• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

Lib am

Well-Known Member
3,257
11,242
143
Update 122
Dheere dheere time guzarne lagta hai aur Sunday aajata hai jisdin Neha ko dekhne ladke wale aane wale the.

Subah se hi Neha ke ghar mein chahal pehal thodi jyaada thi. Ghar ki thodi saaf safai bhi horahi thi toh khaane ke liye bhi kuch special ban raha tha.

Neha apne kamre mein chup chaap baithi hui thi. Usne soch rakha tha ladkewalo ko woh pehle hi sab sach bata degi. Kyoki woh nhi chahti thi ke koi bhi rishta jhoot se bane.

Mrs. Jaiswal Neha ke kamre mein aati hai toh usko dressing table ke saamne apni soch mein baitja dekh puchne lagti hai.

Mrs. Jaiswal: Kyaa baat hai Neha. Kyaa soch rahi ho.

Neha: Kuch nhi mummy.

Mrs. Jaiswal: Tum khush toh ho naa beta. Kahi tum kisi dabaav mein aake toh yeh nhi kar rahi ho naa.

Neha: Nhi Mummy. Yeh main apne pure mann se kar rahi hu. Aur main soch rahi thi ke main unlogo ko sach bata dungi. Main nhi chahti ke baad mein unlogo ko aisa lage ke humne unse koi jhoot bola hai.

Mrs. Jaiswal: Par beta isse agar unhone naa boldiya toh.

Neha: Manjur hai. Par jhoot bolke nhi.

Phir Mrs. Jaiswal bhi iske aage kuch nhi bolti aur woh Neha ko taiyaar karwane lag jaati hai.

Thodi der baad ladkewale Mr Jaiswal ke Manager ke saath ghar mein aajate hai.

Mr. And Mrs. Jaiswal ladke walo ko dekh hairaan hojaate hai. Unhe apni aankhon pe yakeen nhi horaha tha.

Manager: Sir maine inhi logo ki baat ki thi Neha ke liye.

Mr. Jaiswal: Manager sahab hum inhe jaante hai. Yeh doctor sahab hi Neha ka treatment karte hai.

Manager: Yeh toh aur bhi achhi baat hai. Jab aaplog ekdusre ko pehle se hi jaante hai toh ab introduction ki jarurat nhi.

Mr. Jaiswal: Jiiii. Doctor Sahab. Aap yaha pe aayenge iss baat ki humhe tanik bhi umeed nhi thi.

Doctor: Dekhiye Jaiswal Sahab. Neha humhe suruaat se hi pasand thi. Aur jab maine uski photo apne bete ko dikhayi toh usse bhi woh pasand aayi. Ab humhe directly aapse issbaare mein baat karne mein awkward feel horaha tha isiliye humne aapke manager se baat bulwayi.

Mr. Jaiswal: Isme Awkward kaisa tha Doctor Sahab. Aapne Neha ke liye bahot kuch kiya hai. Aapki wajah se hi Neha ki halat mein aaj itna sudhar hai.

Mrs. Jaiswal: Aur ek tarah se achha bhi hai ke aaplog Neha ke baare mein sabkuch jaante hai. Isse kisi ko koi pareshani nhi honi chahiye.

Doctor Wife: Jiii. Aur humhe Neha ki bimaari se koi problem nhi hai. Aur ab toh woh thikk bhi horahi hai. Inhone humhe pehle hi sab kuch bata diya hai Neha ke baare mein.

Doctor: Toh bataiye Jaiswal Sahab. Toh kyaa hum yeh rishta pakka samjhe. Agar aapko humare bete se kuch puchna hai yaa koi baat karni hai toh karsakte hai.

Mr. Jaiswal: Doctor Sahab. Main kuch nhi keh sakta. Zindagi bachho ko guzarni hai agar wohi decide kare toh achhi baat hogi.

Doctor Wife: Thikk hai Usme kyaa hai. Waise kaha hai Neha. Aaj tak toh sirf photo hi dekha hai aaj haqiqat mein bhi dekh le.

Mrs. Jaiswal: Jii main abhi usse laati hu. Yeh bol woh andar chali jaati Neha ko laane ke liye.

Kuch der mein jab Neha hall mein aati hai toh woh waha baithe logo ko dekh hairaan hojaati hai khaash kar ladke ko dekh.

Neha: Hairaani se aur shock se. Vishalllll tummm.

Doctor: Haste hue. Lagta hai yeh dono bhi ekdusre ko jaante hai.

Neha: Jiii. Hum dono ekdusre ko 4 saal se jaante hai. Hum ek hi college se graduate hue aur ab bhi ek hi college mein padhte hai.

Doctor Wife: Ooo. Tabhi isne photo dekhte hi shaadi ke liye haa kardi. Chalo yeh toh achha hi hua ke bachhe bhi ekdusre ko achhe se jaante hai.

Neha bas ek tak Vishal ko dekhe jaa rahi thi aur jaise usse puch rahi thi ke woh yaha kyo hai. Usse jara si bhi umeed nhi thi ke Vishal yaha hosakta hai.

Doctor: Neha. Dekho beta. Main sidhe sidhe baat karunga.Humlog tumhare baare mein sab kuch jaante hai. Infact mujhse behtar shayad hi koi jaanta hoga. Mujhe tum mere bete ke liye pasand ho. Aur mera beta bhi tumse shaadi karna chahta hai.

Tumhare mummy papa ko bhi yeh rishta pasand hai. Ab sab kuch tumhare haath mein hai. Tumhare upar kisi bhi tarah ki jor jabardasti nhi hai. Agar tumhe pasand nhi hai toh koi baat nhi. Koi tumhe force nhi karega. Sabkuch tumhare upar hai. Jaisa tum chahogi waisa hoga.

Neha ek baar apne maa baap ko dekhti hai phir Vishal ki taraf dekhti hai jo usse hi dekh raha tha aur uske maa baap usko dekh muskura rahe the.

Neha: Mujhe Vishal se akele se baat karni hai. Agar aaplogo ko koi problem naa ho toh.

Doctor Wife: Humhe koi problem nhi hai. Yeh tumhari puri zindagi ka sawaal hai. Jo achhe se soch samaj kar faisla lo.

Phir Neha Vishal ko leke upar apne kamre mein aajati hai aur darwaza band kardeti hai.

Vishal bas chup chaap waha khada rehta hai.

Neha: Yeh sab kyaa hai Vishal.

Vishal: Kyaa hua Neha.

Neha: Tum yaha kisliye. I mean kyo kaise.

Vishal: Dekho Neha main tumse ekdum saaf shabdo mein kuch bol dena chahta hu. Tum mujhe galat samaj sakti ho. Par jo sach hai woh main bol dena chahta hu.

Main tumse pyaar karta hu. Yeh kuch dino pehle ka nhi hai uss time se jab hum apna graduation kar rahe the. Bahot baar koshish ki ke tumhe boldu par darta tha nhi bol paaya.

Graduation ke baad Dad ne kaha dusre sehar jaake aage ki padhai karlo. Par main sirf tumhare liye iss college mein aaya. Kuch din pehle mujhe Mom ne tumhari photo dikhake shaadi ke liye pucha. Main bahot khush hua tha dekh kar. Ke main jisse pyaar karta hu usi ke rishte ke liye mujhe pucha jaa raha hai. Toh maine haa kardi.

