• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

Verma sahab

Active Member
1,247
2,012
143
Update 107
Idher Neha jo thoda washroom gayi thi woh bahar aati hai toh usse Raj aur Sonal kahi nhi dikhte.

Neha: Aree yeh dono kaha chale gayee. Abhi toh yehi thee. Phir woh unndono ko dhundne lagti hai par woh kahi nhi milte. Thakk haar kar Neha Nandini ke paas aati hai.

Nandini: Aree kyaa baat hai tum aise akele akele kyo ghum rahi ho. Apne dosto ke saath baate karo.

Neha: Nhii thikk hai. Waise Sonal aur Sir kahi dikh nhi rahe hai.

Nandini: Woh toh chale gayee.

Neha: Chalee gayee. Kaha chale gaye. Aur kab chale gaye.

Nandini: Aree woh dono ko thoda personal kaam tha isiliye woh dono abhi thodi der pehle hi chale gaye.

Neha: Mann mein. Aisa kyaa personal kaam thaa dono ko jo chale gayee. Aur gayee kahaa.

Udher Raj Sonal ke saath usi hall ke backside mein aata hai jaha ek bahot hi sundar sa garden tha saath mein ek bahot bada fountain ke saath swimming pool bhi thaa. Pure garden ko achhe se sazaya diya tha.

Sonal: Aap mujhe yaha kyo leke aaye hai. Kaha hai woh chudailll.

Raj: Shant hojaao. Main tumhe yaha isiliye laaya hu kyoki meri Sonu yehi hai.

Sonal: Yehi hai. Kaha hai. Yaha toh sirf hum dono hai.

Raj: Ruko abhi dikhata hu. Par uske pehle tum apni aankho ko band karna hoga iss blindfold se.

Sonal: Main aisa kuch nhi karungi. Ab aap chup chaap mujhe uss chudail se milwayiye. Warna main ghar mein sabko uske baare mein boldungi.

Raj: Aree milwa toh raha hu. Par uske liye tumhe yeh pehenna hoga. Pleaseee pehen lo. Mere liyee pleaseee.

Raj ke aise request karne se Sonal woh blindfold pehen leti hai.

Raj: Tum sach mein bahot achhi ho. Ab chalo mere saath.

Sonal: Ab kaha le jaa rahe hai aap.

Raj: Meri Sonu se milane.

Phir Raj Sonal ko Swimming pool ke saamne laake khada kardeta hai. Jiska paani ekdum saaf tha aur ekdum stirr tha. Jisme Sonal apna aksh saaf dekh sakti thi.

Raj: Tum yehi rukhnaa. Aur jab main bolu blindfold hatao toh hata dena. Aur jab tum apni aankhe khologi toh tumhe saamne meri Sonu dikhegi. Thikk hai naa.

Sonal kuch nhi bolti bas waha shanti se khadi rehti hai aur mann hi mann bolne lagti hai.

Sonal: Mann mein. Heyy bhagwan yeh chudaill mere se kam khubsoorat ho. Pleaseee bhagwaan yeh mere se kam khubsoorat ho.

Phir Raj Sonal se waha chorr thoda pichhee chala jaata hai aur apne pocket se ek remote nikalke usme ek button ko press kardeta hai.

Raj: Sonal abb tum apni aankhe khol sakti ho. Meri Sonu thik tumhare saamne khadi hai.

Sonal yeh sunne ke baad dheere dheere apni aankho se woh blindfold hatati hai aur dheere dheere apni aankhe kholne lagti hai. Iss waqt uski dhadkane bahott tezz chal rahi thi.

Sonal apni aankhe khol jab saamne dekhti hai toh uske chehre ke expression puri tarah badal gaye the. Uske chehre pe iss waqt bepanaah khushi ke saath saath shock bhi tha. Aur saath mein uski aankho se aansu bhi beh rahe the.

Sonal ke saamne swimming pool ke paani mein usse uska hi aksh dikh raha tha aur saath mein paani ke upar lights aur foolon ki madad se khubsoorat tarike se I LOVE YOU SONU/SONAL likha hua thaa.

Yeh sab dekhkar Sonal ki aankho se aansu bahe jaarahe the. Saath mein uske chehre mein bepanaah khushi bhi saaf dikh rahi thi. Woh apne agal bagal dekhti hai toh waha koi nhi dikhta. Par jaise hi woh pichhe ghumti hai toh dekhti hai Raj uske saamne apne ghutno pe baitha hua hai.

