• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

Anshu Sharma

Shubham Yadav
2,564
1,370
144
  • Like
Reactions: Luffy and Jaguaar

Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
Update 48
Udher Ranjeet jisne Sonal ko takkar maari thi woh uss gaadi ko jungle ke andar rakh kar waha se bhaag jaata hai aur apne chupne ki jagah aajata hai.

Rajesh: Kyaa huaa kaam hua.

Ranjeet: Sonal ka bachna naamumkin hai. Usko aisi takkar maari hai woh ab bach nhi paayegi.

Rajesh: Aur woh gaadi.

Ranjeet: Usko bhi thikane laga diya hai.

Rajesh: Bahot khubb. Isse achha badla nhi hosakta tha. Yeh bol dono hasne lagte hai.

Udher Hospital mein sablog tension mein the.

Ragini: Yash.

Yash: Jii Aunty.

Ragini: Jaipur call kiya.

Jaipur ka naam sunke Swati ka rona aur badh jaata hai.

Swati: Rote hue. Mummy aur Papa ko kaise bataungi Sonal ke baare mein.

Ragini: Batana toh hoga hi beta.

Swati: Mujh mein himmat nhi hai batane ki. Yash aap call kardijiyee.

Yash bhi himmat karke Jaipur call karta hai.

Deepak: Aree Yash beta kaise ho. Swati kaisi hai.

Yash: Papa ji woh actually woh...

Deepak: Kyaa baat hai beta tumhari awaaz se lag raha hai koi pareshani hai. Tumlog thik toh honaa.

Yash: Jii woh actually Sonal ka accident hogya hai. Humlog abhi hospital mein hai. Aaplog yaha aajaiye.

Deepak: Kyaaaaaaa. Kaisee hua. Meri beti thikk toh hai naa.

Yash: Abhi uska operation chal raha hai. Aaplog jaldi se yaha aajaiye.

Deepak: Hum hum abhi aate hai.

Yeh bol phone kaat deta hai.

Deepak: Meera Meera jaldi aao.

Meera: Kyaa hua.

Deepak: Woh Sonal ka accident hogya hai. Humhe abhi Mumbai jaana hogaa.

Meera toh sunte hi sadme mein chali jaati hai. Woh wahi jaise pathar bangayi thi.

Deepak: Meera ke paas aake usko hilate hue. Meeraaa.

Meera: Rote hue. Kaisii hai meri bachhiii. Kaise hua yeh sabbb.

Deepak: Kuch nhi pata. Yash ka call aaya tha jaldi chalo. Yeh bol jab Deepak saamne darwaaze mein nazar daalta hai toh waha Samar khada tha aur woh bhi ro raha thaa.

Samar: Meri Shinchan.

Deepak: Kuch nhi hoga beta tumhari Shinchan ko. Woh bahot jald theek hojayegii.

Phir Deepak kisi ko call karke Mumbai jaane ke liye tickets book karwata hai aur thodi der mein teeno mumbai ke liye nikal jaate hai. Pure raaste Meera bas roye jaa rahi thi.

Idher Mumbai mein Raj ki haalat bhi kharab thi. Usko bhi gehra sadma laga tha. Kaha woh aaj Sonal ko propose karne wala tha aur kaha yeh sab hogyaa woh bhi uski aankho ke saamne.

OT mein Sonal ka operation chal raha tha. Doctor apni taraf se puri koshish kar rahe the. Khoon hadd se jyaada beh jaane se khoon bhi chadaya hua tha.

Kuch 2 ghante ke operation ke baad Doctor bahar aate hai.

Raj: Doctor kaisi hai meri Sonal. Woh woh thik toh hai naaa.

Sab: Haa Doctor boliye naa kaisi hai woh. Thikk toh hai naa wohh.

Doctor: Dekhiye aap sab shant hojaaiye. Humne operation toh kardiya hai. Par patient ki halat achhi nhi hai. Accident ke waqt shayad unka sir jorr se kisi chiz se takraya tha jiske wajah se unhe brain mein internal injury bhi hui hai.

Ashok: Toh aap bade se bade neuro surgeon ko bulaiye. Unse treatment karaiye.

Doctor: Maine already unko call kardiya hai. Woh bas aate hi honge. Par unki fees....

Vijay: Paiso ki koi chinta mat kijiye doctor. Bas aap humari bachhi ko bachha lijiyee.

Doctor: Thikk hai. Doctor ke aate hi hum wapas se operation ki taiyaari karengee. Yeh bol woh doctor waha se chala jaata hai.

Idher Raj aur Swati ne jab Sonal ki condition ke baare mein suna toh unki halat aur bigad jaati hai. Raj ko Karan ne aur Swati ko Yash ne sambhala hua tha.

Karan: Raj accident kaise hua.

Nandini: Karan abhi yeh aap kyaa puch rahe hai.

Karan: Nhi Nandini mujhe puchne do. Raj bata accident kaise hua.

Raj: Humlog anaath aashram se wapas aarahe the. Tab Sonal ne bataya uska mobile waha office mein reh gaya hai toh woh apna mobile laane gayi thi. Aur main gaadi ke bahar uska wait kar raha tha. Main opposite side mein tha aur aashram opposite side mein.

Sonal mobile leke jab road cross kar rahi thi tab maine dekha ek car tezi se uski taraf aarahi thi. Main kuch bolta ya karta uske pehli hi Sonal ka..... Yeh bolte woh ro deta hai.

