• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)

Alok

Well-Known Member
10,427
26,452
258
Meri sister in law hospitalized hai brother...kal discharge hoga...wait for a bit...jald hi update deta hun...
Ok no problem bhai and sorry for disturbance......🤬🤬🤬

Family comes first....
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in
125
513
93
Are bhai tumhari yeh story ku6 alag hi level ke hein, mein ne 10th Aug se is story ko padhna chaalu kiya tha jo aaj 85th update padhne pr khatam huaa , or mene jab bhi 1 ke baad 2 phir 3 update padha hein kasam se mujhe or padhne ki i66a hoti thi ki ab aage kya hoga , kese hoga , kyoon hoga i m so excited....!
I am quite! about your thinking for this story it's out of mind.
Jab dil or dimag ek hotey hein toh ku6 aisi kahani ki rachna hoti hein....!
Keep Writing.....!😊
 
Last edited:

Pk singh

Member
115
335
63
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SAMRAT WAALON KA SAARA PLAN FAIL HO JAATA HAI WAHIN DUSRI TARAF NITS DIMPLE AUR SAM KE SABHI SECRETS SABKE SAAMNE OPEN KAR DETA HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER 1

(ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-85

DATE-THE DAY CONTINUES


CITY-DEHRADUN

PLACE-SAHASTRADHARA ROAD,DUMPIMG GARAGE






YOU ARE AS GOOD AS SAM... PARTICIPATE KARNA CHAHIYE TUMHE IS BAAR...

DIMPLE-REALLY...!!!MUJHE LAGA THA KI MAZAK KAR RAHE THE TUM...

MAI-MAZAK KAR RAHA THA...!!!NAA...I AM PARTICIPATING...

DIMPLE-YE SUDDEN LIMELIGHT ME AANE KI WAJAH...!!!

MAI-AUR KYA...!!!OR SHOULD I SAY KAUN...MR JAIDEN CHOWDHARY...(update 75)

.....................................................

ISHQ NA BADALTA HAI,NA ABAAD KARTA HAI AUR NAAHI BARBAAD KARTA HAI...

BAS WAJOOD KI JO ASLIYAT ANDAR DABI HOTI HAI,USSE AZAAD KARTA HAI...(update 76)

.....................................................

SAHI KE LIYE MUJHSE ZYADA KOI SAHI NAHI PAR GALATH KE LIYE MUJHSA GALATH BHI DUJA KOI NAHI (update-78)

.....................................................

JUNOON-E-PREM ATTI BUDDHI JEEVON KO BHI MURKH BANANE ME SAKSHAM HOTA HAI"...

HE NEVER LEAVES AND BACKSTABS HIS FRIENDS"...PERIOD...(update 79)

.....................................................



alag alag moukon par mere mooh se nikle ye words ya phir mere baare me kahe gaye ye saare aur aise hi bohot se shabd abhi gunj rahe the NEW GIRL ke dimag me...

jab se PRINCI ne annual sports ko interschool level meet me badal diya tha aur maine sports meet me participate karne ki baat kahi thi,tabse hi SAM kisi bhi tarah mujhe aisa karne se rokne ki koshish me lag chuka tha...

najaane kitne hi parpanch kiye usne...is beech mere ravvaiye ko bhi usual se hatke feel karna shuru kiye tha NEW GIRL ne par kyunki tab mai uska B.F ban chuka tha isiliye woh slight attitude diversion normal hi laga tha usse...

lekin ab jab saare patte khul chuke the,samajh aane laga tha usse ki mera koi bhi diversion normal nahi tha...

unka game shuru hone se pehle hi open ho chuka tha mere aage...

par kitna pehle...SAM ki planning but more importantly,uske aur NEW GIRL ka rishta,kabse jaanta tha mai is RAAZ ko...

aur more se zyada most importantly,un dono ke ek baap ke baare me kaise pata chala mujhe...

sawal ye is waqt NEW GIRL aur SAM ke dimag me zaroor tha par jahan ek taraf NEW GIRL thi jo pahad si bhaari glaani ke beech dabe hone ki wajah se sir jhukaye khadi thi wahin dusri taraf tha SAM jiski itni zyada fat rakhi thi ki mooh kholne ki himmat bhi naa bachi thi usme...

par sawal sirf un dono ke dimag me toh chal raha tha nahi...

mere mooh se nikle aakhri shabd ko sun garage me moujud mere sabhi doston ka dimag band aur mooh khul chuka tha...

woh sabhi kabhi mujhe dekhte toh kabhi saamne sir jhukaye khade NEW GIRL aur SAM ko jinki chuppi is baat ka saboot thi ki mera revelation sach tha...

mere revelation ke baad lagbhagh 5 minutes guzar chuke the par is beech koi kuch bola nahi tha aur ye laazmi bhi tha...

ab baat hi itni badi thi ki usse hazam karne me waqt toh lagna hi tha...


