• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller Faraar (COMPLETED)

Ng_TheViper

Member
336
704
93
Nice update....

Kabi kabi boring lagta h padhne m but thriller story hi interesting hoti h..

Well, ye new turning point tha ki Rathod sanjana ka fiance tha aur is wajah s hi usne Vicky ko Farar hone m madad Kari kyuki wo ache s Vicky ko b janta tha ..

Abtk clear cut samne ni aaya ki hua Kya tha but it's clear ki Vicky ko apni hi behan jisse usne apni jaan s jyada ek beti ki tarah pala tha, usi k murder ka ilzam laga h..

Agar sirf ilzam lagta to samajh aata but yahan to evidence b Vicky k against h ..

Vicky beqasoor h ye b sach h phir ye Sb hua kaise aur Kon fasana chah rahah Vicky ko..

Ho na ho koi Vicky ka karibi hi h Jo uski property ya personal dushmani nikal Raha hoga ..

Waise to Vicky khud b try Kar Raha h apneaap ko begunah sabit karne aur sanjana k murderer ka pata lagana but ab shayad Inspector Khan b help Karenge Rathod ki Taki asali gunehgar pakda jae. Mana ki Khan apne usoolo k khilaf hi jaa Raha Rathod ko giraftar na karke but ek begunah ko pakadne m mehnat karne s acha h ki asli mujrim ko pakadne m mehnat kia jae....


In d last..
Ye ACP ka kch Karo yaar.. ek to harami h pura , kaam ka b h ni but akad Dekho jaise sabse imaandar aur kaam karne Wala officer h ..
 

Rahul

Kingkong
60,556
70,669
354
waiting
 
  • Like
Reactions: Casinar and Axba

bondjamesbond09

Active Member
1,613
4,377
159
Update 1.

Zor se kissi ki hanffne ki awaaz arahi thi. Bahot hi tezi se hanffte jaa raha tha koyi, aur awaaz door se dhire dhire nazdik ate sunaayi de rahi thi. Phir uss hanffte huwe awaaz ke piche kutton ke bhokne ki awaaz bhi sunaayi diya, aur jeise jeise uss hanffne ki awaaz ziada nazdik ati gayi to kutton ki bhonkne ki awaaz bhi karib sunaayi dene lagi. Jitne kareeb awaazein ane lagi utna hi saaf aur awaazein sunaayi dene lage; kadmon ke dawdne ki awaaz bhi sunaayi dene lage…..

Woh ek ghana jangal tha jiss ke beech koyi bahot hi tez raftaar ke saath dawde jaa raha tha aur kutte usske piche pade the. Aur unn kutton ke gale mein patte the aur chain bhi phir chains ke end mein ek ek dog police jinn ko kutte khinche jaa rahe the, kutte itna nervous the ke unn police walon se sambhaale nahin jaa rahe the, unn police walon mein se kayi police zameen par girr bhi pade kutte ko sambhaalte huwe, aur unn ke girrne par bhi kutte unn ko khinchte chale jaa rahe the tab drisht eisa lag raha tha ke police ek chorr hai aur kutta ussko pakar kar police station le jaa raha ho……

Uss bade jangal ke terhe merhe raaston se guzarte huwe oonch neech zameen ke faasle tey karte huwe, ek nawjawan bhaage jaa raha tha aur police kutton ke saath usska picha kar rahe the. Woh nawjawaan 25 saal ka ek ladka tha jisska kad koyi 6 feet 2 inches the aur usske lambe lambe tangein ussko dawne mein madad kar rahe the; woh baar baar peeche ke taraf mudh kar dekh raha tha ke kutte usske kitne kareeb aaye hein….. usska gala bilkool sookh gaya tha aur hanffte jaa raha tha…..

Kutton ke beech Dobermans, German shepherds aur Rotweiller’s bhi the, ek se badh kar ek khunkhaar aur khatarnaak tarah se trained kiye gaye the sab choron ko pakarne ke liye. Unn mein se ek Rottweiler’s tha jo ek baar kissi ko apne jabron mein pakar liya to bilkool hi nahin chorrte jab tak usska maalik aakar ussko chorrne ko naa kahe…woh sab se khatarnaak specie ka kutta tha aur ussko sambhaalna sab se mushkil tha. Rottweiler’s ek eisa kutta hai jo apne maalik ke ilawa kissi ko bhi nahin sunta. Agar ek ghar mein ek pati, patni aur do chaar log hote hein to unn mein se Rottweiler’s sirf ek hi ko apna maalik manta hai baaki kissi ko bhi nahin aur woh kissi par bhi tut padta hai. Dunya mein kayi jagahon par Rottweiler’s ne apne ghar ke sadasyon ko hi buri tarah se kaat kar ghaayal kiya hai…..

Jiss jangal ke chakkar kiya jaa raha tha woh koyi 200 acres ke zameen par tha, ab itne bade aur ghane jangal mein kitne der tak koyi dawd sakta hai bhala…..Phir kuch der baad ek helicopter ki awaaz sunaayi diya kuch doori par……jo nawjawaan dawd raha tha, pasina pasina to ho hi chukka tha, ussne apne sar upar ke taraf uthakar uss helicopter ki awaaz ke taraf nazar kiya, magar kuch nazar nahin aya phir bhi dhire dhire helicopter ki udhne ki awaaz kareeb ate sunaaayi de rahe the…. Nawjawaan kuch ghabra gaya aur khud se kaha, “lagta hai ab bachna mushkil hai!!” Ek oonchaayi se niche ke taraf dawd raha tha uss waqt jab helicopter achanak usske peeth se hokar tezi ke saath usske aaaguey gaya aur koyi aadhe mille tak jaakar helicopter phir muda usske taraf ate huwe….. woh nawjawaan ruk gaya aur aguey piche dekhne ke baad achanak ek chalaang laga diya apne aguey dekhte huwe…… usske saamne ek bahot hi bada nadi tha, aur ussne itni oochaayi se chalaang lagaayi jeise ke khudkhushi kar raha ho……. Tab helicopter ke pilote ne apne headset mein kaha, “He jumped in the river and its impossible for me to trace out, I can’t fly thereby, it’s dangerous.” Tab kutton ko handle karne wale police walon ke leader ne zor se awaaz diya, “kutton ko chorr diya jaye!!”

Woh nawjawaaan uss nadi ke gehre, khatarnaak tarike se behte paani mein girne se pehle ek peyr ke shaakhon par girra, unn shaakhon ko apne jism ke wazan aur oochaayi se girne ke kaaran todte huwe ek ke baad dusra phir teesra phir chawtha shaakh ko todke aur apne jism par anek ghaw lete huwe aakhir mein paani mein giraa aur itni gehraayi tak gaya ke upar se nazar ana mushkil hi nahin balke naamumkin tha.

Kutte - paagal kutton ki tarah dawtde dawdte usske jism ki khusbhoo ya badbhoo bhi keh sakte hein, usske pasine ke boondon ke mehek sungte huwe wahan tak ponhche jahan se woh paani mein kuda tha, aur unn kutton mein se German Shephered to ruk gaye wahin, aur ek do Dobermans paagal andhe ki tarah kud pade aur mawt ke ghaat utaare gaye sabhi Rottweiler’s ke saath….. ek bhi kutta nahin bacha German Shephered ke ilawa jo nadi ke taraf dekhte huwe bhonke jaa raha tha…… Aur jab police wale kutton tak ponhche to unn ko kuch nahin mila balke baaki kutton ko ganwa diye…… sab police wale laachaar ek dusre ko dekh kar unn kutton ke jeise hanff rahe the jeeb baaahar nikalkar……

Jiss ne paani mein chalaang mara woh Vikram tha, apnon ke liye Vicky. Mazbut, handsome, taakatwar, nek, imaandaar ladka. Magar huwa kia, police usske piche kyun pada tha aur woh bhi kutton ke saath aur helicopter bhi….kia kiya ussne eisa, kia jurm kiya uss ne? Agar nek aur imaandaar tha to case kia huwa? Aur kia woh chalaang maarne ke baad bach gaya? Ya doob kar mar gaya bechara? Agle update mein pata chalega. Aap log padhein aur apna comment post karein aur mujhe batein ke keisa laga aap ko iss kahani ka aramb?
suspense se bhari hui suruat hai
very good
 
  • Like
Reactions: Casinar

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,334
259
Update 8

Rathod ne bolna shuru kiya aur Khan ussi reth par baitha doobti suraj ki dheemi roshni mein Rathod ke chehre par apne nazron ko jamaaye sunta jaa raha tha.

