• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

Kala Nag

Mr. X
3,874
15,187
144
Update 9
Agle din breakfast table mein sab baithe hue the. Sonal bhi Rajj ko dekh rahi thi jo aaj normal dikh raha tha sabse baat kar raha tha has raha tha.

Raj ek baar Sonal ko dekhta hai phir khaane lagta hai.

Deepak: Maaa ab humhe bhi jaana hoga. Jyaada din kaam nhi chorr saktaa.

Meera: Haaa Maa ji. Samar ka college bhi start hochuka hai. Ab humhe jaana chahiye.

Savitri: Thikk hai waise bhi 1 mahine baad Shaadi hai tab toh tumsab ko aana hi hai. Par Sonal nhi jayegi. Woh yehi rahegi.

Deepak: Jaisa aap kahe maa.

Savitri: Toh kabki flight hai.

Deepak: Aaj sham ki hai maa.

Savitri: Thikk hai Raj Airport chorne jayegaa. Rajjj.

Raj: Thikk hai dadi.

Phir Deepak Meera Swati aur Samar apni packing mein lag jaate hai.

Swati: Sonal tu ab yaha 2 saal rahegi. Koshish karna Raj ke dil mein tere liye jagah banjaaye. Inn 2 saal ka achhe se use karna. Aur Roj call karna.

Sonal: Jiii diii. Aap bhi apna mummy papa aur Samar ka khayal rakhna.

Sham ko yehlog jaane ke liye ready the.

Meera: Sonal apna dhyaan rakhna. Aur jyaada pareshan mat karna. Aur mann laga ke apni padhai karna. Thikk hai naa.

Sonal: Jiii Mummy. Aap bhi apna aur baaki sabka dhyaan rakhna. Main Roj phone karungi.

Deepak: Apna khayal rakhna Sonal. Vijay bhaiya Ashok bolna toh nhi chahiye par iska dhyaan rakhiyega.

Ashok: Kaise baate kar rahe ho Deepak yeh humari beti hai.

Meera: Smita Ragini didi. Agar isse koi galti hojaaye toh maaf kardena.

Smita: Tum bilkuk chinta mat karo. Humari Sonal bahot samajdar hai. Aur yeh lo isme raat ka khaana hai. Tum ghar pahonch ke khane ki tension nhi hogi.

Meera: Iski kya jarurat thi.

Ragini: Bilkul jarurat thi. Tum kya jaake khana banati. Bilkul nhi.

Sonal: Rajjj. Kya main bhi aapke saath Airport chalu.

Raj: Kyo nhi. Chalo.

Phir Raj Sonal Swati Samar Deepak aur Meera Airport nikal jaate hai.

Swati(Mann mein): Kaash ekbaar usse milsakti. Par usko toh shayad pata bhi nhi hoga. Koi naa shaadi mein mil lenge.

Thodi der mein yehlog Airport aajate hai. Jaha Yash ke saath Ishita pehle se hi khade the.

Swati Yash ko dekh kar bahot khush hoti hai. Toh Samar Ishita ko dekh kar.

Deepak: Aree Yash beta Ishita beti tum yaha.

Yash: Haa uncle. Rajj ne bataya aaplog jaa rahe hai. Bhaiya toh kisi kaam ke wajah se aa nahi paaye. Isiliye hum aagaye.

Phir Yash aur Ishita Deepak aur Meera ke pairr chute hai.
Meera ko Yash ka behaviour bahot pasand aaya.

Swati Yash ko hi dekhe jaa rahi thi. Woh Yash ko yaha dekh kar bahot khush hui thi uski mann ki murad jo puri hui thi.

Phir Yash Samar ke paas jaake usse haath milata hai.

Ishita bhi Samar ke paas aake usse haath milati hai. Samar bhi usse haath milate waqt uski aankho mein dekh raha tha. Ishita ki aankhe bhi ekbaar Samar ki aankho se ladh gayi Par dono ne hi kuch naa bola.

Yash aakhir mein Swati ke paas jaata hai.

Yash: Byeee.

Swati: Byeeee.

Yash: Shaadi ka intezaar rahega.

Swati: Mujhee bhiii. Jiiii.

Yash: Mera matlab hai bhaiya ki shaadi mein phir se mulakat hogi.

Swati: Jiiii.

Phir dono haath milate hai toh Yash ek kagaj Swati ko chupke se pakda deta hai. Swati bhi chup chap woh le leti hai.

Raj: Uncle flight ka time hogya hai. Check in start hogya hai.

Phir sab Sonal se gale milte hai aur Airport ke andar chale jaate hai. Sonal ki aankhe thodi num thi. Kyoki pehli baar woh apne family se durr rehne wali thi.

Swati aur Samar baar baar pichhe mudd ke dekh rahe the. Sonal ko laga usko dekh rahe hai.

