• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

raj_008

New Member
56
131
33
Update 131
Dheere dheere time guzarne lagta hai. Aur guzarte time ke saath Sonal ki delivery ka time bhi najdeek aane lagta hai.

Raj Sonal ka dhyaan ab thoda jyaada hi rakhne laga tha. Sonal ko ghumane le jaana usse uski pasand ka khaana khilana. Sonal ki bachhon wali jidd ko pura karna sabkuch Raj bahot hi achhe se kar raha tha.

Sonal ko toh ab kitchen ko dekhna bhi mana kardiya gaya tha. Usko bas ek jagah baitha diya jaata tha aur uska saara kaam Nandini Smita Ragini milke kardiya karte the.

Par jaise jaise delivery ka time najdeek aaraha tha waise waise Sonal ka mood Swing bhi horaha tha jisme woh sabse jyaada pareshan Raj ko hi karti thi.

Ekdin raat ko Raj aur Sonal dono aaram se so rahe the. Par tabhi achanak se Sonal ki neend khul jaati hai aur woh uthke baith jaati hai aur bagal mein soye Raj ko dekhne lagti hai.

Phir achanak se rone lagti hai. Uska rona sunn Raj jhatt se uth jaata hai.

Raj: Areee kyaaa huaaa. Ro kyoo rahii hoo. Kuchh huaa kyaaa.

Sonal bas royee jaa rahi thi jisse Raj tension mein aajata hai.

Raj: Sonal ko apni baahon mein leke. Kyaa huaa meri Sonu ko kyoo ro rahi hai. Koi bura sapna dekha kyaa. Bolo mujhe kyaa huaa.

Sonal: Sisakte hue. Wohh mujhee naa bhukk lag rahi hai. Mujhe abhii chocolate Milkshake peena hai.

Sonal ki baat sunke Raj ka dimaag hi kharab hojaata hai. Usse samaj nhi aata woh kyaa karee. Sonal ko daant nhi sakta tha aur chup bhi nhi raha jaa raha thaa.

Raj: Tum pagal hogyi ho kyaa. Itni si baat ke liyee tumne rona start kardiyaa. Aur baat bhi kyaa thi. Chocolate milkshake peena hai. Kuchh nhii milegaa. Chup chap so jaao.

Sonal: Rotee huee. Aap humse pyaar nhii kartee. Mujhe aur mere bachhe ko bhukk lagi hai. Humhe Chocolate Milkshake peena hai.

Raj: Apna sir pitt ke. Aree merii jaan main tumse aur humare bachhe se bahott pyaar karta hu. Par itni raat ko Milkshake kaha se laau.

Sonal: Kitchen se. Mujheee kuch nhi pata humhe milkshake peena hai. Jaldii jaaiyee leke aaiyeee.

Raj: Kyaaa musibat haii.

Sonal: Rotee huee. Aapne humhe musibat kaha. Aap humse pyaar nhi karte. Bechara meraa bachhaa. Hum kal hi Jaipur chale jaayengee. Nhii rahengee yaha parr.

Raj: Ayeee chupp karoo. Laata huu Milkshake. Jab dekho Jaipur jaane ki dhamki. Laata hu tumhara Milkshake. Pareshan karke rakh diya hai.

Sonal: Jaldi laana aur sang Chips bhi lete aana.

Raj: Aur kuchh chahiyee madam.

Sonal: Nhii filhall itna hi. Aur jaldi.

Raj apne mein hi badbadata hua room se nikal jaata hai aur kitchen mein jaake Sonal ke liye Milkshake banane lagta hai.

Thodi der baad Raj room mein aata hai uske haath mein ek tray hota hai jisme ek glass mein Chocolate milkshake aur chips ka packet hota hai.

Raj: Lo thuso aur shanti do.

Sonal: Kyaa kaha aapne.

Raj: Kyaa kaha. Maine toh kaha lo peeyo aur so jao.

Sonal Raj ko ghurte hue glass apne haath mein leke peene lagti hai aur chips khaane lagti hai. Woh jaanmuzz ke ekdum dheere dheere pee rahi thi. Jisse Raj ko chidd horahi thi.

Raj: Thoda jaldi pee lo naa. Mujhe neend aarahi hai.

Sonal: Pee rahi hu naa. Shaanti se peene bhi nhi dete aap toh.

Raj bebas hoke Sonal ko ghurne lagta hai. Kyoki usse Karan aur Yash ne pehle hi warn kardiya tha ke aisa kuch hoga. Par tab usne yakeen nhi kiya tha.

