• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,696
189
Started with school and college life, so here I want to say that these moments are the best of life which never come back, well there is a slight difference here that the level is very high.
Rohan and Sameer are the two new characters mentioned, it seems they also have an important role in the story and the two groups are pitted against each other, Well as usual our hero entered dangerously and beat him up...:lotpot:

As always the update was great, You are writing very well, Now let's see what happens next, Till then waiting for the next part of the story.

Thank You...
🖤🖤🖤
thanks for appreciating brother... yunhi saath bane rahiye
 

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,696
189
बहुत ही गलत हुआ लगता है बेचारे सनवीर आहार्य और उसके फेमिली के साथ । एक नाबालिग लड़के को किसी इल्जाम में फंसाया गया और उसकी मां को शायद मार दिया गया या मरने के लिए मजबूर किया गया ।
ऐसा क्या किया था सनवीर आहार्य ने जो कोर्ट ने उसे जुबेनाइल कस्टडी में भेज दिया था । लेकिन जो भी किया हो , उसके साथ पुलिस ने जो व्यवहार किया वो सरासर " गलत " था । एक छोटे उम्र के बच्चे के साथ इतना जघन्य टार्चर ! बिल्कुल " गलत " था ।

वकील अनुपम घोस ने उसके लिए पैरवी तो की पर उसके पीछे कोई पावरफुल आदमी है । कौन है वो ?

ये भी समझ में आ रहा है कि इस सारे बखेड़े का सूत्रधार जयदेन चौधरी नाम का कोई शख्स है । कौन है वो और ऐसा क्या किया है उसके खिलाफ ?

कहानी की शुरुआत बहुत ही बेहतरीन रही । मौसम , वर्षा , बिजली का डिस्क्रिप्शन देते हुए अलंकार का भी लाजवाब समावेश किया गया है ।
सनवीर आहार्य के मौजूदा हालात का जो वर्णन किया गया है वो भी गजब का लिखा गया है । अपनी मां के समाधी पर जाते वक्त और असलियत का भान होने के बाद जो उसकी अवस्था हुई थी वो पढ़कर आपके लेखनी के स्तर का पता चलता है । अमेजिंग ।
डायलॉग छोटे पर बेहतरीन थे ।

इसके पहले जो कविता लिखा था वो बहुत सारे लव वर्ड के इमोशन को आंदोलित करने वाला था ।

बहुत ही अव्वल दर्जे की लेखनी है आपकी भाई ।
आउटस्टैंडिंग अपडेट ।
review aur prashansha ke liye shukriya bhai..yunhi saath bane rahiye
 

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,696
189
Ye to apna abhi chal raha hai 😁😁😁😁 har baar guardian complain mai bade bhaiya bacha lete hain khud aakar

Abhi college mai to mahine mai bada wala kaand ho hi jata hai par masla jyada tar ladki hi hoti hai 😂😂😂

Par yaha sanver ke kirdaar ka vivran padhkar maja aagaya bhai lag raha hai mai kisi ko live dekh raha hu

Bhai college life mai nasedi v banega kyaa apna hero 🤔🤔
Just questions

Har baar ki tarah best update bhai
naa.woh angle toh common ho jaayega.. anyways,abhi aapne sirf SANVEER ko jaana hai,pehchanana toh abhi baaki hai..

aur yakin maaniye, SANVEER ko samajhte samajhte kahani hi khatm ho jaani hai..saath bane rahiye
 

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,696
189
एग्जेक्ट दो साल पहले सनवीर आहार्य के साथ हुए वर्तमान में चल रही घटनाओं की पटकथा स्टार्ट हुई थी ।

सिरियस स्कूल एंड कालेज । देहरादून ।
वन आफ रेपुटेटेड एंड बिगेस्ट एजुकेशनल इंस्टीट्यूट ऑफ इंडिया ।
प्रिंसिपल - रंजना मैथ्यूज ।

दो रिभाइवल - समीर चन्दर और रोहन मल्होत्रा ।
ब्रिलिएंट स्टूडेंट्स आफ इन्स्टीट्यूट ।

सनवीर आहार्य - एन एभरेज स्टूडेंट एंड हॉट टेम्परामेंट ब्वाय । मेन लीड कैरेक्टर आफ द स्टोरी ।

जैसा कि दो प्रतिद्वंद्वी में हमेशा अपने साख और बर्चस्व की लड़ाई होती रहती है वैसा ही इस स्कूल में समीर और रोहन के बीच में भी है ।
सनवीर भले ही एक साधारण सा स्टूडेंट है पर अपने दोस्तों के लिए वो एक सच्चा दोस्त है । अपने गर्म दिमाग और लड़ाई झगडे के लिए पुरे स्कूल में फेमस है पर इतना तो एहतियात जरूर बरतता है कि वो बदनाम न हो जाए । कोई लुप नहीं छोड़ता है वो । उसका जो कैरेक्टर उभर कर सामने आया है उसके अनुसार वो किसी के गलत हरकतों पर ही अपना आपा खोता है और फिर उसे सबक सिखाने के कोशिश में यह नहीं देखता है कि सामने वाला का कितना बुरा हाल हुआ या उसके खुद की क्या स्थिति रही ।

रोहन और समीर के बीच चल रहे झगड़ों में वो समीर का साथ देता है क्योंकि वो पहले भी रोहन और उनके गैंग के साथ भीड़ चुका होता है । उसे पता है कि रोहन और उसके साथी उसके कसौटी पर सही लड़के नहीं है । वैसे समीर की गर्लफ्रेंड अंजलि का खयालात उसके बारे में अच्छा नहीं है । ये सभी आगे चलकर उसके साथ कपट ही करने वाले लगते हैं ।

सनवीर के कैरेक्टर के बारे में एक और बात पता चलता है कि वो अपनी मां को बहुत पसंद करता है , इज्जत करता है ।

सनवीर के गुस्से का खामियाजा ही उसे समस्याओं में डालने वाला है और इसका फायदा वही लोग उठायेंगे जिन पर उसे भरोसा है ।

बहुत ही उम्दा अपडेट था विजे भाई ।
आउटस्टैंडिंग और अमेजिंग अपडेट ।
har chiz par gaur karne aur apni pratikriya dene ke liye shukriya bhai..aage bhu yunhi saath bane rahiyega
 
Last edited:

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,696
189
Maine aapki aur koi story nahi padhi thi Lekin jab prologue padha to reh na paya ye story ko follow kiye Bina. Jis tarah se isme aapne ek maa bete ka kuch hi sanvaad hai fir bhi pata nahi mere Dil Ko Chu liya to ab baar Baar naye update ke liye bekarar hu. Ye hi wajah hai ki Abhi ye story pe hu. Story Mai sex ho ya na ho use farak nahi padta. Dil Ko Chu le jo story to uss story ke saath Khushi ke waqt Khushi aur Dard ke saath Dard mehsoos hota hai aur Masti mazak ke sath ek Anand.
issi kahani me lagataar saath bane rahiye..itna bohot hai Brother..
 

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,696
189
Very nice fantastic update waiting for next
Super update hai Bhai
...Fabulous Amazing Fantastic Update thaa bhaiiii 👍👍👍👍👍👍👍👍👍👍👍👍👍
Awesome Updatee

Har school mein aisa hi ek gang hota hai. Aur uss gang ke rivals bhi hote hai.

Aur Sam ke gang ko dekh kar toh yehi lagta hai inme kuch toh shayad dhoka denge jo har gang mein hota hai aur kuch marte dum tak saath nibhayenge.
dhimag ko gumane wala update tha

hero sanveer

per hero ki sab capacity sam ke paas


parso update denewale ho tho thoda jaldi dena
Nice update
Behtarin update bhai
Bohot hi jyada sad starting hui hain bhai magar update mazedar tha bhai
Awesome update bro
Intresting guy
Hamesha ki tarah awesome fantastic update bhai maza aa gya ab dekhte hai ki aage kya hota hai
Awesome update
Fantastic update Bhai
Amazing update
Maza aaya ......

Jaldi se agla update dedo bhai ......:bounce:
Superb update bro
romanchak update ..
Ek naye romanchak Safar par aa pahonch hai. Aapki ye main pehli story padh Raha hu. First update to super hai. Agle ka intezar...
Awesome Update
Behtareen bahot zaberdast shaandaar update bhai
Sarvsreshth lafjo se ek parfullit update dost
Bahut shandaar aur jabarjast update bhai, collage life ka bahut hi behtareen chitran kiya bhai,
purane din yaad aa gye.🙏🙏🙏
:congrats: For Vj4u bhai............�
New threads.........
thanks brothers...be along
 

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,696
189
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF ROHAN AND PARTY SANVY KE DAR SE BHAAG JAATE HAIN WAHIN DUSRI TARAF SAMEER SANVY KE HALKE GALATH HONE KO BHI BILKUL SAHI BATATA HAI...


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-2


CITY-DEHRADUN

PLACE-SIRIUS


"FIRST DAY CONTINOUS"




ABBE HARAMKHOR,KAHAN GHUM RAHA THA BE TU AKELE AKELE...


jaise hi mai class me enter hua jahan luckily hamare naye saal ke naye class teacher abhi tak pahunche nahi the,toh last row se aayi ye pyar bhari vaani mere kaano me jisse completely nazarandaaz karte hue mai ussi piche waali row ki taraf badh chala jo mere,SONU SHRIVASTAV aur jisne mujhe abhi toka tha,NITENDRA BHATNAGAR joki AAND KHAU ke naam aur MATCH MAKING ke kaam se famous tha, permanent spot tha baithne ka,wahan pahunch apna bag utaar mooh me maara maine ussi bag ko NITENDRA ke mooh par jispar uske mooh se aur chaar paanch phool jhadne waale shabd nikle mere liye..

par is baar bhi maine uski baaton ko completely ignore kiya aur usse dhakelte hue apni owned corner seat par jaa baitha...

aage badhne se pehle in dono mahanubhavon ka intro ho jaaye....


SONU SHRIVASTAV...son of KISHORE SHRIVASTAV & SHALINI SHRIVASTAV...

inke pitashri ki yahin DUN me do readymade garment shops hain....

anyways SONU hai behadh hi interesting character...ye bhai sahab halka stammer matlab haklate hain..

padhayi me 75 percent plus, academics me kuch khaas nahi par haan,sports me kaafi ache hain ye.

infact,SAMEER aur ROHAN ke baad 100 metre aur 200 metre me sabse tez hain ye pure SIRIUS me...

but stammering ke saath iski ek problem aur hai..LADKIYAN...

ladkiyan as an tharki nahi hai ye,balki usse ulat is SONU ko ladkiyon me zara si bhi dilchaspi nahi hai..

affair wagairah toh door ki baat hai,in janab ko ladkiyon se dosti karne se bhi taklif hai par inke aisa hone ke piche ek bada kaaran bhi hai..

aaj se do saal pehle sonu ke bade papa ke ladke ne joki SONU ke liye sage bade bhai sa hi tha, college me ek ladki ki bewafayi ki wajah se suicide kar liya tha..

us haadse ka aur khaaskar us haadse ke kaaran ka joki ladki thi,bohot bura asar pada SONU par..

usne khudko completely har bahari ladki se door kar liya..aisa nahi hai ki SONU ko ishq, mohabbat se koi pareshani hai...

naa,SONU ke hisaab se school aur college hota hai padhne aur apne carrier ko nikharne ke liye,laundi baazi ke liye puri zindagi padi hai..

inke baad number aata hai dusre namune urf NITENDRA BHATNAGAR ka urf NITS jo friends usse bulate hain..

son of JAGATH BHATNAGAR and LAKSHMI BHATNAGAR..

iske baap ki FLOUR MILL matlab atta chaki hai aur woh bhi military contract ke saath..