Phir wohlog nikal chale jaate hai.

Raj: Tu nikal. Main bhi nikalta hu. Kal office mein milte hai.

Yash: Thikk hai. Byee Sonal.

Sonal: Byeee. Yash Ishita

Ishita: Byee.

Raj: Sonal chalee.

Sonal: Jiii.

Phir dono car mein baith jaate hai aur ghar ki taraf aane lagte hai.

Raj: Aur batao Sonal aage kya karne ka socha hai.

Sonal: Bas apni padhai complete karke ghar ka interior aur fashion design karne ka soch rahi hu.

Raj: Ooo. Acchi baat hai. Par tum toh interior designing kar rahi ho naa phir fashion designing.

Sonal: Jiii. Woh mujhe fashion designing ka bhi thoda shock hai.

Raj: Achha hai. Aah by the way congrats tumne apni college mein top kiya hai naa.

Sonal: Thank You.

Thodi der dono ke beech shanti rehti hai. Phir iss shanti ko Sonal hi todti hai.

Sonal: Ek baat puchu.

Raj: Hmm bolo.

Sonal: Aap itna chup chup kyo rehte hai. Jaha tak mujhe yaad aaraha hai Bachpan mein toh aise nhi the aap.

Raj: Bachpan ki baat alag thi. Par ab mujhe akele rehne mein jyaada achha lagta hai.

Sonal: Aisa kyo.

Raj: Yeh toh mujhe bhi nhi pata. Bas jaise jaise time bitta gaya mujhe akele rehne mein achha lagne laga.

Sonal: Ek baat kahu.

Raj: Hmm.

Raj: Aap haste hue achhe lagte hai. Sagai mein jaise enjoy kiya waise enjoy karte hue bahot achhe lagte hai. Meri maane toh aapko waise hi rehne chahiye. Yeh chup rehna akele rehna. Aapki personality ko suit nhi karta.

Raj bas ek tak Sonal ko dekhte rehta hai.

Sonal: Kyaa hua. Maine kuch galat kaha kyaa. Agar bura laga ho toh Sorry.

Raj: Nhi nhi. Aisi koi baat nhi hai. Koshish karunga waise rehne ki.

Sonal: Thank You.

Yehlog raaste mein hi the tabhi Sonal bolti hai.

Sonal: Raj please gaadi rokiyeee.

Raj car ko side mein rokhta hai aur puchta hai.

Raj: Kyaa huaa.

Sonal: Woh mujhe naa khulfi khaani hai.

Raj ko khulfi sunke kuch yaad aajata hai toh ekpal ke liye woh usme khoo jata hai.

Sonal: Rajjj.

Raj: Haaa. Par abhi kaha milegi khulfi.

Sonal: Woh dekhiye waha khulfi wala khada hai. Aapko pata hai mujhe khulfi bahot pasand hai. Chaliye naa Raj.

Raj: Nhi Sonal tum jao. Mujhe nhi jaaana.

Sonal: Toh phir rehne dijiye. Mujhe bhi nhi khana.

Raj: Aree tumhe mann hai toh khaa lo.

Sonal: Aap nhi khayenge aur main khaa lu. Not possible. Aapko pata hai thand ke mausam mein khulfi khaane ka ek alag hi maza aata hai. Thanda mausam aur saath thandi thandi khulfi.

Raj Sonal ka chehra dekhne lagta hai. Sonal bhi khulfi ko leke bilkul waisa hi behave kar rahi thi.

Raj: Chalo.

Sonal khush hoke nichhe utar jati hai aur daud ke khulfi wale ke paas aati hai. Raj bhi Sonal ke paas aata hai.
Dono khulfi lete hai aur khaane lagte hai.

Raj toh khulfi ko kaat ke khane lagta hai.

Sonal: Aree aree yeh kya kar rahe hai. Aisa khulfi kaun khaata hai.

Raj: Toh aur kaise khaate hai.

Sonal: Khulfi ko maze se dheere dheere chus ke khaane chahiye. Phir woh Raj ko dikhati hai. Dekhiye aisee.

Raj Sonal ko khulfi khaate hue dekhne lagta hai. Jaise waha Sonal naa hoke koi aur ho.

Sonal: Aise kya dekh rahe hai.

Raj: Tumhe aise khulfi khaata dekh kisi ki yaad aagayi. Woh bhi aise hi khulfi ke liye pagal thi aur aise hi khulfi khaati thi. Yeh bolte Raj ki aankho mein dukh bhar jaata hai. Jo Sonal dekh leti hai.

Sonal: Kaun hai woh.

Raj: Choro. Chalo ab chalte hai.

Sonal ko janna toh tha par usne force nhi kiya.

Phir dono car mein baith ke ghar ki taraf aajate hai.
Raat ko dinner ke waqt Ashok Sonal se puchta hai.

