• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)

Zaigham Bhatti

Active Member
900
2,979
123
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF VERONICA KO GOD KE RESURFACE HONE KI KHABAR MILTI HAI WAHIN DUSRI TARAF VAJRA BODHI SANVY KO EIGHTEEN HANDS OF BUDDHA TECHNIQUES SIKHAANE KE LIYE MAAN JAATE HAIN.

AB AAGE:-

CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)

UPDATE-44

DATE-17TH JUNE

CITY-DEHRADUN

PLACE-BARE KNUCKLE

DHABBB..DHABBBB..DHABBBB....

aaj lagbhagh do mahino ke baad punching bags ko hit kar raha tha ROUNAK...

par aisa karte waqt uske right hand me ek sensation paida ho rahi thi jisse uthe halke par irritating pain ko zabt karte hue continous hit kar raha tha woh punching bag par...

ISSE ACHA HOTA KI TU HAWA ME HI HAATH GHUMA LETA..

DHANG SE PUNCHING BAG TOH HIL NAHI RAHA, KAMSEKAM HAWA KI TOH TERE NAAZUK HAATH RAASTA BADAL PAATE..

kharkhari awaaz me ek kataksh jo ROUNAK ke piche se ubhri thi,usse sun turant palta woh toh paaya ki safedh pathani me ek kareeb 40 ki umar ka kaafi hatta shaksh usse hi dekh raha tha...

gora rang aur kadh ki hi tarah lamba chehra jisme right gaal par ek cut ka nishan tha..

personality tagdi par sabse expressive aankhen jinme kaaiyanpan saaf dekha jaa sakta tha...

wahin dusri taraf ROUNAK tha jisse waise toh itni tagde bande ko dekh kar halka ghabra chahiye the par kadh kaathi ke maamle me kam toh woh bhi nahi tha..

upar se is waqt woh anjaan shaksh khada bhi ROUNAK ke area me tha but most importantly,us shaksh ke taunt ne us taar ko chhed diya tha jisse khud ROUNAK bhi jhunjhlaya hua tha...

lagbhag 2 mahine pehle SANVY ne jo uska haath toda tha,us fracture se abhi abhi hi recover hua tha ROUNAK but puri tarah theek woh ab bhi nahi tha..

isiliye hi punching bag me uske hits ka power bhi kaafi kam tha..

ye drawback khud mehsoos kar raha tha woh jisse taunt me bol ghussa bhadka diya tha us unknown shaksh ne ROUNAK ka...

ROUNAK-kaun hai be tu...!!!!aur sabzi mandi samajha hai kya is jagah ko jo mooh uthaye ghus aaya idhar...

apne gloves nikaal side stall par rakhte hue us unknown shaksh ki taraf badh gaya tha ROUNAK..

DHADDDHHHHH...

tezi se chalte hue us unknown shaksh ke paas pahuncha hi tha ROUNAK ki tabhi ek tez punch pada uske mooh par..

kaan se aage aur gaal ke thida piche jo jabde waala hissa hota tha,wahan maara tha us shaksh ne apna punch..

punch itna zyada tagda tha ki ROUNAK jaisa tagda banda bhi lehrate hue turant zamin par gir chuka tha..

punch ke asar se jabdo ki haddi me ek bhayanak swelling aa chuki thi jiski wajah se ROUNAK ka mooh bhi dhang se khul nahi raha tha..

dard itna zyada hone laga tha usse ki us pain se aankhein bhi bhaari ho chuki thi ROUNAK ki..

wahin punch maar bade araam se ROUNAK ke theek saamne baith gaya woh anjaan shaksh aur..

UNKNOWN-aise maarte hain punch....padne ke asar se sharir me toh jaan barkarar ho par zindagi begaani si lagne lage..

AHHHHH...

ROUNAK ke face ko pakad apni taraf ghumaya tha us shaksh ne jispar jabde ki swelling se uth raha dard aur badh gaya tha ROUNAK ka..

ROUNAK-kkaaaaun hain aaaaaappp...

swelling aane ki wajah se bade mushkil aur ajeeb tarah se pucha tha ye sawal ROUNAK ne..

UNKNOWN-ab ye hui na baat...tu se sidhe aap...dekha,mukka padte hi tehzib bhi lout aayi teri...

ARIF....ARIF REZA naam hai mera...RASHID ka bada bhai hun mai...

jaise hi us unknown ne apna naam aur apni pehchaan batayi, aankhein badi hoti chali gayi ROUNAK ki..

ARIF REZA...jahan RASHID sirf uttarkhand,as in ek state me apni illigal dhandhon ke liye mashoor tha wahin ARIF REZA ka naam
goa,gujarat,maharashtra
,dadra and nager haveli
daman and diu.. matlab ki pure west india territories me gunjta tha...

extortion,money laundering and most importantly,human trafficking ka ek bohot bada naam tha ARIF REZA...

india ke most wanted gangsters me se ek tha ye isiliye apna saara kaam dubai se handle karta tha ARIF REZA...

2 mahine pehle jo uske bhai ke saath hua, uske baad ek pal bhi chain se nahi baith paaya tha woh but kyunki ye baat police bhi jaanti thi ki RASHID ki death ki khabar ko sun ARIF zaroor hindustan aayega, isiliye india ke har international airport aur port me checking badha di gayi thi...

yahi wajah thi ki ARIF ko rookna pada tha...2 hafte pehle hi pahuncha tha woh yahan par uske baad bhi safety measures lete hue khudko underground rakha tha usne..

aur ab jab uske logon ne uski safety confirm kar di toh tab jaakar nikla tha woh apne hide out se...

ARIF-pata hai na tujhe mai kyun aaya hun...!!! mere sources se mujhe pata chala hai ki mere bhai ke murder se pehle woh tujhse mila tha...

bina ghumaye ya pause liye puri kahani bata...

jaisa ARIF ne kaha, ROUNAK ne kiya.. apne suje jabde ke baawjud kisi tarah jo hua tha,puri ram kahani woh sunata chala gaya ARIF ko jisse sun kaafi hairan ho chuka tha ARIF..

ARIF-toh tu ye bol raha hai ki mere bhai ko uske saikdon aadmiyon ke saath ek school me padhne waale pille ne maar diya,woh bhi jaan se...

mukke ka asar dimag par chadh gaya hai kya be...!!!

ROUNAK-mai sach keh raha hun bhai...kaise kiya usne, khud kiya ya karwaya,ye nahi jaanta mai par RASHID bhai ki mout ke piche us ladke ka haath hi hai...

aaj bhi uske mujhse kahe woh aakhri shabd mooh zubani yaad hain mujhe...

"aage aaj jaisi koi harkat mat karna,aisi koi warning nahi dunga mai tujhe...jaanta hai kyun..!!!

naaa.ek hafte baad paper me khud hi padh lena...aur jo padhega,usse apne future me sochi kisi bhi atrangi plan ka anjaam samajh lena"...

yahi bola tha usne bhai...aur ek hafte ke baad paper me RASHID bhai ki death news chappi thi...

ROUNAK ki baat sun ARIF ka dimag hi ghum gaya tha joki laazmi bhi tha.

chota mota gunda toh tha nahi uska bhai..pure uttarakhand me jaana maana naam tha uska..

aise me ek school going student uske bhai ko uski gang ke saath nipta gaya...

ye baat hazam nahi ho rahi thi usse..but main baat ye thi ki mara toh tha uska bhai jiska kaaran woh school going ladka aur saath hi saath woh ladki bhi thi jiski hifazat woh lounda kar raha tha..

jaise hi ye baat click hui ARIF ke dimag me toh...

ARIF-us lounde ki aur us loundiya ki jisse bacha raha tha woh lounda, koi pic hai tere paas...!!!

ROUNAK-hai na bhai...

turant apna mobile nikal gallery me jaa sabse pehle ladki ki photo open kar ARIF ke saamne kar diya apna mobile usne..

wahin jaise hi us ladki ki tasvir aayi ARIF ke nazaron ke saamne,toh aankhein aur patloon dono hi chamak aur thanak gaye the uske..

mobile le liya aRIF ne ROUNAK ke haath se aur zoom kar photo me dikh rahi khubsoorati ki us bemisaal shakshiyat ko dekhne laga..

ARIF-mashallah....kya husn hai...is kacchi umr me bhi aisa noor...2,3 saalon me toh kohinoor bhi sasta bikega iske aage...

us photo ko live girl samajh uspar haath firaane laga tha ARIF..kuch pal yunhi karne ke baad dhyan apna hataya usne pic se aur..

ARIF-aur woh lounda...!!!

ROUNAK-ek baar scroll kijiye na bhai..agli photo ussiki hai..

ROUNAK ke bolte hi ek baar right swipe kiya ARIF ne aur uske aisa karte hi jis ladke ki pic uske aankhon ke saamne thi usse dekh ek baar phir hairan ho gaya tha woh...

ARIF-ye hai woh lounda..!!!!dimag toh kharab nahi ho gaya tera..!!!

ROUNAK-bhai shakal par mat jaao...jitna maasum dikh raha hai ye,chiz utni hi harami hai..

haath aur dimaag, dono hi bhayankar tez chalte hai iske...

ROUNAK ki baat sun kuch pal dekhta raha ARIF us ladke ke pic ko...

BHAI,NIKALNA CHAHIYE...

ye ARIF ka banda tha jo is buliding ke bahar casual hone ke bahane se pehra de raha tha..

koi police petrolling car nikli thi kuch seconds pehle idhar se isiliye turant andar aaya tha woh..

apne bande ki baat sun haan me sir hilaya ARIF ne aur...

