• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

dhparikh

Well-Known Member
6,536
7,908
173
Update 129
Aise hi dheere dheere time guzarne lagta hai aur dekhte dekhte sabka college khatam hojaata hai aur sab sab apni apni life mein busy hone lagte hai. Raj ne college chordiya tha aur wapas se apna office join karliya tha.

Sonal ne apna khud ka interior designing ka business start kiya tha jisme Ishita uske saath thi. Soniya ne himmat karke dara dhamka ke Varun ko propose kardiya tha. Varun bhi bechara apne haath pairr sahi salamat rakhne ke liye Soniya ke proposal ko accept karliya tha. Neha aur Vishal ki engagement hogyi thi. Shaadi apne aap ko settle karne ke baad karna tha.

Raj aur Sonal inke beech pyaar masti nok jhok sab chal raha tha. Dono apni life se bahot khush the aur puri tarah se enjoy bhi kar rahe the. College khatam hone ke baad dono apne 2nd honeymoon mein bhi ghum aaye the jaha unhone issbaar bahot hi jyaada masti ki thi.

Ekdin Sonal subah se hi excited thi. Woh Raj se akele mein milne ke liye tadap rahi thi par Raj subah se hi apne office ke kaam mein busy tha. Usne Sonal ki taraf dhyaan hi nhi diya tha jiske wajah se woh bahot udaas thi.

Raat ko jab Raj room mein aata hai sone ke liye toh usse khayal aata hai ke subah se hi Sonal usse kuch baat karna chahti thi par woh baat nhi kar paaya.

Raj: Areee yaar subah hi usse kuch jaruri baat karni thi par main office ke chakar mein usee time hi nhi de paaya. I am damn sure woh gussa hogyi hogi. Koi nhi aane do usse mana lungaa.

Thodi der mein Sonal room mein aati hai toh Raj ko puri tarah se ignore kardeti hai jaise woh room mein hai hi nhi.

Raj Sonal ke kareeb jaake usse pichhe se apni baahon mein le leta hai. Par Sonal khud ko Raj se alag karke dusri taraf chali jaati hai.

Raj phir se Sonal ko apni baahon mein bharr leta hai aur issbaar thoda kash ke pakadta hai jisse Sonal nikal nhi paati.

Raj: Sorry babyyy. Pleaseee mujhee maaf kardo. Main jaanta hu tum subah se mujhse kuch baat karna chahti thi par main baat nhi kar paaya.

Sonal: Thoda gusse mein. Choriyee mujhee. Aap mujhse ab pyaar nhi karte. Aapko bas apna kaam aur office hi dikhta hai. Choriyeee mujheee.

Raj: Aisaa nhii haii merii jaan. Tumhare saamne yeh kaam yeh office kuch nhi hai. Aur tumne yeh kaise keh diya main tumse pyaar nhi karta. Main tumse bahot pyaar karta hu. Yeh bol uske gaalon ko chum leta hai.

Sonal: Yeh sab sirf bolne ki baate hai. Agar pyaar karte toh aapko pata hota ke aapki biwi ko aapse kuch jaruri baat karni thi par aapke paas apni biwi ke liye time hi kaha hai.

Raj: Galti hogyii meri jaan. Pleasee maaf kardo. Dobara aisa nhii hogaa. Pleasee gussa thukk do. Tum jaanti ho naa tum agar mujhse gussa rehti ho toh mujhe bilkul achha nhi lagta. Pleaseeee Sonalll. Pleaseeee Sonuuu. Pleaseeee babyyy.

Sonal: Achha achha thikk haii. Par agli baar aisa nhii hona chahiyee. Warna main jaipur chali jaungii apne mummy papa ke paas. Phir rahiyega akele apne kaam aur office ko leke.

Raj: Kabhii nhiii. Aur tumhe kahi nhi jaane dungaa. Tumhare bina main ek din nhi reh paungaa. Chaloo ab bolo kyaa baat karni thii.

Sonal: Abhi mood nhi hai. Baad mein bataungi.

Raj: Batao naa. Agar tum nhi bataogi toh mujhe lagega tum ab bhi naraz ho.

Sonal: Achha batati hu. Pehle aap promise kijiye aap baat ko aaram se sunenge.

Raj: Aisi kyaa baat hai.

Sonal: Pehle aap promise kijiyee.

Raj: Achha thik hai baba promisee ab batao.

Sonal: Aap baithiyee main batati hu.

Phir Raj bed mein baith jaata hai aur Sonal bhi uske bagal mein baith jaati hai aur bolna start karti hai.

Sonal: Woh aapko Kartik Shristi Ansh yehlog kaise lagte hai.

Raj: Kaise lagte hai matlab achhe lagte hai. Mere bhatije bhatiji hai.

Sonal: Aah aap samaj nhi rahe hai main kya bol rahi hu. Achha yeh bataiye agar aapke aur mere beech koi iss bed mein soye toh aap kyaa karenge.

Raj: Pehli baat toh aisa kabhi hoga nhi. Aur aakhri baat bhi yehi hai. Tum yeh faltu ki baate sochna band karo.

Sonal: Pareshan hote hue. Maine jo pucha pehle woh bataiye.

Raj: Uska haath pairr todd dungaa. Jaan se maardunga agar humare beech aaya toh.

Sonal: Mann mein. Yeh toh samaj hi nhi rahe hai ab inko kaise samjhau.

Raj: Kyaa sochne lagi. Yeh faltu ki baat karni thi tumhe.

Sonal: Koi faltu ki baat nhi hai yehsab. Aap hi nhi samaj rahe hai main kyaa kehna chah rahi hu.

Raj: Kyaa bol rahi ho tum. Lagta hai tum bahit thakk gayi ho. Ek kaam karo tum abhi so jao. Subah baat karenge.

Sonal: Nhiii mujhe abhi baat karni hai. Aap chup chaap baithiye.

Raj: Achha achha thikk hai.

Sonal: Achha aapp yeh bataiye aapko bachhe kaise lagte hai.

Raj: Bachhe toh mujhe bahot pasand hai. Meraa mann karee toh main sara din unke saath hi khelta rahu.

Sonal: Sachhhhhh. Aapko bachhe itne pasand haiii.

