• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

Death Kiñg

Active Member
1,366
6,932
144
Update 16
Idher Vicky apne flat mein aake gusse mein idher udher ghum raha tha.

Vicky: Iss Sonal ko toh main chorunga nhi. Woh sirf meri hai. Uski himmat kaise hui kisi aur ko pasand karne ki. Uss ladke ko toh main jaan se maardunga. Par pehle mujhe uska pata lagana hogaa.

Par uske pehle Sonal ke ghar yeh news toh deni hogi ke unki beti yaha mumbai aake kya kya gull khila rahi hai. Jisko unhone padhne bheja tha woh yaha aake kyaa kar rahi hai.

Yeh bol woh Meera ko call lagata hai. Par Samar ne khud ke phone se aur Meera ke phone se Vicky ko block kardiya tha.

Vicky: Yeh aunty ka phone itna busy kyo aaraha hai. Koi naa Swati di ko call karta hu.

Swati: Hello.

Vicky: Hello Swati Singh se baat horahi hai.

Swati: Yes. Aap kaun.

Vicky: Main kaun yeh choriye. Par itna jaan lijiye. Aapki behen jinko aaplogo ne mumbai padhne ko bheja hai woh yaha ladko ke saath ghum rahi hai. Aur ek ladke ko pasand bhi karti hai aur usse shaadi karne wali hai.

Swati: Whatt rubbish. Who are you. Tum Sonal ko kaise jaante ho.

Vicky: Yeh rubbish nhi hai. Sach hai. Main kaun hu yeh choriye aur apni behen ko sambhaliye. Yeh bol phone kaat deta hai. Aur jor jor se hasne lagta hai.

Vicky: Sonalll ab tum dekho tumhare ghar wale kyaa karte hai.

Idher Swati sang sang Sonal ko call karti hai.

Sonal: Good Afternoon di. Kaisi hai aap.

Swati: Good Afternoon. Main thik hu. Mujhe tujhse kuch janna hai. Tu sach sach batayegi.

Sonal: Kyaa baat hai di.

Swati: Kya tu sach mein Raj se pyaar karti hai yaa tere life mein koi aur hai.

Sonal: Diiiii. Aaj toh aapne yeh kehdiya. Aage se phir kabhi yeh naa kehna. Meri life mein Raj ke siva aur koi nhi aasakta. Yeh Sonal sirf aur sirf Raj ki hai.

Swati: Mujhe mere sawaal ka jawaab milgaya.

Sonal: Aapne achanak yeh sawaal kyo puchha di. Jab aapko pata hai. Maine aaj tak Raj ke alawa kabhi kisi ladke ko aankh utha ke nhi dekha.

Swati: Sonal abhi mere paas ek call aaya tha aur mujhe bola gaya tu ladke saath ghumm rahi hai aur kisi ko pasand karti hai aur shaadi karne wali hai.

Sonal samaj jaati hai yeh kaam kiska hai.

Swati: Isiliye maine tujhe call kiya. Aur tu yeh mat samajna mujhe tujhpe yakeen nhi. Mujhe tujhpe khud se jyaada yakeen hai. Main nhi chahti kalko iss baat ko leke koi issue ho aur Tere aur Raj ke beech future mein misunderstanding ho.

Sonal: Main jaanti hu di. Aap mujhe kabhi galat nhi samjhengi.

Swati: Toh phir yeh call kyaaa thaa.

Sonal: Mujhe laga nhi tha itni jaldi Jaipur call aajayega. Par uss call mein jo bola hai woh sab sach hai di.

Swati: Whattttttt.

Sonal: Pehle puri baat sunnlijiyee.

Swati: Bolo.

Sonal: Main jiss ladke ke saath ghum rahi hu woh Aarav hai jo mujhe college se ghar lene aur kabhi kabhi dene jaata hai. Aur dusre ladke jisse shaadi ki baat uthi hai woh Raj ke baare mein hi baat horahi hai.

Swati: Mujhe kuch samaj nhi aaraha hai Sonal. Tu saaf saaf bol.

Sonal: Di aapko phone Vicky ne kiyaa thaa.

Swati: Whattttt. Vicky. Matlab Vicky khanna.

Sonal: Yes Di.

Swati: Par woh aisa kyo karega.

Phir Sonal Swati ko sab kuch bata deti hai. Jisse sunke Swati ko bahot gussa aata hai.

Swati: Uski itni himmat. Main abhi papa ko bolti hu.

Sonal: Nhii di. Main nhi chahti dono families ke beech relation kharab ho. Warna main hi sab bol deti. Aur ab shayad mere iss jhoot se woh mera pichha chorr de.

