• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
23,132
46,594
259
Update 51
Bahar aate hi Swati rone lagti hai.

Swati: Rote hue. Mujhse Sonal ki yeh halat nhi dekhi jaati.
Yash: Swati sambhalo khud ko. Aise rone se kuch nhi hogaa.

Swati: Kaise sambhalu Yash. Aaj hi usko hosh aaya hai aur woh sawaal puchne lagi hai jiska humare paas koi jawaab nhi hai.

Meera: Swati aise mat ro. Humhe ab Sonal ke saare sawaalo ke jawab taiyaar karne honge. Yeh tum bhi jaanti ho aur hum bhi jaante hai Sonal chup baithne walo mein se nhi hai.

Swati: Jaanti hu Mummy. Aur yehi chiz ka darr hai mujhe. Kahi Sonal ko saamne koi aisi baat naa nikal jaaye jisse usse problem ho.

Meera: Humhe sambhalna hoga. Aur Raj Sonal ke waise behaviour ke liye main tumse maafi maangti hu.

Raj: Aaplog aisa naa bole. Sonal patni hai meri. Uska pura haq hai mujhpar. Usne mujhe jo bhi bola hai woh sab anjaane mein bola hai. Abhi humhe issbaat ke upar dhyaan dena chahiye ke Sonal ko kyaa batana hai aur kaise batana hai.

Phir sablog baithke taiyaari karne lagte hai ke Sonal ko kyaa batana aur kaise batana hai.

Idher Sonal andar room mein Raj ke baare mein hi soch rahi thi.

Sonal: Kaun thaa woh. Aur kaise mujhe touch kar raha tha mere permission ke bina. Jaise main uski biwi hu. Agli baar agar mujhe touch karne ki koshish bhi ki toh maardungi usse.

Sonal ki nazar mein Raj ka impression uss harqat se thoda down hogya tha. Aur ab Sonal Raj ko naa pasand karne lagi thi. Kyoki usko lag raha tha woh jaanmuzz ke usko touch kar raha tha jo usko bilkul bhi pasand nhi hai. Kaha pehli hi nazar mein usko apna sab kuch maan baithi thi aur ab ussi insaan ko woh naa pasand karti hai.

Sonal: Par main yaha hospital mein kaisi aayi. Mujhe kuch yaad kyo nhi hai. Dimaag mein jyaada jorr bhi nhi de sakti doctor ne mana bhi kiya hai. Aur woh aunty woh kitni achhi thi unhone jab mujhe chuaa toh aisa laga jaise meri Mummy ne mujhe chuaa hai.

Par woh sablog kaun the. Papa ne kaha tha wohlog Kapoor Uncle ke gharwale hai. Par main unhe pehchan hi nhi paayi. Kitne saal pehle dekha tha unhe.

Yeh sab sochte hue bhi Sonal ka dhyaan baar baar Raj ke touch ki taraf jaaraha tha jo usse bahot pareshan kar raha tha. Woh yeh accept nhi kar paarahi thi.

Thodi der baad Raj Deepak Karan Nandini doctor se milne jaate hai.

Raj: Doctor kaisi halat hai ab Sonal ki.

Doctor: Woh physically jaldi recover hojayengi. Par mentally kuch keh nhi sakte.

Deepak: Hum usse ghar kab tak le jaasakte hai Doctor.

Doctor: Aaplog chahe toh usse ghar le jaasakte hai. Par jaisa maine kal kaha tha unke dimaag mein jyaada pressure naa padhe uska khayak rakhna hoga.

Raj: Aap bilkul chinta naa karee Hum uska pura khayal rakhenge.

Doctor: Thikk hai. Aur yeh dhyaan rakhiyega ke abhi woh apne pairon mein koi jorr naa de.

Nandini: Aap chinta naa kare. Iska dhyaan main rakhungi ke Sonal ke pairon mein koi jorr naa padhe.

Doctor: Thikk hai toh main discharge paper taiyaar karwata hu. Aaplog unhe ghar le jaaye aur woh medicines time to time dete rahiye.

Raj: Thank You doctor. Kyaa aapka number mil sakta hai agar kabhi koi emergency aagayi toh...

Doctor: Yeah Sure why not. Phir doctor Raj ko apna card de deta hai.

Raj: Thank You Doctor.

Phir sab waha se nikal jaate hai.

Raj: Bhaiya aap Jijaji ke saath milke ghar jaane ki taiyaari kijiye. Bhabhi aap jara Sonal ko ready karwa dijiye. Main Hospital ka bill payment karke discharge paper leke aata hu. Yeh bol Raj chala jaata hai.

