• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
Jabardastt Updateee

Nits Anjali ke liye kuch feel karta hai yeh baat toh Pre Prom night mein hi aadhi clear hogyi thi par pura clear nhi krne diya mainee. Reason hai yeh aapki story hai yaha pe pura clear tab tak kuch nhi ho sakta jab tak aap naa chaaho.

Idher Sanvy ko bachpan se hi panic attack aate hai aur usse attack ka reason hai Saneel aur GOD ki phonic conversation. Iss conversation se itna toh pata chal raha hai ke GOD jo bhi hai woh Aharya family ke kareeb hai tabhi toh usne kaha usse dekhte hi Saneel suicide karega aur shayad aisa hi hua tha aur isi se Saneel ki maut hui thi.

Ab dekhte hai Anjali kyaa faisla leti hai Sanvy ki kahi hui baato kaa.
thanks brother...saath bane rahiye
 

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
What the hell men...matlb ki saneel ne suiside commit ki sayd aisa hua ho as per the flashback conversation... Ya fir jab baazi hath se nikal gyi ho us mulaqat ke baad to god ne use maar diya ho..aisa hona thoda mushkil h kyuki he is the men jo apni kahi hui baton se kabhi mukarte nhi...and indeed he thinks that he is a god himself...and also behave like that ki wo jo chahe wo kr skta h jaise chahe waise aur jisse chahe usse kra skta h..he knows everything and can do anything...to probably sbse jyada chances h ki he make to saneel kill himself and he did..but how...may be usne itne logo ki jaan daav pr lga di hogi jinke samne saneel ko apni jaan ki kimat bhi mamuli lgi hogi..akhir koi insaan kaise hazaro lakho nirdosh logo ki jaan ke badle apni jaan ko ahmiyat de skta h..aur saneel ke paas koi aur rasta bacha hi nhi hoga tbhi usne ye suiside wala kadam uthaya hoga but also he gave a chellenge to god which was that ki his son will come to him for uske har gunahon ka hisab lene...😤😤😤🤕🤕🤕deemag ki dhazziya uda di boss is update ke baad tumne to👏👏👏👏✌mind blasting update h ye sbhi ke liye...but 😲 sanvy aaj tk us conversation ko nhi bhula h aur uski wajha se panic attack bhi aate h usko...kisi bure sapne se kam nhi h wo din aur wo batein uske liye aur unhi cheezon ki asliyat janne ke liye wo khud ko taiyar bhi kr rha h ..and he heared the challenge between his father and self proclaimed god...aur unhi sawalo ke jawab paane ki koshish ki hogi usne saneel ki death ke baad se lagatar wo us yaad me jata gya hoga jo ab uske liye panic attack ki jimmedar ban gyi h...is flashback ke baad god ki kabiliyat pr lgta nhi koi shak bhi krne wala h aur jab saneel ka death scene aayega aur as well as veronica ki bhi tb sbko saaf saaf dikh hi jaayega ki wo h kya aur kya koi cheez h jo wo nhi kr skta h...phle saneel fir veronica and last me sanvy ...wo tbhi inhe kuchh krega jab wo khud ready honge usse aamna samna krne ke liye..like jaise usne bola ki main tumse milunga face to face then you die.. Veronica ko tab hi kuchh krunga jab wo mujhse khelne ko taiyar hogi. And ofcourse sanvy ke liye bhi wohi niyam rhega tbhi wo abhi tk kuchh nhi kr rha h..khair is cheez me jitna ghusunga ab utna hi ghumte jaunga to float with the time..har jawab milta jayega jb sahi waqt aayega sabse parda uthega jab sahi samay aayega..tb tk krenge hm intzaar...
Wahin aaj sanvy ne preshan anjali ko bta hi diya ki how much nits love her from their childhood...and ye bakai lajawab h ki itna sara pyaar nits ne apne seene me dafan krke rkha hua h jiska andaza aaj tk kisi ko nhi lga sivay sanvy ke aur sayd sonu ko bhi pta hoga...sayd....ab sanvy to sab kuchh bin btaye jaan jata h fir apna sonu itna bhi jyada honhaar nhi h na😁😁😁..per as a best and close friend usko bhi nits ki feelings ka pta to hoga hi...
Wahi anjali aur sam ke relationship ke pichhe bhi sanvy ka hath tha and he accept about that failure... Khair dekhte h ki anjali ab kya solution khoj paati h uska ya waqt pr chhod degi wo bhi ki jo hoga time aane pr ho hi jana h...pr ye sab baatein jo abhi dimple anjali aur sanvy me hui thi waha ek 4th person bhi tha jo ki pakka Nits hi hoga tbhi dimple ne use dekh ke kuchh nhi kaha se chup chap chali gyi ab dekhna ye h ki kya kya mjedar event hone wale h nits and anjali ke beech...it will be a treat for all of us..unki majedar nok jhok ka mja kon nhi lena chahega ...to intzaar h new update ka ab kya hoga aage✌✌✌👏👏👏👏👏👏
bohot si parthen hain jo dheere dheere khulenge brother..aap bas yunhi saath bane rahiye...
 

