• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller Faraar (COMPLETED)

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,334
259
Update 2.

ACP Raghuveer bahot ghusse mein apne officaron ko dant rahe the police station ke andar. Woh ek table se dusre table tak chal raha tha aur reh reh kar har ek officer ke chehre mein laal enkhon se ghurrte huwe kuch na kuch kahe jaa raha tha aur sab officers sar jhukae school ke bachon ki tarah zameen taak rahe the.

ACP Raghuveer: (oonche awaaz mein) Kia kiya jae tum logon ka? Aachaar daal diya jaye? Sab nikame ho! Ek aadmi nahin sambhala jata tum logon se? keise bhaag gaya woh? Usske hathon mein hadkadi kyun nahin pehnaye gaye the?

Ek officer dheemi awaaz mein jawaab deta hai, “Sahib ussko to court lejate samaye bhi hadkadi nahin pehnaayi gayi thi to lautte samaye kyun aur keise hadkadi pehnaaya jata? Woh to bahot khamosh aur chup chaap kissam ka insaan hai!”

ACP Raghuveer: “Khamosh! Main kuch nahin sunna chahta. Iss case ka in charge Inspector Khan hai nah? Ussko conference room mein apne aadmiyon ke saath ane ko message bhejo 5 minute ke andar! Do that fast!”

Kuch der baad conference room mein Inspector Khan se ACP Raguveer bahot hi gambhir tarike se sawalaat kar rahe the. Inspector Khan bahot kum jawab de rahe the, ziada tar khamosh apne team ke wafadaar members ko dekhe jaa rahe the.

ACP: “Khan mujhe yeh batao ke mujrim ke haath mein hatkadi kyun nahin the court se nikalne ke baad?”

Khan: “Sir, Police cell se na lejaate waqt aur naahi lautte waqt mujrim hatkaddi mein the. He is a very cool person and was cooperating with us. Aur Sir sab ko pata hai ke woh bekusoor hai iss case mein!”

ACP bahot heyraan aur ghusse mein Khan ko dante hein, “What? What do you mean Inspector Khan? Woh qusoorwaar hai ya bequsoor iss ka faisla ab aap karenge? That is none of your business Mr. Khan, woh court aur judges ka kaam hai; aap ka kaam hai mujrim ko unn tak lejana aur sahi salaamat wapas lana!..... Kia main ab yeh samjhun ke aap ne jaan boojh kar mujrim ko faraar hone diya iss liye ke aap ussko bequsoor samajhte hein? Bolye Inspector Khan kia samjha jaaye iss case mein ab?”

Inspector Khan ke taraf uss ke team ke aadmi dekhe jaa rahe the phir unn mein se sub inspector Rathod ne kaha, “Sir, Inspector Khan ki imaandaari par shak karna khud par shak karna hota hai, aap Inspector Khan jeise officer par tohmat laga rahe hein!”

Yeh sunkar ACP Raghuveer shaitani nazron se sub inspector Rathod ke taraf dekhte huwe kehta hai, “You shut the fuck up, and answer only when you are talked to understand sub inspector? Issi liye aaj tak aap sub hi reh gaye hein!”

Baaki ke sabhi Khan ke team ghusse mein danton ko pees rahe the ACP ke baton ko sunkar laachaar the aur majbooran sabko khamosh rehna tha. Koyi bhi ek awaaz nahin kar sakte….sab kuch khamosh sunnna padta tha. Ek sanata chaa gaya tha uss dawran aur uss sanate ko todne ke liye Inspector Khan ne kaha, “Sir hum puri koshish kar rahe hein aur jald se jald mujrim ko wapas salaakhon ke piche kiya jaega bus hamein thoda waqt chahiye!”

ACP ke enkhon mein tab thoda sa badlaav aya aur kaha, “That’s what I wanted to hear! Yeh hai ek zimedaar officer ka jawaab!” Aur Ratod ke taraf jhukte huwe ACP ne kaha, sunna aaap ne sub inspector ji? Suna aap ne ke aap ke inspector ne kia kaha? Aur kuch der pehle aap kia keh rahe the? Jawaab yeh hona chahiye tha!” Rathod apne nazron ko zameen par gaadhe apne jabron ko danton ko peeste huwe masal raha tha.

