• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance BESHARAM (Completed)

Spider-Man

New Member
88
116
18
BESHARAM (Completed)



    • Hlo guys...main apka apna Entertainerjatt(SIDHU) Xossip par apni dusri story shuru karne ja raha hun...Meri pehli story Dildariyan ko ap logon ne boht pyar diya...umeed hai ap is story ko bhi utna hi pyar denge...toh dosto apke samne pesh hai meri dusri story BESHARAM....​

Ye ek or story ETERTAINER JATT ke h Jo mai yaha repost kar raha ho.

Ye story mujhe bhut pasnd hai. Pls ager achi lage to like Comments Kre
 
Last edited:

Spider-Man

New Member
88
116
18
Update 1

Sam: hlo aunty kaisi hain ap…

Seema: thik hun beta tu bata…

Sam: ek dum badiya….aunty aj main India a raha hun…

Seema: beta vaise Toh tera hi ghar hai mujhe koi problem nahi par tu janta hai jab use pata chalega toh wo kya react karegi….wo tumhe bura bhala bolegi main yeh bardast nahi kar paungi…

Sam: are aunty hum toh thehre “BESHARAM”….hamein kya farak padta hai…

Seema: tu kabhi nahi sudhrega na…

Sam: aunty sudhrna kon chahta hai…main toh pakka besharam banana chahta hun par apki beti kabhi mauka toh de….

Seema: nalayak kahin ka…tu kabhi bada nahi hoga kya…

Sam: aunty hounga par agle janm mein ok bye aunty ab main phone rakhta hun….

Sam ne phone rakh diya aur apna suitcase utha kar apne kamre se bahar chal pada….hall mein uske mom dad uska wait kar rahe the…

Sam: oh toh janta hamare wait mein khadi hai…

Rajeev(Sam ke papa): khote Sara din bakwas karta rehta hai aur koi kaam nahi kya tujhe…

Simran(Sam ki mom): apko bhi mere bache ko dantne ke ilawa koi kaam nahi hai…

Sam: mom ap dad ko danto mat bechare ro padenge…

Rajeev: beta sochle baap hun tera jab mera din ayega toh gin gin kar badle lunga…

Sam: dad aisa din bhagwan ke calendar mein nahi hoga....

Simran: chalo chodo ab tum dono Sam tumhe lait ho jayega…jaldi karo tumhari flight ka time ho raha hai…

Fir teeno airport ki taraf chal padte hain…wahan pahunch kar teeno ander enter hote hain aur jab Sam ko ander Jana tha toh wo apne mom dad se bye bolta hai…

Sam: bye mom…

Simran: bye beta aur apna dhyan rakhna aur pahunchte hi call karna…

Sam: bye dad….apko mujhse ab chutkara mil gaya kam se jab tak main wapis nahi ata…

Rajeev: beta dhyan rakhna apna….aur ek baat sun le agar tu uske bina lauta toh Teri tangein tod kar hath mein de dunga....

Sam: yes sir…

Fir Sam apne mom dad se gale mila aur ander Jane laga….

Rajeev(unchi awaj mein): aur sun mujhse roj video chat karna….tere bina koi ladne ko nahi rahega…

Simran( halke se marte huye): kya ap bhi Sara din bache bane rehte ho….

Yeh sab dekh kar Sam muskura diya aur un logon ko fir se bye karke ander chala gaya…

Airport ki formalities karke apni flight mein baith gaya aur plane ne apni manjil ki taraf apni udaan bhardi…matlab india ki taraf….

Toh dosto ap logon ko Sam aur uski family ka into. De dun…

Sabse pehle Dad…
Mr. Rajeev khurana: yeh ek kamyab business man hain aur aj kal Australia mein rehte hain…aj kal yeh apne bete ke sath milkar business sambhal rahe hain….inki age 52 saal hai par yeh dekhne mein bilkul fit hain…aur nature se bhi bilkul jindadil hain…yeh Sam se boht pyar karte hain…par dono baap beta kam dost jyada hain is liye Sara din jhagdte rehte hain…

Mrs. Simran khurana: Sam ki mom....inki age 50 saal hai…yeh kafi shant nature ki hain…yeh house wife hain vaise toh yeh ghar sambhalti hain par ghar se jyada unka time Sam aur Rajeev ko sambhalne mein nikal jata hai…yeh apne pariwar se boht pyar karti hain…

Mr. Sameer khurana: inko sabhi Sam bulate hain…age 23 years height 6 feet rang gora….shuru se gym ka craze hai toh physics achi khasi hai…college mein inhe apne six pack abs dikhane ka bada shounk tha…ek dum bindas banda....par apni responsibilities ache se janta hai isi liye graduation ke baad papa ke business mein hath batata hai…apne papa se Sara din majak karta hai par unki izzat bhi boht karta hai…apni mom se sabse jyada pyar karta hai…

Khair dosto jyada bore nahi karunga toh mudde par ate hain…k aj yeh janab India chale hain apni ek galti ko sudharne…thoda badbola hai toh galtian karta rehta hai…par dil ka acha hai…isi liye sab ise pyar karte hain…friend circle bhi kafi bada tha par college chodne ke baad sab chut gaya….

Khair Sam isi soch mein khoya huya tha k India mein uske sath kya hone wala hai use is baat ka pakka yakeen tha k uski boht beizzti hone wali hai…par use besharam ban kar sab sehna hoga…sari batein sehni hongi…aj wo apne ghar ke aiso aram chod kar….. apne sare kaam chod kar India ja raha tha…kionk use apni ek galti sudharni thi…par han yeh baat alag thi k wo ismein akela nahi tha uska sath dene wale bhi hain jinke bare mein apko age pata chalega…agar India mein use insult sehni thi toh wahan use izzat bhi milni thi….agar use berukhi sehni thi toh pyar bhi milna tha…

Toh Sam apne raste nikal chuka tha…use kus pata nahi tha k manjil kitni dur hai…. milegi bhi yah nahi…par usne apna sab kus dao pe lagane ki soch rakhi thi…use kus farak nahi padta tha k koi muskil hai yah nahi use toh sirf apni manjil dikh rahi thi…
 
  • Like
Reactions: aalu

Spider-Man

New Member
88
116
18
Update 2

Sam apne raste nikal chuka tha…use kus pata nahi tha k manjil kitni dur hai…. milegi bhi yah nahi…par usne apna sab kus dao pe lagane ki soch rakhi thi…use kus farak nahi padta tha k koi muskil hai yah nahi use toh sirf apni manjil dikh rahi thi…

Ab age….

Sam sham tak India pahunch gaya…airport par utarne ke baad usne taxi li aur nikal pada apni manjil ki aur….

Taxi wala: sir kahan Jana hai…

Sam: Patel villa…

Taxi wala: ok sir…

Fir taxi wale ne gadi us taraf bhaga di aur jaldi hi Sam ko uski manjil tak pahuncha diya…Sam ne use kiraya diya aur apna saman utha k ek khubsurat ghar ki taraf badh gaya…ghar kisi bangle ki tarah tha…bohut hi khubsurat Charon taraf garden aur beech mein ek boht hi khubsurat ghar…Raj main gate par gaya…

Watchman: bhai kisse milna hai…

Sam: are bhai kya baat kar rahe ho mera apna ghar hai…jab chahun a jaun…

Watchman: are sir aise kaise a jaoge….mujhe salary machar Marne ki nahi milti…seedhe seedha naam batao…

Sam: OK bhai Sameer Khurana naam hai…

Watchman: kya ap hi Sam ho…

Sam: oye han Bhai…

Watchman: sorry sir badi mam ne apke bare mein bataya tha k ap ane wale ho…

Sam: toh ab jaun bhai…

Watchman: ji sure Sir…

Watchman ne gate khol diya aur Sam ander chala gaya…ghar ke door par pahunch kar usne door bell bajayi…thodi der baad darwaja khula toh samne ek lady khadi thi…wo Sam ko dekh ke boht khus ho gayi…Sam ne uske pair chuye aur us lady ne Sam ko apne gale se laga liya…

Sam: kaisi hain aunty ap…

Dosto yeh lady wahi thi jiske sath Sam ne phone par baat ki thi…Mrs. Seema Patel…

Seema: theek hun beta tu bata kaisa hai…aur ghar par sab kaisa hai…

Sam: sab ek dum badiya hai…pehle ander toh bulao k sari batein bahar hi karogi ap…pehle apke watchman ne nahi ghusne diya aur ab ap yahin roke khadi ho…

Seema: nahi abhi nahi yahin ruko main ati hun…

Sam kus puchta isse pehle Seema ander gayi aur ek thali utha kar le ayi…arti ke liye….fir Seema ne Sam ki aarti utari aur teeka lagaya…

Seema: ab ander a jao…

Sam: aunty is sab ki kya jarurat hai main konsa jung jitke aya hun…

Seema: Maine pure EK SAAL baad dekha hai tumhe…is ek saal mein kitna kus badal gaya…

Sam: aunty sab kus meri wajah se huya hai…meri hi galti hai…

Seema: nahi beta tumhari koi galti nahi hai…jaisa honi ko manjur hota hai wahi hota hai…

Mahol ko bhari hota dekh Sam ne baat badal di…

Sam: are aunty wo dono aflatoon kahan gaye…

Seema: kon Sahil aur Riya…wo dono toh tuition gaye hain…

Sam: acha aur bhi koi nahi dikh raha…

Seema: mujhe pata hai tum kise dhundh rahe ho…par wo abhi office mein hai…

Sam: oh..

