli matlab hota hai to cherish it... cherish it by singing and dancing at the most amazing songs made about the glory of our country...

aur ab wahi hone waala hai...but usse pehle, students,jis din ko aaj hum celebrate kar rahe hain,humara 72nd republic day, let me tell you some unheard facts about it...

kuch aise facts jinke baare me jaanana zaroori hai aap sab ka...

so firstly...

26th January...ye toh hum sabko maalum hai ki aaj ke din hum apna republic day manate hain...

aur reason bhi aap sabko maalum hai...1950 26th january ko aaj hi ke din aadhikarik taur par hamare desh ka sanvidhan laagu kiya gaya tha...

par kya aapko pata hai ki aisa karne ke liye specifically aaj hi ka date kyun chuna gaya tha...!!!

26th january 1929 ko bhartiya national congress ne purna bharatiya swaraj ki ghoshna ki thi aur isiliye hi issi date ko republic date ke liye chuna gaya...

second fact...

samvidhan har desh me likhe jaate hain par hamare desh ka samvidhan baaki sabhi deshon se bada aur detailed constitution hai...

ye toh aap sabko pata hoga ki hamare republic day ka sabse bada event RAJPATH me manaya jaata hai par shuru me aisa nahi tha...

1950 se 1954 tak republic day function IRVEEN stadium jisse ab national stadium bhi kaha jaata hai,wahan se lekar, KINGSWAY,LAAL KILLA aur RAM LEELA maidan tak held kiya jaata tha...

lastly,hum toh aaj ke din ko bas ek din as in today hi celebrate karte hain par asal me republic day is a three days long celebration joki 29th january ko BEETING STREET FUNCTION ke saath pura hota hai...

waise toh aaj ke is auspicious day ke aur bhi bohot si aisi unheard but important facts hain jinme se kuch ke baare me hum next year ke republic day celebration me baatein karenge...

for now,we are moving to the final segment of this function...

our talented students will present some beautiful patriotic dance and songs Infront of you all...enjoy...

art section ke teacher ki taraf dekhte hue mic desk se piche hath gayi thi PRINCI jiske turant baad us teacher ne centre stage le liya tha...

NITS-arre bandh kar yaar...bencho kaun sa raag ghused rahi hai gaane ke beech ye mini alka yagnik...

AHHH...

pehla performance song ka tha...class 12th ki ek ladki thi stage par jo VEER ZAARA movie ka song"AISA DESH HAI MERA" par gaana gaa rahi thi...

awaaz toh theek thaak hi tha bandi ka par beech beech me sur woh apni taraf se add kar rahi thi jisse sun bohoton ki tarah NITS ne bhi frustration me aakar comment kiya tha par tabhi mere haathon ki ek tez tapli padi uske back head par...

MAI-beta gaana agar desh par ho toh jaisa bhi gaaya jaaye,chupchaap sun lo...kyunki sur lage na lage,bol jo nikal rahe hain naa woh hamare country ki shaan par likhi gayi hai...

un alfazon par focus rakh... appreciation apne aap niklega mooh se...

meri tapli par piche palath mujhe bakne waala tha NITS par jo kaha maine,usse sun mooh band aur dimag pura shaant padh gaya uska...

ANJALI-ye DIMPLE kahan hai,dikh nahi rahi...!!!

thodi hi sahi,par ab baaki sab DIMPLE se baat karne lage the... friendship jamming naa sahi,casual classmates talk toh hoti hi thi sabme isiliye ANJALI ki baat sun koi bhi negative nahi hua tha...

EKPREET-shayad nahi aayi hogi school...!!!

NAISHA-nopes,aayi hai...

RASHI-yup,marchpast aur kadamtaal ke waqt hamare aage waali line me toh khadi thi woh...

KHANAK-performance start hone time jab hum sab yahan saath baithne lage the,tab washroom ki taraf jaate dekha tha maine usse...

MAI-WHERE IS DIMPLE...???national issue bana is headline ke saath news chalwa do saare channels par...

NAISHA-arre tu kyun hype ho raha hai...!!!???

ANJALI-haan, you should be toh haapy naa,aakhir teri NEW GIRL ke baare me hi toh baat kar rahe hain naa...!!!

MAI-acha hua choti banana chhod diya tune chhoti...warna bachpan ki tarah abhi kheench aage phek deta tereko...

AND NOW IT'S TIME FOR THE FINAL PERFORMANCE OF TODAY...

YE EK JUMBLED ACT HAI WHICH WILL START FROM A SOLO SINGING AND WILL END WITH A BEAUTIFUL DANCE PERFORMANCE...

