• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Bhool 2 (Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 2

Kya hua yaar? Aise akele kyun baitha hai?

Canteen ke ek kone mein baitha Raj ko dekh uske dost Akash uske paas jaa kar bola.

Raj ko kuch naa bolta dekh Akash fir bola.

Akash:- Sab khaa kar jaa chuke hain...Sirf tu hi baitha hai.

Raj:- To kya karu? Abb mai baaki logo ki time table ki hisaab se chalu.

Raj ki baaton mein irritation tha.

Akash:- Mera wo matlab nahi tha...Time bahut ho chuka hai...Next class Anatomy ka hai...Attend karne ka plan nahi hai kya?

Akash ki iss baat se Raj ka frustration aur bhi badh gaya.

Raj:- Saala jindagi bekaar ho chuka hai...Ek to Kirti ka tension...Upar se ye padhai.

Acchi khaasi jindagi ki watt lag chuki hai.

Raj udaas ho kar class ki taraf chalne laga.

Akash:- Kirti abhi tak nahi maani kya?

Raj:- Abb to meri taraf dekhti bhi nahi hai.

Akash:- Ek baar acche se maafi maang le yaar usse.

Raj gussa bhari najar se Akash ko dekhta hai aur fir.

Raj:- Maafi maang maang kar thak chuka hun...Kabhi ek mauka to de wo...Lekin nahi.

Bhool ho gayi yaar...Lekin sab sahi karne ka mauka hi nahi milta...Thak chuka hun abb to iss pyar ke chakkar se.

Pyar se hi nahi apne jindagi se hi thak chuka hun.

Raj khud ko bahut haara hua mehsus karta hai.

Akash:- Himmat rakh...Sab kuch sahi ho jaayega.

Raj:- Abb himmat hi nahi hai mujhme.

Ek najar Akash ko dekhne ke baad.

Raj:- Bahut vakt se jaanta hun Kirti ko...School level se...Mujhse 1 class junior thi...Kisi naa kisi extra-curicular activities me mulakaat ho hi jaata tha...Lekin uss vakt koi matlab nahi diya...Yaha tak ki baat bhi nahi kiya tha.

Aur jab wo 11 mein bhi mere hi college me thi to mulakaat badhne lagi, baat cheet suru hone lagi...Aur usme bhi jawaani ke badlaaw...Dhire dhire uski taraf attract ho hi gaya...Aur ye attraction kab pyar mein badal gaya pata hi nahi chala.

Aur jab realize hua mujhe mere pyar ka to tab tak bahut der ho chuka tha...Tab tak bahut badi bhool kar chuka tha...Aur wohi bhool hai jiski vajah se Kirti aaj tak mujhse naraaj hai.

Fir dono class mein pahunch jaate hai.

Akash sirf Raj ki baat sunn raha tha aur samajhne ki koshish kar raha tha...Naye level aur naya college tha...Aur dosti bhi nayi...Ek hafte ki dosti...Itne vakt mein bhi Raj aur Akash bahut acche dost ban chuke thhe.

Raj:- May we come in sir?

Raj ki iss baat par professor apna ghadi dekhte hai aur fir Raj aur Akash ko ghur kar.

Professor:- Yes come in.

Dono jaa kar apne seat par baith jaate hai...Fir suru hota hai Professor aur Students ke bich sawaal jawaab ka daur.

Jab Raj ka turn aata hai to wo kuch jawaab nahi de paata hai.

Professor:- You are one of the most terrible student I have ever seen...Kam se kam pichle lectures ka hi kuch jawaab de dete.

Raj ki haalat par sabhi students hasne lagte hai...Kuch der to Raj bardaast karta raha lekin jab ye uska control se baahar hua to.

Raj:- Hanso...Aur hanso...Yahi mauka hai...Khush hone ka...Khid ka jindagi chaahe jaisa bhi ho dusro par hasne se hi tum sab ko khushi milta hai...Aur hanso.

Raj ne kaafi gusse se kaha...Aur utna hi gussa usse Professor ka bhi jhelna pada.

Class mein silence maintain karne ke liye unhone Raj ko class se nikaal diya.

Raj ka bhi padhne ka man nahi tha to bina kuch puche wo bhi class se nikal gaya.

Jaate vakt last row mein baithi Kirti par ek najar daala...Uske chehre mein koi bhaaw nahi tha...Ye dekh Raj ko ek baar fir dil mein dard hua.

Raj:- (In his mind) Sach mein kitna kathor ban chuki ho tum? Kya itna galat hun mai?

Yahi sab soch Raj class se baahar nikal gaya.

In evening

Saanjh mein jab Raj apna saamaan le kar hostel pahuncha toh apna room partner dekh wo hairaan reh gaya.

Raj:- Sumit bhaiya aap?

Hairaani ki hi to baat tha...Jis Sumit bhaiya ke baare me wo jaanta tha wo to B. Pharmacy ke 2nd year mein thhe...Lekin aaj MBBS ke 1st year mein uske saath uske hi room partner ke roop mein mil rahe thhe.

Sumit Raj ka umar ke hisaab se bhaiya tha...Rishta se nahi...Bachpann mein dono ek hi gaanw mein rehte thhe to thoda bahut jaan pehchaan tha.

Sumit:- Are Raj tu...Aa baith.

