• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

Prem pyasa

Member
283
980
94
Update 9
Agle din breakfast table mein sab baithe hue the. Sonal bhi Rajj ko dekh rahi thi jo aaj normal dikh raha tha sabse baat kar raha tha has raha tha.
Raj ek baar Sonal ko dekhta hai phir khaane lagta hai.
Deepak: Maaa ab humhe bhi jaana hoga. Jyaada din kaam nhi chorr saktaa.
Meera: Haaa Maa ji. Samar ka college bhi start hochuka hai. Ab humhe jaana chahiye.
Savitri: Thikk hai waise bhi 1 mahine baad Shaadi hai tab toh tumsab ko aana hi hai. Par Sonal nhi jayegi. Woh yehi rahegi.
Deepak: Jaisa aap kahe maa.
Savitri: Toh kabki flight hai.
Deepak: Aaj sham ki hai maa.
Savitri: Thikk hai Raj Airport chorne jayegaa. Rajjj.
Raj: Thikk hai dadi.
Phir Deepak Meera Swati aur Samar apni packing mein lag jaate hai.
Swati: Sonal tu ab yaha 2 saal rahegi. Koshish karna Raj ke dil mein tere liye jagah banjaaye. Inn 2 saal ka achhe se use karna. Aur Roj call karna.
Sonal: Jiii diii. Aap bhi apna mummy papa aur Samar ka khayal rakhna.
Sham ko yehlog jaane ke liye ready the.
Meera: Sonal apna dhyaan rakhna. Aur jyaada pareshan mat karna. Aur mann laga ke apni padhai karna. Thikk hai naa.
Sonal: Jiii Mummy. Aap bhi apna aur baaki sabka dhyaan rakhna. Main Roj phone karungi.
Deepak: Apna khayal rakhna Sonal. Vijay bhaiya Ashok bolna toh nhi chahiye par iska dhyaan rakhiyega.
Ashok: Kaise baate kar rahe ho Deepak yeh humari beti hai.
Meera: Smita Ragini didi. Agar isse koi galti hojaaye toh maaf kardena.
Smita: Tum bilkuk chinta mat karo. Humari Sonal bahot samajdar hai. Aur yeh lo isme raat ka khaana hai. Tum ghar pahonch ke khane ki tension nhi hogi.
Meera: Iski kya jarurat thi.
Ragini: Bilkul jarurat thi. Tum kya jaake khana banati. Bilkul nhi.
Sonal: Rajjj. Kya main bhi aapke saath Airport chalu.
Raj: Kyo nhi. Chalo.
Phir Raj Sonal Swati Samar Deepak aur Meera Airport nikal jaate hai.
Swati(Mann mein): Kaash ekbaar usse milsakti. Par usko toh shayad pata bhi nhi hoga. Koi naa shaadi mein mil lenge.
Thodi der mein yehlog Airport aajate hai. Jaha Yash ke saath Ishita pehle se hi khade the.
Swati Yash ko dekh kar bahot khush hoti hai. Toh Samar Ishita ko dekh kar.
Deepak: Aree Yash beta Ishita beti tum yaha.
Yash: Haa uncle. Rajj ne bataya aaplog jaa rahe hai. Bhaiya toh kisi kaam ke wajah se aa nahi paaye. Isiliye hum aagaye.
Phir Yash aur Ishita Deepak aur Meera ke pairr chute hai.
Meera ko Yash ka behaviour bahot pasand aaya.
Swati Yash ko hi dekhe jaa rahi thi. Woh Yash ko yaha dekh kar bahot khush hui thi uski mann ki murad jo puri hui thi.
Phir Yash Samar ke paas jaake usse haath milata hai.
Ishita bhi Samar ke paas aake usse haath milati hai. Samar bhi usse haath milate waqt uski aankho mein dekh raha tha. Ishita ki aankhe bhi ekbaar Samar ki aankho se ladh gayi Par dono ne hi kuch naa bola.
Yash aakhir mein Swati ke paas jaata hai.
Yash: Byeee.
Swati: Byeeee.
Yash: Shaadi ka intezaar rahega.
Swati: Mujhee bhiii. Jiiii.
Yash: Mera matlab hai bhaiya ki shaadi mein phir se mulakat hogi.
Swati: Jiiii.
Phir dono haath milate hai toh Yash ek kagaj Swati ko chupke se pakda deta hai. Swati bhi chup chap woh le leti hai.
Raj: Uncle flight ka time hogya hai. Check in start hogya hai.
Phir sab Sonal se gale milte hai aur Airport ke andar chale jaate hai. Sonal ki aankhe thodi num thi. Kyoki pehli baar woh apne family se durr rehne wali thi.
Swati aur Samar baar baar pichhe mudd ke dekh rahe the. Sonal ko laga usko dekh rahe hai.
Phir wohlog nikal chale jaate hai.
Raj: Tu nikal. Main bhi nikalta hu. Kal office mein milte hai.
Yash: Thikk hai. Byee Sonal.
Sonal: Byeee. Yash Ishita
Ishita: Byee.
Raj: Sonal chalee.
Sonal: Jiii.
Phir dono car mein baith jaate hai aur ghar ki taraf aane lagte hai.
Raj: Aur batao Sonal aage kya karne ka socha hai.
Sonal: Bas apni padhai complete karke ghar ka interior aur fashion design karne ka soch rahi hu.
Raj: Ooo. Acchi baat hai. Par tum toh interior designing kar rahi ho naa phir fashion designing.
Sonal: Jiii. Woh mujhe fashion designing ka bhi thoda shock hai.
Raj: Achha hai. Aah by the way congrats tumne apni college mein top kiya hai naa.
Sonal: Thank You.
Thodi der dono ke beech shanti rehti hai. Phir iss shanti ko Sonal hi todti hai.
Sonal: Ek baat puchu.
Raj: Hmm bolo.
Sonal: Aap itna chup chup kyo rehte hai. Jaha tak mujhe yaad aaraha hai Bachpan mein toh aise nhi the aap.
Raj: Bachpan ki baat alag thi. Par ab mujhe akele rehne mein jyaada achha lagta hai.
Sonal: Aisa kyo.
Raj: Yeh toh mujhe bhi nhi pata. Bas jaise jaise time bitta gaya mujhe akele rehne mein achha lagne laga.
Sonal: Ek baat kahu.
Raj: Hmm.