SO,FOR THE FINAL PERFORMANCE,I WOULD LIKE TO CALL ON STAGE,THE STUDENT OF CLASS XXXX,MISS DIMPLE PADHIAR...

arts section ki teacher ke is announcement ko sun pura ground taaliyon se gunj utha tha...

mere saare dost bhi zoron se clapping kar rahe the par mai shaant tha...

par is shaanti ke beech hulchal paida hone me zyada waqt laga nahi tha...

REASON...

"AE MERI ZAMEEN,MEHBOOB MERI,

MERI NAS NAS ME,TERA ISHQ BAHE...

FEEKA NA PADE KABHI RANG TERA,

JISMO SE NIKALKE KHOON KAHE...

MANOJ MUNTASHIR ki likhi in khubsoorat lines ke saath shuru kar basic TERI MITTI ME MIL JAAWAAN song gaana shuru kiya tha DIMPLE ne aur kya hi shuru kiya tha...

itni pain aur shiddat thi uski awaaz me ki un jaazbaaton se paida hui khanak ko sun hum sabki aankhein DIMPLE ke face par theher hi gayi thi...

prom night me mere saath gaaya tha DIMPLE ne par aaj jo jaadu uski awaaz me tha,usse sun ek alag hi sukoon paida ho raha tha mere dil me...

shayad iski sabse badi wajah ye thi ki hazaron logon ke saamne gaane ke baawjud DIMPLE kisi ko impress karne ke liye nahi balki desh ke prati apne pyar ko express karne ke liye gaa rahi thi...

hil zubaan rahi thi par sur me lipte har ek alfaaz nikal uske sidhe dil se rahe the...

aur uske upar DIMPLE ka saadgi se bhara look...safed salwar suit pehna hua tha is waqt usne jiske upar safron aur hare rang ke mishran se bana duppata odha hua tha...

mesmerizing...bas yahi shabd suit kar raha tha DIMPLE par is waqt...

vashibhoot sa hi kar diya tha sabko uske look aur jaaduyi awaaz ne jinse hum sabko bahar bhi DIMPLE hi laayi...

apne performance ke next aur final act se joki dancing tha...

gaana uska pura hote hi ek strong beat se gunj utha tha pura ground jiske agle hi pal"DESH RANGILA RANGILA,DESH MERA RANGILA...

ye khubsoorat patriotic song baj utha tha aur aisa hote hi jahan ek taraf DIMPLE ulte kadam piche hoti chali gayi thi wahin dusri taraf stage ke dono taraf se hi hamare school ke 1,st,2nd aur 3rd ke bacche tezi se nikal centre ki taraf aane lage the...

ek sync me apne apne pairon ko thirkaate hue woh saare bacche ek hi pal me centre of attraction band chuke the...

ek hi hook step lagatar kar rahe the woh sab par woh step itna perfectly sikhaya gaya tha un sabko ki dekhne me kaafi acha lag raha tha...

aur tabhi...

teen rows me dance step karte bacchon ke beech ka portion thoda khaali kiya un sabne aur ussi gap se chalkar aage aayi DIMPLE...

jo smile uske face par is waqt dikh raha tha, uske aage agar woh kuch naa bhi karti toh taaliyan bator hi leti par jo kam me santusht ho jaaye,woh DIMPLE kahan...!!!

shuruat usne bhi bacchon ke kar rahe rahe hook steps ke saath hi kari par phir free style dancing se shuru kar hamare apne desh ke kuch folk dances ke steps behetarin tarike se use kiye usne...

steps beech beech me hard the jinhe bache proper tarike se execute nahi kar sakte the isiliye hi un steps ke baby version diye the DIMPLE ne sabko...

aur us baby version ko saare bacche behadh hi sade andaz me jhoomte hue kar rahe the...

sama kuch yun bandha DIMPLE aur un bacchon me ki kab dance ka aakhri minute shuru hua,pata hi nahi chala...

song ki beat aur speed tez ho chuki thi jispar DIMPLE aur saare bache ab stage par ek proper sync rakhte hue gol gol ghumne lage the aur un sabke aisa karte waqt piche se saffron,green aur white rang ke gulaal hawa me failne lage the...

behadh hi manoram drishya tha ye jisse students, teachers aur stand par baithe parents ke saath baaki sabhi uninvited guests bhi bade chaaw se dekh rahe the...

meri MAA joki is waqt stand par hi baithi thi,sabse zyada excitement aur khushi shayad is waqt unki hi aankhon aur chehre par dikh rahi thi joki dikhna laazmi bhi tha...