ARIF-ye do pics hain...apne phone me le isse aur jitna isse pata hai,in dono ke baare me details le lena...

phir laga apne bando ko aur baaki ki puri janm kundali nikaal in dono ki...

BANDA-ho jaayega bhai..

apne bande ko instructions de bahar ki taraf nikal gaya ARIF par phir aadhe raaste me rook palta woh aur...

ARIF-naam kya bataya tha ladki ka...???

ROUNAK-DIMPLE bhai...DIMPLE BATRA...

ARIF-DIMPLE BATRA.....aur lounde ka...!!!

ROUNAK-SANVEER..SANVEER AHARYA...

DATE-18TH JUNE

PLACE-SIRIUS

YE BAITHA HAI KAMINA.. SAALE,AISA KAUN SA KAAM KAR RAHA THA PICHLE DO HAFTON SE KI APNE SAATH SAATH HAMARE BHI VACATIONS KE AAKHRI 14 DIN KHARAB KAR DIYE TUNE...

apna school bag mere upar fek bhadbhadate hue mere theek saamne aakar khada ho gaya tha NITS..

NITS ke saath mera pura group bhi tha jinhone kaha toh kuch tha nahi but aankhon me un sabke bhi wahi sawal tha..

ANI toh din bhar mere ghar me rehti thi but kyunki mujhse zyada waqt woh MAA ke saath guzaarti thi isiliye ek wahi thi jo chilled out thi...

pichle 14 dino me 144 baar alag alag bakchodi ke liye phone kiya tha in sabne mujhe par har baar taal diya tha maine.

aur jab bhi ghar aate toh soya pada milta tha mai..MAA ne bhi uthaane se mana kiya tha isiliye kuch kar nahi paate the kamine..

ab aise me frustration toh laazmi hi tha...

MAI-abbe zindagi ka asli maza sone me hai...wahi lutf uthaa raha tha..

DHABBBB.....

ek zor ka mukka mere kandhe me jama diya tha NITS ne..

NITS-dekha tha humne tera lutf...saala jab bhi tere ghar aaye hum,shakal se zyada tera hawa me utha hua pichwada hi dekha tha humne..

SONU-kkasam sse bbe...bbohot zzyada ledra hho ggaya hhai ttu..

NAISHA-par aaj janab sabse pehle school aa gaye...abhi toh essembly me bhi 5 minutes baaki hain..

SAM-wahi toh..if i am not mistaken,new session ke first day,kabhi time par school nahi aaya tha tu...

MAI-toh wasooli ho gayi naa aaj..har saal ka late kota aaj pura kar diya...

ab apni apni sadhi shakal ka tokra hatao be mere saamne se...

beta,ab peeta toh pel dunga..

ek baar phir maarne waala tha mujhe NITS par meri dhamki sun haath rook gaye uske..

NITS-darta hun kya be tere se..par tu bhi kya yaad karega,jaa,rehem kiya...

TRRRRRR...

NITS ki baat sun has diye baaki sab par tabhi baji essembly bell jiske baad hum sab uthkar the great hall ki taraf badh gaye..

naye session ke first 20 minutes essembly ke baad hum sab back to the class the..

as said,first day tha isiliye padhayi naa ke barabar ho rahi thi... first recess se pehle ke 3 period bakar karte hue kaise nikal gaye,pata hi nahi chala..

TRINNNNNN...

SONU-bhosdike...

recess ki bell baj chuki thi jiske baad NITS mahoday ne aisi angdayi li maano pichle 3 classes fully focused hokar kitaab me ghusa hua tha...

yahi dekh baki thi SONU ne gaali jispar NITS ke kaano me jun tak na rengi...

NITS-chalo bhai,canteen...14 din gayab raha tu lounde,bill tu hi dega...

DIMPLE-excuse me SANVY,can we talk...

MAI-we are talking...

DIMPLE-akele me..

NITS ki baat par mai kuch kehta ki tabhi new girl mere saamne aakar khadi ho chuki thi jiski baat sun kabhi mujhe toh kabhi usse dekhne lage the NITS aur SONU..

MAI-where...

DIMPLE-hall way...

MAI-sure...

jahan new girl aur uske piche mai aage badh gaya wahin hum dono ko saath saath jaate dekh NITS aur SONU ka shock badh chuka tha..

SONU-yye ddono kkab sse akkele cchhit cchat kkarne llage...

NITS-saala,ye 14 din DIMPLE ki fielding toh nahi kar raha tha...pata wata toh nahi liya bandi ko...

SONU-cchal bbe..kkuch bbhi bbolta hhai...aisa kkuch hhota ttoh bbatata nna SANVY appne kko...

NITS-aisa hi ho toh theek hai..nahi toh khub pelunga harami ko...

wahan NITS alag alag angles laga raha tha aur idhar...

DIMPLE-jo puchun,honestly jawab doge...!!!

MAI- diplomacy sikhi nahi abhi tak maine...

DIMPLE-

soch,aadat, vyaktitv...bhram hain ye shabd jinhe paida bhi dimaag ne kiya hai aur agar chaahe toh khatm bhi dimaag bade araam se kar sakta hai...

par uske liye bhi ek dridh aur sakaratmak soch ki zaroorat hai..aisi sakaratmak soch jo aadat ban jaaye aur phir woh aadat,vyaktitv...

us din monastery me VAJRA BODHI ji ke statement par ye kaha tha tumne...!!!!

kaise sujha tha tumhe ye jawab...???

wakayi curiosity ki ek next level student thi new girl.. do hafte pehle meri kahi gayi baat naa sirf word to word yaad thi usse balki mere thought process ke according uska matlab jaanane ke piche jo jigyasa dikh rahi thi uske face me,woh wakayi appreciative thi...

MAI-kyun..???kya GALATH tha mai...???

DIMPLE-on the contrary,pehli baar GALATH nahi the tum...

MAI-GALATH aur SAHI sirf perception hota hai...aur perception ek partial myth ki tarah hota hai..

DIMPLE-true..par jawab nahi diya tumne...kaise sujha tha tumhe woh jawab...!!!

MAI-mere spinal cord ko kisi ka bhi mujhe confront karna pasand nahi..

jab bhi aisa kuch hota,jawab wahi deta hai...us din bhi aisa hi hua tha..

VAJRA BODHI ji ka achanak aakar gyan dena acha nahi laga tha mere spinal cord ko aur isiliye mere reflexes jawab ke through bahar aaye...

DIMPLE-biological sense of humour.that was new....

MAI- creativity should be at its best..

DIMPLE-are you hurt...???

MAI-no..why do you thought so..??

DIMPLE-day ke start me jab NITS ne tumhare shoulders ko hit kiya tha,pain dikha tha tumhare face par..

......................................................................

LIFTING THE SKY TECHNIQUE IS TOUGH SON..VERY TOUGH...

50 kg ke us gigantic stone ko jab 10 second hold karne ke baad chhod diya tha maine toh kahi thi ye baat VAJRA BODHI ne mujhse...

LIFTING THE SKY...LOHAN HANDS ke defence ka ek aisa shaktishali move jisse bade se bada attack badi asaani se jhela jaa sakta hai..

waise toh MAA ne sikhaya hai mujhe is technique ko par itne heavy aur fast attacks ke saath nahi...

50 kgs ke stone, weight lift,super heavy wooden carts...ye sab rakhe nahi feke the mere upar SHIFU ne jisse kisi gend ki taraf asaani se lapakna tha mujhe...

yahi thi LIFTING THE SKY technique...apne pure sharir ki taakat ko apne dono kandhon ke beech laana taaki kisi bhi bhaar ko badi asaani se hold kiya jaa sake...

jo LIFTING THE SKY technique ko master kar lete hain,woh apne se 6 guna tak ke zyada bhaar ke bande ko bhi uthaate hue badi asaani se dhobi pachhad maar sakte hain..

aaj ek hafta ho gaya tha mujhe saare LOHAN HANDS ke offence aur defence hands ko practice karte hue par sabse zyada dikkat mujhe issi technique me aa rahi thi..

VAJRA BODHI-feel your core strength...apni reedh ki haddi ke andar behte khoon ke bahav ko mehsoos karo..

get all your body strength and more importantly your desperation power to your shoulders and show your grit...

HOLD...

badi asaani se us lagbhag 60 kg ke hard wooden cart ko uthaya VAJRA BODHI ne aur usse upar hawa me uchaalte hue meri taraf fek diya..

AHHHHHH...

kisi tarah catch toh kar liya maine usse par is process me mere dono shoulders ke GLENOHUMERAL LIGAMENTS misplace ho chuke the..

cart neeche giraate hue kisi toote haath waale bande ko tarah neeche gir chuka tha mai...

KDAKKKKK.....

asahaniya dard bardasht na kar paane ki wajah se behosh hone se pehle VAJRA BODHI ko apne dono dislocated shoulders ko ghumkar theek karte hue mehsoos kiya tha maine..

ligaments toh back to place wapas aa chuke the but pain,sujan,inka daur lamba chalne waala tha...

.........................................................................

MAI-gym start kiya hai..!!!wanna join...

DIMPLE-match nahi kar paaoge...

MAI-karna bhi nahi hai...waise bhi aasman kabhi apni lambai aur chowdayi napwata nahi...

aisa koi measuring tape bana hi nahi...

TRRRRRRR....

recess over ho chuka tha isiliye class ki taraf badh gaya mai...

wahin meri baat ka matlab samajh nahi paayi new girl aur isiliye...

DIMPLE-matlab...

MAI-matlab kuch nahi..suna tha kahin ye dialogue.. socha maar lun...

DIMPLE-idiot...

sir shake karte hue mere piche class ki taraf ho li thi new girl...

