• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)

RAAZ

Well-Known Member
2,116
5,928
158
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF PRINCI STUDENTS KO SPORTS PRACTICE SE MAIN EVENT TAK HONE WAALE VISUAL MONITORING KE BAARE BATATI HAI WAHIN DUSRI TARAF SAM PARAG KO AUR DIMPLE CHARVI KO RACE ME HARA DETE HAIN.

AB AAGE:-

CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)

UPDATE-75

DATE-1ST DECEMBER

CITY-DEHRADUN

PLACE-JOGGERS PARK

HEY SMARTY...

abhi mere jogging ka first lap complete hua hi tha ki tabhi achanak NEW GIRL mere side me aa mere saath run karne lagi...

subah ke 5.45 hue the...pahadi ilaaka hone ki wajah se suraj ne ab tak aasman ko dhang se apna mooh nahi dikhaya tha lekin phir bhi andhere ke baawjud NEW ke chamakte chehre se jaise aas paas ke mahoul ujale se bhar utha tha...

slim fit streched black track suit me thi NEW GIRL par phir bhi uska appearance GUCCI ya PRADA jaise international brand ko pehne kisi supermodel ko bhi araam se maat de sakti thi...

aur aisi beintehan khubsoorati ki misaal meri G.F hai...

shayad yahi wajah thi ki naa sirf doudna band ho chuka tha mera balki sab kuch bhool suraj chamakne ke waqt apne saamne khade chaand ko ek tak dekh raha tha mai...

DIMPLE-kya hua...???

MAI-meri kaise ho gayi tum...???

mere sawal ka matlab samajh gayi thi NEW GIRL...

chehre par aayi uske halki si laali saboot thi is baat ka...

DIMPLE-tum kabse khud ko underestimate karne lag gaye...???

MAI-zameen kitna hi bada kyun naa ho jaaye,aasman se chota hi hota hai...

DIMPLE-aur pakshi aasman me kitna hi uncha kyun na ud le,aana wapas usse zameen par hi padta hai...

theek waise hi jaise mai tumhare paas aa gayi...

mere kareeb aate hue kahi thi apni baat NEW GIRL ne...uske raw skin ki mehek naak se hote hue mere dimag me samati chali gayi thi...

ab bhi khamosh tha mai aur NEW GIRL... mujhe kuch na kehta dekh ab usne apna sharir mere chest se halka laga sa diya tha...

YE AAJ KAL KE BACCHE...KAHIN BHI SHURU HO JAATE HAIN...

hamare baaju de hokar guzar rahe do ladies me se ek ne mooh banate hue badbadayi thi ye baat jisse sun turant ek dusre se thoda door ho gaye mai aur NEW GIRL...

MAI-ab bataogi,aaj yahan kaise...???

DIMPLE-kyun,mai apne B.F ke saath jog karne nahi aa sakti kya...???

MAI-bilkul aa sakti ho par abhi toh kamsekam yunhi nahi aayi ho...

DIMPLE-and,why do you say that...???

MAI-yahan park me tumne ek bhi round nahi maara hai phir bhi vest half dried paseene se bhiga hua hai tumhara...

ab itne cool weather me soaking wet waali haalath kamsekam half an hour ke strong jog ke bina toh possible ho nahi sakti...

which means ki tumne apne aaj ka jogging kota pehle hi pura kar liya hai aur phir yahan aayi hun...

that brings back my previously asked question...why are you here...???

51.7 seconds...

apne right hand me pehle smart watch ko jisme is waqt ek paused timer tha,aage kar diya tha NEW GIRL ne...

exactly 51.7 seconds me halted tha timer jisse dekh aadha maajra samajh gaya tha mai...

MAI-toh tumne SAM ki 400 metres sprint ki timing match kar li...

ek week me... impressive...

waise toh ek nano second kuch bhi nahi hota...blink of the eye se pehle guzar jaata hai ye waqt par 400 metres ke sprint me yahi nano second ek minute se kam nahi hota...

aur sirf ek hafte me NEW GIRL ne apne aur SAM ke beech ka fark khatm kar diya tha...

too much of dedication...par ye tha NEW GIRL ke yahan aane ka first angle... second abhi bhi untold tha isiliye...

MAI-waise mai school aa raha tha aaj...

DIMPLE-mai bhi...

MAI-toh apni achivement ke baare me tum mujhe wahan bhi bata sakti thi...

DIMPLE-par tum wahan woh karne ke liye kabhi nahi maante jo yahan kar sakte ho...

MAI-and what's that...???

DIMPLE-let's race...

MAI-ya, right...

DIMPLE-oh common...just one race...

pleading aankhein aur cute sa face bana mere saamne khadi thi NEW GIRL jisse dekh halki si hasi aa gayi thi mujhe...

MAI-i get it...toh kisi chiz me mujhe straight aur easy harana chahti ho tum...nice...

NEW GIRL-oh common...G.F hun tumhari and that too officially...

kamsekam mujhse toh ab secretive rehne ki zaroorat nahi hai...

MAI-secretive...!!!tumne dekha hai kabhi mujhe run karte and that too as fast as SAM...

i am not into this stuff...

DIMPLE-you don't need to be...ab tak itna toh samajh hi gayi hun mai ki tumhari kisi bhi chiz me grabbing capability unmatched hai...

haan,SAM ke jitni joki ab meri bhi speed hai,utna tez doud sakte ho ki nahi tum, ye nahi jaanti mai par i can put my life on line to bet that tum ho fast...

aur yahi jaanane ki curiousity hai mujhe...so please...

MAI-ok, let's run...

kandhe uchka apni baat bol jog path ki taraf wapas chal pada mai...

wahin mujhe turant maan jaate dekh halki shocked ho gayi NEW GIRL...

DIMPLE-really...!!!

MAI-yup...

DIMPLE-koi debate nahi... koi i don't wanna do it,i will not do it,kuch nahi...just like that...you agree to race...

MAI-yup...

DIMPLE-why...!!!

MAI-yaar tum girls bhi....smart, ordinary ya stupid... ek baat teeno hi catagories me common hoti hai...

humse jo chahiye,woh mil jaaye toh bhi sawal aur naa mile toh bhi sawal...

DIMPLE-kyunki jawab ke saath us jawab ka reason bhi utna hi important hota hai...

MAI-right...!!!bhale hi jawab obvious hi kyun naa ho...tum chahti ho mai race karun,i don't find a reason not to do it,toh kar raha hun mai...simple...

DIMPLE-aur ye race authentic hogi... casual nahi hoge tum...!!!

MAI-nopes...

DIMPLE-you swear...!!!

MAI-i swear ki abhi raat ho rahi hai...

DIMPLE-par abhi toh din nikal raha hai...

MAI-exactly...point is kasam sirf ek shabd hai mere liye...mai nahi maanta isme...

what i believe is my word... maine kaha,mai doudunga,means mai doudunga...

run authentic hai ya nahi,itni toh experienced ho ho tum ki race ke baad guess kar sako...

DIMPLE-true that...ok then,shuru karte hain...

apne smart watch par new timer button set karne ke baad NEW GIRL bhi mere baaju me jog path par khadi ho gayi thi...

breadth diameter 8 feets plus tha jog path ka jiska matlab tha ki collision ka chance nahi tha aur dusre joggers ko bhi badi asaani se unke left right taraf se cross kar aage badh sakte the hum dono...

GO...

NEW GIRL ke timer on karte hi bhaag pade the hum dono...

damn,this girl is really fast...race shuru hone ke chand seconda baad NEW GIRL se halka piche tha mai aur puri jaan laga apne aage doud rahi NEW GIRL ki speed dekh aur feel kar wakayi usse impress hua tha mai...

wahin dusri taraf bhale hi mujhse aage thi NEW GIRL par bas do inches se...

woh mehsoos kar paa rahi thi meri moujudgi apne just piche...

aur saarvajanik darshak...woh saare log jo garden me moujud the aur jinko left right se cross karte hue hum dono tezi se aage nikal rahe the,sabke sab rook hum dono ko dekhne lage the...

kuch ko hum dono hi paagal lag rahe the par jin logon ki thodi si bhi ruchi thi sports me,hum dono ke hi aur khaas kar NEW GIRL ke speed ko dekh woh sabhi bohot prabhavit ho rahe the...

LAST 100...

aakhri 100 metres bach gaye the aur abhi bhi NEW GIRL mujhse halki aage thi par guzarte palon ke saath ye secenerio change hone laga tha...

SHIT...

race khatm ho chuka tha aur ye "SHIT" shabd nikla tha NEW GIRL ke mooh se...

reason...

jeet nahi paayi thi woh ye race...haan haari bhi nahi thi woh kyunki ek hi time par apna race pura kiya tha hum dono ne...

lambi lambi saansein lene ke beech apne stopped timer lar nazar padi uski jisme 51.7 seconds flash ho raha tha...

par is beech mujhe apni paini nazaron se dekhna bhi nahi bhula tha NEW GIRL ne...

honth band the mere par nostrils se tez nikalti hawa aur stressed aakhein joki physically thakne ka saboot hoti hai,dhyan se observe kar rahi thi woh...

haan mera stamina acha tha par phir bhi jab 400 metre jaisa race 100 metre jitni jaan lagakar doudo toh chuppane ki koshish karne ke baad bhi tired symptoms face par saaf dikhte hain aur wahi dikh raha tha mere face par...

DIMPLE-so you didn't fake... wakayi authentically doude tum...

MAI-told you i would...

DIMPLE-you are as good as SAM... participate karna chahiye tumhe is baar...

MAI-woh toh kar raha hun mai...

DIMPLE-really...!!!mujhe laga tha ki tum...

MAI-mazak kar raha tha...naa...i am participating...

DIMPLE-ye sudden limelight me aane ki wajah...!!!

MAI-aur kya...!!!or should i say kaun...MR JAIDEN CHOWDHARY...

mere mooh se JAIDEN CHOWDHARY ka naam sun NEW GIRL kuch seconds ke pause ke saath aakhein badi kar mujhe dekhti rahi aur phir...

DIMPLE-wow...MR JAIDEN CHOWDHARY ki taarif maine school me lagbhag sabko karte dekha tha...

unhe admire karte dekha tha siway tumhare...

mujhe laga tha ki you are the only person who doesn't gives a crap about his legacy...

MAI-kyunki maine kuch kaha nahi,koi reaction nahi diya iska matlab ye nahi ki he is not a motivational figure for me...

he is the best SIRIUS has ever produced...

DIMPLE-aur isiliye you wanna participate infront of him...

MAI-best dena hai toh best ke saamne hi dena chahiye...

DIMPLE-nice...matlab ab tak jis SANVEER ko sirf maine dekha hai,jaana hai,ab pura SIRIUS, SIRIUS kya pura dehradun usse dekhne aur jaanane waala hai...

meri baanh pakadte hue mere saath aage badh gayi thi NEW GIRL...

MAI-you like that haan...

DIMPLE-i love that...

MAI-kyun...???

DIMPLE-because i love you...

PLACE-SIRIUS

HA...HA...HA...HA...

lambi lambi saans lene ke beech ground ke grass covers par bich sa gaya tha NITS...

RAJAT-kya hua bhai...???sirf 6 rounds hi hue hain sprint ke...4 abhi baaki hain...chal aaja,uth...

NITS-bas bhai...fat ke chaar ho chuki hai...aur douda toh fatne ke liye kuch bachega hi nahi...

SONU-kkya hua bbe...cchalo nna...

RAJAT-iska toh ho gaya kaam..chal,apne rounds complete karte hain...

SONU-ttu jjaa mmai aata hun...

SAM aur uske saath 50,50 metres ke sprint kar rahe ladko ki taraf bhaag pada tha RAJAT aur RAJAT ke palaththe hi SONU ne maari ek tapli NITS ke chote magaj me...

SONU-abbe loudu chand,aise impress karega ANJALI ko... teri current speed ke hisaab se race ka pehla round hi cross nahi kar paayega tu...

kamsekam final round tak qualify kar jaaye,itna toh speed gain kar le be...

NITS-apne school se jitne bhi bande race me participate karte hain, woh sab SAM ko khudka competition maante hain isiliye sprint practice bhi saal bhar karte hain...

ab tu bata,kya ek mahine ki practice se loude ka ussain bolt ban jaaunga mai...

izzat ka kachumar hi hona hai udhar...jab gaand marana hi hai toh khaali fokat mahine bhar saans kyun phulaun...!!!

SONU-alag llevel kka ledra hai be ttu...abbe ANJALI ko impress karne ke baare me hi soch le...

NITS-ussi ke baare me hi soch raha hun...doudkar impress karne ke chakkar me depress kar dena hai maine usse...

SAM-hey guyzzz...SONU,chal, rounds pure kar apne aur tu be...

NITS-yahinich khilla maarkar baith gaya hai apun...uthna chhod hilunga bhi nahi...

EKPREET ke saath apni sprint puri kar louta tha SAM aur uski baat sun jahan ek taraf SONU turant apne bache rounds pure karne nikal pada tha wahin NITS ki baat sun has pada tha SAM...

MAI-hil hil kar bolta hai,hilunga bhi nahi...chutiya saala...

NITS-kahan tha be tu saale...???

MAI-classroom me...kal mila physics assignment complete kar raha tha...

EKPREET-ohhohoho...masumiyat toh dekho lounde ke chehre par...

RAJAT-tu kabse assignments pure karne lag gaya be...tere saare assignments toh pehle ye SONU puri karta tha aur ab ANJALI karti hai...

ANJALI-correction...iske saare homeworks,assignments shuru se hi mai puri karte aa rahi thi...

beech me SONU ne ye responsibility le li thi par ab it's back with me...

ANJALI jiske saath NEW GIRL aur baaki girls bhi the, pahunche the hum boys ke paas...

NITS-satyavachan...saale ne shuru se hi gazab ki kismat paayi hai...har chiz me jugaad mil jaata hai kameene ko...

MAI-beta kismat aur relationship ek se hote hain...yunhi nahi bante,banaane padte hain...