Seema: beta pehle uske papa aur fir tu jab se hamein chod kar gaye ho…wo bas office ke kamo mein hi lagi rehti hai…hasna khelna toh Jaise bhul hi gayi hai meri bachi…

Sam: aunty why fear when Sam is here…ap fikar mat karo main sab thik kar dunga…

Seema: beta mujhe tum par pura bharosa hai...chalo ab tum khana kha lo…subah se bhukha hoga…

Sam: nahi aunty Sahil aur Riya ko ane do in logon ke sath mil kar hi dinner karenge…

Seema: OK…abhi main tumhe Coffee la deti hun…

Sam: OK aunty…

Fir Sam ne coffee pi uska saman uske kamre mein rakhwa diya gaya aur usko uska kamra dikha diya…wo apne kamre mein chala jata hai...wo apni mom ko phone karta hai…

Sam: hlo mom kaisi hain ap…

Simran: thik hun beta..thik thak pahunch gaya…

Sam: han mom…dad kaise hain…

Simran: thik hain…tere bina murjhaye se fir rahe hain…par unhe khusi hai k tu India gaya hai…par usko mana Lena…

Sam: ji mom…

Fir aise hi thodi der batein karne ke baad phone kaat diya aur Sam aram karne laga…

Karib sham ke 7 baje uske kamre ka gate khula aur do bache bhag kar aye…aur Sam ko uske bed par ki daboch liya…aur use Marne lage…yeh dono Riya aur Sahil the…Seema ke chote beta aur beti dono Judwa the aur 8th class mein padhte the…

Sam: are chodo mujhe tum dono…bache ki jaan loge kya….

Sahil: bhaiya jaan nahi lenge par pitayi boht karenge…

Sam: par Maine kiya kya hai kion maar rahe ho tum dono…

Riya: wahi toh apne pichle ek saal se kus nahi kiya na toh hamein yaad kiya na hi hamse Milne aye…aur na hi hamari fikar ki…

Sam( kaan pakdte huye): are maaf kardo tum dono mujhe chod do…age se aisa nahi hoga…

Un dono ne Sam ko chod diya aur uske sath bed par chadh kar baith gaye…

Riya: bhaiya ab hum apko jane hi nahi denge…

Sahil: han hum ap par najar rakhenge kahin fir se hamein chod kar na bhag jao…

Sam: main ab tum sab ko chod kar nahi Jane wala…aur han main tum sab ke liye gift laya hun…

Riya( khusi se): kya laye ho…

Sam: subah dunga…

Sahil: yeh toh cheating hai…

Sam: nahi yeh cheating nahi surprise hai…

Wo teeno aise hi masti karte rahe…lagbhag 9 baje Seema unke paas ayi…

Seema: toh tum logon ka ho gaya…ab khana kha lo…

Fir teeno hall mein a gaye… Sam ka room ground floor par hi tha…fir sabhi dining table par baith gaye…

Riya: mom di nahi ayi abhi tak…

Seema: beta wo aj late ayegi tum log dinner karke so jao…

Sahil: main bhaiya ke sath sounga…

Seema: kal ko so Jana aj wo thaka huya hai…

Sahil: nahi mom Maine bol diya na k main bhaiya ke sath sounga..

Seema: beta ache bache jidd nahi karte…

Sahil: mom plzzz..

Sam: are aunty sone dijiye na…

Seema: chalo thik hai…par pehle dinner toh kar lo…

Fir sabhi dinner karne lage…dinner khatam hone ke baad Sam apne room ki taraf chal pada sath mein Sahil bhi chala gaya…un dono ne Raat mein boht batein ki…Fir Sahil so gaya aur Sam aise apne laptop par apne business se related data dekhne laga…thodi der baad wo bhi so gaya…
 
  • Like
Reactions: DINNA and aalu

Spider-Man

New Member
88
116
18
Update 3

Fir sabhi dinner karne lage…dinner khatam hone ke baad Sam apne room ki taraf chal pada sath mein Sahil bhi chala gaya…un dono ne Raat mein boht batein ki…Fir Sahil so gaya aur Sam aise apne laptop par apne business se related data dekhne laga…thodi der baad wo bhi so gaya…

Ab age…

Agle din friday subah 6:00 baje Sam apne kamre se bahar nikla aur chhat par chala gaya…wo wahan ghum raha tha k tabhi piche se kisi ki khatarnak awaj ayi…wo ek ladki thi…

Ladki: kon ho tum yahan kya kar rahe ho…

Sam Jaise hi palta toh uski najrein wahin jam gayi…khubsurat chehra pyari ankhein gulab ki pankhdion Jaise honth…aur kaale ghane Baal….Sam toh kisi putle ki tarah wahin jam gaya…Wo ladki bhi hairan najron se Sam ko dekh rahi thi…par yeh kya uska gussa aur badh gaya…

Ladki: tumhari himmat kaise huyi mere ghar mein ghusne ki…nikal jao abhi ke abhi yahan se…

Par Sam ko toh Jaise uski baat sun hi nahi rahi thi wo toh bas aise hi dekhe ja raha tha…yeh dekh kar us ladki ka gussa aur bhi badh gaya…

Ladki: tumhe kus sun nahi raha…jaldi se niklo yahan se warna dhake maar kar nikalungi…

Par Sam tas se mas nahi huya…us Ladki ka gussa itna badh gaya k usne Sam ka hath pakda aur use khinchte huye niche lane lagi…aur sath sath apna gussa bhi nikalti rahi…par Sam uske peeche peeche chalta raha…aur wo Ladki aise hi Sam ko khinchte huye ground floor par hall mein le ayi…tabhi wahan Seema agayi…

Seema: Divya beta yeh kya kar rahi hai…Sam ko aise kion kheech rahi hai…

Toh dosto us Ladki ka naam hai Miss Divya Patel…

(Dosto main Puri Patel family ka short into. De deta hun…

Mrs. Seema Patel: age 49 years…inke pati ki do saal pehle maut ho chuki hai…inke teen bache hain…yeh apne bachon se boht pyar karti hain…

Miss Divya Patel: age 23 years…dekhne mein bilkul kisi pari ki tarah…apne papa ki death ke baad isne hi unka business sambhala…Sirf kaam par dhyan deti hai…jyada hasti khelti nahi hai…Business acha khasa hai toh paison ki koi kami nahi hai…kafi high profile family hai…

Sahil aur Riya: yeh dono judwa hai…Divya ke Bhai behan…8th mein padhte hain…Divya ki jaan basti hai in mein….yeh dono bhi usse boht pyar karte hain…Sam ko bhi yeh dono boht chahte hain…)

Ab story pe ate hain…

Divya: mom yeh yahan kion aya hai…ise kaho yahan se chala jaye…warna acha nahi hoga…

Seema: beta yeh yahan kaam se aya hai…iske papa ne kaha hai ise yahan rakhne ko…kus din mein wapis chala jayega…

Seema ki baat sun kar divya ne Sam ka hath chod diya aur majbur lehje mein boli...
Divya: uncle ne kaha hai toh rukne deti hun…par apni shakal mat dikhana mujhe….

Divya yeh bol kar wahan se chali gayi par Sam aise hi wahan khada raha…Seema ne use hosh mein laya…

Seema: chali gayi wo…ab bas kar…

Sam: wo wo main toh bas aise hi…

Seema: mujhe sab pata hai…par Maine use tere papa ka naam lekar manaya hai…tujhe yahan rakhne ko…aur use jyada tang mat karna…

Sam: aunty ab use tang toh karna hi padega…

Seema: galian degi wo tujhe…

Sam: aunty banda besharam hona chahiye galian bhi tareef Jaisi lagti hain…

Seema: chal pagal kahin ka…aur sun Sahil ko utha de main Riya ko utha deti hun…unhein school bhi Jana hoga…

Sam: ji aunty…

Fir Sam apne room mein chala gaya…Sahil abhi bhi so raha tha…Sam uske paas gaya…

Sam: oye sahil uth ja ab...

Sahil (thoda susti mein): bhaiya sone do na…

Sam: dekhla main kus nahi kehta…par aunty belan le kar a rahi hain tujhe uthane…

Apni maa ka naam sunte hi Sahil jhat se uth gaya…yeh dekh kar Sam hasne laga…

Sahil: bhaiya kya yaar aise hi dara diya apne toh…

Sam: acha hai dekh kaise react kar raha hai Jaise aunty nahi laden a raha ho tujhe uthane…

Tabhi piche se Seema ki awaj ayi

Seema: acha toh main laden ho gayi…par yaad rakhna jab us Hitler ke hathe chadega yeh laden hi tujhe bachayegi…

Sam: aunty Maine apko laden kab kaha ap toh meri shankatmochan ho…

Seema: bas kar itna maska na maar…aur Sahil chal jaldi se naha aur niche naste ki table par a…


Fir Seema wahan se chali gayi…aur Sahil bhi apne kamre mein nahane chala gaya…Sam apne bed par baith gaya…aur Divya ke chehre ke bare mein sochne laga…sach mein wo boht khubsurat thi…Sam aise hi baitha sochta raha…tabhi Riya wahan a gayi…

Riya: bhaiya kahan khoye huye ho…

Sam: kahin nahi…tu bata kaise ayi…

Riya: apko bulane nashta kar lijiye….

