• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)

Punnu

Active Member
1,090
2,142
143
guyz,the thing is ki kal mai dusre sheher me shift ho raha hun,mera business bhi..saath hi saath wahan ek nayi shop bhi khol raha hun..

ye sab next month hone waala tha par is week situations kuch aisi bani ki mujhe turant ye sab karna padh raha hai..

aaj aur kal bohot busy hun mai..parso free ho jaaunga toh update bhi aa jaayega...

sorry for the delay..
Take your time brother....bas ek best thriller update dena ...jisse padhkar maza aa jaye....
 

Rohit1988

Well-Known Member
2,191
7,138
158
guyz,the thing is ki kal mai dusre sheher me shift ho raha hun,mera business bhi..saath hi saath wahan ek nayi shop bhi khol raha hun..

ye sab next month hone waala tha par is week situations kuch aisi bani ki mujhe turant ye sab karna padh raha hai..

aaj aur kal bohot busy hun mai..parso free ho jaaunga toh update bhi aa jaayega...

sorry for the delay..



Koi baat nahi or new shop ki badhaya bhai ji good luck 👍
 

Alok

Well-Known Member
10,427
26,452
258
guyz,the thing is ki kal mai dusre sheher me shift ho raha hun,mera business bhi..saath hi saath wahan ek nayi shop bhi khol raha hun..

ye sab next month hone waala tha par is week situations kuch aisi bani ki mujhe turant ye sab karna padh raha hai..

aaj aur kal bohot busy hun mai..parso free ho jaaunga toh update bhi aa jaayega...

sorry for the delay..
Congratulations 🎉🎉🎉 bhai for the progress in your personal life.. aur jaha tak update ki baat hai hum intezaar kar sakte hai.....
 

Dhaval4

Member
179
631
93
Bhai month me aek bar update do lekin 10,15 aek sath do to padneka maza aajaye
 

krish1152

Well-Known Member
4,492
14,396
158
guyz,the thing is ki kal mai dusre sheher me shift ho raha hun,mera business bhi..saath hi saath wahan ek nayi shop bhi khol raha hun..

ye sab next month hone waala tha par is week situations kuch aisi bani ki mujhe turant ye sab karna padh raha hai..

aaj aur kal bohot busy hun mai..parso free ho jaaunga toh update bhi aa jaayega...

sorry for the delay..
Best of luck for new shop & business settel new city
 

Shani khan

Vj4u Big Fan
280
955
93
guyz,the thing is ki kal mai dusre sheher me shift ho raha hun,mera business bhi..saath hi saath wahan ek nayi shop bhi khol raha hun..

ye sab next month hone waala tha par is week situations kuch aisi bani ki mujhe turant ye sab karna padh raha hai..

aaj aur kal bohot busy hun mai..parso free ho jaaunga toh update bhi aa jaayega...

sorry for the delay..

Bhai ap ki walidah ka kya hal h kesi h

Bhai its ok

Aisa toh hota rhta h or agly mahiny kis tarekh ko shadi h
 

Shani khan

Vj4u Big Fan
280
955
93
guyz,the thing is ki kal mai dusre sheher me shift ho raha hun,mera business bhi..saath hi saath wahan ek nayi shop bhi khol raha hun..

ye sab next month hone waala tha par is week situations kuch aisi bani ki mujhe turant ye sab karna padh raha hai..

aaj aur kal bohot busy hun mai..parso free ho jaaunga toh update bhi aa jaayega...

sorry for the delay..

Bhai ap ki walidah ka kya hal h kesi h

Bhai its ok

Aisa toh hota rhta h or agly mahiny kis tarekh ko shadi h
 

The king

Well-Known Member
4,243
15,466
158
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF ARIF REZA SABSE PEHLE VERONICA SE MILNE KA MAN BANATA HAI WAHIN DUSRI TARAF SANVY HAMMER ARCHADE GAME ME APNE DOSTON KO JEETWA DETA HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-46

DATE-28TH JUNE


CITY-DEHRADUN

PLACE-R.D COLONY





BHABHI,YE REH GAYA...!!!!


abhi VERONICA apni scooty me baithi hi thi ki tabhi do shopper bags jisme nayi shiffon sarees thi aur ek me ghar me bane kuch mithayion ke dabbe, dheere se scooty ke saamne halt par laga diya tha SHALINI ne...(SONU'S MOM)

kaafi dino se shikayat thi SONU ke mom dad ko ki VERONICA ab unke yahan zyada aati nahi..

ussi shikayat ko door karne ke liye aaj bank se sidhe unke ghar aayi thi VERONICA..


VERONICA-bhabhi...aadat badli nahi aaj bhi aapki..

isiliye zyada nahi aati mai kyunki har baar kuch na kuch pakda hi deti hain aap mujhe...

ye sweet boxes le rahi hun mai par sarees nahi...

