• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
Arif kia fight kari jaa maela iski maa
ka😲
un charo mastandu ko buri tarah se do
dala impressive
Sanvy&Dimple se jankari nikalwa rha kameena or Dimple ki pics dekh k laar tapka rha or us pe sone pe suhaga
Veronica ji ki pic dekhte sath hi ankhen chundeya gayi kameene ki
kia bol rha ta k iska pati mar gaya acha howa nhi to main mar dalta aa ji ghanta
koi kuch b ker jai ga baap ka raj thori hi hai milne ka bol rha chalo iska b time kareeb hai ulta isi ka lawda jb iski apni gand me ghuse ga tab maja ae ga😁
bht bari galati karne ja rha ise khud b nhi pta
wahin dosri or poori mandali enjoy karte howe sabhi sath sath backchodi palte howe mast maje le rhe
Anjali ko thora satate howe Sanvy us k maje le rha ta lakin bad me khud hi us k sath ho liya
Anjali ka bolna k Maa boli hu gi is bat pe Dimple ko laga k wo Anjali ki mom k bht kareeb hai pochne pe pta chala k wo kisi or k bare me nh Sanvy ki mom ka bol rhi ti ye thora surprising ta uske liye Hammer Archer ka competition ho gaya dosre group walu k sath Dimple k hath ki nas kheench gayi tab Anjali mayos hoi k ab nh jeet sakte lakin Sanvy k rehte aisa kaise ho sakta ta
Dimple her bar ki tarah impress hoi❤
dosre group ki larki ne bataya k Sanvy ko unke clg me Gladiator bolte hain mtlb mast hype ho rakhi apne londe ki
baria update bro😊
keep going❤

What a lovely update bro😘
Detail revo bad me deta hu
pta nhi kia problem hai in dinu idr revo type kerta hu keyboard bht hang ho rha mujhe nhi smjh aa rhi aisa kyu hai😓
thanks for appreciating brother..saath bane rahiye
 

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
Shabdo ke sath khelna aur alg alg bhavnao ko ek update me bahut hi salike se cover krne me tumhara koi jawab hi nhi h brother..once again.undoubtedly fantastic update...
"AHARYAS" na hi PITA nahi MATA aur na hi BETA inme se koi bhi insaan kbhi kisi ke bhi samjh me aana bahut hi mushkil h.. Sab kuchh krke bhi anjaan bne rhna koi inse seekhe..uske bhi aaj 2-2 udaharan aaj firse dekhne ko mile h first veronica. Maa and kishore uncle ki conversation me dusra abhi ghati ghatna me jo sanvy ne archana ke sath kiya aur jiska jikr kbhi nhi hua...bakai hi adbhut insaniyat samete hote h aise log jo khule dil se logo ki madad bhi krte h aur unhe is cheez ka ehsaas tak nhi krate h... Wahi ek baat aur jo sanvy ne dimple se kahi ki agr kisi samajik mudde pr kuchh krne ka dam kham ho to aage badh kr us mudde pr kaarya kro debate krke kuchh sainkdon logo ki wah-wahi lutne ke liye dikhawa nhi. Thats true...ek kadwa sach..ki log srf baatein jyada krte h kaam km.. Bdi bdi baatein krdi pr kaam chhote chhote bhi na kr paaye to fayda kya hua un badi badi baaton ka ..kuchh nhi ..khair ye sab ko chhodte h aate h dimple ke andar jo aaj ki hui ghatnao ke baad halchal machi h us pr...aaj phli baar use realise hua h ki wo jis satisfaction ke pichhe bhaag rhi thi jise har cheez me jeetne ka baad bhi wo prapt nhi kr paa rhi thi wo aaj sanvy ki baaton aur uske kiye karyo ke baad uske samne ujagar hue uske vyaktitva ke ek chhote se hisse matr drashya se use mil gya ... Aaj wo itna to samjh hi gyi ki srf jeetne se hi sab kuchh hasil nhi ho skta aur kabhi kabhi uske liye harna bhi padta h...kadam pichhe bhi lene pdte h..kisi ke sath.hasna bhi pdta h rona bhi pdta h..aise hi bahut si cheezein aur un cheezon ke baad to aatmik sukun milta h wo hi h satisfaction... Srf wo krna jo unki aatma tk ko khussi se bhar de.jise krne ke baad dil me koi malal na rhe ki ye kya kr diya hmne..... At last fantastic update brother... Kaash sanvy ki jagha archana ki madad sam aur baki kr dete to jyada achha lgta..khair koi
thanks for such a beautiful review brother..saath bane rahiye
 