Karan: Gaadi ka number dekha tha.

Raj: Mera dhyaan nhi gaya tha uss taraf.

Karan: Tu chinta mat kar main uss car wale ko chorunga nhi bahot jald woh Jail mein hogaa.

Thodi der baad waha Deepak Meera aur Samar aajate hai.

Meera: Kaisi hai meri bachhi. Kaha hai woh mujhe abhi dekhna hai usse. Woh thikk toh hai naaa.

Smita: Meeraaa.

Meera: Smitaa kaha hai meri Sonal. Woh thikk toh hai naa. Kaha hai woh. Mujhe milna hau meri bachhi se. Usse jarurat hogi meriii.

Smita: Shant hojao Meera.

Meera: Chillate hue. Aree kaise shant hojauu. Meri bachhi ki jimmedari uthayi thi tumne. Tumne wada kiya tha meri bachhi ko sambhal ke rakhogi. Yeh sambhala hai tumne. Usse yaha hospital mein bhej ke.

Deepak: Meera kyaa bol rahi ho. Isme Bhabhi ki kyaa galti. Iski taraf se main maafi maangta hu bhabhi.

Smita: Main Meera ki halat samaj sakti hu. Aur Meera ne kuch galat bhi nhi kaha. Maine wada kiya tha Sonal ko sambhal ke rakhungi par main woh wada nhi nibha paayi.

Deepak: Abhi kaisi hai woh.

Phir Smita unnlogo ko Sonal ki condition aur accident kaise hua woh batati hai.

Meera yeh sunne ke baad apna aapa kho deti hai aur sidha Raj ke paas jaake usko thappad maar deti hai.

Meera ke iss harqat ne waha khade sabhi ko shock mein daal diya tha. Par Raj ne koi react nhi kiyaa.

Deepak: Meeraaaa. Yeh kyaa kiyaa tumne. Woh Jamai hai humara. Humari Sonal ka pati hai woh. Aur tumne usi pe...

Meera: Mujhe pata hai yeh kaun hai. Aur aaj isi ki wajah se meri bachhi iss haal mein hai. Agar tum usse sambhal nhi sakte the toh usko leke bahar kyo gayee. Main boldeti hu agar meri bachhi ko kuch bhi hua toh main tumhe chorungi nhi.

Raj bas chup chaap waha khada sunta raha. Ab toh usko bhi yehi lag raha tha ke Sonal ki woh halat uski wajah se hi hui hai.

Deepak Meera ko waha se hata leta hai aur sabse specially Raj se maafi maangta hai.

Raj: Aap maafi mat maangiye. Aur kahi na kahi inhone sahi kaha hai. Agar main Sonal ko leke bahar nhi jaata toh aaj Sonal ki yeh halat naa hoti.

Deepak: Beta tum Meera ki baato ko apne dil pe mat lo. Abhi uski mental condition thikk nhi hai isiliye usne woh sab boldiya.

Thodi der baad Sonal ko wapas OT mein le jaaya jaata hai jaha uska wapas Operation start hota hai. Aur bahar sabkoi Bhagwan se prarthana karne lagte hai.

Karan ne kisi ko call karke uss area ki CCTV footage check karne ko bola aur uss car ka pata lagane ko boldiya tha.

Kuch 3 ghante ke operation ke baad doctor bahar aata hai toh sab unke upar jhapat padhte hai.

Karan: Doctor ab kaisi halat hai Sonal ki. Woh thikk toh hai naa.

Doctor: Operation toh kardiya hai hosh aane ke baad hi main kuch keh sakta hu.

Raj: Hosh kab tak aayega.

Doctor: Takreeban 2 ghante baad.

Raj: Kyaa hum mil sakte hai.

Doctor: Nhiii. Abhi bilkul nhi. Mujhe ek chiz ka doubt hai abhi woh unke hosh mein aane ke baad hi pata chalega. Nurse jaise hi inko hosh aaye sabse pehle mujhe bulana. Aur aaplog please abhi unke saamne mat jaaiyega.

Meera: Meri beti thikk toh hai naa. Kam se kam mujhe toh uske paas rehne dijiye. Main maa hu uski. Pleasee doctor.

Doctor: Thikk hai. Sirf aap hi rahengi. Aur koi nhi. Nurse hosh aate hi mujhe inform karna.

Nurse: Jii doctor.

Phir doctor waha se chala jaata hai.

Nurse: Aap thoda wait kijiye. Thodi der mein unko room mein shift karenge phir aap mil lena.

Phir Nurse bhi wapas andar chali jaati hai.
 
Anshu Sharma

Shubham Yadav
2,564
1,370
144
Lagta hai villian logis ne apna kaam kar diya hai.... shayad sonal ka kissa khatam... :D

ab raj ki life dard aur peeda se bhari hogi... ek khalipan...
jaise......
ar ruko tanik.... are meera hai na us khalipan ko door karne ke liye.. :D
Khair...

Shaandaar update, shaandaar lekhni, shaandaar shabdon ka chayan...
aise hi likhte rahiye aur apni manoram lekhni se hum readers ka manoranjan karti rahiye...
Let's see what happens next...
Brilliant update with awesome writing skills :applause: :applause:
Nishchal ki GF aye gi ab
 
  • Like
  • Haha

:reading:
 
Last edited:

Thank you

Aur aise kaise uss bechari ka kissa khatam kardu. Meri most favourite character hai Sonal.
 
  • Like
Reactions: mashish and Naina
Top