• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Hateli Lovestory ;) (complete)

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
35,701
47,491
304
उनतीसवाँ और तीसवाँ भाग

तो शराब पीने के बाद आखिर अविनाश ने अपने ज्ञान के भंडार में से कुछ ज्ञान अनिकेत को दिया। उसे प्यार की परिभाषा समझाई और कोमल की तरफ इशारों इशारों में अनिकेत का ध्यान दिलाना चाहा। लेकिन अनिकेत को कुछ समझ नहीं आया कि अविनाश का इशारा किस तरफ है।।

तीनों मित्रों ने श्रावणी को जलाने के लिए योजना बनाते हैं और जब श्रावणी दिखाई देती है यो उसपर हँसने लगते हैं। जिससे परेशान होकर श्रावणी ने अनिकेत और कोमल से इसका कारण पूछा तो अनिकेत ने उसे उसकी गलती का एहसास करवाया। श्रावणी को भी अपनी गलती का एहसास हुआ और उसने अनिकेत से क्षमा मांगी।।

मुझे लगता है अनिकेत को श्रावणी को क्षमा कर देना चाहिए, क्योंकि गलती हर इंसान से होती है और अगर इंसान अपनी गलती का प्रायश्चित करना चाहे तो उसे एक मौका मिलना चाहिए।अब देखना ये होगा कि क्या श्रावणी को मौका देता है अनिकेत या नहीं।।
Bahut bahut shukriya :thanks:
 

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
35,701
47,491
304
एकतीसवाँ भाग

बहुत ही जबरदस्त

मतलब भांग के लड्डू ने अपना कमाल दिखा दिया और तीनों लड्डू खाकर पागलों जैसा बर्ताव करने लगे।पूरा घर तहस नहस कर दिया। अनिकेत बम बम भोले बम बम भोले, कोमल मुझे साजन के घर जाना है और अविनाश भूख लगी भूख लगी जोरों की भूख लगी पर थिरक रहे थे। अविनाश पूरा फ्रिज साफ कर दिया। दाल चावल खा डाले और डब्बे में से किसी और चीज पर हांथ साफ कर रहा था।

कौशल्या देवी नारायण राव को बुलाया उन्होंने अमरूद का पत्ता तीनों को खिलाया तब जाकर उन्हें होश आया।।
Bahut bahut shukriya :thanks:
 

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
35,701
47,491
304
बत्तीसवाँ भाग

अब आया कहानी में नया रोमांच। कोमल ने बताया कि सुमन की शादी उसके पापा जाति के आधार पर सिद्धार्थ से न करके पास वाले पाटिल के लड़के से कर रहे हैं। कोमल अनिकेत और अविनाश सिद्धार्थ के साथ मिलकर सुमन को भगाने का प्लान बनाते हैं।

सुमन के भागने का पता सुमन के पापा को चल जाता है तो वो उन्हें पकडने के लिए उनका पीछा करते हैं और आखिरकार मंदिर के पास पहुंच कर उन्हें पकड़ लेते हैं।

देखते है आगे क्या होता है। बहुत ही जबरदस्त।
Bahut bahut shukriya :thanks:
 

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
35,701
47,491
304
Update 34



Waqt ki sabse achi baat yahi hai ke wo kabhi rukta nahi hai, acha ho ya bura nikal jata hai, beech ke kuch samay me yash ki life me bahut kuch hua tha, uski kahani aniket se alag thi, ek taraf jaha aniket ka breakup hua tha jo ki sahi hua tha aur use ab tak komal ke pyaar ka ehsaas nahi hua tha wahi yash ko break up hone ke baad samajh aaya ki wo apni girlfriend priya se kitna pyaar karta tha aur uski girlfriend ko bhi, to yash k eek din aniket ko kaha tha k eek baar aankhe band kar ke apne pyaar ke bare e soch aur dekh kiska chehra saamne aata hai (wohi ajay devgn ki batai trick) to aniket ne waisa hi kiya aur pehle pehal to usne is baat ko majak me udaya par sach ye tha ke use komal ka chehra dikha tha