“Jiss waqt hum logon ne Vicky ko hawalaat mein band kiya to woh kiss haalat mein tha tum ko to yaad hi hoga na yaar? Keise woh ek adhmara insaan ki tarah tha. Ek pal ke liye to ussko goli maar dene ka mann kar raha tha mera jiss waqt usske ghar mein hum ne ussko geraftaar kiya tha…. Magar tum wahan the aur baaki sab police ke members mawjood the, aur police wale photos as evidence of crime le rahe the…. To main ne keise bhi karke apne aap ko sambhala tha uss waqt. Han Hawalaat mein ussko lock main ne apne hathon se kiya tha, yaad hai nah? Jab tum ne ussko interogate kiya tha to ek lavz bhi nahin kaha thaa usssne yeh bhi yaad hoga tumko. Jab Raghuveer ne bhi sawaal kiye uss se tab bhi ussne ek lavz bhi nahin bola tha. Woh kissi tarah ke soch mein dooba ya ek shock se guzra jeisa lag raha tha, yaad hai ke nahin Khan?”

Khan ne kaha, “Han tum bolte jao main sun raha hoon.”

Rathod ne continue kiya,

“Uss waqt main Sanjanah ki laash ke paas jana chahta tha ussko dekhna chahta tha magar tum gaye the, mujhe station mein chorr kar tum gaye the postmortem ke report ke liye hospital… mujhe wahin rehna pada tha. Tab main ne Vicky se baat kiya tha akele mein. Main uss waqt police station ka in charge tha aur raat ka waqt tha to koyi bhi nahin the andar 2 hawaldaar ke ilawa aur main ne unn ko baahar chawkidaari ke liye bhej kar Lock up ke andar ghuss kar Vicky se baat kiya tha. Main ne socha tha ke uss ne kissi se baat nahin kiya to mujhko bhi koyi jawaab nahin dega. Magar uss ne bola tha Khan uss ne bola aur chilla kar bola. Uss ne kaha ke uss ne kuch nahin kiya, uss ne apni mari huwi behen ki laash ki saugand khaayi aur mujhse kaha ke uss ne kuch nahin kiya aur ussko ussi waqt bhaagne dene ke liye kaha. Hum donon ek dusre ko bahon mein jakre ro rahe the Sanjanah ke bare mein baat karte huwe. Woh bahot dukhi tha halaan ke woh eisa insaan tha jo har tarah ke complicated situation ko bahot araam se face karta tha magar uss waqt kuch disturbed lag raha tha magar usss ka dimaagh kaam kar raha tha woh kia soch raha tha yeh pata nahin bus uss ne itna kaha ke ussko baahar nikalne diya jae woh kaam tamaam karke wapas andar ajaega….

Tumko pata nahin magar Vicky ka memory ek ajeeb wala hai. Kuch log kabhi bhi kuch bhi nahin bhoolte. Vicky ka veisa memory hai. Woh ek baar kissi ko dekh le to 50 saal baad bhi ussko nahin bhoolta. Kissi bhi choti choti details ko woh hamesha yaad rakhne walon mein se hai. Tum usske company ke logon se pata laga sakte ho ke woh ek miracle kisam ka dimaagh rakhta hai. Ek baar mujhe yaad hai Sajana ki ek favourite pink colour ki paper clip kho gayi thi aur woh ussko ghar mein charon taraf dhund rahi thi. Main sanjaana ki madad kar raha tha usski paper clip dhundne ke liye. Vicky ghar par nahin tha. To Sanjana ne Vicky ko office mein phone karke poocha ke kia ussne usske paper clip ko dekha hai kahin…. Aur Vicky ne ek second mein jawab diya ke ek mahine pehle Sanjana ne uss paper clip ko car ki glove box mein rakhi thi. Utni chothi si cheez ka pata aur yaad rehta hai Vicky ko, ek suy bhi agar kissi ne usske saamne kahin rakha ho aur ek saal baad ussko dhunde to Vicky ko yaad rehta hai ke woh kaha rakha gaya tha…yeh usski memory ka kamaal hai… woh kabhi nahin bhoolta… to kia yaad hai ussko kia jaanta hai woh yeh to nahin bataya ussne magar mujhse kaha ke asli mujrim ko woh hamare saamne laega. Ussne kaha ke woh nahin chahta ke police uss mujrim ko pakre, woh chahta hai ke woh khud ussko hamare hawale kare… ussne mujhko promise kiya ke woh mera maan rakhega aur uss mujrim ko mere havale karega….

Tumko pata hai Khan uss din usska Birthday tha aur main ne din mein ussko wish kiya tha, uss sham ko mera duty tha issi liye main ne din mein ussko milkar wish kar diya tha aur Sanjana ne kaha tha ke sham ko woh Vicky ko apne saath kisssi restaurant jaegi jahan Vicky ke honour mein ussne surprise party organize kiya huwa tha. Sanjana ne mujhe uss restaurant se phone bhi kiya tha party ke waqt aur main ne unn donon se baat bhi kiya tha police station se ussi raat ko takriban 8 baje. Bahot khush the donon, magar party private thi, kissi bhi office ya relative ko nahin bulaya gaya tha Sanjana apne bhai ke saath akele rehna chahti thi kyun ke kaam ke masrufiyat ki wajah se Vicky bahot kum waqt rehta tha Sanjana ke saath….. Vicky ne bataya ke sab kuch bahot achanak ho gaya… ek pal mein sab kuch badal gaya, achanak jeise achanak ek gadi kisi chiz se takraati hai aur accident ho jata hai weise hi achanak ek pal mein kia se kia ho gaya…. Vicky yakeen nahin kar raha tha ke itna kuch ho gaya itni jaldi achanak……

To sab kuch jaanNe ke baad main ne Vicky ko faraar hone ke liye plan banaya. Ussne ussi waqt mujhse phone karne ke liye request kiya aur Mathur sahab ko phone karke kaha ke koyi vakeel nahin chahiye, aur kissi bhi company ki aadmi ko police station nahin ana chahiye….. woh apne ussi party wale dress mein tha aur uss ke paise vaghaira sab main ne ussko wapas kar diya tha court jane se pehle. Aur main ne Tony ko phone kar ke uss din court ke paas ane ke liye plan bana liya tha jiss din humko Vicky ko court lejana tha. Ussi Tony ne tumko phone karke bank robbery ka fake alert diya tha taake hum Vicky ko bhaga sake. Tumko yaad hoga jiss waqt Vicky ke saath tum court ke andar gaye the to main baahar nikal gaya tha, woh iss liye ke Tony se baat karun aur tayyaar rehne ke liye agah karun…. Aur jab tum baahar aaye the to main ne Tony ko bus ek miscall kiya tha jiss se woh samajh jaye ke ab tumko woh fake alert dena hai aur uss ne diya… jab tum chale gaye aur mere saath sirf do hawaldaar the, ek driver aur ek piche wale seat par, main ne phone karke Tony ko kaha tha ke kisss side par woh dusra hawaldaar baitha hai aur kiss taraf se Vickyy car se niklega taake usssko pata chale kahan par ussko motorcycle ko rokna hai aur Vikcy motorcycle tak pohonch sake…. Iss se pehle main ne Vicky ko bata diya tha ke jab motorcycle par se ek aadmi apne girlfriend ko utaar raha hoga ussi ke motorcycle par ussko bhaagna hoga…Aur jiss waqt main baat kar raha tha tony se, woh sab Vicky ko sunane ke liye tha, jiss sign board ke paas Tony ko aakar apne girl friend ko utaarne ko keh raha tha who 20 metres ke doori par tha hamari car se aur Vicky sun raha tha aur usss sign board ke taraf dekh raha tha aur main ne mudhkar pata kiya ke Vicky sab samajh raha hai ke nahin aur Vikcy ne mujhko sign kiya tha apne anguthe se…. bus usske baad Tony aaya , Vicky car se nikla aur jhoot mooth ke Tony ko dhaka diya, Tony ne girne kabahana kiya aur Vicky motorcycle par nikal gaaya… Aur Tony bhi wahan se ghayab hogaya ek taxi mein…. main sab dekh raha tha aur phone par baatein jaari rakhne ka bahana kar raha tha jab tak woh nikal na jae…… bus yeh huwa tha Khan…….”

