• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

Jaguaar

Prime
17,680
60,210
244
Please sonal ko raj milav jaldi
Muje ye judai dekhi nahi ja rahi
Gunehgar to baadme bhi dhund sakte he pr family sabse pahli honi chahiye
Thank you

Milan bhi hoga par usme thoda time lagega
 
  • Like
Reactions: mashish and parkas

Jaguaar

Prime
17,680
60,210
244
Khwaab mein dekha tha ek aanchal
Raj ne apne haathon mein.....
Ab toote sapnon ke sheeshe
Chubhte hain raj ki aankhon mein...
Kal Meera Ji thi yahin, ab koi bhi nahin..
Ban ke naagin jaise hai raj ki saanson mein lehrayi...aur uske palkon pe kitne aansu hai laayi.. :popcorn:

Well... shaandaar update, shaandaar lekhni, shaandaar shabdon ka chayan...
sath hi dilchasp kirdaaro ki bhumika bhi.....

Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :applause: :applause:
Thank you

Kuch bhi ho par ghuma fhira ke baat ko Meera pe hi rakh deni hai aapko.


Waise Shayri bahot mast thi.
 
  • Like
Reactions: mashish and parkas

dhparikh

Well-Known Member
6,553
7,915
173
Update 55
Agle din Karan subah police station jaake uss aadmi se milta hai.

Aadmi: Sahab mujhe kyo pakda hai. Maine aakhir kyaa kiya hai.

Karan: Tera naam bata.

Aadmi: Sahab aakhir maine kiya kyaa hai.

Karan: Ek thappad maarte hue. Jitna pucha hai utna bol

Aadmi: Raghu naam hai sahab mera.

Karan: Haa toh Raghu tujhe nhi pata tujhe yaha kisliye laaya gaya hai.

Raghu: Nhi sahab. Main toh ek sidha sadha majdur hu. Mujhe kyo laaya hai yaha pe.

Karan: Inspector.

Inspector: Yes Sir.

Karan: Jara iss sidhe saadhe majdur ka mobile dena.

Inspector: Yeh lijiye Sir.

Karan: Isko check kiya hai naa.

Inspector: Yes Sir. Aur yeh rahi pichle kuch waqt ki call history. Iss ek number pe sabse jyaada baar baat hua hai.

Karan: Haa toh Raghu ab tu apne aap batayega yaa main apne tarike se muh khulwau.

Raghu: Sahab aap kyaa bol rahe ho mujhe kuch samaj nhi aaraha hai.

Karan: Ek Thappad maarte hue. Yeh number kiska hai.

Raghu woh number dekhte hi shock hojaata hai. Usko samaj aajata hai ke Karan kyaa puch raha hai.

Raghu: Ghabraate hue. Yehhh yehh mere dost ka number hai sahab.

Karan: Tere dost ka number hai. Tera dost tujhe kitne paise deta hai dusro ka pichha karke uspe nazar rakhne kaa.

Raghu Karan ki baat sunke buri tarah se ghabraa jaata hai jo Karan ko saaf samaj aaraha thaa.

Raghu: Darr aur ghabrahat mein. Main Samjha nhi sahab. Aap kya bol rahe ho.

Karan iss baar pure gusse mein ek jorrdaar Thappad Raghu ko maarta hai jisse Raghu ke honth fatt jaate hai aur khoon nikalne lagta hai.

Karan: Ab agar tune sab kuch nhi bataya naa toh tujhe yehi zinda gaar dungaa.

Raghu: Darr aur dard mein. Main kuch nhi jaanta Sahab. Aap mujhe bina wajah maar rahe ho. Main toh ek mamuli sa majdurr hu.

Raghu ke iss baat pe Karan ka gussa aur badh jaata hai aur woh paas khade inspector ke haath se uska danda leke Raghu ko maarne lagta hai.

Karan ke harr maar pe Raghu jorr jorr se chikhne lagta hai par Karan nhii rukhtaa. Aakhir mein jab Raghu ki sehanshilta uska saath chorti hai toh bolta hai.

Raghu: Aur mat maaro sahab. Main sab sach batata hu. Mujhe aur mat maaro. Main sab bataungaa.

Karan: Chall bata.