Raj: Jis din tumhe pehli baar dekha tha uss din nhi pata tha ke tum meri zindagi ka woh hissa ban jaogi jiske bina main zinda nhi reh paungaa. Pehle kaha hum anjaan the. Phir dheere dheere hum dost bane. Dost se hum bahot achhe dost bane. Aur yeh dosti kab pyaar mein badal gayi main nhi jaanta.

Megha ke baad maine soch liya tha kabhi kisi aur se pyaar nhi karunga. Par tumne meri soch ko badla mujhe badla. Tumne mujhe tumse pyaar karne pe majbur kardiya. Main tumse kitna pyaar karta hu yeh main shabdo mein bayaan nhi kar paunga. Par itna jarur kehsakta hu tum meri saason mein meri aatma mein mere rag rag mein bas chuki ho. Ab mujhe sirf aur sirf tumhare saath jeena hai. I LOVE YOU SONAL. Main tumse bahot pyaar karta hu. Kyaa tum mujhse pyaar karti ho.

Raj ki baate sunke Sonal ki aankho se aur jyaada aasnu behene lagte hai. Par uske chehre pe kabhi naa khatam hone wali muskurahat thi. Uska mann toh kar raha tha khushi ke maare woh naachhe gaaye.

Sonal: Main kabhi bhi mummy papa Didi aur Samar ke alawa kisi baare mein socha tak nhi tha. Par jab se aap meri zindagi mein aaye hai mere dil mein dimaag mein har jagah bas aapka hi chehra hai. Jab jab aap mere se durr hote hai aisa lagta hai jaise meri zindagi mujhse durr horahi hai. Aapse baat karne ke liye aapko dekhne ke liye har waqt mera mann machalta rehta hai.

Jis din se aapse pyaar hua hai maine apni saari zindagi aapke saath gujarne ki soch li thi. Par mann mein humesha ek darr laga rehta tha ke kahi mera pehla pyaar adhura naa reh jaaye. Par aapne aaj mera woh darr bhi khatam kardiyaa. I Love You Too Rajjj. Main bhi aapse bahot pyaar karti hu.

Sonal ki baat sunne ke baad Raj ke aankho se bhi aansu nikalne lagte hai. Phir apne pairon mein khada hojaata hai aur apni baahen faila deta hai. Sonal bhaagte hue aake Raj ke seene se lag jaati hai. Raj bhi Sonal ko apne aap se kass leta hai.

Raj: I love you Sonu. I love you so muchhh.

Sonal: I Love you too Rajjj. I Love youu tooo.

Kuch der tak dono aisee hi ekdusre ke gale lag apne pyaar ko mehsus kiye jaa rahe the. Dono sabse bekhabar ekdusre mein samaye khade the.

Kuch der ekdusre ke gale lage rehne ke baad Raj dheere se bolta hai.

Raj: Sonalll.

Sonal: Hmmm.

Raj: Toh kaisi lagi meri Sonu. Tumhe pasand toh aayi hai naa.

Sonal jaise hai yeh sunti hai toh usko yaad aata hai kaise Raj ne usse pareshan kiya tha.

Sonal: Raj ke seene pe maarti hui. Jab mujhse itna pyaar karte hai toh mujhe itna pareshan kyo kiya. Sidha sidha bol nhi sakte the.

Raj: Agar sidha sidha boldeta toh mujhe kaise pata chalta meri Sonu mujhse kitna pyaar karti hai. Aur phir maine koi jhoot toh nhi bola. Maine humesha tumse sach hi kaha hai. Waise tumne bataya nhi kaisi lagi Sonu.

Sonal: Raj ke seene se lagke hi. Ekdum badsurat hai. Ekdum chudaill jaisi dikhti hai. Mujhe bilkul bhi pasand nhi aayi.

Raj: Achhhaaaa jiii.

Sonal: Haan ji. Aur ab se iss chudaill ke baare mein koi baat nhii karnaa.

Raj: Sonu meri jaan hai. Khabardaar jo uske baare mein kuch bhi bola toh.

Sonal: Achha thikk hai nhii bolti kuch. Par apni Sonu se keh dijiyega usse humesha iss Sonal ke aage sir jhukake chalna hoga. Jaise yeh Sonal kahegi usse waisa hi karba hoga. Warna usski khairr nhiii.

Raj: Achha bol dungaa. Aur koi hukum madam ji.

Sonal: Filhal ke liye itna hi. Par abhi madam ji ko bahot bhukk lag rahi hai. Toh madam ji ko jaldi se khana khilaiyee.

Raj: Sonal ko khud se alag karke. Uske chehre ko apne haatho mein leke. Meri sherni ko bhukk lagi hai.

Sonal: Masoom sa chehra banake. Haaa.

Raj: Toh bolo kyaa khaana hai meri sherni ko.

Sonal: Ekdum pure Rajasthani khaana chahiye mujhe woh bhi garam garam.

Raj: Thikk hai phir chalo.

Phir Raj Sonal ko leke nikal jaata hai.

Idher Neha Raj aur Sonal ke aise chale jaane se bahot jyaada pareshan hojaati hai.

Upar se uske agal bagal jo log Raj aur Sonal ki sachai jaante hai woh bolne lagte hai. Raj aur Sonal dono ekdusre ke saath kitne achhe dikh rahe hai naa. Dono ki jodi bahot achhi hai. Ekdum Ram Sita jaisi jodi lag rahi hai dono ki.

Yeh sab baate sunke jaha Neha ko bahot jyaada gussa aaraha tha wahi woh bahot jyaada pareshan bhi hochuki thi yeh sochke ke kahi unnlogo ki baat sach naa hojaaye.

Abhi woh yehsab soch hi rahi thi ke uski maa uske paas aati hai aur bolti hai.

Mrs. Jaiswal: Neha beta chalo chalke dinner karlete hai phir nikalte hai. Late horaha hai.

Neha: Ji Mummy. Aap chaliye. Main aati hu.

Mrs. Jaiswal: Aati hu nhi. Mere saath chalo. Yeh bol woh Neha ka haath pakad ke usse food court ke paas le aati hai jaha Mr. Jaiswal unka hi wait kar rahe the.

Phir teeno khaana khaane lagte hai. Par Neha ke gale se toh niwala nichhe utar hi nhi raha tha. Uske dil-o-dimaag mein abhi bhi yehi chal raha tha ke Raj aur Sonal kaha gaye hai.

Mrs. Jaiswal: Neha kyaa soch rahi ho. Jaldi jaldi finish karo.

Neha: Jiiiii.

Phir Neha bhi jaise taise apna khaana finish karti hai. Jiske baad yehlog Kapoor family se milke apne ghar ki taraf nikal jaate hai.

Inke nikalte hi sabko khayal aata hai waha Raj aur Sonal nhi hai.

Ragini: Nandini.

Nandini: Jii Mummy.

Ragini: Yeh Raj aur Sonal kaha gaye hai. Dikhai nhi de rahe hai.

Nandini: Woh Raj Sonal ko yaha se durr le gaya hai jisse uske saamne koi bhi relative koi aisi baat naa karde jisse Sonal ko takleef ho.

Ragini: Yeh achha kiya usne. Chalo ab humlog bhi khaa lete hai. Phir nikalte hai ghar ke liye.

Phir yehsab bhi food court ki taraf jaake khaana khaa lete hai jiske baad sab apne apne ghar ki taraf nikal jaate hai.
Excellent update
 
  • Like
Reactions: Luffy and Jaguaar

Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
Update 108

Idher Raj Sonal ko leke ek achhe se restaurant mein aata hai aur uski pasand ka hi Rajasthani khaana order karta hai.

Sonal: Raj Neha ne aaj humhe eksaath dekh liya hai. Ab agar usne college mein issbaare mein boldiya toh.

Raj: Aree yaar abhi uske baare mein baat karke mood off mat karo. Usko leke sochunga kuch. Abhi yeh time humdono ka hai toh isme baate bhi sirf humdono ki hi hogi.

Sonal: Achha jii. Toh bataiyee kyaa baate karni hai.

Raj: Masti karte hue. Shaadi ke baad honeymoon pe kaha jaana chahogi.

Sonal yeh sunte hi buri tarah sharmaa jaati hai. Uske gaal tamatar ki tarah laal hojaate hai. Woh saamne table mein rakhe menu card ko uthake Raj ko fek ke maarti hai aur apna chehra apne dupatte mein chupa leti hai.