aakhir DIMPLE ka performance jiske baare me kal shaam ghar par aakar khud bataya tha usne MAA ki,ussi ko khaas dekhne toh aayi thi woh...

unke face par dikh rahi khushi ko dekh mere face par bhi smile naach uthi thi par tabhi kuch aisa hua jisne mere face ke expressions badal diye...

darasal performance dekhte hue hi MAA ki nazar dusri taraf ghumi thi jiske baad ek jhatke me khadi hui thi woh aur school ke main gate waale disha ki taraf tezi se badh gayi thi...

performance ka last phase abhi bhi chaalu thi aur aise me unka tezi se uth nikal jaana hairangi ka sabab toh tha hi par saath hi saath unke facial expressions jinke ek sakhti si chha gayi thi,usne mujhe zyada shock kiya tha...

SONU-abbe,ttu kidhar cchal pada...???

mai bhi turant uth MA ke piche chal pada tha jispar SONU ke sawal par sabki nazar bhi mujhpar tik gayi thi...

MAI-bathroom...

NITS-abbe thoda rook jaa naa... program khatm hone waala hai,ikkathe chalte hain...

MAI-zor ki lagi hai...

NITS-bas kya be...5 minute me kya ho jaana hai...???

thoda zyada mooth liyo...

MAI-ek aur idea bhi hai...abhi ke liye thoda bohot tere mooh me muth deta hun...baaki ka saath me mooth lenge...

tu dono jagah se moot liyo...neeche se apna nikal lena aur mooh se mera bhara waala...

NITS-bhaag bhosdoke...

HAHAHA...

jahan meri baat sun baaki sab mooh dabakar hasne lage the wahin NITS ke sadhe hue mooh ko dekh mai tezi se aage badh chuka tha...

PLACE-SIRIUS TULIPS GARDEN

NOT SO FAST KID...

6 feet 3 inch lamba chowda ek indian mul ka banda TULIP GARDEN ke beech me se badi tezi se aage badh dusri taraf ke gate ko taraf badh raha tha ki tabhi uske piche se ubhri is feminine awaaz ko sun kadam uske rook chuke the...

kaayde se toh usse bhaagna chahiya tha par shayad uske piche khadi shaksiyat se anjaan nahi tha woh isiliye bhaagna usse bematlab laga tha...

white body half sleeve fit t-shirt jisme uski haathon ke biceps aur triceps ki macchliyan apni aakhri hadh tak faili hui thi,unhe jhatka sa dete hue woh banda ghuma piche ki taraf...

t-shirt ki hi tarah jeans aur uske neeche sneakers bhi usne safedh hi pehni thi...

sir par bhi ek safedh cap tha jo kuch yun pehna tha us bande ne jiski wajah se face uska dhakka hua sa tha...

apne saamne khadi VERONICA ko dekh aankhon me nervousness ek pal ke liye aayi thi uske par phir unme ek dridhta dikhne lagi thi...

wahin dusri taraf VERONICA apne aankhon me thairav liye bade gour se saamne khade us shaksh ko kuch yun dekh rahi thi jaise kuch confirm karna chahti ho jo usse agle hi pal ho bhi gaya...

us shaksh ne kaano ke piche se nikal apne tshirt ke neeche chipke ek HALF FACE MASK jiske mouth part me G.O.D likha tha,usse kheenchte hue face par pehen liya tha...

VERONICA-"HAWKER"...

us bande ki common ground pehchaan boli thi VERONICA ne jisse sun uski aankhein chamak uthi thi...

VERONICA-which level...!!!???

HAWKER-you will know,in time...

SHAAKKK...

bijli ki tezi se front flip maar woh HAWKER VERONICA ke saamne pahunch chuka tha aur aisa karne ke beech hi usne apne sharir me kahin chhupayi naan chaaku itni tezi se bahar nikala tha ki jab tak dekhne waala kuch samajhta,woh naan chaaku VERONICA ke sir ko hit karne ke behadh kareeb pahunch chuka tha...

par jisse yunhi maar padh jaaye,woh VERONICA nahi...

naa sirf VERONICA ne us HAWKER ke forward movement ko uske move hone se pehle hi taad liya tha balki uske naan chaaku move ko bhi predict kar VERONICA ka right foot halka twist ho chuka tha...

aur jaise hi HAWKER ka naan chaaku uske head ke paas aaya,ussi twisted foot par pressure daalte hue halka khisak si gayi woh par aisa karte hue hi usne HAWKER ki kalayi par ek sada hua karate chop sa diya...

ek tez jhunjhuni paida hui thi HAWKER ke haath me jiske asar se uske haath se woh naan chaaku chhut gaya...

ek second me hi ye sab kuch ho gaya tha...apne haathon me paida hone waale sensation par hatheli jhatakte hue thoda door ho VERONICA ko jiske haathon me is waqt ussika naan chaaku tha,ghoor raha tha HAWKER...