Ashok: Sonal beta tumhe achha toh lag raha hai naa. Koi bhi pareshani ho toh Nandini ya Shruti se bolnaa.

Sonal: Jiii.

Ashok: Tumhara college kabse hai.

Sonal: Jii Kalse hai. Mujhe kal join karna hai.

Ashok: Ookkk. Toh pata hai kaise jaana hai.

Sonal: Nhiiii. Mujhe issbaare mein hi baat karni thi.

Ashok: Chinta mat karo. Raj iska college toh humare office ke raaste mein hi padhta hai. Tum kalse roj drop karoge.

Sonal: Nhii nhii Chacha ji. Iski koi jarurat nhi hai. Bas kal raasta dikha denge toh phir main chali jaungi.

Savitri: Bilkul bhi nhiii. Raj tune suna na tere papa ne kya kaha.

Raj: Ji dadi. Main drop kardiya karunga.

Sonal: Par Dadi.

Savitri: Maine bola naa. Aur tumhare wapas aane ka intezaam bhi kardiya jayega. Tumhara kaam kab khatam hoga.

Sonal: Jii 2 baje.

Savitri: Yeh toh problem hogyi.

Sonal: Par main akele karlungi.

Savitri: Maine kaha naa.

Shruti: No Problem main le aaungi. Mera bhi bahar nikala hojayega.

Aarav: Dheere se. Aur Jija ji se milna bhi hojayega.

Aarav ne jo kaha woh kisi aur ne toh nhi par Sonal aur Shruti ne sun liya tha kyoki woh uske bagal mein hi baithe thee.

Shruti ghurr ke Aarav ko dekhti hai toh woh jhepp jaata hai.

Shruti: Lo Sonal hogya.

Sonal: Thank Youuu.

Shruti: Isme Thank You kaisa.

Aarav: Areee didi aap kyo pareshan horahi hai. Main toh saara din free hi rehta hu toh main le aaya karungaa. Sirf le hi kya main chorr bhi aaunga.

Aarav ke aisa bolne se Shruti Nandini Smita Karan aur Ragini usko hi ghurr ke dekhte hai.

Aarav: Kyaaa huaa sab aise kyo ghurr rahe hai.

Smita: Nandini jaldi jao aur iski nazar utaro. Pata nhi kisne ispar jadu tona kiya hai.

Aarav: Kyaa bol rahi ho aap.

Shruti: Mummy thikk bol rahi hai. Humara toh ek kaam tu nhi kartaa aur yaha itna bada kaam karne ke liye tu ready hogya aur woh bhi apne aap.

Aarav: Mann mein. Ab aapko kaise batau. Sonal di ko chorne aur laane ke chakar mein usse jo milna hogaa. Aur milne ka ek solid bahana bhi mil jayegaa.

Nandini: Kyaa baat hai kis soch mein dubb gayee.

Aarav: Aree nhii bhabhi. Aisaa kuch nhi hai. Woh toh Raj bhaiya busy rehte hai. Isiliye unka kaam maine le liyaa.

Shruti: Bhabhi kuch toh garbar hai. Ispe nazar rakhni padegi.

Aarav: Koi garbar nhi hai. Sonal di aapko kal lene aajunga. Good Night. Yeh bol apne room mein chala jaata hai.

Phir sab dinner karke apne room mein chale jaate hai.
प्यार तो हो होना ही है
पर खिचड़ी अपनी अपनी सबकी पक रही है..
सोनल दिल हार चुकी है राज को जितना बाकी है
कहानी अच्छी जा रही है
 
Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
प्यार तो हो होना ही है
पर खिचड़ी अपनी अपनी सबकी पक रही है..
सोनल दिल हार चुकी है राज को जितना बाकी है
कहानी अच्छी जा रही है
Thank you

Sonal ek din Raj ko jeet bhi jaayegi.
 
Destiny

Will Change With Time
Prime
3,965
10,660
144
Update 78
Idher Sonal college se sidha Raj ke paas aati hai jo tension mein idher udher chakar kaate jaaraha tha.

Raj ki nazar jaise hi Sonal pe padhti hai toh jaldi se uske paas aata hai aur bolne lagta hai.

Raj: Sonal pleasee mujhe galat mat samajna. Woh sab anjaane mein tha. Main bas usse girne se bacha raha tha. Pleasee mujhe galat mat samajna.

Sonal: Aap mujhe itni explaination kyo de rahe hai. Yeh aapki zindagi hai aap jo chahe kare. Mujhe kyaa.

Raj: Nhii Sonal pleasee aisa mat bolo. Tum toh mujhe jaanti ho naa. Pleasee mujhr galat mat samjho.