Khan ne sab chup chaap suna aur ek ghusse se mili muskurahat ke saath khada huwa, aur doobte suraj ke aakhri kirnon ko dekhne ke baad mudhkar Rathod ko dekha aur poocha,

“Ab Vicky kahan hai Rathod?”


- “Pata nahin yaar”

- Rathod tujhe sab kuch pata hai, mujhe bata ke Vicky kahan hai iss waqt?”

- “Nahin Khan mujhe nahin pata magar woh zinda zaroor hai isska yakeen hai mujhe.”

- “Rathod as a police Inspector I am asking for the last time tell me where is Vicky at this moment?”

- “Mera yakeen karo Khan I don’t know!”

- “Main ne tumhare bayaan ko record kar liya hai Rathod yeh dekho” Khan ne apne upar wale jeb se voice recorder nikal kar Rathod ko batate huwe kaha.

- “Aap jeise kaabil Police inspector se yehi umeed hai Sir”

- “Kia Vicky ne tumse koyi contact nahin ki?

- “No Sir. Not at all”

Khan apne matha peethte huwe Rathod se kaha,

“Kia yes Sir No Sir laga rakha hai? Do you understand what the hell of a situation you have put me in Rathod?” Ab main tumko salaakhon ke peeche dalunga aur mera promotion hoga aur tu dismiss….. Wah kia baat hai ek dost ne apne dost ko jail karwake apne rutbe ko buland kiya wah wah wah sab taliyan bajaenge aur main? Main kia karunga Rathod? Main chain se jee sakunga yeh sab karke? Mujhe kia Raghuveer samajh rakah hai tum ne?” yeh bahot zor se chillakar aur Rathod ko donon hathon se dhaka dete huwe Khan ne kaha tuti huwi awaaz mein!

Rathod apne enkhon ko ponchte huwe sar khuka liya. Aur Khan ne kaha,

“Ab Jo main kahun tumko karna hoga thik hai? Chalo mere saath”

Yeh kehkar Khan police principal medical officer ke office mein gaya aur uss doctor se kuch baatein ki, woh Khan ka bahot achah dost tha. Ussne ek envelope diya Khan ko aur Khan wahan se apne office mein gaya Rathod ke saath. Phir Khan apne office mein apne seat par baithkar order kiya,

“Sub inspector Rathod report to my office immediately.”

Rathod, Khan ke office mein andar gaye aur Khan ke desk ke samne khada hokar salute kiya Khan ko.

Khan ne Rathod ko woh envelope dete huwe kaha, iss par amal karo abhi aur issi waqt se! As from immediate effect!”

Rathod ne envelope khol kar padha aur phir salute karte huwe roni shakal aur tute awaaz mein kaha, “Yes Sir!”

Tab Khan ne uss se kaha, “Easy! Tum bimaar ho eisa Police doctor ne certify kiya hai aur 25 din ka sick leaves diya hai tumko. 25 dinon tak tum kaam par nahin awoge aur mujhko aur sirf muhhko contact karoge agar Vicky ne tumko contact kiya to! Samjhe tum? Aur agar tum ne mujhse kuch bhi chupane ki koshish kiya to main bhool jaunga ke tum mera dost ho aur iss baar salaakhon ke piche hoge tum is that clear to you Rathod?”

Rathod ko bahot afsos tha ke ussko case se hatta raha tha Khan, aur usska shukra guzaar bhi tha ke Khan ne sab kuch rafa dafa kiya varna ussko to salakhon ke piche hi hona tha. Khan ne apne dost Police doctor se keh kar nakli medical certificate banwaya Rathod ke liye taake woh iss case mein involved na rahe aur Khan khud chaan bin jaari rakhe. Khan ne ek taraf se dosti bhi nibhaayi aur Police force mein ek officer ko apne kaam mein ghalat tarike se aguey badhne ke liye bhi roka.

Acp Raghuveer ko jab khabar mila ke Rathod sick leave par chala gaaya to ussko taajub huwa aur Khan se baat kiya ke ab ussko kissi aur sub inspector diya jaega case ki follow up ke liye. Magar Khan ne inkaar karte huwe kaha ke woh akela case ko solve karega baaki police constable ke saath milkar. Raghuveer ne shaitani hannsi se Khan ka mazaak udate huwe baaat ko khatam kiya.

Agle update mein hum Vikram joshi ki zindagi ke bare mein sab kuch jaanenge. Aur aap sab ko yeh pata chal jaega ke kiss aarop mein police ne ussko giraftaar kiya tha aur kia kia charges laga hai uss ke upar. Phir bhi shayad kuch batein gupt rahenge…..

To be continued…..
 

bondjamesbond09

Active Member
1,613
4,377
159
Update 2.

ACP Raghuveer bahot ghusse mein apne officaron ko dant rahe the police station ke andar. Woh ek table se dusre table tak chal raha tha aur reh reh kar har ek officer ke chehre mein laal enkhon se ghurrte huwe kuch na kuch kahe jaa raha tha aur sab officers sar jhukae school ke bachon ki tarah zameen taak rahe the.

ACP Raghuveer: (oonche awaaz mein) Kia kiya jae tum logon ka? Aachaar daal diya jaye? Sab nikame ho! Ek aadmi nahin sambhala jata tum logon se? keise bhaag gaya woh? Usske hathon mein hadkadi kyun nahin pehnaye gaye the?

Ek officer dheemi awaaz mein jawaab deta hai, “Sahib ussko to court lejate samaye bhi hadkadi nahin pehnaayi gayi thi to lautte samaye kyun aur keise hadkadi pehnaaya jata? Woh to bahot khamosh aur chup chaap kissam ka insaan hai!”

ACP Raghuveer: “Khamosh! Main kuch nahin sunna chahta. Iss case ka in charge Inspector Khan hai nah? Ussko conference room mein apne aadmiyon ke saath ane ko message bhejo 5 minute ke andar! Do that fast!”

Kuch der baad conference room mein Inspector Khan se ACP Raguveer bahot hi gambhir tarike se sawalaat kar rahe the. Inspector Khan bahot kum jawab de rahe the, ziada tar khamosh apne team ke wafadaar members ko dekhe jaa rahe the.

ACP: “Khan mujhe yeh batao ke mujrim ke haath mein hatkadi kyun nahin the court se nikalne ke baad?”

Khan: “Sir, Police cell se na lejaate waqt aur naahi lautte waqt mujrim hatkaddi mein the. He is a very cool person and was cooperating with us. Aur Sir sab ko pata hai ke woh bekusoor hai iss case mein!”

ACP bahot heyraan aur ghusse mein Khan ko dante hein, “What? What do you mean Inspector Khan? Woh qusoorwaar hai ya bequsoor iss ka faisla ab aap karenge? That is none of your business Mr. Khan, woh court aur judges ka kaam hai; aap ka kaam hai mujrim ko unn tak lejana aur sahi salaamat wapas lana!..... Kia main ab yeh samjhun ke aap ne jaan boojh kar mujrim ko faraar hone diya iss liye ke aap ussko bequsoor samajhte hein? Bolye Inspector Khan kia samjha jaaye iss case mein ab?”

Inspector Khan ke taraf uss ke team ke aadmi dekhe jaa rahe the phir unn mein se sub inspector Rathod ne kaha, “Sir, Inspector Khan ki imaandaari par shak karna khud par shak karna hota hai, aap Inspector Khan jeise officer par tohmat laga rahe hein!”

