• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
Very nice update bro🙂
2 nae characters ko introduction karvaya apne Shivu&Chaya
brother sister
Shivu Sanvy ki skating se bohat impress howa ta or us k jaise hi karna chahta lakin her bar balance na bana pane pe gir jata ta uski behan ne bohat mana kara lakin suna nhi wo
at last Sanvy ko uski help karni pari
or us k samjhane k bad bht hi ache se skating ker li us ne
Chaya se chit chat hoi
or next time milne ka b bol rhi ti same place
Dimple kuch ajeeb feel kari jb us ke just friend kehne pe
Ab wo feeling kia ti wo khud use smjh nhi ai😂
Wahi jb wo age bari to 1 bar k liye nazar Sanvy pe tik gayi or agle hi pal jb Sanvy ki nazar uski nazar se mili to bs wahin tehar gayi wo or uske honthon ki wo madham muskurahat 1bohat dilkash muskurahat me tabdil ho gayi☺
Sanvy k reaction pe bs Jhalla hi keh di wo mtlb man me ludo phuta😂
Dosri taraf Veronica apne andaz k baraks khud ko helpless dikhayi or Arif ne b is moke ko ghanimat jan ker lapak liya
Bohat hi dhansu entry li rider ne or kia hi kamal action dikhaya kuch hi palu me
arif k bandu ko chaltaa kia
Or jb bat do do hath ki hoi to kia hi action diya must wali bajai arif ki uske jaise fighter ki wo halat kuch hi time me ker di jo bohat hi though ta
Or jb unki identity revealed hoi to wo koi or nhi balke apni principal madam damn kabhi socha na ta unka ye part b dekhne ko mile ga
arif ko jane diya lakin uski ghazab bezati unke dawara jb wo uske muh pe thuki to ab wo pagal kutte ki tarah unke peeche pare ga
Or is baar uska next target Sanvy ya Dimple hu ge
bohat hi normally kahin ye sari batain unhu ne ab waqt aa gaya hai k
Sanvy ko jhanchne ka k wo kitne pani me hai
kia hi turn liya story ne bina kisi doubt k next upcoming updates bohat hi interesting or thriller hone wale hain maja ae ga
We'll 1 baar phir se shandar update❤
Keeps going😊
thanks for the review brother...yunhi saath bane rahiye
 
vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
I knew it ...i knew it... Ye ranjana urf hmari dear principal sahiba kisi na kisi trha se linked thi Veronica se aur link tha ye unka veronica ki trha hi ek secret agent hona. Akhir jb jb sanvy ne apne tark unhe diye hmesha unke chehre pe ek smile hoti thi jaise ki wo jaanti ho aur unhone jaisa socha hua ho wahi sanvy ne kiya ho...sath me sam ko quiz ke liye bhejna sanvy ki jgha wo bhi is baat ko darshata tha ki wo bhi nhi chahti thi ki sanvy abhi samne aaye aur ye chhote mote cheezon me lge kyuki uska maqsad to in sab se bada aur khaas h...uski zindgi hi ek maqsad jo hone wali h...bahut khub wahi veronica ki acting bilkul oscar wali thi😂😂chahti to wo khud hi un sab ko khatam kr deti kuchh hi palo me yaha tak ki arif ko ranjana se bhi bura maarti pr yaha pr plan to kuchh aur hi tha ab tak sanvy ka jinse muqabla hua wo sab to school going bacche the ya fir arif reza ke bhai ke gunde baki sabse to veronica hi bheedi thi yaha tak ki arif ke bhai se bhi aamna samna usi ka hua tha ...pr ab wo check krna chahti h ki sanvy khud se ye sab kitna achhe se handle kr pata h kya uski training sahi disha me ja rhi h wo kitna taiyar ho chuka h. And i know jitna abhi tak hmne sanvy ko jaana ya dekha h uske hisab se to ye arif reza kahin se bhi uska opponent ho nhi skta h. Chlo khair dekhte h kya hota h ab aage kitna jaleel ho gya arif😂😂 btao aurto se peet kr aaya h jinko wo apne niche sulana chahta tha.. Bechare ki zindgi pr thu h hm to soche kuchh takkar to dega ye susra 4 -4 fighters ko maar rha tha apni practice tym pr to yaha fussi bomb nikl gya dubak rha tha susra apne sathiyo ko marta dekh kr😂😂😂😂...bhai ek baat to manni pdegi veronica alg hi khatarnak kism ki insaan h btao ranjana ne voice changer device thik se lgayi h ya nhi ye bhi bta diya😂😂😂bawal hi mcha rkha h. Use pakka ye bhi pta hoga phle se hi ki arif uske yaha daboxhne ka plan bna rha hoga tbhi ye sab plan krke aayi hogi wo wrna ranjana is waqt yaha nhi hoti balki hme veroniCa ation me khair is bhanae principal madam ki fight dekhne aur unke secret ka bhi pta chal gya👏👏✌✌..wahi sanvy aur dimple ke beech badhiya chal rha h. Sanvy ne ignore krenge hm jab tak nhi pategi wala weapon chla rkha h dimple pr bhai jis ldki ko dekhte hi logo ke hoshohwas gayab ho jate h use ye mahasay bhaav hi na de rhe kuchh bhi ..wo khud aa rhi baat krne to aise taal dete h ki maano kuchh h hi nhi ye 😂😂aur asr to hota hi in sab ka ya to agla bnda dur hi ho jana h ya fir is kadar pagal ho jana h ki tumhare alawa kuchh aur use dikhai hi na de fir aur yaha dimple ke sath dusra wala rule aa rha h aakhir aisa phli baar jo ho rha h uske sath aur sath me bnda bhi aisa jo samjh se hi pare h out of leak😂😂✌to kulbulahat to hogi hi andr hi andr..aur ab to jealousy bhi shuru hone lgi h😂😂😂sahi h lge rho sanvy miyaan✌✌👏👏👏😂waiting for the next...
thanks for the beautiful review brother..aage bohot se twist or turns hain..saath bane rahiye...
 
vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
Shool bichhe ho raahon mai ya angaro se jalta rasta hoga,
Agar Manzil Pani hai tujhe To isi par chalna hoga,

Ab waqt aagaya hai to tujhe is aazmaish se guzrna hoga,
Kitna qabil hai tu tujhe khud ko sabit karna hoga,

Bas itna samajh yeh ek talim hai abhi ke liye,
Aage tujhe isse bhi badi kasautiyon se jhujna hoga,

Pyaar ki izzat aur khud ki jaan daanv pe lage honge,
Har haal me jitna hai tujhe na koi dusra vikalp hoga,

Yeh to bas chhoti si ek chunauti hi tere liye "SANVEER" ,
Kya uss Jung ke liye taiyaar hai tu, yeh tujhe dikhana hoga,
beautiful lines brother..yunhi saath bane rahiye
 
vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
सनील आहार्य और उनकी पत्नी वेरोनिका आहार्य के बाद मैथ्यूज मैडम ने भी अपने चेहरे पर एक नकली चेहरा छुपा रखा है । विश्वास नहीं हो रहा है कि एक कालेज की प्राचार्या इतने लोगों को मौत के घाट उतार दी थी । पर उन्होंने ऐसा किया क्यों ? उन्होंने सनवीर की बातें कब सुन ली जो उसने रौनक को दिया था ?

इधर डिंपल गर्ल को सनवीर आहार्य के प्रति " कुछ कुछ होता है " जैसे फिलिंग आनी शुरू हो गई है । पर अभी पुरी तरह उसे पता नहीं है कि यह फिलिंग आखिर में है क्या ! शायद जल्दी ही इस बात का एहसास हो जायेगा कि वो सनवीर से मुहब्बत करने लगी है ।
और जिस दिन उनकी प्रेम कहानी का पता बाकी लड़कियो को मालूम पड़ेगा उस दिन बहुतों लड़कियों के दिल टूट जाने वाले हैं ।

आरिफ़ रेजा हो या कोई और रेजा हो , सभी तालाब की छोटी मछलियां हैं । बड़ी मछली से भिड़ने से पहले की तैयारी करवा रही है सनवीर की मां । G. O. D. से भिड़ने से पहले ।

आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग अपडेट वि जे भाई ।
जगमग जगमग अपडेट ।
dhanyawad bhai..yunhi saath bane rahiye
 
vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
Yeh chaal thi Veronica ki ek abla naari banne ki Arif Reza k saamne
Taki woh SANVAY k peeche jaye
Ranjana n mast dhoya Arif Reza ko
Bahot zaberdast
Dekhte h aage kia hota h or Arif Reza kia kerta h
Shaandaar lajawab update bhai

Superb Update bhai...

Wooohoooo super DUPER update

Mind blowing update bro

Super fantastic update bhai.....

Hats off to the Veronica as a mother who wants his child to be no 1in life with all the moral values and responsibilities but not in academics....

Awesome update

Extraordinary update bro,
Excellent fighting scene.

Awesome update bro.

वाह VJ भाई जब भी आते हो छा जाते हो और लाज़वाब कर जाते हो
शानदार जबर्दस्त जिंदाबाद

Superb as always

Superb update but short update 😁

Gajab, awsome, fantastic, marvelous, amazing, umda, dhansu, fadu...... ....... Update hai vj4u bhai. Maza a gya

Super duper update bhai... :hug:

Aarif Reza

Tu to Gyo

Thakar tu to gyo

Hahhaha

superb fantastic update bhai

Nice update

Bemishal update
Ab Sanvy kya karta hai dekhna hai or ARIF kya karta hai vo bhi

Beautiful and superb update bhai ☺️😊

Ultimate update bro maza aa gaya

Waiting for the next update

Nice update

Dhasu updates bro

Awesome or fabulous update VJ4 brother

Wah WaH Bhai EkDum DhaNsU UpDate
IsILiYe HuMISa InteZar Rehta HaI VJ BhAi Ki Update Ka

Zabardast update

jis second dekha DIMPLE ne SANVY ki taraf, theek ussi pal SANVY ki nazar bhi ghumi thi DIMPLE ki aur..

aisa hote hi apne aap rook gaye the DIMPLE ke kadam aur chehra..

chehre par uske ek behadh halki smile naach uthi thi..

kaafi door tha is waqt SANVY DIMPLE se..itni doori se saamne waale ki baarik smile dekhna next to impossible tha kisike liye bhi par aisa laga DIMPLE ko jaise itni doori hone ke baawjud saaf saaf dekh paa raha ho SANVY usse..

kyunki DIMPLE ke smile ke jawab me ek bright masti se bhari smile naach uthi thi SANVY ke face par jisse dekh DIMPLE ke face ki smile bhi apne aap hi badi ho gayi aur sir shake karte hue ek hi shabd nikla uske mooh se..

DIMPLE-"JHALLA"....

जुबां ख़ामोश होती है,
नजर से काम होता है

इसी पल का ज़माने में
मोहब्बत नाम होता है

Amazing update

Marvelous update Bhai superb

Nice update bhai

Super update hai Bhai

Awesome update bro

Kya baat he yaaar bahot hi shandar update he.

Awesome update

Nice update

Awesome update bhai waiting for next update

Awesome fantastic bro.raaj khulne ki shuruwat ho gayi

i'm new reader! Fantastic story hai bhai agly update ka intezar rahega

AWESOME UPDATE

Super update dost
thanks brothers..be along...
 
vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF DIMPLE SANVY KE LIYE UTH RAHE APNE MAN KI AJEEB FEELINGS KO SAMAJH NAHI PAA RAHI HAI WAHIN DUSRI TARAF RANJANA MATTHEWS ARIF REZA KO MAARKAR BHAGA DETI HAI.

AB AAGE:-

CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)

UPDATE-49

5TH JULY

CITY-MASOORIE

PLACE-THE ROFT BASEMENT

SAAY,SAAY,SAAY,SAAY,SAAY.....