Neha yeh sab sunn bahot shock mein thi. Usse Yakeen nhi horaha tha ke Vishal aisa kuch bolega. Woh bas usse dekhe jaa rahi thi.

Neha: Shock hoke. Par Vishal maine kabhi bhi tumhe uss nazariye se nhi dekha. Maine humesha tumhe apna ek achha dost hi maana hai.

Vishal: Jaanta hu Neha. Aur isi wajah se aaj tak kabhi tumhe propose nhi kiya. Kyoki aaj tak mujhe tumhari taraf se koi feeling dikhi hi nhi. Par phir bhi main tumse pyaar karta hu. Agar tum iss rishte se inkaar bhi kardogi tab bhi main tumse pyaar toh karta hi rahunga.

Neha: Tum jaante ho naa main tumsab ki tarah normal nhi hu. Tumhare dad mera treatment karte hai.

Vishal: Mujhe sab kuch pata hai. Ke tumhe Mental disorder ki bimaari hai. Tum Raj sir se attract hui thi tumhi ne unki aur Sonal ki private pictures college mein Viral karwayi thi I know everything. Par mujhe tumse koi shikayat nhi hai. Kyoki yeh sab tumne jaanmuzz ke toh nhi kiya naa.

Neha: Shock aur Hairaan hoke. Tumhe kaise pata yeh sab. Yeh baat toh Raj sir aur Sonal ke alawa kisi ko bhi nhi pata.

Vishal: Tumse pyaar karta hu Neha. Toh tum kyaa karti ho kaha jaati ho itna toh mujhe pata rahega hi. College mein Raj sir ke saamne tumhare behaviour ekdum se harwaqt change hojaana. Unki baat hote hi tumhare chehre mein ek alag si chamak aana yeh sab koi bhi dekh sakta hai.

Aur rahi baat unn pictures ki toh maine college ke bahar tumhe uss ladke ko apna ID card aur woh pictures dete hue dekh liya tha.

Neha bas hairaani se Vishal ko dekhe jaa rahi thi. Usse yakeen nhi horaha tha ke chup chaap rehne wala Vishal aisa bhi hosakta hai.

Vishal: Ab faisla tumhara hai Neha. Mujhe yaa meri family ko tumhari bimari se koi problem nhi hai. Aur Dad ne kaha hai ke bahot jald hi tum puri tarah se thik hojaogi.

Main tumhare baare mein harchiz jaanta hu Neha. Aur tum mere baare mein jitna jaanti ho jaisa jaanti ho main waisa hi hu.

Neha: Tum bahot achhe ho Vishal. Tumhe koi bhi achhi ladki mil jaayegi phir tum kyo mere pichhe apne life destroy kar rahe ho. Hosakta hai main kabhi tumse pyaar hi naa kar pau.

Vishal: Muskurate hue. Kisne kaha tumse shaadi karke meri life destroy hojayegi. Aur tumhe bhi aisa kyo lagta hai. Dekho Neha koi bhi bimaari permanent nhi rehti harchiz ka ilaaz hota hai aur phir tum toh lagbhag thik hochuki ho. Aur agar ladki thodi gusse wali nakhre wali jidd karne wali naa ho toh achha nhi lagta.

Aur rahi baat pyaar ki toh future kisne dekha hai. Hosakta hai in future tumhe bhi pyaar hojaaye. Aur agar nhi bhi hota hai toh duniya mein bahot se log arranged marriage karke zindagi guzaar chuke hai hum bhi guzaar lenge.

Aur maan lo agar meri jagah koi aur ladka hota aur woh tumhe pasand karleta aur tumhari problem ko bhi accept karleta tab toh tum usse haa boldeti aur usske saath arranged marriage karke hi zindagi guzarti. Toh woh ladka mujhe hi samajlo.

Neha kuch nhi bolti bas khadi khadi soche jaa rahi thi.

Vishal: Mujhe jo kehna tha jitna kehna tha maine keh diya. Ab sab tumhare upar hai. Tumhe koi force nhi karega jaisa tumhara dil chahe waisa karna. Main bahar jaa raha hu. Tum chaho toh kuch din baad reply de dena. Koi jaldi nhi hai.

Yeh bol Vishal nichhe hall mein aajata hai. Aue Neha pichhe khadi reh jaati hai.

Vishal: Mom Dad chale.

Mrs. Jaiswal: Kyaa baat hai Vishal beta. Neha ne kuch kaha kyaa.

Vishal: Nhii nhii Aunty. Neha ne kuch nhi kaha. Maine bas usse sochne ke liye kaha hai. Aakhir yeh uski zindagi ka faisla hai. Meri taraf se haa hai. Ab faisla Neha ke upar hai. Usse aaram se sochne dijiye. Woh jo kahegi wohi hoga. Chaliye Mom Dad.

Mr. Jaiswal: Aree par aaplogo ne toh kuch khaya hi nhi.

Vishal: Uncle agar Neha haa kardeti hai toh sirf naasta nhi pura dinner karke jaayenge. Thank You.

Phir Vishal apne maa baap ke saath waha se chala jaata hai.

Manager: Sir toh ab main bhi chalta hu. Yeh bol woh bhi nikal jaata hai.

Unnsab ke jaane ke baad Mr. And Mrs. Jaiswal Neha ke kamre mein jaate hai jaha woh sofa mein baithi soch rahi thi.

Mrs. Jaiswal: Nehaaa.

Neha: Jii.

Mrs. Jaiswal: Beta kyaa socha tumne.

Neha: Samaj nhi aaraha hai Mummy. Vishal bahot achha ladka hai. Mujhse pyaar bhi karta hai par main kuch decide nhi kar paa rahi hu. Aaplog kyaa kehte ho.

Mrs. Jaiswal: Koi jaldi nhi hai beta. Aaram se soch. Teri zindagi ka sawaal hai. Mujhe aur tere papa ko Vishal pasand aaya. Ab tere upar hai. Jo tu kahegi wohi hoga. Vishal ne bhi sab kuch tere upar hi chorr diya hai.

Mr. Jaiswal: Neha beta abhi rehne do. Iske baare mein baad mein soch lena. Abhi bahot time hai. Aaram se sochna.


Phir Mr. And Mrs. Jaiswal waha se nikal jaate hai aur Neha apni socho mein hi gumm hojaati hai.
What a pleasant surprise
 

Lib am

Well-Known Member
3,257
11,242
143
Update 123
Agle din Neha college aati hai aur chup chaap canteen mein baith jaati hai. Vishal bhi wahi baitha hua tha. Par naa woh Neha ki taraf dekh raha tha aur naahi usse koi baat kar raha tha. Par Neha aaj sirf usse hi dekhe jaa rahi thi.

Kuch der baad sablog apne class mein chal dete hai par class mein bhi Neha ka dhyaan kahi aur hi tha. Usko Vishal se baat karni thi akele mein par usse koi mauka nhi mila. Usne soch liya tha ke usse kyaa bolna hai.

Recess time mein Neha dekhti hai canteen mein sablog baithe hue hai sirf Vishal waha nhi tha.

