• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)

1,141
4,283
144
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF ANJALI APNE GHAR HONE WAALI DIWALI PARTY KE INVITES SABKO DETI HAI WAHIN DUSRI TARAF PARTY ME MR CHOPRA AUR MR GURUDUTTA SANVY SE KAAFI IMPRESS HO JAATE HAIN.

AB AAGE:-

CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)

UPDATE-71

DATE-30TH OCTOBER

CITY-DEHRADUN

PLACE-DEODAR FOREST

MMMMMHHHHHH.....I HAVE BEEN TO AUSTRALIA,CANADA,U.S...

HAR JAGAH JUNGLE SAFARI BHI KI HAI AND THE JOURNEY WAS SUPER COOL PAR ITNA REFRESHING AIR KABHI INHALE NAHI KIYA MAINE...

deodar forests ke beech open jeep me khadi beh rahi thandi hawaon ko apne fefdon me kisi kimti zewar ki tarah samet si rahi thi NEW GIRL...

MAI-kyunki Australia,Canada,U.S me GANGA nahi behti...

ANJALI-true...ye pura area gangotri glaciers se ghira hua hai aur jahan hum jaa rahe hain,"TAPOVAN"uske seene ke beech daudti hai MAA GANGA...

isiliye is pure area ki hawaen 12 mahine yunhi thandi aur fresh behti hain...

DIMPLE-jab ye lushy green forest itna khubsoorat lag raha hai toh i can just imagine ki TAPOVAN ka camping zone kitna beautiful aur eye catchy hoga...

SAM-trust me,you cannot imagine...wahan river beds hain jinki covering grey lushy mote parath waale ghaans se bani hui hai...aur beech me behti hai crystal clear ganga rivers water...

and to put cherry on the cake, surrounding completely green hai aur upar... clouds ki bohot si moving covers ghumti rehti hai...

it's heaven...

MAI-bhaiya,100 metre me gaddha hai...araam se...

DRIVER-lagta hai kaafi baar aaye hain aap yahan...

but don't worry sir,mera roz ka hai...

aur jis dug point par car bump ki baat kar rahe hain aap,usme thoda time hai...

DHADHHHH.....

driver ki dialogue baazi me 100 metres nikal chuke the jiska matlab tha ki jis dug point ke baare me warn kiya tha maine,ussi par chadh chuke the car ke tyres...

abhi morning ke 5.10 baj rahe the...itni morning isiliye aa gaye the hum yahan kyunki glaciers me trekking kate waqt yahan ke icy mountain se sun rise dekhne ka maza hi kuch aur hota hai jisse hum miss nahi karna chahte the...

khair, is waqt har taraf halka andhera tha aur isiliye hi driver ko warn kiya tha maine jisse apne overconfidence ki wajah se dhyan nahi diya usne...

speed 50 plus ki hi thi par grassy lane hone ki wajah se bump thodi zyada ho gayi thi car jiski wajah se hum sabhi disbalanced ho gaye the but thankfully aur kuch GALATH nahi hua...

NITS-oh bhai sahab...jaisa jaisa bolega ye, chup chaap karte jaaiye aap...

mahan driver hone ki galathfehmi dusre passengers ke saamne dikhayiga...

ye agar bole naa ki aage invisible chattan hai,toh chupchap waisa maan kar brake maar liyo...

aap laakhon baar apne ghar gaye honge par wahan pahunchne ke liye kitni galiyon se guzarna padta hai,unka exact count abhi bhi nahi pata hoga aapko par agar ye lounda ek baar bhi aapke yahan padhar gaya naa,toh raaste me padh rahe pure mohalle ke har dukaan tak gina dega aapko...

baakiyon ke mukabale thoda dheela baitha tha NITS...

isiliye jab jeeb ne zara zor ka bump maara toh ucchal kar wapas girne par uske pichwade me tagda pain utha tha...

aur sabke saamne apna gaand dard dikha sakta tha nahi woh isiliye frustration uski aur badh gayi thi...

waise dena toh bhar bhar ke gaali chahata tha NITS...par girls ke kaaran jaise nikaal saka,apni bhadas nikal diya tha usne driver par jisse sun jahan ek taraf mere sir shake karne ke beech sab has diye the wahin dusri taraf driver kaafi sharmshar ho gaya tha...

wahin is beech KHANAK,RASHI aur DIMPLE joki pehli baar TAPOVAN TREKKING par jaa rahe the,is halke andhere me bhi SANVY ke perfect road analysis ko dekh kaafi hairan ho gaye the...

RASHI-wow SANVY... tumhe kaise gaddhe ka exact point pata tha...???

EKPREET-kyunki bhaisahab ko TAPOVAN me trekking karna bohot pasand hai...

100 se zyada baar aa chuka hai ye yahan...khaaskar aunty ke saath...

RASHI-dont tell me...aunty bhi trekking karti hain...!!!

ANJALI-oh you have no idea babes...kayi baar toh mai bhi aayi hun iske aur MAA ke saath and she is awesome...

NAISHA-tabhi toh aunty itni fit dikhti hain...

ANJALI-dikhti nahi,she is fit... actually, super fit...

RASHI-wow...

KHANAK-par phir bhi yaar,itne bade jungle ke beech woh bhi yun half light me itna sateek judgement...!!!

MAI-yahan saans lena acha lagta hai mujhe...aur zameen ke kis hisse par pair rakhne se saans chadhegi aur kis par saans utregi,uska byora mere dimag me chhap sa gaya hai...

waise bhi,jab kuch ya koi pasand ho aur bohot zyada pasand ho toh uske baare me har important info rakhna zaroori hota hai...

NITS-satya vachan...

DIMPLE-waise abhi hum kahan jaa rahe hain....???

RAJAT-BHOJBASA...

trekking point wahin se start hoti hai...

DIMPLE-nice...woh jagah aur kitni door hai yahan se...!!!

EKPREET-ab zyada distance nahi bacha...i think 10 minutes me hum BHOJBASA trekking point par honge...

MAI-8 minutes...

DIMPLE-8 minutes it is... brilliant...

jaisa waqt maine diya tha,woh ekdum fit baitha... exact 8 minutes me hum BHOJBASA trekking point ke paas pahunch gaye the aur NEW GIRL jisne mere time batate hi apni kalayi par bandhi smart watch dekhi thi,yahan pahunchte hi ek baar phir uski nazar ghadi par gayi jisme exactly 8 minutes hi paas out hue the...

jeep se utarte hue brilliant shabd dheere se mere kaano me kaha tha usne jisse sun halka sa smile karte hue mai bhi utar gaya...

trekking point par kaafi saare chote chote tents bane the jinme trekking officials ke log baithe hue the...

Jackets (Fiber or down),woolen shirts and thick sweaters,waterproof jackets with hood or poncho,tracksuits,track shoes,trousers,thermal coat,pairs of loose fitting long shorts/ skirts,pairs of Gloves,woolen hat,long sleeved shirt,towel and hankies,light weight walking boots,pairs of thin socks and 2 pair of woolen socks....

snow glasses and sunglasses,trekking sticks,duffle bag or kit bag trekking equipments carry karne ke liye,
2-4 plastics bags 2-4 large plastic bags saaf aur gande kapdon ko alag alag rakhne ke liye.,6-10 chote plastic bags garbage disposal ke liye,daypack bag personal chizen carry karne ke liye, trekking water bottles,water purifying tablets,
toilet articles and towels,toilet paper...

night me camping ke liye headlamp,torch, candles,binocular, camera and finally trekking map...

sabke liye trekking,clothings, equipments and finally camping accessories rent par lene ke baad clothings put on karne ke liye paas hi lagaye do khaali tents me chale gaye hum sab...

NITS-maa kasam bhai...baaki sabke saath ye trekking gears ke rental rate bhi badh gaye yaar...

behenchod bas 11 logon ke 22 hazar kaun lagata hain be...

maane per person 2 hazar loot rahe hain saale...

EKPREET-bhosdike ek complete gear 20 hazar ka padta hai...

ab 20 hazar ke samaan ka 2 bhi naa lagaye woh...

NITS-bada support kar raha hai lounde...commision toh naa rakha hai apna har rent par...

ae SONU, trekking start karne tak nazar rakhna re ispar...pata chala ek taraf hum sab barf ki thand ke beech khud ko ragadna start kar rahe hain aur ye loudu apne commission me milne waali noton ki garmi ke maze loot raha hai...

NITS ke taane par usse chutiya bol bas has pada tha EKPREET...

khair,agle 15 minutes tak NITS ki bakwas ke beech hum sab apna apna trekking gear pehente rahe...

DIMPLE-guyzzz...aur kitna time...???

NITS-arre gazab... itihaas me pehli baar ladkiyan ladkon se pehle ready ho gayi re...

RAJAT-koi bhi gear make up kit nahi tha... ready toh hongi hi jaldi...

MAI-ae NAISHA... dekh kya bol raha hai RAJAT...!!!

RAJAT-abbe bhosdike...

mujhe maarne aage badh hi raha tha RAJAT par usse pehle hi mai tent se bahar nikal chuka tha but coincidentally tent se nikalte hi naa sirf maine NAISHA ko theek apne saamne paaya par saath hi saath usne meri baat bhi sun li thi...

NAISHA-ya baby...what's up...!!!

jahan NAISHA ko saamne dekh sitti pitti gul ho gayi thi RAJAT ki wahin uski haalath dekh sabhi ladke sir idhar udhar kar dabi hasi has rahe the...

RAJAT-nothing babes...woh mai isse keh raha tha ki aise beautiful place me tumhare saath ek romantic date me aana chahiye tha mujhe par rather than doing that,in gadhon ke saath aana pada hai mujhe...

NAISHA-aww... that's so sweet baby...

EKPREET-sahi hai lounde...badhiya ghumaya hai...seekh raha hai SANVY se ye bhi...

jahan apne b.f ki baat sun uske gardan ke ird gird apne baahon ki giraft daalne ke beech RAJAT ke gaal par kiss kiya NAISHA ne wahin RAJAT ke perfect defending answer ko sun SAM ke kaano me uski taarif ki thi EKPREET ne jispar SSM bhi has diya tha...

ANJALI-pehli baar sach bola hai RAJAT ne...ho toh tum sab gadhe hi...

MAI-aur kuch baatein boli nahi jaati par phir bhi samajhdaar samajh jaate hai...

NITS-maane...!!!

MAI-maane us gadhe waale statement ke beech gadhi bhi tha jo sentence lamba ho jaane ki wajah se bola nahi isne par feeling puri thi...

DIMPLE-aisa...!!! phir toh NAISHA bhi shaamil ho gayi us ankahi baat me...

NAISHA-baby...!!!!

pyaar bhare aalingan aur usse uth rahe bhaavnaao se turant bahar aa RAJAT ko ghurne lagi thi NAISHA jispar uski haalath kharab hone lagi thi...

MAI-doston,arz kiya hai...

BOYS-irdhad irshad...

MAI-

"mohobbat apne aap me ek kahani hai,woh dusre kaafiyon ka KISSA NAHI HOTA...

bheed gadhon ki ho par chaahat unhike beech toh....

woh ishq-e-rukhsaar un gadhon ka HISSA NAHI HOTA...

WAAH BHAI...LAAYA HAI RE..LAAYA HAI...

meri baat ka asar chaar tarfa hua...ek taraf NAISHA jo RAJAT par bigadne hi waali thi,uski smile wapas aa gayi aur ye dekh RAJAT ki jaan me jaan aayi...

dusri taraf mere dost meri ek teer se do shikar waali shayri ko sun ladkiyon ko chidhane lage jispar ladkiyan mujhe gaali bakne lagi thi...

wahin teesri taraf meri shayri ne NEW GIRL ke dimag me ek khayal ka aagaz kar diya tha joki aaj ke din ka anjaan banane waali thi...

halka serious ho gaya tha uska face...

MAI-ab chalen ya sunrise ka view miss karna hai...

6 bajne ko tha... abhi aur normally is time suraj apna sir upar utha diya karta hai par ye ek pahadi area tha aur is waqt hum barfili pahadiyon ke chain ki sarhad par khade the...

aisi jagahon par suraj aur uski roshni thode dheere dheere upar uththi hai...

SAM-arre chalo guyzzz...first mountain top yahan se 2 km door hai... turant niklenge tabhi time par wahan pahunch paayenge...

apne apne lungs me ek baar beh rahi fresh hawa ka stock fill kar trekking shuru ki humne...

jis mountain top ki baat ki thi SAM ne,us tak pahunchne ki chadhayi mushkil nahi thi...

haan,chaadhav toh constant tha par hamare pairon tale bicha snow cover naa toh deep tha aur naahi sticky...

sirf trekking sticks ke halke push ki madad se hum bade araam aur ache speed ke saath us half up chadhayi ko cross karne lag gaye the...

here's the thing about trekking...bhale hi chadhayi completely up hill aur ya phir narrow climbing...

barf me saans bohot jaldi chadhti hai isiliye trekking ke beech jitni kam baat karo, stamina ke liye utna acha hota hai...

sirf is check point ki wajah se hum sab NITS ke chutiye vachano se bach rahe the...

DHAPPP......

WOW......SO SERINE....

20 minutes.... exactly 20 minutes me hum sabne ye 2 kms ki chadhayi puri kar li thi...

par first mountain top me pahunchte hi apne atadiyon tak thak chuka NITS mooh ke bal barf me gir chuka tha...

lambi lambi saansein leta hua woh dheere se karwat badalte hue apni peeth par aaya tha...

aur ye dekh baaki sab hasne hi waale the par tabhi KHANAK ke mooh se nikli taarif sun woh sab bhi samane dikh rahe swargiya drishya ki mood gaye aur aisa hote hi un sabki aankhein kudrat ki rachi us adbhut jeevant chitr ko dekh thair si gayi...

suraj ki roshni aankhon ko chuban deti hai par abhi iske bilkul ulat ho raha tha...

barf se dhake pahad jaise apni thandak ko suraj ke sharir ke upar odha se rahe the...

halki laali liye khudke aakarshan ko aur badhate hue hume apni taarif karne ko jaise baadhya kar raha tha surya...

suraj ko ek tak nihaarte hue NITS ke saath saath hamari bhi chadhi hui saansein kab normal ho gayi,pata hi nahi chala...

MAI-let's move guyz...abhi sirf 2 kms hue hain...18 baaki hai...

meri baat sun wapas vartaman me aa gaye the sab aur sabse zyada NITS...

kyunki woh pehle bhi mere saath yahan trekking par aa chuka tha isiliye jaanta tha woh ki aage kya hone waala hai...

abhi tak ki chadhayi jitni exhausting thi,aage ka safar isse 5 guna tough hone waala tha...

kyunki naa sirf aage barf ki thickness zyada hone waali thi balki saath hi saath chadhav bhi thode zyada the...

aur trekking ka last padhav halka khatre se bhi bhara hua tha jiske detailing ke liye TREKKING OFFICIALS ne pehle hi hum sabko ek ek manual diya tha...

NITS-abbe saalon,yahi jagah mili thi holiday spend karne ke liye...!!!

SAM-beta pichle ek hafte se mid term exam ke naam se sabse zyada teri hi fat rahi thi...

EKPREET-fat rahi thi...!!! understatement hai ye yaar...!!!

pehla paper MATHS hai,ye jaankar baawla ho gaya tha ye...ek hafte se paper table set karne waale ko non stop gaaliyan bak raha hai tu...

par aaj jabse yahan trekking ke liye nikle hain, exams ke baare me ek baar bhi zikr nahi kiya tune...

it's the perfect place to take the mind off dude...

NITS-dude...jo hai nahi saala woh doodh bhi nikalne waala hai idhar...

dheere se budbudaya the NITS...

DIMPLE-mujhe toh samajh nahi aa raha ki maths se itna darne ki zaroorat hi kya hai...???

i think it's the best and the most interesting subject...!!!

NITS-boli...topper bai boli...tum front benchers kya jaanoge re hum back benchers ka dard...

MAI-tu ek kaam kar...yahin baithe baithe apna dard kam kar, hum chale aage...

let's bounce guyzzz...

NITS -bounce...!!!ball hai hum...abbe ruko re mere liye...

apne apne trekking bags laadh aage badh gaye the hum aur NITS jo abhi bhi barf me baitha apne chuttad ko thanda rakh raha tha,girte padte utha woh bhi aur apne trekking bag ko theek kar tezi se chal pada hamare piche...

par ye tezi zyada der tak kaayam nahi reh paayi...

aur sirf NITS hi nahi balki baaki sab bhi 30 minutes ke trekking walk ke baad dheeme hone lage the...

girls ka haal toh aur bura tha...pair jo ki 8 inches tak dhase the, unhe uthaane me hi second se zyada ka waqt lagne laga tha unhe...

par in sab me NEW GIRL thi..thaki woh bhi thi par trekking walk ka sahi technique use kar raho thi woh isiliye bad saansein hi halki chadhi thi uski lekin chalne ki speed me koi kami nahi aayi thi...

jahan baaki sabse 20 metres aage chal tha mai wahin NEW GIRL mujhse just 5 metres hi piche tha...

waise SAM bhi baaki sabse aage hi tha par saans uski thodi zyada chadh gayi thi...

NITS-abbe ruko re...jaane se pehle kamsekam hume barf me dhang se dafna toh do...

RASHI-haan guyzz.we cant walk anymore...thodi der ka break lete hain...

apne water sippers jisme trekking starting point me gunguna paani daala tha sabne,saari girls water sip lene lagi thi...

SONU-soccha ttha iss bbaar pure ddistance mme energy ppreserve kar llunga ppar aadhe me hhi ffath gayi hai bhai...

MAI-aadha...abhi tak 25 percent distance bhi cover nahi kiya hai humne...

KHANAK-shit...

MAI-yaa..shit.. isiliye paani kam piyo and start walking along us...

RASHI-but how...!!!yahan humare pair tak theek se nahi uth rahe aur tera toh saans tak nahi chadh raha...

NAISHA-same goes for you too DIMPLE... kitne araam se tum dono trek kar le rahe ho...how...!!!

ANJALI-pair ka complete pressure barf me daalna nahi hai...

pair ka pressure barf consume kare,usse just pehle agla kadam badha lena hai.. that's the technique...

KHANAK-tujhe pata hai...!!! par teri bhi toh speed hamare jitni hi hai aur saansein chadhi hui hai...

ANJALI-tum sabse 5 metre aage hi chal rahi thi mai...

RASHI-waah..aadhe ghante me kya distance banaya tune...

ANJALI-arre yaar,ye technique bolne me jitni simple hai, execute karne me utna hi tough hai...

5,6 baar iske aur MAA ke saath aa chuki hun par balance bana hi nahi paati...

MAI-ab chalen...!!!

ANJALI-yaar SAN, paanch minute toh rook kamsekam...

MAI-jungle tak toh theek hai,par uske baad se badi chup ho tum...!!!

ANI ke kehne par kuch der ka break liya tha humne..is beech hum sab chit chat kar rahe the siway NEW GIRL...

woh chal rahe conversation ke beech bas chup chaap hi khadi rahi thi aur ab bhi meri baat sun ek pal dekha usne mujhe aur...

DIMPLE-paanch minutes ho gaye yaar.. let's continue...

apni baat bol aage badh gayi thi NEW GIRL...

NITS-ye iske andar MAANIKPURI SIR ki aatma toh nahi ghus gayi...

5 minute maane 5 minute...

MAI-sahi toh hai be...bohot hua rest.. chalo ab...

mai bhi aage badh gaya tha jiske baad baaki ab bhi jaisa technique ANI ne bataya tha,usse yaad kar aage badhne ki koshish karne lage jisse thodi der me khud hi discontinue kar diya tha unhone...

ho jo nahi raha tha theek se...

DHAPPP...DHAPPP....DHAPPP...DHAPPP...

kareeb 1 ghante aur 45 minutes ki trekking ke baad sharir me jaan hi nahi bachi thi kisike...

ek ek kar barfile sadak par ghutne tekte chale gaye the sab...

isse pehle bhi 2 baar aur break liya tha sabne par phir bhi sharir me aayi extreme thakan se khudko bacha nahi paaye the sab...

SAM ki saansein bhi dhowkni ki tarah chal rahi thi par kisi tarah apne pairon par ab bhi khada hua tha woh..

bache mai aur NEW GIRL...is lambe trekking ke dauran ab mai aur woh bhi baaki group se bas kuch hi metres aage chal rahe the...

jahan meri saansein bhi tez chal rahi thi par khudko sayyamit rakha hua tha maine wahin NEW GIRL bhi kaafi zoron se saansein inhale aur exhale kar rahi thi par phir bhi ab tak kadam se kadam mila mere just piche chali thi woh...

aur ab baaki sabko yun baiththe dekh usne bhi chain ki saans li thi kyunki thakaan se haal ab uska bhi kuch sahi nahi tha...

EKPREET-aur na chala jaayega bhai... zaroorat se zyada fath chuki hai...

NITS-pehli baar... pehli baar teri soch achi lagi bhai...

MAI-waise kuch hai jisse dekh thakaan kam ho jaayegi tum sabki...

NITS-mere ko maalum tha brandy laaya hai apna lounda...

nikaal bhai..ek ek dhakkan sab lenge...

MAI-abbe chaman chutiye...maine dekh bola,pee nahi...

right dekho...

HOLY MOTHER....WOW...JUST...WOW...

right as in east ki taraf beh rahi thi ganga nadi...

zyada chowdi nahi thi nadi...bas 30 metres ki chowdayi liye curved angle me left ki taraf ghumte hue aage beh rahi thi woh...

dono taraf bane river beds par safedh aur laal medium sized pathhar the...

nadi ke paani aur un pattharon par abtak apne asli chamak me aa chuke suraj ki roshni padh rahi th jo unki khubsoorati aur pure nazaare ko hadh se zyada badha rahi thi...

mantramugdh se hokar sabhi us drishya ko dekh rahe aur aisa karte hue unhe pata bhi nahi chala ki kab unki saansein normal hone lagi thi...

psychological term me mental peace physical exhaustion ko turant kam kar deta hai aur wahi kiya tha maine...

RASHI-hey look...nadi ka paani curve hote hue hamare sidh ki taraf jaa raha hai...

SAM-yup...aur phir extra naa ghum straight hi nikalti hai puri nadi...

RASHI-i am seeing that...but aage colour alag nahi dikh rahi paani ki...

KHANAK-may be because of the distance...1 km toh hoga hi yahan se...

MAI-ek nahi 2...halka downward trek hai ab isiliye distance kam lag raha...

and for the colour differential,i assume,tum dono me kisine bhi trekking border par mile manual ko nahi padha hai, right...!!!

meri baat ke jawab me turant apna side pouch jisme water sipper ke baaju me manual rakha hua tha,nikaala RASHI aur KHANAK ne aur usse padhne lagi..

KHANAK-holy shit... yahan toh likha hai ki trekking ke last 2 km me WATER BLANKET (jama hua paani)bana hua hai...

aur hume ussike upar se guzarna hoga...

RASHI-par remark area me RISKY kyun likha hai...

MAI-ussi wajah se jiske kaaran trekking shuru karne se pehle waver form bhara tha hum sabne...

waise toh water blanket kaafi sakht hote hai par kabhi kabhi unke andar constantly chal rahe moving glaciers upar uththe hue unhe hit karte hain jiski wajah se some area of the blanket turns soft...

aise me agar us soft spot par pair rakh diya jaaye toh woh area toot jaata hai...

NITS-aur uske upar khada banda ya bandi neeche paani me joki kabhi bhi -10 degrees se zyada nahi hoti...

meri aur aakhir me NITS ki baat sun RASHI aur KHANAK ke face me dar dikhne laga tha aur ye dekh...

DIMPLE-relax...water blankets solid rock jitne hard hote hai...

yunhi nahi tootathe woh...unke tootne ka chance .1 percent jitna hota hai aur isse kahin zyada khatra toh raaste par chalne se hota hai...

agar wahan nahi darti toh yahan darne ka koi logic nahi hota...

ab chalen...kaafi der ho gaya yahan hume... moving bodies se heat paida hoti hai jisse yahan ki sardi se bache rahenge hum...

waise toh baat NEW GIRL ne pate ki batayi thi jisse sun RASHI aur KHANAK ke face ka tention jaata raha tha par mere maathe par bal padh chuke the...

reason...

practical defination diya tha NEW GIRL ne, friendly assurance tone nahi tha uski awaaz me...

khair,apni baat bol wapas mood aage badh gayi thi NEW GIRL aur uske piche piche hum sab bhi ho liye the...

aur kyunki ab chadhayi nahi balki steep walk tha isiliye barf ki soft thickness bhi kam ho chuki thi...

aage badhne me ab zyada mushkil nahi ho rahi thi...

yahi wajah thi ki itne der ke baad ek dusre se masti mazak karte hue hum sab aage badh rahe the...

par is HUM shabd me ek shakhs kam thi...

NEW GIRL...

is 360 degree beautiful place ko check out karte hue hum sabse kareeb 15 metre akele hi aage chal rahi thi woh...

jahan baaki sab usse mother nature ko check out karte dekh disturb nahi kar rahe the wahin mai bhi sabke saath hi aage badh raha tha par aage ka scene dekh mere kadam bhi tez ho gaye...

REASON...

humse kuch door jahan se water blanket shuru hone waala tha,us pure 2 km ke area me ice wind beh rahi thi...

raftaar zyada nahi thi par thi toh sahi...

MAI-hey NEW GIRL...water blanket shuru hone waala hai aur wind vision ko blur kar dengi...

i think mujhe aage chalna chahiye...

DIMPLE-beat me...

NEW girl se kareeb 5 metres door se kahi thi maine apni baat jisse sun bina piche palte jawab diya usne aur thodi tez ya phir ye kahun ki literally doudte hue aage water blanket ki taraf badh gaye uske kadam...

MAI-SHIT...

mere bhi kadam thode tez ho gaye the...

is taraf ice wind ka suddenly aana aam baat hai... wind ke beech chalne me bhi zyada fark nahi padta hai par jo chiz is wind ko ghaatak banati hai woh hai glaciers movement...

is wind ke aane ka kaaran hi water blanket ke neeche dheemi chaal chal rahe glaciers aur liquified paani ka tez behna hota hai...

ek under ice tide se hota hai ye jiske constant rush se glaciers water blanket numa solid kawach ko break kar sakte the...

aise me us blanket me doudne ka matlab hai uspar extra pressure add karna which is very dangerous...

KADDAKAKKKKK.....

