• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)

Naik

Well-Known Member
20,242
75,373
258
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SONU KI SECOND OVER ME 36 RUNS BANA USKA MAZAK UDAATE HAIN B SECTION WAALE WAHIN DUSRI TARAF AGLI OVER FEKTA HAI NITS JISME WOH ROHAN SAMET 4 BATSMAN KO OUT KAR DETA HAI.

AB AAGE:-

CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)

UPDATE-12

CITY-DEHRADUN

PLACE-SIRIUS

THE MATCH CONTINOUS:-

INNINGS BREAK....

TARGET SCORE TO ACHIEVE...123....IN 8 OVERS...

first innings ki aakhri ball girne ke baad bataya exact score umpire ne...

jaisa ki sabko pata hai ki NITS ne feki thi 7th over jisme maatra 1 run hi bane the..

bas last over hi bacha tha jisse khud SAM ne daala..

sirf 6 runs hi bane us over me aur ek wicket bhi le li lounde ne...

toh is tarah kul 8 overs ki batting ke baad B section waalon ne 122 run bana diye the joki ek tagda score tha aur khaas kar ke tab jab unki bowling line bhi tagdi thi...

ALOK aur ussike saath NEERAJ bolke ek bowler tha unke paas jiski speed aur line length kaafi achi thi..

actually do aur sahi bowlers bhi the unki team me..

par ab jo tha,woh tha...last second over me jo NITS ne kiya,uska khumaar abhi bhi hamari team ke beech tha..

sabhi ussiki baat karte hue khushi khushi ground se bahar batting dugout ki taraf badh rahe the par hum sabke beech ek SONU hi tha,jo ab bhi sad tha.

aakhir uski loose over ne hi score kaafi zyada kar diya tha..

suji hui gaand jaisa mooh banaye hua tha woh isiliye gaya mai uske paas aur...

MAI-ek baar bolunga, ek baar me hi samajhna...koi if,koi but nahi...

aisa koi bowler nahi hai jiski sutayi nahi hui hai...best of the bowlers bhi kabhi kabhi beda garg kar dete hain..

agar tu isiliye udaas hai ki aaj teri bowling sahi nahi hui,toh theek hai par agar tere man me ek percent bhi doubt aa raha hai ki tu sahi bowler hai ki nahi toh tu bowler chhod banda hi chutiya hai..

aur chutiyape ka ilaaj nahi hai mere paas...

SONU-par bhai,meri kharab bowling ki wajah se hi unka score 100 paar ho gaya..

MAI-toh...run banenge tabhi toh chase karne me maza aayega naa....aur naa bhi bane toh bhi ki fark painda hai...ek match hi toh hai...

SONU-nahi...jeetna zaroori hai SANVY aur aisa hi hoga,tu khayal rakhega iska...

NITS-tu chinta naa kar.. mere haath me ball pakdaya tha isne, ab pairon me iske pad mai pehnaunga...

MAI-ghanta karunga batting mai....mai araam se apni tikakar baithne waala hun,bas..

NITS-aise kaise lounde...woh sikka istamal nahi karte hum jisme chit bhi tera aur pat bhi..

mujhe dono sir ke saamne nanga kar diya tune toh beta kapde toh ab tere bhi utrenge...

MAI-abbe tab zaroorat thi team ko teri bowling ki..par batting ki toh tention hi nahi hai...

SAM aur EKPREET milkar hi bana denge runs..dekh,pad bhi pehen liya hai mere loundo ne...

NITENDRA, SANVEER...COME HERE..

meri baat par SAM kuch kehta ki tabhi aawaz diya hum dono ko CHARLIE SIR ne jispar ek smile naach uthi NITS ke thobde par aur..

NITS-chal beta.. sir's ke saamne tune meri pol patti khulwa di,ab meri baari..

opening toh tujhse karwa kar hi rahunga mai...

ye bol CHARLIE sir ki badh chala NITS par tabhi..

MAI-sir,give me two minutes..zor ki lagi hai..i cannot control...

apna pet pakad ye baat bolte hue ek exit door ki taraf bhaa bhi chuka tha mai..

jahan meri baat sun aur reaction dekh dono sirs ko wakayi laga ki mujhe zor ki lagi hai aur isiliye woh dono has pade wahin NITS jaan chuka tha ki mai ab farar ho chuka hun..

mujhe pakadne ke liye woh bhaagna chahta tha mere piche par sir's ke saamne aisa nahi kar sakta tha woh..

NITS-bhosdike...pakad nahi sakta tha usse...

SONU-abbe,bbolne kke bbaad nnahi,bbolte bbolte hi bbhag ggaya ttha woh...

NITS-bina khele hi khel gaya sala..agar haare naa aaj toh gaand tod dunga saale ki..

khudse hi bhunbhunata NITS dono sir's ki taraf badh chala...

DAS SIR-so NITENDRA BHATNAGAR...the hidden cricket talent...

beta,batane ka kasht karoge ki itni achi bowling aane ke baad bhi kyun ab tak school ki taraf se khelne ki koshish nahi ki tumne..

NITS-bas sir,man nahi kiya kabhi...

NITS ki baat sun sir DAS SIR toh bas usse dekhte rahe but naa me apni gardan shake kiya CHARLIE SIR ne aur...

CHARLIE SIR-talented aur non talented logon me fark kya hota hai,pata hai beta..???

performance ka...

jab tak talent hard work ke saath merge hokar performance me nahi badalta,tak tak koi bhi talent non talent ki tarah hi hota hai...

i hope ki aage se apni is pratibha ko khud tak hi nahi rakhoge tum.

aaj jaise apne friend ke pride ke liye aage aaye tum,theek ussi tarah apna aur apne school ke naam ko aur glow karwane ke liye available rahoge tum...

and it's not any order kid..just an advice...

NITS-i will see to it sir..

CHARLIE SIR-good..now tell me about SANVY..maine dekha,jo bhi tum kar rahe the,uski planning wahi kar raha tha..

is he also a good bowler..!!!

NITS-sir, bowling kabhi ki nahi usne mere saamne but haan, batting faadu karta hai woh..

pardon my language sir..

CHARLIE SIR-really.. ROHAN ke aas paas...!!!

CHARLIE SIR ke mapping ko sun halka sa has diya NITS aur...

NITS-sorry sir..but the thing is ki SANVY ka ROHAN se koi comparison hi nahi hai...

NITS ki baat sun aankhein badi ho gayi thi CHARLIE aur DAS SIR ki aur..

CHARLIE/DAS-really...???

NITS-sir uske baare me bataunga toh talk plain hi lagegi...acha yahi rahega ki agar mouka mile toh aap dono khud dekh lijiyega...

DAS-beta,usme kya problem hai..class vs class ka ek un offical match hi toh chal raha hai..

ek end se opening ussise karwa lete hain..

NITS-aisa hi kuch hoga,jaanta tha gaandu tabhi toh bhaag gaya saala.

dabi awaaz me ek baar phir bhunbhunaya NITS jispar..

CHARLIE SIR-ab khud se kya baat kar rahe ho tum...???

NITS-nothing sir...sir,classes timing over ho chuki hai..SANVY ka wait karne se aur late ho jaayega...

aur waise bhi EKPREET aur SAM dono hi gear up ho chuke hain..unse hi opening karwa lete hain...

agar koi out hua aur tab tak SANVY aa gaya toh usse one down bhej dijiyega...

CHARLIE SIR-tab tak aa gaya toh matlab...!!!bhaag toh nahi gaya ye bahana maarkar..

bhaaga hoga naa toh monday murga bana dunga usse..

CLAP,CLAP,CLAP....

CHARLIE SIR ki baat par NITS kuch kehta ki tabhi batting halt se aayi taaliyon ki awaaz...

REASON...

section b waalon ne fielding lagbhagh set kar di thi, isiliye SAM aur EKPREET batting karne nikal pade the...

baaki team members apne openers ke liye clap kar rahe the..

