- 36,244
- 48,344
- 304
Update 8
Ek ladka aur ladki kabhi dost nahi ho sakte
-Mohnish Bahl,
Maine Pyaar Kiya, 1989
Ek ladka aur ladki kabhi dost nahi ho sakte
-Mohnish Bahl,
Maine Pyaar Kiya, 1989
Is line ko likhne ka ekmatra uddeshya ye hai ye wahi wo line hai jisne hamare mata pitao ke dimag me ye baat bhari thi ke ladka aur ladki agar dost hai to wo dost nahi hai balki unke beech kuch chal raha hai halanki 90% time ye baat sahi bhi hoti hai agar ladki ladke ko friendzone na kare to
Ab mudda ye hai ke maine ye yaha kyu likha hai to aage padhiye janab aap samajh jayenge
Aniket jab college me ghum ke ghar pahucha (padh ke nahi ghum ke kyuki ye college padhne nahi jate hai ghumne jaye hai ) to kaushalya aur narayanrao ghar ke aangan me chai pite baithe the aur jab narayanrao ne aniket ko dekha to unhone ek teasing smile karte huye aniket ko dekha (wo smile nahi hoti jab ham kisi apne dost ko uski girlfriend ke sath dekh lete hai aur unke paas jane ke bajay apne dost ko smile karte huye ishara karte hai bas kuch kuch waisi hi smile abi samajh jao)
To narayanrao aniket ko dekh ke muskura rahe the wahi kaushalya ke chehre pe bhi muskan thi par apne hero full confusion me tha, use jara bhi samajh nahi aa raha tha ke ye dono use dekh ke muskura kyu rahe hai ab jab kuch samajh hi naih aa raha tha to aniket badhiya hath muh dhokar fresh hokar unke paas aakar baith gaya par ab bhi dono me se koi kuch nahi bola balku muskurana chalu tha aur aakhir me aniket hi chidh kar bola
Aniket - kya hai!
Narayanrao(kandhe jhatakte huye)- kaha kya kuch bhi to nahi
Aniket-to aaj ke muskan ki chamkan ka kya raaz hai
Kaushalya(apni hasi dabate huye)- kaun has raha hai, ani beta tujhe bhas ho raha hoga, kyuji aap hase kya
Narayanrao(bhola chehra banate huye)- kaun main, main kyu hasunga? Main to aaram se apni chai pi raha hu tum hi hasi hogi kaushalya
Baad main wapis se dono gaalo hi galo me hasne lage aur narayanrao ne halke se kaushalya ko aankh maar di aur yahi apne aniket ne dekh liya
Aniket-arey yaaar aap dono bhang ki goli kha ke baithe ho kya jo aise bematlab hase ja rahe ho aur bapu aap bhi kya mere jaise bacche ke saamne akhiyo se goli maar rahe ho
Narayanrao- kaushalya ab to case pakad ke baahar hai, acha bhala ladka gaya kaam se
Aniket ke kandhe pe hath rakhte huye narayanrao ne kaha
Narayanrao(aniket se)-chinta mat karo aisa hota hai, bematlab hasne ka man karta hai, kuch karne ki icha nahi hoti to kabhi man udas hota hai
Aniket ke kuch samajh nahi aa raha tha ke ye chal kya raha hai wo hath jodte huye bola
Aniket-papa aaj BP ki dawa lena bhul gaye kya aap, kya behki behki baat kar rahe ho, tabiyat theek hai na aapki
Narayanrao(ekdum shayar andaj me)- na dawa kaam aaye na dual age, aye khuda kisi ko ishq ki hawa na lage
Aniket ke anguthe se pine ka ishara kiya aur narayanrao se bola
Aniket- bapu kam se kam raat to hone dete sham me party shuru kar di aapne to par botal nahi dikh rahi kahi
Narayanrao-nalayak dikh nahi raha main chai pi raha hu
Aniket-to fir ye shero shayari, maa bapu ka chal chalan theek nahi lag raha meko, ab is umra me ye ishq waigaire jamne wala hai kya aapko
Aniket ki baat sun ke kaushalya ne mast ek chota sa mukaa jad diya uski pith me
Kaushalya- nalayak wo tere bare me baat kar rahe hai, ladki pasand aa gayi unko
Aniket-o o o bapu ye kya aap maa ko kuch bhi batate rehte ho? Ek minute (pehle to aniket ne apni kaam ki baat dhyan se nahi suni aur bolna chalu kiya par jab uske dhyan me aaya ki kaushalya kya boli hai tab wo bola) ek minute maa kya bola tumne dobara bolna jara?