HAWKER-toh jo suna tha,woh sach hai...you are what they call you..."THE LIGHTNING BOLT"...

VERONICA-plan kya hai...???why are you here...???sidhe sidhe bata do and i will let you live...

HAWKER-you cant kill me...

VERONICA-are you sure...!!!

HAWKER-you can kill me,bas abhi nahi...kyunki abhi mere aage mai nahi,HUM laga hua hai...

ek second laga tha VERONICA ko HAWKER ki baat ka matlab samajhne me aur shayad itna hi waqt tha uske paas...

teen disha se teen GRANTON CARVING LONG KNIVES goli ki raftar se uski taraf badhe the...

aur sabse badi baat ye thi ki un teeno hi knives ki throw height alag alag thi...

ek VERONICA ke neck area ki taraf badh rahi thi, dusri chest aur third uske waist height se thodi neeche par thi...

ek second se bhi kam time tha VERONICA ke paas react karne ke liye par as the HAWKER about her,she was the LIGHTNING BOLT jiski speed bhi lightning jaisi hi thi...

SOOBHHH...

ek full split maarte hue apne dono legs faila zameen se chipak gayi thi VERONICA...

white printed kurti ke neech stretchable jeans daali thi aaj usne jo abhi kaam aa gayi thi uske...

pair VERONICA ke bina kisi pareshani ke khule the pure...

saath hi saath apna head bhi aage completely jhuka liya tha usne aur tabhi paas hue teeno hi knives uske upar se...

waist length waali knife ke throw se release hui pressure apne baalon me feel ki thi VERONICA ne aur aisa hote hi turant apne pairon me khadi ho chuki thi woh par itne kam time me bhi scenerio badal chuka tha...

jin directions se knives aaye the,unki jagah ab teen aur HAWKERS khade the VERONICA ko ghere...

chaaron HAWKERS ko dekh ek aisi deadly smile naach uthi thi VERONICA ke face par jisse agar koi casual banda dekh leta toh wahin apni patloon gili kar deta...

maasum aur angel ko maat dene waali VERONICA ne jaise apna aks is unleashed devil ke dar se chuppa sa liya tha...

DHAKKK...DHAKKK...DHAKKKK...DHAKKKK....DHAKK....DHUBBB...

chaaron hi HAWKERS ek saath toot pade the VERONICA par...2 ke round spinning legs aur do ke straight punch VERONICA ki taraf badhe the par tabhi apne seene par pada duppata ek jhatke me kheencha aur agle hi pal...

chaaron HAWKERS ke moving haath aur pair us duppate me fold ho chuke the...

adbhuth aur satik paitra...chaaron HAWKERS ko pata bhi nahi chala ki kab un sabke offense ko apna attack bana liya tha VERONICA ne...

aur jab tak woh samjhe, VERONICA un chaaron ke haath aur pair apne duppate me fasa piche ki taraf roll over flip kar chuki thi...

bohot hi tez jhatka feel hua tha un chaaron ko jiske effect se woh sab bhi disbalanced ho aage ki taraf hawa me ghum chuke the...

but beech hawa me bhi kisi tarah khudko balance kar liya tha un chaaron ne aur land woh sab apne pairon par hue the...

LEVEL 3...

sach kaha tha first HAWKER ne VERONICA se...

un sabke is mid air defense ko dekh woh un sabke level samajh chuki thi...

highest level HAWKERS the ye chaaron joki bade se bade combat specialists ka death warrant the...

agar koi aur hota toh kisi tarah jaan bacha nikalne ka sochta par saamne koi aur toh tha nahi...

VERONICA thi jiske last move ko hi dekh andar hi andar gaand fatiya gayi thi un chaaron ki...

sidhe sidhe usse ladhkar jeetna toh door continuously 2 minute bhi apne pairon par mushkil tha un chaaron ke liye...

samajh gaye the woh sab is baat ko isiliye eye coordination ke through ek dusre ko message pass out kiya un sabne aur agle ho pal...

