• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Bhool(Completed)

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

lone_hunterr

Titanus Ghidorah
3,848
5,456
159
:iambest:
Bhut badiya updates h sir....
Maza aa gaya h.
Sameer may be right but I think a person has to diplomatically right.
And mujhe lagta h ki Shruti will be successful only because of Sameer and Priya's attitude.
Karan and Shruti dono asteen ke sanp h aise dost na hi ho to accha.
Update ke last sentences se lagta h ki maybe flashback is going to end soon and mystery is going to revealed.

Waiting for today's updates...

And thanks for taking my suggestion and giving longer updates and mix of present and past.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
bahut badhia ............... updates

principal wastav me ek no. ka kameena hai...... lekin ye sanjay sharma ka samajh nahi aya ki us kameene ki dosti ke samne self respect bhool kyon jate hain...........

to past me neha ke flop idea se hi shruti ne ye game plan banaya tha..... jo aj priya se bhi jyada shruti ke liye nuksan denewala sabit hua.... shruti ki khud ki shadi toot gayi.........

dekhte hain shruti ke chehre se naqab kab hatega

keep posting dear
Thanks Kamdev bhai for your support and review...Keep supporting.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
:iambest:
Bhut badiya updates h sir....
Maza aa gaya h.
Sameer may be right but I think a person has to diplomatically right.
And mujhe lagta h ki Shruti will be successful only because of Sameer and Priya's attitude.
Karan and Shruti dono asteen ke sanp h aise dost na hi ho to accha.
Update ke last sentences se lagta h ki maybe flashback is going to end soon and mystery is going to revealed.

Waiting for today's updates...

And thanks for taking my suggestion and giving longer updates and mix of present and past.
Thanks Lone Hunterr bhai for your support and review...Keep supporting.
 
Last edited:

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
UPDATE 36

Next Day in College


Hamesha ki tarah Sameer, Rajesh aur Shruti lunch kar rahe the...Shruti ko laga yahi accha mauka hai apne plan ki suruwaat karne ka.

Shruti:- Sameer tum jaante ho wo Karan tumhare peeth picche class me tumhara buraai karta hai???

Shruti ne pehle Karan ko target kiya.

Sameer:- Bhaunkne do kutte ko...Wo bas picche se bhaunk sakta hai...Saamne se kuch bolne ki himmat nahi...Aur jo kehna hai usse kehne do...Hame kya fark padta hai...Aur ha agar saamne se kabhi bola to mera gussa ka show dekhega.

Sameer ko Shruti ki baat ka kuch fark nahi pada...Wo to Karan ko apne saamne kuch maanta hi nahi tha...Shruti bhi filhaal jyaada na bolne ka sochti hai.

Lunch karne ke baad Sameer aur Rajesh to class me chale jaate hai lekin Shruti kuch sochte hue park ki taraf chal deti hai.

Wo park me sidha Priya ke pass chali jaati hai...Aur Priya se kehti hai.

Shruti:- Mujhe tumse baat karni hai?

Gussa aur pura attitude ke saath Shruti boli...Shruti ne aaj pehli baar Priya se kuch kaha tha...Shruti ki baat sun kar Priya ke saath Karan aur Divya bhi chaunk gayi ki Shruti ko Priya se kya kehna hai.

Priya:- Haa kaho?

Priya ne bas itna hi jawaab diya.

Shruti:- Mai tumhe ye kehne aayi hu ki tum teeno Sameer se dur raho? Jyaada Sameer ko pareshan karne ki socha naa to tum teeno ka jeena mushkil kar dungi...(Karan aur Priya ki taraf dekh kar) Tum dono kyu apna naak bich me ghusedne aa jaate ho hamaari group me...Pata nahi Sameer kaise bardaast kar leta hoga tum dono ko...Agar aise hi chalta raha to ek din Sameer ka gussa bhi dekh loge tum dono...Agli baar tum dono ne kuch karne ka socha bhi to Sameer ka pata nahi lekin mai tum dono ko nahi chhodne waali?

Shruti ki aawaj me attitude aur warning dono tha...Wo itna keh kar jaane ke liye palti hi thi ki Priya ki aawaj usse rok leta hai.