Aniket soch raha tha ke use komal kaise dikhi, dimag me kayi khayal eksath ghum rahe the, vicharo ii angina madhimakkhiya use das rahi thi, wo man hi man keh raha tha ke ‘ab ye kya hai naya locha? Itne samay se hum sath hai kabhi mujhe aisa kuch mehsus nahi hua to aaj komal ka chehra kaise dikha, kya main sach me komal se pyaar karne laga hu? Nahi nahi aisa nahi hai wo to bas meri dost hai, waisa kuch hota to main shravni ke piche kyu jata? Fir meri aankho ke saamne shravni ki jagah komal ka chehra kaise aaya, abe yaar ye yas ne bhi naya jhanjhat piche laga diya hai’

Acha bhutkaal me komal ke sath bitaya har pal aniket ki aankho ke saamne aane laga aur usme bhi suman ke shadi ke time komal ka ‘chal shadi kar lete hai’ bolna to uske dimag me ander tak ghusa hua tha

Aajtak aniket ne komal ki taraf bas dost jasise dekha tha, uske liye komal aur avinash me koi fark nahi tha par man me uthti huyi bhavnaye bhi dab nahi rahi thi aur use reh reh kar yaad aa raha tha uska komal ko boli kyui wo line ke is duniya me agar wo aakhri ladki bhi hogi to wo atmahatya kar lega par usse shadi nahi karega, maa bapu bhi bol rahe the to aniket ne unhe bhi samjhaya tha kewo aur komal bas dost hai aur kuch nahi, aur ye sab kuch agar aisa tha to ab ye sab bhavnaye kya hai? Yash ki lovestory dekh ke aniket ko lag raha tha ke uska dimag fir gaya hai, shayad shravni ke baad usne dusri kisi ladki ko dekha nahi tha aur komal hamesha uske sath rehti hai isiliye use komal ka chehra dikha ho, kya kare yahi aniket ke samajh me nahi aa raha tha

Ek pal ko aniket sochta ke sidhe jake komal ko apni bhavnaye bata de par agle hi pal uske dimag me khayal aaya ke ‘komal ne hi to uski aur shravni ki setting lagayi thi agar komal ke man ke mere liye aisi koi feeling na huyi to? Main bola aur usne gusse me dosto tod di to? Avinash kya bolega? Dilfek aashiq ek ladki gayi nahi ke dusri ke piche lag gaya? Hath me katora leke ghumne wala bhikari jo ek dar se prem nahi mila to dusre darwaje par pahuch gaya? Aur is sab me avinash bhi mujhse dur ho gaya to? Nahi !! nahi!! Main ek baar ko pyaar ke bagair reh lunga par dosto ke bagair nahi reh paunga…’

Dil keh raha tha ke bindass jake komal ko apni feelings bata de, naraj huyi to use mana lenge par dimag keh raha tha ke aisa mat kar, teri ek galti aur sabse kimti dosto khatam ho jayegi, ek baar shravni ke samay pea pan ne bewkufi ki hai, is baar ye dono dur ho jayenge, aur in dono ke bagair jine ki kalpana bhi nah ki ja sakti, aur akhir me dimag jita aur dil hara, aniket ne decide kiya ke uske liye pyaar se jyada dosti important hai..

Us din se aniket ka swabhav uske baat chit ka tarika badal gaya, komal aas paas hoti to wo uncomfortable ho jata, komal se baat karte huye soch ke baat karne laga, bolte huye sambhalne laga, ye baat komal ke bhi dhyan me aa gayi aur usne is bare me pucha bhi par aniket ne kuch nahi bol ke is baat ko hasi me taal diya tab komal ne jab aniket nahi tha tab avinash ko pucha

Komal-avi ye anya ko kya hua hai?