Saamne ki bed ki taraf ishara kar Sumit ne kaha.

Raj abhi bhi Sumit ko hairani se dekh raha tha.

Sumit:- Man kiya to join kar liya.

Raj ka hairaani aur bhi badh gaya...Man laga to career hi badal liya...Log itni aashani se apne career ke saath kaise khel sakte hain.

Sumit:- Mai maanta hun ki hame life mein straight forward hona chahiye...Jindagi mein sirf aage ki baare mein socho.

Aur jindagi ko apne hisaab se jiyo...Duniya jahaan ke baare mein soch kar nahi.

Thik waisa hi jab man kiya to MBBS join kar liya bina kisi baat ki parwaah kiye.

Raj Sumit ko samajhne ki koshish kar raha tha ye jaanne ke baawjud bhi ki ye uske bas ki baat nahi...Sumit kab kya kar jaaye ye uski samajh se baahar tha.

[Friends abhi story ka plot aur character development kar raha hun...Abhi story apna main theme tragic romance aur thriller mein aana baaki hai...Thriller portion aate hi story ekdam se unexpected turn lega aur koshish karunga tragedy mein bhi aap sabko story mein engage karke rakh saku.]

Aap sab ko Makar Sankranti ki bahut bahut shubhkaamana.
 
Last edited:

Kirti.s

Member
404
1,361
123

Sbse phle aap ko bhi makar sankranti ki hardik shubhkamnaye
Update toh hamesha ki tarah badhiya raha.phle raj kirti ko ignore krta tha kbhi ye socha hi nhi ki use kitna bura lgta hoga jb ye same chiz uske sath ho rhi hai toh use bura lg rha hai.
 
kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
8,531
34,457
219
Koi to Rok Lo...Bahut taarif suna hai iss story ka...Free time mile to jarur padhunga iss story ko...Pritam sir ko yaha wapas dekh bahut accha lag raha hai. :happy:...Ummeed hai iss baar wo story complete jarur karenge. :)
champ bhai..........bas itna hi kahunga.............Koi to rok lo .... ke bare mein
ye kahani nahi...........ek mahagaatha hai.....epic...........
ise nahi padha to kuchh nahi padha................
jeevan ke utar-chadhav aur sansaar ke rangmanch ke saikdo vyaktitv ........se bhari hui mahagatha........

iske poore hone ka varshon se lakhon paathak intzar kar rahe hain
sirf xossip ke hi nahi saikdon forums jinmein copy paste ki gayi aur pdf, doc formats mein upload ki gayi copy karke
 
kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
8,531
34,457
219
Aap sab ko Makar Sankranti ki bahut bahut shubhkaamana.

Sbse phle aap ko bhi makar sankranti ki hardik shubhkamnaye
Update toh hamesha ki tarah badhiya raha.phle raj kirti ko ignore krta tha kbhi ye socha hi nhi ki use kitna bura lgta hoga jb ye same chiz uske sath ho rhi hai toh use bura lg rha hai.
aap dono ko aur sabhi mitron ko sapariwar 'Makar Sankranti' ki shubhkamnayein
ab ate hain update par
aur to sab theek chal raha hai..... jaisa ki hota hai
raj, kirti ya akash............ jaise hone chahiye..........vaise hi hain

lekin ye sumit bhaiya kuchh jyada hi interesting character lage..............
aisa vyakti.........ek aam insaan se jyada intelligent aur active hota hai
samajhdar ya makkar..........ye aage pata chalega

keep it up champ dear
 
Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
Sbse phle aap ko bhi makar sankranti ki hardik shubhkamnaye
Update toh hamesha ki tarah badhiya raha.phle raj kirti ko ignore krta tha kbhi ye socha hi nhi ki use kitna bura lgta hoga jb ye same chiz uske sath ho rhi hai toh use bura lg rha hai.
Thanks Kirti ji for your support and review...Keep supporting.
 
Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
champ bhai..........bas itna hi kahunga.............Koi to rok lo .... ke bare mein
ye kahani nahi...........ek mahagaatha hai.....epic...........
ise nahi padha to kuchh nahi padha................
jeevan ke utar-chadhav aur sansaar ke rangmanch ke saikdo vyaktitv ........se bhari hui mahagatha........

iske poore hone ka varshon se lakhon paathak intzar kar rahe hain
sirf xossip ke hi nahi saikdon forums jinmein copy paste ki gayi aur pdf, doc formats mein upload ki gayi copy karke
Kamdev bhai aapne itna taarif kiya hai to story bahut hi khaas hoga...Bahut jald padhna start karunga. :thumbup:
 
Last edited:

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
aap dono ko aur sabhi mitron ko sapariwar 'Makar Sankranti' ki shubhkamnayein
ab ate hain update par
aur to sab theek chal raha hai..... jaisa ki hota hai
raj, kirti ya akash............ jaise hone chahiye..........vaise hi hain

lekin ye sumit bhaiya kuchh jyada hi interesting character lage..............
aisa vyakti.........ek aam insaan se jyada intelligent aur active hota hai
samajhdar ya makkar..........ye aage pata chalega

keep it up champ dear
Thanks Kamdev bhai for your support and review...Haan Sumit bhaiya ka character kaafi strong hai aur inke baare mein story ke saath saath pata chalta rahega...Saath bane rahiye bhai.
 
Top