• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Bhool 2 (Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,138
189
UPDATE 6

Hello beauty queen. :D

Daant dikhaate hue Sumit Megha ke paas gaya.

Sumit ko dekh Megha ka mood ek baar fir off ho gaya...Kaha Sumit ko itne dino se absent dekh wo chhain ki saans le rahi thi aur aaj bhi Sumit se dur baith wo sukoon mehsus kar rahi thi...Lekin abb.

Sumit bhi Megha ke table ke hi opposite chair me baith gaya.


Megha:- Dur raho mujhse.

Sumit:- Dur hi to hun...Pure 1 meter ki duri...Abb aur kitna dur?

Sumit ki iss baat ka Megha koi jawaab nahi deti...Sumit ko avoid karne ke liye wo mobile chalaane lagti hai...Lekin...

Sumit Megha ka mobile chheen kar off kar ke table par rakh deta hai.

Megha Sumit ko bahut gusse mein ghur rahi thi lekin Sumit...Usse kya fark padta...Bindaas ho kar bola.

Sumit:- Ye mobile hi hai sabka dushman...New generation ko tabaah karne mein koi kasar nahi chhoda hai.

Aur kisi ko tabaah karta to mujhe koi fark nahi padta? Lekin Lovers ko.

Kya din hote thhe wo jab pyar ki panchhi ek dusre ka haath apne haatho mein thaame iss khubsurat prakriti (nature) ke sair ke liye nikalte thhe...Din raat ek dusre se kabhi naa bichhadne ki kasmein khaate thhe...Alag hi shiddat hoti thi unki pyar mein.

Lekin aaj kal...Aaj kal to sirf babu sona hi chalta hai...Aur pyar pyar naa reh kar alarm clock ban chuka hai.

Good morning...Good afternoon...Good evening...Good night...Sirf time hi update karte rehte hai ek dusre se...Ye bhi koi pyar hua?


Megha:- Kisne keh diya ki hum lover hai.

Sumit:- Aaj nahi toh kal ban jaayenge...Aur kabhi kabhi mai bhavisya (future) mein bhi jee leta hun.

Megha:- Ek baat bataao...Tum mere hi piche kyu pade ho?

Sumit:- Galatfehmi hai tumhari...Mera pehla pyar Kirti thi aur tum dusri.

Ye kehte hi Sumit ko andaaza hua ki usne jaldbaazi mein kya keh diya hai...Baat sambhalne ke liye usne kaha.

Sumit:- Lekin Kirti...Lekin Raj usse pyar karta hai...Aur Raj hai bhi emotional...Uska dil todna nahi chahta hun.

Fir meri najar pada tum par...Aur tumhare sath bhi wohi hua jo Kirti ko dekh hua tha...Love at first Sight...Pehli najar ka pyar.

Aur tum bhi single hi ho...To socha kyu naa tum par try karu.

Sumit bindaas ho kar bola...Usse koi matlab nahi tha ki Megha uske baare mein kya soch rahi hai.

Megha:- Love at first sight...Kya bakwas hai...Tumhe dekhte hi mujhe nafrat sa feel hone lagta hai...Irritate hoti hun tumhe dekh...Tumhari baatein sun kar.

Sumit:- Abb tumse pyar ho gaya...Iss mein mera kya galti? Waise galti mera bhi nahi hai...Mera Hypothalamus ki hai.

Megha:- Kya matlab?

Sumit:- Jab tumhe pehli baar dekha...To mera hypothalamus se oxytocin (love hormone) bahut maatra mein nikla...Itna jyada ki tumse ishq ho gaya.

Megha:- Kuch samajh mein nahi aaya?

Sumit:- 1st year mein ho...1 mahine bhi nahi hua...To khaak samjhogi...Abhi 5 saal baaki hai...Sab samajh jaaogi...Hypothalamus bhi aur mujhe bhi :blush:

Megha:- Mujhe kuch bhi nahi samajhna.

Sumit:- Abb mera gussa bechara hypothalamus par kyu nikaal rahi ho...Agar usse nahi samjhi to exam mein fail ho jaaogi...Fir doctor kaise banogi?

Megha:- Irritate karna band karo.

Sumit:- Accha accha.

Sumit ne hanste hue kaha aur kuch hi pal mein wo sach mein chup ho gaya.

Dono ki bich ki chuppi ko Sumit ke mobile mein message ka notification ne toda.

Message check karne ke baad.