Priya:- Excuse me...Tum kya sochti ho apne aap ko? Tum aise kuch bhi bol dogi aur ham sun lenge? Abb tum aur tumhaara group ka problem kya hai? S
ameer ne keh diya hai na ki wo apne dosto se hi matlab rakhta hai hamse nahi...Aur ham usse koi matlab na rakhe...To ham yahi to kar rahe hai...Shaayad galti me kuch jyada hi fight ho gayi hamaare bich...Abb hame bhi usse koi matlab nahi...Aur ham bhi shanti chaahte hai koi ladaayi nahi...To tum kyu aakar isss tarah se baat kar rahi ho aur hame dhamki de rahi ho? Abb to hamne kuch bigada bhi nahi hai tum logo ka?


Shruti:- Ha yahi yaad dilaane aayi thi ki galti karne ka sochna bhi mat...Warna anjaam bahut bura hoga.

Priya ki jawaab sun Shruti ne ek baar fir chetawani de diya.

Priya:- Dimaag nahi hai kya tumhaare paas? Keh diya naa abb hum tum logo ki bich nahi aayenge...To kyu nahi samajh rahi ho aur hamaara dimaag kharab kar rahi ho.

Baar baar Shruti ki warning se gussa ho kar Priya ne bhi iss baar tej aawaj me jawaab diya...Priya ka aise chilaane se Shruti ko bahut gussa aaya...Wo bhi abb ladaayi ki mood me aa gayi...Aur fir se chilaate hue kehne lagi.

Shruti:- Kya kaha tune? Mere paas dimaag nahi hai...Tera aisa bolne ki himmat bhi kaise hui? Mujhse jubaan ladaayegi...Tera itna himmat ho gaya...Ruk tujhe to mai abhi bataati hu...Sameer ne chhod diya to iska matlab jo man me aaye wo karegi.

Shruti itna keh kar aage badhi hi thi ki lunch break khatam hone ka bell bajta hai...Aur tab jaakar usse ehsaas hota hai ki aas paas kuch students unhe dekh rahe hai jhagadte hue...Lunch break khatam ho gaya tha to abb koi matlab nahi tha fighting karne ka...Shruti aur Priya dono ek dusre ko ghurte hue class ki taraf jaane lagte hai.

Priya:- (In her mind) Kaisi ajeeb ladki hai? Be wajah ladna chaahti hai...Sameer to bahut attitude dikhata tha ki usse ham logo se koi matlab nahi aur hamse dur rehna chaahta hai...To fir ye kya hai? Uska hi dost hamse be wajah ladna chaahti hai...Hame kuch bhi keh sakti hai aur agar mai kuch reply du to mirchi lag gayi...Aaj college chhuti hone ke baad ek baar Sameer se baat karke hi rahungi iss Shruti ke baare me...Dekhta hu aaj kya jawaab deta hai wo apni iss dost ki aisi harkat par.

Shruti:- (In her mind) Mujhse jubaan ladaati hai...Lagta hai iski himmat bahut badh gayi hai jo abb hamse jubaan ladaati hai...Bahut jald iska saara ghamand tod dunga...Pehle to socha tha ki ek warning deta hu isse hamse dur rehne ka...Lekin ye ladki warning bhi deserve nahi karti...Lagta hai isse sidha sabak sikhaana padega...Abb Shruti se panga liya hai to iska anjaam bhugatna to padega...Accha sabak sikhaaunga iss Priya aur iski team ko...Chaahe uske liye mujhe kuch bhi kyu na karna pade.


Shruti ne Priya ki baat ko apne ego ke roop me le liya tha...Aur usko apna galti bilkul bhi najar nahi aa raha tha...Ek simple si baat ko complicated banaane jaa rahi thi wo...Aur abb wo har haal me Priya ko sabak sikhaana chaahti thi.....Iske liye chaahe usse kuch bhi karna kyu naa pade......Sameer aur Priya ki gusse aur nafrat ka jwaalamukhi jo shaant ho raha tha usse fir se Shruti bhadkaana chaahti thi...Iska anjaam kya hoga ye to bas vakt hi jaanta tha...Jo bhi hoga accha to bilkul bhi nahi hoga kisi ke liye bhi.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
UPDATE 37


College jab khatam hua uske baad Sameer aur Rajesh apne ghar jaane ke liye nikle hi thi ki Priya daud kar uske paas aa jaaati hai...Shruti bhi wahi thi...Yahi accha mauka tha Priya ke liye Shruti ke saamne hi wo uski sikaayat Sameer se kare.

Priya:- Sameer.

Priya jaise hi Sameer ki jagah pahunchi wo haanfte hue boli...Sameer ne bhi picche mud kar dekha to Priya ko yaha paakar chaunk gaya...Wo Priya ka yaha iss tarah se aana aur khud ko bulaane ki vajah kya ho sakta hai ye soch raha tha.

