• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

Sirajali

Active Member
1,881
4,680
144
Update 131
Dheere dheere time guzarne lagta hai. Aur guzarte time ke saath Sonal ki delivery ka time bhi najdeek aane lagta hai.

Raj Sonal ka dhyaan ab thoda jyaada hi rakhne laga tha. Sonal ko ghumane le jaana usse uski pasand ka khaana khilana. Sonal ki bachhon wali jidd ko pura karna sabkuch Raj bahot hi achhe se kar raha tha.

Sonal ko toh ab kitchen ko dekhna bhi mana kardiya gaya tha. Usko bas ek jagah baitha diya jaata tha aur uska saara kaam Nandini Smita Ragini milke kardiya karte the.

Par jaise jaise delivery ka time najdeek aaraha tha waise waise Sonal ka mood Swing bhi horaha tha jisme woh sabse jyaada pareshan Raj ko hi karti thi.

Ekdin raat ko Raj aur Sonal dono aaram se so rahe the. Par tabhi achanak se Sonal ki neend khul jaati hai aur woh uthke baith jaati hai aur bagal mein soye Raj ko dekhne lagti hai.

Phir achanak se rone lagti hai. Uska rona sunn Raj jhatt se uth jaata hai.

Raj: Areee kyaaa huaaa. Ro kyoo rahii hoo. Kuchh huaa kyaaa.

Sonal bas royee jaa rahi thi jisse Raj tension mein aajata hai.

Raj: Sonal ko apni baahon mein leke. Kyaa huaa meri Sonu ko kyoo ro rahi hai. Koi bura sapna dekha kyaa. Bolo mujhe kyaa huaa.

Sonal: Sisakte hue. Wohh mujhee naa bhukk lag rahi hai. Mujhe abhii chocolate Milkshake peena hai.

Sonal ki baat sunke Raj ka dimaag hi kharab hojaata hai. Usse samaj nhi aata woh kyaa karee. Sonal ko daant nhi sakta tha aur chup bhi nhi raha jaa raha thaa.

Raj: Tum pagal hogyi ho kyaa. Itni si baat ke liyee tumne rona start kardiyaa. Aur baat bhi kyaa thi. Chocolate milkshake peena hai. Kuchh nhii milegaa. Chup chap so jaao.

Sonal: Rotee huee. Aap humse pyaar nhii kartee. Mujhe aur mere bachhe ko bhukk lagi hai. Humhe Chocolate Milkshake peena hai.

Raj: Apna sir pitt ke. Aree merii jaan main tumse aur humare bachhe se bahott pyaar karta hu. Par itni raat ko Milkshake kaha se laau.

Sonal: Kitchen se. Mujheee kuch nhi pata humhe milkshake peena hai. Jaldii jaaiyee leke aaiyeee.

Raj: Kyaaa musibat haii.

Sonal: Rotee huee. Aapne humhe musibat kaha. Aap humse pyaar nhi karte. Bechara meraa bachhaa. Hum kal hi Jaipur chale jaayengee. Nhii rahengee yaha parr.

Raj: Ayeee chupp karoo. Laata huu Milkshake. Jab dekho Jaipur jaane ki dhamki. Laata hu tumhara Milkshake. Pareshan karke rakh diya hai.

Sonal: Jaldi laana aur sang Chips bhi lete aana.

Raj: Aur kuchh chahiyee madam.

Sonal: Nhii filhall itna hi. Aur jaldi.

Raj apne mein hi badbadata hua room se nikal jaata hai aur kitchen mein jaake Sonal ke liye Milkshake banane lagta hai.

Thodi der baad Raj room mein aata hai uske haath mein ek tray hota hai jisme ek glass mein Chocolate milkshake aur chips ka packet hota hai.

Raj: Lo thuso aur shanti do.

Sonal: Kyaa kaha aapne.

Raj: Kyaa kaha. Maine toh kaha lo peeyo aur so jao.

Sonal Raj ko ghurte hue glass apne haath mein leke peene lagti hai aur chips khaane lagti hai. Woh jaanmuzz ke ekdum dheere dheere pee rahi thi. Jisse Raj ko chidd horahi thi.

Raj: Thoda jaldi pee lo naa. Mujhe neend aarahi hai.

Sonal: Pee rahi hu naa. Shaanti se peene bhi nhi dete aap toh.

Raj bebas hoke Sonal ko ghurne lagta hai. Kyoki usse Karan aur Yash ne pehle hi warn kardiya tha ke aisa kuch hoga. Par tab usne yakeen nhi kiya tha.

Khairr thodi der mein Sonal apna Milkshake aur Chips khatam kardeti hai aur chup chaap glass table mein rakhke so jaati hai.