Khairr thodi der mein Sonal apna Milkshake aur Chips khatam kardeti hai aur chup chaap glass table mein rakhke so jaati hai.

Raj bas thaga sa usko dekhne lagta hai. Sonal ne usko aise ignore kiya jaise woh waha hai hi nhi.

Raj: Yehh kyaa thaa.

Sonal: Kyaaa huaaa. Lights kyo on karke rakhi hai aapne. So jaaiye naa. Mujhe bahot neend aarahi hai.

Raj: Achhaa betaaa. Maine lights onn rakhi hai. Aur yeh kyaa naa. Naa koi Thank You naa kuch.

Sonal: Thank You kisliyee.

Raj: Kisliye matlab. Ek toh itni raat ko tumhare liye yeh Milkshake aur chips laya tumne mujhe jaanmuzz ke itna pareshan kiya.

Sonal: Masoom sa face banake. Mainee aapko pareshan kiya. Aap mere aur mere bachhe ke liye itna nhi karsakte. Aap humse pyaar nhi karte naa.

Raj: Pleaseee Sonu ab yeh nautanki start mat karo. Mujhe pata hai tum yeh jaanmuzz ke bolti ho. Aur yeh jaipur chale jaane ki dhamki bhi jaanmuzz ke deti ho. Tumhe pata hai tumhare bina main ek pal nhi rehsakta isiliye tum mujhe darati ho.

Sonal ishare se Raj ko kareeb bulati hai aur uska coller pakad ke ekdum apne chehre ke paas karke bolti hai. Jab aapko sab pata hai toh chup chaap darr jaaya kijiye. Aur aapko pata hai jab aap aise mere liye karte hai naa toh mujhe aapke upar bahott pyaar aata hai. Yeh bol uske honthon ko chum leti hai.

Raj: Tumhare isi adaa pe toh main ghayal hu. Tumhe achhe se pata hai mujhe kaise manaya jaata hai.

Sonal: Aapki biwi hu lover hu dost hu ab yeh baat mujhe nhi pata rahega toh kisse rahega.

Raj: Chalo ab so jaao. Kuch der mein hi Subah hojayegi.

Phir Raj lights aur gate band kardeta hai aur Sonal ke bagal mein aake let jaata hai. Sonal Raj ko kash ke pakad leti hai.

Sonal: Thankk youu so muchh. Aur Sorry bhii.

Raj: Tumhe pata hai tum kitni badi Pagal hoo.

Sonal: Sirf aapke liyee.

Raj: Aur mujhe bhi iss pagal se iske pagalpan se bahott pyaar hai. Yeh bol uske maathe ko chum leta hai aur usse pakad ke so jaata hai.

Agle din dining table pe Raj baithe baithe jamayi le raha tha. Uski neend puri jo nhi hui thi.

Smita: Kyaa baat hai Raj. Puri raat soya nhi kyaa jo abhi bhi neend aarahi hai.

Raj: Kaha Mummy. Aadhi raat ko uth gaya tha aur uske baad bahot late se neend aayi aur abhi subah jaldi utha diya.

Ragini: Aadhi raat ko uthke kyaa kar raha tha.

Ragini ki baat sunke Raj Sonal mi taraf dekh raha tha toh Sonal usse ishaare se kuch naa kehne ko bolti hai.

Raj: Sonal ko ghurte hue. Kuchh nhii badi mummy. Bas achanak se neend khul gayi thi.

Nandini: Yehh raat ko kisi ne Milkshake piya thaa kya aur Kartik ke liye chips ka packet tha woh nhi khaali dustbin mein padha hua hai.

Nandini ki baat sunke Raj khaashne lagta hai aur Sonal apni nazre ghuma ke dusri taraf dekhne lagti hai.

Smita: Aree kyaa hogyaa. Le paani pee. Milkshake ki baat sunke tujhe khaashi ko aagayi. Kahi raat ko tune hi toh nhi pi.

Apni maa ki baat sun Raj Sonal ko ghurne lagta hai par Sonal toh uski taraf dekhti bhi nhi hai.

Smita: Sonal ko kyaa ghurr raha hai. Boll.

Raj: Jii Mummy. Woh neend toot gayi thi aur thodi bhukk bhi lag rahi thi toh maine hi piya tha aur woh chips bhi maine hi khaaya tha. Mann mein. Kyaa zindagi hai karee koi bharee koi. Aadhi raat ko mujhe pareshan karke khudne Milkshake piya aur ilzaam mere pe aagaya.

Ragini: Choro ab pi liya toh pi liya. Chalo sab nashta karlo.