Raj: Haaa bahott pasand hai. Par jo bachhe aadhi raat ko beech mein uth jaate hai aur rone lagte hai woh pasand nhii.

Sonal: Mann mein. Kyaa karu main inka. Ab bachhe hai raat ko bhuk lagegi toh uthenge hi naa. Kal ko khud baap banne wale hai par hai abhi bhi bachhe. Achha mujhe naa kuch waqt se khatta khaane ka mann kar raha hai.

Raj: Thikk hai toh Mummy ko yaa bhabhi ko boldo woh tumhe de degi khatta.

Raj: Tum yeh sab kyo puch rahi ho. Aur yeh achanak khatta kisliye.

Sonal: Aap bilkul gadhe hai. Aapko kuch nhi pata. Ek aurat ko kab khatta khaane ka mann karta hai. Main kyo raat ko aapse bachho ko leke baat karungi. Aapko samaj nhi aaraha hai.

Raj naa mein gardan hila deta hai jisse Sonal apna sir pitt leti hai.

Sonal: Achha yeh bataiye Kartik Karan bhaiya ko Shristi Jijaji ko kyaa bolke bulate hai.

Raj: Papa bolke bulate hai aur kyaa bolenge.

Sonal: Ab kuch samaj aaya.

Raj: Haaa samaj aagaya hai.

Sonal: Sachhhh. Kyaa samaj aaya.

Raj: Yehii kii tumm pagal hogyi ho.

Sonal ke chehre pe jo khushi thi woh pal bharr mein gusse mein badal gayi.

Sonal: Pagal honge aap. Heyy bhagwan kis aadmi se pyaar karliya maine. Inko itni simple si baat samaj nhi aarahi hai. Ab inko aur kaise samjhau.

Raj: Aree jo bhi baat hai tum sidhe sidhe kaho naa. Aise ghuma phira ke mat bolo.

Sonal: Lambi saans lete hue. Achha thikk hai. Toh boliye aapko kaisa lagega agar koi aapko papa bolke bulaye.

Raj: Areee merii jaan agar aisaa hojaayee toh main khushi se naach uthungaa. Tumhe bata nhi sakunga mujhe kitni khushi hogii. Par mujhe kaun papa bolegaa.

Sonal yeh sunne ke baad phir se apna sir pitt leti hai.

Sonal: Mujhee nhii rehnaa aapkee saath. Main jaa rahi hu apne maayke. Aap rahiyee yaha akele. Pata nhi kaise itne bade bewakoof insaan se pyaar aur shaadi karli maine. Yeh bol Sonal jaake ek taraf so jaati hai.

Raj jo itni der se Sonal ke saath masti kar raha tha woh ab jorr jorr se hasne lagta hai aur Sonal ke paas jaake let jaata hai aur usse apne upar khinch leta hai aur pyaar se uske pure chehre ko chumne ke baad bolta hai.

Raj: Main toh tumare saath masti kar raha tha meri jaan. Samaj toh main pehle hi gaya thaa.

Sonal: Kyaaaa. Aap jaanmuzz ke mujhe pareshan kar rahe thee.

Raj: Haa meri jaan. Aur mainn bahott hii jyaada khushh huu. Tumnee mujhee merii zindagii ka sabse anmol giftt diyaa haii. Thankkk youuu soo muchhhh.

Sonal apna sir Raj ke seene pe rakh kar uske upar hi let jaati hai. Raj bhi Sonal ko apne aap se puri tarah chipka leta hai.

Sonal: Main subah se aapko yeh bolna chahti thi par aapke paas toh humare liye time hi nhi hai. Maine office mein bhi kitni baar call kiya par aap ne busy hu bolke kaat diya. Aapko pata hai mujhe kitna hurt huaa.

Raj: I am sorry meri jaan. Par aaj sach mein bahot busy thaa. Warna aisa kabhi hosakta hai ke meri Sonu ke liye mere paas time naa ho. Par main aaj bahott khushh huuu. Bahottt hiii jyaadaa. I Love You. Yeh bol Sonal ke sir ko chum leta hai.

Sonal: Apna sir utha ke Raj ke hontho ko chum ke. I Love You Too.

Raj: Ghar mein kisi ko bataya.

Sonal: Raj ke seene pe sir rakh ke hi. Naaa. Main sabse pehle yeh baat aapko batana chahti thi.

Raj: Tumhe kab pata chala.

Sonal: Mujhe toh bahot din se lag raha tha. Aaj subah test kiya tab pata chala aur sabse pehle aapko hi bataya hai.

Raj: Chaloo koi nhii. Kal subah ghar mein sabko bata denge. Dekhna sab bahot khush honge. Tum khush honaa.

Sonal: Main aapko bata nhi sakti main kitni khush hu. Aaj main puri hogyi. Ek aurat ko sabse jyaada khushi issi waqt hoti hai. Aapko pata hai jab bhabhi aur Shruti didi ko baby hua tha tab mere mann mein bhi aaya tha kyaa kabhi mujhe bhi yeh khushi milegi. Aur dekhiye ab mujhe bhi yeh khushi mil gayi. Mainnn bahott bahott khushh huu.

Raj: Chalo ab so jaao. Bahot raat hogyi hai.

Yeh bol woh Sonal ko apne upar se utarne ki koshish karta hai toh Sonal bolti hai.

Sonal: Nhiii aaj mujhe aise hi sona hai. Mujhe aise hi achha lag raha hai.

Raj bhi kuch nhi bolta aur Sonal ko kash ke pakad leta hai aur dono waise hi sone lagte hai.
Nice update...
 
  • Like
Reactions: Jaguaar and Luffy

Ajay

Well-Known Member
6,895
33,102
218

Nice update bhai
 
Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,722
46,177
259
Update 125
Kuch der mein doctor aajata hai aur sidha Raj ke paas aake usse puchne lagta hai.

Raj Doctor ko saari baat bata deta hai jisse sunke Doctor bolta hai.

Doctor: Uss blast se create sound wave ne lagta hai directly Sonal ke dimaag mein attack kiya hai aur isiliye woh behosh hogyi hai.

Swati: Doctor. Sonal ka dimaag toh pehle se hi weak hai uss accident ke baad. Kahi isse koi jyaada problem toh nhi hogyi.