THE COUNCILING HALL:-

abbe,aaj hi toh session shuru hua hai aur pehle hi din SIRIUS ne koi event rakh liya..???

final period me peon ne humari class ko COUNCILING HALL me jaane ko kaha tha..

PRINCI'S ORDER...

on the way me pucha tha ye sawal NITS ne jispar...

SONU-ttujhe kyun llagta hhai ki kkoi event hhoga...???

NITS-abbe toh kya parents teachers meeting ke liye bulaya hai hume..iski maa ka...ye toh puri baarat idhar hai be..

COUNCILING HALL me ghusse hi the hum ki saamne ka nazara dekh hum sabhi hairan reh gaye the...

B section ke saath sabhi senior classes moujud thi is waqt HALL me...

hum sab bhi jaakar hall ke us block me jahan chairs khaali the,jaakar baith gaye...

NITS-kya lagta hai..!!!kya hoga idhar...

MAI-match hone waala hai kya jo result puch raha hai... PRINCI aayegi toh pata chal hi jaana hai..

AFTERNOON STUDENTS...

abhi maine apni baat ki hi thi ki tabhi kuch teachers ke saath HALL me enter hui hamari PRINCI...

unhe wish karte hue hum sab bhi apni jagah par khade ho chuke the...

PRINCI-PRINCIPAL hone ke saath saath mai ek teacher bhi hun..and as a teacher,meri zimmedari sirf apne students ke educational growth tak hi seemit nahi hai balki unke social thoughts ko nourish karna bhi meri responsibility hai..

aap sab youth hai..the base strength of our country...

aapki soch hi hamare desh ka kal likhne waali hai toh aise me us soch ka strong aur positive hona bohot zaroori hai...

issi aspect par kaam karne ke liye is saal se har saturday aap sabki aakhri class "ATTITUDE" ki lagegi...

ATTITUDE as in drishtikon,nazariya jiska sahi aur sakaratmak hona ek ujle bhavishya ke liye bohot zaroori hai...

but kyunki aaj aapke is session ka first day hai isiliye aapki first ATTITUDE class abhi lagne waali hai...

is class me koi teaching nahi hogi...bas ek topic aap sabke saamne rakha jaayega..

aap sabko ya phir jo bhi vocal hona chaahe,usse given topic me apna perception saamne rakhne ka mouka milega...

agar koi us perception se differ kare toh he or she can give their own thoughts to the topic..

simple...

wakayi simple par kaafi asardaar way chuna tha hamari PRINCI ka students ke samajik aur maansik vikaas ka dayra badhane ka..

jo given topic par bolega ya bolegi, kyunki woh student honge isiliye naa sirf woh point of views baaki students sunenge balki ek hi umr ke hone ki wajah se relate bhi bade araam se kar paayenge..

relate..the first step to acceptance....

brilliant.. wakayi hamari PRINCI ek alag level ki psychological expert thi... bina press kare,she knew how to give her inputs and knowledge to anyone and everyone she wanted...

PRINCI-ready for todays topic...!!!

YES MA'AM..

sabki awaaz me feel ho rahi excitement ye saaf bata rahi thi ki ma'am ke is innovative idea ko kitna pasand kiya tha sabne...

PRINCI-so todays topic is DIVORCE...

saath aksharon ka ek chota sa shabd jiske maayne utne hi bade hain..

it's good,bad, SAHI hain ya GALATH..feel free to give your opinion...

kaun bolega...!!!

as expected,sabse pehle haath upar hua tha new girl ka jisse dekh..

PRINCI-DIMPLE BATRA,common,the floor is yours...

turant PRINCI ke paas jaakar khadi ho gayi thi new girl jiske baad...

DIMPLE-i think divorce me kuch bhi GALATH nahi hai agar reasons SAHI ho...

it's just about choices...

i mean, there was a time jab kisi bhi ladki ko shaadi ke baad apni puri life apne husband ke saath bitaani padti thi...that to iske according..

bhale hi woh andar se us rishte se naakhush ho par samaaj aur dikhawe ke pratha ki diwaar usse apni khawahish, differences saamne laane se rokti thi...

aisa nahi hai ki har baar taklif aur zabardasti ladki ko hi hoti thi..kayi baar ladke ko bhi strict parenting aur society ki wajah se ek hi rishta jisse woh khush nahi tha, zabardasti nibhaana padta tha..

aur indirectly ,ye ek bohot bada reason bhi raha hai hamare desh ka developed nahi balki developing country hone ka..

zabardasti ke bandhe rehne ki soch hume baaki sectors me bhi dominate karne se rokti aayi hai...

itna zyada potential hai hum indians me but sirf us mediaval-period-custom thought process ki wajah se hum lack behind kar rahe the..

saath fere,saath vachan jaise craps bas woh rope tha jisse bandha hua tha humara dimaag..

but thankfully,now we are evolving.. apne decisions hum khud lete hain and divorce is one of them..

if one doesn't feel good in a relationship,agar priorities compromise hone lage toh divorce is the best option.

both for the man and women...

SIRIUS..95 percent bacche aise hi rich background se aate hain jahan decisions lene ki azaadi unhe bachpan se hi mili hoti hai..

yahi reason tha ki jitne logon ka bhi haath shuru me apne view points share karne ke liye uthe the,kyunki woh saare view points new girl speech me cover ho chuke the isiliye un sabke haath neeche the ab..

they all were satisfied with her answer...

wahin new girl ne bhi is cheez ko notice kiya tha isiliye ek bright smile ke saath woh bhi apni place me baithne ke liye badhne lagi..

par is beech ek sarsari nazar sab par daalte hue PRINCI RANJANA MATTHEWS ki aankhein ek jagah par rook gayi..

mujhpar jo sir shake karte hue halka halka smile kar raha tha..

PRINCI-SANVEER AHARYA... it's seems aapki raay kuch aur hai..share karna chaahenge..we are all ears...

jahan PRINCI ki baat sun baaki sabke saath new girl bhi hairan hokar dekhne lagi mujhe wahin meri nazar mili PRINCI se jinhone aankhon se hi haan bola mujhe.

ek lambi saans chhod apni jagah se utha mai aur new girl ke baaju se hota hua PRINCI ke paas jaakar khada ho gaya...

MAI-kisi bhi cheez ki adhuri jaankari zero knowledge se zyada nuksaan day hoti hai..

"saath fere,saath vachan jaise craps bas woh rope tha jisse bandha hua tha humara dimaag"..

yahi bola tha naa tumne... kya hain ye saath fere,agni ko sakshi maan un feron ko lete hue kaun se 7 vachano se bandhte hai dulha dulhan...

new girl jo apni seat par abhi bhi baithi nahi thi,mere is sawal par kuch seconds dekha usne mujhe aur..

DIMPLE-pata nahi.. zaroori laga nahi kabhi isiliye jaanane ki koshish bhi nahi ki..

MAI-now that's perception..khair, divorce ko hindi mai kya bolte hain..!!!

DIMPLE-talaakh...

MAI-GALATH..talaakh ek urdu shabd hai..hindi me divorce ke liye koi shabd bana hi nahi..

aur iska kaaran woh saath vachan hi hain jinhe bolne waale ko uski aatma ki syahi se nibhana padta hai...

pehla vachan dulhan apne dulhe se maangti hai..uski khwahish hoti hai ki kisi bhi dharmik kaarya me uska pati,jeeven saathi HAMESHA usse apne saath lekar jaaye..

dusra vachan me dulhan apne pati se ye kehti hai ki jitne pyaare aur important uske liye uske apne mom dad hain,aaj se HAMESHA ke liye utne hi important us ladke ki nazar me ladki ke mom dad bhi honge..

woh sawal karti hai apne jeeven saathi se ki apne vartmaan ke sambandhon me jhaanke aur uske adhar par bataye ki kya woh is vachan ka paalan kar paayega..???

teesre vachan me dulhan phir apne dulhe se ye sharth rakhti hai ki aap HAMESHA agar mere saath rahenge,mera khayal rakhenge toh mai aapka saath dene ke liye taiyaar hun...

chowthe vachan me dulhan apne dulhe ko ehsaas dilaati hai ki ab woh HAMESHA ke liye uski zimmedari hai aur apne zimmedari se woh bach nahi sakta..

bhavishya me uski saari zarooraton ka zimma dulhe ko hi uthana hai..

DIMPLE-see now that's my point..ladki kyun dependent rahe ladke par...apne needs ke liye kya zaroorat hai usse ladke ki..

aise me toh ladki khud ladke ko apna superior bol rahi hai...

MAI-zaroorat toh coke ya kisi aur drink ki bhi nahi thi..gala tar karne ke liye paani hi kaafi tha..

par pyaas lagne par peeti ho na sabkuch.. anyways,sabse important word par dhyan nahi gaya hai tumhara..

vachan me ladki puchti nahi,sharth rakhti hai.. depend nahi,demand karti hai...

PRINCI-paanchwa vachan kya hai SANVEER...???

ethics bhul chuki hai aaj ki pidhi..mere jawab me unhi ethics ki roots moujud thi jo PRINCI sabhi ko sunana chahti thi..

unki baat par ek second ka pause liya maine aur..

MAI-paanchwa vachan dhyan se sunana new girl..

is vachan me dulhan apne dulhe se demand karti hai ki ab se HAMESHA usse uske har kharch ka hisaab dulhan ko dena hoga..

uski salah leni hogi..aisa kar dulhan khudko ladke ke barabar ka darja deti hai..usse apna superior nahi banati...

meri is aakhri baat ko sun bas ek pal ke liye hi sahi,new girl ki aankhein jhuk gayi thi...