Sam: chal tu main aya…

Fir Sam nashta karne chala gaya…wahan Divya nahi thi…Sam ne idhar udhar dekha…

Seema: wo nahi hai…chali gayi office…

Sam: Maine kahan pucha uske bare mein…

Seema: par Teri ankhein toh puch rahi hain na…

Sam: aunty ap bhi na…

Fir Sabhi ne nashta kiya aur Sahil aur Riya school chale gaye…Sam bhi apne kamre mein chala gaya aur bed par baith kar apne past ke bare mein sochne laga…

Sam: kitne ache the na wo din…maine sab kharab kar diya...ab kya wo din kabhi wapis ayenge…

Sam yeh sab apne man mein soch raha tha…tabhi uske phone ki ring baji…Sam hosh mein aya aur dekha toh Phone uski mom ka tha…

Sam: hlo mom kaisi ho…

Simran: thik hun tu bata…

Sam: main toh ek dun badiya hun…

Simran: Divya se baat ki…

Sam: nahi mom wo toh meri shakal bhi nahi dekhna chahti…wo toh mujhe ghar se nikalne wali thi wo toh aunty ne bacha liya…

Simran: beta wo gusse mein hai…use manane mein time toh lagega…

Sam: han mom aur vaise bhi insan ko apni galtion ki saja kabhi na kabhi toh jhelni hi padti hai…

Simran: beta Jo ho gaya use hum badal toh nahi sakte…par use sudhar jarur sakte hain…tu himmat mat harna…

Sam: mom Maine aj tak kabhi haar mani hai Jo aj manuga…aur vaise bhi aunty hain na yahan meri help ke liye…

Simran: han beta…ab main phone rakhti hun…

Sam: ji mom…bye…

Simran: bye beta take care…

Sam ne phone kat diya…aur apne man mein batein karne laga…

Sam(man mein): main apni galti ko sudhar kar rahunga…maine Jo bhi kiya…uski saja aj Divya bhugat rahi hai…uski wo hasi uski wo mastiyan mein wapis la kar rahunga…

Tabhi Seema room mein a gayi…

Seema: kya soch raha hai beta…

Sam: kus nahi aunty bas aise hi…ap baithiye…

Seema( bed par baithte huye): Sam beta Divya tumhe boht bura bhala bolegi…kya tum seh paoge…

Sam: aunty wo meri wajah se aisi bani hai toh use main hi pehle jaise banaunga…chahye iske liye mujhe kus bhi sehna pade…

Seema: tumhe nahi pata Sam hum logon ne tumhe kitna miss kiya…hamesha tujhe apna beta mana…tere uncle ki maut ke tumne hamara sath diya…tere Jane ke baad Divya ne is ghar ko sambhala…par Teri kami hamesha mehsus hoti rahi…

Yeh sab bolte huye Seema ki ankhon mein ansoo a gaye…

Sam: maa ap roiye mat…

Seema: kya ek baar fir se bol…main tere munh se yeh sunne ke liye taras gayi hun…

Sam: maa ap roiye mat…apka beta a gaya sab thik kar dunga…maine hi sab kharab kiya…par apko pata hai na aunty Maine janbujh kar kus nahi kiya…

Seema: beta tu kabhi galat nahi tha…galat toh halat the…kisi ko tujh par yakeen ho yah na ho par main tujh par apne se bhi jyada bharosa karti hun…maine beta mana hai tujhe…agar bhagban bhi niche a kar tere khilaf gawahi de toh bhi main na manu…

Yeh bol kar Seema ne Sam ko apne gale se laga liya…aur uski ankhon se ansoo girne lage…pata nahi yeh khusi ke the yah dukh ke…par wo lagatar roye ja rahi thi...
 
Last edited:

Spider-Man

New Member
88
116
18
Update 4

Seema: beta tu kabhi galat nahi tha…galat toh halat the…kisi ko tujh par yakeen ho yah na ho par main tujh par apne se bhi jyada bharosa karti hun…maine beta mana hai tujhe…

Yeh bol kar Seema ne Sam ko apne gale se laga liya…aur uski ankhon se ansoo girne lage…pata nahi yeh khusi ke the yah dukh ke…par wo lagatar roye ja rahi thi...

Ab age…

Kafi der aise hi Rone ke baad jab Seema shant huyi toh usne Sam ko apne se alag kiya….

Sam: are aunty ab toh smile de dijiye…

Seema(smile karte huye): thik hai ab?

Sam: are wah aj mera din ban gaya…

Seema(marte huye): hat BESHARAM kahin ka…chal ab main chalti hun…

Fir Seema wahan se chali gayi…tabhi Sam ke dimag mein kus aya aur usne apna phone uthaya aur kisi ko call kiya…thodi der baad samne wale shaks ne call pick kiya…

Sam: hlo Ashu yaar Kaisa hai…

Ashu: bhai kon bol raha hai aur mera naam kaise janta hai…

Sam: yaar itni jaldi bhul gaya…sale mein sahi bolta tha tu kamina hai matlabi hai sale…

Ashu: oh acha acha…Sam... bhai sorry yaar pehchana nahi…aur tu bhi konsa roj phone karta hai…

Sam: chal chod aur suna kaisa hai…

Ashu: main toh ek dum fit hun…tu bata aj kaise hum gareebon ki yaad a gayi…

Sam: sale tu kahan se gareeb hai…aur bas aise hi socha puch lun kya kar raha hai aj kal…

Ashu: bhai tere se toh hum gareeb hi hain…aur bhai aj kal ek company mein job kar raha hun…teri tarah khud ka business toh hai nahi…

Sam: Bhai chal job bhi aj kal kahan milti hain…aur bata konsi company mein hai…

Ashu: bhai yeh nahi bata sakta….

Sam: kion sale tu konsa black karta hai…

Ashu: bhai agar Maine bata diya toh tu gussa karega…

Sam: yaar tu bata toh sahi…

Ashu: chal thik hai Divya meri Boss hai…

Sam: Abe kya baat kar raha hai…

Ashu: Maine bola tha na tu gussa karega…par kya karun aur kahin job mili hi nahi…

Sam: sale main gussa nahi hun aur upar se main toh khus hun…chal tere se kal ko milta hun…

Ashu: sale tu Australia mein hai yahan India mein nahi Jo aise hi chala ayega…

Sam: sale isliye tu kabhi taraki nahi karta kam se kam no. Toh dekh Lena tha k kahan ka hai…

Ashu ne apni phone screen check ki…

Ashu: abe yaar iska matlab tu India mein hi hai…

Sam: mujhe pata hai tu abhi bhi nahi samjha tha isiliye no. Dekh kar bola hoga…sala tube light…han main India mein hi hun…

Ashu: sale pehle kion nahi bataya chal kal ko tere ghar pe ata hun kal kya aj hi office se leave le kar ata hun…

Sam( haklate huye): wo main ghar pe nahi hun…Main wo d..di..divya ke ghar par hun…

Ashu(hairani se munh khol kar): sale kya tune pi rakhi hai…yah pagal ho gaya hai…tu aur Divya ke ghar pe…

Sam: Han wo main wo…

Ashu: sala yeh ho kya raha hai…tu Divya ke ghar par kion gaya…chal ek baar ke liye maan bhi liya k tera man badal gaya par Divya ne kaise ghusne diya…jo tune kiya tha uske baad…

Sam: Maine kus nahi kiya tha…aur aj ke baad kabhi bola toh tera munh tod dunga…

Ashu: bhai shant hoja main manta hun k tu bekashur hai par Divya toh nahi manti…aur vaise bhi tu kaise Divya ke paas a gaya…tu toh nahi chahta tha k tu kabhi uske paas bhi jaye…

Sam: bhai samay insan ko badal deta hai…aur main pyar karta hun Divya se…

Ashu( khanste huye): sale mujhe heart attack dega kya…jhatke pe jhatke diye ja raha hai...tu aur pyar wo bhi Divya se…

Sam: Han bhai…main pyar karta hun usse isliye toh BESHARAM ban kar uske ghar insult sehne chala aya…

Ashu: sale tu sach mein pagal ho gaya hai…log budhape mein satheyate hain tu toh bhari jawani mein hi hil gaya…

Sam: Bhai kya karun…dil hai k manta nahi…

Ashu: chal yaar ab main phone rakhta hun aur sun main tujhe Sunday ko hi milunga agar us Hitler ko pata chala k main office chod kar tere se Milne gaya hun toh mera gala kaat degi wo…

Sam: chal thik hai yaar…bye…

Fir Ashu ne phone kaat diya aur apne munh mein badhbadane laga...sala pagal ho chuka hai mujhe bhi karega….

Udhar Sam ke room mein Sam apne laptop par kus data check kar raha tha…fir usne thoda aram karne ki Sochi aur wo so gaya…wo kafi der tak sota raha par kareeb 2:45 pm ko Riya aur Sahil ne uski neend todi…

Sahil: utho bhaiya…ap so rahe ho…

Riya: bhaiya utho na…

Thodi mehnat ke baad Sam ko utha hi diya in dono ne…Sam apni ankhein maslte huye utha…

Sam: kya yaar sone do na kion pareshan kar rahe ho tum dono mujhe…

Riya: bhaiya ap bhul gaye na…apne bola tha k kal ko tum logon ke gifts dunga…ab ap bhul gaye..

Sam: konse gift Maine toh tum dono se apne apko bachane ke liye bola tha…

Riya: yeh toh galat baat hai…ap mukar rahe ho…

Sahil: yeh aise nahi manege…aisa karte hain kal ki tarah inki fir se pitayi karte hain…

Sam: wait wait…are bhai majak kar raha hun…tum dono aunty ko bula kar lao…fir tum teeno ke gift dunga…

Sahil jaldi se Seema ko bula laya…aur fir Sam teen gifts le kar aya Jo ache se pack kiye huye the…aur in teeno ko de diye…

Sahil: thanks bhaiya…

Riya: thanks and love you bhaiya…

Seema: beta in sab ki kya jarurat thi…

Sam: are aunty gifts jarurat ko nahi pyar ko diye jate hain…

Seema: thik hai aur Divya ka gift?

Sam: aunty main a toh gaya hun aur kya chahiye use…

Seema: tu Sara din aisi hi batein karta raha kar…

Sam: aunty yahi Toh mera kaam hai….

Fir wo teeno Sam ke room se chale gaye…ab Sam fir se apne bed par baith gaya aur kus sochne laga…

Sam(man mein): yaar aye huye do din ho gaye abhi tak Divya se baat karna toh dur ache se uski shakal bhi nahi dekhi hai…yaar kash mein itna pagal na hota toh aj Divya mere sath hoti…hum pehle ki tarah ache dost hote ek dusre ke sukh dukh ke sathi…agar main itna jyada be fikar na banta toh aj Besharam banne ki jarurat hi na padti…kash wo din fir se laut ayein…

Sam aise hi in sab baton ko sochta raha…fir wo uth kar bahar chala gaya…aur hall mein baith kar TV dekhne laga…tabhi Riya bhi uske paas a kar baith gayi…

Riya: bhaiya agar ap gussa na karo toh ek baat puchun…

Sam: are main tumhari baat ka gussa kabhi kar sakta hun…puch kya puchna hai…

Riya: ap Di ke liye gift isi liye nahi laye na kionk ap dono ek dusre se gussa ho…aur isliye ap hamein chod kar chale gaye the…

Sam: nahi gudiya main tumhari di se gussa nahi hun…wo mujhse gussa hai…main use manane aya hun…

Riya: acha toh ap ek saal baad kion aye ho…

Sam: wo main pehle busy tha…isliye nahi a paya…

Riya: nahi ap jhuth bol rahe ho…jab ap gaye the toh kitne gusse mein the…isiliye humse itna time dur rahe…

Sam: nahi aisi baat nahi hai Riya…

Riya kus aur puchti tabhi Seema wahan a gayi…

Seema: Riya tum jao ja kar apna homework karo…

Riya wahan se chali gayi Sam ne seema ki aur aise dekha Jaise use thanks bol raha ho…

Seema: beta tum ek bachi ka samna nahi kar pa rahe ho kya Divya ka samna kar paoge…

Sam ke paas koi jawab nahi tha…usne apni garden niche karli…use Seema ki baton mein dum lag raha tha….
 