Neha: Yeh Vishal kaha gaya.

Payal: Woh thoda library gaya hai. Usko kuch notes banane the toh mujhe class mein hi bol diya tha.

Neha: Achhaa.

Phir Neha Vishal ko ek msg kardeti hai jisme ek cafe ka address likha tha aur ek note bhi tha college ke baad milo.

Udher Library mein jab Vishal yeh msg padhta hai toh uske chehre mein apne aap hi ek muskaan aajati hai.

College khatam hone ke baad jaha sablog apne ghar ki taraf nikal padhte hai wahi Neha uss cafe ki taraf nikal padhti hai.

Kuch der mein Neha waha aake Vishal ka wait karne lagti hai. Thodi der mein Vishal bhi waha aajata hai.

Vishal: Haa bolo.

Neha: Tum ekbaar phir se soch lo. Yeh puri zindagi ka faisla hai.

Vishal: Muskurate hue. Agar mujhe kuch sochna hi hota toh kal main tumhare ghar aata hi nhi. Mujhe jo sochna tha jitna sochna tha maine soch liya hai. Ab tumhari baari hai.

Neha: Vishal main tumse pyaar nhi kar paungi. Aur bina pyaar ke koi bhi rishta nhi chalta.

Vishal: Pyaar nhi kar paogi. Par dost banke toh hum reh hi sakenge naa. Pyaar naa sahi dost banke hi zindagi guzarenge. Aur phir kal kisne dekha hai. Achha chalo meri taraf se love marriage aur tumhari taraf se arranged marriage.

Neha: Par main abhi shaadi nhi karungi. Pehle padhai khatam karungi apne aapko well settle karungi uske baad. Agar tab tak intezaar karsakte ho toh karo.

Vishal: Tumse kisne keh diya ke main abhi shaadi karna chahta hu. Main bhi pehle apne pairon mein khada hojaunga. Uske baad hi shaadi karunga. Toh main tumhari bhi haaa samjhu.

Neha bas halka smile kardeti hai toh Vishal khushi ke maare Neha ko hug karleta hai jisse Neha ko jhatka lagta hai. Usko iss chiz ki umeed nhi thi.

Vishal: Ooo sorry sorry. Excitement ke chalte mistake hogya. Thankk youu Nehaaa.

Neha: Abhi issbaare mein kisi ko bhi kuch mat batana khaash kar college mein. Aur waha jaise itne din behave karte aaye ho waise hi karna. Main nhi chahti unko abhi innsab ke baare mein pata chale.

Vishal: Thikk haiii.

Neha: Ab main chalti hu byee.

Vishal: Byeee.

Phir Neha waha se nikal jaati hai. Uske nikalte hi Vishal bhi khushi se naache hue apne ghar nikal jaata hai aur ghar pahonchte hi apni maa ko Neha ke haa ke baare mein bata deta hai.

Aise hi kuch mahine guzar jaate hai. Inn kuch mahino mein Swati ne ek bete ko janam diya jiska naam Ishita ne Ansh rakha. Sablog bahot khush the. Yash toh khushi se naach raha tha aakhir sab khushi ek taraf aur baap banne ki khushi ek taraf. Swati bhi khush thi par usse ek dukh yeh bhi tha ke woh apni jaan se pyaari behen ke saath apni zindagi ki sabse badi khushi share nhi kar sakti.

Raj ne Sonal ko Swati ke bete ki photo apne dost ke bete ki photo bolke dikha bhi di thi. Aur Swati ne awaaz badal ke Sonal se baat bhi ki thi.

Iss kuch mahino mein Sonal ko hardin Raj ki uss baat ko leke sapne aaye the. Sonal ne Raj ko iske baare mein kuch nhi bataya kyoki usse pata chal gaya tha ke Raj usse issbaare mein kuch chupa raha hai. Aur usse itne yakeen hogya tha ke yeh sapne aur woh dhundli yaadon ka connection khud se hi hai.

Ek din Raj Sonal ko phir se date pe leke jaane wala tha. Kyoki ussdin undono ki marriage anniversary thi aur Raj ussdin ko achhe se celebrate karna chahta tha.

Isiliye usne ek achhe se restaurant mein Sonal ke liye romantic candle light dinner ki taiyaari ki thi aur Sonal ko ek achhe se taiyaar hoke uss restaurant mein aane ke liye bola tha.

Raj khud pehle hi waha pahonch gaya tha sab kuch wapas recheck karne ke liye.

Idher ghar mein Sonal achhe se taiyaar hoti hai jisme Nandini uski madad karti hai.

Nandini: Aaj toh koi bahot buri tarah ghayal hone wala hai.

Sonal Nandini ki baat sunn sharma jaati hai.

Nandini: Haaye haaye dekho toh gaal kaise tamatar ki tarah laal hogye hai.

Sonal: Bas bhi kijiye bhabhi. Mujhe bahot sharm aarahi hai. Aur Raj ko bhi pata nhi kyo aaj achanak se bahar dinner karne jaane tha.

Nandini: Hosakta hai aaj kuch special ho.

Sonal: Sahi kaha bhabhi. Mujhe bhi subah se aisa hi lag raha hai. Aaj kuch toh khash hai. Bahot khash. Kuch aisa jo mere liye sabse important hai. Par kyaa yaad nhi aaraha hai.

Nandini: Mann mein. Khaash toh hai Sonal. Aakhir aaj hi toh woh din hai jisdin tumhe tumhara pyaar tumhe mila tha. Tumhari shaadi hui thi Raj se. Par kismat ka khel dekho tumhe hi woh sab yaad nhi hai.

Nandini: Achha ab choro yeh sab. Ab tumhe nikalna chahiye. Raj tumhara intezaar kar raha hogaa.

Phir Sonal ekbaar achhe se khud ko mirror mein dekhti hai aur nikal padhti hai.

Sonal ke nikalte hi Raj ka call aajata hai uske paas.

Raj: Kaha pe ho Sonu.

Sonal: Bas abhi ghar se nikali hu. Thodi der mein aajaungi.

Raj: Jaldi aao. I am waiting. Aur car aaram se chalana.

Sonal: Ab aap phone rakhenge tabhi toh aaungi.

Raj: Haa haa rakh raha hu. Come fast.


Phir Sonal car mein baith ke car ko Raj ke diye hue location ki taraf bhaga deti hai
Behtreen update
 

Lib am

Well-Known Member
3,257
11,242
143
Update 124
Thodi der mein Sonal Raj ke bataye hue location pe pahonch jaati hai jaha Raj parking mein hi uska wait kar raha tha.

Raj jaldi se jaake Sonal ki car ka darwaaza kholta hai aur Sonal bahar aati hai toh Raj usko dekhta hi reh jaata hai. Woh ek tak Sonal ko dekhe jaa raha tha apni palke tak jhapkana bhul jaana hai.

Sonal Raj ko aise ghurte dekh sharmane lagti hai aur dheere se bolti hai.

Sonal: Aise mat dekhiye mujhe sharm aarahi hai.

Raj: Aaj toh chand khud zameen pe utar aaya hai. Aur aisa nazara baar baar dekhne ko nhi milta.

Sonal: Ab bas bhi kijiyee.