Swati: Yeh toh achha hua usne mujhe call kiya. Agar Papa ko call karta toh kya hota. Main abhi papa ke phone mein uska number block kardeti hu.

Sonal: Please di. Jaldi kariye.

Swati: Chal main rakhti hu. Tu aaram kar. Aur tension matlena. Koi problem ho toh call karlena.

Sonal: Jiii.

Phir call cut hojaata hai.

Sonal: Yeh Vicky sach mein kameena nikla. Achha hai di ko sab malum hai warna kyaa hota. Aur agar usne pehle papa ko call kardiya hota toh kyaa hota. Par koi bhi jhoot jyaada din nhi chalta. Agar galti se bhi Raj ko pata chal gaya toh kyaa hoga. Woh toh mujhse naraz hojayenge. Aur shayad kabhi baat bhi naa karee. Nhi nhi. Mujhe Raj ko yeh pata chalne se rokhna hoga.

Sonal apne aap se hi baate kiye jaa rahi thi issbaat se anjaan ke uski aur Swati ki saari baatein kisi ne sunnli hai. Par usne sunnke koi react nhi kiya.

Raat ko dinner ke waqt sab dinner kar rahe the par kisi ka Sonal ko dekhne ka nazariya badal gaya tha. Usne Sonal ko ab kisi aur tarike se dekhna start kardiya thaa.

Dinner ke baad sab hall mein baithe baate kar rahe the. Sonal bhi wahi baithi thi.

Savitri: Sonal beta tumhe yaha achha toh lag raha hai naa. Koi pareshani toh nhi horahi naa.

Sonal: Nahi Dadi. Mujhe yaha bahot achha lag raha hai. Aisa lag raha hai main jaipur mein hi hu.

Savitri: College mein koi pareshani toh nhi hai naa.
Sonal yeh sunke ekpal sochti hai phir bolti hai.

Sonal: Nhi dadi. Koi pareshani nhi hai. Payal aur Ishita harwaqt mere saath rehte hai.

Savitri: Achhi baat hai. Agar koi pareshani ho toh Aarav ko yaa Raj ko boldena.

Sonal: Jiii.

Ashok: Raj uss contract ka kya hua jiska presentation tumne diya thaa.

Raj: Abhi tak kuch nhi pata chala Papa. Unki taraf se koi response nhi aaya hai. Yash ne baat ki thi toh pata chala thoda time lagegaa.

Ashok: Thikk hai.

Phir thodi der sab baat karke sone chale jaate hai.

Agle din Sonal Raj ke saath college ke liye ravana hoti hai.

Sonal: Rajj.

Raj: Hmmm.

Sonal: Aapse kuch puchna thaa.

Raj: Pehle ekbaat bolo. Tum harbaar puchne ke pehle permission kyo leti ho.

Sonal: Bas aiseee hi.

Raj: Tum meri kyaa ho.

Sonal: Dhadkte dil ke saath. Matlab.

Raj: Matlab tumse mera kya rishta hai.

Sonal: Mann mein. Yeh Raj kyaa puch rahe hai. Kahi inko mere dil mein kya hai pata toh nhi chal gaya.

Raj: Sonallll. Kyaa sochne lagi bolo.

Sonal: Nazre churate hue. Hum dost hai.

Raj: Galat.

Sonal hairaani se Raj ki aankho mein dekhti hai.

Raj: Hum sirf dost nhi hai. Hum achhe dost hai. Iss waqt Yash ke baad sirf tum ho jisse main dost kehta hu. Jiske saath mujhe baat karne mein acha lagta hai.

Sonal yeh sunnke bahott khushh hoti hai. Usko aisa lagta hai jaise woh Raj ki taraf ek step aur aage badh gayi hai.

Sonal: Khushi se. Sachhh Raj.

Raj: Bilkull.

Sonal: Thank Youuu.

Raj: So abse kuch bhi puchna ho toh permission lene ki jarurat nhi hai. Tumko jo marzi jab marzi puch sakti hai.

Sonal: Toh kal Sunday hai. Kyaa aap kal free hai.

Raj: Subah ek chotta sa kaam hai uske baad saara din free hu.

Sonal: Aapko yaad hai aapne mujhse ek promise kiya thaa.

Raj: Tumhe mandir lejaane ka right.

Sonal: Aapko yaad hai.

Raj: Haaa. Mujhe mere kiye hue promises humesha yaad rehte hai. Aur main puri koshish karta hu unhe pura karne ki.