Avinash-arey wo uske bhai yash ke love story me loche chal rahe hai, vaat lagi huyi hai isiliye iska mood thoda aisa hai

Uske baad avinash ne komal ko yash ka pura kissa bataya (apun wo batake agli story ka spoiler nahi dega :D ) aur wo sunke komal boli

Komal-acha aisa hai kya, fir theek hai.. mujhe laga ki…..

Avinash-kya?

Komal-kuch nahi

Avinash-bol na kya laga?

Komal-mujhe laga ki tune mere bare me use kuch bataya hoga

Avinash-batana chahiye tha kya?

Komal-nahi

Avinash-par kyu? Pichli baar wo gobar thi main samajh sakta hu par ab kya dikkat hai

Komal-use khud ye baat samajhni chahiye

Avinash-ye teri jidd hai

Komal-jidd nahi hai vishwas hai apne pyaar pe

Avinash-tu faltu me samay barbad kar rahi hai isse acha main bata deta hu usko

Komal-tu kuch nahi batayega

Avinash-tu adiyal aur wo murkh, waah rab ne bana di Jodi, par meko faltu kasam me bandh ke rakha hai, meri haalat pitamah bhishm ke jaisi ho gayi hai, galat tarike se raajpat hote dekha nahi jata aur kudh raja ban nahi sakta

Komal-mat soch itna time sab theek kar deta hai, itna load nahi lene ka avi

Dono canteen se baahar nikle avinash komal ki di huyi kasam ke bare me soch raha tha, komal agar ek baar use khud ki kasam deti to wo khushi khushi haste huye wo kasam tod deta par aniket ki kasam wo nahi tod sakta tha, kaise bhi karke ko aniket ko khud kuch nahi bata sakta tha aura b uska kurapati dimag kaam pe laga..



Avinash ghar par bhi isi bare me soch raha tha par use idea kuch mil nahi raha tha akhir me usne pareshan hokar TV shuru kiya aur mahabharat dekhte baitha… mahabharat me is waqt ladayi ka scene shuru tha, bhagwan Krishna bheem ko ashwathama naam ke hathi ko maarne ko bol rahe the aur bheem ne apni gada ke prahar se us hathi ko maar diya aur chillane laga, ashwathama mara gaya maine ashwathama ko maar diya maine ashwathama ho maar diya, ashwathama guru dron ke bete ka naam tha aur jab unhone bheem ki baat suni to unhe kisi par yakin nahi hua aur wo is baat ki satyata janne ke liye yudhisthir ke paas aaye, kyuki yudhisthir kabhi jhuth nahi bolte the, bhagwan Krishna ne yudhisthir ko pehle hi bata diya tha ye baat aur jab dronacharya waha aaye aur yudhisthir se pucha ke kya ye sach hai? To yudhisthir bole ki ye sach hai ashwathama mara gaya aur fir dhire se kisi ko sunai na de aise bole nar ya pashu pata nahi,

Waise dekha jaye to na to wo sach bole na hji jhuth, yudhisthir ko bura lag raha tha ke unhone apne guru se jhuth kaha tha aur ye unke jindagi ka pehla jhuth tha par fir Krishna ne unhe samjhaya ke, yudhisthir manya hai ki aap sach nahi bole par aapne jhuth bhi nahi bola hai, saamne wale ne aapki puri baat nahi suni ye uska dosh hai aapka nahi aur kisi ke bhalayi ke liye bola gaya jhuth bhi satya ki taraf pavitra hota hai’

Avinash se scene dekh kar apni jagah se uth khada hua aur TV ko pranam karne laga aur fir khud se bola

Avinash-main bhi ek number ka bewkuf hu, itni sidhi baat mere dhyan me kaise nahi aayi

Avinash ke dimag meek nayi kurafati idea janm le chuki thi aur usne man hi man khush hokar apni pith thapthapayi aur gabbar singh wale style me bola

Avinash-ab tera kya hoga re anya!..
 
Top