• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

kingkhankar

Well-Known Member
5,946
13,651
173
Update 67
Raj ke jaate hi Varun Soniya Ishita Sonal Neha se puchne lagte hai.

Soniya: Oo Madam kyaa hua tha. Kaha khoo gayi thi.

Varun: Mujhe laga tha main akela hi hu jisko padhne ka mann nhi kar raha tha par chalo mere saath ek aur add hua. Welcome to No Study Club Neha.

Soniya: Shut up Varun. Dekh nhi raha bechari ka chehra kaise utar gaya hai.

Ishita: Mujhe laga tha Sir strict hone ka mazaak kar rahe the par yeh toh sach mein hi strict hai.

Sonal: Kyaa hua Neha. Sir ki baat ka bura laga.

Neha naa mein gardan hila deti hai.

Soniya: Toh kyaa itne logo ke saamne aise tujhe daantna bura laga.

Varun: Aree usme kyaa hai tumhe pata hai naa mujhe sir ma’am pure class ke saamne kaise daantte the.

Soniya: Tu toh hai hi besharm.

Varun: Thanks for the complement sweetheart.

Soniya Varun ko aankhe dikhati hai toh woh chup kar jaata hai.

Ishita: Bolo na kyaa hua.

Neha: Woh Sir mere baare mein kyaa soch rahe honge. Unke saamne mera pehla impression down hogya.

Ishita: Aree itni si baat. Woh yeh sab kuch nhi soch rahe honge. Iss college mein kitne student hai dekhna recess tak woh bhul gaye honge.

Sonal: Haaa Ishita ne sahi kaha. Tum woh sab mat socho. Apna mood thik karo ab next class start hone wali hai.

Ishita ki baat sunke Neha ke mann mein ek aasha ki kiran jalti hai aur woh dheere dheere apna mood theek karti hai.

Phir recess tak professor aate hai aur padha ke nikal jaate hai.

Recess mein sablog Canteen mein baithke baate kar rahe hote hai par Neha ka dhyaan toh kahi aur hi thaa.

Vishal: Neha kyaa soch rahi ho.

Neha: Kuch nhii.

Varun: Aree kaise kuch nhi. Kab se dekh rahe hai sab tumhara dhyaan kahi aur hi hai.

Neha: Aisa kuch nhi hai.

Soniya: Kyaa tum abhi bhi Raj sir ke baare mein soch rahi ho.

Soniya ke muh se Raj ka naam sunte hi Neha ko khaashi aajati hai.

Neha: Nhii aisa kuch nhi hai. Main toh woh bhul chuki hai.

Vishal: Aisa kyaa hogya jo yeh Raj sir ke baare mein soch rahi hai.

Soniya: Woh Class mein madam ka dhyaan kahi aur tha Sir ne dekh liya toh thoda daant diya tha jiske wajah se inka mood off hogya hai.

Vishal: Achhaa. Aisa kyaa soch rahi thi Neha tum class mein.

Neha: Kuch nhiii.

Sonal: Aree choro naa. Hoga kuch jo woh nhi batana chahti hogi. Kyo force kar rahe ho sab.

Neha: Thank You Sonal. Waise Raj sir kitna achha padhate hai naa. Ek bhi sums unse halka sa bhi galat nhi hua. Aur kitna achha samjhate bhi hai.

Varun: Haa yeh toh hai. Par Strict hai bahot.

Neha: Itne bhi nhi hai. Ab agar padhai ke waqt kahi aur dhyaan rahega toh koi bhi gussa karega.

Ishita: Kyaa baat hai pehli baar mein bahot kuch jaan gayi ho.

Neha: Aisa kuch nhi hai. Ab jo sach hai woh toh bolna hi padega na.

Soniya: Baat toh sahi hai.

Idher yehlog baate kar rahe the udher Shivam inse thodi durr baithke inko hi gusse se ghurr raha thaa.

Shivam: Principal ke saamne meri izzat ka kabada kiya naa dekhlunga tumsab ko. Pure college ke saamne tumlogo ki izzat naa utaari toh mera naam Shivam nhi. Bas ek mauka mil jaaye phir dekhna main kyaa karta hu.

Neha: Aree chalo sab Raj sir ki class start hone wali hai.

Payal: Par unki class toh tumlog sabse pehle karte ho naa.

Neha: Haa par unhone bola hai abhi Recess ka baad ka pehla wohi lenge.

Payal: Par abhi time hai class mein.