VERONICA ke saamne waala aur aaju baaju ke dono HAWKERS ne ek saath attack kiya tha VERONICA par...

kaafi speed the un teeno ke movements par un sabse zyada tez thi VERONICA...

bade araam se unke hand movements block kar rahi thi woh par ek saath aisa karne ke liye focus bohot zyada hona padh raha tha VERONICA ko aur yahi toh main game the HAWKERS ka...

teeno HAWKERS ke saath VERONICA ko busy dekh uske piche khade hacker ka haath apne inside leg pocket ki taraf gaya aur agle hi pal uske haathon me ek shining white colour ki GLOCK G43 hand gun chamak uthi thi...

badi tezi se hand gun VERONICA ke back knee cap par aim kar trigger dabane hi waala tha woh fourth HAWKER...

lekin teeno hi HAWKERS me busy VERONICA ke tez kaano ne us GLOCK G43 ke lock open ki minor awaaz bhi sun li thi..

yahi wajah thi ki apne right ki taraf waale HAWKER ke wrist ko hold karne ke baad modte hue usse woh us piche waale bande ki taraf dhakelne hi waali thi par tabhi usse piche ki tarad se hi apne taraf tezi se badh rahe foot movements feel hue the...

ye MAI tha...MAA ko chaar full white and half covered logon se ladhte dekh unki taraf badha tha mai par is beech jaise hi MAA ke piche waale bande ke haathon me gun dekhi maine,meri speed aur dimag dono ki gati hi badh chuki thi...

MAI-meri MAA ki maarega,MADARCHOD...

MAA paas hi thi toh gaali zor se de sakta tha nahi mai isiliye us bande ke paas pahunchte hue bas ek grunting awaaz hi nikli thi mere mooh se jispar jahan ek taraf MAA mere yahan hone ki baat samajh chuki thi wahin dusri taraf woh gun hold kiye bande ne bhi mujhe sense kar liya tha...

turant meri taraf ghuma tha woh par tab tak uske behadh kareeb pahunch chuka tha mai...

DHAKK...

upar hawa me jump sa maar apne haath ko badi tez swing kiya tha maine par ye ek trick hit tha...

apne haath ko mid way me rokte hue apne right leg ko us half masked bande ke chin point par chala diya tha maine...

force mere leg swing ka itna zyada strong tha ki impact hote hi uski thuddi ka kachumar nikal jaata par aisa hua nahi...

us nakabposh ne mere trick attack ko naa sirf samjha balki mere real leg swing ko bhi last moment me bhaamp gaya tha woh...

turant neeche jhukte usne khud ko save kiya tha par itni der me baaki teeno hi nakabposhon ki speed se thoda hi sahi,un sabke strength ka andaza ho chuka tha mujhe...

yahi wajah thi ki mere hit ke miss hote hi jab apni hand gun mujhpar point karne laga tha woh but i had already anticipated this move...

isiliye neeche zamin touch karte hi mera dusra leg bhi swing ho chuka tha...

ab is move ko predict nahi kar paaya tha woh nakabposh..mere foot uske handgun par hi hit hua tha jiske asar se woh handgun nakabposh ke haathon se chitak chuka tha...

apni jalti aankhon se dekha usne mujhe aur agle hi pal aisa feel hua mujhe jaise super sonic speed ki movement chalne lagi thi mere aage...

punches,head clicks aur knee hits ek ke baad chalne lage the us nakabposh ki aur jis speed se woh move kar raha tha....

"DAMN,HE IS GOOD"...

yahi shabd gunje the mere man me...

DHABBB...

uske har attack ko dodge aur block kar raha tha mai par tabhi apne dono fists ko double speed aur force se chalaya usne...

force wakayi bohot zyada tha jisse apne dono palms ko cross join kar kisi tarah roka tha maine par phir bhi uske fists mere block se slip in ho andar chale gaye the...

lekin aisa karte waqt speed nil ho chuki thi dono fists ki par tabhi...

dono fists ko ghumate hue unke fingers ko ek khaas andaz me jhatakte hue khola tha us nakabposh ne...

sirf shrug off hue the uske fingers mere chest par lekin ye shrug off bhi itna zyada impactful tha ki ek tez painful sensation faile chuka tha mere seene par...

MAI-SHAOLIN PIERCING FINGERS...