Spider-Man

New Member
88
116
18
Update 5

Seema: beta tum ek bachi ka samna nahi kar pa rahe ho kya Divya ka samna kar paoge…

Sam ke paas koi jawab nahi tha…usne apni garden niche karli…use Seema ki baton mein dum lag raha tha….

Ab age…

Par Sam pakka irada bana chuka tha ab wo piche hatne wala nahi hai…

Sam: aunty koi baat nahi sab apne ap hi ho jayega…jyada stress mat lijiye…

Seema: thik hai beta…

Aise hi do din nikal gaye…Sam aur Divya ka amna samna hi nahi huya…par aj Sunday tha aj Divya office nahi Jane wali thi toh Sam ke paas acha mauka tha…Divya se baat karne ka…

Sunday 8:30 am…

Sabhi breakfast ke liye dinning table par baithe the…Sam aur Divya bhi dono the…Divya Sam ki taraf dekh hi nahi rahi thi jabki Sam toh bas Divya ko hi dekhe ja raha tha…kisi mein itni himmat nahi thi k Divya ke samne bol sake toh sabhi chup chap apna khana kha rahe the...Sam ko chod kar…jaise taise Sabhi ne khana khatam kiya aur Divya uth kar apne kamre mein chali gayi…

Sam fir se dekhta hi reh gaya…kionk Divya use baat karne ka koi mauka hi nahi de rahi thi…Sam ko bhi pata tha k yeh kaam itni jaldi toh hone wala hai nahi use boht sabar rakhna hoga…isiliye usne apne ap par kabu kiya aur apne kamre mein chala gaya…Thodi der baad uske phone par Ashu ka phone aya…Sam ne utha liya…

Sam: hlo bhai kaisa hai…

Ashu: main toh thik hun par tujhe kya huya itni mari awaj mein kion bol raha hai…

Sam: kus nahi yaar aise hi…tu bata kaise phone kiya…

Ashu: bhai aj milte hain…aj Sunday…

Sam: han bhai sorry bhul gaya tha…toh yahan aja…

Ashu: na Yaar jahan wo khadoos hogi main nahi ane wala…aisa kar kahin bahar milte hain…

Sam: OK yaar thik hai…bata kahan milna hai…

Ashu: are yaar wahi hamara pehle wala adda…college ke samne wala park…

Sam: OK bhai theek hai…ata hun…

Asha: thik hai 10:00 baje pahunch Jana late mat hona…

Sam: OK bhai…

Fir Sam ne phone kaat diya…uske chehre se udaasi aise gayab ho gayi Jaise gadhe ke sir se seeng…akhir ho bhi kion na yahan college life ke teen saal bitaye the usne aj fir se wahan ja raha tha…wo sach mein khus tha boht khus tha….itna k ek pal ke liye wo apne sare dukh dard bhul gaya…aur khusi khusi jane ke liye tyar hone laga…

Wo tyar ho kar Park pahunch gaya…usne pehle ek baar apne college ki taraf dekha aur na Jane kion uski ankhein nam ho gayin…uski ankhon ke samne se uska yahan gujra ek ek lamha ek hi pal mein gujar gaya…sach mein Sam kisi aur hi duniya mein kho sa gaya tha…par tabhi ek hath uske kandhe par pada aur Sam ek awaj se real world mein laut aya...yeh awaj Ashu ki thi…

Ashu: bhai kya dekh raha hai…

Sam Jaise hi palta toh samne Ashu ko khada dekh kar bina kus bole Use apne gale se laga liya…aur fir alag huya…

Sam: yaar kaisa hai tu…bilkul bhi nahi badla…

Ashu: Bhai tu bhi toh vaisa hi hai…aur ek saal mein kus nahi badlta…

Sam: Bhai kitna kus toh badal gaya…

Ashu: han yaar boht kus…aur tu bhi bahar se toh vaisa hi hai…par ander se tu boht badal gaya…

Sam: kion main kion badal gaya…

Ashu: bhai badal hi toh gaya hai Jo tu Divya se pyar karne laga hai…

Sam: yaar karta toh pehle bhi tha par kehte hain na k kisi chij ki kadar tab hoti hai jab wo apse dur ho jao…aur mujhe bhi is pyar ki kadar Divya se dur Jane ke baad hi pata chali hai…

Ashu: yaar yeh sab Teri marji hai but yaar main bata nahi sakta tumhe dubara dekh kar kitna khus hun…mujhe toh laga tha k ab main kabhi tumse mil nahi paunga…

Sam: yaar aise kaise…yaari itni asani se nahi tutne dunga…

Ashu: chal yaar wahan us bench par baith kar batein karte hain…

Sam: han chal…

Fir wo dono us bench par jakar baith gaye…

Sam: yaar tumhe yaad hai kabhi hum yahin baith kar ladkian tadte the…

Ashu: bhai tadte toh hum the tumhare peeche toh sari ladkian pagal thin…

Sam: yaar kus bhi kaho par Jo maja tum teeno ke sath baith kar ladkian tadne mein tha wo aur kahan…

Ashu: han yaar aur yaad hai Lucky toh har ladki ke piche bhagta rehta tha…aur Deepak se sabhi ladkian bhagti thi…

Sam: han aur tu bas kitabon mein dooba rehta tha…

Ashu: Bhai unhi kitabon ki wajah se aj Job mili hai…nahi toh Deepak apne baap ki wo purani shop sambhal raha hai aur Lucky job ke liye ghumta rehta hai…


( Toh dosto Sam ke dosto ka ek short into de deta hun…

Ashish Sharma (Ashu): yeh Sam ka bachpan ka dost hai…dono shuru se sath hi padhe hain…yeh dikhne mein theek thak hai par padhne mein boht intelligent tha…isiliye ise jaldi hi job mil gayi…yeh ek middle class family se belong karta hai…

Deepak Kumar: yeh bhi Sam ka boht acha dost hai…yeh Sixth se in logon ke sath padh raha hai…yeh dikhne mein kus khas nahi hai…isse sabhi ladkian bhagti thi…aur padhne mein bhi kus khas nahi tha….iske papa ki ek garments ki shop thi…Yeh bhi usi ko sambhal raha hai…

Laxman Das( Lucky): yeh mahasya in sab se bade namune…yeh bhi Sixth mein hi Sam ke sath padhne laga tha...inke maa baap ne inka naam kus khas nahi rakha tha toh isne apna naam lucky rakh liya…par kehte hain na naam badlane se kismat nahi badlati…same yahan bhi huya…yeh har ladki ke peeche bhagta tha par kisi ne ise ghas nahi daali…iska struggle job ke time bhi chal raha hai…yeh bhi ek average si family se hai...)

Ab present mein

Sam: Yaar unse bhi milna hai…

Ashu: bhai main unko bata dunga…parson raat ko wahin us pani puri wale ke yahan milenge…

Sam: kya wo abhi bhi wahin hota hai…

Ashu: han hum teeno toh jate rehte hain uske paas…par bhai tujhe boht yaad karte the…

Sam: toh thik hai fir wahin milenge unse…

Ashu: han bhai aur suna ghar par sab kaise hain…

Sam: thik hai bhai…tu bata…

Ashu: han sabhi theek hai… bhai tune Divya se is bare mein baat ki k tu usse pyar karta hai…

Sam: nahi bhai wo toh meri shakal dekhna bhi pasand nahi karti…

Ashu: chal koi baat nahi…sab thik ho jayega…

Fir aise hi kus der batein karne ke baad Sam apne ghar ke liye nikal gaya aur Ashu apne ghar ki taraf…ghar pahuncha toh Uske kamre mein Riya uska wait kar rahi thi…

Sam: are tum yahan…

Riya: han bhaiya…main apka wait kar rahi thi…Sahil toh dopehar ko so jata hai…aur Divya di toh koi baat karti hi nahi…toh yahan a gayi…apse batein karne…

Sam: yeh toh achi baat hai…toh bolo kya batein karni hai…

Riya: bhaiya ap aur di pehli baar kaise mile the aur fir kya kya hua sab batao na mujhe…

Sam: tu jaan kar kya karegi…

Riya: mujhe janna hai di toh batati nahi ulta daant deti hai…

Sam: toh thik hai pehle jiju kaho fir bataunga…

Riya: bade aye jiju banne wale…di toh apko apne as pas bhi nahi fatkane deti…jab bano ge tab bolungi…

Sam: dekh lo fir main nahi batane wala…

Riya: OK thik hai pyare jiju plz bata do…

Sam: han yeh huyi na baat…chal tumhe sab batata hun…
 
  • Like
Reactions: DINNA and aalu

Spider-Man

New Member
88
116
18
Update 6

Riya: bade aye jiju banne wale…di toh apko apne as pas bhi nahi fatkane deti…jab bano ge tab bolungi…

Sam: dekh lo fir main nahi batane wala…

Riya: OK thik hai pyare jiju plz bata do…

Sam: han yeh huyi na baat…chal tumhe sab batata hun…

Ab age…

Riya: toh chaliye shuru kijiye…

Sam: baat tab ki hai jab main college mein 1st year mein pehle din college gaya tha…

