- 35,703
- 47,495
- 304
Update 35
Akkha din aniket aur avinash ki mulakat nahi huyi, dekha jaye to avinash hi usse milne nahi gaya tha wo ek dusre kaam me busy tha aur kuch kaam se wo dusre gaon gaya hua tha par sham ko lauta to sidha aniket ke ghar par pahucha, aniket is waqt ghar me apne bapu narayanrao ke sath baitha hua tha, avinash jate hi bola
Avinash-anya mere sath chal jara kaam hai
Aniket-kya kaam hai? Aur din bhar kaha gayab tha be?
Avinash-arey nawab sahab apne sinhasan se utro aur chalo important kaam hai raste me batata hu
Aisa bolke avinash ne aniket ko aankh maar ke ishara kiya itne me narayanrao bole
Narayanrao-ja baba ja, aankh maar ke bula raha hai matlab jaruri kaam hoga
Narayanrao ki baat sunkar avi sambhalte huye bola
Avinash-nahi nahi kaka aisa bhi koi khas kaam nahi hai aura ankh kaha mari to to macchar aa gaya tha aankho ke saamne
Narayanrao-avi tera baap aur main bachpan ke gotiya khelte the sath me to meko mat sikha ye sab, mujhe ache se pata hai tumhare macchar, makode sab, aur tekdi se aate huye aaram se dekh ke aana
Avinash-arey kaha kya aap bhi
Narayanrao-avi ! bête is waqt teri gadi pe thaili tangi hai, hamesha tu chappal pehan ke aata hai aaj jute pehne hai, itni thandi bhi nahi hai fir bhi tune jacket pehna hai, iska kya matlab hai
Ye sab to aniket ne bhi notice nahi kiya tha, dono ekdusre ki taraf ashcharya se dekhne lage
Avinash-ye to aajkal ka fashion hai kaha
Narayanrao-ab jata hai ke nikalu tera fashion
Avinash-nahi nahi main chala..
Itna bolke avinash aur aniket dono baahar aaye aur narayanrao apne purine din yaad karke hasne lage
Avinash-anyakya danger baap hai be tera, kaka kya detective the kya?
Aniket-arey bapu don hai apna, sadha mat samajhna unko,apne sare ranga rang karyakram pata hai unhe, wo chhod aaj teki party ka plan kaise achanak?
Avinash-aisehi
Fir dono daru lene dukan pe pahuche aur avinash bola
Avinash- anya aaj apna full mood hai do nahi teen teen beer liyo
Aniket-teen teen, kya hua avya? Kya kaaran kya hai? Kya koi mil gayi kya teko bhi?
Avinash-abe jitna bola utna kar, halgi bajane bola hai wo baja karyakram mundane ka hai ke shadi ka tere ko kya itni panchat hai bhai
Aniket-aaj to full mood me dikh raha bhai, chal tub hi kya yaad karega hone de kharcha..
Sara maretial leke dono tekdi par pahuche par aaj waha ek kamal ki baat huyi thi
Aniket-aaila avya yaha bhi gardi chalu ho gayi be, apne se pehle ek banda aake baitha hai yaha
Avinash-apne ko kya karne ka hai? Wo uska kaam karega apan apna
Dono ek side jakar baithe aur aniket ne pehli beer kholi itne me ek awaj aaya
“kya bhai meko chhod ke akele akele party”
Thoda andhera tha, chehra saaf nahi dikh raha tha par aniket us awaj ko pehchanta tha
Aniket- aaila yash tu aur yaha
Aniket gale mil ke yash se mila aur fir avi ko tapli maarte huye bola
Aniket-halkat aadmi ye tera hi plan hoga, dikhta garib hai tu par hai dus dimag ka raavan
Fir yash avi ki side lete huye bola
Yash-uska kuch nahi hai re isme , mera hi mood thoda kharab thato socha ke mood thik karne ke liye tere se badhiya aadmi kaun hoga isiliye milne aa gaya to avi mila fir maine hi teko surprise dene ke liye ye plan banaya
Yash ko dekh ke aniket ekdum khush tha, fir priya ke bare me baat chit huyi aur fir beer ka eke k round, fir yash ne baat chedi
Yash-aur bata kya bolti teri komal
Jiskar aniket chauk ke yash ki taraf dekhne aga
Yash-matlab teri dost komal aisa bolna tha meko
Fir aniket sambhalte huye bola
Aniket-sahi hai, badhiya hai wo
Aniket komal ke bare me jyada baat nahi kar raha tha par yash bhi to tha uska hi bhai, wo bhi kured kured ke puche ja raha tha aur usme avinash to tha hi ha me ha milane ke liye
Avinash-anya isko ko suman ka kissa bata be, yash ye sun