yahan DEHRADUN ke saare military camps me jo bhi aata supply hota hai,woh inhi ki FLOUR MILL se jaata hai...

anyways,ek number ke aand khau hain NITS matlab lagatar kisiko bhi bina ruke chaabte rehne ki adhbhudh kala hai inke paas aur khaaskar SONU aur mujhe...

ek aur quality bhi hai inki jiska title me bata chuka hun."MATCH MAKER"..

par title jaankar koi galatfehmi mat paal lijiyega..

match maker matlab ladka ladki ki setting nahi karta hai ye chutiya balki alag alag words jinka aapas me door door tak koi connection nahi hai,unhe jodne me laga rehta hai ye..

par jo bhi hain,jaise bhi hain,SONU aur NITS mere urf SANVY ke chaddi buddies hain...

class 1 se hi as in jabse mai yahan DUN me mom dad ke saath shift hua tha,tabse hum teeno saath hi padhte,ghumte sur rehte aa rahe hain..

ye tha in dono ka intro jo pura hua isiliye...




BACK TO THE STORY:-



NITS-ab bhonkega bhi ki kahan gaand marva raha tha ab tak...???

assembly ke time dekha tha main gate se andar aate tujhe maine par uske baad gayab hi ho gaya tu...

MAI-nahi sir mai nahi,ye NITENDRA gaali de raha hai..

NITENDRA-nahi sir..woh mai....


meri baat sun hadbada gaya NITS aur turant khada ho saamne dekh fatafat safayi dena shuru kar diya par jab usne paaya ki koi teacher aaya hi nahi hai toh ek dum se chup ho gaya woh jispar..


HAHAHAHAHAHAHA....

mai,sonu aur class ke baaki sabhi student jinhone meri baat aur NITS ka reaction dekha tha,zor se has pade jispar mujhe khaa jaane waali nazaron se ghurne laga NITS aur uska face dekh..


MAI-bhai,maine gaand marwayi ho ya naa ho,par teri ab zaroor itni fath chuki hai ki koi agar teri maar bhi le toh tujhe pata bhi nahi chalega....


DHABBBB...

AHHHH....


MAI-loudu chand....dheere nahi maar sakta...


meri baat sun mere peeth par ek zor ka mukka chipka diya tha NITS ne jispar peeche bench par tik peeth ragadne laga mai..

wahin mujhe maarne ke baad mood kuch thik ho gaya us chodu ka aur woh araam se baith gaya jiske baad..


NITS-ab sidhe sidhe bata...kahan tha tu..???

MAI-haan toh aise sidhe sidhe puch naa..jab dekho gaali galouch se hi har baat shuru karni hoti hai tum logon ko...

disgusting...pata nahi mooh hai ya gutter...jab dekho kachra hi bahar niklega...


meri baat sun is baar NITS ke saath SONU bhi mujhe ghurne laga jo ishara tha ki agar ab maine bina noutanki puche gaye sawal ka jawab nahi diya toh ye dono milkar mujhe bajayenge..

isiliye maine bhi sidhe sidhe jo bhi GAME ZONE me hua,woh bata diya jisse sun...


SONU-yeee sssaaalle madarchod RROHANN aur uuskka grooup.

iinnko ttoh ekk saatth ttarrike sse bajjana paddega..


haklate hue kahi ye baat SONU ne jispar...


NITS-bajana baad me pehle ek baat bata..saale tu pure line me lagatar atka,par madarchod pura fluint nikla tere mooh se..aise kaise...???

MAI-chup ho ja loudu,sir aa gaye...

NITS-ajji ghanta..saale,ek lolypop baar baar kaam nahi aayega..


WHAT LOLYPOP NITENDRA BHATNAGAR...???


haste hue NITS ne kahi thi apni baat par jab saamne se ye awaaz joki wakayi MATHEMATICS ke sir aur is saal ke hamare class teacher MR MANOJ MAALVIYA ki thi,uske kaano me padi toh agle hi second mooh sookh gaya uska aur ek jhatke me apni jagah par sir ko face karte hue khada ho gaya woh..

wahin uski haalath dekh hum sabhi dabi hasi hasne lage the..

khair,sir ko kuch toh jawab dena hi tha aur isiliye..