Raj: Haste hue. Aree abhi abhi toh pyaar ka izhaar kiya hai aise toh apna chehra naa chupaao. Mujhe thikk se tumhara didaar toh karlene do.

Sonal: Apna chehra Dupatte meik chupaaye hue hi. Aap bahot besharm hai. Mujhe nhi karni aapse koi bhi baat.

Raj: Aree aisa maine kyaa kehdiyaa.

Sonal: Aise koi kisi ko pehle din hi puchta hai kyaa. Aapko ko toh sharm nhi aati par mujhe toh aati hai naa.

Raj: Aree ab isme kyaa sharmana. Kisi aur se toh nhi apni girlfriend se pucha hai maine. Ab tumse nhi puchunga toh kyaa kisi aur se puchu jaake.

Sonal: Chiiii. Aap sach mein bahot besharm hai. Aur meri baat dhyaan se sunn lijiye. Agar mere alawa kisi aur ki taraf dekha naa toh aapki yeh aankhe nikal lungi main. Waise bhi Sonu ke naam se bahot pareshan kiya hai aapne.

Raj: Ab isme meri kyaa galti. Agar tum samaj jaati hai ke tumhi Sonu ho toh pareshan hone ki jarurat hi nhi padhti.

Sonal: Main kaise samaj jaati.

Raj: Kyo nhi samaj paati. Tumhi socho main harwaqt tumhare saath rehta hu. Tumhare alawa kabhi kisi ki taraf dekhta nhi. Mera pura din tumhe dekhte hue guzarta hai. Main Gujrat gaya waha se gift bhi tumhare liye laaya. Tumhare bracelet mein bhi humare naam ke initials hai. Tumhare saath hi date mein gaya. Tumhara Ramp walk dekhne ke liye specially Audition ke paas aagaya. Aur maine kyaa kaha tha Sonu uske naam se match karta hai. Sonal se Sonu. Ab aur koi kaise samjha sakta hai.

Sonal muh khole Raj ki baato ko sunn rahi thi aur apne hi socho mein gumm hogyi thi aur soch rahi thi ke Raj ne toh humesha se usse ishare kiye par woh hi nhi samaj paayi.

Raj: Samaj aaya ab. Maine kitne ishare kiye tumhee.

Sonal: Haa. Main hi pagal hu jo samaj nhi paayi. I Am Sorry.

Raj: Dekho Sonu mujhe tumhare muh se yeh sorry pasand nhi. Aur rahi baat pagal hone ki toh woh tum ho. Tum sach mein ek Pagal ho. Par mujhe yeh Pagal hi bahot pasand hai. Iss pagal ki harqate mujhe bahot achhi lagti hai. Aur main toh yahi chahunga yeh pagal humsha aisi hi rahe. Meri Ms. Pagalll.

Sonal: Sharmate hue. Aur aap Mr. Darpok.

Raj: Sirf tumhare liye. Aur rahi baat darne ki toh sirf tumhe khone se darta hu. Main nhi chahta tum mere se kabhi bhi durr jaao.

Sonal: Itna pyaar karte hai mujhse.

Raj: Main tumhe kitna pyaar karta hu yeh main tumhe shabdo mein nhi bata sakta.

Sonal aage kuch nhi bolti bas Raj ko hi dekhti rehti hai.

Thodi der mein inka khaana aajata hai toh dono khaane lagte hai. Beech beech mein pyaar se ekdusre ko bhi khilaa rahe thee.

Kuch der mein inka khaana khatam hojaata hai toh yehlog bill payment karke waha se nikal jaate hai.

Raj Sonal ko leke Marine Drive ke paas aajata hai jaha agal bagal bhot se couple bhi baithe hue the. Dono waha patharo pe baith jaate hai. Sonal Raj ke kandhe mein sir rakh ke saamne behte samundar ko dekhne lagti hai. Raat ka waqt tha isiliye thandi thandi hawaye bhi chal rahi thi jo mahaul ko thoda romantic bhi bana raha tha.

Kuch der waise hi baithe rehne ke baad Raj ko ek kulfi wala nazar aata hai toh woh Sonal se puchta hai.

Raj: Sonuu.

Sonal: Hmmm.

Raj: Kulfi khaaogi.

Sonal: Abhii iss waqt.

Raj: Kyoo. Tumhi ne kaha tha naa Kulfi khaane ka koi waqt nhi hota. Jab mile tabhi khaa leni chahiye. Aur tumhe toh pasand hai naa.

Sonal: Pasand toh hai.

Phir Raj apne aur Sonal ke liye 2 kulfi leta hai aur wahi patharo mein baithke khaane lagte hai.

Sonal: Raj ab humhe ghar chalna chahiye. Bahot late hogya hai.

Raj: Thikk hai chalo. .

Phir dono waha se sidha ghar aajate hai aur apne apne kamre mein jaake so jaate hai.

Idher Neha party se nikalne ke baad se hi apni soch mein gumm thi. Jo uske maa baap ko saaf samaj aaraha tha.

Ghar aane ke baad jaha Neha bina kuch bole sidha apne kamre mein chali jaati hai wahi uske maa baap usko jaate hue dekhte rehte hai.

Mrs. Jaiswal: Yeh Neha ko kyaa hua hai. Waha function se hi yeh kisi soch mein gumm hai.

Mr. Jaiswal: Isse kuch toh hua hai. Chalo chalke usse puchte hai.

Mrs. Jaiswal: Pehle change karlete hai. Phir baat karte hai.

Mr. Jaiswal: Thikk hai.

Phir thodi der mein dono fresh hoke Neha ke kamre mein aate hai.

Mr. Jaiswal: Neha betaa kya hua hai tumhe. Hum kab se dekh rahe hai tum kuch pareshan ho aur dukhi bhi ho.

Mrs. Jaiswal: Haa betaa. Kyaa hua hai tumhe. Humhe batao. Humare hote hue tum aise dukhi raho yeh galat baat hai.

Neha: Main thikk hu mummy papa.

Mr. Jaiswal: Bachhe chahe kitni bhi koshish karle. Woh apne maa baap se kuch nhi chippa sakte. Bolo beta kyaa hua hai. Kyaa tumhe kuch chahiye.

Mrs. Jaiswal: Isse ab humare ghar mein nhi rehna hai. Isse ab apne ghar jaana hai.

Mr. Jaiswal: Kyaa bol rahi ho tum. Yeh iska hi toh ghar hai.

Mrs. Jaiswal: Aap bhul rahe hai. Beti ka asli ghar uska sasuraal hota hai. Maayka nhi. Aapki laadli ko pyaar hogya hai.

Neha apni maa ki baat sunke hairaan hojaati hai aur woh hairaani se apni maa ki taraf dekhti rehti hai.

Mrs. Jaiswal: Aise hairaani se naa dekho. Tumhari maa hu. Tumhe mujhse achhi tarah se koi nhi jaanta. Ab bolo kaun hai woh.

Mr. Jaiswal: Kyaa yeh sach hai beta. Boloo.

Neha apni nazre nichhe karke apni gardan haa mein hila deti hai.

Mr. Jaiswal: Toh kaun hai woh khushnaseeb jisne humari beti ka dil chura liya hai.

Neha: Par woh mere se pyaar toh durr ki baat hai mere se thik se baat tak nhi karte.

Mr. Jaiswal: Aree toh tumhe mehnat karni hogi. Uske dil mein tumhe apne liye pyaar jagana hogaa.

Neha: Par shayad woh kisi aur se pyaar karte hai. Aur main unse bahot pyaar karti hu aur unke bina nhi reh sakti. Mujhe bas wohi chahiyee.

Mrs. Jaiswal: Ab meri beti ne kuch maanga hai toh woh toh usse milke rahega. Aaj tak aisa kabhi hua hai ke tumne kuch maanga ho aur tumhare papa ne woh nhi diya ho.

Neha naa mein gardan hila deti hai.

Mr. Jaiswal: Toh issbaar bhi aisa hi hoga. Aur yeh toh meri beti ke zindagi ka sawaal hai.

Neha: Apne maa baap ke gale lag. Thank you Mummy Thank You Papa. Aaplog sabse achhe hain. I love youuuu.

Dono: We love you beta. Chalo ab batao kaun hai woh ladka.

Neha: Woh mere college ke professor hai aur aaj hum jinki party mein gaye the unke bete. Raj Sir.

Dono: Kyaaaa. Rajjjj. Matlab Raj Kapoor. Ashok ji ka betaaa.

Neha: Haaa.

Mrs. Jaiswal: Ladka toh achha hai. Mujhe bhi woh achha laga tha.

