• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
aree kya jaguaar bhai story mat khatam karo mjaa aa raha hai continue rakho
Maza aaraha hai woh mujhe pata chal raha hai. Par yeh ek tarah se real life family story jaisa hogya hai. Jisko jitna likhunga utna badhega. Kabhi khatam hi nhi hogaa.
 
  • Like
Reactions: Shanu

Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
Update 138
Aise hi dheere dheere kuch saal guzar jaate hai. Bachhe bhi bade hogaye the aur school jaane lage the. Kartik jaha thoda shant tha wahi yeh dono bhai behen hadd se jyaada badmaash.

Dono harwaqt ekdusre se ladte rehte the. Jab dekho dono ekdusre ko maarte pareshan karte daant khilwate. Par same time pe ekdusre ko pyaar bhi bahot hi jyaada karte the. Agar saamne wale ki tabiyat kharab ho yaa koi chott lag jaaye toh dusre ko wale jyaada takleef hoti thi.

Payal bhi ab maa banne wali thi par Ishita abhi innsab ke liye prepared nhi thi isiliye usne kuch waqt maanga tha jiska support sabne kiya. Aakhir woh khud ek bachhi hai.

Krishna aur Megha ki badmaashiyan din ke din badhti jaa rahi thi. Par kabhi kisi ne kisi bhi bachhe ko kabhi bhi nhi daanta. Sonal toh dono bachho pe kuch jyaada hi laad pyaar jatati thi jiss wajah se yeh jiddi bhi hogaye the.

Dono ki badmaasiyon ki report school se aati rehti thi. Par sablog inki inn badmaasiyon ko enjoy karte the. Raj agar kabhi inhe daant bhi deta toh usse Sonal aur Smita se muqabla karna hota tha.

Ekdin Raj subah aaram se so raha tha. Uske office ki chutti bhi thi aur bachho ke school ka holiday bhi tha. Krishna aur Megha subah jaldi uth jaate hai aur aaj pure din kyaa karna hai uski planning karne lagte hai.

Megha: Bhaiyaa chalo chalke papa ko uthate hai.

Krishna: Haa didi papa ko bolenge humhe aaj ghumane le chale. Bahot din hogye hum kahi bahar nhi gaye. Chalo chalke uthate hai. Yeh bol woh Raj ke kamre ki taraf jaane lagta hai.

Megha: Aree bhaiyaa ruko. Aise sidhe sidhe uthayenge toh humari kyaa izzat reh jayegi. Kuch toh alag karna padega naa. Krishna aur Megha ki style mein.

Krishna: Kyaa karee.

Megha: Chalo wahi chalke sochenge.

Phir dono bhai behen apne papa ke kamre mein aate hai toh dekhte hai Raj ekdum besudh soya hua hai.

Dono dheere dheere uske paas aake khade hojaate hai aur ekdusre ko dekhne lagte hai.

Tabhi Megha ki nazar Sonal ki dressing table pe jaati hai toh woh uss taraf chal deti hai.

Krishna: Didi yaha kyaa kar rahi ho. Agar Mummy ne dekh liya toh bahot daant padegi.

Megha: Mummy humhe kuch nhi bolegi. Yeh bol woh Sonal ki lipstick utha leti hai aur Raj ke paas aake bed mein baith jaati hai aur ekdum dheere dheere Raj ka makeup karne lagti hai.

Megha ke dekha dekhi Krishna Sonal ka kajal pencil utha leta hai aur Raj ke paas aake woh bhi uska makeup karne lagta hai.

Kuch der mann bharr ke makeup karne ke baad dono apne baap ko uthane lagte hai.

Megha: Papa papa uthiyee naa. Kitna soyengee.

Krishna: Uthiye naa papa. Dekhiye subah hogyi hai. Uthiyeee naaa.

Raj: Neend mein hi. Kyaa hai sone do naa. Kyo pareshan kar rahe ho.

Krishna: Nhii aap uthiyee. Humhe aapse jaruri baat karni hai.

Megha: Haa Papa uthiyee naa.

Raj: Abhi nhii baad mein. Abhi mujhe sone do.

Megha: Aap uthte hai yaa hum Mummy ko bulaye.

Raj yeh sunke mann mein bolta hai. Uthja Raj. Warna pata nhi yeh shaitano ki jodi kyaa kyaa boldenge Sonal ko. Aur Sonal toh inki baato pe hi vishwaas karegi.

Krishna: Mummmyyyyyy.

Raj: Areee uth raha hu mere baap. Chainn se jeene toh dete nhi ab sone bhi mat do.

Megha: Kyaa bola aapne. Hum abhi Mummy ko batate hai.

Raj: Aree meri princess kyo Papa ko daant khilwana chahti ho. Achha bolo kyaa baat karni thi.

Krishna: Humhe aaj ghumne jaana hai.

Raj: Kis khushi mein.

Megha: Hum bahot din se kahi ghumne nhi gaye hai. Kartik bhaiya toh apni Nani ke yaha pe bhi ghumne jaate hai par aap toh humhe kabhi bhi Nani ke yaha jaane nhi dete. Humhe aaj ghumne jaana hai.

Raj: Aree meri princess papa tumdono se bahot hi jyaada pyaar karte hai isiliye tumdono ko khudse kabhi durr nhi karte.