MAI-stopppppp......

and guyzzz wait...back off...blanket par pair mat rakhna.. parts of it are cracking...

ice cracks....issi ki behadh dabi awaaz sun liye the mere kaano me jiske turant baad maine NEW GIRL ko jo filhal mujhse 15 metre door thi,chillakar rookne ko kaha tha...

wind ki wajah se bas 15 metre door hone ke baawjud awaaz kam aayi thi par phir bhi sun liya tha NEW GIRL ne...

aisa hote hi meri taraf palath gayi woh...

wahin meri baat sun mere baaki dost jinke kadam water blanket me padne hi waale the rook gaye the...

DIMPLE-what ice crack...!!!yahan sab theek hai...

KDKKKKK....

casually bol wapas palath gayi thi NEW GIRL par tabhi uske pair ke just aage ice layer par ek mota crack pad gaya jisse suna aur dekha bhi usne...

turant rook gaye the uske kadam aur usse aisa karte dekh mai samajh gaya ki uske saamne ice crack hua hai...

MAI-relax NEW GIRL and don't move...mai aa raha hun...

DIMPLE-no need...mai aa rahi hun...

KDDDDKKK...

MAI-no wait...

ice cracks ki ek unique khaasiyat hoti hai...jahan iske darar aana shuru hote hai,asli impact uske exact opposite direction me create hue hote hain...

aur agar us impact area par pressure padh jaaye toh woh crack apna daayra ek bade circle ke roop me badha leta hai...

wahi hua... NEW GIRL ke kadam meri disha me badhate hi uske saamne ka surface crack hone laga aur dekhte hi dekhte us crack ne circle sa banate hue NEW GIRL ko chaaron taraf se gher liya tha...

NEW GIRL-SHIT....

CHAPAKKKKK....

SAB-DIMPLE....

NEW GIRL ko ehsaas ho chuka tha ki jo crack uske ird gird bana hai,woh deep hai jiska matlab tha ki kisi bhi pal woh paani ke andar jaane waali thi...

aur uska ye assumption agke hi pal sach ho gaya...

us 4 metre ke daimeter tak faile crack ke saath saath NEW GIRL bhi neeche paani me jaa chuki thi...

wahin aisa hone waala hai,iska assumption sirf NEW GIRL ne hi nahi balki maine bhi kiya tha...

yahi wajah thi ki crack ke dislodge hone se pehle hi mere saare trekking neeche ice me pade hue the aur mai,doud chuka tha...

MAI-WIND SEGMENT...A AND B....

DISPLACEMENT OF THE BODY...INITIAL POSITION NORTH A...

AND WEST 35 DEGREE WILL BE B...

DISTINGUISHED VECTORS SE DENOTE VECTORS...

MATLAB CURRENT POSITION OF A TO B...WEST 60 DEGREES...

WIND SPEED,15 KM THAT MEANS UNDER WATER DISPLACEMENT WILL BE 25 KM...

AND IF ADDED MOVING DISPLACEMENT,C'S SPEED WILL BE 40 KM...

time to reach A TO B,20 SECONDS....

VECTOR ANALYSIS... GANITH ka ek aisa pattern jo kisi bhi moving chiz ke direction ko pata karne ka sateek tarika hota hai but ofcourse maths sahi hona chahiye...

A woh position tha jisme NEW GIRL pehle khadi thi aur B woh position jisme woh abhi beh rahi thi...A TO B NEW GIRL thi aur C tha mai jo NEW GIRL exactly jis point se paani me giri thi,ab girne waala tha...

MAI-20 seconds...hold on tight NEW GIRL... kuch nahi hone dunga tumhe...i promise...

apni aankhon me determination liye ek high dive jump le liya tha maine aur ye dekh...

ANJALI-SANVY.............

ANJALI ke baad sabhi ne SANVY ka naam zor se cheekha tha par un cheekon ko sunane se pehle hi mai paani me andar jaa chuka tha...

SSHHHHHH...

paani ko touch karte hi aisa feel hua mujhe jaise mera dimag,dil aur reedh ki haddi sabhi main internal organs akad se gaye hain...

par filhal dhyan nahi tha mera mujhpar...jaisa calculate kiya tha,apne sharir ko bas us disha me bend karkar rakha tha maine aur baaki ka kaam nadi ke tez current ne kar diya tha...

ab tak ka ganith sahi tha mera... mere run ne meri displacement speed kaafi badha di thi...

saansein rok bas apne dono haath faila diye the maine aur tabhi...

koi solid chiz mere right hand ke contact me aaya tha...ye NEW GIRL ki body thi.. to be precise,uska kamar jisse touch karte ho apni taraf kheenchte hue grab kar liya tha maine....

wahin paani ke andar khudko yun kisike dwara pull hote dekh NEW GIRL thodi chatpatayi aur aisa reaction dekh tention badh gayi meri...

itne chilled water me rehne ki wajah se yaa phir paani ke zyada consumption se NEW GIRL ke senses dull hone lage the joki bilkul achi baat nahi thi...

agle 20 seconds ke andar apne senses se completely disengaged ho jaane waali thi woh aur uske baad shayad 30 seconds bhi survive nahi kar paane waali thi NEW GIRL...

bachane ka usse ek hi tarika tha aur wahi karne waala tha mai...

pakda toh tha hi maine usse...apne dono ghutno se usse jakda maine aur agle hi pal...

ek haath se uske dono cheeks ko dabaya maine aur...

mere honth NEW GIRL ke honth se jud chuke the...

paani ke andar hi mouth to mouth dene laga tha mujhe par fark bas ye tha ki ye mouth to mouth constant rehne waala tha...

tab tak jab tak jis disha me hum badi tezi se badh rahe the,uske end me bana clean river naa jaaye yaa phir jab tak meri saansein tham naa jaaye...

khair,abhi mujhe mouth to mouth start kiye 10 second hi guzre the ki tabhi ek halka jhatka sa laga NEW GIRL ko body ko...

naa sirf apne senses me aa chuki thi woh balki saath hi saath pura scenario clear ho chuka tha uske dimag me...

aisa hote hi usse realize bhi ho gaya ki mai kya kar raha hun...i was giving my life up for her...

ye realization hote hi chhatpatane ko hui woh par aise kisi condition ke liye hi toh apne pairon se uske sharir ko jakad apne dusre haathon se uske uper body ko lapeta tha maine...

kuch seconds ki koshish ke baad shaant ho gayi woh par paani ke andar hone ke baawjud uske aankhon ne aansuon ke liye jaga bana di thi...

aankhein band thi uski par un band aankhon ke beech bhi usse sirf mera face hi dikhayi de raha tha...

practically dekhe toh ye mouth to mouth tha koi kiss nahi...

par situation ko mehsoos kar isse hamari pehli aur aakhri kiss samajh is pal ko khudme sametne me lagi thi NEW GIRL...

aur is beech...

giraft meri NEW GIRL ke sharir par dheeli padne lagi thi aur ye feel kar mujhse alag hone ko hui woh par tabhi...

CHAPPAKKKK....

ice cover area khatm ho chuka tha aur aisa hote hi river flow ki wajah se hum dono ki body paani ke upar aa gayi thi...

itna hi nahi,paani ke saath hamare bahav ki speed bhi kaafi nominal ho gayi thi...

paani se bhari apni aankhon ko saad karne ke baad apne upar neela aasman dekh khushi ka thikana nahi raha tha NEW GIRL ka par ye khushi shanik hi thi..

kyunki agle hi pal mujhe dekh jo usse alag hone hi waala tha,mujhe pakadne ke beech mere face ko dekh uska pehle se hi gora mukhda aur safedh padne laga tha...

REASON...

senses me nahi tha mai apne...par paani me itni der tak bina saans liye rehne ki wajah se aisa hona toh normal hi tha...

par NEW GIRL ke dar ki asal wajah thi mere ear lobes joki extra white dikh rahe the...

jiska matlab tha problem in my respiratory system...

jhat se mujhe hold kar water current ke flow ja use kar side ki taraf tairti chali gayi thi NEW GIRL....

thodi hi der me hum bank par the jiske baad kuch seconds khud ki chadhi saanson ko durust karne ke baad turant mere chest ke paas aakar baith gayi thi NEW GIRL...

DIMPLE-SANVY,SANVY.....get up please....SANVYYYYYY.....

mere pairon aur haathon ko rub karne ke baad mere chest ko ek lay me press karte hue mera naam pukaar rahi thi woh...

par meri condition jyo ke tyon bani hui thi...dil ki dhadkan kaafi slow beat kar rahi thi meri aur behosh pada hua tha mai...

ek superconfident girl thi NEW GIRL par aansuon se bheege face ke piche uska nervous chehra saaf dekha jaa sakta tha...

help ke liye idhar udhar dekh rahi thi woh par koi nahi tha hamare aas paas...

hamare friends se bhi kaafi door aa chuke the hum...

PHOOO....

thodi der tak chest C.P.R dene ke baad bhi jab koi faayda nahi hua toh jo maine underwater kiya tha,wahi NEW GIRL ab karne lagi...

mujhe lagatar mouth to mouth dene lagi thi woh par agle paanch minute tak waisa karne ke baad bhi jab mujhe hosh nahi aaya toh...

DIMPLE-SANVYYYYYY...IDIOT...kya zaroorat thi mujhe bachane ki... apni galti ki wajah se mar rahi thi mai...

mujhe sahi karne ke liye khudke saath itna GALATH kaise kar sakte ho tum...???

damn it SANVY,get up for GOD SAKE....nahi jee paaungi mai tumhare bina....

i swear,nahi uthe agar tum toh mai bhi mar jaaungi...

fine,i am gonna die too...

apni baat keh joki uske facial expressions se bilkul sach lag rahe the,nadi me kudne ke liye uthne ko hui NEW GIRL...

MAI-zidh aisi honi chahiye jiske pure hone par khushi ho,taklif nahi...

DIMPLE-SANVY...theek ho tum... tum theek ho...oh,thank GOD,theek ho tum...

apni aankhon ko joki abhi bhi aadhi khuli hi thi,usse jhapkaate hue haath pakad liya tha maine NEW GIRL ka...

wahin mujhe hosh me dekh khushi ka thikana nahi tha NEW GIRL ka...mere upar puri bicchti hui mujhe khudme zor se jakad zor zor se rone ki beech apni khushi dikhane lagi thi NEW GIRL...

MAI-wooo...araam se yaar... kuch dab raha hai mere chest me...

meri baat sun jhat se alag bhi mujhse NEW GIRL...face par uske haya ki laali kuch yun chhayi ki kasam se,pure TAPOVAN ki khubsoorati feeki lagne lagi thi uske aage...

turant uth jaane lagi thi NEW GIRL par ek baar phirse haath pakad apne paas baithaya maine usse aur...

MAI-wakayi mar jaati tum...!!!

meri baat par face turant serious ho gaya tha NEW GIRL ka...

NEW GIRL-aisa kuch phirse try karke aazma lena...

MAI-kyun...???

NEW GIRL-tum jaante ho kyun...???i love you damn it...par tumhe isse kya...???

MAI-matlab...!!!

DIMPLE-

"bheed gadhon ki ho par chaahat unhike beech toh....

woh ishq-e-rukhsaar un gadhon ka HISSA NAHI HOTA"...

trekking shuru karne se pehle jo shayri boli thi maine,uska second part quote kiya tha NEW GIRL jisse sun saara maazra samajh aa gaya tha mujhe...

meri shayri me khudke wajood ko BHEED shabd ke saath jod liya tha usne aur isiliye hi pure trip me ukhdi hui si thi woh...

ye ganith samajh sir shake karne me lag gaya tha mai...

wahin shayri ke words quote kar...

DIMPLE-ab meri baari...kyun...???mujhe bachane ke liye apni jaan daav par kyun laga di tumne...???

NEW GIRL ke sawal ko sun kuch pal dekha maine usse aur phir ek lambi saans chhod...

MAI-

log shabdon ki jugalbandi karte hai,mai lafzon ka WAAR KARTA HUN...

jo mujhe sahi lagta hai,woh tarika mai IKHTIYAAR KARTA HUN...

kaha bhale ab tak nahi, par aankhon me mere har waqt raha hai ki....

DIMPLE-KYA...!!!!

MAI-mai tumse beintehan PYAAR KARTA HUN...

AAJ KE LIYE ITNA HI...

AAPKA APNA V...J...
Wow yrr kya hi zabardast update thi ye to specially the last part of the post DIMPLE ke pani me girne ke.baad se hi that was awesome
And atlast SANVY ne DIMPLE ko apni feeling bata hi din .
Ab to next update ka intezar or bhi besabri se hai.
 
Naik

Well-Known Member
20,242
75,362
258
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SECOND CHALLENGE ME NITS NEERAJ KO HARA DETA HAI WAHIN DUSRI TARAF SANVY AUR SAM BHI EK DUSRE PAR HARD PREDICTIONS KARTE HAIN.

AB AAGE:-

CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)

UPDATE-67

DATE-3TH SEPTEMBER

CITY-DEHRADUN

PLACE-INDOOR STADIUM

PRE-PROM

THE NIGHT CONTINOUS

SO,READY YOU TWO...!!!

second challenge ke final two contestent DIMPLE aur ANJALI khade ho chuke the aamne saamne...

MISS ki baat par smile ke saath haan me sir hilaya dono ne jispar...

ANSHUMALA MISS-who will go first then...???

MISS ki baat par bhavein utha sawal kiya ANJALI ne DIMPLE ko jispar halke se kandhe upar kiye usne...ye dekh...

ANJALI-i will go first...

ANSHUMALA MISS-ok then...shoot...

ANJALI-tumne bhi last moment as in kal hi decide kiya tha yahan pre-prom me aane ka...

DIMPLE-true...

ANJALI-tumhari pehni dress yahan se nahi hai...

pehli baar pehni hai isse tumne, matlab kal pre-prom me aane ka decide karne ke baad isse tumne kal hi isse DELHI se mangwayi hai...

DIMPLE-true...

ANJALI-is indoor stadium me enter karne ke baad se hi you have been the eye magnet of every guy around here par unme se kisi me bhi you have no interest...

DIMPLE-true...

ANJALI-waise hona bhi nahi chahiye...your interest should be one in a million guy...

ANJALI ke gesture par smile karne lag gayi thi DIMPLE...

ANJALI-tumhari abhi pehni har accessories costly hai par tumhe personally inhe pehenena acha nahi lag raha...

DIMPLE-true...

ANJALI-yahan aane tak tumhe pre-prom queen banane ka koi shouk nahi tha par ab hai...

but reason fame nahi,kuch aur hai...

muskurate hue kahi thi ye baat ANJALI ne jispar ek pal usse dekhne ke baad...

DIMPLE-TRUE...

ANSHUMALA MISS-wow..that was really good ANJALI... your turn DIMPLE...

DIMPLE-you are looking very pretty in this dress...par ye tumhari choice nahi hai...SANVY ki MOM ki pasand pehni hai tumne...

infact,tumhara complete get up unhone khud ready kiya hai...

ANJALI-true...and, SANVY se pehle woh meri MAA hain...

DIMPLE-indeed she is... we are in the second round and you are going to play the final round...

par agar us round me tum haar bhi gayi toh fark nahi padega tumhe...

ANJALI-right...

DIMPLE-adding to that,you want SANVY to win...

ANJALI-i always want him to win...

DIMPLE-NITS... his performances have really impressed you today...

ANJALI-true...it has...

DIMPLE-aur jo non point baatein NEERAJ ne ki,for that you want to kick his ass...

ANJALI-right...aur baatein nahi bullshit tha woh sab...

paise ki garmi ka show off karna hai toh mere saamne khada hona tha usse...

jitna uska baap kamata hai,meri MAA tax bharti hai utne ka saal me...

mere dost par superiority dikhata hai...saath me khade ho jaayen dono toh dekhne waalon ko lagega ki NITS ne apne liye personal chaprasi rakha hua hai...

HAHAHAHAHA...

NEERAJ waali baat par prediction dekar DIMPLE ne bhadka diya tha ANJALI ko..

jis tamtamate chehre ke saath dil ki bhadas nikaali ANJALI ne usse sun jahan ek taraf sabhi students including ANSHUMALA MISS has pade the, dusri taraf NEERAJ ab aur rook nahi paaya...

woh nikal liya tha stadium se wahin teesri taraf sabse nazar bachakar wink kiya new girl ne mujhe...

reason...uske aakhri do reactions mere hi thoughts jo the...

NEERAJ ke insulting comments ka mooh tod jawab bhale hi de diya tha NITS ne par un teer bujhe baaton ka halka asar tha uske dil par...

uske saare male friends ke saath female friends ke saamne aaj NITS ke middle-class position ka yun wild exposure jo hua tha...

ussi asar aur effect ko puri tarah khatm karna tha mujhe isiliye i had DIMPLE for help jisse usne khushi khushi oblige kar diya tha...

ANSHUMALA MISS-ok then...with this,hamara ye second challenge "SHERLOCK" yahin khatm hota hai...

and i must say,we really do have some sharp minds in our college...

anyways,15 minutes ka break lenge hum ab..

after 15 minutes,i will give you all our final 6 contestant who will then participate in the third and final challenge of tonight...

hey D.J,the break is not for you...hit it hard...

ANSHUMALA ke enthusiastic awaaz ke baad D.J ke zabardast hiphop music se gunj tha pura stadium...

par jahan ek taraf baaki har group is tez shor me khudko bhul naachne thirakne laga tha wahin dusri taraf tha hamara group jahan mahoul thoda sirious bana hua tha...

SAM- come on guyz...it was just a casual challenge..

frnz ki ghurti nazaron ko dekh justification diya tha SAM ne...

NITS-kabhi sabke saamne casually maadarchod bol dun toh bura mat maaniyo tu bhi...

SAM-hey, watch your tounge NITS...

NITS-arre waah...tere repo me chuppe ego ko bura laga... bhosdike jaise teri izzat hai naa,waise hi ANJALI ki bhi hai..

actually tere se zyada hi hai jisse tune casual challenge ki aad me udaane ki koshish ki...

mai toh ye soch ke hairan hun ki SANVY ne tujhe saste me kaise chhod diya...

haan,dost hai naa tu..aur doston ki izzat kisi bhi kaaran se sare aam ucchali nahi jaati,pata hai usse...

RAJAT-true...it was not cool SAM...!!!

EKPREET-yaar.....mai bol raha hun it was just a simple prediction...

bura maanane waali baat thi hi nahi...

aur ek baat batao, SANVY ne bhi toh kya kuch nahi kaha mujhe...

he even called me a random guy par kya tum sabki tarah mooh sujakar baitha hun mai...

ANJALI-SANVY ne tujhe tere hi ghatiya prediction ke according simple replies diye the...

simple... SANVY agar real aur exact jawab deta toh tujhe bhi maalum hai ki kaan se khoon nikal jaane the tere...

aur haan,random nahi meri nazaron me tu random tha,ye kaha tha SANVY ne and he was correct there too...

SAM-tu bhi suna le ab.....

ANJALI-suna deti beta...

but the thing is ki SANVY ke controlled jawab me ek message tha,chhod do tujhe...

sirf isiliye,cchod diya tujhe...

RASHI-par ye SANVY hain kahan yaar...???apni baari ke baad se hi gayab hai...

DIMPLE-woh khada hai, smoothie corner me...

jahan ye sab khade the,uske theek opposite direction me end point par bane smoothie joint me khada cold drink sip kar raha tha mai...

EKPREET-ye kab bhaag gaya udhar..aur cold drink kab se peene laga be ye...

ANJALI-cold drink nahi apna ghussa pee raha hai woh...agar abhi idhar rehta aur ye SAM ka GALATH hone par bhi yun casual attitude dekhta toh pakka pela jaana tha isse...

NITS-par yaar ab mera mood nahi raha agle challenge me participate karne ka..

infact idhar stadium me hi nahi rehna apne ko..mai jaa raha...

ANJALI-mai bhi...

NITS-chal bhai,tere toh maze ho gaye...do do participant gayab...

SANVY ka bhi clear nahi hai mujhe ki woh participate karna chahega...

RASHI, DIMPLE bache bas...inme hi competition hoga aakhri,loundo me toh akela hi bacha ab tu...

daant niporte hue baith jaaiyo MR PRE-PROM ki daan me di gayi kursi pe...

SAM-abbe kuch bol nahi raha tujhe toh sir pe hi chaddhe jaa raha hai tu..

aur tu daan dega be mujhe.. SAMEER CHANDER ko...khud SANVY ke dum par pehle do rounds cross kiye hain tune...

aur agar khudpar aur apni ability par bharosa hai toh rook...

rook aur jeetkar dikha last challenge mujhse...

MAI-done...koi kahin nahi jaa raha...

mujhe apne piche dekh kaafi hadbada gaya tha SAM par baaki sabke face ki smile waapas aa gayi thi...

MAI-ek coach har match se pehle bohot gyan deta hai apne student ko par ultimately,game me hissa woh student hi leta hai...

ye uski performance hai jo usse mili advice ko live banati hai...

aur ye uski pure mehnet hai jo usse woh game,woh challenge jeetati hai..

theek waise hi jaise aaj NITS jeeta hai...

toh ye jo baar baar SANVY ki madad se jeeta waali bakwas rate hue hai na tu,isse band kar...

SIRIUS ke champ ko itni licchad aur looser waali soch rakhna suit nahi karta...

I don't think ki MR JAIDEN CHOWDHARY kabhi apne time me aisa karte honge...

ANSHUMALA MISS-alright then..break times up...

kul 6 students have qualified for the final challenge...3 boys and 3 girls...

SANVEER,NEETENDRA, SAMEER...

these are the three guyz who are gonna play the final challenge...

DIMPLE,ANJALI,RASHI...

these are the three girls who will play along with the boys in the final challenge...

so come up... huge round of applause for our 6 finalists guyzz...

WOOOOOOOOOOO........

ho rahi behisaab hooting aur taaliyon ke shor ke beech hum 6 finalists stadium ke beech jahan MISS ne point kiya tha aur ab khud khadi thi,wahan pahunch gaye the...

yahan maamla thoda alag aur suspicious sa tha..

aur woh isiliye kyunki floor se 3 feet upar 8 feets ke 360 degrees as in complete radius me gol sa kuch bana hua tha..

kuch isiliye kyunki us round unknown thing ke upar ek bada sa reddish kapda rakha gaya tha jiski length itni thi ki us thing ko puri tarah cover karne ke baad woh kapda neeche zameen tak ko touch kar raha tha...

ANSHUMALA MISS-ok now...aap sab soch rahe honge ki kya hoga final challenge and more importantly,is kapde ke neeche kya bana hua hai..

well, dusre sawal la jawab hai ki ye chiz hi aapke third aur final challenge ka zariya hai...

haathon se ishara kiya MISS ne jiske baad ek volunteer aage aaye aur agle hi pal he started pulling the clothe....

WOWWW....THE REVOLVING FLOOR.....

kapda haththe hi ek naya bana floor sabke saamne tha jisko sachhayi sabko hi pata thi..

kisi bhavre ki tarah adjustable speed me ghumti thi woh floor...

ANSHUMALA MISS-ya,THE REVOLVING FLOOR...par sirf revolve hi nahi balki rotate in teen alag alag parts me rotate bhi hoti hai ye floor...

issime aap 6 apna final challenge pura karenge jiska naam hai DANCE IN A DANCE...

toh hoga ye ki aap 6 as couples is floor ke un teen hisson me joki rotate bhi hoti hai,khade honge..

khade hone ke baad you will hold your partner's hand and slow music start hote hi just swing and slowly dance with your partner's..

woh bhi bas apni jagah par khade khade...hain na simple...

haan bas addition ye hoga ki music ke start hote hi jis floor par aap khade honge,woh bhi ghumne lagegi aur guzarte waqt ke saath jaise jaise music speed hota chala jaayega,floor ke revolve hone ki speed bhi badhti chali jaayegi..

and not to mention,jis jagah par aap sab khade honge,woh bhi beech beeche me exactly 30 seconds ke liye alag se ghumegi...

matlab aap sab revolve hone ke saath saath apni apni jagah par apne apne partner ke saath rotate bhi honge...

jo bhi jodi is floor se girti chali jaayegi, they will be out of the challenge...

and the remaining final couple will be the winner and the PRE-PROM KING & QUEEN OF SIRIUS SESSION 2020..

iska matlab samajh rahe hain aap...jisse bhi aap apna partner chunenge, unki destiny aap khudse jod lenge..

he wins,she wins...she looses,he looses...

so are you ready...????

OH YEH......

hum sabse pehle hi pura stadium excitement se chilla utha tha par is beech hum sabko the most important kaam karna tha..

couple selection jiski shuruwat NITS ne kar di thi...

NITS-ae ANJALI...final challenge hai...partner banti kya..!!!

ANJALI-waah re tapori..aise puchte hain...!!!

NITS-apan toh aiseich puchta hai..tereko parwarta hai toh bata...

ANJALI-chal tu bhi kya yaad rakhega...!!! bante hain partners..waise bhi minute bhar ki baat hai... phir toh girna hi hai...

because i cant revolve or rotate.......

MAI-shall we...!!!

new girl se puchi thi maine ye baat jispar apne million dollars smile ke saath haan me aankhen jhukaane ke baad mere saath us REVOLVING FLOOR par chadh chuki thi woh...

NITS aur ANJALI toh pehle hi floor par chadh chuke the jiska matlab tha ki sirf do log an bache hue the...

RASHI-i guess we don't have options...

SAM-zaroorat bhi nahi hai...i got you... let's go...

haath badha diya SAM ne apna jisse thaamte hue RASHI aur woh floor par chadh chuke the..

ANSHUMALA MISS-alright then...hamare 6 finalists ya phir ye kahun ki teeno couple floor par chadh chuke hain aur apne apne standing points par bhi khade ho chuke hain..

now guyz,time to surrender to your partner...thaamiye ek dusre ka haath...

aur shuru hone waali is ghumavadaar safar ke beech apne saathi par bharosa rakh,chakkar aane ke beech apne apne bhaar ko usse thama bas houle houle nachiye...

ek advice deti hun..agar is challenge ko challenge ki tarah hi lenge toh zyada der tak tik nahi paayenge par tez chakkaron ke beech bhi apne saathi ke saath guzaar rahe sangeetmay samay ko mehsoos kar uska lutf uthaane ki koshish karenge toh aapka dil kaam par laga rahega..

aur jab dil kaam par laga hoga toh dimag par asar kam padega aur jitna kam padega,utna woh kam ghumega...

ok then...we are ready now...and GO....