RAJAT-satyavachan and that which back the original question... kahan tha be tu...???

RASHI-tu naa yaar RAJAT...ek ladka jiski saalon se ek g.f hai,bohot dumb sawal karta hai tu...

KHANAK-yaar,abhi abhi ye dono couple bane hain...aise me jitna bhi personal time mile,kam hi lagega naa...

NAISHA-true that...aadha school yahan ya phir indoor stadium me practice kar raha hai aur baaki bhi in dono jagah par chill kar rahe hain...

class rooms hain khaali...aise me un rooms ko inki tarah love birds hi utilize karenge naa...

ohhooooo.....

NAISHA ki baat par na maine koi jawab diya aur naahi NEW GIRL ne jisse dekh hum dono ko dekh hooting karne lage the sab...

HEY SAM,HANSH IS HERE...

hum se ek saal senior banda tha ye jiski awaaz sun hum sab palte uski taraf...

SAM-HANSH...!!..HANSH PATEL...

SENIOR-yup...permission nahi li thi usne isiliye entry me wait kar raha hai tera...

HANSH PATEL...is saal ka second year college freshman hai ye...

par usse pehle tak SAMRAT ka student tha ye aur 3 saal pehle tak interschool 100 metre champ bhi the HANSH PATEL...

early 2019 me SAM woh pehla ladka tha jisne HANSH ko haraya tha aur champion ka khitaab usse chhina tha...

apne school ke last year me haarna aur woh bhi ek junior boy se,kaafi insult feel kiya tha HANSH ne...

acha khaasa back lash hua tha HANSH aur SAM ke beech par SAM ke strong background ki wajah se zyada kuch kar nahi paaya tha HANSH par phir woh khud hi shaant ho gaya tha...

apne school ke aakhri din he invited SAM to his farewell party and there,dono ne apna dispute call off kar diya...

SANVY nahi gaya tha us party me par us shaam ki detailing puri thi uske paas...

khair,HANSH ke college jaane ke baad he and SAM never met... abhi tak toh nahi...

yahi wajah thi ki HANSH ka naam sun khush ho gaya tha SAM...

SAM-aata hum guyzz...

turant khada ho entry gate ki taraf badh chuka tha SAM...

NITS-abbe...teri G.F toh idhar hi baithi hai... phir ghadi dekh kidhar khisak raha hai tu...???dekh le DIMPLE, kahin aur taanka bhidakar naa rakha ho tere majnu ne...

MAI-usse dekhne ki koi zaroorat nahi hai...

"jab godh me mere chaand gira hai, phir aasman me kis chiz ki talab rakhun mai"...

NAISHA-OHHHOOO..kya baat hai SANVY...!!! how romantic yaar...

MAI-aata hun washroom se...

jahan ek taraf NAISHA ko wink kar aage badh gaya mai wahin meri baat sun sharm se gaal laal ho gaye the NEW GIRL ke...

MAI-PURAN bhaiya...SAM aaya tha is taraf...!!!

PURAN-haan...kuch ladke aaye the usse milne..unhi ke saath udhar PRIMEVAL ki taraf gaya hai woh...

kyun,kuch problem hai kya...???

MAI-nahi,woh mujhe bhi bulaya tha usne idhar... isiliye pucha...

PRIMEVAL SIRIUS ke old kindergarten ko kaha jaata hai joki main campus se bahar right hand side hai...

PRIMEVAL ka centre point ek bohot hi khubsoorat aur dense tulip garden hai jiske dono chhoron par baithne ke liye permanent couches aur benches bane hue hain...

khair, PURAN bhaiya ke location batate hi mai us PRIMEVAL ke taraf badh chala tha...

aur jaise hi mai PRIMEVAL ke andar ghusa, saamne ke nazaren ne mere yahan aane ke shak ko sahi kar diya...

HANSH ke bulaawe par uske jis farewell party me gaya tha SAM, EKPREET bhi gaya tha uske saath...

SAM toh busy ho gaya tha HANSH ke saath joki usse badi khushi ke saath time spend kar raha tha par EKPREET ne HANSH ke friend's ko notice kiya tha jo badi khunnas ke saath SAM ko ghure jaa rahe the...

SAM ko bataya tha usne ye baat par SAM ne ye bolkar taal diya tha ki har group me kuch chutiya toh hote hi hain...

mai bhi tha us waqt wahan isiliye mere dimag me bhi woh baat baith chuki thi aur acha hi hua ki i remembered kyunki ussiki wajah se aaj mai sahi time par yahan pahunch gaya tha...

mujhse thodi door kul 5 log moujud the ek shed ke neeche jinme se chaar SAMRAT ke lounde the...

ek unme se HANSH tha aur baaki chaar jinhone is waqt SAM ko dobocha sa hua tha,woh SAMRAT ke current lounde the..

unme se ek DUSHYANT bhi tha...wahi jisse pichle saal uske hi school ke paas pela tha maine...

aur us din ki tarah scene aajka bhi same hi tha...HANSH ke haath me SAM ki taang todne ke liye ek hockey stick thi par filhal SAM ne usse apni chhor se pakda hua tha...

mobile nikaal kuch type kiya maine aur...

MAI-hockey pakadne se kya hoga be loudu...jhatka dekar le apne haathon me aur...

MAAR MADARCHODON KO...

aaj kaafi dino baad apna takiya kalaam bola tha maine jiske baad mere kadam rook nahi paaye...

tez bhaaga mai SAM ki taraf aur ye dekh jiski haalath sabse zyada patli hui, woh tha DUSHYANT...

abhi mai chand metres door tha un sabse ki tabhi DUSHYANT jisne SAM ka ek kandha jakda hua tha,uski pakad dheeli hoti chali gayi aur aise hote hi jhatka de us haath ko chhudate hue apne dono haathon se hockey stick pakad liya tha SAM ne...

CHR...

DHAKKK...DHAKKKK......

pahunchne hi waala mai HANSH ke paas ki tabhi right ki taraf ke tulip me kuch hulchal mehsoos ki maine...

un sabke saath aaya ek aur banda hi tha ye jisse shayad DUSHYANT ne aise hi kisi time ke liye jab mai aaun,chhupa kar rakha hua tha...

par isse pehle ki woh mujhpar jhapat paata,mai HANSH ke sir par pahunch chuka tha..

ek tez punch maara tha maine uske thobde par jispar ek tez karah ke saath woh side me girta chala gaya...

par uske girne se uske aur SAM ke haathon ke beech fasa HOCKEY STICK jisne un dono ke darmiyan ek balance bhi banaya hua tha,woh balance off ho gaya...

issi disbalance ne SAM ke haathon ke grip ko bhi dheela kar diya...

result,hockey stick neeche gir gaya tha...

khair, mere punch se HANSH bhale hi knock out ho gaya tha par mai movement me hi raha...

ghumte hue naa sirf maine us chuppe bande ke grip me apne aap ko aane se bacha liya,balki agle hi pal meri ek rotating leg hit uske thobde par padh chuki thi...

DHAKK...DHAKKK...BHAKKKK...

SHIT....AHHHH.....

