• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)

Baba Mechanchiii

_𝕿𝖍𝖊 𝕽𝖚𝖑𝖊𝖗 𝖔𝖋 𝕾𝖔𝖑𝖎𝖙𝖚𝖉𝖊_🎭🚬
360
1,188
139
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF DIMPLE AUR SAM KA SELECTION BRAIN AWARENESS CHALLENGE KE KIYE HO JAATA HAI WAHIN DUSRI TARAF SANVY KE GHAR PAR DIMPLE AUR VERONICA EK DUSRE KE SAAMNE KHADE HAIN.

AB AAGE:-

CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)

UPDATE-56

DATE-12TH JULY

CITY-DEHRADUN

PLACE-SANEEL'S RESIDENCE

(THE EVENING CONTINOUS)

VERONICA-ARE YOU OK..!!!

nazar atak gayi thi DIMPLE ki VERONICA ke face par....

halke neele rang ki simple suit me thi VERONICA par us sadharan paridhaan me bhi uska vyaktitv asadharan tha...

gala aur uske upar chamakta gora chehra jispar jahan baaki sabko sirf khubsoorati hi dikhti aayi thi wahin DIMPLE ko us face par extreme beauty ke saath unmatchable confidence,focus aur determination ka ek aisa mixture dikha tha jaise usne pehle kabhi bhi nahi dekha tha...

uski khud ki mom ek high profile business tycoon thi but phir bhi waisa raub jo VERONICA ke simple face par tha,naa dekha tha apni mom ke face par DIMPLE ne...

but the most important thing...

VERONICA ke awaaz ne DIMPLE ke brain ke auditory nerve me ek electrical vibration create di thi...

ye vibration tabhi create hoti hai jab brain koi pehle se suni awaaz dobara sunta hai but pehchaan nahi paata...

DIMPLE ko jawab na deta bas shaant dekh uske theek saamne pahunch bade pyaar se uske sir par haath fera tha VERONICA ne aur uske aisa karte hi wapas present me lout aayi thi DIMPLE...

DIMPLE-hhello aunty...!!!yes,i am DIMPLE...!!!SANVY ne bataya aapko..!!!!

VERONICA-hmm... NITS ke mobile par tum sabki group photo bhi dekhi hai maine...

DIMPLE-aunty,you are very beautiful...

HAHAHAHAHA....

DIMPLE ke gesture par VERONICA ke khanakte awaaz me uski hasi goonj uthi har taraf jiske baad..

VERONICA-its quite a compliment coming from a beautiful girl as you yourself are..

jhoota ya diplomatic jawab nahi diya tha VERONICA ne..DIMPLE was extremely beautiful jisse uske pehnave ne aur nikhaar diya tha...

cheetah print ki silk shirt pehni thi usne with a black stripped jeans to go with it..

haathon me bracelet look waali watch jiske upar actual WIN alphabets waali ek bracelet ghumte hue latak rahi thi...

pointed black sandal look waali shoe us pure pehnaawe ko ek extra confident look de rahi thi...

but the most important thing, DIMPLE ka face...us thehre hue saagar ke paani ki tarah lag raha tha jispar chandrama ka prakash padh usse swarg ka rasta batane waale paani ki tarah bana raha ho..

ek sentence me kaha jaaye toh an indian mesmerizing beauty covered within the western layers...

ek nazar me VERONICA ke baaz waali nazaron ne DIMPLE ko completely check out kar liya tha aur woh jaan gayi thi ki kyun unke bete ka dil unke saamne khadi ladki ke liye dhadka tha...

DIMPLE was like a trophy and at the same time,she was a champion player..

aisa cocktail jisse puri tarah hasil karne ke liye SANVEER AHARYA jaise champ ko bhi mehnet lagne waali thi...bohot mehnet....

DIMPLE-thanks aunty..this is for you...

first visit gesture ke tahat perfume ki bottle joki is waqt ek bohot hi eye catchy gift wrap me chuppi hui thi,aage kar di thi DIMPLE ne jisse pure dil se hold kiya VERONICA ne par aisa karte hue uski paarkhi hatheli ne us gift wrap ko jaanchna nahi bhula tha...

VERONICA-is it a perfume bottle..!!!

DIMPLE-sharp hands observation aunty...jee, perfume hi hai..i hope you will like it...!!!

VERONICA-french inhaler..!!!

DIMPLE-jee..