Raj: Aap haste hue achhe lagte hai. Sagai mein jaise enjoy kiya waise enjoy karte hue bahot achhe lagte hai. Meri maane toh aapko waise hi rehne chahiye. Yeh chup rehna akele rehna. Aapki personality ko suit nhi karta.
Raj bas ek tak Sonal ko dekhte rehta hai.
Sonal: Kyaa hua. Maine kuch galat kaha kyaa. Agar bura laga ho toh Sorry.
Raj: Nhi nhi. Aisi koi baat nhi hai. Koshish karunga waise rehne ki.
Sonal: Thank You.
Yehlog raaste mein hi the tabhi Sonal bolti hai.
Sonal: Raj please gaadi rokiyeee.
Raj car ko side mein rokhta hai aur puchta hai.
Raj: Kyaa huaa.
Sonal: Woh mujhe naa khulfi khaani hai.
Raj ko khulfi sunke kuch yaad aajata hai toh ekpal ke liye woh usme khoo jata hai.
Sonal: Rajjj.
Raj: Haaa. Par abhi kaha milegi khulfi.
Sonal: Woh dekhiye waha khulfi wala khada hai. Aapko pata hai mujhe khulfi bahot pasand hai. Chaliye naa Raj.
Raj: Nhi Sonal tum jao. Mujhe nhi jaaana.
Sonal: Toh phir rehne dijiye. Mujhe bhi nhi khana.
Raj: Aree tumhe mann hai toh khaa lo.
Sonal: Aap nhi khayenge aur main khaa lu. Not possible. Aapko pata hai thand ke mausam mein khulfi khaane ka ek alag hi maza aata hai. Thanda mausam aur saath thandi thandi khulfi.
Raj Sonal ka chehra dekhne lagta hai. Sonal bhi khulfi ko leke bilkul waisa hi behave kar rahi thi.
Raj: Chalo.
Sonal khush hoke nichhe utar jati hai aur daud ke khulfi wale ke paas aati hai. Raj bhi Sonal ke paas aata hai.
Dono khulfi lete hai aur khaane lagte hai.
Raj toh khulfi ko kaat ke khane lagta hai.
Sonal: Aree aree yeh kya kar rahe hai. Aisa khulfi kaun khaata hai.
Raj: Toh aur kaise khaate hai.
Sonal: Khulfi ko maze se dheere dheere chus ke khaane chahiye. Phir woh Raj ko dikhati hai. Dekhiye aisee.
Raj Sonal ko khulfi khaate hue dekhne lagta hai. Jaise waha Sonal naa hoke koi aur ho.
Sonal: Aise kya dekh rahe hai.
Raj: Tumhe aise khulfi khaata dekh kisi ki yaad aagayi. Woh bhi aise hi khulfi ke liye pagal thi aur aise hi khulfi khaati thi. Yeh bolte Raj ki aankho mein dukh bhar jaata hai. Jo Sonal dekh leti hai.
Sonal: Kaun hai woh.
Raj: Choro. Chalo ab chalte hai.
Sonal ko janna toh tha par usne force nhi kiya.
Phir dono car mein baith ke ghar ki taraf aajate hai.
Raat ko dinner ke waqt Ashok Sonal se puchta hai.
Ashok: Sonal beta tumhe achha toh lag raha hai naa. Koi bhi pareshani ho toh Nandini ya Shruti se bolnaa.
Sonal: Jiii.
Ashok: Tumhara college kabse hai.
Sonal: Jii Kalse hai. Mujhe kal join karna hai.
Ashok: Ookkk. Toh pata hai kaise jaana hai.
Sonal: Nhiiii. Mujhe issbaare mein hi baat karni thi.
Ashok: Chinta mat karo. Raj iska college toh humare office ke raaste mein hi padhta hai. Tum kalse roj drop karoge.
Sonal: Nhii nhii Chacha ji. Iski koi jarurat nhi hai. Bas kal raasta dikha denge toh phir main chali jaungi.
Savitri: Bilkul bhi nhiii. Raj tune suna na tere papa ne kya kaha.
Raj: Ji dadi. Main drop kardiya karunga.
Sonal: Par Dadi.
Savitri: Maine bola naa. Aur tumhare wapas aane ka intezaam bhi kardiya jayega. Tumhara kaam kab khatam hoga.
Sonal: Jii 2 baje.
Savitri: Yeh toh problem hogyi.
Sonal: Par main akele karlungi.
Savitri: Maine kaha naa.
Shruti: No Problem main le aaungi. Mera bhi bahar nikala hojayega.
Aarav: Dheere se. Aur Jija ji se milna bhi hojayega.
Aarav ne jo kaha woh kisi aur ne toh nhi par Sonal aur Shruti ne sun liya tha kyoki woh uske bagal mein hi baithe thee.
Shruti ghurr ke Aarav ko dekhti hai toh woh jhepp jaata hai.
Shruti: Lo Sonal hogya.
Sonal: Thank Youuu.
Shruti: Isme Thank You kaisa.
Aarav: Areee didi aap kyo pareshan horahi hai. Main toh saara din free hi rehta hu toh main le aaya karungaa. Sirf le hi kya main chorr bhi aaunga.
Aarav ke aisa bolne se Shruti Nandini Smita Karan aur Ragini usko hi ghurr ke dekhte hai.
Aarav: Kyaaa huaa sab aise kyo ghurr rahe hai.
Smita: Nandini jaldi jao aur iski nazar utaro. Pata nhi kisne ispar jadu tona kiya hai.
Aarav: Kyaa bol rahi ho aap.
Shruti: Mummy thikk bol rahi hai. Humara toh ek kaam tu nhi kartaa aur yaha itna bada kaam karne ke liye tu ready hogya aur woh bhi apne aap.
Aarav: Mann mein. Ab aapko kaise batau. Sonal di ko chorne aur laane ke chakar mein usse jo milna hogaa. Aur milne ka ek solid bahana bhi mil jayegaa.
Nandini: Kyaa baat hai kis soch mein dubb gayee.
Aarav: Aree nhii bhabhi. Aisaa kuch nhi hai. Woh toh Raj bhaiya busy rehte hai. Isiliye unka kaam maine le liyaa.
Shruti: Bhabhi kuch toh garbar hai. Ispe nazar rakhni padegi.
Aarav: Koi garbar nhi hai. Sonal di aapko kal lene aajunga. Good Night. Yeh bol apne room mein chala jaata hai.
Phir sab dinner karke apne room mein chale jaate hai.
Raj Ko Sonal ka sath acha lag Raha hai. Uski chhoti khusi Ko bhi mahatava de Raha hai.. i think kuchh kuchh ho Raha hai. "Raj Sambhal ja Zara, phir Mohabbat karne chala hai tu"
 

Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
Raj Ko Sonal ka sath acha lag Raha hai. Uski chhoti khusi Ko bhi mahatava de Raha hai.. i think kuchh kuchh ho Raha hai. "Raj Sambhal ja Zara, phir Mohabbat karne chala hai tu"
Raj ab nhi sambhlega. Woh mohabbat karke hi maanega.
 

dhparikh

Well-Known Member
6,928
8,272
173
Update 68
Raj: Toh kisi ko koi confusion yaa doubts hai toh bolo.

Raj ke bolne ke baad bhi koi haath upar nhi karta sivaay do jan ke.

Raj: Kyaa baat hai puri class mein sirf 2 jan ko hi doubts hai baaki sabko sabkuch samaj aagaya. Greattt. Agar aisa hi hai toh chalo ek test hojaaye subah ke sikhaye hue topic ke upar hi jisse mujhe bhi pata chal jaayega kisko kitna samaj aaya hai.

Raj ke aisa bolne se aadhe se jyaada class Raj ko aise dekhti hai jaise Raj ne unse unki dono kidney mang li hai.

Ishita: Bholi surat banake. Sir kyaa test lena jaruri hai. Aaj toh pehla din hi hua hai padhai ka.

Ishita ke bholi surat ko dekh Raj ko hasi aane lagti hai. Par woh control karta hai aur uske paas aake bolta hai.