Raj bas thaga sa usko dekhne lagta hai. Sonal ne usko aise ignore kiya jaise woh waha hai hi nhi.

Raj: Yehh kyaa thaa.

Sonal: Kyaaa huaaa. Lights kyo on karke rakhi hai aapne. So jaaiye naa. Mujhe bahot neend aarahi hai.

Raj: Achhaa betaaa. Maine lights onn rakhi hai. Aur yeh kyaa naa. Naa koi Thank You naa kuch.

Sonal: Thank You kisliyee.

Raj: Kisliye matlab. Ek toh itni raat ko tumhare liye yeh Milkshake aur chips laya tumne mujhe jaanmuzz ke itna pareshan kiya.

Sonal: Masoom sa face banake. Mainee aapko pareshan kiya. Aap mere aur mere bachhe ke liye itna nhi karsakte. Aap humse pyaar nhi karte naa.

Raj: Pleaseee Sonu ab yeh nautanki start mat karo. Mujhe pata hai tum yeh jaanmuzz ke bolti ho. Aur yeh jaipur chale jaane ki dhamki bhi jaanmuzz ke deti ho. Tumhe pata hai tumhare bina main ek pal nhi rehsakta isiliye tum mujhe darati ho.

Sonal ishare se Raj ko kareeb bulati hai aur uska coller pakad ke ekdum apne chehre ke paas karke bolti hai. Jab aapko sab pata hai toh chup chaap darr jaaya kijiye. Aur aapko pata hai jab aap aise mere liye karte hai naa toh mujhe aapke upar bahott pyaar aata hai. Yeh bol uske honthon ko chum leti hai.

Raj: Tumhare isi adaa pe toh main ghayal hu. Tumhe achhe se pata hai mujhe kaise manaya jaata hai.

Sonal: Aapki biwi hu lover hu dost hu ab yeh baat mujhe nhi pata rahega toh kisse rahega.

Raj: Chalo ab so jaao. Kuch der mein hi Subah hojayegi.

Phir Raj lights aur gate band kardeta hai aur Sonal ke bagal mein aake let jaata hai. Sonal Raj ko kash ke pakad leti hai.

Sonal: Thankk youu so muchh. Aur Sorry bhii.

Raj: Tumhe pata hai tum kitni badi Pagal hoo.

Sonal: Sirf aapke liyee.

Raj: Aur mujhe bhi iss pagal se iske pagalpan se bahott pyaar hai. Yeh bol uske maathe ko chum leta hai aur usse pakad ke so jaata hai.

Agle din dining table pe Raj baithe baithe jamayi le raha tha. Uski neend puri jo nhi hui thi.

Smita: Kyaa baat hai Raj. Puri raat soya nhi kyaa jo abhi bhi neend aarahi hai.

Raj: Kaha Mummy. Aadhi raat ko uth gaya tha aur uske baad bahot late se neend aayi aur abhi subah jaldi utha diya.

Ragini: Aadhi raat ko uthke kyaa kar raha tha.

Ragini ki baat sunke Raj Sonal mi taraf dekh raha tha toh Sonal usse ishaare se kuch naa kehne ko bolti hai.

Raj: Sonal ko ghurte hue. Kuchh nhii badi mummy. Bas achanak se neend khul gayi thi.

Nandini: Yehh raat ko kisi ne Milkshake piya thaa kya aur Kartik ke liye chips ka packet tha woh nhi khaali dustbin mein padha hua hai.

Nandini ki baat sunke Raj khaashne lagta hai aur Sonal apni nazre ghuma ke dusri taraf dekhne lagti hai.

Smita: Aree kyaa hogyaa. Le paani pee. Milkshake ki baat sunke tujhe khaashi ko aagayi. Kahi raat ko tune hi toh nhi pi.

Apni maa ki baat sun Raj Sonal ko ghurne lagta hai par Sonal toh uski taraf dekhti bhi nhi hai.

Smita: Sonal ko kyaa ghurr raha hai. Boll.

Raj: Jii Mummy. Woh neend toot gayi thi aur thodi bhukk bhi lag rahi thi toh maine hi piya tha aur woh chips bhi maine hi khaaya tha. Mann mein. Kyaa zindagi hai karee koi bharee koi. Aadhi raat ko mujhe pareshan karke khudne Milkshake piya aur ilzaam mere pe aagaya.

Ragini: Choro ab pi liya toh pi liya. Chalo sab nashta karlo.

Phir sab nashta karne lagte hai aur uske baad sab apne apne kaam mein chale jaate hai.

Dopahar ke waqt achanak se Meera Deepak aur Samar Kapoor house aajate hai. Unhe aise achanak waha dekh sab hairaan hojaate hai.

Sonal: Mummy Papa aaplog yaha achanak. Sabb thikk hai naa.

Deepak: Haa betaa sab thikk hai. Swati ka call aaya tha kal usne bola ke humlog jaldi se Mumbai aajaye.

Sonal: Par didi ne mujhe toh aisa kuch nhi bola. Aur yeh bandar itna dara hua kyo hai.

Meera: Pata nhii. Kal jab se Swati ne call karke bulaya hai tab se hi yeh dara hua hai. Yeh toh aana hi nhi chahta tha hum jabardasti leke aaye hai.

Sonal: Samar kyaa kiya hai tune jo didi ne sabko yaha bulaya. Aur tu itna dara hua kyo hai.

Samar: Mujhe nhii pata didi. Aur main kaha dara hua hu. Main bilkul thikk hu.

Sonal: Toh Mummy kyaa bol rahi hai.

Samar: Mujhe nhi pata. Woh toh office mein bahot kaam tha isiliye main nhi aana chahta tha.

Sonal: Tujhe nhi pata toh thikk hai. Didi aayegi tabhi sab pata chal jayega.
majedaar update... hasi thitholi se bharpur.......
 
Naik

Well-Known Member
20,207
75,226
258

Badhiya shaandaar update
Lagta h ab Samar ka namber aa gaya shadi ka isi liye Swati n sabko bulaya h
 
Samar2154

Well-Known Member
2,259
1,250
159
lagta hai samar ki bhi nayya par ho jayegi.......

aur usne bhi bhaji ka hi maang kiya hai......

ab toh bas jagauur bhai pe hi sab nirbhar hai aakhir delivery lekhen wahi toh likhne wale hai.......

Superb as always.
 
  • Like
Reactions: Luffy and Jaguaar

Lucky..

“ɪ ᴋɴᴏᴡ ᴡʜᴏ ɪ ᴀᴍ, ᴀɴᴅ ɪ ᴀᴍ ᴅᴀᴍɴ ᴘʀᴏᴜᴅ ᴏꜰ ɪᴛ.”
6,635
25,201
204
Update 128
Sonal jab apne kamre mein aati hai toh waha Raj pehle se hi baitha hua tha.

Sonal ek nazar Raj ko dekhti hai aur phir achhe se darwaaza band kardeti hai aur dressing table ki taraf chal deti hai. Raj yeh dekhta hai toh woh uthke sidha uske paas aata hai aur pichhe se usse apne baahon mein bharr leta hai.

Raj ke achanak aisa karne se Sonal thoda ghabra jaati hai par jaldi hi khud ko sambhal leti hai.

Sonal: Kyaa huaa Rajjj.

Raj kuch nhi bolta bas usse leke khidki ke paas aake khada hojaata hai aur saamne aasman mein aadhe chand ko dekhne lagta hai.

Sonal: Yaha kyo le aaye Raj. Kyaa huaa hai.

Raj: Kuchh nhii bas aise hi achha lag raha hai ek sukoon sa mil raha hai.

Sonal bhi phir kuch nhi bolti aur apna sir Raj ke kandhe pe rakh deti hai aur uss pal ko mehsus karne lagti hai.

Sonal ko bhi woh pal bahot achha lag raha tha. Jisse woh pyaar karti hai jo uska pati hai uski bahoon mein usse ek alag sa sukoon mil raha tha.

Kuch der waise hi rehne ke baad Raj Sonal ko apni godd mein utha leta hai aur dheere dheere chalte hue bed tak aane lagta hai.

Sonal bas ek tak Raj ki aankhon mein dekh rahi thi jaha usse apne liye Bepanaah Ishq nazar aaraha hai.

Raj Sonal ko bed ke beech mein baitha deta hai aur uske paas baith jaata hai. Sonal sharmaayi si apne nazre nichhe karke ekdum chup chaap baithi hui thi.

Raj dheere dheere Sonal ki haatho se churiyan kholta hai aur uske haathon mein kiss karta hai aur churiyan paas rakhe table mein rakh deta hai. Phir uske pairon ke paas aake uske pairon se payal kholta hai aur waha bhi kiss karke woh payal bhi churiyon ke saath rakh deta hai.

Sonal bas sharmayi si bed mein baithi rehti hai. Usse bahot hi jyaada sharm aarahi thi.

Phir Raj Sonal ko bed mein sula deta hai aur uske bagal mein let kar uske honthon ko uske gaalon ko uski aankhon ko uske pure chehre ko uske gardan mein kiss karne lagta hai. Sonal bed mein lete hue iss sukhad pal ko enjoy kiye jaarahi thi. Beech beech mein woh bhi Raj ko kiss kar rahi thi.