Neha apni watch mein dekhti hai toh abhi bhi 10 mins baaki the.

Neha: Mann mein. Abhi bhi 10 mins baaki hai. Ab bas jaldi se yeh 10 mins khatam ho aur main jaake Raj Sir ko dekh saku. Aur ab koshish karungi unke saamne mera impression badh jaaye.

Phir jaise taise 10 mins khatam hote hai toh Neha jaldi jaldi class mein jaane lagti hai jisse dekh kar sablog thoda hairan the.

Soniya: Isse kyaa hua itni jaldi kyaa hai class mein jaane ki.

Ishita: Hosakta hai wapas se Sir ke contact mein nhi aana chahti ho. Subah ke baad.

Soniya: Pagal hai yeh ladki bhi.

Phir baaki sab bhi class mein aajate hai.

Jab sab class mein aate hai toh dekhte hai Neha ekdum first bench mein baithi hui hai.

Ishita: Yaha kyo baith gayi ho.

Neha: Woh bas aise hi. Ab sir ki nazar mein jo impression down hua hai usko up bhi toh karna hai naa.

Soniya: Greatttt. Dekho Varun sikho kuch isse. Ek yeh hai jo daant khaane ke baad saamne ke bench mein aati hai aur ek tum ho jo aur pichhe bhaag jaate ho.

Varun: Taaki aaram se pichhe so saku aur kisi ki nazar mein naa aau. Bolna hai toh pura bol.

Varun ki baat sunke sabko hasi aajati hai.

Soniya: Tera kuch nhi hosakta. Duffer kahi kaa.

Varun: Thanks for the compliment Madam. Yeh bol hasne lagta hai.

Sonal: Harchiz ko itni lightly kaise le lete ho.

Varun: Ek hi toh zindagi hai ab usme bhi kyaa gussa aur nazargi. Jeena hai toh hasi khushi jiyo. Khud bhi khush raho aur dusro ko bhi khush rakho.

Sonal: Bahot achhi soch hai tumhari.

Varun: Tareef ke liye shukriya.


Varun yeh bolta hai tabhi class mein Raj ki entry hoti hai toh sablog apni apni jagah mein baith jaate hai.
Loved this update.

I have a feeling that Neha will become one the main catalysts for bringing back the memory of Sonal........
 

Jaguaar

Prime
17,680
60,210
244
यह कहानी आप की है तो आप हम सभी से बेहतर जानते हैं कि कि कौन किरदार अच्छा इंसान है और कौन बुरा ।
पर मैंने जो भी कहा वह अब तक की स्टोरी को पढ़कर कहा ।

विक्की ने क्या गलत किया था ! उसने तो सिर्फ सोनल को चाहा इसमें उसकी क्या गलती थी ! सोनल की फेमिली से परिवारिक रिलेशन था । साथ साथ पढ़ते थे । अगर उसे सोनल से मोहब्बत हो गई तो इसमें क्या गलत हो गया । उसने तो उसकी बड़ी बहन पर तक अपनी बुरी नजर नहीं डाली । उसने शादी का रिश्ता भी भेजवा दिया था ।

यहां तक कि जब वो मुम्बई आ गया सोनल के पीछे पीछे फिर भी उसने क्या किया ! राज के रिश्तेदार जो बहुत ही खूबसूरत थी , पर भी उसने ध्यान नहीं दिया । दो लड़कियां थी खुबसूरत ।

राजेश और रंजीत के साथ जब उसका साथ हुआ तब भी उसने सिर्फ राज को जान से मारने का षड्यंत्र किया । सोनल को नहीं ।
यह बात अलग है कि उसके जेल जाने के बाद रंजीत और उसके डैड ने सोनल को मारना चाहा । अगर वो उनके साथ होता तो वो कभी ऐसा नहीं करने देता ।

उसने सिर्फ एक ही गलत काम किया था । गोली चलने के दौरान जब उसकी मां घायल हुई थी तब उसका रियेक्सन बहुत ही बुरा था । एक यही चीज उसे बुरा इंसान बनाती है ।
और ऐसा भी आप ने उसे एकदम ही विलेन बनाने के नियत से किया था ।

जगूआर भाई ! मेरी नहीं , कम से कम उन बुड्ढे मां बाप पर ही रहम दिखा दो ! उनके एकलौते चिराग को तो बुझने मत दो । मां बाप के दर्द तो महसूस करो । खन्ना फेमिली की अंतिम चिराग तो बुझने मत दो । :D

कहीं ना कहीं विक्की " डर "‌‌ के शाहरुख खान की तरह लगा जिसे लोग विलेन मानकर घृणा करने लगे ।
Dekha jaaye toh ek tarah se aapki baat bhi sahi hai.