VERONICA-hmm...YVES SAINT LAUREN BLACK OPIUM EAU DE PERFUME..am i right..!!!

bina dekhe perfume ka brand bilkul sahi guess kiya tha VERONICA ne jispar ankhein halki badi honi hi thi DIMPLE ki jo hui bhi...

DIMPLE-how do you know aunty.!!!

VERONICA-ye brand jaanti hun mai aur tumne bhi abhi yahi lagaya hua hai...french bataya tumne isiliye guess kar liya...

DIMPLE-spot on aunty...!!!haan,lauren black hi lagati hun mai..

fragrance bohot mild hai and i like it that way...socha aapko bhi acha lagega...!!!!

VERONICA-sahi socha..i love it..come..

apne saath lagate hue VERONICA DIMPLE ko liye gallery se aage badh chuki thi...

DIMPLE-beautiful..ye sab wakayi SANVY ne decorate kiya hai...!!!!

ANJALI ne bataya tha DIMPLE ko ki apne ghar ka interior SANVY ne khud design kiya hai..

aur gallery se hote hue jaise hi DIMPLE hall ke entrance me pahunchi toh hall decor dekh woh wakayi khush ho gayi...

antiques, aquariums,hand made premium wood sofa set,aur ussi sofe colour se match karta dining table...

aise hi aur bhi bohot se chote chote hall decor se saja hua tha pura hall..

pa kamal ki baat ye thi ki itni saari chizon ke hone ke baawjud hall kaafi spacious lag raha tha...

aur sabse kamal ki baat ye thi ki saare ke saare decors hall ke overall impact ko bright kar rahe the..

hall ko dekh ek refreshing feeling ne ghar kiya tha DIMPLE ke man me..

VERONICA-har chiz ussiki soch hai aur sajaya bhi sab ussine hai..

i am not allowed to touch anything and mai karun bhi kyun..!! it's...

DIMPLE-perfect...

VERONICA ki baat ko DIMPLE ne pura kiya jispar smile karne lagi thi VERONICA par ye smile puri hoti ki tabhi...

DIMPLE-who's that...!!!

left wall jispar hummingbird shaped prints lag us wall ko ek live look de rahe the, uski khubsoorati ko aur badha rahe SANEEL AHARYA ke 4/3 ki us badi si tasvir ko continous praise ke saath dekh rahi thi DIMPLE...

6 feet ke SANEEL AHARYA us pic me abhi puri glory par the..aisi tasveer jisse dekhne waale ki nazar uspar naa atke,aisa ho hi nahi sakta tha.

live example DIMPLE thi...

VERONICA-that's my husband...late SANEEL AHARYA...

VERONICA ki baat par uski taraf palti DIMPLE ki aankhein par un aankhon me zara bhi hairani na thi..

ab VERONICA jaise chand ko SANEEL jaisa suraj hi toh deserve kar sakta tha,jaise samajh gayi thi DIMPLE..

ek baar VERONICA ko dekh wapas ghumi uski aankhein SANEEL ke tasvir ki taraf...

DIMPLE-EMPERIO ARMANI BLACK DIAMOND VISCOSE TRIPLE SPENCER SUIT....

kehna padega,uncle was classy...

suit ko dhyan se dekh uska brand and most importantly,uski puri making bata di thi DIMPLE ne jo VERONICA ko kaafi impress kar gayi thi..

VERONICA-i see you know clothes...

DIMPLE-sirf tabhi jab kapda jaanane laayak ho..and that dress,the brand, making is very eye catchy...

RASHI-hain na uncle super handsome...

DIMPLE ko SANEEL ki tasvir dekhte paa uske paas aa gaye the RASHI, NAISHA aur KHANAK..

DIMPLE-very...

RASHI-pic aisi hai toh live kya hi personality hogi uncle ki..!!!SANVY ko imitate karna chahiye uncle ko..

it will be soothing for eyes...

DIMPLE-kaun si duniya me rehti ho tum...SANVY is exactly like his father...

jaise uncle khade hain,45 degree tilted,chest up,chin up,right haath pocket me,just like kahin nikalne lage hain woh..

ye pura posture,kayi baar dekha hai maine SANVY ko aise...

uncle ki aankhon ka colour aur confidence,dono inherit kiya hai SANVY ne..

look at the way uncle ne apne honthon ko halka sa dabaya hua hai,bohot baar SANVY jab kuch khaata hai ya mostly meetha intake karta hai toh uske lips bhi aise ho jaate hain...

uncle ka second hand visible hai..unki ungliyan exactly SANVY jaisi hai ya phir ye kehna sahi hoga ki SANVY ki uncle jaisi hain...