Yeh sunkar ACP Raghuveer shaitani nazron se sub inspector Rathod ke taraf dekhte huwe kehta hai, “You shut the fuck up, and answer only when you are talked to understand sub inspector? Issi liye aaj tak aap sub hi reh gaye hein!”

Baaki ke sabhi Khan ke team ghusse mein danton ko pees rahe the ACP ke baton ko sunkar laachaar the aur majbooran sabko khamosh rehna tha. Koyi bhi ek awaaz nahin kar sakte….sab kuch khamosh sunnna padta tha. Ek sanata chaa gaya tha uss dawran aur uss sanate ko todne ke liye Inspector Khan ne kaha, “Sir hum puri koshish kar rahe hein aur jald se jald mujrim ko wapas salaakhon ke piche kiya jaega bus hamein thoda waqt chahiye!”

ACP ke enkhon mein tab thoda sa badlaav aya aur kaha, “That’s what I wanted to hear! Yeh hai ek zimedaar officer ka jawaab!” Aur Ratod ke taraf jhukte huwe ACP ne kaha, sunna aaap ne sub inspector ji? Suna aap ne ke aap ke inspector ne kia kaha? Aur kuch der pehle aap kia keh rahe the? Jawaab yeh hona chahiye tha!” Rathod apne nazron ko zameen par gaadhe apne jabron ko danton ko peeste huwe masal raha tha.

ACP Raghuveer ne Inspector Khan ke saath police force join kiya tha. Sab ko pata tha ke ussne kiss tarike se promotion payaa tha jabke aaj; ACP Khan ko hona chahiye tha. Brastaachaar mein mubtela ACP Balbir ek nehayat hi matlabi, gande aur corrupt police officer the shuru se hi. Iss liye ke Commissioner of police aur kuch politician usske rishtedaar mein se the, to ussko ACP bana diya gaya aur shaayad kuch mahinon mein Commisioner ki retire hone ke baad Balbir ko Commissioner bhi bana diya jaega. Aur Khan jeisa nek aur imaandaar Inspector ko Balbir jeise corrupt insaan ke niche kaam karna padega!


Conference room se nikalte hi, corridor mein tez kadmon se chalte huwe Rathod ne Khan se kaha, “Yaar kab tak hum uss kutte ke baton ko eise sunte rahenge? Ji kar raha tha ke usske chehre par ek dhamaakedaar ghunssa marun…..” Khan apne saamne dekhte huwe chalta jaa raha tha Rathod ke baton ko sunte huwe aur ekaat logon ke salute ko jawaab dete huwe….. Jab apne office mein aaye to Khan mudhkar Rathod se kehta hai, “Baaki logon ko bulao yahan aur kaho urgent meeting hai.” Rathod, ne dhire se kaha “Ok Sir”

Ab Khan ke office mein koyi 12 police force ke aadmi haazir the Rathod ko lekar. Khan ke kaam karne ka tarika alag tha. Woh hamesha se sabhi officaron ke saath narm dili aur muhabat se pesh ata tha. Han magar sakhti ke waqt sakht bhi hota tha. Magar kyun ke insaan bahot acha tha to sab ussko bahot passand karte the aur usske saath kaam karna passand karte the. Aksar police walon mein jhagra hote the Khan ke saath kaam karne ke liye. Yahan par bhi kuch log Commissioner ki reference lete the Khan ke niche kaam karne ke liye.

Khan ne sab logon se shuru se baat jaanne ke liye order diya. To ek mamooli police constable ne kaha, “Sir lock up se nikalte waqt to aap ne dekha hi tha ke Vicky sahib ke hathon mein hatkadi nahin tha aur aap hi ke nigraani mein ussko hamare gadi mein baithaya gaya tha……” Khan ne ussko roka, “Yeh nahin jaanna hai mujhe mujhko woh bato jo main nahin jaanta, woh nahin jisska main khud gawa hoon.”

Aur Khan ne Rathod ke taraf dekhte huwe kaha, “Jab court se nikle tab to tum Vicky ke saath the hai nah? Uss ke baad kia huwa tum batao mujhe aur kaun kaun uss waqt tere saath the yeh bhi batao mujhe details mein fast fast!”

Rathod bola, “Thik nikalne se pehle aap ko woh bank robbery ka call aya aur aap nikal gaye. Koyi 15 minat baad hum sab court se nikle half team aap ke saath chale gaye the aur sirf main tha 3 constables ke saath. To jab hum gadi mein baithe to mujhe ghar se call aya sahab mobile par. Ab aap ko uss gadi ki silencer ka to pata hai kitna shor karta hai to sunaayi nahin de raha tha cell par udhar ki awaaz to main gadi se baahar nikla call receive karne ke liye, Vicky mere saath piche ke seat par tha aur raghu dusre taraf ussi seat par to main be fikr call attend kar raha tha. Jab mera call end huwa to main ne dekha ke piche ke seat par koyi nahin hai aur raghu Vikcy ke piche bhaag raha hai….. Magar paas mein ek motorcycle par se ek ladka apni girlfriend ko utaar raha tha aur Vicky ne uss ladke ko zor se dhakka diya woh ladka motorcycle sameth girr pada to Vicky ne motorcycle uthakar uss ladke ki madad karne ke bahane khud motorcycle par sawaar hokar nikal gaya bade raftaar se…..”

Khan ne kaha, “Rathod isska report banao, full in details aur 3 copies banana, ek mujhe dena, ek ACP ko aur ek commissioner ko bhi mail karna okay?

Rathod ne kaha, “Okay Khan Sir, magar uss bank robbery ka kia huwa?

Khan ne sar hillaate huwe kaha, “Fake alert tha!”

To be continued………………….

ek corrupt officer aur kuch imandar police wake
aur ek bhagoda
nice update
 
  • Like
Reactions: Casinar

bondjamesbond09

Active Member
1,613
4,377
159
Update 3.

Takriban 300 feet niche kuda tha Vicky nadi mein. Aur woh jagah kuch eisa tha ke upar se ek khaayi nazar ata tha nadi nahin. Kuddte waqt Vicky ne bhi nahin dekha tha ke nadi hai ke nahin woh bus kud gaya tha apne aap ko police ke chungal se bachne ke liye.

Paani ka bahaav ussko kaafi door tak legaya aur ek bahot khatarnaak jharrne ke paas patharon ke darmiyaan Vicky ne khud ko paya adhmara sa…. Bahot mushkilon se unn gile patharon par phisalte huwe baar baar girr kar phir uttte huwe woh ek kone mein gaya jahan se jharrne kahan tak niche girrta hai dekhne laga…. Phir sar upar uthakar uss taraf dekhne ki koshish kiya magar kuch nazar hi nahi ata tha ghane jangal ki vajah se. Aur uss waqt woh jahan tha wahan to parinde ke ilawa koyi aur jiv jantu aa bhi nahin sakte the…. Helicopter ka udhna namumkin tha uss jagah par, bahot sare bade bade darkhaton aur patharon ke beech kissi ka ana bhi namumkin tha…..


Vicky ko ek ajeeb dard mehsoos huwa usske bayein kaandhe par, mudhkar dekha to kandhe ke piche ka gosht usske chaati par latke huwe the aur ek lakdi kandhe ke paar gale ke karib atka huwa tha.. dard se tarap raha tha aur khoon bahot beh chuke the. Vicky bahot himat jutakar ahiste ahiste jharne ke niche ke taraf utarne laga ek taraf se hote huwe…. Ussne socha ke utna niche chala jaega to kissi ko shak bhi nahin hoga aur koyi ussko wahan to dhundne nahin jaega. Upar se 300 feet niche yahan tak ab yahan se 100 feet niche jharne ke ant tak, sab log sochenhe ke mar gaya hoga.