Raj: Sach mein aaj bahot khubsoorat lag rahi ho. Swarg ki apsara bhi tumhare saamne apna sir jhukale itni pyaari aur khubsoorat lag rahi ho.

Sonal: Sharma ke. Thank you.

Phir Raj Sonal ko leke uss restaurant ke andar jaata hai. Pure restaurant ka mahaul hi romantic sa banaya hua tha. Background mein ek slow romantic music baj raha tha aur ek alag hi fragnance bhi faili hui thi charo taraf.

Raj Sonal ko leke ek table pe aata hai jo inke liye hi reserved tha. Dono aake table pe baith jaate hai.

Sonal: Aaj achanak se yeh candle light dinner kisliye. Aaj kuch khaash hai kyaa.

Raj: Tum jab se meri life mein aayi ho tab se hardin hi mere liye khaash hai.

Sonal: Aap phir se suru hogaye. Sidhe sidhe bhi toh bol sakte hai naa.

Raj: Ab tumne sawaal hi aisa pucha toh main aur kyaa jawaab deta. Aree banda pyaar karta hai tumse. Tumhare saath akele kuch pyaar bhare pal bitana chahta hai isiliye tumhe bahar ghumane leke aaya. Par tum ho ke pyaar bhare pal bitane ki jagah sawaal karne lagi ho. I am hurttt.

Sonal: Achha achha Sorry. Nhi puchti kuch ab khush.

Raj naa mein apni gardan hila deta hai.

Sonal: Toh ab main kyaa karu jisse aap khush hojaaye.

Raj: Main jo bolunga woh karogi.

Sonal: Ji boliyee.

Raj ek shararati muskaan ke saath Sonal ko dekhta hai toh Sonl samaj jaati hai ke woh fhas chuki hai Raj ke jaal mein.

Raj Sonal ko dekhte hue ishare se apne honth aage kardeta hai aur uspe apni ungliyon se kiss karne ka ishara karta hai.

Sonal Raj ke iss maang pe pehle toh bahot sharma jaati hai aur hairaan bhi hoti hai.

Sonal: Nhiii bilkulll nhiii. Aap bahot badmaash aur besharm hai. Main aisa kuch nhi karungi.

Raj: Soch lo. Phir maij naraaz hi rahunga.

Sonal: Toh rahiye. Par main aisa kuch nhi karne wali. Aap sach mein bahot besharm hogaye hai. Pehle aise bilkul bhi nhi the.

Raj: Thikk hai phir. Ab jab tak tum mujhe woh nhi deti tab tak main tumse koi baat nhi karunga. Yeh bol apna muh ghuma ke baith jaata hai.

Raj ke aisa karne se Sonal ko hasi toh aarahi thi par woh hasti nhi aur Raj ko dekhti rehti hai.

Kuch der tak Raj dusri taraf muh ghumaye baitha rehta hai toh Sonal ko bhi taras aajata hai par usse sharm bhi aarahi thi.

Sonal: Raj samjhiye naa. Main woh nhi karsakti. Mujhe sharm aarahi hai.

Raj: Main aankhein band karlunga aur tum bhi aankhein band karlena.

Sonal: Pleasee Rajjj. Samjhiye naa. Sab dekhenge.

Raj: Achhhaa. Matlab agar hum akele hote toh koi problem nhi hoti rightt.

Sonal: Maine aisa toh nhi kaha.

Raj: Thikk hai. Toh yeh chiz tumhara udaar raha. Mujhe ghar jaate waqt car mein sudh samet chahiye aur tab koi objection nhi chalega. Bolo manjurr hai.

Sonal: Aap kabse itne besharm ban gaye. Pehle toh aise nhi the.

Raj: Saamne itni khubsoorat ladki baithi ho toh thodi besharmi hojaati hai. Toh bolo manjurr hai.

Sonal: Bina uske tohh aap chorenge nhi. Apni tarah mujhe bhi besharm bana dijiye.

Raj hasne lagta hai. Tabhi background music ka volume badh jaata hai tph Raj Sonal ka haath pakad ke dance ke liye beech mein aajata hai.

Phir dono ekdusre ki baahon mein baahein daal dance karne lagte hai. Unko aise dance karta dekh baaki ke couple bhi dance karne lagte hai.

Thodi der dance karne ke baad dono wapas se table mein aake baith jaate hai.

Raj: Ab bolo kyaa khaogi.

Sonal: Kuch bhi manga kijiye.

Raj: Aree kuch bhi kyaa. Jo tumhe pasand ho woh bolo.

Phir Sonal saamne rakhe menu card ko dekhti hai aur 3-4 dishes pasand karti hai. Raj waiter ko bula ke unn dishes ka order de deta hai.

Waiter ko gaye abhi kuch time hi hua tha ke tabhi waha ek jordaar blast hota hai. Blast itna jordaar thaa ke waha baithe sabka sir jhanna jaata hai. Aur pura restaurant kaanp uthta hai. Tabhi bahar se security guard bhaagte hue aata hai aur bolta hai ke saamne wale petrol pump mein blast hogya hai. Ek gaadi ka breakfail hogya tha aur woh sidha waha jaake takra gayi.

Kuchlog apna sir pakad ke baith jaate hai toh kuch iss dhamake ke awaaz se chillake behosh tak hojaate hai. Jisme Sonal bhi shamil thi.

Iss dhamake se jo sound wave create hua woh Sonal ke dimaag mein attack karta hai jisse woh chillate hue behosh hojaati hai. Sonal ko aise behosh hote dekh Raj hadd se jyaada darr jaata hai.

Woh jhatt se Sonal ko pakad ke hosh mein laane ki koshish karta hai par Sonal react nhi kar rahi thi. Raj ne Sonal ke chehre pe paani ke chithe tak maare par koi asar nhi horaha tha.

Raj ke aankho se aansu tak nikalne lage the. Usse samaj nhi aaraha tha ke woh kyaa karee. Tabhi koi bolta hai ke inhe hospital le jao. Shayad dhamake ki wajah se inhe shock laga hai.

Raj yeh sunn jhatt se Sonal ko apni godd mein uthata hai aur apni car ki taraf bhaagta hai. Security guard bhi pichhe pichhe aata hai aur car ka darwaaza kholta hai.

Raj Sonal ko pichhe ki seat mein sula deta hai aur khud driving seat mein baith ke car ko jaldi se hospital ki taraf bhaga deta hai. Pura road block tha. Par phir bhi Raj jaise taise karke waha se nikal jaata hai.

Raj ko Sonal ke birthday wala scene yaad aaraha tha ussdin bhi Sonal aise hi pichhe ki seat mein soyi hui thi jab uska accident hua tha. Raj gaadi chalate hue hi jhatt se apne ghar call karta hai.

Raj: Hello bhabhiiiii.

Nandini Raj ki ghabraayi hui awaaz sunke darr jaati hai.

Nandini: Rajjjj kyaaa huaaa tum itne ghabraaye hue kyo ho. Kyaa huaaa sab thikk hai naa.

Raj: Rote huee. Kuchh thikk nhii haii bhabhiii. Aaplog bas jaldi se City Hospital aajaiyee. Jaldiii bhabhii.

Nandini: Shock hoke. Hospitallllll. Kyaaa huaaa hai Rajjj. Tumloggg thikkk honaa. Sonalll kaha haiii wohh thikk hai naa.