MAI-chhatwa vachan bhi ladki ki respect ke liye liya jaata hai..

isme dulhan apne dulhe se kehti hai ki woh kabhi bhi uske gharwalon,saheliyon aur dusre logon ke beech dulhan ka apmaan nahi karega..

saath hi saath woh juen aur sharab jaisi GALATH chizon se HAMESHA door rahega..

saatve vachan me dulhan ki ye sharth hoti hai ki dulha HAMESHA har parayi naari ko apni maata samjhega aur kabhi bhi kisi aur ko unke rishte ke beech bhaagidaar nahi banayega...

ab mera ek sawal hai..!!!saathon vachan me ek shabd common tha... kya..???

DIMPLE-hamesha...

halke dheeme awaaz me jawab diya tha new girl ne jisse sun halka smile kiya maine aur..

MAI-right..hamesha...shadi ek anant bandhan hai..aur isiliye hindi shabdavali me divorce jaise block ke liye shabd banaya hi nahi gaya...

one more thing...jis mediveal custom aur pratha ko tumne hamare desh ka developing country hone ke reason bataya,woh GALATH hai...

kyunki mediaval times me sone ki chidiya kaha jaata tha hamare desh ko..

us india se agar compare karogi toh aaj ke so called super powers ke mixed currency ki efficiency bhi hamare us daur ke BHARAT ke aas paas nahi pahunchegi...

the thing is ki sirf sarhad hi nahi,angrezon ne hamare values aur tradition ko bhi bheda tha..

us soch ko khokla kiya tha jiski buniyad par hum sone ki chidiya bane the..

compromising priorities..yahi reason diya tha na tumne divorce ke sahi hone ka..

hmmpp.ek waqt tha jab dulha aur dulhan ek dusre ka face sidhe honeymoon bed par dekhte the par phir bhi rishta unka umr bhar chalta tha..

aaj,itni zyada freedom hai...ab toh log shaadi se pehle living relation tak me rehte hain phir bhi relation lamba nahi tik paata....

i mean,bike khareedi hai kya jo ek time ke baad uski speed,sound bore lagne lagti hai..

sensex se lekar har stock market chart ko evaluate karne ka hunar hai..

billions of dollars ki industries jiska future unstable hai,usse predict karna aata hai par jiske saath puri life bitaani hai,us stable partnership ka future chhodo, present tak par bharosa nahi...

wow...

ek umr ke baad jab dimaag aur pair dono rengne ki condition me aa jaate hain,tab satisfaction bank account me show ho rahe paise se nahi milti,paas ke arm chair me baithe apne life partner ki jhurriyon waali smile ko dekh kar milti hai...

kaun sa market kitna upar aur neeche jaayega, discussions is topic par nahi hote, diabetes aur B.P ke pills khaayi ki nahi,us parwah waali daant par hoti hain..

divorce sirf ek shabd nahi hai..woh jail hai jisme sachi khushiyan dum tod deti hain..

ma'am aapne pucha tha ki divorce SAHI hai ya GALATH..in my view,naa ye shabd SAHI hai aur naa GALATH..

it's an illusion..ek bhram hai ye.. par jisse zaroorat mehsoos hoti hai,uske liye sach ban jaata hai.

aur jab bhram sach lagne lag jaaye toh barbaad hona tay hai..

aarthik ya sharirik nahi,maansik tour par...

mere hisaab se ya toh shaadi karna hi nahi chahiye aur agar kar li toh umr bhar nibhaane ka dum hona chahiye...

waise bhi,jab aankhon se zindagi ki roshni juda ho jaaye tab koi hona chahiye un palkon ko band karne waala..

haath pakad aansu bahane waala..mujhse pehle kyun chale gaye,ye shikayat karne waala..ek aakhri baar i love you bolne waala...

CLAP...........

sabse pehle taali hamari PRINCI ne bajayi thi jisse follow kiya tha unke saath khade teachers aur phir saamne khade sabhi students ne..

wahin clap toh new girl bhi kar rahi thi par jab PRINCI ko thanks bol uske baaju se hote hue aage nikla mai toh aise dekhne lagi thi mujhe woh jaise kisi alien ko dekh rahi ho...

NITS-kya baat hai lounde...seena chowda kar diya tune toh aaj...gazab bola be...

SONU-hhaan bbhai...aissa llaga tteen cchaar bbaar kkhud hhi ddivorce kka ddard jjhel kke bbaitha hhai ttu...

MAI-waah bhosdoke..kya taarif kiye ho...

PRINCI-with that brilliant speech and thought, it sums up todays class students...i hope DIMPLE aur SANVEER ke thoughts samajh aaye honge aap sabko..

and you all enjoyed it too because i did...see you tomorrow...

puri baat mujhe bade proudly dekhte hue kahi thi PRINCI ne jiske baad baaki teachers ke saath hall se nikal gayi woh aur aisa hote hi mere sabhi dost lapak pade mujhpar..

aaj baaki classes ke students ke saath B waale bhi mere speech ke liye congrats keh rahe the mujhe..

sabhi the paas mere siway new girl ke..

woh apni hi jagah par khadi bade dhyan se dekh rahi thi mujhe..

ek tarah se dekha jaaye toh is debate me hara diya tha maine usse par naraaz nahi hui thi woh.

impressed thi,bohot impressed..

DIMPLE-who are you SANVY...!!!us din monastery me bhi tumhara jawab extraordinary tha aur aaj bhi tumhare tark undebatable the...

jawab saaf hone ke baad bhi ulajh rahe,jaane ye kaisa SAWAL HAI....???

jo nazar aur soch dono se bacha raha,jaane pehna isne ye kaisa DHAAL HAI...???

dohre charitr ki hadh hai ye ladka...

kabhi lagta pura awaara hai toh kabhi lage ki waah,ye toh KAMAAL HAI....!!!!

AAJ KE LIYE ITNA HI...

AAPKA APNA V...J...
🎀 𝒲𝑒𝓁𝓁 𝒹ℴ𝓃𝑒❢ 🎀🌺🎀 𝒲𝑒𝓁𝓁 𝒹ℴ𝓃𝑒❢ 🎀🌺🎀 𝒲𝑒𝓁𝓁 𝒹ℴ𝓃𝑒❢ 🎀🌺🎀 𝒲𝑒𝓁𝓁 𝒹ℴ𝓃𝑒❢ 🎀🌺🎀 𝒲𝑒𝓁𝓁 𝒹ℴ𝓃𝑒❢ 🎀🌺🎀 𝒲𝑒𝓁𝓁 𝒹ℴ𝓃𝑒❢ 🎀🌺

Zabardast Update bro
Keep Posting
And
Waiting for next update
 
Rohn.mak123

Member
145
830
93
Rachnakaar ki kalam se ek aur naayab tohfa dost
Yahi sanshkriti ager aaj ish desh me vilupt hoti jaa rahi hai apne ko paschimvaadiyo ka anusharan karke
Hum angreji ki aur bhag rahe hai
Nasa Sanshkrit ki aur badh raha hai
Yeh kaisha virodhabhash aaya hai ish desh me
Jishe itni sadiyo ki gulami na Tod paayi
Ush sanatan sanshkriti ko hum apne hi haatho sawah kar rahe hai
Kaya aishi aajadi maangi thi Veer Sainaniniyo ne
Hum to gulami ki aur badh rahe hai
Jahan matrbhasha Hindi ko bhi samman na mila ish desh me
Ab to yua peedhi mandir me bhi darshn on line karne lagi
Ghar ke mandir me bhi dur se hi parnam karne lagi
Pandit ko bhi pahle hi kah diya jaata hai bhai jaldi mantr padho late ho rahe hai
Bahut kuchh hai kahne ko per chup rahna padega yahan
Rachnakaar ji maafi chahunga aapshe v anye paathakgano se ager kuchh galat kah diya ho bash bhavna me bah kar kuchh shabd phut pade
Ek baar phir se shukriya bhai itni pyari update ke liye
Sachmuch aap jaadugar ho kalam ke
Sahi kaha aapne dost yahi farak hai unke aur hamare nazariye mai,
Unhone wo apnaya jo hamare yahan khaas tha, aur humne wo liya jo unme ghalat tha.
 
Lover_boy143

Powerful People makes Places Powerful🔥
334
1,183
139

Honestly speaking
is update ko pharne k bad mere pas
words hi nhi hain kuch kehne k liye
update ka 1&1 word dill ki gehrayi me
utarta howa mehsos howa❤
sone pe suhaga wali kahawat to
sune hu ge ap
old age ka jo scene ap ne beyan kiya ha couple related bs yahan aa k khatam😍
endless,mind blowing,magnificent😘
or wo Jo dialogue bola k jhuriyu wale
chahre ki smile😥
such kahu to ankhu me anso aa ge😓
koi itna deep kaise likh sakta hai
natural way me ye bht bara effort hai❤
ap ki likhni ko slute hai bs aise hi likhte rahiye bst of luck for up coming updates😊
 
Last edited:

Rajesh

Well-Known Member
3,308
7,871
158
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SANVY ROUNAK KI KUTAYI KARTA HAI WAHIN DUSRI TARAF DIMPLE KI MADAD KE LIYE PAHUNCHI VERONICA RASHID AUR USKE SAARE LOGON KO MAARKAR BEHOSH KAR DETI HAI.

AB AAGE:-

CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)

UPDATE-42

7TH MAY

CITY-DEHRADUN

PLACE-DIMPLE'S BUNGLOW

SOOBHHHH...SOOBHHHH.....SOOBHH.......