Raj: Ishita. Agar tumlogo ko koi doubts koi question nhi hai subah jo padhaya woh samaj aagaya hai toh phir test dene mein kyaa problem hai. Iss test se tumlogo ko topic aur achhe se samaj aajayega.

Ishita Raj ke reply pe usko aise ghurti hai jaise bol rahi ho aap ghar mein milo phir batati hu aapko.

Raj: Toh chalo sab test ke questions likho. Aur time limit hai meri class khatam hone ke pehle tak.

Puri class mann maarke questions likhne lagti hai.

Raj: Sonal and Neha ab batao tumdono ke kya doubts hai.

Sonal ne apne apne doubts puchne start kiye par iss dauran jaha Sonal ki nazar completely apne copy aur book mein thi wahi Neha ki nazar sirf Raj ke upar thi.

Raj Sonal ke doubts sunke usko solve karwane lagta hai aur Sonal bhi achhe se samajne lagti hai.

Raj: Neha tumhara kyaa doubt hai.

Neha bhi jaldi jaldi 2-3 questions puch leti hai jiska answer usko pehle se aata tha par usne jabardasti waisa kiya.

Phir Raj Neha ke questions ka bhi answer de deta hai.

Raj: Toh tumdono samaj gaye.

Dono: Yes Sir. Thank you

Raj: Good ab jao jaake apna test do.

Phir dono apni jagah aajate hai toh test dene lagte hai.

Raj bhi class mein ghum ghum ke students ke paas jaake khada hojaata aur unke answers pe nazar ghumane lagta aur beech beech mein thodi bahot help bhi karne lagta.

Kuch der baad woh Sonal ke paas aake khada hojaata hai aur uske answers ke bahane usko dekhne lagta hai.

Ishita yeh notice karti hai toh table ke neeche ke Raj ke pairr mein maarti hai.

Raj Ishita ki taraf dekhta hai toh woh dheere dheere has rahi hoti hai.

Ishita ko haste dekh Raj jhep jaata hai aur waha se chala jaata hai.

Thodi der baad Raj bolta hai.

Raj: Okk students time up. Now stop writing.

Kuch students toh pehle hi likhna band karchuke the aur kuch likh rahe the toh woh bhi band kar dete hai.

Raj: Ishita saare answer sheets collect karke mujhe mere cabin mein de do.

Ishita: Yes Sir.

Phir Ishita pure class ki answer sheets collect karke Raj ke pichhe pichhe uske cabin mein chali jaati hai.

Cabin mein enter karte hi Ishita bolne lagti hai.

Ishita: Sir aap class mein kyaa kar rahe the. Meri bhabhi ke kyo dekhe jaa rahe the. Yeh bol hasne lagti hai.

Raj: Ishu college mein masti nhi.

Ishita: Come on Bhaiya. Aapki shakal uss waqt dekhne layak thi. Aisa laga jaise kisi ne aapki koi chori pakad li ho. Yeh toh achha hua woh maine dekha agar koi aur dekh leta yaa bhabhi dekh leti toh kyaa hota pata hai naa.

Raj: Hmm mujhe pata hai. Achha Sonal ne apni dawaiyan thik se li hai naa.

Ishita: Haa bhaiya aap chinta naa kare. Maine aur Payal ne bhabhi ko unki dawaiyan thik se khila di thi.

Raj: Thank You.

Ishita: Kyaa bola aapne. Humhe Thank You. Aap aao ghar mein phir dekhti hu aapko.

Raj: Achha sorry sorry. Ab jao.

Phir Ishita waha se chali jaati hai apne class ki taraf.

Jab woh class mein aati hai toh dekhti professor already aachuka tha.

Ishita bhi permission leke andar aake baith jaati hai.

Phir chutti tak inki classes hoti rehti hai.

Chutti ke baad Neha jaldi se class se nikalti hai aur washroom ka bahana karke Raj ke cabin ki taraf jaati hai par woh waha nhi thaa.

Idher Sonal ke mobile mein Raj ka msg aata hai ke woh uss jagah pe hi hai jaha usne rukhne ko bola tha.

Neha wapas se sabke paas aajati hai aur sabke saath chalne lagti hai.

Sonal: Achha main chalti hu byeee.

Ishita aur Payal dono Sonal se Raj ke baare mein puchte par usne unko ishare se hi chup karwa diya.

Sonal waha se nikal jaati hai aur kuch der mein Raj ke paas pahonch jaati hai.

Raj: Chalee.

Sonal: Jiii.

Phir dono ghar ki taraf nikal padhte hai.

Sonal: Sorry meri wajah se aapko wait karna padha.

Raj: Isme Sorry kaisa. Hum ek hi ghar mein rehte hai ek hi college mein jaate hai so itna toh kar hi sakta hu na.

Sonal: Phir bhi. Aap itna kar rahe hai kisliyee.

Raj: Ab dost ke liye itna toh kar hi sakta hu.

Sonal: Dost.