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
I buhat hi behtreen update se come back kra apne😊
jahan update ki shurwat hoi Veronica se jo Sonu k ghar visit pe ti according to Sonu k mom dad k wo bht hi kum un han visit karti hain so unki is shikayat ko dor ker diya aj unho ne wapsi pe kuch gift wagaira diye jis pe unhu ne mana kiya per Chutki ne bari hi masomiyat se apni bat manva li or unhe wo gift lete hi bane
bht hi khobsurat moment ta jis andaz me wo un se bat ker rhi ti
she's so cute😘
wahin arif ka admi b unhen follow ker rha hai is bat se bakhobi bakhabar hain uski poori detail nikalwa li kuch hi waqt me or finally unhu ne us se milne ki thaan li let's see jb amne samne hu ge to kaisa rhe ga
Dosri or poori mandali visit kari heavens way ka jo khud me apni misal ap hai bht hi khobsurat andaz me us jagah ko dikhaya gaya sabhi ne passand b kiya or khob tareef b kari❤
Sanvy&Dimple ka ye pehla conversation ta jo itna detail me howa is pehle to bs huh han tak baat seemit rahi
Dimple ne us doran bht kuch smjh liya wo jo achieve ker sakta hai wo na karne k bawajod khud se satisfied hai jb k Dimple wo satisfaction kabhi mehsos na ker pai phir chahe jaise b wo ker le
same place me 1 larki ko dikhaya gaya jo apne chote bhai k sath wahan mojoud ti or kuch larke us1 ko lekar baat ker rhe te k wo kaisi hai or jb un k andar ka shehtan ne unki aag ko hawa di to pohacnh ge use pareshan karne
thanks to Sanvy bacha liya use
or last me wo larki apni ap beeti us k dosto ko bata rahi ti ye part bht sad ta us bechari ne bht tuff time dekha or phir kuch aise faisle lene pare jo uski rooh tak ko chalni ker ge😓
Archana ne bht saha apni izzat masomiyat sb ganwa diya us larki ne
phir shayad uper wale us pe rahem aa hi gaya or Sanvy ne apni mom ko uski help karne bejh diya jahan her taraf se na hi sunane ko mili wahi umeed ki 1 kiran ban ker Veronica pohanchi un tak
Archana k bht israr karne pe pta chala k ye sb un k bete ki wajah se hi mumkin ho saka
or sath hi ye wada b liya wo ye bat kabhi b Sanvy ko nhi bolegi k uski mom ne use sb bata diya
bat khatam hone pe wo apne raste ho li lakin Sanvy k liye us k dill me jo izat ti wo or b barh gayi😊
apni mandali b exit ki taraf ho li lakin Dimple k dill me pehli martaba ghanti bajh uthi is se pehle Sanvy ka ye pehlu kabhi dekh hi nhi payi wo
kuch anokhe ehsas or jazbat k sang apne dill me uthati umangu ne zinadagi ka ek or pehlu us k andar bhar diya jis ehsas se pehle wo anjan ti jo kabhi is se pehle kabhi mehsos na kiya us ne❤
Last me Veronica ji k bare itna hi bolu ga k un ka nature bht hi khobsurat dikhaya gaya hai
Sonu k dad ki b help kari wo Archana or in jaise or kitne hu ge jinki help kari hu gi waqi in ki jitni b tareef ki jai wo kum hai😊
apki writing hamesha hi dill ko chu jati hai update k bare jitna b bol lu lakin nahi words k mamle me mai helpless hu😁
Update was marvelous Shandar or lajawab❤
keep going☺
Best of luck for upcoming updates😊
And one thing thanku so much for such a beautiful update❤
thanks for the beautiful review brother.
saath bane rahiye
 

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
चार सौ पेज पुरे होने पर बधाई आपको वी जे भाई ।

एक बार फिर से आपने अपनी लेखनी का लोहा मनवा लिया । सबसे अच्छी बात यह है कि आप का हर एक अपडेट पढ़ने के बाद एक सिख दे जाता है । अच्छी अच्छी भावनाएं पैदा करता है ।

अर्चना के बचाव में जो कुछ सनवीर ने कहा वो उसके पाक कैरेक्टर को चरितार्थ कर रहा था । हर शब्द , हर सेंटेंस दिलों पर छाप छोड़ने वाला था ।

अगर कहीं भी कुछ गलत हो रहा हो तो उसका कारण अवश्य होता है । जरूरी नहीं कि प्रत्यक्ष दिखाई देने वाला ही सम्पूर्ण सत्य हो । आज के इस दौर में अधिकांशतः लड़कियां सेक्स वर्कर को अपना पेशा उसी वजह से बनाती हैं जिस वजह से अर्चना ने बनाया था । वक्त और हालात से मजबूर हो कर वो ऐसा करने के लिए बाध्य हो जाती हैं ।

सनवीर आहार्य और उसकी मां वेरोनिका आहार्य ने एक मिसाल कायम की है । " परहित सरिस धर्म नहिं भाई " की ।

बहुत ही खूबसूरत अपडेट था यह ।
जगमग जगमग अपडेट ।
thanks brother...saath bane rahiye
 

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
Unbelievable, unmatched bhai bta nhi skta kmal k ka update h,

Superb Update Bhai...