Phir Raj room ki light off kardeta hai aur dono ek dusre ke pyaar mein khoo jaate hai. Aaj dono puri tarike se pati patni ban gaye the. Aaj Sonal ko uska pura adhikaar mil gaya tha.

Agle din jab Sonal ki aankh khulti hai toh woh khud ko Raj ki baahon mein paati hai. Uska sir Raj ke seene mein tha aur Raj usko khud se jhakad ke so raha tha.

Sonal waise hi Raj ke seene mein sir rakh ke leti hui rehti hai usse bahot hi achha lag raha tha. Usse jaise duniya bhar ka sukoon wahi mil raha tha. Lete lete Sonal ko raat ko jo kuch bhi hua woh yaad aane lagta hai jisse usse bahot sharm aarahi thi.

Phir woh dheere dheere uthti hai toh dekhti hai Raj ekdum besudh soya hua tha. Sonal dheere se Raj ke chehre ke kareeb aati hai aur sote hue Raj ke honthon pe kiss kardeti hai.

Jaise hi Sonal Raj ko kiss karti hai Raj Sonal ko phir se apne se chipka leta hai aur usse jhakad ke sone lagta hai. Sonal achanak hue iss humle se thoda ghabra jaati hai phir apne aap sambhalti hai.

Usko Raj ki baahon mein aise rehna bahot achha lag raha tha uthne ka mann tak nhi tha. Par subah hogyi thi aur usse uthna hi tha isiliye mann maarke woh dheere dheere Raj ki baahon se nikal jaati hai aur sidha washroom mein chali jaati hai.

Kuch der baad woh bahar aati hai aur college ke liye ready hone lagti hai. Ready hote waqt woh mirror mein se Raj ko sote hue hi dekh rahi thi. Hir woh ready hoke Raj ke paas aati hai aur usse ek kiss karke nichhe chali jaati hai.

Sonal jab kitchen mein aati hai toh Nandini waha pehle se thi.

Sonal: Good Morning Bhabhii.

Nandini: Good Morning Sonal. Toh aagayi tum apni purane avatar mein.

Sonal: Haste huee. Woh toh aana hi thaa.

Phir dono jan milke nashta taiyaar karne lagte hai. Thodi der mein nashta taiyaar hojaata hai toh Sonal apne kamre mein chali jaati hai Raj ko uthane ke liye.

Sonal jab apne kamre mein aati hai toh woh dekhti hai Raj uth chuka hai aur bed mein baitha hua hai.

Sonal: Aree aap uth gayee. Main aa hi rahi thi aapko uthane.

Raj bina kuch bole sidha Sonal ka haath pakad leta hai aur usse apni taraf kheench leta hai aur wapas se bed mein let jaata hai.

Raj ke uss tarah khinchne se Sonal sidha Raj ke upar girr jaati hai aur Raj ussr apni baahon mein jhakad leta hai.

Sonal: Rajjj aap kyaa kar rahe hai. Choriyeee.

Raj: Sonal ke gaalon ko chum ke mujhe neend aarahi hai. Mujhe abhi aur sona hai.

Sonal: Jiii nhiii. Choriyeee mujheee. Aur uthiyeee. College ke liye late hojayengee.

Raj: Aaj no college. Only pyaar. Yeh bol Sonal ke honthon pe kiss kardeta hai.

Sonal: Jiiii nhiiiii. Choriyeee mujheee. Aap bahott badmaash hai. Choriyeee mujheee. Uthiyeeee. Yeh bol Sonal jorr jabardasti karke Raj ke baahon se nikal jaati hai.

Raj: Kaisi biwi hai. Pati ka mood romance karne ka hai par patni ko koi parwaah hi nhi hai.

Sonal: Agar aapka bas chale toh aap pura din aise hi rahe aur mujhe bhi aise hi rakhe. Par mere paas aur bhi kaam hai. Chaliyee jaldi se jaaiye aur fresh hojaaiye. Naashta taiyaar hai.

Raj: Aah thikk haii uthta hu. Pati ki koi parwaah hi nhi hai.

Sonal haste hue waha se nikal jaati hai aur Raj bhi uth kar washroom mein chala jaata hai.

Kuch der baad jab woh bahar aata hai toh usse bed mein pehle ki tarah uske kapre dikhte hai. Jisse dekh kar Raj ke chehre pe ek muskurahat aajati hai.

Phir woh ready hoke nichhe aata hai toh waha sab log baithe hue the. Thodi der mein sab nashta karke apne apne kaam ke liye nikal jaate hai.

