• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

Kala Nag

Mr. X
3,878
15,202
144
Update 6
Savitri Ragini aur Smita gate pe hi khade the. Nandini aarti ki thali liye khadi thi.

Savitri: Wahi ruko tum sab. Nandini beta.

Nandini: Jiii dadi. Phir Nandini inn 5 jan ki aarti utarti hai.
Phir yehlog andar aate hai.

Meera aur Deepak jaake pehle Savitri Vijay aur Ragini ke pairr chutee hai. Swati Sonal aur Samar bhi sabke paire chutee hai. Nandini Aarav Karan aur Shruti Deepak aur Meera ke pairr chute hai.

Savitri: Toh ab yaad aayi tumlogo ko humari.

Deepak: Kaisi ho Maa. Kyaa kare maa. Inn kuch saalo mein kaam ke chakar mein aisa busy hogya tha ke bachho ko aur Meera ko bhi samay nhi de paaraha tha. Par ab aisa kuch nhi hai.

Savitri: Hmm. Aa baith. Meera bahu kaisi ho.

Meera: Thikk hu Maa ji. Par aapki tabiyat shayad thik nhi lagrahi hai.

Deepak: Haa Maa. Meera sahi bol rahi hai.

Savitri: Ab umar bhi toh dekh. Tere bauji ke paas jaane ka waqt hogya hai. Bas ekbaar apne sabhi pote potiyon ke bachho ka muh dekhlu. Phir aankhe band karlungi.

Meera: Aree Maa ji. Kaisi baate kar rahi hai aap. Abhi toh aapko inke bachho ke bachho ka muh bhi dekhna hai. Waise Shruti ki sagai ki bahot bahot badhai ho.

Aarav jab yeh sunta hai toh woh paani pi raha tha toh usko thaska lag jaata hai.

Savitri: Tujhe kyaa huaa.

Aarav: Kuch nhi daadi. Dheere se. Abhi tak humari shaadi hui nhi aur inko humare bachho ke bachho ka muh dekhna hai. Aree pehle humari toh hone do. Pata nhi kab aayegi woh.

Savitri: Meri pote aur potiyan kaisi hai. Kaun hai Swati Sonal. Ab toh pehchan mein hi nhi aarahi .

Deepak: Yeh Swati yeh Sonal aur yeh hai Samar. Swati ki padhai puri hochuki hai mere saath office aati hai. Sonal ka graduation 2 din pehle puri hui hai. Aur Samar ka aakhri saal hai.

Ragini: Bahot bahot mubarak ho Sonal college mein top karne ke liye.

Sonal: Thank You.

Meera: Raj se hum mil liye. Baakiyon se bhi mil le.
Ragini: Yeh hai Karan aur yeh hai Nandini ghar ki badi bahu. Yeh Shruti yeh Aarav.

Meera: Kyaa baat hai didi bahu toh bahot pyaari laayi ho.

Ragini: Karan hi pasand karke le aaya. Dono ko college padhne bheja tha par yeh dono padhai chorke kuch aur karne gaye the.

Nandini sharma jaati hai. Aur Ragini Karan ke kaan pakad leti hai.

Nandini: Main chai nashta leke aati hu. Yeh bol woh kitchen mein bhagg jaati hai.

Sab hasne lagte hai.

Meera: Aajkal ke bachhe sab aise hi hai. Kya inn dono ne bhi aisa hi koi khoj rakha hai.

Meera ki baat sunke Sonal Raj ki taraf dekhti hai toh usko uski aankho mein beintehan dard dikhai deta hai. Jisse Sonal ko bhi takleef hoti hai.

Ragini: Aarav ka nhi bol sakti. Par Raj aisa nhi hai. Woh agar kisi ladki ko pasand karta toh ab tak bolchuka hota. Aur phir usko college se nikle bhi toh 3 saal hogye hai.

Raj aankhe band karleta hai par uski aankho se aansu nikal jaate hai. Jinhe woh badi safai se poch leta hai. Par Sonal jo tabse usiko dekh rahi thi yeh dekh leti hai. Sonal Raj ke chehre pe jo dard tha takleef thi woh pehchan leti hai aur uski aankho se behte hue aansu bhi. Yeh sab dekh kar Sonal ko bhi bahot takleef hoti hai.

Karan: Mummy. Inhe abhi rest karne dijiye. Itni durr se journey karke aaye hai. Raj jaa jaake change karle.

Raj bina kuch bole jaldi se waha se nikal jaata hai.

Ragini: Aree haa. Shruti tum Swati ko lejao.