Sumit:- Accha Beauty queen...Chalta hun...Apna khayal rakhna.

Jaane ka man to nahi tha...Lekin seniors ka bulawa aaya hai...Daaru party ke liye.

Seniors bhi kamine hai...Sirf lena jaante hai...Dena nahi...Aaj party de rahe hai to ye mauka nahi chhod sakta.

Sumit jaane ke liye uthaa hi tha ki.

Megha:- Tumhe nahi lagta tum galat sangat mein jaa rahe ho.

Sumit:- Sahi raasta dikhane wali koi hai bhi to nahi.

Sumit ne muskura kar kaha aur waha se chala gaya...Ek najar Megha ki taraf dekha bhi nahi.


At Night

Bhai sambhal kar.

Sumit ko sambhaalte hue kaha Raj ne.

Sumit:- Mein thik hun.

Nashe ki haalat mein hi jawaab diya Sumit ne aur aa kar apne bed par gir gaya.

Sumit:- Majaak mat kar...Koi jarurat nahi hai iski.

Raj ko apni taraf plastic laata dekh Sumit ne kaha.

Sumit:- Aadat ho chuka hai abb...Aaram se digest kar lunga.

Fir Sumit apne bed par laita hi raha.

Raj:- Ye sab pee kar aakhir kya hota hai?

Sumit:- Majaa aata hai.

Sumit ne muskura kar jawaab diya.

Fir Raj ne bhi kuch sawaal nahi kiya...Wo apne mobile mein busy ho gaya.

Sumit bhi apne socho mein gumm tha...Apne soch mein wo teeno kaal ka sair kar raha tha.

Raj tabhi apna mobile wohi chhod baahar room se baahar chala jaata hai.

Sumit ke bhi dimaag mein na jaane kya aata hai ki wo Raj ka mobile utha leta hai.

Raj ke screen mein dekh Sumit ko hairaani hota hai...Raj ka mobile mein messenger khula tha aur Kirti ke saath chat jaha wo blocked tha.

Sumit:- (In his mind) Iska bhi kuch karna padega...Pehle Megha ke saath baat ban jaaye fir tera bhi dekhta hun.
 

Mbindas

Active Member
1,928
4,105
158
UPDATE 5

Megha intejaar karti hi rahi Sumit ki munh nochne ki...Lekin iss baar intejaar ka fal kadhwa nikla :D...Megha ki soch se ulta Sumit kuch nahi bola.

Dhire dhire class start hua aur dono ke bich baatein bilkul hi band ho chuka tha...Iss bich Megha ne ek bhi baar Sumit ko nahi dekha tha.

Aise hi ek baar jab uski najar Sumit par pada toh dekh kar wo hairaan reh gayi...Sumit mobile mein game khel raha tha...Lecture par focus to dur dur tak nahi tha...Aur wo uss angle me baitha tha ki Professor ka najar mushkil se uss par padta.

Megha bina kuch kahe apni najar ghuma leti hai.

Aise hi 2nd lecture me jab uski najar Sumit par padta hai tab Sumit professor ka sketch bana raha tha...Funny type...Ye dekh Megha ko hansi to aati hai lekin Sumit ke saamne khul kar hansti nahi.

Next lecture mein dekha to Sumit soo raha tha.

Megha :- (In her mind) Kitna ajeeb ladka hai ye?

Issi tarah college timr khatm ho jaata hai...Har lecture mein Sumit kuch aisa karta ki Megha ki bairaani badhte hi jaa raha tha...Kisi bi lecture mein uska padhaai se dur dur tak ka koi rishta nahi tha.

After Last Lecture

Megha:- College padhaai ke liye aate hai.

Sumit:- Lekin mai sone ke liye...Aisi thand mausam mein AC mein sone ki majaa hi kuch aur hai.

Hostel mein ye college walo ne ek bhi AC nahi lagaya hai...To aa gaya yahi bora bistar le kar.

Sumit ne daant dikha kar kaha.

Megha:- Aise din mein kaun sota hai?

Sumit:- Mujh jaise ultra legend log...Raat...Raat bhi koi sone ki vakt hai...Raat to ek khubsurat pal hai...Khud se bi khud ko bhulaane ka.

Megha:- Matlab?

Sumit:- Matlab mood par depend hai beauty queen...Agar accha mood hua to 3 bottle warna 2...Itna talli ho jaao ki khud ko hi bhulaa do...Bhulaa do apne saare gham ko, taklif ko.