SHIT......

pichle ek ghante se lagatar cart board par knife hit ki practice karne ke baad bhi jab uske feke knives us point ko hit nahi kar sake jahan woh aim kar rahi thi toh frustrate ho gayi DIMPLE...

pichle hafte 30th April ko uske saath aur saamne jo hua,woh pura drishya aaj bhi DIMPLE ke zehen aur aankhon ke saamne utna hi jeevant tha jitna us shaam pratyaksh me mehsoos kiya tha usne..

agle din morning ki flight se hi delhi chali gayi thi woh...

pura ek week apne mom ke saath spend karne me baad kal raat ki flight se wapas louti thi DIMPLE..

log aur agar specifically kahun toh girls delhi me normally kapde, accesories aur footwears ki shopping karte hain par DIMPLE ne sirf ek hi chiz bundles me kharidi thi..

KNIVES...

VERONICA ne jis tarah knives feka aur use kiya tha,us hunar ki murid jo gayi thi DIMPLE..

woh style,woh technique jaise chapp sa gaya tha uske dimag me...

dhundli aankhon se jhaankte hue bhi jeetna clear dekh sakti thi DIMPLE,uske adhar par apni savior ke haathon se chale knives ke shape ka andaza laga liya tha usne...

waise toh usne socha tha ki aankhon ki blurness khatm hote hi apni savior ke used knife ko observe karegi woh par jab uski eye sight restore hui toh woh saare knives gayab the..

matlab saaf tha ki jaane se pehle hi apni existence ka saboot mita chuki thi uski saviour..

anyways, knife ke liye apne andaaze ke hisaab se delhi ke kuch khaas areas me gayi woh aur jo knife usse sabse zyada combat style ka laga,uske kul 12 pieces ek saath hi le liye the usne...

ROSELLI naam tha un knives ka jinhe hunting knives bhi kaha jaata hai...

ghumna phirna,chill karna, exotic jagahon par jaana..in short delhi me rahiso ke saare aish chhod bas ek hi chiz me lagi hui thi DIMPLE..

knives hit practice...aur yahi practice ab yahan DEHRADUN me bhi chaalu thi par cart board me perfect pierce karne ke alawa aur kuch naa ho paaya tha ab tak DIMPLE se...

SOOBHHHH...SOOBHHHHH....SOOBHHHHH...

ek baar phir idhar udhar ghumte hue alag alag angles se teen back to back knives feke DIMPLE ne par natija kuch khaas na nikla...

DIMPLE-damn it...how in the hell was she throwing the knives...???

sirf ungliyon ko jhatka de rahi thi woh..no aiming,no power pressures,no target throwing..just lower hand movement par phir bhi bullet si tez nikal exact sochi hui jagah par hit ho rahi thi woh knives...

kaise...!!!!!

apne lawn me rakhe chair par dhamm se baiththe hue ek hafte pehle ka woh knives throwing scene wapas rewind mode me feel karne lagi thi DIMPLE....

DIMPLE-i hope ki yahin DEHRADUN ki hon aap... agar aisa hua tha i will find you and then,you have to teach me...

VERONICA ka chehra toh DIMPLE ke zehen me dhundla hi tha par phir bhi usse pehchaan lene ki ek determination thi uske face par...

khudse kiye vaade ke beech saamne rakhe table ke upar se aaj ka newspaper aa chuka tha uske haathon me jisse padhne lagi woh aur tabhi...

DIMPLE-what the fuck...!!!!

DEHRADUN TIMES ka english version paper tha ye jiske front page par chappe image aur us image ke neeche likhe article ko dekh aankhein badi hone lagi thi DIMPLE ki..

REASON...

woh image ussi insaan ki thi jisse bachaya tha us unknown lady ne DIMPLE ko...

par DIMPLE ke shock hone ka reason woh headlines thi jo us image ke neeche likhe article se just upar capitals me printed tha...

WANTED CRIMINAL, RASHID REZA WAS FOUND DEAD NEAR THE TROPOS WOODS AT THE OUTSKIRTS OF DEHRADUN-MASOORI HIGHWAY...

yahi headline thi us article ki jispar nazar padte hi us puri khabar par eye roll hone lagi DIMPLE ki par jaise jaise woh puri news padhti chali gayi, expressions uske normal hote chale gaye.

ye isiliye hua kyunki news ke according RASHID REZA aur uske saath uske pure giroh ko jinki kareeb 200 se bhi upar ki thi,they all were shot to death..

ab death ke is reason ko sun shaant ho gayi thi DIMPLE..kyunki uski saviour ne toh bas behosh kiya tha un logon ko aur uske baad woh turant nikal bhi gayi thi..

aur us waqt RASHID ke saath itne zyada log bhi nahi the jitne news ke hisaab se maare gaye the..

but most importantly, article ke according goli maar kar hatya ki gayi thi un sabki aur gun ka istamal uski saviour ne kiya hi nahi tha...

aakhri statement ke kayas lagaate hue news writer ne is ghatna ko gangwar bataya tha jisse padhne ke baad paper wapas table par rakh diya DIMPLE ne..

DIMPLE-aise logon ki destiny kutton waali mout hi hoti hai..

jahan ye bol ek lambi saans chhod uththe hue ghar ke andar chal padi DIMPLE wahin kahin door baitha ek aur shaksh bhi tha jiski saansein RASHID waale khabar ko sun upar neeche ho chuki thi..

ROUNAK DHOLAKIA...

ek haath jiski haddi dislocate ho jaane ki wajah se wahan plaster chada hua tha,apne room me baitha tha ROUNAK jo dusre haath me pakde akhbar ko padh raha tha...

RASHID ki dead body ko aankhen faade dekh raha tha woh and at the same time,dimag me gunj rahe the ye shabd..

"AAGE AAJ JAISI KOI HARKAT MAT KARNA,AISI KOI WARNING NAHI DUNGA MAI TUJHE...JAANTA HAI KYUN..!!!

NAAA.EK HAFTE BAAD PAPER ME KHUD HI PADH LENA...AUR JO PADHEGA,USSE APNE FUTURE ME SOCHI KISI BHI ATRANGI PLAN KA ANJAAM SAMAJH LENA"...

ROUNAK ka haath todne ke baad BARE KNUCKLE se nikalne se pehle kahe gaye SANVEER ke aakhri shabd the ye jinka matlab ab samajh aaya tha ROUNAK ko..

jo haal tha uske haath ka,uski wajah se 6 mahine boxing karne se strictly mana kiya hua tha doctor ne ROUNAK ko..

is pure week SANVEER se kaise badla le,bas yahi constantly socha tha ROUNAK ne par woh badle waala junoon RASHID ki ek khabar se aisa gayab hua ki bin uske ijazat ke hi dil thanks kehne laga tha SANVEER ko..

thanks ki haath bhale hi tod diya par kamsekam saansein toh salamat chhod di thi uski...

ROUNAK-tu kya hai,kaun hai ye toh nahi jaanta mai,par itna ab samajh aa gaya hai ki jispar kisika bhi chal sake,tu woh BAS toh hargiz nahi hai...

PLACE-KUMAON RIVER RAFTING

MMMMMM........

KYA HAWA HAI YAARON...SAALA REHTE APAN BHI THANDI JAGAH PAR HI HAIN PAR IS KUMAON KI BAAT HI ALAG HAI...

EK ALAG HI SARD PAR DIL KO SUKOON DENE WAALI HAWA BEHTI HAI YAHAN....

RAFTING POINT ki sarhad par apni car park kar jab utre hum sab toh barf se dhaki pahadon ko dekh ek lambi saans enhale karne ke beech zubaan aur aankhein,dono se hi taarif kar raha the NITS is kudrati khubsoorati ki..

aaj RIVER RAFTING ka plan banaya tha hum sabne.. hum as in saare boys ne isiliye early morning hi KUMAON ke 180 km doori ko tay karne nikal pade the hum aur 3 ghante aur chand minutes ke drive ke baad finally apne desired destination par pahunch chuke the hum...

MAI-hawa alag toh lagegi hi...hamare desh ke saath north me tibet aur east me base nepal ki hawa me saath milte hue MANASKHAND aur KURVANCHAL ko thandak deti hai...

EKPREET-hain..abbe KUMAON me hain hum...ye MANASKHAND aur KURVANCHAL kahan se aa gaya...!!!

MAI-1805 me bani thi ye jagah aur iska pehla naam MANASKHAND rakha gaya tha jo baad me badalkar KURVANCHAL pada..

par ab it's KUMAON...

RAJAT-kya baat hai lounde.. encyclopedia ban gaya tu toh...

MAI-apni mitti ko jaanana,pechanana badi nahi sahi baat hoti hai..

jiski godh me khele hain hum,agar uske wajood se hi mehroom rahe toh rishta khokhla sa lagega...

waise toh ye saari baat maine bhi NITS ki tarah chaaron taraf kudrati tour par bicchi khubsoorati ko dekhte hue kahi thi par un baaton ke piche chuppa sach jo ki mere doston ke liye kadwa bhi tha kyunki apni mitti ki geographical knowledge nahi rakhte the woh,usse badi positively ek sabak ki tarah samajh rahe the woh sab..

MAI-chalen ki bas idhar hi se wapas chale jaana hai..

apna travel bag jisme camping ke liye kuch samaan aur extra kapde the,usse apne kandhe par ladak RAFTING POINT likhe bade se board waali disha ki taraf badh gaya mai...

NITS-rook saale... harami,ye dusra bag bhi pakad...

MAI-aage badhne ke baad piche nahi jaate hum..

NITS-par sariya piche se hi ghusta hai bhosdike...

aaj ka din rafting ke liye par raat camping ka plan kiya tha humne...

aur camping ke kul 6 alag se bags the hamare paas jisme se ek ek hum sabko uthaane the..

par mai bas apna regular bag lekar aage badh chuka tha ya phir ye kahun ki bhaag chuka tha jispar mujhe gaali dene ke baad apna asli swaroop,gadhe ka roop lekar apne travelling bag ke saath saath do camping bags bhi jaise taise ladak mujhe lagatar gaali bakte hue mere piche ho liya tha NITS..