SAM-SANVY...

MAADARCHOD...

DUSHYANT toh pehle hi PRIMEVAL ke dusre gate ki taraf bhaag nikla tha...baaki ke bache teen loundo ko bhi round punches aur knee up hit maar abhi zameen par pade hi the mere pair ki tabhi ek baar phir apne right taraf ke TULIP me hulchal mehsoos ki maine...

ek aur banda tha ye SAMRAT ka joki phoolon ke mote jhurmut ki aad me chuppa hua tha...

usne bahar aate hi jump laga di thi mujhpar jispar halka side hath uske ek baanh ko hawa me hi lock kiya maine aur ghumate hue usse dusri taraf fek diya par tabhi...

left ki taraf bane tulip ke jhurmut se ek aur banda bahar aa chuka tha...itna hi nahi,zameen par pada woh hockey stick bhi uske haathon ke grip ke beech fasa hua tha jisse badi tezi se ghuma diya tha usne...

nishana uska mere ghutne the par nano seconds pehle dekh liya tha maine uske hand swing ko aur isiliye upar jump laga thi maine par thodi der ho ho gayi...

ghutna toh miss ho gaya par knee ke just neeche SHIN ko hit kar gaya HOCKEY STICK...

aisa hote hi turant zameen par gir pada th mai...leg ke sabse nukile aur nikle hue haddi par pada ke joint par pada tha hockey isiliye pain unbearable tha...

chillaya toh nahi mai par dard itna zyada tha ki ghutne mod apne pair ko pakadne ke beech mere aankhon ne mujhse bina puche hi jawab de diya tha...

chalak pade the mere aansu jinhe peete hue mai ho rahe asahaniya dard ko bardasht karne ki koshish kar raha tha...

DHAKKK...

DIMPLE-SANVY......

NITS-MAADARCHODON...rooko,tumhari maiya ki daiya chodu,loudo...

jisne mere pair par waar kiya tha,uske haath se hockey chhin uske gaand par ek zor ka stick swing kiya tha SAM ne...

apna pichwada pakad tezi se aage badh gaya tha woh...

wahin HANSH aur baaki sab bhi humse thoda door ho chuke the aur jab DIMPLE ke saath mere baaki dost bhi pahunche spot par toh un sabko dekh turant DUSHYANT ki tarah second exit door ki taraf bhaage woh sab...

SAM un sabke piche bhaagne hi waala tha par meri haalath dekh hockey stick chhod woh mere paas aa gaya tha par NITS aur SONU nahi ruka...

maadarchhod aur jitne bhi chod hote hai,un sabko bakte hue woh dono bhaage SAMRAT waalon ke peeche par faayda kuch hona tha nahi...

distance unke beech achi khaasi thi aur jis jis tarah se planned attack kiya tha un sabne, matlab saaf tha ki escape ke liye pehle hi us exit gate ke bahar vehicle rakha hua tha un sabne...

DIMPLE-SANVY...

MAI-aaah,that hurts...

DIMPLE ne mere sir ko godh me ke liya tha aur ANJALI ne mere injured leg ko pakda hua tha...

body parts mere dono alag hold kiye hue the dono ne par expression dono ka ek hi tha...

aansuon se bhiga hua tha un dono ka face...

MAI-stop....

chot dekhne ke liye meri pant upar karne lagi thi ANI par kyunki halki narrow pehenta hun mai apni school pant isiliye movement hote hi ragad feel hui mere SHIN me increasing my pain...

turant rook gaye the ANI ke haath...

NITS-bhaag gaye saale... behenchod plan karke aaye the sab...

SONU-llekin cchoddenge nnahi saalon ko...

EKPREET-naa...pange ka rule bhul gaya kya...

jo hota hai,on the spot hota hai...unhe bas bhasad macha yahan se nikalna tha jo nikal gaye woh...

ab hum kuch bhi karen,kisi na kisi ko beech me daal compro ka rona royenge saale...

NITS-bhosdike,mootne gaya tha tu toh...saale,idhar aa raha tha toh hume saath nahi laa sakta tha gaandu...

aur tu loude,tere tau ka ladka lagta hai kya woh HANSH jo maiya chudaane mooh uthakar aaya tha idhar akele...

SAM-arre,we ended his last season on good terms...mujhe laga ki itna bada event hone waala hai isiliye wish karne aaya hai woh...

NITS-saale tere har bhasad ke baare me is chutiya ko hamesha andaza ho jaata hai par tu jhaantumal hamsha bhonda bana rehta hai...

kaahe ka intelligent hai be tu...!!!

MAI-bas karo be chodu log.. pair ka dard dimaag me pahuncha diye ho dono...

DIMPLE-SANVY,lete raho...i have called for my car...aati hi hogi,we will go to the hospital...

MAI-home...drop me home...

DIMPLE-are you nuts...!!!bone crack, serious fracture ho sakta hai, we have to treat you...we will treat you...

MAI-i will be treated but i am going home...

DIMPLE-SANVY...

ANJALI-its ok DIMPLE...nahi maanega woh...he hates hospitals...waise bhi,this is not the first time jab ladh kar injure hua hai ye...

pehle toh har hafte ki kahani thi ye...10 se zyada fractures mere saamne hue hain isse...

MAA ke ek family doctor hain,aise time me wahi isse ghar me hi treat karte hain...

but most importantly,jab bhi pain me hota hai ye,he needs his MOM...unki moujudgi pain killer ka kaam karti hai iske liye...

ANI ke clarification ke baad kuch kaha nahi DIMPLE ne par haath uske meri hatheli par kaste chale gaye the...

jis pair me laga tha mujhe,it was shaking aur ye dekh mere dard ka andaza ho gaya tha usse...

infact koi bhi kuch nahi keh raha tha...bas apna apna sir pakde mujhe yun bebas sa lete dekh man hi man kudh rahe the sab...

TAPPP...TAPPP...TAPPP...TAPPP...

aankhein band kar apne dard ko pee hi raha tha mai ki tabhi NEW GIRL ke aankhon se nikle aansuon ki kuch boondein mere gaal par gir pade...

aankh khul gayi thi meri aur aisa hote hi meri nazar NEW GIRL ki laal ho rahi aankhon me theher si gayi...

phir hua ek chamatkar...

chot meri thi,par aankhen mere mehboob ki RONE LAGI THI...

ashk uske mere chehre par padh padh ke usse BHIGONE LAGI THI...

ab tak sirf MAA ke aanchal tale thi woh taaqat thi magar...

aaj meri mohabbat ki baahon me bhi meri taklif KAM HONE LAGI THI...

AAJ KE LIYE ITNA HI...

AAPKA APNA V...J...
Zabardast update Bhai maza aa gaya magar sawal hain ek aur woh yah ki Kia yah sirf harsh ne kia hain. Ya phir isme SAM bhi shamil hain coz agar sanvy participate karta to Sam ka jeetna na mumkin thaa magar shayad is chot se sab se zada Sam ko fayda hoga as per him coz usay pata nahi DIMPLE uski maa hain agar Sam uska baap hain.
Just guessing baqi to aap behtar jaante hain.
 