LE LIDIYE NA AUNTY..PLEASE....NAHI TOH THHANA NAHI THAYUNGI MAI..


chhutki thi ye jisse aise hi time ke liye KISHORE uncle ne train karkar rakha hua tha...

chhutki sirf SANVY ki hi nahi balki VERONICA ki bhi behadh laadli thi.

uski koi baat kabhi nahi kaaththi thi woh..jaante the ye baat kishore isiliye is trump card ka use kiya tha unhone jo kaam kar bhi gaya..

apni godh me le liya tha VERONICA ne chutki ko aur uske gaal ko chum liya..


VERONICA-itni maasumiyat se blackmail karna kab se sikh gaye aap..!!!

bhaiya,ye sahi nahi hai..apni baat manwane ke liye meri bacchi ko use karna band kijiye..

aur apne shop ki best sarees mujhe de denge toh customers ko kya bechenge phir....


muskurate hue haath jod liye the KISHORE UNCLE ne..


KISHORE-ye kapde bhale meri dukaan ke hain par woh dukaan aapki hi den hai..

VERONICA-woh dukaan sirf aapki hai,koi favour nahi kiya gaya hai aap par..

shop toh har koi kisi na kisi tarah khol sakta hai par usse lagatar chalana sabke bas ki baat nahi hai..

aur aisa kar aapne saabit kar diya hai ki jo help aapko mila,aap us help ko deserve karte the...

KISHORE-aapka bhai bhi hun mai aur apni behen ko gifts dena bhi toh deserve karta hi hun mai..

VERONICA-ye SANVY aapko baatein ghumane ki tution toh nahi de raha hai...

HAHAHAHA..


VERONICA ki baat par has pade the KISHORE aur SHALINI...


KISHORE-SANVY ka level touch nahi lar sakte hum... woh toh hindi uccharan ke 45 varn ko bhi 40 saabit kar sakta hai...

HAHAHAHA...


KISHORE uncle ki baat par ek baar phir has pade the teeno jiske baad..


VERONICA-theek hai bhaiya,bhabhi,ab chalti hun mai..

SHALINI-pehe waada kijiye ki ghar ka agla doura jaldi karenge aap..

UMMHHHH..

VERONICA-done par tabhi jab kal ka lunch aap chaaron mere yahan karenge.

agar nahi aaye toh saal bhar ke liye mera is taraf aana bhul hi jaaiyega..


pehle chhutki ke gaal ko chum usse SHALINI ko pakdane ke baad apni lunch ki dhamki dete hue bina kuch sune scooty start kar nikal gayi thi VERONICA..

wahin uski aakhri baat ko sun aur phir yun tezi se nikalta dekh haste hue CHUTKI ke saath ghar ke andar badh gaye KISHORE aur SHALINI...


VERONICA-UK07DH1990.... black scorpio hai..

pata karo ye gaadi kiske naam par registered hai...farzi hui toh isse chaalane waale ki details chahiye mujhe...

bank aur mere ghar ki kal aur aaj ke c.c.t.v footage check karo...

you have five minutes..so be quick...

i am waiting...


DEHRADUN ki ghumavdaar galiyon se nikalte hue apni scooty ke mirror par dikh rahe scorpio par nazar gadaye ek call kiya tha VERONICA ne..

kal se hi ye gaadi usne kayi jagah notice ki thi par zyadatar rooki hui..

par kal ki tarah aaj bhi ye car uski scooty ke piche tab aayi thi jab woh apne ghar ki taraf jaa rahi thi..

TRING....

jaisa time ultimatum diya tha usne,paanch minute hi beete honge ki cell baj utha VERONICA ka..


VERONICA-tell me...kya naam hai...???.....MANGAL BHIL....

isse kya pareshani ho gayi mujhse...


kuch kaha gaya saamne se jisse sun smile naach uthi VERONICA ke face par aur sir shake karte hue call disconnect kar diya usne..


ghar aa chuka tha VERONICA ka isiliye scooty rok piche dekha usne..

gali ke end me woh black scorpio pehle hi rook chuki thi..


VERONICA-GALATH baat par GALATH jagah me GALATH logon se badla lene ki khwahish se zyada GALATH aur kuch nahi hota...

anyways,milna hai aapko toh mil lete hai hum MR.....ARIF REZA....




PLACE-GANDHI UDYAN





YES, THIS TOPIC,DEBATE IF WE SAY PRECISELY HAS BEEN COMPLETELY PROFESSED IN ENGLISH BUT AT THE END OF IT,I WOULD LIKE TO SHARE ONE HINDI SHAYRI WITH YOU ALL...