Raj: Haaa dost. Kyo main dost nhi bann sakta.

Sonal: Aisi baat nhi hai. Ban sakte hai. Par hum kab dost bane.

Raj: Hmm usi din se jisdin humne hall mein baithke baate ki thi. Maine toh usi din tumhe apna dost samaj liya tha. Par shayad tumne mujhe apna dost nhi samjha. Shayad mujhe thodi aur mehnat karni hogi apni image ko achhi banane ke liye.

Sonal: Aisi baat nhi hai. Par aapne kabhi dosti ka haath aage badhaya hi nhi. Isiliye mujhe laga aap abhi bhi mujhse naraz hai.

Raj: Naraz woh bhi tumse. Aur woh kisliye.

Sonal: Woh maine aapko galat samjha tha aur aapse galat behave kiya tha isiliye.

Raj Sonal ki baat sunke hasne lagta hai.

Raj: Tum abhi bhi woh baat leke baithi ho. Main toh kabka bhuk gaya hu ab tum bhi bhul jaao. Aur main tumse kabhi naraz ho hi nhi sakta.

Sonal: Woh kisliye.

Raj: Mann mein. Kyoki tum meri zindagi ho aur koi zindagi se naraz hosakta hai kyaa. Phir jorr se bolta hai. Kyoki tum meri dost ho. So friendsss. Yeh bol apna ek haatb aage badha deta hai.

Sonal: Ek pal Raj ko dekhti hai phir bolti hai. Soch lijiye Mr. Raj. Kahi yeh dosti mehengi naa padh jaaye.

Raj: Masti mein. Kyo aisa kyaa karne wali ho.

Sonal: Jyaada kuch nhi. Bas kabhi kabhi mujhe kulfi khilani hogi.

Raj Sonal ki baat sunke jor jor se hasne lagta hai. Raj ke saath saath Sonal bhi has deti hai.

Raj: Toh Ms. Sonal ko meri dosti manjurr hai.

Sonal: Manjurr hai. Par shart yaad rakhiyegaa.

Raj: Bilkulll. Jab bhi chahiye hogi tabhi mil jayegi. Toh chalo iss nayi dosti ko celebrate karte hai kulfi ke saath.

Sonal: Abhii nhii. Phir kabhi. Abhi ghar chalte hai bhabhi wait kar rahi hongi lunch ke liye.

Raj: Thikk hai toh yeh celebration udhaar raha.

Sonal: Thikk hai.

Raj: Waise ek baat bolu. Gussa toh nhi karogi.

Sonal: Ab dosti ki hai toh dost ki baat pe gussa kaisa.

Raj: Tum haste hue bahot achhi lagti ho. Humesha aise hi haste raha karo.

Sonal Pehle toh Raj ko ghurr ke dekhti hai jisse Raj thoda ghabra jaata hai.

Sonal: Gusse ka natak karte hue. Kyaa kaha aapne.

Raj: Ghabraate hue. Kuch nhi kuch nhi. Aur tumne kaha tha tum gussa nhi karogi.

Sonal: Iska matlab aap flirt karenge. Dosti kiye hue abhi kuch hi mins hue hai aur aapne flirting start kardi.

Raj: I am sorry. Yeh bol Raj ekdum chupp hojaata hai.

Sonal kuch der Raj ko dekhti hai aur phir jor jor se hasne lagti hai.

Sonal: Jara aaine mein shakal dekhiye apni. Ekdum safed hogya hai. Kitna darte hai aap. Yeh bol phir se jor jor se hasne lagti hai.

Raj: Confuse hoke. Matlabbb.

Sonal: Matlab main masti kar rahi thi aur aap kitna darr gayee. Yeh bol phir jor jor se hasne lagti hai.

Raj bhi samaj jaata hai ke Sonal ne usko bewakoof bana diya hai yeh soch woh bhi thoda has deta hai.

Raj: Tumne toh mujhe dara hi diya tha. Mujhe laga tum phir se mujhse naraz hogyi ho.

Sonal: Mujhe nhi pata tha aap itne darpok hai.

Raj: Heyy main koi darpok nhi hu. Woh toh bas tumhara gussa dekh kar thoda sa...

Sonal: Darr gaya tha Rightt. Yeh bol phir hasne lagti hai.

Raj: Achha achha ab chup karo. Haa main darr gaya tha.

Sonal kuch der chup chap baith jaati hai par kuch der baad phir hasne lagti hai.

Raj: Maine bola tha tum haste hue achhi lagti ho par itna bhi mat haso ke log pagal bolne lagee.

Sonal: Sorry Sorry. Par kyaa karu aapka woh chehra yaad aate hi hasi nikal jaati hai.

Raj: Haso haso kisi din mera bhi waqt aayega tab main hasunga.

Sonal: Achha sorry sorry ab nhi hasungi.

Kuch der baas phir Sonal ki hasi nikal jaati hai.