Doctor: Abhi kuch bhi bolna possible nhi hai. Main check karta hu. Yeh bol doctor andar chala jaata hai.

Doctor ke jaate hi Raj rone lagta hai.

Raj: Har baar aisa humare saath hi kyo hota hai. Harbaar jab jab main aur Sonal kareeb aane wale hote hai tabhi kisi na kisi tarah koi problem aajati hai.

Smita: Raj shant hojaa. Kuchh nhi hogaa Sonal koo. Wohh thikk hojayegiii.

Raj apni maa ke gale lag rone lagta hai.

Idher Doctor andar aake waha khade Nurse se puchta hai.

Doctor: Maine jo Brain scan ke liye bola tha woh ready hai.

Nurse: Yes Doctor. Sab ready hai. Bas aapka hi wait kar rahe the.

Doctor: Greattt. Toh chalo start karo.

Phir Sonal ka brain scan kiya jaata hai jisse dekh kar Doctor ke chehre mein ek alag hi chamak aajati hai. Par woh completely satisfy nhi horaha tha. Woh reports ka wait kar raha tha.

Kuch der baad jab reports aajati hai toh woh completely satisfy hojaata hai phir woh Nurse ko bolke Sonal ko injection lagane ke liye bolta hai aur waha se bahar aajata hai.

Doctor ke bahar aate hi uspe bhi sawaalon ki baarish start hojaati hai.

Doctor: Aap sab shant hojaaiye. Raj mere saath aao. Yeh bol doctor aage badh jaata hai.

Raj bhi doctor ke pichhe pichhe chal deta hai. Raj ke saath Karan aur Yash bhi jaate hai.

Raj: Doctor kaisi hai Sonall. Thikk toh haii naa wohh.

Doctor: Dekho Raj yeh jo Sound wave ne Sonal pe attack kiya hai isse ek chiz toh achhi hui hai.

Raj: Kyaaaa.

Doctor: Dekho pichli baar Sonal ka jo accident hua tha usme Sonal ke dimaag ke nashon mein khoon jam gaya tha jisse uski yaadash chali gayi thi rightt.

Raj: Haaaa.

Doctor: Toh iss sound wave ke attack se woh jama hua khoon wapas se flow mein aagay hai. Uss Sound wave ne Sonal ke dimaag ke usi hisse mein attack kiya jiss hisse mein khoon jama hua tha. Aur uss attack se uss hisse mein blood flow wapas se start hogya hai.

Raj: Khushi se. Matlabbbbb ab meri Sonal ki yaadash wapas aajayegii. Woh ab puri tarah se tarah se thikk haiii.

Doctor: Ab yaadash wapas aayi hai yaa nhi yeh toh uske hosh mein aane ke baad hi pata chalega. Aur koi consequence bhi hue hai yaa nhi yeh bhi. Nhi toh report saare normal hai.

Yash: Consequence matlab.

Doctor: Consequence matlab uski yaadash agar wapas aati hai toh inn kuch mahino mein jo kuch hua woh usse yaad rehta hai yaa nhi. Aur usse kitna yaad aayega yeh bhi ek matter hosakta hai. Bahot se matter hai.

Karan: Usse hosh kab tak aayega.

Doctor: Aaj raat woh soyegi. Usse hosh ab kal subah hi aayega. Kyoki uske dimaag mein gehra shock laga hai. Usse recover karne ke liye uske dimaag ka shant hona bahot jaruri hai.

Raj: Thank Youu Doctorrr.

Doctor: Aur tumne jo usdin pucha tha Sonal ko shaadi ka sach bataoge bataya thaa.

Raj: Haaa bataya tha. Uske dimaag mein pressure padhne se dard bhi hya tha aur behosh bhi hui thi par thik hogyi thi sang sang.

Doctor: Hmmm. Achhi baat hai. Ab dekho kal subah kyaa hota hai.

Phir Raj Karan aur Yash baaki sabke paas aajate hai.

Swati jaise hi innlogo ko dekhti hai toh woh sawaal puchne lagti hai.

Swati: Kyaa kaha doctor ne. Sonal thikk toh hai naa. Usse kuch hua toh nhi hai naa. Yashhh boliye naa. Sab thikk hai naa.

Yash: Swati pehle tum shant hojao main batata hu sab.

Swati jaise taise khud ko shant karti hai toh Raj bolne lagta hai.

Raj: Sonal thikk hai. Usse kuch nhi hua hai. Blast ke wajah se usse jhatka laga tha jiss wajah se woh behosh hogayi hai.

Yash: Uss blast se Sound Wave create hue tha woh sidha Sonal ke dimaag ke uss hisse mein attack karta hai jaha khoon jama hua tha. Uss attack se khoon ka flow phir se start hogya hai.

Waha khade sablog yeh sunte hi khushh hojaate hai.

Swati: Matlab ab Sonal ki yaadash wapas aajayegi.

Yash: Haa shayad.

Swati: Shayad matlab.

Karan: Matlab kuch consequence bhi hosakte hai.

Nandini: Matlab.

Karan: Matlab agar usse yaad aata hai toh kitna yaad aata hai kyaa kyaa yaad aata hai yeh hosh mein aane ke baad hi pata chalega. Aur yaad aane ke baad inn kuch mahino mein jo hua woh yaad rahega yaa nhi yeh bhi subah hi pata chalega.

Yash: Swati kal subah call karke apne mummy papa ko bula lena. Unki jarurat padegi.

Swati: Jiii.

Raj: Mummy Papa ab aaplog ghar jaaiye. Waise bhi ab yaha koi kaam nhi hai. Main rukhta hu yaha pe. Aaplog ghar chale jaaiye.

Smita: Tu akela rahegaa.

Yash: Nhii Aunty main hu Raj ke saath.

Raj: Nhii Yash. Tu bhi jaa. Jo bhi ho aaj teri bhi shaadi ki saalgirah hai. Yaha ab koi jarurat nhi padegi. Agar padegi toh call kardunga.

Phir sablog Sonal ko ekbaar dekh kar waha se chale jaate hai. Hospital mein bad Raj hi reh jaata hai.

Sabke jaane ke baad Raj Sonal ke paas jaata hai aur uska haath pakad ke baith jaata hai.