Nice update

Maza aagaya

Dhmakedar update brother

Bohat he behtareen lajawab update aj to emotional kr dia waiting for next

वाह वाह वाह
और क्या लिखूँ
नहीं लिख सकता
तारीफ़ के लिए शब्द
ढूंढने से भी नहीं मिलता

Speechless update sir :claps::claps::claps::applause::applause::applause::party:

Fantastic jabardast update

AS ALWAYS UPDATE WAS AWESOME SIR 🙂☺️🙂

Mast update tha Bhai

Bus itna hi kahoga k Speechless update

Super update hai Bhai

Nice brilliant update bro

Awesome update bro

Nice update bro
Kamaal ka update tha bhai

Supper supper hit updates bro

Wah mind-blowing super fantastic extraordinary update
Tarif ke liye aur sabd nahin hai mere pass dost

Jabardast update bhai kya khe update padhne ke baad kuch sabd hi nhi milta tarif karne liye

ᔑᑌᑭᗴᖇᗷᗷᗷᗷ Update...

Mind blowing update

Best story I ever read broo keep updating bhai....

Bahut badhiya update bhai

Extraordinary update SIR G,
Shayari's ke liye just WOW.

Superb Update

fantastic update bhai maza aa gya

Zabardast update

Very nice update bhai🔥💯

Nice behtreen update

Bahot behtareen zaberdast update bhai
Arif Teza ki saari kundli Veronica ki paas 5 minute m aa gayi dekhte h Veronica ji kia halat kerti h Arif Reza
Aaj SANVEER ki baton n Dimple k dil per bahot gehri chaap chodi h
Dekhte h aage kia hota h
Bahot badhiya

Just fabulous update vj4u bhai....:applause::applause::applause:

Archana aur sanvy ke friends ka conversation kafi emotional tha aur Jo kuch bhi Sanvy ne archana ke bare mein kaha yeh saari batein 100% sach hai jo hamari society kabhi accept nahi karti hai......

Amazing update

Wow bhai amazing line thi ya poem
Kamal ka update tha Bhai


Waiting for new update bhai

Bemisal kamal UPDATE bhai ji

Awesome update once again

Nice update bro

:applause: :applause:
Excellent update......
Just amazing.....
Har bar aap update dete ho, har bar dil ko touch karta hai.....
Har bar yahan par ek social message hota hai....
Kuch parts toh bohot hi emotional hota hai....
:thanks: for the update...

Lovely update bro

Amazing update


Brilient Update Bro maza aa gaya


waITING FOR NEXT UPDATe BRO

Amazing update bro.

दो बेहतरीन दृश्य इस कहानी के जो बार बार आखों के सामने आ जाते हैं,
पहला: पहली दृष्टिकोण कक्षा का जब सानवीर शादी की कसमों के जरिए शादी के रिश्ते का महत्व बताता है।
दूसरा: जब जब सानवीर ने अर्चना को बचाया दूसरी बार, और तथाकथित सभ्य लोगों के उपर से सभ्यता का परदा हटाया।
आपकी सोच जानकारी सब कुछ बहुत ही उच्च स्तरीय है।

Bhai

Nokia 216 sae comment krna boht muskil h

Lkn comment toh krna h he h fever jo h story ka

Bhai love u ho gaya

Waiting 4 next
thanks brothers..be along
 

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF VERONICA KO ARIF REZA KE BAARE ME PATA CHALTA HAI WAHIN DUSRI TARAF DIMPLE AUR BAAKI FRIENDS KO VERONICA & SANVY KA ARCHANA AUR USKI MOM KO KIYE GAYE HELP KE BAARE ME JAANKARI MILTI HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-47

DATE-1ST JULY


CITY-DEHRADUN

THE SWIFT ARENA




DHABBBBB....

ISKI MAA KA....MATCH SHURU HONE SE PEHLE HI RETIRED HURT HO GAYA RE BABA....

skates pehen arena me apna balance banaya hi tha NITS ne ki tabhi pahiyon ke forward friction ki wajah se fisalte hue neeche gir gaya..

lagi thi gaand par zor ki launde ko...

THE SWIFT ARENA....skate karne ke liye banayi gayi ek sarvajanik aur behetarin indoor ground hai ye jagah...

NITS ko chhodkar hamare group ka har banda aur bandi bachpan se hi karte aa rahe hain skates..

mai bhi..infact ye shayad ek maatra aisa sport hai jisme mai actively participate karta hun..

haan, skate karne ki speed meri baakiyon ke mukable kaafi kam hoti hai but it's decent...

wahin NITS ko skates fobia tha..woh toh har baar mere provocation ka chadhane par skates pehen leta tha woh par concentration aur confidence itne kam hote the uske andar ki kabhi skates ke 4 steps bhi theek se nahi le paaya tha woh...

DHABBBB...

gaand ke bal girne ke baad usse sehlate hue kisi tarah khada hone ki koshish karne laga tha NITS par ek baar phir balance bigadne ke chakkar me wapas fisal gaya woh...


