Episode 1.
Ek gaav jiska naam tha jawania. naam se to ye gaav jawan hai lekin rahan sahan dhang dhaang ke hisab se aaj bhi bahut hi pichda gaav hai. Is gaav me do logo ka hi raaj chalta hai. ek hai thakur biren aur dusre hai hakim bhai sareef. jahan biren paise aur takat ke bal pe gaav pe raaj karta hai to wahi hakim sareef gaav walon me andhviswas aur dar banakar raaj karta hai. sabse badi baat ye hai ki na to kabhi hakim sareef biren ke kaam me taang adata hai aur na hi hakim sareef biren ke kaam me. ye gaav ek taraf se to nadi se ghira hua hai to dusre tarfa ek choti pahadi se isliye ye baaki sahar se bhi thoda kata aur bichda hua hai.
ab aate hai sidha kahani par. kahani suru hota hai dilli ke ek hospital se jahan ek ladka apne cabin me baithe kabhi apne mobile ko dekhta to kabhi saamne pada hua ek sarkari letter ko. is ladke ka naam hai ansh. ye pese se ek doctor hai. iske ghar me kul milakar 4 log hai. ek maa do choti bahne aur ye khud. iske pita bahut saal pahle is parivaar ko chodkar kahi chale gaye. kahan gaye pata nahi aur naa hi kabhi iski maa ne ye bataya ki kahan gaye hai. aaj iska sarkari noukari lag chuka hai wo bhi block medical officer ke post par aur posting mili hai jawania gaav me. ye apne maa ko aur dono bahno ko bata chuka hai ki iski sarkari noukari lag gayi hai lekin moukari gaav me ye jaan kar wo thoda dukhi hai. akhir dukhi ho bhi kyun na. Is ladke ne bachpan se garibi hi dekhi hai aur is garibi ne ise bahut dukh diye hai. jab iski ummid jagi ki ab wo ek bada aadmi bankar sahar me rahega tab iski posting gaav me ho gayi. halaki wo chahta to ye noukari chodkar sahar me hi kisi hospital me kaam kar leta lekin iske sapne bade hai. ise ek din bahut bada sarkari medical officer ban na hai aur is sapne ke liye sarkari noukari jaruri hai. use ye bhi pata hai ki 4 me medical officer ka tranfer hota hi hota hai to 3-4 saal me wo ye gaav se nikal hi jayega yahi sochkar wo joining letter ko uthata hai. apne bag me dalta hai fir apne ghar jakar apne maa aur choti bahno se milta hai. sabko batata hai ki use ek gaav me posting mili hai. sahara se door noukari ki baat sun uski maa aur bahne bhi khush nahi the lekin noukari to karni hi hoti hai. noukari karega tabhi to paise aayenge. paise aayenge tabhi to ghar chalega aur wo apni bahno ko bhi achhe se padha payega saath hi khud bhi bada aami ban payega. ye sab sochte hue agle din wo train pakadta hai aur chal deta hai gaav. waise to ye gaav dilli se bahut door nahi tha lekin direct ratsa nahi tha. pahle 6 ghante ki tarin fir 1 ghante ki bas fir 1 ghante ki car ke safar ke baad wo pahuch gaya jawania gaav. Ye to tha kahani ka thoda sa introduction ab kahani hero ke hisab se likha jayega.