Sameer:- Abb kaun sa naya drama karne aayi ho?

Sameer ne behad rookhepan se jawaab diya...Usse Priya ka yaha aana bilkul bhi accha nahi laga tha...Priya ko bhi Sameer ki ye baat accha nahi laga...Lekin wo yaha jis kaam ke liye yaha aayi thi uss baare me kehti hai.

Priya:- Koi drama karne nayi aayi hu mai...Balki drama to tum log kar rahe ho.

Priya ne bhi gusse me Sameer ko jawaab diya...Sameer ko bhi Priya ki iss jawaab par bahut gussa aaya lekin usne apna gussa daba kar kaha.

Sameer:- Dekho Priya mai abhi majaak karne ka mood me nahi hu aur naa hi tum jaiso se majaak karna chaahta hu...Behtar yahi hoga ki tum apna bakwaas band karo aur jaao yaha se.

Sameer ne apni baato se to gussa ko chhipaa liya lekin uski aankho me abhi bhi gussa dikh raha tha...Priya bhi ye dekh leti hai...Aur usne bhi der na karne ki sochi.

Priya:- Majaak to mai bhi nahi karna chaahti tum logo se...Lekin jo tum log kar rahe ho wo majaak nahi to aur kya hai...Tum hi bade shaan se kehte the na ki tumhe ham se koi matlab nahi aur ham apna kaam dekhe tumse koi matlab na rakhe...Ham to apni hi duniya me khus hai to fir ye tumhaara dost Shruti kyu aake bina vajah dhamki deti hai...Kyu abb ye hamaari maamlo me abb taang adaa rahi hai? Jawaab do Sameer...Aur behtar yahi hoga ki tum hame samjhaane se pehle apne iss dost ko samjhaao...Jo problem hamaare bich me tha wo kam ho raha tha lekin ye ladki fir se usko badhana chaah rahi hai.

Priya ne apni puri baat Shruti ko ghurte hue kaha...Shruti ek dam normal behave kar rahi thi jaise usse pehle hi pata tha ki ye sab hone waala hai.

Jab Priya ne apni baat khatam kiya to Sameer ne bina Shruti ki taraf dekhe sidha Priya se kaha.

Sameer:- Tum log ki aadat si ho gayi hai abb...Kuch pal to shaant rehte ho fir kuch plan karke tamasha karte ho...Pehle wo Karan aur ab tum...Kuch pal shant reh kar aa gayi ek aur plan bana kar...Lekin har baar ki tarah tum logo ka plan bekaar aur kisi kaam ka nahi.

Kya soch kar aayi thi...Hamaare dosti me daraar paida karogi...Mujhe Shruti par pura bharosha hai wo aisa kuch bhi nahi kar sakti...Tum chaahti ho ki mai tum jaiso ki baato me aakar apne dost pe shak karu aur usse sawaal jawaab karu...To fir ye tumhaara galatfehmi hai...Chaahe tum log jitna bhi planning karo mera Sameer aur Shruti ke saath dosti hai usse todna to dur hilaa bhi nahi paaogi...Abb jaao aur koi dusra plan taiyaaar karo.

Sameer ki baat par Shruti Sameer ko hairaani se dekh rahi thi...Usse yakin to tha ki Sameer ussi ka saath dega lekin Sameer uss par itna bharosha karta hai ye usne socha nahi tha.

Priya ko Sameer ki baat par bahut gussa aaya...Usne socha nahi tha ki Sameer Shruti par itna andha tarike se vishwaas karta hai...Wo itna to samajh gayi thi ki wo Sameer ko samjhaa nahi paayegi.

Priya:- Sameer...Hamaare bich me bahut si problem hai, ladaayi hai...Tum hamaare dushman jaise ho...Lekin mujhe laga tum utna buraa insaan nahi ho...Baat ko samajhte ho...Lekin aaj tumhaare baare me ek aur baat pata chal gaya...Tum se baat karna bhi bekaar hai.

Itna keh kar Priya waha se gusse me nikal gayi.

Sameer ne aaj jo kiya usse dekh Shruti bahut khus ho gayi...Abb Shruti ko laga ki yahi sahi mauka hai Sameer ka vishwash aur jitne ka.

Shruti:- Sameer.