(Toh age ki kahani main apne view se hi sunaunga par ap yeh samjna k Sam Riya ko suna raha hai)

College ka pehla din tha school pass karne ka baad sabhi aise udd rahe the mano koi boht bada killa fateh kar liya ho…sab khus the Sam Ashu Lucky Aur Deepak bhi…charon ek sath ground mein khade the aur idhar udhar dekh rahe the tabhi Sam ki najar gate ki taraf padi…aur Sam ne Ashu se pucha…

Sam: Ashu oye Teri Behan ke sath yeh do ladkian kon hain…
(Nisha: Ashu ki Behan(cousin)hai pehle alag school mein padti thi par ab Sam ke college mein padhne lagi thi…1st year mein hi…)

Ashu: yaar ek ko toh main janta hun Rachna Nisha ki best friend hai dusri ko kabhi nahi dekha…

Sam: chal wo log hamari taraf hi a rahe hain pata chal jayega…

Fir Nisha Rachna aur wo ladki un logon ke paas chale gaye…Wo ladki boht jyada khubsurat thi…Par uski najar Sam par hi tiki huyi thi…wo lagatar Sam ko dekhe ja rahi thi par Sam uski taraf koi khas dhyan nahi de raha tha…Fir Nisha ne sab ka into dena shuru kiya…

Nisha: hlo guys…mujhe toh tum sabhi jante hi ho…aur yeh hai meri friend Rachna aur Divya...aur yeh hai mera Bhai Ashu aur uske friends Deepak Lucky aur hamara naughty boy Sam…

Toh dosto wo ladki Divya hi thi Divya ne Sam ka naam badi dhyan se suna Jaise wo is naam ho apne man mein basana chahti ho…Divya pehli hi najar mein Sam ko apna dil de baithi thi…Sam tha hi aisa har koi Uske liye deewana ho jata tha…khair sabhi ne ek dusre se hii hlo kiya aur apas mein batein karne lage…

As paas se jitne bhi ladke gujar rahe the sab ki najar Divya pe thi par Divya ki najar Sam par…wo Sam ko seedha nahi ghur rahi thi balki tirsi najron se baar baar dekhe ja rahi thi…

Ashu: yaar tumhari friend toh kus bolti hi nahi…

Nisha: kon Divya…nahi aisi baat nahi hai aj sayad pehla din hai isliye nahi toh yeh toh hum sab mein se natkhat hai…

Par Divya ko koi farak hi nahi pad raha tha wo toh bas Sam ko dekhne mein magan thi…

Nisha: Sam tum aj kal ghar par ate hi nahi…

Sam: are aisi baat nahi hai kabhi kabhi ata hun…par tab tum apne ghar hoti ho…

Nisha: han ho sakta hai…vaise tum dino din aur bhi smart hote ja rahe ho…

Deepak: Sara din toh gym mein baitha rehta hai…

Ashu: tere se toh acha hai…na shakal achi na akal…

Ashu ki baat sun kar sab Hans pade…Divya ko chod kar…wo toh bas Sam mein hi busy thi…fir sabhi ne idhar udhar ki batein ki aur apni class mein chale gaya sabhi ke paas same subject the…Sam Deepak Lucky aur Ashu sabhi ek sath baithe the aur Divya Nisha aur Rachna ek sath…Divya abhi bhi beech beech mein Sam ko dekh rahi thi…par jyada nahi kionk uski najar padhayi mein bhi thi…aise hi time nikla aur recess ho gayi…sabhi canteen mein chale gaye…Sabhi ek hi table par baithe the…

Tabhi ek group ander enter kiya group mein kus ladkian aur kus ladke the…ek ladka seedha Sam aur uske friends ke table ke paas aya…sath mein baki sabhi bhi a gaye…

Ashu(halke se Sam ke kaan mein): are yeh saand kon hai Jo hamari taraf a raha hai…

Sam: mujhe kya pata hoga koi…

Ashu keh bhi theek hi raha tha wo ladka bilkul saand tha mota lamba aur Kala…pata nahi itne ladke ladkian uski chamchagiri kion kar rahe the…

Khair wo mota saand unke table ke paas aya aur unchi awaj mein bola…

Saand: tum logon ki himmat kaise huyi yahan baithne ki…

Deepak: bhai ismein himmat ki kya baat bas kursi par bum rakhi hai…

Deepak ki baat sun kar sab Hans pade par wo mota saans gusse mein aur fulta ja raha hai…

Saand(aur jyada faad kar gala): yeh hamara table hai…

Lucky: bhai sorry hamein laga lakdi ka table hai…hamein nahi pata tha k yeh apka hai main bhi sochun tut kion nahi raha akhir itni majbur chij se Jo Bana hai…

Fir se sabhi hasne lage…par is baar us saand ne nahi balki uske ek chamche ne jawab diya…

Chamcha: tum log jante nahi tum kisse baat kar rahe ho…is ilake ke MP ke bete se…aur yeh is college ke boss hain…mr. Rakesh Chaudhry…

Sam: acha toh apka naam Rakesh hai…bhai dekho hamein toh khana khana hai kisi bhi table par baith kar kha lenge…ap log yahan baith jao…

Yeh bol kar Sam wahan se uth gaya aur apne doston ke sath kisi aur table par Jane laga..par tabhi us mote saand means Rakesh ne uska collar pakad liya…

Sam: bhai mera collar chod…

Rakesh: sale nikal gayi sari hainkadi…apne baap ko bol Dena k Balveer chaudary ke bete se panga liya hai…akar maafi mang lega…

Apne dad ki insult sun kar Sam Saari gandigiri bhul gaya aur bina kus bole Us mote saand ka hath pakad kar marod diya Rakesh Dard ke maare chikhne laga…

Sam: apne baap ko bol dena k Rajeev Khurana ka beta aya hai college mein…wo tumhe apne ap samjha dega k tumhari health ke liye kya acha hai…

Yeh bol kar Sam bina khana khaye Apni gadi lekar ghar ke liye nikal gaya…baki sab use awaj dete reh gaye aur Rakesh toh bechara apna hath masal raha tha…

Divya: yeh aise kion chale gaye…

Ashu: are wah tum bhi bolti ho…tum Sam ki baat kar rahi ho…

Divya: han…

Ashu: yaar yeh aisa hi hai…jisse pyar karta hai agar us par baat a jaye toh boht gusse mein a jata hai...aj toh baat iske papa par a gayi thi…ab yeh seedha gusse mein ghar jayega…ise sirf iski mom hi shant kar sakti hai…

Nisha: chalo yaar ab mera bhi mood nahi hai ghar chalte hain…

Deepak: han han chalo…

Fir sabhi apni apni swari lekar apne apne ghar ki taraf nikal pade…Sam toh ghar pahunchte hi apne kamre ki aur bhaga chala ja raha tha tabhi uski maa ne use awaj di…

Simran: Sam yahan a kya huya hai tujhe…

Sam( apne ap ko normal karne ki kosish karta huya): kus nahi mom…

Simran: tu ab mujhe banayega…

Sam: nahi maa apko aise hi lag raha hai Sab thik hi toh hai…maine Toh kisi se jhagda bhi nahi kiya…

Simran: Maine kab kaha k tune jhagda kiya…

Sam ki chori pakdi gayi thi...

Sam: wo main toh bas wo…

Simran: beta jab jhuth bolna ata nahi toh bolta kion hai…chal sab saaf saaf bata…

Sam: mom wo mera kisi se jhagda ho gaya wo papa ki insult kar raha tha…

Simran: acha toh yeh baat hai…ab toh jhagda ho gaya toh ab kion aise gusse mein ghum raha hai…chal bhul ja sab…

Sam: mom apko pata hai na main ap logon ke khilaf kus nahi sun sakta…

Simran: chal yahan a meri god mein sir rakh kar laitja…

Sam apni mom ki god mein sir rakh kar sofe par lait gaya aur Simran Uska sir sehlane lagi…

Simran: ab kaisa lag raha hai…

Sam: mom boht acha lag raha hai apke hathon mein jaadu hai…

Simran: beta jaadu hathon mein nahi maa ki mamta mein hota hai…chal ek kaam kar kal ko college mat Jana…

Sam: mom ab main pakka usse nahi ladunga but mujhe college Jane se mat rokiye…

Simran: chal achi baat hai but tu fir bhi college nahi jayega…

Sam: ab main aur kya ghar mein baith kar roti pakaunga…

Simran: nahi asal mein kal ko meri bachpan ki friend a rahi hai…wo thode din pehle hi Mumbai sift huyi hai…

Sam: Toh yeh baat hai…but iska mere ghar rehne se kya Lena dena…

Simran: tum bhi unlogon se Milne wale ho…

Sam: acha toh ap yeh chahti hain k main ghar baith kar kal ko ap logon ki batein Jo boriyat ka khajana hain…wo sunu…

Simran: han kus aise hi samjlo…

Sam: main nahi rehne wala ghar…mujhe kal ko college Jana hai…

Simran: beta wo apni family ke sath a rahi hai…toh tumhe bhi unse milna padega…kal ko tumhare papa bhi office nahi Jane wale…

Sam: kya baat hai apki friend nahi koi Hollywood actress ho gayi Jo pure ghar ka kaam chudwa rahi ho…

Simran: dekho Sam ab tumhe meri kasam hai agar tum kal kahin bhi gaye…

Sam: yaar apka kus nahi ho sakta…choti si baat par kasmein deti rehti ho…ok nahi jaunga....