Ghante do ghante baad Vicky niche aa ponhcha jahan jarrna niche dusre nadi mein girr raha tha…. iss taraf utna ghana jangal nahin tha balke, saaf dusre taraf dikh rahe the… to Vicky nadi se baahar nikla aur ek haath ko kandhe par dabaaye ab zameen par aguey badhne laga….. kehte hein nah ke jab jaan pe ban aayi ho to ajeeb sa taakat ajaati hai har mushkil ka saamna karne ke liye wohi haal Vicky ka tha uss waqt…woh kissi bhi kimat par zinda rehna chahta tha….. ziada khoon ke beh jane ke kaaaran ussko kamzori mehsoos hone lagi aur enkhon ke saamne reh reh kar andhera chaane laga, phir bhi woh aguey badhe jaa raha tha ek anjaan manzil ke awr…..

Koyi der gante chalne ke baad Vicky ko thand lagne laga aur usske donon peyr thartharaane lage aur usske dant bhi kapkapane lage…usske chaati aur peeth mein bahot dard hone laga aur chalna mushkil lagne laga…… woh zameen par girne hi wala tha ke achaanak pata nahin kidhar se ek ghor sawaar akayak usske saamne agaya aur taahjub ki baat yeh thi ke ghode par sawaar ek mard nahin awrat thi…. Uss ne Vicky ke dagmagate kadmon ko door se dekh liya tha aur usske madad ke liye aa rahi thi tezi se…. jaldi se woh ghode se utri, ek shikaari libaas mein thi, bandook peeth par, mard ki libaas mein thi aur ussne bilkool ek mard ki tarah Vicky ko apne peeth par uthakar ghode ke upar bithaya…. Woh koyi 40 saal ki ek sakht mahila dikh rahi thi, jisski baal Chinese baal ke jeise the aur chehre pe bahot sare jhuriyan dikh rahe the aur mukhtaliff rang ke nishaan usski peshaani aur gaal par lagaye gaye the. Bilkool ek Incas jeisi dikh rahi thi….. ussne ghoda dawdaya aur tez raftaar se ghoda jane laga, Vicky piche baitha kabhi bayein to kabhi dayein latak raha tha to uss awrat ne ghode ko rok kar ek rassi se Vicky ko apne jism se baandh diya aur phir ghoda dawdhne laga……

Vicky ko hosh aya to ek choti si jhompri mein ek khatiya par paaya apne aap ko aur bahot saare chote chote ladke bina kameez ke, jinke kamar par hare patiyon ko ek rassi mein bandaha gaya tha unn ke private parts ko dhakne ke liye. Vicky ne mehsoos kiya ke usske kandhe se woh lakdi nikaaal diya gaya hai aur ghanss phuss ko pees kar usske zakham par lagaya gaya hai aur kuch karwa sa usske jeebh par mehsoos ho raha tha jiss se ussko pata chala ke ussko kuch bahot kadha pilaya gaya hoga…. Ladke hanss rahe the ussko jaage huwe dekh kar aur pata nahin kiss zubaan mein unn logon ko chilaakar kissi ko bulaya udhar…..

Ek bahot khub surat , jawan ladki aayi wahan jiss ke baal mein patte aur phool bundhe gaye the aur jisski sirf chaati par kapda lapeta gaya tha aur kamar se lekar jaanghon tak kissi jaanwar ke khaal ka banaya huwa skirt ki tarah kuch bandha huwa tha private parts ko topne ke liye.

Ladki ate hi Vicky ke sar par hath pherte huwe pata nahin kiss zubaan mein kaha, “Ani minni” Vicky ko hanssi aayi aur kaha, “Kia? Main nahin samjha!” Ladki araam se usske bazu ke niche apne hatheli ko daalkar usska temperature liya aur kaha, “Ano manno nina!” Vicky ussko bahot heyraani se dekhte huwe bola, “Are meri maa, main kisss dunya mein agaya hoon? Tum issi desh ke vasi ho sab? Kia main marr gaya tum sab apsaraein ho kia? Main swarg mein hoon kia ya yeh narak hai?!!”

Kuch der baad woh sardaarni aayi jissne Vicky ko uthakar yahan tak laaya tha. Bahot kadak jaan thi woh. Bilkool kuch nahin bolti na hanssti thi…. Bus nazron se ishara karti thi. Wahan ke sab log usske nazron ke ishare samajhte the. Pata nahin kia ishaara kiya ussne ke sab ladke achanak aaye aur Vicky ke khatiye ke upar aaye aur sab ne milkar Vicky ko jakra, kissi ne usske peyron ko dabaya to kissi ne usske haath dabaaye aur uss ladki ne kuch bahot kadwa Vicky ke munh mein dala peene ko… Vicky khanssne aur thookne laga magar sardaarni Vicky ke saamne iss tarah khade hokar ghusse bhare nazron se dekhne laga ke Vicky ko chup chaap uss bahot hi kadwe dawa ko peena pada…. Takriban ek litre gale ke niche utaarnaa tha aur woh ladki muskaate huwe pilaaati chali jaa rahi thi aur Vicky ko naak dabakar peena parr raha tha…..

Bus thodi der baad Vicky ko chakkaar sa aya aur so gaya…..

Udhar Inspector Khan uss din ghar par tha jab usski choti behen, Farheen TV ke saamne baithi serials dekh rahi thi aur Khan ki biwi chae serve kar rahi thi ke achanak TV pe news aya:……. Ek lady reporter keh rahi thi:

“Yehi woh jagah hai jahan se Vicky, urf Vikram Joshi ne chalang lagaayi aur lapaata ho gaya. Police ka kehna hai ke police ke 8 kutton ne jaan gawaayi yahin se Vicky ke peeche chalang lagaate huwe……..”

Tab tak Farheen chillaayi, “Bhai bhai yeh to aap ka case hai nah bolo nah bhai Vicky se main kab se milna chah rahi hoon magar aap ne eise mawke ate huwe bhi mujhe nahin milne diya, ab kia huwa hoga bhai? Kahan gaya hoga Vicky bhai? Main uss se keise milungi bhai bolo nah!!” Farheen nakhre kar rahi thi apne Khan bhai ke saath to khan ne apni biwi se kaha, “Tumhi samjhao issko 18 saal ki ho gayi hai magar choti bachon jeisa behave karti hai….. Main keisa uljhan mein hoon iss case ko lekar aur issko uss se milne ko padi hai!”

Phir Khan ne TV ke taraf dekhte huwe kaha, “Magar yeh media wale keise wahan pohonch gaye? Kaun legaya unn logon ko uss ghane jangal mein? Kia kia karte rehte hein yeh media wale innka bus chale to yeh log paataal mein bhi chale jaye sansanni khabar ke liye….” Tab tak Farheen phir munh banate huwe boli apne bhai jaan se, “Kamaal hai bhai main ne aap se itne ilteja kiye ke Vicky ko court lejane se pehle mujhse milwado to aap ne kaha tha court se ane ke baad mil lena, magar ab to woh faraar hogaya keise milungi uss se main? Apne doston ko kia bataungi ab? Main mobile se usska photo leti aur khud ki photo ussske saath khinchwaati…. Achah huwa bhag gaya nahin to pata nahin court kia faisla karta uss bequsoor ke liye…….”

Khan apni masoom behen ke chehre ko eise dekh raha tha jeise ussko koyi suraag mil gaaya ho….

To be continued…………………….
nice update
Vicky ko bachane wali aurat kon hai aur khan vicky ko pakadne ke liye Kya karega
 
  • Like
Reactions: Casinar

bondjamesbond09

Active Member
1,613
4,377
159
Update 4
Inspector Khan Farheen ko dekhte huwe kuch soch raha tha….. phir apna mobile phone se sub inspector Rathod ko call kiya aur jo baat cheet huwi sunayi di gayi Faarheen ko jo apne bhai ko hi dekh rahi thi kissi sawaal ke intezaar mein kyun ke woh baat karte waqt bhi Farheen ke chehre par hi dekhte huwe baat kar raha tha,

“Han iss waqt Police station mein ho? Hmmm…. kia tumne media walon ko uss jagah ka pata bataya? Nahin to phir weh log keise ponhche wahan? Achah achah helicopter squad walon ka kaam hai, to helicopter se media wale ab safar kar rahe hein khabron ke liye wah kia baat hai…. Achah main tum ko koyi aadhe ghante mein phone karta hoon ek zaroori baat ka pata chala hai abhi…..”