Raghu: Mujhe uss aadmi(Raj) ke upar nazar rakhne ko bola tha aur uski pal pal ki khabar pahonchane ko bhi bola gaya tha.

Karan: Kisne bola tha aur kyaa kyaa khabar di tune.

Raghu: Main uska naam nhi jaanta sahab. Usne kabhi apna naam nhi bola. Aur main toh uss aadmi(Raj) ki har khabar uss tak pahonchata tha. Ke woh kyaa karta hai kaha jaata hai kisse milta hai sabkuch. Kuch din pehle hi maine usko bola tha ke woh apni patni ke liye ek bade hotel mein party de raha hai aur waha usko apne pyaar ka izhaar bhi karne wala hai.

Karan yeh sunte hi usko ek aur thappad maarta hai jisse woh zameen mein girr jaata hai

Karan: Aage bol.

Raghu: Uske baad mere ko uska phone aaya tha ke uss aadmi ki biwi ka accident hogya hai mujhe uspe nazar rakhni hai ke woh ladki zinda hai yaa marr gayi hai aur yehi khabar mujhe usko deni hai. Toh maine usko boldiya tha ke woh ladki zinda hai.

Karan: Woh kaha rehta hai jisne tujhe yeh kaam diya thaa. Aur dikhta kaisa hai. Aur kyaa humesha akela aata tha.

Raghu: Sahab main toh humesha usse ek hi jagah pe milta tha jaha woh mujhe mera paisa deta tha aur dikhne mein thikk thakk hai lamba chouda banda hai sahab. Uske saath humesha ek budhha aadmi rehta tha dikhne mein toh dono baap bete lagte the.

Karan: Dekhega toh pehchan lega.

Raghu: Haa Sahab.

Karan: Inspector apne sketch artist ko bulao aur isse undono ka sketch banao aur uss jagah ka address lelo.

Inspector: Yes Sir.

Phir Karan waha se nikal jaata hai aur apne cabin mein aake baith jaata hai.

Karan: Iss Raghu ki baat se toh mera shak sahi horaha hai. Kahi iske pichhe woh Rajesh aur Ranjeet toh nhi. Bas ekbaar sketch banjaayega toh yeh bhi confirm hojayega.

Kuch der baad Inspector woh sketch leke andar aata hai.

Inspector: Sir Sketch taiyaar hai aur bahot hi shocking hai.

Karan: Kyaa wohdono hi hai.

Inspector: Yes Sir. Yeh dekhiye.

Karan woh sketch dekhta hai yoh uski aankhe gusse se laal hone lagti hai.

Karan: Woh address mila.

Inspector: Yes Sir.

Karan: Yeh address kya unn location mein se kisi ke saath match horaha hai kya jaha jaha woh gaadi gayi thi thi.

Inspector: Nhii Sir. Unn location ke aas paas ka bhi nhi hai. Iss jagah pe jyaada tar farmhouse hai aur kaafi shant ilaaka hai.

Karan: Thikk hai. Chalo chalte hai uss area mein.

Phir Karan uss address ki taraf nikal padhta hai.

Idher Raj apne office mein baitha kaam mein mann lagane ki koshish kar raha tha par uska dhyaan baar baar bhatak raha tha jo saamne baitha Yash dekh raha tha.

Yash: Kyaa baat hai Raj. Kyaa soch raha hai.

Raj: Sonal ke baare mein soch raha hu Yash. Sonal ki nazar mein meri image buri hogyi hai. Usko lagta hai meri harqate uss Vicky ki tarah hai. Iss wajah se woh mere se sahi se baat nhi karti aur isiliye main kuch dino se uske saamne bhi nhi jaaraha hu.

Yash: Sab thikk hojayegaa Raj. Aur agar tu uske saamne nhi jaayega usse baate nhi karega toh usko apne pyaar ka aihsaas kaise karwayega. Maan le uski yaadast aayi hi nhi toh kam se kam tumdono naye sire se toh apni zindagi jee sakte ho. Aisa samaj lo tumdono ki shaadi hui hi nhi hai aur tu usse pehli baar mil raha hai. Isiliye Sonal ke jyaada se jyaada paas reh uski nazar mein jo galat impression hai usko sahi mein badal. Usse phir se dosti kar pyaar kar.

Raj: Bol toh tu sahi raha hai. Main koshish karta hu.