THAKKK...THAKKKK....THAKKKK.......

pichle aadhe ghante se teen wooden trunks ke beech khade ho unpar alag alag angles se apna favourite hand combat weapon NAN CHAKU chala raha tha shirt less ARIF REZA...

aur ye silsila bas aaj ka nahi tha...1 taarikh ko jo hua,uska asar behadh gehra pada tha ARIF REZA par.

koi uspar bhari nahi padh sakta,ye soch nahi thi uski par itni asaani se koi paar paa lega usse,ye sapne me bhi nahi aaya tha ARIF ke dimag me.

kayi saari fighting techniques me maahir ARIF REZA ke ego ko zamin ke andar dhasa diya tha us gumnam RIDER ne...

par us zakhm se zyada asar VERONICA dwara diye gaye us ghaaw numa thappad aur mooh par thook numa namak ka pada tha ARIF par...

woh scene kisi live moment ki tarah abhi bhi jeevant tha ARIF REZA ke aankhon ke saamne.

kehte hain ki jab frustration aur insult ek saath haunt karne lage toh paseena bahao...

physically exhaust karo khudko.. wahi kar raha tha ARIF pichle 4 dino se..

"IF YOU PRACTICE WHAT YOU HAVE ALREADY MASTERED,YOU ARE IN THE ROAD OF PERFECTION"...

issi quote ko filhal jee raha tha ARIF REZA...

NAAN CHAKU chalane me maharath haasil thi usse...ache ache martial artist ko apne is yudh kala se dhul chata chuka tha ARIF..

yahan tak ki high speed SWORD ko bhi bade araam se block kar deta tha ARIF apne NAAN CHAKU chalane ke skills se...

pichle 4 dino se lagatar non stop apne kayi aadmiyon ko naan chaku se ghayal karne ke baad ab 3 heavy trunks par practice kar raha tha woh is skill ko..

itni zyada speed thi ARIF ke naan chaku ki ke sirf uska haath hi nazar aa raha tha paas khade uske aadmiyon ko..

BBHAI....

pichle 2 minute se paas hi khade MANGAL ne finally apne dar ko zabt karte hue pukara tha ARIF ko jispar tufaan bane apne naan chaku ko right palm se hold karte hue turant palta ARIF MANGAL ki taraf..

uski athletic body jo paseene se ab tak puri naha chuki thi,har nas uske upper body ka jaise bahar aane ko tha..

itne intense training ki wajah se saansein thodi tez thi ARIF ki jisse niyantrit kar woh bas MANGAL ko dekh raha tha.

wahin ARIF ke ghurne se sehem uthe MANGAL ne kisi tarah khudko niyantrit kiya aur...

MANGAL-bhai us bike rider ke baare me toh kuch bhi pata nahi chal paa raha hai..

MANGAL ki baat sun ghura usse ARIF ne jispar sehem gaya woh aur..

MANGAL-bohot koshish ki bhai... department me jo bande hain apne,unse tunnel ke aage piche lage C.C.T.V camaras ko check karwaya maine par kuch nahi mila...

koi pura gear pehne rider dikha hi nahi kisi futtage me...

MANGAL ki baat sun ghussa saaf dikhne laga tha ARIF ke face par jisse dekh...

MANGAL-par ek achi khabar hai bhai...kal SIRIUS school senior students ko 2 din ke kisi educational camp ke liye yahin MASOORIE ke old road me bane kisi ashram me laa rahi hai...

woh loundiya aur woh lounda, dono pakka aayenge us trip par...

is nayi baat ko sun in beete chaar dino me ye pehli baar tha jab ARIF ke face par ek halki si muskan jaagi thi par ye muskaan itni zyada negetive thi ki usse dekh MANGAL man hi man aur dar gaya tha..

gang ka ek aadmi jo touliya lekar khada tha,usse le apne badan ko pochte hue ek chair par baith gaya ARIF aur..

ARIF-us lounde ke saamne beech se faadunga mai us loundiya ko aur uske baad...

mujhe thappad maara tha us lounde ki MAA ne aur mere chehre par...

woh haalath kar dunga mai us lounde ki ke kutto ko bhi uska gosht khaane se ulti ho jaayegi...

NEXT DAY:-

PLACE-SHANSHASHI ASHRAM

1ST-"THE BODY IS YOUR TEMPLE. KEEP IT PURE AND CLEAN FOR THE SOUL TO RESIDE IN. –B.K.S IYENGAR"...

2ND-"YOU HAVE TO GROW FROM THE INSIDE OUT. NONE CAN TEACH YOU, NONE CAN MAKE YOU SPIRITUAL. THERE IS NO OTHER TEACHER BUT YOUR OWN SOUL. – SWAMI VIVEKANANDA

3RD-"LIVE QUIETLY IN THE MOMENT AND SEE THE BEAUTY OF ALL BEFORE YOU. THE FUTURE WILL TAKE CARE OF ITSELF…… ― PARAMAHANSA YOGANANDA....

in teen world renowned quotes ko joki saamne bade se wall par likhe hue the,padha SAM ne...

aaj ek overnight camping stay ke educational trip me par yahan as in old masoori road par bane SHANSHAHI ASHRAM aaye the SIRIUS ke senior batches..

ek alag hi tarah ka educational campaign tha ye jisme hamare desh ke do sabse prachin pehlu par practically participate karne ke liye laaya gaya tha students ko is gigantic ashram me...

khair,apni baat ko aage badhate hue...

SAM-yunhi toh in sabko legends nahi bolte.

ye wise words inki life ko lekar deep, positive aur valuable thinking bataate hain...

saath hi khadi puri group jisse bas SANVY hi nadarad tha,kahi thi ye baat SAM ne..

DIMPLE-true.par usse important question ye hai ki ye teeno qoutes hi kyun is wall par lage hain..

i mean,is pure ashram ke har wall par joki i think 100 se bhi zyada hain,sab par qoute hai par one per wall.

par yahan yog kaksh me face view wall par ek saath teen qoutes lage hain..kuch toh logic hoga..