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
पहले तो मुझे लगा था कि अंजलि ने सनवीर के अंदर जलन की भावना लाने और उसका ध्यान अपनी ओर आकर्षित करने के लिए समीर के साथ प्रेम का गेम खेला था । पर इस अपडेट ने तो सारी थ्यूरी ही उलट पलट कर रख दी । सनवीर ने दोनों को एक दूसरे के करीब आने में मदद की थी ।
शुरुवात से ही मैंने महसूस किया कि अंजलि सनवीर को पसंद करती है । वो उसे अपना जीवन साथी बनाना चाहती है । वो उस दिन का इंतजार कर रही है जब सनवीर उससे प्रेम का इजहार करे ।
डिंपल गर्ल के एंट्री के बाद उसकी राहें मुश्किल तो जरूर हुई है पर उसकी चाहत और धैर्य में कहीं कमी नहीं आई थी ।

सनवीर ने गलत किया था । ऐसे किसी से प्रेम थोड़ी न होता है । समीर के साथ उसकी जोड़ी बनाने की मंशा ही गलत थी ।

सनवीर के कहे अनुसार निट्स भी अंजलि को प्रेम करता है । पर उसके प्रेम में खुदगर्जी नहीं बल्कि उपासना है । भक्ति है । इबादत है । ऐसे प्रेम को मैं दिल से नमन करता हूं ।
अगर सनवीर के कुंडली में डिंपल को ही उसका पत्नी बनना लिखा है तो मैं यही चाहूंगा कि निटृस की पत्नी बनने का सौभाग्य अंजलि को ही मिले ।


सनील आहार्य - गाॅड और सनील आहार्य के बीच हुआ कन्वर्सेशन एक सनसनी फैला गया । सनील आहार्य खुद की मर्जी से सुसाइड करेगा ।
यह हम भी मान सकते हैं कि यदि किसी ऐसे व्यक्ति को जिसमें हमारी जान बसती है , की मौत सामने हो , और उसके जीवन बचाने के लिए खुद की जान की बलि देने पड़े तो हम दे भी देते हैं । लेकिन न तो यहां वेरोनिका पर कोई खतरा है और न ही सनवीर पर ।

वो एक गवर्नमेंट आफिसर है । और गवर्नमेंट आफिसर के लिए उसका फर्ज उसके लिए सबसे ज्यादा अहमियत रखता है । शायद किसी अन्य व्यक्ति को बचाने के लिए उन्होंने अपनी कुर्बानी दे दी हो ।
लेकिन मुझे लगता है सनील आहार्य ने भी हर पहलुओं पर विचार कर रखा होगा ।

इसी सब्जेक्ट पर एक उपन्यास पढ़ा था मैंने । वेद प्रकाश शर्मा का " साढ़े तीन घंटे " । उस उपन्यास में एक पहेली था । जिसे साढ़े तीन घंटे के अंदर हल करना था । और अगर नहीं कर पाया तो उन्हें सुसाइड कर लेना पड़ता था । काफी इंटरेस्टेड बुक्स थी वो ।

बेहतरीन अपडेट था वि जे भाई ।
आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग एंड ब्रिलिएंट ।
thanks for the beautiful review brother... yunhi saath bane rahiye
 

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
Nits loves Anjali... Pre - Prom mein huyi cheezon se kahin na kahin ye laga hi tha ke aage chalkar Anjali aur Nits ki jodi banti huyi hame dikh sakti hai aur usi jodi ke ban ne ki neev shayad is update mein rakhi gayi... Nits ke baare mein jo bhi baatein Sanvy ne kahi, the way he explained how Nits feels for Anjali, ye to saaf hai ke uska Anjali ke liye pyaar bilkul paak hai... He truly loves her! Par jaisa ki pehle hi saaf ho chuka hai ke Anjali ka pehla pyaar Sanvy hi tha, halanki baad mein Anjali aur Sam ka bhi relationship tha, but it wasn't anything related with true love... Sam shayad apni reputation ko aur pukhta karne ke liye School ki ek behad khubsurat ladki sang juda tha aur wahin Anjali is cheez ko Sanvy ki khwahish samajh kar...

Khair, Sanvy ke dwara kahi gayi baat ko sunkar Anjali ka reaction aisa hi hona tha... Usne jo kaha, ek tarah se Anjali ka sochna bhi sahi hai... Afterall, wo to sirf Sanvy ko hi chahti thi, but baad mein shayad wo is sachayi ko bhi accept kar chuki hai ke wo aur Sanvy shayad kabhi bhi us rishte mein nahi bandh paayenge jo wo chahti thi... But after what happened with Sam & Khanak, ab Anjali ka sabhi ke prati aisa hi reaction hona laazmi hai, ek hadh tak uska relationship jaisi cheezon se shayad vishwas hi uth gaya hai...

But I'm sure ke aage chalkar Nits aur Anjali dono ki manzilen ek ho hi jaayengi... Let's see kab aur kaise hoga ye... Idhar ek flashback scene saamne aaya joki Saneel ki maut se kuchh pehle ka hai... Haan, ye to pehle hi saaf tha ke Saneel ki maut ka kaaran G.O.D. hai par Veronica ne uski death ka reason accident bataya tha, par agar is scene ko padha jaaye to iske mutabik Saneel Aharya ne suicide kiya tha... Well, dekhte hain iska kaaran kya hoga... Aur ab to mujhe lagta hai ke Veronica ki maut bhi waise hi hogi... I mean suicide, shayad Veronica ki death ke Update mein hi Saneel ki death ka Flashback scene hame padhne mile...

Sanvy ne apne dad ki conversation suni thi G.O.D. ke saath aur isi kaaran aaj ki tareekh mein wo panic attacks ka shikaar hai... Abhi to Veronica hai use sambhalne ke liye par jab wo bhi chali jaayegi, then Sanvy ko kaun rok paayega wo ban ne se jiska zikr Ranjana aur ab Veronica dono hi kar chuki hain... Kuchh bhi ho, ye saaf hai ke Sanvy ke liye aage ka safar behad mushkil aur dard se bhara hone waala hai...