Phir sab nashta karne lagte hai aur uske baad sab apne apne kaam mein chale jaate hai.

Dopahar ke waqt achanak se Meera Deepak aur Samar Kapoor house aajate hai. Unhe aise achanak waha dekh sab hairaan hojaate hai.

Sonal: Mummy Papa aaplog yaha achanak. Sabb thikk hai naa.

Deepak: Haa betaa sab thikk hai. Swati ka call aaya tha kal usne bola ke humlog jaldi se Mumbai aajaye.

Sonal: Par didi ne mujhe toh aisa kuch nhi bola. Aur yeh bandar itna dara hua kyo hai.

Meera: Pata nhii. Kal jab se Swati ne call karke bulaya hai tab se hi yeh dara hua hai. Yeh toh aana hi nhi chahta tha hum jabardasti leke aaye hai.

Sonal: Samar kyaa kiya hai tune jo didi ne sabko yaha bulaya. Aur tu itna dara hua kyo hai.

Samar: Mujhe nhii pata didi. Aur main kaha dara hua hu. Main bilkul thikk hu.

Sonal: Toh Mummy kyaa bol rahi hai.

Samar: Mujhe nhi pata. Woh toh office mein bahot kaam tha isiliye main nhi aana chahta tha.

Sonal: Tujhe nhi pata toh thikk hai. Didi aayegi tabhi sab pata chal jayega.
Jaguaar bhai gzb update hai mjaa aa gya
 
  • Like
Reactions: Luffy and Jaguaar

Jaguaar

Prime
17,680
60,210
244
Update 132
Raat ke waqt Ishant Shruti Yash Swati Ansh Shristi Ishita sab kapoor house mein baithe hue the. Samar ki tarah Ishita bhi darii hui thi.

Meera: Swati kyaa baat hai tumne achanak se humsab ko yaha kyo bulaya woh bhi jaldi mein. Sab thikk hai naa.

Swati: Yehh tohh aap iss Samar se puchiyee. Iski wajah se hi maine aapko yaha bulaya hai.

Shruti: Sirf Samar se nhii Swati. Ishita se bhi. Jitni galti Samar ki hai utni hi galti Ishita ki bhi hai. Humne kabhi nhi socha tha yeh aisa karengee.

Ishita: Nam aankhon se. I am sorry bhabhii. Galti hogyii.

Shruti: Thoda gusse mein. Galti hogyi. Kyaa matlab galti hogyi.

Smita: Shrutiiii. Yeh kyaa baat hui. Tumhe koi haq nhi ke tum aise meri bachhi ko daanto. Aakhir inndono ne kyaa kiya hai. Ishu beta yaha aa.

Ishita daud ke aati hai aur Smita ke gale lag jaati hai uski aankhon mein aansu tak aagaye thee. Aakhir pehli baar kisi ne uspe gussa kiya thaa.

Smita: Shrutii dekho kaise meri ful si bachhi ki aankhon mein aansu aagaye hai.

Shruti ko bhi yeh dekh kar hairaani hoti hai. Woh uth ke Ishita ke paas aati hai aur bolti hai.

Shurti: Areee Ishu aise rote nhii. I am Sorryyyy. Pleasee aisee matt roo tum toh meri gudiyaa ho naa. Chupp hojaaooo.

Ishita: Shruti ke gale lag ke. I am sorry bhabhiii. Galtii hogyiii.

Meera: Shrutii Swatii ab bahott hogyaa tumlogo ka mazaak. Dekho tumhare mazaak ne humari beti ko rulaa diyaa. Ishita beta rona band ko aur tumne koi galti nhii ki. Chupp ho jaooo.

Swati: Haa Ishitaa. Hum toh bas mazaak kar rahe thee. Humhe nhi pata tha tum rona start kardogi. Chupp hojaaoo.

Sonal: Areee koii humhe bhi batayegaa aakhir baat kyaa hai.

Swati: Inn madam ka aur humare uss bandar ka pyaar ka chakar chal raha hai. Dono ne humari naak ke nichhe itna bada game khel diya aur humhe pata tak nhi chala.

Sonal: Kyaaaaaa. Samar aur Ishitaaaaa. Kabseeee.

Swati: Humari shaadi ke baad se hi hi chal raha hai. Yeh toh Shruti didi ne inki baate sunn li warna yeh toh batate hi nhi kabhii.

Meera: Aur inndono ne humhe yaha bulaya hai. Rishte ki baat karne ke liye. Par sabko pareshan karne wali ko inhone pareshan karne ka plan banaya thaa aur yeh usi plan ka hissa tha. Par Ishita ne ro diya.