Megha:- Yuck :yuck:...Aur tum mujhse flirt kar rahe ho.

Sumit:- Nope my beauty queen...Tumhe pataa raha hu.

Megha:- Aur mai pat jaungi...My foot.

Sumit:- Saamne Sumit hai dear...Ye tumhe My foot se my heart bulwa kar hi rahega.

Megha kuch nabi bolti...Bas bag uthaa kar ghar jaane hi lagti hai ki.

Manish:- Are Sumit bhai...Abb kitne din baad aap ke darshan hoga?

Sumit Manish ke kandhe me haath rakh.

Sumit:- Abb to roj dikhai dunga tujhe...Vajah jo mil gayi hai college aane ki.

Megha ko dekh muskuraate hue Sumit ne kaha...Megha bhi gusse se Sumit ko dekh waha se chali gayi.




Kirtiiii

Himmat karke Raj ne ghar jaa rahi Kirti ko rokne ki koshish ki...Lekin Kirti ruke bina hi waha se chali gayi...Iss baar bhi uske chehre me koi bhaaw nahi tha.

Ye dekh Raj ka dil fir se toot gaya.



Raj tujhe smoking se koi problem to nahi hai?

Raj ke dinner kar ke aane ke baad hi Sumit ne usse pucha...Haath me ek cigarette tha jo abhi usne jalaya tha.

Raj:- Nahi hai...Mai bhi occasional smoker hun...Lekin aap kyu puch rahe hai?

Sumit:- Aaj peene ka bahut man kar raha hai...Ho sakta hai raat bhar peeta rahu.

Tu ek kaam kar...Window khula chhod kar soo jaana...Taaja hawaa bhi milega.

Raj:- Hmm...Thik hai.

Sumit fir cigarette funkte hue ek book utha leta hai...Ye dekh Raj.

Raj:- Bhai abhi toh sirf basic hi start hua hai...Aur aap...Neuro anatomy...

Sumit:- Dekh Raj...Mai hamesha vakt se aage rehna chaahta hun...Issi liye class mein aaj jo padhai ho raha hai wo bahut pehle padh chuka hun....Abb aage ki taiyari.

Aur mai roj padhne wala student nahi...Jab mood karta hai uss vakt...Jaise ki aaj...Aaj cigarette aur whisky ke saath puri raat padhaayi mein bitaa dunga.

Itna keh kar Sumit apna peg banane lagta hai.

Raj:- Bhai aapne Kirti se baat kiya?

Sumit:- Tujhe pehle bhi bata chuka hun...Mai vakt se aage rehta hun...Sahi vakt se pehle hi tujhe mingle karwa dunga...Bas abhi mood ka watt mat laga.

Fir Raj bhi kuch nahi bolta...Aur kuch der apne book aur notes dekhne lagta hai.

Jab neend aata hai to ek najar Sumit ko dekhta hai...Jiske ek haath mein whisky ka glass tha aur dusre mein cigarette...Aur najar saamne book par.

Raj ke soo jaane ke kaafi der baad Sumit Raj ko dekhta hai aur muskuraane lagta hai.

Achanak se usse padhne ka man nahi hota hai aur wo kuch der sirf Raj ko hi dekhta rehta hai...Kehte hai naa khaali dimaag shitaan ka...Sumit ke dimaag me bhi kayi tarah ke khayal aata hai...Kabhi wo Raj ko dekh hansta to kabhi khud se hi baatein kar ke hansne lagta...Upar se whisky ka nasha...Usse kuch bhi samajh me nahi aa raha tha ki wo kaha hai aur kya kar raha hai.

Bas wo to apne hi khayal mein gumm tha.

UPDATE 6

Hello beauty queen. :D

Daant dikhaate hue Sumit Megha ke paas gaya.

Sumit ko dekh Megha ka mood ek baar fir off ho gaya...Kaha Sumit ko itne dino se absent dekh wo chhain ki saans le rahi thi aur aaj bhi Sumit se dur baith wo sukoon mehsus kar rahi thi...Lekin abb.

Sumit bhi Megha ke table ke hi opposite chair me baith gaya.


Megha:- Dur raho mujhse.

Sumit:- Dur hi to hun...Pure 1 meter ki duri...Abb aur kitna dur?

Sumit ki iss baat ka Megha koi jawaab nahi deti...Sumit ko avoid karne ke liye wo mobile chalaane lagti hai...Lekin...