Yeh kehkar Khan apni behen ke kareeb gaya aur poocha, “Farheen mera memory zara refresh karo yeh bata kar ke yeh Vicky tumhare kiss dost ke kareebi friend hai?”

To Farheen ne araam se apne bade bhai se kaha, “Are bhai aap bhi police hokar choti choti batein bhool jate ho, Reshmi ki friend hai yeh dekho Reshmi, Vicky aur Sanjana ke photo ek saath, main ne Reshmi ki mobile se yeh liya hai.”

Khan Farheen ki mobile lekar uss tasveer ko dekhta hai tab tak usski biwi bhi mobile par jhankte huwe kehti hai, “Aap ko yaad hai koyi ek mahine pehle Farheen ne kaha tha ke ek function mein Vicky aur Sanjana aaye the aur yeh kitni khush ho rahi thi uss din?”

Khan khayaalon mein kuch khoye huwe sar hillaya aur Farheen ko mobile lawtate huwe kaha, “iss photo ko mere mobile par send karo zara” Farheen ne mobile lete huwe kaha, apna bluetooth on kijiye bhai…..”

Phir Khan jaldi se utha aur Farheen ka haath pakar kar apne taraf khinchte huwe yeh kehte chalne laga, “Abhi chalo issi waqt uss Reshmi ke yahan mujhe uss se zaroori sawaal karni hai, chalo chalo jaldi…..” Aur Farheen jaane lagi yeh kehte huwe, “Main ussko phone karke bata doon ke hum usske yahah aa rahe hein…” Magar Khan ne mana kiya aur drive karne laga.

Reshmi ke ghar, lounge mein sab baithe the aur sab bilkool khamosh ho gaye Reshmi ke bayaan ke baad. Reshmi apne enkhon se bahe ensoowon ko reh reh kar ponch rahi thi. Reshmi ki papa ne bhi kaha,

“Main bilkool kabhi bhi yakeen nahin kar sakta jo ilzaam lagaya gaya hai Vikram Joshi par. Donon bhai behen hamare Reshmi bitiya ke kitne ache dost the aur hamare yahan aksar aya karti thi Sanjana beti. Kuch baat hoti to humko zaroor pata chalta. Sab afwaein hein aur sarasar jhoota ilzaamaat lagaaye gaye hein, yeh aap ka kaam hai Khan sahab ke jhoot ko saamne laayein kia kar rahe hein aap ke police force bhala? Ek masoom insaan ko faraar hone par majboor kiya aur ab shayad faraar hone ke jurm mein uss par aur bhi sakhti kiya jaega yeh bhi koyi baat huwi!”

Khan ne jaane ki ijazat lete huwe Farheen ko hath se pakre ghar se nikalne ke koshish mein tha yeh jawaab dete huwe Reshmi ke papa ko,

“Mujhe bhi pata hai ke woh bekasoor hai sahab, magar faisla sunana to judge ka kaam hai, aur abhi to provisional charge hai uss par issi liye bina hatkadi ke court le jaya gaya tha aur abhi tak case bana hi nahin tha aur woh faraar ho gaya. Police ne abhi tak puri chaan bin tak nahin kiya hai, forensic lab se sabhi reports abhi tak nahin aaye hein aur doctor ka report bhi ana baaki hai. Kaun sab manipulate kar raha hai yeh koyi nahin samajh paa raha hai…… Jo bayaaan Vicky ne diya tha humko to sahi laga magar uss mein kuch kami hai, kuch baaatein hein jo uss ne hum ko bataya hi nahin magar kyun yeh hum nahin samajh paaye, issi liye uss par bhi shakk kiya jaa raha hai……”

Tab tak apne car ke paas pohonch gaye the Khan aur Farheen phir Khan ne Reshmi se kaha, “Tum kuch der baad police station aa sakti ho please tumhara bayaan lena hai please.” Rehsmi ne kaha ke ajaegi ek ghante ke baaad.

Ghar lautte waqt Khan ne Rathod ko phone kaarke bataya ke Reshmi ayegi wahan aur uss se koyi bhi bayaan nahin lenge jab tak Khan khud wahan nahin ajate aur Rathod se Reshmi ko wait karne ke liye kaaha.

Rathod ne phone rakhte huwe apne sar ko khujaaya aur ek phone lagaya kissi ko aur ek kone mein jaakar baaat karne laga dhire dhire.

Jangal ke weh jungly log Vicky ka khayaal rakh rahe the, aur Vicky uthkar uss jhompre ke baahar chal phir raha tha uss ke chaaron taraf weh log ghum rahe the ussko upar se niche tak dekhte huwe. Vicky pareshaan aur dukhi dikh raha tha aur ek oonchaayi par baithe woh sardaaarni Vicky ka maansik stithi ko samajhne ki koshish kar rahi thi. Kandhe ka ghav bhar raha tha aur dard kum tha bukhaar bhi utar gaya tha aur Vicky jana chahta tha aur upar sardaarni ko dekhte huwe kaha, “Mujhe wapas jana hai. Mujhe bahot zaroori kaam hai.” Haathon ke ishaare se Vicky samjhate huwe sardaarni se batein kar raha tha aur baaki ke log Vicky ko dekh kar hanss rahe the. Kuch jawaan ladkiyan aur ladke Vicky ke chaaron taraf phir rahe the aur ussko ghurr rahe the. Vicky bahot handsome tha aur ladkiyan ussko pyar bhare nazron se dekh rahe the.

Sardaarni Vicky ka ishara aur batein samajh gayi aur niche utar kar Vicky ko ek ghode par baithne ko kaha aur khud apne ghode par sanwaar huwi aur Vicky ko usse follow karne ka ishara kiya. Kuch door tak weh ladke aur ladkiyan usske ghode ke piche piche dawte aaye aur haath se wave bhi kiya. Magar aur door nikalne ke baad ek mod par Vicky ne chaar pehelwaan mardon ko dekha jo sardaarni ke aaguey jhuke usske guzarne par. Weh pehelwaan zabardast hathyaaron se leys the aur jeise uss teritoty ke security guards ho. Phir kuch aur doorie par aur bhi weise hi pehelwaan bade bade aadmi dikhaayi diye Vicky ko sab hathyaaron se leys the… jungle ke hathyaar, koyi bandook ya goli nahin…

Takriban ek ghante ke ghod dawd ke baad sardaarni ruke aur Vicky ko rukne ka ishara kiya aur ek ajeeb cheekh lagaayi ek jagah pohonchkar. Tab koyi 10 ghod sawaar aaye sardaarni ke paas aur jhuk kaar ussko salaam kiye sab ne. Sardaarni ne unn mein ek ko ishara karte huwe Vicky ke paas aane ko kaha. To woh aadmi apne ghode ko Vicky ke ghode ke paas laakar khada huwa aur Vicky se kaha, “Kaun ho tum aur kahan jaana hai tumhein?”

Vicky uss aadmi ko heyraani se dekhte huwe kaha, “Shukar hai ke koyi to mere jeise bolta hai, main to samajh nahin paa raha tha ke keise sab ko apne baat samjhaun! Mujhe yakeen nahin ho raha ke hamare desh mein eise log bhi rehte hein jangal ke itni gehraayi mein….” Uss aadmi ne kadak awaaz mein phir bola, “Jo tum se poocha gaya usska jawaab do nahin to jaan se maar diye jaoge.”

To Vicky ne kaha, “Main police se bhaga huwa ek mujrim hoon, mujhpar jhoota aarop lagaya gaya hai. Main bahot ameer hoon aur tum logon ko bahot paisa de sakta hoon, tum logon ki madad kar sakta hoon zaroorat ke samaan dilwa sakta hoon. Magar mujhe bahot hi zaroori kaam karna hai please mujhe jane diya jae main wapas aakaar tum logon ko bahot inaam dunga.”