MAI-just focus on the song...it's beat and.....me.....

floor revolve hona shuru ho chuka tha...

aisa hote hi new girl ke haathon ki grip mere haathon par tight hone lagi thi...

filhal ek dheema instrumental baj raha tha par maalum tha mujhe ki jaise jaise music ke speed me izafa hoga,floor bhi tezi se ghumega..

upar se abhi toh jahan hum khade the,us particular jagah par rotation bhi shuru hona tha which was going to make aur self control loose...

khair,meri baat ko sun jahan new girl ki nazarein jaise meri nazaron me jam si gayi wahin baaki dono couples ki haalath damadoul hone lagi thi...

ANJALI-kya kar raha hai NITS...kamar par haath tight rakh, mera balance bigad raha hai...

NITS-arre zor se pakda toh dukhega tereko..phir mujhe hi bakegi tu...

ANJALI-bakwas band kar apni and hold me tight..yaad nahi hai SAN ne kya kaha tha...???hume aas paas ke mahoul ko bhul bas ek dusre par concentrate karna hai...

mai bas tujhe dekhungi and you, just see me without blinking...chakkar kam aayenge...

NITS-woh sab toh theek hai par mai tereko lagatar nahi dekh sakta...

hasi chhut jaayegi meri...

ANJALI-bakwas band nahi ki toh tere gaal par haath chhut jaayega mera...

ab chup chaap hold me tight and focus...

jaisa ANJALI ne kaha,kiya NITS ne...

uski kamar ko tightly hold kar bina palke jhapkaye usse dekhne laga woh and the trick really started working...

lagatar ghoom rahe floor ki wajah se ghoom raha in dono ka sir thoda hi sahi par relax hone laga tha...

wahin disbalancing problem SAM aur RASHI ke saath bhi tha.. mainly RASHI ke saath par kisi tarah khudko aur RASHI ko sambhale hue the SAM...

MAI-what...!!!

mujhe dekh halka halka smile kar rahi thi new girl...

DIMPLE-c.c cream apply kiya hai tumne...

MAI-that's MAA.. makeup zyada der tak hold hoga,laga bolkar khud hi laga diya unhone...

DIMPLE-aur SANVY the mama's boy mana nahi kar paaya...

MAI-mai kisme kaisa dikhunga,ye jaanane aur dekhne ke liye meri MAA ki aankhon se behter koi aayna nahi...

meri baat sun apni gehri aankhon se dekhne lagi thi mujhe new girl...

DIMPLE-agar neeche gir gaye hum toh...!!!

MAI-mai nahi gir raha neeche...

DIMPLE-mai gir gayi toh...we will loose the challenge aur tum apna promise tod jaaoge...

MAI-tumhare haath aur mere tuxedo ke beech is waqt hawa bhi nahi ghus sakti..

naahi mere haath aur tumhari kamar ke beech koi teesra aa sakta hai...

mai apna naach raha hun aur tum apna par is waqt sharir na judke bhi kuch yun jude hain hamare ki movement hum dono ke hi bodies ki ek si hai...

abhi,is waqt naa tum tum hokar bhi tum ho aur naa mai mai hokar bhi mai...

abhi HUM hain...aur jab do sharir ek hokar HUM ne badal jaaye toh koi ek kaise neeche gir sakta hai...

girenge toh dono hi par jaisa ki maine kaha...mai nahi gir raha, matlab tum bhi nahi gir rahi...

new girl ke kaano me in saari baaton ki sargoshi si ki thi maine jisse sun uski aankhein apne aap hi band hone lagi thi...

HOLY SHIT....

floor ki speed badhne ke beech hum sab jahan jahan khade the,woh couple spot bhi tezi se rotate hone laga tha joki abhi pure 30 seconds tak hona tha...

DHAKKK.....DHAKKKK.....

15 seconds tak ho rahi tez rotation ko control karne ke baad finally RASHI ka brain hadh se zyada ghumne laga..

result...

tez chakkar aa gaya usse aur khudko naa control me rakh paate hue RASHI jhul si gayi thi SAM ke upar...

bhara badan tha RASHI ka...upar se SAM khud is tez rotation ke kaaran kaafi dizziness feel karne laga tha isiliye RASHI ke is sudden bhaar ko apne upar control nahi kar paaya woh...

he slipped with RASHI in his hands...

sidhe revolving floor fisalte hue neeche gir ground floor me aa gaye the dono...

BOOOOOOO.....

SAM and RASHI were disqualified jispar ek tez BOO ke saath mooh chidhaya tha sabne...

ANSHUMALA MISS-so RASHI,SAM...you are out...

dono abhi bhi neeche hi pade the par reason alag the...

RASHI feel ho rahe dizziness ki wajah se lambi lambi saansein le rahi thi par SAM..

aankhein band kar woh abhi bhi yakin nahi kar paa raha tha ki he was actually out of the challenge...

anyways,yahan revolving floor joki ab tezi se rotate bhi ho raha tha, uspar ek alag hi andaz me khade the is waqt hum chaaron...

we were hugging our partners, very tightly....

rotation se faint hone ka dar bohot zyada jo tha...

NITS-yaar ANJALI...agar teri dress saamne se thodi geeli ho jaaye toh adjust kar liyo...

ANJALI-what...!!!kameene, bathroom karkar dekh mujhpar...

tere pure sharir ko tatti se abhishek kar dungi mai...

saala,ye sir ho kya ho raha hai...!!!aisa lag raha hai ki sir abhi fat jaayega...

wahan ek dusre ko gaali bakte hue ab gire ki tab gire waali haalath dikha rahe the woh dono aur idhar...

new girl ki body halki bhari hone lagi thi.. matlab saaf tha...floor ke saath saath kaafi tez head spin hone laga tha uska jis wajah se new girl ka brain temporary freeze mode me jaane laga tha..

it was not good... her brain needed a triggered fast start woh bhi turant...

MAI-hey sleepy head...sorry...

DIMPLE-what for...

gale toh lage hi the hum dono..

kaano me boli thi maine ye baat jiska jawab new girl ne jaise kisi madhoshi me diya tha...

UMMMHHH....

gale ke paas gardan par chum liya tha maine new girl ke...

mere honth ke us chhuvan ka ehsaas itna zyada asardaar tha ki ek tez jhatka sa laga tha new girl ke pure sharir ko...

jaise achanak hi turant apne senses me aayi thi woh...

mera left haath joki uske right hand ke saath juda hua hi tha,uspar apne naakhuno ko halka dhasa sa diya tha usne par ye sirf ek second ke liye hi tha..

bina mujhse alag ho bas apne naakhuno ko mere hand skin se alag kiya usne..

wahin new girl ko triggered dekh ek baar phirse sorry kehne ko hua maine par tabhi...

new girl ki ungliyan mere ungliyon ke beech chhupti hui si mehsoos ki maine aur uska jism...

ab tak bas gale hi lage the hum par ab kuch yun sameta khudko new girl ne mujhme maano mere sharir me sama jaana chahti ho...

uske is harkat par dil ki dhadkan tez ho gayi thi meri par abhi jaise unka tham sa jaana baaki tha...

mere kandhe par new girl ne apni thuddi thodi aur adjust ki aur khudke gaalon ko mere gardan par sehlate hue...

SSSHHHH.....

behadh soft,halki si chhuvan apne honthon ki mere gale par ragad si di usne...

"MUJHE ACHA LAGA"...

jaise bina bole yahi teen shabd keh diye the uski is harkat ne...

DHABBBB...DHABBB....

WOOOOOOOO....

ek dusre ki baahon me khoye hue aa rahe chakkaron ke beech bhi chal rahe sangeet me halka halka thirak hi rahe the hum ki tabhi hamare paas se ye girne ki awaaz aayi...

aur aisa hote hi pure stadium me gunja ek aisa tez shor jisne d.j ki awaaz ko bhi badi asaani se daba diya tha...

mere aur new girl ke face par aayi smile us cheer ka matlab samajh gayi thi aur revolving floor ki gati dheemi hone ke beech ANSHUMALA MISS ka mike hold karna hamari samajh ko official banane waala tha...

ANSHUMALA MISS-so finally,ANJALI aur NITENDRA aur down and out, which means,we have our winners or should i say,this years PRE-PROM KING & QUEEN...

who are non other then....

SANVY & DIMPLE...

MISS ke bolne se pehle hi pure stadium ne hum dono ka naam apne tez shor me shaamil karte hue announce kar diya tha...

ANSHUMALA MISS-you are right guyzz...DIMPLE and SANVEER...

our tonight's PRE-PROM QUEEN & KING......

new girl ka haath pakad revolving floor se ground ke floor par aa gaya tha mai...

ANJALI aur NITS ab tak khade ho gaye the aur taali bajane ke beech hume dekh jo khushi un dono ki aankhon me dikh rahi thi,uski sachhayi hi hum dono ke liye kisi inaam se kam nahi thi...

NITS-jeet gaya mera bhai...

uchhalkar mere upar kood hi gaya tha kameena jisse follow karte hue SONU, EKPREET aur RAJAT bhi jump laga gaye mere upar..

wahin new girl ko bhi ANJALI,RASHI,KHANAK aur NAISHA ne jaise apne aap me chuppa sa liya tha...

PRE-PROM QUEEN ke naam se chhed rahe the woh sab usse...

ANSHUMALA MISS-ok,ok,ok... arre yaar,kaise log ho tum sab...

abhi abhi pre-prom king aur queen bane hain ye dono aur tum log ho ki dono ke beech ghus diwar bana di...

hawa do guyz dono ko and let them be together...

RAJAT-aur kitna together MISS...abhi upar revolving floor par aise chipke the dono ek dusre se maano do nahi ek hon...

HAHAHAHAHA....

RAJAT ke chhedpan par has pade the sab...

ANSHUMALA MISS-nazdiki sabse zyada thi tabhi toh jeete bhi dono hain...

woh sab chhodo, SANVEER,DIMPLE,come here...

hum dono hi MISS ke saamne jaakar khade ho gaye...

hamare paas aate hi ek position par ek saath khada kiya MISS ne hum dono ko aur khud thoda piche hath gayi..

abhi hum kuch samajhte ki tabhi...

pure stadium ki lights off ho gayi jiske agle hi pal ek tez flash light hum dono ko hit hui...

par this was not the end...

hume hit karne ke baad us flash light se ek aur light nikli jo hamare sidh me ek raasta light out karti chali gayi aur agle hi pal...

DHAKKKKK...

back to back party poppers ke chamkile papers se kuch seconds chuppe rehne ke baad hamare saamne aaj ki shaam ke winners joki hum dono the,hamara PRE-PROM KING & QUEEN thrones dikhne lage the...

bohot behtarin tarike se sajaya gaya tha dono thrones ko...

thrones aur pura stage light up hote hi stadium ke lights on ho gaye aur MISS hamare saamne aakar khadi ho gayi...

ANSHUMALA MISS-so,my KING & QUEEN...your pedestals are ready...its time you embrace it by sitting on it...

kisi british province ke high minister ki tarah bade elegant tarah se halka bend hote hue kahi thi ye baat MISS ne jisse dekh haste hue mai aur new girl aage throne ki taraf badhne ko hue par tabhi...

ANSHUMALA MISS-no,no,no,no,no...ek task baaki hai...

NAISHA-aur kya task MISS...ab kisse compete karna bacha in dono ka...ban toh gaye king, queen...

ANSHUMALA MISS-true...par ye task sirf SANVEER ke liye hai and it's called "IMPRESS YOUR QUEEN"...

ANJALI-kaise...???

kuch kaha nahi MISS ne bas halka sa ishara kiya jiske baad ek volunteer aage aaya par jo chiz thi, uske haathon me usse dekh sab MISS ki baaton ka matlab samajh gaye the...

black colour me ek bada hi khubsoorat acoustic guitar tha woh...

ANSHUMALA MISS-so SANVEER,you have to play this,sing a song and walk through the ramp aur aisa karne ke saath saath you even have to escort your queen to the throne...

EKPREET-but MISS, SANVY ko naahi guitar play karna aata hai aur naahi he is good in singing...

phir ye kaise...????

ANSHUMALA MISS-well,karna toh padega bhale hi betaan aur besur ke saath...

maine pehle hi bataya tha ki aaj ki raat ka pura concept PRINCI ne taiyar kiya hai...ye part bhi...so it can't be changed...

SAM-koi baat nahi MISS...apne yaar ke liye guitar baja bhi mai deta hun aur gaa bhi...

ye bas apni queen ke saath apne throne par baithe...

ek bright smile aur apologizing request ke saath meri taraf haath badhaya tha SAM ne jispar smile karte hue punch hit kiya maine uska...

no hard feelings...

yahi bro code tha is punch beat ka...

ANSHUMALA MISS-no,no,no,no,no...karna toh SANVEER ko hi padega sab...

MAI-cool...give me that...

MISS se woh guitar le liya tha maine...

ANSHUMALA MISS-now that's the spirit... common everybody, give it here for our pre-prom king...

WOOOOOOOOOO....

sabhi ke tez shout ke beech new girl ko dekh joki apne bright aankhon se mujhe hi dekh rahi thi,guitar playing position me hold karte hue thoda aage badh gaya mai...

is waqt meri peeth thi new girl aur mere doston ki taraf...

NITS-gayi bhains paani me...saala har task jeetkar acha khasa naam banaya saale ne par ab sab kamaya chuk jaayega...

DRRNNNGGGGGGG

D ur E minor ko halke haathon se chheda maine jiske baad gaana shuru karne se pehle hi meri ungliyan guitar ke har string par khudko ferne lagi...

mere aisa karte hi ek behadh sukoon deh dhun nikli baahar jisse sun jahan ek taraf baaki sabhi whistle aur hooting karne lage wahin dusri taraf NITS aur mere baaki sabhi doston ki aankhein badi ho gayi...

par in shocking faces me new girl nahi thi...dekha aur suna nahi tha ab se pehle usne bhi meri guitar playing par bharosa tha usse ki i can play good...

par agle kuch palon me shock toh usse bhi lagna hi tha...

reason...

"thode bhare hain hum
thode se khaali hain
tum bhi ho uljhe se
hum bhi sawaali hain"

"kuch tum bhi kore ho
kuch hum bhi saare hain
ek aasmaan par hum
do chand aadhe hain"

"kam hai zameen bhi thodi
kam asmaan hai
lagta adhoora
tum bin har jahaan hai"

"apni har kami.. mein hum
ab tujhe hi paate hain
khud ko tere pass hi
chhod aate hain"...

mukhde se naa kar antre se shuru kiya tha maine aur un lines se kiya tha jo mujhe personally bohot pasand the...

aur meri awaaz sun is baar new girl ki aankhein bhi baakiyon ke saath badi ho gayi thi...

usne expect nahi kiya tha ki mai itna sahi bhi gaa sakta hun...

wahin guitar play kar antra pura karne ke beech uske paas pahunch chuka tha mai jiske baad apna ek haath badhaya maine uski taraf jisse thaam woh mere saath throne stage ki taraf chal padi...

DIMPLE-aur gaao naa...

bade halke awaaz me request ki thi usne mujhse jisse kaise mana kar sakta tha mai...

guitar par ek baar phirse ungliyan pherne ke beech...

"do raaz milte hain
humraaz bante hain
sannate aise hi..
awaaz bante hain"

"khamoshi mein teri
meri sadaayen hain
meri hatheli mein
teri duayein hain"

ab tum...

head attached mike pehna hua tha maine jisse utaar new girl ki taraf badha diya maine jisse smile ke saath le pehen liya usne aur...

"ek saath tera ho toh
sau manzile ho..
tanhai teri
meri mehfile hon"

"hum teri nigahon se
khud mein jhilmilate hain
khud ko tere paas hi
chhod aate hain"

"tujhse apni raaton ko
subah hum banate hain
khud ko tere paas hi
chhod aate hain"

bakamal awaaz..aisi awaaz jisne baaki sabke kaano ko sukoon diya tha par mere dil ko woh thandak pahuncha baitha tha jiske baad kisi aur chiz ki khwahish-e-talab hi nahi bachi thi mujhe...

stage me pahunch chuke the hum dono jiske baad ek baar phir mere badhe haath ko thaam mere saath stage par hamare throne ki taraf badh chale the hum dono...

ANSHUMALA MISS toh pehle hi ek badi si tray ke baaju me jisme king aur queen ka crown tha,uske paas khadi thi...

ANSHUMALA MISS-boys and girls, teacher and staff members,i give you your pre-prom KING & QUEEN....

pehle new girl ke sir par aur phir mere sir par crown pehnaya unhone jiske baad ye announcement ki unhone...

wahin ye sun saare students aur khaaskar mere friends jitni loudly aur fastly clapping kar rahe the,saaf tha ki woh sab hum dono ko aaj ke pre-prom king aur queen ke roop me dil se accept kar rahe the...

anyways, crowning ho chuki thi hamari jiske baad...

ANSHUMALA MISS-sit on your thrones...

MISS ko bolte hi hum dono hi apne apne thrones me baith chuke the jiske baad...

ANSHUMALA MISS-aap sabne dekha ki yahan is throne tak pahunchne ka safar aasan nahi tha...

teeno hi challenges kaafi tough the jisse over power kar ye dono yahan tak pahunche hain...

par jaise performances in dono ne diye,uspar sirf pre-prom king aur queen ka title hi kaafi nahi hai...

they deserve more...and that more is...

paas hi ek table tha jisme do gift boxes rakhe hue the...

unhe le hamare paas aayi MISS aur ek ek box hum dono ko pakadwa diya...

DIMPLE-what's in this MISS...!!!???

ANSHUMALA MISS-a well deserve prize to you two by our PRINCIPAL MA'AM...

PRINCI..ye sun bhave upar hui meri...

MAI-can i open it...!!!

ANSHUMALA MISS-sure,its yours...

MISS ki baat sun turant gift ka cover unwrap karne me lag chuka tha mai...

IPHONE X.....

yahi tha hum dono ka gift jisse dekh...

MAI-MISS,how can i accept it..???

ANSHUMALA MISS-kyunki ye koi gift nahi hai,its your hard earned prize...

is competition ko win kar you have earned this prize...ab earned chiz toh arguable nahi hoti, right...!!!

sahi khel gayi thi MAA...

haan MAA..ye pura challenge,iska course aur finally ye iphone naam ka prize, unhi ka plan tha ye jisse lena hi tha ab mujhe...

adjective jo sahi fit kar diya tha unhone...PRIZE joki earn ki thi maine...

ANSHUMALA MISS-ok then..abhi kuch der yahin apne thrones me baithenge aap dono...

dinner time hai isiliye baaki sab par toh buffet system applicable hoga but you king and queen,you are royalty tonight isiliye,all foods and beverages will be served to you here only...

ok,so enjoy your royalties my highness...

mazak me ek baar hum dono ke aage bend hone ke baad haste hue MISS stage se neeche utar gayi...

DIMPLE-agar iphone pasand nahi hai toh wapas kar do PRINCI ko..but i think you should keep it..

MISS ne sahi hi kaha hai,afterall ye gift nahi prize hai which you have earned...

MAI-we have earned my queen... aur haan,rakh raha hun mai isse...

DIMPLE-really...!!!wow..toh apna number sabse pehle tum mujhe hi doge...

MAI-lets do one better...agar free ho kal toh chalen number register karne...

meri baat sun jo khushi new girl ke face par aayi,bin jawab diye sab keh diya tha us smile ne mujhe...

DIMPLE-thanks,apna promise rakhne ke liye...

MAI-mujhse kuch bhi chahiye agar tumhe toh promise mat maanga karo...bas keh diya karo, promise se kam asar nahi hoga us sidhi baat ka...

DIMPLE-matlab mai jo bhi maangungi,tum doge...!!!

MAI-meri hadh ki jadh me raha toh zaroor...

meri baat sun kuch kehne ko hui new girl par labh uske bas tharthara kar reh gaye...

keh nahi paayi woh aur acha hi hua... kyunki pehle hi aaj ki raat itna kuch ho chuka tha jiske baad shayad mera dil aur zyada seh nahi paata...

labh bhale hi sharma gaye the uske par new girl ki aankhein badi besharmi se meri aankhon me jhaank rahi thi aur us besharmi me uska saath meri aankhein bhi dene lagi thi...

kuch keh nahi rahe the hum dono par bina kahe hi baatein lagatar kar raha tha mera dil uske dil se..

keh raha tha ki...

gehre samandar paar kar ishq ke do katre paani me hum khudko DUBO GAYE HAIN...

zamaana goom ho gaya hai ya phir hum zamaane me kahin KHO GAYE HAIN...

naa mohhobate-iqrar hua hai naa izhar,phir bhi...

khudko khudke wajood se alvida dila hum puri tarah tere,sirf tere HO GAYE HAIN...

AAJ KE LIYE ITNA HI...

AAPKA APNA V...J...
Badhiya shaandaar update bhai
 
Naik

Well-Known Member
20,242
75,362
258
AB TAK AAPNE PADHA KI SANVY AUR DIMPLE PRE-PROM KING AUR QUEEN BAN JAATE HAIN.

AB AAGE:-

CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)

UPDATE-68

DATE-3RD OCTOBER

CITY-DEHRADUN

PLACE-SIRIUS

HEY ANJALI....YAHAN AKELE KYUN BAITHI HO...???ANY PROBLEM...!!!

final bell bajne ke baad jahan baaki sabhi students class se nikal chuke the,wahin ANJALI kisi gehri soch me apni seat par baithi hui thi...

wapas class me aa usse yun soch me gum dekh pucha tha ye sawal DIMPLE ne...

ANJALI-nothing yaar...woh driver uncle abhi pahunche nahi hain isiliye socha, yahi wait kar lun...

DIMPLE-and i thought we were friends...!!!

ANJALI-and we are..aise kyun bol rahi ho...???

DIMPLE-kyunki tum jhooth bol rahi ho..agar sirf driver ka wait karne waali baat hoti toh pura group tumhare wait me shaamil hota, khaaskar SANVY...

but tum yahan akeli baithi ho..so...

ANJALI-SANVY ki sangati ka asar kuch zyada hi nahi ho raha tumpar...

DIMPLE-ab bataogi bhi,yun akele baithkar kya soch rahi thi tum...!!!???

DIMPLE ki baat sun ek lambi saans chhodi ANJALI ne aur...

ANJALI-i was thinking about that pre-prom night...

DIMPLE-what about it...!!!

ANJALI-NITS...

DIMPLE-uska kya...???

halke smile ke saath pucha tha ye sawal DIMPLE ne jisse apni hi soch me gum ANJALI dekh nahi paayi...

ANJALI-us raat bhi hamesha ki tarah annoying hi tha woh par pata nahi kyun aisa laga mujhe ki there was something different about him...

DIMPLE-hoga bhi so how does that concern you...???

ANJALI-tum samajh nahi rahi..the difference i felt was that i felt for me...

kya,pata nahi par kayi jagah mujhe woh waisa NITS nahi laga jaise hamesha lagta hai...

WAKAYI NAHI PATA TUJHE KI JO PATA HAI,JISKA ANDAZA HAI, USSE KHUDSE KUBOOL NAHI KARNA CHAHTI...

ye mai tha...apni baat keh ANI aur new girl ke paas aakar khada ho gaya tha mai...

wahin meri baat ka jawab nahi diya ANI ne bas mujhe dekhne lagi thi woh...

MAI-what...???

ANJALI-mujhe task kaise karne hain,ye khud na bata NITS ke through message ki tarah pahunchaya tune...

final task me mujhe partner banaye,i am sure NITS ko ye idea bhi tune hi diya tha...kyun...???

MAI-as i said,jawab tujhe pata hai...waise bhi saare 2+2 jod liye hain tune phir conclusion part likhne me jhijhak kyun rahi hai...???

ANJALI-kaisa conclusion...???mai...

MAI-tu nahi NITS...he is into you...he likes you or should i say loves you...

meri baat sun kuch palon ke liye jaise blank ho gayi thi ANI par phir us blank face par ghussa dikhne laga tha..

par kuch kaha nahi usne...bas ghoor kar dekha mujhe kuch palon ke liye aur phir palath kar jaane lagi par kalayi uski turant pakad li maine...

ANJALI-leave me SAN...

MAI-nopes...

ANJALI-damn it SAN leave me...samajhta kya hai tu khudko...infact mujhe...

pehle SAM aur ab NITS...am i an object to you that should pass from one person to another...!!!

MAI-SAM ke time mai GALATH tha ANI aur ye baat mai pehle bhi admit kar chuka hun...

i thought ki school ka sabse popular ladka hi deserve karta hai tujhe, that's why i brought you two close...

par tab bhi,i didn't hand you over to him...maine bas mouke create kiye the tum dono ke paas aane ke liye jisse tum dono ne hi openly accept kiya tha..

phir bhi,mai jaanta hun ki mere us trigger ko meri khwahish samajh tune us relationship ko accept kiya tha aur isiliye kaha maine ki mai GALATH tha...

ANJALI-aur ab...!!! aren't you repeating the same thing..kya ab GALATH nahi hai tu...???

MAI-nahi...is baar naa mai koi match making karne waala hun aur naahi tujhe aur NITS ko close laane ke liye koi planning karne waala hun...

nopes... pre-prom ki night ke agle din se hi tu NITS ke us raat dikhaye naye roop ke baare me soch rahi hai..

maine bas us soch ka sach tujhe bataya hai...

ANJALI-sach...!!!ki NITS is into me... that's the most bulshit statement i have ever heard...

har hot ladki ko taadna jis ladke ke liye job jaise ho, tu keh raha hai ki woh mujhe pasand,oh sorry, as per your exact words goes,pyar karta hai mujhe...!!!ye bakwas nahi hai toh woh kya hai phir...!!!!

MAI-tune usse ladkiyon ko taadte hue dekha hai,par uske waisa karne ke baad maine usse tera reaction tatolte dekha hai...

aur tere normal i dont give a damn reaction ko dekh har baar uske face ko murjhaate dekha hai...

bachpan se lekar aaj tak jitni baar bhi kisi bhi reason se chot lagi hai tujhe,ghuma phirakar usse maine mujhse tere baare me puchte dekha hai...

jitni baar bhi bukhaar ki wajah se absent rahi hai tu,tujhe pata hai NITS bhi nahi aaya hai school un saare dino me...

ghar kabhi nahi ghusa woh tere par school se loutne ke baad maine usse tere ghar ke piche waale neem ke pedh ke piche khade hue dekha hai...

lagataar dekha hai...jis din SAM se breakup hua tha tera, khush hona chahiye tha usse...

par tere aansuon ko dekh akele me chupchap baith maine usse bhi rote hue dekha hai...

aur ye saari baatein mai tujhe isiliye nahi bata raha taaki NITS ke pyar ki intehaan dekh mai ye chahta hun ki tu bhi uske liye feel karna shuru kar de..

nopes...aisa karke bhi koi faayda nahi...kyunki itna pyar karne ke baad bhi agar aaj tak us ladke ne tujhe us pyar ka ehsaas tak nahi hone diya hai toh iska sirf ek hi matlab hai...

tu uske liye us chand ki tarah hai jisse usse bas dekhne ki khwahish hai...haasil karne ki talab nahi...

woh naa tere kareeb aayega naahi kabhi kuch aisa karega jisse tu uske kareeb jaane ki koshish kare...

maine bas tere us sawal ka jawab diya hai jo pucha tere ehsaas ne tere dil se tha par jawab dhundh tera dimag raha tha...

aur dil ke sawal ka jawab dimag ke paas kabhi nahi hota... isiliye bas wahi jawab diya hai maine tujhe...

tu chill kar...ek atka sawal tha jiska jawab mil gaya hai,bas yahi maan ke chal...

kyunki isse zyada naa kuch hai aur naahi filhal ho sakta hai...

apni baat bol class de nikalne ke liye badh gaya mai par phir door ke paas pahunch rook wapas palta mai aur...