Sumit Megha ka mobile chheen kar off kar ke table par rakh deta hai.

Megha Sumit ko bahut gusse mein ghur rahi thi lekin Sumit...Usse kya fark padta...Bindaas ho kar bola.

Sumit:- Ye mobile hi hai sabka dushman...New generation ko tabaah karne mein koi kasar nahi chhoda hai.

Aur kisi ko tabaah karta to mujhe koi fark nahi padta? Lekin Lovers ko.

Kya din hote thhe wo jab pyar ki panchhi ek dusre ka haath apne haatho mein thaame iss khubsurat prakriti (nature) ke sair ke liye nikalte thhe...Din raat ek dusre se kabhi naa bichhadne ki kasmein khaate thhe...Alag hi shiddat hoti thi unki pyar mein.

Lekin aaj kal...Aaj kal to sirf babu sona hi chalta hai...Aur pyar pyar naa reh kar alarm clock ban chuka hai.

Good morning...Good afternoon...Good evening...Good night...Sirf time hi update karte rehte hai ek dusre se...Ye bhi koi pyar hua?


Megha:- Kisne keh diya ki hum lover hai.

Sumit:- Aaj nahi toh kal ban jaayenge...Aur kabhi kabhi mai bhavisya (future) mein bhi jee leta hun.

Megha:- Ek baat bataao...Tum mere hi piche kyu pade ho?

Sumit:- Galatfehmi hai tumhari...Mera pehla pyar Kirti thi aur tum dusri.

Ye kehte hi Sumit ko andaaza hua ki usne jaldbaazi mein kya keh diya hai...Baat sambhalne ke liye usne kaha.

Sumit:- Lekin Kirti...Lekin Raj usse pyar karta hai...Aur Raj hai bhi emotional...Uska dil todna nahi chahta hun.

Fir meri najar pada tum par...Aur tumhare sath bhi wohi hua jo Kirti ko dekh hua tha...Love at first Sight...Pehli najar ka pyar.

Aur tum bhi single hi ho...To socha kyu naa tum par try karu.

Sumit bindaas ho kar bola...Usse koi matlab nahi tha ki Megha uske baare mein kya soch rahi hai.

Megha:- Love at first sight...Kya bakwas hai...Tumhe dekhte hi mujhe nafrat sa feel hone lagta hai...Irritate hoti hun tumhe dekh...Tumhari baatein sun kar.

Sumit:- Abb tumse pyar ho gaya...Iss mein mera kya galti? Waise galti mera bhi nahi hai...Mera Hypothalamus ki hai.

Megha:- Kya matlab?

Sumit:- Jab tumhe pehli baar dekha...To mera hypothalamus se oxytocin (love hormone) bahut maatra mein nikla...Itna jyada ki tumse ishq ho gaya.

Megha:- Kuch samajh mein nahi aaya?

Sumit:- 1st year mein ho...1 mahine bhi nahi hua...To khaak samjhogi...Abhi 5 saal baaki hai...Sab samajh jaaogi...Hypothalamus bhi aur mujhe bhi :blush:

Megha:- Mujhe kuch bhi nahi samajhna.

Sumit:- Abb mera gussa bechara hypothalamus par kyu nikaal rahi ho...Agar usse nahi samjhi to exam mein fail ho jaaogi...Fir doctor kaise banogi?

Megha:- Irritate karna band karo.

Sumit:- Accha accha.

Sumit ne hanste hue kaha aur kuch hi pal mein wo sach mein chup ho gaya.

Dono ki bich ki chuppi ko Sumit ke mobile mein message ka notification ne toda.

Message check karne ke baad.

Sumit:- Accha Beauty queen...Chalta hun...Apna khayal rakhna.

Jaane ka man to nahi tha...Lekin seniors ka bulawa aaya hai...Daaru party ke liye.

Seniors bhi kamine hai...Sirf lena jaante hai...Dena nahi...Aaj party de rahe hai to ye mauka nahi chhod sakta.

Sumit jaane ke liye uthaa hi tha ki.

Megha:- Tumhe nahi lagta tum galat sangat mein jaa rahe ho.

Sumit:- Sahi raasta dikhane wali koi hai bhi to nahi.

Sumit ne muskura kar kaha aur waha se chala gaya...Ek najar Megha ki taraf dekha bhi nahi.


At Night

Bhai sambhal kar.