Sonal: Main aapko kyo galat samjhungi Raj. Aap pehle shant hojaaiye. Aur yeh paani pijiye. Phir baat karte hai. Yeh bol apni pani ki bottle Raj ki taraf badha deti hai.

Raj bhi Sonal ki baat maanke thoda sa paani pi leta hai.

Sonal: Ab bataiye kyaa hua. Aur aap itna kyi ghabra rahe hai. Aur mujhe itna explaination kyo de rahe hai.

Raj: Kyoki tum meri dost ho. Aur main nhi chahta ke meri dost mujhe kisi bhi kaaran se galat samjhe. Pehle bhi tumne mujhe ekbaar galat samjha tha toh woh mere sehan nhi hua tha aur main nhi chahta dobara waisa hi kuch ho.

Sonal: Kyaa aap sach mein mujhe apna dost maante hai.

Raj: Sirf dost nhi sabse achha dost. Woh bhi pure dil ki gehrai se. Aur yeh dosti mere liye bahot maayne rakhti hai jisse main kisi bhi kimat mein khona nhi chahta.

Sonal: Agar aisa hi hai toh mujhe ekdum sach sach bataiye exactly kyaa hua tha.

Raj: Main yaha aane ke liye apne cabin se nikla. Main apne hi khayalo mein ghumm tha. Main aaram se chalte hue aaraha tha tabhi achanak se woh mujhse takra gayi aur usse girne se bachane ke liye main usse pakad liya tha aur wohi tumne dekha. Bas itna hi hua tha. Main ekdum sach bol raha hu. Humare dosti ki kasam.

Dosti ki kasam sunke Sonal ko Raj ke upar vishwaas hogya tha. Ab usse aur kuch nhi jaana tha.

Sonal: Bas aapko aur kuch bhi kehne ki jarurat nhi hai. Aur aaj toh aapne yeh dosti ki kasam khaa li. Agar baar yeh baat apne muh se naa nikaliye gaa.

Raj: Kabhi nhi nikalunga. Aur tumne mujhe galat toh nhi samjha na.

Sonal: Nhiii. Ab chale ghar.

Raj: Thank You Thank You Thank You so much.

Phir dono gaadi mein baith jaate hai aur ghar ki taraf jaante lagte hai.

Raj: Tumhe nhi pata main kitna darr gaya tha. Mujhe laga kahi tum mujhe wapas se galat naa samaj lo aur kahi humari dosti naa toot jaaye.

Sonal: Aap mujhse itna kyoo darte hai.

Raj: Kyoki main nhi chahta meri yeh dost ab kisi bhi wajah se mujhse naraz hoye ya mujhse durr jaaye.

Sonal: Maine aapka naam bilkul sahi diya hai. Aap sach mein bahot bade darpok hai. Mr. Darpok.

Raj: Mann mein. Ab insaan jisse jitna pyaar karta hai usse utna hi darta hai. Aur tum toh meri jaan ho. Tum agar mujhse durr chali gayi toh shayad main jee naa paunga.

Sonal: Ab bhul jaaiye uss baat ko. Aur main aapse dosti Kabhi nhi todungi aur naahi aapko kabhi galat samjhungi. Promisee.

Raj: Sachhi.

Sonal: Koi shakk. Yeh bol has deti hai. Aur phir mann mein sochne lagti hai. Ekdum pagal hai Raj. Main inhe galat naa samjhu baithu iss darr se kyaa halat banali thi apni. Aur mujhe yakeen dilane ke liye humari kuch dino ki dosti ki kasam bhi khaa li. Sirf ek dosti ke liye itna pagalpan Raj hi kar sakte hai.

Raj: Ab tum kya soch rahi ho.

Sonal: Kuch nhii.

Phir thodi der mein dono ghar aajate hai.

Idher Neha apne ghar mein aake khushi ke maare naachne lagti hai aur pagalo jaisi harqat karne lagti hai.

Neha: Haayee kitna khubsoorat pal tha woh jab main Raj Sir ki baahon mein thi. Uss waqt mujhe toh aisa lag raha tha jaise puri duniya rukh si gayi hai. Kaash aisa hojaata toh kitna achha hotaa.

Yeh sab pagalo jaisi baate sochte hue woh sapno ki duniya mein khoo jaati hai.

Raat ko sablog Nandini ke kamre mrin baithe kisi chiz ke baare mein baate kar rahe the. Aur iss meeting ki head Nandini bani hui thi.

Nandini: Toh tumlogo ne kuch decide kiya kaise kiyaa karna hai.

Sonal: Kisbaare mein kyaa karna hai koi mujhe bhi toh batao.

Raj: Tumhe nhi pata.

Sonal: Nhiii.

Nandini: Mummy aur Papa ki 30th marriage anniversary hai 25 dino baad toh uski hi taiyaari karni hai aur uske liye hi yeh secret meeting bulayi gayi hai.