NITS-ghanta nahi karna mujhe ye waahiyad kaam...hasna band karo be aur uthao mereko..

hasne ke beech RAJAT aur EKPREET skate karte hue hi aage badhe aur kisi pro ki tarah bina balance khoye araam se NITS ko utha arena ki edge par le gaye woh dono....


WOW YAAR,LOOK AT THEM... AWESOME MAN....


hamare paas hi khade 4,5 bando ke group me se ek ne kahi thi ye baat jinka kendra bindu the new girl aur ANJALI...

woh dono hi is waqt arena me ek saath ek hi speed par joki kaafi zyada thi,move karte hue proffessional skates ke do important aspects ka hunar dikha rahe the..


SPINNING aur SPREAD EAGLE..


tezi se aage badhte hue woh dono apne apne legs ko paas laa do do ke accord me spin kar rahe the jiske baad kuch seconds ke forward movement ko lete hue apne apne legs ko strech kar aage ki taraf jhukte hue kisi tunnel ke andar se jaa rahe ho jaise,us tarah kisi bullet speed ke saath move kar rahe the..term,SPREAD EAGLE....

dekhne me ye dono hi moves kaafi zyada aakarshak lag rahe the jispar yahan moujud zyadatar logon ki nazar jaa rahi thi...


RASHI-wow,yaar DIMPLE toh hai hi har maamle me champ but i didn't knew ki ANJALI bhi itni kamaal ki skating karti hai...!!!

NAISHA-arre she is too good yaar..woh aur ye SANVY, bachpan se hi yahan skates karte aa rahe hain..

KHANAK-phir toh SANVY, tum bhi kaafi acha skates karte hoge naa...!!!

MAI-ek hi patri par express aur passenger dono utarti hai, dono ki speed ek hi hoti hai kya...???

NITS-kya baat hai lounde...apni hi beizzati itne badhiya dialogue ke saath kiya tune ki insult waali feeling hi nahi aayi be...

MAI-teri saari feelings abhi tere pichwade ke sujan ne kheenchi hui hai isiliye baaki jagah kuch mehsoos nahi ho raha tereko...

SONU-hahahaha..ssahi ppakda hhai bbe...

SAM-hey guyz, khade hi rehna hai kya..let's go...


hum sab cafree aur t-shirt me aaye the yahan par SAM pure skate gear me tha..

upar se jahan baaki sab jinme mai bhi included tha,4 wheel skates pehne the humne wahin SAM ANJALI aur new girl ne roller skates daale hue the..

apni baat bol SAM ne turant apne rollerskates arena ki taraf push kar diye the..

kuch hi palon me woh new girl aur ANJALI ke saath lay se lay mila skates karne laga tha..

wahin SAM ke peeche hum sab bhi arena me ghus chuke the..

baaki sabke mukable KHANAK ki skates technique thodi amateur thi jo uske beech beech me halke voble hone par dikhne lagi thi..

isiliye baaki sab toh halke speed se aage badh gaye par mai..


MAI-SAME PINCH..

AHHHHH..


KHANAK ke shoulder par pinch kiya tha maine jispar kisi tarah apna balance rakh us kandhe ko ragadne lagi woh..


KHANAK-same pinch...what for...!!

MAI-hum dono ka balance aur speed ek sa hai,slow...

meri baat par halki smile se dekhne lagi mujhe KHANAK..

MAI-what...!!!ye secret knowing smile kyun..!!!

KHANAK-revelation smile hai ye..

MAI-matlab...!!!

MAI- ferrari agar kam raftaar se chal rahi ho toh uska ye matlab nahi hota ki uski race,speed badh nahi sakti..

bas woh badhana nahi chahti...

tumhare saath itne waqt me ye toh samajh aa hi gaya hai mujhe ki SANVEER AHARYA sirf ussi chiz me piche hota hai jisme woh khud hona chahta hai..

no one can beat you..you don't have any competition SANVY...

AHHH....

MAI-pairon par nahi skates par ho tum...focused rehna zaroori hai...


mujhse baat karne ke chakkar me balance bigad gaya tha KHANAK ka par isse pehle ki woh gire,badi tezi se move hua mai aur agle hi pal mai uske aage tha..

khudko halka bend karte hue hold kiya maine KHANAK ko aur left knee par halka pressure daalte right leg waale skates ko thoda sa push kiya maine.

agle hi pal KHANAK ko wapas proper standing position me laate hue mai bhi sidha ho chuka tha..

ek second me hi ye sab ho chuka tha..


KHANAK-hence proved...

MAI-what's proved...???

KHANAK-that the word "FAST" is SLOW infront of you SANVY..


yahan koi nahi hai jo itni jaldi skates 360 degree move karte hue naa sirf mere pure bhaar ko itne araam se sambhal sake aur uske baad wapas standing position me wapas aise khada kar de jaise hum skates par nahi balki ground par khade hain...