ATTITUDE ki second class me mile topic"ONLY GOVERNMENT IS RESPONSIBLE FOR ALL THE PROBLEMS IN THE SOCIETY,SIRF SARKAR HI SAMAAJ KE HAR SAMASYA KA SAMADHAN KAR SAKTI HAI'is topic par as expected, DIMPLE phir apna view point de rahi thi..

against mode me thi woh is topic discussion par aur is waqt uske saamne FOR matlab topic se sehmati rakhne waali ek aur senior girl uske saamne khadi thi...

ab tak dono hi girls ne apne apne view points sabke saamne rakh diye the aur final words bolne ke liye DIMPLE ne hindi me shayri bolne ki baat kahi thi..


DIMPLE-

sarkaar toh har paanch saalon me nayi aati hai...

kharab ho toh kuch nahi par agar achi ho toh samaaj ki buraaiyon ko mitaati hai...

par samaaj ki buraaiyon ko mitaane ka zimma khud samaaj ka bhi hai kyunki...

yahi insaaniyat insaan ko insaan banaati hai...


DIMPLE ki kahi baat students ke saath piche khade teachers ko bhi pasand aayi thi..

wahin DIMPLE ke oppose me khadi ladki bhi uski kahi baat par man hi man halki hadbadayi par phir turant khudko control kiya usne aur..


OPPONENT-hindi me kuch panktiyan mai bhi kehna chahungi ki...

students ke gyan ka,
kisaan ke dhaan ka,
sarkaari haspatal me bharti har gareeb ki jaan ka...

sarkaar hi zimmedar hai desh ke har niwaasi ki taklif ke samadhaan ka....


points impactful ho na ho par jo shabd istemal kiye the us girl ne,usse kaafi impressed hue the students aur teachers..

par DIMPLE is list me nahi thi..

us ladki aur phir sabhi students ko dekhne ke beech ek smile naach uthi thi uske face par jiske baad apne sir ko shake karte hue us girl ko dekha DIMPLE ne..


DIMPLE-

jo apni kaabiliyat ko saamne laane se darte hain....

jo har baat me apna dukhda ro rokar marte hain....

dhan sambandhit har vyavasayik musibat ko door toh sarkaar ko hi karna hai magar,

kaayar hain woh jo samajik aur vyaktigat taklifon ke liye bhi nirbhar sarkar par karte hain....


ANJALI-wow, that was really good yaar...


phone me recorded pure clip ko dekhne ke baad DIMPLE ko dekh uski boli speech ke liye taarif ki thi ANJALI ne jispar bas smile kar diya usne..

absent thi aaj ANJALI school se isiliye aaj hue debate ko dekh nahi paayi thi woh..

RASHI ne record kiya tha woh pura debate jisse abhi abhi dekha tha usne...


ROOKO BE KAMINO....CHUTIYON,ROUNTIYAN KHAATE HO HARAMI LOG...


race laga rahe the sab boys jisme last aaya tha NITS isiliye bhadak gaya tha woh...


RASHI-common NITS... haar gaye toh bhi kya, you should take your defeat positively...

KHANAK-aur ye rountiyan kya hota hai...???

NITS-wahi jiski wajah se haara mai...cheating...go ke baad bhaagna hota hai par ye sab kameene get set ke baad hi nikal liye...

lo ek aur chutiya aa gaya... actually sabse bada chutiya...


mai jo abhi just sabke paas pahunch raha tha, mujhe dekh mooh faada NITS ne..


MAI-kacchi umr me har ladke ko uska baap hi sabse bada chutiya lagta hai..

isiliye is sach pe toh nahi par dusre jhaantu pane ke liye..

DHABBBB..

AHHHH...


diya ek laath pichwade me maine NITS ke jispar karahaate hue apni gaand masal kuch bolne ko hua woh par tabhi...


MAI-saale delete kar meri MAA ka number apne phone se...ek baar lagaakar chain nahi aata tujhe...pichle 30 minutes me 50 baar call kiya hai tune...

NITS-abbe toh in sabko bhi de laath phir.. baari baari in sabne hi bola tha call karne...

MAI-waah bete,itni baat toh jaggu aur lalli ki nahi maani tune kabhi..

RAJAT-jaggu,lalli...!!!ab ye kaun hai be....!!!

MAI-abbe jagan uncle, lakshmi aunty..

NITS-bhos....haramkhor....DHABBBB..

HAHAHAH
AHAHAHA.....

bhosdike bolne ke beech ladkiyon ko dekh gaali change karte hue diya ek mukka mere peeth par NITS ne..

wahin uske mom dad ko mere diye nick name ko sun baaki sab zor zor se hasne lage the...


MAI-ho aaye kya tum log HEAVEN'S WAY se...!!!

HEAVEN'S WAY...abhi abhi add hui thi ye jagah yahan par..

anginat khubsurat phoolon ke beech gandhi udyan me bana ek walk path way tha ye.. flowers aur path ko aur aakarshak banane ke liye phoolon ke beech rang birangi lights lagi hui thi jo us path way me chalne waale logon ko aisa feel aur self view deti thi maano woh heaven me chal rahe ho..

issi heaven's way ko dekhne ke liye hi aaye the hum sab yahan..