MAI-mai teri match making kar sakta hun,NITS ki matchmaking kar sakta hun par tum dono ki aapas me matchmaking kabhi nahi kar sakta...

kyunki ek taraf paak saaf dosti hai aur dusri taraf paak saaf mohobbat...

dono hi dil ke banaye rishte hain par beech me do alag alag ehsaason ke diwaar moujud hai jisse koi match maker kabhi tod nahi sakta...

ghar jinke,diwaar unke jisse banaye bhi unhone hai aur agar kabhi todna ho toh todenge bhi sirf wahi...

abki baar class se nikal chuka tha mai jiske baad shunya ko ghurti hui ANJALI bhi class se nikal gayi...

reh gayi DIMPLE jo apne sir ko shake karte hue hum dono ke peeche peeche class se nikalne lagi par kadam uske class se nikalne ke baad rook gaye...

ek pal palath kar dekha usne par phir halki muskaan ke saath school exit way ke taraf badh gayi woh...

PLACE-SANEEL'S RESIDENCE

(FLASHBACK)

HELLO....SANEEL AHARYA THIS SIDE...

land line ki teesri ghanti bajte hi phone utha liya tha SANEEL ne jispar saamne se kuch bhi nahi kaha gaya...

SANEEL- hello...!!!hello...awaaz aa rahi hai...

VERONICA-kaun hai...???

abhi abhi naha kar nikli apne baal pochti apni beintehan khubsoorat biwi ko dekh SANEEL jaise apne haath me pakde phone ko jaise bhool hi gaya tha...

sirf shaadi shuda hi nahi the SANEEL aur VERONICA...

ek 5 saal ka ek beta bhi tha un dono ka par ab bhi har baar SANEEL apni biwi ko aise dekhta tha jaise koi premi apni nayi nayi premika ko dekhta tha...

waise baat sirf VERONICA ki khubsoorati ki nahi thi...

ye ishq ki hadh hi thi SANEEL ki jisse mehsoos kar shadi ke itne saalon baad bhi VERONICA sharm se dohri ho jaaya karti thi..

abhi bhi kuch aisa hi hua...!!!apne pati ki nazar me khudke liye taarif aur beshumar pyar ko mehsoos kar gaal sharm se laal ho gaye the VERONICA ke...

SANEEL-

"samajh nahi aata ki teri taarif mai tujhe kisse jod kar karun...???

khuda ne tere jaisa banaya bhi toh sirf tujhe hi hai..."

VERONICA-pagal...phone haath me hai...attend karo ya phir rakh do...

halke shararat aur jhuti narazgi ke beech muskurate hue apne room me chali gayi VERONICA...

wahin VERONICA ki baat sun ehsaas hua SANEEL ko ki ek unknown blank call ko ab bhi hold par rakha hua hai usne...

SANEEL-hello...

BRILLIANT MIND WITH A LOVABLE HEART...TOXIC COMBINATION SANEEL...

ek kharkharati yet saaf aur confident awaaz padi thi SANEEL ke kaano me jisse waise toh pehli baar suna tha usne par ek aisi authority thi us awaaz me jisse sun ek second ke liye restless ho gaya tha SANEEL ka dimag...

SANEEL-who's this...???

ABHI ABHI BRILLIANT MIND BOLA HAI MAINE TUMHE...MAI KAUN HO SAKTA HUN,I THINK YOU CAN FIGURE OUT YOURSELF...

SANEEL-G.O.D....!!!!!

dimag ke lagatar compress hone ke beech life me pehli baar unsurity jhalki thi SANEEL ki awaaz me joki laazmi bhi thi...

3 saal...3 saal se SANEEL AHARYA G.O.D naam ke mafia organization ke piche tha...

an organisation which was like a hell in the midst of heaven...

duniya ka sabse bada criminal syndicate jiska naam uske head ke naam par rakha gaya tha...

G.O.D.

ek aisa organization jiske kisi bhi operation ko rokna toh door,uski right time me info nikalna tak duniya ke kisi secret ya government organisation ke bas ki baat nahi rahi thi..

but SANEEL AHARYA...he was the first MAN jisne naa sirf is organization ke unique ways to commit unimaginable crime ko beforehand theorize kiya tha balki G.O.D ke kul 10 operations ko fail bhi kiya tha usne..

ek aisa feat jisse puri duniya me SANEEL AHARYA ke siwa koi aur nahi kar paaya tha...

par us achievement ke baad bhi the spear head of that syndicate G.O.D,SANEEL ke pahunch ke koson door tha...

indirect encounters hue the SANEEL ke G.O.D se but baaki sabki tarah uska ek glimpse bhi nahi dekha tha usne...

uske upar jitna reasearch kiya tha SANEEL ne G.O.D par,uske dimag ka kaayal tha woh...

one in a billion tha G.O.D jiske kisse, planning was out of this world...

he wanted to talk yo him, confront him par aisa kabhi ho nahi paaya tha...

par aaj,the guy jisse pakadna hi sole mission tha SANEEL AHARYA ke life ka,usne saamne se call kiya tha...

G.O.D-are you there my son...!!!

SANEEL-i am not your son...

G.O.D-everybody is the son of GOD...

SANEEL-self proclaimed GOD...

G.O.D-hahahahaha....true...but still i am G.O.D...aur jaisa ki hota hai,koi bhagwaan par vishwas rakhta hai,koi nahi..par phir bhi GOD GOD hi hota hai,mai bhi hun...

SANEEL-apna adress batane ke liye toh phone nahi kiya hoga tune...!!!

G.O.D-tune...!!!

stithpragyasya ka bhasha samadhistasya...

stithdiha kim prabhasheth kimasit vajreth kim!!!

ek prabudh vyakti ka swabhav...woh kaise chalta hai,kaise baiththa hai par sabse zaroori,woh kaise baat karta hai...

Bhagavad Geeta adhyay 2 shloka 54...

you have a lot of catching to do on general behaviour son...

SANEEL-samadhistasya ke baad keshav nahi lagaya tumne...

G.O.D-good...waise asar phir bhi ho gaya meri baaton ka...tune se tumne me pahunch gaye tum...

SANEEL-cut the crap and come to the point...why have you called???

G.O.D- hahahaha....i guess jis hotline ke through apne organization se mera number track karne ki koshish me be-sir pair waali baaton se call lambi kar rahe the tum,woh kaam nahi aaya...

the place keeps on bouncing...

SANEEL-as i said...!!!just cut the crap and come to the point...

G.O.D-tell me, what's the synonym of surprise...!!!!

SANEEL-matlab point me aana hi nahi hai tumhe...!!!

WHAT SURPRISE PAPA...!!!!

ye 5 saal ka chota sa SANVY tha jo baaju ke computer room me baitha dekstop me kuch kar raha tha..

par choti umar me hi grow kar liye apne bade se hearing ability ki wajah se line ke dusri taraf bole SURPRISE shabd ko sun excited hokar apne papa ke saamne dhamak pada tha SANVY...

G.O.D-well,well well...have i just heard the voice of the prodigal son...!!!

SANEEL-it's a work thing beta...aap jaao, play...

SANVY-i am not playing papa...mai ek photoshop software ki coding kar raha tha...

G.O.D-impressive...indeed he the prodigal son...i will love to meet him...

SANEEL-dont you dare...jao beta,do you coding..and give it..

SANVY-my best..i know papa...

wapas mood room se nikal gaya tha SANVY...

G.O.D-jawab nahi diya tumne... surprise ka synonym kya hai...???

and to be clear, every thing i say, ask or do, it's always to the point...

SANEEL-astound,amaze, stunned,startle....

G.O.D-nopes...in my dictionary,its nightmare,shock,ordeal, torment,curse...

par hain ye sirf synonyms... surprise sirf surprise hi reh sakta hai,par aisa hi ho,ye tumpar depend karta hai...

SANEEL-mujhpar...

G.O.D-ofcourse...aakhir maine ek surprise tumhare liye ready jo kiya hai...

SANEEL-not interested...

G.O.D-oh you have to be...and you will be...kyunki ye surprise mai tumhe saamne se dunga...

ab ye ek aisi baat kar di thi G.O.D ne jisse sun ek thrill sa paida hua tha SANEEL ki ragon me..jisse pichle 3 saal se dhund raha tha woh,jiski ek side angle jhalak bhi nahi dekhi thi usne,woh G.O.D aaj usse saamne se milne ka offee de raha tha...

but baat itni sidhi si toh ho nahi sakti.. samajhta tha SANEEL is baat ko isiliye...

SANEEL-and what's the catch...???

G.O.D-oh no catch...mai sidhe tumhara future batane waala hun tumhe...

i will meet you jahan mai tumhe ek surprise dikhaunga and than you will die...

SANEEL-oh toh tum mujhe maar doge...

G.O.D-hell no...usme na maza hai aur naahi koi challenge...aur ab tak itna toh andaza laga hi chuke hoge tum mere baare me,i dig challenges...

now coming to the point,mere kayi efficient logon ko dhul chatayi hai tumne... mentally hi nahi physically bhi which means tum dimag daar ke saath saath ek bahadur insaan ho...

aur ek bahadur insaan se suicide commit karwana, now that's what i call a challenge,and the real fun...

SANEEL-tum mujhe suicide karne par majboor karoge..!!!how,mere bache ya meri biwi ko kidnap karke...

aisa kabhi hoga nahi...

G.O.D-aisa nahi hai jo G.O.D nahi kar sakta par relax, VERONICA aur SANVEER ko kuch nahi karunga mai..

atleast tab tak toh nahi jab tak mere saath khelne ke liye VERONICA haan nahi kehti ya phir tumhara honhar beta us laayak nahi ho jaata...

tab tak ke liye,i promise,i will not harm them...

par tum mere bacche, mujhse milne ke baad suicide commit karoge...

bina tumhe chhue i will make you do it...

SANEEL-aur agar aisa nahi hua toh...???

G.O.D-then i will surrender...

ek jhanaka sa hua tha SANEEL ke dimag me..in 3 saalon me G.O.D ko lekar itna toh samajh chuka tha woh ki he never backs from his commitment and his word...

saath hi saath jaanta tha SANEEL ki G.O.D ne jo bhi patte apne aasthin me chhupaye honge,unhe beat karna asaan nahi hoga par G.O.D ko pakadne ka isse behtar mouka usse mil nahi sakta tha..

isiliye jabde halke sakht hote chale gaye SANEEL ke aur...

SANEEL-i accept...

FLASHBACK ENDS:-

NOOOOOOOOOOOOOO....

apne bed par chikhte hue utha tha SANVY....us paanch saal ke bacche ko jisse SANEEL ne wapas bhej diya tha, surprise word ko anjaane me hi sunane ke baad baaki ki conversation uske kaano ne deliberately sune the...

har ek word jo uske dad aur phone ke dusri taraf waale shaksh ke beech hui thi,uski photographic memory me us conversation ka har shabd baith sa chuka tha jo halka sa bhi erase nahi ho paaya tha...

haan,waqt aur apne will power ke dum par un baaton ko apne subconscious mind ki memory me chuppa sa diya tha usne par kabhi kabhi woh memory,woh yaad saare diwaron ko tod sapne ke through SANVY ki band aankhon ke aage aa hi jaate the jaisa ki aaj hua tha..

aur jab bhi kabhi aisa hota tha, SANVY used to get a panic attack jo abhi bhi ho raha tha...

mera pura sharir paseene se bheeg chuka tha aur lagatar lag rahe jhatko ke beech mai apne bistar se neeche gir gaya tha...

SANVY....

MAA thi ye jo mere room ka room joki bas half jolted hi tha,usse zor se push kar andar aayi aur agle hi pal mai unki baahon ke giraft me tha...

MAA-shhhhh....kuch nahi hua beta..kuch nahi hua...bas sapna tha... forget about it and just relax...

khud apne aasuon se bhige aankhon ko jhapkaati hui mere aansuon ko pochne ke beech dusre haath se mere sir ko sehlane lagi thi MAA...

aur unke waisa karne ka asar bohot jald hua...wapas neend ke aagosh me haa chuka tha mai aur ye dekh ek lambi thandi saans li unhone...

mujhe wapas apne bed me sula mere sir ke kareeb hi baith mere baalon ko sehlaane lagi thi woh par aisa karne ke beech unki aankhon ke aansu aur tez ho chuke the...

MAA-

socha nahi tha ki guzarte waqt ke saath badi ye AAFAT HOGI...

pata nahi aisa kab hoga jab tere dil-o-dimag me puri RAAHAT HOGI...

aaj tere saath hun mai par agar kal naa rahi toh...!!!

teri toh taklif badhegi par tere dushmano ke liye har pal QAYAMAT HOGI...

AAJ KE LIYE ITNA HI...

AAPKA APNA V...J...
Shaandaar update
 
Naik

Well-Known Member
20,242
75,362
258
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SANVY AUR DIMPLE ANJALI KO BATATE HAIN KI NITS USSE PYAR KARTA HAI WAHIN DUSRI TARAF APNE DAD AUR GOD KE BEECH HUI PAST KE EK CONVERSATION KA SAPNA DEKH SANVY KO PANIC ATTACK AA JAATA HAI.

AB AAGE:-

CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)

UPDATE-69

DATE-10TH OCTOBER

CITY-DEHRADUN

PLACE-SIRIUS

BATAYA NAHI TUMNE...!!!!HOW WAS YOUR TRIP TO HOME...???ITNE DINO BAAD GAYI THI,MOM KE SAATH, KAAFI HANGOUT KIYA HOGA...!!!

RASHI ne DIMPLE se joki aaj ek hafte ke leave ke baad wapas school aa rahi thi, pucha tha ye sawal usne jispar kore kaagaz me sketch draw karti DIMPLE ke haath rook gaye the...

final period chal raha tha jo ki khaali tha aaj...saamne ek substitute teacher zaroor moujud tha par usse aapas me gossip karte students me utna hi interest tha jitna lakdi ka current se hota hai...zero...

DIMPLE-kiya naa hangout...hall se hall tak...

RASHI-matlab...!!!

DIMPLE-matlab ye ki ek super successful business women ka matlab hota hai ki she is always busy...

kul teen baar hi mili mai MOM se woh bhi not more than 15 minutes..koi na koi important meeting always came through...

RASHI-shit...that sounds boring...

DIMPLE-naa..i am used to it...waise bhi,i have some childhood friends back home...

unke saath acha khaasa time spend ho jaata tha...

MAY I COME IN SIR...

humse ek class junior girl thi ye jiski request par sir ne haan me sir hilaya...

NITS-oh bhai...ye kis school ki pari idhar aa gayi re...

SONU-chutiya...hhamarre hhi sschool kki ttoh hhai bbe...

jjunior hhai appni...

NITS-arre waah...tu kabse ladkiyon ki info rakhne lag gaya lounde...

SONU-appne llakadbaghe jjaisi shakal kko aur gghatiya mmat bbana bbe...

e.v.s kki bbest ppractical sstudents mme sse ek hhai yye...

ggovernment autthorized ggreenary pprojects me willingly pparticippate kkarti hhai yye isiliye ccreative aur inttellectual ccircles mme bohot ppoplular hhai yye...

i amm ssure kki abbhi bbhi kkisi pproject kke bbaare me ddiscuss kkarne kke lliye hhi ssir kke ppaas aayi hhai yye...

NITS-itni khubsoorat upar se popular...phir mujhe kaise nahi pata yaar...

SONU-kkyunki ccreative aur inttellectual jjaise shabdon sse ttera ddoor ddoor tak kkoi nnaata nnahi hai...

NITS-hai nahi tha...ab toh hai...excuse me sir...ek doubt hai..can i come there and ask about it...???

NITS aur uski bakarchodiyon se badi achi tarah faakif the sir.. isiliye uski baat sun kuch pal ghura unhone NITS ko par phir sir dheere se haan me hilaya unhone jispar NITS turant badh chala unki taraf...

NITS-sir,mai kuch dino pehle dhanaulti gaya tha,for camping...

udhar forest me ghumte waqt kaafi saare unknown vegs aur fruits dekhe the maine..i want to ask sir,ye kaise pata karen ki koi unknown vegetable ya fruit edible hai ya nahi...

NITS ka sawal wakayi acha tha jiski ummid sir ko nahi thi..even jis ladki ko impress karne ke liye ye sawal pucha tha NITS ne,woh bhi sawal sun uske jawab ko jaanane ke liye sir ki taraf interest se dekhne lagi..

wahin NITS ke sawal ko sun aankhen thodi badi ho gayi thi SONU ki aur...

SONU-uss ttrip mme ttoh hhum dono bbhi ggaye tthe... aurr yyahi ssawal ppucha ttha nna ttune uddhar kke ek agriculturalist se...!!!

MAI-hmm...

SONU-ttujhe kkya hho ggaya hhai bbe...ppehle 3 ddin sschool nnahi aaya aur jjabse aaya hhai ttabse rrobot fface llekar ghhumta rrehta hhai...

MAI-aand mat kha be...

SONU-gand mmara loudu...

SIR-lab le jaa sakte ho..wahan check ho jaayega...

NITS-sir ek snack jaise meal ke liye kisi fruit ya veg ko lekar 100 kms ka safar...!!! it's too much..kya koi shortcut nahi hai...

SIR-hai par 100 percent authentic nahi hai...us unknown plant ke root ya stem ko kaato and rub the juices on your skin that comes out of it...

kuch der wait karo..agar poisonous ya unedible hua toh skin par rashes aa jaayenge,agar nahi aaya toh it's ok to eat it...

NITS-thank you sir...that was a beautiful answer...

beautiful NITS ne us ladki ko dekhkar bola tha joki abhi usse hi dekh rahi thi aur NITS ki baat sun halke surprise aur smile ke saath usse dekhne lagi thi woh...

SIR-thank you for the appreciation beta..ab agar aur koi sawal naa ho toh apni jagah par jaakar baitho...

NITS-sure sir..

ladki ko dekhte hue uspar nazrein tikaye hue hi dheere se ghuma tha NITS jispar us ladki ke face ki smile thodi aur badh gayi thi...

wahin ye sab bade dhyan se dekh rahi ANJALI ke face par ek vyang purn smile naach uthi thi jisse carry karte hue woh pehle piche SANVY ki taraf palti aur phir paas hi baithi DIMPLE ko dekha usne aur...

ANJALI-so he is into me,haan... bullshit...

ANJALI ke taane ko sun ek lambi saans chhodi DIMPLE ne aur sir shake kar neeche dekhne lagi thi woh...

TRRRRRR......

finally final bell baj uthi thi jiske baad sir aise nikle hamari class se jaise loose motion ke aakhri check naake ko paar karne hi waala tha unka pichwada...

aur sir ke baad students bhi apne apne groups ke saath class se nikalne lage the...

DIMPLE-wait...

NITS DIMPLE ke baaju se nikal hi raha tha ki tabhi bade dheeme se uske kaano me kahi thi ye baat DIMPLE ne jisse sun kuch kehne ko hua NITS...

DIMPLE-just wait...

thoda serious tha DIMPLE ka tone jisse sun ek pal usse dekhne ke baad...

NITS-abbe,tum log niklo...mai mutr mukti karkar aata hun...

SONU-abbe abbhi ssecond rrecess mme hi ttoh mmoota tha ttu...

NITS-issi ka hisaab rakh tu ki kitni baar mutata hun mai...aur kahan likha hai be ki ek baar mootne ke baad turant dusri baat nahi moot sakte...

SONU-abbe aise hi ppucha... bbhadak kkyun rraha hai...

mooh banate hue class se turant nikal chuka tha SONU jiske saath saath mai bhi bahar aa chuka tha...

baaki ke students toh pehle hi class se nikal chuke the which meant ki is waqt class me sirf DIMPLE aur SONU hi the...

NITS-dekh yaar...pehle hi clear kar deta hun...maine dekha nahi kabhi tujhe us nazar se...

hamesha ki tarah daant niporte hue apne sense of humour ka pradarshan kiya tha NITS ne jispar DIMPLE ka face straight hi raha...

DIMPLE-bataya kyun nahi tumne ki pehli baar SANVY GALATH tha...

NITS-mai samjha nahi...aur SANVY kabse GALATH hone lag gaya bhala...???

DIMPLE-jabse you started flirting with random girls...

NITS-started matlab...!!! flirting is my forte...

DIMPLE-aur pyar...!!!or to be precise...ANJALI ke liye pyar...

NITS-what...!!!are you out of your mind...

DIMPLE-style kam dramatic rakhta toh performance ko zyada realistic bana sakta tha...

NITS-tune toh realistic hi rakha naa par baat toh jhuti hi hai...

DIMPLE-isiliye toh kaha maine ki SANVY GALATH tha...bade bade speculations laga leta hai,par sab bakwas...

jaakar confront karti hun usko...usse bhi toh pata chale ki har baar sahi nahi hota woh and this time, woh GALATH hai...

NITS-mera dost kabhi GALATH nahi ho sakta...

apni baat bol DIMPLE palti hi thi ki tabhi NITS ki baat ne uske face par smile laa di thi...

jaanti thi DIMPLE ki SANVY ko GALATH bolne par hi asal baat par aayega NITS aur wahi ho raha tha...

apne smile ko daba wapas NITS ki taraf palti DIMPLE aur...

DIMPLE-SANVY GALATH nahi ho sakta...!!! isiliye hi us din ANJALI ki saari baatein chupchap bahar se sunte rahe tum aur phir humse chhupne ke liye B section me chale gaye the...

NITS-tujhepata tha...!!!

DIMPLE-haan...par jo mujhe nahi pata, woh ye hai ki jab tu ANJALI se utna pyar karta hai jitna ki SANVY bata raha tha toh phir uske saamne confess kyun nahi karta...!!!???

confess toh door ki baat hai,tu toh dusri ladkiyon ke saath openly flirt karte rehta hai, jaise ki aaj kar raha tha...

jo kisi se sachha pyar karta ho,woh dusri ladkiyon ke saath flirt kaise kar sakta hai...???

DIMPLE ki baat sun ek feeki smile naach uthi NITS ke face par aur...

NITS-confess jurm ka karte hain,pyar ka nahi...pyar ka izhar hota hai...

aur woh isiliye nahi kiya maine kyunki jo bill tak mai afford nahi kar sakta,usse zyada ANJALI tip de deti hai...

DIMPLE-really NITS...that's your excuse...kis sadi me reh rahe ho tum...!!!its 2020.. tumhe lagta hai ye rich pure waala funda chalta bhi hai...

NITS-hahahaha...sadi ke hisaab se insaan ki soch badalne lagti toh ab tak hum bhagwan hi nahi ban chuke hote...

DIMPLE-oh common NITS...tum ye kaise bhul gaye ki tumhari hi tarah ek average ghar se SANVY bhi belong karta hai aur woh ANJALI ka best friend hai...

NITS-wow... example bhi diya toh kiska...rich poor ke comparison par toh phir bhi logics mil jaayenge par how can you compare me with SANVY...

mera bestie hai woh aur kabhi kabhi apne aap ke saath jod comparison bhi karta rehta hun mai uski par woh sirf mazak hota hai..

haqiqat me toh mai chhod,is school ka champ SAM bhi uske aage kahin nahi tikta...

ye uski courtesy aur down do earth attitude hi hai ki woh hume apne barabar ka darja deta hai..

SANVY is one in a million warna is school ki,school kya is shehar ki sabse khubsurat ladki pasand thodi na karti usse...

NITS ki aakhri baat sun aankhein halki badi ho gayi DIMPLE ki aur kuch kehne ko hui woh par tabhi...

NITS-cut the bullshit DIMPLE... tumhe kya lagta hai hum sab andhe hai..tumhare aur SANVY ke beech jo chemistry chal rahi hai,hume dikhta nahi...

haan,ye sach hai ki abhi tak tum dono ne ek dusre se apni apni feelings share nahi ki hai par feelings toh hai aur woh bhi tagdi waali...

dil par haath rakh SANVY ki kasam khaa keh do ki GALATH hun mai...

naa dil par haath rakha aur naahi kuch keh paayi DIMPLE..labh bas halke tharthara kar reh gaye...

aur ye dekh halka sa smile diya NITS ne aur...

NITS-bohot lucky ho tum DIMPLE ki SANVY jaisa banda is into you..haan, background uska meri tarah decent bhar hi hai par jab situation me SANVY ho toh background se fark nahi padta...

uske jaisa dusra piece hai hi nahi aur agar heere ko parakhne waali nazar hui tumhare parents me toh SANVY se milte hi samajh jaayenge woh ki kohinoor chuna hai unki beti ne...

see you...

palath class se bahar nikalne laga NITS par phir door ke paas rook wapas palta woh aur...

NITS-shuru me ek sawal pucha tha tumne...

"JO KISI SE SACHHA PYAR KARTA HO,WOH DUSRI LADKIYON KE SAATH FLIRT KAISE KAR SAKTA HAI"...???

DIMPLE mai jo ye flirt karta rehta hun naa,woh mere liye pain killer jaisa hai...

"GHAAW BHALE HI NAHI BHARTA PAR DARD ZAROOR KAM HO JAATA HAI..."

ab mere jaise looser aashiq ko kamsekam dard kam karne ki azaadi toh honi hi chahiye,nahi...

ek aur baat...

propose karne ki jo salah tum mujhe de rahi thi naa,uspar khudpar amal karo...

meri na ho saki toh kya, kamsekam tum dono ki toh do tarfa love story shuru ho...

muskurate hue jisme khushi nahi gum chalak raha tha, NITS palta aur class se nikal gaya...

wahin DIMPLE NITS ki saari baaton aur khaas kar uski aakhri salah ko sun shaant si hokar apni jagah par kuch seconds khadi si reh gayi...

kahan woh NITS ko interrogate karne waali thi aur kahan NITS ne uski unlikhi prem kahani padh di thi....

kuch seconds gehri soch ke beech apni jagah par khade rehne ke baad ek lambi saans chhod DIMPLE bhi class se nikal gayi...