Chalo koi nhi Story ke end tak Vicky ke liye kuch na kuch toh kardungaa
 

Jaguaar

Prime
17,680
60,210
244
Toh Deepak aur Meera apne ghar ki orr nikal chuke hai. Samar bhi chala gaya hai. Par Sonal ko rok liya gaya hai. Ye Swati bhi badi chant hai. Sonal se uske dil ka haal puch liya, par khud ek bhi secret na share kar rahi ki Yash ke prati wo bhi attracted hai.

Sonal ka ravaiyya kahi na kahi shayad Raj ki pichli premika se milta julta hai jiske chalte ab jab jab wo dono samay guzaarenge, kahi na kahi Raj ko apni pichli premika ki yaad aaegi hi. Aur wo Sonal me apni premika ko dekhna shuru kar dega. Fir khud ko samjhaega ki ye Sonal hai, wo nahi. Boht sii kathnaaiya aaengi inke rishte me shayad.

Vickey lodu kuch na kuch karne ki soch raha hai. Kya hoga jab ye aur Raj aamne saamne aaenge? Ye dekhne laayak hoga.

Mujhe laga tha, Raj ke ye kehne par ki 'usse bhi kulfi pasand thi'. Ye itni badi hint thi ki ye sunte hi Sonal ke kaan khade ho jaane chahiye the. But she let it slide? Aur abhi bhi wo yahi assume kar rahi hai ki Raj single hai?

Dekhte hai aage kya hota hai. Badhiya update Devil bro. Aise hi Likhte rahiye, aur readers ka manoranjan karte rahiye. 😁✨
Thank You

Aapki baat sahi hai. Sonal ka behaviour Raj ki premika se milta julta hai jo yeh baat woh khud batata hai.

Jab Raj aur Vicky aamne saamne honge toh Vicky ka band toh bajega hi.

Sonal ne Raj ki baat ko halke mein liya aur yeh galti usko aage bhaari padegi.
 

Villain1825

its villain
636
2,367
123
Waiting Waiting Waiting Waiting Waiting Waiting Waiting Waiting Waiting Waiting Waiting Waiting WaitingWaiting Waiting Waiting Waiting Waiting Waiting Waiting Waiting Waiting Waiting Waiting Waiting Waiting Waiting Waiting Waiting Waiting Waiting Waiting Waiting Waiting Waiting Waiting Waiting Waiting Waiting Waiting Waiting Waiting Waiting Waiting Waiting Waiting Waiting Waiting
 

Jaguaar

Prime
17,680
60,210
244
Loved this update.

I have a feeling that Neha will become one the main catalysts for bringing back the memory of Sonal........
Thank you

Not Neha but someone else. Sonal will be jealous from Neha.
 

Jaguaar

Prime
17,680
60,210
244
Jaguar bro update gzb aa rahe h aur plzz update thoda jaldi dijiye bohot late ho jaata h time
Thank you


Abhi kuch din kaam hai isiliye late horaha hai. Pehle toh jaldi hi aate thee
 

Jaguaar

Prime
17,680
60,210
244
Update 68
Raj: Toh kisi ko koi confusion yaa doubts hai toh bolo.

Raj ke bolne ke baad bhi koi haath upar nhi karta sivaay do jan ke.

Raj: Kyaa baat hai puri class mein sirf 2 jan ko hi doubts hai baaki sabko sabkuch samaj aagaya. Greattt. Agar aisa hi hai toh chalo ek test hojaaye subah ke sikhaye hue topic ke upar hi jisse mujhe bhi pata chal jaayega kisko kitna samaj aaya hai.

Raj ke aisa bolne se aadhe se jyaada class Raj ko aise dekhti hai jaise Raj ne unse unki dono kidney mang li hai.

Ishita: Bholi surat banake. Sir kyaa test lena jaruri hai. Aaj toh pehla din hi hua hai padhai ka.

Ishita ke bholi surat ko dekh Raj ko hasi aane lagti hai. Par woh control karta hai aur uske paas aake bolta hai.

Raj: Ishita. Agar tumlogo ko koi doubts koi question nhi hai subah jo padhaya woh samaj aagaya hai toh phir test dene mein kyaa problem hai. Iss test se tumlogo ko topic aur achhe se samaj aajayega.