Karan: Yash tu Sonal ko Raj ke bagal wale room dikha de Samar ko Aarav ka aur....

Yash: Samaj gaya bhaiyaa. Aao Sonal Samar.

Phir Ragini Deepak aur Meera ko guest room mein lejati hai. Shruti Swati ko apne saath lejaati hai.

Yash Sonal aur Samar ko jaldi se Raj ke bagal wale room mein aur Aarav ke room mein pahoncha ka Raj ke room mein jaata hai jaha Raj apne wardrobe ke paas ek photo haath mein leke khada rehta hai.

Yash: Rajjjj. Yeh bol uske kandhe mein haath rakhta hai.

Raj : Thik hu Yash. Nhi rounga aur naahi dukhi hounga.

Yash: Teri aankhe teri tadap saaf bayan kar rahi hai.

Nandini: Yash thik keh raha hai Raj. Aur tum usse kiya wada bhi todd rahe ho. Tumne usse wada kiya tha naa ke tum aisa kabhi nhi karoge.

Raj: Main kyaa karu bhabhi. Bahot yaad aati hai. Har ek pal uski yaad aati hai. Par ab thik hai bhabhi.

Nandini: Kya humhe uski yaad nhi aati. Meri behen thi woh. Kya mujhe uski yaad nhi aati. Par kya hum aisa karte hai. Nhi naa. Aisa mat karo Raj. Tumhe aise dekh kar usko bhi takleef horahi hogi.

Raj apne aapko shant karta hai. Aur woh photo wapas wardrobe mein rakh deta hai. Phir kuch der woh log baat karte hai. Phir neeche aajate hai aur Raj fresh hone chala jaata hai.

Yash apne ghar chala jaata hai.

Thodi der aaram karne ke baad sablog dinner ke liye neeche aate hai.

Sablog ekdusre se hasi mazaak kar rahe the. Par Sonal ki nazre kahi aur thi aur Raj chup chaap apna dinner kar raha tha.

Raj ne sabko kehne ke liye toh apna dukh chupa liya tha par uski aankho mein woh saaf nazar aaraha tha jo Sonal saaf dekh paarahi thi. Kyoki Sonal ki nazre sirf aur sirf Raj par hi thi.

Sonal(Mann mein): Raj sham se hi dukhi hai. Jab se Ragini Chachi ne woh ladki waali baat chedi hai. Aur tab unki aankho mein aansu bhi aagaye the. Aur abhi bhi woh sabko dikhane ke liye hi khush hai par unki aankhe saaf bata rahi hai ke woh andar se bahot jyaada takleef mein hai. Aakhir aisi kya wajah hai. Kyaaa woh kisi se pyaarrrr... Nhii nhii aisaa nhii hosaktaaa. Agar aisaa huaa tohhh. Zindagi mein pehli baar kisi ko dekh kar pyaar ka aihsaas hua hai. Agar jo main soch rahi hu waisaa huaa toh meraaa kyaaa hogaaa.

Samar: Diii kyaaa soch rahii hoo. Khana khaiyee.

Sonal: Hmm Haaa.

Smita: Aur batao Sonal aage kyaa karne ka socha hai.

Sonal: Padhai ke baad interior designing ke saath fashion design bhi karna hai.

Smita: Bahot achhi baat hai. Swati tumne aage ka kya socha hai.

Swati: Maine toh papa ke saath office join kiya hai padhai ke baad aur aage bhi wahi karna chahti hu.

Smita: Aree waah achha hai. Mere Raj ne bhi padhai ke baad business hi join karliya tha. Aur ab toh sab wahi sambhalta hai.

Raj: Bhabhi mera hogyaa. Main apne room mein jaa raha hu. Yeh bol woh waha se apne room mein aajata hai.
Koi usse kuch bolta yaa karta uske pehle hi woh jaa chuka tha.

Uske aise jaane ka karan Deepak and family ko chorke sabko pata tha. Usne khaana bhi thik se nhi khaaya tha. Aur uske aise jaane se Smita ka chehra murjhaa gaya jo Sonal ne dekh liyaa. Aur usko Raj ka aise jaana bhi ajeeb laga.

Meera: Aree Raj ne toh kuch khaaya hi nhi. Puri plate waise hi padhi hai.

Nandini: Wohh actually aaj usne lunch late se hi kiya tha aur mujhe bola tha ke dinner nhi karega par maine hi jabardasti bulaya tha.

Meera: Ooo.