Nandini sidha Sonal ke kamre mein jaati hai jaha pehle se hi Savitri Smita Ragini Meera Shruti Payal Ishita aur Swati baithe hue the. Aur inhone apna apna intro Sonal ko de diya tha. Jaise hi Nandini room mein enter karti hai toh Sonal bolti hai.

Sonal: Aap kaha gayi thi bhabhi.

Nandini yeh sunke ek pal hairan rehti hai aur sochti hai ke Sonal ko sab yaad aagaya. Par agle hi pal woh haqiqat mein aajati hai.

Nandini: Main doctor ke paas gayi thi. Unhone chutti de di hai ab chalo ghar chalte hai.

Thodi der baad Raj discharge paper leke andar aata hai tab tak Sonal taiyaar hogyi thi. Sonal ki nazar jaise hi Raj ke upar padhti hai toh usko bahot gussa aajata hai.

Sonal: Tumm. Tumhari himmat kaise hui yaha aane ki. Niklo bahar. Mummy aap isse abhi ke abhi bahar nikaliye.
Sonal ke aise behaviour pe sab log shock hojaate hai. Jo Sonal kabhi Raj se aankhe utha ke baat nhi karti thi woh aaj usse aise baat kar rahi hai.

Smita: Kyaa hua Sonal. Tum isse aise kyo baat kar rahi ho. Tum janti ho yeh kaun hai.

Sonal: Chachi ji yeh ek badtameez insaan hai. Mujhe touch kar raha tha meri permission ke bina. Aur mere haatho ko kas ke pakde hue tha. Shakal se toh shareef hai par harqate bilkul bhi shareef nhi hai. Aur tum abhi tak yehi khade ho. Maine kaha naa niklo bahar.

Sonal ki baat pe sab Raj ko ghurr ke dekhte hai jaise puch rahe ho yehsab kyaa hai.

Smita: Sonal beta shant hojaao. Kyaa tumne isse nhi pehchana. Yeh Raj hai.

Sonal: Raj hai toh main kyaa karu. Naam Raj hone se kya yeh koi mahan bangaya. Aur main kisi Raj ko nhi.......

Abhi Sonal ne itna hi bola tha ke usse kuch yaad aata hai aur woh ghurr ke Raj ko dekhti hai aur usse pehchan ne ki koshish karti hai. Par jab Sonal ne Raj ko ghurr ke dekha toh usko thoda ajeeb lag raha tha aur uske sir mein halka sa dard hua.

Sonal: Aaahhhhh mera Sir.

Sonal ke aise bolne se sabko tension hojaati hai khaash karke Raj ko. Woh Sonal ke paas aana chahta tha par aa nhi paaya.

Swati: Kyaa hua Sonal. Sir dard kar raha hai.

Sonal: Haa di. Halka sa sir dukh raha hai aur ajeeb lag raha hai. Aisa lag raha hai jaise main isse bahot baar mil chuki hu.

Smita: Aree Sonal yeh Raj hai mera beta. Tumdono bachpan mein kitna khelte the. Aur tumne sahi toh kaha tum isse bahot baar milchuki ho. Ab itne saal baad dekh rahi ho upar se tumhare sir mein chot hai isiliye yaad nhi raha hoga aur dard horaha hoga. Tum jyaada jorr mat do apne dimaag mein.

Smita ne baat ko toh sambhal liya tha par Sonal ki baat se Raj ki aankho mein thodi nami aagayi thi.

Sonal jab sunti hai ke Raj kaun hai toh usse thoda sa jhatka lagta hai aur usse thoda sa pachtava hota hai ke usne Raj ke saath thodi badtameezi kardi.

Sonal: Kyaaa yeh Rajjj hai.

Smita: Haaa. Ab kuch yaad aaya.

Sonal: Nazre nichhe kiye hue. I am Sorry. Main aapko pehchan nhi paayi aur naajaane kya kya boldiya.

Raj: Nam aankho se. Tumhe sorry bolne ki koi jarurat nhi hai. Yeh mera bad luck hai ke tum mujhe bhul gayi ho. Yeh bolte hue Raj ki aakho se 2 boond aansu ke nikal jaate hai.

Raj ke bolne ka matlab sabko samaj aagaya tha ke woh kyaa bolna chah raha hai.

Sonal: Main samjhi nhi.

Raj: Choro. Yeh batao tum kaisi ho ab.

Sonal: Abhi thik hai. Bas thoda sir bhaari hai.

Raj: Jaldi thikk hojayega. Chalo ghar chalte hai.

Sonal: Par mere pairr.

Raj: Agar permission ho toh main touch kar sakta hu tumhe.

Sonal: Nazre nichhe karke. Main apne kiye pe sharminda hu. I am sorry.