SAM-nahi gayen hain be..tera hi wait kar rahe the sab...

MAI-par mai nahi kar raha wait...

SAM-rook saale kamine...


heaven's way jis taraf bana tha,us taraf bhaag liya tha mai jispar SAM ke saath saath baaki sab boys bhi mujhe gaali dete hue mere piche ho liye the...

wahin girls bas hamari masti ko dekh hasti hui hum sabke peeche ho li thi...


WOW...... IS THIS PLACE EVEN REAL...!!!!

kuch ke mooh se toh kuch ke dilon se ek sur me nikli thi ye statement joki har lihaz se jaayaz hi thi...

HEAVEN'S WAY...

halke curved angles ke beech logon ke liye chalne aur is man made jannat ki khubsoorati nihaarne ki gazab jagah thi ye heaven's way..

saikdon tarike aur nasl ke phoolon se margins banaya gaya tha is walk way ka..

jin lightings ki baat kuch der pehle hui thi,unhe kuch is tarah se fit kiya gaya tha ki unse nikal rahi kul saath roshniyon ke beams bhi way ki tarah curved angles banate hue us raaste ke beech chalne waale logon ke upar ek chamchamata indra dhanush bana rahe the...

absolutely magical scenerio...

kaafi log moujud the is waqt us jagah par jinme shaamil hote hue houle houle hum sabke kadam bhi us heaven's way ke path ke andar ho chale the...

ek hi group tha hum sabka par itne khoye hue the sab is jagah ko dekhkar ki kaun aage tha,kaun peeche aur kaun saath me,kisiko khabar hi na thi...


KHANAK-isse khubsoorat jagah,phoolon se bana rasta maine aaj tak nahi dekha...

RASHI-true..spain me bhi ek se ek behatarin flower gardens hain par look unme se kisika bhi itna eye catchy nahi tha... it's simply magical...

NAISHA-exactly.. is path ko banane ka idea jiska bhi hai,he or she has nailed it...

MAI-vigyan ka istamal jab bhi prakriti ko todne nahi balki usse jodne,nikhaarne ke liye kiya jaata hai toh akarshan aur zyada badh hi jaata hai...

ANJALI-phir bhi yaar,vigyan aur prakriti,nature ke sangam, mixture se bani toh aur bhi kayi cheezen hai par itni khubsurat rachna nahi dekhi pehle...

MAI-reason hai uska.. baarish sabse pehle phoolon ke chehron par muskaan laa deti hai..

unke aur nikharne ka waqt jo saath laati hai woh...aur baarish hui hai,iska saboot indra dhanush hota hai jo yahan har pal moujud hai..

ab aise saboot ke beech phoolon ki khushi aur us khushi se unki khubsoorati toh badhni hi thi..


thoda poetic jawab tha ye par agar nature ke nature ko dhyan me rakh kar suna jaaye toh sach tha..

kisi aur ne nahi par new girl ne joki sabse aakhir me akeli is heaven's way ki beintaha khubsoorati ko nihaarte hue dheeme dheeme chal rahi thi,uske face par aayi halki si smile ne saaf kar diya tha ki woh mere jawab se ittafaq rakhti thi...


MAI-so, koi sawal tha...!!!


achanak hi mujhe apne side me dekh aur mere sawal ko sun new girl thodi si chownki zaroor par phir normal ho gayi woh...


DIMPLE-sawal...!!!aisa kyun laga tumhe..???

MAI-jab mai aaya yahan toh your eyes rolled up, then side ways jiske baad halke stressed sight ke saath dekha tumne mujhe...

aisa aksar tab hota hai jab koi saamne waale se kuch puchna chahta hai..!!!!

impressive..!!!!!


mere definition par yahi feel chamak utha tha new girl ki aankhon me...


DIMPLE-mujhe nahi pata tha aankhen itna kuch bayan kar deti hain...!!!

MAI-oh you have no idea..jo aankhein padhne ka hunar jaante hain,unke aage gehre se gehre RAAZ bhi apna parda utha dete hain..

DIMPLE-tum jo dikhaate ho,asal me woh ho nahi...

MAI-tum toh jo ho,wahi dikhati jo naa..are you content..!!!kyunki mai toh hun...jaanti toh ho hi tum..!!!


turant rook ektak dekhne lagi thi mujhe new girl..

reason....

meri kahi baat me ek ke andar do jawab the.. infact, statement the..

pehla new girl ke liye tha joki uska sach bhi tha..har race me first aane ki talab par us talab ke chakkar me santushti koson door thi uske heart se..

dusra jawab mere liye tha..kisi race ka hissa nahi tha mai par aisa na kar paane ka koi gum nahi tha mujhe.

na andar,na bahar..ek straight to the core relaxation jhalakta tha mere face par.

ye wahi relaxation tha jisne new girl ke andar shuru se mere liye negetive vibe create kiya tha..

sabse aage hokar bhi woh waisa satisfaction haasil nahi kar paati thi jo mai aakhri aane ke baad bhi mehsoos karta tha..