Raj: Rote hue. Mainn phonee pe nhii bata saktaa. Aaplog pleaseeee jaldi se cityy hospitall aajaiyeee. Yeh bol Raj call cut kardeta hai.

Idher ghar mein Nandini ke hospital bolke chillane se sablog hall mein aajate hai.

Ragini: Nandinii kyaa huaa kiskaa phonee thaa. Aur yeh hospitalll kyaa thaa.

Nandini: Mummy Rajj ka call thaa. Ro raha thaa. Jaldi se City Hospital bulaya sabkoo.

Smita: Kyaaaa hospitalllll. Abbb kyaaa hogyaaa. Sonalll thikkk haiii naaa.

Nandini: Pata nhii. Woh bahot ro raha thaaa. Sonalll ki koi bhi awaaz nhii aarahi thiii.

Sablog yeh sunn ghabraa jaate hai. Aur turanttt hospital ke liyee nikal padhtee hai.

Idherr Raj ne calll cutt karne ke baad sidha Yashh ko call lagaya aur usko bhi hospital aane ko boldiyaa. Uske baad usne Sonal ke doctor ko call lagaya.

Raj: Hello Doctorrr mainn Rajjjj.

Doctor: Haa Rajj boloo. Tum itne ghabraye hue kyoo hoo. Sab thikk hai naa.

Raj: Kuchh thikk nhii haii doctorr. Sonall ko pata nhii kyaa hogyaa haii woh behoshh hogyii haii aur hosh mein bhi nhii aarahi haiii. Mainn usse City Hospital leke jaa raha huu. Aap pleaseee waha aajaiyee. Pleaseee doctorr pleaseee.

Doctor: Behoshh hogyiii. Aisee kaisee behoshh hogyii.

Raj: Mainn phonee pe sab nhi bata paungaa. Aap jaldi se waha aajaiyee.

Doctor: Thikk haiii. Mainn pahonch raha huu Tum waha jaake usse admitt karoo.

Phir Raj call cut karke jaldi se Hospital ki taraf gaadi bhaga deta hai.

Idher Yash jo khud apni marriage anniversary celebrate kar raha tha apni biwi aur bete ke saath woh Raj ka call aate hi turant unndono ko leke waha se nikal padhta hai. Swati ne toh raaste mein hi rona start kardiya thaa.

Thodi der mein Raj hospital aajata hai jaha Aarav pehle se hi khada tha. Jo bahar kisi kaam se gaya tha toh direct hospital aajata hai.

Aarav: Bhaiyaa kyaa huaa bhabhii koo. Wohh thikk hai naa.

Raj: Pata nhiiii. Achanak se chillate hue behosh hogyii.

Phir Raj Sonal ko car se bahar nikalke usse andar le jaata hai. Sonal ke doctor ne hospital mein call karke pehle hi sab baat karli thi. Jisse Sonal ko direct ek room mein shift kiya jaata hai aur hosh mein laane ki koshish ki jaati hai.

Thodi der mein baaki sab bhi hospital aajate hai aur Raj pe sawaalon ki baarish kardete hai.

Raj: Sabkuch thikk thaa. Sonal bahot khush thi. Humne khaane ka order diya hi tha ke tabhi waha ek blast hota hai jiske sound wave ke asar se Sonal chikhte hue behosh hojaati hai.

Karan: Kaisaa blastt huaa.


Raj: Restaurant ke saamne wala petrol pump blast kar gaya tha jiske wajah se waha ek bahot tezz dhamaka hua. Maine Sonal ke doctor ko call kardiya hai woh aate hi hongee.
Shayaad ab sonal theek ho jaaye
 

Lib am

Well-Known Member
3,257
11,242
143
Update 125
Kuch der mein doctor aajata hai aur sidha Raj ke paas aake usse puchne lagta hai.

Raj Doctor ko saari baat bata deta hai jisse sunke Doctor bolta hai.

Doctor: Uss blast se create sound wave ne lagta hai directly Sonal ke dimaag mein attack kiya hai aur isiliye woh behosh hogyi hai.

Swati: Doctor. Sonal ka dimaag toh pehle se hi weak hai uss accident ke baad. Kahi isse koi jyaada problem toh nhi hogyi.

Doctor: Abhi kuch bhi bolna possible nhi hai. Main check karta hu. Yeh bol doctor andar chala jaata hai.

Doctor ke jaate hi Raj rone lagta hai.

Raj: Har baar aisa humare saath hi kyo hota hai. Harbaar jab jab main aur Sonal kareeb aane wale hote hai tabhi kisi na kisi tarah koi problem aajati hai.

Smita: Raj shant hojaa. Kuchh nhi hogaa Sonal koo. Wohh thikk hojayegiii.

Raj apni maa ke gale lag rone lagta hai.

Idher Doctor andar aake waha khade Nurse se puchta hai.

Doctor: Maine jo Brain scan ke liye bola tha woh ready hai.

Nurse: Yes Doctor. Sab ready hai. Bas aapka hi wait kar rahe the.

Doctor: Greattt. Toh chalo start karo.

Phir Sonal ka brain scan kiya jaata hai jisse dekh kar Doctor ke chehre mein ek alag hi chamak aajati hai. Par woh completely satisfy nhi horaha tha. Woh reports ka wait kar raha tha.

Kuch der baad jab reports aajati hai toh woh completely satisfy hojaata hai phir woh Nurse ko bolke Sonal ko injection lagane ke liye bolta hai aur waha se bahar aajata hai.

Doctor ke bahar aate hi uspe bhi sawaalon ki baarish start hojaati hai.

Doctor: Aap sab shant hojaaiye. Raj mere saath aao. Yeh bol doctor aage badh jaata hai.

Raj bhi doctor ke pichhe pichhe chal deta hai. Raj ke saath Karan aur Yash bhi jaate hai.

Raj: Doctor kaisi hai Sonall. Thikk toh haii naa wohh.

Doctor: Dekho Raj yeh jo Sound wave ne Sonal pe attack kiya hai isse ek chiz toh achhi hui hai.

Raj: Kyaaaa.

Doctor: Dekho pichli baar Sonal ka jo accident hua tha usme Sonal ke dimaag ke nashon mein khoon jam gaya tha jisse uski yaadash chali gayi thi rightt.

Raj: Haaaa.

Doctor: Toh iss sound wave ke attack se woh jama hua khoon wapas se flow mein aagay hai. Uss Sound wave ne Sonal ke dimaag ke usi hisse mein attack kiya jiss hisse mein khoon jama hua tha. Aur uss attack se uss hisse mein blood flow wapas se start hogya hai.

Raj: Khushi se. Matlabbbbb ab meri Sonal ki yaadash wapas aajayegii. Woh ab puri tarah se tarah se thikk haiii.

Doctor: Ab yaadash wapas aayi hai yaa nhi yeh toh uske hosh mein aane ke baad hi pata chalega. Aur koi consequence bhi hue hai yaa nhi yeh bhi. Nhi toh report saare normal hai.

Yash: Consequence matlab.