Ishita Raj ke reply pe usko aise ghurti hai jaise bol rahi ho aap ghar mein milo phir batati hu aapko.

Raj: Toh chalo sab test ke questions likho. Aur time limit hai meri class khatam hone ke pehle tak.

Puri class mann maarke questions likhne lagti hai.

Raj: Sonal and Neha ab batao tumdono ke kya doubts hai.

Sonal ne apne apne doubts puchne start kiye par iss dauran jaha Sonal ki nazar completely apne copy aur book mein thi wahi Neha ki nazar sirf Raj ke upar thi.

Raj Sonal ke doubts sunke usko solve karwane lagta hai aur Sonal bhi achhe se samajne lagti hai.

Raj: Neha tumhara kyaa doubt hai.

Neha bhi jaldi jaldi 2-3 questions puch leti hai jiska answer usko pehle se aata tha par usne jabardasti waisa kiya.

Phir Raj Neha ke questions ka bhi answer de deta hai.

Raj: Toh tumdono samaj gaye.

Dono: Yes Sir. Thank you

Raj: Good ab jao jaake apna test do.

Phir dono apni jagah aajate hai toh test dene lagte hai.

Raj bhi class mein ghum ghum ke students ke paas jaake khada hojaata aur unke answers pe nazar ghumane lagta aur beech beech mein thodi bahot help bhi karne lagta.

Kuch der baad woh Sonal ke paas aake khada hojaata hai aur uske answers ke bahane usko dekhne lagta hai.

Ishita yeh notice karti hai toh table ke neeche ke Raj ke pairr mein maarti hai.

Raj Ishita ki taraf dekhta hai toh woh dheere dheere has rahi hoti hai.

Ishita ko haste dekh Raj jhep jaata hai aur waha se chala jaata hai.

Thodi der baad Raj bolta hai.

Raj: Okk students time up. Now stop writing.

Kuch students toh pehle hi likhna band karchuke the aur kuch likh rahe the toh woh bhi band kar dete hai.

Raj: Ishita saare answer sheets collect karke mujhe mere cabin mein de do.

Ishita: Yes Sir.

Phir Ishita pure class ki answer sheets collect karke Raj ke pichhe pichhe uske cabin mein chali jaati hai.

Cabin mein enter karte hi Ishita bolne lagti hai.

Ishita: Sir aap class mein kyaa kar rahe the. Meri bhabhi ke kyo dekhe jaa rahe the. Yeh bol hasne lagti hai.

Raj: Ishu college mein masti nhi.

Ishita: Come on Bhaiya. Aapki shakal uss waqt dekhne layak thi. Aisa laga jaise kisi ne aapki koi chori pakad li ho. Yeh toh achha hua woh maine dekha agar koi aur dekh leta yaa bhabhi dekh leti toh kyaa hota pata hai naa.

Raj: Hmm mujhe pata hai. Achha Sonal ne apni dawaiyan thik se li hai naa.

Ishita: Haa bhaiya aap chinta naa kare. Maine aur Payal ne bhabhi ko unki dawaiyan thik se khila di thi.

Raj: Thank You.

Ishita: Kyaa bola aapne. Humhe Thank You. Aap aao ghar mein phir dekhti hu aapko.

Raj: Achha sorry sorry. Ab jao.

Phir Ishita waha se chali jaati hai apne class ki taraf.

Jab woh class mein aati hai toh dekhti professor already aachuka tha.

Ishita bhi permission leke andar aake baith jaati hai.

Phir chutti tak inki classes hoti rehti hai.

Chutti ke baad Neha jaldi se class se nikalti hai aur washroom ka bahana karke Raj ke cabin ki taraf jaati hai par woh waha nhi thaa.

Idher Sonal ke mobile mein Raj ka msg aata hai ke woh uss jagah pe hi hai jaha usne rukhne ko bola tha.

Neha wapas se sabke paas aajati hai aur sabke saath chalne lagti hai.

Sonal: Achha main chalti hu byeee.

Ishita aur Payal dono Sonal se Raj ke baare mein puchte par usne unko ishare se hi chup karwa diya.

Sonal waha se nikal jaati hai aur kuch der mein Raj ke paas pahonch jaati hai.

Raj: Chalee.

Sonal: Jiii.

Phir dono ghar ki taraf nikal padhte hai.

Sonal: Sorry meri wajah se aapko wait karna padha.