Smita ka ab khaane ka mann bilkul nhi tha. Uske gale ke neeche ab niwala nhi utar raha tha aur ab woh bilkul chupp hogyi thi. Sonal yeh sab chiz notice kar rahi thi.

Thodi der baad sabne apna dinner complete kiya phir baith kar baate karne lage par Smita toh jaise waha hokar bhi nhi thi.

Shruti Swati Nandini Karan Samar Aarav Sonal sab ek room mein baith kar baate kar rahe the par Raj innsab mein nhi thaa.

Sonal: Hum sab yaha hai par Raj nhi hai.

Karan: Woh Raj ko akele rehna jyaada pasand hai. Woh kisi se jyaada ghulta milta nhi hai.

Samar: Par Raj bhaiya ki personality dekh kar aisa lagta nhi hai.

Aarav: Haaa par college ke baad se hi woh aise hogye hai.

Sonal: Aisa kyooo.

Aarav: Yeh toh kisi ko nhi pata.

Shruti: Aree kyaa baate lekar baith gaye. Yeh batao tumlogo ka college life kaisa hai. Koi boyfriend banaya ya nhii. Aur Samar koi girlfriend.

Samar: Mera toh bahot mann hota hai. Par Sonal di ki wajah se nhi kar paata.

Swati: Tu college padhne jaata hai yaa girlfriend banane. Ghar chal tu mummy papa se teri shikayat naa ki toh dekhna.

Nandini: Oo come on Swati. Yehi toh umar hai abhi yeh sab karne ki. Aur Samar Sonal ki wajah kyo nhi kar paate.

Samar: Kyoki inko aisa kuch pasand nhi hai.

Sonal: Maine tujhe kab roka hai jo mujhe blame kar raha hai. Bhabhi yeh jhootha hai ek number ka.

Samar hasne lagta hai.

Shruti: Achha. Toh Sonal tum batao.

Sonal: Kabhi koi aisa mila hi nhi jisse pyaar ho. Jisse dekh kar dil kahe ke yehi hai woh jiska mujhe intezaar hai.

Nandini: How sweet.

Karan: Chalo yaar ab inhe sone do. Thake hue honge.

Samar: Nhi bhaiyaa baithye naa. Maza aaraha hai.

Karan: Nhii Samar. Mujhe kal subah duty pe bhi jaana hai so main nhi jaag sakta. Tumlog baate karo.

Swati: Nhi nhj bhaiya. Humlog bhi sote hai ab.

Phir sab apne apne room mein jaane lagte hai par Sonal apne hi khayalo mein gumm thi.

Swati: Sonal kyaa thodi der baat hosakti hai.

Sonal: Haa di boliye.

Swati: Kya hua hai Sonal. Main kabse dekh rahi hu tum kuch pareshan ho.

Sonal: Nhii di. Aisi koi baat nhi hai.

Swati: Tum bhul rahi ho. Hum best friend hai. Tum mujhse kuch nhi chipaa sakti. Chalo bolo kyaa baat hai.

Sonal: Dii woh Rajjjj.

Swati: Kyaa huaaa Rajj ko.

Sonal: Dii maine unki aankho mein dekha hai woh bahot takleef mein hai. Aur unki yeh takleef mujhse nhi dekhi jaa rahi hai.

Swati: Aur tujhe kyo aisa lag raha hai. Aur tujhse unki takleef kyo nhi dekhi jaa rahi hai.

Sonal: Wohh dii wohhh. Actually wohhh.

Swati: Bollll.

Sonal: Bas di. Aisee hi.

Swati: Meri taraf dekhhhh.

Sonal naa mein gardan hilati hai.

Swati Sonal ki chehra apni taraf karti hai toh uska chehra sharam se laal hochuka thaa.

Swati: Sonal kyaa jo main soch rahi hu wohh....

Sonal jhatt se Swati ke gale lag jaati hai.

Swati: Areee waaahh. Meriii behen ko pyaarr hogyaaa haiiiii. Sonalllll. Kabbbb huaaaa.

Sonal bas uske gale lagi rehti hai. Uski himmat nhi horahi thi ke woh kuch bolee.

Swati: Chall mere saathhh.

Swati Sonal ko leke terrace pe aati hai.

Swati: Sonalllll.

Sonal: I am sorry diii. Par aaj jab maine unko Airport pe dekha tha tabhi se shayad main unse.....

Swati: Areee isme sorry kyo bol rahi ho. Main bahott khushh hu tere liyee. Zindagi mein pehli baar tujhe koi pasand aaya. Aur woh bhi Rajjj. Tere liye wohhh besttt haiii. Teri jodi uski saath khubb jamegiii.