Raj: Maine kaha naa tumhe sorry bolne ki jarurat nhi hai. Waise bhi galti meri thi mujhe tumhe uss tarah touch nhi karna chahiye tha. Par kya ab main tumhe touch kar sakta hu.

Sonal: Jiii.

Phir Raj Sonal ko apni godd mein utha ke wheel chair mein achhe se baitha deta hai aur phir uski chair ko dhakel ke hospital ke bahar lejaane lagta hai. Baaki sab bhi unke pichhe pichhe chalne lagte hai.
बहुत ही बेहतरीन महोदय।
सचमुच राज बदनसीब ही है। उसे दो दो बार बेइंतहां प्यार करने वाली लड़कियां मिली , लेकिन उसकी किस्मत में दोनों का प्यार कुछ ही समय के लिए लिखा था। एक को भगवान ने छीन लिया तो एक को शैतानों ने।।

राज के दिल पर क्या बीती होगी जब सोनल ने उसे बहुत भला बुरा कहा। दिल टूट गया होगा राज का, लेकिन राज के लिए एक सुकून की बात ये है कि वो अभी तक उसकी नजरों के सामने है भले ही उसे कुछ भी याद नहीं है लेकिन राज सोनल को देख तो सकता है।।
 
Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244

Thank you

Woh Sonal ko dekh sakta hai usse baat karsakta hai bas issi wajah se woh puri tarah se toota nhi hai.
 
Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
23,132
46,594
259
Update 52
Hospital ke bahar aake Raj Sonal wapas god mein utha leta hai aur dhyaan se gaadi mein baitha deta hai aur Sonal ke agal bagal Smita aur Meera baith jaati hai.

Sonal: Thank You meri itni help karne ke liye.

Raj bas halke se smile kardeta hai aur jaake driving seat mein baith jaata hai aur gaadi ko Kapoor House ki taraf ghuma deta hai.

Gaadi mein Raj baar baar Sonal ko dekh raha tha saamne lage mirror mein se jo Sonal dekh leti hai aur usko yeh bilkul bhi achha nhi lag raha tha. Aur yeh chiz Sonal ki nazro mein Raj ka impression aur down kar raha tha.

Sonal: Mann mein. Yeh kaise mujhe dekhe jaa raha hai. Mujhe laga tha yeh achhe insaan hai par iske liye meri pehli soch hi sahi thi yeh bahot hi besharam insaan hai.

Thodi der mein sablog ghar mein aajate hai. Raj gaadi se utar ke Sonal ko godd mein lene lagta hai toh Sonal usko gusse se ghurr rahi hoti hai. Par woh kuch nhi bolti.

Raj Sonal ko godd mein utha ke achhe se wheelchair mein baitha deta hai aur usko andar lejaane lagta hai.

Sonal jaise jaise andar jaa rahi thi usko ajeeb sa lagne lagta hai. Usko aisa lagta hai jaise woh iss ghar ko achhe se jaanti hai aur bahot baar aachuki hai. Woh ghurr ghurr se harchiz ko dekh rahi thi.

Main door pe Smita pehle Sonal ki aarti utarti hai uske baad usko andar aane deti hai.

Andar aane ke baad bhi Sonal ghar ko ghure jaa rahi thi usko yeh ghar bilkul apna sa lag raha thaa.

Smita: Sonal beta kyaa dekh rahi ho.

Sonal: Yehh gharrr. Aisa lag raha hai jaise main yaha pehle bhi kai baar aachuki hu. Iss ghar ke har kone se waakif hu. Par thikk se kuch yaad nhi aaraha hai.

Sonal ki baat sunne ke baad sablog thode udaas hojaate hai.

Swati: Woh tu abhi hospital se aayi hai aur thaki hui bhi hai naa isiliye aisa lag raha hogaa. Tu jaa jaake thoda rest karle.

Sonal: Hosakta hai.

Smita: Raj jao Sonal ko uske room mein le jao woh nichhe wala.

Raj: Jiii.

Phir Raj Sonal ko uss room mein le jaata hai aur bed mein achhe se baitha deta hai. Aur bahar aane lagta hai.

Sonal: Suniyee.

Raj: Haa bolo koi kaam hai.

Sonal: Kuch puchna tha sach sach batayenge.

Raj: Hmm pucho.

Sonal: Aap mujhe gaadi mein ghurr kyo rahe the. Inkaar nhi karna maine pure raaste yeh notice kiya hai. Dekho mujhe yeh sab pasand nhi hai. Aap mere papa ke dost cum bhai ke bete hai isiliye main aapki iss harqat ko leke gharwalo ko kuch nhi bolungi par aage se aisa mat kijiyega. Warna mujhe gharwalo ko sab bolna padega.