HiEveryone

Active Member
1,238
1,183
159
In short - Thrilled !!!
 
The king

Well-Known Member
4,243
15,466
158
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF RACE ME DIMPLE AUR SANVY KE BEECH TIE HO JAATA HAI WAHIN DUSRI TARAF SAM KO PRINCE KE LADKON SE BACHANE KE CHAKKAR ME SANVY KO APNE LEG ME EK HOCKEY HIT LAG JAATI HAI...

AB AAGE:-

CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)

UPDATE-76

DATE-7TH DECEMBER

CITY-DEHRADUN

PLACE-SANEEL'S RESIDENCE

WHAT THE HELL...

PAAGAL HAI KYA BE...

PPAAGAL NNAHI CHUTIYA HAI...

REALLY SANVY..THIS IS INSANE...

YOU ARE INSANE...

KAR KYUN RAHA HAI BE YE TU...AUR ANJALI...TUMHARE REHTE YE UTPAATH KAISE MACHA RAHA HAI...???

pichle 4 dino ki tarah aaj bhi school hours ke baad sidhe mere ghar aaya tha mera pura group...

par aate hi jo scene dekha sabne,hairan hona laazmi hi tha sabka...

ek non injured leg as in one leg se skipping kar raha tha mai aur ye dekhte hue ANJALI apna sir pakad kar baithi hui thi...

wahin dusri taraf chot lagne ke baad se hi mujhe zyada der tak ek pair me bhi khade hote hue nahi dekha tha mere doston ne toh aise me mera skipping karna, shock bhi lagna tha un sabko aur ghussa bhi aana tha...

khaas kar NEW GIRL ko joki furiously mujhe ghoor rahi thi...

us din school se ghar loutne ke baad jab check up hua mera toh pata chala ki knee ke just neeche fibula bone se lagkar side par laga tha mujhe woh hockey hit...

luckily direct bone hit nahi hua tha isiliye par uske end hisse me stick ki maar lag hi gayi thi aur kyunki fibula bone ubhra hua haddi hota hai aur isiliye uski delicacy thodi badh jaati hai, impact acha khaasa pada tha uspar...

crack toh nahi hua tha woh par knee ke neeche ka pura area swell ho chuka tha mera...

swelling se pain bhi kaafi hota hai aur painkillers khaane sahi nahi lagte mujhe...

i was taking them but just one in a day aur isiliye pain rehta hi tha mere pair me...

aise me dard kam feel karwaane ka ek hi psychological tarika tha aur woh tha mind diversion...

NEW GIRL sab kuch chhod bas mere saath rehna chahti thi par maine aisa nahi hone diya...

sports meet jo paas tha...haan,usse apne kisi bhi selected event me jeetne ke liye extra practice ki zaroorat nahi thi par aisa toh hamesha se hi raha tha...

par she had never lacked aur ignored her practice toh phir is baar apni wajah se aisa kaise hone de sakta tha mai...!!!

ANI bhi mere theek hote tak school nahi jaana chahti thi par board the is baar aur ANI is one of the top students of our class...

itna lamba bunk sahi nahi tha uske liye...

mere convince karne par maan toh dono hi gayi par aadha...

aadha isiliye kyunki un dono ne ek dusre se hi ek pact kiya ki 2 din ANJALI school bunk kar mere paas rukegi aur 2 din NEW GIRL...

rehna mere saath tha par mujhse pucha hi nahi dono me se kisi ne aur apna decision final bhi kar liya...

aaj ANJALI ka day tha isiliye yahan thi woh...

khair, pichle 15 minutes se halke halke gaps me mai skipping kar raha tha jisse kayi baar rokne ki naakamiyab koshish karne ke baad MAA se phone me complain kar apna sir pakad aur mooh phula baithi thi ANI...

MAI-arre chill yaar...5 din se yunhi baitha hua hun...body me blood rush bhi toh zaroori hai toh socha ki thodi skipping kar lun...

DIMPLE-how thoughtful of you...blood rush ke liye baithe baithe upper body work out bhi kiya jaa sakta hai lekin nahi, tumne lower body jahan itni zyada taklif hai,usse chuna tumne,right...!!!

itne stupid toh nahi the tum...

dost the mere, isiliye lihaaz kar rahi thi NEW GIRL warna jaise facial expressions the is waqt uske face me,saaf bata raha tha ki agar akele hote hum toh haalath kharab kar deni thi meri usne...

MAI-upper body se kaun race doudta hai bhala...!!!

DIMPLE-matlab...!!!

MAI-itni stupid toh nahi thi tum...arre sports meet aa raha hai in which i am participating this time...

aur agar yunhi without any leg movement pada raha ma toh event ne doudna chhodo,tez chalne par bhi cramp aa jaane hain thighs me...

WHAT...!!!!

EKPREET-tu ab bhi sports meet me participate karne ki soch raha hai...is condition me...

NITS-oh bhai sahab... doctor ne clearly bola hai ki sirf sujan pura khatm hone me lagbhag 2 hafte lagne hain par uske baad bhi kuch din pressure nahi dena tune apne right leg par...

MAI-aur maine ok bhi bola tha doctor ko,you know for the sake of his medical degree...

meri baat sun NITS aur SONU,dono hi sir shake karne lag gaye the kyunki jaante the dono ke doctor ki naa pehle kabhi suni hai maine aur na ab sunane waala tha...

par mere sarcastic comment ko sun NEW GIRL ka dimag aur ghum gaya tha...

DIMPLE-what the hell...nahi kar rahe tum koi exercise aur running practice ka toh sochiyo bhi mat...

MAI-ok...

kandhe uchka wapas apne bed ki taraf palat gaya mai par ye dekh jahan ANJALI bas dheere se muskurayi wahin uski smile dekh NEW GIRL ka bhi ganith clear ho gaya tha...

DIMPLE-i am serious SANVY...

MAI-i know isiliye toh bola...ok...

DIMPLE-you...ruko,aane do aunty ko,unhe hi batati hun...

ANJALI-unhe bhi yahi bolega ye...ok...

NITS-right... pehle bhi kisi baat me rokne par bol chuka hai ok par phir karta wahi hai jo karna chahta hai...

DIMPLE-GOD this guy...

mujhe apni jagah se khade khade ghoor rahi thi NEW GIRL aur mai baaju me rakhi tray se ek apple nikaal khaane laga tha...

DIMPLE-fine...kar lo apni manmaani par ek promise karna hoga tumhe...aur sirf show waala promise nahi, SANVY'S promise jisse tum kabhi nahi todte...

mere baaju me baith mere haathon se apple le khud khaate hue mujhe dekh rahi thi NEW GIRL...

MAI-i am listening...

DIMPLE-agar tumhare kisi exercise ya non logical practice se tumhare pair ki swelling badhi toh you will stop...

completely stop jab tak pair puri tarah theek nahi ho jaata...

MAI-cool...

DIMPLE-i am serious SANVY...

MAI-mai bhi, tumhare liye...