Abhi koi kuch bolta ke tabhi Raj ke phone mein ek msg aata hai jisse padhte hi Raj ki aankho mein ek alag hi chamak aajati hai aur woh uth ke waha se jaane lagta hai.

Yash: Oyee kaha jaa raha hai.

Raj: Ek bahot jaruri kaam hai. Samaj le jisne meri Sonal ke saath yeh kiya hai woh kaha hosakta hai iska ek raasta mila hai.

Yash: Whattttt. Tujhe kaise pata chala. Aur sabse badi baat tujhe pata hai kisne kiya hai yeh kaam.

Raj: Mujhe exactly nhi pata. Maine bas tukka lagaya hai. Tu rukh main aata hu.

Yash: Main bhi chalta hu. Par pehle Karan bhaiyaa ko boldete hai.

Raj Karan ko phone lagate hue waha se nikalne lagta hai par Karan phone nhi utha raha tha.


Raj aur Yash bhi nikal padhte hai uss address ki taraf jo Raj ke mobile mein aaya tha.
Nice update...
 
  • Like
Reactions: Luffy and Jaguaar

Jaguaar

Prime
17,680
60,210
244
Update 56
Thodi hi der mein Raj aur Yash uss jagah pahonch jaate hai jaha ka address Raj ke mobile mein aaya thaa.

Yash: Abee main tujhe kab se puch raha hu tu batata kyo nhi. Tujhe kispe shak hai aur tujhe yaha ka address kisne diya.

Raj: Tu kuch der shant nhi reh sakta kyaa. Kab se bak bak kiye jaa raha hai. Ekbaar unhe pakad lu phir apne aap pata chal jayega.

Yash: Par tu yaha dhundega kaisee. Yaha toh kitne saare ghar hai.

Raj: Yeh tune ki kaam ki baat. Kuch toh sochna padegaa.

Abhi Yash kuch bolta tabhi usko waha ek gaadi aate hue dikhti hai.

Yash: Abee woh dekh ek gaadi aarahi hai.

Raj: Yehh toh bhaiyaa ki gaadi hai. Par woh yaha kaisee. Unhone toh mera call tak nhi uthaya.

Idher Karan jab Raj aur Yash ko waha dekhta hai toh woh bhi hairaan hojaata hai.

Karan: Tumdono yaha kyaa kar rahe ho.

Raj: Hum toh yaha ek jaruri kaam se aaye the par aap yaha kya kar rahe ho aur aapka phone kaha hai kab se try kar raha hu aap utha hi nhi rahe.

Karan: Aree main toh yaha tere kaam se hi aaya tha aur mera phone silent hai. Par kisliye call kar raha tha.

Raj: Mera kaam matlab. Aur main toh aapko yehi bulane ke liye call kar raha tha.

Karan: Matlabb.

Yash: Matlab yeh bhaiya ke isse pata nhi kaise yeh pata chala hai ke Sonal ka accident karne wala yaa karwane wala yaha chupaa hua hai aur yeh usse pakadne aaya hai.

Karan Yash ki baat sunke shock hojaata hai.

Karan: Tujhe kaise pata chala woh kaun hai aur yaha chupaa hua hai.

Yash: Main bhi kab se ye puche jaa raha hu par yeh batata hi nhi.

Raj: Woh bhaiya mujhe ek jan pe shak tha. Aur kuch din pehle hi meri mulakat ek detective se hui thi toh maine usko uss aadmi ke baare mein sabkuch pata lagane ko kaha tha. Toh abhi usne mujhe msg karke yaha ka address diya.

Karan: Aur tujhe kispe shak hai.

Raj: Ranjeet pe. Kyoki usne pehle bhi mere upar jaanleva humla kiya hai toh hosakta hai issbaar usne Sonal pe attack kardiya.

Karan: Hosakta hai nhi. Usi ne kiya hai. Kal raat tera pichha karne wala aadmi pakda gaya tha aur aaj subah usko 2 dande maare toh sab kuch boldiya hai aur usne dono baap bete ka sketch bhi banwa diya tha aur usine humhe yaha ka address diya hai.

Par mujhe ek baat samaj nhi aarahi hai jisse hum police wale itne time se nhi khoj paaye usse tere iss detective ne kaise khoj nikala.