"jaanti hogi tum"..mera ye exclamation point wahi baat thi jisse samajh gayi thi new girl..

mujhe lagatar dekh rahi thi woh jispar..


MAI-ek hi class me hain..baad me dekh liyo,abhi aage chalen..baaki ab kaafi aage nikal gaye hain...


meri baat par halki par behadh khubsoorat smile ke saath kadam badha diye new girl ne aage...


DIMPLE-aaj ATTITUDE class me jo debate hui,mujhe laga tha uspar tum bhi raay doge par diya nahi tumne...

MAI-yahi sawal tha tumhara...!!!


haan me sir hilaya new girl ne jispar smile naach uthi mere face par..


MAI-aaj ke mudde par tumhari taraf tha mai..aur waise bhi,last class me jo bola tha maine,that was a one time show..

mujhe debate ka koi shouk nahi..

DIMPLE-par kyun..!!!i mean,you are very good at it...jab mouka mil raha hai toh apne view points tumhe sabke saamne rakhne chahiye..

MAI-ek baat batao...aaj ka jo topic tha,can you practically do something about that..

i mean,kya tum logon ko self dependent hone par, government par nirbhar naa karne par future me kaam karne waali ho..

DIMPLE-nopes..

MAI-toh faayda kya us behes ka...mai tabhi kisi mudde par apni raay deta hun jab khud apne kahe points par practically kaam kar sakun..

formal debate bas kori baatein hain.. kuch 50,100 logon ki waah vaahi lutne ka shouk mujhe nahi hai...


ye dusra mouka tha jab meri baat par halt lete hue mujhe dekh rahi thi new girl..

par is baar mujhe kuch bolna pada nahi usse,kuch hi seconds me mere saath aage badh gayi woh..


DIMPLE-ek baat batao,why don't you have a personal mobile..!!!

MAI-hahahaha....i wanna...par mai apni savings se kharidna chahta hun..

but savings ka safar aadha hote hote hi har baar uska petrol khatm ho jaata hai...

NITS-arre tum dono kya saare flowers par research kar rahe jo slow motion me chal rahe ho...

abbe chhod....


apni aadat ke hisaab se hi bhadbhadate hue aaya NITS aur jo mooh me aaya,bak diya usne jispar uske gale ko apne bazuon me lapeth liya maine aur aage badh gaya...


MAI-mutr mukti ho jaaye...

NITS-bhosdike,bol toh aise raha hai jaise chaaye ho jaaye...

MAI-chal na,nal upar karke thoda pee bhi liyo...

NITS-bhaag loude..


new girl baaki sabke paas joki abhi aage jahan play rides the,wahan khade the,unki taraf badh gayi wahin mai aur NITS apne bakar me right taraf bane washroom ki taraf ho liye...


ABBE,YE TOH ARCHANA HAI...!!!


SAM & group se thodi door apne chote ke bhai ke saath ek jawan ladki tehel rahi thi jisse dekh thode door khade SAMRAT SCHOOL ke ladkon me se ek ne kahi thi ye baat..

kapde sadharan pehne the us ladki ne par phir bhi khubsurati damak kar bahar aa rahi thi uski..

SAMRAT ke us lounde ki baat sun uske saath khade 4 ladkon ki nazar bhi ARCHANA par gayi jiske baad aakhein chamak gayi un sabki...


2ND LADKA-abbe ye woh model school waali ARCHANA GUPTA hai naa..!!!

3RD LADKA-sahi pakda hai be..wahi raand..pichle saal apna woh senior nahi tha ATUL, uske saath paise lekar soti thi ye...

4TH-aur bhi the be,ATUL BHAI ne bataya tha mujhe..kaiyon ke bister garm kiye hain isne...

chalo be,apan bhi puchte hain...itni kheli khayi hai,paanchon ko akeli toh sambhal hi legi randi..

5th-saale aadhi hi baat batayi hai kya ATUL bhai ne..5000 leti hai saali ek shot ka..apne paas toh milakar hi ledekar 5000 honge..

1ST-abbe toh ek hi chala jaayega naa...room toh apna hi hoga,thodi der baad sab ghus jaayenge aur nichodenge saali ko raat bhar...

2nd-dimag hi chal raha hai, aankhon ke aage andhera hai kya..???dikh nahi raha,baccha hai uske saath...