DHABBB...DHABBB...DHABBB... DHABBB... DHABBB...DHABBB...

us nakabposh ke swift moves ko dekh samajh chuka tha mai ki apna 100 percent bina diye usse paar nahi paa sakta tha mai isiliye apne chest par uthe sensation ko zabt karte hue move hua mai...

zigzag pattern me aage badha tha mai jispar ek rotation round kick ghumaya us nakabposh ne par ready tha mai...

sirf defense ke liye hi nahi balki ussi defense ko offense me badalne ke liye bhi...

uske ghumte pair ko hold kar liya tha maine jispar mere hi haathon ke pressure ko use kar apna dusra leg ghumane waala tha woh nakabposh par tabhi...

chhod diya maine uske leg ko aur aisa karte hue hi ek straight kick uske chest par jadh diya tha maine...

kaafi bulk up strong body ka maalik tha woh nakabposh isiliye mera impactful kick bhi zyada effect paida nahi kar paaya uske upar...

kuch kadam piche ki taraf ladhkhadaya woh par phir bina ek second bhi gap chhode turant ek upper leg chop maarne ke liye ghum gayi thi uski body...

apne dono haathon ko tie kar uske edi ko block kiya maine par woh rooka nahi...

back to back 5 chop hits ke liye ghuma tha woh jisse waise toh continuously block kiya tha maine par aisa karte hue mere dono haathon me kaafi pain hone laga tha...

time woh de nahi raha tha mujhe aur kuch karne ke liye aur agar aisa hi thodi der aut chalta rehta toh mere haathon ko jawab de dena tha...

i needed a loop time jisse khud hi create karna tha mujhe aur isiliye...

uske agle leg chop hit ko apne sirf left haath se block kiya tha maine par aisa karne ki wajah se naa sirf mera left hand unbearable pain hone ki wajah se dheela sa padh gaya tha balki saath hi saath us nakabposh ki edi bhi mere kandhon par thodi hi sahi par hit kar gayi thi...

par in sabke beech jis loop time ki zaroorat thi mujhe,mil gaya tha mujhe...

leg paas hone aur us bande ke dobara chop switch move karne se pehle hi maine aage badh uske thigh ke jodon par hit kar diya tha...

aisa hote hi ek second ke liye neeche se paralyze state me pahunch chuka tha woh aur bas...itna waqt kaafi tha mere liye...

DABBB...DABBB...DABBB...DABBB...

stomach ke shuru kar uske face tak pahunchte pahunchte 10 punches maar diye the maine usse...

cap sir se chhitak door gir chuka tha par mask ki wajah se face uska covered hi tha...

lekin nose aur mouth area laal rang se bheegne laga tha uska aur ye dekh ek ajeeb si madhoshi feel hone lagi...

us nakabposh ka meri MAA par gun taanane waala scene bhi ek baar phir jeevant hone laga tha mere zehen me jisne us madhoshi waali garmi me extra fire fill karna shuru kar diya tha...

mere punches ka power badhne laga tha...cheek area bhi ab bheegne laga tha uska aur ye feel kar fist mere aur tight hone lage the par tabhi...

apna pura zor laga mere punch ko block karte hue unhi ke pressure se khudko thoda piche push kiya us nakabposh ne aur aisa karne ke beech hi ek back flip hit maar di thi usne mujhe...

blink of the eye se pehle hi kar diya tha usne ye move jiske impact se mai piche tulips ke side me gira tha par girte hi turant khada bhi ho chuka tha...

par ye kya...!!!itna successful hit karne ke baad mujhpar upper hand mil chuka tha us nakabposh ko jiska faayda uthane ka chhod piche palath tezi se bhaag khada hua tha woh...

ye dekh mai bhi bhaagne ko hua uske piche par tabhi...

VERONICA-jaane de...let him go...

MAA side ke hi ek bench par bilkul chill out baithi naa jaane kabse us nakabposh ke saath mera combat kisi movie ki tarah enjoy kar rahi thi...

unke saath ladh rahe bande toh bohot pehle hi bhaag khade hue the jinhe unhone theek mere saath ladne waale ki tarah jaane de diya tha...

kuch seconds MAA ko dekhte rehne ke baad unke baaju me jaakar baith gaya tha mai...

VERONICA-acha hai ki aaj republic day hai...is taraf koi aayega nahi warna issue ho sakta tha...

MAI-hmm...

VERONICA-hey... tujhe kya hua...???upset lag raha hai...that guy,usne mujhpar gun taani thi,agar tu nahi aata toh i could have been shot,aisa toh nahi feel ho raha hai naa tujhe...

MAI-chaaron bhi agar gun nikaalte tab bhi handle kar leti aap...jaanta hun mai...

VERONICA-toh phir...!!!

MAI-aapke aur dad ka past secretive hai...

aisa past jo normal, common jaise shabdon se koson door hai aur jo aapne mujhse chuppa kar rakha hai...

jab bhi pucha hai maine toh hamesha ek hi jawab diya hai aapne mujhe...

VERONICA-you will know it,in time...