NITS-arre bhai pehle ye AYURYOG camp ka logic samjhao.

matlab ayurveda samajh me aata hai,yog bhi pata hai par in dono shabdon ka cocktail kaahe banaya gaya hai...

YOG, DHYAAN AUR AAYURVEDIK GYAAN KE SANYOJAN KO AYURYOG KEHTE HAIN...

YOG KE AASANO KE ANDAR AYURVEDH KE CHIKITSA SIDHANTO KO LAAGU KARAYA JAATA HAI.YEH ADVITYA VYAKTI AUR PRAKRITI KE PAANCH TATWON PAR KENDRIT HOTA HAI...

KIRTI DESAI...1 saal senior thi ye.. hindi aur English,dono hi language me inki pakad next level ki thi..

SAM and group ke piche hi khadi thi KIRTI jinhone diya tha ye jawab jisse sun DIMPLE,RASHI aur KHANAK toh impress hui par baaki sab joki purane students the, mooh tedha ho chuka tha un sabka..

reason..

kabhi nahi bana tha KIRTI ka SAM ke group se aur khaaskar SANVY se..

apne batch ki topper hone ke saath saath kuch zyada hi niyamo ko maanana aur apne saath sabko un rules ko follow karwana ek non detachable aadat thi KIRTI ki.

par SAM & group aur khaaskar SANVY KIRTI ki soch se bilkul ulat the...

kayi baar free days me monitoring karne aayi thi KIRTI inki class me jahan apni masti aur free will attitude se dimag kharab kiya tha uska SAM & group ne...

upar se SANVY jisse gyan dena bhains ke aage bin bajaane ke jaisa hai,woh karne ki naakamiyab koshish ki thi KIRTI ne jiske baad uske hi gyan chakshayu khol diye the SANVY ne..

upar se jitni maar peet usne aur uske doston ne kiye hain,baaki sabki tarah KIRTI ko bhi khabar thi is baat ki isiliye zyada chidh thi usse is pure mandali se..

koi mouka nahi chhodti thi woh in sabko down dikhane ki.

in sabke maamle me khud apne discipline waala rule bhul jaaya karti hai woh..

jaante the baaki sab ki abhi bhi KIRTI aisa hi kuch karegi isiliye pasand nahi aaya tha kisiko uska bolna..

BOHOT ACHE...

ACHARYA PRATHAMESH....

SHANSHAHI ASHRAM ke sabse bade YOG guru the ye joki is waqt kuch aur yog gurus aur unke shishyon ke saath KIRTI ke just piche khade the..

aur unhe dekh SIRIUS ke sabhi students aur unke saath aaye teachers attention position me aa chuke the..

wahin apni baat bol thoda aur aage aaye PRATHAMESH aur..

PRATHAMESH-ek top convent school student ke liye ayuryog ke matlab ki itni vistarit jaankari rakhna wakayi badi baat hai..

EK TOP CONVENT STUDENT KE ITNE BADE AYURYOG GURU BANANE SE BADI BAAT TOH NAHI HO SAKTI...!!!

ACHARYA PRATHAMESH ki taarif par SAM and group ki taraf ghamand se dekh smile kar hi rahi thi KIRTI ki tabhi padi uske aur baaki sabke kaano me ye awaaz joki meri thi jisse sun jahan ek taraf teachers aur baaki sab ka mera yun acharya ki baat ko kaat beech me bolna kaafi shouk kar gaya tha wahin dusri taraf naa sirf KIRTI ki smile gayab hui balki mera yun interfere karna usse ghussa bhi dila gaya..

PRATHAMESH-SANVEER...kaise hain aap...???

aage badh pair chhua tha maine ACHARYA PRATHAMESH ka jispar bade sneh se mere sir par haath fera tha unhone..

par unke mere liye gesture ko dekh KIRTI ke saath saath baaki sab including mere friends bhi shocked hue the...

par dhyan na maine kisi par diya aur naahi ACHARYA PRATHAMESH ne..

mujhse bade sneh se milne ke baad mude woh mere doston ki taraf ya phir ye kahun ki new girl ki taraf aur...

PRATHAMESH-aapki soch aur sawal sahi the...kaaran hain in teen quotes ka is diwaar par hone ka...

par mai chahunga ki jisne is sawal ka jawab bin sawal puche hi pehli baar me de diya tha,woh aaj bhi de...

meri taraf dekhte hue kahi thi ye baat acharya ne jispar halka muskuraya mai aur...

ANJANEYASANA

ANJALI MUDRA

GARUDASANA

teeno quotes yog ke in teen asanas ko highlight karte hain..

pehla quote..

THE BODY IS YOUR TEMPLE. KEEP IT PURE AND CLEAN FOR THE SOUL TO RESIDE IN..

kisi mandir me bhagwan ke aage haath jodne ki tarah ANJANEYASANA asana me human creation ke sabse bade source as in SUN ki taraf pure sharir ko strech karkar haath upar ki aur kar joda jaata hai...

jaise quote me sharir ko swatch rakhne ki baat kahi gayi hai,theek waise hi is pose ke through hum apne heart ko unbind kar open karte hain taaki khudko us divine power ke saath AATMA tak connect kar saken..

second quote...

YOU HAVE TO GROW FROM INSIDE OUT. NONE CAN TEACH YOU, NONE CAN MAKE YOU SPIRITUAL. THERE IS NO OTHER TEACHER BUT YOUR OWN SO.

quote ki tarah isse juda aasan bhi kaafi simple hai...ANJALI MUDRA..

jaise quote ke anusar AATMA se bada koi teacher nahi,ussi tark par is mudra me haath jod antardhyan ho apni AATMA se juda jaata hai taaki us AATMA ke through hume banane waale ko is zindagi ke liye thanks kaha jaa sake,apni respect diya jaa sake aur ussi aatma ke through dil se hote hue us parmatma se aashish liya jaa sake...

teesra quote...