Doctor: Consequence matlab uski yaadash agar wapas aati hai toh inn kuch mahino mein jo kuch hua woh usse yaad rehta hai yaa nhi. Aur usse kitna yaad aayega yeh bhi ek matter hosakta hai. Bahot se matter hai.

Karan: Usse hosh kab tak aayega.

Doctor: Aaj raat woh soyegi. Usse hosh ab kal subah hi aayega. Kyoki uske dimaag mein gehra shock laga hai. Usse recover karne ke liye uske dimaag ka shant hona bahot jaruri hai.

Raj: Thank Youu Doctorrr.

Doctor: Aur tumne jo usdin pucha tha Sonal ko shaadi ka sach bataoge bataya thaa.

Raj: Haaa bataya tha. Uske dimaag mein pressure padhne se dard bhi hya tha aur behosh bhi hui thi par thik hogyi thi sang sang.

Doctor: Hmmm. Achhi baat hai. Ab dekho kal subah kyaa hota hai.

Phir Raj Karan aur Yash baaki sabke paas aajate hai.

Swati jaise hi innlogo ko dekhti hai toh woh sawaal puchne lagti hai.

Swati: Kyaa kaha doctor ne. Sonal thikk toh hai naa. Usse kuch hua toh nhi hai naa. Yashhh boliye naa. Sab thikk hai naa.

Yash: Swati pehle tum shant hojao main batata hu sab.

Swati jaise taise khud ko shant karti hai toh Raj bolne lagta hai.

Raj: Sonal thikk hai. Usse kuch nhi hua hai. Blast ke wajah se usse jhatka laga tha jiss wajah se woh behosh hogayi hai.

Yash: Uss blast se Sound Wave create hue tha woh sidha Sonal ke dimaag ke uss hisse mein attack karta hai jaha khoon jama hua tha. Uss attack se khoon ka flow phir se start hogya hai.

Waha khade sablog yeh sunte hi khushh hojaate hai.

Swati: Matlab ab Sonal ki yaadash wapas aajayegi.

Yash: Haa shayad.

Swati: Shayad matlab.

Karan: Matlab kuch consequence bhi hosakte hai.

Nandini: Matlab.

Karan: Matlab agar usse yaad aata hai toh kitna yaad aata hai kyaa kyaa yaad aata hai yeh hosh mein aane ke baad hi pata chalega. Aur yaad aane ke baad inn kuch mahino mein jo hua woh yaad rahega yaa nhi yeh bhi subah hi pata chalega.

Yash: Swati kal subah call karke apne mummy papa ko bula lena. Unki jarurat padegi.

Swati: Jiii.

Raj: Mummy Papa ab aaplog ghar jaaiye. Waise bhi ab yaha koi kaam nhi hai. Main rukhta hu yaha pe. Aaplog ghar chale jaaiye.

Smita: Tu akela rahegaa.

Yash: Nhii Aunty main hu Raj ke saath.

Raj: Nhii Yash. Tu bhi jaa. Jo bhi ho aaj teri bhi shaadi ki saalgirah hai. Yaha ab koi jarurat nhi padegi. Agar padegi toh call kardunga.

Phir sablog Sonal ko ekbaar dekh kar waha se chale jaate hai. Hospital mein bad Raj hi reh jaata hai.

Sabke jaane ke baad Raj Sonal ke paas jaata hai aur uska haath pakad ke baith jaata hai.

Raj: Sonal ka sir sehlaate hue. Jaldi se theek hojao Sonal. Ab aur taqat nhi hai mujh mein yeh sab sehne ki. Jaldi se theek hojaao. Yeh bol Sonal ke sir mein chumm leta hai. Phir bolta hai. Happy Marriage Anniversary Sonal.

Kuch der waha baithe rehne ke baad Raj ko bhi neend aajati hai aur woh wahi Sonal ka haath pakde hue hi so jaata hai.

Agle din Raj soya hua hi tha ke uski neend achanak se toot jaati hai. Woh dekhta hai Sonal abhi bhi behosh hai aur koi uska sir sehla raha hai. Woh apne bagal mein dekhta hai toh waha Smita baithi hui thi.

Raj: Mummy aap itni subah.

Smita: Kal raat se tune kuch nhi khaya hai toh subah subah tere liye nashta leke aayi hu.

Raj: Uski jarurat nhi thi mummy.

Smita: Mujhe mat sikha. Chal jaldi se jaake fresh hojaa. Phir nashta karle. Phir doctor bhi aata hi hoga.

Phir Raj chup chaap washroom mein jaake fresh hojaata hai aur thoda sa nashta karleta hai.

Kuch der baad baaki ke ghar wale bhi aajate hai aur bahar baithe Sonal ke hosh mein aane ka intezaar karne lagte hai.

Ek Nurse aake Sonal ka check up karti hai toh woh dekhti hai ke Sonal.ko dheere dheere hosh aaraha hai. Yeh dekh woh Nurse jaldi se doctor ko bula laati hai.

Doctor: Aap sab bahar hi rahiye. Raj sirf tum andar aao.

Dono andar aate hai toh doctor bolta hai.

Doctor: Ekdum chup rehna aur waha khade rehna.

Raj: Jii.

Phir Doctor Sonal ke paas jaake baith jaata hai aur Raj Doctor ki batayi jagah pe jaake khada hojaata hai.

Idher Sonal jaise hi hosh mein aati hai toh uska sir dard karne lagta hai. Uske dimaag mein ek saath bahot kuch chalne lagta hai. Jisse woh chillane lagti hai.

Doctor Nurse ko ishara karta hai toh woh Sonal ko ek injection de deti hai jisse thodi der baad Sonal ka dard kam hone lagta hai. Uske baad jab woh saamne dekhti hai toh usko doctor baitha hua dikhta hai.

Sonal: Main kaha hu. Aur aap kaun hai.

Doctor: Tum abhi hospital mein ho aur Main tumse jo bhi puchunga sirf uska hi jawaab dena thikk hai.

Sonal haa mein gardan hila deti hai. Sonal ki haa sunke Raj bhagwan ke paas prarthana lagta hai.

Doctor: Abhi tumhe kaisa lag raha hai.

Sonal: Mera sir bahot dukh raha hai aur bahot hi jyaada bhaari bhi lag raha hai. Saath hi mere dimaag mein bahot kuch chal raha hai.

Doctor: Woh thikk hojaayega. Achha tumhara naam kyaa hai.

Sonal: Sonal.

Doctor: Pura naam batao. Raj ki dhadkane tezz hojaati hai Sonal ka jawaab sunne ke liyeee.

Sonal: Sonal. Sonal Raj Kapoor.

Yeh sunne ke baad Raj ki aankhon se aansu behne lagte hai. Uska khada rehna mushkil hogya tha. Mann toh kar raha tha ke wahi pe naachne lage.

Doctor: Raj Kapoor. Yeh kaun hai.

Sonal: Raj Kapoor mere pati hai.

Doctor: Tumhe kuch yaad hai tum hospital kaise aayi.

Sonal yeh sawaal sunne ke baad apne dimaag mein jorr dene lagti hai. Jaise jaise woh apne dimaag mein pressure de rahi thi usse dheere dheere sab yaad aaraha hai. Kaise woh Raj ke saath ghumne nikli thi. Kaise dono mandir kaise anath aashram gaye uska accident hua phir woh hospital mein aayi. Phir uske baad jo jo hua woh sab usse dheere dheere yaad aane lagta hai.