NEW GIRL ke honthon ke side par ek apple bite laga hua tha jisse nikaal khud khaa liya tha maine aur ye dekh jahan mere saare dost halka halka smile karne lage the wahin NEW GIRL ka face sharm se laal ho gaya tha...

par kisi tarah khudke sharm ko daba wapas serious avataar me aayi woh aur...

DIMPLE-agar nahi maani tumne meri baat toh...

MAI-vaada aur sharth ek saath ache nahi lagte sunshine...

aapne vaada maanga,maine de diya,pura waqt kar dega...

par jab tak woh waqt nahi aa jaata,kyun naa hum saath me kuch acha waqt guzaar len...

NITS-chalna chahiye hume...

mujhe aur NEW GIRL joki abhi ek dusre ke behadh kareeb the aur ek dusre ki aankhon me dekh rahe the,hume dekh sabko chalne ka ishara kiya NITS ne jispar fauran amal hua...

hum dono ko yun ek dusre me khoye dekh sabke sab smile karte hue dheere dheere kar mere ghar se nikal chuke the...

DIMPLE-sab jaa rahe hain..
rokoge nahi...

MAI-rooth kar thodi naa jaa rahe hain...bas hume privacy de rahe hain..agar nahi chahiye tumhe toh bula lo phir sabko...

DIMPLE-maine kab kaha aisa...???

turant nikle the NEW GIRL ke mooh se woh shabd jinka matlab realise karte hi ek baar phir sharm ki chaadar chadh gayi thi uske face par...

aur mere usse lagatar nihaarne ki wajah se us chaadar ka daayra aur badhne laga tha jisse feel kar turant khudko control me laaya NEW GIRL ne...

DIMPLE-kal prelims ke results aane waale hain...tumhare mai leti aaungi...

MAI-hmm...

baat ghuma di thi NEW GIRL ne jispar smile karne laga tha mai...

DIMPLE-waise kya lagta hai,kya is baar NITS ne jo mehnet ki hai,will he get success...???

MAI-hard work is the maine route to success...let's see...

par usne mehnet ki hai,dil se,mai toh kamsekam issi baat se hi khush hun...

DIMPLE-ishq i guess...ache accho ko badal deta hai...

meri aankhon me khudke aks ko dekhte hue jaise apne hi wajood ko di thi ye statement NEW GIRL ne...

par mujhe naa me sir shake karte dekh thodi surprise hui woh...

DIMPLE-what...!!!

MAI-i disagree...ishq kabhi kuch badalta nahi hai...

DIMPLE-phir...!!!

MAI-

ishq na badalta hai,na abaad karta hai aur naahi BARBAAD KARTA HAI...

bas wajood ki jo asliyat andar dabi hoti hai,usse AZAAD KARTA HAI...

NEXT DAY:-

PLACE-SIRIUS

HANUMAN CHALISA KKAAHE BBADBADAYE JAA RRAHA HAI BE GAANDU...

CHITTRANJAN RAO...hamare class teacher jinke class me aate hi pehle NITS ki aankhein badi hui aur phir ekdum se band kar HANUMAN CHALISA badbadane laga tha woh...

SONU ki baat sun aankhein kholi usne jinme dar saaf dikh raha tha...

SONU-abbe tteri ttoh fati ppadi hai...wakayi bbhoot vooth ddekh liya kkya be...

NITS-sir ke haath me jo hai,woh kisi bhooth se kam thodi naa hai...

NITS ki baat sun apne sir par haath maar liya tha SONU ne...

aaj prelims ka result aane waala tha aur RAO SIR ke haathon me result sheets the aur unhi ko dekh gaand fath ke chaar ho gayi thi NITS ki...

SONU-abbe loudu...agar ppaper ache sse ddiye hain ttune ttoh teachers ddushman thodi hain ttere jjo jaanbujh kke mmarks kkaat ddenge ttere...

NITS-kya bharosa louda...mere saare utpaaton ka badla lene ke liye saamuhik sangathan bana daale honge sab teachers...

SONU-hath louda kkuch bbhi...

NITS-ye bhosadchodika SANVY bhi pair tudwakar ghar me baitha hai...kamina yahan rehta toh uski sadhi shakal dekh tention thodi hi sahi,kam toh hoti meri...

SONU-ssadhi shakal...!!! bhosdike sschool kki ssabse kkhubsoorat lladki G.F hai usski...

aur ek bbaat bbata bbe,ssabki ffati ggaand silne kka ttheka SANVY nne hi lliya hai kkya...!!!

RAO SIR-alright then...aapke ye prelims ka natija,ek tarah ka aayna hai aapke board results ka...

so,dekhne hain apne results...!!!

YES SIR...

sabhi students ke mooh se ek sur me haan nikla tha siway NITS ke jisne mooh se bola toh kuch bhi nahi par negatively daayen baayen sir hila naa ka ishara zaroor kiya tha...

RAO SIR-DIMPLE BATRA...

DIMPLE-yes sir...

khadi ho gayi thi DIMPLE apni seat se...

RAO SIR-98.6 percent...again,you are the topper of this class aur agar board me bhi tumhara performance aisa hi raha toh i am sure ki you will make it on the list of the top ten rankers for this year's i.c.s.e board exam's of the country...

DIMPLE-with all due respect sir,i will top that list...

DIMPLE ki baat aur uske face par dikh rahe confidence ko dekh ek proud smile naach uthi thi sir ke face par...

SIR-good... proud of you...

SAMEER CHANDER...97.6...proud of you too...i hope ki study ki tarah is saal ke annual sports meet me tum khudke liye,is class ke liye and most importantly is school ke liye wahi glory laaoge jo kisi zamaane me MR JAIDEN CHOWDHARY ne achieve kiya tha...

SAM-thank you sir...and i will give my best...

SIR-baithiye aap dono...

aap,aayiye aur left se in dono rows ke sheets baatiye...

A++ maane 95 plus toppers of the class joki DIMPLE aur SAM ne achieve kiya tha aur isiliye hi sir ne khud unke results open kiye the...

A+ maane woh har students jinke percentage 90's se 75 as in distinction tak aaye the...

A maane first division as in above 60 percentage...

inhi dono rows ko girls side ke first bench me jispar aaj RASHI,KHANAK aur NAISHA baithe the,unme se RASHI ko joki left edge par baithi thi, results open karne ke liye bulaya tha sir ne...

bacha B as in above 50,C as in between 40 to 50 and D matlab FAIL waale results,unhe RAO sir kabhi openly nahi batate the...

weak results waale students ko personal counciling dene me believe karte the woh...

khair,SIR ke bulaate hi RASHI pahunch chuki thi unke paas jiske baad first row waale A+ results utha liye the usne...

RASHI-ANJALI...

A+ results me pehla naam ANJALI ka tha joki aaj aayi nahi thi...

ANJALI ka naam bolte hue RASHI aur sunte hue unka saara group, khaaskar NITS bohot khush ho gaye the...

RASHI-SONU,NAISHA,RAJAT,SONU,ME...

apne naam ka sheet dekh bohot khush ho gayi thi RASHI par ye khushi kuch hi palon me surprise me badal chuki thi...

reason...