MAI-ooohh..now that's some force...

river edge jahan par rafting boats rakhe hue the,wahan pahuncha mai jahan is waqt RAFTING ke diwaano ka mela sa laga hua tha..

par meri nazar logon par nahi,balki saamne behte SARAYU nadi ke paani par tik gayi thi..

waise toh baarish ke mousam ko chhod har waqt rafting hoti thi yahan par march se june ke beech ka waqt is adventure sports ke liye best maana jaata tha..

summer hone ki wajah se mountain ice pighal paani ka roop ikhtiar karti thi jo river flow ko ek achi aur perfect speed develop karwaati thi rafting ke liye..

waise toh 32.sq.per kilometres ki speed thi river flow ki joki bohot zyada thi par is waqt ye flow 2.sq.per kilometres kam thi..

but phir bhi,ye rapid descend kaafi exhilarating tha jo bina sahi guidence and most importantly, experience ke karna deadly bhi ho sakta tha..

yahi wajah thi ki amateurs ko yahan rafting karna mana tha...

upar se waver form jiska matlab tha ki enter the boat on your own risk,usse har rafting ke shoukin ko bharna padta tha...

DHAKKK..

NITS-saale harami..wooooo....

piche se aa meri gaand par laath maarne ke baad mujhe bakne hi waala tha NITS ki tabhi aas paas dikh rahi hariyali ko dekh aankhein chowndhiya gayi uski..

500 se zyada log the is waqt rafting spot par lekin dekhne waali baat thi tota..as in bandiyan jinki sankhya bhi 200 ke kareeb thi..

ek se badhkar ek ladkiyan khadi thi hamare ird gird 200 feet ke daayre me jinhe dekh,dekh kya check out karne lag gaye the saare boys...

NITS-baapu..idhar toh khub hariyali hai yaar..

EKPREET-sach me yaar...nazara aisa bana hua hai ki paani me utarne se pehle hi doob gaye apan toh..

NITS-apne ko har hafte aana chahiye bhai idhar..

MAI-chal bhai..inhe aankhein sekne de,apan form bhar dete hain..

SAM-abbe sign toh in sabke bhi lagenge...

MAI-toh inke bhi apan hi maar denge naa.. bas rafting karne waalon ki counting ke hisaab se hi toh sign chahiye unko..

SAM-ye bhi hai..chal..

SONU-mmai bbhi aata hhun...

RAJAT-me too..

jahan hum chaar chal pade rafting fees aur waver form sign karne wahin NITS aur EKPREET pure dedication se lage hue the ladkiyan taadne me...

BABES SAMJHO... IT'S WILL BE TO RISKY FOR YOU...

waver form bhara hi tha humne ki tabhi ek ladki tezi se aayi thi hamare paas aur ek form lekar usse bharne lagi thi..

uske saath ek ladka bhi tha jo usse samjhaane ki koshish kar raha tha par haawbhaav aise the ladki ke ki usse kuch sunana hi nahi tha..

GIRL-nopes..mujhe rafting karni hai matlab karni hai...

BOY-but babes tumhe swimming bhi nahi aati yaar..

GIRL-so what...life jackets kis kaam aayenge phir...

BOY-listen babes..

GIRL-u listen...i am going for the raft...you cannot stop me so just quit trying...

saare behes ke beech waver form bhar diya tha us ladki ne jiske baad apne baaki friends ki taraf badh gayi woh...

apne kandhe jhukaye ladke ne bhi apna form bhara aur nikal gaya..

RAJAT-badi ziddi hai bhai ladki..

SONU-zziddi sse zzyada bbwwakuf hhai..llife jjacket ddubane sse bbacha ssakte hhain,bbahav mme bbahane sse nnahi..

lleher ittna ttez hhai ppaani kka ki aggar ggiri ttoh bbody bbhi nnahi mmilegi usski..

SAM-pathar bhi hain side me bohot se..tide force se side ki taraf giri toh head hit bhi ho sakta hai..

MAI-haan par hit bhi hua toh dimaag ko koi nuksaan nahi pahunchega..

RAJAT-kaise..??

MAI-ghutne me jo hai...

HAHAHAHAHA...

SAM-sahin hai bhai...

DHABBB....

MAI-lo be..gear up ho lo...

waver form bharne ke baad drafting gear ko le wapas pahunche hum sab EKPREET aur NITS ke paas jo abhi bhi ladkiyan taadne me lage hue the..

fek kar maara tha humne un dono ke pichwade me unke life jackets ko..

EKPREET-guyz,apne school ki bhi kuch bandiyan aayin hai idhar..

RAJAT-kahan..???

NITS-woh dekh..ek group udhar khada hai..woh ek saal junior hain humse..

aur ek group us taraf..woh sab ek saal seniors hain hamari..

humse kuch door ek taraf 4 bandiyon ka group khada tha aur dusri taraf 5 bandiyon ka.

kuch ladke bhi the un dono groups se par woh anjaan the hamare liye...

MAI-school ki ladkiyon ko toh school premises ke liye hi chhod do be..

SONU-abbe scchool kkya,ssab lladkiyon kko cchodo aur ffatafat ggear up...

bboats rready hhain....

agle paanch minute me completely gear up hokar hum 6 river edge par rakhe hamare boat ke paas pahunch chuke the..

ek professional bhi har boat me rafters ke saath jaata tha.. hamare saath bhi tha ek banda jo pehle hi boat ke baaju ne khada tha..

jaise hi hum boat ke paas pahunche,basics bataane laga woh hum sabko..

NITS-kya maal hai bhai...

humse thoda piche wahi ladki jisne zidh karte hue waver form bhara tha,apne group ke saath khadi thi woh..

2 ladke aur usse mila chaar ladkiyan thi uske group me..

RAJAT-abbe usse mat taad..akal ki paidal hai woh..tairna aata nahi,shayad first timer bhi hai par rafting try karni hai usse..

NITS-gazab..saala bhagwan zyadatar achi shakal waaliyon ka upari maala khaali kaahe rakhta hai...

COMMON GUYZ.WE ARE GOOD TO GO...

paani me utaar boat ko holding position me rakha tha rafting waalon ne jiske baad ek ek kar chadh gaye hum sab usme...

hamare carbon paddles pehle hi pakde hue the humne...

woh rafter official bhi hum sabke saath boat par chadh chuka tha jiske baad hamare boat ko chhod diya gaya..

AWESOMEEEEEEEEEE...

jaise hi paani mid water me utra aur hichkole lena shuru kiya usne toh apne apne paddles se boat ko sahi disha dene ke beech jhatkon ko enjoy karte hue shout karne lage the hum...

SAM-guyz,aaj speed aur flow kuch zyada speed nahi hai...

SONU-hhaan bbhai...jjhakte bbhi tez ppadh rrahe hain..

RAFTER OFFICIAL-haan,kuch dino pehle 2 din tak continously baarish hui thi aur fir straight sun hit..

mousam ke aise do tarfa hone par barf tezi se pighalte hai mountains ke..

isiliye hi leher aur water throw speed kaafi zyada rahi hai kuch dino se..

SHIT....

ek zor ka water hit laga
tha boat ko hamare jiski wajah se boat aadhi ulat hi gayi thi..

badi mushkil se control ho sidha hua tha tha boat jiske baad saansein shaant hui thi sabki..

RAFTER-brillant paddle swing...bohot ache se stream force ko apne advantage me use kiya tumne..

mujhse kahi thi ye baat us tafter ne..

darasal is scenerio ke beech us offical rafter ki nazar mujhpar padh gayi thi.

us extra up leher ki wajah se boat ki hone waali haalath ka andaza ho chuka tha mujhe..

isiliye just ek second pehle hi apne paddle ko jisse ab tak neeche kar tirchi chala raha tha mai,usse ulta ghumate hue apni taraf slide sa kiya tha maine..

theek tabhi hamari boat hit hone lagi us leher se par mere paddle ko upside down swing karne ki wajah se woh wave jald scatter ho gayi aur boat sidhi...

NITS-arre sanjeevni buti hai lounda hamare group ka...

AAHHHHHHHHHHH...

HOLY SHIT......

CHAPPAKKKK....

NITS ki baat khatm hui hi thi ki tabhi tezi se behti nadi aur constantly uth rahe leher se paida hone waale paani ke cringing sound ke beech ek cheekh fiza me gunj uthi thi....

ye gunj humse thoda hi piche aa rahe boat se aayi thi...

darasal woh ladki jo zidh karkar is rafting me aayi thi,woh paani me gir chuki thi...

kuch seconds pehle jis point par hume extra uth rahi leher se zor ka jhatka laga tha,theek wahin par uski boat bhi tez shrug hui thi..

boat me baithe baaki sabne toh kisi tarah khudko balanced rakha but woh ladki aisa naa kar paayi aur paani me gir gayi...

usse rafting me aane se rok raha ladka hi us ladki ke girte hi tezi se cheekha tha..

BOY-some body help..sir please,do something..

apne boat ke rafter official se plead ki usne...

RAFTER OFFICIAL-is waqt water pressure bohot zyada hai..we cant do anything right now...

agle 100 metre me ek halka slope slide hai..if she makes it there toh phir kuch nahi hoga usse...

RAFTER ki slope waali baat toh sahi thi par taklif ye tha ki utni doori zinda rehkar tay kar hi nahi sakti thi woh ladki...

aur abhi jo situation create ho chuki thi,usme toh bilkul bhi nahi..

darasal paani ke tez bahav aur chaaron taraf se padh rahe leheron ke thapedo ki wajah se us ladki ka helmet bhi nikal chuka tha..

aisa hote hi head turbulence joki helmet ki wajah se sthir tha, uthne laga tha us ladki ke sir par..