Simran: yeh huyi na baat ab jao fresh ho jao Aur lunch karlo college mein toh tumne kiya nahi hoga…

Sam: thik hai…(munh mein badbadte huye apne kamre ki taraf chal pada) kya din a gaye hain…Sameer Khurana ab budhon ki mulakat ka hissa banega…
 
  • Like
Reactions: DINNA and aalu

Spider-Man

New Member
88
116
18
Update 7

Simran: yeh huyi na baat ab jao fresh ho jao Aur lunch karlo college mein toh tumne kiya nahi hoga…

Sam: thik hai…(munh mein badbadte huye apne kamre ki taraf chal pada) kya din a gaye hain…Sameer Khurana ab budhon ki mulakat ka hissa banega…

Ab age…

Toh dosto next day 9:00 am…

Sam sofe par laita huya tha aur uski mom apni saheli ke ane ka intzar kar rahi thi…wo choti choti cheej ko ache se dekh kar sahi kar rahi thi…

Sam: mom ap itni kion bhag daud kar rahi ho...friend a rahi hai koi PM nahi…

Simran: tu na chup hi reh agar wo ghar mein kisi chij ko sahi nahi dekhegi toh kya sochegi k ghar mein itne naukar hain aur fir bhi sahi nahi hai…aur tu ache se baith sofe par koi aise lait ta hai…

Sam: ab yeh kya hai mera apna ghar hai kus bhi karun…un logon ko isse kya…

Itne mein Sam ke dad Rajeev apne kamre se suited booted nikale…

Rajeev: Bhai kab a rahi hai tumhari friend…main toh tyar ho bhi chuka hun…

Sam( Rajeev ke paas jakar uske kandhe par hath rakh kar): mom main toh bolta hun dad ko ander hi rehne do aise James Bond ban kar apki saheli ko patane ka irada lag raha hai mujhe…

Simran: Sam tum na Sara din aise hi bakwas karte rehte ho…

Rajeev: are bechare ne kya galat bola…agar tere se achi huyi toh try karne mein kya jata hai…

Yeh bol kar dono baap beta hasne lage…aur Simran bechari thoda sa muskura di…tabhi Door bell baji…aur Simran daud kar gate ke paas chali gayi…jaise hi Simran ne samne apni saheli ko dekha toh wo dono khusi ke mare bachon ki tarah ek dusre se lipat gayi…

Sam abhi bhi wahin apne dad ke paas khada tha aur dono dhire dhire batein kar rahe the…

Sam: are dad mom toh bilkul pagal ho chuki hain…

Rajeev: han tabhi toh dono aise lipti padi hain Jaise chandan se saanp…

Sam: are chodiye baton ko unhe mil lete hain nahi toh unke Jane ke baad dono ko mom ka lecture sunna padega…

Rajeev: han han chalo bhai…

Fir wo dono bhi un logon ke paas chale gaye…aur rajeev ne un logon se hii hlo ki aur Sam ne Simran ki friend aur uske husband ke pair chuye…

Simran: toh Seema tere bache nahi aye…

Seema: yaar chote bachon ka toh aj exam hai aur badi beti hamare sath hi hai…yeh tumhara beta Sameer hai kya…

Simran: han…

Seema: kitna bada ho gaya hai…

Simran: are ap log ander aiye na…yahin khade khade batein thodi karni hain…

Seema: han but meri beti ko toh ane dijiye…Divya(apni beti ko awaj lagaye huye)

Tabhi bahar se ek ladki ayi…Sam ke munh se us ladki ko dekhte hi ekdum se nikla…

Sam: tu yahan kaise…

Simran: are tum dono ek dusre ko jante ho…yeh Seema ki badi beti hai Divya…

Ji Han yeh hamari Divya hi thi…aur ab fir se uski bolti band ho chuki thi kionk Sam ko dekhte hi uska munh nahi khulta tha…

Sam: Han yeh bhi hamare college mein hi padhti hai…

Seema: yeh toh achi baat hai…chalo ab ander chalein…

Simran: han han ao tum log…

Fir wo sabhi ander a Gaye aur sofon par baith gaye…Divya toh bas Sam ko hi baar baar dekhe ja rahi thi…par Sam normal tha aur apne ap ko boriyat ke liye prepare kar raha tha…

Simran: pehle khana kha lein baad mein batein karenge…

Seema: yaar koi baat nahi apna hi ghar hai…baad mein kha lenge abhi batein karte hain…

Simran: chalo jaisi tumhari marji…vaise tumhari badi beti Toh pata chal gaya Sam ke sath padhti hai aur tumhare chote bache konsi class mein hain…

Seema: 3rd mein hain dono…

( khair dosto Maine Seema ke pati ka toh into diya hi nahi…

Mr.Shiv Patel: ek kamzab businessman hain…aur shant nature ke hain…apne pariwar se boht pyar karte hain…vaise ab toh inki death ho chuki hai par fir bhi kionk story past mein chal rahi hai isliye inka into dena jaruri hai)

Khair Seema aur Simran ne toh baton ki jhadi laga di baki ke Charon baithe bore hote rahe…sorry Charon nahi teeno kionk Divya ko toh Sam mil gaya tha so wo toh use dekhne mein busy thi Jaise uska chehra nahi koi painting ho jis mein chipe huye Raaz Divya dhundh rahi ho….khair Rajeev aur Shiv bhi wahan se bahar nikal gaye aur dono Bahar garden mein jakar batein karne lage…

Simran: are beta tum dono yahan baithe bore kya ho rahe ho…jao Sam jakar Divya ko ghar dikha lao…

Seema: han beta jao tum dono…

Yeh bol kar in dono ne wapis apni batein shuru kardi aisa laga raha tha k dono ne bachpan se lekar aj tak ki sari batein ek sath karni ho…khair Sam ke liye acha mauka tha wo toh jaldi se utha aur Divya ko bhi uthne ko bola but wo toh hosh mein hi nahi thi….Sam bhi jaldi se wahan se bhagna chahta tha isliye usne Divya ka hath pakda aur khinch kar utha diya…Divya toh mano Sam ke chune bhar se kisi aur hi duniya mein chali gayi…

Sam: sorry yaar Maine tumhe is tarah se khada kiya but yahan jaldi se chalo warna main mar jaunga…

Divya toh yaar sach mein pagal ho gayi thi Sam ki mar Jane wali baat ko itna serious le liya k wo jaldi jaldi wahan se chalne lagi taki uske Sam ko kus ho na jaye…ab Divya Sam ko khinch rahi thi Aur Sam ko pata nahi lag raha tha k Divya ko ekdum se kya ho gaya…

Khair Divya Sam ko khinchte huye ek kamre ke bahar le gayi…

Divya: Sam yeh kiska kamra hai…

Sam: are wah tum bhi bol leti ho Maine kal se tumhe pehli baar bolte suna hai… vaise yeh mera kamra hai…

Divya: toh kya hum ander baith kar batein kar sakte hain…

Sam: han kion nahi vaise bhi acha huya un logon se peecha chuta…

Fir dono ander chale gaye…aur Sam ne Divya ko bed par baithne ko kaha…

Divya: Sam ab ap thik hain…

Sam: kion mujhe kya huya…

Divya: ap bol rahe the na k agar main yahan se na gaya toh main…

Sam: mar jaunga…

Divya: aise nahi bolte…but ab ap theek hai…

Sam: toh isliye tum mujhe is tarah khinchte huye lekar ayi ho…

Divya: han…

Divya ki baat par Sam lotpot ho kar hasne laga Sam ka pait dukh gaya has has kar…par Divya toh Sam ko dekhe ja rahi thi Sam aur bhi acha lag raha tha aise haste huye…

Sam: yaar tum kitni cute ho bilkul bachon jaise …main sach mein thodi Marne wala tha…

Divya: yeh word ap baar baar mat boliye mujhe yeh bilkul bhi pasand nahi hai…

Sam: pehle toh yaar yeh baar baar itni respect dena band kar kya ap ap laga rakha hai…

Divya: nahi main aise hi bolungi…

Sam: yaar mujhe tu hi bula hum dost hai na ab…classmate bhi hain…

Divya: han dost hain but main apko tu nahi bol sakti…

Sam: chal yaar jaisi tumhari marji…chal aur suna kaisi hai…

Divya: thik hun…

Sam: tumhe kya kya pasand hai…

Divya: music paintings romantic movies aur Ap…

Sam: kya main…

Divya(hadbadate huye): nahi wo mera matlab tha apko kya pasand hai…

Sam: mujhe doston ke sath masti Karna music gym aur cricket…

Divya: hum dono mein ek chij common hai...music…

Sam: are ismein kya khas hai music sabhi ko pasand hota hai…

Divya: han yeh bhi hai…

Sam: vaise Mom bata rahi thi k tum log abhi abhi Mumbai mein shift huye ho…toh tum Nisha ko kaise janti ho…

Divya: main Rachna ki dur ki cousin hun…ek do baar uske ghar ayi thi toh Nisha se wahin mulakat huyi thi…

Sam: acha Toh yeh baat hai…

Khair wo dono aise hi batein karte rahe aur fir sab ne Milkar khana khaya aur Divya ki family chali gayi…

Toh dosto yeh sahi mein Divya aur Sam ki pehli batcheet thi…ab age dekhna hai kya kya hota hai…kya in dono mein kabhi pyar huya bhi yah nahi…toh BESHARAM ke sath bane rahiye aur apne dost SIDHU ko aise hi pyar dete rahiye…

To be continued
 

Spider-Man

New Member
88
116
18
Update 8

Divya: main Rachna ki dur ki cousin hun…ek do baar uske ghar ayi thi toh Nisha se wahin mulakat huyi thi…

Sam: acha Toh yeh baat hai…

Khair wo dono aise hi batein karte rahe aur fir sab ne Milkar khana khaya aur Divya ki family chali gayi…

Ab age…

Khair aise hi ek saal beet gaya Sam aur baki sab ne 1st year par kar liya…waqt ke sath sath inki dosti nikharti gayi…Sam aur Divya mein bhi ek alag sa rista ban gaya tha yahan Divya ke liye yeh uska pyar tha wahin Sam sirf apni dosti nibha raha tha…use yeh pata tha k Divya usse pyar karti hai…par wo use sirf dost samjhta tha…khair ab Sam aur uske Charon dosto ke sath Nisha Divya aur Rachna ki bhi gehri dosti ho gayi thi…