Sonal: Wow that’s greattt.

Nandini: Woh toh hai. Aur humhe unke liye kuch plan karna hai. Toh chalo sablog apne apne idea dena start karo.

Aarav: Kyo na humlog ek grand party organize kare aur usme saare rishtedaar aur dosto ko invite karee.

Nandini: Kyaa baat hai Aarav nice idea.

Sonal: Haa bhabhi yeh idea mast hai. Aisa hi karte hai.

Nandini: Raj tum kyaa kehte ho.

Raj: Party ka idea hi achha hai bhabhi.

Karan: Haa Aarav ka idea hi achha hai.

Nandini: Thikk hai phir humlog sab milke ek grand party organize karenge. Par karenge kaha. Ghar mein yaa bahar.

Raj: Bahar hi karte hai aur unko surprise denge.

Sonal: Haa nice idea.

Raj: Sonal ki taraf smile karke. Thank you.

Nandini: Achhi baat hai toh party mein kya kya karna hai yeh kal decide karenge. Kal Shurti aarahi hai toh uske aane ke baad decide karenge. Tab tak tumlog bhi sochte raho kya kya karna hai.

Sab: Thikk hai.

Phir sab apne kamre mein aake so jaate hai.
Raj daara hua tha. Kahi sonal use phir se galt na smajh le islye tension me ghanchakar bana hua tha. Sonal ke aane par raj aise confession karne laga jaise sonal judge ho aur raj se puch rahi ho tumne aisa guna kyu kiya. Khair raj ne sab sach sach bata diya jaye jise sun sonal ko bhi tasli mila.

अदभुत अतुलनीय अपडेट दिया था:applause::applause::applause:
 
dhparikh

Well-Known Member
6,802
8,142
173
Update 90
Phir Raj Shivam ke mobile mein har jagah woh video search karta hai toh usko ek secret folder ke andar mil jaata hai.

Raj: Mil gaya. Isi ne yeh ghinona kaam kiya hai. Ab batata hu usko. Dosti karni kisse kehte hai.

Phir woh waha se sidha Principal ke Cabin mein jaata hai aur unhe saari baat batata hai jisse sunke woh fauran usko rusticate karte hai.

Raj: Sir uski yeh kartoot uske maa baap ko bhi dikhane dijiye. Aakhir unhe bhi toh pata chale unka beta kaise kaise kaam karta hai.

Principal: Thikk hai. Aur police ko bhi bulao. Phir peon ko bulake Shivam ke maa baap ko jaldi se college bulwane ke liye kehta hai aur khud police ko phone karke bulata hai.

Raj peon se Sonal Ishita Payal Neha Vishal Varun Soniya sabhi ko waha bulata hai aur saath mein Shivam ko bhi.

Thodi der mein sablog principal ke cabin mein khade the. Apne maa baap ke saath Police ko dekh kar Shivam ko thoda darr lagne lagta hai.

Shivam Papa: Kyaa baat hai Sir. Humhe yaha achanak kyo bulaya gaya. Kyaa Shivam ne kuch kiya hai.

Principal: Aapke bete ne jo kiya hai woh aap khud usse puchiyee.

Shivam: Sir maine kyaa kiya hai.

Raj sidha jaake Shivam ko ek thappad jorr se marta hai toh Shivam ke gaal mein Raj ke ungliyon ke nishan baith jaate hai.

Raj: Ab kuch yaad aaya ya ek aur lagau.

Shivam: Sir maine aisa kyaa kiya hai jiske liye aap mujhe maar rahe hai.

Shivam Mummy: Haa Sir. Mere bete ne aisa kya kardiya hai.

Raj: Aapke bete ne ek ladki ki izzat ke saath khelne ki koshish ki hai. Aur iska pura saboot hai mere paas.

Shivam jab yeh sunta hai uski halat kharab hojaati hai uske paseene chutne lagte hai.

Shivam Papa: Nhii Sir. Mera beta aisa nhi kar sakta. Woh toh harwaqt bas padhai aur apni boxing mein hi laga rehta hai. Aapko kuch galatfehmi hui hogi.

Raj: Mujhe koi galat fehmi nhi hui hai. Ma’am aap yaha aaiye aur dekhiye apne bete ki kartoot.

Shivam ki Mummy Raj ke paas aati hai toh Raj Shivam ka mobile bahar nikalta hai jisse dekh kar Shivam ki halat darr ke maare buri hojaati hai.

Raj: Yeh aapke bete ka mobile hai.

Shivam Mummy: Haaa.

Raj: Yeh dekhiye kal aapke bete ne girls washroom ke bahar se iss ladki ki video banayi hai aur uske baad usko blackmail kar raha hai.

Shivam ki mummy video dekhne ke baad rone lagti hai unhe yakeen nhi horaha tha ke unka beta aisa kaam kar sakta hai.