Raj: Kis pagal se dosti karli maine. Aree ab bas bhi karo.

Sonal: Aapne mujhe Pagal bola.

Raj: Ab Pagal ko pagal nhi bolunga toh kyaa bolunga.

Sonal: Agar main Pagal toh aap darpok.

Raj: Main darpok nhi hu

Sonal: Haa toh main bhi Pagal nhi hu.

Raj: Tum ho.

Sonal: Toh aap bhi hai.

Isi baat pe inki behas chirr jaati hai jo sidha ghar tak aati hai.

Sonal ghar ke andar aati hai toh Nandini puchti hai.

Nandini: Kyaa hua Sonal aisi shakal kyo banayi hui hai. Kyaa kisi ne kuch bola hai.

Sonal: Bhabhi kyaa main aapko Pagal dikhti hu.

Nandini: Nhii bilkul nhi. Kisne kaha tumhe Pagal.

Sonal: Uss Darpok insaan ne.

Nandini: Kis Darpok insaan ne.

Sonal: Wahi Mr. Darpok Raj Kapoor ne.

Nandini bhi Sonal ki baat sunn hasne lagti hai.

Nandini: Kyaa kaha tumne Darpok Raj Kapoor.

Tabhi Raj andar aata hai toh Sonal bolti hai.

Sonal: Lo aagaye Mr. Darpok.

Raj: Agar main Darpok toh tum Pagal.

Sonal: Dekha bhabhi inhone phir mujhe Pagal kaha.

Nandini: Aree shant hojao pehle mujhe yeh toh batao aakhir baat kya hai.

Sonal: Main batati hu bhabhi. Phir Sonal Nandini ko Car mein hui saari baat batati hai.

Sonal ki baat sunne ke baad Nandini bhi hasne lagti hai.

Nandini: Tum dono ki harqat dekh kar koi nhi bolega tumdono matured insaan ho. Tumdono abhi bhi ekdum bachhe ho.

Dono kuch bolne jaate hai tabhi Nandini beech mein bol padhti hai.

Nandini: Achha ab band karo yeh Darpok aur Pagal ka khel. Chalo jao jaake fresh hojaao.

Sonal Nandini ki baat sunke upar jaane lagti hai kuch durr jaake woh palat ti hai aur Raj se kehti hai.

Sonal: Raj.

Raj: Hmm.

Sonal: Thank You.

Raj: Kisliye.

Sonal: Aapki wajah se aaj main pata nhi kitne dino baad itna hasi hu. Thank You. Aap sach mein ek bahot achhe dost hai.

Raj bas muskura deta hai.

Sonal: Ek baat aur. Aap sach mein darpok hai. Yeh bol haste hue upar bhaag jaati hai.

Raj pichhe khada Sonal ki iss harqat pe hasne lagta hai aur dheere se bolta hai. Puri ki puri Pagal hai. Par jaisi bhi hai meri hai.

Nandini: Raj Sonal ke saath phir se dosti aakhir ho hi gayi.

Raj: Haa Bhabhi. Pyaar ki pehli sidhi chadhli hai humdono ne. Bahot jald aakhri sidhi pe bhi pahonch jaayenge.

Nandini: Waise aaj Sonal bahot khush hai.

Raj: Aur iski yeh khushi humesha kayam rahe yehi chahta hu main.

Nandini: Waise Raj aur Sonal ka toh pata nhi Mr. Darpok Kapoor aur Mrs. Pagal Kapoor ki jodi toh bangayi hai.

Raj: Haste hue. Kyaa bhabhi aap bhi.

Nandini: Haste hue. Jao jaake fresh hojao.


Phir Raj upar chala jaata hai.
Nice update..
 

Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
Update 69
Raat ko Sonal apne kamre mein padhai kar rahi thi tabhi Raj uske kamre mein aate hai.

Raj: Kyaa kar rahi ho Ms. Pagal.

Sonal: Padhai kar rahi hu Mr. Darpok. Ab aap toh thehre Professor. Par hum students ko toh padhai karni hogi naa. Bataiye kaise aana hua aaj mere kamre mein.

Raj: Kyaa aaj iss dost ke saath dinner ke baad walk pe chalne pasand karogi.

Sonal: Aaj achanak walk pe.

Raj: Bas aise hi mann kiya. Agar chalna chaho toh. Koi jabardasti nhi hai.

Sonal: Hmm thikk hai. Ab apne Darpok dost ke liye itna toh kar hi sakti hu. Waise kaha tak jaana hai.

Raj: Bas apne area ka ek chakar lagayenge aur wapas ghar.

Sonal: Thikk hai.

Raj: Okk toh dinner ke baad ready rehna.

Sonal: Okkk.

Phir Raj waha se nikal jaata hai aur Sonal padhne lagti hai.

Kuch der baad sab dinner karne lagte hai.