Sonal sharmaa jaati hai aur Swati ke gale lag jaati hai.

Sonal: Please dii yeh baat kisi ko mat bataiyegaa. Khash karke Samar ko.

Swati: Thikkk haiii nhii bataungii. Par meri taraf dekhh.

Sonal Swati ki taraf dekhti hai par abhi bhi woh sharma rahi thi.

Swati: Tere liyee mainn bahott khushh hu. Par agar uski life mein koi pehle se huii tohhh.

Sonal jab yeh sunti hai toh ekpal ke liye uski aankho mein aansu aajate hai.

Swati: Aree Sonalll yehhh kyaaa. Aaj pehli baar tumne usse dekha abhi sirf tumhe pyaar ka aihsaas hua hai abhi se yeh halat. Itni possessiveness.

Sonal: Pehli nazar mein hi main unse bahot pyaar kar baithi hu di. Mujhe nhi pata jo aapne kaha hai agar woh hota hai toh kyaa hogaa. Zindagi mein pehli baar kisi ko dekh kar pyaar hua hai.

Swati: Chup hojao Sonal. Aisa kuch nhi hogaa. Achaa ab yeh batao uss waqt kyaa soch rahi thi.

Sonal: Dii jab sham ko Ragini Chachi ne ladki ki baat ki thi tabse main dekh rahi hu Raj bahot takleef mein hai aur tab maine unki aankho mein aansu bhi dekhe thee.

Swati: Sonallll main issbaare mein kuch nhi kahungi. Tu khud samajdaar hai. Phir bhi tu usse pyaar kar baithi.
Sonal sir jhuka leti hai.

Swati: Sonal main nhi chahti ke meri behen ko takleef ho. Isiliye jo bhi karna soch samaj kar karna. Kahi baad mein tujhe koi takleef naa ho.

Sonal bas haa mein gardan hila deti hai.

Swati: Chal ab chalke sojaa. Aur iske baare mein itna naa soch. Sab kuch achha hogaa.

Sonal: Good Night di.

Swati: Good Nightt.


Phir dono nichhe aake apne apne room mein chale jaate hai.
ओ.... राज का कोई दुख दायी अतीत है
जिसकी कड़ी उसकी माँ से जुड़ी है
सोनल को अब पता लगाना है और राज के दिल के करीब होना है
ह्म्म्म्म देखते हैं आगे क्या होता है
 

Sauravb

Victory 💯
8,091
14,191
174
Update 86
Raat ko Nandini Sonal ke Miss Fresher banne ki khushi mein uske pasand ka khaana banati hai.

Sablog khaana khaane ke baad hall mein baithe the tabhi Sonal ka mobile baj uthta hai. Sonal mobile dekhti hai toh usme Soniya ka call tha.

Raj: Kiska call hai Sonal.

Sonal: Soniya ka call hai.

Raj: Itna raat ko woh kyo call kar rahi hai.

Sonal: Pata nhi.

Phir Sonal call receive karti hai toh samne se Soniya ke rone ki awaaz aarahi thi jisko sunnke Sonal pareshan hojaati hai.

Sonal: Soniyaa kyaa hua. Tum aise ro kyo rahi ho. Kyaa huaa hai.

Soniya: Main barbaad hogyi Sonal. Kisi ko muh dikhane ke layak nhi rahi. Yeh bol aur jor jor se rone lagti hai

Sonal: Yehh sab kyaa bol rahi ho. Baat kyaa hai. Pehle rona band karo. Aur mujhe puri baat batao.

Soniya: Main phone mein nhi bata sakti. Maine sabko college ke paas wale coffee shop ke bahar milne bulaya hai. Pleasee tum jaldi aajao.

Sonal: Abhi itni raat ko. Aakhir baat kya hai Soniya.

Soniya: Pleaseee Sonal. Pleaseeeee. Yeh bol phir se rone lagti hai.

Sonal: Achha achha thikk hai pleasee tum rona band karo. Main aati hu.

Phir Soniya call cut kardeti hai. Jaise hi Soniya call cut karti hai sang sang Ishita ka call aajata hai jo Payal ke saath conference mein thi.

Ishita: Didi kyaa aapko bhi Soniya ka call aaya tha.

Sonal: Haa mujhe abhi abhi aaya. Roye jaa rahi thi.

Payal: Humhe bhi aaya tha. Abhi milne bula rahi hai. Keh rahi thi barbaad hogyi kisiko muh dikhane ke layak nhi rahi.