but the most important part is unka index finger jo rolled up hai,same chiz SANVY bhi karta hai..

bohot karta hai..bas woh jo halki si smile hai pic me uncle ke face par,that SANVY doesn't resembles.

aur woh isiliye kyunki SANVY ki smile aunty ki tarah hai......

hai bolte bolte jab ghuma DIMPLE ka face VERONICA aur NAISHA, RASHI, KHANAK ki taraf toh chup reh gayi woh..

reason..

jahan ek taraf NAISHA, KHANAK aur RASHI aankhein faade dekh rahe the usse wahin VERONICA bina expression ke bas ek tak dekh rahi thi DIMPLE ko..

DIMPLE-i am sorry agar kuch GALATH..

VERONICA-GALATH bilkul nahi ho tum..aur SAHI hone ke liye kabhi maafi mat maagna...

haan, SANVY ki smile meri tarah hai.. that's because his cheek lines aur chin jo mujhpar gayi hai.

baaki sab,he is a two copy of his father..woh bas SANVY ne apni body ko apne dad ki tarah develop nahi kiya hai isiliye resemblence batana itna asaan nahi...

par jis din kar lega...

DIMPLE-bilkul apne dad ki tarah dikhega woh...

VERONICA-no,he will surpass his father..he will look better..ye ek maa ki nahi,ek women ki nazar hai..you will see...

AHHHHHHH....

VERONICA ki baat par koi kuch kehta ki tabhi gunji NITS ke chillane ki awaaz jiska reason bas DIMPLE hi thi jo samajh nahi paayi thi...

RASHI/KHANAK/NAISHA-again...!!!

DIMPLE-Twhat again...!!!???

VERONICA-kuch nahi beta.. it's the guitar..

DIMPLE-guitar..!!!!

VERONICA-SANEEL ka guitar hai..SANVY possesive hai uske liye thoda...har baar NITS touches that aur phir SANVY..

RASHI-usse chhuta hai...thoda kas ke.. come DIMPLE,i will show you the guitar.. it's one in a million...

ek taraf DIMPLE, RASHI, NAISHA aur KHANAK SANVY ke bedroom ki taraf badh chuki thi wahin dusri taraf VERONICA bhi haste hue kitchen ki aur badh chali thi...

KHANAK-arre jaan se maarne ka irada hai kya..!!!!chhodo usse...

bed ke side me apne dono ghutno ke beech fasaya hua tha maine NITS ko...

wahin SAM NITS ke pichwade me aur SONU uske thode bohot dikh rahe sir me tapli baja rahe the...

aur baaki saare lounde wwe ke crowd ki tarah NITS ko aur pelne ke liye hume uksa rahe the..

KHANAK ki awaaz par chhod diya tha maine NITS ko aur sidha hua jispar..

RASHI-nice dress SANVY..

SANVY-haina...party me pehniyo tu...

polo ki t-shirt ke upar cook waali apron pehni thi maine jisse dekh new girl ke face par halki si smile naach uthi...

waise ek aur expression bhi tha uske chehre par..

taarif ka,mere room ke liye.. waise jitna tidy mera room tha aur jis salike se maine isse sajaya hua tha,aise me woh gesture normal bhi tha..

DIMPLE-wow,is that a...!!!

RASHI-MARTIN 1948..yup... pure vintage in all form.

hamare NITS ko kootne ka root cause, meri guitar joki saamne bed par rakhi hui thi,uspar nazar padh chuki thi girls ki...

DIMPLE-may i...

guitar tak turant pahunchi thi new girl par phir usse mera guitar ke prati rookh yaad aaya tha..

par jab haan me sir hilaya maine toh behadh khushi se guitar utha liya usne..

DIMPLE-VERZ....aunty..!!!!

guitar par bane initials ko dekh mujhse pucha tha ye sawal DIMPLE ne jispar ek baar phir haan me sir hilaya maine...

DIMPLE-martin 1948...organic wiring strings,,animal intestine with steal weilding...

dual eco... acoustic and classical giving different and rare sounds on every minor and major...

this is a master piece....

us dark yellow solid wood se bani beautiful guitar ko hold kar uski speciality ke baare me baat karte hue admire kar rahi thi usse DIMPLE...

RASHI-wow yaar.. tumhe toh guitar ki bhi achi knowledge hai...!!

KHANAK-phir toh play karna bhi aata hoga..!!!

DIMPLE-yup,par isse mai..

MAI-try it...