NITS-JJAIDEN CCHOWDHARY...THE JAIDEN CHOWDHARY...THE FUCK....REALLY...JAIDEN CHOWDHARY...!!!


slow tone me start kar SONU ki tarah haklate hue finally JAIDEN CHOWDHARY bolte bolte chilla hi utha tha NITS...


RASHI-how...how do you know it...!!!???

ANJALI-yaa...in dono ki khamoshi tumhari baat ka truth reveal kar rahi hai...

but how do you know it...???kyunki itna bada secret jo as per your words only, puri duniye se chhupa kar rakha hai in dono ne...

in dono ne kya,apne real husband ka naam cover karne ke liye inki moms tak ne fake husband ko show kiya hua tha...

and considering the persona of both there moms,its a damn big thing to hide...

pure Uttarakhand me naam hai SAM ki mom ka aur DIMPLE ki mom toh world famous hai...

aise me itna bada secret lagatar salaon se carry karna, it's not a piece of cake...

but you knew it...how...???

bas ek NEW GIRL ka sir hi neeche tha baaki ANI ke sawal par sabke curiosity se bhare chehre mere upar tik chuke the...

SAM ka bhi...


MAI-sawal jitna pechida lagta hai,kayi baar jawab utna hi asaan nikalta hai...is case me bhi aisa hi hua hai...

SAB-matlab...!!!

MAI-last year jab I.Q hunt competition ke liye delhi gaya tha tu,ARCHANA BATRA as in teri step mom ke yahan hi ruka tha naa...

SAM-tujhe,tujhe kaise pata...???

kaafi surprise ho gaya tha SAM...


MAI-tune hi toh dikhaya tha...

SONU-ddikhaya ttha..abbe,kkya bol rraha hai ttu...???

MAI-jis din competition tha iska,us din tera birthday bhi tha...

remember...!!!

SONU-haan...wish kkarne ke lliye vvideo call kiya tha isne...us ttime ttum sab bhi toh tthe...

MAI-yup... competition ko sirf ek ghanta bacha tha jiske baad kaafi time tak occupied ho jaane waale tha SAM...

waise free hokar shaam ko bhi tujhe wish kar sakta tha par hum sabse ek saath baat karna chahta tha ye isiliye final preps ke beech hamare assembly time se just pehle,he called...

and at that very moment,apne BACKGROUND ko self expose kar diya tha isne...

SAM-SHIT...


BACKGROUND ko thoda zor dekar bola tha mai jispar baaki sab toh confused hi rahe par SAM ki aankhein ek pal ke liye sochne waale andaz me choti hui par phir turant badi hoti chali gayi...

failure smile face par laate hue sir par haath maar liya tha usne...


MAI-us din mobile hang karne ke baad jab palta tha tu toh competition ki hadbadi ke beech agar ek baar bhi rook saamne dekh leta toh mere saath game khelne ka sochta bhi nahi...

RASHI-dude...tere jitne intelligent nahi hai hum... sidhe sidhe shabdon me fill us in...

MAI-yaad hai baaton ke beech jahan ye khada tha,wahan BACKGROUNDS me walls par lage nakkaishiyon aur paintings ki taarif ki thi maine...(UPDATE-27)

RAJAT-yaa,i remember...

EKPREET-me too...


un nakkaishiyon aur paintings ki hi tarah room me alag alag jagahon par 3 wall photos lagi thi...do medium size aur ek 4/3 ki badi photo aur kyunki baat karte hue SAM carelessly room me ghum raha tha,i caught the sight of all those pics....

medium size photos me se ek me ye dono the...dusre me inke saath ARCHANA BATRA thi aur third big photo inki hidden family photo thi....

jisme ye dono,inki moms aur inke dad MR JAIDEN CHOWDHARY the...

surprise hua tha mai par phir jaane diya...