NITS bhi dono SIR'S se ijazat lete hue halt me SONU ke paas jaakar baith chuka tha...

udhar pitch ki taraf jaate hue....

SAM-dude..123 chahiye apne ko..15.70 ka run rate hai..16 lekar chalna padega hume...

shuru me singles par khel tu..mai hit karta hun...set hone par hi hit karna chaalu kariyo..

EKPREET ek second ya third down batsman tha..nayi gend face karne ki aadat nahi thi usse..

upar se abhi swinging conditions thi jiska expert tha NEERAJ...

isiliye ye advice diya tha SAM ne jispar haan me sir hilaya EKPREET ne..

ab tak pitch par pahunch chuke the dono..aapas me gloves takrane ke baad SAM chal pada strikers end ki taraf...

SAM BHAI... COMMENTS PAR BURA TOH NAHI MAANOGE NAA..KAAM HAI MERA...

b section ka keeper BHAVESH tha ye jispar apna guard check karta SAM muskura utha aur...

SAM-bindaas chaab yaar..teri baat sun shayad mere keeper ki bhi buddhi chamke..

SAM ki baat sun muskura utha BHAVESH aur piche apne keeping guard ki taraf chal pada..

RIGHT ARM,OVER THE WICKET,FAST MEDIUM...

ALOK jo first over karne jaa raha tha, umpire ke paas se apna bowling style batate hue aage badh gaya aur apne edge par pahunch wapas palath SAM ko dekhne laga...

ek behadh confident smile naach rahi thi is waqt uske face par jo SAM and team ke liye khatre ki ghanti thi...

ALOK ek serious pacer tha..left hand bowler tha woh aur gaand faad face ke saath saath in swinging deliveries ka master tha saala...

ek hi kami thi uski..line and length..zyada speed hone ki wajah se kayi baar line bigad jaati thi uski jiska faayda batsman uthathe the par jis din uski line set ho gayi,kisi bhi batsman ke liye nightmare se kam nahi tha ALOK...

anyways,batsman as in SAM ka guard set ho chuka tha aur isiliye...

PLAY..

haath niche karte hue khel shuru karne ki permission di umpire ne jispar apne long strides ke saath doud pada ALOK aur...

WOOOOOO......

pehli hi ball bouncer maari thi ALOK ne aur woh bhi perfect hight par..

naak ke paas se nikli ball jisse apne shoulders height par lapka tha keeper ne.

PERFUME....yahi term use karte hain hum is types ki delivery ke liye kyunki naak ke paas se guzarti us Kookaburra ball ko literally smell karta hai batsman...

BHAVESH-arre faadu ball ALOK BHAI...jaayega,jaayega ye... dekho,shuru se hi backfoot pe aa gaya hai ladka..

ek do aur daalo,dar ke hi bhaag jaayega ye...

BHAVESH ek typical keeper language me apne bowler ko confidence dete hue SAM ka moral down karne laga jisse back kiya in field ke saare fielders ne...

par ye ek normal aur infact kuch zyada hi choti baat thi..

inter school championship me toh keeper aur slip fielders maa behen ki gaali tak dete hain batsman ko...

khair,ball wapas ALOK ke paas pahunch chuki thi joki SAM ko ek look dene ke baad wapas apne delivery run-up ke starting position par pahunch chuka tha..

CATCH IT.. SHIT MAN...

ALOK ki agli delivery joki ek good length ball thi aur SAM ke off stump se 2 inch bahar pitch hui thi,usse SAM ne apna pair aage karte hue ek solid forward defence karne ki sochi,par pitch hote hi ball me hui harkat aur woh halki bahar ki taraf nikli joki SAM aur pure A SECTION waalon ke liye hairani ki baat thi..

ye khubhi naa thi ab tak ALOK me par zaahir tha ki he has worked hard to nourish his out swinging deliveries joki is baar lagbhagh kaamiyab ho hi gayi thi..

kul do slips rakhe the b waalon ne aur edge lag ball gayi second slip me khade bande ke right ki taraf par jab tak woh ball tak pahunchta,halka late ho chuka tha..

ball uske haathon se takra third man ki disha me jaa chuki thi..

par kyunki third man rakha tha b waalon ne isiliye sirf single hi mila A waalon ko..

par catch woh bhi SAM ka chhut chuka tha jispar behadh ghusse se hawa me laat maarta hua ALOK wapas apne delivery stride ki taraf badh chuka tha..

pehla run ban chuka tha hamara par jis tarah se bana tha,woh convincing nahi tha..

BHAVESH-koi naa,koi naa ALOK BHAI..bacche dar gaye hain...ek macchli nikal gayi par nayi aayi hai jaal me..

fasana hai isse..dekho,choti bhi hai ye aur dheere bhi...pair kaamp rahe hain saale ke..jaayega ye...

daalo ek raftaar se..stump ki gilli udegi yaa phir iski...dono chalega apne ko..

HAHAHAHAHA...

jahan BHAVESH ki baat sun slips aur inner fielders has pade wahin ghoor kar dekha EKPREET ne BHAVESH ko jispar kandhe uchka diye usne..

khair,apna guard set kar liya tha EKPREET ne jiske kuch pal baad...

THAKKKK......NIKAL LAUDE...

ALOK ki agli ball pitch par padh tezi se andar aayi jiska jawab nahi tha EKPREET ke paas...

bat aur pad ke beech se hote hue ball tezi se EKPREET ka middle stump ukhaad chuki thi...

thik NITS ka copy karte hue EKPREET ko bahar jaane ke liye bola ALOK ne jispar bat ko zamin par zor se maarte hue ghusse se bhar nikal pada EKPREET..

par uski bhi kya galti..ek toh middle order batsman ko aaj opening karni padi aur jis tarah ki delivery daali thi ALOK ne,ache ache opening batsman bhi nipat jaate us ball par..

lekin ALOK ki ball aur most importantly pehli dono hi balls par uski line length ki pakad ko dekh behadh khush the dono sir's..

anyways,RAJAT tha A waalon ka naya batsman jo ab creeze par pahunch chuka tha...

apna guard set karte hue woh ALOK ko jo aaj kuch zyada hi sahi mood me tha,uski ball khelne aur jhelne ke liye ready jo chuka tha par naa hi woh khel paaya aur naahi jhel paaya...

KHATTT....RAJAT...

ek baar phirse bouncer maara tha ALOK ne..par is baar naak ke baaju se nikalne waali PERFUME nahi balki sidhe HELMET ko thrash karne waali BEAMER daali thi usne..

helmet ke grill par itni tez hit hui ball ke RAJAT ka pura sir hi jhanna utha...

lehrate hue apne ghutno par aa chuka tha woh jispar uska naam lekar chillate hue doud pada SAM uski taraf..

turant helmet utari SAM ne RAJAT ki.. dono umpires bhi pahunch chuke the uske paas..

luckily, bleeding ya koi swollen injury nahi hui thi uski par ball ke powerful impact ki wajah se sir ghum gaya tha RAJAT ka..

sir ko jhatakte hue khud ko theek karne ki koshish kar raha tha woh..

SAM-RAJAT..you ok..??

RAJAT-yaa i am good..bas 2 minute de,i will be good to go...

CHARLIE SIR-no son...aage nahi khel sakte tum..isse medical room lekar jaao,turant..

kuch extra students jo batsman dug out ke paas baithe the aur is waqt CHARLIE aur DAS SIR ke saath idhar aaye the,unhe kaha sir ne jispar RAJAT kuch bolne ko hua par tabhi..

DAS-beta koi behes nahi..ball helmet par lagi hai..aur clearly,you are out of focus..jo safety measures hain,woh toh lene hi padenge...

apna faisla suna diya tha sir ne jiska matlab is baar bina wicket gire hi 2 down ho chuke thi A section...

bade maayusi ke saath un kuch students ka sahara lekar utha RAJAT aur ground se bahar nikal pada..

dono sir's ki wajah se B section waale koi taunt toh maar nahi rahe rahe the par dabi hasi saaf suni thi RAJAT ne unki jiske baad uski frustration aur badh gayi thi..