"play kaise kar sakti hun"..mere guitar ko lekar sentiment ke baare me jaan ye line kehne waali thi new girl par guitar ko hold kar uske baare me baat karte waqt jo admiration dekha tha maine uski aankhon me,acha laga tha mujhe..

khair,jahan meri baat sun halki hairan hui new girl wahin mai turant palat chuka tha..

meri dish ko final touch dene ka time aa gaya tha isiliye kitchen ki taraf badh gaya mai par tabhi..

TNNN.....NNNTNN....

ek second ke liye rook gaye the mere badhte kadam...

reason...

strings tuned the..e minor se shuru kiya tha new girl ne joki 75 percent tak sahi baja tha...

SAM pichle 3 saal se try kar raha tha par 50 percent bhi sahi dhun nikaal nahi paaya tha woh..

par ye lagbhag right pitch zyada der tak theek nahi rahi...aage ke notes apna safar khone lage jispar smile karte hue kitchen ki taraf wapas badh gaya mai...

MAI-oye cartoon network... lagatar toh steer nahi kar rahi hai naa tu...

ANJALI-chup pogo...har 2 minute me 20 seconds ke liye hi kiya hai,jaise kaha tha tune...

ANI joki mere dish as in paneer pasanda ko steer kar rahi thi,uske paas pahuncha mai joki almost ready ho hi chuka tha...

par mixed veg,malai kofta aur baigan bharta abhi half cooked hi the jisse prepare karne me lag gaye mai aur ANI...

RASHI-help in anything.. myself,NAISHA, KHANAK and DIMPLE are at your service...

DIMPLE-umm.. what's that smell...!!!

kareeb 15 minutes hi guzre honge ki tabhi chaaron girls pahunche kitchen par aisa hote hi ek dish ki smell ne DIMPLE ke taste buds ko active kar diya tha..

NAISHA-arre yahi toh hai aunty ka world famous chicken chettinad.... thoda sa taste karogi....

chicken chettinad joki just abhi abhi bana tha,uski smell wakayi pure ghar me failne lagi thi..

DIMPLE-chicken recipes ke smell toh ache hi hote hain..but bataya tha maine, chicken utna zyada bhi pasand nahi hai mujhe...

MAI-pasand aur pyar me fark hota hai..pasand me options hote hain,pyar me nahi..

aur jo tum taste karne waali ho,woh pyar waali catagory me aata hai..

kuch pieces chettinad ki speciality,moti gravy me saath fold kar nikaalte hue us chote se plate ko new girl ki taraf badha diya tha maine jispar ek pal mujhe dekha usne aur phir ungliyan uski chicken piece ki taraf badh gayi aur agle hi pal..

UMMMMMM.......

woh garm par super soft chicken piece new girl ke mooh me ghulne laga tha..

aur aankhein band kar jis tarah ke expressions de rahi thi woh,batane ke liye kaafi tha ki bohot pasand aaya tha usse recipe...

DIMPLE-wow..this is amazing...arre....

aankhein khol taarif ki hi thi new girl ne ki tabhi plate par nazar padhte hue muskura uthi woh..

baaki pieces gayab jo the..baaki saare girls bache pieces gayab kar chuke the...

ANJALI-baaki sab toh ho gaya..bas salad bacha..chal shuru ho jaa...

KHANAK-mai kar deti hun...

ANJALI-time lag jaayega..aur hum sab ke chicken pieces khaate waqt woh NITS jhaank chuka hai idhar..

aur zyada late hue toh baaki boys ke saath yahi dinner karne aa jaayega woh..

MAI-paas me the knife..

DIMPLE-mai deti hun...

MAI-woh nahi...uski side waali..

knives ka ek pura set rakha hua tha jisme se ek uthane jaa rahi thi new girl par mere input aur finger pointing ko samajh meri batayi knife utha li usni..

DIMPLE-sab slicing ke hi toh kaam aate hain...

whats the difference...!!!

MAI-wahi jo sand aur soil me hota tha..

jo knife tum utha rahi thi,usse ROCKING VEGETABLE CHOPPER AND MINCING KNIFE kehte hain..

bulk me green main course vegs ko slice karne ke kaam aata hai woh...

but this one,CRAFTSMEN MEZZALUNA SLICER, sirf salad vegs ko slice karne ka kaam karta hai ye...

saamne rakhe basket ko apni taraf sarka liya tha maine jisme gaajar,kheera, pyaaz,tamatar,lemon broccoli aur baaki saare salad ki chizen rakhi hui thi....

taktaktaktak.....

onion se shuru kiya tha maine aur dekhte hi dekhte jis speed se saare salad items kaathte chala gaya mai,new girl ke saath KHANAK aur RASHI ki bhi aankhein badi hoti chali gayi..

wahin ANI ke saath NAISHA bhi mere slicing skills jaante the isiliye they were normal...