Raj: Sonal ka sir sehlaate hue. Jaldi se theek hojao Sonal. Ab aur taqat nhi hai mujh mein yeh sab sehne ki. Jaldi se theek hojaao. Yeh bol Sonal ke sir mein chumm leta hai. Phir bolta hai. Happy Marriage Anniversary Sonal.

Kuch der waha baithe rehne ke baad Raj ko bhi neend aajati hai aur woh wahi Sonal ka haath pakde hue hi so jaata hai.

Agle din Raj soya hua hi tha ke uski neend achanak se toot jaati hai. Woh dekhta hai Sonal abhi bhi behosh hai aur koi uska sir sehla raha hai. Woh apne bagal mein dekhta hai toh waha Smita baithi hui thi.

Raj: Mummy aap itni subah.

Smita: Kal raat se tune kuch nhi khaya hai toh subah subah tere liye nashta leke aayi hu.

Raj: Uski jarurat nhi thi mummy.

Smita: Mujhe mat sikha. Chal jaldi se jaake fresh hojaa. Phir nashta karle. Phir doctor bhi aata hi hoga.

Phir Raj chup chaap washroom mein jaake fresh hojaata hai aur thoda sa nashta karleta hai.

Kuch der baad baaki ke ghar wale bhi aajate hai aur bahar baithe Sonal ke hosh mein aane ka intezaar karne lagte hai.

Ek Nurse aake Sonal ka check up karti hai toh woh dekhti hai ke Sonal.ko dheere dheere hosh aaraha hai. Yeh dekh woh Nurse jaldi se doctor ko bula laati hai.

Doctor: Aap sab bahar hi rahiye. Raj sirf tum andar aao.

Dono andar aate hai toh doctor bolta hai.

Doctor: Ekdum chup rehna aur waha khade rehna.

Raj: Jii.

Phir Doctor Sonal ke paas jaake baith jaata hai aur Raj Doctor ki batayi jagah pe jaake khada hojaata hai.

Idher Sonal jaise hi hosh mein aati hai toh uska sir dard karne lagta hai. Uske dimaag mein ek saath bahot kuch chalne lagta hai. Jisse woh chillane lagti hai.

Doctor Nurse ko ishara karta hai toh woh Sonal ko ek injection de deti hai jisse thodi der baad Sonal ka dard kam hone lagta hai. Uske baad jab woh saamne dekhti hai toh usko doctor baitha hua dikhta hai.

Sonal: Main kaha hu. Aur aap kaun hai.

Doctor: Tum abhi hospital mein ho aur Main tumse jo bhi puchunga sirf uska hi jawaab dena thikk hai.

Sonal haa mein gardan hila deti hai. Sonal ki haa sunke Raj bhagwan ke paas prarthana lagta hai.

Doctor: Abhi tumhe kaisa lag raha hai.

Sonal: Mera sir bahot dukh raha hai aur bahot hi jyaada bhaari bhi lag raha hai. Saath hi mere dimaag mein bahot kuch chal raha hai.

Doctor: Woh thikk hojaayega. Achha tumhara naam kyaa hai.

Sonal: Sonal.

Doctor: Pura naam batao. Raj ki dhadkane tezz hojaati hai Sonal ka jawaab sunne ke liyeee.

Sonal: Sonal. Sonal Raj Kapoor.

Yeh sunne ke baad Raj ki aankhon se aansu behne lagte hai. Uska khada rehna mushkil hogya tha. Mann toh kar raha tha ke wahi pe naachne lage.

Doctor: Raj Kapoor. Yeh kaun hai.

Sonal: Raj Kapoor mere pati hai.

Doctor: Tumhe kuch yaad hai tum hospital kaise aayi.

Sonal yeh sawaal sunne ke baad apne dimaag mein jorr dene lagti hai. Jaise jaise woh apne dimaag mein pressure de rahi thi usse dheere dheere sab yaad aaraha hai. Kaise woh Raj ke saath ghumne nikli thi. Kaise dono mandir kaise anath aashram gaye uska accident hua phir woh hospital mein aayi. Phir uske baad jo jo hua woh sab usse dheere dheere yaad aane lagta hai.

Jaise jaise Sonal ko yaad aaraha tha waise waise uska sir halka horaha tha aur uske aankhon se aansu behene lagte hai.

Kuch der baad jab Sonal ko sab yaad aajata hai toh woh ek tak doctor ki taraf dekhti hai jaise puch rahi ho ke jo usne dekha kyaa woh sab sachh thaa.

Doctor: Jo bhi tumne abhi dekha woh sab sachh tha. Aur tumne bola tha naa ke tumhara sir bhari bhari lag raha hai. Dekho ab aisa kuch nhi hai. Ab tum puri tarah se thikk hogyi ho.

Sonal: Thankkk youu doctorrrr.

Doctor: Thank you mujhe nhii apne pati ko bolo. Usne jitna kiya hai jitna saha hai utna aajkal koi nhi karta. Milna chahogi apne pati se.

Sonal aankhon mein aansu liye haa mein gardan hila deti hai.

Doctor: Woh dekho woh raha tumhara pati.

Sonal Doctor ki bataye direction mein apni gardan ghumati hai toh saamne Raj ko khada paati hai. Jisse dekhte hi Sonal ke aankhon se aur jyaada aansu behene lagte hai.

Raj dheere dheere Sonal ke paas aata hai aur doctor Nurse ke saath waha se bahar nikal jaata hai.
बहुत ही बेहतरीन महोदय।।

तो आखिरकार डॉक्टर ने जो कहा था कि शायद सोनल को सबकुछ याद आ जाए वैसा ही हुआ। सोनल होश में आने के बाद अपना नाम सोनल राज कपूर बताते है इससे यही पता चलता है कि सोनल को सबकुछ याद आ गया है।। इस समय अगर सबसे खुश कोई है तो वो राज़ है जिसे इस समय सारे जहां की खुशियां मिल गई हैं।।
 
Destiny

Will Change With Time
Prime
3,965
10,660
144
Update 127
Raaste mein Raj Sonal se bolta hai.

Raj: Sonu tumhe pata hai kal maine tumse kuch maanga tha.

Sonal: Kyaa maanga thaa.

Raj: Tum bhul gayi. Yaad karo kal restaurant mein maine tumse kyaa maanga tha.

Sonal yaad karne lagti hai. Jab usko yaad aata hai toh uske gaal sharm se laal hojaate hai.

Raj: Yaad aaya.

Sonal: Aap sach mein bahott besharm ban gaye hai. Pehle toh aap aise nhi the.

Raj: Yaani yaad aagaya hai. Aur rahi besharm hone ki baat toh woh tum bhi ban jao. Pehle mere paas itni pyaari aur khubsoorat biwi nhi thi naa toh kiske liye besham banta. Toh bolo kab dogi.

Sonal: Main aisa waisa kuch nhi karungi.

Raj: Yehh cheating hai. Tumne promise kiyaa thaa.

Sonal: Jii nhiii mainee koii promisee nhii kiyaa tha.

Raj: Sonuuuuu.

Sonal: Rajjjjjjjj.

Raj ek jagah gaadi rokh deta hai aur Sonal ki taraf dekhne lagta hai.

Sonal: Kyaa huaa gaadi kyoo rokhh di

Raj: Jab tak mujhe tax nhi milega gaadi aage nhi jaayegi.

Sonal: Rajjjjj yeh galat hai. Aap aisa nhii kar saktee.

Raj: Everything is fair in love and war baby. Chaloo ab jaldi se mujhe mera tax do.

Sonal: Aap bahot gandee hai. Par issbaar main nhi dungi. Aap baithe rahiye aise hi. Yeh bol Sonal aaram se baith jaati hai aur apna chehra dusri taraf ghuma leti hai.

Raj ek baar charo taraf dekhta hai aur sidha Sonal ki god mein hi sir rakh deta hai aur car mein hi let jaata hai.

Sonal: Areee yehhh kyaa kar rahe hai uthiyee. Koii dekh legaa.

Raj: Dekhne do. Maine apni patni ki god mein sir rakha hai.

Sonal: Rajj pleasee uthiyeee naa. Koii dekhh legaa. Pleaseee uthiyee naa.

Raj: Pehle kiss phir aage kuchh.

Sonal: Achha gharr mein de dungii. Abhiii uth jaaiye.

Raj: Nhiii tum ghar mein jaake phir palat jaogii.

Sonal: Nhii main nhii paltungii. Main promiseee karti hu pleaseeeee.

Raj: Achhaa thikkk haiii. Par promisee yaad rakhnaa. Yeh bol woh uthh jaata hai.

Sonal: Aap bahottt buree hai. Aise kaun karta hai. Aur bahottt hii jyaada besharmm bhii hai aap.

Raj: Aree merii jaan yeh toh abhii startingg hai. Ab jiski itni khubsoorat aur pyaari biwi ho woh thodi toh besharmi karegaa hi.

Sonal kuch nhii bolti. Bas apna chehra ghuma ke muskurane lagti hai. Raj bhi muskurate hue gaadi aage bhaga deta hai.

Thodi der mein sab ghar aajate hai. Sonal jab car se utar ke apne ghar ko dekhti hai toh uske andar uss waqt jo feeling usse woh shabdo mein bayaan nhi kar paa rahi thi.

Raj: Aise kyaa dekh rahi ho Sonu.

Sonal: Apne ghar ko dekh rahi hu. Kehne ko toh main humesha se apne ghar mein hi thi. Par aisa lag raha hai aaj kitne mahino ke baad main apne ghar aayi hu. Iss feeling ko main shabdo mein bayaan nhi kar sakti.

Raj muskura ke bas Sonal ko uske kandhe se pakad ke sehla deta hai. Phir dheere dheere woh ghar ke andar jaane lagti hai. Jaise jaise woh andar jaa rahi thi usse bahot hi khushi horahi thi.

Jaise hi Sonal ghar ke darwaaze pe aati hai toh Ragini bolti hai.

Ragini: Wahi rukh jao. Aage mat aana.

Ragini ke bolne pe Sonal wahi rukh jaati hai. Phir Smita apni bahu ki aarti utarti hai.

Smita: Ab andar aao. Tumhara ghar bahot samay se tumhara intezaar kar raha tha jo aaj khatam huaa.

Sonal pehle sidha ghar ke mandir mein jaati hai waha se bhagwan ka aashirwaad leti hai aur phir sabhi badho ke pairr chuu ke aashirwaad leti hai.

Nandini: Aaj kitne mahino ke baad pura parivaar saath hai. Warna pehle toh saath hote hue bhi saath nhi the.

Ragini: Sahi kaha Nandini. Sonal ki yaadash aane ke baad aaj pura parivaar phir se ek hogya.

Smita: Nandini Sonal ko uske kamre mein le jao. Usse abhi thoda rest karne do.

Sonal: Main thikk hu Mummy.

Smita: Humhe pata hai tum thikk ho. Par doctor ne aaj pura din tumhe aaram karne ko hi kaha hai. Isiliye tum ab sidha apne kamre mein jao aur jaake aaram karo.

Phir Nandini Sonal ko uske apne kamre mein matlab Raj ke kamre mein le jaati hai.

Nandini: Yeh kamra bhi bahot samay se tumhara hi intezaar kar raha tha. Tumne mujhse pucha tha naa kyo tumhe yeh itna apna sa lagta hai.

Sonal: Yeh mera aur Raj ka kamra hai bhabhi. Jisse maine apne haatho se sajaya tha. Par main kabhi thikk se iss kamre mein reh hi nhi paayi.

Nandini: Woh sab baate bhull jaao Sonal. Jo hogya woh hogya. Chalo jao andar jao tumhara kamra tumhara intezaar kar raha hai. Yeh bol Nandini waha chali jaati hai.

Sonal dheere se apne kamre ka darwaaza kholke andar jaati hai aur chari taraf dekhne lagti hai. Woh kamra bilkul waisa hi tha jaisa usne sajaya tha. Harchiz bilkul waisi hi thi kuch bhi nhi badla tha.

Sonal khadi khadi apne kamre ko uski chizo ko uss kamre mein bitaye apne kuch khaash pal ko yaad kiye jaa rahi thi. Woh yaad karne mein itna khoo gayi ke usse yeh bhi pata nhi chala ke Raj thikk uske pichhe khada hai.

