• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

Jaguaar

Prime
17,680
60,210
244
Update 123
Agle din Neha college aati hai aur chup chaap canteen mein baith jaati hai. Vishal bhi wahi baitha hua tha. Par naa woh Neha ki taraf dekh raha tha aur naahi usse koi baat kar raha tha. Par Neha aaj sirf usse hi dekhe jaa rahi thi.

Kuch der baad sablog apne class mein chal dete hai par class mein bhi Neha ka dhyaan kahi aur hi tha. Usko Vishal se baat karni thi akele mein par usse koi mauka nhi mila. Usne soch liya tha ke usse kyaa bolna hai.

Recess time mein Neha dekhti hai canteen mein sablog baithe hue hai sirf Vishal waha nhi tha.

Neha: Yeh Vishal kaha gaya.

Payal: Woh thoda library gaya hai. Usko kuch notes banane the toh mujhe class mein hi bol diya tha.

Neha: Achhaa.

Phir Neha Vishal ko ek msg kardeti hai jisme ek cafe ka address likha tha aur ek note bhi tha college ke baad milo.

Udher Library mein jab Vishal yeh msg padhta hai toh uske chehre mein apne aap hi ek muskaan aajati hai.

College khatam hone ke baad jaha sablog apne ghar ki taraf nikal padhte hai wahi Neha uss cafe ki taraf nikal padhti hai.

Kuch der mein Neha waha aake Vishal ka wait karne lagti hai. Thodi der mein Vishal bhi waha aajata hai.

Vishal: Haa bolo.

Neha: Tum ekbaar phir se soch lo. Yeh puri zindagi ka faisla hai.

Vishal: Muskurate hue. Agar mujhe kuch sochna hi hota toh kal main tumhare ghar aata hi nhi. Mujhe jo sochna tha jitna sochna tha maine soch liya hai. Ab tumhari baari hai.

Neha: Vishal main tumse pyaar nhi kar paungi. Aur bina pyaar ke koi bhi rishta nhi chalta.

Vishal: Pyaar nhi kar paogi. Par dost banke toh hum reh hi sakenge naa. Pyaar naa sahi dost banke hi zindagi guzarenge. Aur phir kal kisne dekha hai. Achha chalo meri taraf se love marriage aur tumhari taraf se arranged marriage.

Neha: Par main abhi shaadi nhi karungi. Pehle padhai khatam karungi apne aapko well settle karungi uske baad. Agar tab tak intezaar karsakte ho toh karo.

Vishal: Tumse kisne keh diya ke main abhi shaadi karna chahta hu. Main bhi pehle apne pairon mein khada hojaunga. Uske baad hi shaadi karunga. Toh main tumhari bhi haaa samjhu.

Neha bas halka smile kardeti hai toh Vishal khushi ke maare Neha ko hug karleta hai jisse Neha ko jhatka lagta hai. Usko iss chiz ki umeed nhi thi.

Vishal: Ooo sorry sorry. Excitement ke chalte mistake hogya. Thankk youu Nehaaa.

Neha: Abhi issbaare mein kisi ko bhi kuch mat batana khaash kar college mein. Aur waha jaise itne din behave karte aaye ho waise hi karna. Main nhi chahti unko abhi innsab ke baare mein pata chale.

Vishal: Thikk haiii.

Neha: Ab main chalti hu byee.

Vishal: Byeee.

Phir Neha waha se nikal jaati hai. Uske nikalte hi Vishal bhi khushi se naache hue apne ghar nikal jaata hai aur ghar pahonchte hi apni maa ko Neha ke haa ke baare mein bata deta hai.

Aise hi kuch mahine guzar jaate hai. Inn kuch mahino mein Swati ne ek bete ko janam diya jiska naam Ishita ne Ansh rakha. Sablog bahot khush the. Yash toh khushi se naach raha tha aakhir sab khushi ek taraf aur baap banne ki khushi ek taraf. Swati bhi khush thi par usse ek dukh yeh bhi tha ke woh apni jaan se pyaari behen ke saath apni zindagi ki sabse badi khushi share nhi kar sakti.

Raj ne Sonal ko Swati ke bete ki photo apne dost ke bete ki photo bolke dikha bhi di thi. Aur Swati ne awaaz badal ke Sonal se baat bhi ki thi.

Iss kuch mahino mein Sonal ko hardin Raj ki uss baat ko leke sapne aaye the. Sonal ne Raj ko iske baare mein kuch nhi bataya kyoki usse pata chal gaya tha ke Raj usse issbaare mein kuch chupa raha hai. Aur usse itne yakeen hogya tha ke yeh sapne aur woh dhundli yaadon ka connection khud se hi hai.

Ek din Raj Sonal ko phir se date pe leke jaane wala tha. Kyoki ussdin undono ki marriage anniversary thi aur Raj ussdin ko achhe se celebrate karna chahta tha.

Isiliye usne ek achhe se restaurant mein Sonal ke liye romantic candle light dinner ki taiyaari ki thi aur Sonal ko ek achhe se taiyaar hoke uss restaurant mein aane ke liye bola tha.

Raj khud pehle hi waha pahonch gaya tha sab kuch wapas recheck karne ke liye.

Idher ghar mein Sonal achhe se taiyaar hoti hai jisme Nandini uski madad karti hai.

Nandini: Aaj toh koi bahot buri tarah ghayal hone wala hai.

Sonal Nandini ki baat sunn sharma jaati hai.

Nandini: Haaye haaye dekho toh gaal kaise tamatar ki tarah laal hogye hai.

Sonal: Bas bhi kijiye bhabhi. Mujhe bahot sharm aarahi hai. Aur Raj ko bhi pata nhi kyo aaj achanak se bahar dinner karne jaane tha.

Nandini: Hosakta hai aaj kuch special ho.

Sonal: Sahi kaha bhabhi. Mujhe bhi subah se aisa hi lag raha hai. Aaj kuch toh khash hai. Bahot khash. Kuch aisa jo mere liye sabse important hai. Par kyaa yaad nhi aaraha hai.

Nandini: Mann mein. Khaash toh hai Sonal. Aakhir aaj hi toh woh din hai jisdin tumhe tumhara pyaar tumhe mila tha. Tumhari shaadi hui thi Raj se. Par kismat ka khel dekho tumhe hi woh sab yaad nhi hai.

Nandini: Achha ab choro yeh sab. Ab tumhe nikalna chahiye. Raj tumhara intezaar kar raha hogaa.

Phir Sonal ekbaar achhe se khud ko mirror mein dekhti hai aur nikal padhti hai.

Sonal ke nikalte hi Raj ka call aajata hai uske paas.

Raj: Kaha pe ho Sonu.

Sonal: Bas abhi ghar se nikali hu. Thodi der mein aajaungi.

Raj: Jaldi aao. I am waiting. Aur car aaram se chalana.

Sonal: Ab aap phone rakhenge tabhi toh aaungi.

Raj: Haa haa rakh raha hu. Come fast.

Phir Sonal car mein baith ke car ko Raj ke diye hue location ki taraf bhaga deti hai
 
Top