NITS-nothing sir..woh actually kal mera birthday tha toh SANVY party demand kar raha tha..

MAALVIYA SIR-aur tum apni party me lollypop dete ho..


HAHAHAHAHA..


sir ki baat sun is baar sabhi thoda zor se has pade the jispar sabko ek baar ghoor NITS kuch kehne ko hua par tabhi..


MAALVIYA SIR-dont bother NITENDRA... tumhare senseless answers ke liye time nahi hai mere paas..

so sit down...


sir ki baat sun apna sa mooh liye chup chaap baith gaya NITS jiske baad ek sarsari nazar puri class par daali hamare is saal ke naye class teacher ne..

SAMEER,ANJALI, EKPREET,RAJAT,NAISHA joki class ke top ten rankers me se ek the,woh sabhi first of the benches me baithe hue the..

unhe dekh baakiyon ko bhi dekha sir ne jiske baad..


MAALVIYA SIR-so i am seeing ki lagbhag aadhi class absent hai aaj...

isiliye attendence nahi hogi aaj aur actual classes bhi kal se hi shuru honge..

but for now,is saal mathematics ke kuch basic questions answers jinke reference se aap sab un chapters se related bohot se equations solve kar sakenge, discuss karenge hum aaj..

so,maths 1 aur 2 milakar kul 26 chapters hain aapke books me is saal...

waise toh sabhi chapters hi important hain but kuch aise chapters bhi hain jinke questions paper me zyada se zyada aate hain...

woh chapters hain, LINEAR EQUATIONS IN ONE VARIABLE, QUADRILATERALS, PRACTICAL GEOMETRY,CUBES & CUBE ROOTS,FACTORISATION & ALGEBRAIC EXPRESSIONS & IDENTITIES...


apne note pad par ek sarsari nazar daalte hue naam bataya sir ne sabhi important chapters ka jisse unke bolne ke saath saath hi mere baaju me baitha SONU aur saamne baithe sabhi toppers turant note down karne me bhi lag chuke the...

wahin mai,NITS aur hamare jaise maha vidwani students bas pen se apni apni copies me apni mahan painter banane ki pratibha ka pradarshan karte hue alag alag tarah ki lines kheenche jaa rahe the...

anyways,jaise hi chapters ke naam likhne waale students ka likhna band hua aur unka face upar sir ki taraf gaya toh..


MAALVIYA-toh chaliye, shuruat aap sabke interest ke hisab se karte hain..

bataiye,kaun se chapter ke equation se shuru karen...???

NAISHA-sir ALGEBRAIC EXPRESSIONS & IDENTITIES ke equation se shuru kijiye na please...


NAISA ke baad baaki sabhi ne apni apni pasand ka equation bataya but mujhe pata tha ki MAALVIYA SIR ussi chapter ka equation solve karenge jo NAISHA ne request kiya tha..

REASON...

ANSHUMALA LAKHMANIA...

hum sab apne class ki A section ke students the jiske class teacher the MAALVIYA sir..

theek waise hi is class ke B section jisme ROHAN aur uska pura group bhi tha aur joki hamare next corridor me thi,uski class teacher thi MRS ANSHUMALA LAKHMANIA..

aur NAISHA ka face kaafi hadh tak ANSHUMALA miss se match karta tha...

ANSHUMALA miss aur MAALVIYA sir apne school time ke class mates the aur yahan SIRIUS me bhi saath hi dono ne padhana shuru kiya tha..

waise toh dono hi shaadi shuda the par deep down MAALVIA sir ANSHUMALA MISS ko kaafi pasand karte the..

aur jo unki pasand ka kuch hadh tak hi sahi,par chehra odhe hue thi,"NAISHA"uski baat bhala kaise kaat de hamare MAALVIYA sir...

aur wahi hua..sabki request sunane ke baad MAALVIYA sir ne ALGEBRAIC EXPRESSIONS & IDENTITIES ke equation se hi shuru karne ka faisla kiya jiske baad..