BABES...

ek tention se bhari awaaz padi RAJAT ke kaano me joki uski gf NAISHA ki thi..

chehre par uske pain saaf dekh raha tha jispar..

RAJAT-i am ok baby... tention mat lo..

ab tak un ladko ki jagah NAISHA ne le li thi aur woh RAJAT ko sahara dete hue GROUND se bahar jaa rahi thi...

KHANAK-ye SANVY kahan gaya...???

RAJAT ke liye sad feel karti KHANAK ne jab SANVY ko kahin nahi paaya toh pucha ye sawal jispar..

ANJALI-bhaag gaya hoga woh...

KHANAK-bhaag gaya hoga matlab...

ANJALI-matlab wahi jo kaha maine..game skip karne ke liye kuch bhi karega woh...

RASHI-may be par right now,i doubt it...dikh bhale hi nahi raha par jitna jaana hai maine SANVY ko,woh yahi kahin hain aur agar woh yahan hai,toh hamara section haarega nahi...

ANJALI-acha...hai toh dikh kyun nahi raha..aur agar maan bhi liya ki yahin kahin hai woh toh bhi kya alag ho jaayega..

bat pakadte nahi dekha usse kabhi kisine,phir match jitana woh bhi itna hard,uski bas ki baat nahi...

RASHI-again,may be or may be not..mujhe bas itna pata hai ki SANVY is MR UNPREDICTABLE..woh kab kya aur kaise kar jaaye,ye hum soch bhi nahi sakte..

BACK TO GAME:-

SAM-bhai,araam se...

aur koi recognised batsman nahi bacha tha A SECTION me aur jis tarah ki balling ki thi NITS ne, kuch ummid thi sabko ki shayad batting bhi sahi karta hoga woh aur isiliye RAJAT ke retired hurt hone ke baad creeze par wahi aaya tha.

aur uske aate hi apni raay di SAM ne jispar..

NITS-naa bhai.. defence naa hota mere se..apna toh aar ya paar waala hisaab chalta hai...

ya toh pel dunga ya khud pela jaaunga...aur is ALOK madarchod ki ball ko toh kabhi na defence karun mai..

NITS ki baat sun sir bhar shake kiya SAM ne..woh jaanta tha ki NITS ko nahi samjha sakta woh..

chupchap non striker end par jaakar khada ho gaya SAM...

wahin NITS apna guard set kar hi raha tha ki...

BHAVESH-bhadhiya ALOK BHAI..same daalte raho..issi over me khatm ho jaayenge ye saare.

waise bhi ye naya kounla hai..

NITS-kounla tera baap madarchod...

piche palat gurra utha BHAVESH ko dekh NITS jispar..

BHAVESH-bas kya NITS bhai..match hai yaar aur match me toh..

NITS-baap ko mat sikha loude... apne bowler ko jitna confidence dena hai de,mere baare me kuch bola toh maiya chod dunga teri...

apni bhadas nikaal bat kuch zyada hi zor se patka apne liye guard par NITS ne jiske baad ALOK doud pada apne run up par..

do bouncers already fek chuka tha woh jisme se pehle waale ko luckily legal bataya tha umpire ne.

dusra waala one for the over ban chuka tha isiliye bouncer fekne ke chances kam the uske..

yahi soch uske ball fekne se pehle hi halka room bana chuka tha NITS aur tabhi...

SOOBHHHH..

ek lightning quick ball aayi uski taraf..off stump se bahar halki over pitch ball thi ye par kyunki NITS room bana chuka tha, isiliye uske reach se bahar ho gayi ball aur sidhe keeper ke gloves me sama gayi...

ghoor kar dekha ALOK ne NITS ko jispar NITS bhi uski ghoorne laga..

kuch seconds ke us eye staring ke baad palath gaya ALOK...

last second ball thi ab first over ki..good length aur short pitch ke beech daali thi ye ball ALOK ne par uske delivery daalne se thoda pehle hi pure chaar kadam aage badh chuka tha NITS...

ye ball bhi off stump me hi thi jisse long off ki taraf utha kar chakka maarne ke maksad se ghumaya bat NITS ne aur..

THAKKK..

pitch me bounce ki wajah se bat ke middle me naa padh uper edge me padi ball par kyunki ek toh ball ki speed kuch zyada hi thi aur dusra jaisa ki kaha jaata hai,if you swing,swing it hard,issi tark par tez ghumaya tha NITS ne apna balla..

yahi reason tha ki ball uske bat ke upper edge me padne ke baad first slip ke behadh upar se hote hue piche ki taraf badh gayi aur pace ki wajah se ball sidhe boundry ke bahar jaakar giri...

CLAP,CLAP, CLAP...

six ka ishara kiya umpire ne jispar khushi se clap karne lage the A section waale...

wahin ek pal ghusse se NITS ko dekhne ke baad palath chuka tha ALOK...

BHAVESH-koi naa,koi naa bhai.. talent ka nahi, luck ka khaa rahe hain ye log..

zyada nahi chalega ye...

is baar BHAVESH ke comment par shaant hi raha tha NITS.sach jo bola tha usne..

khair,pehle over ki aakhri ball fekne liye doud chuka tha ALOK aur phir..

DHABBBB.. HOW'Z THAT...

NITS ke back pad knee roll par padi ye ball jispar ALOK ke saath saath puri team appeal karte hue chilla uthi lekin..

UMPIRE-not out...over...

knee roll ke thoda upar lagi thi ball isiliye benifit of the doubt batsman ko diya tha umpire ne..

pehla over khatm ho chuka tha and the score was 7 for 1...

asking rate se bohot piche the A waale par unke liye achi baat ye thi ki SAM was still there...

ROHAN-aaja *****.tu daal...

normally NEERAJ se karwana chahiye tha ROHAN ko second over par wk dusre random par theek thaak bowler ko bulwaya usne joko ek smart move tha.

first over me asking rate se bohot kam run bane the A waalon ke isiliye abhi kuch alag karna chahta tha ROHAN..

NEERAJ ko baad ke liye rakhna chahta tha woh taaki agar zaroorat pade toh back to back over karwa sake usse..

smart move tha jo SAM samajh chuka tha par abhi ke liye ye uska benifit hone waala tha..

run rate sahi karne ka mouka jo mil chuka tha usse aur iski shuruat usne pehli hi ball se kar di..

halki short rahi us bowler ki first ball jispar ek behadh khubsoorat square cut maara SAM ne..

natija..4 run...

kuch seconds liye bowler ne us shot ko hazam karne ke liye par phir wapas apne run up par nikal gaya..

lekin woh extra second ka thought process kuch kaam aaya nahi kyunki agli 4 balls par 3 boundry aur ek double le liya tha SAM ne...

over ki aakhri ball bachi thi jisse ek baar phir first ball ki hi tarah square cut maara SAM ne..

behadh tezi se nikli thi ball uske balle se par point par khade ROHAN ki body bhi utni ji tezi se apne left ki taraf dive laga gayi aur agle hi second ball uske haathon me thi...

ek behetarin fielding ka namuna dikhate hue usne certain boundry rok di thi..

ROHAN ke team ke sabhi players aur dug out ke side baithe dono sir's ne uske liye clapping ki...

khair,2 overs ke baad ab score 25 par pahunch chuka tha joki required rate se piche hi tha...

aur aise me third over lekar apne run-up par doud pada NEERAJ...

strike par NITS tha jiska swagat NEERAJ ne bouncer se kiya tha..

waise toh perfect position bana hook maarne ke liye swing kar diya tha apne bat ko NITS ne par NEERAJ ke extra pace ki wajah se ummid se thodi upar uthi ball aur bat ko adha inch miss karte hue sidhe keeper ke dastano me sama gayi..

BHAVESH-sahi hai,sahi hai NEERAJ BHAI..do inch aur upar hota toh ye bhi medical me RAJAT ke baaju baitha hota..

HAHAHAHA...