SAME EVENING

PLACE-SANEEL'S RESIDENCE

REALLY...!!!THE EYE GOUGE...ITNA BACHKANA MOVE...KISI TEEN SAAL KE BACCHE KO BULA LAAUN..SHAYAD WOH TUMHARE IS IDIOTIC TRICK ME FANS JAAYE...

apne home city delhi trip ke ek hafte baad aaj finally DIMPLE wapas study home,dehradun ke apne sabse favourite spot me thi...

SANEEL'S RESIDENCE ka backyard jahan woh SANVY ke saath combat training karti thi...

bohot excited thi woh aaj ki training session ko lekar aur usee bhi zyada SANVY ke saath personal time spend karne ke liye par uske saare hi expectations ne kuch hi der me U turn le liya tha...

reason...

kuch naya sikhane ki jagah SANVY ne aaj DIMPLE ne ab tak jitna sikha hai,uska ek practical test lene ka decide kiya tha aur uska ye decision DIMPLE ke liye shaam ko hi night mare me badal gaya tha...

uske har move ko na sirf SANVY sahi predict kar unhe dodge dete aa raha tha balki har dodge ke baad ek offensive push bhi karta tha woh DIMPLE ko..

ye push koi zyada power ka nahi hota tha aur naahi DIMPLE ko kisi tarah ka physical pain hota tha par mentally it was hurting her...

SANVY ka har push uski ab tak ki hard training par ek slap jaisa tha...

un pushes ke through SANVY jaise DIMPLE ko humiliate kar raha tha jisse saaf mehsoos kar rahi thi woh...

yahi wajah thi ki last push se chidh halka below the belt move ke liye chal padi thi DIMPLE...

THE EYE GOUGE MOVE..move jisme apne index aur middle finger ko suddenly opponent ki aankhon me halka poke kiya jaata hai jisse uska vision kuch seconds ke liye off ya phir blurry ho jaata hai, resulting him or her to be off gaurd...

par DIMPLE ka woh move bhi waste chala gaya tha..

uske dono fingers ko mid way hi block kar unhe jakadte hue apne side ki taraf push kiya tha SANVY ne....

aur uske baad jo line boli SANVY ne,usne dimplke frustration ko aur badha diya tha...

DHAKKK,DHAK,DHAK,DHAK,DHAK,DHAKKKK..........DDDDDDDDDDDDDDHAKKKKKK......

"THE LONG KNEE,UP KNEE, THROAT PUNCH,AX STOMPS, NUTCRACKER CHOKE JUMP aur aise hi kayi free style combat moves ek ke baad ek try karti chali gayi thi NEW GIRL jinhe mai beasar karta chala gaya aur isiliye finally apna last daav chalta hue "THE DRIBBLING FAST HANDS move try kiya usne...

bijli ki gati se apne dono haathon ko baari baari se mere stomach se lekar mere sir tak aim karte hue chalati chali gayi woh and at the same time apne dono pairon ko horizontally move karte hue mujhe girane ki koshish bhi kar rahi thi woh...

par backward march jaise pairon ko uthate hue na sirf mai un leg movement se bach raha tha balki uske tez hand movements ko bhi continuously block karta chala jaa raha tha mai..

par NEW GIRL rook nahi rahi thi jiska sabse bada kaaran tha mere piche ka woh wall jisse meri peeth takraane hi waali thi..

NEW GIRL jaanti thi ki ek baar wausa ho gaya phir woh mujhe neeche gira sakti hai but the thing she didn't knew was ki naa sirf mujhe apne piche lagne waale wall ke baare me pata tha balki ab maine apne defensive hand blocks ki speed badha di thi jiska matlab tha ki ab NEW GIRLS ke hand moves mai kabhi bhi control aur rok sakta tha aur wahi hua...

BHAPPP.....

wall me meri peeth lagne hi waali thi par tabhi mere dono haathon ki grip ne NEW GIRL ki dono kalaiyon ko jakad liya tha..

aisa hote hi halka sa hadbadayi NEW GIRL aur isse pehle ki woh sambhal paati,thoda sa side hote hue uski kalaiyon ko ek tez jhatke ke saath pull kiya maine....

ye movement itna forceful tha ki NEW GIRL ka sharir bohot tezi se wall ki taraf badh gaya..

ye movement itna speed aur tez tha ke NEW GIRL knew ki woh khudse khudko wall me thrash hone se bacha nahi sakti..

us impact aur hone waale pain ke liye ready nahi thi NEW GIRL isiliye aankhein apne aap band hoti chali gayi uski par tabhi...

ek behadh strong hand block apne stomach par feel kiya tha usne...

sharir ke jhatke me rook gaya tha NEW GIRL ka par sharir ke saath saath dil bhi uska ek pal ke liye jaise tham sa gaya tha...

REASON...

SANVY ka haath tha woh jisne uske stomach ko ghera hua tha..jaanti thi ye baat DIMPLE aur isiliye apne jism par SANVY ke us direct touch se andar hi andar sihar uthi thi woh...

ek chadhti utarti saanson ko sayyamit kar meri taraf palti woh aur aisa hone ke beech apna haath uske peth se hata liya tha maine...

MAI-5 minutes ka break...pasina pochon and restratagize..shayad is baar mujhe chhu bhi paao tum...!!!

jahan is vyang ke saath palath paani peene ghar ke andar chala gaya mai wahin NEW GIRL chehre par maayusi liye paas hi rakhe ek stool par baith gayi...

FRUSTRATION PHIR BHI CHALEGA BUT MAAYUSI BILKUL ACHI NAHI LAGTI TUMHARE FACE PAR BETA...

DIMPLE ka water sipper joki kaafi pehle hi khaali ho chuka tha,usse refill kar uske saamne kar diya tha VERONICA ne...

wahin VERONICA ki baat par ek halki smile ke saath apna sipper le paani ke kuch ghoont se apne sukh chuke gale ko tar karne lagi DIMPLE...

VERONICA-zyada rough hai aaj SANVY...???

DIMPLE-nourishment ke liye roughness ki zaroorat toh padti hi hai aunty...mujhe acha lagta hai hard drill... par...

VERONICA-par kya...???

DIMPLE-aaj ke pure session me SANVY ke face par ek anjaani udaasi dekhi maine...

aur andar jaane se pehle jab mujhse baat ki usne toh woh udaasi thodi aur badh gayi thi...

kabhi dekha nahi maine usse aise aur kabhi dekhna bhi nahi chahti...

par dekh toh rahi hun and that's the real rough for me and it's hurting...

ek hafte pehle aaye panic attack ki wajah,us sapne ke drishyon ko apne dimag ee abhi tak hata nahi paaya tha SANVY...

isiliye hi teen din tak school nahi gaya tha woh...

is ek hafte me din ke 14 ghante unimaginable physical training ki thi usne par kisi bhi tarah ka sweat us sapne waale yaad ko puri tarah dho nahi paaya tha...

yahi wajah thi aaj DIMPLE ke prati kade ravaiye ki jiski asal wajah bhale hi woh nahi jaanti thi par dard hai,ye mehsoos kar liya tha DIMPLE ne apne andar...

wahin DIMPLE ki baat sun ek halki si smile naach uthi thi VERONICA ke face par aur apne mamta bhare hatheli ke sparsh se DIMPLE ke sir ko sehlane lagi woh...

DIMPLE-aapko toh pata hoga na aunty ki what's hurting him...???

VERONICA-hmm..uske dad ki ek yaad hai jo kabhi kabhi sapne ke through uske aankhon ke aage ghum jaati hai..

aur jab bhi waisa hota hai, SANVY suffers mentally...aur aisa kuch waqt tak lagatar hota rehta hai..

isiliye i suggest ki jab tak woh apne mental health ke saath peace na kar le,door raho usse...

DIMPLE-no way aunty...SANVY taklif mai hai aur mai usse akela chhod dun,aisa kabhi nahi hoga...

par woh theek ho jaaye,iske liye karun kya...???

VERONICA-tarika hai par it will hurt...

DIMPLE-chalega aunty... bataiye kya karun...???

VERONICA-bataya toh,it will hurt and i mean literally...

DIMPLE-mai samjhi nahi...

VERONICA-smart ho, khud hi figure out karo...

MAI-shuru karen...!!!

paani pee aur freshen up ho wapas aa chuka tha mai par MAA ko saamne dekh halka door hi rook gaya...

MAA-kabhi kabhi ek dard ko bhulaane ke liye dusre dard ki zaroorat padti hai...

kuch kaha dheere se MAA ne NEW GIRL ko jisse sun nahi paaya tha mai ya phir ye kahun ki sunane ki koshish hi nahi ki maine...

apni baat bol MAA toh chali gayi par NEW GIRL straight face ke saath kuch sochne me busy ho gayi...

MAI-kuch aur kaam hai toh chali jaao...we will do it tomorrow...

DIMPLE-kahin nahi jaa rahi mai...

jaise kuch samajh me aa gaya tha NEW GIRL ko..awaaz me uski confidence lout aayi thi aur ye dekh...

MAI-tumhe lagta hai ki is baar result alag aayega...

DIMPLE-mujhe lagta nahi,mai jaanti hun ki is baar result dusra aayega aur behtar aayega...

MAI-we will see...

DIMPLE-ofcousre we will se...

DHAPP....DHAPPP....

apni baat khatm karne ke saath hi mujhpar pehle OVER HAND,phir RIGHT 360 DEGREE SWING KICK,aur phir ussi move ko improvise karte hue KNEE FROM THE DOUBLE COLLAR THE move se swing kiya tha apne right leg ko NEW GIRL ne...

ye saare moves naa sirf super fast the balki saath hi saath kaafi dangerous or core strength driven bhi the...

inhe sahi se use me laane ke liye naa sirf kaafi strength use karni padi thi NEW GIRL ko par saath me apne balance ko banaye rakhne ko next to impossible task bhi kar rahi thi woh...

wahin uske saare moves ko dodge aur block kar raha tha mai par kyunki un moves me strength kuch zyada hi thi aur isiliye unhe block karne ke douran mere dono wrists me halka pain hone laga tha...

waise toh normal circumstances me ye pain kuch bhi nahi tha par abhi jis tarah ka mental situation tha mera,it was very frustrating...

DHABBBB....

AHHHHHHH.....

ek chest JAB HIT maarne ke liye apne fist ghumane hi waali thi NEW GIRL ki tabhi mere dono haath badi tezi se upar aaye wyr agle hi pal...

SHARP FINGER POKE HIT kiya apne dono haathon ki khadi ungliyon se uske shoulders par...

shoulder joints ke just baaju me ek nas hoti hai jispar agar sahi pressure se hit kiya jaaye toh ek saath do do effects create hota hai...

first, immense pain aur second... temporary paralytic malfunction...

aisa hi kuch hua NEW GIRL ke saath...

dono haath uske jhool se gaye the aur shoulders me uth rahe unbearable pain ki wajah se ghutne uske mudte chale gaye the...

par isse pehle ki woh neeche gire, dimag jaise ek pal me hi pura khul gaya mera...

tezi si NEW GIRL ke baaju me slip in hokar usse sir se thaamte hue baiththa chala gaya mai...

hit maine halka hi kiya tha par dimag me chadhe frustration ne ungliyon me jaan thodi zyada de di thi..

hit ka impact bohot zyada tha aur iske saboot the NEW GIRL ki bheegi aankhein...

aur un aankhon me dard dekh mere dimag me pichle ek hafte se chal raha dwandh jaise gayab hi ho gaya...

bas NEW GIRL,uska dard aur us dard ke liye usse dene waale par ghussa, matlab khudpar aane laga tha mujhe..

NEW GIRL ke sir aur body ko apne haathon aur godh me rakhne ke beech palke meri bhi bheegne lagi thi par kisi tarah apne emotions par control kiya hua tha maine...

MAI-sorry...

maafi maangi thi maine par mere aisa karte hi dard ke beech bhi ek pyari si smile naach uthi thi NEW GIRL ke face par jiska kaaran nahi samajh paaya hai...

MAI-dard sir me chadh gaya hai kya...??? muskura kyun rahi ho...???

mere taunt ko sun smile thodi aur badh gayi NEW GIRL ki aur...

DIMPLE-tumhara dard tumhare sir se jo utar gaya hai... isiliye muskura rahi hun...

NEW ki baat par turant kuch keh nahi paaya mai aur ektak usse dekhne laga...

MAI-mere dard se jiski wajah se bhi anjaan thi tum,uske liye khudko dard de diya tumne...

DIMPLE-tumhare dard se bhale hi anjaan thi par tumse toh waakif hun...

jaanti hun maamuli chot tumhe dard nahi de sakta aur jo de sakta hai,usse mai dene dungi nahi...

DIMPLE ki baat sun kuch kehne ko hua mai par labh dab se gaye the mere par mere us anjaan dard ki tarah mere unkahe shabdon ko bhi jaise samajh gayi thi NEW GIRL...

DIMPLE-kyun...??? yahi puchna chah rahe the naa...!!!

isiliye kyunki NITS ne aaj mujhse mere baare me kuch aisa kaha jisse apne aap se chhupate aa rahi thi mai...

MAI-kya..???that you are mad...!!!

DIMPLE-haan..par sirf tumhare liye...

"I AM MADLY IN LOVE WITH YOU SANVY"....

BOOM...

jaanta tha mai ki ye lamha ek na ek din zaroor aayega... par aaj, abhi is tarah aayega,ye nahi socha tha maine..

aise waqt me jab apne past me ghati ek ghatna ke sadme se ubhar raha tha mai,ye khubsoorat vartmaan dene me lagi thi mujhe NEW GIRL...

jazbaat SAHI the par waqt GALATH...

MAI-mai...

DIMPLE-shhh.... kuch mat kaho...tumse jawab nahi maanga hai maine...bas apni bhaavna batayi hai...

mai jaanti hun ki abhi tumhara dimag aur dil saath me kaam nahi kar rahe, isiliye abhi kuch mat kaho...

bas ek request hai,maanoge...!!!

MAI-kya...???

DIMPLE-maanoge...!!!

kar request rahi thi par ankhon me command sa tha NEW GIRL ke jo achi lagi mujhe isiliye...

MAI-haan...

DIMPLE-

aaj mai taiyar thi ke jo bhi tere liye mere dil me hai,tujhse KAHUN...

jab bhi tu taiyar ho, tere jawab se bhale mai khush ho jaaun yaa phir DARD SAHUN...

khwahish bas itni si hai meri ki teri taraf se inkaar ho yaa phir ikraar...

tere izhaar ke waqt bilkul abhi ki tarah mai teri BAAHON ME RAHUN...

AAJ KE LIYE ITNA HI...

AAPKA APNA V...J...
Behtareen shaandaar update bhai
 
Rajesh

Well-Known Member
3,315
7,881
158
V
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF ANJALI APNE GHAR HONE WAALI DIWALI PARTY KE INVITES SABKO DETI HAI WAHIN DUSRI TARAF PARTY ME MR CHOPRA AUR MR GURUDUTTA SANVY SE KAAFI IMPRESS HO JAATE HAIN.

AB AAGE:-

CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)

UPDATE-71

DATE-30TH OCTOBER

CITY-DEHRADUN

PLACE-DEODAR FOREST

MMMMMHHHHHH.....I HAVE BEEN TO AUSTRALIA,CANADA,U.S...

HAR JAGAH JUNGLE SAFARI BHI KI HAI AND THE JOURNEY WAS SUPER COOL PAR ITNA REFRESHING AIR KABHI INHALE NAHI KIYA MAINE...

deodar forests ke beech open jeep me khadi beh rahi thandi hawaon ko apne fefdon me kisi kimti zewar ki tarah samet si rahi thi NEW GIRL...

MAI-kyunki Australia,Canada,U.S me GANGA nahi behti...

ANJALI-true...ye pura area gangotri glaciers se ghira hua hai aur jahan hum jaa rahe hain,"TAPOVAN"uske seene ke beech daudti hai MAA GANGA...

isiliye is pure area ki hawaen 12 mahine yunhi thandi aur fresh behti hain...

DIMPLE-jab ye lushy green forest itna khubsoorat lag raha hai toh i can just imagine ki TAPOVAN ka camping zone kitna beautiful aur eye catchy hoga...

SAM-trust me,you cannot imagine...wahan river beds hain jinki covering grey lushy mote parath waale ghaans se bani hui hai...aur beech me behti hai crystal clear ganga rivers water...

and to put cherry on the cake, surrounding completely green hai aur upar... clouds ki bohot si moving covers ghumti rehti hai...

it's heaven...

MAI-bhaiya,100 metre me gaddha hai...araam se...

DRIVER-lagta hai kaafi baar aaye hain aap yahan...

but don't worry sir,mera roz ka hai...

aur jis dug point par car bump ki baat kar rahe hain aap,usme thoda time hai...

DHADHHHH.....

driver ki dialogue baazi me 100 metres nikal chuke the jiska matlab tha ki jis dug point ke baare me warn kiya tha maine,ussi par chadh chuke the car ke tyres...

abhi morning ke 5.10 baj rahe the...itni morning isiliye aa gaye the hum yahan kyunki glaciers me trekking kate waqt yahan ke icy mountain se sun rise dekhne ka maza hi kuch aur hota hai jisse hum miss nahi karna chahte the...

khair, is waqt har taraf halka andhera tha aur isiliye hi driver ko warn kiya tha maine jisse apne overconfidence ki wajah se dhyan nahi diya usne...

speed 50 plus ki hi thi par grassy lane hone ki wajah se bump thodi zyada ho gayi thi car jiski wajah se hum sabhi disbalanced ho gaye the but thankfully aur kuch GALATH nahi hua...

NITS-oh bhai sahab...jaisa jaisa bolega ye, chup chaap karte jaaiye aap...

mahan driver hone ki galathfehmi dusre passengers ke saamne dikhayiga...

ye agar bole naa ki aage invisible chattan hai,toh chupchap waisa maan kar brake maar liyo...

aap laakhon baar apne ghar gaye honge par wahan pahunchne ke liye kitni galiyon se guzarna padta hai,unka exact count abhi bhi nahi pata hoga aapko par agar ye lounda ek baar bhi aapke yahan padhar gaya naa,toh raaste me padh rahe pure mohalle ke har dukaan tak gina dega aapko...

baakiyon ke mukabale thoda dheela baitha tha NITS...

isiliye jab jeeb ne zara zor ka bump maara toh ucchal kar wapas girne par uske pichwade me tagda pain utha tha...

aur sabke saamne apna gaand dard dikha sakta tha nahi woh isiliye frustration uski aur badh gayi thi...

waise dena toh bhar bhar ke gaali chahata tha NITS...par girls ke kaaran jaise nikaal saka,apni bhadas nikal diya tha usne driver par jisse sun jahan ek taraf mere sir shake karne ke beech sab has diye the wahin dusri taraf driver kaafi sharmshar ho gaya tha...

wahin is beech KHANAK,RASHI aur DIMPLE joki pehli baar TAPOVAN TREKKING par jaa rahe the,is halke andhere me bhi SANVY ke perfect road analysis ko dekh kaafi hairan ho gaye the...

RASHI-wow SANVY... tumhe kaise gaddhe ka exact point pata tha...???

EKPREET-kyunki bhaisahab ko TAPOVAN me trekking karna bohot pasand hai...

100 se zyada baar aa chuka hai ye yahan...khaaskar aunty ke saath...

RASHI-dont tell me...aunty bhi trekking karti hain...!!!

ANJALI-oh you have no idea babes...kayi baar toh mai bhi aayi hun iske aur MAA ke saath and she is awesome...

NAISHA-tabhi toh aunty itni fit dikhti hain...

ANJALI-dikhti nahi,she is fit... actually, super fit...

RASHI-wow...

KHANAK-par phir bhi yaar,itne bade jungle ke beech woh bhi yun half light me itna sateek judgement...!!!

MAI-yahan saans lena acha lagta hai mujhe...aur zameen ke kis hisse par pair rakhne se saans chadhegi aur kis par saans utregi,uska byora mere dimag me chhap sa gaya hai...

waise bhi,jab kuch ya koi pasand ho aur bohot zyada pasand ho toh uske baare me har important info rakhna zaroori hota hai...

NITS-satya vachan...

DIMPLE-waise abhi hum kahan jaa rahe hain....???

RAJAT-BHOJBASA...

trekking point wahin se start hoti hai...

DIMPLE-nice...woh jagah aur kitni door hai yahan se...!!!

EKPREET-ab zyada distance nahi bacha...i think 10 minutes me hum BHOJBASA trekking point par honge...

MAI-8 minutes...

DIMPLE-8 minutes it is... brilliant...

jaisa waqt maine diya tha,woh ekdum fit baitha... exact 8 minutes me hum BHOJBASA trekking point ke paas pahunch gaye the aur NEW GIRL jisne mere time batate hi apni kalayi par bandhi smart watch dekhi thi,yahan pahunchte hi ek baar phir uski nazar ghadi par gayi jisme exactly 8 minutes hi paas out hue the...

jeep se utarte hue brilliant shabd dheere se mere kaano me kaha tha usne jisse sun halka sa smile karte hue mai bhi utar gaya...

trekking point par kaafi saare chote chote tents bane the jinme trekking officials ke log baithe hue the...

Jackets (Fiber or down),woolen shirts and thick sweaters,waterproof jackets with hood or poncho,tracksuits,track shoes,trousers,thermal coat,pairs of loose fitting long shorts/ skirts,pairs of Gloves,woolen hat,long sleeved shirt,towel and hankies,light weight walking boots,pairs of thin socks and 2 pair of woolen socks....

snow glasses and sunglasses,trekking sticks,duffle bag or kit bag trekking equipments carry karne ke liye,
2-4 plastics bags 2-4 large plastic bags saaf aur gande kapdon ko alag alag rakhne ke liye.,6-10 chote plastic bags garbage disposal ke liye,daypack bag personal chizen carry karne ke liye, trekking water bottles,water purifying tablets,
toilet articles and towels,toilet paper...

night me camping ke liye headlamp,torch, candles,binocular, camera and finally trekking map...

sabke liye trekking,clothings, equipments and finally camping accessories rent par lene ke baad clothings put on karne ke liye paas hi lagaye do khaali tents me chale gaye hum sab...

NITS-maa kasam bhai...baaki sabke saath ye trekking gears ke rental rate bhi badh gaye yaar...

behenchod bas 11 logon ke 22 hazar kaun lagata hain be...

maane per person 2 hazar loot rahe hain saale...

EKPREET-bhosdike ek complete gear 20 hazar ka padta hai...

ab 20 hazar ke samaan ka 2 bhi naa lagaye woh...

NITS-bada support kar raha hai lounde...commision toh naa rakha hai apna har rent par...

ae SONU, trekking start karne tak nazar rakhna re ispar...pata chala ek taraf hum sab barf ki thand ke beech khud ko ragadna start kar rahe hain aur ye loudu apne commission me milne waali noton ki garmi ke maze loot raha hai...

NITS ke taane par usse chutiya bol bas has pada tha EKPREET...

khair,agle 15 minutes tak NITS ki bakwas ke beech hum sab apna apna trekking gear pehente rahe...

DIMPLE-guyzzz...aur kitna time...???

NITS-arre gazab... itihaas me pehli baar ladkiyan ladkon se pehle ready ho gayi re...

RAJAT-koi bhi gear make up kit nahi tha... ready toh hongi hi jaldi...

MAI-ae NAISHA... dekh kya bol raha hai RAJAT...!!!

RAJAT-abbe bhosdike...

mujhe maarne aage badh hi raha tha RAJAT par usse pehle hi mai tent se bahar nikal chuka tha but coincidentally tent se nikalte hi naa sirf maine NAISHA ko theek apne saamne paaya par saath hi saath usne meri baat bhi sun li thi...

NAISHA-ya baby...what's up...!!!

jahan NAISHA ko saamne dekh sitti pitti gul ho gayi thi RAJAT ki wahin uski haalath dekh sabhi ladke sir idhar udhar kar dabi hasi has rahe the...

RAJAT-nothing babes...woh mai isse keh raha tha ki aise beautiful place me tumhare saath ek romantic date me aana chahiye tha mujhe par rather than doing that,in gadhon ke saath aana pada hai mujhe...

NAISHA-aww... that's so sweet baby...

EKPREET-sahi hai lounde...badhiya ghumaya hai...seekh raha hai SANVY se ye bhi...

jahan apne b.f ki baat sun uske gardan ke ird gird apne baahon ki giraft daalne ke beech RAJAT ke gaal par kiss kiya NAISHA ne wahin RAJAT ke perfect defending answer ko sun SAM ke kaano me uski taarif ki thi EKPREET ne jispar SSM bhi has diya tha...

ANJALI-pehli baar sach bola hai RAJAT ne...ho toh tum sab gadhe hi...

MAI-aur kuch baatein boli nahi jaati par phir bhi samajhdaar samajh jaate hai...

NITS-maane...!!!

MAI-maane us gadhe waale statement ke beech gadhi bhi tha jo sentence lamba ho jaane ki wajah se bola nahi isne par feeling puri thi...

DIMPLE-aisa...!!! phir toh NAISHA bhi shaamil ho gayi us ankahi baat me...

NAISHA-baby...!!!!

pyaar bhare aalingan aur usse uth rahe bhaavnaao se turant bahar aa RAJAT ko ghurne lagi thi NAISHA jispar uski haalath kharab hone lagi thi...

MAI-doston,arz kiya hai...

BOYS-irdhad irshad...

MAI-

"mohobbat apne aap me ek kahani hai,woh dusre kaafiyon ka KISSA NAHI HOTA...

bheed gadhon ki ho par chaahat unhike beech toh....

woh ishq-e-rukhsaar un gadhon ka HISSA NAHI HOTA...

WAAH BHAI...LAAYA HAI RE..LAAYA HAI...

meri baat ka asar chaar tarfa hua...ek taraf NAISHA jo RAJAT par bigadne hi waali thi,uski smile wapas aa gayi aur ye dekh RAJAT ki jaan me jaan aayi...

dusri taraf mere dost meri ek teer se do shikar waali shayri ko sun ladkiyon ko chidhane lage jispar ladkiyan mujhe gaali bakne lagi thi...

wahin teesri taraf meri shayri ne NEW GIRL ke dimag me ek khayal ka aagaz kar diya tha joki aaj ke din ka anjaan banane waali thi...

halka serious ho gaya tha uska face...