Raj jab dekhta hai ke Sonal ekdum shant khadi hai toh woh jaake usse pichhe se apni baahon mein bharr leta hai aur uske kandhe mein apna sir rakh kar bolta hai.

Raj: Kyaa soch rahi hai meri Sonu.

Sonal: Yeh kamra aaj bhi waisa hi hai.

Raj: Maine kisi bhi chiz ko kabhi haath lagaya hi nhi. Jaisa tumne chora tha woh thikk waisa hi hai. Main bas issi intezaar mein tha kab tum phir se apne kamre mein wapas aati ho aur dekho aaj woh intezaar khatam hogyaa.

Sonal ghum ke Raj ke gale lag jaati hai jiski aankhon mein thode aansu thee.

Sonal: Main bahot hi jyaada khushnaseeb hu Raj jo mujhe aap jaisa pati mila itna pyaara aur achha parivaar mila.

Raj: Achhi toh tum ho meri jaan. Aur khushnaseeb toh main hu jisse tum jaisi itna pyaar karne wali biwi mili.

Kuch der aise hi ekdusre ke gale lage rehne baad dono alag hote hai. Phir Raj Almira kholke usme se box bahar nikalta hai aur Sonal ko de deta hai.

Sonal: Yeh kyaa hai.

Raj: Tumhari amanat jo mere paas thi. Aaj tumhe wapas de raha hu.

Sonal woh box kholti hai toh uske aankhon mein aansu aajate hai. Woh box mein rakhe samaan ko apne haatho se sehlaane lagti hai.

Raj: Yaad hai iske baare mein.

Sonal: Nam aankhon se. Mera Mangalsutra. Maine kabhi sapne mein bhi nhi socha tha ke yeh kabhi mere gale se utrega. Par meri badkismati mujhe iss utarna padhaa.

Raj: Pleaseee ronaa nhiii. Jo hogyaa usse bhull jaoo. Tumhe jitne bhi dukh dard jhelne the tumne jhell liye. Ab aur nhii.

Phir Raj Sonal ke haathon se woh Mangalsutra leta hai aur phir se Sonal ko pehna deta hai. Jaise hi Raj Sonal ko woh Mangalsutra pehnata hai Sonal ki aankhon se aansu beh hi jaate hai. Woh jhatt se Raj ke gale lag jaati hai.

Sonal: I Lovee Youuu Rajjjj. I loveee Youuuu.

Raj: I Loveee Youuu Too Sonalll.

Phir Sonal ko Raj ke gale lage hue hi kuch sujta hai aur woh alag hoke jhatt se Raj ke honthon se apne honth chipka deta hai.

Raj ko iss harqat ki bilkul bhi umeed nhi thi. Woh bas badi badi aankhon se Sonal ko dekhne lagta hai. Woh bas statue banke khada reh jaata hai.

Kuch der kiss karne ke baad Sonal alag hoti hai par Raj abhi bhi waise hi khada reh jaata hai.

Raj: Shockk seee. Yehhhh kyaaa thaaa.

Sonal: Aaj main bahott khushh hu. Toh yeh aapka inaam tha. Aur car mein aapse promise kiya tha naa toh woh pura kardiyaa. Khushhhh.

Raj: Mujhe itna toh pata tha ke meri biwi Pagal hai. Par woh junglee billi bhi hai yeh nhi pata thaa.

Sonal thoda sa sharmaa jaati hai. Phir bolti hai. Aapne hi mujhe majburr kiyaa.

Phir Raj bhi Sonal ko apni baahon mein bharr leta hai aur apne honthon ko Sonal ke honthon se chipka deta hai.

Kuch der baad dono alag hote hai toh Sonal Raj ke seene mein apna chehra chupaa leti hai.

Phir Raj Sonal ko aaram karne ka kehke nichhe chala jaata hai aur Sonal bhi phir se apne kapre jo bagal wale kamre se shift hogye the unhe wardrobe mein sajane lagti hai aur phir fresh hone chali jaati hai.

Kuch der baad woh fresh hoke aati hai aur dressing table ke saamne jaake ready hone lagti hai. Phir Raj ke diye box mein se apna sindoor nikalti hai aur laga leti hai ke tabhi Ishita darwaaza kholke andar aati hai aur bolti hai.

Ishita: Bhabhi Jaipur se aapke Mummy Papa aur bhai aagaye hai.

Sonal: Mummy Papa aagaye.

Ishita: Haaa.

Yeh sunte hi Sonal jhatt se nichhe ki taraf bhagti hai jaha Hall mein hi uske maa baap baithe hue baate kar rahe the.

Sonal: Mummy Papaaa.

Sonal ki awaaz sunte hi jab Meera Sonal ko dekhti hai toh uske aankhon mein aansu aajate hai. Aaj kitne samay ke baad woh apni beti ko suhagan ke roop mein dekh rahi thi.

Meera: Sonalll merii bachhiii. Yeh bol jhatt se apni bachhi ko apne seene se laga leti hai.

Meera: Tu thikk hai naa betaa.

Sonal: Ab main bilkul thikk hu Mummy. Aaj mujhe mera parivaar phir se mil gaya.

Meera: Bhagwaan ka laakh laakh sukr hai ke teri yaadash wapas aagayi.

Phir Sonal apne baap aur bhai se bhi milti hai.

Phir sab baith ke baate karne lagte hai. Ishita aur Samar ka chupke chupke nain matakka bhi wahi chal raha tha jo Shruti ne dekh liya tha aur yeh dekh woh muskura deti hai.

Dheere dheere raat hojaati hai aur sab khaana khaake apne apne kamre mein chale jaate hai.
घर वापसी का अहसास सोनल के लिए ही नहीं सभी के लिए एक अनोखा अनुभव था। सोनल रह तो सभी के साथ रहा था लेकिन यादाश्त जाने के कारण सभी को जो करना होता था छुपा कर करना पड़ रहा था। सोनल के यादश्त वापस आते ही सब बादल गया।

अदभुत अतुलनीय लेखन कौशल
 
Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,722
46,177
259
Update 126
Unndono ke nikalte hi Sonal Raj se lipat ke jorr jorr se rone lagti hai. Aansu toh Raj ke aankhon mein bhi the par yeh khushi ke aansu the. Aakhir aaj usse uski patni wapas mil gayi thi.