BHAVESH ke comment par uske sabhi inner circle fielders has pade the..

waise toh NITS ko aaya tha ghussa par NEERAJ ki balling time dimag thanda rakhna chahta tha woh...

anyways,ek baar phirse apne run-up par doud chuka tha NEERAJ aur phir...

OYE..............

BHAVESH-shit....

SAM-aaja.....

ek behatarin aur unplayable in swinging ball daali thi NEERAJ ne jo NITS ko toh dodge de hi gayi par saath hi saath BHAVESH bhi us swing hoti ball ko theek se judge nahi kar paaya tha...

uske gloves se halki fisal si gayi ball aur thodi door nikal gayi jispar tezi se chillaya SAM aur turant bhaag pada..

danger end bhi ussika tha isiliye NITS bhi doud pada aur bina kisi pareshani ke A waalon ko ek bye run mil chuka tha...

ab SAM tha strike par jo NEERAJ ki bowling ache se samajhta tha...

usse pata tha ki pace zyada rakhte waqt NEERAJ ya toh full length ball daalta hai ya short pitch aur SAM ke maamle me woh yahi karne waala tha..

THAKKKK...

sahi socha tha SAM ne..ek behadh tez full length ball daali NEERAJ ne usse jispar ek behadh classy straight drive jad diya usne..

NITS ke pairon ke beech se hoti hui MID ON fielder ko beat karte hue boundry paar ho chuki thi ball..

THAKKK..

agli ball NEERAJ ki ek outswinging delivery thi par fool length ke aakhri chhor par tappa khayi ball jiske kaaran swing hone ke liye kam waqt mila ball ko...

ek baar fir aligence personified waali baat ko roop dete hue khubsoorat cover drive maara tha SAM ne jispar ball cover aur extra cover ke beech se nikalti hui boundry ko touch kar gayi...

do balls par so boundaries aa chuki thi aur paanchwi ka bhi yahi haal hote hote reh gaya...

SAM pads par feki thi NEERAJ ne ye ball jispar ek behadh aakarshak glance kiya usne...

par shot kuch zyada hi fine chali gayi thi..third man aur deep fine leg.SAM ke liye bas inhi do positions me out fielders rakhe the ROHAN ne.

is shot par ball deep fine leg ki taraf gayi par thode distance me jispar keeper tak ball return hoti,usse pehle hi 2 runs pure kar liye the SAM aur NITS ne..

ab tak bohot sahi tarah khel raha tha SAM par ab is aakhri bachi ball par usse single leni thi...

par ROHAN ne predict kar liya tha is baat ko aur isiliye kuch ishara kiya usne NEERAJ ko..

apni pehli over ki aakhri ball daalne ke liye tezi se bhaag pada NEERAJ...

wahin single lene ke liye khud ko taiyar kar chuka tha SAM par tabhi...

KHATTT....

CATCH IT....

bat adana bhar chahta tha SAM par ball ek baar phir off stump ke thoda zyada hi bahar tez bouncer maari NEERAJ ne...

aur isiliye akhri moment par shot adjust karna pad gaya SAM ko jisme woh kaamiyab toh hua par ye kaamiyabi usse nuksaan kara gayi...

ball bat ke aakhri edge par padi aur isiliye naa toh woh pura distance cover kar paayi aur naahi gap talash kar paayi..

upar hawa me udti hui woh ball sidhe third man me khade bande ke throat area par land hui jisse usne lapak liya...

YESSSSSSSS.....

GIRLS-shit....

EKPREET-mara liye gaand...

out ho chuka tha SAM jispar bat zamin par zor se maarte hue woh dugout ki taraf chal pada..

ROHAN ka plan kaamiyab ho chuka tha aur isiliye is waqt sabse zyada khushi se wahi naach raha tha...

girls ke stand me khamoshi chha chuki thi aur same haalath batsman dug out ki bhi thi...

un sabke hisaab se match ab haath se nikal jo chuka tha..

khair,naya batsman joki sirf naam ka hi player tha,aa chuka tha pitch par..

aur kyunki SAM ke last shot ke dauran ek dusre ko cross kar chuke the NITS aur woh isiliye is naye over ki first ball me strike par bhi woh naya lounda hi tha..

NITS-sun bhai..bat se maar ya gaand se..par kaise bhi ball touch kar aur run bhaag le..ball fielder ke haath me bhi ho toh bhi rookne ka nahi..samjha..

NEW-theek hai..

RIGHT ARM,OVER THE WICKET...

ek naye bowler ko introduce kiya tha ROHAN ne par saala ye bhi acha hi bowl karta tha...

medium fast bowler tha aur line length achi thi iski...

aur is baat ka ek namuna apni pehli hi ball par hi dikha diya usne..

badhiya seem presentation ke saath good length par feki thi usne pehli ball jo pitch par girte hi bahar nikal gayi...

batsman jab tak bat theek se neeche laaya tha,ball lagbhag keeper ke paas pahunch chuki thi aur ye dekh apne helmet par haath maar liya NITS ne..

NITS-wakayi mara liye yaar...waise hi run nahi bane hai aur ab ye gaandu pura over khaa jaayega...

kahan hai bhosdike SANVY... zaroorat hai bhai teri...aaja yaar..

saamne na dekh dugout aur jidhar SANVY bhaga tha,us taraf dekh raha tha NITS aur is beech bowler ne ek aur ball fek diya jo sidhe us naye batsman ke chest par laga...

par chest guard pehna tha usne isiliye kuch nahi hua usse..

NITS-waah loude..bat theek se pakda nahi jaa raha aur protection TENDULKAR waali le rakha hai ye..

khud se hi bhunbhunata hua NITS bhi ummid chhod bas sir neeche kar khada ho chuka tha..

is beech bowler ne 3 bowl aur fek di jisme se ek par beat hua woh aur dusri uske knee roll par lagi par appeal kiya hi nahi kisine..

ROHAN pura over is batsman se khilana chahta tha isiliye usse out karna uske plan me tha hi nahi par uski plan ki lagne waali thi ab kyunki..

NITSSSS..

sir neeche kar khade NITS ke kaano par SONU ki ek excitement se bhari awaaz gunj padi jisse sun jab uska sir dug out ki taraf ghuma toh uska murjhaya chehra turant khil utha...

bat guard area me rakh gloves pehente hue mai khada tha mai aur pad mere theek se intact kar raha tha neeche baitha RAJAT...

kuch serious injury nahi aayi thi RAJAT ko..bas halka bhaari tha sir uska..

NAISHA ke saath mai aur woh saath hi aaye the medical room se..

match situation ka andaza tha mujhe isiliye hi wapas aaya tha mai aur pad up ho raha tha jispar khudse hi mere pads baandhne laga tha RAJAT..

kuch kaha nahi tha usne mujhse par uski hui insult ki taklif uske aankhon me dekh sakta tha mai jo ab mujhe B waalon par transfer karna tha..

khair,NITS ke meri taraf dekhte hi aankh maari maine usse jispar turant badha woh us batsman ki taraf aur..

NITS-sun be..ye out nahi karenge tujhe...aur ab tak samajh hi gaya hoga tu ki agar aur khela toh team ko harwa dega...

isiliye agli ball par hit wicket ho jaa..par co incident lagna chahiye nahi toh CHARLIE SIR incompetence bolkar gaand tod denge teri...

bhai,izzat ka sawal hai..samajh jaa..

NITS ki baat par bas haan me sir hilaya usne jispar khush ho gaya NITS....

samajhdar jo tha lounda...

khair,NITS wapas non striker end me jaakar khada ho chuka tha jiske baad bowler ne daali apne is over ki aakhri ball aur tabhi..

KHATTTT...

kismat se middle stump par halki short pitch thi ball jisse defend karne ka dikhawa karte hue kuch zyada hi picha ho gaya woh batsman..

natija...

uski left foot ki edi stumps ko touch ho gayi...

bails gir chuki thi that means hit wicket ho chuka tha woh...