KHANAK-wow yaar..you are a proffessional...

MAI-rocket science thodi naa hai...time ke saath aa hi jaata hai...

VERONICA-every thing ready...!!!arre waah,salad hi dekhne aa rahi thi mai...chalo phir,saare dishes dining table par rakhte hain warna NITS yahin kitchen me dining table laga dega..

chaar panch round laga chuka hai woh...

MAA ki baat par smile karte hue food trolley me ek ke baad ek hum sab saare dishes sajane lage the..

agle paanch minute me dining table par saare dishes lag chuke the...

DIMPLE-chicken is delicious aunty...!!!!

SAM-haina.it's the best...

NITS-better than the best..

loundo ko toh jaise kisi aur chiz se matlab tha hi nahi...khudse khudko chicken serve kar pelna start bhi kar chuke the sab..

wahin new girl ki baat sun MAA ne bas smile bhar diya..

is beech mom ke plate me rice,daal aur side me meri banayi paneer pasanda mai serve kar chuka tha..

DIMPLE-aap chicken nahi le rahi aunty...

ANI-nopes..jab SAN koi dish banata hai toh aunty kuch aur nahi khaati...

MAA ke naam par khud pasanda ke kuch pieces apne plate me daal liye the ANI ne...

DIMPLE-can i try some...

MAA-you can have it all beta..puchne ki zaroorat nahi...

meri banayi pasanda DIMPLE ke plate me daalne lagi thi MAA.

DIMPLE-bas bas aunty..aur kuch nahi...

MAA-ye bharta bhi SANVY ne hi banaya hai..try some...

pasanda ke baad bharta bhi thoda sa daalne lagi thi MAA jispar pehle toh mana kar rahi thi new girl par mera naam sun chup ho gayi woh..

DIMPLE-hmmm... it's good..very good...

MAI-thanks...

ye aakhri shabd tha dining table par..no talk while eating rule ke tahat sab shaanti se khaane me lag chuke the..

NITS-ahhhhh...maza aa gaya bhai... chicken kuch zyada khaa liya shayad..pet full ho gaya hai...

khaane ke baad halke dakaar ke saath pehli tripti se bhari awaaz NITS ke mooh se nikli thi..

MAI-saale..3 kg chicken tha jisme se 2 kg tum paanchon hi pel gaye ho...bhar nahi fat jaayega pet...

MAA-kuch nahi hoga..ye lo, caramel custard...hazam ho jaana hai sab...

heavy chicken recipe ke baad meetha loosen up karne me bohot asadar hota hai...

jahan baaki sab jab custard thoosne me lag chuke the wahin mai saare plates wapas tray me daal chuka tha...

DIMPLE-lao,mai le jaati hun...

MAI-tum,no..chill karo,mai chhodkar aata hun..

tray dhakal kitchen ki taraf jahan MAA ANI ke saath pehle hi jaa chuki thi,badh gaya mai..

par jahan baaki sab custard khaate hue chit chat me lag chuke the wahin DIMPLE ne dheere se mere piche kitchen ki taraf rukh kar liya tha...

ANI-oye tu jaa...hum dekh lenge...

plates wash karne me MAA ki help kar rahi thi ANI...

MAI-mai nahi tu jaa rahi hai...idhar rahi toh baaki ladkiyan bhi aa jaayengi..

aur dinner ke baad mehmaan plates dhote ache nahi lagte...

MAA-sahi bol raha hai SANVY baccha..tu jaa, enjoy kar baaki sabke saath...ye sab mai dekh lungi...

ANI-MAA,mere jaane se kuch nahi hoga..un sabko ek saath ek jagah sirf ye ullu hi rakh sakta hai..

MAA-toh tum dono jaao phir...

MAI-no way...plates zyade hain..

DIMPLE-uski chinta mat karo..mai help kar dungi aunty ki..

VERONICA-beta aap kaise..!!!

DIMPLE-naa nahi sunane waali mai...i am helping you..waise bhi gathering me baithna is not my cup of coffee...

aage kuch bolne ka mouka hi nahi diya tha new girl ne...

ek saath bulk me plates utha sink me rakh chuki thi woh...

ye dekh MAA ke face par halki smile aa gayi aur mujhe,ANI ko ishare se jaane ke liye kaha unhone...