NITS-bhains ki poonch...tere saamne tabse open tha iska background aur naa isse ya hume bataya tak nahi tune...

MAI-dost jo tha ye...woh kahani jo har kisi se chhupa rakhi thi isne,uspar sawal kar isse humiliate kaise karta mai...

RASHI-par yaar SANVY...agar us din SAM alert rehta toh tu woh pics kabhi dekh nahi paata...

aise me jo bhi ye plan kar raha tha,he would have succeeded in that ...

MAI-i doubt that... tasviren chehre dikhati hain,un chehron ke beech waale rishten toh bayan nahi karti...

agar us din maine woh pics nahi bhi dekhi hoti tab bhi der saver hi sahi,in dono ke beech ka rishta toh kamsekam mujhe pata lagna hi tha...


KHANAK-kaise...???

MAI-genetic inheritance...

1-inside edge of eyes...

2-cheek bones...

3-nose tip...

4-philtrum...

NAISHA-hain...!!!ab ye kya hai...???

MAI-the four pillars of genetic inheritance...


in dono ke chehre bhale hi ek dusre se kaafi alag hain,all thanks to there different mom's but kyunki in dono ke dad ek hain,the most important parts of there faces jinse same genetic inheritance ka secret open hota hai,woh exactly same hain...khud dekh lo...


apna mobile jisme is waqt pics art khula hua tha,usse saamne kar diya tha maine...

is waqt teen pics line me dikh rahi thi screen par jiske ek part me SAM ka chehra,dusre bhaag me NEW GIRL ka face aur third me unke dad MR JAIDEN CHOWDHARY ka straight angle clear face dikh raha tha...

saath hi saath teeno hi faces ke beech features ke upar lines kheenchte hue wahin words use kiye the maine jo abhi abhi kahe the...

aur wakayi...chehra bhale hi ek dusre se kaafi alag tha SAM,DIMPLE aur unke baap ka par teeno ke hi aankhon ke inside edges,cheek bones,nose tip aur philtrum bilkul same the...


MAI-teen logon ke beech in chaaron facial features me se ek,do aur agar teen chizen bhi ek si hon tab bhi coincidence maana jaa sakta hai par agar chaaron features resemble karen,that means...

RASHI-they are genetically connected...

MAI-yup and that to very closely...


yahan mai apni theory prove karne me laga hua tha aur wahan baaki sab mere phone par point out kiye facial features ko dekhne ke baad ab aankhein faade mujhe dekhne lag gaye the...


KHANAK-you are...!!!kya bolun tumhe SANVY...???kya kya dekh lete ho tum...!!!

NITS-sach me be...teri aankhein hain ya phir koi microscopic device...

itne deep aur unrecognizable chizon ko bhi detect kar leta hai tu...

MAI-chiz nahi log...aur jab log apne hone ka dhong rachayen toh chaalak banana laazmi hai...


meri baat sun ek baar pleading eyes se dekha mujhe SAM ne par DIMPLE ki nazar ab bhi neeche hi thi...


MAI-waise dhong se yaad aaya...kaam toh friendship ke naam se bhi badha sakte the tum dono...

phir plan me ye love angle waale dhong ko daalne ki zaroorat kya thi...!!!

DIMPLE-dhong nahi tha woh... maano,mat maano but i bloody love you...

SAM-haan SANVY...i swear to GOD...she really loves you...


pehli baar utha tha sir DIMPLE ka...

aansuon se bhare uske face par izhaar ki sachayi saaf dekh sakta tha mai par is sach ka waqt khud kharab kiya tha usne...

wahin SAM ki baat sun ek khilli waali smile sabhi ke face par naach uthi thi...

us hasi ko sun SAM ka face toh ek baar phir se neeche ho gaya tha par DIMPLE ki aankhein ab bhi meri aankhon par jami hui thi...

MAI-phir bhi DIMPLE...???

DIMPLE....

.....................................................

TUM MUJHE NEW GIRL KYUN BULAATE HO...???AB TOH NAA MAI IS SCHOOL KE LIYE NAYI HUN AUR NAAHI TUMHARE LIYE...

MAI-MERE JAZBAAT KE LIYE TOH HO...TUM WOH PEHLI GIRL KO JISNE SANVEER AHARYA KE DIL ME EK NEW FEELING KO PAIDA KIYA...

WOH EHSAAS JO SOCHA NAHI THA MAINE KI KABHI FEEL KAR PAAUNGA MAI...