Raj: Main tumhe jaanmuzz ke nhi ghurr raha tha. Tumhare sir mein chott lagi hai raaste mein thode bahot gaddhe the jiske wajah se tumhe problem horahi hai yaa nhi bas wahi dekhne ke liye tumhe dekh raha tha aur tumhe laga main tumhe ghurr raha hu.

Mujhe pata hai tumhe kyaa pasand hai kyaa naa pasand hai. Aur main aisa koi kaam nhi karunga jo tumhe pasand nhi. Agar tumhe kisi bhi chiz ki jarurat ho toh Bhabhi ko yaa Mummy ko kisi ko bhi bula lena.

Yeh bol Raj waha se chala jaata hai par tab uski aankho mein thode aansu bhi the.

Pichhe Sonal bed mein baithi bas Raj ko jaate hue dekh rahi thi aur soch rahi thi ke woh kitna galat soch rahi thi Raj ke baare mein. Usne uski kitni madad ki aur woh usse galat samaj ke kitna kuch bol baithi.

Sonal: Maine unhe phir se bura bhala keh diya jabki woh toh meri parwaah hi kar rahe the. Yeh sab uss Vicky ki wajah se hua hai. Waha woh mujhe jiss tarah se ghurta hai chune ki koshish karta hai uski wajah se mujhe harkoi uski tarah hi lagta hai. Aur isi wajah se main Raj ko galat samaj baithi. Mujhe unse maafi maangni chahiye. Agli baar jab mere saamne aayenge tab maafi maamg lungi.

Par unhe kaise pata hai mujhe kyaa pasand hai kyaa naa pasand hai. Hum toh bahot saal baad mile hai aur woh toh mujhe achhe se jaante bhi nhi hai phir unhone aisa kyo kaha.

Abhi Sonal aur kuch bolti tabhi uske kamre mein Swati Meera Smita aur Ragini aajate hai.

Ragini: Kyaa soch rahi ho beta.

Sonal: Kuch nhi bas yehi soch rahi thi ke main hospital mein kaise pahonchi kyaa hua tha mere saath.

Meera: Betaa tumhara ek accident hogya tha Jaipur mein aur uski wajah se tumhare sir mein chott aagayi thi. Jiske treatment ke liye hum tumhe yaha Mumbai leke aaye.

Swati: Par treatment ke baad tu Coma mein chali gayi thi. Aur kal tujhe hosh aaya hai. Isiliye tujhe sabkuch ajeeb lag raha hai.

Sonal: Par mera accident hua kaise. Mujhe toh yaad bhi nhi hai. Mujhe toh bas itna pata hai ke main ghar se mandir jaane ke liye nikli thi. Phir kyaa hua mujhe kuch yaad nhi.

Swati: Mandir se ghar aate waqt hi tera accident hogya tha. Aur ab tu innsab ke baare mein mat soch. Tu thik hai humare saath hai yehi humare liye bahot hai.

Sonal: Main kitne dino se Coma mein thi.

Swati: Tu 9 mahino se Coma mein thi. Aur kal tujhe hosh aaya hai.

Sonal yeh sunke shock hojaati hai.

Sonal: Kyaaaaa 9 mahine. Matlab itne mahino se main behosh thi.

Swati: Haaa. Aur ab tu tension mat le. Ab tu thikk hai. Par apne dimaag mein jyaada jor mat dena aur jyaada kuch sochne ki jarurat nhi hai.

Sonal: Thikkk hai.

Smita: Chalo ab tum aaram karo. Kisi bhi chiz ki jarurat ho toh humhe bula lena. Thikk hai.

Sonal: Jiii.

Phir charo waha se bahar aajate hai aur Sonal aaram karne lagti hai.

Idher Raj Sonal ke kamre se nikalne ke baad sidha apne room mein jaata hai aur jaldi se fresh hoke ready hoke Karan ke kamre mein aata hai.

Raj: Bhaiyaaa.

Karan: Haa Raj bol. Sonal thikk hai naa.

Raj: Woh thikk hai. Par ab woh thikk nhi rahega jisne meri Sonal ke saath aisa kiyaa hai. Aapko CCTV footage mila.

Karan: Haa mil gaya hai aur wahi dekhne main jaa raha hu.

Raj: Main bhi chalunga.

Karan: Chall.

Yash: Main bhi nhi bol hum bhi chalenge.

Raj: Yash tu.

Yash: Haa main. Aur akele akele jaa raha tha. Main bhi chalunga tere saath.

Phir teeno nikal padhte hai police station ki taraf.

Udher Ranjeet ko bhi pata chal gaya tha Sonal bachh gayi hai par yeh nhi pata tha ke uski yaadast chali gayi hai.

Ranjeet: Gusse se chillate hue. Aaaahhhhhhh itni planning ke baad bhi sab kuch barbaad hogya.