MAI-so,kya puchna tha beta aapko...!!!!

humare jaate hi MAA ke sawal par ek second ke liye hairangi se dekha unhe DIMPLE ne par phir smile naach uthi uske face par..

DIMPLE-ab pata chala ki SANVY ko uski observation skills kahan se mili hai..

DIMPLE soap up kar rahi thi jisse wash karte hue ek taraf rakhti chali jaa rahi thi VERONICA...

VERONICA-kya ye pehla sawal tha...!!!??

DIMPLE-ye compliment tha jisme i know aapko zyada dilchaspi nahi hai...

SANVY is brilliant....i mean uska level kya hai,isse predict bhi nahi kiya jaa sakta..

ab aapko toh pata hi hoga ye.. but aisa kyun hain ki itna brilliant mind,extra active body ke hone ke baawjud hi showcases himself just as an ordinary student...

DIMPLE ke sawal par ek second ke liye haath ruke VERONICA ke aur...

VERONICA-ordinary...defination kya hai is shabd ka...!!!

DIMPLE-jo regular activities me aam ho..

VERONICA-SANVY hai kya...!!!

VERONICA ke sawal ka jawab toh SANVY ki taarif ke through pehle hi jawab de chuki thi DIMPLE isiliye sirf naa me sir hila diya usne...

VERONICA-tumhare hi statements ko agar ek line me kahen toh SANVY is the new synonym for extraordinary...

log challenges me participate isiliye karte hain kyunki man me jeetne ka thrill hota hai...

he doesn't participate beause he knows he will win..

matlab no thrill..and without thrill...

DIMPLE-participate karne ka kya maza..!!!but, appreciations ka kya...???his level of talent,bohot naam ho sakta hai uska...

VERONICA-ab yahan baat choice ki hai..fame chahiye ya nahi,ye SANVY ka apna decision hai...

DIMPLE-aapko toh pata hi hoga ki SANVY is way too good in martial arts..aise aise moves hain uske paas jo maine kabhi apni life me nahi dekhe...

who has trained him...!!!!

VERONICA-beta life jee hi kitni hai tumne abhi..!!! surprise hone ke bohot se mouke milenge tumhe...

rahi baat SANVY ki toh...2 saal ka tha woh..jis umar me bacche totlate hue thoda bohot tuta futa bol lete hain, nursery aur kg's ka pura knowledge ho gaya tha usse aur koi specific teacher nahi tha uska.

uske papa tv me gyan darshan aur dusre primary teachings waale channels ke saamne usse baitha diya karte the.

bas un channels ko dekh sirf letters,words aur numbers hi nahi sikhe usne balki sikhaane waale teachers ko perfectly copy bhi karne laga tha woh...

bottom line,woh kahin se bhi sikh sakta hai aur improvisation uske blood me hai..

har chiz ko us level tak le sakta hai woh jis level par woh chiz kabhi gayi hi nahi...

apne hi dhyan me baat karte hue saare plates ko wash karti ja rahi thi VERONICA aur bade dhyan se ye hote dekh rahi thi DIMPLE...

reason...

chiz badi aam thi par jis tarike se plates rub karne ke baad side me rakhe plate holder me rakh rahi thi VERONICA,woh aam nahi tha.

VERONICA bina dekhe hi apne haath se aise angles bana saare copper aur kaanch ke plates us holder me rakh rahi thi ki awaaz tak nahi ho rahi thi..

jabki itni bekhayali me koi aur aisa karta toh 10 me se 9 plates toot chuke hote...

DIMPLE-wow aunty... you are really good with knives...kaise kiya aapne..!!!

plates rakhne ke beech salad waale bade se knife ko dhone ke baad bas apne index finger aur thumb ke sahare left me bane knife stand me uchhalte hue knife ko uske exact position jiski chowdayi bas 1/2 inch ki thi,andar daal diya tha VERONICA ne..

again without seeing..

aisa perfect flick mushkil tha..bohot mushkil..khaas kar tab jab same time me right hand se plates holder par plate bhi rakh rahi thi VERONICA..

aisa kuch karna brain ke double time active hone ka saboot tha...

VERONICA-ye kitchen mera hai beta..pichle 10 saal se iska har inch naapa hai maine.kaun si chiz kahan hai aur kahan honi chahiye,iske liye dekhne ki zaroorat nahi hai mujhe..