Raj: Bhaiya actually iss detective ne Ranjeet ko ekbaar yaha tak apni gaadi mein lift di isiliye usko pata chala aur usne mujhe bata diya.

Karan: Toh chal chalke dekhte hai uss Ranjeet ko.

Yash: Par bhaiya itne saare ghar mein se kaunse ghar mein jaayenge.

Karan: Wohlog kaunse ghar mein honge yeh mujhe pata hai. Chalo ab.

Phir sablog Karan ke saath ek ghar ke paas aate hai.

Karan: Tumdono yehi ruko. Hosakta hai uske paas koi hatiyaar ho. Inspector apni position lo. Aur dekho ghar ke andar jaane ka koi dusra raasta hai kyaa.

Inspector aur Hawaldaar ghar ke charo taraf faill jaate hai aur achhi tarah se check karte hai toh unhe pichhe ki taraf se ek darwaza dikhta hai.

Inspector ishare se bolta Karan ko yeh baat bolta hai. Toh Karan uss taraf jaata hai.

Karan: Ek kaam karo 2 hawaldaar yaha ruko agar woh yaha se bhaagne ki koshish kare toh unhe pakadlena.

Phir sab aage ke darwaaze ki taraf jaate hai.

Karan: Hawaldaar(Jo Civil dress mein tha) bell bajao aur dekho wohlog hi hai yaa nhi.

Hawaldaar bell bajata hai toh kuch der baad ek aadmi gate kholta hai.

Aadmi: Ji kahiyee.

Aadmi ki awaaz sunte hi Karan bahar aata hai toh dekhta hai yeh koi aur aadmi hai.

Woh aadmi police dekhte hi thoda ghabra jaata hai.

Aadmi: Jii sahab kahiyee. Kyaa hua hai.

Karan: Aadmi ko pakadte hue. Inspector pure ghar ki achhe se talashi lo. Aur dekho woh dono kamine kaha hai.

Inspector hawaldaar ke saath jhatt se andar ghusta hai aur ghar ko achhe se check karne lagta hai.

Karan: Ghar mein aur kaun kaun hai.

Aadmi: Sahab ghar mein aur koi nhi hai. Main iss ghar ka caretaker hu. Yaha main aur meri biwi rehte hai jo market gayi hai.

Karan: Sach sach bata warna tu bhi jail ke andar jaayega.

Aadmi: Sahab main kyo jhoot bolunga. Agar aapko yakeen nhi hai toh aap dekh lijiye.

Tabhi Inspector bahar aata hai aur bolta hai sir yaha koi nhi hai. Pura ghar khaali hai sirf ek kamre mein kuch kapde hai aur kitchen mein thoda khaane ka samaan hai.

Aadmi: Main sach keh raha hu Sahab. Yaha sirf main aur meri biwi hi rehte hai jo iss ghar ki dekhbhal karte hai.

Karan: Yeh ghar kiska hai aur yaha ka maalik kaha hai.

Aadmi: Sir yeh ghar Sharma Sahab ka hai aur woh toh london mein rehte hai 6 months mein 1 baar aate hau family ke saath.

Raj: Par bhaiyaa uss aadmi ne yeh ghar aur mere detective ne toh yehi area bola tha.

Karan: Yehi toh samaj nhi aaraha hai. Shayad uss aadmi ne mujhe jhoothi khabar di hai. Phir Karan Rajesh aur Ranjeet ki photo uss aadmi ko dikhata hai aur puchta hai.

Karan: Kyaa inndono ko yaha kabhi dekha hai pichle kuch mahino mein yaa dino mein.

Woh aadmi uss photo ko dhyaan se dekhta hai phir bolta hai.

Aadmi: Haa sahab. Iss budhhe aur iss jawaan ladke ko maine inn kuch dino mein bahot baar dekha hai yaha. 2-3 baar toh iss ghar ke aaspaas bhi ghumte hue dekha hai. Maine ekbaar pucha bhi tha toh bola tha isko iss area mein ek ghar lena hai toh wohi dekh raha hai.

Phir Karan Raghu ka photo dikhata hai aur puchta hai isko dekha hai.

Aadmi thikk se dekha hai aur bolta hai haa sahb 1-2 baar inn dono ke saath isko bhi dekha hai.