Kaushalya- maine kaha hame bahu pasand aa gayi hai
Ab kaushalya ki baat sun ke aniket ne sar pe hath maar liya aur use samajh aa gaya ki ye sab kya nautanki chal rahi hai
Aniket-hey bhagwaan chalk al ere sath hospital me chalo kal ke kal aap dono ka motiyabind ka operation karane ka hai, matlab kuch bhi yaar
Narayanrao has rahe the aur aniket aur bhi jyada chidh raha tha
Aniket-arey yaar papa haso mat yaar komal dost hai meri sirf
Narayanrao-ok
Aniket-sirf dost aur kuch nahi
Narayanrao- theek hai
Ab aniket ko waha rukna theek nahi laga kyuki narayanrao ka hasna hi nahi ruk raha tha aur aniket waha se utha aur apne room ki taraf jane laga par jaye huye ek baar fir aaya aur bola
Aniket- sirf aur sirf dost samjhe?
Narayanrao-ham kaha kuch bol rahe hai tu hi bol raha hai jo hai ham to kuch nahi bole
Aniket-good wo dost hai meri sirf aur ye hasna band karo yaar
Aniket pair patakte huye room me chala gaya aur narayanro kaushalya se bole
Narayanrao-tumhe kya lagta hai kaushalya
Kaushalya-mujh to aisa kuch nahi lagta jaisa aap bol rahe ho agar aisa hota to wo ladki itni bindaas banke ghar nahi aati
Narayanrao-ye baal dhup me safed nahi huye hai kaushalya
--------
Aise hi ek din aniket aur komal canteen me baate karte baithe the aur avinash thoda late aaya tha. Ab avinash aur komal ka pasandida kaam yahi aniket ko satana to komal ne avinash ko pucha
Komal-avi vadapav khayega?
Aur usne avi ko aankh maar di aur fir aniket ke pucha
Komal-anya tu khayega?
Aniket apne phone me kuch dekh raha tha to usne haa me gardan hila di to komal ne do vadapav ki order di aur waiter ne vadapav waha lakar rakha aur jaise hi waiter gaya avi aur komal ne vadapav utha ke fast kar liya aur aniket unhe dekhta hireh gaya
Komal-avi tu to nahi khane wala than a?
Avinash-arey wo dekh ke ekdum mood ho gaya khane ka sorry anya, komal ek aur ho jaye?
Komal-nahi tu au rani khao
Avinash ne bhi 2 vadapav ka order diya aur wapis se wahi is baar komal ne aniket ka vadapav utha ke kha liya to avi jhuta gussa dikhate huye bola
Avinahs-bolna than a komal pehle ab wapis ani reh gaya na
Komal-arey aaj mast vadapav bana hai isiliye raha nahi gaya sorry anya
Par ab aniket ke dhyan me aa gaya tha ke ye dono uski maja le rahe hai, usne apna phone jeb me rakha aur man me bola ‘abi inko batata hu’ aur aniket ne 2 vadapav oder kiya
Waiter ne vadapav rakhte hi aniket ne plate apne paas khichi aur “thu thu thu’ karte huye vadapav ke thuke jaisa kiya, avinash aur komal is baar bhi vadapav uthane ki tayari me the par aniket ke thu thu ko dekh ke unhone apna hath piche le liya aur aniket ne unke saamne plate sarka di
Aniket-kya hua, lo lo vadapav lo, ekdum mast bana hai na, huh bhai se bakchodi karne chale the
Aur fir aniket se mast vadapav khaya aur uske baad jo usne Dakar mari hai agar wo vadapav banane wala us dakaar ko sun leta to uska to vadapav banane ka careersafal ho jata…..
To Be Continued…..
Last edited: