• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Bhool 2 (Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,138
189
UPDATE 27

After 1 week

2 din mein Biology complete ho jaayega.

Excitement mein Kirti boli.

Sumit:- Agar bakwas ki baaton mein dhyan naa de kar padhogi to 1 din bhi nahi lagega.

Kirti:- Aap hi kehte thhe naa...Padhte vakt ekdum relaxed hona chahiye...Wo hi to kar rahi hun...Thoda padhaai thoda masti.

Hanstr hue Kirti boli aur saath mein Sumit ki bolti band.

Sumit:- Wo mai mere jaise student ke liye keh raha tha...Relaxed ho kar padhna...Tum jaisi padhaaku ki bas ki baat nahi hai...Dusro ko copy kar ke time waste karne ki jagah padhaai par dhyan do.

Sumit ne baat sambhaalte hue kaha.

Kirti:- Abb inspired hone mein kya galat hai? Jo accha laga ussi baat se inspired hui hu...Aap bhi to inspired hue honge?

Sumit:- Nahi...Mai kyu kisi ko copy karne laga?

Kirti:- Fir copy ki baat...Itna to aap ko bhi pata hoga ki inspiration aur copy alag baat hai...Aur koi bhi insaan kitna bhi alag kyu naa ho thoda bahut kisi se inspired hota to hai...Bhale hi ussi ke type ki log se.

Ye baat sunte hi Sumit Kirti ke saamne haath jod kar kehta hai.

Sumit:- Aap jeeti aur mai haara.

Sumit ki iss andaaj par Kirti hasne lagti hai.

Sumit:- Kabhi kabhi to tumse jeet paana bahut mushkil hai.

Kirti:- Kabhi kabhi haarna bhi jaruri hai tabhi jeet ka mahatwa pata chalta hai.

Sumit:- Sahi hai...Sabko mai gyaan deta hu aur tum mujhe...Ye bhi sahi hai.

Muskuraate hue Sumit ne kaha.

Iss bich Sumit ko ye pata bhi nahi chala ki kab usne chat karna band kar diya aur Kirti se baaton mein lag gaya.

Sumit:- Accha...Abb gyan dene ki baari mera...Aur mai wo gyan dunga jo bahut jaruri hai exam ke liye...Abb padhaai suru karte hai.

Kirti:- Aur mai wo gyan de rahi hun wo bhi aapke exam ke liye jaruri hai.

Sumit:- Mera exam?

Kirti:- Jindagi...Jindagi bhi to ek imtehaan hai...Aur iss kathin imtehaan ko pura karne ki gyan aapko pradan kar rahi hun.

Sumit:- Mahaan hai aap.

Itna keh kar Sumit apna haath fir se jod leta hai.

Sumit:- (In his mind) Sach mein mere hi takkar ki hai.

Kirti:- Accha accha...Abb padhte hai.

1 hafta mein kaafi kuch badal gaya tha dono ke bich...Ek dusre ko dekhne ki najariya...Sumit aur bhi interesting lagne laga tha Kirti ko...Uska baatein, padhaane ka tarika aur knowledge...Kirti ko Sumit ki ye kaabiliyat pasand aa raha tha...Baatein karne ke liye bas koi bahaana chahiye tha...Aur wo bhi padhaai karte vakt mil hi jaata tha...Koi mauka nahi chhodti wo Sumit se baat karne ka.

Dusri taraf Sumit...Abhi to wo Korti se judaa hua mehsus nahi kar raha tha...Par usse bhi Kirti se baat karna accha lagne laga tha.

Aur saath hi Mission Shruti badal kar abb Mission Shruti and Preeti ho gaya tha...Ek saath hi dono se chatting karke apne mission ki aur aage badh raha tha.


Dono kuch padh paate usse pehle hi.

Ye sab kya ho raha hai?

Ek teekhi si aawaj dono ke kaan mein pada.

Bina dekhe hi Sumit ne bindaas jawaab diya.

Sumit:- Gyan exchange.

Gyan wo bhi aap mein? Majaak kar rahe hai aap?

Sumit:- Majaak mai insaano se karta hun...Tujh jaisi bandariya ke saath nahi.

Sumit ne bhi hanste hue jawaab diya.

Bhaiya ye kuch jyada ho raha hai?

Iss baar Rashmi gusse mein boli.

Sumit:- Accha thik hai...Aage se nahi bulaunga.

Rashmi:- Dhyan rakhna.

Sumit:- Aage se tujhe bandariya square bulaunga.

Sumit nina kuch dekhe sune waha se bhaagne laga...Kyu ki Rashmi ka reaction usse pehle hi pata tha.

Fir suru hua pakdam pakdai ka khel bhai behen ke bich...Buri tarah se Rashmi ko thaka dene ke baad Sumit ne aakhir surrender kar hi diya...Kirti bhi baith kar show ko enjoy kar rahi thi.

Thoda maar khaane ke baad.

Kirti:- Ye tu kya keh rahi thi? Knowledge nahi hai inke paas...Agar abb bhi medical ka entrance de to bhi full scholarship mil jaayega.

Rashmi:- Bhaiya aur medical entrance...Entrance ke naam se hi inko bukhaar aa jaata hai.