MAAVIYA SIR-ok so, here's the question...

how do you write an expression for the product"P & Q"?

answer bohot simple hai but saath hi saath baaki equations ko solve karne me kaam bhi aane waala hai...

toh sabse pehle ye jaan lijiye ki is sawal ka jo sabse key word hai,woh hai "product"....

product equals multiplication operation...

3 aur 4 ka product hota hai 3*4.. that equals 12...

haan,is equation me hum algebra ke according work kar rahe hain par usse fark nahi padta...

the product of p and q means p*q that is PQ...

matlab product hai pq..ye ek aisa algebraic term hai jisse naa toh aur zyada simplify kiya jaa sakta hai aur naahi extra evaluate unless you know the values of P and Q..

algebraic expressions and identities chapter ke zyadatar questions issi method se solve honge so is equation ko ache se samajh lo tum sab..

waise algebraic expressions ke jis equation ka example diya hai maine,ye mere saath tum sabki ANSHUMALA miss ka bhi favourite example hai..


apne laptop ke through joki saamne digital board se connected tha, equation samjhaya hum sabko MAALVIYA sir ne aur aakhri baat jisme unhone apni favourite ANSHUMALA miss ka zikr kiya tha,laptop band karte hue unka naam lete waqt ek smile naach uthi sir ke face par jisse dekh..


MAI-waise sir, ANSHUMALA miss ka aur kya kya favourite hai...???

MAALVIYA SIR-well jo hamara favourite hai,woh unka bhi favourite hai...


bade style we kahi ye baat MAALVIYA sir ne jispar..


MAI-but sir.. ANSHUMALA miss toh mujhe bhi kaafi pasand karti hain par aapse toh waisa gesture kabhi nahi mila mujhe..


jahan meri baat sun baaki ki class dheere se hi sahi,par hasne lag gayi, wahin MAALVIYA sir ne ghura mujhe par phir diwaar par sir patakne par nuksaan apna hi hota hai,is thought ko yaad kar bina kuch bole palat gaye woh aur baaki chapters ke bhi important equations samjhane lage..



NEXT CLASS:-

HINDI....


ISKI MAA KA....SAALA PEHLE HI DIN KOI ITNA PADHATA HAI KYA...???PEHLI CLASS ME HI DIMAG TAP GAYA BHAI...


MAALVIYA sir ke jaate hi kanjhaya NITS jispar mere ya sonu me se koi kuch kehta ki tabhi...


VYARTH KI CHARCHA BAAD ME KIJIYEGA AAP SAB... KAKSHA KE SAMAY SIRF SHIKSHA SAMBHANDHI VICHAAR HI UTHNI CHAHIYE AAP SABKE MASTISHK ME...


hamare hindi teacher jinhe English se ek chidh si thi,unki awaaz gunj uthi hum sabke kaano me...

SHRIKANT DUBE...UMR 60....pichle 36 saal se yahan SIRIUS me teacher hain ye hindi class ke....

zyadatar abhi ke saare students ke parents ko bhi padhaya hain inhone aur baat baat par sabhi ko inki is khaas uplabdhi ki yaad bhi dilate rehte hain ye...

but the most important thing,ye saari gloating ke baawjud MR SHRIKANT DUBE ek behatarin insaan hain...

class me baccho ko badmashiyon par unhe gaali zaroor dete hain ye par students ke mazak ko mazak samajhte bhi hain...

inke saare complaints class tak hi simit rehte hain,kabhi inhone kisi student ki complaint principal ko nahi ki kyunki agar aisa hota toh koi aur toh nahi par apna SANVY ab tak kayi baar saza paa chuka hota..

kaise,khud hi dekh lijiye...




BACK TO THE STORY:-



NITS-hey bhagwan...in dono ke baaju me baithne ki itni bada saza toh mat de...

ye dube ki hindi class pehle hi din jhelne se accha mujhe nark hi bhej de...