ISILIYE NEW GIRL...(update 80)

.....................................................

mere DIMPLE bolte hi NEW GIRL word ke mere use karne ka reason gunj utha tha uske dimag me...

aaj pehli baar usse uske naam se bulaya tha maine...

matlab samajh uski sookh chali aankhein ek baar phirse bhar uthi thi...

MAI-kyun kiya...???

tumhari MOM ka favourite SAM hai, isiliye...???


surprised reaction turant aaya tha DIMPLE aur SAM ke dono ke faces par...


DIMPLE -tumhe kaise...???

MAI-tumhe kya lagta hai, tumhari aur SAM ki mom ka cristmas eve par mere ghar aana ittafaq tha...

it was my plan...dono sautano ko aamne saamne laana chahta tha mai...

mujhe bataya tha ANI ne ki uski aur SAM ki mom us din meeting ke liye kahin saath jaane waali thi isiliye maine isse apni mon ko mere ghar se hote hue jaane ke liye force karne ko kaha tha...

i knew ki unke saath SAM ki mom bhi zaroor aayegi mere ghar...

aur jab ye ghar par nahi thi tab mai pahuncha tha iske ghar...

iski mom ko apne ghar invite karne ke liye which she happily agreed to...

aur jab woh ghar aayin toh unki nazar sabse pehle SAM par hi gayi thi...

dekha toh unhone phir apni beti ko bhi tha par SAM ko dekhkar jo khushi unke face par aayi thi,uski baat hi aur thi...

waise notice toh is difference ko tumne bhi kiya tha...pal bhar ke liye murjha jo gaya tha tumhara face...


sach thi meri baat jispar kuch kaha nahi DIMPLE ne par pain jo uski aankhon me aaya tha,uske baad usse kuch kehne ki zaroorat bhi nahi thi...


MAI-kamaal hai...sagi mom woh tumhari hai par preference SAM ko...iska toh ek hi reason ho sakta hai...tumhare dad...

tum dono me unka preference SAM hai right...!!!unki hi wajah se tumhari mom bhi isse hi priority deti hai...

aur yahi wajah hai tumhara iske plan me iska saath dene ka...to please your parents...


DIMPLE aur SAM ke beech ek baar phir chhaayi khamoshi ne saaf kar diya tha ki sahi tha mai...

par mere is revelation ko sun mere saare dost ek baar phirse hairan reh gaye the...


RASHI-matlab inke parents ko inke plan ke baare me maalum tha and they were ok with it...!!!

MAI-ye kahani toh mujhe bhi jaanani hai...

toh bhai behen me se kaun batayega...???


saare patte toh khul hi chuke the...aur zyada humiliate hone ke liye kuch bacha toh tha nahi isiliye kandhe chuka ek lambi saans chhodi SAM ne aur...


SAM-ye sab last year shuru hua...tabhi jab mai i.q hunt competition ke liye delhi gaya tha...

rare occasion tha woh kyunki mai,DINGLI,mom as in ARCHANA mom,aur dad, chaaron hi ek saath the wahan...

competition ke baad jab ghar louta mai toh dad ke saath baitha...

competition jeet chuka tha mai isiliye dad congratulated me...

then he asked me about my friends aur jaise hi tera naam liya maine toh he started asking specifically about you...

he was very keen,tere baare me jaanane ke liye...i guess reason tum sabko pata hi hai...

SANVY'S father...the only man to beat my father...woh jaanana chahte the ki kya MR SANEEL AHARYA ka beta bhi unki tarah hi champion hai...

dad se mai kuch chhupata nahi isiliye tere talent ke baare me unhe sab sach bata diya maine...

and as i said...DINGLI was there... pehle ye jaankar ki dad ko kisi ne haraya tha,iska interested hamare convo me jaaga...

then tere baare me unka specifically puchna aur phir mere mooh se joki SIRIUS ka champ hai,ye admit karna ki you the best,iski tere liye curiousity badhne lagi...

aur ye curiousity tab extreme hui jab isse pata chala ki itna talent hone ke baawjud tu school me ek average student bankar rehta hai...

kisi ka aisa ATTITUDE pehle kabhi dekha kya,suna bhi nahi tha isne...

tujhse milne se pehle hi she was drawn into you...us pure din ye bas teri hi baatein karti rahi... tere saare kaarname sun yakin hi nahi ho raha tha isse ki koi aisa bhi ho sakta hai...