MAI-ab chalen ya sunrise ka view miss karna hai...

6 bajne ko tha... abhi aur normally is time suraj apna sir upar utha diya karta hai par ye ek pahadi area tha aur is waqt hum barfili pahadiyon ke chain ki sarhad par khade the...

aisi jagahon par suraj aur uski roshni thode dheere dheere upar uththi hai...

SAM-arre chalo guyzzz...first mountain top yahan se 2 km door hai... turant niklenge tabhi time par wahan pahunch paayenge...

apne apne lungs me ek baar beh rahi fresh hawa ka stock fill kar trekking shuru ki humne...

jis mountain top ki baat ki thi SAM ne,us tak pahunchne ki chadhayi mushkil nahi thi...

haan,chaadhav toh constant tha par hamare pairon tale bicha snow cover naa toh deep tha aur naahi sticky...

sirf trekking sticks ke halke push ki madad se hum bade araam aur ache speed ke saath us half up chadhayi ko cross karne lag gaye the...

here's the thing about trekking...bhale hi chadhayi completely up hill aur ya phir narrow climbing...

barf me saans bohot jaldi chadhti hai isiliye trekking ke beech jitni kam baat karo, stamina ke liye utna acha hota hai...

sirf is check point ki wajah se hum sab NITS ke chutiye vachano se bach rahe the...

DHAPPP......

WOW......SO SERINE....

20 minutes.... exactly 20 minutes me hum sabne ye 2 kms ki chadhayi puri kar li thi...

par first mountain top me pahunchte hi apne atadiyon tak thak chuka NITS mooh ke bal barf me gir chuka tha...

lambi lambi saansein leta hua woh dheere se karwat badalte hue apni peeth par aaya tha...

aur ye dekh baaki sab hasne hi waale the par tabhi KHANAK ke mooh se nikli taarif sun woh sab bhi samane dikh rahe swargiya drishya ki mood gaye aur aisa hote hi un sabki aankhein kudrat ki rachi us adbhut jeevant chitr ko dekh thair si gayi...

suraj ki roshni aankhon ko chuban deti hai par abhi iske bilkul ulat ho raha tha...

barf se dhake pahad jaise apni thandak ko suraj ke sharir ke upar odha se rahe the...

halki laali liye khudke aakarshan ko aur badhate hue hume apni taarif karne ko jaise baadhya kar raha tha surya...

suraj ko ek tak nihaarte hue NITS ke saath saath hamari bhi chadhi hui saansein kab normal ho gayi,pata hi nahi chala...

MAI-let's move guyz...abhi sirf 2 kms hue hain...18 baaki hai...

meri baat sun wapas vartaman me aa gaye the sab aur sabse zyada NITS...

kyunki woh pehle bhi mere saath yahan trekking par aa chuka tha isiliye jaanta tha woh ki aage kya hone waala hai...

abhi tak ki chadhayi jitni exhausting thi,aage ka safar isse 5 guna tough hone waala tha...

kyunki naa sirf aage barf ki thickness zyada hone waali thi balki saath hi saath chadhav bhi thode zyada the...

aur trekking ka last padhav halka khatre se bhi bhara hua tha jiske detailing ke liye TREKKING OFFICIALS ne pehle hi hum sabko ek ek manual diya tha...

NITS-abbe saalon,yahi jagah mili thi holiday spend karne ke liye...!!!

SAM-beta pichle ek hafte se mid term exam ke naam se sabse zyada teri hi fat rahi thi...

EKPREET-fat rahi thi...!!! understatement hai ye yaar...!!!

pehla paper MATHS hai,ye jaankar baawla ho gaya tha ye...ek hafte se paper table set karne waale ko non stop gaaliyan bak raha hai tu...

par aaj jabse yahan trekking ke liye nikle hain, exams ke baare me ek baar bhi zikr nahi kiya tune...

it's the perfect place to take the mind off dude...

NITS-dude...jo hai nahi saala woh doodh bhi nikalne waala hai idhar...

dheere se budbudaya the NITS...

DIMPLE-mujhe toh samajh nahi aa raha ki maths se itna darne ki zaroorat hi kya hai...???

i think it's the best and the most interesting subject...!!!

NITS-boli...topper bai boli...tum front benchers kya jaanoge re hum back benchers ka dard...

MAI-tu ek kaam kar...yahin baithe baithe apna dard kam kar, hum chale aage...

let's bounce guyzzz...

NITS -bounce...!!!ball hai hum...abbe ruko re mere liye...

apne apne trekking bags laadh aage badh gaye the hum aur NITS jo abhi bhi barf me baitha apne chuttad ko thanda rakh raha tha,girte padte utha woh bhi aur apne trekking bag ko theek kar tezi se chal pada hamare piche...

par ye tezi zyada der tak kaayam nahi reh paayi...

aur sirf NITS hi nahi balki baaki sab bhi 30 minutes ke trekking walk ke baad dheeme hone lage the...

girls ka haal toh aur bura tha...pair jo ki 8 inches tak dhase the, unhe uthaane me hi second se zyada ka waqt lagne laga tha unhe...

par in sab me NEW GIRL thi..thaki woh bhi thi par trekking walk ka sahi technique use kar raho thi woh isiliye bad saansein hi halki chadhi thi uski lekin chalne ki speed me koi kami nahi aayi thi...

jahan baaki sabse 20 metres aage chal tha mai wahin NEW GIRL mujhse just 5 metres hi piche tha...

waise SAM bhi baaki sabse aage hi tha par saans uski thodi zyada chadh gayi thi...

NITS-abbe ruko re...jaane se pehle kamsekam hume barf me dhang se dafna toh do...

RASHI-haan guyzz.we cant walk anymore...thodi der ka break lete hain...

apne water sippers jisme trekking starting point me gunguna paani daala tha sabne,saari girls water sip lene lagi thi...

SONU-soccha ttha iss bbaar pure ddistance mme energy ppreserve kar llunga ppar aadhe me hhi ffath gayi hai bhai...

MAI-aadha...abhi tak 25 percent distance bhi cover nahi kiya hai humne...

KHANAK-shit...

MAI-yaa..shit.. isiliye paani kam piyo and start walking along us...

RASHI-but how...!!!yahan humare pair tak theek se nahi uth rahe aur tera toh saans tak nahi chadh raha...

NAISHA-same goes for you too DIMPLE... kitne araam se tum dono trek kar le rahe ho...how...!!!

ANJALI-pair ka complete pressure barf me daalna nahi hai...

pair ka pressure barf consume kare,usse just pehle agla kadam badha lena hai.. that's the technique...

KHANAK-tujhe pata hai...!!! par teri bhi toh speed hamare jitni hi hai aur saansein chadhi hui hai...

ANJALI-tum sabse 5 metre aage hi chal rahi thi mai...

RASHI-waah..aadhe ghante me kya distance banaya tune...

ANJALI-arre yaar,ye technique bolne me jitni simple hai, execute karne me utna hi tough hai...

5,6 baar iske aur MAA ke saath aa chuki hun par balance bana hi nahi paati...

MAI-ab chalen...!!!

ANJALI-yaar SAN, paanch minute toh rook kamsekam...

MAI-jungle tak toh theek hai,par uske baad se badi chup ho tum...!!!

ANI ke kehne par kuch der ka break liya tha humne..is beech hum sab chit chat kar rahe the siway NEW GIRL...

woh chal rahe conversation ke beech bas chup chaap hi khadi rahi thi aur ab bhi meri baat sun ek pal dekha usne mujhe aur...

DIMPLE-paanch minutes ho gaye yaar.. let's continue...

apni baat bol aage badh gayi thi NEW GIRL...

NITS-ye iske andar MAANIKPURI SIR ki aatma toh nahi ghus gayi...

5 minute maane 5 minute...

MAI-sahi toh hai be...bohot hua rest.. chalo ab...

mai bhi aage badh gaya tha jiske baad baaki ab bhi jaisa technique ANI ne bataya tha,usse yaad kar aage badhne ki koshish karne lage jisse thodi der me khud hi discontinue kar diya tha unhone...

ho jo nahi raha tha theek se...

DHAPPP...DHAPPP....DHAPPP...DHAPPP...

kareeb 1 ghante aur 45 minutes ki trekking ke baad sharir me jaan hi nahi bachi thi kisike...

ek ek kar barfile sadak par ghutne tekte chale gaye the sab...

isse pehle bhi 2 baar aur break liya tha sabne par phir bhi sharir me aayi extreme thakan se khudko bacha nahi paaye the sab...

SAM ki saansein bhi dhowkni ki tarah chal rahi thi par kisi tarah apne pairon par ab bhi khada hua tha woh..

bache mai aur NEW GIRL...is lambe trekking ke dauran ab mai aur woh bhi baaki group se bas kuch hi metres aage chal rahe the...

jahan meri saansein bhi tez chal rahi thi par khudko sayyamit rakha hua tha maine wahin NEW GIRL bhi kaafi zoron se saansein inhale aur exhale kar rahi thi par phir bhi ab tak kadam se kadam mila mere just piche chali thi woh...

aur ab baaki sabko yun baiththe dekh usne bhi chain ki saans li thi kyunki thakaan se haal ab uska bhi kuch sahi nahi tha...

EKPREET-aur na chala jaayega bhai... zaroorat se zyada fath chuki hai...

NITS-pehli baar... pehli baar teri soch achi lagi bhai...

MAI-waise kuch hai jisse dekh thakaan kam ho jaayegi tum sabki...

NITS-mere ko maalum tha brandy laaya hai apna lounda...

nikaal bhai..ek ek dhakkan sab lenge...

MAI-abbe chaman chutiye...maine dekh bola,pee nahi...

right dekho...

HOLY MOTHER....WOW...JUST...WOW...

right as in east ki taraf beh rahi thi ganga nadi...

zyada chowdi nahi thi nadi...bas 30 metres ki chowdayi liye curved angle me left ki taraf ghumte hue aage beh rahi thi woh...

dono taraf bane river beds par safedh aur laal medium sized pathhar the...

nadi ke paani aur un pattharon par abtak apne asli chamak me aa chuke suraj ki roshni padh rahi th jo unki khubsoorati aur pure nazaare ko hadh se zyada badha rahi thi...

mantramugdh se hokar sabhi us drishya ko dekh rahe aur aisa karte hue unhe pata bhi nahi chala ki kab unki saansein normal hone lagi thi...

psychological term me mental peace physical exhaustion ko turant kam kar deta hai aur wahi kiya tha maine...

RASHI-hey look...nadi ka paani curve hote hue hamare sidh ki taraf jaa raha hai...

SAM-yup...aur phir extra naa ghum straight hi nikalti hai puri nadi...

RASHI-i am seeing that...but aage colour alag nahi dikh rahi paani ki...

KHANAK-may be because of the distance...1 km toh hoga hi yahan se...

MAI-ek nahi 2...halka downward trek hai ab isiliye distance kam lag raha...

and for the colour differential,i assume,tum dono me kisine bhi trekking border par mile manual ko nahi padha hai, right...!!!

meri baat ke jawab me turant apna side pouch jisme water sipper ke baaju me manual rakha hua tha,nikaala RASHI aur KHANAK ne aur usse padhne lagi..

KHANAK-holy shit... yahan toh likha hai ki trekking ke last 2 km me WATER BLANKET (jama hua paani)bana hua hai...

aur hume ussike upar se guzarna hoga...

RASHI-par remark area me RISKY kyun likha hai...

MAI-ussi wajah se jiske kaaran trekking shuru karne se pehle waver form bhara tha hum sabne...

waise toh water blanket kaafi sakht hote hai par kabhi kabhi unke andar constantly chal rahe moving glaciers upar uththe hue unhe hit karte hain jiski wajah se some area of the blanket turns soft...

aise me agar us soft spot par pair rakh diya jaaye toh woh area toot jaata hai...

NITS-aur uske upar khada banda ya bandi neeche paani me joki kabhi bhi -10 degrees se zyada nahi hoti...

meri aur aakhir me NITS ki baat sun RASHI aur KHANAK ke face me dar dikhne laga tha aur ye dekh...

DIMPLE-relax...water blankets solid rock jitne hard hote hai...

yunhi nahi tootathe woh...unke tootne ka chance .1 percent jitna hota hai aur isse kahin zyada khatra toh raaste par chalne se hota hai...

agar wahan nahi darti toh yahan darne ka koi logic nahi hota...

ab chalen...kaafi der ho gaya yahan hume... moving bodies se heat paida hoti hai jisse yahan ki sardi se bache rahenge hum...

waise toh baat NEW GIRL ne pate ki batayi thi jisse sun RASHI aur KHANAK ke face ka tention jaata raha tha par mere maathe par bal padh chuke the...

reason...

practical defination diya tha NEW GIRL ne, friendly assurance tone nahi tha uski awaaz me...

khair,apni baat bol wapas mood aage badh gayi thi NEW GIRL aur uske piche piche hum sab bhi ho liye the...

aur kyunki ab chadhayi nahi balki steep walk tha isiliye barf ki soft thickness bhi kam ho chuki thi...

aage badhne me ab zyada mushkil nahi ho rahi thi...

yahi wajah thi ki itne der ke baad ek dusre se masti mazak karte hue hum sab aage badh rahe the...

par is HUM shabd me ek shakhs kam thi...

NEW GIRL...

is 360 degree beautiful place ko check out karte hue hum sabse kareeb 15 metre akele hi aage chal rahi thi woh...

jahan baaki sab usse mother nature ko check out karte dekh disturb nahi kar rahe the wahin mai bhi sabke saath hi aage badh raha tha par aage ka scene dekh mere kadam bhi tez ho gaye...

REASON...

humse kuch door jahan se water blanket shuru hone waala tha,us pure 2 km ke area me ice wind beh rahi thi...

raftaar zyada nahi thi par thi toh sahi...

MAI-hey NEW GIRL...water blanket shuru hone waala hai aur wind vision ko blur kar dengi...

i think mujhe aage chalna chahiye...

DIMPLE-beat me...

NEW girl se kareeb 5 metres door se kahi thi maine apni baat jisse sun bina piche palte jawab diya usne aur thodi tez ya phir ye kahun ki literally doudte hue aage water blanket ki taraf badh gaye uske kadam...

MAI-SHIT...

mere bhi kadam thode tez ho gaye the...

is taraf ice wind ka suddenly aana aam baat hai... wind ke beech chalne me bhi zyada fark nahi padta hai par jo chiz is wind ko ghaatak banati hai woh hai glaciers movement...

is wind ke aane ka kaaran hi water blanket ke neeche dheemi chaal chal rahe glaciers aur liquified paani ka tez behna hota hai...

ek under ice tide se hota hai ye jiske constant rush se glaciers water blanket numa solid kawach ko break kar sakte the...

aise me us blanket me doudne ka matlab hai uspar extra pressure add karna which is very dangerous...

KADDAKAKKKKK.....

MAI-stopppppp......

and guyzzz wait...back off...blanket par pair mat rakhna.. parts of it are cracking...

ice cracks....issi ki behadh dabi awaaz sun liye the mere kaano me jiske turant baad maine NEW GIRL ko jo filhal mujhse 15 metre door thi,chillakar rookne ko kaha tha...

wind ki wajah se bas 15 metre door hone ke baawjud awaaz kam aayi thi par phir bhi sun liya tha NEW GIRL ne...

aisa hote hi meri taraf palath gayi woh...

wahin meri baat sun mere baaki dost jinke kadam water blanket me padne hi waale the rook gaye the...

DIMPLE-what ice crack...!!!yahan sab theek hai...

KDKKKKK....

casually bol wapas palath gayi thi NEW GIRL par tabhi uske pair ke just aage ice layer par ek mota crack pad gaya jisse suna aur dekha bhi usne...

turant rook gaye the uske kadam aur usse aisa karte dekh mai samajh gaya ki uske saamne ice crack hua hai...

MAI-relax NEW GIRL and don't move...mai aa raha hun...

DIMPLE-no need...mai aa rahi hun...

KDDDDKKK...

MAI-no wait...

ice cracks ki ek unique khaasiyat hoti hai...jahan iske darar aana shuru hote hai,asli impact uske exact opposite direction me create hue hote hain...

aur agar us impact area par pressure padh jaaye toh woh crack apna daayra ek bade circle ke roop me badha leta hai...

wahi hua... NEW GIRL ke kadam meri disha me badhate hi uske saamne ka surface crack hone laga aur dekhte hi dekhte us crack ne circle sa banate hue NEW GIRL ko chaaron taraf se gher liya tha...

NEW GIRL-SHIT....

CHAPAKKKKK....

SAB-DIMPLE....

NEW GIRL ko ehsaas ho chuka tha ki jo crack uske ird gird bana hai,woh deep hai jiska matlab tha ki kisi bhi pal woh paani ke andar jaane waali thi...

aur uska ye assumption agke hi pal sach ho gaya...

us 4 metre ke daimeter tak faile crack ke saath saath NEW GIRL bhi neeche paani me jaa chuki thi...

wahin aisa hone waala hai,iska assumption sirf NEW GIRL ne hi nahi balki maine bhi kiya tha...

yahi wajah thi ki crack ke dislodge hone se pehle hi mere saare trekking neeche ice me pade hue the aur mai,doud chuka tha...

MAI-WIND SEGMENT...A AND B....

DISPLACEMENT OF THE BODY...INITIAL POSITION NORTH A...

AND WEST 35 DEGREE WILL BE B...

DISTINGUISHED VECTORS SE DENOTE VECTORS...

MATLAB CURRENT POSITION OF A TO B...WEST 60 DEGREES...

WIND SPEED,15 KM THAT MEANS UNDER WATER DISPLACEMENT WILL BE 25 KM...

AND IF ADDED MOVING DISPLACEMENT,C'S SPEED WILL BE 40 KM...

time to reach A TO B,20 SECONDS....

VECTOR ANALYSIS... GANITH ka ek aisa pattern jo kisi bhi moving chiz ke direction ko pata karne ka sateek tarika hota hai but ofcourse maths sahi hona chahiye...

A woh position tha jisme NEW GIRL pehle khadi thi aur B woh position jisme woh abhi beh rahi thi...A TO B NEW GIRL thi aur C tha mai jo NEW GIRL exactly jis point se paani me giri thi,ab girne waala tha...

MAI-20 seconds...hold on tight NEW GIRL... kuch nahi hone dunga tumhe...i promise...

apni aankhon me determination liye ek high dive jump le liya tha maine aur ye dekh...

ANJALI-SANVY.............

ANJALI ke baad sabhi ne SANVY ka naam zor se cheekha tha par un cheekon ko sunane se pehle hi mai paani me andar jaa chuka tha...

SSHHHHHH...

paani ko touch karte hi aisa feel hua mujhe jaise mera dimag,dil aur reedh ki haddi sabhi main internal organs akad se gaye hain...

par filhal dhyan nahi tha mera mujhpar...jaisa calculate kiya tha,apne sharir ko bas us disha me bend karkar rakha tha maine aur baaki ka kaam nadi ke tez current ne kar diya tha...

ab tak ka ganith sahi tha mera... mere run ne meri displacement speed kaafi badha di thi...

saansein rok bas apne dono haath faila diye the maine aur tabhi...

koi solid chiz mere right hand ke contact me aaya tha...ye NEW GIRL ki body thi.. to be precise,uska kamar jisse touch karte ho apni taraf kheenchte hue grab kar liya tha maine....

wahin paani ke andar khudko yun kisike dwara pull hote dekh NEW GIRL thodi chatpatayi aur aisa reaction dekh tention badh gayi meri...

itne chilled water me rehne ki wajah se yaa phir paani ke zyada consumption se NEW GIRL ke senses dull hone lage the joki bilkul achi baat nahi thi...

agle 20 seconds ke andar apne senses se completely disengaged ho jaane waali thi woh aur uske baad shayad 30 seconds bhi survive nahi kar paane waali thi NEW GIRL...

bachane ka usse ek hi tarika tha aur wahi karne waala tha mai...

pakda toh tha hi maine usse...apne dono ghutno se usse jakda maine aur agle hi pal...

ek haath se uske dono cheeks ko dabaya maine aur...

mere honth NEW GIRL ke honth se jud chuke the...

paani ke andar hi mouth to mouth dene laga tha mujhe par fark bas ye tha ki ye mouth to mouth constant rehne waala tha...

tab tak jab tak jis disha me hum badi tezi se badh rahe the,uske end me bana clean river naa jaaye yaa phir jab tak meri saansein tham naa jaaye...

khair,abhi mujhe mouth to mouth start kiye 10 second hi guzre the ki tabhi ek halka jhatka sa laga NEW GIRL ko body ko...

naa sirf apne senses me aa chuki thi woh balki saath hi saath pura scenario clear ho chuka tha uske dimag me...

aisa hote hi usse realize bhi ho gaya ki mai kya kar raha hun...i was giving my life up for her...

ye realization hote hi chhatpatane ko hui woh par aise kisi condition ke liye hi toh apne pairon se uske sharir ko jakad apne dusre haathon se uske uper body ko lapeta tha maine...

kuch seconds ki koshish ke baad shaant ho gayi woh par paani ke andar hone ke baawjud uske aankhon ne aansuon ke liye jaga bana di thi...

aankhein band thi uski par un band aankhon ke beech bhi usse sirf mera face hi dikhayi de raha tha...

practically dekhe toh ye mouth to mouth tha koi kiss nahi...

par situation ko mehsoos kar isse hamari pehli aur aakhri kiss samajh is pal ko khudme sametne me lagi thi NEW GIRL...

aur is beech...

giraft meri NEW GIRL ke sharir par dheeli padne lagi thi aur ye feel kar mujhse alag hone ko hui woh par tabhi...

CHAPPAKKKK....

ice cover area khatm ho chuka tha aur aisa hote hi river flow ki wajah se hum dono ki body paani ke upar aa gayi thi...

itna hi nahi,paani ke saath hamare bahav ki speed bhi kaafi nominal ho gayi thi...

paani se bhari apni aankhon ko saad karne ke baad apne upar neela aasman dekh khushi ka thikana nahi raha tha NEW GIRL ka par ye khushi shanik hi thi..

kyunki agle hi pal mujhe dekh jo usse alag hone hi waala tha,mujhe pakadne ke beech mere face ko dekh uska pehle se hi gora mukhda aur safedh padne laga tha...

REASON...

senses me nahi tha mai apne...par paani me itni der tak bina saans liye rehne ki wajah se aisa hona toh normal hi tha...

par NEW GIRL ke dar ki asal wajah thi mere ear lobes joki extra white dikh rahe the...

jiska matlab tha problem in my respiratory system...

jhat se mujhe hold kar water current ke flow ja use kar side ki taraf tairti chali gayi thi NEW GIRL....

thodi hi der me hum bank par the jiske baad kuch seconds khud ki chadhi saanson ko durust karne ke baad turant mere chest ke paas aakar baith gayi thi NEW GIRL...

DIMPLE-SANVY,SANVY.....get up please....SANVYYYYYY.....

mere pairon aur haathon ko rub karne ke baad mere chest ko ek lay me press karte hue mera naam pukaar rahi thi woh...

par meri condition jyo ke tyon bani hui thi...dil ki dhadkan kaafi slow beat kar rahi thi meri aur behosh pada hua tha mai...

ek superconfident girl thi NEW GIRL par aansuon se bheege face ke piche uska nervous chehra saaf dekha jaa sakta tha...

help ke liye idhar udhar dekh rahi thi woh par koi nahi tha hamare aas paas...

hamare friends se bhi kaafi door aa chuke the hum...

PHOOO....

thodi der tak chest C.P.R dene ke baad bhi jab koi faayda nahi hua toh jo maine underwater kiya tha,wahi NEW GIRL ab karne lagi...

mujhe lagatar mouth to mouth dene lagi thi woh par agle paanch minute tak waisa karne ke baad bhi jab mujhe hosh nahi aaya toh...

DIMPLE-SANVYYYYYY...IDIOT...kya zaroorat thi mujhe bachane ki... apni galti ki wajah se mar rahi thi mai...

mujhe sahi karne ke liye khudke saath itna GALATH kaise kar sakte ho tum...???

damn it SANVY,get up for GOD SAKE....nahi jee paaungi mai tumhare bina....

i swear,nahi uthe agar tum toh mai bhi mar jaaungi...

fine,i am gonna die too...

apni baat keh joki uske facial expressions se bilkul sach lag rahe the,nadi me kudne ke liye uthne ko hui NEW GIRL...

MAI-zidh aisi honi chahiye jiske pure hone par khushi ho,taklif nahi...

DIMPLE-SANVY...theek ho tum... tum theek ho...oh,thank GOD,theek ho tum...

apni aankhon ko joki abhi bhi aadhi khuli hi thi,usse jhapkaate hue haath pakad liya tha maine NEW GIRL ka...

wahin mujhe hosh me dekh khushi ka thikana nahi tha NEW GIRL ka...mere upar puri bicchti hui mujhe khudme zor se jakad zor zor se rone ki beech apni khushi dikhane lagi thi NEW GIRL...

MAI-wooo...araam se yaar... kuch dab raha hai mere chest me...

meri baat sun jhat se alag bhi mujhse NEW GIRL...face par uske haya ki laali kuch yun chhayi ki kasam se,pure TAPOVAN ki khubsoorati feeki lagne lagi thi uske aage...

turant uth jaane lagi thi NEW GIRL par ek baar phirse haath pakad apne paas baithaya maine usse aur...

MAI-wakayi mar jaati tum...!!!

meri baat par face turant serious ho gaya tha NEW GIRL ka...

NEW GIRL-aisa kuch phirse try karke aazma lena...

MAI-kyun...???

NEW GIRL-tum jaante ho kyun...???i love you damn it...par tumhe isse kya...???

MAI-matlab...!!!

DIMPLE-

"bheed gadhon ki ho par chaahat unhike beech toh....

woh ishq-e-rukhsaar un gadhon ka HISSA NAHI HOTA"...

trekking shuru karne se pehle jo shayri boli thi maine,uska second part quote kiya tha NEW GIRL jisse sun saara maazra samajh aa gaya tha mujhe...

meri shayri me khudke wajood ko BHEED shabd ke saath jod liya tha usne aur isiliye hi pure trip me ukhdi hui si thi woh...

ye ganith samajh sir shake karne me lag gaya tha mai...

wahin shayri ke words quote kar...

DIMPLE-ab meri baari...kyun...???mujhe bachane ke liye apni jaan daav par kyun laga di tumne...???

NEW GIRL ke sawal ko sun kuch pal dekha maine usse aur phir ek lambi saans chhod...