MAI-isiliye care free thi tum kyunki tumhe laga ki mai tumhe sambhal lunga..

KHANAK-mujhe sambhalane ke liye tumhe mere saamne hone ki zaroorat nahi...

pehle bhi ye saabit kiya hai tumne...

mai bas ye dikhana chahti thi ki you the best..dimag se bhi aur dil se bhi...

race ho, competition ho ya dil..jeetne ke liye tumhe koshish karne ki zaroorat bhi nahi hai..

tum bas khade ho jaao,sab haar jaayenge,jaise mai haar gayi..


abhi bhi mere kandhon ko hold kiye khadi thi KHANAK...

mere chehre ke behadh kareeb left ki taraf khadi thi woh..

apni baat kehne ke dauran uski aankhon me woh jazbaat the jo uske dil ka aayna dikha rahe the..

meri nazarein jhuk gayi thi uski aankhon ki sacchayi dekh jiske baad...


MAI-KHANAK mai...

KHANAK-chaand ho tum..chaandani ki kismat ke sartaaj, jaanti hun ki mai woh chaandani nahi..

par tara toh ho hi sakti hun.. saath nahi par aas paas toh chamkungi hi..

tumhe dekhte hue, tumhari roshni ke chhinton se khudko bhigote hue..

ab ye hakh toh na chhin sakte tum mujhse..


aakhri baat shararat bhari muskaan ke beech mere naak ko kheenchte hue kahi thi KHANAK ne jiske baad mere hi sahare se khudko sidha kiya usne aur aage badh gayi..

wahin usse piche se jaata hua dekhta raha mai aur...


MAI-thriller likhne chale the,ye saala romance kahan se ghus gaya...

KAUN GHUS GAYA...!!!


new girl thi ye jo piche se skate karte hue mere paas aakar ruki thi...


MAI-dimag ghus gaya hai ghutno me.. smooth skating ka ganith samajh hi nahi paa raha....


DIMPLE-mai sikhaun...!!!

MAI-sure...

turant mere right hand ko hold kiya new girl ne aur...

DIMPLE-skates toh aata hai tumhe...

MAI-were you looking at me...!!!


mere is sawal par ek second ki hadbadahat aayi thi new girl ke aankhon me jisse turant cover kiya usne aur..


DIMPLE-arre skates karte hue nazar padh gayi thi..

ab suno, speed badhane ke liye dono knees ka ek angle me jhukna zaroori hota hai..

and most importantly,put all the weight and balance on your waistline kyunki woh mid part hota hai...

jitna sahi balance hoga,utni hi smoothly tum skates kar sakoge....


MAI-cool...i will try...


jaisa new girl ne kaha, kiya maine...waistline par pressure aur balance ka bhaar daal aage ki taraf apne dono knees ko bend kar move start kiya maine..

swift and a bit speed movement...


DIMPLE-nice...tum toh kaafi jaldi sikh gaye..


DHAMMM..

HAHAHAHAHAHA....


baat abhi puri hui hi thi new girl ki ke tabhi gira mai apne pichwade ke bal..

par girne se just pehle haath alag ho gaye the mere aur new girl ke isiliye she was fine..

mujhe girta dekh turant aayi thi mere paas mujhe uthaane new girl par tabhi ek female laughter joki thodi zor ki thi,usse sun saamne nazar gayi uski..

ek unknown hot ladki khadi thi humare saamne par uske saath khade shaksh ko achi tarah jaante the hum..


ROUNAK DHOLAKIA....

khada ho chuka tha is beech mai...


THIS SECTION IS FOR PROS ONLY..

BACCHON AUR AMATEURS KA AREA UDHAR WEST WING KE SIDE ME HAI...

MAI-aisa.. waise viklang, handicap logon ke liye kaun sa wing alloted hai...ye ROUNAK ko bhi udhar bhej do..

suna hai kisine haath tod diya tha iska kuch time pehle..


mujhe dekh ek khilli udaane waali smile ke saath bola tha ye sab us ladki ne jispar new girl ka dimag ghum chuka tha..

par jahan mere reply ko sun ROUNAK ke saath waali bandi ki smile ghusse me badal gayi wahin new girl ka ghussa smile me badal chuka tha..

ab itne din me ye toh samajh hi chuki thi woh ki trash talk ke maamle me no body can have an upper hand with me...


GIRL-hey,watch your tounge..koi idea hai ki kisse baat kar rahe ho tum...TANIYA SHARMA...

inter district skates champ hun mai..

chaahun toh abhi khade khade bahar phikwa sakti hun tumhe..

DIMPLE-phikwa..???hila ke dikha de toh maan jaaungi tujhe...

aur apni skates champion hone ka ghamand unhe dikha who give a fuck about your achievement..

tere jaise so called champs ko fifth me beat kar deti thi mai..

now, without a word,fuck off...agar kuch bhi bakwas ki toh phir bolne ke liye thobda bachega nahi tere paas...

jis tarah skates par tezi se aage badh sudden brakes maare the new girl ne TANIYA ke saamne, halka hadbada gayi thi woh..

par phir khudko sambhala usne aur...