10 saal..jo chizen VERONICA kar rahi thi,10 kya 50 saal bhi aise perfection ke liye kam the..

jaanti thi ye baat DIMPLE par kuch kaha nahi usne...

VERONICA-tumhare sawal pure ho gaye toh ab ek sawal mai puchun..!!!???

aakhri plate holder par rakhne ke baad ghumi VERONICA DIMPLE ki taraf..

DIMPLE-sure aunty...

VERONICA-itne sawal puche tumne jinhe puchne ke piche kayi reasons honge..

par agar sirf ek reason batana ho toh..!!!! what's yours...!!!???

DIMPLE-i wanna learn from him...!!!

VERONICA-really..!!!kya??

DIMPLE-pehle toh sirf fighting techniques sikhne the but ab toh SANVY mujhe multi purpose book lagne laga hai..

VERONICA-hahahahaha......hmm.....usse pucha hai tumne...!!!

DIMPLE-haan,par mana kar diya usne...

VERONICA-phir tumne pucha nahi hoga,offer diya hoga..you know,barter something...

sach kaha tha VERONICA ne..yahi toh kiya tha DIMPLE ne..yahi wajah thi ki hairangi dikhi DIMPLE ke face par jiske baad...

DIMPLE-how do you know..!!!

VERONICA-i know my son...tum samandar ko gehrayi offer karogi toh offer reject hi hoga naa...

VERONICA ki baat sun halki maayus ho gayi thi DIMPLE jisse dekh halka smile kiya VERONICA ne aur...

VERONICA-aankhon me desperation ya competition waale bhaav ke saath nahi,sachhayi ke saath dekho usse aur bas puch lo...mana nahi karega...

DIMPLE-mai samjhi nahi..

VERONICA-wakayi sikhna chahti ho...!!!

DIMPLE-haan...!!!

VERONICA-ye jo haan kaha naa,jis feel ke saath kaha,bas ussike saath puch lena...!!!

saare topics cover ho gaye toh jaao,be with your friends..aur haan, guitar agar aur try karna ho toh kar lena,mana nahi karega SANVY tumhe...

"tumhe".. DIMPLE ko dekh is shabd ko jis tarah se kaha tha VERONICA ne,ek alag hi haya ko parath chaddhi thi uske face par..

pehli baar bhi jab SANVY ne guitar ke liye haan kaha tha aur jis tarah se kaha tha,bohot acha laga tha usse...

khair,halke smile ke saath palath gayi woh par phir kitchen door ke edge par pahunch wapas palti woh VERONICA ki taraf joki usse hi smile ke saath dekh rahi thi..

VERONICA-aur kitne sawal reh gaye...???

DIMPLE-SANVY par sawal toh shayad kabhi khatm hi na ho,par ek dusra sawal man me lagatar uth raha hai..!!!

VERONICA-kya..!!!!???

DIMPLE-kya hum kabhi mile hain...!!!????

VERONICA-haan...bachaya hai maine tumhe...!!!!

VERONICA ki baat sun expressions change hone lage the DIMPLE ke..

VERONICA-mai har waqt apne bete me rehti hun.. mera aks hamesha usme dikhta hai jisse har din anjaane me hi sahi,dekha hai tumne..

aur kuch din pehle MOSSY FALLS me bachaya tha tumhe mere bete ne...ab usne bachaya toh maine bachaya...

VERONICA ki is baat par expressions wapas normal ho gaye the DIMPLE ke par dil aur dimag.!!!!

confusion tha usme jisse abhi ke liye relax mode me daal diya tha usne..

DIMPLE-it was an honour to meet and talk with you aunty... agar man kiya toh kya mai kabhi kabhi aa sakti hun yahan...!!!

DIMPLE ki baat par uske paas pahunch bade pyar se uske sir par haath firaya VERONICA ne aur pyar wakayi tha...

kyunki mehsoos kiya tha us pyar ko DIMPLE ke dil ne...

VERONICA-ghar aur log jab apne ho,toh aane ke liye man nahi dekha karte..bas aa jaate hain...

apne aap hi gale lag gayi thi DIMPLE VERONICA ke jiske baad ussi smile ko carry karte hue SANVY ke room ki taraf jahan se sabke hasne ki awaaz aa rahi thi, badh gayi DIMPLE..

wahin DIMPLE ko piche se jaata dekh rahi thi VERONICA par face bilkul sthir tha uska...