Itna keh kar Rashmi hasne lagti hai.

Sumit bhi uss ghatna ko soch muskurane lagta hai.

Kirti:- Matlab.

Rashmi:- Bhaiya ne kahi bhi medical ka form fill nahi kiya tha...Do jagah Papa ne jabardasti fill karwaya...Ek medical aur ek engineering...Dono hi entrance ke fin bhaiya ko bukhaar aa gaya...Aur baaki din normal...Abb tu hi keh ye ittefaaq hai ya entrance ka dar.

Fir Kirti Sumit ki taraf dekhti hai...Sumit bas muskura raha tha...Kuch jawaab nahi diya.

Kirti:- Bataiye naa?

Sumit:- Kuch nahi...Thoda alag try kiya tha.

Rashmi:- Alag? Kya matlab?

Sumit:- Agar entrance aise hi miss kar deta to Papa bahut daantte...Usse baat ka dar nahi tha...Lekin ye sab kuch normal sa ho gaya tha aur boring bhi.

Issi liye thoda alag try kiya.

Kirti:- Kya alag?

Kirti aur Rashmi bahut dhyan se sun rahi thi.

Sumit:- Waise to Microbiology mein bhi thoda bahut interest tha uss time...Entrance ki raat wohi padhta raha.

Aur do bacteria ko select kiya khud par experiment karne ke liye ye dekhne ke liye ki book kitna sahi hai.

Unn bacteria ko select kiya jise sirf thoda infection ho jaaye aur bukhaar tak hi ho...And guess what? It worked...Ek teer se do nishana...Ek entrance cancel aur dusra experiment successful.

Sumit ki baat sun kar Rashmi aur Kirti dono ek dusre ko dekhne lagi...Dimaag mein yahi sawal tha, "Ye kya paagal pan hai?"

Sumit:- Hairani ki koi baat nahi...Kamjor bacteria ko select kiya tha...Uss vakt ye bhi soch raha tha ki kyu naa Mycobacterium tuberculosis try karu...Darta to usse bhi nahi tha...Lekin thoda lamba time tak fight karna padta...Fursat aur mood dono hi nahi tha.

Ye jawaab sun kar to dono paagal hote hote bachi.

Kirti:- Aapko ye paagalpan karne mein dar nahi laga?

Sumit:- Darta to mai Sumit virus se bhi nahi hun.

Itna keh kar Sumit waha se jaane hi wala tha ki.

Rashmi:- Bhaiya ek kaam tha.

Sumit:- Bol.

Rashmi:- Wo aaj shaam Shekhar Uncle ki ghar mein party hai...Papa ne aap ko jaane ko kaha hai.

Ye sunte hi Sumit ekdum se serious ho gaya.

Sumit:- Aarav bhi hai?

Rashmi:- Haan.

Sumit:- Tab mai nahi jaaunga...Papa ko hi bol.

Rashmi:- Papa ne kisi bhi haal mein aap ko jaane ke liye kaha hai.

Sumit:- Tu hi chali jaa.

Rashmi:- Nai mai bhi nahi jaaungi.

Sumit ke chehre mein abb frustration dikhne laga.

Kirti:- Ye Shekhar Uncle aur Aarav kaun hai?

Rashmi:- Shekhar Uncle hamaare Uncle hai...Matlab Papa ke bhai...Thodi dur mein rehte hai...Aarav bhaiya unka beta.

Aur bhaiya ka jaani dushman.

Sumit:- Dushman hone ki bhi aukaat nahi hai uska...Uske saath irritate ho jaata hun.

Abhi bhi Sumit frustrated tha.

Sumit:- Kirti...Baaki ka raat mein padhenge...Abhi mood off hai.

Itna keh kar Sumit waha se chala gaya.

Rashmi:- Accha raat mein?

Kirti fir Rashmi ko maarne lagti hai.

Kirti:- Kuch bhi!!!
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,138
189
Friends Update 27 ko re post kiya hai...Xf ka database mein problem aane ki vajah se mera ye update aur aap sabhi ka comment delete ho gaya tha...Issi vajah se re post kar raha hun...Update ka backup hone ki vajah se koi problem nahi hua.

Next update aaj likh nahi paaya iss vajah se fir se aap sabhi se maafi maangta hun...Aur ye maafi exam hone tak shayad maangte rehna padega :D jo abhi sure nahi ki kab lockdown khatm hoga aur kab exam suru hoga...Haan tab tak ke liye ye exam aur preparation jarur headache bana rahega. :noo:

Kal kaha tha ki aaj try karunga aur aaj kahunga ki most probably next update kal aayega...Aur kal ke update se story mein bahut badlaaw aayenge...Ummeed hai wo update aap sabhi ka gussa aur naarajgi shaant kare. :D
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,138
189
Friends Update to likh liya hai lekin khud satisfy nahi hun...Kuch kami aur thoda boring lag raha hai...But ye update story ke kuch turning points mein se ek hoga...Kal dopahar tak ka vakt lena chaahta hun edit karne ke liye.

Itna wait kar hi liya hai to thoda aur kar lijiye...Kal 12:00 pm ke aas paas update post karunga.
 
Top