Raj bhi Sonal ke saath college ki taraf nikal jaata hai.

Raj: Tum iss tarah college jaogi.

Sonal: Matlab.

Raj: Matlab yeh sindoor yeh Mangalsutra yeh pehen ke.

Sonal: Shaadisudha aurate college nhi jaati kya. Kaisi baat kar rahe hai aap bhi.

Raj: Aree itne mahino tak tum alag tarike se jaa rahi thi aur abhi aise jaa rahi ho. Sablog dekhenge aur sawaal puchenge.

Sonal: Toh dekhne dijiye. Jo puchte hai puchne dijiye. Ab main taiyaar hu har tarah se sawaal ke liye.

Phir thodi der mein dono college pahonch jaate hai. Sonal byee bolke car ka darwaaza kholti hai toh woh nhi khultaa. Woh Raj ki taraf dekhti hai toh woh muskura raha hota hai.

Sonal: Hadd karte hai aap bhi. Aaj kal aap bahot jyaada kar rahe hai. Pehle toh touch karne se bhi darte the aur ab jab marzi pakad lete hai.

Raj: Pehle darta tha ke tum agar naraz hokar chali gayi toh mera kyaa hogaa. Par ab aisa koi darr nhi hai. Ab mujhe pata hai tum mujhe chorke kabhi bhi nhi jaogi. Aur kal ke baad toh mujhe full permission mil gaya hai.

Sonal: Kisne kaha main nhi jaa sakti. Main sidha jaipur chali jaungi. Phir rehna akele.

Raj: Achhaaa dhamkiii. Tum jaake dikhao. Phir dekhna main kyaa karta hu.

Sonal: Kyaa karenge.

Raj: Baand ke kamre mein band kardunga. Agar ghar ke bahar pairr rakha toh. Chalo ab jaldi se tax do.

Sonal jaldi se apna chehra Raj ke paas laati hai aur usse kiss karke waha se nikal jaati hai.

Raj bhi hasta hua apne cabin ki taraf chal deta hai.

Sonal ko suhagan ke roop mein dekh kar sablog hairaan thee. Unnsab ko pata tha ke Sonal aur Raj engaged hai par aaj usse suhagan ke roop mein dekh kar sablog kuch jyaada hi hairaan thee.

Woh jab Canteen mein aati hai toh uske dost bhi usko dekh kar hairaan thee. Unhe apni aankhon pe yakeen nhi horaha tha.

Soniya: Sonalll yehhh kyaa haii.

Sonal: Kyaa kyaa haii.

Varun: Yehhh tumnee kyaaa pehnaaa haiii. Aurr kyoo pehnaa haii. Ekdin mein yeh kyaaa hogyaa.

Soniya: Tumneee shaadiii karliiii. Kabbbb kii. Kisse kiii. Kaha kiii. Humhee batayaa takk nhiii.

Varun: Shayad isiliyee yehhlogg kall nhii aaye thee.

Sonal: Shantt hojaaooo. Sab batatii huu. Pehle shantt hojaoo.

Phir wohlog jaise taise khud ko shant karte hai toh Sonal bolna start karti hai.

Sonal: Meri shaadi kal nhi hui hai. Meri shaadi ko bahot time hogyaa hai. Iss college mein aane ke bahot pehle.

Vishal: Toh itne mahino tak tum aise kyo ghum rahi thi. Aur phir Raj sir kaun hai.

Sonal: Wahi toh mere pati hai. Aur woh koi teacher nhi hai woh yaha sirf aur sirf mere liye aaye hai. Aur rahi baat main itne mahino se aise kyo ghum rahi thi toh woh isiliye kyoki ek accident ke wajah se meri yaadash chali gayi thi. Main mere shaadi Raj se milna unse pyaar sabkuch bhul chuki thi.

Aur kal hi meri yaadash wapas aayi hai toh main phir se apne real look mein aagayi hu.

Neha ko chorke sablog Sonal ki baat sunke hairaani thee.

Soniya: Tumne toh humsab ko bahot bada wala shock diyaa. Par Raj sir ko salute hai. Unhone kitni mehnat ki kitni takleefe sahi sirf tumhare liye. Tum sach mein bahot lucky ho jo tumhe Raj sir jaise pati mile.

Sonal: Yeh tumne bilkul sahi kaha. Main iss mamle mein bahot lucky hu jo mujhe Raj jaise pati mile.

Phir class ki bell baj jaati hai toh sab apne apne class mein chale jaate hai.
awesome update
 
  • Like
Reactions: Luffy and Jaguaar
Top