Outstanding Update Bhai & Waiting For Next...
thanks for the beautiful review brother...yunhi saath bane rahiye
 

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
Update List

48 page 419

49 page 432

50 page 444(1)

51 page 457{2}

52 page 471(3)

53 page 476(final)

54 page 492

55 page 505

56 page 516

57 page 527

58 page 536

59 page 548

60 page 557

61 page 567

62 page 577

63 page 582

64 page 589

65 page 597

66 page 604

67 page 611

68 page 617

REQUEST HAI MERI SHYAD KARDO AADHA TOH MAINE HI KAR DIYA HAI AAP INDEX UPDATE KARDO
ab aate hai last update par
iss update se ye toh saaf pata chalta hai ki nits loves ani aur true love sam wala nahi aur anjali bhi same karegi but problem hogi toh uske mom dad uske iss relation se qnki sam ke saath rehne par unhe koi problem nahi thi qnki wo champion tha school kar aur as in uski mom bhi ek big figure hai iss story mein aur iske liye maybe sanvy nits ki help kare successful hone mein jisse uske aur anjali ke future relation koi dikkat na aaye
sanveer's flashback
sanvy itna jaanta hai ki uske papa ko G.O.D ne challenge diya tha ki ye poora karo toh main surrender kar doonga agar nahi toh tum suicide jarorr karloge toh may be main GalaTH ho sakta hoon saneel ki death na hui ho aur wo kahin gayab ho jiska pata sanvy ko na ho aur same cheez veronica ke saath bhi hui ho qnki abhi tak jitna padha hai humne stroy ko usmein itna hi pata chala hai ki sanvy apni mom and dad ki death ke time unke aas pass nahi tha use bas kisi aur se khabar mili hai abhi total 6 month baaki hai story ke according veronica ke death scene mein aur uske baad shayad
ye waali shayri phir se repeat ho jaaye kisi update mein

jisme sab hoga,bas phool nahi, waise VRINDAAVAN HOGA..

jisme sukoon nahi bechaini mehsoos hogi,waisa SAAWAN HOGA...

dharm aur adharm ek ho jaayenge....

RAM ke vyaktitv me lipat jo har vachan aur maryada todega, ye ladka waisa RAAVAN HOGA...


joki principal madam ne kahi thi usmein arif reza ne uski maa ke baaare mein khaali bola tha yahan toh uski death hui aur jiske karan bhi hui hai uska kya haal karta hai ye cheez bhi story mein ek baar story mein reflect hui hai future udate mein jahan par dimple ne sanvy ko merciless murderer kaha tha iska matlab ye hai usne apne ko change kiya iss tarike se apni mom ke death ke baad aur abhi toh jaiden Chaudhary ka bhi kalesh toh bacha hai bahi mujhe bhi us update ka wait rhaega jisme jaiden chaudhary ka aamna samana hoga humare sanveer aharya se aur kis liye usse juvenile jail bheja tha jaiden ne

abhi bahut si aisi cheez jo abhi unsolved hai

sanveer ke dad ki organization itni powerful kaise hai ki cm tak ek baar mein baat karne ko raazi ho jaata hai ?


G.O.D inhi logo se hi q bhida hai aur bi log honge koi toh reasson hoga uska inse bhidne ka?

Dimple ke mom ka milna bhi nahi hua kisi bhi update sanvy ya unki personality ke baare mein bhi kuch nahi liikha hai abhi vj bhai ne?

prologue update mein wo aurat kaun thi jisne sanveer ko bachane ke liye wakil ke saath aai thi ?

ek update mein veronica ne kaha tha ki sanveer naraz hai apne dad se maybe wo janta ho ki uske dad zinda hai aur wo naraz isliye ho ki zinda hokar bhi wo unke saath nahi rehte ?

aur abhi bahut kuuch vj4u bhai poochane ke liye

bas yahi request hai update jaldi jaldi do aur story complete ho aur aur logo ko padha sakoon qnki har kisi ko ye site mein recomend bhi nahi kar sakta khas taur se girls ko jinhe kuch updates kaafi pasand aaye the maine jab unhe diya tha padhne ko toh

mere khayal se abhi ek flashback bane qnki pre-prom ke baad sidhe ek mahine ka gap liye story mein time ka toh is beech kuch toh huha hoga jyada na sahi par toda bahut toh paka hi hua hoga aur phir present time le aana story ko
bohot acha review tha brother..dekhte hain aapke speculations me se kitne sahi hote hain.. yunhi saath bane rahiye...
 

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SANVY AUR DIMPLE ANJALI KO BATATE HAIN KI NITS USSE PYAR KARTA HAI WAHIN DUSRI TARAF APNE DAD AUR GOD KE BEECH HUI PAST KE EK CONVERSATION KA SAPNA DEKH SANVY KO PANIC ATTACK AA JAATA HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-69

DATE-10TH OCTOBER


CITY-DEHRADUN

PLACE-SIRIUS






BATAYA NAHI TUMNE...!!!!HOW WAS YOUR TRIP TO HOME...???ITNE DINO BAAD GAYI THI,MOM KE SAATH, KAAFI HANGOUT KIYA HOGA...!!!


RASHI ne DIMPLE se joki aaj ek hafte ke leave ke baad wapas school aa rahi thi, pucha tha ye sawal usne jispar kore kaagaz me sketch draw karti DIMPLE ke haath rook gaye the...

final period chal raha tha jo ki khaali tha aaj...saamne ek substitute teacher zaroor moujud tha par usse aapas me gossip karte students me utna hi interest tha jitna lakdi ka current se hota hai...zero...