NITS apne me bhunbhuna raha tha aur wahan hamare respected DUBE sir ne shuruati pravachan ke baad book khol bhi liya tha jiske baad...


DUBE-haan toh chhatron avum chhatraon...sabse pehle aap sabko ek baar phirse smaran kara dun ki meri kaksha me angrezi bhasha ka lesh maatra upyog bhi varjit hoga anyatha dand ke liye taiyar rahiyega...

toh,aapke hindi paathyapustak me is baar kul 18 adhyay hain..

NITS-bhai SANVY..bhai bacha le yaar...kamsekam aaj pehle din toh in dube sir ki class nahi jhel sakta mai....

MAI-kyun be lodu....??? hamare paas baithna toh saza hai naa tere liye...

toh mara le phir gaand...meri taraf dekhiyo bhi mat...


meri baat sun wakayi bheekari waali shakl liye dekhne laga NITS mujhe maano agar maine madad nahi ki toh khud hi khudki gaand maar lega...

ab mai thehra saccha dost.. apne dost ko taklif ne kaise dekh sakta hun bhala par kisi mahapurush ne kaha tha ki bhagwan sabka bhala kare,par shuruat humse kare..

matlab pehle mujhe apna bhala dekhna tha aur isiliye..


MAI-mere aur SONU ke liye 7 din tak continously burger joint me teri taraf se double cheese burger...deal...

NITS-7 din tak..mooh me le le mera..

MAI-cool then..pehle tu toh sir ki madhur vaani sun gaand marwale...


meri baat ya phir ye kahun ki indirect blackmail ko sun ek pal ghura NITS ne mujhe par mai bilkul kisi sharif bacche ki tarah sir ki taraf dekhta raha jispar..


NITS-done..thoos lena bhikhariyon jitna thoosna hai par pehle is torture se nijaat dila..


NITS ne deal pakki ki hi thi ki mera ek haath turant upar utha aur ye dekh..


DUBE SIR-arre arre arre..wahi vichar kar raha tha mai ki SANVY ji ne ab tak ek baar bhi hastakshep kaise nahi kiya..!!!

kahiye,kaise madad kar sakta hun mai aapki...???

MAI-sabse pehle toh hamare sabse maananiya sikshak mahodaya mere jaise mati-mand(idiot)ke baare me itna chintan karte hain,yahi mere liye harsh-ulaas tatha
gourvanvit ka vishay hai...

DUBE-hamare drishtikon anusaar aap bas ek maha murkh praani hai jo galath yoni me paida hua hai...

aapko manushya yoni me nahi,bandar bankar paida hona chahiye tha..kyunki aapki athkheliyan bilkul bandaron waali hi hai...

khair,ab bataiye ki kaunse atti mahatvapurn vishay ke kaaran aapne kaksha me vyavadhan paida kiya hai..???

MAI-aap mere guru hain.aapke kataksh bhi mere liye mithe vachan se kam nahi aur isiliye mere baare me kahe shabdo ke liye dhanyawad maananiya shikshak mahodaya..

kaksha ko pareshan karne ke liye mujhe bhi khed hai..

aur aisa karne ka kaaran atti vyaktigath hai...


"vaastav me mere shroni khehstra me nirantar sankuchan hone ke kaaran ek samagr uttejak bhumika ka srujan ho raha hai jisse mera shayashod bhar sa gaya hai aur isiliye meri kathinayi nirantar agrasar hoti chali jaa rahi hai"..



meri baat ya phir woh reason sun jiski wajah se mai khada hua tha,SONU,NITS aur class me toh sabhi ke mooh khul hi gaye the par un sabke saath DUBEY sir bhi aankhien faade mujhe hi dekh rahe the...

kisi ko bhi kuch samajh nahi aaya tha ki aakhir maine kaha toh kaha kya aur isiliye..


DUBEY-SANVY,bina laag lapeth sidhe sidhe apne kahe gaye shabdon ka arth batao...

MAI-kshama karen maananiya shikshak mahodaya..kintu mujhe mootra mukti karne ki abhilasha hai...