RASHI-NITS...i mean NITENDRA...

you heard right...RASHI naam ke baad 2 aur naam the us A plus toppers catagory me jisme se aakhri naam tha NITS ka...

jahan apna naam sun vishwas hi nahi hua tha NITS ko wahin uska saara group, group kya pura class hi NITS ki taraf surprised hokar dekhne laga tha joki laazmi baat hi thi...

quarterly exams me A aaya tha NITS ka par wahan bhi bas lagkar pahunch paaya tha NITS...

exactly 60 percent aaye the uske...par is baar 80 percent ke saath distinction achieve kiya tha usne joki ek board student ke upgrade ke lihaaz se huge jump tha aur baaki sabke liye surprising bhi...

"ishq na badalta hai,na abaad karta hai aur naahi BARBAAD KARTA HAI...

bas wajood ki jo asliyat andar dabi hoti hai,usse AZAAD KARTA HAI"...

par jahan baaki sab shocked the,bas ek NEW GIRL thi jo calm face liye NITS ko dekh rahi thi aur dimag me chal rahe the kal SANVY ki kahi baat jisse aaj NITS ke result ke baare ke jaan woh bhi ittafaq rakhne lagi thi...

SONU-pproud of you launde...bbhale kkiya ttune lladki kke liye hai ppar issi bbahane ppehli bbaar uncle aunty kko pproud ffeel kkarwayega ttu...

NITS ke liye khush usse zyada SONU tha aur jo baat kahi thi usne,hit kar gayi NITS ko...

har exam ke result ko dekh uske dad ab tak bas usse bakte hi aaye the aur MAA usse uske dad se bachate aayi thi par is baar pehli baar aisa nahi hone waala tha...

woh dono proud feel karne waale the apne bete par... results jaan apne MAA BAAP ke face par dikhne waale expressions ko feel kar khushi ke maare aakhein dabdabane lagi thi NITS ki jisse badi mushkil se rok paaya tha woh...

RASHI-now for the A results... EKPREET,KHANAK, SANVEER...

10 naam aur bhi the us A results ke bunch me par NEW GIRL ka kaan SANVEER sunane ke baad jaise band ho gaya tha...

SANVY ka naam sun ek pyari si smile naach uthi thi uske face par jisse KHANAK aur NAISHA ne bhi dekh liya tha...

NAISHA-kya baat hai...!!!itni khushi toh apne A++ result ko jaankar bhi tere face par nahi aayi thi jitni SANVY ke A result ko jaan dikh rahi hai...

KHANAK-B.F jo hai...khush toh hogi hi...

NAISHA-par babes,tujhe SANVY ko padhayi me aur effort lagane ke liye bolna chahiye...

ek taraf tu hai jo national topper banane tak ke liye qualified hai aur dusri taraf woh SANVY hai jo har baar A se aage badhta nahi...

i mean,tere se naa sahi par class ke baaki toppers jitne marks toh laane hi chahiye usse...

just like NITS did this time...

NAISHA ki baat par kuch kaha nahi DIMPLE ne bas muskurati rahi...

ab kya hi kehti...us bande se khudko upgrade kehne ko kehti jiska software pehle hi super advanced level par tha...

KRRRRRR....

fourth period joki as for study,last class thi,off hone ka bell baj chuka tha jiska matlab tha 45 minutes ka long break before the sports practice time...

RAO sir jaa chuke the jiske baad baaki class ke saath DIMPLE aur uska group bhi canteen ki taraf badh chuke the...

IN CANTEEN:-

CHAAND KO BOLO,NIKLE FALAK SE,KYUNKI...

AAJ KI PARTY MERI TARAF SE...

canteen pahunchte hi NITS ne apne andaz me dialogue maara tha jisse sun baaki sab has diye the...

SAM-woh toh tu dega hi beta...pehli baar A+ catagory me jo aaya hai...

NITS-aaya nahi laaya hun beta,kadi mehnet kar ke...

SAM-and that brings the main question... why now...???i mean,saalon se hum sab and most importantly tere mom dad tujhe padhayi par focused rehne ke liye bol rahe the par pehle toh kabhi nahi hua aisa... phir abhi achanak kya badal gaya bhai...!!!

NITS-beta sadharan khiladi regular matches me perform karte hain par asli khiladi finals me...

jab real pressure hota hai jaisa ki is baar hai...boards ka...

SAB-nice...

SONU-wakayi ssahi gghumaya hai llounde...ladki ko bboard bana ddiya...

chairs par baithne ke beech NITS ko dheere se kahi thi ye baat SONU ne...

EKPREET-chal be,order likh phir...

NITS-tere paaji lagaye the kaam me mereko naa...chutiya...jisko jo thusna hai,counter par jaao, khud laao aur thusso...

sirf bill dete time apan jaayega..akela...

RAJAT-saale jab bill dena hi tereko hai toh jaayega bhi tu akela hi naa...

EKPREET-chalo guyz,banate hain saale ko gareeb...

sabke sab uthkar counter ki taraf badh chale the the siway DIMPLE ke aur ye dekh...

NITS-bhabhiji...jaa nahi rahi khud lene toh apne is maasum devar ko hi apni pasand bata dijiye...

mai le aata hun aapka order...

THAKKK...

DIMPLE-mai already laa chuki hun...

400 ml ki ek green can table par rakhi DIMPLE ne...

NITS-abbe ye kya bala hai...???ye drink toh yahan naa dekhi maine pehle kabhi...yahan kya, kahin bhi nahi dekhi hai...

GUAYAKI UNSWEETENED YERBA MATÉ ...

ye kaisa afriki naam hai be...???

DIMPLE-energy drink hai...one of the best...PRINCI se request aur advance payment dekar sports training sessions shuru hote hi mangwa li thi maine...

NITS-iski behen ke bhai ke fufu ki bua ka...300 ka ek can...!!!

can ghumate hi uska price dekh aankhein badi ho gayi thi NITS ki...

DIMPLE-well best hai toh mehngi hogi hi...

NITS-apne fitness par itna focused aur serious rehti ho phir relationship me itni casual kaise...???

DIMPLE-mai samjhi nahi...

NITS-jabse chot aayi hai SANVY ke leg me,tabse uske paas rehne ke din divide kiye hain tumne aur ANJALI ne...do din tum hoti ho uske paas aur do din woh...

jabki priority tumhe apne paas rakhni chahiye thi... afterall G.F ho tum uski...

NITS ki baat sun ek pal dekha usse DIMPLE ne aur...

DIMPLE-agar tumhari aur SANVY ki gehri dosti ke baare me nahi jaanti hoti mai toh ye pakka assume kar liya hota maine ki you are jealous of the fact that ANJALI SANVY ke saath hai...

matlab tumhare sawal me chuppe statement ka ek hi matlab ho sakta hai, tumhe meri feelings, thought jaanane hain...

ki how i feel about SANVY'S and ANJALI'S unbreakable bonding...

woh bonding mujhe ANJALI ke liye negetive toh nahi kar rahi...!!!

concerned ho tum...par mere liye nahi balki apne dost aur ANJALI ke liye...right...!!!