DIMPLE-kiya naa hangout...hall se hall tak...

RASHI-matlab...!!!

DIMPLE-matlab ye ki ek super successful business women ka matlab hota hai ki she is always busy...

kul teen baar hi mili mai MOM se woh bhi not more than 15 minutes..koi na koi important meeting always came through...

RASHI-shit...that sounds boring...

DIMPLE-naa..i am used to it...waise bhi,i have some childhood friends back home...

unke saath acha khaasa time spend ho jaata tha...

MAY I COME IN SIR...


humse ek class junior girl thi ye jiski request par sir ne haan me sir hilaya...


NITS-oh bhai...ye kis school ki pari idhar aa gayi re...

SONU-chutiya...hhamarre hhi sschool kki ttoh hhai bbe...

jjunior hhai appni...

NITS-arre waah...tu kabse ladkiyon ki info rakhne lag gaya lounde...

SONU-appne llakadbaghe jjaisi shakal kko aur gghatiya mmat bbana bbe...

e.v.s kki bbest ppractical sstudents mme sse ek hhai yye...

ggovernment autthorized ggreenary pprojects me willingly pparticippate kkarti hhai yye isiliye ccreative aur inttellectual ccircles mme bohot ppoplular hhai yye...

i amm ssure kki abbhi bbhi kkisi pproject kke bbaare me ddiscuss kkarne kke lliye hhi ssir kke ppaas aayi hhai yye...

NITS-itni khubsoorat upar se popular...phir mujhe kaise nahi pata yaar...

SONU-kkyunki ccreative aur inttellectual jjaise shabdon sse ttera ddoor ddoor tak kkoi nnaata nnahi hai...

NITS-hai nahi tha...ab toh hai...excuse me sir...ek doubt hai..can i come there and ask about it...???


NITS aur uski bakarchodiyon se badi achi tarah faakif the sir.. isiliye uski baat sun kuch pal ghura unhone NITS ko par phir sir dheere se haan me hilaya unhone jispar NITS turant badh chala unki taraf...


NITS-sir,mai kuch dino pehle dhanaulti gaya tha,for camping...

udhar forest me ghumte waqt kaafi saare unknown vegs aur fruits dekhe the maine..i want to ask sir,ye kaise pata karen ki koi unknown vegetable ya fruit edible hai ya nahi...


NITS ka sawal wakayi acha tha jiski ummid sir ko nahi thi..even jis ladki ko impress karne ke liye ye sawal pucha tha NITS ne,woh bhi sawal sun uske jawab ko jaanane ke liye sir ki taraf interest se dekhne lagi..


wahin NITS ke sawal ko sun aankhen thodi badi ho gayi thi SONU ki aur...


SONU-uss ttrip mme ttoh hhum dono bbhi ggaye tthe... aurr yyahi ssawal ppucha ttha nna ttune uddhar kke ek agriculturalist se...!!!

MAI-hmm...

SONU-ttujhe kkya hho ggaya hhai bbe...ppehle 3 ddin sschool nnahi aaya aur jjabse aaya hhai ttabse rrobot fface llekar ghhumta rrehta hhai...

MAI-aand mat kha be...

SONU-gand mmara loudu...

SIR-lab le jaa sakte ho..wahan check ho jaayega...

NITS-sir ek snack jaise meal ke liye kisi fruit ya veg ko lekar 100 kms ka safar...!!! it's too much..kya koi shortcut nahi hai...

SIR-hai par 100 percent authentic nahi hai...us unknown plant ke root ya stem ko kaato and rub the juices on your skin that comes out of it...

kuch der wait karo..agar poisonous ya unedible hua toh skin par rashes aa jaayenge,agar nahi aaya toh it's ok to eat it...

NITS-thank you sir...that was a beautiful answer...


beautiful NITS ne us ladki ko dekhkar bola tha joki abhi usse hi dekh rahi thi aur NITS ki baat sun halke surprise aur smile ke saath usse dekhne lagi thi woh...


SIR-thank you for the appreciation beta..ab agar aur koi sawal naa ho toh apni jagah par jaakar baitho...

NITS-sure sir..


ladki ko dekhte hue uspar nazrein tikaye hue hi dheere se ghuma tha NITS jispar us ladki ke face ki smile thodi aur badh gayi thi...

wahin ye sab bade dhyan se dekh rahi ANJALI ke face par ek vyang purn smile naach uthi thi jisse carry karte hue woh pehle piche SANVY ki taraf palti aur phir paas hi baithi DIMPLE ko dekha usne aur...


ANJALI-so he is into me,haan... bullshit...


ANJALI ke taane ko sun ek lambi saans chhodi DIMPLE ne aur sir shake kar neeche dekhne lagi thi woh...

TRRRRRR......

finally final bell baj uthi thi jiske baad sir aise nikle hamari class se jaise loose motion ke aakhri check naake ko paar karne hi waala tha unka pichwada...

aur sir ke baad students bhi apne apne groups ke saath class se nikalne lage the...


DIMPLE-wait...


NITS DIMPLE ke baaju se nikal hi raha tha ki tabhi bade dheeme se uske kaano me kahi thi ye baat DIMPLE ne jisse sun kuch kehne ko hua NITS...


DIMPLE-just wait...


thoda serious tha DIMPLE ka tone jisse sun ek pal usse dekhne ke baad...