HAHAHAHAHA...


jahan meri baat sun puri class zoron se has padi wahin DUBEY sir ne ghoor kar dekha mujhe aur..


DUBEY SIR-toh pehle hi sidhe sidhe aisa kyun nahi kaha...???

MAI-uske liye ek baar phirse mai kshama prarthi hun..

mutra mukti..ye shabd bhari kaksha me mujhe tanik anupyukt pratit ho raha tha aur agar mai bathroom kehta toh woh angrezi hoti joki aapke aadesh ka ulanghan hota..

aur mai aisa kaise kar sakta tha...!!!


jahan meri is explanation ko sun ek baar phirse class badi zoron se has padi thi wahin DUBEY sir chalte hue theek mere saamne aakar khade ho gaye aur mujhe ghoorte hue dekhne lage..

unhe aisa karte dekh sabko laga ki aaj mujhe sir se padne waali hai..

ye saale SONU aur NITS toh aisa hoga hi,iske liye jaise palke bichayen mere aur sir ki taraf ummid lagaye dekh rahe the par tabhi.....


HAHAHAHAHAHA....


DUBEY sir zor se has pade aur unhe yun hasta dekh pehle toh sabhi students hairan hue par phir woh sabhi bhi hasne lage..

wahin kuch der tak lagatar haste rehne ke baad muskurate hue sir ne mujhe dekha aur.


DUBEY-yahin chahate hain naa SANVYJI ki aaj kaksha naa lage..


sir ki baat sun ek pal ke liye face neeche kiya maine aur ussi position ne haan me sir hilaya apna jisse dekh sir ki smile gehri ho gayi aur.....


DUBEY SIR-theek hai phir..aaj ki kaksha yahi samapt hoti hai..


jahan sir ki baat sun sabhi students aur khaaskar NITS behadh khush ho gaya wahin apni baat ko aage badhate hue...


DUBEY SIR-jaante ho kaksha rokne ke liye kyun maan gaya mai...!!!

mutra mukti jaise sadharan shabd ki bhi itni gehri vyakhya ho sakti hai,hindi vishay ka ek anubhavi shikshak hone ke baad bhi mujhe iska bhaan naa tha par tumhe hai..

itni sadharan cheez ke liye bhi hindi shabdavali ka aisa upyog prashansha aur uphaar ke laayak hai...

kaksha ko yun rok dena, ussika uphaar hai...


ye bol DUBEY SIR ek baar phir muskuraye aur saamne apni chair ki taraf badh chale..

aur sir ke jaate hi NITS chutiya mere peeth ko thapthapate hue mujhe kuch yun shabashi dene laga maano mai Olympics me desh ke liye gold medal jeet kar laaya hun...


NITS-waah lounde,waah...aaj dimag se dil khush kar diya tune..

MAI-dimag se dil..waah,ye naya tha...

NITS-haina...par meri chhod,mai toh hun hi antique piece..lekin bhai,manana padega..

sirf kuch burgers ke liye itni khatarnaak dialogue baazi ki tune,yakin nahi hota..

wakayi,ek number ka bhukkad hai tu...

SONU-cchhupp bbeee..ppar yaar SANVY,ssach mme...jjo bhi bolla tu,kammal kka tha....

kkahan se ddhundda ttune BBATHROOM kka wwaisa anokkha ddefinnattionnn....???

NITS-haan,bhai palle toh kuch pada nahi mere but sunkar bada cool lag raha tha...

MAI-aisa hai balakon ki....




aisa kuch nahi jisse ye banda DAR JAAYEGA.....

jahan koi khada tak nahi ho sakta,wahan se bhi tumhara bhai bekhouf GUZAR JAAYEGA.....

challenge accept kiya hai agar maine toh yaad rakhna ki...

mushkilen kitni hi kyun naa aaye,aakhir me SANVY apni sharth puri KAR JAAYEGA....











AAJ KE LIYE ITNA HI....











AAPKA APNA V...J....
 
Last edited:
Top