Sonal: Mujhe bhi aisa hi kaha usne. Tumlog aarahi ho kyaa.

Ishita: Haa didi. Pata nhi kyo woh jis tarah roye jaa rahi thi mujhe baat kuch serious lag rahi hai.

Sonal: Thik hai phir tumlog pahoncho main bhi aati hu. Yeh bol call cut kardeti hai.

Raj: Kyaa kaha. Aur yeh Soniya ro kyo rahi thi. Aur abhi kaha jaa rahi ho.

Sonal: Pata nhi. Uski awaaz sunke toh laga baat kuch serious hai. Humhe college ke pass wale coffee shop mein bula rahi hai.

Raj: Strange. Chalo phir chalte hai.

Sonal: Aree aap rehne dijiye. Main chali jaaungi.

Raj: Keep your mouth shut and wait for me. Yeh bol Raj jaldi se apne kamre mein jaata hai.

Smita: Kyaa hua hai beta.

Sonal: Pata nhi chachi ji. Meri dost ka phone tha roye jaa rahi thi. Humsab ko bulaya hai usne. Lagta hai kuch hua hai. Payal aur Ishita bhi aarahi hai.

Smita: Itni raat ko. Ajeeb baat hai. Aisa kyaa hogya. Thikk hai dhyaan se jaana aur jyaada late mat karna.

Tabhi Raj nichhe aata hai aur bolta hai.

Raj: Chalo chalte hai.

Phir dono nikal padhte hai coffee shop ki taraf.

Sonal: Aap mujhe coffee shop ke pehle hi utaar dijiyegaa. Aur mera wait kijiyega.

Raj: Aree main bhi chalta hu naa.

Sonal: Nhii. Agar mere saath aapko sabne dekha toh sau sawaal karenge. Agar aapki jarurat hui toh bula lungi.

Raj: Thikk hai.

Phir thodi der mein dono uss coffee shop ke paas pahonch jaate hai aur waha utar ke chalke coffee shop tak aati hai jaha wohsab log khade the.

Sonal: Soniyaa kyaa huaa.

Soniya jo roye jaa rahi woh Sonal ko dekhte hi uske gale lag aur jor jor se rone lagti hai.

Soniya: Rote hue. Main barbaad hogyi hu Sonal. Main kisi ko muh dikhane ke layak nhi rahi. Mera sab kuch khatam hogyaa.

Sab: Soniyaa aakhir hua kyaa hai. Humhe batao toh.

Soniya rote hue hi woh apna mobile nikalti hai aur ek video play karti hai. Video mushkil se 1 minute ka tha par woh video dekhne ke baad sabke chehre ke rang udhh jaate hai aur Soniya apne ghutno mein baithke apne hatheliyo muh chupaaye jor jor se rone lagti hai.

Sabhi ko apne situation se bahar aane mein thoda time lagta hai. Charo ladkiyan Soniya ko chup karane lagte hai. Par Soniya pe toh jaise koi asar hi nhi horaha tha.

Neha: Soniya chupp hojaao. Mat ro. Humlog hai naa. Humlog chorengee nhi uss kamine ko jisne yeh ghatiya kaam kiya hai.

Soniya: Ab kuch nhi hosakta. Usne toh ab tak yeh video har jagah Viral kardi hogi. Ab main kisi ko muh dikhane ke layak nhi rahi.

Ishita: Aisa abhi tak nhi hua hai Soniya. Agar aisa hota toh abhi tak yeh video humare paas bhi aachuka hota. Par aisa nhi hua hai. Yaani abhi tak video viral nhi hua hai. Yaani abhi bhi humare paas ek chance hai sabkuch thikk karne ka. Par pehle tum chup hojao. Aur humhe puri baat batao.

Varun jo itni der se sabkuch sunn raha tha woh sidha Soniya ke saamne aake apne ghutno pe baith ke Soniya ka haath apne haath mein leta hai aur bolta hai.

Varun: Soniya main wada karta hu main uss kamine ko dhund nikalunga aur usse maar maar ke tere kadmo mein laaunga. Pleasee tu rona band karde. Tujhe pata hai naa main teri aankho mein aansu nhi dekh sakta. Pleasee mere liye rona band karde.

Varun ki baat sunke Soniya ka rona toh rukhh jaata hai par subakna abhi bhi chalu tha.

Varun: Vishal paani de.

Vishal paas padhi pani ki bottle Soniya ko deta hai toh Varun usko jabardasti thoda paani pila deta hai.