NITS-abbe,tum log niklo...mai mutr mukti karkar aata hun...

SONU-abbe abbhi ssecond rrecess mme hi ttoh mmoota tha ttu...

NITS-issi ka hisaab rakh tu ki kitni baar mutata hun mai...aur kahan likha hai be ki ek baar mootne ke baad turant dusri baat nahi moot sakte...

SONU-abbe aise hi ppucha... bbhadak kkyun rraha hai...


mooh banate hue class se turant nikal chuka tha SONU jiske saath saath mai bhi bahar aa chuka tha...

baaki ke students toh pehle hi class se nikal chuke the which meant ki is waqt class me sirf DIMPLE aur SONU hi the...


NITS-dekh yaar...pehle hi clear kar deta hun...maine dekha nahi kabhi tujhe us nazar se...


hamesha ki tarah daant niporte hue apne sense of humour ka pradarshan kiya tha NITS ne jispar DIMPLE ka face straight hi raha...


DIMPLE-bataya kyun nahi tumne ki pehli baar SANVY GALATH tha...

NITS-mai samjha nahi...aur SANVY kabse GALATH hone lag gaya bhala...???

DIMPLE-jabse you started flirting with random girls...

NITS-started matlab...!!! flirting is my forte...

DIMPLE-aur pyar...!!!or to be precise...ANJALI ke liye pyar...

NITS-what...!!!are you out of your mind...

DIMPLE-style kam dramatic rakhta toh performance ko zyada realistic bana sakta tha...

NITS-tune toh realistic hi rakha naa par baat toh jhuti hi hai...

DIMPLE-isiliye toh kaha maine ki SANVY GALATH tha...bade bade speculations laga leta hai,par sab bakwas...

jaakar confront karti hun usko...usse bhi toh pata chale ki har baar sahi nahi hota woh and this time, woh GALATH hai...

NITS-mera dost kabhi GALATH nahi ho sakta...


apni baat bol DIMPLE palti hi thi ki tabhi NITS ki baat ne uske face par smile laa di thi...

jaanti thi DIMPLE ki SANVY ko GALATH bolne par hi asal baat par aayega NITS aur wahi ho raha tha...

apne smile ko daba wapas NITS ki taraf palti DIMPLE aur...


DIMPLE-SANVY GALATH nahi ho sakta...!!! isiliye hi us din ANJALI ki saari baatein chupchap bahar se sunte rahe tum aur phir humse chhupne ke liye B section me chale gaye the...

NITS-tujhepata tha...!!!

DIMPLE-haan...par jo mujhe nahi pata, woh ye hai ki jab tu ANJALI se utna pyar karta hai jitna ki SANVY bata raha tha toh phir uske saamne confess kyun nahi karta...!!!???

confess toh door ki baat hai,tu toh dusri ladkiyon ke saath openly flirt karte rehta hai, jaise ki aaj kar raha tha...

jo kisi se sachha pyar karta ho,woh dusri ladkiyon ke saath flirt kaise kar sakta hai...???


DIMPLE ki baat sun ek feeki smile naach uthi NITS ke face par aur...


NITS-confess jurm ka karte hain,pyar ka nahi...pyar ka izhar hota hai...

aur woh isiliye nahi kiya maine kyunki jo bill tak mai afford nahi kar sakta,usse zyada ANJALI tip de deti hai...


DIMPLE-really NITS...that's your excuse...kis sadi me reh rahe ho tum...!!!its 2020.. tumhe lagta hai ye rich pure waala funda chalta bhi hai...

NITS-hahahaha...sadi ke hisaab se insaan ki soch badalne lagti toh ab tak hum bhagwan hi nahi ban chuke hote...

DIMPLE-oh common NITS...tum ye kaise bhul gaye ki tumhari hi tarah ek average ghar se SANVY bhi belong karta hai aur woh ANJALI ka best friend hai...

NITS-wow... example bhi diya toh kiska...rich poor ke comparison par toh phir bhi logics mil jaayenge par how can you compare me with SANVY...

mera bestie hai woh aur kabhi kabhi apne aap ke saath jod comparison bhi karta rehta hun mai uski par woh sirf mazak hota hai..

haqiqat me toh mai chhod,is school ka champ SAM bhi uske aage kahin nahi tikta...

ye uski courtesy aur down do earth attitude hi hai ki woh hume apne barabar ka darja deta hai..

SANVY is one in a million warna is school ki,school kya is shehar ki sabse khubsurat ladki pasand thodi na karti usse...


NITS ki aakhri baat sun aankhein halki badi ho gayi DIMPLE ki aur kuch kehne ko hui woh par tabhi...


NITS-cut the bullshit DIMPLE... tumhe kya lagta hai hum sab andhe hai..tumhare aur SANVY ke beech jo chemistry chal rahi hai,hume dikhta nahi...

haan,ye sach hai ki abhi tak tum dono ne ek dusre se apni apni feelings share nahi ki hai par feelings toh hai aur woh bhi tagdi waali...

dil par haath rakh SANVY ki kasam khaa keh do ki GALATH hun mai...


naa dil par haath rakha aur naahi kuch keh paayi DIMPLE..labh bas halke tharthara kar reh gaye...

aur ye dekh halka sa smile diya NITS ne aur...


NITS-bohot lucky ho tum DIMPLE ki SANVY jaisa banda is into you..haan, background uska meri tarah decent bhar hi hai par jab situation me SANVY ho toh background se fark nahi padta...

uske jaisa dusra piece hai hi nahi aur agar heere ko parakhne waali nazar hui tumhare parents me toh SANVY se milte hi samajh jaayenge woh ki kohinoor chuna hai unki beti ne...

see you...


palath class se bahar nikalne laga NITS par phir door ke paas rook wapas palta woh aur...