MAI-yup...but ye log jo abhi aaye the,they were one of your enemies,right...!!!

pehle bhi kayi baar maine aapko aise hi combat karte dekha hai...

ye sab kaun hain,kyun hain,ye bhi hamesha se jaanana chaha hai maine but is baare me bhi kabhi nahi bataya aapne...

aaj phir ye sab dekha,dekha kya,i was a part of it today toh inke baare me jaanane ke liye curiosity phir jaagi...

aur jab pata ho ki curiosity filhal shaant nahi ho paayegi toh it's kinda sad...

apni baat bol dusri taraf bane tulips ko dekhne laga tha mai...

MAA-G.O.D...

MAI-what...!!!???

ye jo log the,they were from an international criminal CABAL...

MAI-CABAL as in organisation,syndicate...!!!

MAA-yup...and they call themselves...

MAI-GOD...padha tha maine us nakabposh ke mask par...

MAA-GOD nahi,G.O.D...it's an acronym which means GUARDIANS OF DESTRUCTION...

MAI-GUARDIANS OF DESTRUCTION...!!!ye kaisa naam hua...!!!???i mean, guardian aur destruction ek saath kaise ho sakte hain...!!!???

MAA-good observation...

guardian aur destruction saath me isiliye kyunki woh tabahi sirf failate hi nahi,usse samethe bhi hain...

matlab duniya ke kis region me kitna caos failana hai,aur us caos se nuksaan ke saath ek interesting way me profit kaise show karna hai, that's what G.O.D does...

MAI-interesting...!!!aur kuch batao naa is G.O.D ke baare me...!!!

MAA-now that you will know,in time...

MAI-what...!!!??? phirse...shit...acha ye toh bata sakte ho naa ki us CABAL ke ye log yahan par kya aapke liye...

MAA-no,no,no,no,no...it was just a crosspath...kuch dino pehle hamare state ke alag alag hisso me bomb blast hue the...

MAI-news me suna tha maine...

MAA-G.O.D was behind that...aisa kuch karne ke baad us kaam ko anjaam dene waale log toh chale jaate the hain par local activities aur reactions par nazar rakhne ke liye HAWKERS kuch din rukte hain...

they roam,chill like other tourists par aisa karte hue bhi woh us pure region ko itni sateekta se jaanchte hain jitna local residents ko bhi pata nahi hota...

ye jo log the,wahi the...unke pehnave se pehchaan liya tha maine unhe...i followed one of them aur phir,aage ka toh pata hi hai...

MAI-hawkers...nice...is it a designative position...!!!

MAA-stalking me yes but overall G.O.D ke sabhi designative ranks me HAWKERS ki ginti thodi neeche aati hai...

ab ye thi naa saali depressing news... pehle JAIDEN CHOWDHARY ke saamne mushkil se kuch der tik bas paaya tha mai aur aaj us HAWKER ne puri barabar ki takkar di thi mujhe...

saala khudko samandar ki badi macchli samajhte the hum par ab pata chal raha tha ki naa toh hum bade the aur naahi hamare aas paas bhara paani samandar ka tha...

mere facial expression ko dekh mere man ke bhaav samajh gayi thi MAA...

MAA-"CHOWNA"kisi bade kutte se bhi kamzor hota hai lekin ohde aur guroor me har jaanwar se bada...

kyunki chota hi sahi par hai toh woh ek sher ka baccha hi...der saver RAJA usse hi banana hai...

usse pata hoti hai ye baat...tujhe bhi honi chahiye...

MAA ki baat sun ek halki si smile naach uthi thi mere face par jisse dekh...

MAA-that's more like it...ghar saath chalega yaa friends ke saath aayega...

MAI-i will stick around...

MAA-but no late hangouts...khaane ke waqt tak ghar aa jaana...

MAI-sure thing...

chalte hue tulip garden aur school entrance door ke beech waale section par pahunch chuke the hum jiske baad jahan ek taraf MAA ko bye bol school ke andar chal pada mai wahin MAA dusri taraf visitors parking ki taraf badh gayi...

par kuch kadam chalne ke baad rook apne bete ki taraf palti VERONICA...

piche se jaate hue apne bete ko dekh ek afsos naachne laga tha VERONICA ki aankhon me joki laazmi bhi tha...

apne bete ko saamne se yun jhooth aur aadhi baatein batana usse acha nahi lagta tha par kar bhi kya sakti thi VERONICA...

jabse G.O.D ne uttarakhand me apni moujudgi dikhayi thi,tabse hi apne bete par nazar rakhe hue thi VERONICA...

kisi na kisi tarah SANVY ke saath uska saaya bankar chali thi woh jiski SANVY ko bhanak bhi nahi lagi thi...

aaj bhi nahi lagti agar itne open me nahi aayi hoti VERONICA...

waise VERONICA jaanti thi ki obvious tarikon se G.O.D SANVY ko nuksaan nahi pahunchayega...

it likes to play...sabkuch khel hi hai G.O.D ke liye jisse woh bade alag andaz me khelte hain...

par aaj HAWKERS se bhidh thodi tensed bhi ho chuki thi woh...

chahti toh rok aur torture bhi kar sakti thi woh HAWKERS ko par faayda kuch hota nahi...