3RD-"LIVE QUIETLY IN THE MOMENT AND SEE THE BEAUTY OF ALL BEFORE YOU. THE FUTURE WILL TAKE CARE OF ITSELF……

thik is quote ki tarah GARUDASANA as in kisi eagle ki tarah tez nazar ka pratik maana jaata hai..

jaise ek garud ki nazar se kuch nahi chhupta waise hi is pose ke through hum apne antarman aur bahar har taraf saaf saaf dekhte hain..

saath hi saath is asana me garud ki hi tarah khudko earth aur spiritual plane ke beech udte hue mehsoos kar sakte hain...

jaise ek garudh aasmaan ki unchayi par jahan aur koi nahi hota,phir bhi shaant rehkar bas nazar rakhta hai,pure sayyam se theek waise hi GARUDASANA bhi hume patience aur focus sikhata hai jo hamari AATMA aur sharir ko ek karta hai...

ye teeno hi quotes jin teen aasan se jude hain,un sabme ek chiz common hai..

DIMPLE-AATMA..

MAI-right..aatma..aur wahi in teen asanas aur quotes ka base point hai..

to refine your soul..kyunki yahi woh tarika hota hai jo sabhi insaan ko in qoutes ko bolne waale mahan logon ki tarah sahi maayno me insaan banaye rakhta hai...

kuch dino pehle ATTITUDE class me mile topic par jo shayri boli thi new girl ne,usse hi ghumakar aakhir me bola tha maine jisse sun ek bright smile naach uthi thi uske face par jisne is jagmagate din ko bhi aur roshan kar diya tha..

waise ye brightness toh bas uski moujudgi se hi khil uthi thi...

is trip ka koi dress code nahi tha..sabne apni marzi ka pehna tha joki casual wear tha siway mere aur new girl ke..

jahan maine half sleeve shirt based white kurta pehna tha wahin new girl ne safed suit pehna hua tha..

khuda kasam,khud khubsoorati bhi itni khubsoorat nahi ho sakti jitni khubsoorat is hindustani paridhan me new girl lag rahi thi.

nazar uspar naa theher jaaye, isiliye ab tak hazar jatan kar chuka tha mai par ab jo muskurayi woh toh kuch palon tak lagatar usse dekhne ki gustakhi kar hi baitha mai..

wahin mere saare jawabon se super impressed new girl ki nazarein bhi waise toh mere liye taarif me chamak rahi thi par meri nazaron ki gustakhi shayad padh liya tha uski aankhon ne isiliye hi toh khabar tak na hui usse ki kab uski uthi hui taarif-e-nazar haya se neeche baith gayi...

ACHARYA-bilkul sahi..aur aap sabka aaj ka pehla karya yahi hai..

in quotes se jude teeno hi asanas ANJANEYASANA,ANJALI MUDRA aur GARUDASANA,in teen aasano ko yahan yog kaksh me practice karni hai aap sabko...

iske baad aashram ke pashchim me bane baag me jaana hoga aapko jahan aap sab aayurved ki jadi butiyon ka gyan lenge..

future me emergency situations ke waqt un jadibutiyon ka gyan bohot kaam aayega aapko..

par pehla kaam pehle...

10,10 ki line ke hisaab se khade ho jaayiye sab..

mats pehle hi lag chuke the jinpar acharya ji ke kahe mutabik agle 2 minutes me hum sab alag alag lines me khade ho chuke the..

last 3rd row me start se third position par mai khada ho chuka tha par aisa karne ke kuch pal baad thoda sa surprise mila tha mujhe.

aur woh isiliye kyunki new girl jisse hamesha first row me baithne ki aadat thi,woh aaj mere exact right side ke mat par khadi thi..

halke shock se dekha tha maine uski taraf.

mere shock ka kaaran pata tha new girl ko par shayad apni is harkat ka reason khud uske paas bhi nahi tha.

chehre par uske confusion is baat ki gawahi thi..

par apne is confusion bhare state me ek chiz par gour nahi kar paayi thi new girl...

KIRTI theek uske piche waale mat par khadi thi aur uske face par jo expression the,woh new girl ke liye positive nahi the..

darasal new girl ne jab se SIRIUS join kiya hai,uske past achievements ki wajah se kaafi popular hai woh.

upar se ATTITUDE class me uska debate performance bhi kaafi saraha jaa raha hai..

but most importantly,uski khubsoorati jiska diwana sirf hamare batch ka nahi balki har senior batch ka banda hai..

beauty with brains ka combo deadly bhi hota hai aur dusri ladkiyon ke man me paida hone waale jealousy ka kaaran bhi..

aur KEERTI bhi is feeling se acchuti nahi thi..

upar se aaj, kuch der pehle mere quotes defination ke baad AATMA waala jawab KIRTI deni waali thi par usse pehle hi new girl answer bol uthi thi jispar ACHARYAJI ki aankhon me uske attentiveness ko dekh prashansha thi..

ye KIRTI ke jealousy waali aag ko hawa dene ke liye kaafi thi..

kuch negetive karna chahti thi woh new girl ke saath aur isiliye hi uske piche khadi thi KIRTI...

khair,ACHARYA PRATHAMESH ke saath jo shishya the unke,unme se ek aage aaye aur sabse pehle ANJANEYASANA aur phir GARUDASANA karne ka tarika bataya hum sabko unhone..

kyunki ye dono hi aasan physically stretch hona demand karte the, isiliye khade aur kneel hokar hum sabne kiya tha in dono aasano ko..

par is beech bhi new girl joki ek gymnest thi,uski stretching baaki sabhi se behtar thi jisse dekh saamne hi khade ACHARYA PRATHAMESH ki aankhon me ek baar phir prashansha ke bhaav ujaagar ho gaye the..

KIRTI ne bhi dekha tha us bhaav ko jiske baad uska face thoda aur sakht ho chala tha...