aur isiliye she decided ki next year,she is gonna join SIRIUS...

anyways,mere wapas yahan aane se pehle dad ne bataya mujhe ki next year woh mere school aa rahe hain,for the 100th anniversary aur unki khwahish hai ki mai hi champ banu...

easy tha mere liye jab tak tune ye decide nahi kiya ki you are gonna participate this year...

dad ko phone par batayi thi maine ye baat...i said ki shayad is baar champ ka tag naa mile mujhe as SANVY is participating...

par tab tak ye competition bohot huge ho chuka tha...

national level position stake par tha jo kabhi mere dad ne bhi aise hi ek competition me achieve kiya tha...

isiliye he said ki by hook or by crook,i have to win this competition...

same chiz ARCHI MOM ne bhi kahi thi...

aur unhone hi DINGLI se kaha tha to help me...kisi bhi tarah tujhe competition se back down karne ke liye ye saath de mera....

trust me SANVY, pehli baar me mana kar diya tha isne...but her mom kept forcing her...dad ne bhi same demand ki...

jab retaliate karne ki koshish ki isne toh even phone par isse baat karna bhi chhod diya tha unhone...

isiliye just for our parents sake,she agreed...

NITS-chi,chi,chi,chi,chi...saala ek aadmi jisse DEHRADUN ke har school ka student apna role model maanta hai...

jisne apne mukaam ki chhap sirf desh me hi nahi balki videsh me bhi chhodi hui hai...

dusri taraf ek aisi aurat jisse hamare desh ke leading industrialists me se ek bola jaata hai...

professionally idols for our society,our country par personal level par itni down market ghatiya soch...

baap se nahi jeet paaye toh apne bete se uske bete ko hara khudko bada banayenge hum...

ghanta...abbe champ baad me banana, pehle sahi insaan to ban jaa re...

SONU-aur ek bbaat bbata bbe...mmom ddad ttere GALATH the,ye ttoh ppata hi hoga nna tujhko...

ye ssab ggame kkhelne ke lliye ttere zzzamir ne tujhe dhikkara nnahi...


SAM ki baat sun NITS aur SONU ke saath baaki sab bhi jhunjla se gaye the...

ghussail bhari nazaron se dono hi usse dekh rahe the...


SAM-SANVY,mujhe maaf mat kar...mai deserve bhi nahi karta par please yaar...forgive DINGLI...

family pressure me aakar usne ye sab kiya...but she really loves you...

MAI-kis level ki moti buddhi hai be teri...tu mujhe convince kar raha hai..!!!

sachayi mujhe abhi abhi pata chali hai kya...???

tum dono game isiliye khel paa rahe the kyunki mai khelne de raha tha...

ye mujhe dhoka nahi de rahi thi...mai isse dene de raha tha...

teri toh baat hi chhod...jis din mere khilaaf tune plotting shuru ki thi,matter karna band ho gaya tha tu mujhe...

par ye,the so called love of my life,saari sachayi jaanane ke baawjud mai iske saamne chup sirf isiliye tha kyunki mai dekh raha tha ki iske dil me tu aur teri family ka ganda pyar kab tak mere saaf pyar par haavi rehta hai...

saala aakhir tak haavi hi reh gaya...


DIMPLE ko ek gehri nazar se dekh ek lambi saans chhod wapas palat gaya mai...

aur mujhe jaata dekh baaki sab bhi palatne lage the...


DIMPLE-SSSANVY...pplease....mmmai ye sab...


gala rundhne ki wajah se awaaz atak gayi thi DIMPLE ki par uska sisakna sun mai rook chuka tha...

itni der me apni galti ke liye aankhon se toh kayi baar maafi maang chuki thi woh par mooh khol ye pehli baar tha jab adhure shabdon ke saath plead kiya tha DIMPLE ne...


SAM-DINGLI...

CHATAKKKHHH...


DIMPLE ko kandhe se pakad housla dena chahta tha SAM par iske touch karte hi tezi se ghuma DIMPLE ka haath aur agle hi pal ek gaadha panja chhap chuka tha SAM ke face par...

ye scene dekh mere saath saath ruke baaki sab bhi thode shocked ho gaye the...

par un sabko jaane ka ishara kiya maine jispar sabhi garage se nikal gaye...

wahin mai pahuncha wapas DIMPLE ke saamne jo bhari aankhon ke beech bhi bina palke jhapkaye mujhe dekh rahi thi...