Rajesh: Kyaaa huaaa kyo chilla raha hai.

Ranjeet: Woh Sonal bachh gayi hai.

Rajesh: Kyaaaa. Itne bure accident ke baad woh bachh kaise gayi. Kyaa tujhe pura yakeen hai ke Sonal bachh gayi hai.

Ranjeet: Haaa mere uss aadmi ne dekha hai Sonal ko Hospital ke bahar woh bhi zinda.

Rajesh: Humhe laga tha Sonal ki maut se Raj puri tarah se barbaad hojayega. Par nhiii. Iss baar bhi hum naakaam rahe. Pehle toh ek kaam kar uss aadmi ko bol kahi chupp jaaye. Kyoki ab Raj aur Karan pagalo ki tarah iss baat ka pata lagayenge.

Ranjeet: Chorungaa nhii uss Rajj ko. Jaan se maardungaa usse. Yeh bol woh waha se kahi chala jaata hai.
बहुत ही बेहतरीन महोदय।

राज का छूना सोनल को अच्छा नहीं लगा। सोनल बहुत अच्छी लड़की है उसे इस अवस्था मे भी ये ध्यान है कि कौन सी छुवन अच्छी है और कौन सी छुवन बुरी है। राज का दिल प्रतिपल सोनल की बातों से छलनी हो जाता है लेकिन उसे भी पता है कि यव सब सोनल जान बूझ कर तो कर नहीं रही है। उसकी स्मरणशक्ति क्षीण हो चुकी है।।

उधर रंजीत और राजेश फिर से परेशान हो गए हैं क्योंकि उन्हें पता चल गया है कि सोनल अभी जिंदा है और अपने घर में है। उधर सीसीटीवी में ये देखना दिलचस्प होगा कि कोई सुराग मिलता है या नहीं।।
 
Chuwan achhi buri ki baat nhi hai. Agar waisa hota toh usko Raj ke chuwan se problem naa hoti.

Sonal ko problem hai ek anjaan insaan jisse woh jaanti bhi nhi woh usko touch kar raha hai.
 
Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
Update 53
Idher yehteeno police station aate hai aur Karan ke cabin mein chale jaate hai.

Karan: Maine jo CCTV ki footage mangayi thi woh do.

Hawaldar: Jii Sir.

Phir Hawaldaar woh CCTV ki footage laake Karan ko deta hai aur teeno woh footage dekhne lagte hai.

Footage mein Karan dekhta hai Raj aur Sonal jabse uss aashram ke andar gaye the ek gaadi waha khadi thi.

Raj: Bhaiyaa yehi hai woh gaadi.

Yash: Bhaiya iske driving seat pe zoom kijiye shayad driver ka pata chal jaaye.

Karan Driving seat pe zoom karta hai toh dekhta hai ek aadmi gaadi mein baitha hua hai par uski shakal nhi dekh paate kyoki usne apni shakal ko mask aur kaale chashme se dhakka hua tha.

Karan: Saale ne toh apne chehre ko dhakka hua hai kuch samai nhi aaraha hai. Aur aisi jagah khada hai ke gaadi ka number nhi aadha dikh raha hai.

Yash: Aage jaane se shayad dikh jayega.

Thodi der baad jab Raj aur Sonal waha se bahar aate aur phir Sonal wapas andar jaati hai aur apna mobile leke bahar aati hai aur jaise hj road cross karne wali hoti hai tabhi woh gaadi Sonal ko takkar maarke nikal jaati hai.

Yeh scene wapas dekh ke Raj ki halat kharab hojaati hai uske aankho se aansu behne lagte hai.

Raj: Dekha bhaiyaa mere aankho ke saamne meri Sonal ke saath kyaa hogya aur main kuch naa kar saka.

Karan: Usse chorunga nhi Raj. Bahot jald woh pakda jaayega jisne bhi yeh kiya hai.

Raj jaldi se uthta hai aur video ko aage pichhe karke achhe se dekhne lagta hai jisse unko gaadi ka number miljaata hai.

Yash: Chalo gaadi ka number toh mil gaya.

Karan: Haa par mujhe pura yakeen hai gaadi chori ki hogi. Kyoki yeh saare kaam aksar aise hi kiye jaate hai. Phir bhi gaadi ko khojta hu shayad usse kuch mil jaaye.

Phir Karan ek inspector ko bulata hai aur bolta hai.

Karan: RTO se pata karo yeh gaadi kaha hai aur jaao iss gaadi ko iske maalik ke saath yaha utha ke laao jaldi se jaldi.

Inspector: Yes Sir. Yeh bol woh inspector apne kaam mein lag jaata hai.