TANIYA-babes,ye ladki mujhe itna kuch suna rahi hai and you are quite..!!!

kuch bol kyun nahi rahe..!!

MAI-ussika toh mai bhi wait kar raha hun..bole toh kuch ye..


ROUNAK se kahi thi TANIYA ne aur phir maine apni apni baat jispar nervousness saaf jhalakne lagi thi uske face par..

haath pakad TANIYA ko halka side me lekar gaya woh aur..


ROUNAK-woh koi ordinary ladki nahi hai TANIYA..DIMPLE BATRA hai woh...billionaire ARCHANA BATRA ki beti hai woh...

bohot upar tak pahunch aur influence hai uske mom ki.. it's not right to mess with her...


TANIYA-aur woh ladka..!!aisa lag raha tha jaise indirectly dhamka raha ho woh tumhe...


ROUNAK-past ka kuch hai mere aur uske beech..leave it..

TANIYA-no,no,no,no,no..tum apni insult bhool sakte ho,TANIYA SHARMA nahi..

is DIMPLE BATRA ki akad toh tod kar hi rahungi mai..

kya kaha tha usne,fifth me meri jaisi champ ko hara sakti thi woh..

my foot...

abhi pata chalega usse ki TANIYA SHARMA kya chiz hai...


turant skates slide kar humare paas badhi thi TANIYA aur..


TANIYA-so,you think you are a champ in skates,haan..

DIMPLE-i dont think,i know it...

TANIYA-hmm...phir ho jaaye ek interesting challenge...

DIMPLE-name it...

TANIYA-"THE MARBLE FLOOR"...

DIMPLE-never heard of it...!!!

TANIYA-oh it's very interesting... ARENA ke ek end se dusre end tak skates karna hai hume,one at a time...

is dauran floor ke beech marbles throw kiye jaayenge jinse bachte hue dusre end tak pahunchna hai..

agar kisi bhi marble me pair fasa and you fall,you are out...you,in...!!!

DIMPLE-lets do it...

TANIYA-great...manish bhaiya... please come here...

arena volunteers me se ek bande ko bulaya tha TANIYA ne jiske baad woh turant aaya uske paas..

challenge ke baare me bataya usne us volunteer ko jispar haan me sir hila DIMPLE ko dekh muskurate hue ek taraf badh gaya woh..

RAJAT-abbe,yahan kya kar rahe ho dono...!!!

EKPREET,SAM aur RAJAT skate karte hue aaye the hamare paas..

MAI-kanchon ka intezar...

EKPREET-hain...!!!yahan baati bhi khelte hain...

MAI-hau,woh bhi pairon se..

SAM-bakwas band karke batayega ki kya ho raha hai...!!!

MAI-challenge kiya hai saamne waali ladki ne isse...

SAM-kaisa challenge...!!!

MAI-aankhein daan karne waala hai kya..!!!khud dekh lena...


woh volunteer wapas aa raha tha par TANIYA ke paas naa rook ARENA ke ek mid point par jahan ek cloth se dhaka table rakha hua tha,rook gaya woh...

ek haath me uske ek box tha jisme marbles the..

wahin dusre haath me ek moti rassi thi volunteer ke...

marbles table par rakh ussi mid point ke dusri taraf badh chuka tha woh jiske baad us moti rope ko kisi stop point ki tarah lamba kar rakh diya usne us point par...

wapas table ke paas pahunch thumbs up kiya usne TANIYA ko jiske baad..


TANIYA-pehle mai jaaun ya first attempt tum karogi...

DIMPLE-you go first...


DIMPLE ki baat par smile naach uthi TANIYA ke face par aur agle hi pal apne roller skates par arena ke ek end ki taraf badh chuki thi woh..

wahin arena ke dusre end me kuch bacche hockey skates kar rahe the aur ussi taraf mai badh chuka tha...

baaki girls bhi aa chuke the new girl ke paas aur jitna scene dekh samjha tha SAM, EKPREET aur RAJAT ne, unhone girls ko bata diya tha sab...

SRRRRRR....

ARENA ke end me pahunch turant apne hisse ka challenge shuru kar diya TANIYA ne...

badi swiftly skates karte hue aage badh chuki thi woh..

DRRRRRRRR.....

abhi uske safar ka aadha hissa cover hua hi tha ki tabhi us volunteer ne jiske haathon me kuch marbles nikle hue the,un marbles ko zor se floor par ludhka diya...

floor hit karte hi woh marbles tezi se roll hote hue aage badh chuke the...

dekhte hi dekhte woh ludhakte marbles TANIA ke raste me aa chuke the par as good as TANIA was at skates,usse kuch khaas fark pada nahi un marbles roopi blockage par..

badi swiftly aur smoothly un marbles ke aaj baaju se hote unhe cross kar gayi thi TANIA..

hurdle ke saath saath kuch aur seconds ke andar is challenge me apna safar bhi pura kar gayi thi TANIA..