CLAP.....

ye taali B waalon ne nahi balki stand par baithe SONU ne maari thi jispar sabhi usse hairani se dekhne lage the..

ek toh unki wicket giri thi upar se itne high score ko chase karte hue ek maiden khaa chuke the woh aur aise me SONU clap kar raha tha...

par usse naa fark pada koi...woh clap karta hi raha aur uski taaliyon ke beech mai chal pada tha batting karne jispar ek taraf SONU ke mere liye confidence ko dekh baaki sabhi ke man me bhi halki hi sahi,par ek ummid jaag chuki thi wahin dusri taraf puri B section ki team mujhe khunnas se ghoor rahi thi..

saala aisa lag raha tha jaise batting karne nahi,unke saath jung ladne jaa raha tha mai..

par in sabke dauran apna NITS kuch zyada hi relieved lag raha tha joki laazmi bhi tha kyunki...

jis pahad ko chadhna tha hume, kadh uska abhi kuch zyada hi BADA THA...

kandhe jhuk chuke the aur aatmvishwas zamin par GADA THA...

par us shikhar par pahunchne ki zimmedari ab sirf NITS ki nahi thi..

uske jhuke hue kandhe ko uthane,aur is haari hui baazi ko jeetne ab uske saath MAI KHADA THA...

AAJ KE LIYE ITNA HI...

AAPKA APNA V...J....
Behad shaandaar zaberdast lajawab update bhai
Bahot khoob superb
 
Rudrathakur

Active Member
586
3,384
123
To 2 chhupe rustam ab maidan me h ek ne already bowling me jhande gaad diye the ab batting me jalwa dikhana h pr confidence low tha pr ab jb confidence booster ke sath sanvy utar chuka h creeze pr A section walo ki dubti naiya ko paar lgane ...un sab ke liye sankat mochan ban sanjivani buti lekr unhein nyi ummeed de di h usne...ab dekhte h kya hota h yaha ...aaj to jalwa dikhega.. Sanvy aur nits ka 4 over me approx 85+ runs chase krne h dekhte h kya hota h ab waiting for next brother...🗡🗡🗡
 
Sammade4u

I love the one who never loved me 😩
765
1,768
123
Hunar to sab mein hota hai, kisi ka chhip jata hai to kisika chhap jata hai.

Sabse pehle to boht boht dhanyavad aapka sir G kyonki itna lamba apdet likhne ka kast Kiya. Boht boht shukriya Sir G. Aapne boht behtarin tarike se cricket ke iss Khel Ko darshaya hai ki jaise samne hi Khel rahe ho. Gajab Sir G.Superb apdet.
 
Nevil singh

Well-Known Member
21,150
52,928
173

Bahtreen update bhai
Ab hoga vo jo pahle ish criket ground per kabhi nahi hua aayega tufaan sanvi ke rupe me fategi har aur se b section ki
 
Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Divine
Moderator
31,203
78,131
304
There is normal cricket match going on in the story from last two updates, which happens in every school, you have written very well but I have no special interest towards cricket, so I do not understand what to say, I am just reading, The first round went well due to Sanvy's sharp mind and plot and Nits's brilliant bowling, We were supposed to lose in the second round but now Sanvy is back and the way friends have praised, it seems that the whole game will be turned upside down.
jis pahad ko chadhna tha hume, kadh uska abhi kuch zyada hi BADA THA...
kandhe jhuk chuke the aur aatmvishwas zamin par GADA THA...
par us shikhar par pahunchne ki zimmedari ab sirf NITS ki nahi thi..
uske jhuke hue kandhe ko uthane,aur is haari hui baazi ko jeetne ab uske saath MAI KHADA THA...

Nice...🖤

As always the update was great, You are writing very well, Now let's see what happens next, Till then waiting for the next part of the story.
Thank You...
🖤🖤🖤
 
Last edited:

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,695
189
AB TAK AAPNE PADHA KI A AUR B SECTION WAALO KE BEECH MATCH CHAL RAHA HAI JISME AB CREEZE PAR NITS KE SAATH SANVY AA CHUKA HAI.

AB AAGE:-

CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)

UPDATE-14

CITY-DEHRADUN

PLACE-SIRIUS

THE MATCH CONTINOUS:-

ALOK-bhai mai karta hun...

mujhe creeze par dekh turant pahuncha ALOK ROHAN ke paas agli over daalne ki request lekar jispar..

ROHAN-relax ALOK...jaanta hun ki tu iska sir todna chahta hai..tod lena...

par pehle match completely apne haathon me aa jaane de.. phir khel lena in dono ke saath...

ALOK-tujhe ab bhi lagta hai ki match kheench sakte hain ye loosers..

score dekh inka...4 over me 36 bane hain..87 chahiye inhe bache 4 me..

ROHAN-jaanta hun.. isiliye dusre se karwa raha hun.. dekh,agar ye over araam se nikal gaya toh hamari jeet fix ho jaayegi..

par agar galti se ye bowler pit gaya toh cover karne ke liye tera aur NEERAJ ka ek ek over rehna zaroori hai..

ALOK-hmm..cool then... dekhle..waise mujhe toh nahi lagta ki run bana paayenge ye dono is over me...

ROHAN-hope so..

ek baar phirse kisi fresh bowler ko ball pakdwa di thi ROHAN ne jisse dekh...

NITS-saale,sabhi tez fekte hain kya inki team me...???

MAI-acha hai naa.tujhe toh tez ball par khelna hi pasand hai..

NITS-tu chup lawde..pehle batting par aa gaya hota toh itni gat buri nahi hui hoti..

MAI-haan, tum sab bas gaand marwane ke liye ho,haina..ab bakwaas chhod aur sun..

tere khelne ka tarika dekha hai in sabne... creeze se bahar hi khela hai tu ab tak har ball...

isiliye us ALOK ki ball middle na kar paaya tu..

NITS-saale matlab tu dekh raha tha sab...

MAI-nahi,sapne me aaya mujhe sab nazar.. chutiya...itna samajh ki tere aage badhne ke hissab se fekega ye..

khade khade khelega toh mast over pitch ya short pitch aayegi..no half measures.lapet dene ka...

apni baat bol gloves se gloves takrate hue palat gaya mai..

bowler toh pehle hi apne run-up edge par pahunch chuka tha aur NITS ke ready hote hi daud pada woh..

KHATTTTT.....

wakayi ek rasmalai maafik normal speed par overpitch ball aayi NITS ki taraf jispar long on ki taraf loft kar diya usne bat aur...

SIX.....

MAI-badhiya shot lounde...

boundry se 10 metre piche giri ball jispar idhar mai aur udhar apni puri team clap karne lage...

par NITS naa kuch bola naa koi reaction di usne..

bas dobara ball khelne ke liye ready ho gaya..

BHAVESH-koi naa,koi naa..lucky shot tha bas... agli me jaayega ye...

BHAVESH ke confidence boost ke beech bowler apni agli gend phekne ke liye doud pada tha jispar..

THAKKKK..

half good length ball thi ye jispar pure stumps ko cover karte hue ek behatarin high sweep shot maara NITS ne..

FINE LEG ke baad LONG LEG ko paar karti hui ball aage badh gayi jo sidhe giri stands par..

SIX....

do ball me do baar dono haath utha chuke the umpire aur itni hi baar gaand jal chuki thi B waalon ki...

ROHAN turant pahuncha apne bowler ke paas aur uska manobal badhane laga par faayda kuch hua nahi...

do baar apni jagah par khade hokar khela tha NITS isiliye ROHAN ne apne bowler ko is baar perfect good length par daalne ke liye boli ball par aisa hoga, ye mai pehle hi bata chuka tha NITS ko..

ball pitch hone se just pehle hi aage badh chuka tha NITS aur..

KHATTT...

SIX....

EKPREET-je baat...pel diya lounde ne..

long off ke upar se ek lamba chakka jad diya tha NITS ne..

bowling ke time hatrik wicket aur ab batting karte hue hattrick six..chha gaya tha apna lounda.

aur utni hi gandi shakal ban chuki thi unke bowler ki jisse aur kharab banaya ALOK ne..