NITS-nahi bach paayegi re ladki..

khudke boat ka balance bana jitna ho sak raha tha,dekh rahe the sab piche us ladki ki taraf jo hamare hi boat se thoda piche paani me idhar udhar fekati si hui tezi se aage badh rahi thi..

EKPREET-abbe SANVY kahan hai..!!!

zor se cheekha tha EKPREET..gayab tha mai apne spot se..

SONU-wwo rraha..ssaala ppagal...

SONU ke side se hi thoda alag mai bhi disbalanced haalath me paani ke upar latak sa gaya tha.

mujhe yun paani me gira dekh dimaag ghum gaya tha sabhi ladko ka...

SAM-abbe ye kaise gir gaya...!!!

NITS-louda gira hoga ye...saala pakka us ladki ko bachane ke liye kud pada hoga...

RAFTER OFFICIAL-wooo..amazing...

tez bahav ka woh paani jisse ladha nahi jaa sakta tha, uske beech fasa mai ek alag tarah se tackle kar raha tha usse..

body ko halka left tilt karte hue 2 seconds ke liye paani ke andar jaata tha mai aur phir just for a second bahar nikalte hue kisi gotakhor ki tarah apni body ko us ladki ke disha me push kar raha tha mai..

ab itni tez bahav ke beech ulta toh tairna impossible hi tha par mere is technique ki wajah se naa sirf meri body ke aage behne ki speed dheemi ho gayi thi balki saath hi saath tilted body ke saath underwater swimming ki wajah se meri disha us ladki ke disha ke angle me hone lagi thi..

ye sab bohot tezi se ho raha tha par rafter official ki paarkhi aur anubhavi aankhon se chhup nahi paayi meri tarkeeb..

par chand second baad baaki sabko bhi meri technique ka logic samajh aane laga tha..

MAI-gottcha....

finally us ladki ki body mere just baaju se nikalte hue aage badhne ko hui thi jisse pakad apni taraf tezi se kheench liya maine..

par itni der tak leher ke thapele khaane ki wajah se bohot saara paani uske mooh aur naak me jaa chuka tha..

behosh hui toh nahi thi woh par hone waali thi..

ye behoshi khatarnaak ho
sakti thi uske liye isiliye paani ke andar apne dono pairon ki kainchi bana pehle uske pairon ko jakda maine aur phir apne haathon se uske kamar ko pakad halka utha diya maine usse...

haan aisa karne par body meri disbalanced ho gayi par fikr nahi thi mujhe koi..

jis slope ki baat woh rafter kar raha tha,woh ab behadh kareeb jo tha...

agle tees second me hum us slope me the jahan pahunchte hi paani kaafi shaant ho chuka tha..

gehrayi bhi 8 feet hi thi ab nadi ki..

jahan baaki saare boats ab edge ki taraf badh chuke the wahin mai bhi us ladki ko araam se hold kiye kinaare ki aur tairne laga.

waise ye kehna sahi hoga ki maine nahi balki us ladki ne pakda hua tha mujhe aur woh bhi itni zor se jaise paani me nahi balki saikdon feet hawa me hain hum aur agar mera sahara chhuta toh neeche gir jaayegi woh..

anyways,kuch hi der me hum dono kinaare par pahunch chuke the..

us ladki ke boat waale sabhi saathi badi eagerly hamara hi wait kar rahe the aur jaise hi hum pahunche river bank par toh unme se do ne lapak liye us ladki ko aur uski khair khabar puchne lage..

LADKA-thanks man...in sabko apne risk par laaya tha mai..agar aaj tum nahi hote toh pata nahi kya hota aur kya jawab deta mai uske parents ko...

MAI-its ok buddy... kuch hua toh nahi naa..so chill...

wahi ladka jo shuru se hi us ladki ke rafting ke khilaaf tha,badi appreciating nazaron se dekhne laga tha mujhe..

wahin mai abhi palta hi tha ki tabhi..

NITS-chill..bhosdoke,har jagah heropanti karni hoti hai naa tujhe...

SONU-laude ka baal hai tu...gaandu,kkuch hho jjaata ttujhe ttoh aaunty kko kkya bbolte hhum..

DHAMMM..DHAMMMM..DHAMMMM...

MAI-abbe baat toh suno..

EKPREET-louda sunega mera..

DHAMMMM......

meri ek baat nahi suni kamino ne aur lage bajaane mujhe...

saala gila tha mai.itne tez water current ke constant pressure ko jhelne ki wajah se halka thaka hua bhi par kuch nahi sujha in sabko..

bas bajaate hi rahe mujhe aur mai bhi bajwata raha..

ab unki maar me bhi concern hi toh thi mere liye..

but kuch der maarne ke baad saale gale lag gaye the woh sab mujhse...

geele hone ki wajah se thand mujhe lag rahi thi par dar jo baith gaya tha un sabke dil me,uske kaaran kaamp halka halka woh sab rahe the..

MAI-chalo be...kapde badalne hain mujhe phir peete hain 5,10 cup garam chaaye toh kuch sukoon aaye...

abhi ye bola hi tha maine ki tabhi SAM jo boat se utarte hi kahin bhaaga tha,woh ek moti kambal ke saath louththa dikha mujhe..

tent rent shop bhi thi yahan par jahan tent ke saath uske andar raat guzarne ki saari chizen milti thi...

wahin se laaya tha woh blanket jisse mere paas aate hi mujhpar laadh diya tha usne...

SAM-tu chutiya hai pata hai naa tujhe..

MAI-haan bhai pata hai...tere saath ghumta hun toh yahi khitaab hi milna tha mujhe...

DHABBB...

diya mere peeth par ek zor ka saale ne par kambal ki wajah se kuch pata nahi chala...

maarna toh band kar diya tha par gaali bakna sabka chaalu hi tha..

MAI-abbe bas karo be...pure saal ki gaali aaj hi bakni hai kya..!!!

chalte hue hum ek open green area me aa chuke the..SAM hamari car bhi idhar hi laa chuka tha..

maine kapde bhi change kar liye the par saalon ka mujhe bakna abhi bhi continue tha..

NITS-tu chup rahega loudu aaj aur sunega sirf....

aur tere stunt se jitni gaand fati thi hamari,utni gehrayi bharne tak bakenge hum..

EXCUSE ME....

warning ke baad phir bakna shuru karne waala tha NITS par tabhi padi hum sabke kaano me ek surili awaaz..

apne group ke saath hamare saamne wahi ladki khadi thi jiski kuch der pehle jaan bachayi thi maine...

LADKI-THANK YOU...THANK U VERY VERY MUCH..APNI JAAN KA RISK LEKAR YOU SAVED MY LIFE...

jo ghata tha us ladki ke saath,mout ki woh jhalak jo apne soul tak mehsoos ki thi usne,face par woh khouf,woh dar abhi bhi saaf jhalak raha tha uske..

aakhri shabd bolte bolte ro hi padi thi woh..

MAI-arre sambhal ke..dobara doobne waali ho aap..is baar shayad naa bacha paaun mai aapko...

GIRL-mai samjhi nahi...

MAI-nadi ka paani aankhon se nikal raha hai aapke... zyada royi aap toh inhi me doob jaayengi..

meri baat sun smile naach uthi thi us girl ke face par jiske baad..

GIRL-i am ADYA KOTAK......

MAI-SANVEER AHARYA....

ADYA-SANVEER....!!!!!!

SANVEER AHARYA FROM SIRIUS...

ADYA ke hi saath aayi kuch ladkiyon ne bade excitement ke saath naam liya tha mera...

wahin unke reaction ko dekh mai aur mere saath khade mere dost bhi hairan ho gaye the..

NITS-aap jaanti hai isse...!!!

ADYA-ofcourse...aur jo jaana tha,aaj waise hi paaya..

MAI-mai samjha nahi..!!!

RAJAT-hum bol bhai...

NITS-haan.. SIRIUS ki toh nahi hain aap sab..aur dusre schools me agar SIRIUS ka koi banda famous hai toh woh SAM hai.

SAMEER CHANDER...inter school sports and events champion..

ye aakhri waala ladka..

ADYA-galatfehmi hai aapko...sports and events jeetne waale beshak popular hote hain par jo ladka apne friends ke liye akela dusre school ke bando se bheed jaaye,taakat aur dimag,dono se har haari baazi ko jeet me palath de,jiske upar kisika bhi manipulation kaam naa aaye,jisne uncountable mouko par akele 10,20 logon ko dhul chataya ho, uski popularity unmatched hoti hai...

ADYA ki baat joki bilkul sach thi,usse sun hum sabhi hairan hokar dekh rahe the usse..

EKPREET-stock walk toh nahi kar rahi ho tum isse..how do you know all this..!!!

WE ARE FROM RAJKUMAR...

ek saath us pure group ke mooh se nikli thi ye baat jisse sun sab samajh aa gaya tha hume..

RAJKUMAR SCHOOL AND COLLEGE...MASOORIE me based ek international school and college...

jaise PRINCE aur SAMRAT SIRIUS ke school level par competitors hain waise hi RAJKUMAR SIRIUS ka COLLEGE divison me sabse bada rival hai..

but is school ki sabse khaas baat hai inki information collect karne ki khoobi..

kis school me kya ho raha hai,kaun kis famous group ke saath pange le raha hai,saare important outcomes jaante hain is school ke students...

aise me SAMRAT aur PRINCE ke popular ladkon ko har jagah pela tha maine..unke har plan ko dismantle kiya tha..

aisi news kamsekam RAJKUMAR waalon se chhup sakti thi nahi..