Sumit ko sambhaalte hue kaha Raj ne.

Sumit:- Mein thik hun.

Nashe ki haalat mein hi jawaab diya Sumit ne aur aa kar apne bed par gir gaya.

Sumit:- Majaak mat kar...Koi jarurat nahi hai iski.

Raj ko apni taraf plastic laata dekh Sumit ne kaha.

Sumit:- Aadat ho chuka hai abb...Aaram se digest kar lunga.

Fir Sumit apne bed par laita hi raha.

Raj:- Ye sab pee kar aakhir kya hota hai?

Sumit:- Majaa aata hai.

Sumit ne muskura kar jawaab diya.

Fir Raj ne bhi kuch sawaal nahi kiya...Wo apne mobile mein busy ho gaya.

Sumit bhi apne socho mein gumm tha...Apne soch mein wo teeno kaal ka sair kar raha tha.

Raj tabhi apna mobile wohi chhod baahar room se baahar chala jaata hai.

Sumit ke bhi dimaag mein na jaane kya aata hai ki wo Raj ka mobile utha leta hai.

Raj ke screen mein dekh Sumit ko hairaani hota hai...Raj ka mobile mein messenger khula tha aur Kirti ke saath chat jaha wo blocked tha.

Sumit:- (In his mind) Iska bhi kuch karna padega...Pehle Megha ke saath baat ban jaaye fir tera bhi dekhta hun.
Dono hi update lajawab h bhai.
:yourock:
 

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
8,511
34,400
219
ye to raj ko chain se doctor bhi nahi banne dega..................
iske to lakshan hi kharab hain.................

raj ki love story the end ki or badh rahi hai

wahin ye keerti ko apna pahla pyar bata raha hai

kuchh to khurafat karne ka plan hai iska

dekhte hain kya hota hai
 

aman rathore

Enigma ke pankhe
4,853
20,185
158
UPDATE 1

Ek ladka jo abhi taiyar ho kar kahi baahar nikalne hi wala tha ki piche se aa rahi aawaj sun kar ruk jaata hai.

Kaha jaa rahe ho bhaiya aise saj dhaj ke?

Wo ladka piche apni behan ki taraf ghuma...Aur muskuraate hue bola...Guess kar!!!

Shayad kisi party mein jaa rahe hai aap.

Ladka apna sir par haath maar kar..."Sirf party me jaate vakt suit nahi pehenta hun."

To kya aap abb awara gardi karte vakt bhi suit pehenne lage.

Are nahi.

To fir?

Teri bhabhi ko propose karne jaa raha hun.

Ladka daant dikhaa kar bola.

Papa ko batati hun...Rukiye abhi.

Darta hun kya?

Ladka bhi shaan se bola.

Papa...Papa.

Apni behan ki aawaj aur tej hota dekh...

Ruk jaa meri Maa...Marwayegi kya?

Ladka ka haalat ekdam se bheegi billi jaisa ho gaya...Uski behan bhi abb usse dekh hanse jaa rahi thi.

All the best bhaiya!!! :thumbup:

Thank you :)

Fir wo ladka chala gaya apne manjil ki taraf...Yani ki apne pyar ka ijahar karne.




Hi Kirti.

Ek park me pahunchte hi ladke ne muskura kar kaha.

Kirti:- Kyu bulaya yaha mujhe?

Kirti ki jawaab me koi bhaaw nahi tha.

Ladka:- Kuch baat bataana tha...Bahut khaas.

Kirti:- Boliye jaldi.

Ladka abb bina koi der kiye pocket se ek rose nikal kar Kirti ki taraf badha deta hai.

Ladka:- Khud se aur jhuth bol nahi saka...Naa chaahte hue bhi tumse aakhir pyar kar hi baitha...Tumhare pyar ka asar aisa hai ki subah shaam tum hi dikhti ho...Har vakt tumhe hi dil me rakhne ka man karta hai...Tumhari ek jhalak paane ke liye dil taras jaata hai...Tumhe dekh lene ke baad hi sukoon milta hai iss dil ko.

Dil me to tum pehle se hi ho...Mera abb ek hi khwahish hai ki tumhe apne palko par bitha kar rakhu...Hamesha hamesha ke liye.

Kya mujhe jindagi bhar ke liye tumhara saath milega?


Ladka ki aawaj me pyar hi pyar tha apne Kirti ke liye...Saath hi ek ghabraahat bhi.