ALOK-kya baccho waali ball fek raha hai be..aise aaye gaye log maar rahe hain tujhe..

zor se boli ye baat ALOK ne jispar mai aur NITS, dono bas muskura uthe the..

khair,kuch seconds ka break lene ke baad wapas feka bowler ne ball par is baar ball sahi jagah par thi...

naa zyada aage aur naahi piche aur isiliye halka flick bas kiya us ball ko NITS ne aur humne bhaag kar single le li...

strike par ab mai tha jisse dekh kuch zyada hi josh me bhar utha tha ROHAN...

long on aur third man chhod baaki sabko 30 yard ke andar bula liya tha usne.

ek taraf mai tha jo apna guard set kar raha tha aur dusri taraf sabhi fielders the jo zor zor se comment kiye jaa rahe the aur unhe lead kar raha tha BHAVESH..

BHAVESH-chal chal bhai..naya murga hai, fadfadayega bhi zyada aur katega bhi araam se...

BHAVESH ki baat sun bas halka sa muskura bhar diya mai aur apni pehli ball khelne ke liye ready ho gaya..

mere sabhi team mates aur khaas kar ke CHARLIE aur DAS sir ki bhi aakhein bade interest ke saath mere upar hi tiki hui thi..

is beech bowler doud pada tha apne run-up par aur phir..

.........

in swinging par at the same time easy speed se ball daali bowler ne jo mere kamar ki height par aayi meri taraf jisse jaane diya maine...

chunne ki koshish bhi nahi ki thi maine us ball ko jispar...

BHAVESH-ye test khelne aaya hai guyz... passanger train hai,araam se baith jaao,kahin nahi jaa rahi ye ek ghante..

HAHAHA....

has pade B waale BHAVESH ke comment par lekin hamari taraf se bhi do log the,jo un sabke saath smile kar rahe the..

SONU aur NITS...

is beech...

CHARLIE-ye SANVEER slow starter hai kya...???

SONU-nahi sir.. actually SANVY kabhi bhi apni first ball chhedta nahi,par uske baad chhodta nahi...

THAKKKK......

SONU ki baat puri hui thi ki tabhi bowler ne apne over ki aakhri ball daal di thi..

slightest of the margine se short thi ye ball..mere kamar ki height tak hi uthi thi jisse deep square leg aur deep mid wicket ke beech lapet diya tha maine..

behadh solid awaaz aayi thi ball se bat ke connect hone ki jiska result bhi utna hi sahi tha..

hawa me udti woh ball sidhe land hui KHANAK,ANJALI, RASHI aur NAISHA waale stand ke top stair par...

kaafi lamba chakka tha ye jispar bowler mooh faade mujhe dekhne laga..

wahi kya sabhi ka yahi haal tha aur reason bhi obvio tha...

6 pade, aisi ball nahi thi ye jispar maine ab tak ke match ka sabse lamba chakka jad diya tha...

ball wapas ground me fekte hue RASHI aur uske saath baaki sabhi ANJALI ko dekhne lage jispar mooh banate hue chup chaap baithi rahi woh..

wahin dugout me..

DAS SIR-outstanding..just stand and deliver...dekha aapne CHARLIE SIR...ladke ne bas hand eye coordination ke sahare khela tha ye short..

no feet movement..no backing up.. nothing..just confidence.. brilliant...

DAS SIR ki baat par bas haan me sir hilaya CHARLIE SIR ne..ab ek shot se toh impress hone se rahe the woh..

khair,over ho chuka tha aur ab 5 overs ki samapti ke baad A waalon ka score 61 ho chuka tha..

teen overs bache the aur runs chahiye the 62...

aur aise me sixth over lekar aaya NEERAJ...strike par NITS tha...

KHATTT...

pehli hi ball ek tez yorker daali usne jispar behadh eligence dikhate hui bas apne bat ko 180 degree me ada diya NITS ne joki kaafi tha..

third man thoda square rakha tha ROHAN ne jiska faayda mila NITS ko..

ball kaafi fine nikli uske bat se..slips ab the nahi isiliye keeper ke thode door se kaafi speedily nikli ball aur boundry...

pehli hi ball par boundry maar di thi NITS ne par woh yahin nahi rooka..second ball ko point ki disha dete hue gap me maara shot usne jisse deep point ka fielder pakad paata,usse pehle hi ball boundary touch kar chuki thi...

SAM-badhiya,badhiya,badhiya... behetarin shot buddy...

RAJAT-2 aur banta hai over me...

BHAVESH-jitna padna tha pad gaya bhai..kota ho gaya iska pura...ravana karo isse...

dugout se apni team NITS ko cheer karne lage aur ground se BHAVESH NEERAJ ko jo apni pehli dono balls par chownke lagne par boukhla sa gaya tha, confidence dene laga..

THAKKK...

agli ball ek lower full toss thi jispar tezi se ghumaya tha NITS ne bat lekin bat ke toe end me lagne ki wajah se ball sidhe long on ke fielder ke paas gayi..

single le chuke the hum aur ab mai strike par tha..

BHAVESH-nipta bhai isko..

NITS-same SANVY...nipta iski ball ko..

BHAVESH ki baat uspar hi ghumate hue kahi mujhse NITS ne jiske baad..

KHATTT...

NITS-oh teri....

NEERAJ ne bouncer maara tha mujhe..thik mere helmet ki height par aayi thi ball meri taraf jisse badi tezi se hook maar diya maine.

middle kiya tha maine ball joki sidhe stands paar kar gayi thi..

CLAP, CLAP, CLAP...WOOOOO....

shot dekh hamare dugout se continuous clapping aur hooting hone lagi aur ye silsila tab tak chala jab tak ball wapas bowler ke haath me nahi aayi..

pehle chaar balls par kul 15 runs aa chuke the aur isiliye kaafi nervous ho chuka tha NEERAJ..

par ball toh daalni hi thi jo daali usne ek baar phir apne favourite good length area par jispar halka sa aage badha mai aur bat ke face ko pura open karte hue extra cover ke just baaju se nikal di maine ball..

kaafi powerful ground shot tha ye jo ki within no time, boundry touch kar chuka tha par mai jaisa ROHAN ne apne time kiya tha,pose hold karte hue khada raha.

tab tak jab tak ROHAN ki nazar mujhpar nahi padi..usse dekh bat uski taraf hi halka point karte hue neeche kiya maine jisse dekh jhaante sulag gayi uski par kare bhi toh kya..!!!

khair,aakhri ball par deep mid wicket ki taraf ground shot maarte hue single le liya maine..

chahta toh is ball par bhi glory shot ke liye jaa sakta tha mai par mujhe maalum tha ki agla over ALOK se hi karwayega ROHAN isiliye strike sustain kar li thi maine..

6 overs ho chuke the aur ab hamara score tha 81...

jeetne ke liye 2 overs me 42 chahiye the..matlab 21 per over...

ALOK-single nahi lena tha tujhe SANVY...ab mujhe jhelna padega tujhe..free advice deta hun,ya toh wicket bacha lena yaa lund.. dono me se ek toh ukhaadna hi hai mujhe...

umpire ko apni bowling side batane ke baad apne starting stance ki taraf jaane ke bajaye mere paas aa kahi ye baat ALOK ne jispar...

MAI-abbe, wicket ka toh samajh me aata hai,mere lund me kya interest hai tereko..???

gaandu waandu toh nahi hai tu..

NITS-hoga bhi kya pata..???ROHAN ke aage apna pichwada ragadte toh rehta hai hamesha..

meri aur NITS ki baat sun hume jalti nazaron se dekh chal pada woh apne bowling end ki taraf..

wahin mai bhi taiyar tha usse khelne ke liye...

apne end se kuch pal mujhe ghoorne ke baad doud pada ALOK aur...

KHATTT....

ek baar phir bouncer aayi mere taraf par ye waali pichli dono baar se bohot zyada tez thi par fark ghanta na pada us extra speed ka.

infact faayda hi hua mujhe..bat ke middle me padne ke baad ball ne khudko stands ke piche jaise chuppa sa liya tha..

meri last six se bhi kuch zyada door gayi thi ball is baar..

EKPREET-kya baat hai bhai..dil khush kar diya ladke...

RAJAT-dheere maar le bhai..warna ye B waalon ko bahana mil jaayega match draw karwane ka..

bolenge ball ghum gayi,hum nahi khelte..

HAHAHAHAHA....

RAJAT ki baat sun zor se has pade the sabhi A waale.in fact un sabke paas me baithe CHARLIE aur DAS SIR bhi halka muskura uthe the..

is beech..

ROHAN-dude.. bouncers achi khelta hai ye.. line change kar..yaa toh good length me in swinger daal nahi toh full rakh.. yorker maar saale ko..

ROHAN ki advice par haan me sir hilaya ALOK ne..

ball aa chuki thi jisse liye ek baar phir doud pada tha woh meri taraf..

KHATTT....

yorker try kiya tha ALOK ne jo 90 percent sahi bhi padh gayi thi par kaam 1 percent bhi nahi aayi.

kyunki uske ball deliver karte hi creeze ki depth me pahunch chuka tha mai..

exact off stump par aayi thi ball jisse room banate hue maine mid off ke upar se utha diya tha..

result...

ek aur SIX....

CHARLIE SIR-now that's outstanding.. brilliant...

bowler ke mind ke saath khelte hue ek bohot achi ball ko kharab ball me convert kar diya tha maine.

ye sab clearly dekha tha CHARLIE SIR ne aur isiliye clap karte hue meri shot ki taarif ki thi unhone...

khair,apne one of the best balls ki aisi durgati ke baad naa toh ALOK ke paas tha kuch samajhne ke liye aur naahi ROHAN ke paas tha kuch samjhaane ke liye.

phir bhi as a captain,apne bowler ka housla toh badhana hi tha usse jo woh kar raha tha par is beech BHAVESH pura chup ho chuka tha...

tark nahi tha naa lounde ke paas dene ke liye...

apne bowling end par pahunch ek lambi saans chhod ek baar phirse doud pada tha ALOK aur..

KHAATTTT...

same ball feki thi usne par is baar mid off ki jagah mid on ki taraf utha diya maine uski ball ko par natija same tha..

SIX...

SIRIUS ke sabse khatarnaak bowler ko hatrik pel diya tha maine..

apni apni jaga par khade hokar aakhon me khushi aur hairani dono liye dekh rahe the mere team members mujhe..

aur itni tez gendo par bhi mere shots ki versatility ko dekh CHARLIE aur DAS SIR sabse zyada hairan aur khush the..

NITS toh wapas apne bowling stride par jaate ALOK ke saamne hie halka bhangda karta hua meri taraf aaya jispar mooh koyla ho gaya tha uska but kuch keh bhi toh nahi sakta tha woh...

ROHAN bhi frustrate se hota hua bas apni jagah par khada tha...

khair,ek dusre se punch hit kiya maine aur NITS ne jiske baad agli ball khelne ke liye ready ho chuka tha mai...

aur jaise hi ball daalne ko hua ALOK,aage badhne ka bas upkram kiya maine jisse dekh turant apni sochi line badli usne aur apne kandhe ki puri taakat lagate hue bouncer maar di ALOK ne..

BHAVESH-oh shit..

bouncer nahi,tripple bouncer maar di thi ALOK ne..ball mere sir ke kareeb 2 metre upar se aur keeper ke ek metre upar se guzarti hui sidhi piche boundary line ke bahar jaa chuki thi...

turant umpire ke dono haath faile chuke the..wide thi ye ball jispar hume 4 run alag se mile the...

frustration ki hadh chhu chuki thi ALOK ki jispar khud hi par ghussa utarta hua woh palath chuka tha..

par life me pehli baar jo uski gend par teen lagatar chakke pade the,usse uthi man me jhunjhlahat kuch zyada hi thi jisne ALOK ka pura focus bigaad diya tha..

yahi reason tha ki agli do balls lagatar wides feki thi usne jisme se dusri wide keeper bhi theek se collect nahi kar paaya aur humne ek run doud liya..

ab tak kul teen balls hi feke the ALOK ne jispar hamare 26 runs ban chuke the...

par the most satisfying part was ki jaisa SONU ki line bigadi thi ROHAN ne,waisa maine uske is so called champion bowler ki bigaad di thi..

khair,NITS ko ball sahi feki thi ALOK ne..sahi in the sense wide nahi hui ball.. wide off stump par full length ball thi jispar point ki disha me ek square drive maara NITS ne..

ball badi tezi se ROHAN ke taraf jaa chuki thi par tabhi..

uske dono haathon me ragdati hui si ball usse chhut si gayi..

MAI-bhaag be...

us miss fielding ka faayda uthate hue turant doud pade hum dono..

one of the best fielder tha ROHAN SIRIUS ka par pressure ache accho se ball chhudwa deta hai phir ROHAN kya chiz thi bhala..

boundry toh nahi gayi par jab tak ROHAN ball collect kar wapas fekta,do run le liye the humne...

ALOK-kya ROHAN yaar..sidhi ball nahi pakdati tere se...

ROHAN-abbe pehle khud dhang ki ball fek le tu...4 ball me 28 khaa chuka hai...

lund ka bowler hai tu...

CHARLIE SIR-language ROHAN...

ek dusre par frustrate ho gaye the ROHAN aur ALOK jispar jahan ek taraf ROHAN ke abusive word ko joki kuch zyada ho zor se bol diya tha usne,sun piche se chillaye CHARLIE SIR wahin dugout me baithe sabhi A section waale pet pakadkar hasne lage the..

EKPREET-koi na,koi na,koi naa..2 ball bache hai tere ALOK..abhi pelana aur baaki hai..

BHAVESH ki tarah comment kiya EKPREET ne jisse sun ek baar usse ghusse se ghoor ball daalne apne run up ki taraf badh chuka tha ALOK..

khudko shaant karne ki koshish karte hue agli ball daali ALOK ne par line uski wakayi uske focus ki hi tarah bigad chuki thi..

paanchwi ball pairon par low full toss daali usne jisse deep mid wicket aur cow corner ke beech chip sa kar diya NITS ne..

natija,one bounce for four..

next aur over ki aakhri short feki ALOK ne jisse puri taakat se pull kar diya tha NITS ne..

yahi reason tha ki jitni speed se ball uske bat par padi,uska double speed ikhtiyar karte hue woh ball boundary line ke paar chali gayi..

OVER...

umpire ke ghoshna ke baad ALOK ka woh lamba over jisme kul 36 runs bane the,khatm hua...

itni pelayi aaj tak naa hui thi uski jisse woh ek lambe samay tak yaad rakhne waala tha..

khair,ab kul 7 overs pure ho chuke the aur hamara score pahunch chuka tha 117 runs par..

agli 6 balls me hume sirf 6 runs hi chahiye the aur aise me balling karne aaye B section ke captain shri shri shri akhand chodu mahodaya ROHAN MALHOTRA JI...

ROHAN bhi ek medium pace bowler tha par bowling sirf bohot zyada zaroorat padne par hi karta tha...

aur kyunki khud ek behetarin batsman tha woh isiliye batsman ke game ko achi tarah jaanta tha..

aur issi soch ke saath ki humare stance, approach,game ko samajh hume bache runs banane se rok dega woh, bowling karne aaya tha ROHAN...

RIGHT ARM, MEDIUM...

apni bowling technique bata apne delivery stance par khada ho chuka tha ROHAN...

strike par mai tha aur apne haathon me lagatar bowl ucchalte hue woh mujhe hi jaise apni aankhon se toul raha tha..

wahin dugout me mere team ke sabhi players excitement me khade ho chuke the..

jis tarah runs banaye the maine,uske hisaab se toh ye 6 runs araam se bana dunga mai,ye jaante the woh sab par saath hi saath ROHAN ki tricky bowling ki wajah se halke nervous bhi the woh sab..

same haalath stands par baithe girls ki bhi thi..woh sab apni apni aankhon me nervousness aur excitement ke mile jule bhaav liye mujhe aur ROHAN ko dekh rahi thi...

par SONU aur NITS bilkul bindaas the..NITS toh aise khada tha maano creeze par nahi garden me khada ho..

ekdum chilled out...

aur in sabke beech tha mai jo chehre par bina kisi bhaav liye ekdum shaant khada tha..

third man,long on,long off,deep mid wicket,deep square leg..ye woh areas the jahan out field lagayi thi ROHAN ne..

baaki sab 30 yard ke andar the jinhe ek baar check out kar mai ball face karne ke liye ready ho chuka tha.

wahin mere ready hone ke baad bhi kuch seconds tak mujhe toulta raha ROHAN aur phir woh apne run up par doud pada..

run up chota hi tha uska...

ROHAN ko apni taraf aata dekh aankhein bilkul sthir thi meri aur tabhi...

kuch dekha maine...

wrist position chhupaya nahi tha ROHAN ne.par seem par puri ungli ki grip nahi thi uski..

yahi dekha tha maine jiske baad ek behadh halki smile naach uthi mere face par aur..

KHATTTT.....

CATCH IT....

knuckle ball.. wahi ball jiski madad se NITS ne ROHAN ki wicket li thi..

same delivery ROHAN ne mujhpar aazmayi thi..par seem par uske knuckles judge kar liye the maine aur isiliye uske ball fekne se just pehle apne haathon ka grip pura change kiya maine aur turant ek reverse switch hit ki position le li..

ball halki si good length aur halki over pitch thi jispar neeche baiththe hue reverse sweep shot ghuma diya maine..

ball bat ke middle me toh puri nahi aayi par jitni aayi,woh ball ko third man area ke boundry tak udaa kar le jaane ke liye kaafi thi...

aur kismat se third man par khada tha hamara ALOK jiski hight 6 feet thi...

ball bhi uske radar ke aas paas hi thi..haath upar uthate hue woh ball lapakne ke liye kood sa gaya lekin...

uske finger ko bas halka sa touch karti hui ball boundary line ke bahar jaakar giri...

ek taraf jahan umpire ke dono haath uth gaye wahin dusri taraf apna sir pakade hue ROHAN aur uske baaki sabhi saathi neeche baith chuke the..

wahin dusri taraf jaise hi ball 6 ke liye gayi toh..

NITS-woh maara paapad waale ko...

doud pada NITS meri taraf aur saala kood hi pada mere upar...

HOOOOOOOOOOOO...

mere sabhi team mates bhi doude meri taraf aur woh sab bhi kood pade mere aur already mere upar chaddhe NITS ne upar..

neeche gir chuka tha mai jispar..

MAI-hato be bhosdoke log...saalo, swimming pool samjhe ho kya mereko jo dubki lagane ke liye ek saath kud diye mere upar kamino..

mai un sabki bakta gaya par ghanta fark nahi pada un sabko..

kaafi der tak mere upar kudam kudayi karne ke baad alag hue woh sab jiske baad...

SONU-ekk nnumbber sshot ttha bbhai...

MAI-saale ab toh doubt nahi hai naa khudpar..dekh le,jitna tune khaya,utna hi woh ALOK bhi khaa gaya...

SONU-nnahi bbhai..kkoi ddoubt nnahi hai ab...

CHARLIE SIR-SANVEER AHARYA... brilliant batting..chase karte hue itne cool head aur confidence ke saath khelna,its damn tough..

par tumne aur NITENDRA ne bade araam se kar diya ye..i hope ki tum school team se bhi kheloge ab..

MAI-i can't promise sir..team mere bina bhi yahan number one hi hai..par haan, agar kabhi aisa hua ki the team needs me,i will be there..

meri baat sun kuch pal dekha sir ne mujhe aur phir woh palte B waalon ki taraf jo hum sabse kuch door sir jhukaye khade the aur..

CHARLIE SIR-maine dekha,kya ho raha tha aa yahan par...ek normal class match ko kisi old rivals ki tarah khel rahe the tum..

woh log jo school ki taraf se tumhare saath khelte hain,unhe hi bitch kar rahe the tum sab..

SONU is one the main pillar of your school teams bowling aur aaj uske ek kharab over par uska mazak udaya tum sabne..

specially you ALOK TRIPATHI.. uski stammering tak ka mazak udaya tumne.. disgusting...

DAS SIR-par dekh lo beta,hissab tumhara yahin ho gaya..

SONU ko toh ROHAN ne hit kiya tha jo school ke liye opening karta hai par tumhe..

tumhe toh us ladke ne hit kiya jisne kabhi school level par khela hi nahi...

how's that for karma...

ab bhi waqt hai,sudhar jaao..warna tum sabke ye internal problems tumhare school team me problem create karenge..

common, shake hands and rub off your differences...

dono SIR'S ki baat sun hum sab aur B waale ek dusre ke paas aaye aur baari baari haath milane lage..

B ke baaki sab toh genuinely haath mila rahe the humse par ALOK aur ROHAN ki aankhon me ab bhi nafrat thi humare liye aur jab mai aur ALOK ek dusre ke paas aaye aur haath milaya toh..

ALOK-this isn't over SANVEER... sabak tujhe aur tere group ko sikha kar hi rahenge hum...

ALOK ki baat ya phir ye kahun dhamki par jahan ek taraf mere sabhi dost hum dono ke paas aakar usse ghurne lage wahin ROHAN ne uske kandhon par haath rakh usse shaant rehne ka ishara kiya...

CHARLIE sir bhi paas hi the isiliye mai bhi bina kuch bole apna haath alag karne laga par kehte hain naa,kuch kutte khaana ugal dete hain aur tatti araam se pacha lete hain..

aisa hi kuch tha ALOK..

jaise hi mai apna haath uske haath se hatane ko hua, strongly pakad liya usne mere haathon ko aur dheere dheere pressure badhate hue mere hatheli ko squeeze karne laga..

ek kutil muskaan thi uske chehre par aisa karte hue par aisa bas kuch palon tak hi reh paaya tha..

ab tak dheela chhode mere haathon ke grip ko maine bhi strong kiya ALOK ke hatheli par..

ab the thing is ki ALOK tha mujhse bada.. umr me bhi aur taakat me bhi..

par junoon aur paagalpan mere aage jhaant barabar bhi nahi tha uska...

yahi reason tha ki uske haathon ke grip se ho rahe pain ko toh araam se jhel gaya mai par mere grip se constantly badh rahe dard ki wajah se facial expressions change hone laga uska...

kuch seconds aur jiske baad pain saaf jhalakne laga ALOK ke face par jiske baad..

ALOK-haath chhod SANVY..sir ko bata dunga mai..

MAI-bata dena toh maadarchod...

kori dhamki thi uski jispar amal nahi kar paaya ALOK..kya batata sir ko ki haath daba diya SANVEER ne uska..

chutiya kat jaata uska sabke saamne...

ROHAN-please SANVY..chhod se yaar..

ALOK-haan, chhod de, please bhai..

gidgida sa gaya ALOK jiske baad chhod diya maine haath uska aur...

MAI-kab samjhoge be tum chodu log...

dhun koi bhi baja lo,gaana hum apne hissab se GAATE HAIN...

maarte hum baad me hain,tum jaiso ko hum pehle BHAGAATE HAIN...

taalab me tairte ho tum aur hum samandar me,yaad rahe...

talaab ke tairak aksar SAMANDAR me DOOB JAATE HAIN...

AAJ KE LIYE ITNA HI...

AAPKA APNA V...J...
 
vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,695
189
second update of the day posted guyz.. more than 4500 words used..

dono updates ke combined words 10000 se bhi zyada hain...

first time cricket par updates diye hain maine.. koshish rahi hai ki game ke har important detailing ke saath merge karte hue update pura karun..

ummid hai ki i have done ok..

read and enjoy...
 
Last edited:
Top