ACP Raghuveer ne Inspector Khan ke saath police force join kiya tha. Sab ko pata tha ke ussne kiss tarike se promotion payaa tha jabke aaj; ACP Khan ko hona chahiye tha. Brastaachaar mein mubtela ACP Raghuveer ek nehayat hi matlabi, gande aur corrupt police officer the shuru se hi. Iss liye ke Commissioner of police aur kuch politician usske rishtedaar mein se the, to ussko ACP bana diya gaya aur shaayad kuch mahinon mein Commisioner ki retire hone ke baad Raghuveer ko Commissioner bhi bana diya jaega. Aur Khan jeisa nek aur imaandaar Inspector ko iss Raghuveer jeise corrupt insaan ke niche kaam karna padega!


Conference room se nikalte hi, corridor mein tez kadmon se chalte huwe Rathod ne Khan se kaha, “Yaar kab tak hum uss kutte ke baton ko eise sunte rahenge? Ji kar raha tha ke usske chehre par ek dhamaakedaar ghunssa marun…..” Khan apne saamne dekhte huwe chalta jaa raha tha Rathod ke baton ko sunte huwe aur ekaat logon ke salute ko jawaab dete huwe….. Jab apne office mein aaye to Khan mudhkar Rathod se kehta hai, “Baaki logon ko bulao yahan aur kaho urgent meeting hai.” Rathod, ne dhire se kaha “Ok Sir”

Ab Khan ke office mein koyi 12 police force ke aadmi haazir the Rathod ko lekar. Khan ke kaam karne ka tarika alag tha. Woh hamesha se sabhi officaron ke saath narm dili aur muhabat se pesh ata tha. Han magar sakhti ke waqt sakht bhi hota tha. Magar kyun ke insaan bahot acha tha to sab ussko bahot passand karte the aur usske saath kaam karna passand karte the. Aksar police walon mein jhagra hote the Khan ke saath kaam karne ke liye. Yahan par bhi kuch log Commissioner ki reference lete the Khan ke niche kaam karne ke liye.

Khan ne sab logon se shuru se baat jaanne ke liye order diya. To ek mamooli police constable ne kaha, “Sir lock up se nikalte waqt to aap ne dekha hi tha ke Vicky sahib ke hathon mein hatkadi nahin tha aur aap hi ke nigraani mein ussko hamare gadi mein baithaya gaya tha……” Khan ne ussko roka, “Yeh nahin jaanna hai mujhe mujhko woh bato jo main nahin jaanta, woh nahin jisska main khud gawa hoon.”

Aur Khan ne Rathod ke taraf dekhte huwe kaha, “Jab court se nikle tab to tum Vicky ke saath the hai nah? Uss ke baad kia huwa tum batao mujhe aur kaun kaun uss waqt tere saath the yeh bhi batao mujhe details mein fast fast!”

Rathod bola, “Thik nikalne se pehle aap ko woh bank robbery ka call aya aur aap nikal gaye. Koyi 15 minat baad hum sab court se nikle half team aap ke saath chale gaye the aur sirf main tha 3 constables ke saath. To jab hum gadi mein baithe to mujhe ghar se call aya sahab mobile par. Ab aap ko uss gadi ki silencer ka to pata hai kitna shor karta hai to sunaayi nahin de raha tha cell par udhar ki awaaz to main gadi se baahar nikla call receive karne ke liye, Vicky mere saath piche ke seat par tha aur raghu dusre taraf ussi seat par to main be fikr call attend kar raha tha. Jab mera call end huwa to main ne dekha ke piche ke seat par koyi nahin hai aur raghu Vikcy ke piche bhaag raha hai….. Magar paas mein ek motorcycle par se ek ladka apni girlfriend ko utaar raha tha aur Vicky ne uss ladke ko zor se dhakka diya woh ladka motorcycle sameth girr pada to Vicky ne motorcycle uthakar uss ladke ki madad karne ke bahane khud motorcycle par sawaar hokar nikal gaya bade raftaar se…..”