Savitri: Sonal yaha mann toh lag raha hai naa.

Sonal: Haa Dadi. Aisa lag raha hai yeh mera hi ghar hai.

Savitri: Yeh tumhara hi toh ghar hai Sonal. Tum jab tak mann kare tum yaha aaram se raho.

Sonal: Jii Dadi.

Phir sab dinner karne lagte hai.

Kuch der baad sabka dinner hojaata hai toh Sonal hall mein Kartik ke saath khelne lagti hai.

Raj: Chalee.

Sonal: Kuch der baad chale abhi main Kartik ke saath khel rahi hu.

Raj: Aake khel lena.

Sonal: Par tab tak yeh so jayega.

Raj: Achha ek kaam karo. Kartik ko bhi sang le chalo. Isse bhi ghuma laayenge.

Sonal: Sachhh.

Raj: Hmmm.

Sonal: Rukiye main bhabhi se puch ke aati hu. Yeh bol Sonal bhaag ke Nandini ke paas kitchen mein jaati hai.

Smita: Kyaa hua Sonal kuch chahiye kyaa.

Sonal: Woh chachi ji bhabhi se kuch kaam tha.

Nandini: Haa bolo.

Sonal: Woh Raj thoda walk pe jaana chahte hai toh unhone mujhse bhi chalne ke liye bola tha toh kyaa main Kartik ko sang le jaau.

Smita aur Nandini pehle ek dusre ko dekhte hai phir Sonal ko dekhte hai.

Nandini: Thikk hai le jao. Par dhyaan se jaana. Woh bahot pareshan karta hai.

Sonal: Jiii Thank You. Yeh bol Sonal waha se chali jaati hai.

Smita: Nandini yeh kyaa tha. Raj aur Sonal dono bahar walk pe jaa rahe hai.

Nandini: Haa Choti Mummy. Aaj hi dono mein bahot gehri dosti hui hai ek naye naam ke saath.

Smita: Sachhhh.

Nandini: Haa Choti Mummy. Raj aur Sonal phir se kareeb aarahe hai bilkul naye tarike se.

Smita: Yeh toh bahott achhi baat hai bhagwan karee dono jaldi se ek hojaaye. Waise kyaa naya naam diya hai.

Nandini: Mr. Darpok aur Ms. Pagal.

Smita: Yeh kaisa naam hua.

Nandini: Dono ne ek dusre ko yehi naam diya hai.

Smita: Kaiseee.

Phir Nandini Smita ko puri kahani batati hai jisse sunke Smita bhi hasne lagti hai.

Smita: Dono ke dono pure pagal hai. Par main bahot khush hu inki iss dosti se.

Idher Raj aur Sonal Kartik ko leke walk karne ke liye nikal jaate hai.

Sonal: Waise aaj achanak walk karne ki ichha kaise hui aapko.

Raj: Bas aise hi. Aaj mann kiya. Aur pehle koi saathi nhi tha. Par aaj se ek dost saath hai.

Sonal: Achhaa. Agar main mana kardeti toh.

Raj: Toh kya. Toh kuch nhi. Phir agle din try karta. Yeh bol hasne lagta hai.

Sonal bhi Raj ke baat pe has deti hai.

Sonal: Aap phir se flirt karne lagee.

Raj: Maine kaha Flirt kiya. Agar tum chahti ho toh main flirt kar sakta hu. Karu kyaa.

Sonal: Nhii koi jarurat nhi hai.

Raj: Waise college mein koi problem toh nhi hai naa.

Sonal: Abhi tak toh nhi hai. Baad ka pata nhi.

Raj: Achhi baat hai.

Sonal: Waise aapne abhi tak shaadi kyo nhi ki. Umar toh hogyi hai.

Raj: Mann mein. Shaadi toh kab ki hogyi hai. Par jisse hui usse hi yaad nhi hai.

Sonal: Kyaa hua kyaa sochne lage. Buraa laga ho toh Sorry.

Raj: Nhii nhii aisa kuch nhi hai. Bas koi achhi ladki hi nhi mili. College life mein ek thi jisse bahot pyaar karta tha par ek plans crash mein uski death hogyi.

Sonal: I Am Sorry.

Raj: Aree isme sorry kaise. Shayad meri kismat mein uska pyaar nhi tha. Aur waise bhi jab humne pyaar kiya tha tab yeh wada nhi kiya tha ke woh mujhse jyaada jiyegi yaa main usse jyaada jiunga. Humne toh bas Ishq kiya tha. Bepanaah Ishq.

Sonal Raj ki kahi hui baato ko sunke usse bahot impress hoti hai. Pyaar ko leke Raj ki yeh thought Sonal ko bahot pasand aayi thi.

Sonal: Aapko uski yaad nhi aati.

Raj: Yaad hum usse karte hai jisse hum bhul jaate hai. Aur Megha ko toh main kabhi bhula hi nhi. Woh humesha mere dil mein hai.