Tab uss aadmi ne sardaarni ko apne zubaan mein baat bataayi jo Vicky ne kaha. Sardaarni muskaayi aur pata nahin kia kaha aur wapas jane lagi. To baaki ke jo log the weh sab Vicky ko escort karne lage jiss taraf se wahan se nikalne ka raasta tha. Aur uss aadmi ne Vicky se kaha, “hum tumko uss jagah tak saath denge jahan se train guzarti hai jangalon ke beech. Wahan se tum akele wapas jaoge ya to train par kud kar ya jeise bhi jaa sako. Wapas to koyi yahan nahin ataa par agar tum ana chaho to aa sakte ho, magar agar police ya kissi aur ke saath aaye to jangal ke andar daakhil hone se pehle hi maar diye jaoge.”

Vicky ne uss aadmi se kaha, “Aap logon ne meri madad ki to main kyun aaap logon ke bare mein kissi ko bataaunga bhala? Weise kia aap log hamesha se yahan rehte hein? Aur sab log kyun hamari zubaan naahin bolte?” To aadmi ne jawaab diya, “Main aur bahot saare log yahan par bhaage huwe quaidi hein. Aur baaki ke log sab yahin ke baashinde hein. Ab jo yahan iss jangal mein paida hoga aur pala posa jaega to woh kia banega? Jungly hi nah? Jiss ne yahan janam liyaa aur kabhi baahar ki dunya nahin dekhi woh keise koyi aur zubaan bolega? Bahot saare log tumhare tarah police se bhaagte huwe yahan aajaate hein aur iss toli mein usska swagat kiya jata hai, phir kitne isssi group mein hokar reh jaate hein. Tum apna vadaa maat bhoolna aagar sach mein ameer ho to. Hum sabko eise madad ka intezaar rehta hai. Sardaarni ne tumko jaane ki chuth issi liye diya ke ussko tum par bharosa aya, ussko laga ke tum nek aur sahi insaan ho varna woh kissi par bharossa nahin karti, jaan se maar daalti hai! Hum sab tumhare saath hai kyun ke sardaarni ka hukm hai. Hum ko kal hi sab khabaar mil gayi thi tumhare ane ke bare mein aur hum sab chawkanda the kal se aur iss intezaar mein the ke kahin tumhare peeche koyi aur na aya ho…. Ab hum ko yakeen hai ke tum kissi haadse se yahan ponhche ho.”

Tab tak rail ki patri nazar aya aur uss aadmi ne Vicky ko ek ajeeb si sookhe bamboo se bani chota sa bansuri jeisi cheez diya aur kaha, “jab bhi kabhi wapas aao to issko zor se bajana eise” …… ussne ussko bajakar Vicky ko bataya aur wapas bajane ko kaha. Uss se ek bahot gehri, aur bahot door tak sunaayi dene wali awaaz aayi jo jangal ke dusre kone tak sunaayi diya hoga… laga ke kissi bade pakshi ki awaaz aa rahi ho…… tab Vicky ne kaha, “dekho main eise bhi seeti baja kar tum logon ko apne aane ki khabar de sakta hoon….” Aur Vicky ne apne ungliyon ko zubaan ke niche karke zor se seeti bajaayi aur weh log hanss pade….

Vicky ne uss chote se bansuri jeisi cheez ko jeb ke andar rakh liya aur unn logon ne usska ghoda apne paas le liya… aur Vicky ate huwe train ke taraf jaane laaga….

Weh log wapas chale gaye jab dekha ke Vicky ne keise bhi karke train par chadh gaya……

12 ghanton ke baad.

Vicky kissi anjan sheher ke ek telephone booth se phone par baat kar raha tha:

-“Maathur sahaab, kia aap ke paaas police aya tha?”

- “Kaun?”

- “Aap dhire se baat kijiye nah, kia police aya tha wahan?”

-“Vicky beta tumhi ho nah? Kaahan ho beta?”

-“Ofo Mathur saab mera naam mat phukaaro mere paas waqt nahin hai, jawaab dijiye kia police aya tha wahan?”


- “Nahin beta, police aya to nahin tha, han Inspector Khan ka phone aya tha aur shayad aaj ya kal woh zaroor ayega idhar.”



- “Mathur saab mere baat ghaur se suniye please aur koyi bhi ghalati mat karna. Jo bhi kahun exactly wohi karna.”


- “Thik hai bolo beta”



- “Kia wahan ka phone calls tap ho rahe hein?”


- “Nahin beta ab tak to nahin magar Khan ke ane ke baad ho bhi sakta hai”



- “Uncle 2 unregistered simcard latest mobile ke saath chahiye mujhe aur 5 lakh rupaye jitni jaldi ho sake.”


- “Ho jaega beta.”


- “Aap mujhko iss address par milna, bahot sawdhaani ke saath nikalna, kahin police ke log aap par nazar na rakh rahe hon to musibat ho jaega aur mera plan fail ho jaega.”



- “Suno beta, main to bilkool honshiyaari se kaam karunga, magar ek baat hai. Jab main uss jaagah par ponchoon jahan tum bula rahe ho, to main car se nikalte waqt apne chasme ko nikaal kar rumaal se pochunga. Tab samajh lena ke koyi problem hai aur tum mujhse mil nahin sakte ho. Aur agar koyi problem nahin hoga to main chasma nahin nikaalunga bilkool. Samajh gaye beta?”



- “Wah Mathur Uncle aaap to bade honshiyaar ho, thik hai main samajh gaya.”


- “Main army mein tha beta kuch to tricks ka pata hai mujhe bhi.”



- “Okay Uncle, main wait karunga thik 3 baje aap pohonchne ki koshish karna please.”


- “Okay thik hai, agar kuch minutes late ya pehle aya to bhi thik samajhna, sab se ehem baat chasme ka nikaalna aur rumaal se ponchna hoga yaad rahe tab sab safe hai.”



- “Okay uncle, thanks, I will impatiently wait for you here.”


- “Magar sunon tum bilkool chhup kar rehna, tumhara haal media walon ne TV aur press mein bahot uchale huwe hein sab ko tumhare tasveer ka pata hai, chehra chupa kar rakhna, 100 kms ki doorie par ho phir bhi wahan ke log bhi to TV dekhte honge nah?”



- “Aap fikar mat karo rakhta hoon see you soon uncle ji bye.”


To be continued…………………….
ab vicky ka Kya plan hai Kya Karne wala hai wo
nice update
 
  • Like
Reactions: Casinar

bondjamesbond09

Active Member
1,613
4,377
159
Update 5

Inspector Rathod kuch pareshaan lag raha tha aur yahan se wahan chal phir raha tha police station mein kabhi issko to kabhi kissi ko phone karte huwe aur baar baar baahar dekh raha tha…. beshak Reshmi ka intezaar karte huwe. Aur ek baar khud badbdaya,“Oh no! Kahin yeh ladki Khan ke mawjoodgi mein na aa tapak pade! Oh God ussko Khan ke ane se pehle bhej dena please….” Rathod kabhi police station ke andar to kabhi baahar angne mein ate jaate dikhaayi de raha tha raaste par dekhte huwe aur saaf dikhaayi de raha tha ke woh kissi ka intezaar kar raha hai…..

Koyi aadhe ghante ke baad Khan ki gaadi ate huwe dikhaayi diye Rathod ko, aur usska chehra pasina pasina ho gaya usska dil zoron se dhadak raha tha magar thik ussi waqt ek dusra car ruka jiss mein se Reshmi nikli aur apne saamne Inspector Rathod ko dekh kar muskurate huwe boli, “Are Rathod saab aap bhi issi station mein ho tab to Khan sahab ka kaam asaan ho jaega……” Rathod ne mudhkar pehle Khan ko dekha jo apni gaadi ko parking slot par park kar raha tha, phir Reshmi ko ghabraaye huwe dekh kar Rathod ne apne ungli ko honthon se dabate huwe, “shhhh” kaha Reshmi ko aur jaldi se ussko ek taraf lejaate huwe phuss phuss uss se kuch kaha kaafi der talk. Reshmi bahot heyraan nazron se Rathod ko sun rahi thi, aur usske sabhi baton ko sunne ke baad muskuraayi aur kaha, “Achah main samajh gayi, aap fikar mat karo main eisa behave karungi ke aap ko pehli baar mil rahi hoon aap andar jaayiye….”