ACHARYA-ANJALI MUDRA ke liye paalthi maar kar baithiye..

naabhi se lekar kanth tak ek seedh me sharir ko sthir kijiye..

netra band kar jo bhi aradhya hain aapke,sirf unhe yaad kijiye..

naa koi moh,na koi khawahish.koshish kijiye ki kisi bhi tarah ki bhaavna ka janm aapke mastishk me naa ho..

jaise hi us acharya ne apni baat khatm ki,sabhi students apne apne mat par baithne lage aur ye dekh KIRTI ke face par ek evil smile naach uthi..

usse ANJALI MUDRA aasan ko karne ke tarike ka pehle se hi andaza tha..

yahi wajah thi ki uska haath uske hand bag me jaa chuka tha aur jab woh haath bahar aaya toh uske beech ink ki ek choti si bottle thi...

unlike others, KIRTI ball pen se nahi balki ink pen se likhti thi isiliye ink ki choti bottle woh hamesha carry karti thi par aaj ye ink kuch aur kaam aane waala tha.

isse pehle ki new girl neeche baiththi, KIRTI ne haath me pakdi ink thoda aage jhukte hue uske mat par daal di par tabhi.....

new girl neeche baiththi, usse pehle hi kisike haath ne uske kamar ko gher liya tha.

ye mera haath tha...

isse pehle ki woh kuch samajh paati, usse lete hua naa mai sirf ghum gaya balki halka neeche hote hua mat palta diya tha maine....

ghumne ke beech mat par lagi ink dekh li thi new girl ne aur jab tak woh kuch kehti mai KIRTI ke saamne pahunch chuka tha....

MAI-khud ka daaman maila hai toh iska ye matlab nahi ki dusron ke kapdo ko ganda karo....

yaad rahe ki SANVEER ke frnz se bhidna matlab SANVEER se bhidna.....

aur SANVEER se bhidkar hota kya hai,iski khabar toh hogi hi tujhe....

and babes, don't even think to get extra credit of being the opposite gender....

KIRTI ke aankhon me jhaank kar kahi thi maine ye saari baat jiska matlab samajh and most importantly meri sacchayi bohot ache se jaanti thi woh..

isiliye bina palak jhapkaye chupchap sunti rahi meri baatein KIRTI..

agle hi pal mai apne mat par khada tha..is beech new girl ne suni thi meri aur KIRTI ki baat jispar sir shake karte hue smile karne lagi thi woh...

khair,ANJALI MUDRA start ho chuka tha jiske shuru hote hi sabki aankhein band ho chuki thi...

kuch students ka ek minute me, kuch ka 2, kuch ka teen minute me hi concentration jawab de gaya tha.

kuch hi students the jinhone ANJALI MUDRA ke dhyan awastha ke 5 minute cross kiye the..

in kuch students me SAM aur DIMPLE bhi the...

par ek time ke baad bache students ki aankhen bhi khuli jjske baad sabhi students apni apni jagah par khade ho gaye..

KIRTI-sir, SANVEER gayab hai..he left while everybody else was meditating..

ACHARYA kuch kehne hi waale the ki tabhi KIRTI ki baat sun DIMPLE aur baaki sab ka dhyan SANVEER jahan khada tha,us mat par gaya.

gayab tha woh wahan se...

ye dekh KIRTI ki baat par teachers kuch kehte par tabhi..

PRATHAMESH-SANVEER ko maine hi bheja hai kisi kaam se...

jahan ACHARYA PRATHAMESH ki baat sun teachers ke paas kuch kehne ko bacha nahi tha,KIRTI man masos kar reh gayi thi wahin DIMPLE ko ACHARYA ki baat sach nahi lagi thi..

ANJALI MUDRA ke beech SANVEER ko kaam se bhejna,logic jo nahi tha is baat me..

ACHARYA-aayiye,ab hum aushadhi baagh ki taraf jaayenge..

ashram ke uttar disha me bane ayurvedic medical plants ke garden ki taraf badh chale the sabhi students...

BRAMHI,CHIRAYATA,ADUSA,LAJOULI,KANTHKARI jaise aur bhi durlabh ayurvedic aushadhiyon ke poudhon se bhara pada tha ashram ka bada sa baagh..

un saare poudhon ke naam,unke goon khud ACHARYA PRATHAMESH ne bataya tha sabhi students ko...

waise toh english medium woh bhi SIRIUS jaise international school ke bacchon ke liye ayurvedic aushadhiyon ki shiskha lena boring hota hai par jis interesting tarike se ACHARYA PRATHAMESH ne saare students ko un aushadhiyon ki importance aur value bataya tha,kaafi focused hokar aur interest lekar suna tha sabhi ne us topic ko...

par is beech sabse zyada focused rehne waali DIMPLE ka dhyan kaafi bata hua tha..

baar baar uski nazar baagh ke entrance ki taraf ghoom rahi thi..

aisa nahi tha ki woh ACHARYA PRATHAMESH ki baat sun nahi rahi thi par dhyan uska bata hua sa tha..

PRATHAMESH-aaj ke liye itna hi..ummid hai ki hamare hi desh ki do prachin dharohar, ayurved aur yog ke baare me jaankar acha bhi laga hoga aur inki mahatvata ka bodh bhi hua hoga aap sabko...

aap sabke lunch ki vyavastha ashram ke udyan me ki gayi hai..

jaaiye aur bhojan kijiye.

apni hi tarah se class disperse kar diya tha ACHARYA PRATHAMESH ne jiske baad sabhi students standard lines ke accord baagh se nikalne lage..

SAM and group toh is pure douran saath hi tha jo ek dusre se baat karte hue aage badh chuke the.

DIMPLE bhi thi unke saath par kuch baat karni thi usse ACHARYA PRATHAMESH se isiliye baakiyon se dheere dheere alag ho gayi thi woh..

wahin ACHARYA PRATHAMESH apne shishyon ko kuch samjha rahe the jiske baad unke shishya ek disha ki taraf badh gaye..

akele the ACHARYA PRATHAMESH aur ye dekh DIMPLE turant badhi thi unke taraf..

is waqt peeth thi unki DIMPLE ki taraf..unke paas aakar rook gayi thi DIMPLE par kahe kya, yahi soch rahi thi woh...