Sonal: Rote hue. I am Sorryyy Rajjj. Mujhee maaf kardijiyee. Mainee aapkoo bahott takleef pahonchai. Bahort hurtt kiyaa. Aur naajanae aapko kyaa kyaa bolti rahi. Kitna insult bhii kiyaaa. I am sorryyy.

Raj: Sonal ko apne se alag kar uske aansu pochte hue. Pleaseee shantt hojaaooo. Aisee mat karooo. Tumne jo bhi kiyaa woh anjaane meinn kiya. Pleaseee ronaa bandd karoo. Mujhee tumsee koii shikayat nhii hai.

Sonal: Sisakte huee. Par mainee aapkoo kitna.....

Abhi Sonal ne itna hi bola ke Raj uske hontho pe ungli rakh deta hai aur bolta hai.

Raj: Chuppp. Ab uss baare mein koii baat nhii jo hona tha hogyaa. Aur maine bola naa mujhe koi shikayat nhii.

Abhi Raj ne itna hi bola tha ke tabhi darwaaza kholke Swati ke saath saath baaki sab bhi andar aajate hai.

Swati: Aankhon mein aansu liyee. Sonalllllllll. Yeh bol bhagte hue aati hai aur Sonal ke gale lag jaati hai.

Sonal bhi Swati ke gale lag jaati hai aur rone lagti hai.

Swati: Tuu thikk hogyii merii behennn. Tu thikk hogyii. Mainn aaj bahott khushh hu. Bahottt.

Sonal: I Am Sorryyy diii. Merii wajah see aapko bahott takleef huiii. I am sorryy.

Swati: Tuu tohh merii jaan haii. Aur mujhee koii takleeff nhii huiii. Phir jhatt se usse alag hoti hai aur Yash ke paas jaake apne bete ko leti hai aur Sonal ke paas aake bolti hai.

Swati: Sonalll dekh yehh mera betaaa haii.

Sonal yeh sunn bahottt khushh hoti hai. Uskii aankhon se aansu behene lagte haiii. Wohh jhatt see Ansh ko apni godd mein le leti hai aur dheere se uske sir ko chumm leti hai.

Sonal: Khushi ke saath aankhon mein aansu liyee. Sachhhhh diiii. Yehhh meraaa bhanjaa haii. Mainn mainn maasii bangayii.

Swati: Haa Sonalll. Tujhee pata haiii tujhe yeh batane ke liyee tujhee isse milanee ke liyee main kitnaa tadapp rahiii. Aur aaj bhagwaan ne meri yehh tadapp durr kardiii.

Abhi do beheno ka milan ho raha tha ke Nandini bolti hai.

Nandini: Sonalll hum bhi hai yaha. Humse bhi mil looo.

Sonal apni nazre uthake dekhti hai toh waha uska pura parivaar khada thaa.

Sonal: Bhabhiii Mummyy Badii Mummyy.

Nandini aage aake jhatt se Sonal ke gale lag jaati hai.

Nandini: Mainn aaj bahott khushh hu. Bahottt. Bhabhu toh tum mujhe pehle bhi bolti thi. Par iss feeling ke kiyee main taras gayii thiii.

Swati Sonal ki godd se Ansh ko le leti hai. Phir Smita aur Ragini aage aate hai aur bolte hai.

Dono: Kaan taras gaye thee tumhare muh se yeh sunne ke liyeee. Bhagwaan ne aaj humari sunn liii. Tumhari yaadashh waapas aagayii.

Phir ek ek karke sablog Sonal se milte hai. Sablog bahott khushh thee. Raj dhurr khada bas Sonal ko dekhe jaa raha thaa. Uske aankhon se abhi tak aansu nikal rahe the. Aaj usse bada khushnaseeb insaan shayad hi koi aur hogaa.

Kuch der baad Smita ki nazar Raj pe padhti hai toh woh dekhti hai ke Raj durr khada Sonal ko hi dekhe jaa raha hai. Aur Sonal ki nazar bhi baar baar ussi ko dekh rahi hai.

Smita: Chalo sab bahar chalo. Sonal ko abhi thoda aaram karne do.

Sablog Smita ke kehne ka matlab samaj jaate hai toh sablog chup chaap bahar nikal jaate hai aur kamre mein reh jaate hai bas Raj aur Sonall.

Dono hi ekdusre ko dekh rahe the par koi kuch nhi bol paa raha tha. Dono ki shaksiyat wahi thi par ab halat kuch aur the rishta kuch aur tha aur isiliye dono ke muh se koi bol nhi nikal rahe the.

Raj: Tum aaram karo main bahar hu. Yeh bol Raj bahar jaane lagta hai toh Sonal uska haath pakad leti hai.

Sonal: Mujhse naraz hai na aap. Mujhe maaf kardijiye. Main jaanti hu maine aapko anjaane mein bahot kuch boldiya tha. Par please mujhse naraz mat rahiye. Main aapki narazgi nhi seh paungi.

Raj jhatt se Sonal ko apne seene se laga leta hai. Raj ki aankho se bhi aansu beh rahe the. Sonal bhi Raj se aise lipat jaati hai jaise agar usko choregi toh woh usse durr chala jayega.

Raj: Tum nhi jaanti Sonu maine tumhara kitna intezaar kiya hai. Aur aaj aakhirkaar mera intezaar khatam huaa. Main tumse kyo naraz rahunga Sonu. Tumne jo bhi kiya usme tumhari koi galti nhi thi.

Sonal: Main bahot khushnaseeb hu jo mujhe aap jaisa pati mila. Aapne mere liye jitna kiya utna koi nhi karta kisi ke liye. Aapne sirf mere liye ek aisi duniya banayi jiska koi astitva hi nhi tha. Mujhe koi takleef naa ho isliye aapne kitni takleefe sahi.

Raj: Khushnaseeb toh main hu Sonu jo tum mere life mein aayi. Tumne mujhe accept kiya mujhse shaadi ki mujhe pyaar karna shikhaya. Mujhe mere dukh dard se bahar laaya. I Love You Sonal. I Love You so muchhh.