Sonal: Toh kya kal aap mujhe le chalengee. Pleaseeee.

Raj: Isme Please kaisaa. Tum kal subah mere saath hi chalna mera kaam karke hum waha chalengee.

Sonal: Thank You Raj.

Raj bas smile kardeta hai.

Sonal bahot khush hoti hai. Usne kal raat ko hi yeh plan kiya thaa.

Raj: Lo tumhara college aagaya. Aaj andar nhi jaa raha.
Sonal: No Problem Raj and Thank You. Yeh bol woh car se utar jaati hai.

Sonal: Rajjj.

Raj: Hmm.

Sonal: Byeee. Aur dhyaan se jaaiyegaa.

Raj: Byeee. Apna khyaal rakhnaa.

Yeh bol Raj waha se nikal jaata hai. Sonal wahi khadi Raj ko jaate hue dekhti hai jab tak woh uski nazar se gayab naa hogaya.

Sonal khushi khushi College ke andar jaane lagti hai par tabhi saamne se Vicky aajata hai. Uske aise achanak saamne aane se woh ghabraa jaati hai.

Vicky: Good Morning.

Sonal: Mann mein. Tumhare rehte morning good kaise hosakti hai. Phir jor se bolti hai. Good Morning.

Vicky: Kyaa baat hai bahot khush lag rahi ho.

Sonal: Kyo nhi hona chahiyee.

Vicky: Aisi baat nhi hai. Par aaj kuch jyaada hi khush lag rahi ho.

Sonal: Bas aajka din achha hai. Yeh bol Sonal waha se nikal jaati hai.

Vicky: Yeh kyaa thaa. Mujhe laga iske ghar mein iske baare mein bataunga toh iske chehre mein tension hoga. Par yaha toh sab kuch ulta hogyaa. Kyaa Swati didi ne koi action nhi liyaa. Par aise kaise hosakta hai woh toh bahot strict hai innsab mamle mein.

Idher Sonal jhumti hui Canteen mein aati hai. Uske chehre se jaise khushi rukh hi nhi rahi thi.

Payal: Kyaa baat hai didi aaj bahot khush lag rahi ho.

Sonal: Bas aise hi aaj ka din achha hai.

Ishita: Aisa kyaa hogya di.

Sonal: Kuch nhi hua. Aur khush rehne ke liye kya kuch hona jaruri hai.

Dono: Baat toh sahi hai.

Payal: Di maine suna hai usne kal aapka pichha kiya thaa.

Sonal: Haa sahi sunna. Woh kal humara pichha kar raha tha. Par Aarav ne aisa ghumaya ke woh pichha kar hi nhi paaya.

Payal: Innsab mamle mein uska dimaag bahot chalta hai.

Sonal: Kuch jyaada hi tareef horahi hai.

Payal: Sharma ke. Aisa kuch nhi hai di.

Ishita: Toh Kaisa hai. Aarav bhaiya ki tareef hui nhi ke inki khushi ka thikana nhi.

Payal bas sharma rahi thi.

Sonal: Achha sunno. Woh shayad mera address khojne ke liye hosakta hai tumdono ka bhi pichha karee. Toh alert rehna.

Dono: Bilkull. Lo shaitaan aagaya.

Ishita: Ek baat batao. Tumhe koi dusra kaam dhanda nhi hai. 2 din se dekh rahi hu jab dekho humare taraf hi chakar katte rehte ho.

Vicky: Main yaha anjaan hu. Sonal ke alawa kisi ko nhi jaanta. Isiliye Sonal ke aaspaas rehta hu.

Payal: Sonal di bhi yaha nayi thi. Unhone humse dosti ki tabhi woh humare saath hai. Warna woh akele rehti thi kisi ke paas aise ghumti nhi thi. Tum anjaan ho toh jaan pehchan banao. Jab dekho humare paas hi bhatakte rehte ho. Maante hai Sonal di tumhari dost hai. Par agar har waqt inke aas paas bhatkoge toh dusre dost nhi banenge.

Vicky: Tum dono dost banjao.

Dono: Humhe ladko se dosti karna pasand nhi.

Vicky: I think Aarav bhi ladka hai.

Payal: Tumhari problem kya hai. Tum Aarav ko kyo beech mein laa rahe ho. Tum jaante ho usse nhii woh jaanta hai tumhe nhi. Hum jaante hai tumhe nhi. Toh tum usse kyo beech mein laa rahe ho. Aur hum kisse dosti karenge yeh humari marzi hai.