NITS-shuru me ek sawal pucha tha tumne...

"JO KISI SE SACHHA PYAR KARTA HO,WOH DUSRI LADKIYON KE SAATH FLIRT KAISE KAR SAKTA HAI"...???

DIMPLE mai jo ye flirt karta rehta hun naa,woh mere liye pain killer jaisa hai...

"GHAAW BHALE HI NAHI BHARTA PAR DARD ZAROOR KAM HO JAATA HAI..."

ab mere jaise looser aashiq ko kamsekam dard kam karne ki azaadi toh honi hi chahiye,nahi...

ek aur baat...

propose karne ki jo salah tum mujhe de rahi thi naa,uspar khudpar amal karo...

meri na ho saki toh kya, kamsekam tum dono ki toh do tarfa love story shuru ho...


muskurate hue jisme khushi nahi gum chalak raha tha, NITS palta aur class se nikal gaya...

wahin DIMPLE NITS ki saari baaton aur khaas kar uski aakhri salah ko sun shaant si hokar apni jagah par kuch seconds khadi si reh gayi...

kahan woh NITS ko interrogate karne waali thi aur kahan NITS ne uski unlikhi prem kahani padh di thi....

kuch seconds gehri soch ke beech apni jagah par khade rehne ke baad ek lambi saans chhod DIMPLE bhi class se nikal gayi...




SAME EVENING

PLACE-SANEEL'S RESIDENCE





REALLY...!!!THE EYE GOUGE...ITNA BACHKANA MOVE...KISI TEEN SAAL KE BACCHE KO BULA LAAUN..SHAYAD WOH TUMHARE IS IDIOTIC TRICK ME FANS JAAYE...


apne home city delhi trip ke ek hafte baad aaj finally DIMPLE wapas study home,dehradun ke apne sabse favourite spot me thi...

SANEEL'S RESIDENCE ka backyard jahan woh SANVY ke saath combat training karti thi...

bohot excited thi woh aaj ki training session ko lekar aur usee bhi zyada SANVY ke saath personal time spend karne ke liye par uske saare hi expectations ne kuch hi der me U turn le liya tha...

reason...

kuch naya sikhane ki jagah SANVY ne aaj DIMPLE ne ab tak jitna sikha hai,uska ek practical test lene ka decide kiya tha aur uska ye decision DIMPLE ke liye shaam ko hi night mare me badal gaya tha...

uske har move ko na sirf SANVY sahi predict kar unhe dodge dete aa raha tha balki har dodge ke baad ek offensive push bhi karta tha woh DIMPLE ko..

ye push koi zyada power ka nahi hota tha aur naahi DIMPLE ko kisi tarah ka physical pain hota tha par mentally it was hurting her...

SANVY ka har push uski ab tak ki hard training par ek slap jaisa tha...

un pushes ke through SANVY jaise DIMPLE ko humiliate kar raha tha jisse saaf mehsoos kar rahi thi woh...

yahi wajah thi ki last push se chidh halka below the belt move ke liye chal padi thi DIMPLE...

THE EYE GOUGE MOVE..move jisme apne index aur middle finger ko suddenly opponent ki aankhon me halka poke kiya jaata hai jisse uska vision kuch seconds ke liye off ya phir blurry ho jaata hai, resulting him or her to be off gaurd...

par DIMPLE ka woh move bhi waste chala gaya tha..

uske dono fingers ko mid way hi block kar unhe jakadte hue apne side ki taraf push kiya tha SANVY ne....

aur uske baad jo line boli SANVY ne,usne dimplke frustration ko aur badha diya tha...

DHAKKK,DHAK,DHAK,DHAK,DHAK,DHAKKKK..........DDDDDDDDDDDDDDHAKKKKKK......

"THE LONG KNEE,UP KNEE, THROAT PUNCH,AX STOMPS, NUTCRACKER CHOKE JUMP aur aise hi kayi free style combat moves ek ke baad ek try karti chali gayi thi NEW GIRL jinhe mai beasar karta chala gaya aur isiliye finally apna last daav chalta hue "THE DRIBBLING FAST HANDS move try kiya usne...

bijli ki gati se apne dono haathon ko baari baari se mere stomach se lekar mere sir tak aim karte hue chalati chali gayi woh and at the same time apne dono pairon ko horizontally move karte hue mujhe girane ki koshish bhi kar rahi thi woh...

par backward march jaise pairon ko uthate hue na sirf mai un leg movement se bach raha tha balki uske tez hand movements ko bhi continuously block karta chala jaa raha tha mai..

par NEW GIRL rook nahi rahi thi jiska sabse bada kaaran tha mere piche ka woh wall jisse meri peeth takraane hi waali thi..

NEW GIRL jaanti thi ki ek baar wausa ho gaya phir woh mujhe neeche gira sakti hai but the thing she didn't knew was ki naa sirf mujhe apne piche lagne waale wall ke baare me pata tha balki ab maine apne defensive hand blocks ki speed badha di thi jiska matlab tha ki ab NEW GIRLS ke hand moves mai kabhi bhi control aur rok sakta tha aur wahi hua...