Shivam waha se bhagne ki koshish karta hai Police usse pakad leti hai aur 2 thappad bhi maarti hai jisse uske honth fhatt jaate hai aur khoon nikalne lagta hai.

Raj: Soniya yeh raha tumhara culprit. Ab iske saath kyaa karna hai tum dekhlo.

Soniya Shivam ke paas jaati hai aur apni chappal utar ke usko maarne lagti hai. Woh usko tab tak maarti hai jab tak woh thakk nhi jaati. Uske baad waha baith ke rone lagti hai.

Raj Shivam ke paas aake usko collar se pakad ke uthata hai aur puchta hai.

Raj: Kisliye kiya yeh ghinona kaam aur iss video ka jo copy kiya hai woh kaha par hai.

Shivam: Mujhe iss Soniya Sonal aur Varun se badla lena tha. Inhone pure college canteen ke saamne mujhe beizaat kiya tha. Aur iss video ki koi copy nhi hai.

Sonal ka naam sunte hi Raj apne gusse ki Simaa cross karjaata hai aur wahi Shivam ko maarne lagta hai. Raj Shivam ko itna maarta hai ke Shivam behosh hojaata hai.

Shivam ke maa baap Soniya se aur baaki sab se maafi maangte hai aur Shivam ko chorr dene ko bolte hai.

Soniya Raj ki taraf dekhti hai toh woh haa ka ishara karta hai jiske baad Soniya Shivam ko police ke hawale nhi karwati. Par Principal ne Shivam ko apne college se rusticate kardiya tha.

Shivam ke maa baap apne bete ko leke waha se nikal jaate hai aur police bhi waha se chali jaati hai.

Soniya Raj ke paas aake uske samne haath jorr deti hai.

Soniya: Aapne mere liye jo bhi kiya hai woh main kabhi nhi bhulungi. Agar aap nhi hote toh shayad yeh mujhe kahi mujhe kahi muh dikhane ke layak nhi chorrtaa. Bahot bahot Thank You Sir. Aap sach mein bahot achhe haj.

Raj: Heyyy. Yehsab karne ki koi jarurat nhi hai. Tumhari hi tarah meri bhi 2 behene hai agar koi unke saath aisa karta tab bhi main aisa hi karta. Aisa samaj lo ek bhai ne apni behen ki madad ki hai.

Soniya Raj ki baat sunke ro deti hai aur uske gale lag jaati hai. Raj bhi Soniya ke sir ko sehlaane lagta hai aur chupp hone ko bolta hai.

Idher Raj ki yeh chiz Sonal ke dil mein gharr kar jaati hai aur woh Raj ko ek alag nazariye se dekhne lagti hai. Aur yehi chiz Neha ke saath bhi hoti hai par usko Soniya ka Raj ke gale lagna achha nhi laga.

Kuch der baad sab apne apne class mein chale jaate hai aur baaki ki class karne lagte hai.

Chutti ke baad sablog apne apne ghar jaane lagte hai. Sonal bhi chalte hue uss jagah aajati hai jaha Raj usi ka wait kar raha tha par aaj uska mood bahot hi jyaada ukhda hua tha.

Dono chup chaap gaadi mein baith jaate hai toh Raj gaadi chalane lagta hai.

Raj Sonal se koi baat nhi karta hai infact woh uski taraf dekhta tak nhi hai. Sonal Raj se ek do baar baat karne ki koshish karti hai par Raj ko reply nhi karta.

Sonal: Mann mein. Yeh Raj toh bahot jyaada naraz hogye hai. Ab kaise manau inhe. Aisa kyaa karu ke inki narazgi durr hojaaye. Bhabhi se baat karti hu woh jarur kuch bata paayengi.

Thodi der mein dono ghar aajate hai. Raj sidha apne kamre mein chala jaata hai bina kisi se koi baat kiye. Sonal Raj ke pichhe pichhe ghar ke andar aati hai toh Nandini puch leti hai.

Nandini: Yeh Raj ko kyaa hua hai. Aaj mood bigda hua lag raha hai. Kuch hua hai kyaa.

Sonal: Haa woh actually mere se gussa hogye hai isiliye aise behave kar rahe hai.

Nandini: Gussa woh bhi tumse. Yeh toh impossible hai.

Sonal: Par yeh possible hua hai.

Nandini: Aisa kyaa hogya jo Raj gussa hogya tumse.

Sonal: Woh mere se ek galti hogyi hai isliye woh naraz hogye hai.

Nandini: Kyaa kiya tumne.

Phir Sonal Nandini ko Shivam waali baat batati hai jisse sunne ke baad Nandini bhi Raj ka sath deti hai.