3rd-abbe toh usse apne ko kya..!!!chalo ab,kahin nikal na jaaye woh..


jahan ek taraf woh paanchon SAMRAT ke bande chal pade us ladki ki taraf wahin dusri taraf SAM & group jinhone suni thi un ladkon ki baat,unhe bura toh laga tha par kyunki SAMRAT ke ladkon ne ladki ko call girl bola tha, isiliye apna dhyan dusri taraf laga liya tha un sabne...


1ST-hey babes...ARCHANA GUPTA,right...!!!


paanch anjaan chehron ke yun achanak paas aane aur phir unme se ek ke mooh se apna naam sun pehle toh hadbadayi ARCHANA par phir khudko shaant kiya usne aur..


ARCHANA-haan..par aap...!!

1ST-aapke ek khaas friend hain naa SAMRAT se,ATUL..unke hum paanchon bhi jigri hain..sab share karte hain hum...


ATUL ka naam sun pehle hi kaafi nervous ho gayi thi ARCHANA aur uske upar jo share waali baat kahi us ladke ne,usse sun un paanchon ke maksad bhi samajh gayi thi woh.

yahi wajah thi is chehre ka nervousness dar me badalne laga tha ARCHANA ke...

us chote se bache ko joki uska bhai tha,godh me le chupchap palathne lagi ARCHANA par tabhi baaki chaar bando ne gher liya usse...


ARCHANA-ye kya battamizi hai..raasta chhodo mera.. its a public garden...agar shor machaya maine toh bach nahi paaoge tum sab...


kisi tarah apna dar chuppa narazgi dikhate hue thode zor se warning di thi ARCHANA ne un paanchon par asar kuch nahi pada tha unpar uski dhamki ka..


1ST-machao shor... hum bhi bata denge teri asliyat..

protection respected girls ko milta hai, tujh jaisi randi ko nahi...

CHATTTTT......


us first bande ki baat par jahan ek taraf uske dost has pade the, dusri taraf ARCHANA ki nazar sharm aur zillat se jhuk gayi thi wahin teesri taraf itni der se chal rahe is chhichorepan ko sun un ladko ko sabak sikhane ke liye DIMPLE aage badh chuki thi par tabhi pada aakhri dialogue maarne waale ladke ki gardan ke upar ek zordar tamacha jispar uske badhte kadam par turant break padh gaya...

hit point itna zyada perfect tha ki impact hote hi naa sirf woh ladka lehrate hue neeche gira balki sir aisa ghuma uska maano kisine bhaang pila diya ho usse..

maine maara tha ye hit..door se hi dekh liya tha maine chal rahe scene ko..

mere hi moholle me kiraye ke ek ghar me rehti hai ARCHANA..

sab jaanta hun mai iske baare me.. chehre par uske dikh rahe dar ko dekh aur us ladke ki baat ko lip read kar liya tha maine aur isiliye turant badha tha mai unki taraf...

wahin apne dost ko yun maar khaate dekh uske chaaron saathiyon ne ghusse se dekha tha mujhe par woh expression mujhe pehchante hi gayab ho gaya..

ab unke school ke sabse chhate hue haramiyon ko kutte ki tarah maara tha maine..aise me naa sirf jaante the SAMRAT ke lounde mujhe balki faththi bhi bohot thi un sabki mujhse...

saboot is baat ka yahi tha ki jaise hi ghoora maine un sabko toh ek kadam piche hath chuke the woh sab...

is beech kisi tarah khada hua woh pehla ladka..sir jhatakne ke baad jab nazar padi uski mujhpar toh uska bhi ghussa raffuchakkar ho chuka tha...


MAI-maafi maang ladki se...

1ST-bhai tereko pata nahi hai,ye ek..

AGHHHH....

2ND-tere baap ke jis pose me release karne ke kaaran teri maa ki kokh me beej gaya tha,woh angle bhi pata hai mujhe, isiliye apne jhantu tark apne pichwade me rakh..


turant aage badh us lounde ko gale se pakad liya tha maine jispar saans halki halki atakne lagi thi uski...


MAI-is ladki ke pehchan ke liye jis shabd ko chuna tune,maayne jaanta hai uske...


apne bedaag anchal me jab khud hi kaali syahi POTTHI hai ladki,tab milti hai usse woh pehchan...

apni lachari ki fati chaadar ko silne ke liye jab apni maasumiyat KHOTI hai ladki,tab milti hai usse woh pehchan...

apni insaaniyat ko,khuddaari ko,izzat ko dafan kar jab kisike neeche SOTI hai ladki,tab milti hai usse woh pehchan...

ghar me koi zinda rahe,hasta rahe, isiliye apni aatma ki hadh tak jab ROTI hai ladki,tab milti hai usse woh pehchan...


us pehchaan ke piche jo kahani hai naa,us kahani ke ek kisse ka bhaar uthane ki bhi taakat nahi hai tere andar..