ARENA ke end tak pahunch gayi thi woh jiske baad abhi se wahin lage ek hoarding par kisi winner ki tarah showoff karte hue relax mode me khadi ho gayi thi TANIA..

is beech TANIA ke performance ko bade dhyan se dekh rahi DIMPLE bhi apni baari ke liye ready ho chuki thi..


ANJALI-babes,jis tarah se volunteer ne marbles pheke aur us ladki ne unhe dodge diya,aisa laga jaise aisa pehle bhi kayi baar kiya hai usne..

it was looking like a practiced sink movement...

aur pata nahi kyun but mujhe aisa lag raha hai ki tumhari baari me cheezen zyada tough hone waali hai...


DIMPLE-tough na ho toh woh challenge hi kaisa...!!!

chill,i got this...

SRRRR....

wink karte hue turant aage badh apna challenge shuru kar diya tha NEW GIRL ne aur tabhi...

DRRRRRRRR......

marbles ka ek acha khaasa bunch volunteer ne floor par roll kar diya tha..


ANJALI-what the fuck...!!!! us ladki ke time toh iske aadhe marbles the...this is a set up..mile hue hain saale woh ladki aur volunteer...


yahan ANJALI aur uske saath baaki sab ho rahe cheating ko dekh bhunbhuna rahe the wahin dekh un extra marbles lo DIMPLE bhi rahi thi par complaint karna uski aadat thi nahi..

har known aur unknown obstacle ko cross karna hi ek true champ ka ATTITUDE hota hai isiliye puri tarah concentrate karte hue woh aage badh rahi thi..

kuch hi palon me marbles aur DIMPLE aamne saamne the..

gap margin behadh kam tha un marbles ke beech par na sirf un slightest of gaps ko read kar liya tha DIMPLE ne balki paani ki tarah un gaps ke beech se hote hue aage badh gayi thi woh..

view bhi itna awesome tha ye ki dekhne waale DIMPLE ke skating ke fans ho chuke the..

bohot se log aligned ho chuke the ia challenge ko dekhne ke liye aur DIMPLE ke performance ko dekh sabhi ke aankhon me uske liye taarif thi..

wahin dusri taraf marbles ke us hurdles ko cross karne ke baad khud DIMPLE bhi kaafi relaxed feel karne lagi thi par tabhi...

DRRRRRR...

behadh dheeme awaaz ne uske kaano me dastak di thi jiske originated aur moving point ko dekh uski aankhein badi ho chuki thi...

trikon face liye ek push machine aati hai jiske daayre me rakhi chizon ko woh machine ek angle me dhakka de sakti hai.

ussi push machine ke through volunteer ne kareeb 12 marbles DIMPLE ke raaste me feke the jo 6,6 ke sankhya me ek rail patri ki shakl liye uska raasta rokne hi waale the...

aur jis speed aur timing se woh marbles ka bunch DIMPLE ke raaste ki taraf badh raha tha, contact hona tay tha..

unhe dodge dene ke liye waqt aur strategy,dono ki zaroorat thi jo tha nahi DIMPLE ke paas..

5 feet..bas itna hi distance bacha tha marbles aur uske beech par tabhi...

SRRRRRRR..........

aisa laga DIMPLE ko ki koi tez hawa ka jhonka nikla ho uske saamne se..

par woh jhonka akela nahi nikla tha uske saamne se...

uske guzarne ke agle pal jab saamne se aa rahe marbles par nazar gayi DIMPLE ki toh chownki woh..

raasta badal gaye the un sabke..

jahan se aa rahe the woh,ussi disha me wapas ghum chuke the woh sabhi marbles..

SANVY....

woh hawa ka jhonka mai hi tha..mere dono haathon me wahi hockey the jisse skates hockey khel rahe the kuch ladke..

unhi hockeys se hit kiya tha maine un dono taraf ke marbles ko aur is waqt meri bhi disha un marbles ke saath us volunteer ke taraf hi thi jisne ye cheat double marble play kiya tha...

DHADDDD...

uske paas pahunch kandhe par uske ek tez hit kiya tha maine jispar dard se chillate hue niche gir gaya tha woh...

wahin dusri taraf DIMPLE TANIYA ke paas ARENA ke edge par pahunch chuki thi par nazar uski mujhpar hi thi jo badi tezi se skate karta hua uski taraf hi aa raha tha...

jo technique fast skate ki hoti hai,usse alag chal raha tha mai woh bhi double speed ke saath..

completely new technique of skating thi ye jisse dekh aakhein kaafi badi ho chali thi new girl ki..


MAI-and the winner is...

NITS-DIMPLE BATRA...


baaki sab bhi new girl aur TANIYA ke paas hi the..


TANIYA-arre aise kaise..!!!