Krishna: Toh aaj humhe ghumane le chaliye.

Raj: Achha thikk hai. Tumlog nichhe jaake sabko bolo main fresh hoke aata hu.

Megha: Nhiii pehle aap nichhe aaiye. Iss ghar mein koi humari baat nhi sunta sivaay Mummy ke. Isiliye pehle aap niche chalke sabko boliye uske baad fresh hone jaaiye.

Raj: Aree mera pyaara bachha. Kitne dukh ki baat hai koi mere bachhe ki baat nhi sunta. Achhha chalo chalte hai Par uske pehle papa ko papa ki morning kissi de do.

Raj ke bolne ke turant baad hi dono Raj ke upar jhapat padhte hai aur ek ek gaal mein puppy de dete hai. Raj bhi dono ke gaal pe puppy de deta hai.

Phir dono ko apni god mein utha ke nichhe jaane lagta hai. Jaise hi Raj nichhe aata hai dono jaldi jaldi uski god se utar ke ekdum shanti se chup chaap jaake Sofa mein baith jaate hai jaise uss waqt unse bada masoom aur bhola koi naa ho.

Hall mein baithe sabki nazar jab Raj ke chehre pe padhti hai toh sabki hasi nikal jaati hai. Sab jorr jorr se pet pakad ke hasne lagte hai.

Raj: Kyaa hua sab aise kyo has rahe hai. Koi joker dekh liya kyaa.

Nandini: Joker nhi joker se bhi funny.

Smita: Yeh kyaa haal banaya hai apna.

Raj: Kyaa matlab.

Sonal: Apni shakal dekhiye aaine mein. Kyaa haal banaya hua hai aapne.

Raj jaldi se apna mobile nikalke usme apni shakal dekhta hai toh uski chikh nikal jaati hai.

Raj: Aaahhhhhhh. Yehhh kaunn haiii.

Sonal: Jokerrr.

Raj: Yehh sab kaise aaya mere chehre mein. Main toh aaram se so raha thaa. Phir usse yaad aata hai ke usse uthane ke liye kaun aaya tha.

Raj: Krishnaaaaa Meghaaaaaa. Tumdono ko toh main aaj chorungaa nhii.

Dono apna naam sunte hi fatafat apni maa ke pichhe jaake chupp jaate hai.

Raj: Sonalll beech mein se hatt jaao. Aaj inhe main nhi chorne wala.

Sonal: Aap kuch nhi kahenge mere bachho ko. Aree bachhe hai. Ab apne papa ke saath masti nhi karenge toh kiske saath karenge. Ek din hi toh milta hai unhe aapke saath.

Raj: Yehh bachhe nhi hai. Shaitaano ke baap hai. Aaj inhe nhi chorungaa. Tumdono samne aao. Aaj tumdono ki khairr nhi.

Smita: Rajjj chorr dee bachhe hai.

Raj: Mummy inki shaitaaniyan din ke din badhte hi jaa rahi hai. Abhi kal hi mujhe inke school se call aaya tha ke inhone ek teacher ki chairr pe glue laga diya tha jispe woh teacher chipal gaye the.

Sonal: Haa toh teacher ko dekh ke baithna chahiye thaa na. Galti teacher ki hai aur saza mere bachho ko.

Raj: Yeh dono tumhare iss laad pyaar ki wajh se itna bigad gaye hai. Abhi bhi time hai samjhao inhe.

Sonal: Thikk hai main samjhaungi. Ab aap shant hojaiye. Krishna Megha samne aao.

Dono: Nhiii Papa maarengee.

Sonal: Tumhare papa mein itni himmat nhi jo mere saamne tumhe kuch kahe. Bahar aao.

Dono Sonal ke pichhe se uske saamne aajate hai.

Sonal: Jab pata hai papa maarenge toh kyo karte ho itni badmaashi.

Dono: Ab bachhe badmaashi nhi karenge toh kaun karega.

Sonal: Kaun sikhata hai tumdono ko itni badi badi baate.

Dono: Badi badi baate badi mummy sikhati hai.

Nandini: Oyee shaitano maine kab shikaya.

Dono: Kuch din pehle aapne hi bola tha naa bade papa ko ke bachhe badmaashi nhi karenge toh kaun karega.

Nandini: Heyy bhagwaan inka dimaag hai ke kyaa hai. Woh baat abhi tak inke dimaag mein hai.

Sonal: Achha yeh batao tumne kyaa lagaya hai Papa ke face pe.

Megha: Maine aapki lipstick

Krishna: Aur maine kajal pencil.

Sonal: Galat baat hai. Aisa nhi karte. Chalo jaao papa ko sorry bolo.

Dono Raj ke paas aate hai aur bolte hai.

Dono: Kaan Pakad ke. Sorry papa.

Dono ne itni jyaada massomiyat se bola tha ke kisi ka bhi dil pighal jaata hai. Phir toh yeh Raj tha jo apne bachho se kabhi bhi naraz nhi hosakta.

Raj apne ghutne pe baith jaata hai aur dono ke haath niche karke dono ke gaal pe ek ek puppy de deta hai.

Raj: Tumdono ko ghumne nhi jaana.

Dono: Jaana hai.

Raj: Toh jao jaldi se ready hojaao.

Dono fatafat bhagte hai ready hone ke liyee.
 
Top