Mr. Jaiswal: Haaa main Ashok ji aur Vijay ji kaafi waqt se jaanta hu. Aur aaj unke parivaar se bhi mila kaafi achha parivaar hai. Aur Raj ke baare mein maine unke office mein bahot tareef sunni hai ke woh bahot hi mehnati aur hosiyar ladka hai. Company ko iss mukaam mein pohchane ke pichhe Raj ka bahot bada haath hai.

Neha: Par papa woh toh meri taraf dekhte bhi nhi hai.

Mr. Jaiswal: Tum chinta mat karo. Main kal hi unke ghar jaaunga tumhare liye baat karne. Aur yeh make sure karunga ke kal hi sab final hojaaye. Agar kal unki family tumhare liye maan gaye toh woh bhi maan jaayega.

Neha: Apne baap ke gale lagte hue. Thankkk youu papa. Thankk youu so muchhhh.

Mr. Jaiswal: Chalo ab issbaare mein sochna band karo aur so jaao. Kal college bhi jaana hai.

Neha: Jii.

Mrs. Jaiswal: Kal college mein issbaare mein kisi se koi baat mat karna. Thikk hai.

Neha: Thikk hai.

Phir dono apne kamre mein aajate hai aur Neha apne aap se bolne lagti hai.

Neha: Ab mujhe koi tension nhi hai. Ab toh Raj sir sirf aur sirf mere honge. Woh bhi humesha ke liye. Ab chahe woh Ms. Pagal ho ya woh Sonal ho mujhe ab kisi se koi darr nhi. Bas ekbaar unki family maan jaaye. Phir iss Sonal ka harwaqt sir ke aas paas ghumna band karwa dungi.

Yehi sab sochte hue woh so jaati hai.

Agle din Sonal apne time se uthke ready hoke kitchen meij aati hai toh waha usse Nandini dikhti hai.

Sonal: Good Morning bhabhi.

Nandini: Good Morning Sonu ji.

Sonal yeh sunke ghabraa jaati hai woh Nandini ki taraf dekhti hai toh paati hai ke Nandini has rahi thi.

Nandini: Kyaa huaa aise kyaa dekh rhi ho.

Sonal: Wohh aapne abhii abhii kyaa kaha.

Nandini: Kyoo. Kuch galat toh nhii kaha.

Sonal: Aapko kaisee pata chalaaa.

Nandini: Yaad nhi uss din tumhi ne toh gusse mein bataya tha. Phir maine Raj se puri baat nikal li.

Sonal: Pleaseee bhabhiii abhiii kisi ko kuchh mat bataiyegaa. Pleaseeee bhabhiii.

Nandini: Aree mainn toh bhii jaa rahi hu sabko batane ke liyeeee. Tum ruko main abhi sabko bolke aati hu.

Sonal: Nandini ko pakadte hue. Nhiii bhabhiii pleaseee abhiii kisi ko nhii batana. Pleaseeee.

Nandini: Achha achha nhii batati abhi kisi ko. Khushhh.

Sonal: Hmmm.

Phir dono milke nashta taiyaar karlete hai beech beech mein Nandini Sonal ko pareshan bhi kiye jaarahi thi Raj ka naam leke.

Kuch der baad nashta karke sab apne apne kaam ke liye nikal jaate hai. Raj bhi Sonal ko leke college ke liye nikal jaata hai.

Raj: Sonu ab toh direct college se hi drop aur pickup karu.

Sonal: Nhiii. Mujhe aise hi maza aata hai. Aur ab iski ek aadat bhi padh gayi hai.

Raj: Baat toh sahi hai. Roj tumhare liye waha wait karne mein ek alag hi maza aata hai.

Sonal: Haaa. Waisee aapne kuch socha.

Raj: Kisbaare mein.

Sonal: Aap bhul gaye. Kal bola tha naa.

Raj: Kiske Honeymoon destination ko leke.

Sonal: Aap sach mein bahot besharm hogaye hai. Abhi pyaar ka izhaar kiye 1 din bhi nhi hua aur aap itne besharm bangaye hai. Aage toh lagta hai besharmi ki milit cross karjaayenge.

Raj: Tum bologi toh woh bhi kar jaunga.

Sonal: Nhii koi jarurat nhi hai. Aur jo maine pucha woh boliye.