Nandini: Galti toh tumne ki hai Sonal. Agar tumne yaa unndono ne uss ladke ke baare mein pehle hi Raj ki bata dete toh shayad uss ladki ke saath waisa nhi hota. Maanlo agar uss ladki ki jagah tum yaa woh dono hoti tab kyaa hota. Aur yeh toh bhagwaan ki kripa hai usne video viral nhi kiya aur agar kardeta toh kyaa hosakta tha pata hai naa.

Sonal: Maanti hu bhabhi humse galti hui hai aur maine iske maafi bhi maangi hai par woh toh baat tak nhi kar rahe hai. Ab aap hi bataiye main kyaa karu.

Nandini: Raj ka gussa shant hone mein thoda waqt lagega. Tum chinta mat karo woh tumse jyaada din naraz nhi reh saktaa. Tum jaao fresh hojaao phir lunch karlo.

Sonal: Jiii.

Phir Sonal apne kamre mein jaake resh hoti hai aur lunch karke apne kamre mein jaake padhne lagti hai par uske dimaag mein Raj ki narazgi hi chal rahi thi.
Nice update...
 
  • Like
Reactions: Luffy and Jaguaar

Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
Raj daara hua tha. Kahi sonal use phir se galt na smajh le islye tension me ghanchakar bana hua tha. Sonal ke aane par raj aise confession karne laga jaise sonal judge ho aur raj se puch rahi ho tumne aisa guna kyu kiya. Khair raj ne sab sach sach bata diya jaye jise sun sonal ko bhi tasli mila.

अदभुत अतुलनीय अपडेट दिया था:applause::applause::applause:
Thank you

Raj ka darna laazmi bhi thaa. Kyoki usse darr hai kahi woh Sonal ko khoo naa de. Isiliye usne apni taraf se sab clear kar diya.
 
  • Like
Reactions: Destiny and RAAZ

Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
Update 91
Idher Raj apne kamre mein aaram kar raha tha tabhi uske mobile mein Yash ka call aata hai.

Raj: Haa Yash bol.

Yash: College mein yaa ghar mein.

Raj: Ghar mein kyo kyaa hua.

Yash: Woh tujhe yaad hai humari Gujrat wali deal.

Raj: Haa yaad hai par unka koi reply toh nhi aaya tha.

Yash: Haa. Par aaj subah unka reply aaya hai. Aur woh humare saath deal karne ke liye taiyaar hai par tujhe deal sign karne ke liye Gujraat jaana hoga aur woh bhi kal.

Raj: Kyaaa. Par main kaise. Main yaha Sonal ko akela chorr ke kaise jaa sakta hu. Tu chala jaa yaa phir papa ya bade papa chale jaayenge.

Yash: Main chala jaata yaar par yaha pe bhi ek jaruri meeting hai jisme dono uncle ko aur mujhe rehna jaruri hai isliye tujhe hi jaana hoga. Aur rahi Sonal ki baat toh woh abhi thikk hai aur sirf 3 din ke liye wih akele reh sakti hai.

Raj: Kyaa 3 din.

Yash: Haa 3 din. Actually unki company ke 25 saal pure horahe hai isiliye unhone ek choti si party rakhi hai aur uske baad hi woh deal sign karenge isiliye 3 din.

Raj: Kuch der sochke. Thikk hai tu tickets book karde. Main college mein inform kardeta hu.

Yash: Thikk hai.

Phir call cut hojaata hai toh Raj principal ko call karke boldeta hai ke woh 3 din nhi paayega. Uske baad woh apni packing karne lagta hai.

Raat ko khaane ke baad Sonal apne kamre mein chali jaati hai aur Raj wahi baitha rehta hai.

Raj: Aarav main 3 din ke liye Gujrat jaa raha hu toh tujhe Sonal ko College se lene aur chorne jaana hoga.

Aarav: Aap chinta naa kare bhaiyaa. Bhabhi ko koi bhi problem nhi hogi. Main pure dhyaan se yeh kaam kardunga.

Raj: Hmm. Dhyaan rakhna uska.

Aarav: Jii.

Smita: Raj achanak se Gujrat woh bhi 3 din ke liye.

Raj: Haa mummy ek deal sign karne ke liye jaana padh raha hai aur isi saal uss company ke 25 saal pure horahe hai isiliye ek choti si party bhi hai jiske baad hi deal sign hogi.

Smita: Thikk hai. Kab jaana hai.

Raj: Kal ekdum Subah subah hi nikalna hai.

Smita: Thikk hai.

Phir Raj apne kamre mein jaane ke liye uthta hai par kamre mein naa jaake woh terrace mein chala jaata hai.

Idher Sonal Raj se phir se maafi maangne ke liye uske kamre mein jaati hai woh waha nhi hota milta.

Sonal: Yeh kaha chale gaye iss waqt. Shayad terrace mein ho waha dekhti hu.