Vicky: Tumdono naraz kyo horahi ho. Aur main yeh dekh raha hu tumlog ka behaviour mere prati bahot rude hai. Maine aisa kya kardiya hai.

Sonal: Choro naa Vicky. Aur Jaipur ki baat alag thi. Yaha ki baat alag hai. Mujhe waha bhi dosti karna pasand nhi tha aur yaha bhi nhi. Yeh mere roommates hai isiliye inse dosti ki hai.

Vicky kuch bolta usse pehle hi class ki bell baj jaati hai.

Sonal: Chalo time hogyaa. Phir woh teeno waha se nikal jaate hai.

Vicky: Yeh inndono ne achha nhi kiya. Inko meri beizaati nhi karni chahiye thi. Sirf uss Sonal ke wajah se sunnliya. Ekbaar yeh Sonal ko maza chakha du. Phir inko bhi dekhlunga.

Idher Raj office aata hai toh Yash pehle se baitha hua tha aur phone mein laga hua thaa.

Raj: Aajkal dekh raha hu tu harwaqt phone pe laga hua hai. Maajra kya hai.

Yash: Koi maajra nhi hai. Ab phone aata hai toh baat karna padhta hai.

Raj: Pehle toh itne phone nhi aate the. Aajkal kuch jyaada hi phone aate hai.

Yash: Aisa kuch nhi hai. Tujhe kaam nhi karna Kyaa jo baato mein time waste kar raha hai. Aajkal tu bahot badal gaya hai.

Raj: Achha main badal gaya hu. Aur tu nhi badla. Mujhse baate chipaane laga hai aajkal.

Yash: Hadbada ke. Nhii bhai. Aisi koi baat nhi hai. Aur main kyo tujhse kuch chipaunga. Chal chal bahot kaam hai. Yeh bol Yash waha se nikal jaata hai.

Pichhe Raj hasne lagta hai.

Idher College mein chutti ke baad Aarav aajata hai Sonal ko lene. Sonal ko aane mein thoda time tha par Payal pehle hi aagayi thi.

Payal: Kyaa baat hai Mr. Driver. Aaj time se pehle.

Aarav: Bas aagaya. Tum yaha kya kar rahi ho. Class nhi hai.

Payal: Nhi. Lecture off hai. Waise manna padega. Sonal di ki wajah se koi jimmedaar ban gaya hai.

Aarav: Ab jimmedaar toh banna padega kal ko shaadi hogi toh jimmedaariyan badegi isiliye abhi se practice kar raha hu.

Payal: Achhaa. Abhi se shaadi ki soch. Ladki mil gayi.

Aarav: Haa milgayi.

Payal: Kaun hai woh badsurat.

Aarav: Mind your language. Jo meri jaan ko badsurat kaha toh. Aree usse jyaada khubsoorat toh koi ho hi nhi sakta. Ekdum chaand sa chehra. Jheel si gehri aankhe. Uske jaisa koi nhi. Tum dekhogi naa toh jal jaogi uski khubsoorati dekh.

Payal: Sharma ke. Jalegi meri jooti. Mujhe nhi lagta jitna tum bol rahe ho woh utni khubsoorat hai.

Aarav: Aree tum kyaa jaano woh kitni khubsoorat hai. Meri nazar se dekho tab pata chale. Waise tumne kisi ko pasand kiya hai.

Payal: Haa kiya hai. Hai ek handsome smart dashing. Jisko dekhte hi dil ki dhadkan badh jaaye.

Aarav: Matlab dil ki beemari aajaaye.

Payal: Apni hadd mein raho. Tum kyaa jaano meri jaan ke baare mein.

Aarav: Mujhe janna bhi nhi hai.

Payal: Jal jaoge uski smartness dekh kar.

Aarav: In your dreams.

Tabhi waha Ishita aati hai.

Ishita: Aur love birds kyaa baate horahi hai.

Aarav: Tujhe kyo janna hai. Kabaab mein haddi.

Ishita: Achha main kabaab mein haddi. Ruko aaj toh aapdono ke baare mein bhaiya bhabhi ko bata ke rahungi.

Aarav: Aree meri behen toh gussa hogyi. Main toh mazaak kar raha tha kyo Payal.

Payal: Haa Ishu. Yeh toh mazaak kar raha tha. Hum toh bas aise hi casual baate kar rahe the. Nothing else.

Ishita: No maskaa. Mujhe sab pata hai jao jao maaf kiya. Aap bhi kya yaad rakhoge kis bade dilwali se paala padha hai.

Aarav: Thank Youuu. Waise di nhi aayi abhi tak.