DIMPLE ke assumptions joki bilkul sahi the,sun guard down karne smile ke saath apna sir shake kiya NITS ne...

NITS-baar baar saabit karti ho ki kyun perfect match ho tum SANVY ke liye...

ghumana aasan nahi hai tumhe apni baaton se...

DIMPLE-same chiz tumhare liye bhi keh sakti hun mai... tone, timing aur language aisi rakhte ho tum ki saamne waale ko lagega jaise you are concerned about him only...

manipulation techniques achi catch ki hai tumne SANVY se...

and for your actual question jo tumne pucha hi nahi,relax...i am very proud of SANVY'S and ANJALI'S friendship...

dono par pura bharosa hai mujhe aur is baat ka ehsaas bhi hai ki bhale hi mai G.F hun SANVY ki par jo jagah ANJALI ki uske dil me hai,woh kahin se bhi kam special nahi hai...

dil ke bohot kareeb hai woh SANVY ki...agar door kiya maine ANJALI aur usse toh dil dukhega SANVY ka...

aur aisa bhala mai kaise hone de sakti hun...!!!after all uske paas jo dil hai,hai toh woh mera hi...

ab apne dil ko kaun dukhata hai bhala...!!!

NITS-ohho maate..gazab hi dhaate...kya line bola yaar...part time writing ka kaam chaalu karo tum...you are good...

iski MAA ka...ye toh wahi hai...yahan kya kar rahi hai ye...???

NITS ki compliment par has rahi DIMPLE lekin kuch kehti aage ki tabhi NITS jo apni kahi baaton ke dauran khada ho gaya tha,usse sun woh bhi peeche palath gayi...

ab tak apna apna order lekar baaki sab bhi NITS aur DIMPLE ke paas pahunch chuke the aur is waqt un dono ki tarah saamne se chale aa rahe shaksh ko dekh woh sab bhi halke suprised the...

EKPREET-ye toh wahi PRINCI waali hai naa jisne DIMPLE ko race ke liye challenge kiya tha...kya naam tha iska...

DIMPLE-CHARVI...

CHARVI-well well...matlab pairon ke saath dimag bhi tez doudta hai tumhara...

sirf ek visual interaction hua hai hamare beech par you remembered me...

RASHI-correction babes... interaction nahi,tumhe race me haraya tha DIMPLE ne woh bhi der se apni race shuru karne ke baad...

NAISHA-true... mujhe toh laga tha ki apne pure school ke saamne izzat ki fazihat karwane ke baad tum ghar me dubak kar baithi hogi par i am seeing ki aisa hai nahi...

NAISHA ki baat sun ek pal ke liye ghura CHARVI ne usse...

CHARVI-ghar me dubak kar baithne se izzat wapas nahi aati...

apni haar ko jeet me badalkar aati hai...

KHANAK-are you serious here...!!!3 second ke advantage ke saath bhi jeet nahi paayi thi tum DIMPLE aur asal sports ki race me without any advantage tum soch rahi ho ki you can beat her...!!!

CHARVI-i know i cannot beat her...par jeet toh mai tab bhi sakti hun agar...

DIMPLE-jo bhi bolna hai clearly bolo...

CHARVI-is saal tumhare SIRIUS ki sports selection strategy baaki schools bhi implify kar rahe hain...

that 4 sports activity waali...har saal mai agal alag sports me participate karti hun par ek race har baar common hota hai...

400 metres...i want you to backoff from that race...

400 metres race dehradun me sabhi schools ka main event hota tha...

kyunki yahi woh race tha jisme JAIDEN CHOWDHARY ne apne school aur pure sheher ko nationals me glory dilwayi thi...

aur is baar kyunki sports meet me khud JAIDEN CHOWDHARY special guest of honour hone waale the toh aise me is race ki importance 10 times aur badh gayi thi...

aise me CHARVI ke liye apni khoyi self-respect ko wapas paane ke liye us race ko jeetne se acha bhala aur kya ho sakta tha...!!!

DIMPLE aur baaki sab bohot ache se samajh rahe the is baat ko...

KHANAK-tu DIMPLE ke chacha ki ladki lagti hai kya jo mooh uthaye itna bada favour maang rahi hai isse...

DIMPLE-participate kar rahi hun mai 400 metres me...jaa sakti ho tum...

CHARVI-akele yahan tumhare school me request karne toh aayi hun nahi mai...

bata rahi hun tumhe,tumhari apni bhalayi ke liye...just back off...kahin aise na ho ki ek race me participate karne ki zidh ke chalte life time ke liye disable hona padh jaaye tumhe...

one race isn't worth your whole life...just drop it...

indirectly life threatening dhamki de di thi CHARVI ne DIMPLE ko jisse sun DIMPLE toh smile karne lagi thi par uske baaki sabhi doston ka dimag ghum gaya tha...

SAM-kya boli re tu...hamare hi school me aakar hamari hi friend ko dhamki de rahi hai tu...

NITS-teri toh mai...

DIMPLE-stop NITS...

CHARVI ke gaal laal karne ke liye aage badh hi raha tha NITS ki usse rok diya tha DIMPLE ne...

DIMPLE-ek teer se do shikar karne ka soch rahi hai ye...mujhe dhamka bhi rahi hai aur sabko provoke bhi kyunki pata hai isse ki ye jagah c.c.t.v se covered hai...

dusre school se hai ye, matlab guest hai hamari...

pata hai isse ki aise me ispar kisi bhi tarah ka physical attack,us attack karne waale ko suspend nahi balki sidhe expel karwayega...

CHARVI-wow...jab itni hi intelligent ho toh apna bhala bura kaise nahi dekh paa rahi ho...

temporary khushi permanent dukh ke saamne thik nahi...

example toh kuch din pehle hi mila hai tumhe...suna hai SAMRAT waalon ne taang tod di tumhare B.F ki...

bechara...par karen bhi kya,har GALATH jagah bhidoge toh haal waisa hi kuch hoga naa...

CHARVI ki baat sun DIMPLE theek uske saamne jaakar khadi ho gayi...

ghura usne CHARVI ki aankhon me aur...

DIMPLE-as i said,i am participating in the 400 metres race...

aur rahi baat mere B.F ki toh saikdon baar maarne ki koshish ke baad SAMRAT waalon ka usse bas ek hit lag gaya tha...

par maarkar bhi woh ruke nahi, bhaag gaye...

aur unhe toh bhaagna hi tha...

kyunki sher hai mera banda jo akela bhida tha un geedadon ki fauj se...aur kyun naa bhide..

sher akela ho toh bhi har jagah sirf ussika hi DHAAK HOTA HAI...

halki jal rahi aag ko bhadka diya tha un sabne,aur aag se khelne waala aksar jalkar RAAKH HOTA HAI...

haan,beshak chot pahuncha di thi unhone par phir bhi bhaage sabke sab kyunki...

jaante the woh ki zakhmi sher aur zyada KHATARNAAK HOTA HAI...

AAJ KE LIYE ITNA HI...

AAPKA APNA V...J...
Awesome update bhai waiting for next update
 
ANUJ KUMAR

Well-Known Member
2,668
13,375

very nice update
 
Top