Inspector Khan apne car park karne ke baad ek dusre darwaze se police station mein daakhil huwa tab tak saamne se Rathod bhi andar gaya. Aur uss ke baad Reshmi ne Khan ke office ka darwaza khatkhatate andar daakhil hone ki ijazat mangi. Turant Khan khada ho gaya apne seat se aur darwaze ke taraf badhte huwe Reshmi ka istekbal kiya.

Reshmi baith gayi to Khan ne Rathod ko bulwaya aur introduce kiya ek dusre se donon ko. Rathod aur Reshmi eise mile jeise ek dusre ko nahin pehchaante ho. Aur Khan ne Rathod se kaha Reshmi ka bayaan record kiya jaye aur kissi ko andar nahin ane diya jaye kissi bhi haal mein.

Reshmi, Sanjana ki gehri dost thi jo ek hi college ki students the. Aur Sanjana Joshi, Vikram Joshi ki behen thi. Iss liye ke Sanjana aur Reshmi bahot kareebi dost the, to zaahir hai ke Reshmi ko uss ke bare mein bahot kuch pata hai; aur apni Behen ko jab kabhi Vikram Reshmi ke yahan lene ko jata tha to woh bhi Reshmi ke parivaaar se ghul mil gaya tha. Aksar college ke baad Sanjana Reshmi ke ghar chali jaati thi aur donon milkar college ke kaam kiya karte the aur kayi baar to Sanjana Reshmi ke ghar hi so jaati thi aur subha subha apne bhai ko phone karke ussko wapas ghar lejane ke liye bulati thi. Vicky ko iss baat se inkaar nahin tha ke ussski behen Reshmi ke yahan rahe kyun ke woh khud ghar bahot late wapas aya karta thaa jinn dinon kaam ziada hote the. Magar jab Vicky free hote the tab Sanjanaa ek pal bhi Vicky se door nahin rehti thi……

Reshmi koyi der ghante tak Inspector Khan aur Rathod ke saamne apna bayaan record karwaayi. Khan Reshmi ko ghurr raha tha uss ke baat cheet ke dawraan aur kuch na kuch apne taraf se conclude karne ki koshish mein laga huwa tha. Reh reh kar beech mein Khan ne kuch sawaal bhi kiye Reshni se jisska jawaab bhi record kiya gaya. Khan ke poochne par ke kia woh Vicky ki girlfriend thi to Reshmi ne hansste huwe jawaab diya ke nahin Vicky ussko bhi behen manta hai.

Reshmi ko jane diya gaya aur Khan ne Rathod se poocha, “Kia tumhare khayaal se ussne sab sach kaha?” To Rathod ne kaha, “Mujhe to sab 100% sach laga raha hai. Kitni seedhi saadhi ladki hai yaar, sab saaf saaf bata gayi jo maloom tha ussko.” Khan ne sar hillate huwe recorded tape ko apne saath liya aur ghar wapas chala gaya. Ghar jaakar woh Reshmi ki awaaz ko baar baar phir se sun raha tha, jeise who kuch jaanne ki koshish kar raha tha ya kuch talaash kar raha tha Reshmi ke bayaanaat mein.



Jiss jagah par Vicky Mathur saaab ka intezaar kar raha tha, wahan se sirf woh car ko ate huwe dekh sakta tha. Mathur saab ko kuch pata nahin tha ke Vicky kidhar hai. Vicky kuch nervous tha aur chehre ko ek rumaal se chupaaye jeise usske dant mein dard ho chal phir raha tha idhar se udhar… ussko intezaar karna hamesha se napassand tha, magar abhi usski majboori thi wait karna. Bahot intezaar ke bad ussko Mathur saab ki Mercedes nazar aayi, aur Vicky ka dil zoron se dhak dhak karne laga aur ek kone mein chhup kar car ke driver wale darwaze par focus karna shuru kiya….. Vicky prathna kar raha tha ke Mathur saab apne chasme ko rumaal se nahin ponche…… tez dil ki dhadkanon ke saath Vicky car ke darwaze par nazrein jamaaye rakha aur usski dil ki dhadkanein aur tez huwi jab car ka darwaza khula aur ek peyr baahar zameen par parte dekha aur dhire dhire Mathur saab bahaar nikle aur charon taraf dekhne lage….. Vicky kuch der aur Mathur saab par nazrein gaadhe rakhe iss intezaar mein ke woh chasma na utaare….. aur koyi 5 minutes ke wait ke baad Vicky dhire dhire car ke taraf chalne laga…… Badh to raha tha Mathur saab ke taraf phir bhi usske dil mein ek darr sa tha ke kahin kuch lafda na ho jaaye….. Magar jeise hi Maathur sahab ne ussko dekha to apne baahon ko pheyla diya Vicky ko bahon mein lene ke liye aur Vicky ne apne kadmon ki raftaar ko tez karte huwe Maathur saab ke bahon mein gaya aur ek dusre ke gale mile donon…eisa lag raha tha ke ek baap apne bête ko seene se laga raha tha…. Maathur saab koyi saath (60) ke umar ka tha aur Vicky usske seene lagte hi ro pada…….

Maathur saab Vicky ka peeth thapthapaate huwe bola, “Ro mat, mat ro ab tumko bahot himmat se kaam lena hai…tumne faraar ho kar jo faisla kiya hai aur jiss maqsad se faraar huwa uss maqsad ko pura kar… main tere saath hoon aur rahunga…main to kia pura staff tere saath hai…….”

Donon car ke andar baithe aur Mathur saab ne Mercedes ko ek parking mein legaya aur donon ne kuch der tak baatein kiye. Jo do mobile phones unregistered sim ke saath Vicky ne magwaya tha, uss mein se ek uss ne apne paas rakha aur ek Mathur saab ko apne saath rakhne ko kaha taake woh uss se communicate kar sake zaroorat padne par. Ussne kaha ke Ofiice ke phones tap hone lageinge iss liye uss mobile par hi batein kar sakte hein…… Mathur saab ne ek bag diya jiss mein 5 lakh rupay the aur poocha ke kahan thehrega raat ko? To Vicky ne kaha, “Ek bada 250 cc ka motorcycle hire karega aur wapas jungle mein jaega kuch dinon ke liye aur wahin plan banaega apne kaam ko pura karne ke liye.”

Maathur sahab Vicky ka manager tha. Vicky ke papa ka bahot bada aur pheyla huwa business tha International level ki. Vicky uss company ka CEO/Owner tha kyun ke usske papa aur mummy ki mawt ek plane crash mein ho gaya tha jab ek business tours se weh wapas arahe the. Tab Vicky sirf 18 saal ka tha. Mathur saab usske papa ka bahot wafadaar manager the, aur Rajeev Joshi ke mawt ke baad Mathur saab ne hi Vicky ko business ke bare mein sab kuch samjhaya aur pura business man banaya usske papa ki tarah.

Pichle 7 saalon mein Vicky itna popular aur successful raha ke sheher ke har ladki usske diwani ban gayi kyun ke woh kunwara tha aur kaarorpati bhi to kayi ladkiyan ussko trap karne ke koshish mein lage huwe the. Jab kabhi bhi parties, discos ya night life ke liye Vicky baahar jata to bahot sare ladkiyan ussko ghere rehte the hamesha. Media wale bhi hamesha usska picha karte rehte jab kabhi bhi Vicky public mein nazar ata tha. Ek hero ki tarah mashoor tha woh apne sheher mein. Magar Vicky ki koyi buri aadat nahin thi cigarette aur drinks ke ilawa. Ladkiyon mein dilchaspi nahin tha ussko, han kabhi kabhaar Casino jaya karta tha raaton ko. Magar sirf kabhi kabhaar. Aur Sanjana Joshi Vicky ki choti behen thi, wohi jo Reshmi ki dost thi…….

To be continued……………….
nice update
ab tak sab sahi ja rha hai vicky ke liye
ab dekhna hai ke Kya plan karta hai vicky
 
  • Like
Reactions: Casinar
Top