Kirti wo rose leti hai aur Ladka ke ummeed ke ulta uss rose ko apne sandal se kuchal deti hai.

Ladka:- Ye tum?

Kirti:- Shruti ko jaante hai aap?

Ladka:- Haan.

Ladka ne darte hue kaha...Dar iss baat ka tha ki kahi Kirti kuch galat naa samajh le.

Kirti:- Aur Preeti.

Ladka:- Haan...Lekin tum.

Kirti:- Aur Kirti.

Ladka:- Haan...Tum.

Kirti:- Abb Shruti aur Preeti ke baad mera turn hai naa?

Kirti gusse me dard ke saath boli.

Ladka:- Nahi...Tum galat samajh rahi ho.

Kirti:- Aap Jan 6 ki raat Shruti ke saath kaha thhe?

Ladka kuch bol nahi paaya.

Kirti:- Jan 8 ki raat Preeti ke saath?

Ladka kuch bolta usse pehle.

Kirti:- Fir bhi mai galat hi samajh rahi hun naa? Itna bewkuf samajh rahe hai aap mujhe?

Ladka kuch bol nahi paa raha tha...Usse samajh me hi nahi aa raha tha ki kaise Kirti ko samjhaye.

Kitti:- Bahut pyar karti thi aapse!!!Lekin aap...Aapne to mera dil hi tod diya. :(

Jab maine aapko propose kiya aur aapne mana kar diya fir bhi mai aapke piche padi rahi...Ye soch kar ki kabhi to aapka dil mere liye dhadkega...Aapko bhi mujhse pyar ho jaayega.

Aaj dhadka to bhi ek hawas ke roop mein!!!

Aapke baare me sab galat bolte thhe...Lekin mai nahi maanti thi...Hamesha aap mein acchayi hi dikhta tha...Pyar karti thi naa...Pyar andha hota hai...Shayad issi vajah se andhi ho gayi thi.

Aap sach mein badal gaye...Itna badal gaye ki aap abb mujhe bhi hawas ki najar se dekhne lage.

Maaf kijiye...Mai aapki type ki nahi.


Kirti rote hue boli...Dil ka dard abb aankho se baahar aa raha tha uski.

Ladka:- Mai tumhe samjha sakta hun...Please meri baat dhyan se sunna.

Kirti:- Nahi sunna mujhe aapki koi baat...Aap ek dhokhebaaz hai.

Itna keh kar Kirti wo rose uss Ladke ki munh par maar kar chali jaati hai.

Ladka:- Please meri baat suno.

Ladka bhi Kirti ke piche chal pada...Ek baar Kirti ki kandhe par haath rakh kar usse bulaane ki koshish kiya to.

Kirti:- Chhunaa mat mujhe.

Kirti ki aawaj itna tej tha ki wo Ladka bhi dar gaya...Abb Kirti ke gussa aur nafrat ke saamne wo tik nahi paaya.

Bas Kirti ko apni jindagi se dur jaata dekh rone laga...Aaj bahut majbur tha wo...Aankh itna bhar aaya ki saamne kuch dikhayi bhi nahi de raha tha.

Sirf kaano me kuch sunaai de raha th "Aap dhokhebaaz hai...Hawas ke pujaari hai."...Bas yahi baat usko baar baar sunaai de raha tha.

Jab dil ka dard sambhal nahi paaya to wo ussi jagah par gir gaya laachar aur majbur ho kar.

Saare armaan saare sapne ek hi pal me tut gaye...Aaj fir pyar me wo haar gaya...Na jaane jindagi ke aur kitne imtehaan dena baaki thaa usse.

Yaar ek tum hi to ho...Jo mujh par bharosha karti thi...Pyar karti thi...Pyar karna tumse hi sikha hai...Aur aaj jab tum se pyar ho gaya to tum mujhe chhod kar jaa rahi ho...Nahi maine tumhe koi dhokha nahi diya hai...Aur hawas nahi saccha pyar karta hun tumse.

Tumhare bina jee nahi paaunga...Wapas aa jaao yaar...Hamesha tumhe apne dil me bitha kar rakhunga.

Ek mauka to do mujhe apni baat kehne kaa...Mera pyar ka ehsaas karaane ka...Please...Only one chance.


2 Years Later
Awesome update champ bhai,
Starting mein hi hero ka dil tod diya bhai,
ab dekhte hain aage kya hota hai
 
Top