PRATHAMESH-hriday ki vyagrata aksar dhyan bhatka deti hai..yog kaksh me aap jitni ekaagra thi,is baagh me utna hi vichlit tha aapka man...

kaaran SANVEER ki anupastithi toh nahi hai..!!! isiliye aayi ho aap yahan taaki jaan sako, aakhir hain kahan woh..

jo puchna chahti thi DIMPLE,woh pehle se hi jaante the ACHARYA PRATHAMESH...

unki baat sun man hi man hadbadayi woh par phir khudko shaant kiya usne.

DIMPLE-jee..aur yog class me aapne kaha tha ki aapne bheja hai usse kisi kaam se..!!!mujhe nahi lagta aisa kuch hai...!!!

DIMPLE ki baat sun uski taraf muskurate hue palte ACHARYA PRATHAMESH..

PRATHAMESH-kaaran..!!!jis kaaran se SANVEER yahan nahi hai,woh kaaran kisi bhi kaksha me rehne se zyada zaroori hai...

DIMPLE-mai samjhi nahi...

PRATHAMESH-saath aao...

ye bol ek dusri disha ki taraf badh gaye PRATHAMESH jinke piche piche DIMPLE bhi ho li thi...

DIMPLE-aap kaise jaante hain SANVY ko...???

baagh se nikal ek disha ki taraf badhne ke beech apne jigyasa se bhare man ka pehla sawal pucha tha DIMPLE ne ACHARYA PRATHAMESH se..

PRATHAMESH-ussi kaaran ki wajah se jahan hum abhi jaa rahe hain...

DIMPLE-yog ke beech woh chala gaya aur phir aushadhi baagh bhi nahi aaya woh,kya ye GALATH nahi laga aapko...

PRATHAMESH-jab kaaran sahi ho toh koi kadam GALATH nahi hota..

waise bhi, SANVEER ko is ashram ke har yog asana aur aushadhi ke baare me pehle se pata hai..

jo aap sabne aaj jaana,sikha,uska gyan SANVEER ko pehle se hai..

DIMPLE-aap kabse jaante hain usse...???

PRATHAMESH-7 mahine se...

DIMPLE-ghumne aaya tha woh yahan..???

PRATHAMESH-kisiki jaan bachane...

DIMPLE-matlab...!!!

PRATHAMESH-jawab saamne mil jaayega...

chalte hue ashram ke VRIDHA VAAS ki building ke paas pahunch chuke the ACHARYA PRATHAMESH aur DIMPLE..

apni baat keh us building ke saamne bane bade se gate ke andar chale gaye the PRATHAMESH jinka anusaran karte hue DIMPLE bhi aage badh chuki thi...

agle minute woh dono buildings ke andar the..kaafi saaf suthra aur sabhi zarooraton se bhara hua tha woh building..

is teen manzila building me rooms system the aur har room me kul 2 log rehte the...

300 se zyada buzurg rehte the is VRIDHA VAAS me... building ke entrance me hi ek chota sa mandir bana tha jiske baad gallery se hote hue rooms bane hue the..

dusri taraf ek bada sa garden tha jahan sabse zyada waqt beetate the saare buzurg..

par kyunki abhi dopahar ka waqt tha isiliye building me rehne waale saare log apne apne rooms me the...

khair, ACHARYA PRATHAMESH gallery me chalte hue left se last room ke khidki ke saamne rook gaye..

woh khidki khuli hui thi,uske bahar hi rook andar ka nazara dekh smile naach uthi thi unke face par..

same expressions DIMPLE ke face par bhi ubhre jab ACHARYA PRATHAMESH ke piche se saamne aate hue room ke andar ka scene dekha usne..

is waqt SANVEER ek bed par baitha hua tha..godh me uski ek budhi aurat thi joki so chuki thi ya phir te kehna sahi hoga ki unke safedh baalon ko sehlate hue SANVEER unhe sula chuka tha..

is scene ko dekh smile kar hi rahi thi new girl ki tabhi uske face se smile gayab ho gayi..

reason..

us budhi aurat ke baal ko sehlate waqt aankhen SANVY ki band thi par un band aankhon ke kinaaron se aansu ki ek ek lakeer neeche gir rahi thi..

SANVY ko aisa bhi dekhegi, kabhi nahi socha tha DIMPLE ne..

turant ghumi uski nazar PRATHAMESH ki taraf jo shayad pehle hi DIMPLE ki nazar aur sawal samajh chuke the..

PRATHAMESH-ASHA..ASHA KASHYAP naam hai us aurat ka...

2 saal pehle uske jawan bete aur bahu ki ek accident me death ho gayi thi..

mortgage loan tha sir par woh bhi bina insurance ke isiliye bik gaya inka ghar..

aur koi kareebi tha nahi inka par ek pehchaan waala tha jisne inhe yahan chhod diya...

ghar jaane ka gum bilkul nahi tha inhe par jawan bete aur bahu ki mout ne unhe maansik aaghat pahunchaya tha..

lagatar doure padte the inhe... aashram me upchaar kendra bhi hain jahan yurvedic upchaar ho raha tha inka par faayda kuch nahi ho raha tha..

jab koi aas paas nahi hota tha toh aashram se bhaag jaati thi ye..kayi baar accident ho chuka tha inka...

ek aur hone waala tha 7 mahine pehle...

SANVEER tha us car me..uski MAA chala rahi thi car jab ASHA achanak se hi unki car ke aage aa gayi..

par naa woh accident hua aur uske baad kabhi accident ki noubat aayi hi nahi..

car se nikal jab SANVEER bahar aaya toh ASHA ke dono haath thaame isne..

ADARSH....yahi naam tha ASHA ke bete ka..jaise hi SANVEER ne chhua inhe, SANVEER ko dekh ADARSH naam nikla tha inke mooh se..