Karan: Raj itna toh pakka hai yeh sab pehle se plan kiya hua tha aur iske liye jisne bhi yeh kiya hai usko achhe se pata tha tu kaha kaha jaane wala hai usko tere har location ki khabar thi.

Kyaa tune kisi ko apne plans ke baare mein bataya tha yaa kuch aisa dekha ho jo tujhe ajeeb laga ho.

Raj: Bhaiya plan ke baare mein Bhabhi ko bataya tha aur innsab ki taiyaariyon mein maine aisa kuch notice hi nhi kiya.

Karan: Kuch toh miss horaha hai Raj. Dimaag mein jorr de. Soch aisa kuch ajeeb jo pichle kuch dino mein tujhe ajeeb laga ho. Kyaa koi tujhe pareshan kar raha tha koi pichha kar raha tha aisa kuch hua tha.

Raj apne dimaag mein jorr dene lagta hai toh usse yaad aata hai ke kuch din pehle usne ek aadmi ko harjagah dekha tha jaha jaha woh gaya tha par usne woh ignore kiya tha.

Raj: Haaa jisdin main Sonal ke liye surprise plan kar raha tha uss din maine ek aadmi ko har uss jagah notice kiya tha jaha jaha main gaya tha. Par maine uss baat ko itna seriously nhi liya tha.

Yash: Shayaf usi aadmi ne yeh kiya hai. Tujhe kyaa uska chehra yaad hai. Saale ka sketch banake dhund nikalenge.

Raj: Nhii mujhe uska chehra thik se yaad nhi hai. Par agar aur ek baar dekhunga toh shayad pehchan jaunga.

Karan: Tu uss din kaha kaha gaya tha.

Raj: Main uss din ek hotel mein gaya tha Mandir mein gaya tha anaath aashram old age home innsab jagah pe gaya tha par hotel ke andar gaya tha.

Karan: Hotel chall waha se jarur kuch na kuch milega.

Phir teeno waha se hotel ki taraf nikal jaate hai aur thodi der mein hotel aajate hai.

Hotel ka Manager Raj ko dekhte hi uske paas aata hai aur bolne lagta hai.

Manager: Yeh sab kyaa hai Sir. Uss din aapne saare arrangements karwaaye special dinner ready karwaya par aap aaye hi nhi aur naahi phone receive kiyaa.

Karan: Woh sab baad mein dekhenge. Par pehle mujhe aapke hotel ka CCTV footage dekhna hai jis din yeh yaha pe aaya tha.

Manager: Kyaa baat hai Sir. Kuch hua hai kyaa.

Karan: Sab pata chal jaayega. Pehle mujhe footage dikhao.

Manager: Jii Sir. Aaiye.

Phir teeno Manager ke saath server room mein jaate hai.

Manager: Mujhe 3 din pehle ki sham ke waqt ki CCTV footage dikhao.

Operator: Yes Sir.

Phir operator saamne lage Monitor mein 3 din pehle ki sham ke waqt ki CCTV footage dikhata hai.

Karan: Thoda fast forward kar aur uss waqt se start kar jab yeh(Raj) yaha aaya tha aur iske nikalne ke baad stop karna.

Karan ne jaisa bola Operator ne waisa hi kiya.

Karan: Raj dhyaan se dekh kaun tha woh aadmi kyaa yaha pe tujhe dikh raha hai.

Raj dhyaan se monitor mein dekhne lagta hai. Par usse woh aadmi nhi dikhta.

Raj: Bhaiya woh aadmi toh mujhe nhi dikha.

Karan: Tune thikk se dekha naa.

Raj: Jii bhaiyaa.

Karan: Thikk hai. Aage play kar.

Operator waisa hi karta hai.

Raj phir se monitor pe dekhne lagta hai. Tabhi usko dikhta hai ke Raj ke nikalne ke baad ek aadmi andar aata hai aur ek waiter ko pakad ke usko kuch paise deta hai aur Raj ke plan ki information leta hai par unndono ke baat karne ki awaaz sunai nhi deti.

Raj: Bhaiyaaa yeh hai woh aadmi.

Karan: Stop kar. Aur uss aadmi ke upar zoom kar.

Operator waisa hi karta hai. Par uska chehra side se dikh raha tha.

Karan: Tujhe pura yakeen hai yehi hai woh aadmi.

Raj: Haa bhaiyaa.

Karan: Kuch bhi kar par mujhe iss aadmi ka chehra chahiye.

Operator 3-4 angle ka use karke uss aadmi ka chehra monitor pe le aata hai.

Karan: Isse print kar.

Operator uss aadmi ka chehra print kar deta hai.

Yash: Uss waiter ko jara yaha bulana jisne iss aadmi se paise liye the.