VERONICA-SANVY,DIMPLE...

kache umr ke woh do kirdaar jo is kahani me sabse BADE HAIN...

alag alag raahon se hote hue ab ye ek dusre ki taraf MUDE HAIN...

khawahish aur chahat dono ko hai ek duje ke liye magar...

andaza nahi ki alag hone ke baawjud kitna ye ek dusre se JUDE HAIN...

AAJ KE LIYE ITNA HI...

AAPKA APNA V...J...
Brilliant update brother 🔥...

Keep posting 🙂👍...
 
Rudrathakur

Active Member
586
3,384
123
Wow.....👏👏👏 jis trha se dimple ne saneel ki photo ko define kiya aur sanvy ke sath relate kiya barik se barik baaton ka usne vivran kiya wo bakai hi kabil-ae- tareef tha...abhi tk hmne aisa krte hue sanvy aur Veronica ko hi dekha pr this tym dimple rocked bahut lmbe arse kr baad dimple dekhne ko mili jo sanvy ke samne kahin kho si gyi thi akhir lazimi bhi h sagar ke samne nadi kho hi jaati h chahe fir nadi kitni bhi badi kyu na ho jb bhi wo sagar se milegi usko khona hi h..wohi halaat dimple ke sanvy ke samne hote h...wahin abhi tk ki raat to bahut bdhiya se gujar rhi h air dimple ke sawalo ka silsila bhi shuru ho gya h jiska veronica ne bde hi pyaar ke sath usko na srf jwab diya balki usko samjha bhi diya ki wo kya galath kr rhi thi and this time I'm sure ki sanvy ko wo mna legi khud ko trained krne ke liye pr veronica ki wo baat uske deemag ki kisi kone me ab bhi chal rhi hogi ki usne dimple ko bchaya tha...ab dekhna ye h ki ye cheez trigger kitni der me krti h uske deemag ko sath me us ghatna wale din suni voice ko pehchan paati h aaj ki raat ya nhi...dekhna bakai dilchasp rhne wala h kyuki safar bahut lmba h aur khatarnak bhi ab usko paar krne ke liye taiyariyaan bhi tgdi honi chahiye agr survive krna h to...jis trha saneel ki life me Veronica thi waise hi dimple ko bhi waisa hi kya usse bhi behtar bnna hoga sanvy ke liye aur uske use veronica ko surpass krna hoga dekhna ye h ki kb tk kr pati h wo aisa so waiting for the next update brother...😍😍😍aur ye chettinad chicken to mujhe bhi khana h sath me paneer pasanda har baar muh me paani aa jata h inki recipe sunkr pr idhr milna mushkil h ..chliye kbhi moka mila to jrur pelenge😂😂 waiting for next👏👏👏
 
The king

Well-Known Member
4,243
15,466
158

Awesome update bhai waiting for next update
 
9,380
39,528
218
डिंपल को वेरोनिका की आवाज कहीं सुनी सुनाई सी लगी थी पर याद नहीं कर पाई । इसका मतलब यह झटका उसे बाद में ही लगने वाला है ।
वैसे इसमें कोई शक नहीं कि वह भी वेरोनिका के लेवल की ही है । ब्रेन विथ ब्यूटी । वेरोनिका के उमर तक पहुंचेगी तो बाकी कसर भी पूरी कर देगी ।
यह तो हमें लगा ही था कि कुछ और नई जानकारियां इस अपडेट में भी देखने को मिलेगा । इस बार भी बहुत कुछ जानने को मिला । सच में , आप की जानकारी अद्भुत है ।

घर भले ही छोटी हो पर उसकी सजावट सबसे ज्यादा मायने रखती है । इसके अलावा आप के बोलने का अंदाज , चलने का तरीका , आप के शरीर का हर एक मूवमेंट , कपड़े की च्वाइस किसी को प्रभावित करने में महत्वपूर्ण भूमिका निभाता है ।
वेरोनिका और सनवीर ने इस पर बहुत ही ज्यादा ध्यान दिया है ।

और इस से डिंपल गर्ल ही नहीं बल्कि कोई भी इंसान प्रभावित हो उठेगा ।

बहुत ही खूबसूरत अपडेट था वि जे भाई ।
आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग ।
 
Anky@123

Well-Known Member
2,061
6,872
143
Bahut hi shandar update tha bhai, sare kirdar jindgi ke safar me aage badte ja rhy hai, jald hi ek tharav aane wala hai, aesa lag rha hai, dimple ke man me feelings ghar kar rhi hai, dekhte hai kya ye sach me apne aap ko sabit ker payegi jab asli pariksha ki ghadi aayegi
 
Top