SANVEER ke chehre ko pakad apne bete ka naam lete hue rone lagi thi ASHA.

aur ye baccha,bina kuch jaane hi jaise sab samajh gaya..

"MAA"...bas itna hi kaha tha isne ASHA se aur shayad itna hi kaafi tha.

agle hi pal ek aisi sukoon ki hawa chali ASHA ke dimag me ki woh SANVEER ke baahon me hi behosh ho gayi..

ASHA ke piche ASHRAM ke kuch log pahunche the wahan jinke saath yahan ashram me lekar aaya SANVEER ASHA ko...

jab hosh aaya ASHA ko toh uththe hi apne bete ka naam lekar chillane lagi thi ye par saamne SANVEER ko dekh naa sirf shaant ho gayi balki dedh saalon me pehli baar khul ke muskurayi thi ye...

SANVEER ke saath us muskaan ko pehli baar maine tab hi dekha tha..

us din se SANVEER har hafte aata hai yahan...aur jab bhi aata hai toh ASHA isse khudse door nahi hone deti..

isiliye hi yog kaksh se turant wapas yahan aaya tha ye...

pata hai,jab mujhe pata chala ki hua kya tha aur phir SANVEER ne mujhe bataya ki woh SIRIUS ka student hai toh chinta hui thi mujhe.

mujhe laga tha ki SANVEER yahan phir nahi aayega aur agar aisa hota toh ASHA ki haalath aur kharab ho jaati par aisa hua nahi..

pehle mahine SANVEER kisi bhi waqt roz aata tha yahan aur jab ASHA ki maansik haalath sahi hone lagi,uske baad se har hafte aata hai ye yahan..

aur sabse achi baat ye hai ki iske yahan aane ka kaaran zimmedari nahi balki prem hai...

woh prem jo samajh aa jaaye toh usse saral koi bhavna nahi aur jo na samajh aaye toh usse jatil bhi aur kuch nahi..

ye line DIMPLE ke liye kahi thi ACHARYA ne par dhyan is waqt DIMPLE ka SANVEER par hi tha jo filhal bed se uth chuka tha aur apni us dharm MAA ASHA ko blanket odha raha tha..

ACHARYA PRATHAMESH-chalna chahiye hume...tumhe yahan dekhna shayad SANVEER ko acha na lage..

ACHARYA ki baat sun unke saath ho li thi DIMPLE..

kuch hi der me us VRIDHA VAAS ki building se nikal jahan SIRIUS students ke lunch ready kiya gaya tha,us disha ki taraf badh chale the woh dono.

par is dauran bohot shaant ho kuch soch rahi thi DIMPLE jisse dekh..

PRATHAMESH-kya soch rahi ho..???kya koi sawal reh gaya..!!!

DIMPLE-sawal hai par abhi abhi bana hai.!!!

PRATHAMESH-kya..??

DIMPLE-yahi ki humanity ko agar lekar chalen toh SANVY ne jo kiya woh bohot sahi hain par jaise woh abhi tha un lady ke liye,it was like ki woh wakayi MAA hon uski..

joki hai nahi..apni MOM ke liye dikhaane waale devotion woh kisi aur ki MOM ke liye show kar raha hai..!!!kaise..???

HAHAHAHA..

has pade the ACHARYA PRATHAMESH DIMPLE ke sawal par jisse dekh..

DIMPLE-kya kuch GALATH kaha maine..??

PRATHAMESH-bilkul nahi..tumne wahi sawal pucha jo SANVEER ko ASHA ke liye lagatar karta dekh kabhi mere ek shishya ne usse pucha tha..

DIMPLE-toh kya jawab diya tha phir SANVEER ne...???

DIMPLE ki baat sun ACHARYA PRATHAMESH jaise us pal me chale gaye the jab SANVEER ne apna jawab diya tha.

aur us jawab ko yaad kar unke face par apne aap hi SANVEER ke liye sneh aur samman ke bhaav ek saath jaagrit ho gaye the..

us pure jawab ko kuch yun yaad kiya PRATHAMESH ne maano agar us answer ko waise naa diya unhone jaisa SANVEER ne diya tha, toh un shabdon aur un shabdon ke piche chhupe bhaavnaon ka kahin apmaan ho jaayega...

jawab yaad kar ek lambi saans chhodi unhone aur...

PRATHAMESH-

MAA TOH BAS MAA HOTI HAI....

zindagi ke kadwe ghoont nigal hume chashni ki sharbat PILAATI HAI...

ek haath se thappad maar dusre haath se roti KHILAATI HAI...

dil chhalni bhi kyun naa ho raha ho,bas hamari khaatir MUSKURAATI HAI...

haasil kuch nahi hota par hum par apni duniya LUTAATI HAI...

apne hisse ki khushi dekar humare hisse ke aansu ROTI HAI...

kaise karun fark dharti ke KHUDA me,

kisi ki bhi ho,MAA TOH BAS MAA HOTI HAI....

pyar jo ek sa hai,usme bhedh DIKHAUN toh DIKHAUN KAISE.??

jab mamta ka roop hi ek hai phir fark SAMJHAUN toh SAMJHAUN KAISE.??

jis naam ka paryaya bana nahi,usse alag BULAAUN toh BULAAUN KAISE.??

jiske kadmo me hi jannat hai,uske sir-e-mukaam ka andaza LAGAAUN toh LAGAAUN KAISE.??

jo hamare jaagne se pehle jaagti hai aur hamare sone ke baad SOTI HAI...

hum hamesha haste rahe,iske liye jo khud ki saari khushiyan KHOTI HAI...

yahi bas ek rishta hai jiske liye rishte ki zaroorat nahi..

kyunki kisi ki bhi ho,MAA TOH BAS MAA HOTI HAI...

AAJ KE LIYE ITNA HI...

AAPKA APNA V...J...
 
ABHISHEK TRIPATHI

Well-Known Member
6,414
28,383
218

Excellent update
 
Top