Manager: Jii Sir.

Kuch der mein woh waiter waha aajata hai.

Waiter: Aapne bulaya sir.

Yash: Tu idher aa. Aur iss photo dekh. Isse jaanta hai.

Waiter uss photo ko dekhta hai toh usko yaad aajata hai.

Waiter: Haa sir. 3 din pehle yeh sahab aaye the. Inhone mujhse pucha tha ke thodi der pehle yeh(Raj) sahab aaye the woh kyo aaye the. Maine batane se mana kardiya tha toh unhone mujhe bola woh police se hai agar nhi bataya toh jail mein daal denge. Isiliye maine unhe bata diya tha.

Yash: Aur tujhe usne paise kis baat ke diye the.

Waiter: Unhone bola unhe meri aadat achhi lagi ke main kisi ko bhi kisi ko baat nhi batata. Isiliye unhone mujhe inaam diya tha jo sirf 500 the.

Yash: Thikk hai tu jaa. Saala bahot hi chalak aadmi tha.

Karan: Dekhne se toh ek gunda lagta hai. Jaldi hi pakda jaayega.

Raj: Manager kal nhi aa sake uske liye sorry. Aapka jitna bhi bill hua hai boliye main payment kardeta hu.

Manager: Main samaj sakta hu. Jarur koi problem hua hoga.

Phir Raj waha se payment karke nikal jaata hai.

Hotel se bahar aate hi Karan uss photo ko harjagah forward kardeta hai aur uss aadmi ko jald se jald pakadne ko bolta hai. Aur apne kuch khabri ko uski photo bhej deta hai.

Raj: Bhaiyaa ab kyaa karenge.

Karan: Maine iss aadmi ko khojne ke liye apne logo ko laga diya hai jald hi yeh pakda jayegaa. Filhal toh tu Sonal ka dhyaan rakh.

Raj: Hmmm.

Phir sab ghar aajate hai.

Ghar aate hi waha baithe sablog inlogo ko pakad lete hai aur sawaal puchne lagte hai.

Karan aur Yash ne badi mushkil se sabko shant karwate hai.

Karan: Yeh accident pehle se hi kisi ne plan kiya tha.

Meera: Par koi meri Sonal ko kyo maarna chahega. Uski toh kisi se koi dushmani bhi nhi thi.

Payal: Haa Jiju. Bhabhi ka toh college mein bhi koi problem nhi tha. Phir koi kyo unhe maarna chahta tha.

Karan: Yehi chiz toh pata lagana hai. Humhe ek aadmi ki talash hai jo kuch din pehle Raj ka pichha kar raha tha shayad usine yeh kaam kiya hai. Maine uski photo har jagah faila di hai bahot jald woh pakda jayegaa.

Phir sablog shant baith jaate hai.

Raat ko khaane ke waqt Nandini Raj se puchti hai.

Nandini: Raj kuch socha hai Sonal ko kaise yaha rokhna hai. Kyoki jaise hi woh chalna start karegi woh wapas Jaipur jaana chahegi.

Raj: Kuch samaj nhi aaraha bhabhi. Dimaag pura sunn hogya hai.

Smita: Kal puri raat soya nhi hai tu thik se. Aur phir aaj ka pura din bhi aaram nhi kiya. Abhi jaake chup chap so jaa. Dimaag ko aaram milega toh aage kya karna hai yeh samaj bhi aayega.

Meera: Smita thikk keh rahi hai Raj. Tum jao jaake aaram se so jaao. Sonal ki chinta mat karo.

Raj: Sonal ne khaana khaaya.

Nandini: Maine usse khila diya hai dawaaiyan bhi de di hai aur woh so bhi gayi hai. Ab tum thik se khaoo aur jaake so jaao.

Raj: Hmmm.

Phir sablog chup chaap khaane lagte hai.

Dinner ke baad Raj dheere se Sonal ke kamre mein jaata hai toh dekhta hai Sonal gehri neend mein so rahi hai.

Raj Sonal ke paas baith jaata hai aur dheere dheere uske sir ko sehlaane lagta hai.

Raj: Tumhari yeh halat karne wale ko main chorunga nhi Sonal. Bahot jald woh pakda jayega. Meri kismat bhi kitni ghatiya hai. Main jisse bhi pyaar karta hu woh mujhe chor ke chala jaata hai. Pehle Megha se pyaar kiya toh woh mujhe humesha ke liye chor ke chali gayi phir tumse pyaar hua toh tumhi mujhe bhul gayi. Par main haar nhi maanunga. Tum bhul gayi toh kyaa hua. Mujhe toh sab yaad hai naa. Main tumhe kabhi akela nhi chorunga. Harwaqt tumhare saath rahunga. Aur dekhna ekdin tum phirse mujhse pyaar karne lagogi. Yeh bol woh Sonal ko sir ko chum leta hai. Phir waha se bahar aajata hai.

