• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy DARD

Hero ko aage kya karna chahiye

  • Revenge lena chahiya

    Votes: 177 82.7%
  • Sabko maaf kardena chahiye

    Votes: 32 15.0%
  • Ya sabse dur chale jana chahiye

    Votes: 29 13.6%

  • Total voters
    214

Jaguaar

Prime
17,680
60,210
244
Update kal
Kuch bhi karna par parivaar walo ko maaf nhi karnaa. Unhe unke kiye ki kadi se kadi saza denaa. Tadpa tadpa ke maarna saalon ko.

Khaash karke apne maa baap aur usss haraman chachi ko.
 
Last edited:

Bunny..

🅒︎🅞︎🅞︎🅛︎
1,188
5,107
143
UPDATE -11

Ab mere liye acha din wo hota tha jis din pet bhar khana milta tha jaise koi tyohar ho to ma*ndir me pet bhar kha leta tha, kabhi friday ko masji*d me to kabhi gurudwar*e me.

Abbb aagggeee....

din aise hi nikal rahe the ab na khushi thi na gam , tha to bas akelapan. Thikane ke naam pe ek park ki bench thi bas.
Ek din bukhar ho gya jiss karan kaam pe naa jaa ska, mera khana pina sab rozi pe tha. Ab kaam pe nhi gya to khata kaha se. Duphar bhar to nikal li bina khane ke par shaam hote hote bhuk bardasht ke bahar hone lagi .
Aakhir bhuk itni bad gyi ki maine ek rassi ka tukda pet pe bandh liya. Phir bhi bhuk bohot lag rhi itni ki aankon se aasoon aa rhe the.
Aaj saima maa aur dadaji ki sach me bohot yaad aa rhi thi agar aaj saima maa yaha hoti to bhuke nhi rehene deti. Mai pet ko pakad ke zor se rone laga. Bhuk ke karan ab ruka nhi ja raha tha. Lag raha tha ki ab meri kahani khatam hone ka samay aa gya hai iss liye mai apne dadaji, saima maa aur swara ko yaad karne laga. Tabhi ek budha admi mere paas aya aur mere hath me bagwa*n ki prashad ki thali rakhte hue bola.
Aadmi : beta rote nhi. Jiska koi nhi hota unka bhagwa*n hota hai. Ye lo prashad aaj mandir me bat raha tha. Jada to nhi hai par tumhari bukh mit jayegi.
Aisa lag raha tha bhagwa*n ne mere dil ki pukar sun li thi. Maine us aadmi ke hath se thal liya aur sisakte hue bola.
Mai : ji.. Ji bohot boht shu.. Shukriya.

Isse jada mujhse bola nhi gya kyuki takat hi nhi bachi thi. Aadmi bhi ye baat samajh gya aur bina bole waha se chala gya. Maine thali ki taraf dekha khana jada nhi tha par mai iss wakt bohot jada bhuka tha aur roti ki kimat ek bhuka hi janta hai. Mai khana khane laga aur khate khate meri aakhon se aasoon aane lage.

Aise hi kuch din bite maine apne jama kiye hue paise se ek night school me 11th me admission krva liya. Pehele bich me admission dene se mna kr rhe the par mere percentage bohot achche the iss liye admission mil gya. Phir aise hi ek mahina aur nikal gya .
Iss bech mere andar ke feelings marti gyi logo ke rough aur bure bartav ke karan. Ek garib se vaise bhi kon achche se baat krega.

Udhar Mr. Raghuveer Rajput ke ghar pe ..
(3rd person point of view)

Mummy , dad aur chachi khush the mere jane aur ek saal bitne ke karan unhe yakin bhi ho gya tha ki ab mai wapas nhi aaunga. Swara ab kisi se jada baat nhi karti thi , raat me chup chup ke roti thi aur janvi bhi ab pehele ki tarah khush nhi rehti chup chup rehti , jab bhi aakhen band karti to Reyansh ka masoom chehera samne ata ab ye guilt ke karan tha ya kuch aur use samajh nhi aa rha tha. Divya ( chacha chachi ki beti) use to koi farak hi nhi pada kyuki use to bachpan se hi mujhse nafrat karna sikhaya gaya tha.
Saima us din ke baad raghuveer rajput ke ghar kaam karne nhi gayi. Saima kahi aur naukri karne lagi thi , wo kafi udas rehti thi, akele me roti thi aakhir usne reyansh ko bachpan se pala tha aur apni chati se doodh pilaya tha.

Khair aise hi iss ghar me din bit rhe the par yaha to tufaan ane wala tha jo kisiko pta nhi tha. Ek aise hi din sab dinning table pe baith ke breakfast kar rhe the ki koi darwaje se andar aya.
Dad : ji aap kon?
Aadmi : ji mujhe pandit ji ne bheja hai ye dene ke liye.
Usne ek letter dete hue kaha
Dad : pandit ji khud bhi to aa sakte the.
Aadmi : ji bade hi dukh ke sath kehna pad raha hai par pandit ji ab nhi rhe. Kal hi unka antim sanskar ho gya hai.
Dad : kaise hua ue sab?? Aur ye letter phir??
Aadmi : ji pandit ji ki mrutyu blood cancer ki wajahse hui hai aur ye letter pandit ji ne mujhe ye bohot pehele de diya tha aur kaha tha ki agar mujhe kuch ho jaye to ye chiththi Rajput ji ko de dena.
Dad : bura hua pandit ji ke sath.
Letter de ke wo aadmi ghar se chala gya. Sab dinning table pe baithe sab ye baat sun chuke the.
Mummy : bahot bura hua pandit ji ke saath.
Dad : haa shi kaha. Aao pehele nashta karlete hai phir ye padhlenge.

Phir sabne mil ke breakfast kiya. Phir hall me ikhattha ho gye sofe pe. Letter dad ke hath me tha. Unhone use khola aur padhna shuru kiya .

IN LETTER
(pandit ji ke words me)

"Raghuveer ji mujhe maaf kar dijiyega mai aapka gunhegaar hu maine paiso ki lalach me kuch aisa kar diya hai jo mai aapko jite ji nhi bata saka par ab bata sakta hu. Agar aap ye patr padh rahe hai to iss waqt mai jivit nhi houga. Jo paap maine kiya hai wo maafi yogya nhi hai aur na hi mai chahunga ki aap mujhe maaf kare, mai chahata hu ki aap mari ki hui galti sudhar de. Baat ye hai ki jab mai Reyansh ki janm kundali banane aya tha to maine jhut kaha tha ki Reyansh Manhoos hai aur aisa karne ke liye kisine mujhe paise diye the jise lalach me mai ye sab kar gaya.
Mai paise dene wale ko nhi janta kyuki wo
Hamesha mujhse nakab pehenke milta tha.
Aur jo apke business loss hue hai mujhe lagta hai wo bhi us aadmi ke karan hue hai.
Mujhse paap hua hai jiski saza bhi mujhe mil gyi jab maine ye paap kiya uske 3 saal baad hi mijhe pta chala ki mujhe blood cancer hai.
Mujhe pata tha ab jada ji nhi paaunga. bhagwaa*n ne mujhe meri karni ka phal de diya hai par aapke paas abhi bhi waqt hai aapne jo bhi Reyansh ke sath kiya hai uski maafi mang lijiye aur use itna pyaar dijiye ki wo sab bhul jaye. Mai bhi usse maafi mangna chahta tha par ye na ho saka aur na hi mere paas use dene ke liye kuch nhi hai . mai apne papo ka prayashchit karna chahta hu iss liye mai mere beti 'Avni' ki shaadi Reyansh se karana chahta hu aur iss aap meri aakhri ichcha samajh ke swikaar kare.
Aur ab meri beti ka khyal rakhiyega uska mere alava iss dunayi me koi nhi hai ( Avni ki maa bachpan me hi guzar gyi thi). Vo abhi uski nani ke yaha hai kal tak vo aapke ghar pohoch jayegi. Maine meri beti ko bhi marne se pehele iss bare me bataya tha vo bhi yahi chahti hai ki uske baap ke kiye paap ko sudhara jaye iss liye vo bhi Reyansh ki jii jaan lagakar seva karegi. Meri aapse akhri vinti hai ki ho sake to mujhe maaf kar dijiyega."

Iss letter ko sunne ke baad ghar me ghor sannata cha gya. Kuch hi second baad swara ki rone ki awaj se sab jaage. Swara jamin pe baith ke jor jor se rone lagi aur kuch badbadane lagi.

Swara : smmm.. Kaha tha maine bhai bekasoor hai par...
Aur sisak sisak ke rone lagi Mrs. Shikha Rajput ki aakhen bhi nam thi unhe sab yaad aa raha tha jo kuch unhone reyansh ke sath kiya tha uska wo masoom chehera unke samne aa rha tha. Janvi pe to ab guilt pori tarah havi ho gyi thi wo bhi rone lagi. Mr. Raghuveer Rajput bhi udas the par itne nhi. Kamya chachi ke expression kuch samajh nhi aa rahe the aur Divya ko koi farak nhi pada. Chacha ki akhon me gussa tha akhir wo bol uthe.
Chacha : maine kaha tha ki aap sab log galat kar rahe hai aur ab to wo ghar bhi chod kar jaa chuka hai.
Mummy : (rote hue) mujhe mera beta wapas chahiye mai usse maafi mang lungi.
Dad : mai kaise bhi karke use doondh lunga tum chinta mat karo.
Mummy : par kya wo hume maaf karega??
Dad : wo zaroor maaf karega, wo to umse baat karne ko tarasta tha jab hum khud usse baat karenge to wo zaroor maaf karega .
Swara : (cheekhte hue) bhai bhale hi maaf karde par mai aap sab ko kabhi maaf nhi karungi.
Kehete hue apne room me chali gyi.
Janvi didi : (utsukta se) haa papa Reyansh ko jaldi se dhundhiye.
Dad : mai abhi apne admi lagata hu jald hi uska pta chal jayega.
Mummy : haa jald se jald bas pata chal jaye Reyansh ka kyuki kal meri bahu bhi to aane wali hai.
Janvi didi : (chidte hue) mujhe nhi lagta Reyansh use accept karega. Kya pta kaisi shakal surat ho uski.
Dad : aise nhi bolte kal wo aane wali hai aur abse yahi rahegi. Pandit ji ne jo kuch bhi kiya uski saza unhe mil chuki hai. Aur us ladki ka ab humare alawa hai hi kon.
Mummy : sahi kaha apne.
Raghuveer ne apne sare aadmi laga diye reyansh ko dhudne ke liye.

Aise hi wo Din bhi nikal gaya. Agli subah sab dining table pe baithe nashta kar rahe the. Tabhi doorbell baji Mrs. Shikha ne darvaja khola to dekha samne ek sundar si ek ladki khadi hai.
Mummy : ji aap kon?
ladki : ji Auntie mai Avni Pandit ramcharan ki beti hu.

e75dd517-93b9-46a3-8f0b-0e2f350ce5e0
other animals emojis
Avni
Shikha darvaje se side hote hue boli.
Mummy : Aao beta andar aao hume pata hai aakhir hamari hone wali bahu jo ho.
Avni ke gaal laal ho jate hai ye sunke. Shikha ji use andar lati hai sab use dekh ke samajhne ki koshish kar rahe the ki kon hai.
Mummy : ye Avni hai pandit ji ki beti aur iss ghar ki hone wali bahu.
Avni aage badh ke sab bado ke pair chuti hai.
Par uski aakhen to kuch aur hi dhundh rahi thi aakhir usne puch hi liya.
Avni : ji.. Ji wo kaha hai.
Mummy : kon beta.
Avni : ji auntie ji Reyansh .
Mummy : wo.. Wo..
Avni : kya hua auntie kaha hai wo. Mujhe pata hai mere pitaji ke karan bohot dukh jhela hai unhone. Mai unke pair pakad ke unse maafi mangna chahti hu.
Mummy : (udasi bhari awaj me) be.. Beta wo ghar chod ke chala gaya.
Avni : (choukte hue) kkkyyyyaaaaa??????
Mummy : (rote hue) ye sab mere wajah se hua hai.
Phir mummy use rote hue sab bata deti hai. Sab sunne ke baad avni bhi naam aakhen liye boli.
Avni : jo kuch hua achcha nhi hua par ab hume unhe dhundh ke sab thik karna hoga aur unhe itna pyaar dena hai ki wo sab bhul jaye.
Swara : (jaldi se) haa mai bhai ko bohot pyaar dungi.
Janvi : (dhire se) mai bhi.
Dad : pehele use dhundh to le.
Avni : kya apke paas unki koi photo hai.
Dad : haa ye lo beta.
Dad ne apna phone dete hue kaha.

Top-20-Indian-Male-Models-of-2020-Updated-List
piggo emojis
Avni meri photo dekhte hue (maan me : hayyee kya body hai mere hone wale husband ki aur kitne hot hai. Mujhe pata hai ki aapko mere pita ke karan bohot kuch sehena pada par wada hai mera aapse bass ek baar mil jaiye phir dekhiye mai kaise aapko itna pyaar dungi ki aap apne sare dard aur takleef bhul jayenge.)

Swara Avni ko Reyansh ki tasveer aise ghurte dekh gussa ho gyi aur bol padi.

Swara : bas bhi kariye kya photo me se hi bhai ko nikal lengi.
Avni jhepn gyi
Dad : Shikha iss room dikha do
Mummy : dusra room kyu ye to Reyansh ke room me hi rahegi.
Swara : (gusse me) nhi bhai ke room me mere alava koi nhi jayega .
Mummy : kyu nhi jayega? Wo mere bete ka kamra hai.
Swara : kya mera beta? Ye mamta tab kaha gyi thi jab unko iss ki sabse jada zaroorat thi.
Avni :(baat sambhalte hue) are auntie ji chaliye mujhe koi aur kamra dikha dijiye.

Chaliye chalte hai Reyansh ki taraf....

Samay ka kata chal raha tha aur mera bhi 11th complete ho gya tha aur ab 12th me tha aur 12th ke board exam bhi ab karib the iss bich kuch khaas nhi hua wahi mehnat aur rukhi sukhi khana. Ab zindagi se koi umeed nhi reh gyi thi. Khair 12th ka exams bhi ho gye mai 97.8% se top kiya tha . 12th to ho gya par ab aage padhne ke liye paise nhi the. Aise hi 15 din bit gye. Kal tha mera 18th birthday par mujhe koi khushi nhi thi. Abhi raat ke 11:55 pm ho rahe the mera birthday shuru hone me 5 min baaki the .

Jaise hi 12 baje mujhe aajebh sa "DARD" hone laga aisa lag raha tha ki kisine mere sharir pe tezab phek diya ho. Mera sharir hawa me uthne laga. Thodi der baad jalan kam ho gyi aur sharir bhi niche aa gya. Jaise hi maine aakhen kholi kii......

Aage dekhte hai kya hota hai........ ...
Sandar mindblowing superbbb speechless update...........
 
  • Like
Reactions: andyking302

Vk248517

I love Fantasy and Sci-fiction story.
5,705
17,758
189

Supper updates
 
B@rty2468

Member
188
446
63
Family Introduction

• Raghuveer Rajput (Dad) : ye India ke jane maane business man hai. Age ab 43 hai . Paise aur power ka kafi ghamand hai. Apni betiyo se bohot pyar krte hai.

36c539d7-909c-4926-9883-cce883d28841

• Shikha Rajput (Mom) : ye ek housewife hai. Inki age ab 37 hai. Inhe bhi Paise aur power ka kafi ghamand hai. Apni betiyo se bohot pyar krti hai.

a9d0585a-33e9-4566-8617-466997030d0f

• Janvi Rajput (Badi behen) : inki age abhi 21 hai. Ye nature se kaffi gusaal hai aur ghamand to maa baap se mila hi hai. Sab inhe pyaar se janu kehete hai.

Top-20-Most-Beautiful-Actress-In-Bollywood-2021-Fakoa

• Swara Rajput (choti behen) : ye hai meri princess. Inki age abhi 18 hai. Bohot hi soft hearted hai aur shayad yehi mujhe sach me apna manti thi.

aaf253df-e6e2-46d9-b149-d48009dd201a

• Yash Rajput (chacha) : ye mere papa ke chote bhai. Inki age 38 hai. Ye apne bhai se alag hai par unke dar se kabhi unke faisle ke khilaf nhi gye.

Dhanush

• kamya Rajput (chachi) : inhe bhi apni khubsurti pe kafi ghamand hai
.inki age abhi 34 . Inka baki nature aage pta chalega.

4f80f56b-0e76-4284-a42e-ebfec3abcf8a

• Divya Rajput ( behen) : ye chacha chachi ki beti hai. Inki bhi age abhi 18 hai. Ye kafi shant rehti hai par Mujse nafrat krti hai . ise gareebo se sakt nafrat hai.

314ac9e5-dcfc-4059-92ab-2689eb0b6c21

• Mahaveer Rajput (dadaji) : ye mere sab kuch the . Ye meri jine ki wajah the jo ab nhi rhi.

A-legrettegettebb-t-netek-egyike

Last But Not The Least

• Reyansh Rajput (mai) : meri age abhi 20 saal. Pariwar ke hote hue bhi anath ki zindagi jine wala jiski kismat hi " DARD " ku sihyai se likhi hai.

W-R-Wi-R75178600

Baki character aage bataya jaega
Superb introduction
 
  • Like
Reactions: Bunny..
Top