Sonal: Woh ladki bahot kismat wali thi ke usse aap jaisa pyaar karne wala mila

Raj: Meri choro apni batao. Tumne kisi se pyaar kiya hai kabhi. Yeh bol Sonal ko dekhne lagta hai.

Raj ki baat sunke Sonal ke dimaag mein kuch dhundli yaadein aajati hai. Jisse uske sir mein halka sa dard karta hai jiske wajah se uski aankhein band hojaati hai.

Raj: Sonal are you alrightt.

Sonal: Haa main thikk hu. Bas halka sa sir dard kar raha hai.

Raj: Achha chalo hum ghar chalte hai.

Sonal: Nhii thikk hai. Yaha achha lag raha hai. Thandi thandi hawa mein body ka saara stress khatam horaha hai.

Raj: Are you Sure.

Sonal: Hmmm.

Phir dono dheere dheere chalne lagte hai. Kartik toh kabka Sonal ke kandhe mein sogaya tha.

Raj: Waise tumne mere sawaal ka jawaab nhi diya.

Sonal: Mera bhi aap ki tarah hi hai. Kabhi koi aisa mila hi nhi jisse dekh kar dil ki dhadkane tez hojaaye. Jisse dekhte hi aisa lage ki isse achha mere liye aur koi ho hi nhi sakta. Aur phir meri nazar mein saare ladke ek jaise hi hote the. Isiliye main unse durr hi rehti thi.

Raj: Matlabbb.

Sonal: Matlab Jaipur mein mere college mein ek ladka tha Vicky bolke. Woh harwaqt mujhe touch karne ki koshish karta. Uski aankhe har waqt mujhe ghurti rehti toh uski wajah se meri soch ladko ko leke waisi hogyi thi. Aur usi chakar mein maine aapse badtameezi bhi kardi thi.

Raj: Ooo. Toh ab kyaa kehna hai tumhe ladko ke baare mein.

Sonal: Aapse Karan Bhaiya se Yash se Aarav se milne ke baad mere thoughts badal gaye hai. Isiliye toh maine aapki dosti bhi accept ki hai.

Raj: Khulfi khaana hai.

Sonal: Abhi itni raat ko.

Raj: Kisi ne mujhse kabhi kaha tha kulfi khaane ka koi waqt nhi hota jab mile tabhi khaalo.

Sonal: Hmmm nice words. Chaliye phir.

Phir dono waha se chalte hue ek kulfi wale ke paas aate hai.

Raj ek kulfi leta hai aur Sonal ki taraf badhata hai.

Sonal ke haath mein Kartik tha isiliye woh Kulfi ko pakad nhi paati.

Raj: Main khila du.

Sonal: Phir aap kaise khaayenge.

Raj: Tumhe khila dene ke baad khaa lunga.

Sonal Ek nazar Raj ko dekhti hai phir kuch sochne ke baad kulfi wale ko ek plate mein 2 kulfi kaat ke dene ko bolti hai.

Kulfi wala Sonal ke kahe mutabik waisa hi karta hai.

Sonal: Lijiye ab aap bhi khaa sakte hai aur main bhi khaa sakti hu.

Raj: Chalo Ms. Pagal ke paas dimaag bhi hai.

Sonal Raj ki baat sunn usko ghurr ke dekhti hai toh Raj apni nazre ghuma leta hai aur hasne lagta hai.

Phir Raj kulfi leta hai aur dono khaane lagte hai.

Kuch der baad kulfi khatam hojaati hai aur dono ghar ki taraf aajate hai.

Nandini: Kaha the tumlog. Kartik ne jyaada pareshan toh nhi kiya naa.

Sonal: Nhii Bhabhi. Kartik ne bilkul bhi pareshan nhi kiya aur yeh so bhi gaya hai.

Nandini: Chalo achhi baat hai. Chalo ab tumlog bhi so jao phir kal college hai naa.

Sonal: Jiii.

Phir Sonal Kartik ko Nandini ke god mein deke apne kamre mein chali jaati hai.

Nandini: Hmm toh aaj achanak yeh walk ka plan kaise ban gaya.

Raj: Woh college se ghar aate waqt Sonal ne kulfi khaane ki ichha jatayi thi uss waqt toh usne nhi khaayi. Par usne ichha jatayi thi toh mujhe toh pura karna hi tha isiliyr yeh plan banaya.

Nandini: Matlab.

Raj: Matlab ab agar usse sidha jaake bolta ke chalo kulfi khaane chalte hai toh woh nhi jaati isiliye walk ke bahana use kiya. Aur isi bahane thoda ekdusre se achhe se baat bhi hogyi.

Nandini: Achhi baat hai. Par apni excitement mein thoda control karna kahi koi problem naa hojaaye.

Raj: Jiii.


Phir Raj bhi apne kamre mein aake sojaata hai.
 
Last edited:
Top