Jaise jaise Sonal ko yaad aaraha tha waise waise uska sir halka horaha tha aur uske aankhon se aansu behene lagte hai.

Kuch der baad jab Sonal ko sab yaad aajata hai toh woh ek tak doctor ki taraf dekhti hai jaise puch rahi ho ke jo usne dekha kyaa woh sab sachh thaa.

Doctor: Jo bhi tumne abhi dekha woh sab sachh tha. Aur tumne bola tha naa ke tumhara sir bhari bhari lag raha hai. Dekho ab aisa kuch nhi hai. Ab tum puri tarah se thikk hogyi ho.

Sonal: Thankkk youu doctorrrr.

Doctor: Thank you mujhe nhii apne pati ko bolo. Usne jitna kiya hai jitna saha hai utna aajkal koi nhi karta. Milna chahogi apne pati se.

Sonal aankhon mein aansu liye haa mein gardan hila deti hai.

Doctor: Woh dekho woh raha tumhara pati.

Sonal Doctor ki bataye direction mein apni gardan ghumati hai toh saamne Raj ko khada paati hai. Jisse dekhte hi Sonal ke aankhon se aur jyaada aansu behene lagte hai.


Raj dheere dheere Sonal ke paas aata hai aur doctor Nurse ke saath waha se bahar nikal jaata hai.
Wow wow wow
 

Lib am

Well-Known Member
3,257
11,242
143
Update 126
Unndono ke nikalte hi Sonal Raj se lipat ke jorr jorr se rone lagti hai. Aansu toh Raj ke aankhon mein bhi the par yeh khushi ke aansu the. Aakhir aaj usse uski patni wapas mil gayi thi.

Sonal: Rote hue. I am Sorryyy Rajjj. Mujhee maaf kardijiyee. Mainee aapkoo bahott takleef pahonchai. Bahort hurtt kiyaa. Aur naajanae aapko kyaa kyaa bolti rahi. Kitna insult bhii kiyaaa. I am sorryyy.

Raj: Sonal ko apne se alag kar uske aansu pochte hue. Pleaseee shantt hojaaooo. Aisee mat karooo. Tumne jo bhi kiyaa woh anjaane meinn kiya. Pleaseee ronaa bandd karoo. Mujhee tumsee koii shikayat nhii hai.

Sonal: Sisakte huee. Par mainee aapkoo kitna.....

Abhi Sonal ne itna hi bola ke Raj uske hontho pe ungli rakh deta hai aur bolta hai.

Raj: Chuppp. Ab uss baare mein koii baat nhii jo hona tha hogyaa. Aur maine bola naa mujhe koi shikayat nhii.

Abhi Raj ne itna hi bola tha ke tabhi darwaaza kholke Swati ke saath saath baaki sab bhi andar aajate hai.

Swati: Aankhon mein aansu liyee. Sonalllllllll. Yeh bol bhagte hue aati hai aur Sonal ke gale lag jaati hai.

Sonal bhi Swati ke gale lag jaati hai aur rone lagti hai.

Swati: Tuu thikk hogyii merii behennn. Tu thikk hogyii. Mainn aaj bahott khushh hu. Bahottt.

Sonal: I Am Sorryyy diii. Merii wajah see aapko bahott takleef huiii. I am sorryy.

Swati: Tuu tohh merii jaan haii. Aur mujhee koii takleeff nhii huiii. Phir jhatt se usse alag hoti hai aur Yash ke paas jaake apne bete ko leti hai aur Sonal ke paas aake bolti hai.

Swati: Sonalll dekh yehh mera betaaa haii.

Sonal yeh sunn bahottt khushh hoti hai. Uskii aankhon se aansu behene lagte haiii. Wohh jhatt see Ansh ko apni godd mein le leti hai aur dheere se uske sir ko chumm leti hai.

Sonal: Khushi ke saath aankhon mein aansu liyee. Sachhhhh diiii. Yehhh meraaa bhanjaa haii. Mainn mainn maasii bangayii.

Swati: Haa Sonalll. Tujhee pata haiii tujhe yeh batane ke liyee tujhee isse milanee ke liyee main kitnaa tadapp rahiii. Aur aaj bhagwaan ne meri yehh tadapp durr kardiii.

Abhi do beheno ka milan ho raha tha ke Nandini bolti hai.

Nandini: Sonalll hum bhi hai yaha. Humse bhi mil looo.

Sonal apni nazre uthake dekhti hai toh waha uska pura parivaar khada thaa.

Sonal: Bhabhiii Mummyy Badii Mummyy.

Nandini aage aake jhatt se Sonal ke gale lag jaati hai.

Nandini: Mainn aaj bahott khushh hu. Bahottt. Bhabhu toh tum mujhe pehle bhi bolti thi. Par iss feeling ke kiyee main taras gayii thiii.

Swati Sonal ki godd se Ansh ko le leti hai. Phir Smita aur Ragini aage aate hai aur bolte hai.

Dono: Kaan taras gaye thee tumhare muh se yeh sunne ke liyeee. Bhagwaan ne aaj humari sunn liii. Tumhari yaadashh waapas aagayii.

Phir ek ek karke sablog Sonal se milte hai. Sablog bahott khushh thee. Raj dhurr khada bas Sonal ko dekhe jaa raha thaa. Uske aankhon se abhi tak aansu nikal rahe the. Aaj usse bada khushnaseeb insaan shayad hi koi aur hogaa.

Kuch der baad Smita ki nazar Raj pe padhti hai toh woh dekhti hai ke Raj durr khada Sonal ko hi dekhe jaa raha hai. Aur Sonal ki nazar bhi baar baar ussi ko dekh rahi hai.

Smita: Chalo sab bahar chalo. Sonal ko abhi thoda aaram karne do.

Sablog Smita ke kehne ka matlab samaj jaate hai toh sablog chup chaap bahar nikal jaate hai aur kamre mein reh jaate hai bas Raj aur Sonall.

Dono hi ekdusre ko dekh rahe the par koi kuch nhi bol paa raha tha. Dono ki shaksiyat wahi thi par ab halat kuch aur the rishta kuch aur tha aur isiliye dono ke muh se koi bol nhi nikal rahe the.

Raj: Tum aaram karo main bahar hu. Yeh bol Raj bahar jaane lagta hai toh Sonal uska haath pakad leti hai.

Sonal: Mujhse naraz hai na aap. Mujhe maaf kardijiye. Main jaanti hu maine aapko anjaane mein bahot kuch boldiya tha. Par please mujhse naraz mat rahiye. Main aapki narazgi nhi seh paungi.

Raj jhatt se Sonal ko apne seene se laga leta hai. Raj ki aankho se bhi aansu beh rahe the. Sonal bhi Raj se aise lipat jaati hai jaise agar usko choregi toh woh usse durr chala jayega.

Raj: Tum nhi jaanti Sonu maine tumhara kitna intezaar kiya hai. Aur aaj aakhirkaar mera intezaar khatam huaa. Main tumse kyo naraz rahunga Sonu. Tumne jo bhi kiya usme tumhari koi galti nhi thi.