Raj: Mere khayal se abhi kuch din kisi ko Sonal ke saath raat ko rukhna chahiye. Agar usse jarurat padhi toh.

Swati: Tum chinta mat karo Raj. Jab tak Sonal ke pairr thik nhi hojaate uske saath main rahungi. Tum jaao jaa uski ke aaram se so jaao.

Phir Raj apne kamre mein aake fresh hoke sone lagta hai. Par aaj usse ussi ke kamre mein akelapan sa mehsus horaha tha dumm ghutt raha tha.

Raj: Kaha har raat Sonal ke saath baate karte hue uske pure din ke baare mein jaante hue sota tha aur jab tak woh apne pure din ke baare mein bata nhi deti naa khud soti naa mujhe sone deti par ab shayad woh kabhi nhi hogaa. Yehi sab sochte hue Raj sone ki koshish karta hai par tabhi uske dimaag mein ek khayal aata hai aur woh jhatt se apna mobile nikal ke kisi ko kuch msg karta hai aur phir so jaata hai.

Agle din subah sablog Sonal se milke uska haalchaal puchte hai par Raj uske kamre ke andar nhi aaya tha woh bahar se hi chupp ke Sonal ko dekh raha tha. Kyoki woh nhi chahta tha ke kisi bhi reason se uski image Sonal ki nazar mein kharab ho.

Par idher Raj ke naa aane se Sonal ko thoda bura lagta haj aur usko andar hi andar thoda guilty feel bhi hota hai par woh kuch nhi bolti.

Phir sablog apne apne kaam mein lag jaate hai. Raj Ishant aur Yash apne apne office chale jaate hai. Karan police station nikal padhta hai Payal aur Ishita bhi apne college chali jaati hai aur baaki sab bhi apne apne kaam mein lag jaate hai.

Shruti: Mummy ab humhe bhi apne ghar jaana chahiye. Swati yehi rahegi jab tak woh chahe.

Smita: Thikk hai.

Phir thodi der baad Shruti bhi Shristi ko leke apne ghar chali jaati hai. Ishita Ishant aur Yash bhi apne ghar pahonch jaate.

Dopahar ko sablog Sonal ke kamre mein baithe hue the aur usse baate kar rahe the.

Meera: Sonal beta tumne aage kya socha hai.

Sonal: Pata nhi mummy. Kuch samaj nhi aaraha hai.

Smita: Kyaa tum aage padhna chahti ho yaa phir koi job karna chahti ho.

Sonal: Exams dene ke baad toh maine yehi socha tha ke aage padhai bhi karungi. Par shayad ab woh possible nhi hai.

Smita: Woh kyo bhala.

Sonal: Woh itne mahino ka gap hogya hai. Aise mein phir se study start karna....

Smita: Agar tum chahti ho toh aage ki padhai aaram se karo.

Meera: Haa beta. Tum jaisa chahti ho waisa hi hoga. Aur waise bhi tumne apne college se top kiya tha uske liye tumhe yaha ke ek achhe college mein padhne ka mauka mila tha jiske liye tumhare papa bhi maan gaye the. Agar tum chaho toh yaha rehke padh sakti ho.

Smita: Haaa Sonal. Agar tum yaha rehke padhai karti ho toh humhe bahot khushi hogi.

Sonal: Mujhe thoda time chahiye. Main abhi thikk se decide nhi kar paarahi hu.

Meera: Koi baat nhi. Tumhe abhi koi jarurat nhi hai faisla karne ki. Pehle tum thikk hojao. Phir dekhenge kyaa karna hai.

Rajesh aur Ranjeet abhi puri tarah se shant hogye the. Kyoki unhe pata tha khatra unke upar bhi hai. Par woh shant baithne ke saath saath Raj se badla lene ke dusre tarike bhi soch rahe the.
 
Luffy

Well-Known Member
7,017
29,006
203

Smita: Haaa Sonal. Agar tum yaha rehke padhai karti ho toh humhe bahot khushi s
hogi.

Sonal: Mujhe thoda time chahiye. Main abhi thikk se decide nhi kar paarahi hu.

Meera: Koi baat nhi. Tumhe abhi koi jarurat nhi hai faisla karne ki. Pehle tum thikk hojao. Phir dekhenge kyaa karna hai.

Rajesh aur Ranjeet abhi puri tarah se shant hogye the. Kyoki unhe pata tha khatra unke upar bhi hai. Par woh shant baithne ke saath saath Raj se badla lene ke dusre tarike bhi soch rahe the.
Superb update
 
Top