Inspector: Matlab sir woh Raghu sach bol raha tha. Ranjeet ne usko jaanmuzz ke yeh ghar dikhaya hoga jisse agar Raghu kabhi pakda jaaye toh humhe ghumra kar sake. Aur Raj ji ke detective ne jo iss Ranjeet ko lift di thi woh bhi sach hi hai.

Karan: Hmmm. Saale ne bahot hi chalaki se issbaar yeh sab kiya hai. Usko pata tha hum kaise bhi karke usske baare mein pata laga lenge.

Yash: Bhaiyaa hum toh wapas ghum fhirr ke phir se wahi aagaye jaha se start kiya tha.

Raj: Nhii Yashh. Pehle humhe pata nhi tha yeh sab kisne kiya hai par ab humhe pata hai.

Karan: Haa Yash. Aur abhi bhi humare paas ek option hai unn tak pahonchne kaa.

Dono: Kaun sa option.

Karan ekbaar uss aadmi ko dekhta hai aur phir waha se wapas apne car ki taraf aata hai aur waha bolta hai.

Karan: Inspector uss aurat ke baare mein kyaa pata chala. Kab uski rihaai horahi hai. Uska Beta aur Pati usko apne paas jarur bulayenge aur tabhi saalon ko pakdenge.

Inspector: Sir kal hi uski rihaai hai.

Karan: Greattt. Ek kaam karo uske pichhe ek lady constable ko uske pichhe laga do civil dress mein. Aur usko boldena ek pal ke liye bhi woh uski nazro se ojhall naa ho paaye. Kal unn saalon ko pakad ke rahenge.

Inspector: Yes Sirr.

Karan: Raj Yash ab tumdono jaao. Main bhi nikalta hu.

Phir sab waha se nikal jaate hai.

Raat ko jab Raj ghar aata hai toh woh dekhta hai aaj Sonal apne kamre mein naa hoke bahar hall mein sabke saath baithi hui hai.

Sonal ko aise sabke saath baat karte dekh kar Raj ko achha lagta hai. Woh wahi khada Sonal ko haste muskurate dekh raha tha tabhi Smita bolti hai.

Smita: Aree Raj aagaya. Waha kyo khada hai.

Smita ki awaaz sunke Sonal darwaaze ki taraf dekhti hai toh usko waha Raj khada dikhata hai. Itne dino baad Raj ko dekh kar Sonal ko ek ajeeb si khushi milti hai par woh iss khushi ka matlab samaj nhi paati. Par iss khushi ke saath saath usko thoda dukhh bhi hota hai uske behaviour ko leke.

Sonal: Mann mein. Aaj itne dino baad Raj mere saamne aaye hai. Aaj toh inse maafi maang hi lungi jisse mere dil mein jo guilt hai woh durr hojayega. Warna yeh guilt mujhe chainn se jeene nhi de raha hai.

Idher Sonal Raj ko dekh kar yeh soch rahi thi udher Raj Sonal ki taraf dekh bhi nhi raha tha jisse Sonal ko thoda bura lagta hai par filhal woh iss chiz ko ignore kardeti hai.

Nandini: Raj jaldi se jao fresh hojao. Dinner ready hai.

Raj: Ji bhabhi.

Phir Raj apne kamre mein chala jaata hai aur Sonal usko jaate hue dekhte rehti hai.

Thodi der baad Raj fresh hoke nichhe aata hai aur dinner karne baith jaata hai aur chup chaap dinner karne lagta hai. Par itne waqt mein usne ekbaar bhi Sonal ki taraf naahi dekha tha aur naahi usse baat karne ki koshish ki thi. Jo Sonal ko lag rhaa tha uske dil mein ek anjaana sa dard paida kar rahi thi jisko woh samaj nhi parahi thi. Par asal baat toh yeh thi ke jabse Raj ghar aaya tha woh mauka milte hi Sonal ko mann bharr ke dekh leta tha aur Sonal ki nazar uspe parti uske pehle hi apni nazre hata leta tha.

Dinner khatam hojaane ke baad Raj hall mein baith jaata hai aur Sonal ko bina pata chale usko dekh raha tha. Thodi der baad Sonal bhi apni wheelchair jo ab woh khud hi chala paa rahi thi usko leke Raj ke paas aajati hai.
 
Top