Payal: Aati hi hongi. Aur pichhe pichhe woh joker bhi. Aur di nhi bhabhi. Bhul gaye woh college mein bhabhi hai.

Aarav: Yaa yaa right. Par uss joker ka kuch karna padegaa.

Payal: Choro naa aise logo ke muh nhi lagte.

Ishita: Haa bhaiya. Payal sahi keh rahi hai. Woh gira hua insaan hai.

Aarav: Hmmm.

Thodi der mein Sonal aajaati hai aur as always Vicky pichhe hi thaa.

Sonal: Vicky tum yeh harwaqt mere pichhe aana chordo. Mujhe achha nhi lagta. Dusre log galat matlab nikaal sakte hai. Jaipur mein the baat alag thi. Par yeh mumbai hai. Aur main nhi chahti yaha aisa kuch ho.

Vicky: Par hum dost hai.

Sonal: Dost hai iska matlab yeh nhi harwaqt mere pichhe pade raho. Tum yaha padhne aaye ho toh usme interest do naa. Harwaqt mere pichhe mat pado. Yeh bol Sonal car mein baithke waha se chali jaati hai.

Vicky wahi apna thagga sa chehra liye baitha rehta hai.

Aarav: Kyaa baat hai di. Aaj toh aapne usse achha sunaya.

Sonal: Pareshan hogyi hu Aarav. Roj roj ek hi chiz.

Aarav: Koi naa. Kal toh Sunday hai. Aapko iss tension se chutti milegi.

Sonal: Haaa.

Thodi der baad dono ghar aajate hai.

Sonal ke sunane ke baad Vicky ne aaj kisi ka pichha nhi kiya. Kyoki usne kuch aur socha tha. Isiliye usne kisi so phone milaya aur kuch baat ki jabardasti uss baat ki manwaya.

Vicky: Ab dekhta hu Sonal tum kyaa karti ho. Aaj raat tumko ek aisa jhatka milega jiske baad tum mere alawa kisi aur ko dekhogi tak nhi.
Sach Kaha Sonal ne ki Vicky sach mein kameena hi hai. Aur ye aasani se to maanega nahi. Isska bhi koyi badiya intezaam karna hi padega.

Chalo iss Vicky ke chakkar mein kam se kam apne mann ki baat chaar logon ke saamne to keh paayi Sonal. Par ab ye Vicky kya karne waala hai. Kahin Aarav to iske nishaane par nahi.

Dekhte hain aage kya hota hai. Waiting For Next...
 

Jaguaar

Prime
17,680
60,210
244
Sach Kaha Sonal ne ki Vicky sach mein kameena hi hai. Aur ye aasani se to maanega nahi. Isska bhi koyi badiya intezaam karna hi padega.

Chalo iss Vicky ke chakkar mein kam se kam apne mann ki baat chaar logon ke saamne to keh paayi Sonal. Par ab ye Vicky kya karne waala hai. Kahin Aarav to iske nishaane par nahi.

Dekhte hain aage kya hota hai. Waiting For Next...
Thank you

Vicky jo bhi karegaa usse uska hi nuksaan hogaa.
 
  • Like
Reactions: mashish and Naik
9,380
39,528
218
Thank you

Iss kahani mein villains ka jyaada kuch kaam nhi hai. Aayenge apna kaam karenge beizaat honge.

Sonal ne jhoot toh bola hai par future mein jo sach hone wala hai.

Sonal ki yehi galti kisi dusre ke liye khatra ban rahi hai. Sonal ko kuch nhi hoga. Aur rahi baat kisi ko batane ki toh woh sahi samay pe sahi insaan ko bata degi.
रोमांटिक स्टोरी में एक मजबूत विलेन की भूमिका अहम होती है । ये मेरा ख्याल है । तभी तो रोमांस के बीच डर का साया भी बना रहता है ।
 

Jaguaar

Prime
17,680
60,210
244
रोमांटिक स्टोरी में एक मजबूत विलेन की भूमिका अहम होती है । ये मेरा ख्याल है । तभी तो रोमांस के बीच डर का साया भी बना रहता है ।
Aur agar Villain dono ko alag karke apna kaam karke nikal jaaye toh
 
Last edited:

Jaguaar

Prime
17,680
60,210
244
Ab ye to writer pe depend karta hai na ! Villain bhi to writer ka hi creation hai. I think in every romantic movie or store , villain were so powerful. :D
Dekhte hai aage aur kya kya hota hai
 

Anshu Sharma

Shubham Yadav
2,564
1,370
144
U think Vicky sonal ke dad ko marva dega
 
Top