MAI-mai ye sab kya...???

DIMPLE-mai ye sab hamesha ke liye tumse chhupa kar nahi rakhne waali thi...saara sach...i would have told you...

MAI-i believe you...bas ek sawal ka honestly jawab dogi...!!!

DIMPLE-anything...

MAI-kab...???kab batane waali thi tum mujhe... race se pehle ya race ke baad...

matlab successfully mujhe dhoka dene se pehle ya uske baad...


mere sawal ka jawab zaroor tha DIMPLE ke paas par woh jawab pleasent toh tha nahi...

labh hilkar hi reh gaye the uske aur ye dekh...


MAI-jawab mil gaya mujhe...aur tu...ek baat bata be...kuch dino pehle kahi meri baat ki" i will participate",yaad reh gayi tujhe par barson pehle kiya gaya mera vaada kaise bhool gaya tu...!!!???

"SIRIUS KE SCHOOL DIVISION KA CHAMP TU HI RAHEGA"...

meri baat sun mera usse ye barso pehle kiya gaya vaada ghum sa gaya tha SAM ke dimag me...


MAI-itne saalon ki dosti me kamsekam ye toh pata hona hi chahiye tha tujhe ki SANVY apne promises kabhi nahi todta...

SAM-mujhe maaf kar de yaar...dad ki baat sun bohot zyada nervous ho gaya tha mai...

unke saamne kaise bhi jeetna hai,iske alawa aur kuch yaad hi nahi raha tha mujhe...

MAI-toh ek baar sidhe sidhe bol deta...teri nervousness wahin khatm kar deta mai...

pehle bhi toh kayi baar tere har raaste se khud ko hataya hai naa maine... phir is baar kyun nahi haththa...!!!


meri baat sun sir sharmindagi se jhuk chuka tha SAM ka par ab faayda hi kya tha...!!!jo karna tha, kar chuka tha woh...


MAI-well,itne saare bad news ke baad i also have a good news for you...

ab tak toh samajh aa hi gaya hoga tujhe ki meri sports meet me participate karne waali baat fake thi...

just wanted to bring out your true colour which i just did...

isiliye my promise still stands...har saal ki tarah is saal bhi SIRIUS school division ka champ tu hi banega...

duniya ke saamne, tomorrow you will make your father proud...

all the best...


dono ko dekh smile karte hue wapas palath aage badh gaya mai...

jaise jaise door hote chale jaa raha tha mai,DIMPLE ke face par ek tez bechaini saaf dikhti chali jaa rahi thi...


DIMPLE-SANVY...


garage ke front door tak pahuncha hi tha mai ki mera naam zor se pukaar meri taraf doud gayi DIMPLE...


DIMPLE-maine jo kiya hai,mai jaanti hun woh maafi ke layak nahi hai...but i am sorry...

kal ke race me participate karo SANVY...haan ye sach hai ki mom dad ke liye mai apne bhai ka saath de rahi thi...

par ek sach ye bhi hai ki i have always wanted the world to see the real you...

the born champ that you are... race SANVY aur agar mujhse kabhi bhi mohobbat ki hai tumne toh win it ..

MAI-see now that's the thing...tumse mohobbat ki thi isiliye hi toh race nahi karni mujhe...


meri baat ko sun sawal dikhne laga tha NEW GIRL ke face par jispar uske theek saamne khada hua mai aur...


MAI-




aisa toh ho nahi sakta naa ki SANVY apni baat se MUKAR JAAYEGA...


tera dhoka tere pyaar par bhaari hai,par dil mera koi halka patta nahi jo toot kar BHIKAR JAAYEGA...

lekin pyaar toh tha hi jiska karz chadha hua hai mujhpar magar...

tere khawish-e-talab,tere bhai ki jeet se ab woh UDHAAR bhi UTAR JAAYEGA...









AAJ KE LIYE ITNA HI...






AAPKA APNA V...J...
Bahut Kahani Pada bhai lekin aapki Kahani Jaise koi nahin mila bahut behtarin Kahani bhai aapki बहुत-बहुत Shukriya acchi Kahani likhane ke liye
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

Black soul

سآخذها ليلا ونهارا بمجرد العثور على الملكة 🥀🏴
623
1,695
124
Waiting bhaya :sip:
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in
Top