Sonal: Main bahot khushnaseeb hu jo mujhe aap jaisa pati mila. Aapne mere liye jitna kiya utna koi nhi karta kisi ke liye. Aapne sirf mere liye ek aisi duniya banayi jiska koi astitva hi nhi tha. Mujhe koi takleef naa ho isliye aapne kitni takleefe sahi.

Raj: Khushnaseeb toh main hu Sonu jo tum mere life mein aayi. Tumne mujhe accept kiya mujhse shaadi ki mujhe pyaar karna shikhaya. Mujhe mere dukh dard se bahar laaya. I Love You Sonal. I Love You so muchhh.

Sonal ne bhale hi Raj ke muh se yeh teen shabd bahot baar sunne the. Par aaj jis Sonal ne yeh teen shabd sunee the usse sunne ke liye usne naa jaane kitni mehnat ki thi kitni tadpi thi. Aur aaj aakhirkaar uski mehnat ka fal usse mil gaya uski saari tadap aaj khatam hogyi. Uske aankho se aansu behene lage thee.

Sonal: Aap nhii jaante Raj. Aapke muh se yeh sunne ke liye main taras gayi thi. Aaj aapne yeh bolke meri saari tadap durr kardi. I love You Too Raj. I Love You sooo muchhhhh.

Yeh bol woh Raj ko aur kash ka pakad leti hai. Raj bhi Sonal ko aur kash leta hai. Dono jaise ekdusre mein sama jaane chahte ho. Dono ke beech mein hawa pass hone tak ki jagah nhi bachhi thi.

Kuch der aise hi ek dusre se chipke rehne ke baad dono alag hote hai toh Raj bolta hai.

Raj: Sonal.

Sonal: Jii.

Raj: Mujhe tumse kuch chahiye. Bolo dogi.

Sonal: Mera sabkuch toh aapka hi hai Raj. Aapko maangne ki koi jarurat nhi hai.

Raj: Mujhe yeh Sonal nhi chahiyeee. Mujhe meri woh Sonu hi chahiye. Jo mujhse khulke baat karti thi. Jidd karti thi. Masti mazaak karti thi. Bolo dogi mujhe meri Sonu.

Sonal: Yeh aap kyaa bol rahe hai Raj. Ab main kaise aapke saamne woh sab kar sakti hu. Mujhse nhi hoga. Pehle ki baat aur thi par ab nhi hogaaa.

Raj: Aur kyo nhi hoga. Mujhe kuch nhi pata. Mujhe aajse balki abhi se mujhe meri Sonu wapas chahiye. Agar woh mujhe nhi mili toh main tumse baat nhi karunga. Ab yeh tumhare upar hai tum kyaa karogi.

Sonal: Aisa mat kahiye Raj. Agar aap mujhse baat nhi karenge toh main kaise jiyungi. Thikk hai main taiyaar hu. Par please aap mujhse baat karna band mat kijiyee.

Raj yeh sunn jhatt se Sonal ko gale laga leta hai aur uske chehre ko jagah jagah chumne lagta hai.

Raj: Main aaj bahot khushh hu. Bahottt jyaada. Tumne mujhe humari anniversary mein sabse achha gift diya hai. Mujhe meri patni meri lover meri dost mujhe sab de diyaaa. Thankkk youuu.

Sonal: Gift toh aapne diya hai. Mujhe mera pyaar de diyaa. I Love Youu sooo muchhhh. Yeh bol phir uske gale lag jaati hai.

Idher bahar sablog bahot khush the. Jisme Swati ki khushi toh sambhale nhi sambhal rahi thi. Aakhir uski jaan se pyaari behen jo thikk hogyi thi.

Ishita: Nandini Bhabhi. Humhe Sonal Bhabhi ke thikk hone ki khushi mein kuch speciall karna chahiyeee.

Payal: Haa Didi. Ishita sahi keh rahi hai. Kyo naa hum Kapoor House mein unke liye kuch special kareee.

Nandini: Areee bilkull karengee. Aakhir aaj ghar ki dusri bahu kitne mahino baad wapas ghar aayegi. Aaj meri devrani ka jabardast welcome hogaa.

Smita: Aaj toh meri bahu ke liye main khud special uski pasand ka khana banaungi.

Ragini: Toh chalo phir jaldi ghar chalte hai. Bahot si taiyaariyan karni hai.

Yash: Aaplog jaaiye. Main aur Swatu yehi rukhte hai. Sonal ko discharge karwake hum bhi aajayenge.

Ragini: Achhi baat hai chaloo sabb.

Phir sablog Kapoor House nikal padhte hai.

Idher Raj aur Sonal baithe baate kar rahe the ke tabhi darwaaze pe knock hota hai aur Yash aur Swati andar aate hai.

Yash: Raj ab humhe ghar ke liye nikalna chahiyee.

Raj: Hmm. Swati tum yaha baitho main doctor se mil ke aata hu. Yeh bol Raj aur Yash dono nikal padhte hai. Swati Sonal ke paas aake baith jaati hai.

Sonal Swati ki godd se Ansh ko le leti hai aur uske saath khelne lagti hai.

Sonal: Yeh bilkul aapki tarah hi hua hai di. Pura aapke upar gaya hai. Kyaa naam rakha hai iska.

Swati: Ansh Roy.

Sonal: Bahott achha naam hai. Maine bahot kuch miss kardiya di. Aapki pregnancy iska janam bahot kuch miss kardiya.

Swati: Ab yeh sab mat soch Sonal. Jo hogyaa usse bhul jaa. Ab apni life aaram se ji. Ab toh tujhe tera Raj bhi mil gaya jo ab tujhe bahot pyaar karta hai.

Sonal: Haa di. Mai bahot khush hu. Maine kabhi nhi socha tha ke Raj mujhse pyaar karne lagenge. Par finally mujhe Raj humesha ke liye mil gaye.

Swati: Tujhe pata hai Raj toh tujhe tere birthday ke din hi propose karne wala tha par usi din tera accident hogyaa aur teri yaadash chali gayi.

Sonal: Dekhiye naa di mere birthday ke din yaadash gayi toh humari anniversary ke din aagayi. Waise Mummy Papa Samar yehlog kaha hai.

Swati: Maine boldiya hai. Aarahe hai. Mummy ki khushi ka toh koi thikana hi nhi tha.

Yehlog aise hi baat kar rahe the ke Raj aur Yash andar aate hai.

Swati: Kyaa kaha doctor ne. Hum Sonal ko ghar le jaa sakte hai naa.

Yash: Haa. Sonal ka discharge hogya hai. Ab humlog ghar chal sakte hai.

Swati: Chal Sonal ab apne ghar chall.

Phir sablog hospital se bahar nikalte hai. Yash Swati ko leke apne car se nikal jaata hai toh Raj Sonal ko leke apni car se.
Mast update
 

Jaguaar

Prime
17,680
60,240
244
Nice update bro

Mujko lagta hai vicky kuch galat phir sae karega isliye uska plot phir liye gaya hai
Thank you

Story end ki taraf hai isiliye har character jo important tha aur zinda hai usse recognize kiya jaa raha hai. Aur isme Vicky bhi aata hai.
 
  • Like
Reactions: RAAZ and parkas
Top