Raj: Dekho Sonu usko leke itna sochne ki koi jarurat nhi hai. Agar yeh baat college mein viral bhi hoti hai toh hone do. Aur yeh kaha likha hai ke ek student aur professor ek hi ghar se nhi hosakte.

Aur agar koi bole humare beech kyaa rishta hai toh tum sach bata dena. Aur nhi toh boldena hum family friends hai. Aur agar koi jyaada kuch bole toh sidha mujhe bolna main sambhal lunga.

Sonal: Thikk hai.

Phir thodi der mein dono college ke paas pahonch jaate hai. Sonal byee bolke car ka gate kholne ki koshish karti hai toh woh nahi khulta.

Sonal: Yeh khul kyo nhi raha hai.

Raj: Isko kholne ke liye abse roj iss driver ko tax dena padega tabhi yeh khulega warna nhi.

Sonal: Kaisa tax aur yeh new rule kis khushi mein.

Raj: Aaj se pehle meri dost iss car mein baithti thi par ab se iss car mein meri Sonu baithegi isiliye tax toh dena hi hoga. Aur iss tax ka naam hoga Love Tax.

Sonal: Aur agar tax naa du toh.

Raj: Toh yehi baithi raho.

Sonal: Achha ji.

Raj: Haan ji.

Sonal: Toh bataiyee kitna tax dena hoga.

Raj: Jyaada nhi 1. Aur din ka 2. Agar tumhara mann kare toh jyaada bhi de sakti ho.

Sonal: Yeh kaisa tax hua. Aapko tax mein chahiye kyaa.

Raj: Jyaada kuch nhi chahiye bas ek..... Itna bol apna gaal aage kardeta hai.

Sonal Raj ke kehne ka matlab samaj jaati hai aur woh thoda sharma bhi jaati hai. Phir jhoothe gusse ke saath bolti hai.

Sonal: Aap kuch jyaada hi nhi kar rahe hai ab. Pyaar ka izhaar hue abhi sirf kuch hi ghante hue hai aur aap itne aage badh gaye. Yeh achhi baat nhi hai.

Raj: Ab tumhare gusse se main nhi darunga. Kyoki mujhe pata hai ab hum kabhi bhi alag nhi honge aur waise bhi yeh gussa nakli hai. So ab jaldi se love tax pay karo. Mujhe college ke liye late horaha hai.

Sonal: Main yeh nhi karungi.

Raj: Thikk hai. Mat do. No problem. Baithe rehte hai hum yaha par. Par tax toh dena hoga.

Sonal: Aap bahot gande hai.

Raj: Ab jaisa bhi hu sirf tumhara hu. Chalo chalo jaldi se love tax pay karo.

Sonal ekbaar achhi tarah agal bagal dekhti hai ke kahi koi dekh toh nhi raha. Phir jab usse yakeen hojaata hai ke koi nhi hai toh woh dheere dheere sharmate hue Raj ke kareeb jaati hai.

Raj Sonal ko kareeb aata dekh apni aankhe band karke apne gaal aage kardeta hai aane wale pal ka intezaar karne lagta hai.

Sonal dheere dheere Raj ke gaal ke paas aati hai aur dheere se ek kiss uske gaal mein kardeti hai jisse Raj ke chehre mein ek muskan aajati hai. Par tabhi Sonal Raj ke gaal ko halka sa kaat leti hai jisse Raj jhatt se pichhe hojaata hai aur apne gaal sehlaane lagta hai.

Raj: Gaal sehlaate hue. Yaar ek kiss hi maangta tha par tumne toh kaat liya.

Sonal: Ab sherni se kiss lenge toh aisa hi hogaa naa. Chaliye ab jaldi se lock kholiye.

Raj Sonal ko ghurte hue lock khol deta hai jisse Sonal nichhe utar jaati hai. Par uske mann mein kuch aata hai toh woh dusri side aake window pe knock karti hai.

Raj seesha nicha karta hai toh Sonal jhukk ke Raj ke chehre ko ghumati hai aur jaha kaata tha waha sehla deti hai aur dono gaal mein ek ek kiss karke bhaag jaati hai.

Raj Sonal ke iss action se thoda hairaan hojaata hai par phir uske chehre mein ek muskurahat aajati hai aur uske muh se nikal jaata hai Pagal ladki.

Phir Raj bhi waha se college ke liye nikal jaata hai.
 
Luffy

Well-Known Member
7,017
29,006
203
Zabardast update

Top