Ab Sam Aur Divya ki families mein apas mein milna laga rehta tha…aur Divya ki family Sam ko boht pasand karti thi…aur Sam ki family Divya ko…Divya ne apne pyar ko chipaye rakha tha…uske pyar ke bare mein sirf wahi janti thi yah fir Sam par wo kus bolta nahi tha…

Khair Sabhi college ki canteen mein baithe batein kar rahe the…tabhi Rajesh means kala Saand canteen mein aya…dosto yahan main ap logon ko batana chahunga k Sam aur Rajesh ki dusmani badhti ja rahi thi par dono ek dusre se ladte nahi the…Rajesh kabhi kabhi panga lene ki kosish karta tha but Sam use ignore kar deta tha…

Rajesh( Sam ke table ke paas se gujrta huya): Bache bade ho Gaye hain…

Lucky(indirectly Rajesh ko sunane ke liye bola): yaar Ashu aj kal Saand aise hi khule ghum rahe hain…sarkar ko kus Karna chahiye…

Ashu: bhai government bhi kya kare suna hai Saand bhi aj kal Chaudhry(Rajesh ka surname) bane ghum rahe hain…

Ashu ki baat par sab has pade aur Rajesh ko boht gussa aya…usne Ashu ko collar se pakad kar table se bahar khinch liya…sabhi dost khade ho gaye par Sam vaise hi chair par baitha raha…

Rajesh: kya bola oye tu…mujhe Saand bola…do dunga kaan ke neeche Teri sari hainkadi nikal jayegi…

Ashu: dekh hum majak kar rahe the ab mera collar chod warna hamne bhi chudiyan nahi pehni…

Rajesh: dekh lunga salo tum sab ko…

Yeh bol kar Rajesh Ashu ka collar chod kar chala gaya…

Ashu(apna collar thik karta huya): bhag gaya sala bada aya tha…

Sam: yaar jab tum logon ko pata hai k hamari usse nahi banti toh kion usse pange lete rehte ho…

Ashu: bhai pehle wo bol raha tha k bache bade ho Gaye hain…

Sam: toh fir kya huya…kutton ka kaam hota hai bhokna…

Divya: Sam sahi keh rahe hain…

Rachna: tumhe toh hamesha Sam sahi lagta hai…

Sam: Sara mood kharab kar diya…ek saal ho gaya fir bhi pata nahi chala kisse baat karni hai kisse nahi…

Yeh bol kar Sam wahan se uth kar Jane laga…

Ashu: bhai kahan ja raha hai ..galti ho gayi…age se nahi bolunga use kus…

Lucky: han yaar baith na aise mat ja…

Sam: nahi yaar ab main ghar jata hun…mood nahi hai ab…

Fir Sam wahan se chala gaya…

Khair aise hi din bitte gaye Divya ka pyar din b din badhta gaya aur ab toh uske doston ko bhi pata chal gaya k wo Sam se pyar karti hai…ek din Sam college nahi aya tha aur Divya aur baki sab college mein garden mein baithe batein kar rahe the…tabhi Divya boli…

Divya: Yaar aj Sam nahi aya aise hi bore ho rahe hain…

Nisha: oh toh madam bore ho rahi hai…hum toh hain na sab…

Rachna: are ham logon mein wo baat kahan Jo Sam mein hai…aur aj bechari chori chupke kis ko dekhe gi…

Divya: oye main chori nahi dekhti…mujhe bhala kisi se koi dar hai kya Jo chori se dekhungi…

Nisha: toh fir usse seedha seedha bolde na…

Divya: aise bolne se nahi pyar toh mehsus karne se hota hai...jab tum logon ko najar ata hai…toh use bhi dikhta hi hoga…aur mujhe pata hai k wo bhi sab janta hai but abhi chup hai…koi baat nahi main wait karungi…

Ashu: tujhe wait karna hai toh kar but tu budhi ho jayegi par wo tujhse kabhi pyar nahi karega…pata nahi kitni ladkian ayin aur us par apna dil luta kar chali gayin…par wo toh azad parinda hai…kisi ka nahi hoga…

Divya: tum logon ne mujhe pichle dedh saal se bas itna hi samjha hai…main tumhe aisi vaisi ladki najar ati hun Jo har ladke ke piche lattu ho jayegi…main usse sache dil se pyar karti hun chahe Uske liye Mujhe sari umar wait Karna pade main karungi…

Yeh bol kar Divya Rone lagi use Ashu ki baat ka boht bura laga tha…Khair us waqt Ashu bhi sahi tha k Sam tha hi aisa nahi toh Divya ka pyar use saaf saaf najar a raha tha par wo anjaan banne ka Natak kar raha tha…

Ashu: Yaar sorry mera wo matlab nahi tha…main toh sirf tujhe samjha raha tha…

Nisha: tum rehne do use samjhane ko…faltu mein rula diya bechari ko…

In logon ne Jaise taise Divya ko chup kraya…aise hi dusra saal bhi nikal gaya aur sath mein mota Saand Rajesh bhi graduation ke baad college chod kar chala gaya…baki sab kus vaisa hi tha…sabhi ki dosti aur Divya ki tadap…teesre saal ke akhri padaw mein Sam ke sath kus aisa huya jiski use umeed nahi thi…

Ek baar Sunday ko…Sam ke ghar mein jor shor se tyarian chal rahi thi…Sam ko kus pata nahi tha k yeh sab bhag daud kis liye…

Sam: mom plz ab toh bata dijiye k yeh sab kya chal raha hai…

Simran: beta kus nahi chal raha…tu jaldi se tyar ho ja…

Sam: main kion tyar houn jab mujhe kus pata hi nahi hai…

Simran: sab pata chal jayega…but abhi tum tyar ho jao aur ache se tyar hona...

Sam: kya yaar mom kus batao toh sahi…

Itne mein Ander se Rajeev a raha tha…wo seedha Sam aur Seema ke paas gaya aur unke sath wale sofe par baith gaya…

Rajeev: beta tu toh aj gaya…yeh Jo Teri maa tujhe tyar hone ko bol rahi hai na…yeh thik usi tarah hai…jaise kisi ko fansi dene se pehle nehlaya jata hai naye kapde diye jate hain pehnne ko…but baad mein bechare ko latka diya jata hai…

Simran: kya ap mere bache ko ulta seedha sikha rahe ho...

Sam: fir ap hi bata do k ho kya raha hai…kionk jab tak ap mujhe nahi bataoge main tyar nahi hounga…

Simran: thik hai…asal mein aj tujhe ladki wale dekhne a rahe hain…

Simran ki baat sunte hi Sam ke pairon tale se jameen khisak gayi…Sam ek dum se sofe par se khada ho gaya…

Sam: mom yeh sab kya hai…mujhse kisi ne pucha bhi nahi...

Simran: beta hamein laga tu hamare sath sehmat hoga…

Sam: mom par fir bhi apko ek baar mujhe bata dena chahiye tha yeh apne bilkul acha nahi kiya…main aise hi kaise kisi se shadi karlun…

Rajeev(thoda serious hote huye): beta tujhe pata hai na hum kabhi bhi tera dil nahi dukhate…hamein laga k tumhare liye achi ladki hai college khatam hote hi shadi kar denge….par agar tum kisi aur se shadi Karna chahte ho toh bata do…

Simran: Sorry beta Maine jaldbazi mein faisla kiya…but agar tum kisi se pyar karte ho toh hamein koi gila nahi hai…

Sam: mom aisi baat nahi hai…agar main kisi ko pyar karta toh sabse pehle ap logon ko hi batata…but main isliye aisa bol raha hun k main kisi se bina jaan pehchan kaise shadi kar sakta hun…

Asal mein Simran ke maafi mangne se Sam pighal gaya tha wo kabhi apne maa baap ko dukh nahi pahunchana chahta tha…

Simran: beta tum use ache se jante ho…badi achi ladki hai…

Sam: maa ap kiski baat kar rahi hain…

Simran: beta Seema ki beti Divya ki…

Sam(hairani se): kya ap Divya se meri shadi karwana chahte hain…

Simran: beta unhone hamein proposal diya tha…hamein ladki pasand thi toh hamne han kardi…aur tum dono kitne ache dost bhi toh ho…

Sam: mom main usse shadi nahi karne wala...aur dosti hai toh yeh matlab nahi k pyar bhi ho jayega…

Sam yeh bol kar wahan se apne kamre mein chala gaya…

Simran: ab main kya karun aisa karti hun in logon ko mana kar deti hun…

Rajeev: are tum unhein mana mat karo…main Sam se baat karta hun…

Simran: par wo nahi manega…

Rajeev: dekho hum baap bete kam aur dost jyada hain…main usse baar karunga toh wo meri baat jarur samjhega…

Simran: thik hai…par Uske sath koi jabardasti mat karna…

Rajeev: tum fikar mat karo…main pyar se baat karunga usse agar man gaya toh thik hai warna mana kar denge in logon ko…

Yeh bol kar Rajeev Sam ke kamre ki taraf chala gaya…

Toh dosto aj ke liye itna hi ab dekhna yeh hai k Akhir Rajeev Sam ko mana paya tha yah nahi…aur agar Sam maan gaya tha toh aisa kya hua tha Jo Sam se itna pyar karne wali Divya usse itna jyada Ruth gayi…toh dosto yeh sab janne ke liye bane rahiye BESHARAM ke sath aur apne dost SIDHU ko aise hi pyar dete rahiye…

To be continued…
 
  • Like
Reactions: DINNA

Spider-Man

New Member
88
116
18
Simran: thik hai…par Uske sath koi jabardasti mat karna…

Rajeev: tum fikar mat karo…main pyar se baat karunga usse agar man gaya toh thik hai warna mana kar denge in logon ko…

Yeh bol kar Rajeev Sam ke kamre ki taraf chala gaya…

Ab age…

Sam apne kamre mein boht gusse mein baitha tha wo bas yahi soch raha tha k Uske sath aisa kaise ho sakta hai…tabhi Rajeev uske kamre mein enter huya…Rajeev ko dekhte hi Sam bola…

Sam: papa mujhe us bare mein koi baat nahi karni…mera faisla final hai…

Rajeev: main tumhe manane nahi aya bas aise hi baat karne aya hun…ab itna toh haq banta hai na mera…