BHAPPP.....

wall me meri peeth lagne hi waali thi par tabhi mere dono haathon ki grip ne NEW GIRL ki dono kalaiyon ko jakad liya tha..

aisa hote hi halka sa hadbadayi NEW GIRL aur isse pehle ki woh sambhal paati,thoda sa side hote hue uski kalaiyon ko ek tez jhatke ke saath pull kiya maine....

ye movement itna forceful tha ki NEW GIRL ka sharir bohot tezi se wall ki taraf badh gaya..

ye movement itna speed aur tez tha ke NEW GIRL knew ki woh khudse khudko wall me thrash hone se bacha nahi sakti..

us impact aur hone waale pain ke liye ready nahi thi NEW GIRL isiliye aankhein apne aap band hoti chali gayi uski par tabhi...

ek behadh strong hand block apne stomach par feel kiya tha usne...

sharir ke jhatke me rook gaya tha NEW GIRL ka par sharir ke saath saath dil bhi uska ek pal ke liye jaise tham sa gaya tha...

REASON...

SANVY ka haath tha woh jisne uske stomach ko ghera hua tha..jaanti thi ye baat DIMPLE aur isiliye apne jism par SANVY ke us direct touch se andar hi andar sihar uthi thi woh...

ek chadhti utarti saanson ko sayyamit kar meri taraf palti woh aur aisa hone ke beech apna haath uske peth se hata liya tha maine...


MAI-5 minutes ka break...pasina pochon and restratagize..shayad is baar mujhe chhu bhi paao tum...!!!


jahan is vyang ke saath palath paani peene ghar ke andar chala gaya mai wahin NEW GIRL chehre par maayusi liye paas hi rakhe ek stool par baith gayi...


FRUSTRATION PHIR BHI CHALEGA BUT MAAYUSI BILKUL ACHI NAHI LAGTI TUMHARE FACE PAR BETA...


DIMPLE ka water sipper joki kaafi pehle hi khaali ho chuka tha,usse refill kar uske saamne kar diya tha VERONICA ne...

wahin VERONICA ki baat par ek halki smile ke saath apna sipper le paani ke kuch ghoont se apne sukh chuke gale ko tar karne lagi DIMPLE...


VERONICA-zyada rough hai aaj SANVY...???

DIMPLE-nourishment ke liye roughness ki zaroorat toh padti hi hai aunty...mujhe acha lagta hai hard drill... par...

VERONICA-par kya...???

DIMPLE-aaj ke pure session me SANVY ke face par ek anjaani udaasi dekhi maine...

aur andar jaane se pehle jab mujhse baat ki usne toh woh udaasi thodi aur badh gayi thi...

kabhi dekha nahi maine usse aise aur kabhi dekhna bhi nahi chahti...

par dekh toh rahi hun and that's the real rough for me and it's hurting...


ek hafte pehle aaye panic attack ki wajah,us sapne ke drishyon ko apne dimag ee abhi tak hata nahi paaya tha SANVY...

isiliye hi teen din tak school nahi gaya tha woh...

is ek hafte me din ke 14 ghante unimaginable physical training ki thi usne par kisi bhi tarah ka sweat us sapne waale yaad ko puri tarah dho nahi paaya tha...

yahi wajah thi aaj DIMPLE ke prati kade ravaiye ki jiski asal wajah bhale hi woh nahi jaanti thi par dard hai,ye mehsoos kar liya tha DIMPLE ne apne andar...

wahin DIMPLE ki baat sun ek halki si smile naach uthi thi VERONICA ke face par aur apne mamta bhare hatheli ke sparsh se DIMPLE ke sir ko sehlane lagi woh...


DIMPLE-aapko toh pata hoga na aunty ki what's hurting him...???

VERONICA-hmm..uske dad ki ek yaad hai jo kabhi kabhi sapne ke through uske aankhon ke aage ghum jaati hai..

aur jab bhi waisa hota hai, SANVY suffers mentally...aur aisa kuch waqt tak lagatar hota rehta hai..

isiliye i suggest ki jab tak woh apne mental health ke saath peace na kar le,door raho usse...


DIMPLE-no way aunty...SANVY taklif mai hai aur mai usse akela chhod dun,aisa kabhi nahi hoga...

par woh theek ho jaaye,iske liye karun kya...???

VERONICA-tarika hai par it will hurt...

DIMPLE-chalega aunty... bataiye kya karun...???

VERONICA-bataya toh,it will hurt and i mean literally...

DIMPLE-mai samjhi nahi...

VERONICA-smart ho, khud hi figure out karo...

MAI-shuru karen...!!!


paani pee aur freshen up ho wapas aa chuka tha mai par MAA ko saamne dekh halka door hi rook gaya...


MAA-kabhi kabhi ek dard ko bhulaane ke liye dusre dard ki zaroorat padti hai...


kuch kaha dheere se MAA ne NEW GIRL ko jisse sun nahi paaya tha mai ya phir ye kahun ki sunane ki koshish hi nahi ki maine...

apni baat bol MAA toh chali gayi par NEW GIRL straight face ke saath kuch sochne me busy ho gayi...


MAI-kuch aur kaam hai toh chali jaao...we will do it tomorrow...

DIMPLE-kahin nahi jaa rahi mai...


jaise kuch samajh me aa gaya tha NEW GIRL ko..awaaz me uski confidence lout aayi thi aur ye dekh...


MAI-tumhe lagta hai ki is baar result alag aayega...

DIMPLE-mujhe lagta nahi,mai jaanti hun ki is baar result dusra aayega aur behtar aayega...

MAI-we will see...

DIMPLE-ofcousre we will se...