Kuch der baad jab Soniya thoda shant hoti hai toh sab usko paas rakhi bench pe baitha dete hai aur Varun Soniya ke paas hi baith jaata hai.

Payal: Soniya tumhare paas yeh video kab aaya aur kyaa koi aur bhi msg aaya tha.

Soniya: Mere paas yeh video kuch der pehle hi aaya tha aur saath mein ek msg bhi tha jisme likha hua tha dusro ko beizaat hote dekh aur karne mein bahot maza aata hai naa. Ab pata chalega jab teri izzat nilaam hogi. Aur Yeh video toh sirf teaser hai puri picture bahot jald pura college dekhega. Yeh bol Soniya wapas se rone lagti hai.

Soniya ki baat sunn sabke pairon tale zameen khisak jaati hai. Sab shock mein waha khade rehte hai.

Neha: Yeh video toh washroom ka hai. Tum washroom kab gayi thi.

Soniya: 2nd performamce ke baad main washroom gayi thi shayad tabhi kisi ne yeh video itna bol wapas se rone lagti hai.

Vishal: Jisne bhi kiya hai yeh woh jarur tumse apne kisi baat ka badla leraha hai. Aur jarur usne tumhare upar nazar rakhi hui thi.

Varun: Jisne bhi yeh kiya hai main uski zindagi nark bana dunga. Chorunga nhi uss kamine ko.

Neha: Par hum karenge kyaa. Kisi ko yeh baat bol bhi toh nhi sakte. Pata nhi woh kamina akela hai yaa uske saath koi aur bhi mila hua hai yaa nhi.

Sonal: Humhe kisi college ke aadmi se hi help lena hogaa. Kyoki bina college ki madad ke hum shayad ussko pakad nhi paayenge.

Varun: Par aise kaise kisi pe bhi vishwaas kare. Kyaa pata humne jiski madad li woh vibhishan nikle.

Sonal: Main ek aise insaan ko jaanti hu jo isme humari puri madad karenge. Aur unpe aankh band karke bhi bharosa kar sakte hai.

Vishal: Tum kiski baat kar rahi ho.

Sonal: Raj Sir ki. Woh bahot achhe hai. Woh jarur humari madad karenge.

Raj ka naam sunke Neha ki aankho mein ek chamak aajati hai.

Neha: Haa Sonal ne sahi kaha. Woh bahot achhe hai. Aur woh jarur humari madad karenge. Yaad hai 1st day college ke canteen mein unhone hi kuch seniors se innlogo ki help ki thi. Humhe unse hi madad leni chaiye.

Ishita: Mann mein. Bas bhaiya ka nam uthne ki deri hoti hai isko. Jab dekho bhaiya pe line marti rehti hai.

Varun: Par unse toh kal hi baat hosakegi.

Sonal: Baat abhi hi hojayegi. Main abhi unhe call lagati hu aur yaha bulati hu.

Vishal: Kyaa tumhare paas unka number hai.

Sonal: Haa mere paas unka mobile number hai. Main abhi unhe bulati hu.

Sonal ke muh se yeh sunn ki uske paas Raj ka mobile number hai Neha ko bahot bada jhatka lagta hai. Kyoki ekbaar usne Raj ka number maanga tha toh Raj ne saaf inkaar kardiya tha number dene se.

Neha: Mann mein. Sonal ke paas Raj Sir ka number kaise aaya. Maine jab maanga tha tab toh mujhe mana kardiya tha aur bola tha jo bhi kaam hai jo bhi puchna hai college mein hi karo. College ke bahar nhi. Mujhe pata lagana hoga aur kaise bhi karke unka number lena hoga.

Vishal: Par kyaa raat ko woh call receive karenge aur usse bhi badi baat woh iss waqt woh yaha aayenge.

Sonal: Haa kyo nhi aayenge. Dekhna kuch hi der mein woh aajayenge. Main abhi unhe call karti hu. Yeh bol Sonal unnlogo se thoda durr hojaati hai Raj ko call lagake sab boldeti hai.

Neha: Mann mein. Yeh itni confident kaise hai ke woh call receive bhi karenge aur yaha aa bhi jaayenge. Kuch toh garbar hai. Ekbaar Soniya safe hojaaye phir dekhti hu.

Sonal: Meri unse baat hogyi hai woh yahi paas mein hi hai bas kuch der mein aajayenge.

Ishita: Dheere se Payal ke kaan mein. Payal iss Neha ka chehra toh dekh. Jab se bhabhi ne bola hai unke paas bhaiya ka number hai uska chehre pe kaise tension aagayi hai.