Raj: Isme Sorry kaisa. Hum ek hi ghar mein rehte hai ek hi college mein jaate hai so itna toh kar hi sakta hu na.

Sonal: Phir bhi. Aap itna kar rahe hai kisliyee.

Raj: Ab dost ke liye itna toh kar hi sakta hu.

Sonal: Dost.

Raj: Haaa dost. Kyo main dost nhi bann sakta.

Sonal: Aisi baat nhi hai. Ban sakte hai. Par hum kab dost bane.

Raj: Hmm usi din se jisdin humne hall mein baithke baate ki thi. Maine toh usi din tumhe apna dost samaj liya tha. Par shayad tumne mujhe apna dost nhi samjha. Shayad mujhe thodi aur mehnat karni hogi apni image ko achhi banane ke liye.

Sonal: Aisi baat nhi hai. Par aapne kabhi dosti ka haath aage badhaya hi nhi. Isiliye mujhe laga aap abhi bhi mujhse naraz hai.

Raj: Naraz woh bhi tumse. Aur woh kisliye.

Sonal: Woh maine aapko galat samjha tha aur aapse galat behave kiya tha isiliye.

Raj Sonal ki baat sunke hasne lagta hai.

Raj: Tum abhi bhi woh baat leke baithi ho. Main toh kabka bhuk gaya hu ab tum bhi bhul jaao. Aur main tumse kabhi naraz ho hi nhi sakta.

Sonal: Woh kisliye.

Raj: Mann mein. Kyoki tum meri zindagi ho aur koi zindagi se naraz hosakta hai kyaa. Phir jorr se bolta hai. Kyoki tum meri dost ho. So friendsss. Yeh bol apna ek haatb aage badha deta hai.

Sonal: Ek pal Raj ko dekhti hai phir bolti hai. Soch lijiye Mr. Raj. Kahi yeh dosti mehengi naa padh jaaye.

Raj: Masti mein. Kyo aisa kyaa karne wali ho.

Sonal: Jyaada kuch nhi. Bas kabhi kabhi mujhe kulfi khilani hogi.

Raj Sonal ki baat sunke jor jor se hasne lagta hai. Raj ke saath saath Sonal bhi has deti hai.

Raj: Toh Ms. Sonal ko meri dosti manjurr hai.

Sonal: Manjurr hai. Par shart yaad rakhiyegaa.

Raj: Bilkulll. Jab bhi chahiye hogi tabhi mil jayegi. Toh chalo iss nayi dosti ko celebrate karte hai kulfi ke saath.

Sonal: Abhii nhii. Phir kabhi. Abhi ghar chalte hai bhabhi wait kar rahi hongi lunch ke liye.

Raj: Thikk hai toh yeh celebration udhaar raha.

Sonal: Thikk hai.

Raj: Waise ek baat bolu. Gussa toh nhi karogi.

Sonal: Ab dosti ki hai toh dost ki baat pe gussa kaisa.

Raj: Tum haste hue bahot achhi lagti ho. Humesha aise hi haste raha karo.

Sonal Pehle toh Raj ko ghurr ke dekhti hai jisse Raj thoda ghabra jaata hai.

Sonal: Gusse ka natak karte hue. Kyaa kaha aapne.

Raj: Ghabraate hue. Kuch nhi kuch nhi. Aur tumne kaha tha tum gussa nhi karogi.

Sonal: Iska matlab aap flirt karenge. Dosti kiye hue abhi kuch hi mins hue hai aur aapne flirting start kardi.

Raj: I am sorry. Yeh bol Raj ekdum chupp hojaata hai.

Sonal kuch der Raj ko dekhti hai aur phir jor jor se hasne lagti hai.

Sonal: Jara aaine mein shakal dekhiye apni. Ekdum safed hogya hai. Kitna darte hai aap. Yeh bol phir se jor jor se hasne lagti hai.

Raj: Confuse hoke. Matlabbb.

Sonal: Matlab main masti kar rahi thi aur aap kitna darr gayee. Yeh bol phir jor jor se hasne lagti hai.

Raj bhi samaj jaata hai ke Sonal ne usko bewakoof bana diya hai yeh soch woh bhi thoda has deta hai.

Raj: Tumne toh mujhe dara hi diya tha. Mujhe laga tum phir se mujhse naraz hogyi ho.

Sonal: Mujhe nhi pata tha aap itne darpok hai.

Raj: Heyy main koi darpok nhi hu. Woh toh bas tumhara gussa dekh kar thoda sa...