MAI-

log shabdon ki jugalbandi karte hai,mai lafzon ka WAAR KARTA HUN...

jo mujhe sahi lagta hai,woh tarika mai IKHTIYAAR KARTA HUN...

kaha bhale ab tak nahi, par aankhon me mere har waqt raha hai ki....

DIMPLE-KYA...!!!!

MAI-mai tumse beintehan PYAAR KARTA HUN...

AAJ KE LIYE ITNA HI...

AAPKA APNA V...J...
Very beautiful update bro
 
ashish_1982_in

Well-Known Member
5,573
18,877
188

fantastic update bhai
 
  • Like
Reactions: Naik and vj4u

Naik

Well-Known Member
20,242
75,362
258
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF NITS KI FLIRTING KO DEKH ANJALI SANVY AUR DIMPLE KO TAUNT KARTI HAI WAHIN DUSRI TARAF DIMPLE SANVY KO PROPOSE KAR DETI HAI.

AB AAGE:-

CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)

UPDATE-70

DATE-22ND OCTOBER

CITY-DEHRADUN

PLACE-SIRIUS

WOW YAAR...I MUST SAY...THIS IS ONE HELL OF A CARD...

AAJ SE 5 DIN BAAD APNE GHAR ME HONE WAALI DIWALI CELEBRATION PARTY KE LIYE INVITE CARD PAKDAYA THA RASHI KO ANJALI NE JISSE DEKH US CARD KI TAARIF KARNE SE KHUDKO ROK NAHI PAAYI THI RASHI...

golden framed 6 by 6(inches) with diamond coloured printed words me woh card dikh bhi kaafi aakarshak raha tha...

NAISHA-ANJALI ka hi socha design hai ye...iske ghar me hone waale har celebration ka card yahi design karti hai aur har next card last waale se acha hi hota hai...

RASHI-wow...mujhe pata nahi tha ANJALI ki designing is your forte...!!!

ANJALI-because it's not..sirf hobby hai aur ab ye sab chhodo... party me aa rahi hai tu and you too KHANAK and i am not taking no for an answer...

KHANAK-arre,tu toh pehle hi hamari taraf ke conclusion part me pahunch jaati hai...itne pyar se bulaya hai tune, ofcourse i will come...

ANJALI-aur tu...!!!

RASHI-i will be honoured ma'am...

NAISHA-ek baar party me pahunch,wakayi honoured feel karegi tu...iske yahan ki DIWALI PARTY is th best party of the city...

har saal organize karti hai iski MOM ye party aur agle din har local newspaper ke first page ki main khabar hoti hai woh party...

RASHI-wow..but hang on, har saal...!!!but pichle saal toh DIWALI PARTY SAM ke yahan celebrate ki thi humne...

ANJALI-kyunki ek important merger ke liye mom was in london...

isiliye pehli baar skip karna pada tha hume DIWALI CELEBRATION PARTY...

RASHI-matlab us baar diwali night ka upgrade version feel karenge hum sab...cool...

NAISHA-sabko cards de diye,right...!!!

ANJALI-kind of...kuch bache hain, juniors ko lagaya hai kaam par...

NAISHA-teachers ko bhi...!!!

ANJALI-pagal hai jya.. teachers ko maine personally cards diye hain...

NAISHA-and PRINCI...

ANJALI-woh toh SAN hi dega naa...

NAISHA-true... personal invites accept nahi karti PRINCI...

ANJALI-unless SAN woh invite kar raha ho...

RASHI-speak of the devil and the devil appears...

group ke sabhi boys ke saath ANI ke diwali celebration cards ko baant louta tha mai...

ANJALI-tujhe kya hua...???

girls ki chit chat ke beech shaant baith apna mobile scroll karti DIMPLE ki nazar jaise hi SANVY par padi,apne aap hi khadi ho gayi thi woh...

dil ki dhadkan jo badh gayi thi uski...

waise hua ye sirf abhi hi nahi tha...

jab se propose kiya tha usne SANVY ko, tabhi se ye haal ho rakha tha DIMPLE ka...

hamesha super confident rehne waali DIMPLE ko SANVY ke apne saamne presence maatra se hu ek ajeeb se nervousness gher leti thi...

chills feel karti thi woh apne dil me aur nazar...

lagatar SANVY ko dekhne ki talabgaar ho jaati thi par palak itni bhaari banane lagti thi ki aankhein khudko uthakar apne dil-e-sukoon-e-rukhsaar ko dekhne ki himmat bhi nahi kar paati thi...

abhi bhi kuch aisa hi hua tha... SANVY ko dekhte hi ek ajeeb si bechaini ne ghar kar liya tha DIMPLE ke man me jisse chhupane ke chakkar me hadbadahat dikhate hue khadi ho gayi thi woh...

DIMPLE-washroom..

bas ek shabd ka jhooth bol turant mood aage badh gayi thi DIMPLE...

wahin uski haalath ki puri khabar rakhne waala SANVY uski harkat ko dekh bas apne sir ko left right shake karne laga...

ANJALI-sir kya shake kar raha hai...!!!card toh pure baant diye naa...!!!

MAI-kisi ke haath me dikh raha hai kya koi bacha card...???

ANJALI-sidha saada haan toh niklega nahi mooh se kabhi...

MAI-common sense lack karne waale sawalon ke jawab nikalte hi nahi mere mooh se...

RASHI-oh hamare group ke tom and jerry,thodi der ke liye hi sahi,saans lo band karo yaar apni ladhayi...

MAI-haan,ab RASHI MATA kisi rashtriya mudde par apne prakashit vyakyansh prastuth karengi,shaant ho jaao sab...

haan ji MAATE,aarambh kijiye...

RASHI-meri taang kheenchi toh mooh tod dungi SANVY tera...

NITS-sahi hai be...itni khubsoorat ladki ka mazak udaate tujhe sharm nahi aati...

RASHI-dekh SANVY..aise baat karte hain...thanks NITS...

NITS-dekha be...life me kabhi tujhse kisine itne pyaar se baat ki hai...!!!

MAI-ae RASHI...tere paas ek american eskimo puppy dog hai naa..kya naam hai uska,haan BRUNO...

RASHI-uska kya...???

MAI-nahi jis tone me NITS se baat ki tune,BRUNO ki yaad aa gayi mujhe...waise hi baat karti hai naa tujhse...

HAHAHAHA...

NITS-teri toh...AHHHH....

jahan ek taraf meri baat sun baaki sab hasne lag gaye the wahin NITS mujhe dabochne ke liye aage badha par isse pehle ki woh apni baanh mere gale ke ird gird lapetatha,jhukte hue mai uske grip se bach gaya aur saath hi saath uske us hand ko pakadte hue halka sa jhatka diya maine jisse aadha khada aur aadha girne waale position me latak gaya tha NITS...

NITS-chhod saale...aahhh....chhod de bhai...dukh raha hai haath...ahhhh...

MAI-haath firaane se pehle sochna tha bete...

AHHHH..

RASHI-chhod de yaar...jaise latka hai ye, mujhe toh dekhkar hi pain ho raha hai...

KHANAK-haan yaar SANVY,leave him...

halke halke pressure ke saath NITS ke right locked haath ko jhatka de raha tha mai jisse usse pain ho raha tha..

MAI-aise kaise...???is kamine ko har baat par haath chalane ki aadat hai...aaj toh chhudwa kar hi rahunga...

NITS-chhut gayi bhai,chhut gayi..ab chhod de kyunki chhutne ke chakkar me haath toot na jaaye..

AHHHH....

ANJALI-stop it SANVY...chhod usse...

is baar thoda zor de jhatka diya tha maine NITS ke haath ko jispar uske mooh se nikli dard bhari karah bhi thodi zyada thi aur uske face oar dikhne waala pain bhi..

aur ye dekh irritate hokar chilla uthi thi ANJALI jisse sun smile karte hue chhod diya maine haath NITS ka...

RASHI-kamaal hai... hamesha ANJALI se ladte rehta hai par baat bhi ussiki maanta hai...

TRRRRRR...

KHANAK-perfect timing..chalo guyz,next period DUBEY SIR ka hai..humse pehle agar woh class me pahunch gaye toh andar nahi ghusne denge...

recess off hone ka bell baj utha tha jiske baad sab class ki taraf badhne lage...

SONU-cchal nna bbe..kkya lladki kki ttarah haath ppakad kkar kkhada hhai..

NITS-aa, mai ghumata hun tera haath...haath ke saath apni lulli bhi pakad lega tu...

SONU ke kaan me gurraya tha NITS jispar apni daante niporte hue SONU aage badh gaya...

MAI-ignore kul do tarike ke hote hain...

ANI ke kaan ke paas kahi thi ye baat maine...

ANJALI-matlab...!!!

MAI-pehla,mujhe fark nahi padta..ye dikhana nahi aur waqt aane par jatana bhi...

dusra,dard dene ke liye fark na padne ka dikhawa karna par jab wakayi dard ho jaaye toh fark ke andar jo asal fark chuppa hai,usse bhi fark padh jaana,jaisa tujhe pada...

group ke saath pure conversation ke dauran ANI ne sabse ek na ek baar eye contact kiya tha siway NITS ke..

samajh gayi thi woh mere taunt aur tark ko jispar bina mujhse kuch bole palath gayi woh...

kuch pal usse jaate hue dekhne ke baad NITS ki taraf palta mai jo ab bhi apni baanh pakde ANI ko jaate hue dekh raha tha...

MAI-ab bhi pain ho raha hai...!!!!

NITS-aisa dard taklif nahi sukoon deta hai bhai...thanks is dard ke liye...

MAI-anytime brother, anytime...

DATE-27TH OCTOBER

PLACE-UDAASI VILLA

AAJ KAL DIWALI KUCH ZYADA HI JALDI NAHI AA JAA RAHI HAI...!!!

UDAASI VILLA ke 9000 square feet me bane lavish parking slot me NITS ki car park ki hi thi maine ki tabhi apna sadhe hue mooh se bakwas peli thi NITS ne...

MAI-aaj kal...!!!har hafte manata hai kya be...!!!

NITS-abbe khud soch naa...pehle diwali mid november me aati thi, phir november ke first 10 days me shift hone lagi aur ab toh october khatm hone se pehle hi aane lagi hai...

SONU-akkhand chutiya ssamiti kke ppramukh ssadasya banane kka ddawadar hai bbe ttu...

bhosdike, ppanchang mme jo tithi nniklegi,ussi ddate ppar hi ttoh diwali ya kkoi bhi festival mmanaya jjaayega naa...

NITS-tithi.... panchang...!!!waah lounde..bade hard hard words laa raha hai aaj...

dubey sir se private tuition toh na laga li tune..oh bhaisahab...gazab yaar...

baat karte karte hum VILLA ke front view ke saamne pahunch chuke the aur aisa hote hi jab NITS ki nazar villa ke exterior decoration par padi toh mooh hi khul gaya uska joki laazmi bhi tha...

waise toh pehle se hi ANJALI ka ghar,or to be precise mehel bohot hi khubsoorat tha...

15 rooms aur 3 floors par bana ye light aqua coloured bunglow dehradun ke best villas me se ek tha...

par is waqt is villa ke har hisse me lagaye gaye double blinking power lights shaam ke is aakhri peher me bunglow ki khubsoorati ko 10 times tak badha rahe the..

upar se porch area ke just saamne laga fountain...uske ird gird bhi kuch is tarah multi lighting ki gayi thi ki paani me hi indra dhanush dikhne laga tha...

NITS-kasam se bhai...life ho toh aisi...

MAI-ghar agar usme rehne waalo ki zindagi ka aayna hote toh hospital ke private wards bhare jeb par khaali dil waale rahis marizon se bhar hue nahi hote...

baat meri gehri lagi thi SONU aur NITS ke dil par...chehre par dono ke expressions is baat ki gawahi the...

MAI-abbe aise kya dekh rahe be dono...gay na hun mai...

NITS-aur hum bhi naa toh dhobi hain aur naahi darbaan gaandu...

card time se ek ghante pehle le aaya tu hume idhar woh bhi t-shirt aur lower me...

aur party me pehenene waale kapde ye polithin me pakde hue hai teeno...

maa kasam,loundry man waali feeling aa rahi hai... aisa lag raha hai jaise pressed kapde pahunchane aaya hun...

MAI-andar ladkiyon ne bhi hamari tarah ke hi kapde pehne hue hain...

guest list aur baaki half finished kaamo ke liye help kar rahi hain woh sabhi ANI ki...

thoda bohot hum bhi kar len...ab kaam ethnic wear me karenge kya be...

kaam nipat jaaye phir toh 15 kamre hain...kisi me bhi ghuskar ready ho jaayenge...

bas bathroom se saabun ya perfume mat chura liyo...!!!

NITS-chup loudu...aur agar kaam hi karana tha toh woh 3 chutiyon ko kaahe nahi bulaya be...

SONU-ttujhe bbhi maalum.hai kki kkyun nnahi bulaya...

unke pparents allow nna kkarte uske lliye...

MAI-ab panchayat band kar gandu..tujhe ye sab pasand hai, maalum hai mujhe...

isiliye bakchodi pelna band kar aur chal andar...

NITS-beautiful...

porch ke just baad ek 18 by 18(feet) ka ek khaali space tha jisse coloured stones se cover kiya gaya tha...

par woh khaali space abhi khaali tha nahi... uspar bade khubsoorat design me rang birangi rangoli ke through HAPPY DIWALI likha hua tha...

ussi likhawat ko dekh taarif ki thi NITS ne par wonderful,wow, excellent, brilliant jaise taarif waale shabdon ko chhod beautiful isiliye kaha tha usne kyunki ye likhawat, design ANJALI ki thi...

bohot khubsoorat rangoli banati thi ANJALI jiska ek live example NITS ki aankhon ke saamne the..

MAI-nice...kis firm se baat karna padega tum sabko hire karne ke liye...

saari ladkiyan ek saath ikattha hokar hall me hi khadi thi abhi...

aage kya kya karna hai, shayad issi par baat kar rahi thi woh sab...

ANJALI-meri juti firm se...

MAI-isiliye tera chehra din ba din sandle jaisa dikhne laga hai...

RASHI-oh stop it SANVY and thank GOD ki tum teeno sa gaye...

baaki saare arrangements lagbhag pure ho gaye hain par teen chizen order me nahi hai...

MAI-let me guess... FOOD COURT, BEVERAGE STOCK aur D.J...

KHANAK-wow..tumhe kaise pata...???

MAI-kyunki i know you all...ye teeno hi kaam frustrating lagte hain tum sabko isiliye abhi tak in teeno hi departments me jhaanka bhi nahi hai tum sabne...

RASHI-so yoy really know us...

SONU-arre ppar organizer kkaha hai...???wwoh ttoh sab ddekh leta...

MAI-kyunki is bendri ne uske sir par lagatar ucchalne ke baad us bechare ko bhaga diya hoga...

ANJALI-bechara my foot..laakhon liye the kamine ne is celebration ko organize karne ke liye..

par ek bhi chiz sahi order me nahi thi...

MAI-jo event manage karne ke liye laakhon lete hain,woh high level professionals hote hain which means ek diwali celebration party toh woh araam se organize kar sakte hain...

ye bol ki tere apne ideas the jo uske plan se match nahi hue the isiliye bhaga diya tune usse..

aur aunty ko laakhon ka chuna lagwa diya...badhiya baalike,banegi tu top ki business women...

chalo re...karte hain handle...

jahan meri baat sun mooh ban gaya tha ANJALI ka wahin hum teeno alag alag disha ki taraf badh gaye the...

NITS food counter ki taraf badh gaya tha jahan usse har dish ko proper order me set karna tha...

SONU beverages stalls ki disha me tha aur mai,D.J ko kaun kaun da dhun play karna hai iska gyan dene nikal pada tha...

aur agle 20 minutes me teeno hi kaam order me aa chuke the...

SONU-hho ggaya bbhai... beverage kke liye ekkdum chutiya recruitment kkiya hai bbhai aunty nne...

ssaale nne jjo ddrinks zzyada pee jjaati hhai,usse ppiche stock rroom mme rakha tha aur ssaari tthakeli drinks ssaamne tthe...

NITS-khaane ka bhi wahi haal tha...ganduon ne sabse pehle sweets counter lagaye the...

aur snacks main course ks beech ghused diya tha...

theek se arrange nahi kiya hota toh bade khaa rahe hote aur ussi time unke beech khudko ghused bacche saare snacks main course me phek dete...

MAI-abbe sab arranged hota toh hum kyun aate ek ghante pehle...!!!

SONU-wwoh bbhi hai...kkhair,ab ttoh sab ffit ho gaya...

bbhai,ppuch na ANJALI sse,kkis rroom mme ready hhonge hum...

NITS-ek saal ke gap ne memory weak kar di kya be teri...

first floor ke paanchon rooms guest ke liye hi hain...har baar unme hi toh ready hote hai apan...

SONU-arre haan bbhai...mmind of slip ho gaya...

MAI-mind of slip...!!!sahi hai lounde...toh chalo phir, jaldi se rooms ke liye kalti hote hai nahi toh woh ANI koi aur kaam pakadwa degi...

NITS-nahi be... woh toh 10 minutes pehle hi ready hone chali gayi thi...

MAI-really...!!!tujhe kaise pata...!!!

NITS-chalo re jaldi..mai toh chala...

apni baat me fasa liya tha maine NITS ko,samajh chuka tha...apne kaam ke dauran nazar saale ki ANJALI par baar baar gayi thi jisse mai bhi dekh raha tha..

isiliye hi toh nikali thi maine woh baat..

khair,humse nazar bacha bhaag gaya first floor ki taraf NITS aur ye dekh mere saath khada SONU joki NITS ke dil-e-haal se shuru se hi waakif tha par kuch kaha nahi usne, halka sa hasa woh aur phir hum dono bhi uske piche ho liye...

saare guest room khaali hi the isiliye hum teeno hi ek room me naa ghus alag alag room me ghus chuke the...

bottom line,helping guys se invited guests ke roop me khudko badalne ka waqt aa chuka tha...

KYA BAAT HAIN LOUNDO...SMART LAG RAHE HO YAAR...

NITS jisne GREEN kurta with black pajama pehna tha with a white printed NEHRU jacket to go with it aur SONU jisne BLUE kurta aur white pajama ke upar saffron colour ka printed NEHRU JACKET daala hua tha, dono ko dekh SAM ne ki thi ye taarif...

waise SONU aur NITS ki tarah group ke baaki sabhi ladko ne bhi aaj same pattern pehna hua tha...

kind a dress code for the evening...

NITS-maanta hai ki nahi..waise tu bhi theek thaak lag raha hai...

SAM jo ki white printed kurte aur same colour ke pajame ke saath tan colour ke NEHRU JACKET me wakayi kamaal ka lag raha tha,NITS ki baat par bad halka sa muskura diya woh...

jaanta jo tha ki looks me maamle me he was stealing the show...

wahin apni baat ke beech NITS ki nazar paas hi khade ANJALI par padi aur aisa hote hi ek saaf suthri samman bhari taarif uske face par dikhne lagi thi...

rayon clothe line me princess white colour ka foral embroidered a-line kurta set with jacket pehna hua tha jisme woh kisi real princess se kam nahi lag rahi thi...

waise ANJALI ki hi tarah aaj group ki baaki sab girls ka dress code bhi same clothesline ka hi tha aur ANJALI ki hi tarah ab tak party me aa chuki group ki har girl bohot khubsoorat lag rahi thi...

NAISHA-hey NITS,SANVY kahan hai...woh bhi toh tum dono ke saath hi ready hone gaya tha naa...

NITS-so gaya woh kamre me...itna khatkhataya hai uska room maine par kameene ne koi reply hi nahi kiya...

ANJALI-aur tujhe maalum hi nahi tha naa ki ready hote waqt SAN doesn't like to talk...

NITS-haan...jaise tujhe maalum nahi hai ki mai phir bhi usse hamesha disturb karta aaya hun aur aage bhi karunga...

RASHI-waise aayi toh abhi tak DIMPLE bhi nahi hai...

EKPREET-ek dusre ke na sahi par hain toh dono hi hero aur heroin...

entry last me hi lenge...

EKPREET ki baat par jahan ek taraf sabhi has diye the wahin un muskurate chehro ke beech kuch log aise bhi the jinke faces par EKPREET ki baat sun ek alag hi smile naach uthi thi...

aur wajah...

anjaane me hi sahi, EKPREET ne SANVY aur DIMPLE ko waise jod diya tha joki un dono ki sachhayi thi...

HEY GUYZZZ....

HOLY MOTHER...

DIMPLE aa rahi thi group ke paas jisse dekh ladkon ke dil se unki aankhon tak uske liye taarif ke saagar saaf tairne lage the...

dark red colour ka floral embroidered a-line kurta set with printed skinned jacked pehna tha DIMPLE ne jisme woh kisi angel ka human form lag rahi thi...

upar se uska face...kapdon ne sharir ka 99 pratishat bhaag khudme chuppaya hua tha par chehra toh saaf aasman me chamak rahe chaand ki tarah khula tha...

face par DIMPLE ke maamuli make-up tha jiski shayad zaroorat bhi nahi thi...

kyunki rang uske chehre ka bhale hi fakk gora tha par us gorepan me ek halki si laali bhi thi joki doodh ke kesar ke samaan dikhti thi...

aur is waqt us dohre rang ka khubsoorat rukhsaar DIMPLE ke pehne gaadhe printed laal rang ke kurta set ko jaise aur gadhapan de raha tha...

haathon me ek chamkila bracelet pehna tha DIMPLE ne jiske jod me D naam ka ek red ruby laga hua tha adding more value to the dress...

RASHI-you look stunning DIMPLE...

KHANAK-you sure do babes...

ANJALI-waise kisi zubaani taarif ki zaroorat bhi nahi hai...yahan moujud lagbhag har mehmaan madam ko hi dekhe jaa raha hai...

DIMPLE-stop it ANJALI...thanks for the compliment guyz aur tum sab bhi bohot ache lag rahe ho...

mil rahi taarifon aur apni baaton ke dauran DIMPLE ki aankhein ek jagah thehri nahi thi...

har jagah ghoom rahi thi uski nazar joki laazmi bhi thi...

ab jiske mooh se ya phir aankhon se apne liye taarif sunana chahti thi woh,jiski taarif apne dil se ya dil me karna chahti thi DIMPLE woh, chehra toh ab tak dikha hi nahi tha usse...

NITS-first floor, right se pehla room...wahin ready ho raha hai SANVY...

aa jaayega par agar bechaini zyada hai toh us room me chali jaao...

dekhna, milna aur agar maamla aage badh chuka hai toh mehsoos bhi ache se kar logi...

paas aa shararat se bhar magar dheere se kahi thi ye baat NITS ne DIMPLE se jisse sun ek pal ghoora usne NITS ko par phir halke se muskura gayi...

par us muskurahat ki zindagi bas ek pal ke liye hi thi...

REASON...

nazar DIMPLE ki abhi bhi saamne thi jahan the stairs...

aur abhi un stairs se SANVY chal kar neeche aane laga tha...

red kurta aur same colour ke pajame ke upar dark red black nehru jacket daala hua tha usne which meant ki SANVY aur DIMPLE ke dresses ka colour same tha...

aur ye dekh DIMPLE ke face par ek bright smile naach uthi thi...

par us smile ke saath saath dil bhi tez dhadakne laga tha uska aur reason tha us ethnic wear me SANVY ki bahar aati personality...

bohot zyada aakarshak lag raha tha SANVY...ab tak usse stairs se utarte kaafi logon ne dekh liya tha aur dekhne ke baad uspar hi jami nigaahen usse nikal rahe aakarshan ka saboot thi...

infact stairs se utarta SANVY aisa lag raha tha maano is UDASI VILLA ka owner hai woh...

RASHI-hey look at SANVY...man this guy is getting hotter with every passing day...

RASHI ki baat sun sabki nazar SANVY par padh chuki thi aur un sabke facial expressions se saaf zaahir tha ki ittefaq rakhte the woh sab RASHI ki baat se...

NITS-kabhi kabhi dikh leta hai lounda mere takkar ka...

SONU-ttere..saale 105 ddegree bukhar mme ek hafte sse bbina nahaye ddhoye bbhi agar bed mme pada hoga nna wwoh tab bbhi tterr se 10 ttimes zzyada sahi dikhega woh...

NITS-itni taarif kisi ladki ki kar leta toh ab tak G.F ban chuki hoti teri...

SONU-ttu toh kkarta rehta hhai nna ttaarif...phir abbhi ttak nalla kkaise hai bbe....

EKPREET-laaya baapu..laaya,laaya...

NAISHA-hey,ye SANVY aur DIMPLE ke dress ka colour dekho,its quite same...

DIMPLE-coincidence...

NITS-hmm...SANVY ka dress description,aunty se pucha tha tune..???

DIMPLE-ek pal NITS ko ghurne ke baad halka sa muskura uthi thi DIMPLE jiska matlab tha ki NITS was right...

match sa lage, isiliye hi toh DIMPLE ne apne liye woh outfit liya tha jo pehna hua tha abhi usne...

khair,stairs utar apne friends ki taraf badh chuka tha mai par tabhi ghume mere pair left ki taraf aur aage badh chala mai...

RAJAT-abbe ye kidhar bhaaga...!!!

DIMPLE-mandir...puja shuru hone waali hai...

hall ke right ki taraf ek behadh khubsoorat mandir bana tha jisme lakshmi puja shuru hone waali thi...

us taraf khade sabhi mehmaan mandir ki taraf ghum chuke the jinme sabse aage the UDAASI VILLA ke owners...

SHRAVYA UDAASI aur unke husband SANDEEP UDAASI...do khaas mehmaano ke saath khade the woh dono aur ab woh chaaron mandir ke paas khade ho chuke the...

wahin mai SHRAVYA aur SANDEEP UDAASI ke just opposite side pahunch khada ho chuka tha mai...

dono ki nazar mujhpar padh chuki thi aur aisa hote hi ek alag hi naagwari se bhara expression dono ke faces me saaf chalakne laga tha...

apni beti ki khwahish,zidh aur ghusse ki wajah se naa mujhe sidhe taur par kuch keh sakte the woh aur naa kuch kar sakte the isiliye mere prati ghusse ko daba mandir ki taraf ghum gayi unki nazar...

khair, baaki sab bhi mandir ki taraf badhne lage the jinme DIMPLE sabse aage thi...

puja ke liye mere just baaju me khada hona chahti thi woh aur filhal khaali bhi thi woh jagah isiliye jaldi jaldi aage badhte uske kadmo ne kuch hi palon me us khaali jagah ko bhar diya tha...

puja shuru ho chuki thi... waise toh puja ke dauran sabki aankhein khuli rehti hai par mujhe aankhein band rakhne ki aadat hai aur waisa hi maine kiya tha...

par band aankhon ke baawjud NEW GIRL ka apne baaju me hone ka ehsaas saaf mehsoos kiya tha maine...

wahin pure puja ke dauran NEW GIRL ki aankhein bhale hi saamne mandir ki taraf thi par dhyan uska mujhpar hi tika hua tha...