Payal: Dheere se. Haa sahi kaha. Abhi sirf itna sunke uska yeh haal hai. Kal ko jab asliyat pata chalegi tab kaisa haal hoga.

Ishita: Galti iski hai. Bhaiya ne isko kitni baar ignore kiya par isko samaj mein hi nhi aayi baat.

Payal: Chorr isse. Abhi bas Soniya safe hojaaye.


Sablog apni apni socho mein ghumm the ke tabhi Raj waha aajata hai.
Shivam me soniya se badla lene k liye ye sab kiya he.sonal k phone me raj k number dekh kar neha to dhuki he.Raj he bachayega soniya ko Amazing update..
 

Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
Ye Raha na mere type wala update.....I mean mere pasand ka update. Parent's ka support Sonal Ko mil Gaya hai. Ab yadi Vicky Sonal Ko pareshan karta hai to Sonal Ko chahiye ki khinch kar uske kaam ke neeche de.
Good update :claps:
Thank you

Aapki ichha puri hui hai.
 

Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
ओ.... राज का कोई दुख दायी अतीत है
जिसकी कड़ी उसकी माँ से जुड़ी है
सोनल को अब पता लगाना है और राज के दिल के करीब होना है
ह्म्म्म्म देखते हैं आगे क्या होता है
Sonal usko uss atit se bahar bahot jald nikalegi.
 

Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
Shivam me soniya se badla lene k liye ye sab kiya he.sonal k phone me raj k number dekh kar neha to dhuki he.Raj he bachayega soniya ko Amazing update..
Thank you

Neha dhukhi ke saath saath bahot jyaada shocked bhi hai. Aur ab usse jalan bhi horahi hai Sonal se.
 

Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
Update 87
Raj: Haa Sonal batao kyaa urgent kaam hai jiske liye tumne mujhe yaha bulaya.

Sonal: Woh actually ek bahot badi problem hogyi hai. Uske liye humhe aapki madad chahiye. Umeed hai aap naa nhi karenge.

Raj: Kyaa baat hai Sonal. Tum kuch pareshan dikh rahi ho. Sab thikk hai naa. Aur tumhare saare dost bhi pareshan hai. Vishal kyaa baat hai. Kyaa hua hai.

Vishal: Woh Sir actually woh...

Raj: Sonal tum batao kyaa hua hai.

Phir Sonal Raj ko puri baat bata deti hai jisse sunne ke baad Raj ki aankhe gusse se laal hojaati hai.

Raj: Gusse se. Kisne kiya hai yeh. Kiski itni himmat hui hai.

Sonal: Pleasee aap shant hojaaiye. Kisne kiya hai humhe kuch bhi nhi pata. Humhe kaise bhi karke uss insaan ko Video viral karne ke pehle pakadna hoga. Aur iske liye humhe aapki help chahiye.

Raj: Ekbaar woh mil jaaye phir dekhna uska kyaa haal karta hu main.

Neha: Par hum usse pakdenge kaise.

Raj: Soniya woh number dikhao kis number se msg aaya tha.

Soniya: Woh private number tha sir.

Raj: Kyaa kisi pe shakk hai ke aisa kaun kar sakta hai.

Soniya: I don’t know sir. Aur maine toh kabhi kisi se koi badtameezi nhi ki aur naahi kisi ko beizzat kiya tha.

Raj: Tumne nhi kiya ho par hosakta hai usse apni beizzati feel hui ho. Tumlog first day se saath ho kyaa tumlogo ko bhi kisi pe koi shakk nhi hai.

Neha: Nhii Sir. Infact humlog toh kisi aur se baat karte hi nhi the.

Raj: Ek kaam karo tumlog abhi ghar jaao bahot raat hogyi hai. Hum kal kuch sochte hai. Aur Soniya jyaada tension mat lo. Woh jald pakda jaayega. Aur agar uska koi bhi call yaa msg aata hai raat mein yaa kabhi bhi toh Sonal ko bata dena uske paas mera number hai toh woh mujhe bata degi. Aur yeh baat abhi aur kisi se nhi kehna.

Soniya: Jii Sir. Aur Thank you itni raat ko aane ke liye.

Raj: Isme Thank You kaisaa. Aur bilkul bhi tension mat karna. Chalo ab ghar jaao.

Sab: Jii.

Raj: Tumlog kaise aaye the yaha pe.

Vishal: Sir main aur Varun toh bike se aaye the.

Soniya: Main aur Neha Scooty se.