Ishita aur Samar rishte ki baat sunke hairaan hojaate hai. Ishita ka rona toh rukh chuka tha wahi ab uske chehre pe sharm aur khushi aagayi thi.

Ishant: Uncle Aunty aaplog toh sab jaante hai ke maine aur Yash ne kabhi bhi Ishita ko maa baap ki kami mehsus nhi hone di. Isse humne bade hi pyaar se pala hai. Iski har jidd ko humne pura kiya hai.

Shruti aur Swati ke aane ke baad isko ek maa ka aur dost ka pyaar bhi mil gaya. Humne humesha iski har baat maani hai. Aur aaj hum apni iss beti ke liye aapke bete ka haath maang rahe hai.

Meera: Ishant beta Swati ne humhe sab pehle se hi phone pe batadiya hai. Aur tum bilkul bhi chinta mat karo. Ishita jaise yaha rehti hai waha bhi bilkul waisi hi rahegi. Yeh yaha pe Rajkumari ki tarah rahi hai toh waha bhi yeh ekdum rajkumari ki tarah hi rahegi.

Shruti: Ab toh khush hai naa humari gudiyaa.

Ishita: Thankkk Youu bhabhiii. Thankk youuu so muchhh.

Shruti: Aree aisa kabhi hua hai ke tumne kuch maanga ho aur humne tumhe naa diya ho.

Swati: Aur phir yeh toh tumhari zindagi ka sawaal hai. Aur agar yeh bandar kuch nautanki karta hai toh uske liye hum hai.

Ragini: Nandini meethai leke aao. Humari beti ka rishta tay hogya hai.

Shruti: Rukiye bhabhi. Hum meethai leke aaye hai. Yash meethai ka box do.

Phir Shruti sabko meethai khilati hai. Phir sab baithke shaadi ki baat karne lagte hai.

Ragini: Meri maano toh Aarav aur Samar dono ki shaadi ek hi din mein kardete hai. Lage haath dono kaam ek saath hojayengee.

Smita: Haa. Main bhi yeh chahti hu.

Vijay: Thikk hai toh kal hi hum pandit ji ko bula lete hai aur saari baat kar lete hai.

Ishant: Haa yehi thikk rahega.

Shruti: Thikk hai toh kal pandit ji ke aane ke baad hi aage ki baat karte hai.

Phir Ishant and family apne ghar chale jaate hai aur baaki sab apne apne kamre mein chale jaate hai.

Agle din sham ko Nandini ke maa baap Payal Ishant and Family sab Kapoor House mein baithe hue the. Pandit bhi aachuka thaa.

Vijay: Pandit ji humare do bachhon ki shaadi karni hai. Koi achha sa muhurat bataiyee.

Pandit thodi der tak apne saath laayi panjika mein dekhne me baad bolna start karta hai.

Pandit: Dekhiye abhi yeh pura mahina hi subh hai aaplog jab chahe tab shaadi karwa sakte hai. Par iss mahine ke baad agle 6-7 mahine tak koi achha muhurat nhi hogaa.

Nandini Mummy: Aree yeh toh bahot hi kam time hai. Itne kam samay mein kaise hogaa. Mere khayal se toh 6-7 mahine ke baad hi thikk rahegaa.

Nandini ki maa baat sunke Payal aur Ishita ka chehra thoda utar jaata hai. Par woh dikhate nhi hai.

Nandini: Aree Mummy hojayegaa. Humne Yash aur Raj ki shaadi bhi toh aise hi ki thi. Aur 6-7 mahine ke baad thikk rahega but woh late bhi hojaa raha hai.

Ragini: Thikk hai naa humlog 1 mahine mein hi shaadi ka kaam kardete hai.

Smita: Par Sonal ki haalat abhi thikk nhi hai. Abhi kaise kar sakte hai.

Nandini: Choti Mummy aap bilkul bhi chinta mat kijiye. Iska pura dhyaan hum rakh lenge.

Sonal: Haa haa hum abhi hi karte hai.

Meera: Tum toh chup hi raho. Humhe pata hai tum shant baithne walo mein se nhi honaa.

Sonal apna muh banake baith jaai hai.

Kuch der ke baat chitt ke baad yehi decide hota hai ke 1 mahine mein hi shaadi hogi. Yeh decision ke Payal aur Ishita bahott khushh thi jo unke chehre pe bhi dekhi jaa sakti thi.
 
Luffy

Well-Known Member
7,017
29,006
203

Awesome update
 
Top