Sonal ne bhale hi Raj ke muh se yeh teen shabd bahot baar sunne the. Par aaj jis Sonal ne yeh teen shabd sunee the usse sunne ke liye usne naa jaane kitni mehnat ki thi kitni tadpi thi. Aur aaj aakhirkaar uski mehnat ka fal usse mil gaya uski saari tadap aaj khatam hogyi. Uske aankho se aansu behene lage thee.

Sonal: Aap nhii jaante Raj. Aapke muh se yeh sunne ke liye main taras gayi thi. Aaj aapne yeh bolke meri saari tadap durr kardi. I love You Too Raj. I Love You sooo muchhhhh.

Yeh bol woh Raj ko aur kash ka pakad leti hai. Raj bhi Sonal ko aur kash leta hai. Dono jaise ekdusre mein sama jaane chahte ho. Dono ke beech mein hawa pass hone tak ki jagah nhi bachhi thi.

Kuch der aise hi ek dusre se chipke rehne ke baad dono alag hote hai toh Raj bolta hai.

Raj: Sonal.

Sonal: Jii.

Raj: Mujhe tumse kuch chahiye. Bolo dogi.

Sonal: Mera sabkuch toh aapka hi hai Raj. Aapko maangne ki koi jarurat nhi hai.

Raj: Mujhe yeh Sonal nhi chahiyeee. Mujhe meri woh Sonu hi chahiye. Jo mujhse khulke baat karti thi. Jidd karti thi. Masti mazaak karti thi. Bolo dogi mujhe meri Sonu.

Sonal: Yeh aap kyaa bol rahe hai Raj. Ab main kaise aapke saamne woh sab kar sakti hu. Mujhse nhi hoga. Pehle ki baat aur thi par ab nhi hogaaa.

Raj: Aur kyo nhi hoga. Mujhe kuch nhi pata. Mujhe aajse balki abhi se mujhe meri Sonu wapas chahiye. Agar woh mujhe nhi mili toh main tumse baat nhi karunga. Ab yeh tumhare upar hai tum kyaa karogi.

Sonal: Aisa mat kahiye Raj. Agar aap mujhse baat nhi karenge toh main kaise jiyungi. Thikk hai main taiyaar hu. Par please aap mujhse baat karna band mat kijiyee.

Raj yeh sunn jhatt se Sonal ko gale laga leta hai aur uske chehre ko jagah jagah chumne lagta hai.

Raj: Main aaj bahot khushh hu. Bahottt jyaada. Tumne mujhe humari anniversary mein sabse achha gift diya hai. Mujhe meri patni meri lover meri dost mujhe sab de diyaaa. Thankkk youuu.

Sonal: Gift toh aapne diya hai. Mujhe mera pyaar de diyaa. I Love Youu sooo muchhhh. Yeh bol phir uske gale lag jaati hai.

Idher bahar sablog bahot khush the. Jisme Swati ki khushi toh sambhale nhi sambhal rahi thi. Aakhir uski jaan se pyaari behen jo thikk hogyi thi.

Ishita: Nandini Bhabhi. Humhe Sonal Bhabhi ke thikk hone ki khushi mein kuch speciall karna chahiyeee.

Payal: Haa Didi. Ishita sahi keh rahi hai. Kyo naa hum Kapoor House mein unke liye kuch special kareee.

Nandini: Areee bilkull karengee. Aakhir aaj ghar ki dusri bahu kitne mahino baad wapas ghar aayegi. Aaj meri devrani ka jabardast welcome hogaa.

Smita: Aaj toh meri bahu ke liye main khud special uski pasand ka khana banaungi.

Ragini: Toh chalo phir jaldi ghar chalte hai. Bahot si taiyaariyan karni hai.

Yash: Aaplog jaaiye. Main aur Swatu yehi rukhte hai. Sonal ko discharge karwake hum bhi aajayenge.

Ragini: Achhi baat hai chaloo sabb.

Phir sablog Kapoor House nikal padhte hai.

Idher Raj aur Sonal baithe baate kar rahe the ke tabhi darwaaze pe knock hota hai aur Yash aur Swati andar aate hai.

Yash: Raj ab humhe ghar ke liye nikalna chahiyee.

Raj: Hmm. Swati tum yaha baitho main doctor se mil ke aata hu. Yeh bol Raj aur Yash dono nikal padhte hai. Swati Sonal ke paas aake baith jaati hai.

Sonal Swati ki godd se Ansh ko le leti hai aur uske saath khelne lagti hai.

Sonal: Yeh bilkul aapki tarah hi hua hai di. Pura aapke upar gaya hai. Kyaa naam rakha hai iska.

Swati: Ansh Roy.

Sonal: Bahott achha naam hai. Maine bahot kuch miss kardiya di. Aapki pregnancy iska janam bahot kuch miss kardiya.

Swati: Ab yeh sab mat soch Sonal. Jo hogyaa usse bhul jaa. Ab apni life aaram se ji. Ab toh tujhe tera Raj bhi mil gaya jo ab tujhe bahot pyaar karta hai.

Sonal: Haa di. Mai bahot khush hu. Maine kabhi nhi socha tha ke Raj mujhse pyaar karne lagenge. Par finally mujhe Raj humesha ke liye mil gaye.

Swati: Tujhe pata hai Raj toh tujhe tere birthday ke din hi propose karne wala tha par usi din tera accident hogyaa aur teri yaadash chali gayi.

Sonal: Dekhiye naa di mere birthday ke din yaadash gayi toh humari anniversary ke din aagayi. Waise Mummy Papa Samar yehlog kaha hai.

Swati: Maine boldiya hai. Aarahe hai. Mummy ki khushi ka toh koi thikana hi nhi tha.

Yehlog aise hi baat kar rahe the ke Raj aur Yash andar aate hai.

Swati: Kyaa kaha doctor ne. Hum Sonal ko ghar le jaa sakte hai naa.

Yash: Haa. Sonal ka discharge hogya hai. Ab humlog ghar chal sakte hai.

Swati: Chal Sonal ab apne ghar chall.

Phir sablog hospital se bahar nikalte hai. Yash Swati ko leke apne car se nikal jaata hai toh Raj Sonal ko leke apni car se
बहुत ही बेहतरीन महोदय।

सोनल और राज ने मिलकर अपने गीले शिकवे दूर किये। सोनल को वो मिल गया जिसने कामना की थी। राज का प्यार और जीवन भर का साथ।।
 
Top