KHONNN..KHONNNN...KHONNNN....


dhakka de diya tha maine us ladke ko jiske baad neeche gir khaasne laga tha woh..

wahin is beech is pure scene ko aankhein faade dekh rahi thi ARCHANA par mere kahe ye aakhri chand lines joki uska sach bhi the, thoda aur hairan ho gayi thi woh...

anyways,wapas mood apne group ke paas jaane laga tha mai par phir rook palta mai un ladkon ke group ki taraf jo mujhe unki taraf moode dekh phir dar gaye the..


MAI-ek baat toh batao...


"ladki GALATH hai, isiliye uski izzat aur kapde utre hue hain..par tum sab toh sharif ghar se ho naa,tum usse kapde pehna nahi sakte the"...


mood mera kaafi off ho chuka tha isiliye apne group ki taraf na badh ab mai garden exit way ki taraf hi nikal gaya tha..

waise toh mujko rokte mere dost par meri kahi aakhri baat un sabke dilon me utar chuki thi..

kyunki jo initiative maine liya tha,waisa woh bhi le sakte the par liya nahi tha un sabne..

aur meri aakhri me kahi baat un sab par bhi toh laagu hoti hi thi..

khair, SAMRAT waale lounde sir neeche kar chale gaye the aur ye dekh proudly mere face ko yaad kiya NITS ne aur..


NITS-naa mukka laaton me aur naa baaton me...SANVEER AHARYA...ONE MAN ARMY...

ARCHANA-kya naam bataya aapne...!!!


kaafi shock hote hue pucha tha ye sawal ARCHANA ne..

NITS-SANVEER AHARYA..kyun,kya hua..!!!

ARCHANA-SANVEER,woh B.O.B me jo field officer kaam karti hain,MRS,VERONICA PAUL AHARYA,unka beta...

NITS-haan wahi..aap kaise jaanti hain aunty....


ko andar hi reh gaya tha NITS ka kyunki aankhen chhalak gayi thi ARCHANA ki..

par ye aansu thankfulness ke the..

mujhe piche se jaata hua badi khushi aur respect se dekh rahi thi woh..


ANJALI-tum jaanti ho usse aur uski mom ko..

ARCHANA-2 saal pehle dad guzar gaye the mere..

cancer tha unhe..par guzarne se pehle unke ilaaj me hamari saari savings khatm ho gayi thi..

mom meri zyada padhi likhi nahi hai...par phir bhi ek average job lag gayi thi unki but ek din unka bhi accident ho gaya..

ridh ki haddi me chot aayi thi jiski wajah se pair bekaar ho gaye mom ke..

dad ki death upar se accident...hamare future ke liye bohot zyada stress lene lagi thi mom jis wajah se high b.p ki problem bhi hone lagi thi unhe and finally unhe heart attack aaya..

major tha attack..angiography me pata chala ki 3 blockages aa gaye the unke arteries me..

angioplasty ke liye 4.50 lakhs ki zaroorat thi jiska 10 percent bhi nahi tha hamare paas..

ek doctor ne bataya hume ki chillation bolke ek saline jaisa procedure hota hai jisse bhi blockages ko dheere dheere kam kiya jaa sakta hai..

puri recovery toh nahi par kaafi improvement ho sakti hai agar chillation har month 2 liya jaaye toh..

per chillation 5 thousand ka kharcha tha aur first month total 8 dene the mom ke condition ko stable karne ke liye...

ab itne paise kahan se arrange karti mai isiliye..


aage kaha nahi ARCHANA ne kuch par uske aankhon se nikal rahe aansuon ne us ankahi kadwe sach ko bata diya tha...

kuch seconds lage ARCHANA ko par khud ko sayyamit kiya usne aur..


ARCHANA-wakayi month bhar me mom ki haalath thik hone lagi thi..

2 mahine baad toh woh ache se chalne bhi lagi thi..haan,blocks ki wajah se saans jaldi fool jaati thi unki but her condition was stable..

par us condition me bhi full time job kaafi mushkil tha unke liye isiliye unhone boutique daalne ko sochi..

loan ke liye jitne ban pade papers taiyar kiya aur chali gayi bank..

mai bhi saath gayi thi par ummid nahi thi mujhe ki kuch hoga kyunki naa toh girwi rakhne ke liye hamare paas koi property bachi thi aur naahi personal loan ke liye lagne waale complete papers the hamare paas..

aur hua bhi wahi...3 banks ne hamari request reject kar di thi..

par phir ek din hamare ghar B.O.B ki field officer khud aayi... VERONICA PAUL AHARYA...

unhone kaha ki hamari loan application ki ek copy unhe bhi mili thi aur agar hum interested hain toh P.M.E.G.P ke antargat without guarantee ek 5 lakh ka loan woh hume dilwa sakti hain jo unhone 48 hours me dilwa bhi diya woh bhi without taking any guarantee money...