Raj: Aur tum teeno.

Sonal: Main auto se aur yeh dono apni Car se.

Raj: Hmmm. Insab ka toh thikk hai par tum ab ghar kaise jaogi. Itni raat ko ab auto kaha se milega.

Sonal: Mil jaayega Sir.

Raj: Agar problem naa ho toh main chorr du. Waise bhi itni raat ko akele auto mein jaana thikk nhi.

Neha yeh sunnke Raj aur Sonal ko gusse ghurne lagti hai aur mann hi mann Sonal se jalne lagti hai.

Sonal: Nhii Sir. Aapko pareshani hogi. Main chali jaungi.

Raj: Koi baat nhi chalo main chorr deta hu. Aur tumsab log bhi aaram se ghar jaao. Aur Soniya jyaada tension mat lo. Sab thikk hojayega.

Phir sab apne apne ghar ki taraf jaane lagte hai.

Neha: Mann mein. Yeh Sonal itne close kaise hai Raj sir ke. Pehle toh apna phone number diya. Phir uske ekbaar ke bulane pe turant aagaye aur ab usko uske ghar chorne bhi jaarahe hai. Mujhe toh kaise ignore karte hai aur Sonal se itna close. Aur uss din Sonal ka Raj sir ke cabin se nikalna.

Kahi yeh Sonal hi Ms. Pagal toh nhi. Jiske liye Raj Sir iss college mein aaye hai. Nhii nhii agar aisa hota toh class mein college mein yehdono aapas mein milte baate karte. Jabki yeh dono toh ekdusre ko dekhte tak nhi. Phir itni closeness kaise. Yeh pata lagana hogaa. Yehi sab sochte hue woh apne ghar ki taraf jaane lagti hai.

Idher Raj aur Sonal apni car se ghar jaa rahe the par unke dimaag mein Soniya ko kaise bachaya jaaye wohi chall raha tha.

Raj: Soniya ko leke soch rahi ho.

Sonal: Hmmm. Pata nhi kisne kiya hai aisa kaam. Kyaa milega usse Soniya ko badnaam karke.

Raj: Jisne bhi kiya hai woh jald pakda jayega. Aur kuch log hote hai jinko dusro ki izzat se koi matlab nhi hoya unko bas apna ego satisfy karna hota hai. Par tum chinta mat karo woh jald pakda jaayega.

Sonal: Bhagwan kare aisa hi ho. Warna pata nhi woh kya kya sarvanash kardega.

Phir kuch der mein dono ghar aajate hai jaha sirf Smita Ragini aur Nandini hu jagi hui thi jo inke aate hi sawaal puchne lagte hai jinhe yehlog kuch bhi bata ke apne apne kamre mein jaake chale jaate hai.

Dono apne apne kamre mein sone ki koshish kar rahe the par so nhi paa rahe the. Dono ke dimaag mein hi Soniya ka khayal aaraha tha jo dono ko pareshan kiye jaa raha tha.

Kuch der baad Raj ke kamre ka door knock hota hai. Woh jaake door kholta hai toh saamne Sonal khadi hui thi.

Raj: Sonal tum iss waqt.

Sonal: Aapko disturb toh nhi kiya naa.

Raj: Nhii. Aao naa andar aao.

Sonal andar aake saamne rakhe ek sofe mein baith jaati hai.

Sonal: Aap so rahe the kyaa.

Raj: Nhii neend nhi aarahi hai. Soniya ke baare mein hi soch raha hu.

Sonal: Main bhi wahi soch rahi hu. Baar baar dimaag mein yehi chal raha hai ke Soniya ka kyaa hoga. Usko kaise bachaya jaaye.

Raj: Mujhe bhi samaj nhi aaraha hai. Tumlog thikk se socho kyaa kisi se koi bhi jhagda hua tha yaa koi baat hui thi Soniya ki.

Sonal: Humlog kisi se jyaada baat hi nhi karte the toh jhagda hone ka sawaal hi nhi uthta.

Raj: Par itna toh pakka hai jisne bhi yeh kiya hai woh tumsab ke upar khaash kar Soniya ke upar nazre bana ke rakha hua tha.

Sonal: Baat aapki sahi hai. Aaplogo ne Seminar hall mein CCTV camera toh lagaye honge naa.

Raj: Haa lagaya thaa. Kal jaake check karenge. Dekhte hai kyaa nikalta hai.

Phir dono kuch der baith ke baate karne lagte hai uske baad Sonal apne kamre mein aake so jaati hai.
 
Top