ADYA-we respect you a lot SANVEER...aur should i say GLADIATOR...

MAI-GLADIATOR..!!!

ADYA-yahi naam hai aapka hamare school me..

MAI-hahahaa...

ADYA-can i say thanks one more time..

mere halka paas aate hue kahi thi ye baat ADYA ne aur jis tarah boli thi, thoda hadbada gaya mai..

MAI-no need.. it's ok...

ADYA-no it's not...i owe you big time..

UMMMHHHH..

mere kareeb aa apne honthon se mere gaal par ek thanks chipka diya tha ADYA ne jispar jahan mai ek nervous smile dene laga tha wahin is scene ko dekh nahi mehsoos kar rahe the mere sabhi dost..

aur ADYA,woh toh aise khadi thi mere saamne ki jaise intazar kar rahi ho ek aur kiss ka..

MAI-ok then..i will see you later..

ADYA-oh,you will...for sure..

ek beautiful smile ko odh mujhe bharpoor nazar se dekhne ke baad apne doston ke saath palath gayi thi woh..

NITS-bhai,tujhe deedar-e-guldasta de gayi aur hum sabko ek sarsari nazar ka phool bhi naseeb nahi hua..

SAM-sach me bhai.. zindagi me itna invisible kabhi feel nahi kiya maine..

SAB-humne bol be...

MAI-jab shakal aur gaand ek jaisi dikhe toh invisible hona hi theek hota hai..

NITS-bhosdike..abbe rook saale..

jahan apna dialogue pura karte hi bhaag nikla tha tha mai wahin mere bhaagte hi woh paanchon kameene bhi doud pade mere piche...

PLACE-SOMEWHERE IN SOUTHEAST EUROPE

PHOOOOPHOOOOPHOOOOPHOOOOPHOOOOO...PHOOOOOO...

peddling karte hue apni dhun me magan ek aadmi saaf suthre aur sapat road par B.M.X doudaye jaa raha tha..

ek black lambe over coat jiski depth us shaksh ke ghutno tak thi,pehna hua tha usne..

andar ek polo t-shirt with grey trousers daale the usne.. sir par round hat aur pair par LOUIS VUITTON ke expensive shoes chamak rahe the..

face pale bright jispar ghani grey beard ugi hui thi...hat round tha jisne uski aankhon ko dekhne waalon se chuppaya hua tha..

umr kareeb 55 saal par appearance aisa ki 40 se upar ka kahin se nahi lag raha tha woh shaksh aur flexibility is umar me bhi itni shaandar ki agar 10 olympic field gold medalist bhi saath aa jaaye toh naa tik paayen uske saamne..

UNKNOWN-GOODMORNING....

B.M.X chalate hue us shakhs ki nazar ek icecream van par padi thi jiske baad apni B.M.X theek us van ke counter par roki thi usne..

ICE CREAM MAN-good morning sir..wow,nice bike..

UNKNOWN-oohh thanks..its CAYA hypermax matte black 20 T BMZ...

(note:-kuch yaad aaya guyzz..ye wahi same model ki B.M.X hai with the exact same colour jo VERONICA ne SANVY ko gift ki thi)

B.M.X ki detailing ke beech usse sehla sa diya tha usne....

ICECREAM MAN-looks like kaafi pyar hai aapko apni B.M.X se..

UNKNOWN-bohot..one day,i have to meet someone aur usse bohot pasand hai ye B.M.X...

samajh toh nahi aayi icecream man ko us shaksh ki baat par koi reaction nahi diya usne..

ICECREAM-so what's your sugar..

UNKNOWN-anything in chocolate...

ICECREAM MAN-coming up...

ye bol icecream man magnum chocolate truffle ka cone ready karne me lag gaya tha par tabhi..

STOP IRRITATING ME MOM & JUST DIE....

is waqt ek colony garden ke side me khada tha woh shaksh..

uske left side se aayi thi ye teenage girly awaaz..

ek beautiful young ladki apne ghar se ghusse se nikalte hue aage badh rahi thi..

uski mom bhi aayi thi ghar se bahar par uski awaaz ko ansuna karte hue aage badhti chali gayi woh ladki..

ICECREAM MAN-here you go sir...

UNKNOWN-lovely...how much..!!!

ICECREAM MAN-5 euros sir..

UNKNOWN-check you left pocket..

cone pakad jahan is baat ko bol aage badh chuka tha woh shaksh wahin hairani se bhar jab apne left pocket me haath daal usme rakha kuch bahar nikaala us bande ne toh uski hairangi aur badh gayi...

5 euros jo nikle the uski jeb se..

jahan woh icecream man hairan hua pada tha wahin woh unknown shaksh pahuncha garden ke dusri taraf jahan ek bench par baithi thi wahi ladki jo naraaz hokar apne ghar se nikli thi..

UNKNOWN-do you believe in GOD...!!!

us ladki ke saamne pahunch ye sidha par ajeeb sawal pucha tha us shaksh ne..

wahin apne saamne ek anjaan shaksh ko dekh waise toh hairan hui thi woh ladki par us shaksh ka hat me aadha chuppa aadha dikh raha face, awaaz me ek strong authority aur presence jo celestial se kam nahi lag raha tha,in sab X factors ki wajah se WHO ARE YOU,ye obvious sawaal nahi puch paayi woh..

LADKI-yes...

sawal ka one word answer apne aap hi nikal gaya uske mooh se..

UNKNOWN-than come..i will fulfill your desire...

ye bol bina kuch sune mud gaya woh saksh..

pehle toh woh ladki apni hi jagah par baithi rahi par jab usne dekha ki us unknown person ne uske hi ghar ke aage apni B.M.X roki hai toh woh turant uthi aur badh chali apne ghar ki taraf...

MOMMMMMMM...

jaise hi apne ghar me enter hui woh girl toh bas is cheekh ke baad stabdh si jad ho gayi thi apni jagah par..

REASON .

uski mom ki dead body padi thi zamin par..gala kaat diya gaya tha uska aur ye kaam kiya tha ussi unknown person ne jo ek tez dhaar knife liye araam se piche sofa me baitha hua tha..

GIRL-no,no,no,no,no,no,no... get up mom...please get up... aankhein kholo...

kuch seconds waise hi jadh hokar khade rehne ke baad tezi se bhaag kar apne mom ki dead body ke paas baith rone lagi thi woh..

UNKNOWN-hey, what's the matter..ro kyun raho ho...!!!??yahi toh chahti thi na tum..that your mother should die..

yahi cheekhte hue nikli thi na tum ghar se...ab jab tumhara desire,tumhari khawahish puri ho chuki hai toh ro rahi ho tum..!!!

you should toh rejoice...

GIRL-you bastard...meri mom ko maar diya tumne... DEVIL....

bastard...ye shabd bilkul bhi asar na kar paaya tha us shaksh par lekin DEVIL..ye shabd sunte hi uski gehri kaali aakhein laal ho chuki thi..

UNKNOWN-how dare you insult me...DEVIL... himmat kaise hui tumhari mujhe itna chota aankne ki...

i am the one and only G.O.D bloody swine...

DHABBBB..DHABBBB..DHABBBB..DHABBBB..

us shakhs ki awaaz me jo darindagi thi,usse sun dar gayi thi woh ladki...

par isse pehle ki woh kuch react karti,uske paas pahunch chuka tha woh shaksh.

agle hi pal us ladki ke baalon ko hold kar saamne zamin me just uski mom ke head ke paas waale floor par uske sir ko continously hit karne laga woh shaksh..

itna power tha un hits me ki sirf do hi baar me ladki ka maatha pura crush ho chuka tha..

par woh shaksh rooka nahi..tab tak hit karta raha woh us girl ke head ko jab tak uske sir ka 3/4th bhaag tahas nahas nahi ho gaya...

aisa karne ke baad khoon ke bohot se chhinte uske over coat me bhi padh gaye the..

khair,kuch der baad us dead girl ke head ko chhod apna haath saaf karne ke liye apne pehne coat ki jeb se red handkerchief nikala usne aur blood se sane haathon ko saaf karne laga.

aisa karne ke agle hi pal apna coat utaar chuka tha woh.

double sided coat thi ye jisse ghumate hue phirse pehen liya tha usne..

is beech uski nazar sirf us ladki ki dead body par hi tiki thi jisse abhi bhi ghusse se ghur raha tha woh...

UNKNOWN-bad girl...i hate you..never ever call me DEVIL...!!!!hmmppp...

kisi bacche ki tarah us girl ki dead body se complaint kar mooh banane ke baad palat ghar se nikal wapas apni B.M.X me baith aage badh chuka tha woh..

aur is beech...

UNKNOWN-

mai hi NIRMATA hun,
mai hi VIDHWANSHAK...

har sankat me bole jaane waala TRAHIMAAM,mai hun woh RAKSHAK...
.
.
kisi gunaah me woh khoon ke chhinte nahi jinse mujhe AFSOS HO...

meri aag me jhonk de khudko, mit jaayega agar tujhme koi DOSH HO....
.
.
na moh,naa maaya,na prem na nafrat, meri koi KHWAHISH NAHI...

woh anth hun mai jiske baad kisi aarambh ki GUNJAYISH NAHI...
.
.
sabse upar hun mai,koi mujhse uncha ho,kisika itna KADH NAHI...

mere faisle par kabhi shak mat karna, GOD hun mai aur KHUDA ka toh GALATH bhi GALATH NAHI...

AAJ KE LIYE ITNA HI...

AAPKA APNA V...J...
Superb update bro maza aa gaya
 
Top