Sam kus na bola…Rajeev bhi Jake uske bed par baith gaya…

Rajeev: beta tumhe pata hai k Divya ke pariwar ko uski shadi ki jaldi kion hai…asal mein unhein ek sahare ki jarurat hai…

Rajeev ki baat sun kar Sam ne na chahte huye bhi age puch hi liya…

Sam: kis sahare ki…

Rajeev: beta Shiv ko blood cancer hai…

Sam Rajeev ki baat sun kar hairan reh gaya…

Sam: yeh ap kya bol rahe hain papa…

Rajeev: han beta aur yeh baat sirf hum badon ko pata hai…usne boht kosish ki ilaj karwane ki but doctors ne ab use jawab de diya hai uske paas ab jyada din nahi bache hain…isliye usne socha k Divya ki shadi tumse kardi jaye…uske Jane ke baad agar koi unka sath de sakta hai wo sirf tu hai…but ab tune toh mana kar diya …ab main unhein keh dunga k tum log Sam se koi umeed na rakho…

Rajeev ki baton ne Sam ko ander tak hila kar rakh diya…use yakeen hi nahi ho raha tha k aisa bhi ho sakta hai…jis pariwar ne use itna pyar diya…Seema toh use apne bete se bhi badhkar manti thi…aj usi pariwar par itni badi musibat a chuki thi…par use pata bhi nahi tha…

Rajeev ne Jo bolna tha wo bol diya wo uth kar Jane laga…tabhi Sam ne use awaj di…

Sam: papa main Divya se shadi karunga…par sirf Uske pariwar ke liye…

Rajeev(khus hote huye): thik hai beta but yeh baat tu kisi aur ko mat batana k tune Shiv ki kharab tabiyat ki wajah se shadi ko han kaha hai…Divya ko bhi nahi…

Sam: promise papa kisi ko nahi kahunga…ap fikar mat kijiye aur maa ko bol dijiye k main shadi ke liye tyar hun…

Fir Rajeev kamre se chala gaya...Sam wahin bed par baitha sochne laga…

Sam(man mein): yeh kaise ho gaya…uncle ko kya hua…aur bechari aunty ka kya haal hoga…mujhe in logon ko sambhalna hoga…main rakhunga unka khyal…chahe iske kiye mujhe Divya se shadi hi kion na karni pade…

Thode time baad Divya aur uske mom dad Sam ke ghar aye…Sam ki mom ne bata diya k Sam shadi ke liye tyar hai…Divya ki toh khusi ka thikana nahi tha…par wo show aise kar rahi thi Jaise yeh koi khas baat nahi hai…fir Sam aur Divya ko akele mein baat karne ke liye ander bheja gaya…

Room mein pahunch kar Divya boht khus thi…use kus samajh nahi a raha tha k wo kya bole…use sharam bhi a rahi thi…par Sam toh majburi mein shadi kar raha tha…aisa nahi tha k wo Divya ko pasand nahi karta tha but wo use sirf apni dost manta tha…kamre mein jakar Sam chup chap baitha raha toh thak har kar Divya ko hi baat shuru karni padi...

Divya: Sam apne shadi ke liye Han kardi Mujhe Toh yakeen hi nahi ho raha…main boht khus hun…main toh kabhi soch bhi nahi sakti thi k ap mere sath shadi ke liye han kar denge…

Sam abhi bhi chup baitha tha Divya ko bhi laga k Sam chup chap sa hai…

Divya: Sam main dekh rahi hun…hum jab se aye hain…ap chup chap se hai…kya ap hamare rishte se khus hain…agar ap khus nahi hain toh hum abhi bhi yeh rishta tod sakte hain…

Sam: nahi Divya aisa kus nahi hai...yeh sab ek dum se ho gaya toh thoda…tu samajh rahi hai na…

Divya: han main samajhti hun…

Fir dono aise hi baat karne ke baad bahar chale Gaye…yeh decide huya k Graduation karte hi dono ki shadi ho jayegi…iske baad Divya aur uski family chale gaye…Sam bhi apne room mein chala gaya…

Sam boht jyada pareshan tha use aj jitna helpless kabhi feel nahi huya tha…usne han toh kar di thi par uska dil manne ko tyar nahi tha…ek taraf toh use yeh tha k wo Seema aur uske pariwar ka Sahara banega aur dusri taraf use yeh bhi khaye ja raha tha k wo aisi ladki se kaise shadi kare jise wo pyar hi nahi karta…aisa nahi tha k wo achi ladki nahi thi…Sam ko yeh bhi pata tha k Divya usse pyar karti hai…par wo toh nahi karta na…

Ek aisa insan jisne yeh nahi seekha k insan ko situation ke hisab se jeena padta hai…khud ko adjust karna padta hai…usne seekha toh sirf khud ke hisab se jeena aur apni marji karna….par kehte hain na jab koi udte parinde ke par kaat de yah use pinjare mein daal de Toh yeh uske liye maut se bhi badtar hota hai…aj wahi halat Sam ki bhi thi…

Sam(apne man mein): yaar main aisa nahi kar sakta mana k main Divya ke pariwar ke liye usse shadi kar raha hun…par yeh galat hai ismein us bechari ka kya kasoor hai…wo toh mujhse najane kitna pyar karti hai apna sab kus manti hai wo mujhe…but main use is tarah dhokha nahi de sakta kionk main uski umeedein kabhi puri nahi kar paunga…aur jab use pata chalega k maine sirf majburi mein shadi ki hai toh uska dil tut jayega…isse acha hai k main usse khud hi baat karlun…main kal college mein usse baat karunga…

Dusri taraf Divya toh mano hawa mein hi ud rahi thi…wo apne kamre mein baithi thi aur usne ek pillow ko badi jor se hug kiya huya tha…sayad Sam samajh kar…use toh uske sapno ka rajkumar mil gaya tha…aur usne kabhi socha bhi nahi tha k aisa kus hoga…

Divya(man mein): yaar mujhe toh abhi bhi believe nahi ho raha…Sam ne han kar di…ab wo officially mera hoga…but yaar Maine kya kya socha tha use propose karungi…yah wo mera pyar samajh kar mujhse pyar karne lagega aur Mujhe propose karega…hum long drive par jayenge…ghumenge masti karenge…par ab sayad kus na ho…kion yeh koi love marriage thodi hai yeh toh boring si arranged marriage hai…par kam se kam itna hai k mera hubby Sam hoga…chalo shadi ke baad apne sapne pure kar lungi…subah subah uske liye bhige balon ke sath bed tea leke jaungi…par wo bed tea pita hoga yah nahi aur jaisi uski body hai lagta hai subah hi karele ke juice se karta hoga…chalo kus bhi hai main karele ka juice hi le jaungi…mana thoda kadwa hai…aur jab main wapis ja rahi houngi…piche se Sam mera hath pakad lega…kya yaar BESHARAM kahin ki kus bhi sochti hai…

Divya yeh sab soch rahi thi…Apni ane wali jindagi ke sapne saja rahi thi…par tabhi use kus yaad aya uske chehre ki khusi ki jagah ek ajeeb se dar ne le li thi...asal mein Divya ke samne Sam ki aj ki khamoshi a rahi thi…uska pyar itna Sacha tha k wo Sam ke dard ko kahin na kahin mehsus kar sakti thi…

Divya(chintit lehje mein apne dil se baat kar rahi thi): kya Sam khus nahi hai is rishte se…uski Aj ki khamoshi toh mujhe boht dara rahi hai…par agar wo tyar nahi hai toh usne han kion ki…hamari family bhi aisi nahi hai k Sam ko jabardasti manaye…par Mujhe aisa kion lag raha hai k Sam ki koi majburi rahi hogi...par kya majburi ho sakti hai…mana k main usse pyar karti hun aur wo nahi karta par hum dost bhi toh hain na…wo mujhe saaf saaf bata sakta tha…main usse kal khud baat karungi…main uska is tarah utra huya chehra nahi dekh sakti…agar use yeh rishta manjur nahi toh main khud mana kar dungi…main us par sari jindagi ka bojh nahi ban sakti….

Sam aur Divya baat karne ka faisla kar rahe the…seema aur Simran us waqt phone par baat kar rahi thin…

Seema: Simran Raj khus toh hai na is rishte se…

Simran: Seema uske papa ne usse baat ki aur use Shiv ki bimari ke bare mein sab bata diya aur fir usne han kardi…

Seema: yaar yeh toh sahi nahi huya…main us bache ki jindagi khrab nahi kar sakti…

Simran: dekh seema wo tum logon se boht pyar karta hai isiliye wo shadi ke liye maan gaya…aur rahi baat Divya se pyar ki toh dono ache dost hai samay ke sath sath pyar ho hi jayega…

Seema: han baat toh Teri sahi hai…aur yaar mujhe khusi hai k Sam is muskil waqt mein hamare sath khada hai…har bacha aisa nahi hota…

Simran: han sach mein boht pyara hai mera bacha…jise pyar karta hai Uske liye kus bhi karne ko tyar ho jata hai…

Seema: main boht lucky hun Jo Sam jaisa damad milega…aur aj se wo mera beta hai…jiwan ke har muskil time mein Uske sath aise hi khadi rahungi…jaise aj wo khada hai hamare sath…

Simran: bhagban kare kabhi use hamare sath ki jarurat na pade…uski jindagi mein kabhi bura time na aye…

Seema: han sahi kaha…

Fir aise hi thodi der baat karne ke baad dono ne phone kaat diya…uske baad us din kus khas nahi huya…

Toh dosto aj ke liye itna hi…umeed hai apko update pasand aya hoga…ab age dekhna hai k in dono mein akhir kya baat hogi…aur kahin isi baat chit ki bajah se hi toh dono mein duri nahi agayi…jise kam karne ke liye Sam ko BESHARAM banana pada…toh apne dost SIDHU ko aise hi pyar dete rahiye…

To be continued…
 
  • Like
Reactions: DINNA
Top