HAWKERS G.O.D mr sirf stalking orders ke liye hi recruit kiye jaate the...

koi extra knowledge unhe hota tha nahi...

ek lambi saans chhod wapas palat aage badh gayi VERONICA...

VERONICA-i know that YOU are aware of my son's potential now...

aur woh kya ban sakta hai,iska bhi andaza hone laga hai tumhe...

ye sab tamashe,aatishbaziyan,kyun...???

shikaari aur shikaar waala khel khelna hai tumhe par aisa hoga nahi...

saalon se apne bete ko,uske potential ko duniya se isiliye nahi chhupaya maine kyunki dar tha mujhe tumhara...

tumhari duniya me pahunch usse nestonaabut karne ke liye raaste me padne waale jis samandar me utarna hai usse,uski gehrayi naapne ka jigar taiyar kar rahi thi mai...

manzil abhi bhi bohot door hai par yakin hai mujhe ki is puri duniya me agar koi hai jo ek din tumhare khel me tumhe maat dega toh woh SANVEER AHARYA HAI...mera beta hai...

tumhare in indirect assaults aur mind game se panic ho chuppaungi nahi mai apne bete ko...

jaanti hun ki ab shayad mere paas zyada waqt nahi hai...i can feel it...

par dar nahi,khushi hai mujhe kyunki...

mujhe mitakar tu khud apne patan ki shuruat KAREGA...

sabki kismat likhne ka shouk rakhne waale,ek din aayega jab tu apni hi kismat se DAREGA...

mout toh aani hi hai ek din,insaan jo hun magar tu toh G.O.D hai naa...

woh din door nahi jab ek insaan ke haathon ye jhutha G.O.D MAREGA...

AAJ KE LIYE ITNA HI...

AAPKA APNA V...J...
हर अपडेट के साथ कहानी का हीरो सनवीर अपने दुश्मनो के सामने कमजोर होता हुआ लग रहा है उसकी पावर को भी कुछ बूस्ट करे
 
Lion Heart 009

New Member
36
182
33

Fabulous ❤️ update yrr 🤩, mazaa aagaya padh kr specially Veronica ki fight or phir SANVY ki fight un Hawkers k saath.

Is fight m SANVY ko pta chal hi gaya hoga k wo abbi kitna peeche hai un logon se jinnse usko future m bhidna pade gaa.

SANVY samajh gaya hai k wo khud ko jo Samandar ki badi Machli samajh rha tha wo to abbi bohot choti machli hai or wo Samandar hai hi nhi jisme SANVY abhi tak swimming kr rha tha, ye to kuch bhi nhi hai uske saamne jahan SANVY ko aage chl kr future m sawim krna pade gaa, uske liye abbi SANVY ko bohot mehnat karni pade gii.

WAhin SANVY ko ye bhi pta Chala k ye hawkers G.O.D k log the or G.O.D ka full synonym kya hai .

WAhin Veronica parehaaan hai k ab aage kya hoga pr usnko pura yaqeen hai k ek din SANVY hi wo bane ga jo G.O.D ka khaatma kare ga. Veronica n abhi SANVY ko poora sach nhi bataaya hai.

Veronica ko ye bhi maloom hai k ab uske paas waqt bohot kam bacha hai bcz shayad wo jaanti hai k ab G.O.D kaise bhi kr k usse maar hi degaa pr kaise ye to aage k updates m hi pata chale gaa.

Pr Veronica ye bhi jaanti hai k unko maarna G.O.D k liye hi khatarnaak hoga or uski barbaadi ki shuroowaaat hogaa, q k wo sab phir SANVY ko trigger kr degaa pr Veronica ye bhi jaanti hai k SANVY abbi tayyar nhi hai pr wo ho zaroor jaigaaa.
 
Inderr

New Member
92
324
53

Awesome update
Dill Khush kar diya aap ne
Dekhte hai aage ka manjar kya rehta hai
Aise hi khsuhi baan te rehna 🙂
 
Top