DHAPP....DHAPPP....


apni baat khatm karne ke saath hi mujhpar pehle OVER HAND,phir RIGHT 360 DEGREE SWING KICK,aur phir ussi move ko improvise karte hue KNEE FROM THE DOUBLE COLLAR THE move se swing kiya tha apne right leg ko NEW GIRL ne...

ye saare moves naa sirf super fast the balki saath hi saath kaafi dangerous or core strength driven bhi the...

inhe sahi se use me laane ke liye naa sirf kaafi strength use karni padi thi NEW GIRL ko par saath me apne balance ko banaye rakhne ko next to impossible task bhi kar rahi thi woh...

wahin uske saare moves ko dodge aur block kar raha tha mai par kyunki un moves me strength kuch zyada hi thi aur isiliye unhe block karne ke douran mere dono wrists me halka pain hone laga tha...

waise toh normal circumstances me ye pain kuch bhi nahi tha par abhi jis tarah ka mental situation tha mera,it was very frustrating...

DHABBBB....

AHHHHHHH.....

ek chest JAB HIT maarne ke liye apne fist ghumane hi waali thi NEW GIRL ki tabhi mere dono haath badi tezi se upar aaye wyr agle hi pal...

SHARP FINGER POKE HIT kiya apne dono haathon ki khadi ungliyon se uske shoulders par...

shoulder joints ke just baaju me ek nas hoti hai jispar agar sahi pressure se hit kiya jaaye toh ek saath do do effects create hota hai...

first, immense pain aur second... temporary paralytic malfunction...

aisa hi kuch hua NEW GIRL ke saath...

dono haath uske jhool se gaye the aur shoulders me uth rahe unbearable pain ki wajah se ghutne uske mudte chale gaye the...

par isse pehle ki woh neeche gire, dimag jaise ek pal me hi pura khul gaya mera...

tezi si NEW GIRL ke baaju me slip in hokar usse sir se thaamte hue baiththa chala gaya mai...

hit maine halka hi kiya tha par dimag me chadhe frustration ne ungliyon me jaan thodi zyada de di thi..

hit ka impact bohot zyada tha aur iske saboot the NEW GIRL ki bheegi aankhein...

aur un aankhon me dard dekh mere dimag me pichle ek hafte se chal raha dwandh jaise gayab hi ho gaya...

bas NEW GIRL,uska dard aur us dard ke liye usse dene waale par ghussa, matlab khudpar aane laga tha mujhe..

NEW GIRL ke sir aur body ko apne haathon aur godh me rakhne ke beech palke meri bhi bheegne lagi thi par kisi tarah apne emotions par control kiya hua tha maine...


MAI-sorry...


maafi maangi thi maine par mere aisa karte hi dard ke beech bhi ek pyari si smile naach uthi thi NEW GIRL ke face par jiska kaaran nahi samajh paaya hai...


MAI-dard sir me chadh gaya hai kya...??? muskura kyun rahi ho...???


mere taunt ko sun smile thodi aur badh gayi NEW GIRL ki aur...


DIMPLE-tumhara dard tumhare sir se jo utar gaya hai... isiliye muskura rahi hun...


NEW ki baat par turant kuch keh nahi paaya mai aur ektak usse dekhne laga...


MAI-mere dard se jiski wajah se bhi anjaan thi tum,uske liye khudko dard de diya tumne...

DIMPLE-tumhare dard se bhale hi anjaan thi par tumse toh waakif hun...

jaanti hun maamuli chot tumhe dard nahi de sakta aur jo de sakta hai,usse mai dene dungi nahi...


DIMPLE ki baat sun kuch kehne ko hua mai par labh dab se gaye the mere par mere us anjaan dard ki tarah mere unkahe shabdon ko bhi jaise samajh gayi thi NEW GIRL...


DIMPLE-kyun...??? yahi puchna chah rahe the naa...!!!

isiliye kyunki NITS ne aaj mujhse mere baare me kuch aisa kaha jisse apne aap se chhupate aa rahi thi mai...


MAI-kya..???that you are mad...!!!

DIMPLE-haan..par sirf tumhare liye...

"I AM MADLY IN LOVE WITH YOU SANVY"....


BOOM...


jaanta tha mai ki ye lamha ek na ek din zaroor aayega... par aaj, abhi is tarah aayega,ye nahi socha tha maine..

aise waqt me jab apne past me ghati ek ghatna ke sadme se ubhar raha tha mai,ye khubsoorat vartmaan dene me lagi thi mujhe NEW GIRL...

jazbaat SAHI the par waqt GALATH...


MAI-mai...

DIMPLE-shhh.... kuch mat kaho...tumse jawab nahi maanga hai maine...bas apni bhaavna batayi hai...

mai jaanti hun ki abhi tumhara dimag aur dil saath me kaam nahi kar rahe, isiliye abhi kuch mat kaho...

bas ek request hai,maanoge...!!!

MAI-kya...???

DIMPLE-maanoge...!!!


kar request rahi thi par ankhon me command sa tha NEW GIRL ke jo achi lagi mujhe isiliye...


MAI-haan...

DIMPLE-


aaj mai taiyar thi ke jo bhi tere liye mere dil me hai,tujhse KAHUN...


jab bhi tu taiyar ho, tere jawab se bhale mai khush ho jaaun yaa phir DARD SAHUN...

khwahish bas itni si hai meri ki teri taraf se inkaar ho yaa phir ikraar...

tere izhaar ke waqt bilkul abhi ki tarah mai teri BAAHON ME RAHUN...









AAJ KE LIYE ITNA HI...





AAPKA APNA V...J...
 
Top