Shruti thoda emotional hone ka naatak kar Sameer se kuch kehne waali thi...Lekin Sameer ne usse bich me rok kar kaha.

Sameer:- Nahi Shruti...Tumhe saabit karne ki jarurat nahi hai ki tumne kuch nahi kiya...Vishwash hai tum par...Koi bhi aake kuch bhi bol dega to kya mai vishwaas karke apne dost par shak karunga kya? Waise bhi wo log to yahi chaahte hai ki hamaari friendship me daraar aa jaaye...Kehte hai na "Unity is strength"...Jab tak ham saath hai koi hamaara kuch nahi bigaad sakta.

Jab Shruti ko laga ki Sameer uss par pura vishwash karta hai aur ye vishwash Priya nahi tod sakti...Tab usse aur himmat mila apne plan ko anjaam dene ka..
.Kisi bhi tarah wo Sameer ka Karan aur Priya se dushmani badhana chaahti thi...Iske liye usne Sameer se ek baar fir kaha.

Shruti:- Lekin aisa kab tak chalega Sameer...Wo log kuch bhi karenge aur ham sab dekhte rahenge...Aaj unn logo ne hamaari dosti par baar kiya hai pata nahi kal himmat aur badhne par kya karenge...Iss mushibat ki ped ko badhne dene se pehle hi ukhaad phekna chaahiye...Ham log chup hai issi liye unn logo ki himmat badh rahi hai.

Shruti ka ye tir thik nishaane par laga...Sameer bhi uski baat par sehmat ho gaya.

Sameer:- Sahi keh rahi ho tum...Mai bhi soch raha hu unhe sabak sikhaane ka vakt aa gaya hai...Bahut mauka diya hai hamne unhe...Lekin unhe ye sab majaak lag raha hai...Kuch plan to karna hi hoga.

Shruti:- Ha jaldi se unhe majaa chakhaayenge...Tab unhe pata chalega unhone kisse panga liya hai.

Sameer:- Nahi jaldi nahi...Intejaar ka fal meetha hota ha....Thoda intejaar karke aur acche se soch kar ek accha sa plan banayenge...Tab wo log hamaara piccha chhodenge...Jaldbaazi ka kaam to Priya aur Karan kar rahe hai...Aur har baar unka plan kharab ho jaata hai...Hame bhi aisi bhool nahi karna chaahiye.

Shruti ko Sameer ki ye baat accha nahi laga...Lekin filhaal yahi kaafi tha ki usne Sameer ki dimaag me badle ki feeling bhar diya hai aur plan banane par majboor kar diya hai.

Iske baad wo bhi Sameer ko bye bol kar apne ghar ke liye nikal jaati hai.

Shruti ke jaane ke baad Sameer aur Rajesh bhi bike se nikalte hai...Sameer to ye sab bhul kar fir se normal ho gaya...Lekin Rajesh bahut der se abhi hui ghatna ke baare me soch raha tha.

Usse Priya ki baat me koi jhuth najar nahi aa raha tha...Shruti ki harkat par wo kuch din se notice kar raha tha...Usse Shruti thoda ajeeb lag raha tha...Aaj bhi wo Shruti ki chehre ki bhaaw padh raha tha lekin uske samajh me kuch nahi aa raha tha ki Shruti ke dimaag me aakhir kya chal raha hai aur wo ye sab kyu kar rahi hai...Jab usne Sameer ki munh se planning ke baare me sunaa usse lag raha tha kuch to galat hone waala hai aur jo ho raha hai accha nahi ho raha...Bhale hi Sameer Divya ke khilaaf koi planning nahi kar raha tha lekin fir bhi Sameer ki ye baat Rajesh ko accha nahi laga.

Wo chaah kar bhi Sameer ko samjha nahi sakta tha ki Priya ki galti iss baar nahi ho sakti...Agar samjhaata to bhi Sameer nahi samjajhta...Wo Priya aur Karan ki nafrat me ek dam andhaa ho gaya tha aur upar se Shruti ki jaadu.

Wo abb bas yahi soch raha tha ki aage kya karna chaahiye jisse baat normal ho jaaye aur kisi ko bina galti ki saza na bhugatna pade.
 

lone_hunterr

Titanus Ghidorah
3,848
5,456
159
Great updates sir.
Hope the mystery will reveal soon about marriage and sameer will be able to identify his true friends and foes:bigboss1::bigboss1:..

Hopefully today you will be free and will give lots of updates even compensating for yesterday's 2 updates only.:perfect::perfect:.
 
Top