Fir aniket ke suman ka kissa sunana shuru kiya aur ek ke baad ek kisse sunate gaya, aur idhar avinash uska glass bhare hi ja raha tha, aur kisse sun kar yash dil khol kar has raha tha aur aniket use hasa raha tha aur haste haste yash bola
Yash-tum dono ek se badhkar ek ho
Aniket-hao fir wo to hai hi
Yash-namune ho ek number ke
Aniket-hao hai hi
Yash-jabardast understandiong hai tum dono me
Aniket-hao bilkul hai
Yash-dono ke gun bhi ek jaise hai
Aniket-hao bilkul hai
Yash-tu usse pyaar karta hai
Aniket-hao bilkul karta hu
Apan kya bol gaye hai ye dhyan me aate hi aniket ekdum chup ho gaya aur yash haste huye uski taraf dekh raha tha
Yash-pyaar karta hai na usse
Par aniket kuch nahi bola
Yash-dekh tu bhale hi kuch na bole par tera chehra bata raha hai ke tu komal ko kitna chahta hai, bas ya to tu ye baat batana nahi chahta ya fir tere bhi dhyan me nahi aaya hai ki tu usse pyaar karta hai
Aniket ki aankhe bhar aayi thi aur muh se shabd nahi nikal rahe the yash uske kandhe par hath rakhte huye bola
Yash-anya main ekdum dil se keh raha hu, tu sirf mera bhai nahi balki mera dost bhi hai, bachpan se jaanta hu tujhe, tu pyaar karne laga hai komal se aur meri maan komal hi tere liye sahi ladki hai, maan le ki pyaar karta hai tu usse, teri aankho me ye saaf dikhta hai re aur ek aashq hi dusre aashiq ko pehchan sakta hai…
Aniket ne fir ek najar avinash ko dekha aur usne bhi ha me gardan hila di aur jaise hi avinash ne ha kaha aniket ka sabra chhut gaya aur yash ke gale lag gaya aur uski aankho se aansu behne lage
Kaisa hota hai na hum ek shabd bhi nahi bolte par jo hamse vicharo se bhavnao se juda hota hai use barabar samajh aata hai ke hum kya kehna chah rahe hai, yash sab samajh raha tha,wo gana hai na dil ka haal sune dil wala, aniket s waqt kya feel kar raha tha ye shabdo me batane ki jarurat nahi hai, uske aansu bata rahethe kea b sab saaf hai
Kuch der tak koi kuchy nahi bola aur akhir me shanti bhang ki aniket ne
Aniket-hao!! Main pyaar karta hu komal se, ekdum tahe dil se chahta hu use
Aur idhar avinash hawa me hath uthate huye bola mano usne jund jeet li ho
Avinash-yeesssssssss!!
Aur agle hi pal uth ke waha bagair music ke nachne laga, yash aur aniket uska dhingana dekh ke has rahe the aur nache nache avinash ne aniket ko gale laga liya
Avinash-gazab launde, dil khush kar diya tune
Aur fir yash se gale mil ke avinash ne use thankyou bola
Avinash-arey abhi to party shuru huyi hai
Aur fir unka beer ka program wapis shuru ho gaya aur yash bola
Yash-anya gadhe tu hamesha komal ke sath raha fir tere dhyan me kaise nahi aaya ke jo mujhe yaha aana pada teko samjhane ke liye
Aniket-wo lambi khani hai be abhi sunane lagunga to 34 update lagenge par yaha aana pada matlab? Tu isi liye yaha aaya tha kya?
Avinash aur yas has rahe the aur ab ye sara mamla aniket ke dhyan me aa gaya aur wo baithe jagah par avi ko lath maarte huye bola
Aniket-sale halkat aadmi? Mereko shak hua tha ye teri ki karamat hogi
Avinash-kyu ye sab nahi karna chahiye tha kya
Aniket-sala dus dimag ka ravan
Avinash ka plan success ho gaya tha, komal ne use kasam di thi ke wo aniket ko kuch nahi batayega aur isme se avinash ne rasta nikala tha, aniket ko wo bata nahi sakta tha par yash ko batane kisne mana kiya tha
Fir yash ne pucha
Yash-to bandhuraj ab komal ko I LOVE YOU kab bolega?
Tab aniket bola
Aniket-already abhut late ho gaya hai ab aur der nahi karunga
Yash-matlab?
Aniket-bhale duniya ko aag lag jaye par tumhara bhai komal ko aaj hi propose karega
Yash aniket ko samjha raha tha par ab aniket bhai sunne ko tayar hi nahi theaur fir yash avinash se bola
Yash- avi tu hi bol isko kuch
Aur avinash bas itna bola
Avinash-jaag utha shaitaann….!!