Sonal: Darr gaya tha Rightt. Yeh bol phir hasne lagti hai.

Raj: Achha achha ab chup karo. Haa main darr gaya tha.

Sonal kuch der chup chap baith jaati hai par kuch der baad phir hasne lagti hai.

Raj: Maine bola tha tum haste hue achhi lagti ho par itna bhi mat haso ke log pagal bolne lagee.

Sonal: Sorry Sorry. Par kyaa karu aapka woh chehra yaad aate hi hasi nikal jaati hai.

Raj: Haso haso kisi din mera bhi waqt aayega tab main hasunga.

Sonal: Achha sorry sorry ab nhi hasungi.

Kuch der baas phir Sonal ki hasi nikal jaati hai.

Raj: Kis pagal se dosti karli maine. Aree ab bas bhi karo.

Sonal: Aapne mujhe Pagal bola.

Raj: Ab Pagal ko pagal nhi bolunga toh kyaa bolunga.

Sonal: Agar main Pagal toh aap darpok.

Raj: Main darpok nhi hu

Sonal: Haa toh main bhi Pagal nhi hu.

Raj: Tum ho.

Sonal: Toh aap bhi hai.

Isi baat pe inki behas chirr jaati hai jo sidha ghar tak aati hai.

Sonal ghar ke andar aati hai toh Nandini puchti hai.

Nandini: Kyaa hua Sonal aisi shakal kyo banayi hui hai. Kyaa kisi ne kuch bola hai.

Sonal: Bhabhi kyaa main aapko Pagal dikhti hu.

Nandini: Nhii bilkul nhi. Kisne kaha tumhe Pagal.

Sonal: Uss Darpok insaan ne.

Nandini: Kis Darpok insaan ne.

Sonal: Wahi Mr. Darpok Raj Kapoor ne.

Nandini bhi Sonal ki baat sunn hasne lagti hai.

Nandini: Kyaa kaha tumne Darpok Raj Kapoor.

Tabhi Raj andar aata hai toh Sonal bolti hai.

Sonal: Lo aagaye Mr. Darpok.

Raj: Agar main Darpok toh tum Pagal.

Sonal: Dekha bhabhi inhone phir mujhe Pagal kaha.

Nandini: Aree shant hojao pehle mujhe yeh toh batao aakhir baat kya hai.

Sonal: Main batati hu bhabhi. Phir Sonal Nandini ko Car mein hui saari baat batati hai.

Sonal ki baat sunne ke baad Nandini bhi hasne lagti hai.

Nandini: Tum dono ki harqat dekh kar koi nhi bolega tumdono matured insaan ho. Tumdono abhi bhi ekdum bachhe ho.

Dono kuch bolne jaate hai tabhi Nandini beech mein bol padhti hai.

Nandini: Achha ab band karo yeh Darpok aur Pagal ka khel. Chalo jao jaake fresh hojaao.

Sonal Nandini ki baat sunke upar jaane lagti hai kuch durr jaake woh palat ti hai aur Raj se kehti hai.

Sonal: Raj.

Raj: Hmm.

Sonal: Thank You.

Raj: Kisliye.

Sonal: Aapki wajah se aaj main pata nhi kitne dino baad itna hasi hu. Thank You. Aap sach mein ek bahot achhe dost hai.

Raj bas muskura deta hai.

Sonal: Ek baat aur. Aap sach mein darpok hai. Yeh bol haste hue upar bhaag jaati hai.

Raj pichhe khada Sonal ki iss harqat pe hasne lagta hai aur dheere se bolta hai. Puri ki puri Pagal hai. Par jaisi bhi hai meri hai.

Nandini: Raj Sonal ke saath phir se dosti aakhir ho hi gayi.

Raj: Haa Bhabhi. Pyaar ki pehli sidhi chadhli hai humdono ne. Bahot jald aakhri sidhi pe bhi pahonch jaayenge.

Nandini: Waise aaj Sonal bahot khush hai.

Raj: Aur iski yeh khushi humesha kayam rahe yehi chahta hu main.

Nandini: Waise Raj aur Sonal ka toh pata nhi Mr. Darpok Kapoor aur Mrs. Pagal Kapoor ki jodi toh bangayi hai.

Raj: Haste hue. Kyaa bhabhi aap bhi.

Nandini: Haste hue. Jao jaake fresh hojao.

Phir Raj upar chala jaata hai.
 
Top