Phir Sonal terrace mein aati hai toh Raj ko waha dekh uske chehre mein ek smile aajati hai.

Sonal: Toh Mr. Darpok yaha hai aur main unhe pure ghar mein dhundhe jaa rahi hu. Yeh bolte hue uske paas aake khadi hojaati hai.

Raj Sonal ki taraf naa dekhta hai aur naa uski baat ka reply karta hai.

Sonal: Ab maaf bhi kar dijiye naa Raj. Mujhse galti hogyi.

Raj: Tumhari iss galti se mujhe bahot hurt hua hai Sonal. Main kaha tumse har baat share karta hu aur tumne mujhse itni baat chupayi. Agar Soniya ki jagah tum hoti toh.

Sonal: Main maanti hu mujhse galti hui hai. Aur main promise karti hu abse aisa kuch nhi karungi. Pleasee maaf kardijiye. Kyaa apni iss dost ki ek galti maaf nhi karenge. Pleaseee maaf kardijiye. Yeh lijiye maine apne kaan pakad liyee.

Raj Sonal ki taraf dekhta hai toh woh ekdum masoom sa face banake kaan pakadke khadi thi. Jisse dekh kar Raj ka saara gussa ek jhatke mein khatam hojaata hai.

Raj: Sonal ke haath uske kaan se hata ke. Tumhare iss masoom se face ki wajah se hi main tumse naraz nhi reh sakta. Par promise karo aage se aisa kuch bhi ho toh tum sidha mujhe bataogi.

Sonal: Promiseee. Waise mere liye itni fikr kisliyee.

Raj: Sonal ki aankho meim dekhte hue. Tum nhi jaanti tum mere liye kyaa ho. Agar tumhe kuch hojaaye toh main kyaa kar baithunga main khud nhi jaanta.

Raj ke aisa bolne se jaha Sonal ke dil mein ek ajeeb hi harqat hoti hai wahi uski aankho mein usse apne liye kuch alag sa dikhta hai jisse woh samaj nhi paati.

Sonal: Raj ki aankho mein dekhte hue. Kyaa hu main aapke liye.

Raj: Samay aane pe khud pata chal jaayega tumhe. Yeh bol apni nazre hata leta hai.

Sonal bhi apni nazre dusri taraf karke khadi rehti hai. Par uska dil badi joro se dhadak raha tha aur aisa kyo horaha tha woh samaj nhi paa rahi thi.

Kuch der baad Raj bolta hai.

Raj: Main kal 3 din ke liye Gujrat jaa raha hu. Toh tumhe Aarav College se laane aur chorne jaayega.

Sonal: Achanak Gujrat kisliye.

Raj: Woh ek business deal hai.

Sonal: Kya aapka jaana jaruri hai. Koi aur nhi jaa sakta.

Raj: Sab dusre kaam mein busy hai toh mujhe hi jaana hoga.

Sonal: Udaas mann se. Thikk hai.

Phir dono kuch der baat karke apne apne kamre mein aajate hai.

Raj apne kamre mein aake apne mobile mein alarm lagake sone lagta hai toh uske mobile mein ek msg aata hai.

Happy and Safe Journey. Good Night.

Yeh msg padhke Raj ke chehre mein ek muskurahat aajati hai aur woh bhi reply kardeta hai. Thank you and Good Night. Phir so jaata hai.

Agle din subah Raj jaldi uth ke ready hoke nichhe aata hai toh waha Smita uska wait kar rahi hoti hai.

Raj: Mummy aap itni subah.

Smita: Beta ghar se bahar jaa raha ho aur ek maa soti rahe yeh kaise possible hai. Chal aaja nashta karle.

Raj bas smile kardeta hai aur baithke nashta karne lagta hai.

Thodi der main uska nashta khatam hojaata hai aur woh jaane ke liye ready tha.

Smita: Dhyaan se jaana aur jaldi aana.

Raj: Jiii.

Phir Raj Smita ke pairr chuke nikalne wala hi hota hai ke usko kuch yaad aata hai aur woh wapas aata hai aur upar ki taraf jaata hai.

Upar aake woh sidha Sonal ke kamre mein aata hai aur dheere se door kholke andar aata hai.

Raj dekhta hai Sonal bekhabar sorahi thi aur uske chehre mein duniya bharr ki masoomiyat jhalak rahi thi.

Raj dheere dheere uske paas aata hai aur ekdum aaram se uske sir ko sehlaane lagta hai.

Raj: Apna dhyaan rakhna Sonal. Main jald wapas aajaunga. Yeh bol uske sir ko chum leta hai.

Idher Jaise hi Raj Sonal ke sir ko chumta hai toh Sonal ke chehre mein neend mein hi ek smile aajati hai.

Phir Raj waha se nikal jaata hai.
 
Neel Singh

New Member
86
273
54

Noice
 
Top