par in sabke beech mai is baat ko lekar shocked thi ki hamari loan application B.O.B me gayi kaise jab humne koi online loan portal me kuch apply kiya hi nahi tha...

akele me VERONICA maam se pucha tha maine ye sawal jispar pehle toh baat taalne lagi thi woh par mere lagatar request karne se is sharth par ki baat yahi khatm ho jaayegi, bataya unhone ki ek hi colony me rehte hain hum aur jo hamare saath hua tha, uski khabar thi unke bete ko....

aur unke bete ne hi kaha tha unse hamari help karne ke liye...

mana kiya tha unke bete ne unhe mujhe ya meri mom ko is baat ko bataane se isiliye wada liya VERONICA ji ne mujhse ki mai bhi agar kabhi unke bete se mili toh is baat ka zikr na karun..

side se,door se kayi baar dekha tha maine unhe par jisne hamari life phirse back on track laa di,pura face aaj hi dekh paayi hun mai uska..

SANVEER AHARYA....


ek baar bade pyar se naam liya SANVY ka ARCHANA ne aur phir sabko bye bol apne bhai ko godh me uthaye hue hi woh aage badh gayi..

uske peeche peeche hi baaki sab bhi aapas me baat karte hue garden exit gate ki taraf badh gaye the par is beech koi tha,jiski aaj zindagi me pehli baar dimag me nahi balki dil me hulchul mehsoos ho rahi thi..

DIMPLE....

har baat me dimag ka istamal karne waali DIMPLE ke saamne abhi thodi der me jo kuch bhi hua,usne uske dil par gehra asar chhod diya tha...

pehle SANVY ka ARCHANA ke liye us ladke ko maarna, phir jo jo baatein kahin usne ek ladki ki izzat me joki right from the heart thi aur aakhir me ARCHANA ka revelation,aisa kuch kabhi dekha aur suna nahi tha DIMPLE ne..

uske liye har chiz win aur loose waali rahi thi...par aaj pehli baar usse aisa lag raha tha jaise jeetne se bhi bada kuch aur bhi hota hai...

aisa niswarth ATTITUDE,aise clear aur bright point of view and most importantly,aisa human oriented unconditional love kabhi nahi dekha tha usne...

har hurdle ko,nadi ko paar karne ka dum rakhne waali DIMPLE BATRA ko aaj SANVY us samandar ki tarah lag raha tha jiske anthin hadhon me woh khud haar kar doob sakti thi...

aisa incompetence kabhi feel nahi kiya tha usne aur is ehsaas ke maayne bhi nahi samajh paa rahi thi woh..

chal rahi thi dil aur dimag me bas ek baat...



DIMPLE-



"
AISE KYUN HO TUM"....


kabhi nasamajh kabhi NADAAN,
kabhi yodha jo bacha le kisi bhi maasum ki JAAN...

aisa dohra vyaktitv jiska asal sach thik se DIKHTA NAHI...
aisa kirdaar jaisa ab upar waala LIKHTA NAHI...

dhun toh sou hain par TAAL bas ek hi hai..
bhavnaon ke lehron ke beech SAWAL bas ek hi hai...

AISE KYUN HO TUM...???


jiske liye bheed ikattha ho, hamesha se hi woh BANANA HAI MUJHE...
par dil ek alag raaste par chal pada hai,keh raha hai,usse jaanana hai TUJHE...

socha na tha aisa aag niklega tu jiska DHUAN TAK NAHI...
badi badi cheezen kar yun rehta hai maano kuch HUA TAK NAHI...


talwar jitne chaahe pakad lo,par DHAAL toh bas ek hi hai...

chizon par padi laali bohot hain par khoon waala LAAL toh bas ek hi hai...

hazaron maadhyam hain roshni ke par suraj waala KAMAAL bas ek hi hai...

khayal toh bohot se hain par SAWAL toh bas ek hi hai...


AISE KYUN HO TUM....????










AAJ KE LIYE ITNA HI...






AAPKA APNA V...J...
Awesome jabardast lajawab update bhai waiting for next update
 

Chinturocky

Well-Known Member
4,312
12,563
158
guyz,the thing is ki kal mai dusre sheher me shift ho raha hun,mera business bhi..saath hi saath wahan ek nayi shop bhi khol raha hun..

ye sab next month hone waala tha par is week situations kuch aisi bani ki mujhe turant ye sab karna padh raha hai..

aaj aur kal bohot busy hun mai..parso free ho jaaunga toh update bhi aa jaayega...

sorry for the delay..
नई दूकान की बहूत बहूत शुभकामनाएं।
ईश्वर कृपा करें, आप दिन दुगनी रात चौगानी तरक्की करे।
और ऐसे ही उत्तम अतिउत्तम कहानियों और किरदारों की रचना कर हमारा मनोरंजन करते रहे।
 
Top