Khan ne kaha, “Rathod isska report banao, full in details aur 3 copies banana, ek mujhe dena, ek ACP ko aur ek commissioner ko bhi mail karna okay?

Rathod ne kaha, “Okay Khan Sir, magar uss bank robbery ka kia huwa?

Khan ne sar hillaate huwe kaha, “Fake alert tha!”

To be continued………………….
 
Last edited:

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,334
259
Update 3.

Takriban 300 feet niche kuda tha Vicky nadi mein. Aur woh jagah kuch eisa tha ke upar se ek khaayi nazar ata tha nadi nahin. Kuddte waqt Vicky ne bhi nahin dekha tha ke nadi hai ke nahin woh bus kud gaya tha apne aap ko police ke chungal se bachne ke liye.

Paani ka bahaav ussko kaafi door tak legaya aur ek bahot khatarnaak jharrne ke paas patharon ke darmiyaan Vicky ne khud ko paya adhmara sa…. Bahot mushkilon se unn gile patharon par phisalte huwe baar baar girr kar phir uttte huwe woh ek kone mein gaya jahan se jharrne kahan tak niche girrta hai dekhne laga…. Phir sar upar uthakar uss taraf dekhne ki koshish kiya magar kuch nazar hi nahi ata tha ghane jangal ki vajah se. Aur uss waqt woh jahan tha wahan to parinde ke ilawa koyi aur jiv jantu aa bhi nahin sakte the…. Helicopter ka udhna namumkin tha uss jagah par, bahot sare bade bade darkhaton aur patharon ke beech kissi ka ana bhi namumkin tha…..


Vicky ko ek ajeeb dard mehsoos huwa usske bayein kaandhe par, mudhkar dekha to kandhe ke piche ka gosht usske chaati par latke huwe the aur ek lakdi kandhe ke paar gale ke karib atka huwa tha.. dard se tarap raha tha aur khoon bahot beh chuke the. Vicky bahot himat jutakar ahiste ahiste jharne ke niche ke taraf utarne laga ek taraf se hote huwe…. Ussne socha ke utna niche chala jaega to kissi ko shak bhi nahin hoga aur koyi ussko wahan to dhundne nahin jaega. Upar se 300 feet niche yahan tak ab yahan se 100 feet niche jharne ke ant tak, sab log sochenhe ke mar gaya hoga.

Ghante do ghante baad Vicky niche aa ponhcha jahan jarrna niche dusre nadi mein girr raha tha…. iss taraf utna ghana jangal nahin tha balke, saaf dusre taraf dikh rahe the… to Vicky nadi se baahar nikla aur ek haath ko kandhe par dabaaye ab zameen par aguey badhne laga….. kehte hein nah ke jab jaan pe ban aayi ho to ajeeb sa taakat ajaati hai har mushkil ka saamna karne ke liye wohi haal Vicky ka tha uss waqt…woh kissi bhi kimat par zinda rehna chahta tha….. ziada khoon ke beh jane ke kaaaran ussko kamzori mehsoos hone lagi aur enkhon ke saamne reh reh kar andhera chaane laga, phir bhi woh aguey badhe jaa raha tha ek anjaan manzil ke awr…..

Koyi der gante chalne ke baad Vicky ko thand lagne laga aur usske donon peyr thartharaane lage aur usske dant bhi kapkapane lage…usske chaati aur peeth mein bahot dard hone laga aur chalna mushkil lagne laga…… woh zameen par girne hi wala tha ke achaanak pata nahin kidhar se ek ghor sawaar akayak usske saamne agaya aur taahjub ki baat yeh thi ke ghode par sawaar ek mard nahin awrat thi…. Uss ne Vicky ke dagmagate kadmon ko door se dekh liya tha aur usske madad ke liye aa rahi thi tezi se…. jaldi se woh ghode se utri, ek shikaari libaas mein thi, bandook peeth par, mard ki libaas mein thi aur ussne bilkool ek mard ki tarah Vicky ko apne peeth par uthakar ghode ke upar bithaya…. Woh koyi 40 saal ki ek sakht mahila dikh rahi thi, jisski baal Chinese baal ke jeise the aur chehre pe bahot sare jhuriyan dikh rahe the aur mukhtaliff rang ke nishaan usski peshaani aur gaal par lagaye gaye the. Bilkool ek Incas jeisi dikh rahi thi….. ussne ghoda dawdaya aur tez raftaar se ghoda jane laga, Vicky piche baitha kabhi bayein to kabhi dayein latak raha tha to uss awrat ne ghode ko rok kar ek rassi se Vicky ko apne jism se baandh diya aur phir ghoda dawdhne laga……

Vicky ko hosh aya to ek choti si jhompri mein ek khatiya par paaya apne aap ko aur bahot saare chote chote ladke bina kameez ke, jinke kamar par hare patiyon ko ek rassi mein bandaha gaya tha unn ke private parts ko dhakne ke liye. Vicky ne mehsoos kiya ke usske kandhe se woh lakdi nikaaal diya gaya hai aur ghanss phuss ko pees kar usske zakham par lagaya gaya hai aur kuch karwa sa usske jeebh par mehsoos ho raha tha jiss se ussko pata chala ke ussko kuch bahot kadha pilaya gaya hoga…. Ladke hanss rahe the ussko jaage huwe dekh kar aur pata nahin kiss zubaan mein unn logon ko chilaakar kissi ko bulaya udhar…..

Ek bahot khub surat , jawan ladki aayi wahan jiss ke baal mein patte aur phool bundhe gaye the aur jisski sirf chaati par kapda lapeta gaya tha aur kamar se lekar jaanghon tak kissi jaanwar ke khaal ka banaya huwa skirt ki tarah kuch bandha huwa tha private parts ko topne ke liye.

Ladki ate hi Vicky ke sar par hath pherte huwe pata nahin kiss zubaan mein kaha, “Ani minni” Vicky ko hanssi aayi aur kaha, “Kia? Main nahin samjha!” Ladki araam se usske bazu ke niche apne hatheli ko daalkar usska temperature liya aur kaha, “Ano manno nina!” Vicky ussko bahot heyraani se dekhte huwe bola, “Are meri maa, main kisss dunya mein agaya hoon? Tum issi desh ke vasi ho sab? Kia main marr gaya tum sab apsaraein ho kia? Main swarg mein hoon kia ya yeh narak hai?!!”

Kuch der baad woh sardaarni aayi jissne Vicky ko uthakar yahan tak laaya tha. Bahot kadak jaan thi woh. Bilkool kuch nahin bolti na hanssti thi…. Bus nazron se ishara karti thi. Wahan ke sab log usske nazron ke ishare samajhte the. Pata nahin kia ishaara kiya ussne ke sab ladke achanak aaye aur Vicky ke khatiye ke upar aaye aur sab ne milkar Vicky ko jakra, kissi ne usske peyron ko dabaya to kissi ne usske haath dabaaye aur uss ladki ne kuch bahot kadwa Vicky ke munh mein dala peene ko… Vicky khanssne aur thookne laga magar sardaarni Vicky ke saamne iss tarah khade hokar ghusse bhare nazron se dekhne laga ke Vicky ko chup chaap uss bahot hi kadwe dawa ko peena pada…. Takriban ek litre gale ke niche utaarnaa tha aur woh ladki muskaate huwe pilaaati chali jaa rahi thi aur Vicky ko naak dabakar peena parr raha tha…..

Bus thodi der baad Vicky ko chakkaar sa aya aur so gaya…..

Udhar Inspector Khan uss din ghar par tha jab usski choti behen, Farheen TV ke saamne baithi serials dekh rahi thi aur Khan ki biwi chae serve kar rahi thi ke achanak TV pe news aya:……. Ek lady reporter keh rahi thi:

“Yehi woh jagah hai jahan se Vicky, urf Vikram Joshi ne chalang lagaayi aur lapaata ho gaya. Police ka kehna hai ke police ke 8 kutton ne jaan gawaayi yahin se Vicky ke peeche chalang lagaate huwe……..”

Tab tak Farheen chillaayi, “Bhai bhai yeh to aap ka case hai nah bolo nah bhai Vicky se main kab se milna chah rahi hoon magar aap ne eise mawke ate huwe bhi mujhe nahin milne diya, ab kia huwa hoga bhai? Kahan gaya hoga Vicky bhai? Main uss se keise milungi bhai bolo nah!!” Farheen nakhre kar rahi thi apne Khan bhai ke saath to khan ne apni biwi se kaha, “Tumhi samjhao issko 18 saal ki ho gayi hai magar choti bachon jeisa behave karti hai….. Main keisa uljhan mein hoon iss case ko lekar aur issko uss se milne ko padi hai!”

Phir Khan ne TV ke taraf dekhte huwe kaha, “Magar yeh media wale keise wahan pohonch gaye? Kaun legaya unn logon ko uss ghane jangal mein? Kia kia karte rehte hein yeh media wale innka bus chale to yeh log paataal mein bhi chale jaye sansanni khabar ke liye….” Tab tak Farheen phir munh banate huwe boli apne bhai jaan se, “Kamaal hai bhai main ne aap se itne ilteja kiye ke Vicky ko court lejane se pehle mujhse milwado to aap ne kaha tha court se ane ke baad mil lena, magar ab to woh faraar hogaya keise milungi uss se main? Apne doston ko kia bataungi ab? Main mobile se usska photo leti aur khud ki photo ussske saath khinchwaati…. Achah huwa bhag gaya nahin to pata nahin court kia faisla karta uss bequsoor ke liye…….”

Khan apni masoom behen ke chehre ko eise dekh raha tha jeise ussko koyi suraag mil gaaya ho….

To be continued…………………….
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,334
259
Nice starts ...

Seems like u r dog lover isliye dogs k bare m kafi likha ..

Well , starting m hi hero k piche kutte dauda diye but aisa kyu ye Janna h filahal


Let's see
hello, thanks and welcome on my thread. hope the story will be liked by you ahead..... errr well yes indeed i am dog lover; magar iss kahani mein dogs ki zaroora thi..... aur haan yeh bhi muhabat hai mein bhi dog hai nah :D
 

Ng_TheViper

Member
336
704
93
Very very nice....

Vicky lagta h bahut badi musibat m h aur shayad kuch log Vicky ko fasane m b lage hue h .. Acp jo totally corrupt h wo to aise react kia jaise usko mauka mile to Vicky ka encounter karde .. uska gussa hona thek tha but itna .. battameez to h pura..

Kher , inspector Khan to bht ache insan h aur imaandar police officer b. Wo aur unki team aur shyaad harkoi Vicky ko beqasoor samjhta h but kanoon ki nazaro m abhi iska faisla hona Baki h aur jab tk Court uska faisla ni sun deta tbrk to mujrim hi Mana jaega aur inspector Khan ko apni duty b karni padegi .....


Well, Vicky jinda to h aur kisi kabile m.. yahna wo safe b rahega but jis hisab s uski chot lagi h to time lagega thek hone m..

Let's see kya hota h aage..
 
  • Like
Reactions: Casinar and Rahul

Rahul

Kingkong
60,556
70,669
354
Huum vikram bach gaya niche sayad koi janjati rahti hai adiwasi tipe ki jo duniya ke nazar me nahi..khaan inmandaar police wala hai koi sak nahi..ab dekhna hai vikram kaise badla leta hai kutton se :D
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Casinar and Axba

Axba

Active Member
1,422
1,532
143
awesome update acp kamina hai aur kaamyaab hai khan inmandaar hai aur dar dar ki thokren kha raha hai :applause:
vikram bach gaya jaise bhi karke ya uski kismat sath de gayi
 
  • Like
Reactions: Casinar and Rahul
Top