• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

Jaguaar

Prime
17,680
60,210
244
Update 67
Raj ke jaate hi Varun Soniya Ishita Sonal Neha se puchne lagte hai.

Soniya: Oo Madam kyaa hua tha. Kaha khoo gayi thi.

Varun: Mujhe laga tha main akela hi hu jisko padhne ka mann nhi kar raha tha par chalo mere saath ek aur add hua. Welcome to No Study Club Neha.

Soniya: Shut up Varun. Dekh nhi raha bechari ka chehra kaise utar gaya hai.

Ishita: Mujhe laga tha Sir strict hone ka mazaak kar rahe the par yeh toh sach mein hi strict hai.

Sonal: Kyaa hua Neha. Sir ki baat ka bura laga.

Neha naa mein gardan hila deti hai.

Soniya: Toh kyaa itne logo ke saamne aise tujhe daantna bura laga.

Varun: Aree usme kyaa hai tumhe pata hai naa mujhe sir ma’am pure class ke saamne kaise daantte the.

Soniya: Tu toh hai hi besharm.

Varun: Thanks for the complement sweetheart.

Soniya Varun ko aankhe dikhati hai toh woh chup kar jaata hai.

Ishita: Bolo na kyaa hua.

Neha: Woh Sir mere baare mein kyaa soch rahe honge. Unke saamne mera pehla impression down hogya.

Ishita: Aree itni si baat. Woh yeh sab kuch nhi soch rahe honge. Iss college mein kitne student hai dekhna recess tak woh bhul gaye honge.

Sonal: Haaa Ishita ne sahi kaha. Tum woh sab mat socho. Apna mood thik karo ab next class start hone wali hai.

Ishita ki baat sunke Neha ke mann mein ek aasha ki kiran jalti hai aur woh dheere dheere apna mood theek karti hai.

Phir recess tak professor aate hai aur padha ke nikal jaate hai.

Recess mein sablog Canteen mein baithke baate kar rahe hote hai par Neha ka dhyaan toh kahi aur hi thaa.

Vishal: Neha kyaa soch rahi ho.

Neha: Kuch nhii.

Varun: Aree kaise kuch nhi. Kab se dekh rahe hai sab tumhara dhyaan kahi aur hi hai.

Neha: Aisa kuch nhi hai.

Soniya: Kyaa tum abhi bhi Raj sir ke baare mein soch rahi ho.

Soniya ke muh se Raj ka naam sunte hi Neha ko khaashi aajati hai.

Neha: Nhii aisa kuch nhi hai. Main toh woh bhul chuki hai.

Vishal: Aisa kyaa hogya jo yeh Raj sir ke baare mein soch rahi hai.

Soniya: Woh Class mein madam ka dhyaan kahi aur tha Sir ne dekh liya toh thoda daant diya tha jiske wajah se inka mood off hogya hai.

Vishal: Achhaa. Aisa kyaa soch rahi thi Neha tum class mein.

Neha: Kuch nhiii.

Sonal: Aree choro naa. Hoga kuch jo woh nhi batana chahti hogi. Kyo force kar rahe ho sab.

Neha: Thank You Sonal. Waise Raj sir kitna achha padhate hai naa. Ek bhi sums unse halka sa bhi galat nhi hua. Aur kitna achha samjhate bhi hai.

Varun: Haa yeh toh hai. Par Strict hai bahot.

Neha: Itne bhi nhi hai. Ab agar padhai ke waqt kahi aur dhyaan rahega toh koi bhi gussa karega.

Ishita: Kyaa baat hai pehli baar mein bahot kuch jaan gayi ho.

Neha: Aisa kuch nhi hai. Ab jo sach hai woh toh bolna hi padega na.

Soniya: Baat toh sahi hai.

Idher yehlog baate kar rahe the udher Shivam inse thodi durr baithke inko hi gusse se ghurr raha thaa.

Shivam: Principal ke saamne meri izzat ka kabada kiya naa dekhlunga tumsab ko. Pure college ke saamne tumlogo ki izzat naa utaari toh mera naam Shivam nhi. Bas ek mauka mil jaaye phir dekhna main kyaa karta hu.

Neha: Aree chalo sab Raj sir ki class start hone wali hai.

Payal: Par unki class toh tumlog sabse pehle karte ho naa.

Neha: Haa par unhone bola hai abhi Recess ka baad ka pehla wohi lenge.

Payal: Par abhi time hai class mein.

Neha apni watch mein dekhti hai toh abhi bhi 10 mins baaki the.

Neha: Mann mein. Abhi bhi 10 mins baaki hai. Ab bas jaldi se yeh 10 mins khatam ho aur main jaake Raj Sir ko dekh saku. Aur ab koshish karungi unke saamne mera impression badh jaaye.

Phir jaise taise 10 mins khatam hote hai toh Neha jaldi jaldi class mein jaane lagti hai jisse dekh kar sablog thoda hairan the.

Soniya: Isse kyaa hua itni jaldi kyaa hai class mein jaane ki.

Ishita: Hosakta hai wapas se Sir ke contact mein nhi aana chahti ho. Subah ke baad.

Soniya: Pagal hai yeh ladki bhi.

Phir baaki sab bhi class mein aajate hai.

Jab sab class mein aate hai toh dekhte hai Neha ekdum first bench mein baithi hui hai.

Ishita: Yaha kyo baith gayi ho.

Neha: Woh bas aise hi. Ab sir ki nazar mein jo impression down hua hai usko up bhi toh karna hai naa.

Soniya: Greatttt. Dekho Varun sikho kuch isse. Ek yeh hai jo daant khaane ke baad saamne ke bench mein aati hai aur ek tum ho jo aur pichhe bhaag jaate ho.

Varun: Taaki aaram se pichhe so saku aur kisi ki nazar mein naa aau. Bolna hai toh pura bol.

Varun ki baat sunke sabko hasi aajati hai.

Soniya: Tera kuch nhi hosakta. Duffer kahi kaa.

Varun: Thanks for the compliment Madam. Yeh bol hasne lagta hai.

Sonal: Harchiz ko itni lightly kaise le lete ho.

Varun: Ek hi toh zindagi hai ab usme bhi kyaa gussa aur nazargi. Jeena hai toh hasi khushi jiyo. Khud bhi khush raho aur dusro ko bhi khush rakho.

Sonal: Bahot achhi soch hai tumhari.

Varun: Tareef ke liye shukriya.

Varun yeh bolta hai tabhi class mein Raj ki entry hoti hai toh sablog apni apni jagah mein baith jaate hai.
 
ABHISHEK TRIPATHI

Well-Known Member
6,414
28,383
218

Awesome update
 
Top