MAI-24...24 marbles pheke gaye the tumhare raaste me par new girl ke maamle me 50 the...

aur baad me 12 complementary,woh alag...

jab challenge ek tarfa tha toh result bhi ek tarfa hi hoga naa..


TANIYA ke paas pahunch uske aankhon me jhaank jis tarah kahi thi maine ye baat, kaafi dar gayi thi woh...


TANIYA-ROUNAK...babes dekho ye ladka..

MAI-SANVEER AHARYA..aur is naam ki khumari itni hai tere bande ke andar ki sidhe chal kar mere saamne khada ho sakta woh...

challenge tab karo jab jeetne ka bharosa apne hunar ke dum par ho naaki dhoke aur cheating par..


apni baat bol SALCHOW(reverse skate in one leg) joki extremely hard hota hai, karte hue ulti disha ki taraf ghumi meri body jiske baad ROUNAK ko ghur thodi der backward skating karne ke baad sidha ho aage badh gaya mai..

mere is skate perfection ko dekh pehle se hi badi ho rakhi new girl ki aankhein aur badi ho chuki thi...


ANJALI-that's SANVEER AHARYA for you...shock machine ka jeeta jaagta namuna...

ROUNAK man me-shock toh is saale aur is loundiya ko ARIF BHAI denge..

kuch din bache hain,kar lo show off jitna kar sakte ho...akad aur sharir, dono hi toot jaane hain uske baad...


man me ye sab bol jo nayi update mili thi ROUNAK ko ARIF ke baare me, uske zehen me aate hi ek kamini smile naach uthi uske face par aur...


ROUNAK-bechare ko toh khabar bhi nahi hai ki ek parayi ladki ko bachane ke chakkar me aaj apni hi MAA chudwaane waala hai lounda...




PLACE-NH 58




HAAN, WOH HALF YEARLY ACCOUNT CHART KI COPY SIGN KAR MAIL KAR DI HAI MAINE..

B.M SIR AAYE TOH SHOW IT TO HIM..

O.K..


pehne hue bluetooth se phone hang up karkar apne hand watch par nazar gayi VERONICA ki..

11 baj rahe the...

yamuna nagar ke field trip par nikli thi VERONICA aaj subah 10.30 baje se..

waise toh har baar bank se driver allot hota tha jiske saath trips par jaati thi woh par short distance trips ke liye khud drive karna acha lagta tha usse..

jaise ki aj..akele hi swift ke zxi model ko drive karte hue yamunanagar ke liye nikli thi woh...

lagbhagh 35 kms gaadi chal chuki thi aur itna hi distance aur tay karna tha usse...

gazal sunane ka shouk tha VERONICA ko isiliye is waqt jagjeet singh ki "baat niklegi toh phir door talak jaayegi" gaane ko sunte hue drive ka lutf utha rahi thi woh..

40 basant paar kiye hue bhi kuch basant nikal chuke the VERONICA ke par halke peele rang ke suit me jo is waqt pehna hua tha usne,30 ki bhi dhang se nahi lag rahi thi woh..

window open tha...thandi hawaon ke thapede kesuon ko uske beintahan khubsoorat chehre par kuch is aakar ke saath sparsh karwa rahe the maano unke bahane khud khuda ki is bemisaal kaarigari ko chhune ka bahana bana rahe hon...

gaadi speed chaalane ka shouk nahi tha VERONICA ko..pahadi raaston ke beech 70 ki speed maintain karte hue bade araam se car chala rahi thi woh...

under ground tunnel joki 200 metre bada tha,aane waala tha aage isiliye tunnel ke start hone se just pehle hi head lights start kar diya tha VERONICA ne..

CHRRRRRR....

abhi 100 metre as in aadha tunnel hi cross kiya tha VERONICA ne ki tabhi aadi khadi do cars ko dekh sudden breaks maare the usne...

sahi time par breaks lage the isiliye un do gaadiyon se bas chand metres pehle rook gayi thi VERONICA ki car...

break maar bahar nikli VERONICA apni car se..

un do cars ke bahar koi nahi tha par 90 percent black glasses ke beech andar human shadows dikh rahe the..

par isse pehle ki woh kuch kehti,un dono cars ki head lights joki ab tak band thi,ek jhatke me jagmaga uthi jinke ujaale se VERONICA ka damakta chehra aur roshan ho utha...

DHAKKKK...

apne haath se us direct light ko chehre par padhne se rokne ke beech ek car ke door ke khulne ki awaaz padi thi VERONICA ke kaano par...


MASHALLAH.....



maan lenge ki shakkar kabhi NAMKEEN BHI HOGA....


dua me junoon ho toh bin bole AMEEN BHI HOGA....

khubsoorati ke kayi misaal dekhen hai in nazaron ne lekin,

kabhi socha na tha ki koi itna zyada HASEEN BHI HOGA....










AAJ KE LIYE ITNA HI...






AAPKA APNA V...J...
 
Top