CHTT...

aur ye dhyan itna gehra tha ki uski khuli aankhon ke aage apni hi ek nayi duniya khul gayi thi jisne uska vaastavik chal raha drishya jaise gayab hi kar diya tha...

aur ye sab puja khatm hone ke baad bhi kaafi der tak chalta magar uske baaju se nikalte waqt uski aankhon ke aage ek tez chutki bajayi maine...

jaise kisi trance se jaagi thi DIMPLE...

hadbada gayi thi woh par phir samajh bhi gayi ki chutki maine hi bajayi thi...

muskurate hue palti DIMPLE par puja khatm hone ke kaaran aas paas bheed thodi packy ho gayi thi jisme SANVY kho sa gaya tha...

bheed ke beech se thode tez kadmo ke saath jagah banate hue aage badhi woh par usse kahin dikha nahi SANVY...

NAISHA-kisse dhund rahi hai...!!!???

DIMPLE-haan,nahi woh tum sabko hi dhund rahi thi...

idhar udhar dekhte hue safed jhuth bola tha DIMPLE ne...

NAISHA-le,mil gayi mai...baaki sab wahan rahe...chal...

DIMPLE-NITS...

pura group beverage counter ke paas hi khada tha jinme NITS ko dekh uski taraf badh gayi woh...

DIMPLE-NITS,SANVY...

NITS-saamne fountain waali gallery check out kar...

DIMPLE-tum sab yahan ho toh wahan kyun hoga woh...???

NITS-koi bhi puja attend karne ke baad kuch der akele rehta hai SANVY...

saare guest andar hain toh woh pakka udhar bahar fountain ke paas hi hoga...

DIMPLE-thanks...

turant gallery ki taraf badh gaye the DIMPLE ke kadam...

sach kaha tha NITS ne... fountain ke chaaron taraf ghaans ugi hui thi jinke beech ek bench bhi tha...

ussi par baitha tha SANVY aur saamne fountain se girte paani ko dekh raha tha...

DIMPLE-bahar bhi koi secret party hai kya jo yahan baithe hote ho...!!!

mere peeche pahunch khadi ho gayi thi NEW GIRL par palta nahi mai...

MAI-hmm.. aur invite list par sirf mera hi naam tha...

DIMPLE-par maine toh tumhari akele waali party crash kar di...

MAI-and i am surprised...itne dino tak bheed me bhi mujhe saamne se sidhe sidhe dekha nahi hai tumne aur aaj akele me paas aa gayi mere...

kuch aur kubool karna hai kya...!!!

"I LOVE YOU"...

mujhse kahe ye teen shabd yaad aa gaye the NEW GIRL ko jiske baad uske dil ki dhadkan tez hone lagi thi...

par aaj kadam piche nahi kiye usne,balki unhe badhate hue mere side me aakar baith gayi NEW GIRL...

DIMPLE-kubool karne ki hadh toh chhu di maine...aur kya bacha bolne ke liye...ab toh kubool naama sunane ki baari hai...

NEW GIRL ki baat par uski taraf mudi meri gardan toh usse mujhe hi ek tak dekhte paaya maine...

aaj na toh sharm thi un aankhon me naahi koi dar...tha toh bas mohobbat ka suroor aur mujhe apne paas dekhne ki khushi...

bohot kam aisa hota hai ki mai kisise apna eye contact hatata hun,par aaj woh shaam thi...

uske aankhon se chalak rahe jazbaat seh nahi paayi meri aankhein aur sir mera wapas sidha hote chala gaya...

MAI-mai abhi...

DIMPLE-taiyar nahi ho...jaanti hun mai...taiyar hote toh nazar nahi hatate...

MAI-mai hi kyun...???

DIMPLE-tum khaas ho SANVY... bohot khaas...

MAI-kyun...???kyunki kuch chizon me acha hun mai, isiliye...

DIMPLE-tum ache nahi best ho...par khaas tum best hone ki wajah se nahi ho...

balki isiliye ho kyunki maine bas bhaagna sikha hai...par tumhare saath mujhe rukne ka dil karta hai...

sikhna aur phir jeetna mere liye life and death ki tarah hai par tumhare liye mujhe haarne ka dil karta hai...

har kisiko apne piche rakha hai maine, par tumhare liye mujhe khudko aur apne wajood ko piche rakhne ka dil karta hai...

NEW GIRL ko baaton ko sun aakhein band ho gayi thi meri..kehna bohot kuch chahta tha mai par khudkome bhavnaon ko sayyamit rakhne ka hunar aaj kaam aa raha tha mere...

ANJALI-oye...yahan kya kar rahe ho dono...???SAN,MOM ko diwali toh wish kar de...

DIMPLE,tum bhi...

MAI-aa raha...

DIMPLE-coming...

ANJALI-jaldi aao...sab ek saath hi kar dete hain, then let's hit the floor...

ANI jaa chuki thi jiske baad kuch pal mujh dekhti rahi NEW GIRL aur phir jaane lagi woh...

MAI-happy DIWALI NEW GIRL...

DIMPLE-badi jaldi yaad aa gaya...

MAI-bina gift ke DIWALI wish acha nahi lagta...

ek bada sa CELEBRATION packet joki apne dusri taraf rakha hua tha maine,usse nikaal DIMPLE ki taraf kar diya maine jisse dekh uske face par jo khushi thi,usse bayan nahi kar sakta mai..

aur ye khushi laazmi bhi thi...heart shaped jo tha woh packet...

DIMPLE-matlab tumhe pata tha ki mai yahan aaungi...par maine toh tumhare liye koi gift nahi liya...

MAI-"TOHFE KABHI TOHFA DETA HAIN BHALA"...

khudke liye meri taarif sun halka sa blush karne lagi thi NEW GIRL...

is beech uske paas se aage badhe laga tha mai par tabhi...

DIMPLE-happy DIWALI...

mera left hand pakad liya tha NEW GIRL ne...uspar bandhi ghadi ko nikaal ek new wrist watch pehna diya tha NEW GIRL ne jisse dekh ek bright smile naach uthi thi mere face par...

reason...

titan ki 5000 waali range me thi woh watch matlab meri haisiyat me thi...

apne billionaire waale tag ka show off nahi kiya tha NEW GIRL ne jo bohot pasand aaya tha mujhe...

wahin gift dene ke baad halke nervousness ke saath dekh rahi thi NEW GIRL mujhe...

MAI-i like it... thanks...

mere approval ko sun khush ho gayi thi NEW GIRL...

MAI-chalen...!!!

DIMPLE-saath tab chalenge jab haan bologe tum...

MAI-ladies first then...

apni bright smile ko carry karte hue aage badh chuki thi NEW GIRL aur mai bhi uske piche ho liya tha...

ANJALI-MOM,DAD.....

puja me jin do logon ke saath khade the ANJALI ki mom aur dad,abhi bhi unke saath hi khade apne apne drinks sip kar rahe the dono...

unme se ek punjabi the...

ANJALI ki baat sun palte woh dono hamari taraf...

SAM-happy diwali aunty...

SAM ke baad hum sabne baari baari un dono ko diwali wish ki par ek fark baith hi gaya...

MAI,NITS, aur SONU ne aakhir me wish kiya tha uncle aur aunty ko par jahan ek taraf baaki sabne zubaani mubaarak baad di thi wahin dusri taraf hum teeno ne baari baari pair chhue the aunty uncle ke...

waise toh khush nahi the woh dono hi humse par mehmaano aur khaaskar apni beti ke saamne zabardasti muskurakar wish kiya tha dono ne hume...

par hum teeno ke gesture dene ke tarikon ko dekh aunty aur uncle ke saath khade dono shaksh ki nazar hum teeno par tik si gayi thi...

aur un nazaron me appreciation tab aur badh gayi jab aunty aur uncle ke baad hum teeno ne un dono ko bhi diwali wish karte hue unke pair chh liye...

AUNTY-SAM...beta tum toh ghar aate hi nahi...naaraz ho kya humse...???

SAM-mai aur aap dono se naaraz...aisa kabhi nahi ho sakta aunty...

UNCLE-arre champ hai ye..aur champions ke paas sab kuch hota hai bas waqt nahi...

SAM-hahaha...thanks for the compliment uncle...but aap dono apne haib mere...aur apno ke liye waqt nikal hi jaata hai...

AUNTY-charming haan...GURUDUTTAJI,CHOPRAJI...meet SAM...he is like a son to us...SMRITI CHANDER ke ekloute bete hain ye...

GURUDUTTA UNCLE-really...!!! it's glad to meet you young man...

CHOPRA UNCLE-aapki mom ek achiever hai bete... ummid hai you are taking motivation from her...

SAM-i do uncle...

AUNTY-jaante ho ye dono kaun hai SAM...???aaj ke hamare sabse khaas mehmaan hain ye dono...

he is NAVJOT GURUDUTTA...R.B.I ke national DEPUTY SECRETARY hain ye...

every national financial plan is passed on from him...aur ye hain SAATVIK CHOPRA...hamare pure desh me sabse zyada goldmines inhi ke hain...

SAM-its an honour to meet you sir,sir and happy diwali...

BOTH-same to you beta...

SANDEEP-aur ye hai meri beautiful and even more smart beti...ANJALI...

apne se lagate hue bade proudly introduce kiya tha ANJALI ko uncle ne apne dono khaas mehmaano

ANJALI-happy diwali uncle...

BOTH-you too beta...

GURUDUTTA-aur SANDEEPJI,aapki beti hai toh smart toh hogi hi...

UNCLE-hahahaha...ye bhi hai...

AUNTY-aur ye sab friends hain ANJALI ke...he is EKPREET...BAL TRANSPORTS ke baare me toh suna hi hoga aapne... it's his would be firm...

that's RAJAT...RASHI,KHANAK,NAISHA and you are...!!!

DIMPLE joki hamare pure group me akeli hi ek unknown face thi dono uncle aur aunty ke liye,usse dekhne lage the dono jispar...

DIMPLE-i am DIMPLE aunty... DIMPLE BATRA...

AUNTY-DIMPLE BATRA... daughter of ARCHANA BATRA...!!!

DIMPLE-jee aunty...

AUNTY-oh,hello my dear...bohot suna hai maine ANJALI se aapke baare me...

GURUDUTTA UNCLE-THE ARCHANA BATRA...!!!

AUNTY-jee...beta, ANJALI ne bataya tha mujhe ki yahan akeli rehti ho tum,aa jaaya karo ghar... after all ye bhi tumhara hi ghar hai...

DIMPLE-thanks and bilkul aunty...

AUNTY-ok bacchon...hum bado ke saath khade rehkar bore hone ki zaroorat nahi hai...food,drinks and theque...everything is yours...

CHOPRAJI-aapka kya naam hai beta...???

mujhse pucha tha ye sawal un uncle ne...

MAI-SANVEER UNCLE... SANVEER PAUL AHARYA...

happy diwali sir,and happy diwali to you too sir...

unlike others, GURUDUTTAJI aur CHOPRAJI ko alag alag wish kiya tha maine...

CHOPRAJI-PAUL AHARYA...rare surnames...

MAI-jinse mile hain ye surnames,they are the the rarest...

by the way,he is NITENDRA and he is SONU...

pair chuna ho ya phir apne ab tak ke non introduced doston ko introduce karana, initiative maine hi liya tha jisse bade ache se gour kiya tha CHOPRA uncle aur GURUDUTTA uncle ne...

faces par aayi unki smiles is baat ki gawahi thi...

GURUDUTTAJI-kya karte hain aapke parents beta...???

MAI-my dad is no more sir...

SANDEEP-iski mom yahin ek bank me job karti hai...

bade casual way me bina directly bole ek diminishing tone me meri mom ke baare me bola tha SANDEEL UNCLE ne jisse sun ANJALI ke saath saath DIMPLE ko bhi bura laga tha...

wahin meri MOM ke baare me sun GURUDUTTA uncle ki aankhein halki choti hoti chali gayi thi...

GURUDUTTAJI-pura naam kya hai beta aapki mom ka...???

MAI-VERONICA PAUL AHARYA...

GURUDUTTAJI-B.O.B bank...!!! field officer...!!!

MAI-jee...

meri haan sun ek proud smile naach uthi thi GURUDUTTAJI ke face par jisse sabne notice kiya tha...

CHOPRAJI-aap jaante hain unhe...???

GURUDUTTAJI-bilkul jaanta hun aur mai hi kya, banking world me baitha har influenced shaksh jaanta hai unka naam...

CHOPRAJI-really...!!!how come...!!!!

sawal kuch zyada hi jaayaz tha aur woh isiliye kyunki meri mom thi local branch ke ek bank ki employee...

aur hamare saamne khada shaksh hamare desh ki banking system ke top 10 most influensive bando me se ek tha...

aur woh jis respect ke saath meri mom ke baare me baat kar raha tha,it was shocking...

khaaskar ANJALI ke mom dad ke liye jo chehre par avishwas liye GURUDUTTA JI ko dekh rahe the...

GURUDUTTAJI-last year teen government based national level investment plan introduce hue the...

UNIT LINKED INSURANCE PLAN...

PUBLIC PROVIDENT FUND...

CHOPRAJI- and ARMY PENSION FUNDS... who doesn't know...teeno hi plans financial market me ek positive revolution the pure desh me...

GURUDUTTAJI-VERONICA PAUL AHARYA...she was the brain behind those three plans...

CHOPRAJI-really...!!!

kaafi shocked hue the CHOPRAJI is revelation ko sun...

GURUDUTTAJI-bilkul..plans ke layout, bills structure,e.m.i functions, interest protocols, matlab teeno plans ka complete guard unhone hi taiyar kiya tha...

CHOPRAJI-thats amazing...

GURUDUTTAJI-usse bhi amazing baat ye thi ki itna brilliant plans ka complete structure akele ready karne ke baad bhi woh lady apne kaam ka credit lena nahi chahti thi...

unhone saara credit unke us time ke bank B.M ko de diya tha...

AUNTY-well ho sakta hai saara plan us B.M ne hi banaya ho...!!!

mujhe aur meri mom ka demerit dikhane ka chance kaise chhod sakti thi aunty...

GURUDUTTAJI-R.B.I is no joke SHRAVYAJI...

jaise hi humne suna ki kisine teen teen national level investment plan ko akele successfully execute kiya hai,the board wanted to promote him par aisa karne se pehle R.B.I me debriefing ka protocol hota hai jiske liye humne usse bulaya tha apne office...

but debriefing ke waqt that person who was claiming to be sole executer of those three plans,usse plans ke layout ka ek bhi procedure, pattern tak yaad nahi tha...

aur jab humne usse pressurize kiya toh usne saari sacchayi bata di...

it was all VERONICA PAUL AHARYA...

CHOPRAJI-wow...itne brilliant mind ko toh aapko kisi local bank me nahi balki saare banks ke core apne R.B.I ke top positions me rakhna chahiye...

GURUDUTTAJI-aapko kya lagta hai,aisa karne ki koshish nahi ki gayi hogi...

yaad hai aapko SHRAVYAJI,last year aaya tha mai yahan...

AUNTY-jee...par unfortunately,mai aur SANDEEP were out of the country isiliye mil nahi paaye the hum...

GURUDUTTAJI-rehte toh bhi mil nahi paata mai..it was an one hour official trip...

ek proposal letter tha jisse indian government ke financial department ne VERONICA PAUL AHARYA ke liye issue kiya tha aur kyunki banking related har huge proposal ko deliver aur sign karwane ki zimmedari R.B.I ke DEPUTY SECRETARY as in meri hoti hai isiliye yahan aaya tha mai...

CHOPRAJI-kaisa proposal...???

GURUDUTTAJI-R.B.I DEPUTY GOVERNOR ka post offer kiya gaya tha unhe which she rejected...

WHAT....

SHRAVYA AUNTY, SANDEEP UNCLE aur CHOPRAJI... GURUDUTTAJI ki baat sun teeno ke hi mooh khul gaye the joki laazmi bhi tha...

DEPUTY GOVERNOR national level par R.B.I ka sabse bada post hota hai...

it's like the managing director of a multi million company jisse meri MAA ne reject kar diya tha...

CHOPRAJI-why...???

GURUDUTTAJI-in her words jiska ek word bhi nahi bhula hun mai"refine oil khaane ki aadat hai,olive oil ka koi shouk nahi...

ek hi beta hai mera...jitna kamati hun,kaafi hai uske liye...naa usse aur zyada paane ki ummid hai mujhse naa koi aisi koi demand jiske liye meri noukari aur aamdani kam lagne lage...

naa hai na hogi...phir befizul ka load kyun lena"....???

what a lady...

MAA ne jo kaha tha,us baat ko gehrayi naa hi SHRAVYA AUNTY samajh paayi aur naahi unke husband par CHOPRAJI ke face par ek sukoon deh smile naach uthi thi aur mere face par ek proud thairav...

waise ye proudness sirf mere face par hi nahi balki ANJALI ke saath saath DIMPLE ke chehre par bhi dikh raha tha...

CHOPRAJI-itni brilliant minded lady ke bete hain aap SANVEER, obviously scholar honge aap...

SHRAVYA-scholar aur ye...in his dreams shayad...janab bas masti mazak me hi scholar hain,par study me average...

light mazak waale tone me meri insult ki thi aunty ne jisse baaki sab toh mazak samajh kar has diye par jinhe us mazak ka motive samajh aa raha tha,unke faces serious hi the...

wahin aunty ki baat sun mai bhi halka sa muskuraya tha jisse dekh CHOPRAJI ki paarkhi nazaron ne jaise kuch samajh liya tha...

CHOPRAJI-ek baat batao beta...puja ke waqt sabki aankhein khuli thi par aapki band thi...

phir kalash sthapana ke waqt,ganeshji aur kalash ki puja ke waqt and finally lakshmi pujan ke waqt lagatar kuch budbuda rahe the aap...!!!kya...!!!

AUNTY-common CHOPRAJI...aaj kal ke bacchon ko nahi jaante kya aap...!!!koi gaana gaa raha hoga,aur kya...???

AUNTY ki baat jaise suni hi nahi thi CHOPRAJI ne,bas mujhe hi dekh rahe the woh jispar...

MAI-mai wahi kar raha tha sir jo un teen ghadiyon me kiya jaata hai... mantra jaap...

CHOPRAJI-really...toh bataiye phir, kalash sthapana ke baad kaun sa mantra uccharan kiya jaata hai...???

MAI-"OM APAVITRAH PAVITRO VAA SARVAVASTHAM GATOPI WAA...

YAH SMARETH PUNDARIKAAKSHAM SAH BRAMHABANTARA SUCHI...

GANESHJI aur KALASH ke puja ke waqt...

OM GANGANPATAE NAMAH.

GAJANANAN BHUTAGANADI SEVITAM KAPITHA JAMBU PHALCHARUBHAKSHANAM.

UMASUTAM SU SHOK VINASHAKARAKAM NAMAMI VIGHNESHWAR PADAAPKAJAM.

and finally LAKSHMI PUJAN ke waqt...

OM SHREEM HREEM SHREEM KAMLE KAMALALAYE PRASEED PRASEED - MAHALAXMI NAMAH.

badi saralta aur single flow me mere swara uccharit teeno hi mantro ko repeat kar diya maine aur ye sun sirf NITS, SONU aur ANJALI hi teen aise shaksh the jo smile kar rahe the...

MAA ke through mujhe har granth aur sab kism ki puja ka gyaan mila hua tha,ye pata jo tha un teeno ko...

even though DIMPLE jisse ab tak naa jaane kitni hi baar alag alag reasons ke through shock diya tha maine,aaj woh bhi ek naye shock but more importantly mere liye garv lekar dekh rahi thi mujhe...

on the other hand, SHRAVYA AUNTY aur SANDEEP UNCLE ke face ke expressions bhi unke mind state ki tarah blank ho gaye the...

par most importantly,jinhone sawal kiya tha mujhse, CHOPRAJI joki apne neeji jeeven me khud ek behadh adhyatmik aur saral insaan the,behadh khush dikhne lage the woh...

same goes for GURUDUTTAJI...

GURUDUTTAJI-ek sawal mera bhi hai beta...???aapke sabhi doston ne CHOPRAJI aur mujhe, hum dono ko ek saath diwali wish kiya tha par aapne aisa nahi kiya...

hum dono ko hi dekh ek baar wish karne ke baad sirf mujhe alag se wish kiya tha aapne..???koi specific reason waisa karne ka...!!!

MAI-hai sir...baaki sabke liye diwali manane ka reason ek sa hai par aapke liye toh 2 kaaran aur hain...

GURUDUTTAJI-mai samjha nahi...

MAI-sikh hain aap...aur 1577 me diwali ka hi woh paawan din tha jab GOLDEN TEMPLE ki neev rakhi gayi thi...

ye bhi ek khushi hai jiske liye aap log diwali dhoom dhaam se manate hain...

aur dusri wajah aitihaasik hai...hazaron saal pehle diwali ke din hi GURU HARGOBIND JI ko aur kayi hindu rajaon ke saath gwalior me mughal samrat jahangir ki kaid se azaadi mili thi...

aap sab us aitihaasik rihahi ko aaj ke din yaad karte hain...

koi info de raha hun,aise nahi balki ussi khushi ke saath jiski wajah se sikh diwali manate hain,bataye the dono kaaran maine jisse sun jo expressions GURUDUTTAJI ke face par the,woh dekhne layak the...

joki laazmi bhi tha...

maine sabke saamne woh sachhayi rakh di jo majority of the people's ko pata nahi thi...

same expressions GURUDUTTAJI ke face lar bhi tha..

SHRAVYA AUNTY aur SANDEEP UNCLE ke faces toh aise hone lage the jaise unki company ko kisine sue kar diya ho...

aur mere friends..is baar baaki sabke saath NITS,SONU aur ANJALI bhi mere info ko sun kaafi surprised the...

itne aare surprised faces ke beech GURUDUTTAJI aage badhe aur mere saamne pahunch bade garmjoshi se mere kandhon ko thapthapaya unhone...

GURUDUTTAJI-samajh nahi aa raha ki aapke ghar me garv kispar zyada karun...

aapki mom par ki aap par...

MAI- ofcourse MAA par uncle...woh jo karti hain,,woh bhi unki hi khubi hoti hai aur jo mai kehta hun,karta hun,woh unki sikhsha...

GURUDUTTAJI-siksha...MAA bhi guru ka hi ek roop hai beta,sabse bada roop...

par har guru sikha toh bohoton ko jaata hai par us seekh par amal kar unchayi kuch log hi chhute hain...jaise ki aap...

MAI-thanks sir...

GURUDUTTAJI-no sir..uncle bulayenge aap hume...

CHOPRAJI-mujhe bhi...

MAI-i will sir..i mean,uncles...

CHOPRAJI-hahahaha...kaafi waqt le liya hum logon ne aap sabka bacchon...ab aap log jaaiye and enjoy the night...

MAI-we sure will sir...bye...

CHOPRA aur GURUDUTTA uncle ko bye bol palath gaye the hum...

GURUDUTTAJI-what a boy...!!!

CHOPRAJI-indeed he is...SHRAVYA JI...mujhe maalum hai ki ye sirf ek friendly invite nahi hai...

mere mines se apni company ke saath deal seal karna chahti hain aap...

ab sach hi kaha tha CHOPRAJI ne jisse yun upfront sun halka embarrass ho gayi thi SHRAVYA aur ussi expression ke saath muskurane lagi woh...

khud ko defend karne ke liye kuch kehne ko ho rahi thi woh par tabhi...

CHOPRAJI-i am in..we have a deal....

apni kaano par vishwas nahi hua tha SHRAVYA aur SANDEEP ko....

CHOPRAJI-but meri ek condition hai...

SANDEEP-anything...

CHOPRAJI-meri firm aur aapke company ke merger ke liye jis join account ko open karwayengi aap,woh B.O.B ke ussi branch ka hoga jisme SANVEER ki mom VERONICA PAUL AHARYA job karti hai...

aur waisa karte waqt binding papers par account holdings and reference section me VERONICA PAUL AHARYA note down karwayengi aap...

CHOPRAJI ki baat sun objection quote nikalne hi waala tha SANDEEP ke mooh se jisse taad liya tha CHOPRAJI ne...

CHOPRAJI-what...!!!ye deal mai sirf isiliye hi kar raha hun kyunki aapki beti SANVEER jaise ladke ki dost hai...

itne talent ke saath grounded rehna,apni roots ki samajh rakhna,its very rare...

isse uski parvarish jhalakti hai jo usse uski MAA ne di hai...

jinka personal aura itna solid ho jiske chhav ke tale SANVEER jaisa beta badh raha hai, unka professional approach bhi utna hi strong hoga aur mai chahta hun ki my money is taken care of under her observations...

SHRAVYA aur SANDEEP ke paas ab kuch kehna ko bacha nahi tha isiliye ek baar ek dusre ko dekha dono ne aur...

SHRAVYA-done....

DIMPLE-kya baat hai...??? bohot muskura rahe ho...!!!

akele khada ho softie ke sip le raha tha mai ki tabhi NEW GIRL apne drink ka sip lete hue aayi mere paas aur uski baat sun bas kandhe halke uchka diye maine...

DIMPLE-dono special guests ne taarif zyada kar di, isiliye...

MAI-wow... you really do know me...

DIMPLE-woh toh hai...

isiliye mai jaanti hun ki is smile ka reason aunty aur unke liye ki gayi taarif hai...

sach thi NEW GIRL ki baat...jab jab MAA ki taarif hoti hai,mera mood ek dum fresh ho jaaya karta hai jaise ki abhi...

ab bhi bina kuch kahe bas muskurate hue apna drink sip kar raha tha mai par mere facial expressions dekh...

DIMPLE-you are very proud of your MOM,haina...!!!

MAI-proud...!!!

unka asli roop,unka hunar duniya ne dekha hi KAHAN HAI...!!!

jahan kisika sir nahi pahunch sakta,unka PAIR WAHAN HAI...!!!

aasman ko chhune ki koshish har koi karta hai magar...

jo aasman ki har hadh ko chhukar bhi zameen par hai, woh meri MAA HAI...

AAJ KE LIYE ITNA HI...

AAPKA APNA V...J...
Alfaz nahi h kuch kehne k liya kia kahe sab kuch tow aapne keh dia
Lajawab lajawab update bhai
 
Top